Suwal 1 to 100 (Masail e Shariat Jild 1)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Abu Rayyan Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 1)


---------------------------------------------------------------------------------------------
Suwal no. 1
Huzoor ye irshad farmaye ki agar kisi ne machchli ziba ki hai or usme koi keemti moti nikla to wo moti kiska hoga. Seep me nikle to kya hukm hai or bagair seep ke nikle to ?

Jawab: 1  ​بسم الله الرحمن الرحيم
Machhli ke pet me moti nikla, agar moti Seep ke andar hai to yahi khareedar malik Hai, agar seep ke andar nahi to, khareeddar Malik nahi, shikari ko dede…Jaisa ki,  Sadr us sharia Hazrat e Allama, maulna Mufti Amjad Ali Azami,  Bahar e Shariat Jild:3 Safah:325 par irshad Farmate hai,-
Machhli ka pet chak kiya us me moti nikla, Agar ye seep ke andar hai to machhli wala iska Malik hai (or) shikari ne machhli bech daali to Moti khareedar ka hai, or agar moti seep me nahi Hai to khareedar shikari ko de de”
……. ……………..
Qk daur e hazir me aksar dukan daar hi machhli  Palan karte hai, yani wo apne hi talab se shikar Karke bechte hai, to wo dukandar hi shikari ke Hukm Me hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 2
Huzoor ye irshad ki ​Wuzu me Farz e Amali, Farz Etiqadi ​kitne hain ​or kiske inkar se banda kafir hoga ya nahi​?

Jawab: 2 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu me farz e etiqadi or farz e amali par kalam karne Se pehle me ye batana munasib smjhata hu ki akhir ye Hota kya hai, kyunki aksar logo ko wuzu me sirf 4 farz ke alawa kuch nahi pata hota. (balki baz to imam or hafiz Bhi isse ghafil hote hain) Ummid hai ki ye behes sabke liye nafa bakhsh hogi.
Pehle inki tareef fir inki tadad. (ان شاء الله)

Farz e Etiqadi- us farz ko kehte hain jiski farziyat aisi dalil se sabit ho jisme shak ki koi gunjaish hi nahi maslan quran se… jaise ki quran me hukm aya .. Or apne saro ka masah karo..

Farz e Amali-iski farziyat nasse-qatai se to sabit nahi, magar nazr e mujtahid me, Aisi zaruri hoti hai ki
jisse ibadat mukammal nahi hoti.. Maslan chothhai sar ka masah karna..

Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, or 12 farz e amli hain

Hukm e kufr:
Farz e etiqadi ka inkar kufr hai, ki ye quran ki nas ka inkar hai
Jaise koi kahe main sar ke maseh ko nahi manta.. To kafir hai, ki inkar e quran hai..

Farz e amali ka inkar kufr nahi albatta gumrahi hai. Jaise koi kahe me sar ke maseh ko to manta han magr Chothhai maseh ko nahi manta to gumrah hai,

Note:- mujtahid par hukm e gumrahi bhi nahi hoga, kyunki unke Pas iske radd me dalil hoti hai, maslan agar imam shafai kahe ki Me chothhai sar ka masah nahi manta balki 3 baal par bhi kaafi Hai to ye gumrah bhi nahi. Ki khud bade aalim e deen (mujtahid) hai. (shariat se) Dalil rakhte hai,

Wese to sail ka Jawab yahi tak pura ho gaya. Ki etiqadi or amali Ki tadad puchhi thi, tafsir nahi., Magar kyuni ye bahut aham kalam hai to me munasib janta hu ki Iski tafsir bhi kar du ki, kya kya wuzu me farze etiqadi hai Or kya kya farz e amali hai, taaki ummat mere liye dua go rahe..or saail ka dil bhi qaraar paaye Or baad dafan me bhi nijaat..

Beshak iski tafseel bahut taveel hai, magar yakin jaane Yahan bas mukhtasar hi likhi jaati hai, ise mukammal  Naa samjhe. yani har ek point ki Bahut tafseel hai. jo ki mere liye yaha likhna goya Gilas me Jag ka paani utar dena hai.. Isilye sirf tadad par bas kiya jaata hai..

Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, (isme istasna ka zikar nahi hai)
(1)        munh dhona
(2)        dono hath nakhun se kohniyo tak dhona
(3)        sar ka masah
(4)        paaun

Farz e Amali: Har mazhab or maslak me alag hote hai magar Humare nazdeek wuzu me  12 Farz e Amali hain wo ye hai..
(1) dono lab (hont) (agar lab khoob zor se band karke wuzu kya
Or kulli naa ki to wuzu naa hoga
(2) bhanwen
(3) munchhe
(4) thodi ke upar or nichle hont ke bal
(5) daari
(6) kanpatiyan
(7) dono kohniya.
(8) anguthi, or har qism ke jaiz, najaiz gehne (jabki tang ho)
(9) maseh ki nami, sar ki khal ya khas bal jo sar par hai
(10) kam se kam chothhai sar ok istiab kar le
(11) takhno ke upri kinaro  se nakhoon tak har hissa, balki zarra zarra
(12) munh, hath, paun,  teeno uzw(part) ke tamam ke zarre zarre par paani bahana
والله أعلمُ بالـصـواب
Allah tala meri maghfirat kare. Or tehqeeq e jadeed me aql e saleem de
Suwal no. 3
Ahle-Qible kise kehte hain, or inki takfeer ka kya Hukm he ?

Jawab: 3 بسم الله الرحمن الرحيم
Ahle Qibla ki Behs me Dalail e Qahiraa.

Ahle qibla ki tareef Sharah Maqasid or Durr e Mukhtar me yun he.
اھل القبلۃ معناہ الذین اتفقوا علی ماھومن
 ضروریات الاسلام واختلفوافی اصول سواھا
 والا فلا نزاع فی کفرا
Tarjuma: Yani Ahle Qibla ke ye maine he ki jo tamam Zaruriyaat e deen ko manta ho aur un ke siwa,
Kuch aqeedo me ikhtilaf rakhta ho…
 -------------- ---------------------
Hukm e takfir
Ahle qibla ko (kab) kafir kahe ya nahi ?

Kanzul ummat me hai:
لاتکفروا احدا من اھل القبلۃ
Tarjuma: Farmate hai Huzoor (صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم) Ahle Qibla se kisi ko kafir naa kaho.  
Sharah Fiqh Akbar me hai: Hame apne nabi ki ye hadisen or imame-azam ka Ye farmaan yad hai
. ولانکفر احدا من اھل القبلۃ  Tarjuma: ahle qibla se hum kisi ko kafir nahi kehte

Durr e Mukhtar me hai:
تجوز منا کحۃ المعتزلۃ لانا لانکفر احدا من
  اھل القبلۃ وان وقع الزامالہم فی المباحث
Tarjuma: (hum) ahle qibla ki takfeer nahi karte Agarche behes ke tor par unpe kufr ka ilzam sabit hai

Fatahul Qadeer me hai:
الحق عدم تکفیر اھل القبلۃ وان وقع الزاماً لھم فی المباحث
Tarjuma: Haq Ahle qibla ki adm e takfir hai agarche (unpe) behes me lazimi tor par unpe kufr waqeh hua hai
​​------- -----------------------
Asl baat ye hai ki istila e aimma me ahle qibla wo hai Jo ke tamam zaruriyaat deen par iman rakhta ho
(agar) in me se ek baat ka bhi munkir ho to Qata’tn, yaqeenan ijma’ann kafir murtad hai Wo bhi aisa ki jiske kufr me koi shak kare khud kafir (jiska dalail niche diye gaye hain)

Shareh maqasid me hai:
اھل القبلۃ المواظب طول العمر علی
 الطاعات بصدور شیئ من موجبات الکفر عنہ
Tarjuma: jis ahle qibla se koi kufr sadir ho Weh kafir hai agarche tamam ibadaten kare

Al- behr-al khalaiq me hai:
من خرج بیدعتہ من اھل القبلۃ کمنکری
 حدوث العالم ،  فلا نزع فی کفر ھم لانکار ھم
Tarjuma:  jo koi bad aqeedgi ki wajah se ahle qibla Se kharij ho jayen, unke kufr me koi naza’a nahi

Sharah fiqh akbar me hai:
لا یکفر اھل القبلۃ الا فیما فیہ انکار
ما علم مجیئہ بالضرورۃ اوالمجمع علیہ
 کاستحلال المحرمات
Taruma: Ahle qibla ko kafir naa kaha jayega, Magar jab (kaha jaega) zaruriyaat e deen ya ijm’ai
Baton se kisi baat ka inkar Karen jaise, Haram ko halal jane.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 4
Kisi ne pehle zakat nahi di or wajib thi, or ab bhi hai to kya pehle ki or ab ki dono zakat dega

Jawab: 4  بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 5
Kisi par pehle zakat wajib thi usne nahi di or ab wajib nahi to kya ab pehle wali zakat deyga ya nahi ?

Jawab: 5  بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han
 أعلمُ بالـصـواب تعالیٰ والله

Suwal no:6
Napaki kin kin chizo se hoti hai, ?

Jawab:6  بسم الله الرحمن الرحيم
Me sail ke is Suwal se itna samajh paa raha hu Ki wo puchna chahta hai kab admi napak
Ho jata hai, kab ghusl farz/wajib hota hai  5 Chize paai jaye to Insan par ghusl wajib hota
Hai, jinka zikr hum aage kuch mukhtasar Tafsil se karenge.
1.         mani ka apani jaga se shehwat (sex) ke sath nikalne se ghusl wajib hota hai,         maslan: kisi ne gande khyal jama kar apne hi hath  se (mazallah) mani nikali to ghusl wajib hai, or agar ye mani shehwat ke sath jhatke ke sath naa nikli bas gandi chiz ko dekhne se qatra ya safed pani nikla or uska nikalna maloom bhi nahi hui to wo mani nahi yani uspe ghusl wajib nahi.
2.         Ehtilaam:- Sote me mani ka nikalne se ghusl wajib hai, Isme shart hai ki. Kapde par nishan paya jaye. Agar ehtilaam hona yaad hai, ya khwab yaad hai, Magar kapde par mani ka koi nishan nahi to ghusl wajib nahi,
3.         Dukhul:- Koi mard apne sharmgah (penis) ko kisi aurat ki Sharmgah (vagina) me ya Peechhe dubar (bum) me dakhil kare. Mard, mard ki Peechhe dakhil kare, in suraton me ghusl wajib Dono par hai, chahe mani nikle ya nahi
4.         Haiz- Jab aurat haiz se farig ho jaye to ghusl wajib hai.
5.         Nifas- Aulad ki wiladat ke bad jo aurat ko khoon ata hai Use nifaas kehte hai, usse farig hone ke bad.

Madani Mashwara:
Yaqeenan, har aqil baligh musalman par in baato ka sikhna Farz hai, magar, baz log sharm se in choze ko nahi sikhte Or naa kisi se puchte hai, or kabhi in bato ko kisi aalim e deen Ki bargah me jaa kar sikhte hai, Khuda bhala kare sail ka ki isne logo ke liye ye Suwal karke aasani kar di. Allah tala ise dono jahan me bhalaiyan ata kare.
Or humne har chiz ka zikr  saaf saaf byan Kar diya. or masail sikhne me logo ko allah ka ye farman bhi yaad rakhna chahiye ki Quran me Allah Ka irshad hai:
Aur Allah Haq farmane me nahi sharmata” (Para:22, sureh:ahzab, ayat:53)
 والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 7.
Baaz namaziyon ko ba-sabab e kasrat namaz naak ya peshani par jo siyah daagh ho jata hai. Zaid kehta hai  ke jis ke dil me bugz ho ye us ke dil ka daagh zahir hota hai. Kya zaid sahih kehta hai. Or ye dagh se kya kuch faida hai?

Jawab:7  بسم الله الرحمن الرحيم
Allah Ta’la Sahaba or Huzoor  (عليه السلام) ki shan Me irshad fermata hai:
Un ki peshani unke chehron me hai sajde ke asar..
Sahaba or tabaieen se is nishaani ki tafseer me 4 qaul masoor hain

1.         weh noor jo roze qiyamat unke chehro par barkate sajdeh se hoga
            is qaul ke raawi- Hazrat Abdullah bin Abbas, Hasan basri wagera hain,
2.         khushu a khuzu wa roshni jiske aasar saleyheen ke chehron par duniya
            hi me zahir honge.
            Is qaul ke raawi- Hazrat abdulla bin abbas, imam mujahid hain,
3.         chehri ki zaradi ki, qiyam (namaz) e leyl o shab bedaari main peda hoti hai
            is qaul ke raawi- imam hasan basri wa sihak o ekrama shamr bin attiya he
4.         wuzu ki tari aur khak ka asar ki, zameen par sajda karne se maathe aur
            naak par mitti lagi jaati hai .
            is qaul ke raawi- imam saeed bin jubair, wa ekrama se hai,
baki tafseel FATAWA AFRICA me padhi jaa sakti hai.
Khulasa e kalam hai ye ki,
dikhawe ke liye qasdan nishan paida karna Haram e qatai or gunah e kabeera hai or weh nishan jahannam
ka nishan hai Jab tak tauba naa kare. Aur agar nishan sajdo ki kasrat se khud padh jaye to agar ye sajde riyai (dikhawe) ke the aisa karne wala jahannami Aur ye maathe par sajdo ke nishaani ki nishan agarche khud  paida hua ho Or agar sajde mehez allah ke liye the or ye is nishan ke padhne se khush hua Ki log mujhe ibadar guzar, sajid janege to ab riya aa gaya,
Or agar ise is nishan ki taraf kuch ittifaq nahi to ye nishan, nishan e mehmood hai Or ek jamat ke nazdeek ayat e kareema me iski tareef hai,  Ummid hai ki qabr me firishton ke liye iske imaan wa namaz
ki nishani ho aur roze qiyamat suraj se zyada noorani ho, Jabki aqeeda ahle sunnat wa jamaat ka ho
Warna badtareen gumrah ki kisi ibadat or nishani par nazar nahi hoti.
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 8
Hazrat aap hi bataye isme ye jo behes hai ki aaj kal Short me bas Salam kara Jata hai or isi tarah log short me “wks” likh kar jawab de dete hai, kya ye sahi he ?

