Suwal 701 to 800 (Masail e Shariat Jild 2)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat Jild 2) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Aqib Raza Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 2)
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Suwal no. 701

Hazrat Aqeeq nag kaun se rang ka pahnana hai. Size kya hona chahiye aur ulte hath me pahnne se koi nuksan to nahi matlab bathroom wagerah Jane me. Chandi Ki anguthi ka wajan kitna hona chahiye. Kya birth date bhi mayne rakhti hai. Please detail me bataiye. Bahut meharbani hogi.

Jawab:701 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi bhi aqeeq, pehna jaa sakta hai, ulte hath me pehenne se koi nuksan nahi, toilet me pehn kar jaane me koi harz nahi, 4.5 masha se kam mikdar ki chandi me pehenna hai
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 702

Masjidon par minaar lagana zaruri hai ? aur minaar rakhna kaisa hai ?

Jawab: 702 بسم الله الرحمن الرحيم
Isme koi harz nahi, balki lagani chahiye, ki aaj kal imarate itni unchi hai ki, agar masjid par meenar naa banai jaaye to musafir masjid nahi dekh sakta, wo misl e ghar ke ho jayegi, lihaza meenar lagana chahiye taki door se masjid ke hone ka ilm ho jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 703

Rabiul awwal shareef ke mahine me log mazaraat ko tharmacol se banate hain aur bhahut si cheezo ko banate hain ye kaisa hai ?

Jawab: 703 بسم الله الرحمن الرحيم
Kaba, madine ya kisi bhi mazar ki misal banana jaiz hai, jabki wo dikhne me waise hi maloom ho, aur taziman ghar me bhi rakh sakte hai, koi harz nahi
Hadis e pak me hai : (musalman ki niyat uske amal se behtar hai)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 704

Ainul hidayah kya hai

Jawab: 704 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek kitab ka naam hai, jiske musannif Maulana Syed Ameer Ali, hain
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 705

Dadhi aur sar me mehendi lagana kaisa he ? kya ye kisi hadees se sabit he .Ek badmazhab ne kaha ke sarkaar ne ek ya do martaba lagayi he aur iske bad kabhi nahi lagayi isliye ke sarkar ko mehendi ki boo pasand nahi thi .meherbani hogi jawab den ?

Jawab: 705 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to ye ki badmazhab se koi deeni baat sunne ke liye ulama e haq ahle sunnat ne isilye mana farmaya ki kahi inki koi bat waswasa ban kar dil me ghar naa kar jaye, isilye munafiq se naa deen sikho naa koi mas’ala puchho, aur koi rehnumai ki hajat ho to sunni masjid ki janib jana chahiye, sunni alim se rabitah karna chahiye, Lagana Mehndi ka baal aur daadhi me ulama ne MUSTAHAB likha hai, AlaHazrat ka bhi yahi fatwa hai, ki mehndi lagana mustahab hai, hume apne sunni aalim ki baat kafi hai, aur hadis me mehndi lagane ka hukm diya gaya aur ise islam ki zeenat kaha gaya,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 706

Hazrat sajda tilawat me kya padhte hain ?

Jawab: 706 بسم الله الرحمن الرحيم
Wahi tasbih padhni chahiye jo namaz ke sajdo me padhte hain, aur kuchh naa padha sirf sajda kiya jab bhi ada ho gaya, magar sunnat reh gai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 707

Dekha jata hai ki biwi aur shohar ke beech jhagde fasaad hote hain to unme mohabbat kaise paida ho sakti hai ? Shariat me kya huqm hai.?

Jawab: 707 بسم الله الرحمن الرحيم
Roz din me kisi bhi waqt 786 bar pani par Bismillah padh kar dum kare dono piyen, aur dono jitni roti khate ho usse adhi kar de, yani subha sham 2-2 khate the to, 1-1 kar den, (21 din tak), dono me mohabbat paida ho jayegi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 708

Hazrat talaq ki kya shart hain ? kya talaq ke liye gawahi zaruri hai ?

Jawab: 708 بسم الله الرحمن الرحيم
Talaq ke liye kuchh khas lafz bhi shara me tey hain aur shohar ka aaqil baligh hona shart hai jaisa ki.
Bahar E Shariat Jild: 2 Safah: 111 par hai
“talaq ke liye shart ye hai ki shohar aaqil baligh ho, nabaligh ya majnu(n) naa khud talaq de sakta hai, na uski taraf se uska wali, magar nashe wale ne talaq di to ho jayegi ki ye baligh ke hukm me hai,... talaq me aurat ki janib se koi shart nahi, nabaligha ya majnunah ko talaq ho jayegi,

Talaq me 2 mard ki gawahi chahiye hoti hai, warna ek mard, 2 aurate, agar koi mard nahi sirf aurate hain to gawahi qubool nahi hoti, ye bhi shart hai,.
Jaisa ki Mufti Jalaluddin Amjadi Qibla fiqh e Hanafi ki Roo se ek Istafte ka Jawab dete huye arz karte hain “agar ye bayan sirf aurat ka hai ki shohar ne 3 baar kaha tujhe talaq di, aur is baat par do mard ya ek mard do aurat adil gawah nahi hain aur shohar inkar karta hai to talaq sabit naa hogi.
Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:121
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 709

Hazrat kya hamela (pregnant) aurat ka talaq ho jayega ? plz zara tafsil se batayen ?

Jawab: 709 بسم الله الرحمن الرحيم
G, halat e hamal me talaq di to, sahi ye hai ki talaq ho jayegi, Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:111 par hai
“halat e HAMAL aur ghusse me talaq ho jayegi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 710

Mere ek muslim dost ko dusre kom (hindu) ki ladki se pyar hua he or usse shadi karna chahta he, Kya Ye hamare kom me jayez he ? Aapke jawab ka talab gaar hun.

Jawab 710 بسم الله الرحمن الرحيم
Gair muslim ka nikah Muslim se kisi surat nahi ho sakta, aur agar ladki khud apni khushi se daman e islam ke zair e saye aa jaye to ab wo musalman shumar ki jayegi fir usse musalman ka nikah jaiz hoga,
Magar gair muslim ladki ko musalman karke nikah karna jaiz to hai magar aage iske kafi nuqsan dekhne ko milte hai, awwal to ye mohabbat mard ki hai deen ki nahi, doosra ise khud deen sikhna padega warna bachcho ki tarbiyat nahi kar sakegi, agar mard ise khud shuru se sare deen ki history bataye ya sikhaye to ye kaam dhandha kab karega, lihaza, faqat mohabbat ki khatir baki mamle me farq padhta hai, aur dushmaniya jo apas me ho jaati hai, fir danga fasad aur aajkal to waise bhi hindustan ki HAWA KHARAB chal rahi hai, to beshak agar koi musalman hona chahe to MARHABA, magar zabr ya zor se aisa qadm naa uthaye, warna bad me ladai hone ki surat me ladki deen chhod deti hai, kyunki ye mohabbat deen ki nahi us shakhs ki hoti hai, Baki islam laane ke bad do gawah ki maujoodgi me nikah karega to nikah ho jayega.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 711

imama ko پگڑی (pagri) kah sakte hai ya nahi,

Jawab: 711 بسم الله الرحمن الرحيم
Imame ko pagri kehne me sharann koi gunah nahi, magar isme ilaqe ke urf ka bhi dakhal hai, agar kahi log pagri se murad panjabi ki pagdi samajhe to kehne se bacha jayega, aur imama hi kehna chahiye.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 712

Assalamualaikum Hazrat, Aaj kal dekha jata hai ki naat-e-paak ya manqabat ko gaane ki tarz par padha jata hai. To ye gaane ki tarz par padhna aur sunna kaisa hai. Baz dafa aisa bhi hota hai ki kisi ne naat ki tarz banai aur padhi to kahin na kahin gaane se mil gai. Lekin padhne wale ki niyat sahi hai use nahi pata ki aisi tarz par koi gaana bhi hai. Lekin sunne wale ko lag raha hai ki ye gaane ki tarz par hai to aise me wo kya kare naat sun sakta hai ya nahi. Jawab inayat farma den ?

Jawab: 712 بسم الله الرحمن الرحيم
Naat ya manqabat ko filmi gaano ki tarz par padhna HARAM hai, aur agar kisi ne koi naat kisi majlis me apni tarz par padhi, fir baad me maloom hua ki wo gaane ki mushabihat par ho gai, yani aisi tarz me gaane maujood hai, to is surat me is majlis me padhne wale par koi gunah nahi, magar kyunki ab khabar dar hai to ainda mehfil me isi naat ko bilkul pehle wali tarz par nahi padh sakta, balki mera mashwara hai ki jaise hi khabar dar ho jaye ki uski naat ittifaq se gaane ki tarz par hai, to jald use doosri tarz me tayyar karke padhe taki, awam me nai tarz aam ho, warna log pehli hi gaane wali tarz par padhna shuru kar denge.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 713

kya biskut par niyaz ho sakti he

Jawab: 713 بسم الله الرحمن الرحيم
Ho sakti hai koi harz nahi, har jaiz aur halal cheez par niyaz ho sakti hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 714

Kya nashe ki halat me di gayi talaaq , talaaq mani jayegi

Jawab: 714 بسم الله الرحمن الرحيم
Nashe ki halat me talaq dene se talaq ho jayegi, Jaisa ki Bahar E Shariat Jild: 2 Safah: 111 me hai
“nashe wale ne talaq di to ho jayegi ki ye baligh ke hukm me hai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 715

Niyaz kya hoti he ?

Jawab: 715 بسم الله الرحمن الرحيم
Niyaz tohfe ko kaha jata hai yani ek musalman apne dusre murda ya zinda musalman ko kuchh nek amal karke ya quran padh kar iska sawab tohfe me deta hai, aur khana musalman ko taqseem karta hai, ise hi niyaz kaha jata hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 716

jannati mard ke liye hoore aur jannati aurton ke liye kya hai ?

Jawab: 716 بسم الله الرحمن الرحيم
Unke shohar, jo shadi shuda nahi thi to uski shadi unse ki jayegi jo duniye me bagair shadi wafat paye,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 717

hamari maa se hamare papa pairo ko dabwate hen kya islam me shohar ki sewa karne se jannat milti he

Jawab: 717 بسم الله الرحمن الرحيم
G, sahi farmaya apne, aur iska qaida ye hai ki, Shohar ki khushi se allah razi, aur allah ke razi hone se jannat milti hai, Shohar ki narazgi se allah naraz, aur allah ki narazgi se dozakh milti hai, to kaha jaa sakta hai, ki shohar ki razamandi se jannat milti hai,
(magar ye is surat me hoga, jabki namaz roza parde ki paband ho, fir shohar ki khidmat kare, aisa nahi ki naa namaz naa roza, naa aur shariat ki perwi to aisi surat me jannat ki ummid kis tarah hayadar ko jaiz ho sakti hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 718

shariya qanoon kise kahte hain? Aur hamare mulk me shariya kanoon kya hai

Jawab: 718 بسم الله الرحمن الرحيم
Islami hukumat ya muslim badshah ke laagu kiye gaye shariat ke qanoon ko hi sharia ya qanoon kehte hai, ya lafz shariat khud islamic qanoon ko kehte hain, aur hind me shariaya qanoon nahi hai,
Aise suwal ke liye apko apni masjid ke imam se bhi rabita rakhna chahiye, aisi baate unse bhi sikhne ko mil sakti hain,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 719

Hazrat kya phone pe Photo lag sakti hai.

Jawab: 719 بسم الله الرحمن الرحيم
Phone ke profile ya screen par photo ke bare me baz muftiyan e kiram jawaz ke qail hai, lihaza ikhtilafi masail se bachna mustahab hai, warna laga sakte hai, phone me kheench kar phone me hi rakh sakte hai, printout nikalwane ki ijazat nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 720

Assalamu Alaikum Hazrat, Ye Muslim me Tyagi Caste Koun Hote Hai. Inki shuruat kaise hui. Hamne pahli baar suna hai. Inki dosti kya sahi hai.

Jawab:720 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye islamic group he SHAADI.COM walo ka group nahi jahan apko cast matching ki detail di jaye, jo bhi sunni musalman hai, uski tazeem lazim aur bila wajeh shara dil dukhana, haram, uski jan, mal, izzat, ap par haram, uski gheebat, chughli, keena haram, fir chahe, tyagi ho, khan ya julahe, balki julahe ko bhi bator e tana julaha kehna haram hai, aur har badmazhab ki dosti buri, har sunni ki achhi, aur dosti aur dushmani allah ke liye honi chahiye. Apni zaati fayede mal dolat ke liye nahi.
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 721

Asalam o alaykum, jis ghar me intikal ho jata he aur waha par 40 din tak roshni karna zaruri he par waha par kuchh majburi ki wajah se waha par koi he nahi aur waha 10 va 20 va and 40 va 30 din ka kiya gaya he koi haraz ? ab waha par roshni nahi ho pa rahi he.

Jawab: 721 بسم الله الرحمن الرحيم
*Jis ghar me intiqal ho jaata hai wahan par roshni karna kuchh zaruri nahi, balki bila wajah ki roshni karna gunah hai kyunki ye maal ka israf hai aur ye israf Gunah hota hai,
*40va ke liye 40 din bad hi karna koi zaruri nahi iska naam bas 40va hai, chahe 30 me kar lo 25 me, koi harz ki baat nahi hai, ye ek tarike ka isaal e sawab hai, yani hota ye hai ki, ek din muqarrar kar liya jata hai ki is din qurankhwani ya naatkhwani ya koi bhi nek amal hoga sab log hazir ho, isse sab ek sath nek kam karte hai to sawab zyada ho jata hai, fir wo swab marne walo ko bhej diya jaata hai, fir chahe 25 din me bheje ya 45 din me naam 40 va hai, asl kaam sawab pahuchana hai jo ki har din jaiz hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 722

kiya qawwali haram hai, hai to kyun, khwaja gareeb nawaz koun si qawwali sunte the us me daf hota tha aur gous paak qawwali sunte the aur daf dhol ki hi shakal hai ya nahi,

Jawab: 722 بسم الله الرحمن الرحيم
Qawwali, dhol tashe ya deegar musicial instruments ke sath Haram haram sakht haram ashad haram hai, or qawwali jo music ke sath hoti hai ye bhi haram hai or kisi buzurg se sabit nahi, balki auliya allah sirf kalam sunte the usme music nahi hota tha.  Fatawa Razawiyya Jild: 24 Safah: 80 par hai,
Mazameer bilashuba haram hai, ... inke sunne sunane ke gunah hone me shak nahi,... aur chishti silsile ki taraf iski nisbat karna mehez BATIL HAI,

Kashul Fana An Usool Al-Sama me hain
Logo ne apne ghalba e haal wa shoq me mazameer ke sath qawwali suni, aur hamare peeran e tariqat ka sunna is tohmat se pak hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 723

kiya sayyed ko aag nahi jalati ?

Jawab: 723 بسم الله الرحمن الرحيم
Dunyawi aag insani jism ko jalane par qadir hai, aur ye fitrat e insani bhi hai ki, dunya ki taqleef har jism ko mehsus hoti hai, aur jo sayyido ke bare me zikr hai ki unhe aag nahi jalayegi, wo is dunyawi aag ka zikr nahi, balki dozakh ki aag ka zikr hai, han, agar dunya me koi sayyid, ba-karam wali ho to beshak yahan bhi aag naa jala sakegi, naa unhe, naa unke kapdo ko, rahi jahannam ki aag to AlaHazrat Imam Ahmad Raza khan Fatawa Razawiyya Jild:29 Safah:936 par Farmate hain
“sayyid jo waqa’i ilm e ilahi me sayyid (sadat) hon, unke baare me RAB se ummid e wasiq yahi hain ki, akhirat me unko KISI GUNAH PAR AZAB NAHI DIYA JAYEGA,”

Imam ki is tehrir se zahir hai ki azab hi ke liye jahannam me bheja jata hai, lihaza, wo is aag se door rahenge balki deegar (hashr, qabr wagera) ke azab se bhi allah chahe to mehfuz rahenge, aur “azab naa diya jayega” is baat se dozakh ki aag se bachna sabit hai,

Hadis e Pak me hai: انما سیت فاطمۃ لان اﷲ تعالٰی حرمھا وذریتہا علی النار
(inka fatima naam islye hua ki allah ne inko (fatima ko) aur inki tamam aulado ko (sayyido ko) aag par haram farma diya.)

