Suwal 101 to 200 (Masail e Shariat Jild 1)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Abu Rayyan Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 1) 
---------------------------------------------------------------------------------------

Bhai agar hamare bagal ke baal badhe ho to namaz ho jayegi kya, wo panch waqt ki namaz padhe? 
Jawab Ata farma dijiye

Jawab: 101  بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ho jayegi, Magar har hafte saf karna mustahab hai, 40 din me ke bad wajib, warna gunahgar hoga
والله أعلمُ

Suwal no. 102 
Hazrat mere dost ke dono kidney me pathri hai iski wajah se wo 5 saal se roza nahi rakh paya hai Kiyun ki khali pet rahne se uske pet me dard hota hai To wo is surat me kya kare qaza karke bhi nahi rakh sakta Kiyun ki pathri nahi nikal rahi hai Aur wo uski dawai 5 saal se kha raha hai lekin koi fayeda nahi hai usne kuch miyan aur maulana logon se puncha to unhone kala jadu bataya hai Hazrat iska bhi koi ilaaz bataye

Jawab: 102   بسم الله الرحمن الرحيم
Jo shaks kisi beemari ki wajah se roza nahi rakh paa raha To thik hone ke baad qaza karni hogi, Chahe 10 sal bad thik ho, warna sardi ke chhote din hote hai Jab koi surat nikale, beharhal fidiye ka hukm nahi hoga. Ilaj ke liye apne ilaqe ke tawizat e attaria ke  Baste se rabita kare,  Shifayab ho jayega. ان شاء الله
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 103        
Hazrat Agar Maa, Baap ke khilaaf ho, Or bachche maa ki khidmat karein to kya bachche jannati ho sakte he ya nahi, Hazrat Rehnumai karein

Jawab: 103  بسم الله الرحمن الرحيم
Jannat allah ki rehmat se milti hai, baqi ibadaat zariya Zarur hain magar guarantee nahi, Aur aisa bhi nahi ki namazi waliden ka khidmat karne Wala sidha jannat me jaye, magar allah jise chahe, Or iman pe khatima bhi zaruri hai, To apne dil me ye khayal rakhna ki bas waliden ki khidmat Karo, baki shariat ke ahkam ki pervi naa karo to bhi Jannat milegi ye jahalat hai, Aurat ka bila wajeh sharai shohar ke khilaf ho jana Ya mukhalifat karna ya hukm ko naa manna haram hai, Aisi aurat par lanat hai or bais e narazgi e khuda hai, Magar ye unke or unke allah ka muamla hai, aulad par Dono ki tazeem or haq ada karna lazim hai, Aisa nahi ki unki apsi ladai me baap ko bhool jaye Or maa ka sath de, aulad ko dono ke sath wahi
Rawaiya apnana hoga jo shariat ne hukm diya, Dono ke haq bhi ada karne honge, Kewal maa ki khidmat karke, or baap ki haq talafi Karke, jannat ki ummid hamakat hogi,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  104
Agar aurte sone chandi ke bina artificial-jewelry ya kuchh aur pehnti he kya us pe namaz nahi hoti hai.

Jawab: 104  بسم الله الرحمن الرحيم
Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami farmate hain,
(sone chandi ke alawa) doosre dhaat ki anguthi pehnna Haram hai maslan, loha petal, tamba jasta wagera, In dhaaton ki anghuthiya mard wa aurat dono ke liye  Najaiz  Hai
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 426

Fatawa Bareily shareef me hai,
Loha wa tamba petal wa gilt ki anghuthi mard aurat dono ke liye Aur sone ki mardo ke liye najaiz wa haram Baz fuquah ne makruh likha hai lekin sahi yahi hai ki haram hai Inhe pehnkar namaz makruh tehrimi wajib ul iyada hogi,

Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 375 par hai.
Tamba petal aur lohe ke zewraat pehn kar padhne se namaz Makruh tehrimi hogi

Durr e Mukhtar me hai  کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani,  Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai

Khulasa e kalam ye hai ki,
Sona chandi ke alawa kisi or dhaat ka zewar  aurat ko Pehnna jaiz nahi hai, Or agar use pehn kar namaz padhi jayegi  to wo namaz Fir se padhni hogi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 105. 
Huzur ye irshad farmayen ke darhi ek musht rakhna wajib hai or mundana or ek musht se kam karna najaiz. Lekin is najaiz ko kya ye kaha ja sakta hai ke ek musht se kam karna ya mundana “haraam” hai?
 
Jawab: 105  بسم الله الرحمن الرحيم
Daari ka ek musht tak rakhna wajib hai or ek musht se kam kar lene ko HARAM kehna bilkul sahih hai. or kutub e fiqh e hanafiya me lafz haram hi maujood hai, Jaisa ki fuqah kiram farmate hai.
Shah abdul haq muhaddis e dehelvi   گزاشتن آن بقدر قبضہ واجب ست
Yani Daari ko ek musht tak chhor dena wajib hai.
(اشعتہ اللمعات)
 
Aur Bahar E Shariat me hai. .ek musht se kam karna HARAM hai.
 
Fatawa Razaviya Jild: 22 Page: 571 par hai
Daari had e shara se kam naa karna wajib aur Hozoor aur ambiya ki sunnat e daimi aur islam ke shiar se hai Aur iska khilaf mamnu aur HARAM aur kuffar ka shiar 
 
Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 114 par hai.
Daari ek musht se kam karna HARAM hai.
 
Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 258 par he.
Daari mundwana HARAM hai.
 
Fatawa Faqih Millat Jild: 1 Safah: 127 par hai.
Daari mundana ya ek musht se kam rakhna HARAM hai.
 
Fatawa Ajmaliya Jild: 1 Safah: 168 par hai.
Lekin kisi janib se ek musht se kam karna HARAM wa najaiz hai.
 
Is Suwal ke Jawab par pura risala tehreer kiya jaa sakta hai magar sail ko itna Kafi hona chahiye..
 
or yahi chamakte suraj ki tarah roshan hai ki, Daari ka ek musht tak badana wajib aur isse kam karna HARAM Or ek musht se zyada ko kaatna sunnat hai, Or agar haram kaam ko hi haram kehne se 
parhez kiya jayega to  Kya mubah ko haram kaha jayega ?
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  106
Assalamu Alekum 
Mohtaram Kya Shariat-Islaam Se  Kachua (Turtle) Khane Ki Ijazat Hai ?

Jawab: 106 بسم الله الرحمن الرحيم
 وعليكم السلام
Hanafi mazhab me siwaye machhli ke koi dariyai Janwar halal nahi,
Jaise ki..
Fatawa Razaviya Jild:20 Safah: 336 par hai,
Tehqeeq e maqam ye hai ki hamare mazhab me Machhli ke siwa tamam dariyai janwar
Mutlaqan haram hai..  Or kachhwa hamare nazdeek haram hai,
Jaisa ki
AlaHazrat imam ahle sunnat imam Ahmad raza barelvi Fatawa Razaviya Jild: 27 Page: 89 Par likhte hai,
(kachhwa) imam shafai ke sahih mazhab  me bhi haram hai Hamare nazdeek (bhi) haram hai.
أعلمُ بالـصـواب تعالیٰ والله

Suwal no. 107
assalamu alykum pyare bhai. 4 rakat namaz ki Niyatt badhi 2 rakat pe salam fer liya to ab usi ko pura Karen ya dobara pahre

Jawab no. 107 بسم الله الرحمن الرحيم
4 rakat ki niyyat bandhi or 2 par salam pher diya to jab tak koi munafi e namaz kaam na paya jaye jese kalam karna  salam karna kisi ko waghairah ye usi par bina kare yani  2 yaad aate hi 2 rakat or padh le.  Or sajda e sahw karle.  Ye surat farzo ki hai  agar nafil me aisa hua hai to  2 rakat padne ki hajat nahi nafil ka har qada. Qada e akhirah hota hai.    وﷲ تعالٰی اعلم
(Jawab by :Hazrat e allamah Abu riyan Mufti Muhammad Shaneilahi Al-Madani)

Suwal no.  108
Kya Film Or TV Serial Ke Writer Ki Kamayi Halal Hai?  Or Ise Masjid Ya Allah Ke Kaam Me  Lagane Se Sawab Hasil Hoga

Jawab: 108 بسم الله الرحمن الرحيم
Tamam tariff allah izzat wale ki jisne apni muqaddas Kitab me halal aur haram ko wajeh kiya aur dost rakhta Hai suthro ko, azmat wala izzat wala, Aur croro durood, us azmat wale rasool e pak par jinhone
Haram ke sath sath shubahat se bhi bachne ka hukm Diya taki mu dikhane ke qabil rahe kal qiyamat me
Apne rab ke Huzoor or unki aal or ashab par, laakho salam ho,

Hadis e pak me farmaya
طلب الحلال واجب علٰی کل مسلم
Yani Halal rizq ki talab har musalman par wajib hai
Muhaddis abdurrazzak ne apni musannaf main Naql kiya
“Halal rozi talash karo kyunki halal rozi ki talash bhi,  Allah ki raah me (1 guna) jihad hai, Aur jaan lo ke allah ki madad nek tajiro ke sath hai,
 - ----------------------------------------
Film banana serial banana yahan tak ke advertisement Jaise ki aaj kal behoodgi tv par aam hai, ye HARAM hai, Or jo koi aisa kaam kare yani film ya serial banaye us Par us waqt tak gunah hota rahega jab tak wo film wagera Duniya me jaha jaha dekhi jayegi or jab jab dekhi jayegi, Us sab ka fardan fardan gunah bhi or sabhi logo ka gunah bhi Jab koi director film banata hai to zarur kisi writer ki likhi story  Par hi film banata hai, is tarah film serial wagera ke writer Ka kaam bhi HARAM hai, kyunki ye gunah par madad karna hai

Quran pak me allah fermata hai,
Surah maida ayat 02 me
Or gunah or zyadati par ek doosre ki madad naa karo

Fatawa Hindiyya Jild: 3 Safah: 451 par hai
Gunah ke kaamo me kisi ki madad karna Kabeera Gunaho me shamil hai,

Jis tarike se sood ke khane wala gunahgar hai usi tarah Sood me har tarike se madad karne wala yaha tak ki Gawah bhi gunah gar hai,

Yani film me jo behooda bate dikhai jaati hai wo writer ne hi  Likhi hoti hai, jaise ki
Kab mard aurat ko pyar karna hai,
Kab mard aurat ko nachna gana hai
Kab mard aurat ko gale milna hai
Or yaha tak ke hambistari(suhagrat) ke seen bhi writer hi Likhta hai jiski buniyad par film tayyar hoti hai
To ye kaam kis tarah halal ho sakta hai, yani writer fesla Kar raha hai ki kaha ankho ka zina karwana hai
Kaha nahi. Or bhi behoda bate hai jisse sail khud waqif hoga. Film writer ki kamai najaiz hone ka hukm is baat se bhi samjha Ja sakta hai ki, gaane aksar shayari ke qawaneen par Hi likhe jaate hai to kya gaane ka gunah kewal gaane wale Singer or music dene par hoga ya fir use likhne wale par bhi ? Yakinan gaane me behooda alfaz, kufr shirk mojood hote hai  To iska gunah likhne wale par bhi hoga, jis tarah gunah bhari Shayari likhna haram hai, kyunki baz sher me aurat ki zaat ko Khuda se badaya jaata hai, to kahi zaruriyat deen ka inkar, Beshak is tarah likhna gunah haram or baz dafa kufr hai, or  Iski kamai ka kya hukm? Thik wese hi, writer ki kamai bhi jaiz nahi ho sakti Ek to khud ki likhi hui kahani najaiz or ye gunah ke Kaam me madad hai,
Ab raha haram kamai ko kisi nek kam me kharch karne ka Hukm to Baz ulama ne yaha tak farmaya ki.. Haram maal faqeer ko de kar sawab ki ummid rakhna kufr hai
Fatawa Alamgiri me hai
تصدق علی الفقیر شیئا من المال الحرام
 ویرجو الثواب کفر ولو علم بہ الفقیر ودعالہ وامن المعطی کفرا؎
Yani- Kisi ne haram maal se faqeer ko saqda kiya  or sawab Ki ummid karta hai, to kafir ho gaye, or agar faqeer ko Maloom ho ki ye maal haram hai, or uske bawajood usne Dene wale ko dua di or dene wale ne is par ameen kaha To dono kafir ho gaye,

Fatawa Zahiriyya me hai
رجل دفع الی فقیر من المال الحرام شیئا یرجوا بہ الثواب یکفر
Yani- Ek shaks ne faqeer ko maal e haram diya aur us par Usne sawab ki ummid rakhi to kafir ho jayega,

balki jo maal najaiz tarike se hasil kiya jaye use wapas karna wajib hai, or jis surat me faqeer ko
dene ka hukm hai to wahan sawab ki ummid naa ki jaye,
AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Shah Ahmad Raza Barelvi Fatawa Razaviya Jild: 23 Safah: 582 par likhte hai, Haram rupya kisi kam me lagana aslann jaiz nahi Nek kaam ho ya aur, siwa iske ki jis se liya usko wapas de Ya faqeer ko sadqa kare, or farmate hai sawab ki Ummid sakht haram hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Allah t’ala musalmao ko halal khane kamane Or haram se bachne bachane ki tofiq or jazba Ata kare, or meri behisab maghfirat kare,  Talib e dua:- Sayyid Muhammad Sikander Warsi Qadri

Suwal no. 109
Huzur ye irshad farmaye ke Allah se ye dua maangna ke me hamesha khush rahu koi gham o pareshani
mujhe lahiq na ho. Aisi dua maangna kaisa ?