Jawab: 8  بسم الله الرحمن الرحيم
Cham-chamata “ilmi heera” la-ilmi ki khaan me,
Musalmano ko adab sikhata SALAM ke byan me

Sirf “Salaam” keh dene se bhi salam ho jaata hai

Jaisa ki,
Ki quran ke para : 14 ayat:52 me lafz “salam”   salam hi ke liye farmaya gaya

Bahar e Shariat Jild:3 Page:465 par hai,
Kuch (log) kehte hai “SALAAM” isko bhi salaam kaha jaa Sakta hai,
or isi me hai
salaam” ke Jawab me “salaam” keh diya, Ya وعلیکم keh diya. Jab bhi Jawab ho gay

Musalmano ko Salam Ka Andaz Sikhate huye. Mere AQA ALAHAZRAT IMAM AHLE SUNNAT, ASHAH
AHMAD RAZA KHAN Fatawa Razaviya Jild: 22, Page:408 Pe farmate hain,

Kam se kam,, السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ     Or isse behtar وَرَحْمَةُ اللهِ    Or sabse behtar وَبَرَكَاتُهُ Shamil karna .

Or farmate hai   
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ ke Jawab me السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ   kehne se bhi jawab (ada) ho jayega. Magar sunnat hai ki وعلیکم السلام kahe ..
--- -----------
AHAM MAS’ALA
Likhe hue (written) salam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi forn Jawab Mun se de de, der ki to gunahgar hoga,  Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki
Log is (masale) se ghafil hain,  
Tabhi alaHazrat jab khat padha karte to khat Me jo salam likha hota hai uska Jawab zuban se (foran)
Dekar, bad me aage khat padhte.
---------- -----------------
Khulasa e kalam ye hai ki, Jab shariat me ‘salam’ kehna jaiz hai to Kam az kam salam hi kaha jaye magar.
Jawab me bhi ‘salam’ keh diya jaye Or behtar hai ki pura kare. Jaisa ki imam ne smjhaya. Magar
“Wks”.. kuch nahi hota.. isse parhez chahiye..
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Suwal no. 9.   
Aaj kal dekha jata hai ke kuch buzurg log masjid me kursi par namaz padte hain.  Halanke wo ghar se khud apne pero se araam se chal kar aate hain Kya inka aisa karna durust hai?  ​​Ye bhi irshad farmayen ke kab qayam saqit hota hai!
​​ 
Jawab: ​9  بسم الله الرحمن الرحيم
​Aisa karna bilkul durust nahi is liye ke khade hone se mahaz kuch takleef hona uzr nahi balke qayam us waqt saqit hoga k khada na ho sake ya sajda na kar sake ya khade hone me ya sajda karne me zakham bahta hai ya khade hone me qatra aata hai ya chothaai satr khulta hai ya qirat se majbure mahaz ho jata hai yun hi khada ho sakta hai magar usse marz me zyadti ho hoti hai ya der me acha hoga ya na qabile bardasht takleef ho gi to baith kar padhe or . agar asaa yani stick ya khadim ya deewar par tek laga kar khada ho sakta hai to farz hai k khada ho kar padhe.   agar kuch der khada ho sakta hai agarche itna hi khada ho ke allahuakber kah le to farz hai k khada ho kar itna kahe  
Bahare Sahriat hissa 3 Jild: 1, Safah: no 58/59
والله أعلمُ بالـصـواب
(Jawab: Maulana Faiz ahmad qadri, manzar e islam)
---------------------------------​

Suwal no. 10
Kuch log wuzu ke bad masjid me aakar pehle baithte hai, Fir namaz padhte hai. kya inka aisa karna durust hai ?

Jawab 10  بسم الله الرحمن الرحيم
Esa karna sunnat ke khilaf hai. chahiye ki wuzu ke bad sunnat padhe. Agar jamat he to jamat me shamil ho.
والله أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 11  
kuch logo ko dekha gaya hai ki wo masjid me jagah khali hone ke bad bhi Apni te-shuda jagah par bethte hai, or baz apna rumal rakh dete hai iska kya hukm he ?

Jawab:11  بسم الله الرحمن الرحيم
Isme chand surate ho sakti hai,  Agar logo ne khud pehli saf tark karke Pichli saf me bethe hain, to ye unki
Kam aqali hai, or Peechhe se aane wale Is surat me agli saf me(jaha jagah khali thi) Me gaya to thik hi kiya, ki ye izzat unhone Khud khoi, chahiye the ye ki pehle awwal  Saf ko bharte, or agar saf e awwal Pehle se mukammal thi fir koi shaks Jabrnn usme aata ki to ghalat hai ki, isse Saari saf kharab hone ka khatra hota hai Or namazio ko halat e namaz me Khushu khuzu hasil nahi ho pata

Agar pehle saf me jagah khaali thi, fir Bhi koi khud jaan kar usme nahi bethta Peechhe bethta hai to, gunahgar nahi, Han, saf e awwal ke swab se mehrum Zarur hai, or afazal yahi tha ki pehli saf Me jaata magar tark e afzal par shariat me Koi gunah nahi,

Or isi tarah bahut log wuzu karne jaate hai to Saf me apna rumaal rakh dete hai. Isme bhi koi HARAJ NAHI. Yahi bahar e shariat or  Fatawa Amjadiya Jild:1 Page: 265  se zahir hai.. Ja-namaz par rumal rakhne me koi harj nahi
Aaj maujoda dor me haal yahi hai. ki Logo pehle saf me jaana pasand nahi karte Agar ye hota ki Pehli saf walo ko Rs.500/- diye jaate to Shayad ye Peechhe bethne wala, fajr bad Zohar ka intizar bhi karta or ghar naa jata Or isi tarah isha bad, fajr ka intizar karta Or saf e awwal ki jagah naa jaane deta.
والله أعلمُ بالـصـواب
 
Suwal no. 12
Kya Wahabi ke Peechhe namaz Padh sakte hai. ?
 
Jawab:12  بسم الله الرحمن الرحيم
Wahabi, Deobandi, Balki Siwaye Ahle Sunnat (Bareilvi) Imam ke, Har khabees ke Peechhe Namaz Naa padhe, Agar kahin aisi jagah ho, Jahan sunni imam nahi to bad jamat e wahabia Apni namaz padhi jayegi, Or agar din jume ka hai to, jumma bad apni  Zohar padhi jayegi, ki wahabi ki namaz, namaz nahi,
 
Jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai  
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
 
Or isi FATAWA RAZAVIYA me aage Jild: 6, safah: 621 par  Likhte hai.  
“Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma wa eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe namaz batil mehez hai”
 
Or aage isi FATAWA RAZAVIYA Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai 
“Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai”
 
Fir isi FATAWA RAZAVIYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”
 
Or aage badte hue Imam, ummat ki rehnumai karte hai or Isi FATAWA RAZAVIYA JILD: 24, SAFAH: 501 par likhte hai
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai, “
- - - -  -  - - - - - -          
Itne bade maulvi balki aalim, balki mufti balki  muhaddis, balki mufassir balki mujaddid balki mujaddi e azam, balki Imam e AHLE SUNNAT or wali e kamil ke itne fatwo ke bad saaf zahir hai. wahabi ke Peechhe namaz batil hai, jaiz nahi, Or fir bhi koi jaan lene ke bad bhi padhta hai to wo jahalat ke darje par kitni bulandi Hasil kar chuka hai. ye har ahle aql par roshan hoga.
والله أعلمُ بالـصـواب
 
Suwal no. 13 
agar ek shaks 1 lakh Rs chhod kar mara hai or uski 1 biwi or 1 ladka or 1 ladki hai to wo 1 lakh me se kisko kitna hissa milega  irshad farmaye

Jawab:13  بسم الله الرحمن الرحيم
Tamam tarif usi zaati ilm wale allah ki jisne roka aasman ko Bina sutoon ke or ilm e fiqh ki tehqiq me, be-aqlo ko qabil e tehqiq kiya. Or wahi ilm wala janne wala hai. or deta hai jise chahta hai apne ilm ke hisse se, or ghaib se madad karta hai, besaharo ki, nafa bakhsh wata hai makhlook ko makhlook se
or durood us habeeb or rasoolo ke rasool par or har aale-rasool o ashab par (صلى الله عليه وسلم  عَزَّ وَجَلَّ و)
 -  - - - - - - -
Agar mayyit ki biwi ke sath mayyit ka beta Beti (pota poti…) ho to biwi ko kul maal ka 8va hissa diya jayega. (Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:450)
Kul maal = 1 lakh Hai,
8va hissa = 12,500  (1,00,000/8=12,500)
bachi raqm = Rs. 87,500

agar beti ke sath mayyit ka ladka bhi ho to beti ki nisbat ladke ko do-guna hissa banega
(Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:448)

Bache maal ka do-guna hissa
yani
87500/3= 29166.66
Yani
29166.66 + 29166.66 + 29166.66
Beti ka hissa = 29166.66

Bete ka double hissa = 58333.33 (29166.66 + 29166.66)

(33 paise or 66 paise ki barabar taksim Ki wajah se beta beti ke raqam me 1 paise ka Fark, kyunki ab, aane or paise nahi chalte to Ye 1 paise ka apas me sulah kar sakte hai)
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.14
Hazrat agar kisi ne Gusse me 3 talaq de di to kya talaq ho gai ?

Jawab:14  بسم الله الرحمن الرحيم
Pucchi gai surat me aurat ko 3 talaq Ho gai, or ye aurat us aadmi ke liye Humesha ke liye haram ho gai
Ab fir usse nikah nahi kar sakta. Baghair halala kiye
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.15
Khade ho kar nahaye ya beth kar ?

Jawab:15  بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz dono surate hain, Magar adab bethne me zyada hai
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.16
Hamare nabi ki kitne Nawasa or Kitne nawasi thin,

Jawab:16  بسم الله الرحمن الرحيم
Apke kul nawasa nawasio ki tadad 9 thi,  Jinme 5 Nawase or 4 Nawasiya thin
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 17
Hamare Pyare nabi ki janaze ki namaz kisne padayi ?

Jawab:17   بسم الله الرحمن الرحيم 
Huzroo ki namaz janaza ke liye log giroh dar giroh, Aate or namaz ada karte magar koi imam naa tha.
Jaise ki Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi (madarijun-nabiwat) me tehreer farmate hai.

Janaza tayyiar hua to log namaz e janaza ke liye tut padhe, Pehle mardo ne fir aurton ne fir bachcho ne namaz e janaza padhi,  Janaz e mubarka hujra e aqdas ke andar hi tha, Bari bari se thode thode log andar jaate the aur namaz padh Kar chale aate the, lekin koi imam naa tha.
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 18
Kya farmate hain aalim e deen is tehqeeq key Bare me or Hazrat aapki kya ray hai is byan me
Ki imam e azam ka laqab “abu hanifa” kaise padha. Or jo log kehte hai unki ek beti thi, hanifa naam ki
Jisne kuch aurato ke Suwal ka jawab diya tha or is shart, Pe ki Jawab ke bad aap mera naam lagaoge. Wagera. Durust hai ya nahi..

Jawab:18  بسم الله الرحمن الرحيم
Ye jo logo ne byan kiya ki …. kuch aurate imam sahib ke  Paas aain or ye Suwal kia ki jab mard 4 shadi kar sakta Hain ro aurat kyun nahi, or imam sahib ke pas iska jawab Naa tha. Apne walid ko pareshan dekh kar. Imam sahib Ki beti ne un aurato ko Jawab de diya. Uske baad se Aap abu hanifa yaani (hanifa ke walid) ke naam se mash’hoor Huye.
Awwal to ye ki ye kissa kisi motabar kitab se meri nazar Se Nahi guzra jisse jis kitab se guzra wo motbar naa thi.
..
Haq ye he ki, imam sahib ka sirf ek beta tha jinka naam Hazrat hammad hai, iske siwa koi aulad hi nahi
To beti ka tasawwur hi nahi. Fir logo ka ye kehna ki un aurato ke Suwal ka Jawab Imam sahib se nahi diya gaya. Mehez be-buniyad lagta hai. Dalail e aqliya ke pahad khade kar dene wale imam Se kaise is Suwal ka Jawab naa bana. ? Jinke bare me ye mash’hoor hai ki. Ek palle me abu hanifa ki aql rakho or doosre me Baki logo ki to imam ki aqal ghalib ayegi. Jinke bare me ye mash’hoor hai. ki Abu hanifa chahe to pillar ko sone ka sabit kar de.
Or jo logo ne unki kunniyat Abu Hanifa padh kar ye Andaza kiya ki “hanifa ke baap” Main kehta hun (allah hi ki tofiq se) to fir Abu huraira ko kiya samjha jayega. “billi ke baap” ? Abu turab ko kya samjha jayega “mitti ke bap” Hargiz nahi Balki kunniyat me “abu” ka matlab humesha “baap” Ke nahi aata kabhi “wale” ke liye bhi aata hai. Jaise ki Abu huraira or abu turab se zahir hai. To fir imam ki kunniyat ko mehez “bap” ki buniyad pe hi Kyun parkha jata hai, Jabki haq ye hai ki. Siwaye beta, unki koi beti thi hi nahi. Balki ahle faras dawaat ko farsi me “Hanifa” kehte hain. Or imam or unke shagird hamesha Apne sath ek kalam dawaat rakhte the Jiski wajah se unhe “abu hanifa” (dawaat wale) Ke naam se jaana jata hai.

Or baz ne kaha, deen e haneef ki wajah se Abu hanifa kaha gaya. Magar kisi ki ray me beti ka tazkira nahi.
(siwaye ek qol ke) magar wo hujjat qayam nahi karti

Sawane imam e azam Page: 59 par hai. “Zyadatar is baat ki taraf gaye hai ki aapke Ek beta tha jinka naam apne hammad rakha  Tha, Inke alawa koi aulad nahi thi.”

Sawane imam e azam Page: 60 par hai. “Aap apne sath kalam dawat rakhte the or Ahle faras dawaat ko hanifa kehte hai,
Or baz ne kaha Aap shiddat se haq taraf raghib or kasrat se Allah ki ibadat karte so, apka naam abu hanifa hua. Or baz ne kaha, Aap mustamil paani ko istimal ke qabil nahi samjhte the Isilye totiyon ka istimal hua, kyunki toti ko hanifa kehte Hai isilye ap abu hanifa hue.