Ek aur Hadis e Pak me hai: ان اﷲ غیر معذبک ولا ولدک اوکما قال صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم
(Aye fatima Allah naa tujhe azab karega, naa teri aulad me se kisi ko.)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 724

Wife and hasband sath rat guzarne ke bad subah nahane ka koi tareeqa hai wo kaisa hai plz batayen

Jawab: 724 بسم الله الرحمن الرحيم
Wahi tariqa hai jo gusal farz hone par hoga, aur wahi 3 farz hain har gusal e wajib men, iske bad ka koi khas gusal hota ho? aisa mere ilm me nahi, magar logo me mash’hoor hai,  magar ghalat hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 725

Salam Hazrat, is qism ki cds, “Ghareeb nawaz aur ek jadugar” wagera ki aur qawwali ki dargah par milte hai, iske mutaliq batayen ki ye jaiz hai ya nahi.

Jawab: 725 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo is daur me auliya ki karamat aur waqiyat ke liye cd’s tayyar ki jaati hai, wo music se aaluda hoti hai, aur fir, waqya byan jo kiya jaa raha hai, usme kitna sach he kitna jhooth, ye andaza bhi mushkil aur fir uski beparda aurato ki bhi adakari shamil hoti hai, lihaza aisi khurafat se bachna chahiye, naa iska sunna jaiz na khareedna, walio ki karamat ke liye behtreen zariya ulama e ahle sunnat ki sohbat hai aur sunni alim ki likhi kitab, Raha qawwali to qawwali jo maujooda daur me music ke sath hoti hai, HARAM hai aur kisi buzurg ne is tarah nahi suni naa ghareeb nawaz ne naa ghaus e azam ne, aur jo kehte he, chishti silsile me qawwali jaiz hai, wo jahil e mutlaq hai, beshaq jo qawwali hamare buzurgo ne suni hai wo music se pak hoti thi, usme sirf allah ki shan me kalam hota hai, dhol nahi, aur koi wali shariat ke khilaf kam karke wali nahi ban sakta aur ek ahm baat, WALI JAHIL NAHI HO SAKTA< WALI 100% ALIM HOGA, ab aap khud andaza laga lo, aalim hone ke baad shariat ka ilm nahi to WALI nahi, WALI hai to Haram kam nahi kar sakta, ye ilzaam hai, allah jahil sufio ko aql e saleem de,
Qawwali, dhol tashe ya deegar musical instruments ke sath Haram haram sakht haram ashad haram hai, or qawwali jo music ke sath hoti hai ye bhi haram hai or kisi buzurg se sabit nahi, balki auliya allah sirf kalam sunte the usme music nahi hota tha. Fatawa Razawiyya Jild: 24 Safah: 80 par hai,
Mazameer bilashuba haram hai, ... inke sunne sunane ke gunah hone me shak nahi,... aur chishti silsile ki taraf iski nisbat karna mehez BATIL HAI,

Kashul Fana An Usool Al-Sama me hain
Logo ne apne ghalba e haal wa shoq me mazameer ke sath qawwali suni, aur hamare peeran e tariqat ka sunna is tohmat se pak hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 726

Qalava bandha kaisa?

Jawab: 726 بسم الله الرحمن الرحيم
Qalava Bandhna Mazar ka Jaiz nahi, Mushabihat e Kuffar hai, isse roka jayega, aur khud bhi bacha jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 727

Janamaz pe sazde ki jagha par paon rakhna be adabi he ya nahi us jagah ka ehtram he ya nahi

Jawab: 727 بسم الله الرحمن الرحيم
Ehtiat karne me harz nahi, balki poori janamaz ka adab kijiega, aur uski paki ka khyal rakhe to iski bhi barkate payen, magar paun rakhna us par gunah nahi, “ba-adab banaseeb, be-adab benaseeb”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 728

huzoor ye irshad farmayen ki dunya ke sabse bade wali ka naam kya hai. yani poori dunya me aur kal qiyamat tak kis wali ka martaba sabse bada hai unka naam ?

Jawab: 728 بسم الله الرحمن الرحيم
Duniya ke sabse bade wali ka naam “ABU BAKR SIDDIQUE” hai (radiallah anhu)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 729

Nikah me Jo wakil banta he wo kis taraf ka hona chiye ladki ya ladke walo ki taraf se, Hazrat rahenumayi farmaye ba hawala

Jawab: 729 بسم الله الرحمن الرحيم
Dono ka baligh mard, sunni musalman hona zaruri hai, aur chahe ladki ke rishtedar ho ya ladke ke ya dono me se koi naa ho, koi bhi waha maujood ho ya padosi ho, isme koi shart ya qaid nahi, do gawah chahiye,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 730

Bhai janaze ke saath jane se lekar dua mang kar wapas aane tak hadees ke mutabiq ek musalman ko kitna sawab milta hai

Jawab: 730 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi wali ki namaz e janaza me shamil hone se padhne walon ki bhi maghfirat ho jaati hai,
Huzoor ne farmaya: jab koi jannati ki wafat ho jaati hai, to Allah haya farmata hai ki un logo ko azab de jo uska janaza le kar chale, aur uske pichhe chale aur jinhone iski namaza e janaza ada ki,

Hazrat dawood (alaihissalam) ne Allah se arz ki, ki aye Allah jisne mehez teri riza ki khatir janaze ka sath diya uski kya jaza hai, Allah ne farmaya jis din wo marega to firishte uske janaze ke sath chalenge, aur me uski maghfirat karunga.

Sahih Muslim me hai
“jo shakhs sawab ki niyat se apne ghar se janaze ke sath chale, namaz e janaza padhe aur dafan tak janaze ke sath rahe, uske liye do qir’at sawab hai, jisme se har qir’at uhud pahar ke barabar hai, aur sirf janaze ki namaz padh kar aye, (dafan me shamil naa ho) to uske liye ek qirat ka sawab.
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 731

jo koi namaz jan bujh kar chhor de uski kya saza hai,

Jawab: 731 بسم الله الرحمن الرحيم
Qasdan namaz tark kar dena haram aur jahannam me le jaane wala kaam hai, jab tak tauba kar ke uski qaza naa padh le aur aisa karne wala fasiq hai,
Hadis- jiski namaz fot ho gai, goya ki uske ahl o maal jata raha
Hadis- jisne qasdan namaz chhor di jahannam ke darwaze par uska naam likh diya jata hai
Hadis- jo qasdan namaz tark kar deta hai allah wa rasool usse bari uz zimma hain,
Hadis- jis deen me namaz nahi usme koi khair nahi
Hadis- jisne namaz chhor di uska koi deen nahi, namaz deen ka sutoon hai
Hadis- islam me uska koi hissa nahi jiske liye namaz naa ho
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 732 

New year ki mubarak baad dena kaisa ?

Jawab 732 بسم الله الرحمن الرحيم
Fizol, batil mehez hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 733

New year ki mubarak baad ka jawab dena aur mubarak bad dena dono kaisa? Hazrat jawab soon plz

Jawab: 733 بسم الله الرحمن الرحيم
Fizul batil mehez hai, aur waqt ki barbadi hai, yahoodio se mushabihat
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 734

Aapki bargah me suwal ye he ki pajama ya tehband takhno se kitna upar rakhna sunnat he Agar koi niche rakhta he iski koi mumanat maojud he bil havala irshad farmaye

Jawab: 734 بسم الله الرحمن الرحيم
Payjama ya tehband itna uncha ho ki jisse takhne dikhai de to sunnat ada ho jayegi isse uncha pehnna, ki jisse badmazhab se mushabihat paida ho to isse roka jayega, aur takhno se neeche rakhne ki mumaniat maujood hai magar wo TAKABBUR ki qaid ke sath hai, yani jisne takabbaur ke sath kapde latkaye to gunahgar hai, aur takabbur ke sath naa ho to khilaf e sunnat hai, makruh, gunah nahi aur namaz me bhi koi karahat nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 735

biwi kehna kam manti he sirf mera hi dhiyan rakhti he baki ghar walo ka nahi kiya karna chahiye.

Jawab: 735 بسم الله الرحمن الرحيم
Kuchh kotahi apke ghar walo ki janib se bhi hogi jiska apne zikr nahi kiya, agar wo apka kehna manti hai to aap use ghar walo ka kehna manne ko bhi kahen, aur kya ajab apke ghar wale usse us khidmat ki ummid rakhte ho jo uske zimme nahi ya jiski wo ahl nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 736

Agar shohar ka intekal ho jaye aur biwi apne nanihal chali jaye aur kuchh Dino ke baad biwi ke mayke wale uska saman Le jana chahe jo dahej me mila hua tha to ispe kiska haq hoga ?

Jawab: 736 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo saman aurat ke ghar walo ki taraf se aurat ko diya jaata hai wo usi aurat ki milk hai uski ijazat ke bagair use koi istimal bhi nahi kar sakta, aurat chahe to wo saman wapas le ja sakti hai, doosre ko istimal karna ya qabza kar lena jaiz nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

​Suwal no. 737

Kapdo ka napak hona kya hai. Matlab ke agar naaf se niche kapda napak ho j​​aye to kya upar ka kapda bhi napak hoga kya ?

Jawab: 737 بسم الله الرحمن الرحيم
Najasat kapde ya jism par jaha lagegi bas usi hisse ko napak karegi, pure kapde ya jism ko nahi, agar ek payenche par napaki hai to, doosra payencha pak rahega, aur upar ke kapde par bhi kuchh fark nahi jab tak najasat us par naa lag jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 738

Ajkal logo me ek baat dekhi jati hai ki wo kisi dusre ka phone lete hai, aur uske whtsapp, gallery, massage me ja kar padhna shuru kar dete hai, aya ye sahi hai ya nahi, ki kisi ki ijazat ke bagair, phone ke msg padhna ya whatsapp status chek karna, aur shariat me iska kya hukm hai,

Jawab: 738 بسم الله الرحمن الرحيم
Dekhne ke liye phone lene me harj nahi, magar phone hath me aate hi, uske msg dekhna, whtsapp ke msg dekhna aur padhna ya uske personal photo gallery me chori se photo, wagaira chek karna haram hai,
Ahadees me iski mumaniat aai ki bila ijazat kisi ka khat padhna mana hai, aur msg electronic khat ke hi hukm me hai, isi tarah kisi ka msg ya koi bhi kitab tehrir chori se padhna haram hai, aur aisa karne wale ne gunah e kabeera kiya jahannam ka haqdar bana, aur is kam se ainda tauba karna lazim hai,
Hadis me farmaya: من نظر فی کتاب اخیہ بغیر اذنہ فانما ینظر فی النار۔
(jo apne bhai ka khat be uski ijazat ke dekhe, weh bila shubah aag dekh raha hai,)

Fatawa Razawiyya Jild:24 Safah:712 par hai:
Be uski ijazat ke lifafa chak karna (khat kholna) gair ki milk me tasarruf hai, najaiz hua ki sharan haram hai

Isse pata chala ki bila ijazat kisi ke phone me msg ka padhna gunah hai, aur isi tarah kisi ki personal diary, copy wagera ka hukm hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 739

Hazrat mureed ke mayene kya hain. Aur kya kisi ka mureed hona zaruri hota hai.

Jawab:739 بسم الله الرحمن الرحيم
Waise to deeni shagird ko bhi lugvi etbar se mureed kaha jata hai magar tariqat ki istilah me mureed kehte hai, kisi jama’e shara peer ke hath par khud ko bech dene ka naam, yani kisi ki ghulami ka patta apni gardan me dalne ka naam taki kal bina malik ke awara shumar naa kiya jaye, aur mureedi naam hai, apne zahir aur batin ki islah ka naam, aur allah wa rasool ki nazdeeki hasil karne kaa naam, iman ki hifazat ka naam akhirat ko sawarne ka naam kal qiyamat me kisi ke saye me rehne ka naam, qabr me aram paane ka naam, jo bina wali e kamil ki nazar se sab ke liye mumkin nahi,
Dono jahan ki bhalaiya or iman ki hifazat ke liye kisi kamil peer se mureed hona chahiye,
Mureed hona sunnat hai, Quran e pak me irshad e bari t’ala hai (surah bani israil ayat:17)
“jis din ham har jamat ko uske imam ke sath bulayenge”

Is ayat ki tafseer me nurool irfan me hai
Isse maloom hua ki dunya me kisi nek ko apna imam bana lena chahiye, shariat me taqleed karke aur tariqat me byet ho kar, taki hashr achho ke sath ho, agar saleh imam na hoga to uska imam shaitan hoga,

Aur sahaba ne huzoor ke hath par bayet bhi ki jise quran me irshad famraya (surah fatah:10)
“weh jo tumhari bayet karte hain, weh to allah hi se bayet karte hain, unke hatho par allah ka hath hai,”
Is ayat se mureed hone ka saf saboot hai,

Aur baz auliya kiram se bhi sabit hai jaisa ki ba-yazeed bistami se riwayat hai.
روی عن ابی یزید (رضی اﷲ تعالٰی عنہ) انہ قال من لم یکن لہ استاد فامامہ الشیطان
(jiska koi peer nahi uska peer shaitan hai”)

Is liye behtar hai kisi nek shakhsiyat se mureed ho jana chahiye, taki gaus e azam ke mureedon me shamil hone ka sharf hasil ho, Sarkar e gaus e azam farmate hai:
“Mera hath mere mureed par aisa hai, jaise zameen par aasman”
Aur farmaya huzoor gaus e azam ne
Mujhe ek daftar(register) diya jo hadd e nazar tak wasi hai, jisme mere mureedo ke naam hain,qiyamat tak aur mujhse farmaya gaya ye sab hamne tumhe de daale,”

Bas itna kafi hai ki mureed hone ka koi nuqsan nahi, balki amal e nek aur ruhaniyat me taraqqi hi hoti hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 740

Jis jagah (area) me azan na sunai deti ho. Waha kaise pata lagaye Ki namaz ka waqt ho Gaya hai. Matlab agar namaz waqt se padh li gai ho to kya qubool hogi ?

Jawab: 740 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ki sharait me se waqt ka hona shart hai azan ka hona nahi, agar kisi jagah azan ki awaz nahi aati or koi shakhs waqt hone par namaz adaa karega to namaz sahi ada ho jayegi, maslan kahi 12.30 pm par zohar ka waqt lag gaya ab azan chahe 1 baje ho aur koi azan se pehle 12.31 par apni namaz padhna chahe to namaz e zohar ada ho jayegi,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 741

Hazrat agar kisi ladki ki shadi hone wali ho or uski shadi ka Sara paisa chori ho jaye or koi kam waqt me paiso ka intizam karde wo bhi jua khel kar paise de to kiya wo lena jaiz he ? or iske alawa koi or sahara bhi nahi ho, paiso ke na hone se shadi toot bhi sakti he jawab den ho sake to jaldi

Jawab:741 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar paise chori ho gaye ho to iska matlab ye nahi ki shadi nahi ho sakti, ye alag baat hai ki ajkal logo ne shadi ko mushkil bana diya, kuchh paise kisi se qarz le kar sada nikah kiya jaa sakta hai, shadi ke liye laakho Rs. Ka intizam kuchh zaruri nahi, raha shadi tut jane wali baat, to is baat ka yaqeen rakhna chahiyeki allah ne jaha jiske sath aur jis waqt par nikah likha hai wo ho kar rahega, chahe paise chale jaye ya ankh ki roshni, jaha shadi lagi hai,waha apni majburi bayan kar den, ki wo log ya to shadi aage bada den warna sada nikah kar len, agar wo sade nikah par razi ho to behtar warna koi samajhdar ke ghar rishta karen, jo musalman ki majburi ko samajhe, raha juye ka paise lena to.
Jis shakhs ne juye me paise jeete ye paise khud uske haq me bhi halal nahi haram hai, to wo ye paise kisi doosre ko kaise de sakta hai, jabki un paise ka usi shakhs ko wapas karna wajib hai jisse jeete hain,
Fiqh ka ek mash’hoor qaida hai : ما حصل بسبب خبیث فالسبیل رده
jo gair e sharai zariye se hasil hua, use wapas kiye bagair chara nahi,

Fatawa Mustafaviyya Safah: 453 par hai
“bazi lagana aur jua khailna haram dar haram sakht khabees kaam”

Agar shadi me kuchh waqt baqi ho to ghar ke har fard subha fajr ki namaz se pehle 100 martaba ye kalima padh le, سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ أستغفر الله Allah ne chaha to gaib se sara saman ho jayega,
aur sara din chalte firte ye kalima kasrat se padhte rahe قلت حيلتي انت وسیلتی ادرکنی یا رسول الله
(qallat heelati anta wasilati adrikni yaa rasoolallah)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 742

Hadees ke hisab se kisi musalman se dushmani teen dino se zayda nahi rakh sakte ye hadees kafiro ke liye bhi lagu hai kya janab ?

