Suwal 201 to 300 (Masail e Shariat Jild 1)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Abu Rayyan Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 1) 
--------------------------------------------------------------------------------------------
Suwal no.  201
Agar kisi ghalti ki wajah se kisi mare huwe insan ko taqleef hui ho aur wo sapne me ajayen or kahe ki aisa na karo phir bhi wo insan wahi karta he jab baad main use ahsas ho ki hume aisa na karna chahiye sahi nahi tha phir aisi halt main kya karna chahiye Hazrat, ki mare huwe insan hume maaf kar de.

Jawab: 201 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye Suwal, koi masala nahi hai, is group me koshish karni chahiye ki apni zarurat ke masale Puche jaye,

Ulama e ahle sunnat farmate hai ki, jis chiz ki khabar koi murda de yani jo duniya se jaa chuka hai wo sahi hoti hai (jab tak shariat ke khilaf hukm naa de)
Jab kisi marhoom ne khwab me aa kar kisi kam se rukne ko kaha or wo kam sach me sahi nahi tha  ya apke haq me sahi nahi tha to usse rukna chahiye tha warna istikhara karna chahiye tha.. Behrhal uske liye isal e swab kiya jaa sakta hai.. mafi ka isme mutalba nahi ki khwab wale ka hukm naa manna koi haqtalafi nahi..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  202
Kya hakike se Pahale qurbani jayz hai or Pehli qurbani  kis ke Nam par hona chahiye

Jawab: 202 بسم الله الرحمن الرحيم
Sail ne jise lafz “hakika” likha hai wo asl me “aqeeqa” hota hai ainda khayal rakhen, Qurbani aur aqeeqe ka apas me koi talluq nahi, agar koi ye samjhta hai ki  Jisne aqeeqa nahi kiya ya jiska aqeeqa nahi hua wo qurbani nahi kar sakta to ye ghalat hai, aqeeqa sunnat hai aur iski bahut fazilat hadis me aaya hai, magar naa karna gunah nahi. Aur jiska aqeeqa naa huya ho to wo khud bhi apna aqeeqa kar sakta hai. Jaisa ki
Fatawa Razaviya Jild: 20 Safah: 588 par hai,
Jiska aqeeqa naa hua ho wo jawani aur budape me bhi apna aqeeqa kar sakta hai.

Qurbani wajib hai (sahib e nisab par), aur jo logo me ye mash’hoor hai  ki pehli qurbani ghar me bade ke naam se hoti hai ya Huzoor (عليه السلام) ke naam se ye ghalat hai, qurbani usi ke naam se hogi jis par wajib hai, chahe bete par wajib ho to bap ke naam se nahi ki jayegi, agar ki to beta ka wajib ada naa hoga, han, ek kaam ho sakta hai beta apni qurbani ada karne ke bad chahe to kisi ke bhi naam ki kare, jaiz hai, magar apni tark karke kisi aur ke naam se nahi kar sakta..
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 203
Kya aurto ko mazar shareef pe jana mana he aur agar mana he phir to Hazrat

Jawab: 203 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat ko mazarat e auliya ki hazari najaiz hai. Almalfooz me hai,
ye naa pucho ki auraton ka mazaron par jana jaiz he ya nahi, balki ye pucho ki aurat par kis qadr lanat hoti hai allah ki taraf se aur kis qadar sahib e qabar ki taraf se, jis waqt ghar se irada karti hai lanat shuru ho jaati hai aur jab tak wapas aati hai firishte lanat karte rehte hain, siwaye roza e rasool ke kisi mazar par jaane ki ijazat nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  204
Hazrat is Suwal ko hawale k sath hi reply Karen pancho waqt ki farz namaaz me jaise 4 rakat le lo asr ki farz namaz me attahiyat ke bad jab khade hote hai fir us waqt surah fateha ke bad koi Surat padi jati hai ya nahi,  Rahnumai farmaiyye Hazrat,

Jawab: 204 بسم الله الرحمن الرحيم
Farz namaz ki akhri do rakat yani teesri or chothi rakat me, sureh fatiha padh sakta hai, Or surat bhi mila sakta hai, ye mustahab hai yani koi aisa naa kare to bhi harj nahi, aur koi chahe to sirf surah fatiha bhi padh sakta hai, warna 3 bar subhan allah bhi keh sakta hai or chahe to 3 bar subhan allah ki mikdar chup bhi reh sakta hai yani kuch naa padhe, magar Bahar e shariat me hai ki kam se kam 3 bar subhan allah keh le ki chup rehne se behtar hai,

Waqarul Fatawa Jild: 2 Safah: 69 par hai,
Farz ki teesri aur chothi rakat me sureh fatiha ka padhna mustahab hai,

Or Ala Hazrat Imam E Ahle Sunnat se isi ke mutaliq Suwal hua
Ki ek shaks farz namaz ki akhri do rakat me bhi sureh fatiha padhta hai aur surat milata hai, to uski namaz farz hui ya sunnat,
Iske jawab me AlaHazrat Muhaddis E Barelvi farmate hai,
“farz hui, aur namaz me kuch khalal naa aya, naa is par sajda sehev tha, Balki agar jaankar bhi farz ki akhri do rakato me surat milai to kuch harz nahi, sirf khilaf e aula hai, magar baaz aaimma ne ise mustahab hone ki tashri farmai,
(Fatawa Razaviya Jild: 08 Safah: 192

Yaad rahe ye hukm tanha namaz padhne wale ke liye hai, imam ko akhri do me qirat makruh he.

Khulasa e kalam ye hai ki agar koi tanha namaz padhe to charo rakat me tilawat kar sakta hai, or imam agar akhri do me qirat kare or muqtadi par giryan guzre to jaiz nahi..
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  205
Suna hai kale rang ke kapda ya kali koi bhi cheez pehne udne main istemaal nahi karni chahiye kya Hazrat ye sahi hai..

Jawab: 205 بسم الله الرحمن الرحيم
Kale kapde pehnna jaiz hai, magar muharram ke mahine me kale or hare rang ke kapde pehnne se bachna chahiye ki shia se mushabihat hai. or kale kapde pehnne me gunah nahi, magar kale jute pehnne se hamesha bachna chahiye ki kale jute fiqr ko badate hai or peele jute/chappal pehnna fiqr ko kam karte hai,
Tafseer E Ruhool Byan (sureh baqra ki ayat 69 ki tafseer me) me hai ki
Hazrat Ali ne farmaya:
Jo peele rang ka joota pehnega hamesha khush rahega.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 206
nikah ke waqt jaiz kaun kaun si chize hain, hum ne suna hain ki hath me churi ya nikah ki anguthi ya naak main keel hona zaruri hota hai aur nikah ke liye naya hi kapda ho.

Jawab: 206 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo cheese Suwal me puchi gai nikah inme se kuch zaruri nahi, nikah naam hai ijab o qubool ka yani agar koi baligh mard aurat, do gawah (mard, ya 1 mard do aurat)  ki mujoodgi me sharai meher ke sath khud nikah karna chahe to bhi nikah sahi ho jayega, in chizo ke yaa naye kapde ke naa hone se nikah par kuch farq nahi aata.
Han, aurat ko bagair zewar ke rehna makruh hai, to behtar hai ki koi naa koi zewar zarur pehne or ye khas nikah ke liye nahi balki aam halat me bhi he,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  207
Agar aurat apne maharim rishtedar ke saath (mazar par) jaye aur sahib e mazar ka jahan qayam ho wahan, andar daakhil na ho, jab bhi gunaah ka imkaan hoga yaa mubaah hoga?

Jawab: 207 بسم الله الرحمن الرحيم
Gunah maharim rishtedar ke sath jaane me hi byan kiya gaya hai, Warna gair mehram ya akele to aurat ko kahi bhi jaane ki ijazat nahi to mazar ka puchna hi kya. Gair mard ke sath to bazaar bhi jana haram hai… or akele mazar par jayegi to tanha Safar ka bhi gunah or mazar par jaane ka bhi. Or agar shohar sath le jaye to wo bhi gunahgar.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  208
Jumme ki Namaz me dusri azaan masjid ke ander honi chahiye ya bahar

Jawab: 208 بسم الله الرحمن الرحيم
Sirf azan e juma hi nahi sabhi azam masjid me padhna khilaf e sunnat hai Or har azan masjid ke dayere se bahar hi honi chahiye.

Fatawa Qazi khan Jild: 1 Safah: 37 ینبغی ان یؤذن علی المئذنۃ اوخارج المسجد ولایؤذن فی المسجد
Tarjuma: Azan minare par ya masjid ke bahar chahiye, Masjid me azan naa kahi jaye
Or Fatawa Razaviya Jild: 8 Safah: 500 par hai
Hamare aimma ne tasreeh farmai ki azan masjid me dena makruh hai.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 209
ek wahabi ne ye Suwal kiye he
1-muzawri karna haram
2-kabr ko sajda haram
3-pukhta kabr banana haram
4- thele mele lagana haram

Jawab:209  بسم الله الرحمن الرحيم
Muzawar ki tashreeh jo mujhe sail ne bad me batai usse ye samajh aya ki Jo log mazar e auliya par bethe hai yani jinhe khadim bhi kehte hai, Mazar ki khidmat karrne me harj nahi.

Qabr ko sajda karna haram hai, balki hamari shariat me sajda e tazimi haram ha Magar har chiz ka naam sajda nahi, balki log mazar par chadar ko bosa dete hai. Or ye bhi adab ke khilaf hai aisa bhi nahi karna chahiye.

Pakki qabar banana haram hai, magar wahabi mazar ko pakki qabar samajhta hai Ye uski aql ki kharabi hai, or jo mazar pakke hote hai wo qabar pakki nahi hoti Balki qabr ke charo taraf. Ek box type hifazat ke liye banaya jaata hai jo qabar nahi hoti. Or qabar ka pakka hona haram hai. magar mazar pakki qabar ke hukm me nahi Jis tarah lohe ki anghuthi pehnna haram hai. magar uske charo taraf chandi ka khol chada liya jaye to jaiz hai. is khol ke andar loha hifazat se hota hai thik wese hi.  Asli qabr us box ke andar apni asli kachchi halat par hoti hai.
Mazarat e auliya par mele thele, ghane baje, nach, aurat mard ka sath hona, or qawwali or use tafri gah banana jaiz nahi isko hamare ulama ne bhi haram kaha hai.
Wahabi se hamara asli ikhtilaf unke batil aqaid ko lekar hai, magar wo apni kufr par baat nahi karta or sunni ko in chizoe me uljhaye rakhta hai. halaki inme hamare koi ikhtilaf nahi..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 210
Agar koi aurat apne soher se baat karne main aise gusse main aise lafz istemaal krti ho “abhi unhe batati hu”   “wo apne aap ko smajhte kya hain” wagera wagera

Jawab: 210 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo lafz sail ne bataye wo samne nahi bole jaate jabki sail ne kaha ki “shohar se bat karne me” koi samne aise nahi kehte ki “abhi unhe batati hu” kyunki lafz “unhe” bata raha hai ki aisi baat Peechhe ki gai agar samne ki jaati to is tarah hota ki “abhi tumhe batati hu” Or samne ke liye lafz “tumhe ya “apko” istimal hota hai. or samne koi aise bole “wo apne apko kya smjhte hai” khilaf e adat maloom padhta hai kyunki yaha bhi jumle se lag raha hai ye baat Peechhe kahi gai samne nahi warna samne “wo” naa hota “tum ya aap” hota is tarah “tum apne aap ko samajhte  kya ho” khair.
Bila wajeh sharai musalman ki dil azari haram hai, or shohar ki to or sakht-tar. Agar ye alfaz aurat ne ladai ke tor par unke Peechhe kiye to haram, ki gheebat bhi hui or agar ye mehez mazak me the ya is tarah ki ladai me bachcho ke liye tafrih ke tor par bole jate hai ki “aane de tere papa ko batati hu tu khana kha” to gunah nahi. Warna gunah. Or aurat ko shohar se mafi mangni chahiye or uski farmabardar banker rehna chahiye. Hadis ke mutabik agar kisi ghair ko sajde ka hukm hota to aurat ko hota shohar ke liye isse shohar ki azmat maloom ho rahi hai. Allah se dua hai ki musalmano ko naa-ittifaqion se bachaye rakhe.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  211
suna hai Hazrat khali pet matlab bhukh lagi ho aur bina khana khaye namaz nahi hoti hai yani bhuke pet namaz nahi hoti hai ?

Jawab: 211 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye us waqt hai ki jab bhook ki sakhti zyada ho to namaz me bhi khane ya bhook par dhyan rahega lihaza aisi surat me pehle khana kha lena chahiye, or agar itni tez bhook nahi or pehle namaz padhna chahe to padh sakta hai, aisa nahi ki bhooke pet namaz nahi hoti Warna ramazan me zuhar asr hogi ya nahi ?

Isiliye mankul huya ki jab dastarkhwan bhichhaya jaye or jamat qayam ho to pehle khana kha lo. Yani agar tez bhook ho or namaz me bhi khane ka khyal ane ka guman ho. Warna namaz padhi jaa sakti hai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 212
Agar juma ki namaz chhoot jaye to kya zohar ki namaz jamat se padhi ja sakti hai ? agar han to kahan masjid me hi ya ghar pe agar nahi to fir kyun nahi  Plzzz tafseeer se batayen

Jawab: 212 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar jumme ki namaz chhoot gayi ho ya jis par juma wajib naa ho to jamat qayam nahi ki jaa sakti, tanha tanha apni zohar padhni hogi,

Durr e Mukhtar Jild: 3 Safah: 36 par hai
Jis par juma farz nahi un logo ko bhi juma ke din shehar me jamat ke liye zohar padhna MAKRUH E TEHRIMI hai, chahe namaz e jume hone se pehle jamat kare ya bad men, Yunhi jihe juma naa mila wo bhi bagair azan wa bagair iqamat zohar ki namaz tanha tanha padhen, jamat in ke liye bhi mana hai,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  213,   
train main bina ticket travel karna ya bina platform ticket station  me jaana kaisa?

Jawab: 213   بسم الله الرحمن الرحيم
Train ya bus me bina ticket Safar karna najaiz. Or isi tarah bina platform ticket liye Chori se station ke andar jana bhi najaiz hai. Hadis e pak me irshad huya (mafhoom) Khud ko zillat par pesh naa karo.

Ye kaam khud ko zillat par pesh karna hai ki agar pakda jaye to zalil kiya jayega agar nahi to jurmana dena hoga. or jurmane se bachna chahe to rishwat deni hogi, Or YAAD Rahe hamare mazhab me jurmana lena or dena dono HARAM hai isi tarah rishwat bhi dena Haram hai or lena bhi.. to bila wajeh itne gunah me padhne ki kisi surat ijazat nahi. Lihaza aise har kam se bachna chahiye jaha ye surate pesh ayae.. ki khud ko zillat par pesh karna padhe ya rishwat deni pade ya jurmana dena padhe..