Hafiz Shasuddin ne likha, Baz afraad ne kaha ki apki beti hanifa naam ki thi Lihaza aap abu hanifa huye..
LEKIN aapke tazkira nigaron me se ek jamat ne YAKEEN ke sath kaha ki aap ki koi beti naa thi,
Or beta bhi hammad or koi naa tha.

Abu hanifa naam Ki wajah bhi guzar chuki to, saaf hai, Aap ki koi beti nahi,. Siwaye ek bete “hammad” ke,  Or humari ray humari tehreer se zahir hai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 19
Mera ek friend hai Muslim wo Nishant naam ke boy se larki ki awaz nikal ke bat karta he or usne usko apna naam bhi samya bataya he or usse recharge bhi karwata he kya ye sahi he mujhe warsi ji ka Jawab chahiye warsi ji plz urgent requirement for this question.

Jawab:19  بسم الله الرحمن الرحيم
Haram haram haram. Ladki bankar kisi ko dhoka dena haram. Dhoka de kar phone me recharge karwana haram. Or aise fel e haram se sache dil se toba karna wajib hai.  Or use sach bata kar paise wapas dene ki surat nikale. Warna maaf karye. Ye paise uske zimme baki rahenge ki is tarah dhoka dena kafir ko bhi jaiz nahi. Or musalman ho kar musalman ladki kaa naam istimal karna ala darje ki behayai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 20.
Ek sheher me logon ne ittifaq ke saath ek makan namaz padne ke liye banaya or us ka naam ibadat gah rakha gaya masjid naam nahi rakha is ki wajah ye ke kabhi admi namaz na padhe to wo ibadatgaah
bad dua na kare. Ab us makan me beth kar dunya ki baten karen to ye jaiz hai ya nai? Or us masjid me jumua or eiden ki namaz bhi hoti hai lakdi ka mimbar bhi hai. Lekin mehraab nahi bani to makan ka martaba masjid ka hoga ya nahi is me dunya ki bate karna durust hai ya nai?

Jawab:20  بسم الله الرحمن الرحيم
Jis makan ko ibadatgah ka naam diya gaya, Taki log usme namaz padhe to usme namaz ki Ijazat din ya khas namazo ke liye di gai ya mutlaqan. Yani sirf juma ya eed ramazan wagera me hi makan ko namaz ke liye khali rakha jata hai ya aam din bhi agar aisa nahi Or usme waqt ki koi qaid bhi nahi or waha namaz
Juma eed bhi hui, to wo masjid hi hai, Fir chahe uska naam ibadatgah hi rakha jaye Or ma’ne ke aitbar se musalman ke liye uska ibadatgah Ko masjid hi kehte hain, or masjid ko masjid hone ke liye Miran ya mehrab ka hona zaruri nahi, ittifaq ke sath, (jaise ki Suwal me hai) musalman ne mil kar namaz ke Liye makan mukarrar kiya or arkaan e islam (namaz) Bhi ada hui balki jume balki eed bhi…  Or ye makan (agar) khas waqt ke liye nahi tha to. Masjid hi hai Ab jab wo masjid hi hai. to us par sare ehkam masjid ke hi
Honge. Yani wahan beth kar jaiz baate karna bhi najaiz hain Or bator e tafrih yaha majma laga kar bethna or baate karna,  Khana peena kuch jaiz nahi, be-niyat e etikaaf.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 21  
Touba ki ummid par jaanboojh kar gunah karna kaisa? Maslan yaar abhi to mere matlab ka gaana (song) ya movie  wagera aa rahi hai isko sunne ya dekhne ke baad ya iske  alawa bhi koi Gunah kar lu fir touba kar lunga.  Aisa karna ya sochna kaisa. ?

Jawab:21  بسم الله الرحمن الرحيم
Tauba ki 4 sharait hoti hai.
1.         pichle gunah par sharmindagi
2.         haal me ise chhor dena
3.         mustaqbil me kabhi iski taraf naa lotna
4.         gunah ki talafi ho (haq wagera ke mamle me, to use de)

agar koi shakhs filhaal to gunah chhor de magar ye ki fir kar lunga or tauba kar lunga is tarah kare to
sachi toba karne walo me shumar nahi. Or is tarah ka irada karne walo ke liye ek hadis Shuabula iman me naql hai jiske raawi ibne abbas hai, Farmate hain: Gunah par qayam reh kar tauba karne wala, apne rab ka Mazak udane wale ki tarah hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 22
Namaz ke har rukn me nazre kaha honi chahiye ?

Jawab:22  بسم الله الرحمن الرحيم
Qiyam me- Sajde ki jagah
Ruku me-Qadmo par
Koma me- sajde ki jagah
Sajde me- naak par
Qa’da me- God me
Or namaz me ye fail mustahab hai, Or iske khilaf bhi kare to namaz ho jayegi
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 23
qa’ada akhira me agar muqtadi durood pak tak hi padh  paya or imam ne salam fer liya to kya muqtadi ko bhi usi waqt salam fer lena chahiye ya azabn-naar Tak mukammal padh kar salam fere?

Jawab:23  بسم الله الرحمن الرحيم
Tashahud padh chuka ho or durood naa padhi ho Ya durood bhi padh li ho or dua naa padhi ho.to bhi
Salam fer sakta hai. or agar tashahud yani attahiyyat Abhi mukammal naa hui ho to, chahiye ki puri kare.
Imam ke salam fer-ne se muqtadi namaz se bahar Naa hoga jab tak khud ka salam naa fer le.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 24
Etikaf ki halat me agar reeh baar baar aye to kya kare?

Jawab: 24  بسم الله الرحمن الرحيم
Gair e motakif ko masjid me reeh kharij (gais) karna makruh hai. Or etikaf wale ko ye bhi nahi..
Jaise ki
FATAWA RAZAVIYA Jild:16 Page:289 par Mere AQA AlaHazrat imam ahle sunnat, Ashha imam AHMAD RAZA KHAN (alaihirrehma) Ne Chamkte suraj ki tarah SAAF Byan farma diya ki.
Masjid me hadas yani (reeh) kharij gair e mutakif ho makruh Use chahiye ki aise waqt bahar jaaye. Fir chala aaye. Warna sabse behtar ilaj hai ki etikaf ki niyat se masjid me bethe..
(yahi etikaf wala is kaam ke liye masjid se bahar nahi jaa sakta)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 25
Agar kisi ne imam ko ghalat lukma de diya hai aur imam ne Le liya yaa nahi liya (dono surato me kya hukm e shariat hai) Hazrat rehnumai farmaye.

Jawab:25   بسم الله الرحمن الرحيم
Muqtadi ko shak hua ki imam ne kuch chhor diya hai. Jabki imam ne durust padha tha,
Lihaza usne luqma diya aur iman ne le liya to sab ki Namaz jaati rahi, Agar imam ne nahi liya to sirf luqma dene wale ki namaz gai,
Jaisa ki,
Mere AAQA AlaHazrat Imam ahle sunnat
Azeem ul barkat
Azeem ul martabat
Mujaddid e deen o millat
Parwana e shama e risalat
Imam e ishq o muhabbat
Wali e neymat
Peer e tariqat
Aalim e shariat
Haamiyae sunnat
Maahiye bid’at
Qa’taye Najdiyat,
Bais e khair o barkat
Al-Haaj, Al-Hafiz, Al-Mufti
Asshah IMAM AHMAD RAZA (alaihirrehma)
Apni
Maqbool e do jahan, Tasneef Yani
Al-ataya nabawiya fi Fatawa Razaviya,
Al-Maroof
FATAWA RAZAVIYA Jild:7, Safah: 284 par Irshad Farmate hain:

“Jab use (muqtadi ko) shubah (shak) ho to Mumkin hai isi (muqtadi) ki ghalati ho, Or ghalat batane se iski namaz jaati rahegi, Or imam akhz karega to uski aur sabki namaz Fasid hogi,”
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 26
Taraveeh ,me agar koi shakhs neend ki halat me ho bedhyani me uska ruku Chhoot jaaye or phir wo sab
ke saath sajde me chala jaaye to Aesi surat mei kya uski wo rakaat muqammal hogi.

Jawab;26 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi muqtadi ne ruku mutlaqan chhor hi diya Yani namaz puri kar li or ruku kiya hi nahi to
Ye Suwal nahi karte ki rakat mili ya nahi Balki ye pucho ki unki namaz hui bhi ya nahi,
Durre mukhtar (misri) Jild:1 Safah:348
Se to mujhe yahi zahir hota hai, ki Agar muqtadi ne mutlaqan ruku chhor hi diya Jaisa ki Suwal se zahir hai ki, muqtadi ne sidha Sajda kar liya (yani ruku kiya hi nahi). To Namaz batil hogi, Jaisa ki
Fatawa Razaviya me hai: Agar muqtadi ne bilkul ruku hi naa kiya. Ya ruku kiya magar imam Ke ruku me jaane se pehle hi sar utha liya, aur imam ke sath dobara Shamil naa hua, ya imam ke bad ruku naa kiya to namaz batil hogi,
(Fatawa Razaviya Jild:7 Safah: 277)
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 27
Kuch log aksar namaz ke baad masjid me so jaate hain ya phir let jaate hei kya ye sahi he matlab kya masjid me sona jayez hei

Jawab 27. بسم الله الرحمن الرحيم
Etikaf wale or musafir ko harz nahi. Baki logo ko aisa nahi karna chahiye.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 28
786 aur 92 ka kya matlab he

Jawab 28. بسم الله الرحمن الرحيم
786 bismillah shareef ke adad hain.  92 Huzoor  (عليه السلام) ke naam e pak Muhammad (alyhisalam) ke adad hain.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 29
Agar kisi majlis me allah wa rasool ka zikr ho raha ho ya koi mas’ala bayan kar raha ho. To us waqt agar koi bada alim e deen ya koi mufti sahab aayen to kya us doraan unke aane par naara e takbeer kerte  huye khada hona kaisa hai?

Jawab: 29  بسم الله الرحمن الرحيم
G, khade ho sakte hai, kyunki ye fail unki tazeem ke Liye kiya jaata hai, Or bahar e shariat me he Tilawat ke waqt bhi walidain or ustad ke liye khade hone ka hukm mojood hai,
Or AlaHazrat imam e ahle sunnat
FATAWA RAZAVIYA Jild: 22 Page: 415 par Likhte hai,
Aalim e deen aur sultan e islaam aur ilm e deen main, Apne ustaad ki tazeem masjid me bhi ki jayegi,
Aur majlis e khair me bhi ki jayegi, or tilawate quran e azeem me bhi,
Magar kisi ki aamad par naara buland karte huye khade hona mana hai, Ki zikr e khuda gair khuda ke liye nahi kiya jaa sakta, or allah ke zikr ki Niyat se kiya to thik, magar aaj kal jalso me jo stage par aalim ke aate Hi naare lagate huye khade ho jaate hai ye ghalat hai, kewal khade ho sakte Hai uske liye nara yani zikr nahi kar sakte, or dekha bhi yahi jaata hai ki, Log wo zikr yani naara khuda ke liye nahi balki unhi ki aamad par lagate hai, Ye jaiz nahi..
Isi tarah kisi ka koi saman bechte waqt, allah ka zikr karna bhi najaiz hai, kyunki yaha zikr allah ki bulandi ke liye nahi balki saman ki shohrat gahak ke dil me bethana maqsood hai,  jaise ki
Bahar e Shariat Jild: 1 Safah:533 par hai,
gahak(customer) ko soda dikhate waqt tajir ka is garz se durood shareef padhna ya ?subhan allah? kehna ki is cheez ki umdagi khareedar par zahir ho ye najaiz hai,

Isi tarah log ulama ke aane par Peechhe se zor se naare lagate hai taki aage bethne walo ko ulama ke aane ki khabar mile to ye aane wale ki tazeem ke liye hai, zikrullah ki niyat se nahi, aur allah wa rasool ka zikr aane wale ki khabar dene ya tazeem ke liye uthane ke liye ho to ye bhi najaiz, Age isi kitab yani
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:533 par hai,
“kisi bade ko dekh kar durood sharif padhna is niyat se ki logo ko uske aane ki khabar ho jaye uski tazeem ko uthe, aur jagah chore ye najaiz hai,”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 30
Minber yaani har wo jagah jahan zikrullah ya naat padne ki jagah ho us mimber par fasiq ka khada hona kaisa hai?

Jawab: 30 بسم الله الرحمن الرحيم
Minber(stage) yaani har woh jagah jaa-e tazeem hai, Or fasiq chunki la’ik  e tazeem nahi or laik e mazammat hai, Aise stage par fasiq ko khada karna khwa wo naat ke liye ho ya waaz ke liye, jaiz nahi, Or minber par mojood shakshiyat ko kyunki izzat ki Nazar se dekha jaata hai, or fasiq ki izzat ke bare me Ahadees warid hain jinka khulasa hai ki, inki tazeem allah wa rasool ki  Narazgi ka sabab hai or asman ke tharra jaane ka zariya, Lihaza jiske dil me ishq e rasool hoga wo naat padhne se Nahi balki sunnat par amal se zahir ho jayega. Or jo fasiq hai Goya uska dawa e mohabbat beja hai, ki mohabbat to naam hi Mehboob ke qaul or fel ki  perwi ka hai, Or jab fasiq ne allah wa rasool ke ahkam ki laaj hi naa rakhi To kyunkar use zeenat e stage banaya jaye,  
Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 42 par hai:
“Fasik wa fajir ko, mimber pe bethana haram hai, Isse meelad padhwana gunah, or sunna najaiz, Majlis e khair usse padhwaye jo fasik wa fajir naa ho”
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 31
kya fasik ko salam kar sakte hen. ?

Jawab 31  بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis me fasik ki tazeem karne ki manahi aai he. Or salam karna tazeem hota hai. Or fasik ko salam
Me pehl naa kare.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 32
agar Walden fasik ho to kya hukm he to unki tazeem,  or fasik ladki se nikah karna kaisa h.