Jawab: 109 بسم الله الرحمن الرحيم
Dua me had se nahi badna chahiye yani Jo chize muhaal (Na-mumkin) ho ya  Kareeb ba-muhal hai dua me nahi Mangni chahiye,

Durre mukhtar Jild: 2 Safah: 287 par hai
Hamesha ke liye tandrusti ya affiyat mangna Ki aadmi ka umar bhar kabhi kisi tarah ki Taklif me naa padhna muhal e aadi hai..
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  110
Huzoor is bare me bhi rehnumai kare.  Ki gaus e azam bade he ya madar sahab. Kya madar sahab gaus pak se zyada fazilat wale hain. Jawab den ajar paye

Jawab: 110  بسم الله الرحمن الرحيم
Awam ko is umoor par behes karna sakht mana hai Khuda naa kare kisi taraf gustakhi ho jaye to Barbadi balki iski shamat se zawal e iman ka andesha hai Shah madar zarur akabir e auliya se hai, Magar is me shak nahi ki Huzoor gaus e azam ka martaba Bahut aala hai wa afzal hai , Gaus apne daur me tamam auliya e alam ka sardar hota hai
Huzoor sayyidina gaus ul azam Walion ke sardar hai,  Hazrat shah badiuddin madar sahab ko
Unse afzal kehna jahalat, iftira wa bohtan hai
Fatawa Razaviya Jild: 26 Page: 559
Fatawa Razaviya Jild: 26 Page:566
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 111 
zohar ki namaz me hum dusri rakat me  aaye or imam ka wajib chhut gaya hai to kya hume bhi sajda sehev karna hoga ya nahi

Jawab: 111  بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han agar imam sajda sahav karega to muqtadi ko Bhi karna hoga, isse kuch gharaz nahi ki muqtadi ka
Wajib chhuta ho ya nahi,

Fatawa Razaviya Jild: 8 Safah: 180 me hai,
Sajda sahav tanha namaz wale par bhi wajib hai or Imam ki sehev ki wajah se muqtadi par bhi.lazim

Bahar E Shariat Jild: 1 Safah: 715 par hai,
Imam se sahav hua aur sajda sahav kiya to muqtadi par bhi Sajda wajib hai chahe muqtadi sahav hone ke baad  Jamat me shamil hua  Kuch satr(line) bad aage hai.
Masbooq imam ke sath sajda sahav kare agrche uske shareek Hone se pehle sahav hua ho. Or agar imam ke sath sajda naa kiya aur baaqi padhne khara Ho gaya to akhir me sajda sahav kare.

Bahar E Shariat Jild: 1 Safah: 590 par hai,
(masbooq) apni fot shuda padhne ke liye khada ho gya  Aur imam ko sajda sahav karna hai, chahe uski iqtida se pehle wajib Tark hua ho to use hukm hai ke lot aye, agar apni rakat ka  Sajda naa kar chuka ho aur naa lote to akhir me ye sajda sahav kare
أعلمُ بالـصـواب تعالیٰ والله 

Suwal no. 112
Hazrat birth day manana chahiye ya nahi ?

Jawab :112  بسم الله الرحمن الرحيم
Isme sharann koi harz nahi. Birthday par aitraz islye kiya jaata hai ki ye Gair kom ka tariqa hai magar aisa nahi hai ki Har wo kaam jo gair kom kare islam me najaiz nahi Or saalgirah naa to gair kom ka mazhabi shiar hai Naa kisi kaum ki khas alamat.. Agar Birthday se muraad ye he ki kisi ki paidaish ke Din khush hona allah ka shukr ada karna Or is wajah se musalmano ko khana khilana Ya chahe cake khilana ya
jiska janamdin Manaya jaa raha hai uski paidaish ki khushi Me us din quran khwani, meelad  wagera karna, to isme kuch gunah nahi, Jabki isme koi kaam khilaf e shara naa ho Maslann, naach, gana mard aurat ka meljol Taali bajana wagera.. Or musalmano ko khilana pilana  jaiz or shariat ko hamesha se mehboob hai..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  113
Gheebat karne se kaise bacha ja sakta hain  aur gheebat karne walo ka ajar kya hai ? 

Jawab: 113  بسم الله الرحمن الرحيم
Gheebat karna haram or jahannam me le jane wala Kaam hai, or gheebat sunne wala bhi karne wale
Ki tarah gunahgar hota hai,  Gheebat aur iski mazammat par behes taweel hai Magar yaha mukhtasar byan kiya jaata hai, Allah ta’ala qubool kare or hume is Mohlikaat e khabeesa se bachne ki tofiq de,

Quran pak surah hujurat ayat 12 me Allah ka irshad e pak hai,
“Aur ek doosre ki gheebat naa karo kya tum me Koi pasand rakhega ki apne mare bhai ka gosht Khaye, to ye tumhe gawara naa hoga,”
Gheebat izzat ko khatam kar deti hai isilye ise Maal or khoon ke sath zikr kiya gaya

Muslim Shareef ki hadis me hai,
Ek doosre se hasad naa karo, bugz wa adawat naa rakho, Nafrat dilane wale kaam naa karo, naa apas me berukhi ikhtiyarKarte huye qat’a talluq karo, naa ek doosre ki gheebat karo Aur aye allah ke bando bhai bhai ban jao,
Or farmate hai madine ke tajdaar,
Gheebat se bacho beshak gheebat zina se bhi sakht-tar hai

“Main shab e meraj aise logo ke pas se guzra jo apne chehro ko Apne nakhuno se noch rahe the, ye log gheebat karte Aur unki abrurezi karte the,”

Allah ta’ala ne Hazrat e moosa (alaihissalam) ki janib wahi farmai,  Jo gheebat se tauba karke mara wo akhri shaks hoga jo jannat me Jayega or jo gheebat par qayam rehte huye mara wo pehla shaks Hoga jo jahannam me dakhil hoga,

Or ye bhi yaad rakhna chahiye gheebat, faqt zuban hi se nahi balki Aankh se, hath se, isharo se likh kar phone par, msg par bhi ho sakti hai
Gheebat sunne se kis tarah bache iski rehnumai karte huye Mere aqa HUJJAT_UL ISLAM IMAM GHAZALI apni Maqbool e jo jahan tasneef Ihya Ul Uloom Jild: 3 Safah: 443 Par farmate hai:
Agar waha se uth kar jaa sakta hai ya guftgu ka rukh badal sakta hai To AISA HI KARE warna gunahgar hoga.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  114                                                             
Agar ek mukammal quran sharif saal bhar me na hua to kiya gunaah hoga?

Jawab: 114  بسم الله الرحمن الرحيم
Gunah nahi, Magar mehrumi az rehmate ilahia zarur hai, Or itna quran yaad karna zarur lazim hai jisse
Farz ibadat mukammal ho sake,
Jaisa ki Bahar E Shariat Jild: : 1 Safah:545 par hai,
Ek ayat ka hifz karna har musalman mukallaf Par farz e ain hai. (Or aage hai,)  Surah fatiha aur ek doosri choti surat ya iski misl Maslan 3 choti ayaten ya ek badi ayat ka hifz, wajib e ain hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 115
Nind ke ghalbe me namaz padhna kaisa hai?

Jawab: 115 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz nahi hogi, Balki agar ek rukn bhi sota raha to wo bhi  ada naa hoga
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 116
Kisi  musalman ka apni dukaan ka maal pakad ke yeh kehna kaisa? "laxmi chhu ke bol raha hun teri wajah se mera maal reh gaya" Iska hawala bhi inayat farma dijiyega

Jawab: 116 بسم الله الرحمن الرحيم
Kuffar ki zuban me peso ko hi laxmi wagera kaha Jaata hai, Kehne wale par aisa kehne se kuch gunah to
Sharnn  nahi or naa ye koi qasm, Ya kufr naa shirk, Magar musalman ko yahi aqeeda rakhna chahiye ki
Rizk allah ke zimme hai kisi ki wajah se allah ke likhe rizk Me koi kami nahi aa sakti.

Jaisa ki quran e pak me  Surah hood 11, ayat 6 me irshad hai:
Zameen par chalne wala koi aisa nahi  Jiska rizk allah ke zimme karam par naa ho
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 117
Kya kafir ko kafir kaha ja sakta hai Ya nahi ?

Jawab: 117, بسم الله الرحمن الرحيم
Kafir ko kafir or musalman ko musalman keh  Sakte hai balki kafir ko kafir or musalman ko Musalman janna zaruriyat e deen me se hai, Or jo log ye bakwas karte hai ki kafir ko kafir  Naa kaho jaane kab musalman ho jaye, jahalat hai Is tarah to musalman ko bhi mosalman naa kaho Jaane kab kafir ho jaye, zinda ko zinda naa kaho Jaane kab mar jaye, Or kuch log kehte hai ki jitna waqt kafir ko kafir kahoge utni der allah allah kar lo,  To uska Jawab ye ki  Ham kab kehte ki kafir kafir ka wazifa kar lo, maqsad ye hai  dil se kafir Ko kafir zarur jaano or waqt  par kafir ko kafir kaha bhi jayega, Balki jo khule kafir ke kufr me shak kare wo bhi kafir, Or ye baat aqeedo me se hai, musalman ko chahiye Ki apne sahih aqeedo ki islah kare,

Allah azzawajal ne quran me bahut jagah kafir ko kafir Or munafiq ko munafiq farmaya, balki surah kafiroon Jo aksar musalman padhte hi hai, Allah ka irshad hai,
Aye mehboob tum farmao  in kafiro se .. (Surah Kafiroon Para 30 Ayat 01)

Fatawa Razaviya Jild: 14 Safah: 653 par hai,
Kafir ko zarur kafir kaha jayega,

Fatawa Razaviya Jild: 15 Safah: :591 par hai
Shifa shareef me hai,
نکفر من لم یکفر من دان بغیر ملۃ المسلمین
 من الملل اووقف فیھم اوشک
(ham har us shaks ko kafir kehte hai jo kafir ko kafir Naa kahe ya uske kufr me shak kare,

Durr E Mukhtar Jild:1  Safah: 386 من شک فی عذابہ وکفرہ فقد کفر
Jisne unke azab aur kufr me shak kiya Wo (khud) bila shubah kafir ho gaya

Bahare Shariat Jild: 1 Safah: 185 par hai
Musalman ko musalman, aur kafir ko kafir janna Zaruriyat e deen se hai . qatai kafir ke kufr me shak bhi aadmi ko  kafir bana deta hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 118
musalman ko cent lagana  jaiz  he ya nahi..?

Jawab: 118
Cent ko lekar baz ulama ne iske jaiz hone ka hukm diya hai, or baaz iske najaiz hone ki taraf hai jaisa ki Tajussharia Allama Akhtar Raza Khan Sahib Qibla farmate hain, cent jisme alcohal ho uska istemal jaiz nahi. or jisme alcohal naa ho use lagane me harj nahi, aisi surat me us masale se bachna hi behtar hai jisme ulama ne ikhtilaf kiya ho, jaisa ki 
Fatawa Amjadiya Jild: :1 Safah: 80 par hai,
agar apne mazhab se khilaf karna lazim naa ho to riyaat e ikhtilaf mustahab hai yani is tarah amal kare ke doosre ke nazdik batil naa qarar paye,
mashwaran: itr lagana sunnat e rasool hai, chahiye ki sunnat pe amal kiya jaye. or is tarah ke bazaru product  naa istimal kiye jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم


Suwal no. 119
Ek sakhs sayyad he or ek shakhas aalim he in me zada rutba ya izzat kiskI ?.

Jawab: 119  بسم الله الرحمن الرحيم
Sayyid ka rutba or muqam apni jagah hai or Aalim ka rutba mukam apni jagah…

Sayyid agar aalim nahi or aalim sayyid nahi To aalim ka rutba allah wa rasool ke nazdeek
Zyada hai…
 Quran (8/39) me allah ta’ala farmata hai
“Tum farmao kya barabar ho jayenge aalim or be-ilm”  (yani aalim or gair-aalim barabar nahi ho sakte)

Or farmata hai tumhara rab Quran (11/87)  me
“allah buland farmayega tum me se momino aur Khas kar aalimo ke darje”

.Aalim ki shaan bayan karte hue AlaHazrat, Fatawa Razaviya Jild: 11 Safah: 716 par likhte hai,
 Ulama ko aam momineen par 700 darje bartari Hai aur har do darjo me 500 saal ka Safar hai,

Muslim Shareef ki hadis hai:
Jiska amal use peeche dhakel de, woh Nasab se aage nahi badh sakta,

AlaHazrat Fatawa Razaviya Jild: 29 Safah: 273 par likhte hai, Fazl e ilm, fazl e nasab se ashraf wa azam hai,
Meer (ameer/Sayyid) aalim naa ho  chahe saleh (nek/parhezgar) ho Aalim sunni sahih ul aqeeda ke martabe  ko sharann nahi pahuch satke…
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 120
Agar kisi nabalig bachche ko namaz aati ho  or wo  aadmio ki saf me khada ho to kya karna chahiye  use hatana chahiye ya nahi. Jis saf me wo bachcha hoga to un admio ki namaz hogi ya nahi.. or jo aane wale log use saf me se bachcho ko hata dete hai sahi krte  he ya nahi..ba hawala jawab den sawab payen..