Aur jisne ye kiya maslan bila ticekt bus wagera me safar kiya to use wo safar ke paise wapas karna wajib hai, aur iske wapasi ki surat is tarah hogi :- maslan, andaza kare ki kitni bar bagair ticket safar kiya agar mana jaye ki 5 bar safar kiya aur har bar 10 Rs. Ke ticket lena zaruri tha to use 50 Rs. Wapas karne honge, to wo yun kare ki 10 Rs. Tikect le aur safar naa kare ya kahi jaye to do ticket lele, ek uske safar ka hoga aur ek pichle safar ka isi tarah 50 Rs. Pure ada kare, yani ticekt le aur safar naa kare, isi tarah platform par agar chori se ghusa tha to bhi yahi surat hai, ki raqam ka hisab laga kar unhe bhi isi tarah wapasi kare, maslam platform ticket le aur andar naa jaye waqt aa jaye, IS TARAH USKE YE PAISE GOVT. KE KHATE ME PAHUCH JAYENGE,

وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  214
Ahle sunnat Group kya Huzoor tajushshariah ke farman ko manta hai ya nahi, Aage manta hai to mai Huzoor tajushshariah ke Suwal jawab ke kuch audio group me post kar dia karun ya nahi

Jawab: 214 بسم الله الرحمن الرحيم
Group ke admin or ghalibann sabhi Hazrat sunni hai or maslake alaHazrat par qayam dayam hai. audio bhejne ki ijazat nahi, kyunki isse Suwal jawab par farq padhta hai, Or audio se mana karna is baat ki dalil nahi ki tajusshariat ko nahi mante. Kisi ko manna naa manna group me audio bhejne ya rokne se sabit nahi hota Or kisi ko bhi ye batane ki zarurat nahi ki kon kise kitna manta hai. Mohabbat ka ajar qiyamat me khuda dega, banda nahi, or agar koi nahi manta to wo khud qiyamat me bhugtega magar aise behooda Suwal ki. Kon kise manta hai fizool hai
Fatawa Amjadiya me hai.
Bekar ke Suwal karna HARAM hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  215,
bakar ka maal zaid ki gaadi me aa raha hai zaid ki gaadi late ho gayi, jiski wajah se bakar ka Rs. 2000/- ka nuksaan ho gaya.  Ab kya bakar zaid par jurmana laga sakta hai ? Pichhla Suwal me jurmana lena dena dono haram farmaya gaya tha.

Jawab: 215 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar zaid ki gaadi kisi majburi ki halat me late hui yaani zaid ne jaan kar ye naa chaha tha ki bakar par jurmana ho to bakar zaid se paise nahi mang sakta. Or aksar hota bhi yahi hai ghadi kharab ho sakti hai warna road par rash ho sakta hai…
Jis Suwal me mene rishwat, jurmana haram kaha uska matlab ye nahi ki har surat me haram hai. kuch sharait ke sath kuch kam kuch waqt ke liye jaiz ho jaate hai. jaise quran me suar khane ko haram kaha magar kisi ke pas khane ko kuch nahi or haram hi khane ko hai or bhook se jaan jaa rahi hai to use jaan bachane laiq khana farz hai naa khayega to gunahgar hoga, isi tarah Ulama farmate hai ki, apna haq agar jaiz tariqe se naa milta ho to rishwat de kar hasil kiya jaa sakta hai. or is rishwat ka gunah lene wale par hoga dene wale par nahi. Shariat ka ek qaida he ki zarurat mamnoh ko mubah kar deti hai. Yani jo chize shariat me haram ya mana ki gai, to zarurat ke waqt jaiz ho jaati hai
والله أعلمُ بالـصـواب

 Suwal no.  216
Zaid ne kaha:
"kaam khatam ab zara pet puja kar ke aata hun" Pet puja khana khane ko kaha gaya hai.
Aisa kehna kaisa ?

Jawab: 216 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye ek muhawara hai, jiska matlab sab par roshan hai apne Suwal me byan bhi farmaya diya. Lafz pooja? zara logo ko ajeeb lagta hai, halaki sirf pooja, shirk nahi hoti jab tak ye saf naa kar diya jaye ki pooja allah ki ya gair ki. Alaharazrat Imam E Ahle Sunnat ne bhi Apne tarjuma e quran  kanzul iman me sureh fatiha ki ayat ka tarjuma ye kiya ? ham tujhi ko pooje or tujhse hi madad chahye, Yani lafz e poojna to likha magar allah ke liye. Lihaza aisi fizool bate bolne se bachna chahiye or saf byan karna chahiye ki ?ab khana kha lu?
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  217
Is mas'ale ki thodi tafsir farma den.
“roti ka tukda neeche gir jaye to uski tehkir naa karo balki dastarkhwan par hath se jo tukda gira hai use utha kar khao, kyun ki uska sawab hurul ain ki meher ke misl hai. jisne gire huye roti ke tukde uthaye aur khaye uski barkat se amraz e junoon wa juzaam uske badan se aur uski aulad ke aur aulad ki aulad ke badan se khuda door kar dega.

Jawab: 217  بسم الله الرحمن الرحيم
Ibarat apne mafhoom se saf zahir hai ki roti ki tazeem ka hukm diya jaa raha hai. Or ye ki dastarkhan par giri roti ko uthe ka khane ka hukm diya hai. bahut riwayate is bare me mankool hai, or dastarkhwan se giri roti ko bina saf kiye khana chahiye. Ye khane ke sunnat o adab me shamil hai. Or iska fayeda jo ibarat me naql hai wo ye ki, Jo shaks ispe amal kare. Junoon yani pagalpan, juzam yani kod ke marz se uski aurad dar aulad ko allah mehfooz karega..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  218
ladkiyan jo chudi daar pehnti hain kya hukm hai, hadees main kya pehnna jaiz hai Hazrat ?

Jawab: 218 بسم الله الرحمن الرحيم
Is qadr chust aur tang kapda pehnna najazi or gunah hai jisse jism ki banawat nazar aye isi tarah aisa jisse jism ki rangat nazar aye haram hai,

AlaHazrat Imam Ahmad Raza Khan Mujaddid E Azam Muhaddis E Barelvi
Fatawa Razaviya Jild: 22 Page: 162 par likhte hai,
“yunhi tang peyjama bhi, naa chooridar ho naa (mard ko) takhnon se neeche, Naa chust badan se sile, ki ye wazeh fussaq hai, aur sitr e aurat ka aisa chust hona ki aza ka pura andaz banaye. Ye bhi ek tarah ki be-sitri hai,

Chooridar payjama pehnne ke bare me AlaHazrat Imam Ahmad Raza Barelvi  
Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: 172 par likhte hain, “chooridar payjama pehnna mana hai ki wazeh fussaq ki hai, Shaikh Abdul haq muhaddis e dehelvi kitab adab al libas me farmate hain:
سراویل کہ در عجم متعارف است کہ اگر زیر شتالنگ باشد یا دوسہ چین واقع شود بدعت وگناہ است
Tarjuma: shalwar jo ajami ilaqo me mash’hoor wa maroof hai agar takhno se neeche ho ya do teen inch (shikan/choori/bal) neeche ho to bid’at aur GUNAH hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 219
Hazrat hath me dhaga bandhne ke bare main kya hai, hadees main ham ne suna hai ki hath me dhaga bandhna shirk hai ?

Jawab: 219 بسم الله الرحمن الرحيم
Shirk aur bid’at kis cheez ka naam hai iski tafseel wahabi thik tariqe se shayad janta bhi nahi islye har kaam shirk aur bid’at hi nazar aata hai,
Kalai me dhaga bandhna shirk nahi magar hath me dhaga nahi bandhna chahiye naa mazar ka naa nazar ka, han, taweez pehn sakte hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  220
Gair muslim se salam karne ya salam ka jawab dene ke bare me kya hadis hai? Mehrbani karke tafseel bayan kare

Jawab: 220 بسم الله الرحمن الرحيم
Salam tazeem karna hai, jab hadis me fasik ki tazeem ko mana kiya To kafir ki tazeem ki kaise ijazat hogi

AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: :378 par likhte hai,
Kafir ko salam haram hai
Or age likhte hai, 
Kafir ya fasik ko salam karne ki sahi zarurat pesh aye to Lafz salam naa kahe naa koi aisa lafz jo taziman naa ho.. Majboor ho to adab kahe (yani aa mere paun daab)
  
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  221
Agar hum pak saf hai lekin ba wuzu nahi hai to kya ese me Quraan e pak ko chhuna bhi gunah hai? Bina wazu ke Quraan e pak ko nahi uthana chahiye?

Jawab: 221 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han Gunah hai, Bagair wuzu quran ko chhuna haram hai, jaisa ki Bahar e shariat Jild:1 Safah: 301 par hai,
“Agar wuzu naa ho to, namaz aur sajda e tilawat aur namaz e janaza aur quran chhune ke lye wuzu karna FARZ hai”  Aur bewuzu quran ki ayat ko bhi hath lagana gunah hai, bewuzu quran ki ayat wala taweez likhna bhi najaiz o gunah. Magar bina chhuye dekh kar padha jaa sakta hai wo bhi bewuzu, napak ko ye bhi jaiz nahi,
Or agar quran mote kapde me hai to use uthane me harj nahi, or isi tarah kisi mote kapde se pakad kar bhi,  magar wo kapda apne jism par istimal naa ho jaise jis chadar ko odh rakha hai uske kinare se quran nahi pakad sakte.
Or bewuzu mobile aur tablet ya computer me quran ko chhu sakte hai yani screen par hath laga sakte hai. magar ulama ne isse bhi mana farmaya, magar gunah nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  222
Hazrat khatna kaun kaun se mahine main nahi karwa sakte hain ?

Jawab: 222
Wese koi mahina manhoos nahi, jis mahine bachcha paida ho uske 7ve din karwani chahiye
Isme mahine ki qed nahi, fir chahe jis mahine paida ho, bas bachche ki sehat aur mausam dekha jaye, sakht garmi wagera ke lihaz se.

Hadis Kanzul Ummal me hai,
Hazrat ali (radiallah anhu) se riwayat hai ki apne bachche ki 7ve din khatna karo ki ye gosht ugne ke liye jaldi aur suthra hai aur dil ke liye rahat hai,

Bahar E Shariat Hissa 16 Safah: 200 par hai
Khatna karna sunnat hai or ye shiar e islam me se hai ki isse musalman aur kafir Me imtiyaz hota hai, isiliye ise musalmani bhi kaha jata hai , paidaish ke 7 din ke bad khatna karna jaiz hai, khatna karne ki muddat, 7 sal se 12 sal tak hai,

Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: 204 par hai,  Bachche ka khatna bap khud bhi kar sakta hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  223
Hazrat agar bivi kuran sahareef ki tilawat nahi karti he na namaz padhti he shohar baar baar kehta he namaz padhne ke liye lekin wo phir bhi nahi padhti hai aisi halat me kya bivi ko shohar chhor sakta hai ya aise hi halt soher pe ho to kya bivi chhod skrti hai

Jawabb: 223 بسم الله الرحمن الرحيم
Qur’an ki tilawat roz naa karna gunah nahi. Or namaz e qaza karna zarur gunah e kabira hai Is surat me shohar par ye lazim nahi ki  talaq de hi de, magar koshish kare or use samajhata rahe. Nasihat kare or halki maar wagera me bhi harj nahi, use khud se juda kar de, nazargi zahir kare baat wager  karna band kar de. taki wo isse baz aye or namaz qayam kare Isi tarah aurat bhi is wujoohat ki bina par talaq nahi mang sakti. Lafz Qur’an ki sahi spelling is tarah hai, jaise hamne byan ki. Naaki us tarah jaise Suwal me likha gaya
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  224
"Wuzu karne ke baad munh pochhna makruh hai" Kya ghusl(bath) ke bad bhi yehi mas’ala mana jayega?

Jawab: 224 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu ke bad aza e wuzu ko puri tarah khushk karna nahi chahiye balki kuch tari baqi rakhni chahiye. Or jo upar Suwal me darj hai makruh hai usse murad makruh e tanzihi hai naaki makruh e tehrimi yani koi poch le to bhi gunahgar nahi, or hadis me aya ki mere ummatio ke aza, wuzu ki wajah se safed honge. Or ye bhi yaad rakhna chahiye ki wuzu ka paani masjid me chhidakna haram hai, lihaza haazriye masjid ke waqt aza ko saf karna chahiye ki paani naa tapke, or kuch tari baki rakhni chahiye.  Jaisa ki
Bahar E Shariat Babul Wuzu Jild: 1 Safah: 300 par hai
Wuzu ke mustahabbat me se hai ki:  
Aza e wuzu bagair zarurat naa poche or poche to bezarurat khushk naa kare. (zarurat hamne upar byan kar di jaise masjid ki hazri) Ghusl ke bad ye baat nahi balki ghusl ke baad jism poch lena chahiye ki geele kapde se sitr chamakne ka ghalib guman hai, or ghusl ke bad aza e wuzu maslan hath mu wagaira puri tarah khushk naa kare,  jaise ki upar guzra.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 225
kya soher ka naam bivi le sakti hai ya bivi ka naam shohar le sakte hain

Jawab: 225 بسم الله الرحمن الرحيم
Bivi ko shohar kaa naam le kar pukarna makruh hai,
Or hamare nazdeek haya ka takaza yahi hai ki shohar bhi bivi kaa naam naa le,
Hadis e pak me hai ki HAYA IMAN SE HAI, Or naam le bhi le to gunah nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  226
Hazrat bade buzurg kehte hain ki aankhon ka farkna achchha nahi hota kya ye sahi he

Jawab: 226 بسم الله الرحمن الرحيم
Ulti aankh ke fadakne ko bad-shuguni manna sahi nahi hai, bahut hadis me iski mazammat ki gai,  jiska khulasa hai ki,..
Badshuguni lena, mushrikeen ka tarika hai
Badshuguni lena haram hai achcha fal lena mustahab,
Badshuguni lena buto(but parasto) ka tariqa hai
Badshuguni ko shirk (khafi) bhi kaha gaya
Jo badshuguni ki wajah se kisi chiz se ruk jaye wo shirk me aaluda ho gaya.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 227
bahut logon ko kehte suna hai ki jis ladki ke haath main chudiyan ya kade nahi hote un ke hath ka pani haram h

Jawab: 227 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat ka bagair zewar rehna makruh hai, magar aisi aurat ke hath ka paani peena gunah nahi, ki gunah ko sabit karne ke liye kam az kam tarke sunnat e moakkadah ki adat ya wajibat -2-3 bar ka tark, warna farz ka 1 bar tark zaruri hai, ya fir haram ka ek bar karna ya makruh e tehrimi  ki adat banana. Wagera,
Or zewar kaa naa pehnna inme se kuch nahi. Lihaza uske hath ke paani ko gunah kehna shariat par iftara karna hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  228
Hazrat kya sukha kutta paak hota hai jaise ki kutta kapde me lg jaya to bina kapde change kiye hum namaz pad sakte hain?