Jawab: 742 بسم الله الرحمن الرحيم
Aapne jawab apne hi suwal me khud de diya ki “hadis ke hisab se musalman se” isse pata chala ki musalman se bila ijazat e sharai dushmani rakhna jise keena kaha jata hai haram aur gunah e kabeera hai, aur kafir isse bahar hai, mushriq aur bad mazhab se dil me dushmani, hasad rakhna wajib hai, kyunki Dosti allah ke liye aur dushmani Allah ke liye honi chahiye, aur agar kafir mushrik badmazhab sab se dosti rakhega to zarur jahannam ka haqdar banega,
Hadis e pak (Musnad Ahmad) me farmaya
“sabse zyada allah ko pyara hai allah ke liye dosti aur (allah hi ke liye) bughz rakhna
Aur ek hadis (Tirmizi) me farmaya”
“jo kisi se allah ke liye mohabbat rakhe, allah ke liye dushmani rakhe, allah ke liye de aur allah ke liye mana kare, usne apna iman kamil kar liya,”

In ahadeeso se maloom hua ki, bughz hasad keena, badmazhab se zarur rakhna chahiye, aur jo log kehte hai ki wahabi deobandi har kalima padhne walo ko bura naa kaho wo in hadiso se ibrat hasil kare, ye hadis musalman ke haq me nahi , kyunki musalman se dushmani ka hukm allah wa rasool ne nahi diya, balki farmaya “bhai bhai ho jao
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 743

Asslamu Alaikum, Kya khade ho kar wuzu karna sahi hai ? Maslan jaise log station par ya wash basin me khade hokar wuzu karte hai ?

Jawab: 743 بسم الله الرحمن الرحيم
Khade ho kar wuzu karne me kuchh gunah nahi, aur wuzu bhi sahi ho jayega, magar wuzu me bethna mustahab hai, agar beth kar karega to zyada sawab payega, aur khade ho kar karega to wuzu ke sawab me kuchh kami naa hogi bas zyada(extra) sawab jo milna hai usse mehroom rahega,
Aur wuzu naam hai char(4) farz ke dhul jaane ka, jisne wuzu ke char farz ada kar liye wuzu ho gaya chahe beth kar kare, let kar kare, ya bhool se kar le, ya koi or karwa de, ya barish me dhul jaye behrhal har surat me wuzu sahi hoga, magar beth kar hi karna chahiye, magar khade ho kar kare to bhi kuchh gunah nahi,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 744

Asslamu Alaikum, Janab Allah se dua mangte samay unke rasool ke sadqe me ya khwaja garib nawaz ke sadqe ya waseele ka zikr karna lazimi hai. Matlab gunah to nahi. Kya aisa karna sahi hai.

Jawab: 744 بسم الله الرحمن الرحيم
Lazmi to nahi naa bina waseele ke mangna kuchh gunah, magar huzoor ya kisi wali ke waseele se hi dua mangni chahiye, isme qubooliyat ke imkan zyada ho jaate hai, aur allah ne quran e pak me bhi uski taraf waseela laane ka hukm diya hai, Sureh maida ayat 35 me hain
"Aye Imaan waalo, Allah se Daro aur uski taraf Waseela Dhundo"

"Hazrat usman bin Hanif ko Huzoor (عليه السلام)Ne ye Dua Maangne ka hukum diya: "Aye Allah Main tere Nabi ke WASEELA Jaleela se teri taraf tawajjo karta hun, Ya RasoolAllah mai Aapke WASEELE se Apne Rab ki taraf apni Hajaat ke barey me muwajja hu, takay woh poori hojaye

Hazrat Ali (RaziAllahu anhu) farmate: hain: "Maine Nabi (Sallallahu Alaihi wasallam) se suna: Abdaal, Shaam me hote hai, ye 40 mard hain, inme se jab koyi ek marta hai to khuda uski jagha dusra Muqarrar kar deta hai, Inke WASEELE se barish hoti hai, inke WASEELE se jang me fateh milti hai, aur inke WASEELE se Shaam waalo par Aazab dafa kiya jata hai.
Mishkaat, jild:1, Baab-Yaman-o-Shaam
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 745

Agar koi khuda ko nahi manta to uska kiya hota hai, 

Jawab: 745 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo khuda ki zaat ko naa mane wo musalman nahi, aur hamesha ke liye jahannam me rahega kabhi nikala nahi jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم

 

Suwal no. 746

Safar jisme qasr ka huqm lagta hai, me qaza namaz ka kya huqm hai, safar me qaza namaz ki tadad qasr ki jayegi ya nahi ?

Jawab: 746 بسم الله الرحمن الرحيم
Dekhe is masale me gaur karne ki baat ye ki, qaza namaz me ye nahi dekha jayega ki safar me padh rahe ho ya watan me, balki qaza namaz me ye dekha jaata hai, aap kon si qaza ada kar rahe ho, wo qaza jo kabhi aapne safar me qaza ki thi ya wo jo apse watan me qaza hui, fir usi ke mutabiq uske ada karne ka hukm hai, jagah chahe jaha ho, safar me karo ya ghar me ya chand par, maslan, aap safar par ho, or apke pas khali waqt hai, ap sochte ho ki kuchh qaza umari padh lu, to agar watan ki qaza padh rahe ho to poori hi padhi jayegi (chahe safar me padho) aur agar aap safar wali qaza namaz poori karna chahte ho to uske liye safar par hona kuchh zaruri nahi (wo adhi hi ada hongi, chahe ghar(watan) par ho, khulasa e kalam ye hai, ki qasar ka hukm maujooda namaz par hai, yani jab banda safar par ho to 4 farz ke 2 padhna wajib hai, aisa nahi ki qasar ki qaza safar par hi hongi,
Yani jo namaz (watan ki) poori qaza hui, unki qaza poori ada karna hai, (chahe ghar pe ho ya safar me)
Aur jo namaz safar me qaza hui unhe adhi hi ada karni hai (chahe ghar pe ho ya safar me)
Ummid hai aap meri baat samajh gaye honge,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 747

Kya salat ul hajat padhne ka sawab nafil namaz jaisa milta hai ? ya sirf hajat ke liye hogi, matlab agar koi duniyavi hajat ke liye 2 rakat nafil ada karta hai to uska azar dunya me hajat poori hone ke baad akhirat me bhi sawab milega ya sirf duniya me hajat poori hone tak hai ?

Jawab: 747 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye bhi nafil ke tor par hi padhi jayegi, hajat ka poora ho jana us namaz ki qubooliyat ki nishani hai, aur ibadat ka qubool ho jaana sawab se khali nahi hota, jis tarah kaha jata hai, ki wuzu se gunah mit jate hai, iska ye matlab nahi ki wuzu ka badla gunah ko mita kar de diya gaya, nahi balki gunah maf huye ye wuzu ki fazilat aur sawab qiyamat me bhi hoga, kaha jata hai, namaz buri baat se rokti hai, koi namazi buri baat se ruka to iska matlab ye nahi ki iska hisab barabar, balki in namazo ka sawab akhirat me bhi diya jayega,
Hajat ka poora ho jana us namaz ki fazilat mana jayega, aur sawab akhirat ke liye hai, yani is namaz ka sawab waha diya jayega, namaz ibadat hai, aur har ibadat ka sawab (jo qubool hui) allah zarur musalmano ko dega, Beshaq allah sabse bad kar dene wala hai aur naa uske khazano me koi kami
Tumhara Rab farmata hai Quran Surah: 99 Ayat: 7 me
“to jo ek zarra bhar bhalai kare use dekhega”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 748

Hazart Agar fajr Ki azan 5:44 par ho aur Kisi ko ghar se 5:30 par duty Jana ho to kya weh 5:10 par namaz Adaa kar sakta hai. Kya namaz qubul hogi ?

Jawab: 748 بسم الله الرحمن الرحيم
Janab ki baargah se mujh gunahgar ki dar e khasta par pehle bhi ye suwal badi shaan o shoqat ke sath tashrif laya tha, aur mujh natawa ne iska jawab shariat ki roshni me huzoor ki bargah e aalishan me bheja tha, jo suwal no. 740 par darj he.
Fir janab ne jawab kuchh yun arz kiya tha ki “mujhe 740 ka jawab mil gaya shukriya Hazrat”
Main tamam ahle sunnat ki nazar is khas baat ki janib ferna chahta hu ki, ye jo kaha jaata hai, ki aap jawab milne par agah karo, iska maqsad yahi hai aur ye isi surat me he ki aapko jawab mila aur samajh aya aur mutmaeen ho, aur koi shaq shubha ho to fir se suwal kar lo, aur agar pehle jawab samajh aya to fir karne ki zarurat nahi, or agar pehle samajh hi na aya to “shukriya ada karna” kahi tumhe jhooth me na dal de,
Is tarah khyal karna chahiye, agar samajh nahi aya to saf byan karo, ya koi surat, jawab se paida ho gai to byan karo, warna hame yahi lagta hai, aap samajh gaye, fir suwal dohraya jata hai, to lagta hai, pehle apne dil rakhne ke liye jhooth bola aap samajhe hi nahi the,
Apke suwal ka jawab wahi pehle wala hai,
Waqt lagne se pehle agar namaz shuru ki gai to namaz ada naa hogi, chahe halat e namaz me waqt shamil ho jaye, Namaz ki sharait me se waqt ka hona shart hai azan ka hona NAHI, maslan kahi 5.30 am par fajr ka waqt lag gaya ab azan chahe 5.44 par ho aur koi azan se pehle (magar waqt ke bad) 5.31 par namaz padhega to ho jayegi magar 5.30 se pehle nahi hogi, ab aap masjid me lage namaz ke time table me dekh liya kare, ki, aage kuchh din fajr ka waqt kab shuru hai, aur aap shuru hote hi uske hisab se namaz padh lenge to namaz ada ho jayegi chahe azan naa ho, (waqt hona chahiye azan ho ya na ho)
(magar jamat wajib hone ki surat me ba-jamat namaz padhna wajib hoga)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 749

yahudio ki shuruat kab se hoi or kis ke ummati he

Jawab: 749 بسم الله الرحمن الرحيم
Yahoodi, yahoodiyat ke manne walo ko kehte hai, jo bani israil ki aulado me se hai,
Hazrat ibraheem alaihissalam ke do bete the, (Hazrat ismail aur ishaq), Hazrat ishaaq ke ek bete ka naam Hazrat yaqoob alaihissalam tha, inke kai bete the jinme ek ka naam “yahoodah” jisse lafz yahoodi nikla,
Darasl Hazrat e isaa alaihissalam tak jitne bhi peghambar aye, weh sare Hazrat yaqoob alaihissalam ki aulad me se the, aur Hazrat e yaqoob ka laqb israil tha, (bani israil, inhi ki aulado ko kehte hain)
Yahoodi ho ya koi bhi, sab hamare nabi ki ummat me shamil hai, yaha tak ki har nabi ki ek ummat hui, magar wo saare nabi khud bhi hamare nabi ke ummati hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 750

Moula ali sayyed nahi hai ye aqida kharjio ka hai is me kiya aqwal hai sahi ?

Jawab: 750 بسم الله الرحمن الرحيم
Sayyid ko do mayeno ke etbar se istimal kiya jaata hai, ek mayena “sardar/sarparast” ke tor par, agar is tor par Hazrat ali ko sayyid kaha jaye to haq hai, balki har sahaba gair sahaba ke liye “sayyid” hain, jis tarah “AlaHazrat” ko bhi isi etbar se”sayyidi AlaHazrat” kaha jata hai,
Ab raha “sayyid ka doosra mayena yaha zaat ke etbar se to sayyid bani fatima (fatima ki aulad) ko kehte hain,Hazrat Ali Sayyid NAHI HEN, yahi Ahle Sunnat ka Aqeedah hai, aur unki aulado ko jo sayyid kaha jata hai, wo Hazrat ali ki nisbat se nahi balki, Hazrate fatima Zehra ki nisbat se kaha jata hai, aur ye sayyidah ki khususiyat hai, ki duniya me bachcho ko nisbat uske baap se hoti hai, magar hazrat e fatima ki aulado ko nisbat unki maa ki taraf hai, Hazrat Ali ki doosri aulado ko alawi kaha jata hai,
Yani, kisi ka sayyid hona Hazrat fatima ki wajah se hai, Hazrat ali ki wajah se nahi,
Fatawa Shareh Bukhari Jild:2 Safa: 58 par hai,
“jo shakhs bila wasta huzoor alaihissalam ki aulad ho, ya huzoor ki sahib zadio ki aulad ho, ......
Kyunki Hazrat fatima zehra ke (siwa) kisi ki nasal nahi chali, islye ab sayyid ke mayne hai aulad e fatima,
.... is mayne ke etbar se bilkul zahir hai ki Hazrat ali Sayyid nahi, (kyunki wo fatima ki aulad nahi)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 751

Hazrat mujhe bar bar bukhar aa jata bahut bar dawa karvaya magar kuchh faraq nahi padta plz Hazrat kuchh surat ya zikr bataye allah tumhare umr me ilm me barkat ata farmaye.

Jawab: 751 بسم الله الرحمن الرحيم
Waise to kisi achhe Dr. se chekup karwana chahiye, aur aap tyfod ka test karwao, aur ek kam ghar me kar liya karo, 5 Munaqqa lekar usme khubkala bhar kar, tawe par sek kar roz nahar munh, khaya karo, 3 maah tak, isme koi nuksan nahi, agar koi dawa bhi chal rahi ho to bhi harj nahi, aur kisi amil se jo apke pas ho bukhar ka gantha tayyar karwa lo, aur aap har dam, “ya salaamu” padhte rahen, kasrat ke sath.
Yaad rakhna chahiye ki bukhar ki fazilat he, ise bura nahi kehna chahiye, aur sabr rakh kar swab pana chahiye, hadis e pak me aya,
Bukhar ko bura naa kaho ki wo aadmi ki khatao ko is tarah door karta hai jaise bhatti lohe ke mel ko
(Muslim shareef)

Jo ek raat beemar raha, sabr kiya, aur allah ki riza par raazi raha to bhi gunaho se aisa nikal gaya jaise uski maa ne use aaj hi paida kiya,
(Tirmizi Shareef)

Ek buzurg ka qaul hai:
Jo 40 raat me ek martaba bhi aafat ya fikr ya pareshani me mubtala naa hua us ke liye allah ke yaha koi bhalai nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 752

Hazrat janam din manana kaisa hai agar koi janam din manata hai to us par kiya hukm lagega quran o hadis ki roshni me jawab inaayat farmaayen.