Jawab: 120
Safon ki tartib ka hukm is tarah hai ki pehle baligh mardo Ki saf ho phir bachchon ki aur uske bad aurato ki saf ho, Jaisa ki Sheikh Ul Islam Burhauddin Abu Hasan (Alaihirrehma) Ne Hidaya me farmayan:
یصف الرجال ثم الصبیان ثم الخناثی ثم النساء
Iski sharah me, fataul qadeer ne abu malik ashari se riwayat karda  Ek taveel hadis naql ki .. imam ke kareeb mardo ki saf uske bad  Bachcho ki aur iske bad auraton ki
(Fathul Qadeer Jild:1 Kitabus Salah Babul Imamat, Safah: 311)

Maraqiul Falah me farmaya: ان لم یکن جمع من الصبیان یقوم الصبی بین الرجال
Yani:- Agar bache zyada nahi to ek bache ko mardo ki, Saf me khada kar liya jaye,
Or nabaligh (samajh wale) bache ko saf me khade Karne ke mutaliiq ek Suwal ke Jawab me  Mere AAQA AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Asshah Imam Ahmad Raza (Alaihirrehma)
Apni Fatawa Razaviya Jild:7, Safah:209  par Irshad Farmate hain
فان صلاۃ الصبی الممیز الذی یعقل الصلاۃ صحیحۃ
Kyuni bachcha (jo namaz janta ho) ki namaz qatatnn SAHI hai, Or farmate hai agar akela ho to use saf ke ANDAR khada kar liya jaye Baz BE-ILM jo ye zulm karte hai ki ladka pehle se namaz me dakhil hai jab ye Aya to use niyat bandha huya hata kar kinare kar dete aur khud beech me khade Ho jaate hai ye MEHEZ JAHALAT hai, isi tarah ye khyal k ladka brabar khada ho to Mard ki namaz naa hogi ye bhi GHALAT WA KHATA hai jiski kuch asl nahi,

Lihaza agar bachcha tanha mojood hai to chunki ek bache ka akela Khade hona MAKRUH hai, is liye wo mardo ki saf me khada HO SAKTA hai Magar jab do bache ho to un ki saf mardo ke peeche alehidah  karna hogi Agar wo mardo ki saf me khade honge to mardo ki namaz makruh hogi, Lekin namaz FASID KISI TARAH NAHI HOTI. Agar bachcha darmiyan e saf me hain to bad me aane wala un ko AAHISTA se pichli saf me khada kar dega, is tarah nahi hatayega Ki bache niyat tor den, or naa hi unse bad-akhlaqi se pesh aye (Waqarul Fatawa Jild:02 Safah:204)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no.  121
Fazr ki namaz padne ke baad agar so jate hain  to Hazrat koi harj hai ya nahi

Jawab: 121  بسم الله الرحمن الرحيم
G, namaz e fajr ke bad sone me sharann to  koi harj nahi so sakte hai..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 122
Hazrat imam hasan ki namaz e janaza kisne padhai hai

Jawab: 122  بسم الله الرحمن الرحيم
Imam hasan ki namaz e janaza unke bhai Imam hussain ne padhai (radi allah anh)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 123
Aksar subah ko ladke napaki me uthte hain. Aur ghusl karte waqt wahi underwear pahne rahte hain  jisme gandagi lagi hui hoti hai. Kya aise ghusl ho jata hai. Ya underwear ko utar kar , barhana ho kar nahaye.? Aur agar khuli jagah me barhana ho kar naha rahe  hain to underwear nahi utar sakte. ?

Jawab: 123  بسم الله الرحمن الرحيم
Napak kapda pehn kar agar ghusl kiya jaye to gusal ho jayega, jabki pehne pehne kapde ko achi tarah dho liya gaya ho aur najasat za’il ho chuki ho,  gusal naam hai, 3 farz ke ada ho jaane ka, yani Kulli, naak me paani or pure jism pe paani bahana, Agar ye ho jaye to napak aadmi paak ho jayega,

Yani agar napak kapda pehn kar ghusl kiya jaye or Kapda bhi pehne pehne dho liya jaye to ghusl bhi ho jayega Or kapda bhi paak, Magar ye baat ajeeb lagti hai shayad hi koi aisa karta ho,

ghusl khana jahan kisi ki nazar naa padhe to bagair Kapdo ke barhana ho kar naha sakta hai or aisi jagah
Pehle napak kapda utar ke pak kiya jaa sakta hai, Fir usi ko pehn kar nahaye ya isi tarah barhana marzi hai

Aisi jagah jaha logo ki nazar padhe ghutne kholna jaiz nahi Yani ghutne sitr me dakhil hai, agar koi aisa underwear pehn Kar nahata hai jisme ghutne khule ho to gunahgar hai, Tehband ka istimal kare, warna payjama hi pehn kar nahaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 124
Is hadees ki authentication (sanad) check kar ke bataye ?? Hazrat Abdullah bin masood (rz.a) bayan karte hain :  Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam ne  sood khane ' khilana ' us k gawah aur likhne wale
(sab) par lanat farmaee hai . Sunan Abu dawood : 3333 (Sanad hasan )

Jawab: 124 بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis durust hai or sahih muslim me bhi naqal hai, Or muslim me iske raawi Hazrat e jabir hai,
لعن رسول اﷲ صلی اﷲ تعا لٰی علیہ وسلم اکل الربوا وموکلہ وکاتبہ وشاھدیہ وقال ھم سواء
Tarjuma:- Huzoor (عليه السلام)ne lanat farmai sood khane wale aur sood dene wale Aur uske kagaz likhne wale aur us par gawahi karne walo par Aur farmaya weh sab barabar hai,
Is hadis e pak ki sharah me  Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi
Meerat Sharah Mishkat Jild:4 Safah: 272 par farmate hai,
Sood khane wale ka pehle farmaya ki yahi bada gunahgar hai Ki sood leta bhi tha aur khata bhi hai doosre par bhi yani Maqrooz aur us ki aulad par zulm bhi karta hai Allah ka bhi haq marta hai aur badon ka bhi
Yehi sunan abu dawood me bhi naql hai, or raawi alag alag ho Sakte hai kyunki jab Huzoor  (عليه السلام) ek baat farmate to zarur waha bahut Sahaba hote the, to kisi ne kisi se, riwayat kara, kisi ne kisi se,

Fatawa Razaviya Jild: 17 Safah: 276 par hai,
Allah ki lanat sood khane wale par aur sood KHILANE wale par Aur sood ka kagaz likhne wale par aur uske gawah par
(is hadis ko, Imam ahmad, abu dawood, tirmizi aur ibne maza ne SAHIH SANAD ke sath abu masood (radiallah anhu) se riwayat kiya  Aur imam ahmad aur nisai ne SAHIH sanad ke sath Hazrat ali se riwayat kiya
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 125
Hazrat mera Suwal hai agar namaz mai kisi ko hajat ho jaye to wo hajat puri karna hogi ya namaz puri karna  hogi  or wo farz namaz hai?

Jawab: 125 بسم الله الرحمن الرحيم
Is Suwal ka Jawab dete huye Mufti Amjaz Ali Azami
Bahar e shariat Jild: 1 Safah: 625 par farmate hai,
Shiddat ka pakhana peshab maloom hote waqt ya Reeh Ka ghalbe ke waqt Namaz padhna MAKRUH TEHRIMI hai Hadis me hai, Jab jamat qayam ki jaye aur kisi ko baytul khala jaana ho to Pehle baytul khala ko jaye
Age farmate hai,
Namaz shuru karne se pehle agar in chiizo ka ghalba ho to waqt Me wus’at hote huye (namaz) shuru karna hi mana wa gunah hai, (Or age likhte hai) Chahe jamat jaati rehne ka andesha ho aur agar dekhta hai ki qaza e hajat Aur wuzu ke bad waqt jata jahega to waqt ki riyaat muqaddam hai  Namaz padh le, aur agar namaz ke dauran me ye halat peda ho jaye aur Waqt me gunjaish ho to namaz tor dena WAJIB hai or isi tarah padhli To gunah gar hoga
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  126
Agar kisi cheez ko lekar pareshan he insan ki ye kare ya wo kare, akhir sahi kya he  Us halat me kaun sa fesla lena sahi he

Jawab: 126 بسم الله الرحمن الرحيم
Istikhara kar liya jaye
Or jab do pareshani samne ho to choti pareshani Ko apna lena chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 127 
Hazrat. Agar mori palti ho to namaz ho jayegi kya ? or agar kisi se keh sakte hai agar mori palti ho to ?

Jawab: 127  بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz me payncho ka morna makruh tehrimi hai. Chahe halat e namaz me mode jaye ya namaz
Shuru karne se pehle, Or is tarah padhi gai namaz fir se padhna wajib hai  Agar kisi ki mori ulti dekhe or fasad ka andesha naa Ho to pyar se samjha sakte hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  128
Hazrat agar kapde pe chipkily gir jaye to kya  bina kapde badle bina use dhule hum namaz pad sakte hain ya nahi

Jawab: 128  بسم الله الرحمن الرحيم
Padh sakte hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  129
Hazrat agar sharab jo pita hai to wo napaak ho jata hai kya ?

Jawab: 129 بسم الله الرحمن الرحيم
Sharab peene se napak nahi hota, yani Ghusl farz nahi hota albatta wuzu jaata rahega Jaisa ki
Bahar e shariat Jild: 1 Safah: 308 par hai
Itna nasha ki chalne me paun larkharaye wuzu tor dega
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 130
LIC ka kam hum kar sakte he ya LIC karva sakte he?

Jawab: 130 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Ha LIC ka kaam yani LIC agent Banne me koi Harj nahi ye kaam kar sakte hai jabki isme or koi Khilafe shariat shart naa ho, maslan jhoot bolna Shart naa ho namaz qaza karna shart naa ho wagera.

Or LIC karwa sakte hai isme koi harj nahi.. Jabki company kafir ki ho, or musalman LIC karwane
Wale ka nafa ho or nuksan naa ho,

Jaisa ki Fatawa Razaviya Jild: 23 Safah: 602 par
Jeewan Beema Ke bare me kiye gaye ek Suwal  Ke Jawab me AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Farmate Hain
Jabki ye Beema Govt.(kafir) Karte hai aur in me apne nuqsan ki Koi surat nahi to Jaiz hai Harz nahi,

Or Masala ye hai ki India Ke Kafir Agar Zyada maal Musalman Ko den to harj nahi Lena Jaiz Hai,
Or yahi ulama ke Fatawa me maujood hai jaisa ki

Fatawa Behr ul uloom Jild: 03 Safah: 45 par hai,
Hindustan ke gair muslim agar apni marzi se koi raqm Musalmano ko den aur is ke liye me koi ujr izzat ko khatra Wagera naa ho to is ka laina JAIZ hai isko jis masraf me Kharch karega jaiz hoga (maslan deeni kaam me bhi)
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  131 
kisi ladki se shadi karni hai to pahle use ek bar  dekh sakte hain ? s hariyat me kya hukm hai ? 
Hazrat is Suwal ki rahnumai farmaiyye ?