Jawab: 228 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han kutte ka badan napak nahi karta, jab tak uske jism par koi naapaki naa ho agar koi napaki ho or wo napaki kapde par lage to bhi sirf kapda napak hota wo shaksh nahi, jaise kutte par nali ka pani laga hai or wo chhu gaya to utna kapda saaf kiya jaye, badalne ki bhi zarurat nahi. Or kutte ka luab (thook) napak hai. Magar in sab surato me kisi shaks ko nahane ki zarurat nahi, jaha napaki lage bas wo hissa dho le chahe kapda ho ya jism..
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  229.
Half tshirt ya half shirt me namaz hogi ya nahi hogi.?

Jawab: 229 بسم الله الرحمن الرحيم
Aadhi asteen ki t-shirt or shirt me namaz ho jaygi. Or agar doosre kapde mojood hain to aadhi aastin me namaz makruh e tanzihi hai, magar namaz fir bhi ho jaygi dohrane ki zarurat nahi naa kuch gunah,
Or agar doosra kapda mojood nahi hai to namaz makruh bhi nahi,

Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 193 par hai
Jiske pas kapde mojood hon, aur sirf aadhi aastin ya banyan pehen kar namaz padhe to karahat tanzihi hai, (yani namaz ho jayegi). Aur (doosre) kapde mojood nahi to karahat (tanzihi ki) bhi nahi,

Waqarul Fatawa Jild: 2 Safah: 245 par hai
Aadhi aastin wala kurta, qameez ya shirt kam-kaj karne wale libas me shamil hain is liye jo aadhi aastin wala kurta pehen kar doosre logo ke samne jana ghawara nahi karte unki namaz makruh tanzihi hai aur jo log aisa libas pehen kar sab ke samne jane me koi burai nahi mehsus karte to unki namaz makruh bhi nahi.

Makruh e Tanzihi ki tareef: - 
Weh amal jise shariat naa pasand kare, par ispar kuch azab nahi (gunah nahi)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  230
Hazrat log kehte he dawateislami wale sunni nahi hain, kiya ye sach he. Dawateislami wale sunni musalman hain ya nahi. Jawab den Hazrat to sawab diye jayge.

Jawab: 230 بسم الله الرحمن الرحيم
Sabhi tarif allah ilm o hikmat wale ki, jisne daur e furfitan me ek jamat sunniyat ki (dawateislami) par apna karam khas kiya, or iske zariye se hidayat bakhshi gumraho ko or kafiro ko islam ke daman se bawasta kiya.
Or durood ho habeeb e khuda, tabibo ke tabib par jinka karam aaj bhi sabhi sunnio ki jamato par qayam hai or aage bhi insha-allah qayam rahega or unke aal o ashab par
AlaHazrat imam e ahle sunnat farmate hai ki
Mit jaye ye khudi to wo jalwa kahan nahi,
Darda Me Aap Apni Nazar Ka Hijaab Hun 

Mufti E Azam E Holland Mufti Abdul Wajib Al-Qadri Qibla se ek Suwal huya
Jisme dawateislami ke muballigh ke kaamo ka zikr kiya gaya ki wo kis tarah nojawano ko rah e rast par late hai or khud bhi sunnat ke paband hote hai unka sath dena chahiye ya nahi. Iske jawab me Mufti e Azam kya farmate hai:

FATAWA EUROPE Safah: 91
Aapne jo karnama aur khususiyat is jamat ke muballigo ki byan ki wo qabil e tareef hai, agar unke zariye ek shaksh ko bhi hidayat mil gai to wo laiq e izzat aur takreem hai, hadis e pak me hai:
agar allah tere zariye se ek shaksh ko bhi hidayat farma de, to wo tere liye har us chiz se behtar hai jis par suraj chamakta hai,  Tablig e deen or islah e amal aur aqaid ke liye jitney qadam zameen par padhte hai har qadam par muballigh ke liye 10 nekiya likhi jaati hain,  Quran e pak me allah ka farman hai ki (surah yaseen)ham likhte hai unke kaam aur unke qadamon ke nishan.
Ab aap khud hisab laga lijiye ek shaks chand sa’at ke liye agar apne mahalle ya sheher me ghoom kar musalmano ke aqaid o amal ki islah karta hai ya gair muslim tak islam pahuchane ki sa’i karta hai to uske nama e aamaal par kis qadar sawab likha jata hai. DAWATEISLAMI ke sekdo muballigo se meri mulaqat arab o ajam me hui, mene unme se beshtar ko mukhlis or sunnaton ka hamdard paya.  DAWATEISLAMI ke log ahle sunnat wa jamat se hain,.. unke sath Islam aur sunnat ki tabligh me apne waqt ki qurbani dena JAIZ aur sa’adat mandi hai,

Hadis Bukhari Ki Sharah Karne Wale, Sahib E Shareh Bukhari ek Suwal ke Jawab me farmate hai,
FATAWA SHAREH BUKHARI JILD: 3 SAFAH: 477 par hai,
DAWATEISLAMI ke bani aur AMEER, janab MAULANA MUHAMMAD ILYAS SAHIB QADRI sahiul aqeedah sunni musalman hain, aur MASLAK e ALAHAZRAT ke paband balki isi silsile me mureed aur isi silsile ke khaleefa hai,

FATAWA SHAREH BUKHARI Jild:3 Safah: 485 par hai,
DAWATEISLAMI sirf sunni sahiul aqeedah logo ki jamat hai, .. Wo intihai khush aqeeda sunni aur  MASLAK E ALAHAZRAT ke sakhti se paband insan hain, isilye TAMAM SUNNI MUSALMANO KO CHAHIYE KI IS JAMAT ME SHAREEK HON,

Mufti E Azam Pak, Hazrat Mufti Waqaruddin Sahab Ek Suwal ke jawab me farmate hai:
WAQARUL FATAWA Jild: 2 Safah: 202 par hai
DAWATESLAMI ke bani Maulana Ilyas Qadri ko main 22 sal se janta hu, weh barabar mere pas aate jaate rehte hai…(age farmate hai) ye jamat (DAWATEISLAMI) tayyar karne ke liye bhi ham logo ne hi tayyar kiya tha. Aur mene unko khilafat bhi di wo mere khalifa bhi hain,  unke SUNNI HONE ME KOI SHAK NAHI, ALAHAZRAT ke shaidai hain, unke liye DEOBANDIYAT KA shak karna NAJAIZ ..(age farmate hain)
jo log is tarah ke shak shubha qayam karke DAWATEISLAMI ko badnam karte hai unhe KHUDA SE DARNA CHAHIYE.

Fatawa Faqih E Millat Jild: 2 Safah: 435 par hai (khulasa)
DAWATEISLAMI ke tariqekar se siwaye fayede ke sunniyat ka koi nuqsan nahi,  Fariza e tabligh ko anjam dene ke liye zaruri nahi khula radd hi kiya jaye. Balki halat ke peshe nazar narmi ka pehlu qubool e haq ke liye zyada madadgar hoga

Bas in buzurgan e AHLE sunnat ki tehriro se sabit hai ki dawateislami sunni hi ki jamat hai aur unka sath dene me koi nuksan nahi,  Jis tarah firon ke khud ko khuda kehne se wo khuda nahi ho gaya Abu jehel ke nabi ko jadugar kehne se nabi jadugar nahi ho gaye Isitarah kisi ke dawateislmai ko badmazhab kehne se naa wo badmazhab ho jayegi naa sunniyat se  kharij, Agar dawateislami sunniat ki jamat nahi to pehle hukm e sharai in muftian e ahle sunnat par aana chahiye jo dawateislami ko sunni or maslak e alaHazrat wala mante hai. or yaad rakhna chahiye maslak e alaHazrat kisi ke GHAR KA MASLAK nahi jo koi khud tey kare ki is par kon hai kon nahi, ye maslak haqeeqat me deen e muhammadi hai. Musalmano ko deen me lane or amal aqeede ki islah karni chahiye naaki har shaks ko sunniat se kharij kiya jaye. Agar isi kaa naam deen o sunniyat hai to ek waqt hoga ki muthhi bhar sunni musalman hi honge.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  231
Hazrat main sunni hun ki nahi kaise maloom karun aur main kaise maloom karun ki mai musalman hoon ya sunni musalman hoon please batayen..

Jawab: 231 بسم الله الرحمن الرحيم
Janab apke dil me kya aqeedeh hai pehle wo tehrir kar ke bheje fir pata chal jayega ki ap sunni hai ya nahi… agar aapke dil me ye sab baate paai jati hai to aap allah ke karam se haq par hai sunni hi hai. or yaad rakhe  Musalman or sunni musalman ek hi chiz hai alag nahi.
Agar aap mante hai ki.:
Allah ne apne nabi ko ilm e gaib diya hai
Nabi, wali, allah ki di hui taqat se madad karte hai
Nabi ko allah ne malik o mukhtar banaya hai
Nabi or wali allah ki di hui taqat se tasarruf karte hai
Nabi zinda hote hai, or hamare haal se waqif bhi hote hai
Sabhi kalima padhne wale musalman nahi hote
Firqa parasti haq hai bekar ki chiz nahi,
Sunni imam ke alawa kisi badmazhab ke pichhe namaz jaiz nahi.
Siwaye 1 firqe ke koi jannati nahi, yahi iman hona chahiye
Jo firqa jannati hai use is daur me BARAILVIYAT kaha jaata hai
Maslak e alaHazrat naya maslak nahi balki ye maslak e imam e azam hi hai
Maslak e alaHazrat ke siwa koi maslak haq par nahi.
AlaHazrat imam e ahle sunnat 14 vi sadi ke mujaddid hai..
Milad, durood o salam, niyaz, mazarat e auliya ki hazri, naatkhwani, wagera
Ye sab jaiz or sunnat e mustahabba me hai yani sawab ke kaam hain,
Ye kuch mukhtasar tafsir thi, agar apke yahi aqeede hai to aap sunni hai.
Or kuch iske khilaf hai to wo likh den…
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 
Suwal no.  232
Hazrat kya hum bina wazu ke hadees padh sakte hain ya hadees padne ke liye bhi wazu karna zaruri he

Jawab: 232 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han bina wuzu quran ko chhuna gunah hai magar be-chhuye use bhi padhna jaiz hai or hadis shareef ko bina wuzu padh sakte hai aur chhu bhi sakte hai magar jaha jaha hadis me quran ki ayat likhi ho use bewuzu hath nahi laga sakte, or  Hadis wagaira ki kitab ke liye bhi wuzu kar lena mustahab hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  233
2 pariwar ka apas me nahi Banta hai or us me se koi Haj par jata hai to use sab se mafi mangna hoga ya kisi ek se

Jawab:233 بسم الله الرحمن الرحيم
Do pariwar ki apas me kyun nahi banti is par bhi ghaur karna chahiye. Bahar E Shariat me Allamah Amjad Ali Azami Farmate hai, Bila wajeh sharai rishta torna HARAM hai aur rishta jorna WAJIB .

Ab agar dono pariwar bina shariat ke hukm ke ek doosre se khafa hai or  apas me nahi banti bila wajeh ladai, gheebat ke darwaze kholte hai to sakht gunahgar hai, inhe chahiye ki tauba mafi-talafi kare or pyar mohabbat se pesh aye. Hadis me aya ki “bhai bhai ban jao

Haj par jaane se pehle hi kyun shariat kehti hai, jiska dil dukhaya ho usse fornn mafi mangani chahiye or agar ghar me ek ka dil dukhaya to ek se agar pure pariwar ko bura bhala kaha or dil dukhaya to ek se mafi mangna kafi nahi sab se dil se mafi mangni hogi or uske bad allah se bhi, ki ainda kisi ka dil nahi dukhaunga. Or agar ek ka dil 10 logo ke samne dukhaya to usse akele me mafi kafi nahi 10 logo ke samne mafi mange or apni harkat e khabeesa par sachche dil se nadim ho. Or ainda isse baaz aye.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 234
In alfaz اللهم زد فرد  ke kya maine hain

Jawab: 234 بسم الله الرحمن الرحيم
Aye Allah Zyadti farma aur zyadati
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  235
Darwaze ki dehleez par bethna ya waha kuch khana darweshi laga hai , Darweshi ki kuch tafseer kar dete

Jawab 235 بسم الله الرحمن الرحيم
Faqeeri, Ghareebi, Tangdasti,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  236
jaise ki kafir ke yahan aurte bindiya lagati hain aur pair ki ungliyon me bichhiya pehnti un logo ko dekh kar bahut muslim aurate bindiya lagane lagi aur bichhiya bhi pehnti hai Hazrat kya ye jaiz hai ?

Jawab: 236 بسم الله الرحمن الرحيم
Bindiya laga sakte hain,  jabki apke sheher ya ilaqe me ye khas kafir ki alamat naa ho,
Agar waha khas kafir ki aurate hi lagati hai, aur musalman ki aurat lagaye to use bhi kafir naa samajh liya jaye ya log 4 bate banaye wagera wagera to bachna chahiye. Or agar waha sab lagate hai koi harj nahi to sheher ke aitbar se laga sakti hai, gunah nahi,
Or agar ghar me lagaye ki shohar pasand karta hai to bhi harj nahi.
MAGAR BINDIYA LAGA KAR WUZU NAHI HOGA naa NAPAK KA GHUSL ADA HOGA. dauran e wuzu ghusl mathe par bindiya nahi honi chahiye.

Bichhiye jo paun ki ungali me pehnte hain, aurat ka zewar hai,  pehen sakti hai, magar sone chandi ke hon, aur ek khas baat, AGAR ISME BAJNE WALE GHUNGRU lage ho to unhe tur den, taki bajne ki awaz naa aye. or ye bhi per ki aungali me agar kasi hui ho to wuzu ghusl me utarna ya ghuma kar paani bahana farz hoga.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  237
Mitti ya chini ka tuta shikasta bartan kooza ghar me istilmal me rakhna darweshi lata aai,
Is mas'ale ki thodi tafseel ata kar dijiye.

Jawab: 237 بسم الله الرحمن الرحيم
Durweshi, lafz durwesh se bana hai durwaish bamana- faqeer,
Durweshi hua faqeeri/gharibi,
Tute bartan khas kar khane peene ke ho to use khane peene me istimal karna ulama ne makruh likha hai ki chini ya mitti ke bartan me agar darar aa jaye ya tute ho to us darar me kitaro paida ho jaate hai, or  khane peene se munh ke zariye jism me chale jate hai isliye aise bartan se bachna chahiye warna us jagah se to zarur jaha se tuta ho. Isi tarah tambe ke bartan ko bina kalai kiye huye istimal karna bhi muzir e sihat hai (sihat ke liye nuksan)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 238
Jis tarah mard ko sajde me paun ki 3-3 ungalion ka pet yani nichla hissa lagana wajib hai, warna namaz nahi hogi, to kya ye hukm aurat ke liye bhi hai, yani aurat ko bhi sajde me 3-3 paaun ki ungli zameen par lagana wajib hai.?