Jawab 32 بسم الله الرحمن الرحيم
G. Ha waliden ki tazeem ki jayegi. Unke gunah unke or unke khuda ka mamla hai.  Hame hukm he ki waliden se uff tak na karo. Balki AlaHazrat ne to yaha tak farmaya ki waliden  ko razi rakhna wajib hai. Fasik to fasik shariat ne to kafir waliden ke sath bhi achche suluk ki targib di hai. To kya fisq, kufr se bad kar gunah hai.? Jab kafir waliden ka ye haal hai to fasik waliden ki tazeem kyunkar lazim naa ayegi. magr khilaf e shariat baat pe unki perwi nahi ki jayegi chahe wo naraz ho,
Pehle to ye ki ladki ke liye lafz fasikah istimal karna chahiye or mard ke liye fasik. Ab raha usse nikah to main kehta hu agar unke nikah naa hone ka fatwa diya jaaye to bas ladki hi ka kya kusoor. Aaj kal ladke ladkio se zada fasik hai.  Khud dulah fasik hota hai. Jab uski shadi ho jaati hai to ladki ka puchna hi kya.
Unme to fir kuch haya hai ki unke gunah itne ailaniya nahi..
Behr haal khulasa e kalam ye he ki.
Fasik Waliden ki bhi tazeem farz hai.. Fasikah se nikha ho jayega.
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no. 33
koi shakhs napak kapde pehan kar Quran ki tilawat kar sakta he ya nahi, agar tilawat ki to gunah gar hoga ya nahi hawala inayat farmaye

Jawab 33  بسم الله الرحمن الرحيم
Quran ki tilawat ke liye padhne wale ka pak hona farz hai wuzu ke sath.  Or pak admi agar napak kapda pehen le to napak nahi ho jata.  Agar napak kapda quran pe naa lage to. Quran ki tilwat to kar sakta hai
or gunah bhi nahi. Magr behtar yehi he ki pak kapde pehne jaye.. ki ye khilaf e urf hai or isse bchna hi chahiye..
واللہ اعم بالصواب

Suwal no. 34
eid ki namaz aurte kitni rakat padti hen aur niyat kaise ki jati he ?

Jawab 34 بسم الله الرحمن الرحيم
Eid ki namaz padhne ke liye wahi sharte hai jo juma ke liye hai. Aur Aurt eed ki namaz nahi padti...
Aurto par eed or juma ki namaz padhna wajib nahi.. Aurat ko kisi jamat ki hazri jaiz nahi. Juma ho ya eed.
Jaisa ki Fatawa Faizur rasool Jild: 1, Safah:425 par hai   “Aurato ko eedgah ki hazri jaiz nahi.”
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no. 35
Mujhe ek shaks se rupey lena the. Kai saal beet gaye lekin wo taal-matol karta raha. Fir bhi main zakaat calculation me har saal us raqm ko jod kar zakat nikalta raha. Lekin fir mujhe lagne laga ki ab paise wapis nahi milenge. Isliye us raqm ko (doobi raqm man kar)  zakat calculation me jodna chhor diya. Fir achanak se ek din wo raqm wapis mil gayi.  Ab maslaa ye hai ki jin saalo me maine us raqm ko doobi maan kar nahi joda tha kya un salo ki zakaat bhi deni  hogi..?

Jawab 35 بسم الله الرحمن الرحيم
G. Han deni hogi.
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no. 36.
Jo shaks ye kahe ki kisi ki rooh kisi Insan ke badan me chali jati h to us par kya hukm he koi kam ilmi se kahe ya jankar  Dono ka hukm batayen

Jawab:36 بسم الله الرحمن الرحيم
Rooh ka dusre badan me aana aawa gawan kehte hai Jo ke shariat me muhaal e sharai hai Aisa aqeeda shariat ke khilaf hai. Or mumkin yahi he ki aisa shakhs aisi bate jalahat ki wajah se kehta hai. Aisa shakhs gumrah he, jaisa ki Mufti Amjad Ali Azami Farmate hai, Yeh khayal ke woh rooh kisi dusre badan me chali aati hai,  khaah woh aadmi ka badan ho ya kisi or janwar ka jis ko  tanasukh or aawa gawan kehte hain, mehez batil or iska manna kufr hai. >
.واللہ اعلم بالصواب
Suwal no. 37.
lohe ka taar agar  patli napaki se napak ho jaye to wo sookh ke pak hogi ya nahi ya us ko sirf  pani se teen bar poch lene se pak  hoga ya nahi ya koi doosra hukm he hawala bhi inayat farmaye

Jawab 37 بسم الله الرحمن الرحيم
lohe ki cheez agar napak ho jaye to achhi tarah pochh dalne se pak ho jayegi. Or is surat me napaki ka patli or dal-daar hone me kuch fark nahi.
(Bahar e shariat Jild: 1, Safah: 400)
Or agar taar par naksh ya jang lagi hai to pochhne se pak nahi.  Balki is surat me dhona zaruri hai.
.واللہ تعالیٰ اعلم

Suwal no. 38.
agar koi wali ko wali na mane to us par Kya hukm he jaise Hazrate gouse pak aur Hazrate madare pak ya aala Hazrat ya muftiye aazam aise aadmi par kya kukm he.

Jawab 38 بسم الله الرحمن الرحيم
Jin walion ka zikr sail ne kiya wo yakinan ba karamat wali hai. Magr mujooda dor me inko lekar kuch jahilo me ikhtilaf hai. Wo inki azmat zyada nahi mante yani inhe musalman to mante hai. Par zyada izzat se chhid jaate hai.. Yaha wo wali se muraad unki azmat ka inkar karte hai. Warna rutbe me kisi ko kisi se ghatate badate hen. magr inhe Musalman or nek mante hai..To aise log jahil e mutlaq or gumrah hain
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no. 39
mera ek dost paint leke aya he..jisme ek batan itna bada jeb ke paas pic he ...kya use pehn kar namaz ho sakti he

Jawab 39 بسم الله الرحمن الرحيم
Jandar ki tasweer wala kapda pehen kar namaz makruh tehrimi hogi.. Or namaz ke alawa bhi aisa kapda pehanna najaiz he. Ab jab kisi ne khareed hi liya to bina pehne baz naa ayega to  behtar hai. Namaz kisi pak saf musalmano wale libas me ada kar le..
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no. 40.
ek pilastik ki titli bani hui he us par is tariqe se rang laga he k us ka Munh aur aankh  lagta he
kya ye tasweer ke hukm me 

Jawab: 40 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye tasweer ke hukm me hai, Har kism ki jaandar ki tasweer haram hai, or jis Kamre me ye hogi namaz makruh hogi, Taswir aur music ke bagair bachcho ke khilone Banana, khareedna, bechna, or unke sath khelna Jaiz hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  41
Hazrat ek Suwal karna he agar kisi ke pas zakat ada karne laik sona chandi paisa na ho magar sirf 5 lakh ke heere ho or apne istimal ke ho to zakat farz hai ya nahi..

Jawab 41  بسم الله الرحمن الرحيم
G. Nahi is par zakat nahi.
واللہ تعالیٰ اعلم

Suwal no. 42
Mere paas bhi sona chandi nahi hai. Sirf kuch lakh ka stock hai  aur kuch lakh ka maal udhar bika hai jiski wasooli hona hai.  Kya is par zakaat hai

Jawab 42  بسم الله الرحمن الرحيم
G. Hai. (jabki mal –e-tijart par sal guzarne wagera or deegar sharait paai jaati hon)
واللہ واعم بالصواب

Suwal no. 43
agar mere pas ho khali,  mare ghar walo  ke pas nahi hai.. ek lakh rupay  to zakat mare pe hai kisi or pe ghar me hai ?

Jawab 43  بسم الله الرحمن الرحيم
Zakat wajib hone ki sharte jis me paai jayengi us par  zakat wajib hai.. Maslann agar bivi ke pas sona hai to zakat usi  par wajib hai. Shohar par nahi. Ha agar koi shohar apni bivi ki taraf se ya beta maa bap wagera ki taraf se unki ijazat se ada karega to ada ho jayegi. Or kisi ne ada naa ki to gunah us par hoga jispe wajib thi.. Shariat me faraiz or wajibat ki adaigi sabhi mokallaf par juda juda lazim hai Isme mia bivi. maa beta ka koi dakhal nahi.
.واللہ اعلم..

Suwal no. 44
eid par gale kis taraf se milna chahiye

Jawab no. 44.  بسم الله الرحمن الرحيم
Eid par khaas nahi balke kabhi bhi mu’aanqa  yani  gale milen to sidhi jaanib se mila kare,
(Jawab by :Hazrat e Allamah Abu riyan Mufti Muhammad Shaneilahi Al-Madani)
واللہ اعلم..

Suwal no. 45
eid par gale kis taraf se mil na chahiye aur kitni bar.

Jawab.no 45. بسم الله الرحمن الرحيم
Eid par gale sidhi janib se milna sunnat e mubaraka hai.  Or teen martaba mustahab hai.
(Jawab by :Hazrat e allamah Abu riyan Mufti Muhammad Shaneilahi Al-Madani)
والله أعلم

Suwal no. 46
Safa (imama) kitna chhora aur kitna lamba hona chaiye

Jawab 46 بسم الله الرحمن الرحيم
Imame shareef ki chaurai or lambai kitni honi chahiye iska  Jawab dete huye. Hazrat Allama Maulana Mufti e azam e Pakistan,  mufti waqaruddin sahib farmate hai. Imame ki lambai 7 hath yani 3 gaz sunnat hai. Huzoor  (عليه السلام) ka imama 7 hath ka hota bagair lambai or chhorai ki qaid ke.
(Waqarul Fatawa Jild: 2 Page: 249)
Baz ulama ne farmaya ki 12 hath ka tha.. Lihaza ehtiat yahi he ki 7 se 12 hath ki lambai ka kapda imama ho jayega or chhodai ki koi qaid nahi. Bas jo asani se band sake. Or 1 hath ki lambai ka matlab beech ki badi ungali se kohni tak hoga. khulasa e kalam ye hai ki. Kam az kam 3.5 (sade teen) meter ka imama bandhne se bhi asani se sunnat ada ho jayegi.
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no.  47.
rooh Marti he ya nahi jab qayamat aayegi to tamam dunya fana ho jayegi to jannat or dhozakh or rooh ka kya hoga hawala bhi inayat farmaye

Jawab: 47 بسم الله الرحمن الرحيم
Maut naam hai jism se rooh ka juda ho jana Or iska ye matlab nahi ki rooh bhi mar jayegi,
Jaise ki Faqih e islam, qazi e millat, sadr us sharia bad ut-tariqa, Hazrat allahma maulana mufti
mumahhad amjad ali azami (alaihirrehma) Farmate hai:
Maut ke mayene rooh ka jism se juda ho jana hai Naa ye ki rooh marti ho, Jo rooh ko fana jaane bad-mazhab hai,  
Bahar e shariat Jild: 1 Page: 104

Jab qiyamat me duniya fana ho jayegi to dozakh or jannat ka bhi fana ho jane wali koi ibarat to meri nazar me nahi ayi, balki ye wo ghar hai jo hamesha ke liye hai, jaha hamesha hamesha rehna hai, or ye kabhi  naa khatam hone wali jaga hai,  jo apne iman or amal ke mutabiq musalman or kafir ko di jayegi.
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no.  48
agar kisi ne qasam diya ho ya khuda qasam kha liya ho phir wo qasam tut jayen is halat me kya karna chahiye.

Jawab :48  بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi ke qasm dene se qasam nahi hoti. Jab tak ye khud zuban se qasam naa khaye. jaisa ki Fatawa Alamgiri me hai. Doosre ke qasm dilane se qasam nahi hoti.
Or qasm kha kar tor dene se kaffara lazim ayega. Wo hai. ghulam azad karna. Ya fir 10 misqeeno ko khana khilana.  Ya unko kapde pehnana. or Agar aisa karne ki qudrat nahi  rakhta to. 3 roze lagatar rakhe.

Magar yaad rahe kaffara usi waqt hai. Jab qasm allah ya  uske naam ya uski sifat ya quran ki khai ho. Allah or quran ke alawa qasm, qasm nahi hoti or is qasam ke torne par kaffara nahi. Yani teri qsm meri qasm. Jaan ki qasm. Maa ki qasam  bachcho ki qasm nabi ki qasm rasool ki qasm. Ye sab qasme nahi inpe koi kaffara nahi.
واللہ اعم بالصواب.

Suwal no. 49
Shawwal ke roje 6 shawwal ke kisi bhi date me rakh sakte hein ya koi date mukarar he

Jawab 49  بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis me jo shawwal ke rozo ki fazilat hai. Usme tarikh ki koi qaid meri nazar se  nahi guzri.. yani. Is maah me jab bhi chahe. 6 roze  rakhe insha allah wahi fazilat paa jayega jo farmane mustafa hai
واللہ اعلم

Suwal no. 50
Hadees me hai ki jis ghar me kutte ho us ghar me rahmat k farishte nahi  ate Agar usi ghar me kisi shaksh ki rooh kabz karni ho to kaise hogi ?  Hazrat is Suwal ki rahnumai kijiye

Jawab: 50
Jawab dene se pehle saail ke ilm me izafa karte huye ilm e lughat ki ek baat arz karta chalu ki. Lafz Firishta (fa ke kasre ke sath) hota hai. Farishta (fa ke fateh ke sath)nahi.  Yani- (fi-rishta)..
Jawab...
Pehle to ye jaan lena chahiye ki allah ne har kaam. Ke liye firishtey mukarrar kiye hai. Or wahi unka kaam hai. Malakul maut ka kaam. Ruh qabz karna hai rehmat lana yaad  nahi padhta. Or us ghar me firishtey nahi ayege.. se muraad  ye nahi ki koi firishta na aye kyunke azaab lana bhi firishtey ka kaam. Hai to fir us ghar me azaab bhi naa ayega or jo insan ke sath kareeb 20 firishtey hai. Wo to sath hi rehte hai. Fir agar wo bhi chale jaye  to us shaks ka hisab kon likhega... balki usse murad ye he ki wo firishtey jo allah ki rehmat late hain. Aise ghar me rehmat naa hogi. Or maut ka waqt or jagah tey hai ye apne mukam or waqt par ayegi. Or baki firishton ka jo kaam hai wo bhi apna kam karenge.
واللہ اعلم

Suwal no.  51 
Qasam ki kitni haalat hain. Or kis qism ki qasam se kaffara hoga or kis se nahi..
Jawab: 51 ​​بسم الله الرحمن الرحيم
Qasm ki teen (3) qism hain
Ghamoos
Laghv
Mun'aqidah

Agar kisi aisi cheez ke bare me qasm khai. Jo ho chuki hai. Ya ab hai. Ya nahi hui. Ya ab nahi. Magar qasm jhuthi hai. Yani qasm khai ke zaid aa gaya. Or haqeeqat me zaid nahi aya to iski do surate hongi. Agar qasm khane wala janta tha ki zaid nahi aya or jhuthi qasm khai ki zaid aa gaya to ye Pehli qism ghamoos hai. Or agar kisi ne apne khayal se to sachi qasam khai magar haqeeqt me woh jhuthi hai. Magar isme jaan kar jhooth bolna shumar nahi magr khayal ghalt nikla. Jaise. Zaid ne kaha wo samne pathar hai or zaid bhi use pathar hi ghuman kar raha tha or bad me wo lakdi nikli to is qism ki qasm ko laghv kehte hai.
Or agar ainda yani future ke liye qasm khai ki ye kaam karunga ya nahi karunga to ise mun'aqeedah kehte hai.  
Kaffare ki surat.
Ghamoos se sakht gunahgar hua toba lazim hai magr kaffara nahi.Laghv se naa gunah na kaffara.
Mun'aqeedah qasam agar toori to kaffara lazim hai. Or kuch surato me gunahgar bhi hai.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب​

Suwal no. 52.
Agar musafir ko zohar ki jamaat mil jaye lekin uski shuru ki char rakaat chhoot jaye to kab pade  ?