Jawab: 131 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han jisse shadi karni hai use dekh sakta hai Magar is tarah ki usse milna naa ho. Or chahe to ladka apne ghar ki aurate bhej kar Use dikhwa sakta hai or wo aurate us ladki ka Haal chehra rang roop wagera byan kar den Magar kyunki daur purfitan hai, lihaza  esi soorat me dekhne ki ijazat hai,. Hadis  me hai,  Kehte hai maine ek aurat ko nikah ka pegham diya Huzoor  (عليه السلام) ne mujh se farmaya ke kya tum ne use dekh liya? Arz ki nahi Farmaya use dekh lo ki us ki wajah se tum dono ke darmiyan Mawafiqt hone ka pehlu ghalib he.  Bahar E Shariat Jild:3 Safah: 442
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 132
Hazrat hum kaun kaun sa pani khade ho kar pee sakte hain

Jawab: 132 بسم الله الرحمن الرحيم
Saare paani khade ho kar pee sakte hai Gunah kisi me nahi or naa khade ho kar paani Peena haram..
Magar khade ho kar paani peena makruh hai, Khilaf e sunnat e gair moakkada hai Magar gunah nahi.. makruh hai. Or sunnat ke khilaf kam karne se bachna chahiye Yani beth kar 2 ya 3 sans me hi paani peena chahiye Magar jo khade ho kar peete hai unhe samjhana chahiye Magar unhe gunahgar nahi keh sakte, Kyunki jab shariat ne khade ho kar khane peene me gunah Nahi rakha to ab kisi ko haq nahi ki apni aql se shariat banaye Mgr ye fail bura zarur hai
Wuzu ka bacha paani or zamzam shareef ka paani Khade ho kar peena mustahab hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 133
kya farmate hai ulmae ahle sunnat is bare me ki patang(kite) ki kharid farokht, ise banana,udana,
lootna, shok se patangbazi dekhna kaisa? or Hazrat apki kya raiy he,

Jawab: 133  بسم الله الرحمن الرحيم
15 August aate hi log patang bazi me apna Waqt barbad karte hai, shayad wo patang bazi ke Sharai masail se waqif nahi hota, Or naa unhe ye andesha hota hai ye kaam najaiz or gunah ka hai,
Jaisa Ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Patangbazi ke kuch
Suwal ke Jawab dete huye FATAWA RAZAVIYA me irshad Farmate hain:
Patang Lootna HARAM hain Khud aa kar gir jaye to use fad dale
Fatawa Razaviya Jild: 24 Safah: 660

Patang Udhana Mana Hai, Pech Lagana GUNAH Hain
Fatawa Razaviya Jild: 24 Safah: 660

Patang udhane me maal ki barbadi hai yeh bhi gunah. Gunah ka Saman (Patang) Bechna Bhi Gunah Hai
Fatawa Razaviya Jild: 24 Safah: 659
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 134
Kide, makode (insects, cockroach, etc)  ya chinti(ants) ko maarna kya gunaah hai?

Jawab: 134 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo janwar moozi hai unhe marna jaiz hai or taklif dene se pehle bhi maar sakte hai, Balki baz to marne par swab hai Jaise chipkali or girgit ke bare me  Hadis me farmaya jo Chipkali or girgit ko pehli zarb me marega Uske liye 100 nekiya,  Fatawa Razaviya Jild: 10 Safah: 742 par hai,

Cheel, kawwa, chooha, chipkali, sanp, bichhu, Khatmal, machhar, pissu … wagaira Khabees aur muzi janwaro ka qatl harm shareef me bhi Jaiz hai aur ahraam me bhi,

Bahar E Shariat Jild: 3 Safah: 655 par hai
Khatmal ko marna jaiz hai ki ye taklif deh janwar hai  cheenti ko marna makruh hai jab tak taklif naa den jaise ki
Fatawa Alamgiri me hai
Cheenti ne izaa pahuchai aur maar dala to harj  nahi warna makruh hai
Ju ko mar sakte hai (chahe) usne kata naa ho ,
Tiddi halal janwar hai use khaane ke liye maar sakte hai Or zarar se bachne ke liye bhi maar sakte hain,
(Bahar E Shariat Jild: 3, Safah: 655)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.135
Teeje ke chane jo bachcho ko bhi baant diye jaate hai fir chahe, bachche ameer ke ho ya ghareeb ke unhe dena chahiye ya nahi

Jawab: 135 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye chane faqeer hi khaye , ghani ko khana nahi chahiye bachcha ho ya bada, ghani bachcho ko unke waliden mana kare,
Fatawa Razaviya Jild: 09, Safah: 617
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 136
Agar kisi ladki ki shadi us ki family jabrdasti  kar de aur ladki ko ladka pasnad na ho  aur ladki reh na paye talaq le le to us ka gunah ladki ke uper hi padega ya us halat me ladki  ko talaq nahi lena chahiye Hazrat,

Jawab: 136 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehle to ye ki ladki ki shadi bina uske qubool e nikah Ke nahi ho sakti, agar dil nahi tha to qabl e nikah
Hi mana karna tha or jab ladki ne nikah qubool kar liya To ye nikah sahi ho gaya, or bila waja sharai is aurat ka Talaq ke liye shohar se kehna sakht nafarmaniye khuda Hai, or aurat kab kab shohar se talak le sakti hai ye baate shariat ne pehle hi bata di hai, mehez ye ki pasand nahi hai ya achha nahi laga to talaq le li ye mamle zindagi ke hai, khail tamashe nahi, chahiye tha us ladki ko ke sabr rakhti or allah usme (shohar me)  use zarur bhalai deta.. beherhal ab talaq ho gai to ladki iske liye allah se toba kare ki
gunah e kabeera bhi sachi toba se muaf ho jata hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 137
Hazrat kya whatsapp par is tarah se kar sakte, jaise ki subhanallah ki jagah log (shahadat or anghuthe
ko mila kar gol dikhne wali pic) commet karte hai Or guzarish ke liye haath jorne ka ishara aur wagerah
cartoon jaise (yani chup rehne ke liye ungli mu par rakhi hui, dua ke liye hath ka pic To Hazrat kya ye sab sahi hai ya ghalat rehnumayi farma dein

Jawab: 137 بسم الله الرحمن الرحيم
Sail ne jo logo Suwal me darj kiye the wo jaandar ki tasweer Ke hukm me nahi or unhe picture kehte bhi nahi Balki unhe “symbol” kehte hai, jisme ek gol chehra (bager kaan ka) Hota hai, or wo hasna ya rona ya chup hone ko zahir karta hai Or hath is tarah hote hai jaise dua kar rahe hai, Or wahi hath, kisi ko hath jorne ke kaam aate hai,  Or us hath jorne ka matlab kuffar ki misl pooja hargiz nahi hota Balki
Agar kisi se kehna hota hai ki khamosh ho jao to Wo hath ka symbol send kiya jata hai, Isi tarah chup rehne ke liye shahadat ki ungli ka (in symbol me harj nahi)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 138
agar hum 4 raqat Namaz pad rahe he aur dusri rakat me Atayyahat padna bhool gaye aur teesri raqat ke liye khade ho gaye to is  soorat mai kya masla hai

Jawab 138.  بسم الله الرحمن الرحيم
Teesri rakat me agar bhool se seedha khada ho jao to bethna nahi chahiye balki namaz ke akhir me sajda sahav kara jayega...
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  139
Hazrat agar koi muslim kisi muslim se tahe dil se koi rista rakhna chahe to kya shariat hame ijazat degi

Jawab: 139  بسم الله الرحمن الرحيم
Musalman apas me bhai bhai hain, Or hadis me bhi yahi targib dilaai gai ki Apas me bhai bhai ho jao, Ab iske baad alag se or dil se koi rishta Rakhna chahe to achha hai,
Magar - Ye rishta mard aurat ke bich nahi hona chahiye, Is tarah ke rishte ko bhi sharait ne roka hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 140
huzur aleyhi salam ki biwiya kitni hai

Jawab: 140 بسم الله الرحمن الرحيم
Huzoor (عليه السلام) ki azwaj ki tadad ko lekar ulama me ikhtilaf hai Magar 11 azwaj ko lekar kisi ka ikhtilaf nahi,
In 11 ummat ki maao (mothers) me se 6 khandan e quraish Ke unche gharano se thin, Or 4 khandan e quraish se nahi balki arab se doosre qabile se thin Or ek (safiya) ye khandan e bani israil ki ek  Shareefunnasab raees-zadi thin,
Seerat E Mustafa Safah: : 651
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  141
Bhai kisi gair Muslim ko Namaste karna our Hath jod kar namaste karna kesa hai Rehnumai kare

Jawab: 141 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaste or namskaar ke maine Adab, tasleem, salam karna, wagera ke hote hai, Jaisa ki
Firoz Ul Lughat Safah: 1379 Par Hai,

Ulama farmate hai, musalman kafir ko NAMASTE kahe Ye haram hai,

Or kafir ke yahan ye shiar e tazeemi hai Or khas shiar e hunood hai to kisi kafir ko namaste nahi karna chahiye, Kyunki jab hadis me fasik ki tazeem ko mana kiya To kafir ki tazeem ki kaise ijazat hogi, Islam ne musalmano ko apas me milte waqt salam Ki targeeb di or Huzoor e pak ne kafir or fasiko or gairo ke tarike se Bachne kahukm diya

AlaHazrat Imam Ahle Sunnat
Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: :378 par likhte hai,
Kafir ko salam haram hai
 Or age likhte hai,
Kafir ya fasik ko salam karne ki sahi zarurat pesha aye to Lafz salam naa kahe naa koi aisa lafz jo tazimi naa ho.. Majboor ho to adab kahe (yani aa mere paun daab)
  
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  142
Hazrat agar hum kisi kafir se taluk rakhte hain  ya dosti karte hain us ke ghar aate jate hain kha pi lete hain, Kya is me koi harz h ya nahi.

Jawab: 142 بسم الله الرحمن الرحيم
Zarur harj hai, bila majburi bhi unki taraf Qadam nahi badana chahiye,  Or zarurat ye hoti hai, jaise dukan se saman Khareedna ya isi tarah ki or bhi, jise ulama kai Kitabo me byan kar chuke hain,

Or bila wajah hi, kafir se mel jol khana peena Nahi chahiye, ki hadis me aya jo jis se mohabbat Rakhega uska anjam uke sath hoga, Jab koi kafir hai allah or rasool par iman hi nahi Lata to kaise hamari dosti usse ho sakti hai, Or khuda naa kare agar uske kisi kufr par razi ya khush Ho gaya ya kisi shirk ke program me shamil ho gaya Or us shirk par khushi ka izhar or razi raha to Zarur khud bhi kafir ho jayega, Or mel jol rakhne walo ke liye bachna mushkil hai ki Aaj kal log duniya ki sharm se khuda ko naraz karne Wale kaam karne se Peechhe nahi hat’te Allah ham sab ko seerat e Mustafa pe sabit qadam rakh,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  143
jo mangne wale aate hai jo rikshe pe mic pe salam record hua hota hai uska jawab de sakte hai ya nahi

Jawab: 143 بسم الله الرحمن الرحيم
Record shuda salam ka jawab dena kuch zaruri nahi Ye record shuda azan ke hi hukm hai
Or ek aham baat
Agar mange wala bina mic ke bhi aye or salam kare To uska Jawab bhi dena wajib nahi, Yani bheekari Mic pe salam sunaye ya fir khud samne aa kar salam Kare dono surato me Jawab wajib nahi, yani Jawab naa diya  To gunah nahi, Jaise ki
Bahar e Shariat Jild: : 3 Safah: 461 par hai
Saail ne darwaze par aa kar salam kiya, uska Jawab  Dena wajib nahi,
(magr is surat me Jawab de dena behtar hai,)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  144
Aurto ko mehndi lagana kyun jayaz hai mard ko haram kyun hai ?

Jawab: 144 بسم الله الرحمن الرحيم
Mehndi aurat ki zeenat ka saman hai aur Aurat ki zeenat Kaa saman aurat hi ke liye hota hai islye jaiz hai, Balki baaz ulama ne bagair mehndi  ke hath aurat Ke liye makruh likhaa hai ki ye mard se mushabihat Hai, or mere nazdik bhi yahi sahi hai, Mard ko mehndi lagana haram sirf hath paun nakhun  Par hai, yani jaha aurat zeenat ke liye lagati hai to Mard us jagah zeenat ke liye nahi laga sakta, ki ye Aurat se mushabihat hai, Or hadis me manahia hai,  Or mard balo or daari pe mehndi laga sakta hai kyunki Aurat zeenat ke liye mehndi balo me istimal nahi karti. Yani mushbihat nahi hui
Or kamar ya kanthe pe agar kharish wagera ke Liye mard mehndi lagaye to najaiz nahi hai ki ye zeenat maqsood Nahi or naa aisa jagah aurat se mushabihat,
Or jo shadi me dulah ke hath or chungali pe mehndi lagate hai Wo haram hai, or jo ise sunnat batate hai,
ALA darje ke jaahil,

Khulasa e kalam ye hai ki –
Aurat ko mehndi isilye jaiz hai ki uski zeenat ka saman hai, Or mard ko haram islye ki ye aurat se mushabihat hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 145
Kya fark he ek deobandi aur wahabi me

Jawab: 145 بسم الله الرحمن الرحيم
Dono ke jahannami hone me koi farq nahi
Dono ke gumrah hone me bhi koi farq nahi,

Dono hi ke aqeede batil hai or baz aqeede Quran sunnat or ijma ke khilaf hai,
Fark itna hai,

Wahabi abdul wahab ko apna peshwa manta hai
Deobandi ashraf ali, Rashid ahmad wagera ko

Wahabi charo me se kisi imam ka mukallid nahi
Deobandi furui masail me imame azam ka mukallid hai

Wahabi quran hadis ke alawa ijma qiyas nahi manta
Deobandi ijma or qiyas ko mante to hai magar amal me nahi late

Dono hi gairullah se madad ke khilaf hai,
Jabki khud inke buzurg iske qayal the,

Dono hi nabi ke gaib ka inkar karte hai, Jabki nabi lafz ka maina hi gaib ki khabar dene wala hai
Wisal ke bad kisi wali nabi se madad ko dono shirk kehte hai
Jabki Imam Ghazali farmate hai, Jisse hayat me madad talab ki jaati hai usse bad wisal Bhi madad lee jaa sakti hai,
zyada jaankari ke liye Bahar E Shariat ka hissa :1 or Ja Alhaq kitab ka mutala mufeed hoga:
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 146
Hazrat mujhe yeh janna he islam me tv dekhna mana he ya usme dikhaye jane wale ghalat tarike, agar islam me tv mana he to tv me Islami channel bhi  ate he kya vo bhi ghalat he ?