Jawab: 238 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye hukm aurato ke liye nahi hai, balaki aurato ko dono paaun seedhi taraf nikalna behtar hai,
Baki iske jawaz ka hukm to meri nazar me abhi tak nahi aya.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.   239 
Jaise Ki Namaz Ho Rahi Hai Aur Mai Jab Pahuchta Hoon Tab Tak Sab Ruku Me Hain Aur  Mai Bhi Direct Ruku Me Chala Jata Hoon kyunki Niyat Karne Ka Time Nahi Hota Hai Fir Jab Namaz Khatam Hoti Hai Aur Imam Salam Fer Leta Hai Mujhe Apni Namaz Poori Karni Hai, To  Ham Khade Hote Hain To Sabse  Pahle Kiya padhen 

Jawab: 239 بسم الله الرحمن الرحيم
Sail ne jo surat Suwal me byan ki us surat me sail ki namaz nahi hui, kyunki qiyam chhor kar direct ruku me jaana Suwal me darj hai, yani takbir e tehrima ke bad shayad sidha khada hona nahi paya gaya.. aur agar sail ne pehli takbeer kahi aur 3 bar subhan allah ki mikdar khara raha to namaz ho gai, or aage jo Suwal hai uska Jawab ye hai ki. Khade hone ke bad, wo uske haq me pehli rakat hai yani usme ta’awwuz tasmiya (auzu aur bismillah) surah fatiha aur surat milani hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.
 240
Nazar lagne ke bare me hadis or Quraan me kya farmaya hai or agar nazar lagna sabit hai to bahut gehri nazar lagne par koi dua koi ilaj btaya gya hai?

Jawab: 240 بسم الله الرحمن الرحيم
Nazar ka lagna HAQ hai hadis se sabit hai,

Nazar ke lagne par surah qalam ki ayat 51 padh kar dam kiya jaye.
وَإِنْ يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ

Nurool irfan Safah: 971 par hai,
Yeh ayat nazr e bad se bachne ke liye ikseer hai,

Khazain al irfan Safah: 1019 par hai,
Hazrat e Hasan basri (radiallah anhu) ne farmaya:
Jis ko nazar lage usko ye ayat padh kar dam kar dee jaye..
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  241
Is masale ki thodi tafseel kar dijiye:
Paun par paun rakh kar bethna barkat e rizq ko ma’ne hai,

Jawab: 241 بسم الله الرحمن الرحيم
Paun par paun rakh kar bethna rizq ki barkat ko rokta hai ya kam karta hai.
Buzurgo ne is fel se is liye mana kiya ki paun par paun rakh kar takabbur walo ka tariqa hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 242
Namaz ke faraiz aur sharait me kya fark hai? Aur sharait kaun kaun se hain?

Jawab: 242 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar namaz me sharait naa paye gaye to namaz sire se shuru hi nahi hogi, or sharat puri karne par namaz shuru ho jayegi or ab jaha farz chhoota waha jaa kar namaz tut jayegi,
Kisi napak shakhs ne bagair ghusl namaz shuru kar di to namaz shuru hi nahi hogi, kyunki taharat sharait me se hai, or agar sharte puri karke namaz shuru ki to namaz shuru ho gai ab jab beech me bewuzu hoga to us rakat se namaz tut jayegi,
Sharait e salat 6 hain,
1-Taharat, 2-sitre aurat, 3-istiqbal e qibla, 4-Waqt, 5-Niyat, 6-Takbir e tehrima
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  243
agarkoi ristedar wahabi hain phir kya hum un ke ghar aaja nahi sakte, na hi rista jata sakte hain ?

Jawab: 243 بسم الله الرحمن الرحيم
Wahabi se murad ye hai ki, kahi bhi namaz padh lete hai, nazar niyaz ko nahi mante hai to gumrah hai,
Fir unki aqaid ki islah ki koshish ki jaye, Or agar aise pakke wahabi ki aqaid e batila rakhte hai ya kufriya aqaid rakhte hai, jaise wahabi ki kitabo me ye bhi zahir hai ki allah jhuth bol sakta hai, Or quran ke tarjume se ye aqeeda bhi ki, allah asman par char kar beth gaya. Aise wahabi jo nabi ko murda mane ya gaib wala naa mane wagera wagera, or unki islah ki koi surat nazar nahi aati to aiso ke sath mel jol khana peena sakht haram hadis e pak mafhoom hai ki Jo jis qaum ki tadad badaye unhi ke sath hai.
Or badmazhab ke liye faramya ki Naa unke peeche namaz padho or naa unke janaze ki namaz
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  244
Kasab karne wala allah ka dost hai iska kya matlab hai ? Hunarmand kabhi bhooka faqeer naa rahega.

Jawab: 244 بسم الله الرحمن الرحيم
kasab karne wala allah ka dost hai.  iski tafsir khud iske aage byan ki gai hai ki kamane wala hunarmand kabhi bhooka nahi rehta wo apne hunr se roz kama kar kha sakta hai. jiski missal roz paani ke jharne se di gai hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  245
Hazrat kisi ko bal lagwane hai sar me bal kam hai or shadi hai isi mahine me to kya namaz hogi ya nahi bal kisi aur ke ho sakten hain maloom nahi kiske ? 

Jawab: 245  بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis me balo ko milane wali aur milwane wali par lanat aai hai,  
Iska sharai usool ye hai ki, agar kisi insan ke bal kat liye gaye ho or un balo ko koi istimal kare to ye mana hai. isi tarah wo khud apne baal katne ke bad istimal nahi kar sakta. Insani baalo ki wig lagana jaiz nahi, isi tarah apne khud ke baal jo jism se alg ho jaye to unka bhi istimal mana hai or doosre insano ke baal ka bhi, or agar wig insani baal ke alawa kisi or jaiz maslan plastic wagera ki bani hai to kuch sharait ke sath jaiz hogi, jabki dhoka dene ke liye ya behkane ke liye naa pehni jaye, magar sar ka masah karte waqt use utarna hoga aur agar nakli baal sar ke adhe hisse me hai to baki bache sar pe masah karne se masah ho jayega (yani asli balo par) jab ki ek chothhai ho, chahe Peechhe se ho ya left right se, yani pure sar me kahi bhi ek chothhai sar ka masah kiya jaa sakta hai. magar asli baal ya sar par, nakli bal par nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  246
Shadi ki pehli raat ka sunnat tarika kya kya hai? Kya kya chize karni or dhyan rakhni chahiye (mubasharat ke pehle or baad).thodi tafseel ker dein.

Jawab: 246 بسم الله الرحمن الرحيم
(ye sab quran o hadis or aqwal e aimma or buzurgan e deen se sabit hai baz sunnat hai baz mustahab or kuch adab)
Sabse pehle jab nai dulhan ghar aye to uske per dho kar us paani ko ghar ke charo kono me dalna chahiye AlaHazrat Imam E Ahle Sunnat fartame hai ye mustahab hai or isse ghar me barkat hoti hai,
Shadi ki raat namaz e shukrana padh sakte hai, aur iski tarkib aam namazon ki si  Hoti hai mard aage hoga aur bivi peeche is namaz ka fayeda insha allah ye hoga ki Aurat mard ki farma bardar rahegi,
Hadis e pak me hai ki musalman ki niyat uske amal se behtar hai, or bagair achi niyat ke koi nek kaam ka sawab nahi milta, or agar har kam me achi niyat shamil ho jaye to wo ibadat ban jata hai, chahiye ki is kaam se pehle bhi kuch niyat kar li jaye.
Maslan: allah or uski riza pane ke liye niyat karta hu swab ko badane ke liye. Sunnat ki adaygi karunga. Sunnat or adab wagea ka khyal rakhunga jis kaam se bachne ka hukm diya is dauran us kam se bachunga, badnigahi se bachne ke liye jima (hambistari) karunga, zina se bachne ke liye bhi, isi tarah ibadat me dil lagne ke liye bhi,(jima kar lena dil ki rahat hai jab ibadat, namaz wagera dil ki rahat hi ke sath ki jaa sakti hai becheni ke sath nahi.) Or chahiye ki dono pehle namaz ada kare. Hambistari karne se pehle koshish kare ki khushbu lagaye, (chahe to kamare me agrbatti wagera) achi baate kare mohabbat ka izhar kare. Shehwat ke sath bos o kinar (kissing) kare. Chahat wa dilchaspi ka izhar kare. Fir dono ko chahiye ki ek chadar ya bade kapde me shamil ho jaye fir bismillah padhe or jima (hambistari) kare.In bato ka khas khyal rakha jaye ki buzurgo ne farmaya,
Barhana jima karne se aulad be-haya peda hoti hai isi liye chahiye ki koi kapda zarur odh le is dauran baate bilkul naa kare ki aulad ke goonge paida hone ka khatra rehta hai. jis tarah chahe aurat se or  aurat mard se lutf hasil kar sakti hai magar mard ko chahiye ki aurat ke agle muqam par hi jima kare aurat ke Peechhe jima karne wale par hadis me lanat aai or use iblees kaha gaya, Yani aurat ke sath jis tarah chahe jima kare, magar sirf aage ke mukam par, isi tarah mu se jima karna haram hai yani mard apne sharm gah ko aurat ke munh me de ya aurat ki sharm gah ko zuban se chate ye haram hai sakht haram, sharmgah ko chhor kar mard aurat chahe ek dosre ke kahi bhi choom sakte hai isi tarah mard aurt ke pistan par bhi  injal kar sakta hai, Jima me jald bazi naa kare. Balki mard agar farig ho jaye to foran door naa ho balki aurat ka bhi suqoon e rooh ko hasil karne de fir jab dono farigh ho jaye to kuch der bad astinja wagera kare, warna ghusl, or agar usi rat fir se jima karne ka irada ho to ghusl naa kare magar har bar wuzu kar le. Fir isi tarah raat me jitni baar jima kare yahi kaam kare yani kuch der theherne ke bad astinja or wuzu kare. Or namaz e fajr se pehle dono ghusl kare,

Buzurgo ne farmaya ki hamesha  apni taqat ko aurat par barbad mat karo isse bahut kamzori paida hoti hai. or kamzori se or bhi nuksan hai.. Zyada jima karne walo ko is hiqayat par bhi nazar karni chahiye.
Ek buzurg se unke shagird ne pucha ki aurat se jima kitni bar karna chahiye, farmaya Zindagi me ek bar, kaha ye to mumkin nahi fir farmaya sal me ek bar, kaha ye bhi mumkin nahi, farmaya mahine me ek bar, kaha itna rukna bhi mushkil he, farmaya to hafte me ek bar, kaha ye bhi naa ho sake to ?
Farmaya SAR PE KAFAN BANDH LO OR ROZ KARO.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.   247
Agar zabiha janwar ke petse bachcha nikal jaye use kiya kare zibha kare ya dafan.

Jawab: 247 بسم الله الرحمن الرحيم
Bachcha agar murda nikle to HARAM hai.(dafan kar de) zinda nikle or zibah kar le to HALAL
Fatawa Razaviya Jild: 20 Safah: 279
. وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  248
Janab kya aurat eyebrow banwaye to kuch harj he kia...kia ye gunah he. Jawab den to sawab paye..

Jawab: 248 بسم الله الرحمن الرحيم
Bukhari ki Hadis e pak me aisi aurato par lanat farmai or ise qayamat ki nishani me shumar farmaya ki akhri zamane me aurate apni bhawen ke baal nochengi,  
Farmaya: (khulasa e ahadees e mubarka) jo aurat haseen banne  ke liye bhawon ke baal noche us par allah ki lanat hai, aur godne wali aur gudwane walio par bhi .. isi tarah mardo ki wazeh banane walio par bhi... mu ke bal nochne walio par (allah ki banawat me tabdeeli karti hai)  
Undatul Qari Sharah Bukhari me is hadis e pak ki sharah is tarah byan ki (khulasa)
hadis me haseen banne ke liye lanat aai lihaza is qaid ka lihaz rakha jayega, yani koi khubsurat hai or mazeed khubsurat banne ke liye bhawen banwaye to is hadis ki zad me hai, lanat ke tehet hai.

or agar kisi aurat ke bhawe is qadr hai ki jisse chehra badnuma lagta hai jisse rishte me rukawat ya farq aata ho ya rishta tutne ka khatra ho to is  bad numai se bachne ke liye zaruratan aisa kare to harj nahi.. magar niyat yahi ho ki badnumai se bachne ke liye naaki khubsurat dikhne ke liye.. or agar aisi koi bat  nahi mehez shohar ke liye aisa karegi to bhi gunahgar hogi, allah aur uske rasool ki hukm me kisi ki ita’at jaiz nahi. Or farmata hai tumhara rab apne kalam me ki: Rasool jo den lelo, jisse mana Karen, baaz raho.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 
Suwal no.  249
Hazrat aurate sadhi jo bandhti hain kafir aurto ki tarah kya wo sahi he ?

Jawab: 249 بسم الله الرحمن الرحيم
Sadhi pehnne me harj nahi harj sadi me us waqt hoga, jab gair mard ke samne jayegi ki sitr ka parda naa ho sakega, ya halat e namaz me agar sitr dikhai deta hai to namaz nahi hogi, agar aisa kuch nahi sirf ghar me apne shohar ke sath hai to pehn sakti hai.  Magar iski aadat naa kare kyunki kabhi to koi rishtedar mehman wagaira ghar me ayega hi or wahi libas ikhtiyar karna chahiye jisse parda-poshi zyada ho sake,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  250.
Aap(sws)ki baat ko ya hadees ko radd ya inkar karne wala kafir hai ke nahi

Jawab: 250 بسم الله الرحمن الرحيم
Jawab dene se pehle me ye zaruri samajhta hu ki sail ko uski ek badi khata se agah kiya jaye aur wo ye ki Suwal me durud ko short me likha gaya hai is tarah likhna najaiz hai, baz log sirf (swad) likh dete hai, ye bhi naa chahiye, Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi FATAWA RAZAVI Jild: 23 Safah: 386 par likhte hai
Huruf (ص) likhna jaiz nahi, balki صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم likha jaye,  to roman English me aap (alaihissalam)… likha kare. (allah amal ki tofiq de).. ab jawab ki taraf

Hadis pak ki kai qism hoti hai jaise, Mutawatirah, sahih, hasan, ghareeb, zaiif, khabr, Aur fir inme bhi kai kai qism hai, jaise khabr e wahid wagera, To har hadis ka inkar karne wala KAFIR NAHI hoga, magar ye dekhna hoga ki kis hadis ka inkar karta hai, or baz me gumrah hoga baz me khata karne wala or baz me kafir,

Agar apka Suwal ye ki koi hadees e Mustafa ka inkar hi kar raha hai yani wo hadis e pak ko ya nabi ke qaul fel ko manta hi nahi to bila shak wo KAFIR or ISLAM E KHARIJ hai,  ki agar hadis ko naa mane sirf quran ko mane to bhi musalman nahi ho sakta, ki quran me har chiz ki dalil saf nahi warna hazaro balki lakho masail aise pesh aa jayega ki hadis ke bagair chara nahi or islam pe sabit qadam rehna mumkin naa hoga, isi tarah hadis ko naa manne wala quran me , namazo ka waqt kis ayat se dekhega, or namazo ki rakat,  wuzu torne wali chize, namaz torne wali cheeze ki tafseel quran me kis ayat se manega, wagera wagera,

isi tarah agar hadis e mutawatirah ka inkar karta hai to bhi kafir hai, isi tarah Hadis e mash’hoora ka  munkir gumrah hai, or jo Ahadees e Akhbar (yani khabar e wahid) ka inkar agar wo kisi dalil ki buniyad par kare to alag bat warna use khaati (khata karne wala kaha jayega)..