Jawab 52 بسم الله الرحمن الرحيم
Musafir ko sunnat me koi qasr nahi. Lihaza agar zohar ki farz jamat se padh liye or shuru ki 4 sunnat naa padh paya to bad  me padhe. Ab raha ye ki. ye sunnat.  2 rakat sunnat ke bad padhe ya pehle.To isme ikhtiyar hai. Ki bad me pade ya pehle or behtar yahi hai ki. Pehle 2 sunnat padhe or 4 rakat jo chhut gai wo bad me.
واللہ اعلم...

Suwal no. 53
Agar kisi shakhs ne zina kya ho aur baad main use Apni ghalati pe bahut pachhtawa ho. hazrat is halt main wo Aisa kare jo us ka gunah bakhsh diya jayen

Jawab: 53  بسم الله الرحمن الرحيم
Zina gunah e kabeera or jahannam me le jaane wale Kaam hai, or ye gunah sachi toba se hi maaf hoga.
Yani is harkat e khabeesa wa fail e ibleesi par dil se toba kare. Or ainda naa karna ka sacha wada.
Nekiyon ki kasrat kare, Is harkat ke liye fil waqt koi kaffara nahi
وهُو تعالیٰ أعلمُ ​

Suwal no. 54.
agar koi bhangi ke janwar ka naam laita hai to kya uski zuban 40 din tak napak ho jati hai

Jwbab: 54​​ بسم الله الرحمن الرحيم
Suar kaa naam lene se zuban 40 din tak napak Rehti hai, ye bat fizool batil hai, Magar kisi ko bila wajah gali ke tor par suar Kehna haram hai, Or agar jab iska naam lena jaiz to hai magar Iska matlab ye nahi ki bila wajah naam ki maala Jape, Or jo baat mash’hoor ho gai jo Suwal me darj hai Shayad islye ho ki taaki log is dar se bila wajah Kisi ko ye naa kahen,
Or Jahan quran me suran ka naam aya hai, agar wo Ayat bator e ibadat padhega to sawab bhi payega.
وهُو تعالیٰ أعلمُ ​

​Suwal no. 55  
ek Alim sahab se maine suna k jab qiyamat ayegi to Rooh, jannat, dozakh sari cheez fana ho jaygi kya unki bat durust hai?

Jawab: 55   ​بسم الله الرحمن الرحيم
Rooh ko fana janna koi furui masail me nahi ki Jo waqt ke sath badal gaya ho, ye aqaid me se hai, ki rooh fana nahi, Or sahih wahi hai jo pehle Suwal 47 me byan kar  diya gaya, Or sahib e bahar e shariat ke tehqeeq ke age Kisi ki baat qabil e qubool nahi, Khusoosan aqaid me, Chahiye ki aalim sahib ko bahar e shariat ka Masala dikhaya jaye ho sakta ho unhe sahav hua Ho, or lazf “fana hona” hi tafseer qavi hai, Or ye bhi ho sakta hai wo kuch or kehna chahte hai. or apke Samajh me kuch or aya ho,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  56
Hazrat ek Suwal hai agar meri fajar ki namaz  qaza ho gai hai or zohar ki padh lu to ho jaye gi  agar qaza na pdho to?

Jawab:56 بسم الله الرحمن الرحيم
Ho Jayegi,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  57  
Chain ki ghadi pahen kar namaz padhne se kya namaz nahi hoti hai please reference deejiye .

Jawab: 57  بسم الله الرحمن الرحيم
Chain wali ghadi pehenkar namaz padhne Se namaz ho jayegi, albatta isse bachna behtar Hai, kyunki isme ulama ahle sunnat ka ikhtilaf hai, Or ikhtilafi masail se bachna mustahab hai, Behtar yahi he ki dauran e namaz ise utar diya jaye
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 58
hum namaz padh rahe ho our  hamare age se koi  nikal jaye to ese me namaz hogi  ya hume niyat
dobara bandhna padhege. ??  bhai iska answer do please.

Jawab: 58  بسم الله الرحمن الرحيم
Is Suwal ka Jawab dete huye, Mere aaqa AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Farmate hai,
Namaz me koi khalal nahi aata nikalne wala Gunahgar hota hai,
Fatawa Razaviya: Jild:7 Page: 255
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  59
humara Suwal hai,  Kya haiz wali aurat masjid jaa sakti hai,,

Jawab: 59 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi jaa sakti, Kyunki napaki ki halaat me masjid me jana mard aur aurat dono ko HARAM hai..

Sadr Us Sharia Hazrat Allama Mualana Mufti Muhammaad Amjad Ali Aazami (Alaihirehma)
Bahare shariat me masjid me aadab bayan karte hue farmate hai... Haiz wa nifas wali aurat ko masjid ki chhat par (bhi)  jana haram hai kyunki wo bhi masjid hi ke hukm me hai
(Bahare shariat Jild: 1, Page: 645)

Jis ke badan par najasat (gandagi) lagi ho  use masjid me jaana man'a hai
(Durr e Mukhtar Jild: 2 Page: 517)

Bachcha or pagal jinse gandagi ka khatra ho, masajid lana haraam hai
(Bahare shariat Jild: 1, Page: 645)
واللہ اعلم بالصواب

Suwal no. 60
Hame ye irshad farmaye, ki kya mangni ho jane Ke bad, ladki, apne hone wale shohar se Call pe bat kar sakti hai, Ek imam sahib kehte nahi bilkul nahi kar sakti, Gunah hai haram he Kya sach me gunah he,,

Jawab: 60  بسم الله الرحمن الرحيم
Imam sahib ne sahi farmaya, magr meri isme Tehqeeq yahi he ki, isme ek surat hi mubah ki ho Sakti hai, ki agar shohar aalim e deen ya  Qazie islam ya mufti e islam hai, Or unke paas or bhi auraten fon wagera karti hain or phone par Koi masala pata karti hai to fir iska kya jurm,  

Bas itni ijazat hai, bator e sail deen ka masala Ho jaise ki aajkal, programme me bhi muftian kiram Ko aurate call karti hai or masala pata karti hai Jabki wo bhi gair hoti hai isi tarah, Ye bhi bas deen ki rehnumai, le sakti hai Iske alawa kuch nahi, jaisa ki alahazarat ne ek mukam par farmaya ki Jab bivi ke janaze ko dusre mard kandha de sakte hai To ye bhi shohar ko kandha dene me kya harz,
(or ye bhi hukm bas ulama, mufti wagera ke liye hai , Aam logo ko to iski bhi ijazat nahi,)
Or ajkal urf aam par hai islye imam sahib ne sahi kaha,
والله أعلمُ

Suwal no. 61
Sayyad sahab mujhe ek baat pata karni hai ki, Kabhi kabhi aisa hota hai ki, me jaldi me office aa jata hai
Or yaha aa kar pata chalta hai ki me nahana bhool gaya, Or me napak hu, to kya kara jaye yani meri zohar asr Ka kiya hoga, , Or mere office me mera dost he wo wese to wahabi hai, Magr deen ka ilm rakhta hai..
usne kaha koi nahi, ab ye majburi Hai ghar jaa kar qaza padh lena, Kuch aap bataye, har baar ki tarah, koi ray den meri to kuch samajh nahi aa raha

Jawab: 61 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehle to ye arz bhi karta chalu taki is muamle me zindagi bhar Ke liye apki islah ho jaye ki, lafz “sayyad” me ‘yaa’ ke niche zer Hota hai, naa ki ‘yaa’ ke upar zabar, to lughat ke mutabik “sayyid”  hoga naaki “sayyad”

Aap par namaz farz hai, qaza nahi ki jayegi, apko chahiye ki Office se chutti lekar ghar jaya jaye, agar ye mumkin nahi, to Zohar ka waqt bahut tavil hota hai, aap apne lunch time me Khana chor kar, kareeb kisi masjid me jaye ki har masjid me Aksar gusal ka intizam hota hai, waha ghusl kare, or  namaz ada kare, or agar koi andar ka kapda bhi napak he to use dho kar fir pehna ja sakta hai,  Apne jo surat byan ki tark e namaz par ujr nahi…

ab raha wahabi ka Jawab, to wahabi namaz ki qadr nahi janta kabhi taravih 20 se kam karke 8 to kabhi vitr 3 se 1, or wahabi se masala puchna haram hai chahe wo sahi bataye, or shariat ka yahi hukm hai, fir koi ye kahe ki use deen ka ilm he or ham sahi baat kahi se bhi sun lete hai aise log bhi jahil hai, kyunki ilm to wahabi ke rishte daar iblees ke pas bhi hai, or quran me iski baat sunne or perwi ko mana kiya gaya to ye dalil nahi hoti ki kisi badmazhab pe ilm ho to usse deen ki rehnumai li jayegi, or kuch log ispar ek hadis ko daal late hai, ki ek sahaba ko ayatul kursi ki fazilat shaitan ne batai to huzoor ne kaha ki shaitan ne sahi kaha, islye sahi baat wahabi se bhi sun sakte hai, aise log bhi jahil hai.
- - - - - - 
Madani Mashwara,
Apne apne Suwal me kaha, ki wo wahabi apka dost hai… Aagar wo sach me wahabi hai to apka dost nahi hona chahiye Or agar wo apka dost hai to wahabi kaise hai sunni kyun nahi. ye gaur karne ka makam hai,
AlaHazrat farmate hai,:- Dushman e ahmad me shiddat kijiye..

Suwal no. 62:
Hazrat ye sher hamare pas kisi ne bheja hai,  Shayd farsi me he kuch samajh nahi aa raha
Kya he ye.. ise aap farsi se urdu me kar do. Meherbani hogi,
ہزار بار بشویم دہن بہ مشک و گلاب
ہنوز نام تو گفتن کمال بے ادبی است

Jawab: 62 بسم الله الرحمن الرحيم
Iska khulasa kuch is tarah hai ki,
Hazar baar bhi agar apne mu ko  Mushk aur gulabjal se dhoun to bhi, Aap Huzoor  (عليه السلام) ka  Mubarak aur paak naam lena Mere liye be-adabi hai… (aur allah behtar janne wala hai kya haq hai)

Suwal no. 63
Janab warsi shahb apko bar bar mail karke tang karne ke liye sharminda hu Magar ek wahabi ne alahzrat ke ek sher par etraz kiya or usme Gustakhi sabit ki, or sun kar to mujhe bhi ajeeb laga ki ye sher AlaHazrat ka kaise ho sakta hai  magar dekha to unhi ka tha… Hamare dil me to shaitan waswase dalta he, kuch waswase ki kaat  To ap zarur karenge,, ye wo sher hai,

Kasrat e bad e killat pe aksar durood
Izzad e baad e zillat pe laakho salam,

Wo bad wali line ka matlab batata hai,  Nabi ki wo izzat jo zillaton ke bad mili uspe salam yani alahzarat ne mana ki, nabi ko pehle zillat mili bad me izzat,  Khuda hafiz.

Jawab: 63 بسم الله الرحمن الرحيم
Dar asl agar alaHazrat ki shayari ko wahabi samajh jaye To wo wahabi naa rahe, Or ye sher balki har sher alaHazrat ki ek karamat hai, Ye sher do ma’ino me istimal hai ek to naat or ek Manqabat, Hum ise naat ke beher me arz karke naatiya matlab Arz karte hain, Haqiqat me wahabi ko lafz Izzat e baad e zillat….

Samajh nahi aaya,
Wo “baa” ke upar zabar ke sath use  “bad” samjha,  Or wo “baa” ke upar pesh hai yani lafz  “bod” hai,
Jiska matlab hota hai door or enliglish me “far” Ab jab wo bad hai hi nahi to, sher is tarah hai
“Izzat e bod e zillat”…. Naa ki  “baad e zillat” Yani wo izzat jo zillat se door hai… uspe salam
Yani alaHazrat to shaan bada rahe hai ki. Wo izzat jiske pas kabhi zillat nahi aai, jo zillat se door rahi..
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  64
Alam e barzakh kya hai

Jawab: 64 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran e majeed para 18, surah muminon ayat 100 Me hai:- “Aur unke aage ek aar hai
Is ayat ki tafseer me khazainul Irfan me hai ki, Baaz mufassireen ne kaha ke barzakh Waqt e maut se waqt e ba’as tak ki muddat hai,
Bahare shariat Jild: 1 Page: 98 par hai,
Dunya aur akhirat ke darmiyaan ek aur alam hai Jise aalm e barzakh kehte hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 65
“Ye jo dawateislami wale aurato ki tarah chadar odh lete hai Gunah hai hadis me Huzoor ne mard ko aurat wala libas pehnne Se mana kiya, magar ye to jahil hai inhe kuch nahi ata jata Aurat se mushabihat karke samajhte hai deen ka kam hai” Hazrat ye main nahi kehta aisa kehna hai hamare ek imam sahab ka
Kya ye sahi hai sar par chadar odhna gunah or mana hai ?