Jawab: 146 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab tak tv on nahi yani band hai to use dekhna kuch gunah Nahi, fir chahe band tv ghar me zindagi bhar rakha rahe Magar wo tv kis niyat se khareeda gaya hai iska qiyamat Me zarur hisab hai, Ab raha tv par aane wale program, Video ke jaiz or najaiz hone me hamare ulama ka ikhtilaf hai Or jinhone tv ko najaiz kaha unke nazdeek har qism ka  Program najazi hai fir chahye deeni ho ya duniyawi Or jinhone video ko jaiz kaha to usi surat me jaiz kaha Jab ki uspe kuch khilaf e shara cheez naa diykhai jaati ho Yani agar mard byan kare, naa ads ho naa aurat naa aurat ki Awaz naa bepardagi, to is qaid ke sath wo program dekhne ki Ijazat di gai, maslan, Koi mufti sahab byan kare, yaa naat padhi jaye or aurat Koi music naa ho,
Or mutlaqan video ke jaiz hone me kisi mufti ka fatwa nahi Ye ilzam jhutha hai, or jinhone jaiz kaha unhone sharto ke sath Jaiz kaha hai, aisa nahi ki puri tarah or har program jaiz kar diya Allah hifazat kare dilo me waswase daalne wale iblees se,  (or hamare nazdeek, jaiz video jaiz hai, or unhi sharto ke sath Jo ulama ne byan ki deeni programme dekhna  or Madani channel bhi dekhna jaiz)  Baki aapka taqwa hai, agar aap bilkul hi tv ghar pe rakhna Nahi chahte to bahut hi acha hai, or agar aap ghar se Tv nikal nahi sakte to, zarur wo behayai hi dikhayega, To isse behtar hai, deeni program dekh liye jaye  isse Ghar ke bachche aurate behayahi, naach gano se to bachenge
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 147
Hum ne suna he ki fate pajame par namaz nahi hoti he, Hazrat kya ye sahi he

Jawab: 147  بسم الله الرحمن الرحيم
Agar kapda aisi jagah se fata hua hai ki jo hissa namaz Me chupana zaruri tha to aisi surat me namaz nahi hogi Yani sitr ke khula rehne ki surat me, kyunki namaz me sitr ka chipana namaz ki sharto me shamil hai or shart puri naa karne ki surat me namaz shuru hi nahi hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 148  
Hazrat ek Suwal hai 4 rakat farz namaz  bina jamat ke padhi 2 rakat me sorah fatiha or surat milai 3 rakat me 3 bar subhaan allah  kehne ki mikdaar khadhe rahe fir 4 rakat mai  surah fatiha padh kar ruku sajde karke namaz  mukammal ki to namaz ho jaygi

Jawab: 148 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ho jayegi, Balki Farz ki teesri or chothi me bhi surah fatiha ke Sath surat mila kar padhe to ye mustahab hai..
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 149 
Hazrat gair muslim ne pine ke pani se haat mu dhone ko mana kara hai us pani se wuzu karke namaz padhe  ho jayegi ya nahi .?

Jawab: 149 بسم الله الرحمن الرحيم
Bagair malik ki ijazat ke paani le kar wuzu Ya ghusl karna haram hai, or gunahgar hoga
Magar is surat me wuzu ho jayega or namaz bhi

Fatawa Razaviya Jild: 2 Safah: 479 par  AlaHazrat Imam Ahle Sunnat likhte hai,
Paraya paani (zabrdasti ya chura kar) Istimal me laana  chahe khane peene me ho Ya taharat me haram hai,  Magar wuzu ghusl sahi ho jayenge or un se namaz Ada ho jayegi,

Isi tarah jo sadko par sabeel lagai jaati hai, wo Paani ke peene liye hota hai agar malik ne usse
Hath mu dhone ki ijazat nahi di or koi paani mojood Nahi hai to us paani se wuzu nahi kar sakta tayyamum Karega Jaisa ki

AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Mufti Ahmad Raza Barelvi Fatawa Razaviya Jild: 2 Safah: 482 par likhte hain
Sabeel jo peene ke liye lagai gai ho us ka bhi Yahi hukm hai ki usse wuzu ghusl chahe sahi ho jayenge
(magar karna) jaiz nahi, agar uske siwa aur paani naa mile Aur ise wuzu ya ghusl ki hajat ho to tayammum kare Us (pani) se taharat nahi kar sakta,
---------------
Is masale se bahut log ghafil hai aksar dekha gaya hai ki Log masjid tak se wuzu ka paani bhar ke le jaate hai Jo thande paani ki machine(masheen) masjid me rakhi Jaati hai usse bhi paani bhar ke le jana jaiz nahi, jab Tak un logo ki ijazat naa mile jinke peso se wo lagai gai Balki iski ijazat imam or committee bhi nahi de sakti, Balki agar us machine me 1000 logo ne chanda diya hai to 999 logo ki bhi ijazat kafi nahi. Jab tak sabhi ijazat naa deden  Jo sabeel road par peene ki lagi hoti hai unme se kuch Par to saf likha hota hai “hath mu dhona or bhar ke le jana mana hai” mgar fir Bhi log bottle wagera bhar lete hai, aisa karna haram hai, Allah tala se dua hai ki hame shariat pe sabit  Chalne ki tofiq de
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 150
Aise shaks ke bare me shariat ka kya hukm hai Jo khud ko sunni bataye sari namaz sunni imam ke Peechhe padhe magar, kabhi kabhi jume ki namaz Deobandi imam ke Peechhe padhe, to kya shaks Sunni he ya gumrah ?

Jawab: 150  بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi bhi gumrah firqe ke imam ke Peechhe namaz Padhna gunah hai fir chahe namaz e juma ho ya  Panjgana, agar jaiz hoti to sirf juma hi nahi balki Sari namaz jaiz hoti isilye agar namaz nahi hogi To juma bhi nahi hoga,  
Agar ye deobandio ki kufriya ibrat se waqif nahi hai To zarur aisa shakhs gumrah hai jo jume unke Peechhe padhe Or agar ye sach me sunni hai or deobandi ki kitab me jo Gustakhi likhi hai unse waqif bhi hai or uske bad bhi Jume unke Peechhe padhta hai to aisa shakhs kafir hai, Kyunki kisi ke Peechhe namaz padhna is baat ki gawahi Hai ki wo imam ko musalman manta hai, agar musalman Nahi manta to namaz nahi padhta,  jo jaan jaye ki ashraf ali thanavi or deegar maulvi jin par Kufr ka fatwa hai wo gustakhi ke sabab kafir huye Or Fatawa Hassamul Harmain me hai ki Jo unke kufr me shak kare wo khud kafir hai,

Lihaza ye jo khud ko sunni batata hai, or agar deobandio ke  Kufr se waqif hai to aisa shakhs par fir se kalima padhna  Farz hai, iske saare nek amal barbad ho gaye, Or nikah wala tha to, nikah bhi jata raha, Fir agar bivi rakhna chahe to, kalima padh kar nikah Kare, Or agar ye shaks fir bhi jume deobandi ke Peechhe padhne se Baaz naa aye to musalmano par lazim hai ki Isse boycott kare, or milna julna band kare, jab tak ye baaz Naa aye, tauba karke kalima naa padh le.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 151
Govt. K chalaye gye
1- kisi free program se fayda lena
2- koi subsdity lena
3- berojgari bhatta
4- education scolership lena kaisa hai

Jawab: 151 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai, jabki isme koi shart khilaf e shara naa ho,

Magar aise Suwal karne se pehle sail ko ek bar dhyan Zarur karna chahiye tha ki Suwal me jo chize puchi gai Bas yahi nahi Hindustan ki sarkar apne mulk ke bashindo  Ko or bhi madad deti hai, Or sarkar ki taraf se milne wale sirf in char chizo ka hi  Kya puchna, madad to or bhi hai, Jaise free hospitality, dawa, sarkari school me Kitab, wardi, sasta rashan,  Or 60 sal se zyada umar walo ko bhi fayeda milta hai or  Maine ye fayde ulama ko bhi lete dekha hai,  Or to or madrso ko bhi sarkari madad milti hai, Or hajj ke waqt hajio ke liye bhi kuch scheme hoti hai, Ab agar is tarah ki madad ko najaiz keh diya jaye to  Shayad pure hind ke musalmano par gunah ka  ilzam lazim aa jayega, jisme  awam or ulama dono shamil honge
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.152
Kya teeje ke chane, ghani bhi kha sakta hai, agar nahi to fir ghani uska kia kare,

Jawab: 152 بسم الله الرحمن الرحيم
Faqeer le kar khud khaye aur ghani le hi nahi, le to musalman faqeer ko de de,
Fatawa Razaviya Jild: 09, Safah: 617
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 153
Namaz padte waqt aawaz kitni tez honi chahiye ?

Jawab: 153 بسم الله الرحمن الرحيم
Qirat me itni awaz darkar hai ki agar koi shor, gul Naa ho to khud sun sake,  Agar itni awaz bhi naa ho to namaz naa hogi,
Bahar e Shariat Jild:  01 Safah: 544

Or baz log jo tanha namaz padhte waqt sirf hont hilate hai Ya dil dil me padhte hai, ye padhna nahi or
Is tarah namaz nahi hoti. Or namaz e jehri yani jisme imam tez awaz me padhta hai to usme Jehr ke ye maine hai ki doosre log yani saf e awwal mai sun sake Ya adna darja hai, aur ola ke liye had muqarrar nahi Aur ahista ye hai ki khud sun sake,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  154
apna gunaah dusron ko bataana kaisa ?

Jawab: 154 بسم الله الرحمن الرحيم
Apne gunah ka izhar karna bhi najaiz o gunah hai, Or dekha jaata hai ki aaj kal gunah karke usko Logo me byan karte hai, or school collages me bhi Aaj kal ladke, ladkia, apne gunah bhare karnaame Maslan,  Kis tarah chup ke sharab pi, Kis tarah film dekhi, Kis tarah kisi ko mara ya gali di Or ye bate apne dosto se batate hai, Ye kaam bhi haram or jahannam me le jaane wala hai Balki namaz naa padh kar logo ke samne byan karna, ki meri ye namaz chhut gai ya me siwaye jume ke Koi namaz nahi padh pata ye bhi gunah, Yani ek to namaz chhorne ka gunah ek gunah ka izhar ka gunah Or apne gunah ke izhar ki ek jaiz surat hai jo hadis se bhi sabit Hai ki Agar gunah kisi alim, mufti ko bataya jaye taki uski tauba Or kaffar maloom kiya jaye to ye gunah nahi, Jaise ki hadis me ek sahabi ne roza tor diya fir kaffara Huzoor (عليه السلام) Se pucha to ye izhar naa tha balki tauba ki surat maloom karna Maqsood tha, isi tarah hadis me 99 qatal karne wale shaks ka waqya Ki usne pucha mene 99 qatal kiye hai, kya meri tauba hai, Yaha bhi izhar tauba ki surat byan karne ke liye hai, Magar awam bator e tafrih ye kaam karti hai, ye jaiz nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 155
Maharim rishtedar kise kehte hain? Aur kaunse rishte me parda laazim hai

Jawab: 155  بسم الله الرحمن الرحيم
Maharim me 3 qism ke afraad shamil hai,
1-      nasab ki bina par jin se hamesha ke liye nikah haram ho
2-      rajaa’t yani dudh ke rishte ki bina par jin se nikah haram ho
3-      musaharat yani sasurali rishte ki bina par nikah haram ho
      jaise damad ka sas se, bahu ka sasur se,
aurat ka har ajnabi baligh mard se parda hai jo maharim naa ho, maharim me parda wajib to nahi magar kuch rishte me parda behtar hai, jaise bahu ka daur e purfitan me sasur se parda karna behtar hai, isi tarah ghar me dewar se bhi chehra chipana zaruri hai,
or tafsil bahar e shariat ya “parde ke bare me Suwal Jawab” kitab se mulahiza kare,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 156
Haalate namaz me muskurana, hansna ya rona kaisa?

Jawab: 156 بسم الله الرحمن الرحيم
Ruku sujood wali namaz me baligh ne kehkaha laga diya Yani itni awaz se hansa ki aas pas walo ne bhi sun liya  To WUZU bhi tut gaya or NAMAZ bhi tut gai, Aur agar itni awaz naa thi, ki dusra sune magar itni thi ki Khud ne suna to WUZU baqi hai NAMAZ tut gai,  Muskurane se naa namaz jaati hai naa wuzu
Muskurane ki tarif ye hai ki, awaz naa ho bas daant nazar aye Namaz me rona Dard ya musibat ki wajah se ye alfaz, AAH, UH, UFF, TUF, nikal gaya ya awaz se rone me ye huruf  Paida ho gaye to NAMAZ FASID ho gai, yani tut gai Or rone me sirf aansu nikle awaz ya hurf nahi nikle to harj nahi, (Fatawa Alamgiri)
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 157
Kutte ko danda ya kisi cheez se izaa dena kaisa ?