Quran e pak me faramaya surah nisa main
“aur rasool ki taraf aao to aap dekhoge, ki ye munafiqeen aap se munh mor lete hai”

Iski tafseel Nuzhat Ul Qari Sharah Sahi Al Bukhari ke mukadme me yani Jild: 1 Safah: 60 se padhi jaa sakti hai.
Or ALAHAZRAT IMAM E AHLE SUNNAT Hadaiq e bakhshish shareef me farmate hai
Ima(n) e Qaul e Mustafai,  
Quran e haal e mustafai
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  251
Ek ladka ek ladki se shadi karna chahata hai, aur wo ladki bhi ladke se shadi karna chahati hai, lekin ladki ek aise silsile se baiyet(mureed) hai jis silsile se ladka be had khilaf hai. Aur aise me agar shadi ho bhi jati hai to shadi ke baad Agar ladki ne kabhi bhi us silsile ka naam tak liya to ladke ko na kabile  bardast hoga,? To Hazrat is surat me ladka kya kare kya ladki se baiyet todhne ki bat shadi se pahle karni hogi, aur jahan se wo ladka chahata hai wahan se mureed ki shart rakhni hogi??
Baraye karam Hazrat bataye ke kya kiya jaye

Jawab: 251 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to yeh ki shadi se pehle mangetar se baat karna ya rabita rakhna haram hai fir ladka shadi se pehle kaise usse ye baat tey kar sakta hai, or shadi se pehle ladka ladki se kis surat me kab baat kar sakta hai iski shart hamne Suwal no. 60  me darj kar di hai,

Jahan ladki mureed hai agar wo silsila sokht nahi hai, or jis peer se mureed hai unme wo char shart hai jo IMAM e ahle sunnat ne Apne fatawa me naql ki yani
1. Aqeede ka sunni ho, 2. Ilm e fiqh itna janta ho ki zarurat ke masail kitab se nikal sake, 3. Koi gunah ailaniya naa karta ho 4. Silsila Huzoor (عليه السلام) tak pahuchta ho,
To aisi surat me baiyt torna najaiz hai, 

or agar iske khilaf hai ya silsila sokht me bayet hai to fir wo baiyt nahi doosre kisi jame sharait peer se bayet ho sakti hai, magar aisa karne ke liye ladke se poochne ki zarurat nahi. Ab agr ladki sahi sunni peer e kamil ke hath par bayet hasil kar chuki  hai aur ladka bila wajah us silsile ya peer ke khilaf hai to aise jahil ko apne iman ki fiqr karni chahiye ki kahi aisa naa ho ki kisi peer ki mukhalifat maut ke waqt kalime se bhi mehrum rakhe or allah ke wali se dushmani allah hi se dushmani hai, doosri baat ye ki bivi ko kisi peer se bayet hone ke liye shohar ki ijazat ki zarurat nahi, bina ijazat bhi jaha chahe mureed ho sakti hai or is kaam ke liye shohar majboor nahi kar sakta.  Dar haqiqat mureedi naam hai apne dil me peer ki mohabbat ka iradat ka, jiske dil me kisi band e khuda ki mohabbat bas jaye use nikalna mushkil hai, to ye ladka kaise bila wajah apne peer se ise bayet kara sakta hai jabki dil me us peer ki mohabbat naa hogi to bayet kaise durust hogi, jis tarah kisi wahabi ke dil me zabrdasti alaHazrat ki mohabbat nahi daali jaa sakti isi tarah kisi sunni ke dil se alaHazrat ki mohabbat nahi nikali jaa sakti

AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Jild: 26 Safah: 558 par likhte hai
Jab afazal silsila aaliya, qadriya.. me sheikh jaame sharait Ke hath par fakhr e bayt naseeb ho chuka hai to use doosri Taraf asann tawajju wa pareshan nazar hi naa chahiye,

Or farmate hai isi Jild: 26 Safah: 579 par
Jo shaks kisi sheikh jame sharait ke hath par bayt Ho chuka ho to doosre ke hath par bayt naa chahiye
Doosre jamae sharait se talab e faiz me harz nahi,

In sari baato ka khulasa ye hai ladke ko apni harkat se baz ana chahiye in sabhi pehlu me ladka hi gunah ki daldal me hai, (or ladki iska sath de to wo bhi) kisi se uske peer ke khilaf baat karna khud uske imaan ki halaqat hai kisi peer ya silsile ki toheen haram hai, or bila waja bayet turwana najaiz hai, jo kisi peer ya silsile ki tazeem nahi kar sakta uska apne peer se dawa e mohabbat bhi jhutha hai. or kuch surato me ye shaks dushman e khuda bhi hai.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  252
kya bakra eid main naye kapde nahi pehne jate hain

Jawab: 252 بسم الله الرحمن الرحيم
Harj nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.   253
Lafz رضي الله عنه ka Matlab ya tarjuma kya hai.

Jawab: 253 بسم الله الرحمن الرحيم
Iska tarjuma AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat ne Apne Tarjuma e Quran KANZUL IMAAN me
Is tarah Kiya  رضي الله عنه  Allah unse razi (he)
Surah Tauba ayat 100
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  254
Hazrat ek village  hai jisme sirf ek masjid hai jo ki deobandio ki hai is haal mai kya kiya jaaye.Namaz kis tarah se adaa ki jaye.

Jawab: 254 بسم الله الرحمن الرحيم
Masjid sunni deobandi ki nahi hoti balki usme imamat khabees ki ho jaati hai yaa musalman ki rehti hai jis bina par keh diya jaata hai ki masjid unki hai, namaz farz hai use qaza nahi kiya jaa sakta aisi surat me namaz apni tanha padhi jaye chahe ghar par ya unki jamat khatam hone par usi masjid mai, Or agar waha abadi sunnio ki hai to waha masjid me imamat deobandi ki kaise ho gai, ye ghor karne ka mukam hai, musalmanan e gaun ko lazim hai ki jis tarah mumkin ho, masjid me sunni imam ka intizam kare taki  doosre sunni ki namaz barbad hone se bacha sake, or agar wo masjid apni shuru se nahi thi to musalmano ko chahiye ki apni jamat alg kare, unke peeche namaz padhna gunah hai, warna apni masjid ka intizam kiya jaye isi tarah jume ke liye bhi, ki unke Peechhe juma nahi ho sakta, warna sunni shaksh zohar apni tanha padhe,

Jaisa ki ALAHazrat Imam ahle sunnat
Fatawa Razaviya Jild: 6, Safa:593 Par likhte hai
Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.
 
Or isi Fatawa Razaviya  Jild:6 Safah: 621 par  Likhte hai.
Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma wa Eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe namaz batil mehez hai
 
Or aage isi Fatawa Razaviya Jild:6 Safah: 631 Par likhte hai
Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai
 
Fir isi Fatawa Razaviya Jild:8 Safah: 452 par likhte hai,
Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai
 
Or aage badte hue imam ummat ki rehnumai karte hai or 
Isi Fatawa Razaviya Jild:24 Safah: 501 par likhte hai
Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  255
Hamara ek dost ek ese group me join he jahan. Sunni wahabi deobandi sab he or deen ki baate batai jaati hai. Or admin deobandi aalim he. Or masale sikhne ko milte he. Wo hame bhi usme add karne ko kehta  hai. Deen ki baat jahan se mile lelo.. kya ham usme add ho sakte hain. Ya nahi.

Jawab: 255 بسم الله الرحمن الرحيم
Deobandi, Wahabi balki har khabees firqe ka Whatsapp Group  join karke Deen sikhne ya masale puchna HARAM hai,

Aise group me join hona najaiz o gunah Badmazhab se masale puchna haram, Or ye kehna ki deen ki baat jahan se mile le lo, Aala darje ki jahalat hai, gumrahi hai, Or bedeeno ki tazeem bhi jaiz nahi, or to or
“jiski dua sar se upar naa jaye quran halaq se neeche naa jaye, jo khud deen se nikla ho Jisko khud deen ki samajh naa ho wo deen ki baat bataye ye kuch ajeeb lagta hai” Lihaza aiso ke sath nahi join ho sakte jahan sunni wahabi ko Ek kiya jaata ho ya wahabi masale bataye sunni amal kare ye bhi Jaiz nahi, apka dost bhi agar sunni hai to unhe bhi chahiye ki Us “group e khabeesa” ki “najasat e ghaleeza”  se bahar aa kar, apne batin ko sunniyat ki darya se pak Karen, Yani group se remove ho bila wajah gunah me naa padhe naa waqt ko zaya Kare, khuda naa kare, koi baat badmazhab bataye or wo kam ilm ke dil me ghar
Kar jaye or sunniyat se jaye deen se bhi, behtar hai use samjha kar aise group se hataya jaye Or agar wo pakka sunni hai to mehez tafrih ke liye bhi waqt ko barbad karna gunah hai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  256
Hazrat kismat ka masla samajh nahi aata koi kehta he wo kismat main nahi he is liye nahi mila koi kehta hai kismat badali ja sakti he koi kehta he yahi mere kismat main he, to koi kehta he ki dua se kismat badal sakti he ye masla kuchh samajh nahi aaraha he.

Jawab: 256 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal me darj sari baate haq hai, jo taqdeer me hota hai ho kar rehta hai badalta nahi, Dua se taqdeer badal jaati hai, or jo taqdeer me nahi hota nahi milta ye bhi sach hai, Magar awam taqdeer ke masale me bahut dhoka khaa jati hai,. or ye masala bahut pechida hai, ham sabhi taqdeer par iman rakhte hai haq jante hai magar shaitan ke is waswase me awam ghir jaati hai, ham kuch isko asan fehm zuban me samjhane ki koshish karenge,

Taqdeer 3 qism ki hoti hai
1.mubram, 2-mushabeha mubram, 3-muallaq
Pehli jo taqdeer ki qism hain yani mubram isme tabdeeli naamumkin hai, yani rab tala ne agar kisi shaks ki koi baat is taqeer me likhi to badali nahi jayegi, yani ye ho kar rahega, maslan koi 70 sal me marega or ye taqdeer e mobram me hua to age Peechhe nahi ho sakta naa kisi ki dua se naa kisi or tariqe se,

Doosri qism ki taqdeer me tabdili ho jaati hai, yani kisi nek, Nabi, Wali wagaira ki dua se ye taqdeer badal jaati hai,

Teesri qism ki jo taqdeer hai ye bhi dua or bande ke nek amal se badal jaati hai or isme agar kuch bura hone wala hota hai or banda dua kare, ya nek amal kare to wo burai se bach sakta hai, jiske bare me kaha gaya, dua taqdeer badal deti hai,

Hazrat ibrahim (ahaihissaalam) ko qaum e loot ke liye dua karne se rok diya gaya, kyunki us qaum par ye azab ana taqdeer e mobram me likha tha  jo kisi bhi nabi wali ki dua se nahi badalti islye dua se roka gaya,

Hazrat adam (alaihissalam) ki dua se Hazrat dawood (alaihissalam) ki umar 60 se bada kar 100 kar di gayi wo doosri ya teesri qism thi jisme tabdeeli mumkin hoti hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  257
arbabe basirat nahi samajh aaya is image me?

Jawab: 257 بسم الله الرحمن الرحيم
Auliya allah ko kaha jaata hai wo haqeeqat se waqif hote hai, jaise Aarif bhi kaha jata hai, or ahle kashf ahle nazar, ahle haqeeqat wagera,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  258
Kya bhens ki batt khana jaiz hai,

Jawab: 258 بسم الله الرحمن الرحيم
G, jaiz hai, Halal janwar ki BAT khana jaiz hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  259
Agar imam ke Peechhe sirf 1 rakat hi pad paye to baki 3 rakat padne ka sahi trika kya hai?

Jawab: 259 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam ke salam pherne ke bad khada ho jaye, ab qirat ke aitbar se iske haq me ye pehli rakat hai, or adad me shumar ke aitbar se doosri, to ab ye sana, tawwuz, tasmiah padhe or isi rakat me qa’ada bhi kare yani do sajdo ke baad bethe, or tashahud(attahiyyat) ke bad khada ho qirat kare, or rakat puri kare or sajdo ke bad khada ho jaye, or akhri yani chothi rakat me bhi qirat kare, or salam pher ke namaz puri kare, Ye behtar hai, kyunki faraiz me bhi (tanha ko) charo rakat me qirat karna mustahab hai, Or muqtadi apni rakat me sana, tasmiha, wagera padhe to behtar hai, balki bad fatiha surat se pehle tasmiha (bismillah) sunnat hai.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  260
Kya  Deobandi ke hotel par khana kha sate hai ya nahi Jawab inayat farma dein.

Jawab: 260 بسم الله الرحمن الرحيم
Kahan kha sakta hai, gunah to nahi naa to wo khana haram hai, Or aisa bhi nahi ki, har deobandi ko us hukm me laya jaye ki wo kafir hai. Aksar hotal, dukandar-wagera ya awam ko deen se zyada kuch matlab nahi, Yani unhe ye bhi, nahi pata ki ashraf ali kon hai, wo sade musalman hote hai, Or agar aisa nahi ap jis hotal ke bare me puchte ho wo pakke khabees ya badmazhab ka hai, to puchna hi kia bachna behtar hai, jabki doosre khane ke zaraye mojood hu,  Or naa to khane ko kuch nahi, bas yahi hai to kha sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  261
Hazrat cow ki qurbani ke talluq se bataye allah ke rasool ke zamane me hoti aur bhais ke bare in do no ke bare me Shariat ka kiya hukm hai gaye aur bhes ke bare me hadees aur fiqh ki roshni me toda tafseel se bataye allah ap ke ilm me khub barkat ata farmaye

Jawab: 261 بسم الله الرحمن الرحيم
Bhens, Gaye hi ki jeens se hai, or Huzoor (عليه السلام) ke waqt me gaye ki qurbani sabit hai, balki Huzoor (عليه السلام) se pehle ki qaum bhi gaye ki qurbani karti thi, or quran or hadis me gaye ki qurbani ka zikr saf lafz ke sath maujood hai, Quran e pak 2/87 me farmaya “Beshak allah tumhe hukm deta hai ki gaye zibah karo.”
abhi mukhtasar me bas kiya jaata hai, iski tafseel ان شاء الله Suwal no. 271 me aayegi
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  262
Zaid ko kisi kaafir ne ganesh puja ke naam par 1 kg mithai di.
1. Us mithai me puja ki gayi thi
Yaa
2. Us mithai me puja nahi ki gayi thi. Dono surato me aisi mithai  ka kya kare?