Jawab :752 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah ki nemat par ye apko mera inam hai
Janamdin ke jawaaz me ye jama’e kalam hai

Apni paidaish ke din khushi manane ko kisi hadis ne mana nahi kiya, balki hadis se to ye kam sabit hai ki, huzoor har peer(Monday) sharif ka roza rakhte the, jab istafta hua to farmaya, is din me paida hua, isse malum hua ki huzoor apni paidaish ke din khushi me roza rakhte the, zahir hai, roza ibadat hai, har ibadat admi shukr aur khushi se hi karta hai, aur quran me allah ne farmaya ki, “uski nemato ka charcha karo
Isse jawab roshan hai ki manana janamdin ka jaiz hai, jabki usme koi khilaf e shara kaam naa ho, yani, koi baap apne bete ki paidaish ki tarikh ko khushi me pure ilaqe ki dawat kare, ya meelad karwaye, ya qurankhwani karwaye, ya fatiha karwaye, aur allah ka shukr ada kare, fir chahe cake hi khilwaye, (aur ye sab kam ibadat hai, amal ka daromadar niyat par hota hai) to ye kam jaiz balke swab ka hai, ki perwi e quran hai (allah ki nemat ka charcha karo) kya beta bap ke liye nemat nahi? aur sach me wo is bete ko nemat nahi manta to hargiz janamdin naa manata naa khush hota, uska khush hona, logo ko khushi se dawat dena, chahe bachcho ko hi khilaye, is baat par dalalat karta hai, ki allah ne use bete ki nemat di, aur isi din di, islye wo aaj shukar aur khushi ka izhar kar raha hai, (kya hi achchi Misal)
Ab is taraf aao, sunnio ki jo tumhare dil me jo tumhara jaani dushman iblees, jo waswase dalta hai, jannat se dutkara hua, aur uske chamche, (deobandi, wahabi etc.) jo sunnio ko kehte hai, ye haram hai !, na nabi ka milaad manao na bachcho ka janamdin karo, to aye sunni musalmano , bas ek bat batao, dil se batao, aur sach batao, aur ye soch kar batana ki qiyamat me bhi batani hogi, firishte likh lenge, allah gawah banega, baat ye hai ki, munafiq allah ka shukr ada nahi karta, musalman karta hai, jo janamdin ko haram kahe, wo allah se munh ferta hai, ki allah ne nemat di MAGAR khabees manne ko tayyar nahi, agar manta to khush hota, naaki hamari khushi dekh kar rota, (kya hi achcha boycott,)
*ab raha inke etraz aur uska jawab- kehte hai, janamdin me cake kata jata hai, taali bajai jaati hai, ladki ladkiya ek sath hote hai, ?
Iska jawab ye hai ki, kisi aalim ne kisi bhi programme me khurafat ki ijazat nahi di, agar koi janamdin me ye najaiz kam karta hai, to gunahgar hai, aur is kam ko rokna chahiye magar, fir bhi isse janamdin ka najaiz hona sabit nahi, shariat ka ek qaida hai ki “kisi bhi kaam ki najaiz hone ke liye dalil ka hona lazimi hai”,
agar nafi par dalil nahi to fi-nafsihi wo kam jaiz hai, Mein kehta hu (allah hi ki tofiq se)
Agar musalman ko allah ne aqal di hai , aur beshaq di hai, to ek bat ka fesla kar den ki agar kisi jaiz kam me koi najaiz kam shamil ho jaye to kya karna chahiye, kya wo jaiz kaam hi band kar dena chahiye?, ya fir us najaiz kam ko usme se hatana chahiye, (mera dil kehta hai, aapne kaha ki, jaiz kam chalu rakho aur usme hone wale, najaiz kam band karne chahiye) wah wah, me bhi yahi kehta hu, agar janamdin me haram kam hota hai, to use naa kare, magar ise HARAM JANKAR BAND KAR DENA GUNAH KYUNKI SHARAH PAR IFTIRAH HAI” ab aap dekho, shadi me DJ bajaya jata hai, kya DJ? Jaiz hai, nahi, to fir kya karna chahiye SHADIYA BAND KAR DENI CHAHIYE? Ya fir DJ, ? zahir yahi hai ki DJ band hoga naa ki shadi, aur aap dekho, janamdin me heele bahane banane wale, jab shadi karte hai to, inki shadio me bhi bepardagi, aur mard aurat ek sath khana khate hai, kabhi jab ye FATWA yaad aya KI SHADIYA KARNA HARAM HAI BAND KARO,
kabe kis munh se jaoge ghalib, sharm tumko magar nahi aati
“Allah ne jhoothe ko tofiq hi naa di ki wo ahle sunni ke aalimo se fatah paale, chahe wo kitne bhi naye libas me aye, aur kya allah ne quran me naa kaha ki “HAQ AYA OR BATIL MIT GAYA, BESHAK BATIL KO TO MITNA HI THA” (surah israel ayat 81)
(aur wahi deta hai aqal, Kalam ilm o hikmat ke karne ki,)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 753

السلام و علیکم
Is group me mujood aalim hazraat se guzarish hai ki mehrbani karke yeh bataye ki 786 kyun likhte hain, aur ye number kaise, nikalta hai, taki janab rehaan ko tasalli ho jaye, haqeeqat men iska jawab ham ko nahi ata hai ham to bas allah ki riza ke liye aalim ke batane par amal kar lete hain,

Jawab: 753 بسم الله الرحمن الرحيم
786 bismillah shareef ke adad hain. YANi bismillah ke jab ek ek huroof ke numerical ko + kiya jaata hai to 786 hasil hota hai, aur ise likhne ki hikmat ye hai ki, agar kisi ko khat ya shadi card par arabi me bismillah likh de to log uski zyada waqt tak qadr nahi kar paate aur dekha gaya he ki shadi ke card jis par bismillah likhi hoti hai, ghar ke koorey me hota hai, isi tarah taqreer ke poster par, bhi 786 hi likha jata hai, iska fayeda ye hota hai, ki iska matlab bhi bismillah hi hota hai, aur agar ye road par gir jaye to gunah ka imkan nahi hota kyunki ginti ke numbers ki qadr naa karna gunah nahi, magar ha har huroof ka adab karna chahiye magar qurani ayat ka zameen par girna sakht-tar hai ba-nisbat iske ki number zameen par ho, isilye musalman ehtiyat ke tor par jaha bhi bismillah likhni hoti hai, waha adab ka khyal rakhte huye 786 likh dete hai, aur huzoor ke naam ke liye 92, aur ye huroof is tarah nikalte hen. Baa-ke adad-2, seen ke-60, meem ke-40 wagera wagera. is tarah poori bismillah he 786 ho jayenge.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 754

بیان فرمائے۔جزاک اللہ۔ حضرت 'استوا علی العرش' پر اہل سنت کا موقف و عقیدہ
(Hazrat, “istawa alal arsh” par ahle sunnat ka moqoof aur aqeedah byan farmayen Jazak allah

Jawab: 754 بسم الله الرحمن الرحيم
Taman tareef aur ibadat sirf azmat wale allah ke liye, jisne aqal bakhshi ki ham uski qudrat ke nazaro se uski shaan ka andaza lagaye, aur jisne mana farmaya ki mutashabihat me nazar karna dilo ka tedapan hai, wo hasta hai, bando ko pakadta hai, magar misle bashar nahi, han aisa “jaisa uski shan ke laiq” aur lamha lamha durood e azeem, sultan e madina ke liye jinhone farmaya ki allah ki zaat me gaur fiqr mana hai, taki ham gumrahi aor waswaso se bache, aur durood unki aal or ashab par, badi azmat wale hain,

Quran jis mayene par mushtamil hota hai unme se ek ko mutashabihat kehte hai, iska matlab ye hota hai ki, us alfaz ka aam lafzi mayena to maloom hota hai, magar muraad nahi, aur na us mayene se zahiri murad le sakte hain, balki, us par iman lana zaruri hai, baki uska matlab allah wa rasool jane, aise quran me bahut jaga hai jiska zikr niche ayega jaise (alif laam meem) ham is par iman paate hai magar mayena nahi jante,
Magar ham apne jawab me us ayat ka zikr karenge, jo sail ne (surah araf ki) apne suwal me puchhi hai, is ayat ka jawab sare mutashabihat ke liye ho jayega, (in sha allah)

Surah a’raf para 8, Ayat 54 me hai (jiska zikr sail ne kiya)
“Beshaq tumhara rab allah hai, jisne aasman aur zameen 6 din me banaye, fir arsh par “istawa” farmaya (jaisa uski shan ke laiq he,)

Tafseer Durr e Mansoor Jild:3 Safah: 289 (Surah a’raf, Ayat 54)
“bila shubah tumhara rab allah hai, jisne paida farmaya aasmano aur zameen ko 6 din me, fir mutamakkin hua arsh par (jaisa use zaiba hai)

Imam Ibn E Abi Hatim ne, Hazrat e ka’ab radiallah anhu se ye qaul naql kiya he ki, “allah ne jis waqt makhlooq ko paida farmaya to is tarah arsh par mutamakkin hua, jis tarah use zaiba hai,”

Ummul momineen Hazrat salma ne “ثُمَّ اسْتَوَى عَلَى العَرْشِ” ki tafseer me farmaya ki, iski kaifiyyat aqal se bahar hai, اسْتَوَى gair majhool hai, iska iqrar karna iman hai inkar karna kufr.

Hazrat e rabi’a se puchha gaya ke rab ke (allah ke) arsh par mutamakkin hone ki kya kaifiyat hai, to apne farmaya, اسْتَوَى gair e majhool hai, ... aur allah ki janib se paigham hai, rasool par tum logo tak pahuchana lazim hai, aur ham par iski tasdik karna wajib hai,

Hazrat E Malik Bin Ans (radiallah anhu) se mutamakkin ki kaifiyat puchhi to farmaya, kafiyat aqal se wara hai, اسْتَوَى gair majhool hai, is par iman lana wajib hai, iske bare me suwal karna bidat hai aur mujhe to tere gumrah hone ka khauf hai,
Aur isi tarah aur bhi tafseel hai,

'استوا علی العرش ki tafseer ke mutalliq Tafseer e Mazhari Jild: 3 Safah: 409 par hai,
Imam bagawi farmate hain, mutazila (ek firke ka naam) “istawa” ki is tarah yani ghalba se taweel karte hain, (magar) Ahle Sunnat wa Jamat farmate hain, 'استوا علی العرش allah ki sifat hai, iski kaifiyat hamare fehem se bahar hai,

Or Tafseer e Naeemi me Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Farmate hai (tafseer e naeemi jild:8 safa:474)
'استوا ka mayena hai barabar hona, weh mayena yahan murad nahi, (le sakte) kyunki barabri to chhota bada jism ke liye hota hai, rab jism se pak hai, aur is surat me iske bad “ala” naa aata rahi ye baat ki 'استوا ke kya mayene hai to iske bare me 3 qaul hain,
1-ye mutashabihat se hai, iske mayene rab ke supurd karo is par iman lao tehqiq naa karo, yahi tariqa bahut salamti ka hai,
2- isse murad ghalaba farmana,
3- ahkam jaari farmana-

Bas isse saf hai ki hame pehle qaul ki perwi behtar hai, ki ye mutashabihat se hai, yani iska mayna nahi kiya jayega, isilye AlaHazrat Imam E Ahle Sunnat ne is ayat ke tarjume me farmaya
aur arsh par 'استوا farmaya (jaisa uski shan ke laiq tha), magar kuchh deobandi aalimo ne allah ke zaat ke liye ye tarjuma bhi kar diya, aur wo mutashabihat se dhoka khaa gaye, ki unko tafseer ka ilm nahi tha, aur mutashabihat ka lafzi tarjuma kar bethe, awwal to jo lafz quran me mutashabihat me se hai, unka tarjuma nahi kiya jaata, jaise (alif, laam, meem, yaaseen, etc.) quran me inka koi tarjuma nahi hai, iske mayene allah wa rasool jane, thik waise hai, 'استوا bhi mutashabihat se hai, jiske mayene allah wa rasool jane, or jinhone is ayat ka tarjuma ye kara”
“allah asman par jaa betha”
“allah asman par chad gaya
“allah asman par beth gaya
(maz allah, ye alfaz allah ki shan ke laiq nahi, kyunki “istawa” ka ye lafzi mayena hai ki upar chad kar bethna ya ghalba, “magar allah ke liye ye nahi kaha ja sakta ki allah asman par beth gaya” awwal bethna, chadna, jism ke sath khas hota hai, agar allah asman par beth gaya to, iska ye mayena banega ki asman allah se bada hai, tabhi betha, agar bada nahi to suwal ye hai ki jab asman allah se bada nahi to allah kaise betha?
Aur jis jahil ne iska tarjuma kiya allah chad gaya asman par, (allah se dua hai, aise khabees ko jahannam ka sabse sakht azab de) ise ye bat lazim ayegi ki allah ek jagah se doosri jagah chad gaya to pehli jagah allah se khali, ? jabki hamara aqeeda hai, allah ki rehmat har jagah hai,
Main kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki jaha mayene me allah ki shan ka khilaf mayena banta ho to usme taweel karna farz hai, jab 'استوا ka mayene allah ki zat ke khilaf kiya jayega to yahi ummid rakhi jaye ki 'استوا haq hai, ab kaisa haq hai, ye allah jane,
Jis tarah hadis me kaha gaya ki, “allah hasta hai” quran me kaha gaya “ allah ka munh hai, allah ka hath hai” iske bare me bhi ulama ki yahi ray hai ki, ye sab haq hai, magar allah ka hasna hamari tarah nahi, allah ka hath hamari tarah nahi, allah ka pakadna hamari tarah nahi, wagera wagera,

Khulasa e kalam ye hai ki hame zaruri hai ki 'استوا par iman laye, aur isme tehqiq naa kare, naa iska lafzi mayena murad len, balki yahi jaane ki 'استوا haq hai, ab kaise ghalaba paya wo allah jane aur shan ke laiq hi paya hoga, hame nahi pata kaise, jaisa ki Kanzul iman me imam ne iman ki hifazat farmai hai,
“aur 'استوا farmaya jaisa uski shan ke laiq hai”

Aur jo log mutashabihat ka tarjuma aqal se kar dete hain, ya isme aql or tehqiq karte hai, ya zahiri mayena murad lete hain, unke bare me khud allah ne quran me farmaya hai Sureh Aal E Imran Para 3 Ayat : 7 me
“aur doosri ayate weh hai jinke mayene me ishtabah hai (ayat e mutashabihat) weh jinke dilo me tedapan hai wo (mutashabiat) ke pichhe padhte hai,”

Is farman e bari tala se maloom huya ki jo alfaz quran me mutashabihat hai, unke pichhe padh jana, aqli or zahiri mayna murad lena, gumrah logo ka kam aur uska lafzi mayena le lena jo allah ke laiq naa ho to ye bhi gumrah ka kam” (allah se dua hai ki ahle sunnat ke dilo ko apne deen par qaim rakhe)

Aur upar tamam mufassireen ne yahi farmaya ki 'استوا ki kaifiyat aqal se pare hai, jaisa allah ko zeba hai,

To sabit hai, in alfazo me aqal lagana aur lafzi mayena karna mana hai, jiski tafsil hamne upar tafaseer ke hawale se di, aur ahle sunnat ka aqeeda bhi jawab ke awwal me khutbe se sabit hai

Wahi la-maka(n) ke maki(n) huye, sare arsh, takht nashi(n) huye,
Ye nabi hai jiske he ye maka(n), wo khuda hai JISKA MAKA(N) NAHI
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 755

Hazrat kya ZALEEL naam rakh sakte hain aur agar rakh sakte hain to iske mayene kya honge

Jawab: 755 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye naam nahi rakh sakte, or jo aise naam musalman me rakhe jaate he, wo ‘Jaleel’ hai naaki ‘zaleel’
Jiska mayena hota hai, (JALEEL) - bada, buzurg, ala, afzal
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 756

Salat ul Gausiya ka tareeqa bata dijiye Or Baghdaad Shareef ki simt bhi bta dai(n) kaaba ki simt ke mutabik, jaise ki kaaba ke mutabik madeena shareef ki simt right hand ki janib he.
جزاک اللہ۔