Jawab: 65 بسم الله الرحمن الرحيم
Sar se chada odhna sunnat se sabit hai, namaz me bhi or baaz awqat Gair namaz me bhi, ab jo kisi sunnat ko apni jahalat ki bina par Gunah, mana, kahe, to uska zaati hasad hi hoga. Ki chahiye tha kisi
Mufti se tehqeeq karte, Ye hadis: Abu naeem ne abdulla bin abbas se  riwayat ki, Ke farmate hai Huzoor  (عليه السلام): لایجعلون عمائمھم تحت ردائھم یعنی فی الصلٰوۃ
Tarjuma: Allah azzawajal us qaum ki taraf rehmat ki nazar nahi Karta, jo namaz me apne imame apni chadar ke niche Nahi karte, Or is hadis ko IMAM AHLE SUNANT ne  Fatawa Razaviya Jild:7 Safah: 300 par bhi naql kiya,

Fatawa faizur rasool Jild: 2 Safah: 375 par hai
Chadar sar se odh kar namaz padhna SUNNAT hai,

Or yahi Fatawa Amjadiya me hai, jo ki alaHazrat ke Khalifa hai,

Namaz ke alawa bhi sar se chadar me koi harj nahi balki Bukhari shareef ki sharah Fatahul Baari me farmaya Aksar awqat sar se odhna sunnat e mubaraka hai,  Musnad ahmad me ek hadis naql hai, ki ek Roz Huzoor  (عليه السلام) Sar e aqdas par chadar odhe huye humare  pas tashreef laye,
Or jab Hazrat abu huraira ne Huzoor  (عليه السلام) se farmaya ki me apki hadis Bhool jata hu, to Huzoor (عليه السلام) ne kya farmaya “apni chadar laao”  Kya abu huraira ghar se chadar laye ? agar nahi to maloom hua ki  Chadar sahaba bhi istimal karte the.. Mard ko chadar odhne par dalail or bhi hai  magar ispe bas kiya jaata hai, ye kafi hai ki agar wo muballigh jo sunnat pe amal Kare to jahil hai, Fir Wo hadis ka kya hukm hai, Or alaHazrat par un maulana sahab ka kya hukm Or ye bhi farmaye ki, sadr us shariat mufti amjad ali azami or mufti Jalaluddin amjadi wagera, kya ye hastiyan bhi unke nazdeek jahil hai, (Allah ki panah)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 66
Agar kisi shaks ke kapdo par napaki lag kar sookh gayi or koi nishan bhi  baaqi na raha ho to kya gusal ke baad wo kapde dobara pehne ja sakte hein or wo napaki naali ki he or 1 dirham se zyada he ?

Jawab: 66  بسم الله الرحمن الرحيم
G, ha pehen to sakta hai, jabki waqai ab koi nishan baki naa ho. magar behtar yahi hai, Jis hisse par wo napaki thi us  hisse ko dho liya jaye.
Bahar e Shariat Jild:1 Page: 400 par hai,
Mani kapde me lag kar khushk ho gai to kewal mal kar Jharne aur saaf karne se kapda paak ho jayega.”
Or ghusl ke baad napak kapde pehnne se koi shaksh napak Nahi hota. Or agar kapde ki najasat jism pe lag bhi jaye To bas jism ka wahi hissa dhona kafi hai, fir ghusl zaruri nahi hota
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  67
baz log tilawat e quran karte hain khas kar ramazan me bina hi awaz ke or isi tarah qurankhwani me, bache yani chupchap  ungli chalate rehte he or yahi hal gharo me aurato ka hota hai, to is tarah quran be-awaz padha hua hai ya nahi, ise isal e sawab  kar sakte hain ya nahi,

Jawab:67
Baghair awaz mehez Dil me quran ko padhne ya sirf dekhne se Padhne ka sawab NAHI milega,
Sirf dekhne ka milega, or use chhune ka (agar ungli rakh ke padha)
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Suwal no.  68
Suna he ke belt bandhkar chahe wo chamdha ki ho ya gair chamdha ki namaz nahi hoti kya ye durust he hawala bhi inayat farmaye

Jawab: 68  بسم الله الرحمن الرحيم
Ghalat hai, Belt me namaz ho jayegi jabki us par koi jaandar ki Tasveer naa ho, or agar kisi ne islye kaha ki, belt me kuch loha steel wagera hota hai, to Uska hukm ye hai ki wo belt ke tab’e hai, Jis tarah patte wali ghari me bhi to sui or andar ki Machine (masheen) or dakkan bhi dhaat ka hota hai Magar wo bhi patte yani ghari ke tab’e hai. to kya patte wali ghari ko Aaj tak kisi ne mana kiya, ? Or agar kisi ne chamra samajh kar kaha ki chamre se namaz nahi hoti To hadis me faramaya ki, (mafhoom) Jab chamra ubaal liya jaye to paak hai, Or chamre ke moze bhi to pehne jaate hai, or uspe masah bhi hai.. Bas ye kaafi hai, ki koi dalil ise pehnne se nahi rok rahi, Or jis chiz ko shariat mana naa kare wo fi nafsehi jaiz hoti hai..
Or jo kisi chiz ko najaiz kahe shariat ke qaida ke mutabiq Dalil dena uske zimme hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  69
Quran me lafz Allah ki hijje karte waqt Alif se allah bola jayega ya hamza se allah

Jawab: 69 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye baat logo me aam hai or awam isse waqif bhi Shayad Nahi hoti ki quran wagera me Alif se allah hota hai Ya hamza se, Or mera zan ghalib hai ki log yahi samjhte honge Ki alif se allah hota hai, jabki arabi me jis alif par Zabar zer pesh wagera ho use alif nahi hazma kehte hain,  Ye jo ‘alif’ se ‘allah’ bola or padhaya jaata hai Ye urdu zuban me hota hai, Or kyunki quran arabi me hai to arabi me  ‘Hamza’ se ‘allah’ hota hai, Yani hijje is tarah padhi jayegi Hamza + lam zabar = al,
Tajweed ke qaide ke hisab se Alif use kaha jata hai, jis par harkat (zer, zabar wagera) Nahi hoti, Or jis alif par harkat ho chahe ek ya do to use hamza kehta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 70     
Mera Suwal Hai Ki Agar Koi Aqa Nabi-e-Kareem Ki Shaan Me Ghustakhi Karta Hai To Uski Kya Saza
Hogi Or Use Saza Ka Faisala Kon Suna Sakta Hai ?

Jawab: 70 بسم الله الرحمن الرحيم
Gustakh e rasool beshak kafir hai. Or uski saza siwaye maut ke kuch nahi. Usse tauba karwai jayegi or bad tauba ke use maut ki Saza ki jayegi, tauba ke bad bhi maut isilye ki tauba ka Ye faida hoga isse uski namaz e janaza ho sakti hai. Or agar tauba naa kare to bhi maut ki saza hai magar Ab namaz e janaza bhi nahi padhi jayegi, Or ye kaam hukumat e islamia ka hai, badshah e islam Saza dene par qadir hoga, Or fi zama  hukumat islam ki nahi to hukm ye hai ki  Aise shaks ko kanoon ke hawale kiya jaye. Awam ko kanoon hath me lene ki ijazat nahi hogi.
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  71 .
kya mitti ka tel napak he ya sirf  us ki bu yani khushbu napak he ?

Jawab: 71  بسم الله الرحمن الرحيم
Mere khayal me to naa mitti ka tel napak hai Naa uski bu napak, bas isme tez mehek hoti hai Jiski wajah se fuqaha ne ise masjid me lee jane se Mana kiya
Jaisa ki Fatawa Razaviya Jild:8 Page:102 me hai
“Mitti ke tel me sakht badbu hai aur masjid main Badbu le jaana kisi tarah jaiz nahi,”

Ye hukm uski tez khushbu ko le kar hai Mutlaqan mitti ke tel par nahi Or agar mitti ke tel se uski mehek jaa chuki Yaani udh chuki to masjid me le jaane me bhi Harj nahi, Jaisa ki khud AlaHazrat isi Jild:8 me Page: 103 par farmate hai
“Masjid me mitti ka tel jalana haram hai, magar jabki Uski bu  bilkul door kar di jaye. (yani bu naa ho to jaiz)
Or agar mitti ka tel napak hota to khushbu khatam hone ke Baad bhi masjid me le jane ki ijazat nahi hoti,
Bas yahi zahir ho raha hai ki mitti ka tel napak nahi hai, jab tak usme koi nakapki naa mil jaye
والله أعلمُ

Suwal no.  72
Hazrat  ek Suwal hai ki salatut tasvi ki namaz me kya kya padha jata hai ?

Jawab: 72  بسم الله الرحمن الرحيم
Salatut-tasbih ki namaz me 300 martaba teesre Kalima ka hissa padha jata hai, jo aapko kisi bhi namaz ki
Kitab me mil sakta hai, baki namaz, namaz e nafil hi Ki tarah hogi.  Padhne ka tariqa ye hai. Namaz ki niyat kare fir sana padhe uske bad
15 baar tasbih (wahi teesre kalime wali)
Fir ta’wuzz tasmia (auzbillah, bismilla)
Sureh fatiha, or surat or
10 bar tasbih
Fir ruku or 3 bar ruku ki tasbih padhe uske bad fir
10 bar tasbih
Fir ruku se sar utha kar qoma ki 1 tasbih or
Fir 10 bar wahi tasbih
Fir sajda or 3 bar sajde ki tasbih or fir
10 bar wahi teesre kalime ki tasbih
Fir sajde se sar utha kar jalse me beth kar
10 bar tasbih
Fir doosrey sajde me jaye or 3 bar sajde ki tasbih or
10 bar fir tasbih

Bas ye yaad rakhe ki qiyam ki halat me surah fatiha se Pehle bhi 15 bar tasbih hai or bad me 10, or jagah 10-10 Is  tarah ek rakat me 75 tasbih hogi or 4 me 300
والله أعلمُ

Suwal no. 73.  
Khushu khuzu. Kya hota hai.  ?. or namaz me khushu khuzu kaise hasil ho?

Jawab: 73 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye dil ki kaifiyat ka ek naam hain
Or Firoz Ul Lughaat safe:591-592 par hai
Khushu:- ajizi, gidgidana,  Khuzu:- ajizi, gidgidana

Namaz me is tarah hasil kiya jaye.. Ki banda jab namaz ko khada ho to bas ye Samajh le ki ye uski zindagi ki akhri namaz hai Fir use koi moka nahi milna, isi namaz ko Jitna achcha or behtar, dil laga kar padh lu to acha hai.  Kyunki aaj kal dil me khyalat itne aate hai ki ye Tasawwur nahi jam pata ki allah dekh raha hai Or naa ye ki ham allah ko dekh rahe hai.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  74.
mansoor bin hallaj sufi koun tha.. kiya ye wahi hai jis ne apne ap ko ana la haq kha tha...imam yousuf ne qatal  ka hukm diya tha...qatal hone ke baad  is ke khoon ke katra katra analhaq kaheta  tha..wazahat farmaye tafseel baqsh jawab ata kare...

Jawab: 74  بسم الله الرحمن الرحيم
Hazrat sayyidi hussain bin mansoor hallaj jin ko Awaam mansoor kehte hain, mansoon unke walid ka
Naam tha aur unka ism husain, ye akbir ahle haal se the Or allah ke wali the. Mukhtasar byan kiya jata hai ki,  Jab aapki behen ne wo pyala jo asman se utra tha piya To apne bhi peene ki farmaish ki, To apki behen ne kuch apke liye bacha diya. Jab apne wo piya to apko har taraf se ye awaz sunai dene lagi ki  “kaun iska zyada haqdar hai ki hamari raah me qatl kiya jaye” Unhone kaha “ana lahaq” (''اَنا لَاَحَق'')  beshaq me sabse zyada Iska sazawar hun,  or logo ke sunne me aya,  Unhone ''انا الحق'' kaha jiska matlab hota hai “main khuda hu” Wo dawa e khudai samajh kar kufr samjhe or qatl ki saza di.

Or ye bhi yaad rakhna chahiye ki baz waqt wali apni alag kefiyat Me hota hai agar aisi halat me usse kufr bhi nikal jaye to Kufr ka hukm nahi hota, kyunki us waqt wo shariat ka mukallaf Nahi hota, Hussain bin mansoor kafir nahi the. Musalman waliullah hai, Khud deoband ke mufti ne Fatawa Rashidiya 187 par likha ki Mansoor mazoor the behosh ho gaye the un par kufr ka fatwa nahi
Qatl be bad khoon ke katra katra analhaq kehta tha… ye mujhe yaad nahi
Balki Fatawa Uttarakhand Page: 53 par hai,
Unhe sooli chada diya gaya….
Agar yahi haq hai to sooli pe Chadane se khoon nahi behta.. Baki allah behtar janne wala hai..
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 75
Hame kisi ne bataya ki maathe par kashfa yani teeka jise tilak bhi bolte hai. Ye lagana kufr he. Or wo kehte hai ki ye alaHazrat ne likha hai. Or bahut musalman shadi me dulhan ko lagate hai. Magar hamne imam sahab se hawala pucha to kehte he.. bas alaHazrat ne likha he shayad Fatawa Razvia me ho. Hame Jild: Page: yaad nahi.. Janab se arz hai ki madad kare ki. Ye masala kaha he or kis Jild: me kis Page: me ye kufr likha he.. allah iska inam dega.. or mujhe apke siwa jaldi koi nazar nahi aata..jo itni  asani se ise talash le..