Jawab: 262 بسم الله الرحمن الرحيم
Is tarah kafir ke tehwar ki mithai me ek baat ka hemsha khayal rakhna chahiye ki, Deewali wagera ya is tarah tohfe ki jo mithai di jaati hai wo malik halwai ki dukan se pack karwa kar apne sare workers ko dete hai, iska lena or khana haram nahi ki, naa ye pooja ki hoti hai naa parsad ka hukm ispe diya jayega, ye bator e tohfa hota hai, or ye 1-1 kilo ke dibbe me peck hoti hai jo halwai ki dukan se seedhe worker tak aati hai bich me pooja ka koi shumar nahi hota, or pooja me jo mithai shamil ki jaati hai wo bahut thodi hoti hai, is tarah sabhi dibbe nahi rakhe jaate,
jis tarah sunni musalman 11vi ki niyaz me agar biryani ki deg banwata hai to aisa nahi ki puri deg par fatiha di jaati ho, balki kuch biryani alag nikal di jaati hai or baki deg baant di jati hai, Mene bahut tajurba kiya ki deewali ya is tarah ki mitha pooja me shamil nahi hoti, to jaisa ki sail ke Suwal me 1 kg. mithai ka zikr hai matlab ki dibba peck hoga, jo ba-tor e tohfa hai. kyunki  pooja me askar dibbe nahi rakhe jaate,  Or iske bar-aks, agar parsad ke tor par kuch mithai pooja me shamil ki gai ho to uska khana haram hai, yani agar wo gairullah ke naam ki ho,  or jo ulama ne kaha ki deewali ki mitha naa khao to usse murad wahi parsad me chadai gai mitha hai, warna halwai se aai, jo pooja me shamil bhi nahi hoti uska khana jaiz hai, or jinhone ise bhi mana kara  wo taqwe ke tor ke liye ki le kar faqeer ko bat de, magar phenk dena mana hai, warna baaz ne farmaya-
MAAL E MUZI NASEE B GHAZI ki niyat se khaye.. or mere nazdeek bhi yahi zyada sahi hai, ki phenki naa jaye or faqeer ko dede, warna jo khud iska zyada ahl ya talib ho to rakhe harj nahi, Hamne Suwal me dono pehlu ka zikr tafseel se kar diya..
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Assalamualaikum
Suwal no.  263
Hazrat Sufi se kya murad he.? Or Sufi silsila kahan se shuru h.? Kya hamare aaqa sallallaho alaihi wasallam k waqt me bhi Sufi the.? Hazrat tafseer se batayein

Jawab: 263  بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام
Sufi koi alg insan nahi, balki aulia allah ko bhi sufi kaha jaata hai, AlaHazrat imam e ahle sunnat bhi sufi hai, or ghareeb nawaz bhi sufi hai, Gaus e azam bhi, imam e azam bhi, sare sahaba sufi hai, har nabi sufi or hamare nabi bhi sufi, balki sufio ke sardar hai, fir kehna hi kya ki daur e rasool me koi sufi tha ki nahi, ki hamne byan kar diya wali nabi, sufi hai, yani agar kaha jaye ki zaid kisi school ka principal hai iska matlab ye hota hai ki us school ke har bache ka zaid hi principal hoga, fir chahe koi bacha padhai me kaisa hi ala muqam hasil kar le, zaid se upar rutbe me nahi jaa sakta, kyunki aaj sachool ka wo bacha jahan hai uska principal zaid wala se guzar bhi chuka balki bahut aage hai. to kiya koi sufi apne rutbe me aisa ho gaya ki gaus ya nabi se aage gaya, balki nabi sabke sardar hai to sufi bhi is dayere se bahar nahi, yani, aisa nahi ki nabi sabke sardar ho or sufi ke nahi, 
Firzo ul lughat 847, par hai
SUFI- yani, muttaqi Parsa, parhezgar
Ab dekho kya , alaHazrat, ghreeb naawaz, gaus e azam, imam e azam, sahaba, Huzoor, Muttaqi, parsa parhezgar hain yani, Agar waqai hain to sache sufi yahi hai, balki har sufi SAKHTI SE SHARIAT PAR QAYAM HOTA HAI: or jo shariat ke khilaf kaam kare wo sacha musalman hi nahi sufi to door, magar haal ye ki log aaj kal madine me namaz padh lete hai, jabki ghar bahar tak nahi aate, Magar logo ne sufi ki image apne dimag me kuch alag basa rakhi hai wo samjhte hai ki Sufi kehte hai: bade baal walo ko hath me 10-10 anghuthi pehnne walo ko, be-namazi ko Halaki wo sufi to door unhe Sufism ki hawa bhi nahi lagi,

Pehli baat ye ki jahil kabhi sufi nahi ho sakta, or shariat ke khilaf kam karne wala, benamazi, fasiq hai koi sufi nahi, or sufi jaise pak mansab ko badnam kiye huye hai. jin jahilo ki lagaam shaitan ke hath me hai, jahan chahta hai le jaata hai. or sunnat ki pervi karke nabi ko razi naa kar sake sufi nahi ho sakta, jo namaz ada karke khuda ko razi naa kar sake sufi nahi hoga, balki jo rasool ke haram karda ko haram bhi naa jane kaise sufi hoga, ab hamne kaha ki nabi ko sufi balki sufiyo ke sardar to iski dalil IMAM E AHLE SUNNAT KA ye SHER farmate hai,
Aab o gile ambiya tum pe karoro durud
Jaan o dil e asfiya tum pe karoro durud
yani jis mitti pani se nabi bane hai, aye (us, mitti pani) ki asl aap par karoro durud,
aye sufio ke dil sufio ki jaan ap par karoro durud (asfiya-jama sufi ki)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  264
Taqleed kise kehte hain? Aur  kya iska ilm hona bhi farz yaa wazib hai ?

Jawab: 264 بسم الله الرحمن الرحيم
Lugvi aitbar se taqleed kehte hai, kisi ki perwi karne ko, English me ise follow karna kehte hai, or jo taqleed karta hai use muqallid kaha jaata hai yani follower, or jo taqleed naa kare use gair-muqallid kehte hai,

Shara ki istilah me taqleed kehte hai, kisi ki baat ko bina dalil ke manna yani hawala naa mangna yani jiski taqleed ki jaye uske qaul ya fatwe ko khud shariat me dalil ki misl manna jaise ham hanafi muqalid hain yani taqleed karte hai Imam Abu Hanifa ki,  Balki uski bat ke baad khud apni aql se shariat me nazar naa karna balki uski hi baat manna jiski taqleed ki jaye, or to or qaul  e imam par fatwa dena wajib hai.

Suwal ka dusra pehlu mujhe samajh nahi aa raha ki taqleed me kia ilm hota hai, magar taqleed wajib hai, or jo taqleed naa kare, wo gumrah, (yani khud quran hadis se masale nikale jabki, mujtahid naa ho).
Jiski tafseel Fatawa Razaviya Jild:  6 Safah: 647 risalah:  النّھی الاکید عن الصّلاۃ وراء عدی التقلید Me padhi ja sakti hai.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  265
Kisi ki dukaan yaa mobile (smartphone) ka  Wi-Fi ka internet connection open (available) hai bina paasword (security) ka. Zaid ne connect kar ke kuch download kar liya. Kya isme koi haq-talfi hui?

Jawab: 265 بسم الله الرحمن الرحيم
Is tarah kisi ka wifi istimal karna chori hai, chori haram hai, or usse kuch download karna bhi najaiz hai, chahe uska wifi unlimited ho, or isi tarah kisi apps ke zarirye kisi wifi ka password break karke ya hack karke wifi istimal karna bhi haram hai. or isi tarah agar office me wifi hai or malik ne khud ke liye lagwaya hai, sabhi worker ke liye nahi to aise me I.T walo se setting karke wifi chalana bhi najaiz hai, kyunki IT khud malik nahi or is tarah password ko office staff ke khas logo ko share karna bhi najaiz. Or chalana bhi.
Or jahan wifi chalane ki ijazat aam hai or password nahi, maslan, metro, MC-Donald, wagera to waha chalane or download karne me harj nahi,  zaid ko sachi toba lazim hai, or ainda isse or aise harkat  se baz rahe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.   266
 ما شاء الله aapne wifi baghair ijazat istimaal karne wala masalah bataya.  Mazeed ye irshad farmaye ke jo us shaks ne beghair ijazat chalaya ya download kiya uske liye uske malik se bhi muaafi ,mangni padegi ya nai. Ya kuch zurmana bhi dena hoga ya nai ?

Jawab: 266 بسم الله الرحمن الرحيم
G, usse bhi mafi mangni hogi,
Haqeeqat me mafi ki sharait bhi yahi hai  jaha bande ka haq talaf kiya ya dil dukhaya hoga to usse bhi mafi mangni padhegi,  sirf allah se mafi kafi naa hogi, or aisa nahi he ki kisi ka saman chura kar sirf mafi khuda se mang li jaye, balki wo saman ya uski qeemat bhi deni hogi warna maf karwana hoga, to behtar hai ki use agar kahe ki Mene bila apki ijazat ke apka wifi use kiya or kuch gb maslan 1 gb data download kiya, me sharmida hu, ainda aisa nahi karunga, or agar apke net plan ke mutabik jitney paise ka mene istimal kiya aap chahe to dun, or aap chahe to maf kar sakte ho, (or allah hi behtar janne wala hai)
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  267
zul hijja ke mahine Baal nakhun katwana sahi hai ya fir ghalat, Hazrat batana

Jawab: 267  بسم الله الرحمن الرحيم
Ye Suwal pure mahine ke liye nahi balki khas 10 tarikh ke liye pucha jata hai Wese is mahine me bhi bal nakhoon kat lena chahiye kuch gunah nahi or khas 10 me bad qurbani kat lena chahiye, or pehle bhi kaate to gunah nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  268
aurat apne sauhar se khula lena chahe to kis tarike se le sakti he or kya masaiel he

Jawab: 268 بسم الله الرحمن الرحيم
Maal ke badle nikah khatam karne yani talaq hasil karne ko khula kehte hai, maslan. Mard aurat ko apne sath nahi rakhta yaa ghar nahi aata, naa talaq dene par razi nahi aurat kuch maal ya meher ke maal ke badle talaq hasil kare ye khula hai,

Khula aur talaq ha haq shohar ko hai, shohar zulm karta ho or naa talaq par razi hai naa khula par to aurat qazi ke pas jaa kar surat e hal byan kare, qazi nikah ko (bad tehqiq) khatam karega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 269
Zaid ne bakar se ek mouzu par shart lagai
1. Shart lagana kaisa?
2. Shart haarne ke baad use puri naa karna kaisa?
3. Kya shart kis mouzu par lagayi iski bhi koi ahmiyat hai?


Jawab:269 بسم الله الرحمن الرحيم
Shart agar ek taraf se ho to jaiz or dono taraf se ho to najaiz, Jua or haram hai, ek taraf se ye matlab hai ki, agar tum ne itne waqt me ye kam kar liya to tumhe 10 rs. Dunga aur agar naa kar paye to tumse kuch nahi lunga ye ek taraf se hai, aur agar kisi teesre ne do shaks ke bich me shart lagai to ye bhi jaiz hai, jaise zaid or baqr ne shart lagi ki kon raste me jeetega or umar ne kaha jo jeeta use me rupye dunga to ye jeet ke rupye zaid or baqr me tay nahi yani umar ki taraf se hai ye bhi jaiz hai,  yani ise aam zuban me compatition bhi kaha jata hai,
Or dono taraf se shart ka matlab hai “me haara to me paise dunga” or “tu hara to tu dega” ye najaiz or isko pura karna bhi najaiz, ye juye ki ek qism hai, aur Quran e pak me Faramaya
Ek doosre ka maal nahak (tariqe se) naa khao

Fatawa Aalamgiri Jild 5 Safah: 234 par hai,
“talaba (students) ne kisi masale ke mutaliq shart lagai ki jis ki baat sahi hogi usko ye diya jayega, isme bhi wo sari tafseel hai jo musabikat me guzri, yani agar ek taraf se shart ho to jaiz hai dono taraf se ho to najaiz, jaise ek talib e ilm (student) ne doosre se kaha chalo ustad se chal kar puchte hain agar tumhari bat sahi ho to main tum ko ye dunga aur meri baat sahi hui to tum se kuch nahi lunga to ye ek janib se shart hui YA  ek ne dusre se kaha aao ham aur tum masail me guftugu karen, agar tumhari baat sahi hui to ye dunga aur meri hui to kuch laa lunga jaiz hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.   270
Kisi par jannat haram hone se kya muraad hai? Kya yeh daaimi zahannam hai? Jaise farmaya gaya hai ki
Riyakaar par jannat haram hai

Jawab: بسم الله الرحمن الرحيم
Isse murad hai ki wo apne amal ka badla payega fir jannat me jayega jab ki musalman ho, Yani. gunah e kabeer karne wala bhi musalman hi hota hai, fir jahannam me jaa kar apne bure amal ka azab payega fir use bhi jannat me laya jayega, jannat musalmano hi ke liye hai, kafir mushriq hamesha jahannam me rahenge. (yaad rahe jannat allah ki rehm o karam se milti hai, amal zariya to hai magar guarantee nahi)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  271
kuch waqt pehle isi saal 2015 me hindustan ke ek sheher shayad gujrat me hinduo ne ek board par likha ki gaye ka gosht khana quran me bhi mana hai. ye nuksan dene wala hai. kya ye sahi he ki gaye ka  gosht khana sahi ye nuksan hai. baraye karam hawale ke sath Jawab ata farmaye. or Hazrat .jawab denge. to sawab payenge..