Jawab: 756 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz salat ul asrar, jo ki huzoor GAUS E AZAM se riwayat hai, isilye ise namaz e gausiya bhi kehte hai, ye namaz hajat ko poora karne ke liye hoti hai, agar kisi ki koi nek hajat ho to wo is namaz ko padh sakta hai,
Tariqa ye hai,
Bad namaz e maghrib, sunnat padh kar do rakat namaz nafil padhe, aur behtar hai ki har rakat me 11-11 bar bad fatiha sureh ikhlas milaye, salam fer kar, allah ki hamd kare( hamd ki niyat se sureh fatiha bhi padh sakta hai, jitni chahe) uske bad betadad huzoor par durood padhta rahe, fir 11 bar ye padhe,
یا رسول اللہ یا نبی اللہ اغثنی وامددنی فی قضآ ء حاجتی یا قاضی الحاجات
Fir iraq ki taraf 11 qadam chale aur har qadam par ye padhta rahe,
یا غوث الثقلین ویا کریم الطرفین اغثنی و امد د نی فی قضآ ء حاجتی یا قاضی ا لحاجات
Fir huzoor ke wasile se allah se dua mange, in sha allah, hajat poori hogi,

Iraq- kabe se kabreeb 6 digree right, madina hai, usse bhi kuchh digree or right ghoome to iraq hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 757

hath ki lakeeron (hath dikhana ) ko kisi ko dikhana aur uske bad uske bataye hue pe bharosa karna kaisa hai .Khawab (DREAM) dekhne ke bad uske bare me kisi ko batana aur fir uski tafseer kisi se maloom karna aur fir uspe bharosa karna kaisa hai

Jawab: 757 بسم الله الرحمن الرحيم
Jotishi ko hath dikhana hadis e pak me mana farmaya hai, balki agar hath dikhane wala is yaqeen ke sath kaahino jotishio ko hath dikhata hai ki ye haq batate hai, aur iski bato ko haq manta hai, etiqad karta hai, chahe agli bat ho ya guzri hui to kafir ho jayega, aur inki bat ka etiqad nahi karta magar, shok me dikhata hai, to bhi haram aur gunah e kabeerah hai, aur aisa shakhs fasiq aur allah ki bargah ka mujrim hai, ise toba karna lazim hai, aur ainda in bato se bache, ye jo hath dekh kar kuchh bate sach bata dete hai, ye jinnat ka kam hota hai, jo hamzad se kuchh raaz lekar bata deta hai, aur jinnat ke mutabiq quran gawah hai ki inhe ilm e gaib nahi,
Durr e Mukhtar me hai لاعبرۃ بقول الموقتین ولوعدولاعلی المذھب
(sahi mazhab ke mutabiq najomion ke qaul ka etbar nahi, chahe wo adil hon)

Fatawa Razawiya Jild: 21 Safah: 155 par hai
Kahino aur jotishion se hath dikha kar, taqdeer ka bhala bura daryaft karna, agar bator e etiqad ho yani jo ye bataye haq hai to kufr e khalis hai, isi ko Hadis Tirmizi me farmaya
فقد کفر بما نزل علی محمد صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم
(jisne inki bato par yaqeen kiya) beshak usne kufr kiya jo kuchh huzoor par utra)

Aur bator e etiqad naa ho aur mel wa raghbat ke sath ho to gunah e kabeera hai, iske bare me hadis me farmaya : لم یقبل اﷲ لہ صلٰوۃ اربعین صباحا (yani: allah 40 din tak uski namaz qubool na farmaye)

khawab haq hai, iski tabeer haq hai, is par bharosa haq hai, quran se sabit hai, magar khwab ki tabeer har kisi se maloom naa ki jaye usse hi puchhi jaye jise ilm ho, aur dushman se bhi naa puchhi jaye,
Quran me Surah Tauba Ayat 46 me allah azzawajal ka farman hai:
Iman walo ke liye basharaten hai dunya aur akhirat me,
Or is ayat ki tafsir me Tafseer E Mazhari me hai ki
Huzoor (عليه السلام) ne farmaya yahan basharat se murad ache khwab hain, Jo insan khud dekhe ya uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye,

Or Mishkat Shareef ki hadis me Huzoor (عليه السلام) ne farmaya,
Nabuwat ke faiz se bas basharate baqi hai, yani ab koi nabi nahi hoga magar Basharate hoti rahengi. Sahaba ne arz ki Huzoor basharate matlab, farmaya basharat se murad ache khwab hain, Jo insan khud dekhe ya uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye
Sahih Bukhari ki hadis me hai, Tum me se jab koi aisa khwab dekhe jo use pyara maloom ho to allah ki hamd kare, Aur logo ke samne byan kare,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 758

Hazrat khutba ke doran namazi ke beech se samne saf me jaana kaisa ?

Jawab: 758 بسم الله الرحمن الرحيم
Haram hai, jane wala gunahgar hai, tauba karna lazim hai, dauran e khutba chal kar age jaana to door garden ghuma kar idhar udhar dekhna bhi haram hai, Jaisa ki Imam Ahmad Raza Bareilvi Farmate hain, Fatawa Razawiyya Jild:8 Safah:334 me hai,
“ba-halat e khutba chalna haram hai, Khutbe me kisi taraf gardan pher kar dekhna haram hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 759

sulahkulli ka matlab kya hai

Jawab: 759 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo sabhi batil firqo ko haq par jane jab kisi me jaa mile to unke sath ho jaye or jab musalman me jaa mile to unke sath ho jaye, naa batil ka rad kare, naa bura kahe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 760

nind ki jhapki aane se wazu tut jata he ya nahi ?

Jawab: 760 بسم الله الرحمن الرحيم
Sirf nind ki jhapki ane se wuzu nahi tut ta, jab tak ye so na gaya ho, maslan ghaflat me chala jaye, ki isse puchha jaye ki abhi kiya baat hui or ise yaad naa ho to wuzu jata raha. Aur isme bhi baz surate aisi hai ki jisse sone ke bad bhi wuzu nahi jaata, maslan beth kar sona, iski tafsil kisi kitab se padhen, ya kisi sunni alim se samjhen,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 761

Hazrat Kisi ne khane ya pine se pahle bismillah karna bhool Gaya ho aur khane ya pine ke beech me yaad aaya ho to kya padh sakta hai ?

Jawab: 761 بسم الله الرحمن الرحيم
Abu Dawood aur Tirmizi aur Hakin ne Hazrat Aiyesha (Radiallah anhu) se riwayat kiya ki, HUZOOR (عليه السلام) ne farmaya: Jab koi shakhs khana khaye to Allah ka naam zikr kare yani “بسم الله” padhe aur SHURU ME “بسم الله” bhool jaye to ye padhe Bismillahi-Awwalhu- Wa akhir hu-
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah:360
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 762

Asslamu Alaikum Hazrat, Zawal ka waqt kab hota hai aur kya is waqt namaz padhna mana hai ? Aur mana hai to kyu mana hai ? Tafseel se bataye. zawwal ke waqt sar jameen se nahi takrana chahiye to kya Jo flat me ya chat par rahte hai wo zawwal ke waqt namaz padh sakte hai kya ?

Jawab: 762 بسم الله الرحمن الرحيم
Zawal ka waqt sardi garmi ke mausam ke mutaqib kam zyada hota rahta hai, yani jab suraj sar par aa jaye, aur is waqt namaz mana hai, iski wajah apke suwal me hi darj hai, ki is dauran jab suraj sar par ho to zameen se sar nahi lagana chahiye, isse dimag ko nuksan ka khatra hai,
Jin 3 makruh waqt me namaz padhna mana hai, inme ek ye bhi yani zawal ka waqt bhi hai, aur ye manahi mutlaqan hai, naa ki zameen walo ko mana hai aur flat walo ko ijazat, aisa nahi, is waqt namaz padhna mana hai, padhi to gunahgar hoga, chahe qaza ya nafil, makruh waqt me nahi padh sakte, makruh waqt ke siwa padh sakte hain, aur wo makruh waqt ye hain,
1-zawal ke waqt, 2 tulu e aftab ke waqt, 3 magrib se 20 mint. Pehle tak,
asr bad qaza padh sakte hai, or jab magrib me 20-25 mnt. Reh jaye to na padhe,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 763

Janab shar'i safar me agar jamaat se namaz milti he to qasr kis tarah kiya jaaye? Jald az jald jawab de meharbaani hogi جزاک اللہ۔

Jawab: 763 بسم الله الرحمن الرحيم
Aameen
G, Agar musafir ko sunni jamat mile to jamat se poori namaz padh sakta hai, qasr ki hajat nahi, aur jamat naa ho to farz me qasr karega, aur farq itna hai ki musafir par jamat wajib nahi, agar jaan kar jamat chhor kar qasr karna chahe to gunahgar nahi hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 764

Ek sawal hume apse karna tha, ki agar miya biwi me se koi gusse me talaq dene ki baat kahe to kya talaq ho jati hai,

Jawab: 764 بسم الله الرحمن الرحيم
Talaq ladai jhadge hamesha gusse me hi hote hai, kabhi aisa nahi dekha jata ki, biwi khana achcha banaye aur shohar khushi me talaq de de, isilye ye kehna ki gusse me di hai, fizul hai, kyunki talaq di hi gusse me jati hai, aur, Agar shohar ne gusse me talaq de di to talaq ho jayegi, aur sirf dhamki di ki me tujhe talaq de dunga to talaq nahi, aur agar talaq de diya to talaq mani jayegi 1 bar kahega to ek, 3 bar kahega to 3
jaisa ki Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:111 par hai
“halat e HAMAL aur ghusse me talaq ho jayegi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 765

Hazrat madani tv chanel aur inke logo se kya murad hai.

Jawab: 765 بسم الله الرحمن الرحيم
T.V par maujooda deeni chennal dekhne ki ijazat nahi hai, isme bahut kuchh khilaf e shara dikhaya jaata hai,. SIWAYE MADANI CHANNEL KE, ki ye 100% sharai programme par ma-bni hai,
tv par aane wale program, Video ke jaiz or najaiz hone me hamare ulama ka ikhtilaf hai Or jinhone tv ko najaiz kaha unke nazdeek har qism ka Program najaiz hai fir chahye deeni ho ya duniyawi Or jinhone video ko jaiz kaha to “usi surat me jaiz kaha Jab ki uspe kuchh khilaf e shara cheez naa diykhai jaati ho” Yani agar mard byan kare, naa ads ho naa aurat naa aurat ki Awaz naa bepardagi, to is “qaid ke sath wo program dekhne ki Ijazat di gai”, maslan, Koi mufti sahab byan kare, yaa naat padhi jaye or koi aurat ya music naa ho, Or  mutlaqan video ke jaiz hone me kisi mufti ka fatwa nahi Ye ilzam jhutha hai, or jinhone jaiz kaha unhone sharto ke sath Jaiz kaha hai, aisa nahi ki poori tarah or har program jaiz kar diya Allah hifazat kare dilo me waswase daalne wale iblees se, (or hamare nazdeek, jaiz video jaiz hai, or unhi sharto ke sath Jo ulama ne byan ki deeni proram dekhna or Madani channel bhi dekhna jaiz) Baki aapka taqwa hai, agar aap bilkul hi tv ghar pe rakhna Nahi chahte to bahut hi achha hai, or agar aap ghar se Tv nikal nahi sakte to, zarur wo behayai hi dikhayega, To isse behtar hai, deeni program dekh liye jaye isse Ghar ke bachche aurate behayahi, naach gano se to bachenge.

Dawateislami wale logo se SUNNI MUSALMAN hi murad hai, Balki ye sab Qadri Silsile me gaus e azam ke mureed bhi hain
والله أعلمُ بالـصـواب


Suwal no. 766

Agar Miyan biwi me talaq kisi wazah se ho jati he to kya woh sath me apni marzi se rah sakte hen ya fir woh dobara ek dusre ke sath rahna chahe zindagi basar karna chahe to iske kya raaste he.

Jawab: 766 بسم الله الرحمن الرحيم
Is suwal ko karne wale ko chahiye ki talaq ki tafseer bataye ki shohar ne apni biwi ko kitni talaq di hai, 1,2, ya 3, agar 3 bar talaq ka lafz kaha to ab ye aurat iske liye hamesha ke liye haram ho gai, ab ye ek sath nahi reh sakte, magar shariat me iski ek surat hai, jise halala kehte hain, isme ye karna hoga, ki 3 talaq ho jane ke bad, biwi iddat guzare fir, kisi aur shakhs se nikah kare, fir wo shakhs apni is nai biwi ke sath hambistari kare, aur fir wo apni marzi se talaq dega. Aur ye aurat fir se iddat guzar kar apne purane shohar se nikah kar sakti hai, iske siwa koi chara naa hoga, aur agar doosra nikah kara magar hambistarai nahi ki to bhi ye pehle shohar ko halal nahi, Aur 1-2-3 talaq ka kya matlab hota hai, iski tafseel suwal no. 768 me aage ayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 767

during pregnancy, bachche me kitne dino ke bad Jaan aa jati hai, plz reply me according to Quran refrence.

Jawab: 767 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran e Pak me tumhe paida karne wala Allah farmata hai, (Surah Hajj, Ayat: 05)
“humne tumhe paida kiya mitti se aur pani ki bondh(mani) se, fir khoon ki phatak se fir gosht ki boti se, naqsha bani aur be-bani, taki hum tumhare liye apni nishaniyan zahir farmayen, aur ham thehraye rakhte hain, maao(mothers) ke pet me jise chahe, ek muqarrar waqt tak

Tafseer e Qurtabi Jild:6 Safah: 338-339 par hai
“Hazrat e ibn e umar (radiallah anhu) se riwayat hai ki,
Nutfa (mani ka qatra) jab aurat ke pet me qarar pata hai to ek firishta use apni hatheli par leta hai, aur arz karta hai yaa rab, muzakkar ya muannas (male ya female), shaqi ya sa’adat mand (badnaseeb ya khush -naseeb), iski muddat(umar) aur asr kya hai, kis zameen me marega, us firishte se kaha jata hai, tu loh e mehfooz ki taraf jaa waha tujhe iska qissa mil jayega, weh firishta aisa hi karta hai aur uska qissa paa leta hai, fir weh qatra insan ban jata hai, apni taqdeer me likha rizq khata hai,

Imam Ahmad bin Hambal ne Sahi riwayat se Musnad Ahmad Hadis no. 12157 par naql kiya
“jab nutfe par 42 raate guzarti hai, to allah uski taraf ek firishta bhejta hai, jo uski surat banata hai, uske kan uski ankhen uski zild uski haddiyan,

Abdullah bin Mas’ood se marwi hai Farmaya huzoor ne
“tum me se har ek ki paidaish uski maa ke pet me 40 din ke marhale se hoti hai, fir 40 din weh khoon ki haisiyat se rehta hai, fir 40 din gosht ke lothre ki shakal me rehta hai, fir ek firishta usme rooh dalta hai, use 4 chize likhne ka hukm diya jata hai, rizq, umar, amal, shaqi ya sa’adat mandi,

Hadis Bukhari aur Muslim me ye riwayat naql hai-
(Bukhari, kitabul ambiya, bab ul khalq e adam, Jild:2 Safah: 413, hadis no. 3332)
“Tum logo ki paidaish maa ke pet me 40 din tak nutfe ki surat me rehti hai, fir 40 din tak jame huye khoon ki surat me, fir 40 din gosht ki boti ki tarah, (yani kareeb 4 mah kuchh din)
Fir allah ek firishta bhejta hai, jo uska rizq, uski umar, uska amal, aur uska bad-bakht aur s’adat mand hona likhta hai,”

Ulama ka isme koi ikhtilaf nahi ki Rooh 120 din ke bad foonki jaati hai, ye 4 mahine muqammal ho jate hai aur 5ve ka aghaz hota hai, jaisa ki hamne hadis ke zariye byan kiya (aur yahi iddat ka waqt hota hai)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 768

Hazrat ek talaq or teen talaq se kya murad he..