Jawab: 75  بسم الله الرحمن الرحيم
Aapne jise kashfa likha hai wo dar haqiqat “qashqa” hota hai, G, han imam sahab ne sahi farmaya AlaHazrat ne ise Fatawa Razaviya me kareeb 15 se zaid mukam par zikr kiya, or Alamat e kuffar ki bina par kufr likha. Jaisa ki, Fatawa Razaviya Jild: 14 Page: 394 par likha
“Qashqa shiar e kufr manafi islam hai,”

Fatawa Razaviya Jild: 21 Page: 296 par hai
“Maathe par qashqa (tika/tilak) lagana khas shiar e kufr hai Aur apne liye jo shiar kufr par raazi ho us par kufr lazim hai”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 76
Huzoor Kiya ye sahi hadis hey ki Jis mulk me paida huye uss mulk se mohabbat rakhna kiya Eman ka hissa hey? References atta farma dijiye Huzoor

Jawab: 76
Is bare me jo hadis byan ki jaati hai wo is tarah hai حب الوطن من الایمان yani,
(watan ki mohabbat iman ka hissa hai) Ye hadis se sabit NAHI hai,
 Balki imam shamsuddin sakhawi maqasid e husna aur Imam jalaluddin suyuti shafai ne al durar al muntashira Me bila ittifaq is riwayat ko farmaya:  لم اقف علیہ (yani, main isse agah nahi ho saka)

Allah ne quran e pak me apne un bando ki tariff Ki hai jo allah wa rasool ki mohahhat me apna Watan chor den, aur un logo ki sakht mazammat Farmai jo watan ki mohabbat liye bethe rehe Or allah aur rasool ki taraf mohajir naa huye.  
Jaisa ki surah nisa ayat 100 me hai, “Aur jo allah ki raah me ghar chor kar niklega wo zameen
Me bahut jagah aur gunjaish payega aur jo apne ghar se Nikla allah wa rasool ki tarah hijrat karta fir use maut ne Aa liya to uska sawab allah ke zimme par hoga”

Fatawa Razaviya Jild: 15 Page: 298 par hai
Jo Madina tai’iba ki haziri par watan ki mohabbat ko Ehmiyat de zalimon ki tarah hai..
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 77
Agar Kisi Khatoon Ke Shauhar Ka Inteqaal Hogaya Ho  Or Uske Bachche Islam Se Baligh Hon Magar Duniyawi Taur Par Nahi Or Wo Padh Rahe Hon Or Us Khatoon Ka  Koi Zariya Na Ho Paise  Ka To Uspe Fix Deposit Or Bank Ka Interest Lena Haram Hoga Ya Jaiz ?

Jawab: 77. بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hoga, Or ye khas is aurat ke liye hi nahi balki. Hind ke bank se jo  extra raqm milti he wo jaiz hai. Wo sood nahi hai.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 78
Agar Hindustani Bank Me 1  Lakh Jama Karne Par Bank 5 ya 10 Saal Me 1 Lakh Ka 2 Lakh De Yani Paisa Dugna Ya Asal Jama Raqam Se Zada Paisa Dene Ka Wada Kare To Ye Paisa Kaisa Hai?

Jawab:78 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz he.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 79
Fatiha ka sahi tariqa irshad farmaye.

Jawab: 79 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatiha asl me isaal e sawab hai, Awwal akhir durud padh kar jo quran padhna chaho Padh kar isaal kar do. Iske bahut se tariqe hai. jo buzurgo Se sabit hai. Or mash’hoor wahi hai. ki Koi bhi ayat, fir,
1 Sureh kafirun
3 sureh ikhlas
1-1 sureh falak or naas
1 sureh fatiha
Fir, sureh baqra ki kuch ayate (alif,laal, meem …se) Or baz log ayat-al kursi padhte hai. Sab jaiz hai , Jo padho. Or me To  Sureh ikhlas 12 bar padhta hu Isse 4 quran ka swab milta hai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 80
Hazrat ek baat me meri islah kare. Ki kuch jagah Musalmano ko English me momden kaha jaata hai
Iska kya matlab hai, kya musalman ko momden kehna Thik hai yaa fir kisi form wagaira pe likhna

Jawab: 80 بسم الله الرحمن الرحيم
Jahan tak meri naqis tehqiq hai, to yahoodio ne ye naam Nikala hai, wo Huzoor Muhammad  (عليه السلام) ko Manne walo ko momden kehte hai. Yani ye nabi ka maz allah bigra hua naam hai. Mtlab jo Muhammad ko manta ho use wo bajaye mohammadi Ke momden (apni zuban)  me kehte hai, Fir yahi aam ho gaya. Musalmano ko chahiye ki jaha bhi likhe bole, Musalman bole, momden kuch nahi hota.
Haqiqat me to mohammadi hona chahiye tha. Ab English ho ya chines musalman, musalman hii rahega.
Magr afsos, aak ke kuch padhe likhe jahil nojwano ka  Ye hal kar rakha hai. ki eng. Bolte waqt wo khud. Lafz momden Used karte hai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  81
Agar kisi ne Mohammad ki qasm kha kar tori to kya kaffara hai?

Jawab: 81 بسم الله الرحمن الرحيم
Qasm khana jaiz hai or jahan tak ho bachna behtar hai Khuda ke alawa kisi ki qasm, qsm nahi hoti jaise ki
Bahare shariat me hai:  khuda ke alawa kisi ki qasm khana makruh hai, or ye qasm hoti bhi nahi. Yani ise torne se kaffara lazim nahi 
Bahare-shariat Jild:2 Page:298
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  82
Hamare ilaqe me taravi ke dauran ek shaks ne imam sahab Ko luqma diya bad taravih logo ne etraz kiya or kaha ki Sirf hafiz hi hafiz ko luqma de sakta hai jo hafiz nahi wo  Luqma nahi de sakta. Bataye kya sahi hai kya ghalat ?

Jawab: 82 بسم الله الرحمن الرحيم
Jahalat ko dafa karta he jo ye Fatwa wahi hai Is
byan me ki….
Gair e hafiz ka, hafiz ko luqma dena sahi hai,
-------------------- -------------------
luqma dene Wale ka hafiz hona shart nahi,  agar ghalati  Par kharabr-dar hai to, luqma de sakta hai, Or qaum ka ye kehna ki hazif ko hafiz hi luqma de Sakta hai niri, jahalat ka saboot  hai,

Qk khud Huzoor  (عليه السلام)ko baz moke par,  Sahaba ne luqma diya to, ab un logo se ye Pucho ki nabi ko, gair-nabi luqma de sakta hai, Magar hafiz ko gair-hafiz nahi, Kya ye hafiz nabi se bhi zyada martabe ka tha jo iski shaan ghat gai, Hafiz TO hafiz, khilaf e shara kaam par, Mufti ki islah bacha bhi kar sakta hai,

Magr puchi gai surat me jis muqtadi ne imam ki ghalati Batai bad taravi wo sach me ghalati thi, to ye mamla  Khud Imam ko qaum ko samjhana chahiye tha. Ki  ye meri ghalati  Thi. Or inhone sahi kaha, magar hal ye hai ki aaj, imam khud  Apni shaan bachane ke liye  chup rehte hai, or qaum fesla karne lagi,
Un logo ko (balki imam ko bhi) shayad ye maloom nahi  baz surato me  Luqma dena FARZ hai baz me WAJIB  or baz me JAIZ,
Agar wo ghalati imam ne aisi kari ki luqma dena FARZ  tha to muqtadi Ne thik kiya..

Jaisa ki Sarkaar E AlaHazrat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddis E Azam farmate hai,

“imam jab aisi ghalati kare jisse namaz tut jaati ho, to uska Batana or islah karna HAR MUQTADI par FARZE_KIFAYA hai “
Fatawa Razaviya: Jild:7 Page:280,

SUBHAN ALLAH: imam ne mutlakan farma diya ki “har muqtadi” Yani jo ahl ho, ye naa kaha ki ghair-hafiz naa bataye,
Fir aage Safah: 281 par farmate hai,:
“Agar ghalati aisi hai jis se wajib tark ho kar, makruh tehrimi ho, to  Uska batana HAR MUKTADI par WAJIBE_KIFAYA hai,
Fir isi Safah:h par farmate hai:
“Agar ghalati aisi ho ki jis se namaz me fasad naa ho naa wajib tark jab bhi Har muktadi ko batane ki IJAZAT hai,”

Lo kya khoob chamakte suraj ki tarah saaf ho gaya ki,. Imam ki islah har muktadi kar sakta hai,
(kya hi achi misaal)

Aam muktadi (jo ghalati par qadir ho gaya ho) imam ko lukma De sakta hai, hafiz hona zaruri nahi,

Balki baz hafiz nire jaahil hote hai, ki siwaye quran ratne ke Kuch masail aate nahi fir apni shan bachane ke liye Ghalt masail bata dete hai maine khud kai martaba dekhe hai,

Ummid hai saail ki dil ki khaiti ko in hawalo ne hara-bhara Kar diya hoga, Jiska sail talabgar tha, Dalil or bhi hai, magar isi par bas kiya jaata hai, Suwal or bhi hote hai, or waqt ki killlat hai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  83
Tahajjud ke kya waqt hai or fazilat bhi irshad farmaye ?

Jawab: 83 بسم الله الرحمن الرحيم
Tahajjud ka koi waqt mukarrar nahi hai, Bad isha, kuch der so jaane ke baad bhi Padhi jaa sakti hai..soye bager padhe to tahajjud nahi.. Or logo me jo ye mash’hoor hai ki 12 ke bad tahajjud ka waqt hota hai ye ghalat hai.
Tahajjud ki rakat ? Kam se kam tahajjud ki 2 rakat hai or
Huzoor  (عليه السلام) se 8 tak sabit hain (bahare-shariat)
FAZILAT:
Para 21, ayat 16-17 me rab ka irshad hai, “in ki karwate juda hoti hai, bistaro se aur  Apne rab ko pukarte hai darte hain ummid  Karte or hamare diye due se kuch khairat karte hai, To kisi jee ko nahi maloom jo aankh ki thandak in key Liye chhupa rakhi hai..sila inke kaamo ka
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  84
Hazrat ek Suwal hai ki agar aurat hi imam bane to kya uske Peechhe auraten namaz padh sakti hai.

Jawab: 84 بسم الله الرحمن الرحيم
Orato ki imam ke liye mard Hona shart nahi, Aurat bhi (aurat ki) imam ho sakti hai Magr (aurat ki imamat) makruh hai, Or fuqaha ne aurat ki imamat ko makruh likha hai
Behtar yahi hai ki apni tanha namaz padhi Jaye, kyunki imamat ke liye kuch or bhi khas Shart jaise taharat, qirat wagera, aur mojuda  Haalat me, agar imam banne wali aurat Isse waqif naa hui to, sab ki namaz fasid hogi  Aur ek baat, ki imam fasik na ho, Yani jo imamat kare wo aurat, elaniya Gunah, bepardagi, namaze qaza wagera Naa karti ho, or aisa dekhne me kam hi  Aata hai, to aisi surat me ye fasika hogi, or namaz iske Peechhe durust nahi.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 85
Murde ko Qabr me rakhne ke bad uske Kafan Ke Bandh Kholne chahiye yaa rehne den kya kare,?

Jawab: 85 بسم الله الرحمن الرحيم
Sari bandhish Kholna, yaa naa kholna dono ikhtiyaar hai, (or mash’hoor wa maruf  saari (teeno) bandish khol dena hai) Jaisa ki,
Sadr-us-sharia,
Badru-tariqa,
Qazi e Islam,
Faqh-e-Hind,
Hazrat e Allama, Maulana,
Al-Haji, Al-Qari, Al-Mufti,
Muhammad AMJAD ALI AZAMI
(Alaihirrehma) Apni Shohra e afaaq Tasneef  Bahar e shariat  Jild:1 Page: 844 Par Farmate hain,
“Qabar me rakhne ke baad kafan ki bandish khol den, Ki ab zarurat nahi, Or naa khole to bhi harz nahi”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  86
Kya murde ke Dafina ke Bad Hatho Ko Jharna mana hai ?

Jawab: 86 بسم الله الرحمن الرحيم
Hath Jharne (saf karne) me koi harz nahi, Jabki taali ki awaaz naa aye, Ki Durr e mukhtar wa fatawa shami me hai Taali banaja Haram hai, Or awaz naa aye to harz nahi… (or ghaliban ye manahi bhi isilye thi ki tali naa baje Magar log ise jahalat ki taraf le gaye, ki hath hi jharna Mana samjhne lage) Iska Jawab dete huye, Mufti Amjad Ali Azami Farmate hai:
“Hath me jo mitti lagi hai, use jhar den, Ya dho daalen Ikhtiyaar hai,”
Bahar e shariat Jild:1 Page:845
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  87
Agar namaz padhte waqt kisi ke upar Chipkali  Gir jaye ya chad jaye to wo napak hoga ya nahi?

Jawab: 87 بسم الله الرحمن الرحيم
Chhipkali kisi namazi ya kisi ke upar Gir jaye ya chad jaye to napak nahi karti Ki uska zahir naapak karne wala nahi, Or, Koi kab napak hota hai uske liye saail ko chahiye Ki kisi aalim e deen se samajh kar Qanun e shariat ka mutala kara jaye. Paki naapaki ke or bhi ahkam, maloom Ho jayenge..
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  88
Jis shaks ke par sirf 2 tole sona or 250 grm. Chandi hai to kya ispe zakat hai?

Jawab: 88 بسم الله الرحمن الرحيم
(jis din suwal hua us din chandi ki qeemat ke mutabiq)
Puchhi gai surat me, ye shaks sahib e nisab Ho gaya, ispe zakat wajib hai, Jabki sail wajibat e zakat ki aur sharait Maslan, (qabza, baligh, 1 saal guzarna) se waqif ho. Or ye paayi jaati hon,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  89
Asman me jo bijli chamakti hai wo kaise chamakati hai,

Jawab: 89 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah azzawajal ne badalo ko chalane ke liye ek firishta  Muqarrar farmayaa hai, Aur iske hath me ek bada koda(haunter) hai, Jab wo koda badal ko marta hai, uski tari se aag jharti hai Jiska naam bijli hai
Fatawa Razaviya Jild: 27 Safah: 93
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  90
Nafil Namaz Beth kar padhni chahiye yaa khade ho kar ?