Jawab: 271 بسم الله الرحمن الرحيم
Sabhi tareef allah azmat wale ki jisne apni rehmat se halal kiye kuch chopaye taki khaye musalman uske halal karda rizq se, or durood us habeeb e khuda par or sardar e ambiya par jin hone sardar kia gosht ko sabhi khano me or aal or ashab par:

Inse ye khata hui ki har arabi ibarat ko quran samajh bethe fir chahe wo quran ho ya nahi, har arabi ki likhaai quran nahi hoti, jis tarah, HAR HADIS HAQ HAI magar HAR HAQ HADIS NAHI.
Quran ki kis nas se gaye ka hukm diya usme koi hawala naa diya, ya shayad pura quran padha nahi, or is tarah quran ki ayat har dalil me nahi laai jaati, isme kuch nasikh or mansookh kaa bhi hukm hota hai jisse kafir waqif nahi: gaye ki qurabani ka hukm allah ne saf alfazo me apni pak kitab me diya, or zahir hai ki zibah khane ke hi liye kiya jaata hai, agar is gosht se nuksan hota to zibah ka hukm nahi hota, gaye ki qurbani SHIAR e ISLAM se hai, daur e rasool e pak me bhi thi or khud Huzoor (عليه السلام) ne ki or unse pehle bhi, hui agar ise khane se nuksan ka pehlu hota to Huzoor (عليه السلام) isi nafi ka hukm dete. Tumhara rab fermata hai apni aasmani kitab me
Quran: 22/36
“ aur unth aur gaye ko kiya hamne tumhare liye khuda ke shiar me se tumhare liye inme bhalai hai”
Or fermata hai allah” Quan:2/47
“aur jab moosa ne kaha apni qaum se ki beshak allah tumhe hukm deta hai ki gaye zibah karo”

Is ayat se ye bhi saaf hai ki gaye ki zibah pichli qaum se chala aa raha hai or bahut ayate hai.
Isi tarah hadis se bhi gaye ki qurbani ka zikr saf lafzo me mojood hai,
Sahih bukhari me hai:
Hozoor ne apni bivion ki taraf se gaye ki qurbani di,
Sahih muslim me hai:
Hame Huzoor (عليه السلام) ne hukm diya ki unth or gaye me 7 aadmi shareek ho jaye,
Tirmizi me hai:
Abdulah bin abbas se riwayat: Ham Huzoor (عليه السلام) ke sath ek Safar par the, baqr-eed aai to hamne 7 aadmion ki taraf se ek gaye zibah ki.
Bas ye to saf hai ki gaye ko khane hi ke liye zibah ka hukm hai, to gaye ka hukm to quran se sabit hai magar nuksan sabit naa ho saka, or agar gaye ka hukm bhi quran se sabit naa hota to bhi gaye ka khana quran hi se sabit ho jata kyunki jisse Huzoor (عليه السلام) ne kiya or karne ka hukm diya goya quran hi ki zubani hai, or quran me allah fermata hai
Quran 59/7  “ jo kuch rasool tumhe den wo lo, jisse roke usse bacho”
Or fermata hai Quran: 4/80  “Jisne rasool ki ita’at ki usne allah ki ita’at ki|

Or farmata hai Quran: 53/3-4  “ ye (nabi) koi bat apni khwaish se nahi karte, … magar wahi jo unhe ki jaati hai”
In ayato se sabit hota hai ki agar quran me iska zikr naa hota to bhi ye quran hi ka hukm hota jaisa ki upr guzra ki ye rasool apni taraf se kuch nahi kehte….
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.  272
Ek ghar me char mard aur do aurte sahib e nisab hain. Sabhi Mardo ka combine business hai us business k alawa sabke paas bhi inti daulat hai ki wo sahib e nisab hain. Ab is condition me sabko alag alag qurbani karni hogi ya ek bakre me hi sabki ada ho jayegi. Yaad rahe karobar sirf ek hai

Jawab: 272 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ek karobaar me 1000 log bhi shamil ho jaye or sab usi karobaar se apne pas itna paise jama karle ki sahib e nisab ho jaye to sabko alg alg qurbani karwani hogi, ek karobaar me shamil hona koi wajah nahi ki ek hi qurbani ho, lihaza puchi gai surat me mardo aur aurato par qurbani wajib hai, sabko apni apni qurbani ada karni hogi, or agar sail ye puchna chahta hai ki alg alg bakra hi karna hoga ya hissa bhi le sakte hai to ye chahe to sab mil kar bhens, gaye, unth me hissa bhi lee sakte hai kuch harj nahi, qurbani ada ho jayegi, magar bakre me hissa nahi hota bakra ek fard ke liye hi hoga or bada janwar 7 logo ke liye ho sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 273
Zaid par haj farz hai, Zaid apni maa k saath rehta hai, Kya zaid apni maa ko apne ghar me akele chhod kar haj par jaa sakti hai jabki uske ghar aur koi mehram mard rishtedar nahi hai ?

Jawab: 273 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ghar me mehram rishtedar nahi to, maa ko kisi mehram rishtedar ke ghar maslann zaid apne maamu ya khala ke ghar maa ko rehne bhej de, or haj pe chala jaye, warna maa ki dekhbhal ke liye khadima ka intizam kare, or tariqa pehla hi behtar hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 274
Hazrat  kia ye zaruri hai ki jiske naam ki qurbani he wo bhi zibah ke waqt chhuri par hath lagaye..yani zibah me churi pakre. ya nahi. or agar usne hath nahi lagaya bas imam ne zibah kar diya to qurbani sahi hogi ki nahi.

Jawab: 274  بسم الله الرحمن الرحيم
G, qurbani ho jayegi jiski qurbani hai use churi pakadna zaruri nahi naa hath lagana magar behtar hai ki apne hath se hi zibah kare, Or is mas’ale me ek baat zarur yaad rakhni chahiye ki jo log zibah karte waqt churi pakdenge to sabhi ko kalima padhna farz hai, yani agar do logo ne mil kar churi se zibah kiya to dono par kalima padhna farz hai, agar ek ne bhi ye soch kar naa padha ki doosra padh lega to janwar HARAM ho jayega, ya kisi ne socha ki ek hi ka padhna zaruri hai ya kafi hai, or ek ne nahi padha, yani agar ek ne padh bhi liya to bhi janwar haram ho jayega. Or bahut log is mas’ale se ghafil hai, imam ke sath zibah me shamil to ho jaate hai or samjhte hai ki imam hi dua or kalima padhega or wo nahi padhte.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  275
Qurbani Karne Ka Tareeqa Kya Hai Matlab Qurbani Kaise Karne se Muraad Zabah Karne Ke Tariqe se Hai....or Qurbani Ki Dua.

Jawab: 275 بسم الله الرحمن الرحيم
DUA, Qurbani ki kisi kitab se padh li jaye, warna tasmia, padh kar bhi zibah kiya to zibah sahi ho jayega. Or agar padhna bhool gaya jab bhi qurbani ho jayegi or jaan kar naa padha to janwar haram, or aurat bhi qurbani kar sakti hai. or do log churi pakre to dono ko kalima padhna wajib hai.
Tez dhaar ki churu se janwar ke gale ki kuch rage kaat dene se halal ho jayega  Mustahab ye hai ki janwar ko letane se pehle churi tez kare or letane ke bad tez karna makruh hai. or har woh fel jisse janwar ko taqleef ho uske sath karna makruh hai. Gale ki chand rageh hain, unke kaatne ka naam ZAHAB hai,
(zal- ke fateh ke sath)  Or us jaanwar ko jiski ye rage kaat di jaye ZABIHA aur ZIBAH kehte hai (zal- ke kasre ke sath) Jo rage zibah ke kaati jati hai wo 4 hain,  4 rago me se 3 ka kaata jaana bhi kafi hai. Or ek hi bar me puri gardan alag bhi nahi karni chahiye..

Aur behtar tariqa yahi hai ki, pehle jaanwar ko khana wagera khilaya jaye nehlaya jaye, or chhuri ko tez kar liya jaye (magar uske samne naa kiya jaye) or zameer par aram se litaya jaye, naa ghaseeta jaye, naa mara jaye, naa zameen par zor se patkha jaye. Har jaan jaan hoti hai, ye soche ki agar iski jagah ye hota to logo se kaisi ummid karta ki uspe bhi rehm ho, bas jo allah ki raah me quraban kiya jaa raha hai, uska dard bhi samjhna chahiye, or adab karna chahiye

Zibah ke waqt shor, ya hangama nahi karna chahiye, ki ye gaur karne ka muqam hai, naa ise khail tamasha banana chahiye, or ghar ke bachcho ko (jo zayda chote naa ho, or naa darte ho) to unke samne zibah karna chahiye ki bache khoon dekhe or unka dil mazboot hoga dar jata rahega, (jabki ise dekhne par qadir ho)

Hamare buzurgo ka yahi tariqa tha ki, chote bachcho se kasai ke dukan se gosht managte the puchne par kehte the ki gosht khoon chhuri, dekhega to musalman ka bacha darpok nahi banega balki dil se dar jaata rahega,  Or hamari bhi yahi rey hai,

Oonth ke zibah me khas khyal rakhna chahiye ki log use bakre ki tarah leta kar zibah karte hai, ye makruh hai unth katne ka sahi tariqa or sunnat tariqa jo hai use nahar kehte hai yani unth ko khada karke uske gale me churi ghopi jaati hai, jise neher kehte hai, use bakre ki tarah zibah karna makruh hai, or awam me jo ye mash’hoor hai ki unth 3 jagah se kata jaata hai ye ghalat hai. magar qurbani har surat me ho jayegi..
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  276
kya qurbani ka khoon kisi kapde me laga kar ghar me rakhne se barkat hoti hain, hzrat.

Jawab: 276 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi, Aisa shayad kuch nahi, Balki jis kapde me ye khoon lag jaye wo napak ho jayega, or use pehen kar namaz bhi nahi hogi, (jabki ek dirham ke barabar ya zyada lage)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  277
kya qurbani ka gost kisi kafir ko de sakte hain

Jawab: 277 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi de sakte, qurbani ka gosht sunni musalman ko hi taqseem karna chahiye, Or wahabi ke hath ka zibah aye to use kisi wahabi ya kafir ko hi de diya jaye ki Sunni ko uska khana haram hai, or khabees ko khabees hi khaye to thik,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  278
Qurbani ke gosht main jo kaleji dil gurda til aur bhi bahut kuchh hota hai us me se ham kya kya kha sakte hain

Jawab: 278 بسم الله الرحمن الرحيم
Halal janwar me jo cheeze khana haram hai wo 7 hain, ulama ne uska byan kar diya hai,
Maslan, 1. behta hua khoon, 2. ala e tanasul(penis) 3. kapoorey 4. sharmgah- 5.gadud 6. masane 7.pitta,

Inke siwa sar, paye, dil, kaleji, batt, wagera khana jaiz hai, or ojhri khana makruh tehrimi haram ke kareeb hai gunah hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  279
kya hum qurbani ke gosht pe fatiha murdo ki dila sakte hain ya nahi

Jawab: 279 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz Hai,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.   280
kiya 2 peer se murid ho sakte hai

Jawab: 280  بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ek shaks aise peer se mureed hai jisme peer banne
Ki charo sharait paai jaati hai, Maslan,
1. Aqeede ka sunni ho,
2. Ilm e fiqh itna janta ho ki zarurat ke masail kitab se nikal sake,
3. Koi gunah ailaniya naa karta ho
4. Silsila Huzoor (عليه السلام) tak pahuchta ho

Agar ye sharait hai to bila wajah sharai doosre peer se bayet jaiz nahi
Jaisa ki  AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Jild: 26 Safah: 558 par likhte hai
Jab afazal silsila aaliya, qadriya.. me sheikh jaame sharait Ke hath par fakhr e bayt naseeb ho chuka hai to use doosri Taraf asann tawajju wa pareshan nazar hi naa chahiye Baz auliya kiram ne farmaya Jo mureed do peero ke darmiyan ho wo kamyab nahi hota.

Or farmate hai isi Jild: 26 Safah: 579 par
Jo shaks kisi sheikh jame sharait ke hath par bayt Ho chuka ho to doosre ke hath par bayt naa chahiye
Doosre jamae sharait se talab e faiz me harz nahi,

Khulasa e kalam ye hai ki
Ek peer se mureed hone ke bad dosre se bayt nahi Kar sakta, Ha TALIB ho sakta hai, magar apni iradat sheikh e awwal  Se hi rakhe. Or jo faiz doosre se hasil ho to use bhi apne Hi peer ki ata jane.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 281
Assalamualaikum
Hazrat koi shakhs sahibe nisaab he magar Jo paise he wo haram kamai ka he to kya us paise se bhi us shaks par qurbaani wajib he Hazrat baraye meharbani roushni daalein

Jawab: 281 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام 
Sail ko chahiye ki kuch tafseel bhi arz kare ki, karobar kya hai, kyunki baz dafa kam halal hota hai aur log use haram samjhte hai, maslan; sood par paise lekar kam kiya to ab sood par paisa lena to haram hai magar jo kam shuru kiya agar wo jaiz kaam hai to wo kamai HALAL hogi, isi tarah, log samjhte hai ki 1RS. Ka 1000 me bechna haram hai, jabki ye bhi HALAL kamai hai, islye sail agar suwal ki wazahat kare, ki paise kis tarah ki kamai se haram hai aur ye bhi bataye ki, us haram ke alawa koi aur zariye e muash(kamai) hai, paise sirf khalis haram hai ya HALAL aur HARAM mix hai, aur agar mix hai jaise bap ka kam haram hai aur bete ka halal to dono ke paise ghar me ate hai or mix ho jate hai, to aisi surat me ye bhi batana hoga ki, mix me zyda haram hai ya zyada halal hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  282
Muqallid aur taqleed, matlab thoda samjhaye.

Jawab: 282 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi ki perwi karne ko taqleed kehte hain,  Jo pervi kare use muqallid kehte hai, Shara me, Kisi (imam ki) qaul ko bina dalil maan lena taqleed hai, Jaise charo imamo ki taqleed
Is Suwal ki mazeed tafseel Suwal no. 264 me guzri hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  283
kiya murge ki qurbani de sakte hein, (agar nahi to kyun) Murga khana jayeiz he aur halal bhi to qurbani kiyun nahi kar sakte jabki halaal karna bhi to qurbani he usme bhi to khoon behta he inme fark kiya he wo bhi batayein.

Jawab: 283 بسم الله الرحمن الرحيم
Qurbani naam hai, khaas dino me khaas janwar ka zibah karna Or murgha un khaas janwar me nahi, jinpe qurbani hoti hai, Lihaza murge ki qurbani se wajib ada naa hoga.

Bahar E Shariat Jild: 3 Safah: 339 par hai
Qurbani ke janwar 3 qism ke hai, Oonth, gaye, bakri, Inki sabhi qism in janwar me shumar hai, nar mada
Or bhens gaye me shumar hai, Bher, dumba bakri-bakra me shumar,

Jin CHAAR pero ke janwar par qurbani wajib hai murga unme shamil nahi hai, or shariat ne jis par qurbani ka hukm diya hai uspe kare,  baki fizol ke Suwal karke mera or apne waqt ko zaya naa kare, Mere pas masrufiyat bahut hai, or Suwal kafi hote hai, apko chahiye ki apni ibadat se mutaliiq Suwal karke fayeda hasil kare, or gair zaruri Suwal naa kiya kare..
Jin janwar ki qurabni allah o rasool ne ki or hukm diya to uski qurbani ki jayegi, or jiski qurbani naa ki naa sharan me wo qurbani ke janwar me shumar to uski qurbani nahi hogi,  Quran me allah fermata hai,
Nabi jo de lo jisse mana kare, ruke raho,

Musalman ke liye itna kafi hai, warna halal to machhli bhi hai, or jaiz kaam to bahut se hai, jaise mehman ko chatni se khana khilana bhi jaiz hai to kya koi aisa karta hai kya ki mehman ko chatni se khilaye> Kehna ye hai ki har jaiz kaam kara nahi jaata to murga agrche jaiz or halal hai magr uspe qurbani nahi hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  284
mina me jab sheitan ko kankri mari jati he to us kankri ka badle kiya hume roze mehshar milega ya nahi

Jawab: 284 بسم الله الرحمن الرحيم
Har Ibadat ka swab diya jayega. Or jab kisi ko haj ka sawab mil jayega to haj me sabhi arkan ka Swab mil jayega, or usme kankari marna bhi shamil hai, yaha tak ki haj ka Safar bhi.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  285
Kya zaid apni qaza namaaz bakar ke saamne padh sakta hai Yaa puchhne par ittela(bata) sakta hai, in do surato me:
1. Bakar ko maalum hai ki zaid ki bahut namaze qaza hain.
2. Bakar ko zaid ki qaza namazo ka ilm nahi. ?