Jawab: 768 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar kisi shakhs ne apni biwi ko kaha mene tujhe talaq di (aur ye ek bar kaha) to iska matlab hai ki wo talaq to ho gai magar abhi foran nikah khatam nahi hua, aur shohar wapas ruju kar sakta hai, yani ruju karne se naa biwi nikah se bahar hogi, naa fir se nikah ki zarurat, ye fir se shohar biwi ban kar reh sakte hai aur agar kisi shohar ne apni biwi se talaq dene ki niyat se 3 bar kaha talaq talaq talaq (ya talaq ke koi bhi lafz 3 bar ada kiye) to ise 3 talaq kehte hai, ab biwi iske nikah se foran nikal gai, aur is par iddat karna lazim ho gaya, bad iddat ye aurat kisi bhi shakhs se nikah kar sakti hai, aur agar ye fir isi pehle wale shohar se nikah karna chahe to jaiz nahi, jab tak kisi or se nikah naa kar le, aur hambistari naa kar le, fir wo naya shohar apni marzi se ise talaq dega or ye fir iddat guzar kar, pehle shohar se nikah kar sakti hai,

(pehli surat me foran biwi nikah se bahar nahi hoti, balki agar dono ne bosa o kinar kiya ya hambistari kar li to nikah baki rehta hai, jabki dosri surat me foran nikah hamesha ke liye khatam ho jata hai, bagair halala pehle shohar ke nikah me nahi aa sakti,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 769

Assalamu Alaikum, Hazrat kya ek bar murde ko dafnane ke baad waha se kahi aur dafnaya ja sakta hai. ? Jaise Ki Maine padha tha Ki Babar ko pahle Agra ke arambagh me dafnaya Gaya fir unhe Kabul me dafnaya Gaya.

Jawab: 769 بسم الله الرحمن الرحيم
Aise suwal usi waqt ke aalim moke ki munasibat par byan karte hen, jaha ye surat pesh aai ho, bila wajah aisa karna jaiz nahi, or naa koi aisa karta hai ki, murde ko muntaqil kare, aur agar koi aisa karta hai, to zarur kisi majburi ki wajah se karta hai, to aise shakhs ko chahiye, ki agar koi surat aisi pesh aaye to waha ke mufti se rabita kare ki, wo halat ko dekh kar jawab byan farmayenge, ki apke sheher ya qabristan ki kya surat hai, mujhe dilli me reh kar apke sheher ki koi khabar nahi, islye bila tehqiq ke jawab dena dushwar hai, ummid hai aap samajh gaye honge ki aise jawab, usi waqt diye jaate hai, or halat ko madd e nazar rakh kar, filhal ye bata dun ki, bina wajah qabr kholna jaiz nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 770

Hazrat mera ek suwal hai uska jawab inayat farmayen, Hazrat kuchh log kehte hain ki mangal (Tuesday) ke din bal nahi katwana chahiye, kya ye baat sahi hai, jawab ka intizar hai,

Jawab: 770 بسم الله الرحمن الرحيم
Mangal ke din bal katwana jaiz hai, baki meri nazar se koi aisi ibarat nahi guzri naa hadis jisme iski manahi ho, aur agar manahi sabit bhi ho jaye to bhi mangal ko bal katwana khilaf e mustahab hi hota, naa ki khilaf e wajib, lihaza agar mana hai, tab bhi mangal ko bal katwana jaiz hai, aur jo chize is tarah mana ki jaati hai, wo kisi khas hikmat ke tor par mana ki jaati hai, magar koi kar bethe to bhi gunahgar nahi hota, jaisa ki hadis me huzoor ne budh (Wednesday) ko nakhoon katne ko mana kiya magar koi katle to gunahgar nahi, magar aisa karna nahi chahiye kyunki hadis e pak me hai, ki jo budh ko nakhoon kate use bars(safed dag) ka marz ho jata hai, magar ye uske liye hai jo, iski aadat bana le, warna agar 40 va din budh ka aa raha hai to 40 se zyada nakhoon badana gunah hai, is surat me budh ko kate jayenge, magar mangal ko bal naa katwana shayad logo ki ghalat fehmi ho, han, itna zarur padha hai ki, mangal ko kapda nahi katna chahiye, jaisa ki Mulla Ali Qadi ne farmaya, aur ise AlaHazrat ne bhi naqal kiya
Fatawa Razawiya Jild: 22 Safah: 184 par naql kiya
“Jo kapda mangal ke din kata jaye, wo jale, ya doobe ya chori ho”
To isse pata chala ki mangal ko kapda katne silne se parhez kiya jaye, magar koi kaate to gunahgar nahi
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 771

Bhai mazar par aurat ka jana mana kyun hai, aur ye kahan se sabit hai,

Jawab: 771 بسم الله الرحمن الرحيم
Asl ye hai ki hadis me auraton ko qabristan jane yani kisi bhi qabr par jane ko mana kiya gaya isi wajah se wo mazar par bhi nahi ja sakti, ki asl me wo bhi qabr hai, aur doosri baat, ki ajkal mazar par mard aurat ek sath jama hote hai, isliye ab zyada ehtiyat ki hajat hai ki aurat ko mazar e auliya se roka jayega, aur inka jana gunah e kabeera hai, (siwaye roza e rasool ke)
Bukhari ki Hadis e pak me aya لعن اﷲ زائرات القبور
(Allah ki lanat un auraton par jo qabro ki ziyarat ko jayen)

Fatawa Razawiya Jild:09 Safah: 535 par hai
As’ha (zyada sahi) ye hai ki auraton ko qabro par jaane ki ijazat nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 772

dari mundana haram he ya makruh hai ya aur kuchh hai tafseer se batayen,

Jawab: 772 بسم الله الرحمن الرحيم
Daari ka ek musht tak rakhna wajib hai or ek musht se kam kar lene ko HARAM or kutub e fiqh e hanafiya me lafz haram hi maujood hai, Jaisa ki fuqah kiram farmate hai.
Shah abdul haq muhaddis e dehelvi گزاشتن آن بقدر قبضہ واجب ست
Yani- Daari ko ek musht tak chhor dena wajib hai.
(اشعتہ اللمعات)
 
Aur Bahar E Shariat me hai. .ek musht se kam karna HARAM hai.
 
Fatawa Razawiyya Jild: 22 Page: 571 par hai
Daari had e shara se kam naa karna wajib aur Huzoor aur ambiya ki sunnat e daimi aur islam ke shiar se hai Aur iske khilaf mamnu aur HARAM aur kuffar ka shiar 
 
Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 114 par hai.
Daari ek musht se kam karna HARAM hai.
 
Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 258 par he.
Daari mundwana HARAM hai.
 
Fatawa Faqih Millat Jild: 1 Safah: 127 par hai.
Daari mundana ya ek musht se kam rakhna HARAM hai.
 
Fatawa Ajmaliya Jild: 1 Safah: 168 par hai.
Lekin kisi janib se ek musht se kam karna HARAM wa najaiz hai.
 
In dalilon se saaf sabit hai, dadi ka ek musht tak rakhna wajib isse kam ya na rakhna haram, aur aisa karne wala fasiq hai, aur quran me hai (surah Tauba ayat 80) “Allah Fasiqo ko raah nahi deta”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 773

Hazrat aurato ko kab namaz ada karni chahiye jaise fajr ki azan hui aur azan ke bad hi namaz shuru kar di, matlab aurto ko kya mardo ke time par hi padhna chahiye, ?

Jawab: 773 بسم الله الرحمن الرحيم
jab jis namaz ka waqt ho jaye namaz padh lene se namaz ada ho jayeig kyunki aurato par jamat se namaz padhna wajib nahi isilye wo azan hote hi, ya azan naa bhi ho waqt hote hi namaz padhe to bhi koi harz nahi aur namaz sahi ada hogi, ab raha behtar kya hai, to behtar ye hai ki aurat (apne alaqe ki masjid ki) mardo ki jamat khatam hone ke bad namaz padhe, magar maghrib foran padhe isme der naa kare, aur fajr andhere me naa padhe kuchh ujala hone de, jaisa ki fajr ke bare me hadis e pak me farmaya gaya aur ise Tirmizi ne naql kiya
“fajr ki namaz ujale me padho ki isme bahut azeem sawab hai”
Aur hadis Kanzul Ummal ne Hazrat Anas se riwayat kiya ki “isse tumhari maghfirat ho jayegi”
Aur Tabarani ne Abu Huraira se naql kiya ki
“meri ummat haq par rahegi, jab tak fajr ujale me padhe”

In hadiso se yahi sabit hota hai ki fajr andhere me nahi padhna chahiye, (magar padhi to gunah nahi, ho jayegi) Isilye fajr ki azan ke bad jamat me kafi waqt hota hai, uski asl yahi hadise hain, aur kyunki ramazan me sehri ke bad so jaane ka khauf hai isilye jaldi padhi jaati hai,

Aurato ko kyunki jamat wajib nahi islye ise zohar me der karke padhna chahiye, hadis Bukhari aur Muslim me farmaya: “zohar ko thanda karke padho ki sakht garmi jahannam ke josh se hai”

Is hadis ki roshni me pata chala ki zohar me der karke padhna mustahab hai, aur isilye mene dekha ki bareli shareef AlaHazrat ki dargah ke kareeb ki masjid me zohar aur juma shayad 3.30 pm par hai uski asl ye hadis hai,

Aur maghrib me der nahi karni chahiye foran padhni chahiye hadis me farmaya ise Abu Dawood ne naql kiya “meri ummat hamesha haq par rahegi, jab tak maghrib me itni der naa kare ki sitare ghut jaye”

Isilye aapne dekha hoga ki maghrib ki namaz foran azan ke bad hi ho jaati hai, uski asl ye hadis hai,

Fazl e khuda se hamne namaz ka sahi waqt aur wuzuhat ko ahadees ki roshni me byan kar diya,
Or khulasa e kalam ye hai ki,
Aurat waqt hone par namaz padhe to gunah nahi namaz ho jayegi, magar mustahab hai ki mardo ki jamat hone de, aur fajr, me agar jamat hone dene se waqt jata ho to pehle bhi shuru kar sakti hai, aur maghrib me foran azam bad hi shuru kare,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 774

Rasme Dastar Bandi jise ki jaye use kitna ilm hona chahiye or kise kiya ja sakta he ?

Jawab: 774 بسم الله الرحمن الرحيم
Dastar bandi alag alag ilqe aur madrso ke riwaz aur urf par hoti hai, kahi bachha quran padh le to dastar kar di jaati hai, (isme harz nahi ki uska hosla badana hai, aur dua-iya majma hai ki allah ise hifz ke bad aur deen sikhne aur fir khidmat ka moka de) to kahi, dars e nizami ke bad dastar ki jaati hai, aur kahi aisa bhi hota hai, ki quran bhi poora hifz nahi hota or dastar karwa di jaati hai, or ye sahi nahi ki, asl me ye haq ya to aalim ko diya jaye ya us hafiz ko jiski padhai chalu hai, aur hifz poora ho, magar jahil ki dastar uski tazeem hai, aur aisa apne madrso ki shaan badane ke liye kiya jaata hai, aur haq ye hai ki ghalat kiya jaata hai, isse awam me dhoka paida hota hai ki wo hafiz ban gaya ya aalim jabki use ilm ki hawa bhi nahi lagi hoti, aur sirf hafiz bhi aalim nahi hota balki faqat hafiz jahil ke misl hai, dastar wale ke liye itna to ho, ki kam se kam apne zimme se farz uloom se bari ho chuka ho, taharat, namaz, haram halal, mohlikaat, wagera ka ilm har (baligh) hafiz ko hona farz hai, iske bagair har hafiz jahil hai,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 775

Hazrat kya ham quran ki ayat ko mobile main nahi rakh sakte ?

Jawab: 775 بسم الله الرحمن الرحيم
Mobile me poora quran bhi rakh sakte hai, chahe PDF me ho ya mp3 me. Isme koi harz nahi, balki computer, tablate, mobile me jo quran padha jayega, aur screen par ungali se touch karke page badla jaye to is tarah quran ko chhune me wuzu bhi nahi karna hoga, yani, mobile me be-wuzu bhi quran padha aur chhua jaa sakta hai, jabki kitabi shaql ke quran ko chhune ke liye wuzu karna farz hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 776

kya hamal thaharne ke 3 maheney me hamal gira sakte hain koi gunah hoga ya nahi please batawo jaldi 

Jawab: 776 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi Gira sakte, aisa karne wala Gunahgar hoga, aur shariat me iski ijazat nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 777

aurat ki nas bandi karana kaisa hai, kya coper-T lagawa sakte hai

Jawab: 777 بسم الله الرحمن الرحيم
Nasbandi chahe aurat ki ho ya mard ki karana aur karwana haram hai, gunah e kabeera hai, aur hadis e pak se iski mumaniat sabit hai, agar ye dono kisi bachche ki wiladat nahi chahte to, arazi tariqe istimal karne chahiye, (condom ya dawa) taki aage ummid ke darwaze khule rahe, aur nasbandi karwana yani hamesha ke liye aulad ki ummid se mehrum reh jana hai, Fatawa Faizur Rasool Jild:02 Safah:580 par hai
“dawa ya rabar ki theli(condom) istimal karna jaiz hai, Lekin kisi amal se hamesha ke liye bachcha paida karne ki salahiyat ko khatam kar dena jaiz nahi, (yani nasbandi jaiz nahi )

Man lijiye agar kisi ke 4 bachche hai, ab ye sochte hai, ki inhe aage bachcho ki zarurat nahi, aur ye nasbandi karwa le, khuda naa kare, kisi hadse ya beemari me sare bachche mar gaye to? Ab kya karega, aur aurat ko bachcho ki khawaish hui to ab ? ya mard ne nasbandi karwai, aur biwi mar gai ab doosra nikah karna chahe aur doosri aurat aulad mange to kya karega? ya aurat ki nasbandi karwa di, aur shohar mar gaya, ya dono ki talaq ho gai, aur aurat ya shohar doosra nikah karna chahe to kya karegi, kyunki inhone to wo rasta apnaya jisme aage ummid ke sare darwaze band hen, isse ghar bigarne ki naubat ayegi, aur zindagi bhar apni aulad se mehrumi, ha agar ye dono koi arzi tariqa yani (condom, medicial, etc) ka istimal kare to behtar hai, ki isse maqsad wahi hasil hoga aur aage koi unch neech hoti hai, to ghar nahi bigrega, man lo mard ne ye soch kar ki mere 2 bachche hai, nasbandi karwa li, aur bachche mar gaye, aur biwi kehti hai ki ise aulad ki zarurat hai, warna TALAQ DO ? ummid hai, aap meri baat samajh gaye hoge, ki dosri chize istimal ki jayen, nasbandi ke alawa baki doosre saman jaiz hai,

“copper t” yani ek aisa ala hota hai, jo aurat ke jism me istilam hota hai, isse ek khas muddat ke liye aulad ki paidaish ruk jaati hai, fir ise nikal dene par aulad ki paidaish ho sakti hai, isse bhi maqsad poora hota hai, aur aage aulad ki chahat ho to admi majboor nahi hota, magar iske bare me mujhe kitab e fiqh me koi ibarat naa mili, magar quran o hadis ki roshni me bazahir mujhe iska istimal jaiz nazar aa raha hai, jis tarah condom ka istimal jaiz hai, yani agar aadmi 3 sal tak lagatar condom istimal kare to bhi aulad nahi hota, copper t me bhi ye hai ki ek bar hi istimal hogi, jab ulama ne condom ke jaiz hone ka byan kiya to is qiyas par copper-t bhi jaiz hai, jaisa ki Fatawa Faizur Rasool Jild:02 Safah:580 par hai
“dawa ya rabar ki theli (condom) istimal karna jaiz hai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 778

Hazrat 2 peer ke mureed ho sakte hen ?