Jawab: 157 بسم الله الرحمن الرحيم
Bina wajeh kisi bhi bezuban ko iza nahi deni chahiye, siwa unke jiko marne ka hukm hadis me aya hai, maslan chhipkali, wagera,
Bezubar balki kutte par bhi rehm karne ke sabab allah ne magfirat ki hai ye mazameen bhi hadis me mojood hai, jisse sail andaza laga sakta hai ki marna chahiye ya nahi, aur agar kutta pagal ho ki logo ko taqleef ka sabab banega to kutte ko mar dena bhi shariat se sabit hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 158
Zaid ne kutte par gaadi chadha di aur kutta mar gaya. Kya zaid gunaahgar hua, agar hua to iska kaffara kya hoga ?

Jawab: 158 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar zaid apne mutabik sahi drive kar raha tha or achanak kutta samne aya or mar gaya to ise urf e aam e accident kehte hai, Zaid par gunah nahi or kaffara bhi nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.159
Nahida (muslim lady) ne zaid (muslim gents) ko raksha bandhan ki mubarak baad di aur  amr (kafira lady) ne zaid ko raksha bandhan ki mubarak baad di. Ab zaid aur nahida par kya sharai hukm lagega?

Jawab: 159 بسم الله الرحمن الرحيم
Kafir ke “qaumi shiar” ikhtiyar karna HARAM hota hai Kafir ke “mazhabi shiar” ko ikhtiyar karna KUFR hota hai,
Raksha bandhan kafiro ka qaumi tiohaar hai, mazhabi tiohar nahi, Kisi bhi kafir ka qaumi shiar ikhtiyar karna HARAM gunah hai Jaise holi khailna,  Jo chiz unke mazhab me ibadat maani jaati hai wo kufr hai,
Jis musalman aurat ne mard ko rakhi bandi or jis mard ne musalman Aur gair musalman aurat se rakhi bandhwai, ye dono yani Nahida, zaid fasik, fajir, sakht gunahgar, azab ke haqdar hai, Lekin kafir nahi kyunki rakhi bandhna (gair muslim) ka qaumi Tiohar hai, mazhabi nahi (jiski tafsil upar guzar chuki)
Hazrat Shareh Bukhari, Faqih E Azam E Hind, Hazrat Allama Maulana Mufti Muhammad Shareef Ul Haq Amjadi Sahib  Fatawa Shareh Bukhari Jild: 2 Safah: 568 par likhte hai
Jin musalman aurato ne hinduo ko ye dora bandha, Jin musalman mardo ne hindu auraton se ye dora bandhwaya Sab fasik, fajir, gunahgar, azab ke haqdar hai, lekin kafir nahi, Isliye ki rakhsha bandhan pooja nahi unka qaumi tiohar hai,
Kafir ke mazhab ki mubarakbad dena ashad Haram, Or mushriakana fail par razi or khush hua ya taziman
Shamil ho kar mubarak bad di to khud bhi kafir, Aise shaks par tajdide iman or agar bivi wala tha to  nikah, lazim
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  160
Raakhi Bandhna ya Bandhwana Kaisa Hai?

Jawab: 160 بسم الله الرحمن الرحيم
Haram Hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  161
Arabi ko hindi, English ya kisi aur  zabaan me likhna kaisa?

Jawab: 161 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran ki ayato ko Hindi rasmul khat ya Kisi  bhi gair arabi me likhna najaiz o gunah hai  
Hadees aur durood wagera ko likhna gair arabi me Gunah nahi MAGAR ise bhi likhna nahi chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 162
Agar kisi muslim ladki ne kisi kafir ko rakhi bandh di ya kisi muslim ne apne bhai ko rakhi bandh di to kya ye sahi he Hazrat

Jawab: 162 بسم الله الرحمن الرحيم
Jis muslim ladki ne kafir ko rakhi bandhi usne kai haram kam kiye Yani rakhi bandhte waqt use choona, usse milna, Kafir ki tazim, wagera wagera, aisi ladki fasika aur jahannam ki  Haqdar hai, iska parda to quran ne muslim gair mehram tak se Bataya to kafir ke sath uske tiohar me kaise shamil ho sakti hai ?
Raksha bandhan kafiro ka qaumi tiohaar hai, mazhabi tiohar nahi, Kisi bhi kafir ka qaumi shiar ikhtiyar karna HARAM gunah hai Jaise holi khailna,  Jis musalman mard aurat ne aisi harkat ki unhe tauba karni chahiye Aur aainda isse baz rehna chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب

Suwal no.  163
Kisine likha "god could not be everywhere therefore he made mothers " Aisa kehna kaisa ?

Jawab: 163 بسم الله الرحمن الرحيم
This is a “kufriya” belief. If, A muslim who will keep/accept this belief, will be a kafir,
(allah knows better)

Suwal no.  164 
agar kisi ne sharab peeli to ab wo sakhs namaz padhna chahe to kitni der me padh sakta he ?

Jawab: 164 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab nasha jaata rahe aur, munh me badbu wagera Naa ho to namaz padh sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 165
Imam hasan ki janaze ki namaz kisne padhai,

Jawab: 165 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam hasan ki namaz e janaza unke bhai Imam husain ne padhai (radi allah anhu)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 166
Tauba ke tariqe bataye aur isse allah ko kaise razi kiya jaye :

Jawab: 166 بسم الله الرحمن الرحيم
Shareh Fiqh Akbar me tauba ki 3 sharait byan ki gai,
1-mazi par nadamat (sharmindagi)
2-hal me is gunah ko chor dena
3-mustakbil me is taraf naa lautne ka pakka irada,

Ye sharte us waqt hai jab wo gunah kewal tauba karne Wale or allah ke darmiyan ho, jaise jhuth, sharab, wagera,  Or allah ke haq ki adaigi ki kami par tauba ki Jaise namaz roza zakat to iski tauba ye ki pehle to inki kami par Sache dil se nadim ho fir iska pakka irada kare isse ainda kabhi  Ye faut naa ho.
Aur agar kisi ka haq mara aur ab sharminda hai to sirf tauba se Kaam nahi banega, jab tak haq ada naa kare, Maslan kisi ke paise churaye to ab tauba  kafi nahi jab tak Wo wapas naa kar de isi tarah koi kisi ka saman najaiz tariqe Se hasil kiya to bager wapas kare chara nahi, agar wapas karna Mumkin nahi to bager niyat e sawab sadqa kare,
Har gunah kabeera tauba se maaf ho jata hai, Jab gunah kar bethe to foran nekio me izafa karna shuru karde Sadqa wagera kyunki, nekiyan gunah ko mita deti hai, Or allah ko razi karne ke liye Zyada se zyada nafil or mustahab pe amal kare, har farz wajib uske Waqt me ada kare, jhuth, gheebat, chughli, gane baje, haram kaam Se sache dil se tuba kare, or sunnat ka paband rahe,  Jab door se nabi ka gulam nazar ayega to beshak allah razi rahega,  Or jab apni zindagi me nabi ki sunnat or tariqo ko nahi apnaya Jayega, balki gairo ke tariqo pe amal hoga to. Allah wa rasool kaise razi ho sakte hai, (nek amal karta rahe sunnat pe chalta rahe, allah ki rehmat pe nazar rakhe),
(kyu ‘raza’ kurte ho haste utho
Jab wo ghaffar hai kya hona hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  167
‘allah’ ka ma’na kiya hai aur ‘tala’ ka kiya mana hai

Jawab: 167 بسم الله الرحمن الرحيم
Firoz ul lughat Safah: 117 par hai
 الله = khuda, mabood, khuda ka ism  
Or Safah: 363 par hai,
 تعالیٰ = Buland, Ala
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 168
Lughat ka mana(meaning) kya hai aur ise kaise awaam kaise iste'mal kare ?

Jawab: 168   بسم الله الرحمن الرحيم
Jis tarah alfaz mayeni ki kitab ko
Hindi me: शब्दकोश, English me: Dictionary Isi tarah urdu ke alfaz mayen ki kitab ko Lughat kehte hai,
Or urdu ki lughat ki kitab kaa naam ek Firoz ul lughat hai.
Awam ise asani se padh sakti hai, jis lafz ka mayna dekhna Ho uske samne likha hota hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 169
Quran sharif ke tarajim sabse se pahele kis zuban me howe aur kis ne kiya

Jawab: 169 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran ka sabse pehla FARSI zuban me tarjuma SHAIKH SAADI ne kiya
Quran ka sabse pehla URDU zuban me tarjuma SHAH SHAFIUDDIN ne kiya
(Aaina e tarikh Safah: 40)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  170
“Lote ki toti se pani peena bad hai“ ka matlab samajh nahi aya ?? Thodi tafsil kar dete?

Jawab: 170 بسم الله الرحمن الرحيم
Ulama e ahle sunnat ne lote wagera ki toti se paani peene ko makruh likha hai Toti yani lote ka mu jaha se paani ek dhaar banker nikalta hai, Iski wajah hai ki, ho sakta ho usme koi keeda wagera ya muzi janwar Ho or koi tuti se mu laga kar paani pio or wo uske pet me chala jaye Isiliye baz ulama ne hand pump se bhi mu lagakar paani ko mana kiya Maqsood musalman ko taklif se bachana hai, Behtar ye hai ki lote se pani kisi bartan wagera me kiya jaye taki Us par nazar pad jaye ki koi muzi janwar keeda to nahi, Or jo wuzu ke baad bacha paani log lote ki toti se peete hai, to uski wajah ye Hai ki, agar maan liya jaye ki lote ki toti me koi muzi tha bhi to wo wuzu Karte waqt nikal gaya hoga. Isi tarah agar kuch paani se lota dho kar Baha liya jaye taki toti saf ho jaye to peene me harj nahi Or makruh ka matlab gunah nahi. Peena lote ki toti se bhi jaiz hai,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  171
Hazrat sawaal ‘zoad’ ‘doad’ ka makhraj me farq kya hai asal kya hai ?

Jawab: 171 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz ض ise arabi me Dwad padha jayega  Or jo zwad hota hai wo urdu me hota hai
Jaise,  رضا (Raza), urdu me, aur   غَيْرِ الْمَغْضُوبِ  (Gairil MagDoobi) arabi me
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 172
Gunah se bachne ki tarkeeb kya he kyunki gunah kadum kadum par he usse bacha kaise jaye Hazrat ?

Jawab172 بسم الله الرحمن الرحيم
Kasrat se allah ka zikr, Or astagfar ki kasrat karni chahiye,

Jab gunah ki marifat(pehchan) ho jayegi to Us gunah se bachna asan hoga, magar jab ye pata hi Naa ho ki ham jo kar rahe hai wo gunah hai, Yani gunah ki pehchan hi naa ho to koi isse kese bach Sakta hai,  Aaj jhuth, gheebat, chugli, gaane, film, wagera aise kaam Hai jo aam hai, magar asfos aaj koi inhe gunah tasawwur tak nahi karta, Yaha tak facebook, whatsapp par paisa or time ko barbar Karke namaze qaza kar dena ya paise or waqt ki barbadi Bhi israf hai najaiz hai, magar ise bhi koi gunah ka khyal  Nahi karta, isilye behtar hai ilm e deen hasil kiya jaye Fir roshan ho jayega ki gunah akhir hote kya hai, Bahut logo  to kuch kaam ko gunah hi nahi mante Halaki wo gunah hote hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 173
hadees sharif ki rivayat ki tafsir hai jo meri samajh me nahi aayi , Thodi tafsil kar dete?
“do chize hargiz jama nahi ho sakti namaz e chasht aur muflisi”

Jawab:173 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaha ye kaha jata hai ki “do chize jama nahi ho sakti” iska matlab Kabhi mubalga hota hai kabhi amal e nek ki taraf targib dilana hota hai Jaise Ye kaha jaye ki ujala or andhera ek sath jama nahi ho sakta yani Agar ulaja hoga to andhera nahi hoga or agar andhera ayega to ujala nahi hoga Qk ujala hote hi andhera nahi hoga, ye dono ek sath nahi ho sakte. Isi tarah us ibarat me kaha gaya ki Namaz e chasht padhne wala muflisi or faqiri tangdasti ka shikar nahi ho Sakta yani jo ye namaz padhe allah use faqiri se nijat dega..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  174
Ye btaaen ki kya ala Hazrat zat se sayyed the..agar nahi to unke aage sayyed kyu likhte hai...aur agar haan..to ye qissa jo mash’hoor hai ki ek bar kahi jate waqt unhe pata chala ki ek ghareeb shakhs zat se sayyed hai ..to unhone apni sawari se utar kar use baithaya..aur uske peeche namaz bhi padhi

Jawab: 174 : بسم الله الرحمن الرحيم
AlaHazrat, zat ke Sayyid NAHI the, apka ism AHMAD RAZA KHAN hai, Yani aap pathan hai, Lafz sayyid ke mayene SARDAR/SARPARAST wagera ke hote hai, is liye AlaHazrat ko Sayyidi AlaHazrat kaha jata hai. kyunki aap apne daur ke mujaddid e azam hai, or sare aalimo or sunniat ke imam, rehnuma,  SARDAR/SARPARAST hai, Or apke liye ye lafz zat ke liye nahi balki buzurgi ke liye lagaya jata hai, azmat ke liye lagaya jata hai.. Hadis me hai:  Abu baqr hamare SARDAR hai aur, aur unhone hamare SARDAR Bilal ko azad kiya,  Yahan bhi Hazrat abu baqr ko sayyid kehne ke matlab sardar hai,
Palki wala waqya sahi hai, magar namaz bhi padhi iska mujhe ilm nahi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  175
Hazrat tez bhunk lagne par aksar mai bishmillah padhna bhul jata hun, to aise me kya karna chahiye,  Aur koi wazeefa inayat farma dein

Jawab: 175 بسم الله الرحمن الرحيم
Abu Dawood aur Tirmizi aur Hakin ne Hazrat Aiyesha (Radiallah anhu) se riwayat kiya ki, HUZOOR (عليه السلام) ne farmaya: Jab koi shaks khana khaye to Allah ka naam zikr kare yani “بسم الله” padhe aur SHURU ME “بسم الله” bhool jaye to ye padhe Bismillahi-Awwalhu- Wa akhir hu-
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah:360
Wazifa:
Namaz e panjgana ke bad sar pe hath rakh kar 11 bar “ya qawiyyu” padhne se Dimag tez hoga , yani bhoolne ki bimari jaati rahegi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  176
Is ibarat me tawagiri kise kehte hai, “do chize hargiz jama nahi ho sakti tawagiri aur badkari”
Tawagiri kise kehte hain ?