Jawab: 285
Namazo ko qaza karna bhi gunah hai or apne gunah ka izhar bhi gunah
Magar kisi surat me jhuth bolne ki ijazat nahi, Qaza namaz ada karne ka hukm tanhani me hai, behtar he ghar me ada kare, or agar masjid me ada kare to bhi ek side me ada kare, logo ke samne qaza padhne se qaza ada ho jayegi magar gunah ka izhar gunah hai, baqr ko maloom hai ki zaid ki namaze qaza hai or baqr puchta hai ki kya padh rahe ho, zaid keh den namaz padh raha hu, ye kehne ki zarurt nahi ada ya qaza. Magar zaid jhuth naa bole, or agar baqr puche ki kon si namaz padh rahe ho to Jawab naa de, ki har Suwal ka jawab dena zaruri nahi hota or baqr ko maloom hone ke baad bhi zaid se aisa Suwal jaiz nahi,
Baqr ko agar nahi maloom to bhi puchne par keh de ki namaz padh raha hu, Ulama farmate hai ki- witr agar qaza padhe to teesri me qunoot ke liye haath naa uthaye kyuni usse izhar ho jayega ki ye witr qaza padh raha hai,  Or zaid baqr ke samne qaza naa padhe ki puchne ki nobat aye, chupchap qaza ada kare,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  286
Jamat ho rahi hai jisme sirf imam aur muazzin hai.  Muqtadi jo baad me aaya kya use imam ko aage ki jaanib karna hoga? Aur Agar usne aisa naa kiya to kya muqtadi ki namaz ho jayegi Fir chahe  mas'alaa muqtadi ko maalum ho yaa nahi?

Jawab: 286 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab imam ke sath ek namazi ho or  doosra aye to ye zaruri nahi ki imam hi age bade, Balki wo Peechhe wala muqtadi bhi Peechhe hat sakta hai, ye khud hate ya aane wala ise Peechhe kar de, sab surate jaiz hai, or behtar ye hai ki agar ek muqtadi ho to muqtadi ka Peechhe hatna afzal hai or agar zyada muqtadi aa jaye to imam ka aage bad jana afzal hai, magar surate sabhi jaiz hai, or puchi gai surat me agar do muqtadi ho or naa imam age bade naa muqtadi Peechhe hate to aisa karna yani imam ke barabar me do muqtadi ka namaz ada karna makruh tanzihi hai, yani namaz ho jayegi, or do se zyada ho to makruh tehrimi.

Durr E Mukhtar Kitab Us Salat- Babul Imamat: Jild:2 Safah: 370 par hai,
Ek shakhs imam ke barabar me khada tha fir ek aur aya to imam aage bad jaye aur wo aane wala us muqtadi ke barabar khada ho jaye ya, wo muqtadi peeche hat aaye, khud ya aane wala use Peechhe kar de, sab surate jaiz hai, jo ho sakte ho kare, magar muqtadi jabki ek ho to muqtadi ko Peechhe hatna afzal hai aur do se zyada ho to imam ka age badna (afzal hai)

Bahar E Shariat Bab Ul Jamat Jild:1 Safah: 585 par hai
Akela mard imam ke barabar me dahini(right) janib khada ho, baye(left) ya Peechhe khada hona or Peechhe khade hona makru hai. Do muqtadi Peechhe khade ho barabar khada hona makruh e tanzihi hai, do se zyada ka imam ke barabar khada hona makruh tehrimi hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 
Suwal no.  287
Kya jo waqt fizul me jaaya kiya jaaye use bhi israaf kaha jayega ? Aur iska jaza  aakhirat me kya hai ?

Jawab: 287 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han Fizol Waqt ka barbad karna israaf hai, najaiz hai Qiyamat me iska hisab hoga, jisne waqt ko kharch kara ache kaam me ibadat me to sawab payega or bure kaam or gunah me to azab payega,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  288
Talaaq ka mas,ala btaiyye  Maslan koi shoher apni biwi ke zyada bolne se pareshaan he,  aisi Surat me wo kya kare usko talaaq dena chah raha he . is masle ko rafta Karen

Jawab: 288 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisi surat me talaq naa de, balki sabr rakhe is sabr par pahar se zyada swab payega kyunki allah ke yahan kami nahi, or koshish kare use pyar mohabbat se samjhaya jaye, or ho sakta hai ki shohar bhi gusse se kaam leta ho aise me samne wala chirchira ho jata hai, shohar ko chahiye ki bivi agar zuban chalaye ya gussa kare to khud ye apne gusse par qabu rakhe, or jab bivi sahiba ka gussa shant ho jaye to aram se samjhaye, or kaam mushkil nahi or itni si wajah se talaq naa de, warna ghar ke bado se uski shikayat kare, or zuban chalane par usse narazgi ka izhar kare, maslan sath naa khaye, kam bole uski taraf tawajju naa de alag soye, is tarah bivi ko khud ehsas ho jayega ki shohar usse naraz hai, fir wo narazgi ki wajah puche to usse kam bolne ka wada le, fir usse wapas pehle jaise bartav kare, taki aurat ko apni ghalati ka ahsas ho, magar use ghalati ka ehsas karane me laga rahe, talaq naa de, or zaruratan halka fulka maar bhi sakta hai, maslan aurat gali wagera ka istimal kare to … or ye khud bhi apni ghalati par nazar rakhe kabhi kabhi shohar khud moka deta hai aurat ko begairat banne par.. agar dono taraf barabar gussa or ladai rahegi to ghar naa sudhrega, isilye aql ka taqaza hai ki shohar hikmat se kaam le.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 289
Kya Hamare islam me esa likha h ki koi shoher apni biwi ko 3 bar talaak talaak bolta h to talaak ho jata he. Esa kyu he.? Or fir talaq ho jane ke baad us shoher ko apni biwi se dubara shaadi karni he to uske liye pehle biwi ko kisi or mard se nikah karna padhta h. Fir dusra shohar biwi ko talaak dega  tab uska nikah pehle wale shohar se hoga esa kyu he ?  Mehrbani karke jawab ata farmaye.

Jawab: 289 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han islam me aisa hi likha hai jo apne suwal me byan kiya or ye allah wa rasool ki shariat ka hukm hai, ki 3 talaq dene se talaq ho jayegi, aur agar fir se usi aurat se nikah karna chahiye to, us aurat ko iddat ke baad doosre shaks se nikah karna hoga, fir wo shaks wati karega aur khud talaq dena chahe to de sakta hai, fir iddat ke baad aurat pehle wale ke nikah me ayegi, or doosre shohar ne nikah ke foran bad talaq diya yani hambistari naa ki to ye bivi pehle shohar ke liye HALAL NAHI,
Or shariat ke har ahkam me kuch naa kuch hikmat hoti hai, or ye zaruri nahi ki har kaam hamari samajh me aana chahiye, musalman ke liye itna manna kafi hai ki jab allah wa rasool ka hukm  aa jaye to apni gardane jhuka liya karo,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  290 
Kiya gusse me talaq ho jaati hai

Jawab: 290 بسم الله الرحمن الرحيم
Gusse me talaq dene se talaq ho jayegi 1 dega ek, or 3 dega to 3 talaq hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 291
(Suwal no. 286 ke jawab me..)
Ab agar imam k barabar me do se zyada muqtadi khade ho  gaye, to is surat me kya namaz dohrana wajib hai jab imam aage naa badha, jaise ki makruh tehrimi me baaz surato me hukm hai?

Jawab: 291 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han is surat me sabko namaz dohrana wajib hogi, jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Ashhah Imam Ahmad Raza Khan Muhammadi Sunni Hanafi Qadri Barelvi Fatawa Razaviya Jild: 6 Safa:611 par likhte hain “magar ab teesra muqtadi aa kar na mile, warna sabki namaz makrooh tehrimi aur sabka pherna wajib hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  292 
Kya deobandi ka zibah kiya hua  halal he, Kya use kha sakte hain?

Jawab: 292 بسم الله الرحمن الرحيم
Is Suwal ke Jawab me AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Barelvi farmate hai
Deobandi ka zabiha murdaar hai,
Fatawa Razaviya Jild: 20 Safah: 249
Age Safah: 250 par lekhte hai,
Wahabi rafazi qadyani wagera, jin jin ki gumrahi kufr tak hai unka zabiha murdaar hai,  Wahabi rafazi ka zabiha murdaar hai inke wahan ka gosht khana HARAM hai
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.  293
Apne Suwal no. 278 me likha,
“Inke siwa sar, paye, dil, kaleji, batt, wagera khana jaiz hai, or ojhri khana makruh tehrimi haram ke kareeb hai gunah hai, “

Jabki batt or ojhri to ek hi cheez hai fir ojhri gunah or batt jaiz kaise ?

Jawab: 293 بسم الله الرحمن الرحيم
Bilashubah ojhari makruk tehrimi hai,
Fatawa Faizur Rasool Jild: 2 Safah: 432 Par Hai
Halal janwar ki ojhri khana makruh tehrimi kareeb haram key hai,
Is kitab ke Safah: 433 par hai
Ojhri khana makruh tehrimi hai aur makruh tehrimi ka gunah haram ke missal hai

Ojhri or batt alag alag cheezo ke naam hai, batt khana jaiz hai, inme farq hai, Janwaron ke medeh ko ojhri kaha jata hai jisme ghalazat jama hoti hai or ojhri ke upar mota safed gosht hota hai jo ghalazat se door hota hai use batt kaha jata hai, ye safed gosht khana halla hai or ojhri maktuh tehrimi
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  294
Kya KFC ya Mac'd jese restorant me non veg khana sahi hai? Jabki jab hum puchte he ke kya ye halal he or wo use halal hi btaye. Gair muslimo ke liye halal ka mtlb zibah kiya hua bhi hota he or hamare liye jis par allah ka nam lekar zibah kiya jaye wo hi halal hai. To esi surat me kya karna chahiye. Aajkal ese restorant me khana bohat aam ho raha hai or kai bar dusra option bhi nai hota he to kya unke halal batane par us gosht ko khaya ja sakta h?  Baraye meharbani thodi tafseer kar dein.

Jawab: 294 بسم الله الرحمن الرحيم
Gosht ke masale me kafir ki khabar ka etbar nahi kiya jayega. Chahe kafir kahe ki musalman ki dukan ka gosht hai or kafir bechta hai to uska khana jaiz nahi. KFC or MC Donald wagera ke restaurant ke gosht khana jiske bare me khabar nahi ki kafir ka zibah hai, musalman ka ya machine(masheen) ka or musalman wo hai jo sunni aqeede rakhta ho, agar wahabi ka zibah hai, to kehne ko naam ka wo bhi musalman hai, magar uska zibah bhi murdaar ki misl hai, uska khana bhi halal nahi, jab tak sunni ke hath ka zibah naa ho. Hadis e pak ka mafhoom hai jisme kaha gaya ek haram hai ek halal or (iske beech me) shubah hai bas tum shubah se bhi bacho,  Yani shak shubah ke khane se bhi bachna chahiye.

Musalman par gosht khana naa farz hai, naa wajib umar bhar bhi sabzi khaye jab bhi gunah nahi, fir majburi kaha reh gai, in restaurant se veg bhi khaya jaa sakta hai, is tarah to restaurant me sharab bhi aam baat hai to kya musalman ne paani peena tark kar diya ?
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  295
Jis ghar me mayyat hoti us ghar ke log chulha nahi jalaate. Kya yeh sahi hai ?

Jawab: 295 بسم الله الرحمن الرحيم
Sharann isme koi harj nai
Mgar jis ghar me maut hui ho bhala us ghar ke logo ka kya haal hota hai ye sab pe zahir hai aise me kise khana khaane or banane ki fiqr hoti hai, isilye padosi hazraat aise ghar ke mehmaano ke liye khana bana dete hai, ya banwa dete hai, magar iska ye matlab nahi ki us ghar me chulah naa jale, ye khana pados ki aurate mayyat ke ghar ke chuleh par bhi bana sakti hain, magar is tarah karna khilaf e adab lagta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  296
Bugz o keena kise kehte hain?

Jawab: 296 بسم الله الرحمن الرحيم
Dil me kisi ke khilaf dushmani rakhna ke naam bugz o keena hai.
Hujjat- Ul Islam Imam Muhammad Bin  Muhammad Al-Ghazali
Ihya Ul Uloom Jild: 3 Safah: 233 par inki tareef yu arz karte hain,

Keena yeh hai ki insan kisi ko apne dil me bojh  jaane, usse bila wajeh sharai Dushmani rakhe bugz rakhe- nafrat kare or ye kaifiyat hamesha baqi rahe.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  297
Kisi se bugz rakhne waale ka kya hashr hai?

Suwal 297 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi sunni musalman se bugz rakhna haram or jahannam me le jaane wala kaam hai Or badmazhab se bugz rakhna jaiz, balki baz ne kaha wajib
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  298
Har wahabi ka kehne ka ek hi matlab he ki khana rakh kar fatiha nahi dilana chahiye, Hazrat aise main hum unhe kya jawab den.

Jawab: 298 بسم الله الرحمن الرحيم
Aap unse kaho ki, wo khaana aage naa rakhe bina khana rakhe fatiha de diya kare, fatiha dono surat me ho jayegi, ye naam hai isaal e sawab ka jo khaana aage rakha jaata hai wo nahi jaata balki jo quran padha jayega uska sawab baksha jaata hai, khaana aage rakho ya naa rakho magar khaane ko aage rakh kar quran padhna BUKHARI ki hadis se sabit hai, khud Huzoor (عليه السلام) ka amal hai,

Ek baat- : saare wahabio or deobandio ko EK CHALLENGE hai ki agar khaana age rakha kar quran padhna mana hai to wo, dastarkhwan par samne khaana rakh kar, بسم الله padhte hai ya nahi, or ye بسم الله quran hai ya nahi
Agar wo kahe ki nahi padhte to wo khud hadis ke khilaf amal karte hai, ki shaitan unke khane me shamil ho jaata hai, agar wo kahe ki ye بسم الله quran nahi to kafir hai,
Bas to yahi kafi  hai ki khaane ko samne rakh kar quran se kuch bhi padhna SUNNAT E RASOOL se sabit hua, warna koi hadis le aao ki Huzoor (عليه السلام) ne khaane ko samne rakh kar quran padhne se mana kiya ho, or beshak qiyamat tak naa laa sakenge,
Or ek baat wahabi se hamara ikhtilaf fatiha par nahi hai wo sunni musalman ko aisi hi mustahabbat me uljhata hai, agar apse wahabi koi Suwal puche to bekar behes me padhne ki zarurat nahi, usse kaho ki kisi sunni imam ke pas jaye, or jawab le le or aap unke Suwal ke jawab ke likye, kitab “jaa al-haqMufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Ki Zarur Padhe, Fayeda Hoga,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.299
Hazrat Mohammad sallallahu alaihi wasallam kitnne bhai the ?

Jawab: 299 بسم الله الرحمن الرحيم
Aap  عليه السلام ke koi bhai nahi the,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  300
kya aurat ka sir khula ho to wazu ho jayega

Jawab: 300 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu ho jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم

No comments:

Post a Comment