Jawab: 778 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar wo shakhs aise peer se mureed hai jisme peer banne
Ki charo sharait paai jaati hai, Maslan,
1. Aqeede ka sunni ho,
2. Ilm e fiqh itna janta ho ki zarurat ke masail kitab se nikal sake,
3. Koi gunah ailaniya naa karta ho
4. Silsila Huzoor (عليه السلام) tak pahuchta ho
Agar ye sharait hai to bila wajah sharai bayt torna jaiz nahi Jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza khan (alaihirrehma) Fatawa Razawiyya Jild: 26 Safah: 558 par likhte hai
“Jab afazal silsila aaliya, qadriya.. me sheikh jaame sharait Ke hath par fakhr e bayt naseeb ho chuka hai to use doosri Taraf asann tawajju wa pareshan nazar hi naa chahiye, Baz auliya kiram ne farmaya
Jo mureed do peero ke darmiyan ho wo kamyab nahi hota”

Fatawa Razawiyya Jild: 26 Safah: 576 likhte hain
“Peer ko chhor kar uske badle peer banana ki jo aisa Karega dono taraf se mehroom rahega.”

Or farmate hai isi Jild: 26 Safah: 579 par
“Jo shakhs kisi sheikh jame sharait ke hath par bayt Ho chuka ho to doosre ke hath par bayt naa chahiye
Doosre jamae sharait se talab e faiz me harz nahi,”

Auliya kiram farmate hai, - “Ek shakhs ke 2 baap nahi ho sakte, ek aurat ke 2 shohar nahi Ho sakte, ek mureed ke do sheikh nahi ho sakte”

Khulasa e kalam ye hai ki :- Ek peer se mureed hone ke bad doosre se Mureed nahi ho sakta, Ha Talib ho sakta hai, magar apni iradat sheikh e awwal Se hi rakhe. Or jo faiz doosre se hasil ho to use bhi apne Hi peer ki ata jane.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 779

Hazrat mera suwal ye he ki fatiha me sab se pahele sureh fatiha padte hai ya sureh kafirun padte hai ?

Jawab: 779 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatiha khwani asl me isaal e sawab hoti hai, isme surah padhne ki koi pabandi ya qaid nahi ki yahi padhna zaruri ho, aap agar 100 baar ya allah padh kar iska sawab bhejenge to ye bhi fatiha hi kehlayegi, ab raha, surah fatiha aur kafiroon ka padhna to pehle surah fatiha padh li jaye, fir sureh kafiroon, aisa islye kaha, kyunki quran ko ulta padhna mana hai, aur quran me pehle fatiha hai, bad me kafiroon, (agarche inka faasla kafi hai, isme ye qaid sahi naa ho, fir bhi ehtiyat yahi hai) isilye fatiha me bhi charo qul ko tarteeb ke mutabik (serial wise) hi padhna chahiye, aisa nahi karna chahiye ki, pehle sureh ikhlas padhe fir kafiroon ye ulta quran padhna hota, aur iske mutabik hadis me farmaya jo quran ko ulta padhe, to allah uska dil fer dega, lihaza aap pehle fatiha fir kafiroon padh liya karen,, aur ulta quran (yani ulti surate) padhna namaz me gunah hai yani makruh tehrimi hai,
وﷲ تعالٰی اعلم       

Suwal no. 780

Finance par gadi/bike lena kaisa? Usme bhi byaj hota he, to kya ye bhi haram hua? Dusra finance office me job karna kaisa ? jisme salary base par kam he sirf likhne or hisab rakhne ya scheme samjhane ka to byaj ka likhna bhi haram he to is surat me kya masla nikalta hai? Or yahi chiz bank me bhi lagu hoti he bank me nokri karne or bank me paisa rakhne ke mamale me ? Meharbani karke hadis ke hawale se rehnumai farmaye

Jawab: 780 بسم الله الرحمن الرحيم
Jawab ko likhne se pehle me mohtram sail ki bargah me do bate arz karna chahunga, taaki sahib e suwal ke dil ka malal jaata rahe, aur ainda kabhi inhe kisi darul ifta ya mufti se suwal karna pade to sharminda naa hona pade, warna koi qabil mufti hoga to zarur is bat par tok dega halaki ye koi sharai ghalati nahi, magar ehtiyat har cheez me behtar hoti hai,
1.jab aap kisi darulf ifta wagera ya kisi mufti sahib se suwal kare to suwal, suwal ki tarah kare, usme khud jawab naa likhe ? apne finace or bank ke mamle ko khud hi sood bata diya, jabki ye sood nahi, hairani mujh kam aql ko ye hui ki, jab apne khud hi faisla kar diya ki isme byaz, (sood) hota hai, to fir suwal karne ki zarurt khatam ho gai, kyunki sood haram hai, naa iska kaam karne ki ijazat naa dene lene ki, aur naa bank me paise rakh wane ki, isilye apko suwal me khud fesla nahi karna chahiye balki puchhna chahiye ki isme byaz hai ya nahi, kyunki sood hua to suwal ki hajat nahi, kyunki iska jawab sabko pata hoga sood haram hota hai, apko arz ye karna tha ki ye sood hai ya nahi, naaki fesla karna tha,
2.kabhi suwal me ye naa likha kare ki quran ya hadis ke hawale se bataye.. aap mujhe bataye, finance or bike kis daur me hai,? kya ye huzoor ke waqt me thi, agar nahi to hadis me finance or bike lene ka hawala koi mujaddid bhi nahi de sakta, han, quran o hadis me qaida zarur hota hai, jiski buniyad par jawab diya jaata hai, to aap is tarah arz kara karen, ki quran o hadis ki ROSHNI me bataye, ummid hai ap samajh gaye honge, agar bura laga ho to mere liye DUA e Khair kare,.. ab apke suwalat ke jawabat.

Finace par bike lena jaiz hai, yani isme hota ye hai ki, ek bike agar naqad paise de kar khareedi jaye to 50 hazar ki hai aur udhar me 55 hazar ki hogi, aur jab khareedne wala pure paise ek sath nahi de sakta to wo ye tariqa apnata hai, ye surat JAIZ hai, aur aisa har muamle me jaiz hai, ye kam dukan wala bhi chahe to kare kuchh gunah nahi, yani wo kisi saman ki qimat 10 Rs. Rakhta hai, aur gahak kehta hai, udhar lunga, to dukan wala usi saman ko udhar 12-15 Rs. ka de sakta hai, yani naqad ke Rs. Alag aur udhar ke alag (kuchh zyada) ye surat jaiz hai, magar finance me ek chiz ka khas ehtiyat chahiye, ki isme ek kaam aur hota hai ki waqt par paise naa diye to jurmana bhi dena hota hai, aur jurmana lena aur dena, hanafi mazhab me najaiz hai, lihaza is kam se bache ki company ko jurmana dene ki nobat aye, waqt par paiso ka intizam kiya jaye, aur aisi company me job karna bhi jaiz hai, jabki kam jaiz ho, aur usme koi gunah ki shart naa ho, yani naa jhuth bolna shart ho ya namaz chhodna naa daari katwana,
Hindustan me jo bank kafir ke hai (aur ghaliban sabhi kafir ke hain) usme paise rakhne par kuchh waqt ke bad hamari maujooda raqm me izafa ho jata hai, yani 50 hazar rakhe to ek sal bad, 100-200 Rs. Zyada account me aa jate hai, (jise sail ne sood keh diya) ye SOOD NAHI HOTA, iska lena jaiz ha

Isi tarah Faqih e Millat Mufti Jalaluddin Amjadi Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:391 par farmate hain,
“yahan ke kafiron ko qarz dekar, za’id raqm lena JAIZ HAI”

Aur Tafseer e Ahmadiya Safah: 300 par hai ki
“za’id raqm sood ki niyat se naa le”

Hadis me farmaya : لا ربا بين المسلم والحربي في دار الحرب
Kafir harbi aur musalman ke darmiyan sood nahi.

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah: 388 par hai
“is nafe ko kisi ke sood keh dene se shariat ke nazdeek sood nahi ho jayega,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”

Fatawa Behr ul uloom Jild: 03 Safah: 45 par hai,
Hindustan ke gair muslim agar apni marzi se koi raqm Musalmano ko den aur is ke liye me koi ujr izzat ko khatra Wagera naa ho to is ka laina JAIZ hai isko jis masraf me Kharch karega jaiz hoga (maslan deeni kaam me bhi)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 781

Moosa ki shadi ho gayi hai aur use abhi baby nahi chahiye aur wo koi dawa apne wife ko nahi khilana chahta hai to wo kya kare hamal ko kaise roke aur wo koi gunah bhi nahi karna chahta (abortion type) Aap bataeeye agar koi aur hal hai to is masale ka, aap ke ilm aur Hadis se kahin se bhi please help him

Jawab: 781 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar moosa aur uski wife is baat par raazi hai, ki abhi aulad nahi chahiye, aur moosa ki wife dawa nahi khana chahti to moosa ko chahiye ki wo condom istimal kar liya kare, iska istimal shariat me jaiz hai, aur agar chahe to moosa apni biwi ko kisi lady muslim Dr. se copper T ka istimal bhi karwa sakta hai, ye ek qism ka ala hai, jo aurat ke jism me lagaya jaata hai, isse ek khas muddat yani 3 sal 5 sal tak aulad nahi hogi, fir jab aulad ki khawaish ho to Dr. se nikalwa den, aur is malme me aurat ka dawa khana jaiz hai, agar ise moosa gunah samajhta hai to ghalati aur khata par hai, aur kisi aur wajah se istimal nahi karwana chahta jaise aurat ki pehle se koi dawa chal rahi ho ya aur koi wajah ho to harz nahi magar hamal rokne ke liye bazar me jo dawa aati hai jise 72 ghante ke andar agar aurat ko khila diya jaye to hamal nahi thehrta to iska khana jaiz hai, jaisa ki - Fatawa Faizur Rasool Jild:02 Safah:580 par hai
“kisi jaiz maqasid ke paishe nazar waqti toor par zabte tauleed ke liye, koi dawa ya rabar ki theli (condom) istimal karna jaiz hai,”

Thik waise hi agar dono kuchh istimal nahi karna chahte to jima ke waqt jab inzaal ka waqt aye to moosa alag ho jaye, ise azl kehte hai, ye bhi kar sakta hai, (magar taqdeer me jo aulad hai wo ho kar rahegi, chahe admi apni mani pathhar par daal de, allah chahe to waha se bhi bachcha paida kar de)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 782

kya molana Taariq jameel ke hadees se mutalliq bayanat sunne chahiye ya nahi, kya unke bayanat sahi hote hen ? kya molana sunni hen,

Jawab: 782 بسم الله الرحمن الرحيم
Taariq Jameel, Mulk e Pakistan ka Ala darje ka Jahil Aur peshwa e khabees, Jamat e iblees, ka Gumrah aalim hai, Jo khud bhi gumrah aur logo ko bhi gumrah karta hai, iska byan sunna, sunni ko haram hai, aur isne apni dua me bhi kufriya alfaz bole, yani ek ijtime me isne dua ki aur allah ke liye ye alfaz dua me kiye,
“aye allah tu hamare samne hota ham tere pau pakar lete”
“aye allah tu aaja, tu kaha hai, agar tune abhi bhi koi feslna nahi kiya ho, ab aa ja”
Wagaira wagaira..
Isse pata chalta hai, jise ye nahi maloom ki allah ke liye kaisa aqeeda rakhna hai, allah ke paun hai ya nahi, wo alim nahi ho sakta aur, badmazhab agar allamah bhi ho to uska byan aur uski majlees me bethna ya uski likhi kitab padhna haram haram haram.
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 783

Janab agar hum kisi aise peer ya wali se mureed hona chahen jinki wafat ho chuki ho ,ya Madinah se mureed hona chahen, agar unki mohabbat ka aqeeda dil me rakhte hen agar hum dil se maan kar unke mureed ho jayen to kya aisa mumkin he ? agar he to iske kya raaste he,hadees wa Quran ke hawale se batayen

Jawab: 783 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar aap kisi aise peer se bayet hona chahte hai, jo wisal kar gaye, to aisa nahi ho sakta ki aap mazar ya chadar pakar kar mureed ban jao, ye tariqa sahi nahi, han, aisa ho sakta hai, aap unke khalifa se bayet ho sakte hai, agar unhone wafat se pehle apna khalifa banaya ho to ap us silsile me bayet kar sakte hai, magar seedhe mazar wale se byet karna chahe to ye durust nahi, warna log bich se saare peero ko side me kar denge aur sidhe ajmer jaa kar chadar pakar kar mureed ho jayenge to kuchh sidhe baghdad jaa kar, aur fir khalifa banane ka maqsad bhi yahi hota hai ki ye silsila aage tak jaari rahe, aur buzurgo ka faiz jaari rahe, warna ghaus e azam ka wisal hoye zamana guzar gaya magar silsila qadiriya aaj tak jaari hai, isilye mureed kisi aise peer se hua jaye, jo ba-zahir hayat ho aur peer banne ki shart bhi ho, aur jin walio ne apna khalifa nahi banaya to unka silsila ab khatam ho gaya, us silsile me bayet nahi ho sakta naa mazar par jaa kar naa kisi aur zariye se, jaise ‘silsila madariya’ isme mureed nahi ban sakte isi tarah ‘Warsi silsile’ me bhi ab koi mureed nahi ho sakte kyunki in walio ne kisi ko apna khalifa nahi banaya jo inka silsila aage chalata, jo log inke waqt me inke mureed huye bas wahi mureed keh layenge baki nahi,
Aur ek baat jo kisi bhi silsile me mureed hoga, wo madine wale ka hi mureed hoga, is bat se befiqr rahe, mureed hone ke liye madina jana zaruri nahi. Aur dil me aqeedat aur mohabbat rakhna achchi bat hai, iska faiz or nafa bhi dono jahan me milega magar bina bayet kiye mureed nahi ho sakta,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 784

bhai kya koi musalman shakhs apni body part donate kar Sakta hai according to Islam religion.

Jawab: 784 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi de sakta, siwaye blood ke, apne jism ke kisi bhi hisse ka yani ankh, dil, ya ankh ki roshni ka ye khud malik nahi, balki allah ki taraf se diya gaya hai, isko haq nahi ki, marne ke bad, dil, ankh wagera ko donate kare.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 785

Namaz me koi wajib chhoota ya koi galati hui Or sajda e suhv bhi karna bhul gaye or salam pher liya
Is haal me kya kiya jaye?
خزاک اللہ خیر۔

Jawab: 785 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal me do bat puchhi gai hai, ek ye ki agar kisi par sajda sehev wajib ho jaye aur wo akhir me sajda sehv karna bhool jaye to kya kare, aur doosri ye ki namaz me “koi aur ghalati ho jaye” to sail ko chahiye ki us ghalati ki tafseel bataye ki kya ghalati ho jaye, uske baad hi jawab diya jayega, filhal pehli surat ka jawab arz hai ,
“Ki agar sajda sahav karna bhool jaye to kya kare”
Agar koi shakhs jis par sajda e sahav wajib ho gaya ho aur wo bhool kar salam pher le to, jab tak namaz torne wali koi cheez naa pai jaye to foran sajda sahv kar le, yani salam pher kar kisi se dua, salam, kalam, ya uth kar chal naa padha ho, Bahar e Shariat Jild:1 Safah:717 par hai
“jis par sajda sahv wajib hai, agar sehv hona yaad naa tha aur naa niyat e qat’e salam pher diya to abhi namaz se bahar naa hua basharte ke sajda sahv kar le, lihaza jab tak kalam ya hadas ya masjid se kharij ya aur koi kam manafi e namaz naa kya ho use hukm hai ki sajda kar le”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 786

Afzal tareen durood e paak kon sa he? Or durood e taaj ko pdhne ke kya fazail hain ? جزاک اللہ خیر۔

Jawab: 786 بسم الله الرحمن الرحيم
AAMEEN
Awwal to ye ki suwal ka no. 786 yani allah ka naam upar se suwal bhi durood e pak ka, yani allah aur rasool dono ki barkat ek sath, aur agar jawab bhi Imam e Ishq o Mohabbat ke hawale se ho to madina madina, magar pehle Imam e ahle sunnat ka farmaan, jo mujhe suwal ko dekh kar yaad aya, kehte hain,
Zikr e khuda jo unse juda chaho najdio,
Wallah zikr e haq nahi kunji sakar ki hai
Fatawa Razawiya Jild:06 Safah: 183 par hai
“sab duroodon se afzal durood weh hai, jo sab amal se afzal yani namaz me muqarrar kiya gaya hai”
(yani durood e ibrahim)