Jawab: 90 بسم الله الرحمن الرحيم
Nafil namaz bina majburi bhi beth kar padhna jaiz To hai magar beth kar padhne se, kade  ho kar padhne ki nisbat adha sawab milega.. jaisa ki hadis me farmaya:
HADIS: beth kar padhne wale ki Namaz  Khade ho kar padhne wale ki aadhi hai, (Muslim Shareef)
Han, agar kisi majburi me beth kar padega To sawab me kami naa ayegi.. Or ye jo aajkal nafil bethkar padhne ka riwaz  Bana rakha hai or samajhte hai ki nafil beth kar Hi padhne chahiye ye ghalat hai, khade ho kar Hi padhna afzal hai,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  91
Adab janab, kya me apse ek baat maloom kar sakti hu Ki jo WARSI hazraat hote hain, wo bhens ka gosht nahi Khaate, wo kehte hai, bhensa Waris Pak ka mureed tha. Isilye wo hamara peer bhai hai, or hame iska gosht halal Nahi, Jawab shariat wala dena, kyunki aap bhi warsi ho. Or ye bhi batana kya aap bhi nahi khate.. ya khate ho

Jawab: 91 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye logo ki jahalat hai, or nihayat ghalat baat hai, shariat me Iski koi haisiyat nahi.. or  ye log allah ke halal ko haram thehrate hain,
yaad rahe peeri mureedi, shariat  Ke dayere me ek  mubah fel hai or janwar shariat ke mukallaf nahi
(yani janwar par shariat lagu nahi)  fir uske liye peer kya or mureed kya,, ha agar koi gosht pasand naa kare to alag baat, magar ye kehna shariat par iftira hai ki bhensa mureed tha… bas itna zarur hai ki ek pagal bhense ne unhe dekh kar logo ko marna band kar diya or adab se sar jhuka liya. Agar is adab se us bhense ka gosht warsi hazraat par Haram ho gaya to unhe oonth to bilkul nahi khana chahiye Wo to or ala darje haram hona chahiye. Jise hum aage chal kar sabit karenge…

main kehta hu (or allah hi ki tofiq se) agar maan bhi liya jaaye ki ek bhensa unka mureed tha to bas usi bhense ka gosht naa khao, kya wo abhi tak zinda hai, kya ek bhense ke mureed hone se puri bhens ki
bradari mureed to nahi hui, ye bhi to mureed hone ke khilaf hai warna fir to me mureed ho jaun kaafi hai, or meri aulad dar aulad qiyamat tak mureed ? agar aisa nahi hai, sabko alg se mureed hona padhta hai
to fir main kehta hu (usi rab ki tofiq se) us bhense ka khandaan ab tak kaise mureed chala aa raha hai,
kya duniya ke ye sab bhense bhi mureed hai... (HARGIZ NAHI)..
Or ye waris pak ne kab kaha ki bhens unka mureed hai, or usi sar jhukane ke  adab se unka mureed hona
sabita nahi hota.. Warna ye lazim ayega, ki oont ka gosht bhi haram ho jayega.. kyunki oonth ne bhi Huzoor E Pur Noor  Aaqa E Do Jahan  (عليه السلام) ke aage sar jhukaya tha…  kya waris pak ka martaba Huzoor se bada hai, warna ye aqeedah kis shariat se nikala ki jis wali ki tazim me janwar sar jhuka de to uska gosht us wali ke manne wale par haram fir to ye bhi laazim ayega ki bahut se janwar ne Huzoor ki tazim ki to ummat e Muhammadia ko wo haram hone chahiye..?
--------------- -------------
Magar bhense ko haram kehne wale oonth or deegar Janwar to khoob khaate hai,
(allah jahalat ke andhere se hifazat kare)
Sabit hua ki gosht bhens ka halal hai Fir chaye, qadri khaye, Warsi ya Farsi halal sabke liye halal hai,

Yaad rakhna chahiye ki bhale hi wo log gosht nahi khaate Magar wo halal hi jante hai, ye jisne bhi sail se kaha ki Wo haram samjhte hai ghalat hai, ye uska zati fel hai agar  Koi haram samjhe… magar mutlaqan Warsi kehlane wale Waris pak ki mohabbat me nahi khaate or usme koi Harz bhi nahi, magar wo haram nahi kehte.. apko Is bare me tehqeeq karni chahiye..
Reh gaya mera gosht khana. To me boti kisi gosht ki Nahi khaata chahe bhens ho ya baqra (siwaye murga) Isilye ki mere mijaz ko gosht ki boti gawara nahi karti, or asl me boti sirf maze ke liye hai kyunki uski saari taqat shorbe me aa jati hai, ab usme kuch nahi bachta, siwaye shoq ke, Ha gosht ka tari ya usme koi sabzi zarur khata hu.. or baz awqat boti bhi,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 92. 
naapak halat me maiyyat ko mitti de sakte hai ? aur qabristan me dakhil ho sakte hai jawab dei Hazrat to ajr paaye..

Jawab: 92 بسم الله الرحمن الرحيم
Naapaki ki halat me maiyyat ko mitti bhi De sakte hai or qbristan me bhi dakhil ho Sakte hai. magar behtar yahi ki paki hasil ki jaye. Or isme karahat makruh ki hai haram ki nahi,
 أعلمُ تعالیٰ والله 

Suwal no. 93
Hazrat aaj kal kuch log pyare aaka tajdare madina Huzoor SALLALLAHU-TA-AALA ALAIHI WASALLAN
ko Mohammad sahab Keh kar pukarte hai  Kya yeh tarika sahi he ya ghalat,  Mohammad sahab kahna ?
To Hazrat aap se guzarish hai ke is ka jawab de kar hamari Rahnumai farmayen

Jawab:93  بسم الله الرحمن الرحيم
Jab Allah ko bhi “Allah Sahib” kehna jaiz hai To Huzoor  (عليه السلام) ko kaise najaiz ho sakta hai.
Or quran me Huzoor  (عليه السلام) ko bhi sahib kaha gaya. Allah ta’al irshad fermata hai:.
“tumhare sahib na behke na be-rah chale” (Surah najm ayat 02)
Or fermata hai allah:
“aur tumhare sahib majnu nahi” (surah takwir ayat:22)

Bas ye to sabit hua ki Huzoor  (عليه السلام) ko Mohammad sahib kehne gunah nahi hai. Mgar hamare urf me musalman aisa nahi  kehte balki Kafir hi bolte hai wo isilye ki unhe pura naam durood ke Sath lene me zarur dushwari hoti hai,
Or agar musalman ne aisa kaha to bhi to use  samjha diya jaye Ki naam durood ke sath liya karo.  Magar aisa nahi ki usne Aisa kehkar koi toheen  kar di. Balki mene baz aise musalman Bhi dekhe jinhe khud Huzoor  (عليه السلام) ka naam  (kam ilmi or jahalat ki bina par). durood ke sath lena nahi Aata  magar wo Huzoor  (عليه السلام) se mohabbat karte hain sunni hai. Hadis me hai, Musalman ki niyat uske amal se behtar hai.

Lekin is tarah “Mohammad Sahib” kehne se parhez karna chahiye. Or kehne Walo ko pyar mohabbat se
samjhana chahiye. Ki allah quran e pak me irshad fermata hai
“Rasool ke pukarne ko apas me aisa naa thehra lo Jaisa tum me ek doosre ko pukarte ho”
(Surah noor, ayat 63)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  94
Hawa kya hai, kis chiz se bani hai, ?

Jawab: 94 بسم الله الرحمن الرحيم
Hawa allah ki ek purani makhlook hai Paani se banai gai hai Aur iske liye ilm e ilahi me ek khazana hai
Jis par darwaza laga hai aur weh band hai  Jis par ek firishta hai, Jitni hawa usme se rab bhejna chahta hai, firishte Ko hukm deta hai aur firishta allah ke hukm se Utna hissa hawa ka rawana kar deta hai
(Fatawa Razaviya Jild: 27 Safah:100)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  95
Log aalim ke ane par nara lagate hai  Kya yeh tarika sahi hai ya ghalat , Hazrat jawab farma dijiye

Jawab 95
Ye ghalat hai.. Or iski tafseel jawab no.  29 me guzar chuki
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  96
Kya hum kisi gair mazhab ko bheek de sakte hain ya nahi aur agar wo Allah ke naam pe mang raha he to?

Jawab: 96 بسم الله الرحمن الرحيم
Is daur ke bhikario se mera bharosa to udh chuka hai Kyunki ab ye unka pesha hai, majburi nahi, Or jo kamane par qadir ho thik thak  ho to aise Musalman ko bhi nahi dena chahiye. kafir to door. Or kafir ki bila wajah madad nahi karni chahiye. Koshish kare sharai fakir ko hi den,
Jo Allah ka naam le use bheek dena zaruri ho jata hai Shariat me iske koi mayne nahi…
Kal kafir bheekari allah ke naam par makan ke kagaz mang betha to ??
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 97
Hamre ghar me bachche khana khane ke bad Plate me kuch salan chhor dete hain, to kya Unhe gunah milega, isme kya kara jaye,

Jawab: 97 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehle to ye ki bachche agar nabaligh hai to unpe Gunah to nahi magar jaiz kaam ka Suwal zarur hai,
Dusri baat ye apne nahi batai ki khanae bachche  Khud nikal kar khate hai ya aap unhe deti hain,
Agar saalan aap bachcho ko deti hain to plate me hi Kyun nikal kar deti ho ? puri haandi hi unke aage
Rakh diya karo, naa plate me niklega naa bachega ?

Khud jab bachcho ko saalan zyada nikal kar deti ho To bache ki khuraq kitni hogi, Or ghar me rehte huye aurato ko har shaks ka Andaza ho jata hai ki kaun kitna khata hai ? Fir usi hisab se salan nikala jaye, chahe 10 bar do, Magar pehle hi baar me bachcho ki plate bhar di jayegi To yahi hoga, Or bacha hua salan bhi ghar me koi istimal kar sakta hai Agar use aap fenk deti ho to is barbadi e rizq ke Zimmedar aap hain bachcha nahi.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 98
Kya Hazrat aurat ke baal se pani tapak raha hai us halt me usne namaz padh li us halt me namaz hogi ya nahi hogi ya baal ko sukhe kapde se lapet kar padh liya…

Jawab: 98  بسم الله الرحمن الرحيم
Aisa dushwar maloom hota hai ki Baal se paani bahar tapke kyunki Namaz me bhi aurat ko baal ka  chupana Farz hai aur jab baal kisi kapde se Dhaak liye jayenge to paani ka tapakna Ajeeb si baat hai aisi halat me paani kapde Ko hi tar karega. Or agar namaz me baal hi khule hai or tab Pani tapakta hai to namaz nahi hogi or wajah Baal ka khulna hai. or shayad hi koi aurat itne Geele baal rehne de ki paani takpe ?  Zyada se zyada baal tar ho sakte hai jo dupatta geela kare Beher-haal, Baal geele hai or namaz me dake huye hai to  Namaz ho jayegi.. Magar namaz me aisi afat naa chahiye ki baal ko Bhi naa sukhaya jaye, sar ka geela rakhna aurat ke liye Zyada muzir e sihat hai,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 99
Hazrar log jab janaze ko mitti de kar aate hai to ghar me jaane se pahle hi haath muh aur pair dhote hai aur is se pahle ghar nahi jaate  Ghar ke bahar  kisi  nal par dho lete hai To kya ghar me bhi dho sakte hai ya ghar ke bahar  hi dhoya jaye

Jawab: 99  بسم الله الرحمن الرحيم
Mitti chahe qabristan ki ho ya kaisi bhi, Fitrat e insani yahi hai ki use dhoya jata hai  Or yahi takaza e bashariat bhi hai ki, jism ko Har choti badi gandagi se saaf rakha jaye, To is mitti ko dhone me koi harj nahi magar Ye khyal ki ghar jaane se pehle hi dhona chahiye Yani ye mitti ghar naa jaye ghalat hai, ghar jaa kar Bhi dho liya jaaye to harj nahi, Or mere khayal se ye is tarah shuru hua hoga, ki Jaise bachcha baahar khel kar aata hai to use nasihat Ki jaati hai ghar me gande hath paun lekar mat Ana isi tarah qabristan ki mitti lage hath paun Koi gande ghar lejana pasand nahi karega, to Bahar hi dho lete hai, magar isse kuch jahil ye samajh Bethe honge ki shayad hath paun bahar hi dhone Chahiye, kyunki is daur e purfitan me log rassi ko bhi  Sanp bana dete hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  100
Ek saksh jo pahle se kisi silsile se mureed hai lekin ab wo kisi aur se mureed hona chahata hai, Hazrat to kya wo saksh dusre peer se mureed ho sakta hai aur pahle wale mureed ko kya us se bhi koi bat karni hogi kya, Hazrat jawab inayat farma dijiye

Jawab: 100  بسم الله الرحمن الرحيم
Agar wo shaks aise peer se mureed hai jisme peer banne
Ki charo sharait paai jaati hai, Maslan,
1. Aqeede ka sunni ho,
2. Ilm e fiqh itna janta ho ki zarurat ke masail kitab se nikal sake,
3. Koi gunah ailaniya naa karta ho
4. Silsila Huzoor (عليه السلام) tak pahuchta ho

Agar ye sharait hai to bila wajah sharai bayt torna jaiz nahi Jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat  Imam Ahmad Raza khan (alaihirrehma) Fatawa Razaviya Jild: 26 Safah: 558 par likhte hai
“Jab afazal silsila aaliya, qadriya.. me sheikh jaame sharait Ke hath par fakhr e bayt naseeb ho chuka hai to use doosri Taraf asann tawajju wa pareshan nazar hi naa chahiye, Baz auliya kiram ne farmaya
Jo mureed do peero ke darmiyan ho wo kamyab nahi hota”

Fatawa Razaviya Jild: 26 Safah: 576 likhte hain
“Peer ko chhor kar uske badle peer banana ki jo aisa Karega dono taraf se mehroom rahega.”

Or farmate hai isi Jild: 26 Safah: 579 par
“Jo shaks kisi sheikh jame sharait ke hath par bayt Ho chuka ho to doosre ke hath par bayt naa chahiye
Doosre jamae sharait se talab e faiz me harz nahi,”

Auliya kiram farmate hai,
Ek shaks ke 2 baap nahi ho sakte, ek aurat ke 2 shohar nahi Ho sakte, ek mureed ke do sheikh nahi ho sakte,

Khulasa e kalam ye hai ki :- Ek peer se mureed hone ke bad dosre se bayt nahi Kar sakta, Ha talib ho sakta hai, magar apni iradat sheikh e awwal  Se hi rakhe. Or jo faiz doosre se hasil ho to use bhi apne Hi peer ki ata jane.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

No comments:

Post a Comment