Jawab: 176 بسم الله الرحمن الرحيم
Yani amiri, duatalmandi, ghani hona,
Jab koi shaks zina me padhta hai to muflis ho jata hai yani Ameeri or zinakari ek sath jama nahi ho sakti,
Zina karega to daulat wala nahi rahega.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  177
Pichhle yaani Suwal 176 me zinakari ka zikr kiya gaya hai, Isse muraad ain zina hai ya isme haathon ka aur aankh wagera ka zina bhi shumaar hoga?

Jawab: 177 بسم الله الرحمن الرحيم
Zina, se murad badkari yani mard aurat ka bagair shadi ek dusre se lazzat hasil karna.  Aur hadis me badnigahi ko bhi aankho ka zina kaha gaya, magar jaha zina lafz islimat Hota hai usse murad wahi pehle wala zina hota hai, or aankho ke zina ke liye badnigahi jaise lafz istimal hote hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 178
Namaaz e jumma ka khutba sunna agar kisi muqtadi se chhut gaya to kya gunaah hoga?

Jawab: 178 بسم الله الرحمن الرحيم
Gunah Nahi hoga, Khutba sunna wajib un par hai jo namaz ke liye us majlis me hai, yani hazireen e masajeed par Jo abhi ghar se nahi aaye ya nahi ayenge to khutba naa sunne ke badle gunahgar nahi.
Bahar E Shariat Jild: : 1 Safah: 774 par hai
Jab khutba padhe to tamam hazireen par sunna aur chup rehna farz hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  179
khana khate time koi salam kare to jawab dena chahiye  ya nahi.

Jawab: 179 بسم الله الرحمن الرحيم
Khana khane wale ko salam ka Jawab dena wajib nahi yani Jawab nahi dega to gunahgar nahi, or agar munh me luqma (niwala) naa ho to jawab de sakta hai, marzi hai,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  180
Sunni aur wahabi ka masala kya he Hazrat abhi hum samajh nahi payen ?

Jawab: 180 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunni, mukhaffaf yani short form hai “ahle sunnat wa jamat” ki Yani wo jamat jo Huzoor (عليه السلام) or sahaba ke raste pe hai jinhe is daur me Barelvi kaha jata hai or haqiqat me isi maslak ke logo ka deen wahi Deen hai jise deene muhammadi kaha jata hai, sunniat ya barelviat Raai ke daane barabar bhi quran or sunnat or deen e Mustafa se Juda nahi hai,
Wahabi: Ye ek naya firqa hai jo 1209 me paida hua, jiska bani mohammad bin abdul wahab najdi tha, Jisne tamam arab o ajm me fitne paida kiye ulama ko qatl kiya, sahaba or shaheedo ki qabre tor dali, Or hozoor ke roze ka naam sanam e akbar rakha yani bada butt, or bhi tarah tarah ke zulm kiye Jiske bare me Huzoor (عليه السلام) ne pehle hi bataya tha.  Is abdul wahab ke bete ne ek kitab likhi jiska naam “Kitabut tauheed” tha, isika tarjuma Hindustan me ismail dehelvi ne kiya jiska naam  Taqwiyatul Iman rakha is firqe ne allah ki bhi tauheen ki aur rasool allah ki bhi, Isi kitab wagera se inke aqeede zahir hai or batil bhi or quran o sunnat ke khilaf bhi ye jamat siwaye apne sabhi ko mushrik manti hai, Nabi ko murda manta hai, gair se madad ko shirk, niyaz fateh, mazar wagera ko bidat. Or Huzoor (عليه السلام) ko shafat karne wale manti hai naa mukhtar, or inki kitabo me ye sab likha hai ki, hozoor ki tazim aise karo jaise bade bhai ki balki isse bhi kam, (mazallah) Balki in KHABEESO ka aqeeda he ki Huzoor (عليه السلام) bas hamari tarah insan hai, or kuch nahi, isi tarh or bhi batil aqeede hai, jiske liye aap bazaar se sunni ulamao ki kitab jo deobandio wahabio ke radd me likhi ho padh le, apko sari jankari mil jayegi.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  181
Sarabi jis bartan me khana khata hai us me khana kha sakte hai Jab ke bartan ko dho liya gaya ho ?

Jawab: 181 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Ha Kha Sakte hain,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  182
Hazrat kya jumme ki namaz jab talak nahi hogi jab talak fajar ki namaz e qaza ada na ho? Jese bhot log 2 rakat qaza padhte hai jumme se pehle ?

Jawab:182 بسم الله الرحمن الرحيم
Jumme ke din ki fajr naa padhi or jume se pehle uski  Qaza bhi nahi padhi to bhi namaz e juma ada ho jayegi Agar kisi ke khyal me ye baat hai ki jab tak jume ki Namaz naa hogi jab tak fajr qaza naa kar lo to ye ghalat Hai, or namaz e fajr jumme ke din ki ho ya aur din ki Bila wajeh sharai qaza kar dena HARAM hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  183
Is ibarat me hum saaya  kise kaha gaya hai, Sadhe chaar (4.5) masha kitna hota hai,
Aur khamir se muraad kya hai ? Ibarat ye hai: “Jo apne ham-saye ko ek miskal bhar khameer de, to uska swab kal qiyamat ke din Uske mizaan e amal me pahar ke barabar ho jayega. Mulk e arb me mishkal 4.5 masha ka hota hai, “

Jawab: 183 بسم الله الرحمن الرحيم
Hamsaya yani padhosi ko kehte hai or khameer gundhe aate wagera ko kaha jata hai, masha tole se kam hota hai yani takribann 1 tole me sawa 11 masha hota hai, isse ap andaza laga le ki 4.5 masha kitna hua,
Yani agar koi apne padhosi ko kuch aata bhi de kar madad kare to chahe adha tola ke kareeb hi kyun naa ho to qiyamat me iska sawab pahar jitna dekhega.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 184
Apni sharik e hayat (wife) se kabhi kabhi in 3 tarah ke jumlo(words) se guftugu(baat) ki jaati hai :
a) "chup ho jaa meri maa"
b) "tu abhi bachchi hai"
c) "meri bachchi" yaa English me "my baby"
 is tarah jumlo(words) ko istemal(use) karna kaisa?

Jawab: 184 بسم الله الرحمن الرحيم
Is tarah ke jumle bivi se nahi bolne chahiye, mgar isse nikah par koi farq nahi
Jumla (b) aksar awam me kam akli ke liye istimal hota hai  Jaise ki tu abhi bachchi hai, yani kam aqal hai tu ye kaam nahi kar sakti ya tu ye nahi samajh sakti, wagera wagera.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 185
kya peer o murshid kisi orat par aa sakte hai ?

Jawab: 185 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi bhi murshid ya wali ya shaheed ki sawari ya hazri Naa kisi aurat me aati hai naa mard pe ye, fizol, or jahalat ki Baat hai or shariat ke khilaf hai,
Waqarul Fatawa Jild: 01 Safah:177 par hai
Kisi mard ya aurat par kisi buzurg ki sawari nahi aati, Sirf jinnat ka asr hota hai wo bhi kisi kisi par, magar is jinnat se Suwal karna ya ainda ka haal maloom karna najaiz hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 186
Kya rumaal bandh k namaz padh sakte hain? yani topi ke badle rumaal bandh kar namaz ho jayegi ?
  
Jawab: 186 بسم الله الرحمن الرحيم
Bagher topi rumal bandh kar namaz ho jaygi or rumal itna bada ho Ki sar pe kuch pech lipat sakte to wo imame ke hukm me hoga or  Agar itna bada nahi to makruh jaisa ki  Fatawa Razaviya Jild: 7 Safah: 300 par AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Farmate hai,
“rumal agar bada ho ki itne pech(bal) aa sake jo sar ko chhupa len, to weh Imama(hi ki misl) hoga, aur chota rumal jisse sirf ek do pech aa saken, Namaz me lapetna makruh hai,

Or rumal is tarah sar pe rakhna jaise ki ajkal arab ke log rakhte hai ki Dono kinare latke rehte hai ye Makruh Tehrimi hai jaisa ki

Bahar e Shariat  Jild: 1 Safah: 624 par hai
“rumal ya shal ya razai ya chadar ke kinare dono mondhe se (kandhe se) latakte ho Ye mana hai or (namaz me) makruh tehrimi hai aur ek kinara doosre mondhe par daal Diya (to harj nahi)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  187
Hazrat surma lagana kaisa hai ? Kya surma laga ke namaz padh sakte hai?

Jawab: 187  بسم الله الرحمن الرحيم
Surma lagana Sunnat hai khas kar sone se pehle surma lagana chahiye Isse sunnat ka bhi swab milega
Hadis Tirmizi me hai: Huzoor (عليه السلام) sone se pehle har aankh me ismad surme ki 3-3 salai lagate the.

or agar ye sunnat logo ko sikhaye or ghar walo Ko bhi ispe amal  karwaye to unka bhi sawab payege, kyunki aaj kal  Kuch khas sunnat logo me se khatam hoti dikhti hai, unme ek ye bhi he ki Log sote waqt surma nahi lagate.. Or surma lagane me sunnat ye ki, 3-3 salai istimal ki jaye, Huzoor (عليه السلام) ka aksar amal isi par tha. Or kuch riwayat me seedhi aankh me 3 salai or ulti me 2 ka zikr hai Or dono ankh me 2-2 salai lagane ka bhi zikr hai.. Lihaza hame kabhi 3-3 kabhi 3-2 kabhi 2-2 har sunnat apna leni chahiye.
Allah se dua hai ki allah apne pyare rasool ki chamakti ankho ke sadqe Mujhe or sail ko or tamam sunnio ko har sunnat pe amal ka jazba or tofiq de.

Surma laga kar namaz bila karahat jaiz hai.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 188 
Hazrat ganda sochna (jaise ki kisi ko dekh ke automatic jehan me aa jata hai “wow” like that, u know what i means) aur ganda karna jo ki ham karte hain dono me gunah ka kya hai (ganda karne ka matlab kisi ko zaban se chhedna kuch gali wagairah dena ladkiyon ko chhedna aur mushtzani bhi karna )..

Jawab: 188  بسم الله الرحمن الرحيم
I understand what your means in you question.

Jo chize Suwal me puchi gai, maslan Kisi ko dekh kar badnigahi yani ladki dekh kar “wow” jaise feeling ya harkat Or uspe yani rang, shakl, jism ki banawat wagera par comments karna, Kisi ko gali dena ya ladki chhedna ya ladki ko dekhna or mushtzani karna.
Ye sabhi kaam HARAM HARAM HARAM hai,  or aisa shakhs fasik hai naa Isse salam jaiz naa iske sath uthna bethna,  Aise shaks par tauba karna wajib hai. or allah ki bargha me ro ro ke toba kare astaghfar ki kasrat karni chahiye. Or aise shakhs ko chahiye ki subha sham pani par 21-21 bar أعوذ بالله من الشيطان الرجيم padh kar dam karke piye or namaz or sunnat ki pabandi kare or is tarah ki bure dosto ka sath jald chor de, or raha mushtzani to aise shaks par nikah wajib hai Or mushtzani karne wale ke bar me hadis me aya ki “ispar allah ki lanat hai,”  “hashr me aiso ki hatheli Gabin(pregnant) uthengi,”
Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: 244
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  189
Is Page me ye In alfaaz ke wajah se pura mas'ala samajh nahi aa raha.. Lahav, ashya, bar-aks.  Wagera..

Jawab: 189 بسم الله الرحمن الرحيم
(ye sail ki janib se ek scan Page the jispe ye masale darj the jinke urdu lafz ko
Asan kiya gaya hai…
“Khail kood, tamashe” ka “saman” ghar me rakhne se bhi aadmi gunah gar hota hai, Jaise guiter, radio, tv lodo, shatranj, musical khilone, wagera wagera, Jaisa ki Para: 21 Surah Luqman me hai “aur kuch log khail ki bat(saman) khareedte hai, ki allah ki rah se behka den,  Be samjhe aur ise hansi bana len,  inke liye zillat ka azab hai, Aur Hadis me har khail ko batil kaha gaya siwaye 3 ke, teerandazi, gudsawari, aur bivi ke sath khail/mazak wagera,  (Sahih Muslim)  Ladkio ke liye gudiya se khailna jaiz hai
Bahar E Shariat Jild: 3, Safah:510
(ashyan= saman, cheeze,)
(Bar-aks= ulta/opposite)

Or iske bar-aks ye masala hai ki quran kisi ne apne ghar me rakha or Kabhi nahi padhta ho gunah gar hota hai, Or agar khali gharme is niyat se quran rakha jaye ki barkat ho to Gunahgar bhi nahi.

Jaisa ki Fatawa Khaniya, me hai, Kisi ne mehez khair o barkat ke liye apne makan me quran rakha chhora or tilawat nahi karta to gunah nahi, balki iski ye niyat bais e swab hai,
Bahar E Shariat Jild: 3 Safah: 495
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 190
Kya pilastik ke Kangan ya kuchh bhi pehnne se namaz ho jati hai

Jawab: 190 بسم الله الرحمن الرحيم
Plastic ke Kangan churi wagera pehn kar namaz Ho jayegi
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 191
Kya masjid ki topi jinhe masjid ke bahar pehenne me haya aaye, unko pehen ke namaz ho jayegi?
jaise ki plastic ??,  Ya chatai, jisse banti hai usse bani topi, yaa meli topiyan,

Jawab: 191
Masjid ki topi pehn kar namaz ho jayegi, chahe chatai ki ho ya plastic ki, Meli topi, jisse namazi ko iza pahuche ya badbu paida ho to aisi topi Masjid me pehnna or masjid me ana or masjid me rakhna bhi haram hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  192
bachcho ki musalmani .(khatne) kis age me ho jani chahiye hadis me is ke liye bhi kuch bataya he???

Jawab: 192 بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis Kanzul Ummal me hai, Hazrat Ali (radiallah) se riwayat hai ki “apne bachche ka 7ve din khatna karo ki ye gosht ugne ke liye jaldi aur suthra hai aur dil ke liye rahat hai,”

Bahar E Shariat Hissa 16 Safah: 200 par hai
Khatna karna sunnat hai or ye shiar e islam me se hai ki isse musalman aur kafir Me imtiyaz hota hai, isiliye ise musalmani bhi kaha jata hai , Wiladat ke 7 din ke bad khatna karna jaiz hai, khatna karne ki muddat 7 sal se 12 sal tak hai,

Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: : 204 par hai,
Bachche ki khatna bap khud bhi kar sakta hai…
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  193
Kon bada Dushman Hamara, kafir ya Wahabi..

Jawab: 193  بسم الله الرحمن الرحيم
Dono hi deen e islam ke bahut bade dushman hain,  fark ye hai ki ek khula dushman hai doosra chupa dushman hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 194
Isha ka waqt kab tak hai. Kis waqt isha qaza ho jati hai. Or kya rat ko 12 bje ya 12.30 baje namaz ya quran ki tilawat nahi karni chahiye? Kuch logo ka manna hai ki wo waqt jinnato ka hota hai isliye nahi padna chahiye.

Jawab:  194 بسم الله الرحمن الرحيم
Isha ka waqt puri raat tak hai, yani jab tak subha sehri ka waqt khatam naa ho jaye isha hi ka waqt hai,
Jab subha sadiq ka waqt lagte hi isha ka waqt khatam ho jata hai, misal ke liye ye samje ki 4:45 am par sadiq ka waqt lagega yani isi waqt sehri ka waqt bhi khatam hoga, iska matlab hai 4:44 tak isha hi Ka waqt hai,  Quran ya namaz 12 ya 12.30 rat ko padhna jaiz hai, or agar us rat isha nahi padhi to isha padhna farz hai, hamare buzurgo se puri rat namaz padhna sabit hai jaise gaus e azam or imam e azam jaise walio ne bhi puri rat namaz Padhi to kya is waqt 12 ka waqt bich me nahi aya or fir khud Hazrat e Fatima ki puri rat ka namaz padhna or bhi sahaba ka puri rat namaz tilawat karna ? Ye ghalat khyali hai ki jinnat ka ye waqt hai, or isme tilawat or namaz nahi padhni chahiye.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 195
Asr ke aur magrib ke beech main suna hai kuchh nahi khana chahiye ek roze ke jitna sawab milta he kya ye sach he.

Jawab: 195 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye sach nahi hai, asr aur magrib ke bich khane me kuch harj nahi, or naa khane se Ek roze ka sawab milega iski shariat me kuch asl nahi, Hota ye hai ki hamare buzurg is dauran kuch khate peete nahi the, or ye unka taqwa tha, to log ye samajh bethe ki shayad is dauran kuch naa khane se roze ka sawab hoga.
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no.  196
is ibarat ki kuch tafseel kar dete, ibarat yeh hai, “teen cheezo me sharakat karna jaiz nahi, shana, khilala, miswak,” isme sharakat or shana se kya murad hai,

Jawab: 196 بسم الله الرحمن الرحيم
Yani Teen chizon me hissedari karna (partnership) jaiz nahi,
1. Kangha (comb), 2. apni miswak me aur 3.khilal,(dant saf karne ka ala)

Matlab ye hai ki ye teen chize apni hi istimal karni chahiye, doosre ki istimal nahi karni chahiye Or hadis me doosre ka kanga (comb) istimal karne se bhi mana kiya hai Isi tarah miswak or khilal, kyunki ye chize aisi hai ki dusre ke munh ki hoti hai to har shaks dena Pasand nahi karta maslann agar kisi se kaha apne khilala ya miswak hame dikha do, to ho sakta hai Wo sharam se mana naa kare, magar dil naa chahe kyunki munh me istimal hone wali chize hai, Yaad rahe ijazat ke sath dho kar kisi aur ki miswak istimal karna jaiz hai, or ye jo najaiz kaha gaya iska matlab gunah nahi, yani ye chize agar koi apni marzi se de to istimal kar sakte hai, Magar bachna behtar hai, ye saman doosre ka balki har saman kisi ka bhi mangne se  bachna chahiye, hadis me ye mazameen bhi mojood hai ki Huzoor (عليه السلام) ne kisi se bhi koi chiz mangne ko mana kiya, (chahe namak (salt) hi kyun naa ho)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  197
Shadi ki pahli raat me dulha aur dulhan ko Namaz padni hoti hai  Is bare me pura masla btaiyye,  Hazrat

Jawab: 197 بسم الله الرحمن الرحيم
Shadi ki raat namaz e shukrana padh sakte hai, aur iski tarkib aam namazon ki si  Hoti hai mard aage hoga aur bivi peeche is namaz ka fayeda insha allah ye hoga ki Aurat mard ki farma bardar rahegi, Baaqi ke muamla kitab “kareen e zindagi” se mulahiza kare,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 198
Hazrat kuchh sapne ke bare main suna he wo achchhe nahi hote jaise ki khane ka sapna pani ka sapna kapde ka sapna kya sapno ki bhi koi haqikat hoti he kehte he fajr ke time sapna dekho to wo sach hote he Hazrat ye muamla samajh nahi aate hain

Jawab: 198 بسم الله الرحمن الرحيم
Khawab ki haqiqat hai, ye bekar ki chiz nahi, Quran me Surah Tauba Ayat 46 me allah azawajal ka farman hai: Iman walo ke liye basharaten hai dunya aur akhirat me,

Or is ayat ki tafsir me Tafseer E Mazhari me hai ki
Huzoor (عليه السلام) ne farmaya yahan basharat se murad ache khwab hain, Jo insan khud dekhe ya uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye,

Or Mishkat Shareef ki hadis me Huzoor (عليه السلام) ne farmaya,
Nabuwat ke faiz se bas basharate baqi hai, yani ab koi nabi nahi hoga magar Basharate hoti rahengi. Sahaba ne arz ki Huzoor basharate matlab farmaya  basharat se murad ache khwab hain, Jo insan khud dekhe ya uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye Sahih Bukhari ki hadis me hai, Tum me se jab koi aisa khwab dekhe jo use pyara maloom ho to allah ki hamd kare, Aur logo ke samne byan kare,

Agar koi nek acha khwab dekhe to allah ka shukr kare, agar koi bura nafsani khwab Dekhe to tauba kare, sadqa kare, ki acha khwab allah ki taraf se hai aur bura shaitan ki taraf se, Or kabhi aisa bhi hota hai ki jo din bhar insan ke dimag me chalta hai ya insan jis chiz ke bare me sochta hai wahi khwab me ata hai, or har khwab ki tabir juda hoti hai, or aksar subha ke waqt ke khwab sche hote hai magar aisa nahi har bar wo sache honge..

Khwab ki tabeer ki liye puri tafseer darkar hoti hai maslan kapde ke khwab me kya dekha, Sirf kapda dekha, khoon se sana dekha, kis rang ka dekha, khareedte dekha ya bechte dekha kapdo me aag lagte dekha wagera wagera, Khwab me  khana peena dekhne bura nahi hota, Khana khate dekhna ki tabeer- nematon me izafa hone ki dalil hai Paani peena  ki tabeer -  kamiyab hone se ki jaati hai (or kapde ki tafseel mujhe naa di jaye, me tabeere nahi batata)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  199
Mera Suwal ye he ki aksar log kehte he ki magrib ki azan ke waqt sare kam rok dene chahiye aisa kyu ?

Jawab: 199  بسم الله الرحمن الرحيم
Ye khas magrib ke liye nahi balki har azan ke liye hai ki azan ke waqt Apne kaamo se ruk jana chahiye
Jaisa ki Durr E Mukhtar, Aur Fatawa Alam-Giri me hai ki Jab azan ho to utni der ke liye salam kalam aur salam ka Jawab aur tamam kaam moquf kar dijiye yaha tak quran padhna bhi, azan gaur se suniye aur jawab dijiye. Lihaza ye har azan ka hukm hai ki azan sunte hi har kam se ruk jana chahiye chalna firna, bolna, khana wagera, Magar aaj dekha jaata hai ki log azan ke waqt apne kaamo yaha tak ki baato me bhi mashgool rehte hai unhe gaur karna chahiye ki.. Bahar E Shariat Jild: 1 Safah: 473 par hai Jo azan ke waqt baato me mashgool(busy) raha uska khatima bure par hone ka khauf hai  Aur azan ke foran bad dua karni chahiye ki  hadis e pak me hai,
Azan ke bad qubooliyat ke darwaze khol diye jaate hai, aur dua qubool hoti hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 200
Janab sayed mohammad sikandar warsi sahab ek masla mera bhi hai ap hal den to ahsan hoga wo ye he ki. Ek hadis hamari samajh nahi aa rahi ki iska mtlab kiya hai. Hadis ye he. Ki Huzoor ne farmaya. “Momin ek  surakh se do bar nahi kata jaata”. Iska kia matlab hai.. Allah apko jaza e khair de.

Jawab: 200  بسم الله الرحمن الرحيم
Huzoor (عليه السلام) ne ye kab aur kis moke par farmaya agar ye pata chal jaye to hadis samajhne me asani hogi

Ye waqya us waqt pesh aya ki ek shaks jo kafir shayir tha Huzoor (عليه السلام) ki shan me sakht sher kehta tha, ek jung ke dauran use pakad liya gaya qaid kar liya gaya, usne Huzoor (عليه السلام) se muafi mangi or kaha ki wo ab ainda aisa nahi karega, to Huzoor (عليه السلام) ne use chhor diya. Magar wo baz naa aya. Aur apni us harkat me mashgool raha. Ek bar fir se ek jung ke dauran wo qaid kar liya gyaa usne fir Huzoor  (عليه السلام) se mafi mangi or ainda tang naa karne ka wada kiya us waqt Huzoor (عليه السلام) ne farmaya ; “momin ek surakh se do bar nahi kata jata” Jiska matlab ye hai ki, jis surakh se bichhu ne ek bar dank mara ho to usme doosri bar ungli nahi karni chahiye. Yani jisse ek bar dhokha kha chuke hai fir uske kehne me nahi ana chahiye or bad me us shaks ko qalt kar diya gaya.. qk wo pehle bhi jhuth bol kar wada khilafi kar chuka tha.. or apni harkat se baz naa aya tha…
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 


2 comments:

  1. my questions is: Mene masturbation kiya pr kspro pr koi qatra nai laga to kya me gusal kr is kapro me namaz parh sakta hu bina kapre dhoye..?

    ReplyDelete
    Replies
    1. gusl bad, wahi kapde pehn sakte hain - masail ke liye sms.warsi@gmail.com use kiya kijiye

      Delete