Durood e taj ki behad fazilat hai, aur amal aur hajat ke mutabiq iski kai tadad buzurgo se sabit hai, ki kis muamle me kitna padhna hai, aur ye durood, HAJAT, TAKSEER wagera ke liye bhi khas kaam ata hai,
1-jinnat shaitan, chechak ke daag wagera ke liye 11 bar padh kar damm kara jaye,
2- dil ki safai ke liye roz subha fajr bad 8 bar
3-dusham, hasid, zalim se bachne ke liye bad isha 41 bar.
4-rozi me barkat ke liye subha fajr bad 7 bar.
Isi tarah aur bhi fazilat hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 787

معطم الطيرکس صحابي کا لقب هے جواب جلدازجلد عنايت فرماءے
(muazzuttair kis sahabi ka laqab hai jawab jald az jald inayat farmaen,)

Jawab: 787 بسم الله الرحمن الرحيم
Apne jo suwal me laqab puchha hai, usme ghalati hai, laqab is tarah hai, مطعم الطیر yani (meem ke bad en nahi hai)
مطعم الطیر ka matlab hota hai, “parindo ko khilane wala” ye laqab tha,
Huzoor e pur noor, sahib e madina, rahat e qalb o seena, habeeb e khuda, noorul huda, yani janab e mustafa (alaihissalam) ke DADA JAAN Abdul Mutallib ka” kyunki aap apne dastarkhwan se parindo (birds) ko bhi khilaya karte the, isilye apko laqab مطعم الطیر parindo ko khilane wala” pada
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 788

kiya suwar (pig) kahene se 40 din ka khana haram ho jata hai

Jawab: 788 بسم الله الرحمن الرحيم
Suar kaa naam lene se zuban 40 din tak napak Rehti hai, ye bat fizool aur batil hai, Suar bhi sochta hoga ki mujhe kis qadr badnam kar diya, khud musalman aaj ek doosre ko gaali deta hai to khana haram nahi hota naa zuban napak? . Magar kisi ko bila wajah gali ke tor par suar Kehna haram hai, Or agar jab iska naam lena jaiz to hai magar Iska matlab ye nahi ki bila wajah naam ki maala Jape, Or jo baat mash’hoor ho gai jo Suwal me darj hai Shayad islye ho ki taaki log is dar se bila wajah Kisi ko ye naa kahen, Or Jahan quran me suar ka naam aya hai, agar wo Ayat bator e ibadat padhega to sawab bhi payega.

Sureh Maida Ayat:3 me Irshad Rabb e Qayenat hai:
“tum par haram hai murdar aur khoon aur SUAR ka gosht”

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“suwal me apne jo ye likha hai ki khinjeer ka naam lene se zuban napak ho jaati hai, shariat me iski koi asl nahi lihaza ye ghalat hai, ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 789

Hazrat zaid ne ye suna hai ke suar ke do pair jannati hai, kya ye bat sahi hai, rehnumai karen
Jawab: 789 بسم الله الرحمن الرحيم
Maine aisa naa Padha naa Suna, aur lagta bhi yahi hai ki shariat me iski koi asl nahi, apko chahiye ki zaid hi se iski dalil kisi motabar kitab ke hawale se talab kijiye ki zaid is baat ka hawala pesh kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 790

كيا سگريٹ ليكرمسجد ميں جانا جائز ہے؟ اوركياسگريٹ سے وضوء ناقص (ٹوٹ) جاتاہے يعنى سگريٹ پيکروضوء كا كيا حكم ہے؟
(Kya cigarette Le kar masjid me jana jaiz hai, aur kya cigarette se wuzu tut jata hai, yani cigarette pee kar wuzu ka kya hukm hai)

Jawab: 790 بسم الله الرحمن الرحيم
Cigarette dibbi me hoti hai, aur dibbi agar jeb me rakh kar, masjid me jaye to najaiz hone ki koi surat ba-zahir nazar nahi aa rahi, kyunki ye us nashe wali cheez ke hukm me nahi hai, jiske istimal ke bad hosh naa rahe, aur aksar namazio ki jeb me cigarette biree wagaira ka packet hota hi hai, (jo istimal karte he) magar kabhi aisa suna nahi gaya ki, kisi (alim ne) fatwa diya ho ki ise masjid me lana mana hai, aur cigarette peene se wuzu nahi tut’ta magar iske bad fir wuzu kar lena Mustahab hai, magar iske istimal ke bad munh me agar badbu ho to masjid me jana gunah hoga, aur wuzu us nashe ki cheez se tut’ta hai jiske istimal ke bad hosh baki naa ho jaisa ki Bahar e shariat Jild: 1 Safah: 308 par hai
“Itna nasha ki chalne me paun larkharaye wuzu tor dega”

Aur peena cigarette, hukke, wagera ka jaiz hai gunah nahi, isse aisa nasha nahi hota jo hosh baki naa rahe,
jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild:22 Safah:212 par likhte hain,
تمباکو خوردن وکشیدنوشمیدن ہمہ رواست
(tumbaku khana, peena, soongna sab jaiz hai)

Aur nasha karna wo haram hai jiske bad hosh naa rahe aur isi se wuzu tut’ta hai, cigarette se nahi
Jaisa ki Fatawa Razawiya Jild:22 safah: 104 par likhte hain
“Dam Lagana Jisse Hosh wa Hwash me Farq ata hai HARAM HE”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 791

Hazrat masjid me nare laga sakte he, Tafsir or hawale ke sath batayye talib e jawab

Jawab: 791 بسم الله الرحمن الرحيم
Naara allah ka zikr hai, aur allah ka zikr masjid me bhi jaiz or madrse me bhi jaiz aur ilaqe me bhi jaiz aur ghar me bhi, jabki masjid me koi or wajeh man’e shara naa ho, maslan koi namaz me mashghool na ho jisse khalal ho
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 792

Agar koi shakhs sanskrit ya aur kisi zuban me kisi ko Allah ka beta (rabb e kunwar) kahe to kya wo musalman baki rahega ya kafir ho jayega. Kyunki maine ek shayar ke ye alfaz sune hai. (kya tumse kahoon ai rabb e kunwar tum janat ho man ki batiyaan)

Jawab 792 بسم الله الرحمن الرحيم
Kufr har zuban me kufr hota hai, chahe sanskrit me ho ya farsi me, aur kisi ko allah ka beta qarar dena khula kufr aur quran ka inkar hai, Surah ikhlas me hai, “naa uski koi aulad aur naa wo kisi se paida hua” lihaza jis sher ke bare me apne puchha hai, wo kufriya sher hai, aur badnaseebi aur ilm ki kami ki bina par log ise ek mash’hoor qawwali me padhte aur sunte hai, “kunwar” ka mayena “beta” hota hai, lihaza jisse iske mayene jan lene ke bad bhi padha to kafir hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 793

Apne peer ka tasawwur karke ek Wahabi ke pichhe namaz padhi jaye to kya namaz ho jayegi.

Jawab: 793 بسم الله الرحمن الرحيم
Wahabi kafir hai, uske peechhe namaz padhna yani use apna imam tasawwur karna he aur ye fel unhe musalman tasawwur karne par dalalat karta hain, agar sail ki ye murad hai ki wo ye tasawwur kare ki wo jo namaz padha raha hai, mera peer hai, to ye sakht waswasa e shaitani, sail ke qalb e noorani me toofan e barbadi e imani, macha sakta hai, bhala ye kaise kisi ke liye mumkin hai allah ka wali ka tasawwur ek iblees (wahabi) me kar liya jaye, aur agar sail ki murad ye hai ki, me dil me khayal karun ki is imam ke nahi balki apne peer ke pichhe namaz padh raha hu to ye khayal batil hai, kyunki jab ye imam ruku karega to ye muqtadi kya karega? aur sare arkan me iski perwi aur is aulad e iblees ki awaz sunni padhegi, Zahir hai ki iski perwi par majboor ho jayega, Ab us imam ki taraf chalte hai, jise qaum Imam e Ishq o Mohabbat kehti hai, jiske faizan se tumhe aaj sunniat ka bag hara-bhara mil gaya to YAA IMAM AHMAD RAZA, aap hi arz karo ki namaz wahabi ke pichhe padhna kaisa hai, to FARMATE HAI,
AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild: 6, Safah: 593 Par 
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
 
Fir isi Fatawa Razawiyya Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”
 
Or aage isi Fatawa Razawiyya Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai 
“Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai”
 
(ab soche jise ustad banana zeher e qatil qarar diya to tasawwur e peer kaise jaiz ho sakta hai, aur farmate hai, mujaddid e azam, ya RASOOAL ALLAH Tumhe jaana tumhe maana, naa rakha gair se kaam...)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 794

kala angoor (black grape) khana nahi chahiye us ki hillat kiya hai

Jawab: 794 بسم الله الرحمن الرحيم
Kaale Angur khana jaiz hai, jo ise mana kare, to iski mumaniat ki dalil lana uske zimme hai, ki ye mana kaha likha hai, meri nazar se koi dalil iski mumaniat par nahi guzri,,
Aur Angoor ki to shan khuda ne byan ki Quran e pak me (aur kale ho ya peele sab allah hi ne banaye hain)
Farmata hai Rab (Surah nahl me 67)
“aur khajoor aur angoor ke phoolo me se.... beshaq isme nishani hai aql walo ko”

Surah israel ayat 11
“Ya tumhare liye khajoor ya angooro ka koi bagh ho, fir tum uske andar jannati nehre rawa karo”

Aur jo allah ke paida karda kaale angoor ko haram kahe to uske liye bhi quran me allah ne jawab de diya
Aur Tumhe Jannat me Meethe Angoor Khilane wala Tumhara Rab farmata hai,
(Sura he Maidah-05, Ayat 87 ) me
Aey Iman walo Haram na Thehrao woh suthri cheeze, ki ALLAH ne tumhare liye halal ki “
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 795

Kisi company ke share kharidna kaisa he.

Jawab: 795 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal ye ki comapny ki kuchh detail wagera yani kafir ki hai ya musalman ki, ye likh kar kareeb ke darulifta se rabita kare, aise suwal me muftiyan kiram apne samne kuchh tafsil talab karte hai, jiske bad, wo fatwa tehrir karte hai, aap suwal ko tehriri likh kar unse rabita karen,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 796

Kya mardo ko auraton ki tarah choti rakhna ya lambe bal rakhna jaiz hai quran o hadis ki roshni me wazahat farmayen,

Jawab: 796 بسم الله الرحمن الرحيم
Mard ka kano ki lo tak bal ka rakhna sunnat hai, aur mard ka baal itne badana ki kandhe (sholder) se neeche jaye ye haram hai, fir chahe isme choti bandhe ya naa bandhe aur bandhna choti ka mard ko haram hai  Fatawa Razawiya Jild: 21 Safah: 134 par hai
“Mard ke sar par choti rakhna waise hi raham hai”

Durr e Mukhtar Jild:2 Safah:253 par hai
 غزل الرجل علی ھیأۃ غزل المرأۃ یکرہ
(aurat ke andaz se mard ka apne bal goondhna (choti) na pasand hai
لما فیہ من التشبہ بالنساء
(islye ke isme aurato se mushbehat he)
Hadis e pak me farmaya: قال صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم لعن اﷲ المشتھبین من الرجال بالنساء
(huzoor ne farmaya allah ki lanat un mardo par jo auraton ke sath mushabihat karen”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 797

Agar koi shakhs ye aqeeda rakhta ho wahabi imam ke pichhe apne shaikh ka tasawwur karke namaz padhe to namaz ho jayegi ese shakhs ke liye shariat ka kya hukm hai. baray maherbani quran o hadees ki roshni me wazahat farmay

Jawab: 797 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar koi shakhs wahabi ke batil aur kufriya aqeede jaan lene ke baad bhi unke pichhe namaz ada kare to goya wo unhe musalman yaqeen kar raha hai, agar yahi haq hai to aisa shakhs bhi kafir ho jayega aur iski biwi iske nikah se bahar, aur kisi ka mureed bhi tha to ab naa raha fir se tauba kare, kalima padhe aur, naye sire se iman laye aur fir biwi rakhna chahe to nikah kare, aur fir se mureed bane,
Fatawa Razawiyya Jild: 15 Safah: :591 par hai
Shifa shareef me hai,
نکفر من لم یکفر من دان بغیر ملۃ المسلمین
 من الملل اووقف فیھم اوشک
(ham har us shakhs ko kafir kehte hai jo kafir ko kafir Naa kahe ya uske kufr me shak kare,

Durr E Mukhtar Jild:1 Safah: 386 من شک فی عذابہ وکفرہ فقد کفر
Jisne unke azab aur kufr me shak kiya Wo (khud) bila shubah kafir ho gya
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 798

Jism ke kis hisse ko choomna aur chhoona aur dekhna mana hai aur Hand job and Blow job sahi hai ya galat isme thoodi si rahnumaee karen

Jawab 798 بسم الله الرحمن الرحيم
Is suwal ke jawab me masail kai qism ke hai, maslan mard ka mard ko dekhna, aurat ka aurat ko dekhna wagaira wagaira, lihaza suwal me saf kiya jaye ke kiske mutaliq hukm e shara daryaft karna hai, uske bad hi iska tafsilan jawab tehrir kiya jayega, Al-mukhtasar ye hai ki, shohar biwi ke har hisse ko dekh, chho aur choom sakta hai, siway sharmgah ke, ye sharmgah ko chomna gunah hai, dekhna chhoona iska bhi jaiz, aur mia biwi ke siway doosre rishto ki bat kare, to sitr ki taraf shehwat ke sath nazar karna haram hai, aur chhoona bhi, aur hand job haram hai, hadis e pak me is par lanat aai hai, hadis me aya ki “ispar allah ki lanat hai,” Fatawa Razawiyya Jild: 22 Safah: 244 “hashr me aiso ki hatheli Gabin (pregnant) uthengi,”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 799

namaz ho rahi hai aur me ek rakat ke bad pahuchta hoon, us time sab sajde me hain us samay mujhe kya karna chahiye aur agar mujhe sajde me chale jana chahiye to niyat ka kya hoga kya mujhe namaz imam ke khatam hon ke bad sana padhna hoga ya nahi please bataye

Jawab: 799 بسم الله الرحمن الرحيم
Puchhi gai surat me aap bhi seedhe sajde me jaye, aur is tarah ki pehli takbir kahe, fir hath khol den (niyat naf ke niche naa bandhe) aur doosri allahuakbar kehte huye seedhe sajde me jaye (bina ruku kiye) magar us rakat ko apni namaz me shumar naa kare (yani us rakat ki ginti naa kare) aur bad me jab aap apni namaz padhe to sana bhi padh len,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 800

Jaise me office me hoon aur subah wazoo bana ke mooza joota pahan ke gaya ab kya me doosre namaz ke waqt bina moze ke utare wazoo kar sakta hoon pairoon ka masa kar ke

Jawab: 800 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han masah kar sakte ho, magar moze chamde ya rekseen wagera ke hone chahiye, ye jo aam moze hain ye nahi, agar chamde ya rekseen ke hain to aap jis waqt wuzu karke, wo moze pehnege to us wuzu ke tutne se lekar, 24 ghante tak jab bhi wuzu karoge to per dhoone ki zarurat nahi bas masah kar liya jaye, yani geela hath le kar ungalio ki taraf se upar ki taraf fer liya jaye, aur apka 24 ghante ka waqt wuzu karke moze pehnne se shuru nahi hoga, balki jab wo pehla wuzu tutega jab se, maslan apne 6 baje fajr ka wuzu kiya or moze pehn liye fir ye wuzu 9 baje tak chala fir tuta to 9 baje se 24 ghante shuru honge, aur agar koi safar par hai to musafir ko ye waqt 3 din ka hai, ye hukm aurat mard dono ke liye hai, magar yaad rahe jis par gusl farz hua to masah kafi nahi, utar kar paun dhone honge.

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 364 par hai
“hindustan me jo sooti ya ooni moze pehne jaate hai, un par masah jaiz nahi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

1 comment: