Suwal 301 to 400 (Masail e Shariat Jild 1)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Abu Rayyan Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 1) 
--------------------------------------------------------------------------------------------
Suwal no.  301
koi sunni bhai agar anjane jagah pe jata he or waha jume ki namaz ke liye galti se deobandi masjid me chala jata he. iska ehsaas jab use hota tab tak bahut der ho chuki hoti he aur imam niyat kar chuka hota he..aise halat me wo kya kare.?

Jawab: 301 بسم الله الرحمن الرحيم
Naa, namaz ki niyat kare, naa imam ki pervi, jabki nikalna mumkin naa ho, warna bahar aaye or bahar aa kar, sunni masjid me juma talash kare, warna apni zohar padhe,
Mere sath aisa apne shehr aur shehr ke bahar kai bar tajurba hua ki me pehli saf me hota or jab jamat khadi hoti to maloom hota ki deobandi ki jamat hai to me pehli hi saf me apni namaz padh liya karta hu, imam ki pervi nahi karta fir chahe imam ruku me ho or me sajde me ya imam qada me ho or farz pure kar chuka hota hu, or kai baar jamat ki niyat bandhne ke baad bhi me bahar aa gaya, magar aksar jab nikalna mumkin nahi hota to me apni niyat bandhkar apni tanha padhta hun,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  302
Beemari ka kya bayan hai hadees or quran se. Agar koi beemar hai to ye gunaahon ki wajah se ya allah ki aazmayish ya phir kya hai, pure mamle pe zara roshni dalen or kya wazaif beemari me padhe jaane chahiye jo quran hadees se sabit hon

Jawab: 302 بسم الله الرحمن الرحيم
Beemari or pareshani ki FAZEELAT par Ahadees e Kareema:

Musalman ko jo bhi takleef, dukh, pareshani, gham, pahuchta hai yahan tak ki agar usko kaanta bhi chubhe to allah iske sabab uske gunah mita deta hai,
(Bukhari shareef)

Qiyamat ke din jab musibat-zada logon ko sawab diya jayega, to afiyat ke sath rehne wale tamanna karenge, ki kash duniya me in ki bhi khaale qainchiyon se kaati jaati (yani takleef di jaati)
(Tirmizi shareef)

Bukhar ko bura naa kaho ki wo aadmi ki khatao ko is tarah door karta hai jaise bhatti lohe ke mel ko
(Muslim shareef)

Jo ek raat beemar raha, sabr kiya, aur allah ki riza par raazi raha to bhi gunaho se aisa nikal gaya jaise uski maa ne use aaj hi paida kiya,
(Tirmizi Shareef)

Ek buzurg ka qaul hai:
Jo 40 raat me ek martaba bhi aafat ya fikr ya pareshani me mubtala naa hua us ke liya allah ke yaha koi bhalai nahi,

Wazaif: (choose as possible)
111 baar  یا سلام  (YA Salamu) padh kar beemar par dam kare ان شاء الله  shifyat hoga,
70 baar یا حسیب  (YA Haseebu) roz padhe  ان شاء الله  aafat se mehfooz rahe
07 baar یا ممیت  (YA Mumitu) roz padh kar pane upar dam karle ان شاء الله  jaadu ke asr ke bacha rahe
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no.  303
shaadi ke baad aurto ko apne shohar ko naam ke sath apna naam jodna kaisa hai

Jawab: 303 بسم الله الرحمن الرحيم
Naam jorne me harj nahi magar, Naam nahi jora jaata balki surname jora jaata hai or musalmano me aksar surname unki cast(zaat) hoti hai lihaza. (zaat) Nahi jorna chahiye, ye kafiro ka tariqa hai ki aurat apni zaat badal kar, shohar ki zaat laga leti hai, Or ab ye musalmano me raaij ho chuka ki, koi aurat, ansari ho or shohar khan to aurat bhi shadi bad khan ban jaati hai, ye ghalat aur gunah hai, aisa karne wale par hadis me lanat aai hai ki jo apna nasab badle ya apne baap ke siwa doosre ko baap banaye, Shadi baad aurato ko shohar ka surname lagane ki koi zarurat nahi, aur surname lagaye to gunah nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.304
Zaid ko kisi ne teeje yaa chalisme ki daawat di. Aisi dawaat me jaana  kaisa ?

Jawab: 304 بسم الله الرحمن الرحيم
Zaid sharai faqeer hai to chala jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal No. 305 
shadi ki pehli raat ke kya Masail hai

Jawab: 305  بسم الله الرحمن الرحيم
Sabse pehle jab nai dulhan ghar aye to uske per dho kar us paani ko ghar ke charo kono me dalna chahiye AlaHazrat Imam E Ahle Sunnat farmate hai ye mustahab hai or isse ghar me barkat hoti hai,
Shadi ki raat namaz e shukrana padh sakte hai, aur iski tarkib aam namazon ki si  Hoti hai mard aage hoga aur bivi peeche is namaz ka fayeda insha allah ye hoga ki Aurat mard ki farma bardar rahegi, Baaqi ke muamla is kitab ke Jawab No. 246 par padhe warna kitab “kareen e zindagi” se mulahiza kare,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 306
Kya Juma Mubarak kehna shahi hai..

Jawab 306 بسم الله الرحمن الرحيم
Sahi hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 307
agar hum barkat ke liye chandi ki ek anguthi pehne or usme pehli line me
"Mohammad"
doosri me
"rasool"
teesri me
"Allah"
likha ho. jese hamre nabi ki anguthi thi to kia pehen sakate he Hazrat kuch gunah to nahi.

Jawab: 307 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehen sakte hai kuch harj nahi, magar iske adab ka khyal rakhna hoga, maslann, toilet wagera me jaate waqt utaar len,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.308
Hazrat kin kin wajah se miya bivi ka rista tut jata hai.

Jawab: 308 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab mard rishta torne ka man bana le , or talaq de de to rishta tut jata hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 309
kya ham Hazrat imam husain radiallahuta'ala anhu ko "alaihissalam" kah sakte hain

Jawab: 309 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz  عليه السلام  nabi, rasool aur firishte ke liye khaas hai, inke gair ko naa kaha jaye naa likha jaye, imam hussain ko “radi allah anhu” keh sakte hai, عليه السلام nahi kehna chahiye
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 310
Zaid ne rab se waada kiya kisi gunaah ko naa karne kaa. Kuch arse baad wohi gunaah sarjad hogaya. Ab kya zaid par waada khilafi ka gunaah bhi lagega?

Jawab:310
Filhal to zaid gunah karne ki wajah se gunahgar to hai hi, chahiye ki tauba kare or ainda us fel se baz rahe, or jab bhi wo fel sarzad ho to allah se mafi manta rahe aur, allah se gunah se bachne ki tofiq bhi mange, aur allah bakhshne wala mehrban hai, kabhi apne gunah se uski rehmat se mayus naa ho, aur allah tauba karne walo ko pasand karta hai, aur zaid ko chahiye ki bad namaz e fajr, sureh ikhlas 11 bar padh liya kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 311
Kya Jandar ki photo lagana sahi hai. profile ya home (ghar) me.?

Jawab:311 بسم الله الرحمن الرحيم
Profile yaani digital screer par laga sakte hain, print out nikal kar kahi bhi nahi laga sakte naa ghar me naa dukan me
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.312
koi agar kiraye ke ghar me rehta ho us ghar me kisi bhagwan ki tasveer ho(pathar)ki jisko nikal nahi sakte. kiya us ghar me rehna thik he or us ghar me namaz ho jayegi.

Jawab: 312 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar kahi or kiraye ka ghar mil sake to behtar, warna rehne me usme bhi koi harj nahi reh sakta hai or tasweer par parda laga de, warna koi saman jaise almari, freez wagera us jagah rakhe taki tasweer dhak  jaye,  agar tasweer namazi ke age hogi to namaz makruh tehrimi hogi, tasweer dhakne ki jo mumkin surat ho kare, magar deewar se tasweer ko khurach kar shakal nahi bigar sakta, iski ijazat nahi hogi, sirf use pardey se dak sakta hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.313
kisi ne wazu kiya us ke baad use laga daant men kuchh fansa reh is halt main agardhage se daat saaf kar ke kulla kar le to kya wazu tut jayega ya nahi ?

Jawab: 313 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu nahi tutega balki kulli kar lena behtar hai, or naa bhi ki to harj wuzu me nahi namaz me ayega, or kulli karna wuzu me farz nahi, kuch phasa raha or wo jagah naa dhul paai to bhi wuzu ho jayega or ghusl me ye mamla hua ki ghusl kara or daant me kuch reh gaya to bhi ghusl dohrane ke zarurat nahi, kulli kar lena kaafi hai
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 314
agar kuran shareef gir jaye hath se chhut kar us surat main hame kya karna chahiye kuran sheef ko chum kar dua kar lena theek he ya kuchh aur ?

Jawab: 314 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz ‘Qur’an’ roman English me is tarah likha jaata hai, jaise hamne jawab me likha hai or ye baat sail se pehle bhi arz ki gai thi, magar mehsus hota hai ki pichle suwalo ko padh kar sail ne apni ghalati nahi sudhari, allah se dua hai ki AMAL ja jazba bhi ata farmaye.

Quran agar dhoke se hath se gir gaya, to kaffara kuch nahi magar quran e azeem ko uthate waqt dhiyan hazir rakha jaye, aisa naa ho ki dhiyan kahi or kaam koi or, fir anjam kuch or, natija fir yahi hota hai,  toba lazim to nahi magar lamha lamha toba kar lene me bhi harj nahi, or mash’hoor yahi hai ki aisa hadsa hote hai log fornn tuba karte hai, or sail ne bhi kar hi li hogi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 315
Huzoor suwal no. 312 me tasweer ko deewar se khurachne ki ijazat kyun nahi he. jabki hadis me tasweer mitane ka hukm aaya he

Jawab: 315 بسم الله الرحمن الرحيم
Ghar kiraye ka hai sail ghar ka malik nahi hai, isilye malik ki ijazat ke baghair ghar ko bad-numa karne ki ijazat nahi, isilye tasweer par parde ko Dhaka jaye warna bada saman samne rakh diya jaye
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.316
Hazrat agar hum namaz pad rahe hain aur namaz ke darmiyan humara wazu tut jaye phir kya hume namaz puri kar lena chahiye ya niyat tot kar wazu kar lena chahiye

Jawab: 316 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu tut jane ki surat me niyat tor de or fir se wuzu kare or namaz padhe, wuzu tut jaane par wo namaz puri karne ki ijazat nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 317
Janab sawal hai agar koi pehli saf me ho aur namaz ke douran wuzu tut jaye aur Peechhe 10 aur saf ho to kya kiya jaye.

Jawab:317 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar pehli saf me wuzu tut jaye to bhi wahi hukm hai ki namaz tor ke fir wuzu kare, or namaz puri naa kare, nikalne ki surat is tarah hai ki, naak par apna hath rakh kar, bahar aa jaye, jabki side me nikalne ki jagah ho, aisa nahi ki namazio ko dhakka de kar aye, agar nikalna mumkin nahi to apni jagah beth jaye, or ek baat
Jab namaz jamat se hoti hai to namazion ke aage se guzarne me gunah nahi hota, wo jo hadis me aya ki namazi ke agar se naa guzro wo tanha namaz padhne wale ka hukm hai wo bhi jiske samne koi suthra naa ho,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 318
Agar main Zakat deta hu to mujhe teeja ya chalisve ki dawat khani chaiye ya nahi

Jawab: 318 بسم الله الرحمن الرحيم
Wo dawat ek isaal e sawab ke liye hoti hai, or ghareebon aur masakeen ka haq pehle hai, pehle unhe pucha jaye or gunjaish ho, to kya kiya jayega, ? zahir hai ki koi shaksh khana phekega to nahi, to wo apne janne walo ko bhi bula lega. Ye samjho
100 faqeer ka khana hai,  50 faqeer hi mil paye or wo khaa gaye 50 musalmano ko khilane ka swab mayyat ko gaya, ab 50 ka khana bach gya ab uska kia kiya jaye zahir hai koi gair-fakir bhi khaye to 50 or musalman ko khilane ka swab mayyit ko jayega,
Or khana sahib e nisab ko bhi sharann to jaiz hai, magar ghareebo ki haq talafi naa ho.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 319
Wazu kin kin chizo se tutata hai ?

Jawab: 319 بسم الله الرحمن الرحيم
Jin chizo se ghusl farz hota hai unse wuzu bhi tut jata hai, iske alawa, Pakhana, peshab, mani, mazi, wadi, mard ya aurat ke aage ya Peechhe se jo hawa nikalti hai, khoon peep ya zakhm ka paani, dukhti aankh ka pani behne se, namaz me zor se hansne se, so jane se, mu bhar ke ulti aane se,  wagera wagera,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.320
Hazrat Mohammad sallallahu alaihi wassallam ke chacha kitne the.

Jawab: 320 بسم الله الرحمن الرحيم
Huzoor (عليه السلام) ke chacha ke bare me tareekh likhne walo ka ikhtilaf hai baz ne kaha 9, kuch ne 10 aur kuch ka qaul 11 hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 321
Moharram me taajiya banana aur ghumana kaisa ?

Jawab: 321
MUHARRAM ME HONE WANE NAJAIZ OR HARAM KAAM Jaise…
1. Shariat me taziye ki kuch asl nahi aur jo kuch bid’at iske sath kiye jaate hai sab najaiz hai,
2. Hindustan me jis tarah taziadari raaij hai naajaiz haram wa bid’at hai,
3. tazia banana, dekhne ke liye ghar se nikalne, tazie ke tazeem karna wagera
4.Tazia-dari karne wala fasiq hai, jo ise zaruri qarar de, gumrah bhi hai,
5. tazie par mannat mangna mehndi chadana, chadawa chadana wagera
6.sarkaar imam hussain ki shahadat par, dhol tashe khurafat yazidiyo hi ki yaad gar hai,
7. tazie par dhol, tashe, matam, khail kood wagera,
8. tazie me chanda dena ya kisi bhi tariqe se unki madad karna,
9. bachcho ko faqeer banana or ghar ghar bheek mangwana (ye sab najaiz kam hai)

Fatawa Razaviya Jild: 21 & 24, Safah: 246 & 488-510,
Fatawa Behrul uloom Jild: 05 Safah: 238,
Fatawa Faizur Rasool: 2 Safah: 508
Al malfooz Safah: 93

MUHARRAM ME HONE WALE JAIZ KAAM
1. Imam hussai aur deegar buzurgo ki fatiha karna
2. logo ko sharbat paani khana wagera taqseem karna
3. is maah me roze rakhna aur yateemo ke sath shafqat karna
4. muharram ki 10 tarikh ko ache se ache khana banana aur ghusl karna
5. muharrma ki 10 tarikh ko tawa chadana jhadu lagana safai karna wagera,
(is maah me ye sab kaam jaiz hai, Fatawa Razaviya Jild: 24, Safah: 488)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 322
agar kisi jama'at ke wakht siwaye imam ke kisi ko bhi takbeer kahna nahi aata to kya karna  chahiye.

Jawab: 322 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam hi takbeer kahe or fir aage apne musalle par chala jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 323
kya jo haj kar ke aate hain un ke haath chum ne chahiye.

Jawab: 323 بسم الله الرحمن الرحيم
Hath chumne me harj nahi, magar gair mehram ko iski ijazat nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 324
shadiyo ki rasm ke mutalliq
mene aqsar dekha he aur aaj (05/10/2015, ko) subha bhi dekha ki kuch aurat masjid me kuch puye laati hein aur masjid me deti hein namaziyon ko unme se kuch aurat hone wali dulhan se ek lote ki madad se paani girati huyi apne ghar taq le jaati he ye sab kiya he aur hamare islam me ya hamare barelvi maslak me iski kiya haqiqat he

Jawab: 324 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye behooda rasme hai, fajr ke andhere me aurato ka ghar se nikalne or masjid ke darwaze par khade ho jaane jabki namazio ka nikalne ka waqt hota hai is harkat e behooda ki islam ijazat nahi dega, or ye raat bhar dhol tashe bajati hai nach gana chalta hai or time pass karne ke liye puye pakaye jaate hai taaki raat guzar jaye, aur jo mard apne aurato ko ghar se beparda is tarah nikalne ki ijazat de ya qudrat rakhne ke bad bhi naa roke to hadis ke mutabik wo da’iyus (bharwa) hai, or wo jannat ki khushbu bhi nahi sungega, aur jo paani wali baat hai wo kaam haram hai, bila wajah to wuzu me bhi pani bahana haram hai, fir faqt behoda rasmo me bina wajah paani ka bahana kyunkar jaiz ho sakta hai, or ye sab shadio me aksar tariqe hunood ke hote hai, or yaad rakhna chahiye, in bato ki ijazat naa islam ne di hai naa sunniyat ke maslak ne, agar koi aisa fel karta hai to khud apni kam ilmi ya jahalat se karta hai isme kisi aalim ya maslak ka koi kusur nahi hota, ulama ka kaam shariat ka hukm batana hai, jabrann manwana nahi, aur hamare aqeede aur maslak hamari kitabo se zahir hai awam ke ghalat karnamo se nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 325
Hazrat moharram or chehlam main sadiyan nahi karni chahiye

Jawab: 325 بسم الله الرحمن الرحيم
In Maah me shadiya karna jaiz hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 326
Hazrat ek sariyat ke hisab se hame kaisi sadi karni chahiye aur zaruri kaun kaun cheezee hain,

Suwal:326 بسم الله الرحمن الرحيم
Do gawah sunni musalman ki mujoodgi me, sharai meher ke sath ijab qubool karna itna to zaruri hai, baki jo rasme shariat se naa takraye karne me harj nahi, maslan ek doosre ke ghar walo ko tohfe me kapde dena, ubtan lagana aurat ko mehndi lagana, wagera wagera,
Baki jo rasm shariat ke khilaf ho use nahi karna chahiye jaise, dhol, DJ, dulah ko mehndi, gair mehram ka ubtan lagana, mard aurat ka naach gana, wager wager baki tafsil kitab Islami Zindagi se padhen,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 327
Gair muqallideen ka mazhab hai ki khulafa e rashideen ahkam e sharia ke khilaf ahkam nafiz karte the,
(iska kya matlab hai)

Jawab: 327 بسم الله الرحمن الرحيم
Yani wahabi manta hai ki, ye sahaba jo faisla sunate the (unme aksar) shariat (quran hadis) ke khilaf hote the, (maz-allah)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.328
Chhote bachcho jo ki agar kapde nahi pehne hain unhe dekhne se kya wazu tut jata he ?

Jawab: 328 بسم الله الرحمن الرحيم
Apna ya paraya, mard ya aurat ka, bache ya bade yani kisi ka bhi barhana jism dekhne se wuzu nahi tutega, magar isme baz fel haram hai, aur aisi surat me fir wuzu kar lena mustahab hai, or naa kiya to bhi wuzu rahega,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 329
zakat ka hisab kaise kare aur zakat Ki raqm kaise taqseem kare ?

Jawab: 329 بسم الله الرحمن الرحيم
Us saal ke chandi ki qeemat dekhi jayegi, jo 52.5 tola chandi ki qeemat ke barabar ya zyada ka malik hoga, ya sirf sona hai to 7.5 tole sone ka malik hoga use 2.5% apne maal se nikalna hoga, misal ke tor par agar 52.5 tola chandi ki qeemat is saal Rs.20,000/- hai or kisi ke pas 20,000 ya, isse zyada hai to is raqam ka 2.5% dena hoga, zakat kisi bhi sharai faqeer ko de sakte hai bas wo zaat ka “sayyid” naa ho sayyid ko zakat dene se zakat ada nahi hogi, warna  kisi deeni idare, madarse wagera me bhi dee ja sakti hai, or zakat ki raqam ka malik doosre ko banana hoga, agar us raqam ka khana bana ka faqeero ko khilaya to bhi zakat ada naa hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 330
assallamwalikum
Kya ap mujhe ishraq or chast ki namaz ka sahi time or inme kitne kitne rakat pad sakte hai or kaise inki niyat bandhi jaati hai or kya dono hi namaz padni zaruri hoti he ya agar ishraq ki namaz chut gai he to chast ki pad saktey hai or inki fazilat kya hai..?

Jawab: 330 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام والرحمة الله
Namaz e ishraq o chasht ki FAZILAT aur Raka’at
Jo namaz e fajr baa-jamat ada kar ke zikrullah karta rahe yahan tak ki aftab buland ho gaya fir 2 rakat padhi to use pure HAJ wa UMRE ka sawab milege
(Sunan Tirmizi)

Jo shaks namaz e fajr ke fariq hone ke baad apne musalle me betha raha yaha tak ki ishraq ke nafil padh ke sirf khair hi bole to use ke gunah bakhsh diye jayenge agarche samundar ke jhag se bhi zyada hon,
(Sunan Abu Dawood)

Jo chasht ki do rakat pabandi se ada karta raha uske gunah muaf kar diye jaate hai chahe samundar ke jhag ke barabar ho,
(sunan Ibn e Maja)
Namazo ka Waqt,
Ishraq ka waqt- Suraj tulu hone se kam se kam 20 mnt. Baad padh sakte hai,
Chasht ka waqt- aftab buland hone se zawal tak, or namaz e ishraq ke bad bhi chasht padhi jaa sakti hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 331
Salaam aur chhink ka jawab naa dena kaisa? Khali ishaare se jawab dena kaafi hoga kya ?

Jawab: 331 بسم الله الرحمن الرحيم
Salam aur chheenk dono ka jawab dena WAJIB hai, aur dono ka jawab inti awaz se diya jayega ki samne wala sun le, warna gunahgar hoga, aur jawab dene me bhi der ki to bhi gunahgar, aur ishare se jawab kaafi nahi, awaz ke sath hi dena wajib hai

Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 460 par hai
Salam ka jawab foran dena wajib hai, bila wajah takheer ki to gunahgar hoga or ye gunah jawab dene se dafa naa hoga balki tauba karni hogi.

Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 464 par hai,
Salam itni awaz se kahe ki jisko salam kiya gaya hai wo sun le, aur agar itni awaz naa ho to jawab dena wajib nahi,
Ungali ya hatheli se salam karna mana hai, hadis me farmaya
“ungali se salam karna yahoodio ka tariqa hai aur hatheli se salam karna nasara ka”
baz log salam ke jawab me hath ya sar se ishara kar dete hain, ... yun jawab nahi hua unko munh se jawab dena wajib hai.

Kisi ne hath ke ishare se salam kiya to ye salam nahi naa iska jawab dena wajib, magar jab ishare ke sath munh se bhi salam kaha to jawab diya jayega,

Bahar e Shariat Jild: 3 Safa: 476 par hai
Chheenk ka jawab dena wajib hai jabki chhenkne wala  الحَمْد لله kahe, aur iska jawab bhi foran dena aur is tarah dena ki wo sun le, wajib hai, jis tarah salam ke jawab me hai yaha bhi hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 332
Agar kisi jama'at ke wakht masjid main koyi bhi aisa aalime deen na ho jo imamat kar sake us wakht "Hazrat" jo aap se sawal kar raha hai uske andar itni kabiliyat hai ki wo imamat kar sakta hai. Lekin wo kabhi kabhi bado ki baat taal jata hai aur kabhi jhoot bhi bol deta hai, Lekin fir bhi log kahte hai ki chaliye aap hi imamat kariye. To sawal ye hai ki kya aisi halat wo namaz ki imamat kar sakta hai YA nahin kar sakta to kya karna chahiye ?

Jawab: 332 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar aap me imamat ki sharait paai jaati hai to aap imamat kar sakte hai, agar un sharait me kami paai gai to fir sab ko tanha tanha namaz padhni hogi, warna doosri masjid me jaa kar namaz padhe, or wo kuch sharait ye hain:
Sahi aqeede sunniyat ke rakhta ho, aisa nahi ki har kalima padhne wale deobandi ya wahabi ko musalman jaane, ya zarurat e deen se kisi chez ka inkar karta ho, ya nabi ko gaib ya zinda naa manta ho, Taharat ke ilm ho or namaz ke masale jaanta hai, yani wajibat e namaz or mufsidat e namaz wagera quran ki surate sahi makharij se padhta ho yani itne makharij janta ho ki namaz ko fasid naa kare, aur fasik naa ho yani koi gunah ka kaam ailaniya naa karta ho jaise namaz naa padhna, daadhi 4 ungli se kam rakhna wagera, agar aisa hai to fasiq ki imamat makruh tehrimi hai, or aise sakhsh ko imam banana haram aur uske Peechhe padhi gai sari namaze dorhana wajib hai,

Aur agar ye sharait paai jaye ki taharat janta ho or namaz ke masail or sunni aqaid se bhi agah ho or qirat bhi qadre zarurat janta ho to behtar hai ki imamat kar le, or jo suwal me gunah ke kam ginwaye gaye to unse hatho hath tauba bhi kar le, insha allah imamat sahi ho jayegi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 333
Islamic tarikh magrib ke baad badal jaati .kya din bhi usi time badal jata he

Jawab: 333 بسم الله الرحمن الرحيم
Kabhi aisa nahi hota ki 1 tarikh me din ho, yani 10 tarikh ko juma hoga to 11 ko bhi juma hoga kabhi aisa dekha hai, yani agli tarikh agle din ke sath hi hogi, yani waqt e asr (chand ki) 10 tarikh hafte ki hogi or jab aap kahoge to magrib bad 11 lag jayegi to zahir yahi hai ki itwar bhi lagega kyunki hafta asr 10 tak tha aur magrib bad 11 hui or ek din do tarikh me kaise aa jayega. ?
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 334
Kya bina kisi tehqeeq ya daleel k koi msg aage badha (forward) kar sakte? Kya jhoot ke darje me shumaar hoga?

Jawab: 334 بسم الله الرحمن الرحيم
Bina tehqeeq koi mas’ala ya hadis wagera ka SMS aage nahi badhana chahiye, jab tak uska haq hona haqeeni naa ho, yaa aalim e deen se tasdeek naa kar li gai ho, ab raha be-dalil yani weh SMS jis par koi hawala nahi hota to (mene khud aaima e masajid se suna ki wo kehte hai ki use bhi forward nahi karna chahiye), magar main kehta hu (aur allah hi ki tofiq se)  ki agar wo mas’ala bahut aam hai, ki log usse waqif hai ki ye sach hai, ya koi hadis jo bahut mash’hoor hai ki log usse agah hai to unke hawale ki bhi zarurat nahi, or use be-hawala forward kiya jaa sakta hai,  jaise, “pani beth kar peena sunnat hai” ab agar is hadis me hawala nahi to bhi isko forward kare to harj nahi ki yaha tehqeeq ki hajat nahi naa hawala ki zarurat kyunki ye hadis e mash’hoorah hai, sab jante he ki beth kar peena chahiye,  aur isi tariqe ke or bhi mash’hoor masale jisse awam wafiq hai to be-hawala bhi forward kar sakte hai, jaise “namaz me payeche nahi morne chahiye isse namaz makruh tehrimi hogi” ye masala bhi awam me mash’hoor hai or haq hai ki ulama ise aksar byan karte hi rehte hai to ab isme awam ko hawala ki hajat nahi,

HA, wo hadis ki jisme shak shoba ho ya yakini maloomat naa ho ya masala jo kabhi aalim e deen se naa suna ho to zarur use forward karne se baz rehna chahiye, or ajkal whatsapp par wahabi mozu(mangarat) hadis aam kar dete hai, jo sunni hadis samajh kar aage forward kar dete hai, jabki hadis me farmaya “jisne mujh par janbujh kar jhuth bandha to weh apna thikana jahannam me bana le” iska Sharah byan karte huye Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Meerat Sharah Mishkaat me farmate hai (mafhoom) iska matlab ye hai ki koi jhuthi baat jan kar Huzoor (عليه السلام) ki tafar mansoob kare yani Huzoor (عليه السلام) ne ye farmaya, ya fir koi mozu hadis ka mozu hona chipyae, yahi jhuth hadis byan karke logo ko ye naa bataye ki hadis mozu hai, to wo apna thikana jahannam me samjhe, or aga farmate hai agar koi bekhabari me mozu hadis byan kare to gunah nahi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 335
Sone k jewraat(jewellery) auraton k liye zaij hai.
Pure gold to narm(soft) hota hai usme kuchh milawat ki jaati hai. Mas'ala yeh hai:
1. Kitni pratishat gold hona jaruri hai?
2. Aaj kal 1 gm jewellery aati hai, kya zaij hai ?
3. Agar 25% gold aur baaki milawat ho to chalega?


Jawab: 335 بسم الله الرحمن الرحيم
Isme percentage ki koi gaid to nahi or banawati gehno me sona mix nahi hota, bas jo sone ke zewar kehlaye jaate hai or sone ke rate par hi mile jaiz hai, or jisme sonaa naa mix ho or wo banawati rate par mile to jaiz nahi. Urf e aam me jise sone ka zewar kaha jata hai use sone ke hukm me mana jayega..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 336
Masjid me namaz ke alawa deegar waqt me istinja, pani ya haath wagaira dhone k liye masjid ki cheezon( ashyaa) ka istemal karna kaisa ?

Jawab: 336 بسم الله الرحمن الرحيم
Iska jawab urf par mabani hai, agar kisi masjid ka tiolet isi garz se bahar ki taraf banwaya gaya ki musafir bhi istimal kare ya bahar wale, to gunah nahi, jaise baz masajeed me bahar kuch dukan hoti hai jo masajeed ki milk hoti hai, jinhe kiraye par diya jaata hai, to unke liye bhi kabhi kabhi bahar ek toilet bana diya jaata hai, Or wuzu ka paani bhar ke lee jana jaiz nahi, magar jaha log bhar ke le jaate ho yani masjid ke bahar tanki hai or waha ka riwaj bhi hai ki log is pani ko le jaate hai  or use waha ghalat nahi samjha jaata to alg baat hai, to sail jis masjid ka hukm janna chahta hai waha ilaqe ka urf dekhe kya haal hai, or agar masjid me ye saaf likha hai ki pani bhar le jana mana hai to use bhar le ke jaana beshak gunah hai, balki masajeed me kabhi aisa bhi hota hai koi khas ek tiolet imam ya ulama ya mehman ke liye bhi rakhi jaati hai or uski safai ka khyal rakha jaata hai or waha likh diya jaata hai awam ke liye nahi, (yani awam doosri aam toile istimal kare) to awam ko iska bhi istimal karna jaiz nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 337
Mouzu/ topic
 " competitive exams me cheating karke paas hua"
1. Cheating karna kaisa?
2. Isme help karna kaisa?
3. Paas ho kar job laga ab isse kamaye paise kya
Rizq e halaal hue?

Jawab: 337 بسم الله الرحمن الرحيم
Cheating karne ki kai surate ho sakti hai, isi tarah kisi ki help karne ki bhi kai surate ho sakti hai,
Behrhaal, pas hokr halal job se kamai gai raqam halal hai jabki koi aisi shart naa ho ki shariat se takraye, or agar us job me kaam haram hai to mehnat se bhi pas ho kar wo kamai haram hogi, yani kamai ka buniyad us kaam par hai jo wo kar raha hai, jaiz kare ya najaiz, exam se iska koi lena dena nahi,

Apne to exam de kar kamai ka pucha ek musalman ne delhi ki ek muslim university me apne exam paper karne ke mutaliq mujhse pucha ki is suwal ka jawab likha jaye ya nahi, yani nokri to nokri exam tak me aise suwal aate hain jise likhna jaiz nahi, or us sail ki tez aqali waqai qabil e tarif thi,
Or B.A ka exam tha suwal tha “ashraf ali thanavi” ka ilm e tafseer me ahmiyat byan ki jaye,” bhala is kafir ki ahmiyat koi musalman kaise likh sakta hai, khair shayad usne ye suwal tark kar diya or doosra option chuna, magar iska sahi jawab ye hona chahiye the “ in Hazrat ki tasreer ya deen me khoi khidmat ya ahmiyat nahi, siwaye logo ko gumrah karne ke”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.338
Bahut log chhalla bandte hain mazar pe ya karbala shareef main agarjo murad ka chhalla bandha gaya ho aur wo murad na puri ho aur chhalla wo kholna chahata ho lekin aisi jagah bandha ho jahan wo nahi ja sakta aise haal main wo kya kare Hazrat

Jawab: 338 بسم الله الرحمن الرحيم
Aaram se apne ghar bethe, chhalla jaha bandha hai bandha rehne de, namaz aada kare, aur agar uske pas din me kafi waqt ho to apni qaza namaze puri karne me laga rahe jab tak puri naa ho jaye, or mannat puri hone ke liye qadri silsile me bahut wazife hai, jo quran o hadis se sabit hai, unhe amal me laye kafi hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 339 
School me jo drowing ka peper hota hai usme jo jaandar cheeze banane ko kaha jaata hai aur uske bina banaye pass nahi ho sakte wo banana kaisa hai ?

Jawab: 339 بسم الله الرحمن الرحيم
Is surat me bhi jandar ki tasweer banae ki ijazat nahi,
Magar ek kaam is suwal me ho sakta hai, jisse bacha bhi fail nahi hoga or kam bhi ho jayega, magar meri ye baat samajh nahi aai, suwal me jo likha gaya ki drawing ka paper naa karne par pass nahi ho sakte ye ajeeb hai, kyunki school me pas hone ke liye 3 me 2 language me pas hona zaruri hota hai, or drwaing un subject me shamil nahi ye aditional subject hai, agar koi saare exam pas kar le to or drwaing me fail ho jaye to shayad pas ho jayega warna yani use class me roka nahi jayega warna ek option “comparment” or bhi hai, khair,
Or ek baat bhi is suwal se paida ho gai ki drwaing ke paper me kya kewal ek hi suwal hoga ki jandar ki tasweer banao, zahir hai, kam se kam 5 suwal honge or unme option hoga maslan “bacha banao” ya makan” to sail bache ki tasweer bana sakta hai or agar aisa nahi hai to zarur pas hone ke liye 100 me 33 no. ki zarurat hai, or agar suwal me 60 no. me janwar ki hi tasweer banane ko kaha gaya to sail 60 no. chor kar 40 no. me baki chize bana le, kehna ye murad hai ki, is tarah zyada no. ke chakkar me naa padhe balki agar bejan ki tasweer bana kar pas hone layek no. laa sakta hai to uspar hi bas kare, fir bhi agar maan liya jaye ki paper me sari jandar hi ki tasweer banane ko kaha gaya hai, koi chara hi nahi to tasweer ka chehra chor kar jism bana de is tarah kuch to no. melenge hi or fail hone se bhi bach jayega, or agar teacher kahe ki tasweer adhuri hai to kahe ki adhe adhe no. hi chahiye,

Or baat khyal rakhna chahiye ki bas mufti sahab ne school me bachcho ko drwaing banane ki ijazat di hai, or unki dalil hai ki ye jo school me drwaing banwai jaati hai, ye kewal bachcho ko pencil chalana ya hath saf karwana murad hota hai, taziman tasweer banana murad nahi to ye is surat me jaiz hai,

Magar kya ye haq nahi ki isi tarah bache ka interst drwaing me ho jata hai or agar chal kar wo painter banna chahta hai, baz karobar kar lete hai, fir to zarur gunah ho jayega,
Hamara mashwara hai bukhar rokna ho, to zukham ko rok lo
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.340
aisa kya kiya jaye jis se gunah kam ho

Jawab: 340
Kasrat se allah ka zikr, Or astagfar ki kasrat karni chahiye,

Jab gunah ki marifat(pehchan) ho jayegi to Us gunah se bachna asan hoga, magar jab ye pata hi Naa ho ki ham jo kar rahe hai wo gunah hai, Yani gunah ki pehchan hi naa ho to koi isse kese bach Sakta hai,  Aaj jhuth, gheebat, chugli, gaane, film, wagera aise kaam Hai jo aam hai, magar asfos aaj koi inhe gunah tasawwur tak nahi karta, Yaha tak facebook, whatsapp par paisa or time ko barbad Karke namaze qaza kar dena ya paise or waqt ki barbadi Bhi israf hai najaiz hai, magar ise bhi koi gunah ka khyal  Nahi karta, isilye behtar hai ilm e deen hasil kiya jaye Fir roshan ho jayega ki gunah akhir hote kya hai, Bahut log to kuch kaam ko gunah hi nahi mante Halaki wo gunah hote hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 341
Kya halat e namaz me aurat ko paun ki 3 ungalia lagana bhi wajib hai, jis tarah mard ko wajib hai.

Jawab: 341 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi, ye hukm mard ke liye hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 342
jo namaz chhoot jati hain safar, hain ya shadi wagera me jane se ya us se bhi pehle bimar ho jane se wo namaz kaise padi jayen.

Jawab: 342 بسم الله الرحمن الرحيم
NAMAZ E QAZA ADA KARNE KA TARIQA,
Pehle ye arz kar du ki jo namaz  qaza karne ki halat suwal me sail ne darj ki us halat ko namaz qaza nahi kar sakte chahe shadi ho ya safar aisa nahi ki in halato me namaz muaf thi balki safar me to farz namaz waise bhi kam ho jaati hai yani apne shehr e asli se 92 K/m door jaane or 15 din se kam ke liye jane par, har 4 rakat ki farz namaz 2 hi padhni hogi, or jo namaz e qaza hui hain unhe ada karne ke bad, tauba bhi karni hogi warna qaza to ada ho jayegi magar qaza karne ka gunah sar rahega, yani qaza ko jald ada karna bhi wajib or lazim bhi, wajib

Qaza namaz agar yaad naa ho ki pichli zindagi me kitni reh gai, to jab se balig ho jab se ab tak ya jab se namaz e shuru ki hai us tak ke sal ka andaza laya jaye, agar ye yaad nahi ki kab balig huye to ladka 12 sal se andaza lagaye ladki 9 sal se, yani agar kisi 20 sal me namaz shuru ki to, 12 se 20 sal tak yani 8 sal ki namaz hui or ladki ki 9 se 20 yani 11 sal ki namaz zimme baki hui,
Ham isi misal ki buniyad pe age zikr karte hai maslan kisi ki 8 sal ki namaz qaza hain
Ek sal me din 365 yani ek sal me 365 namaz qaza hui, wo bhi ek waqt ki
8 saal me 8 X 365 = 2920 namaze qaza hui, wo bhi ek waqt ki
Yani, 2920 fazr qaza, 2920 hi zohar qaza, 2920 hi asr or magrib qaza, 2920 isha or vitr qaza, ye hukm ladke ke liye hai.
ladki har mah me napaki ke din ko kam karegi, maslan 4-6 din har mah napak rehti hai to har maah se 4 din(yani kam wale din) kam kare to uske liye har mahine 26 namaz qaza hai, jabki ladke ke liye puri 30
8 sal qaza karne wali ladki ki qaza namaz
Ek mah me din 30 magar 4 din napaki ke hataye to din 26
Ek sal me 26 X 12 = 312 (yani ek sal me 312 namaz qaza huiye, wo bhi ek waqt ki)
8 sal me din 312 X 8 = 2496, wo bhi ek waqt ki
Yani, 2496 fazr qaza, 2496 hi zohar qaza, 2496 hi asr or magrib qaza, 2496 isha or vitr qaza,
(or ye 4 din misal ke tor par kam kiye gaye, har ladki ya aurat apne napaki ke din kam se kam wale khud andaze se gataye ho sakta ho kisi ke 6 din ho to wo 6 har maah kam kare)

AB ISE PADHNE KA ASAN TARIQA,
Sabse asan or behtar tariqa hai ki pehle ek hi waqt ki namaz ada karne yani pehle sabhi fajr padh le fir is tarah puri hone par agli padhe, jab ki qaza namaz padhe to pehle fajr hi padhe jab tak puri naa ho jaye,
Niyat- iske do tariqe hai ( jis tarah chahe padhe,
1- niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse pehle qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
2. niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse akhri qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
(jis waqt ki padhe wahi naam le, zohar, asr wagera) Niyat bandhte hi
Pehle sureh fatiha shuru kar de, fir surat milaye (yani sana wagera naa padhe)
Fir ruku me jaa kar 1 baar tasbih padhe, or sajde me jaa kar bhi ek bar hi tasbih padhe, isi tarah 2 takat padhe or jab salam pherne bethe to attahiyyat puri padh kar, اللھم صلی علی محمد والہ  or salam pher de yani bad wali dua bhi naa padhe, is tarah, farj ada karta jaye,   (4 rakat wali me akhri ki do rakat me sureh fatiha naa padhe balki 3 bar سبحان الله‎ kahe, or vitr me, teesri me fatiha or surat zarur padhe or takbir keh kar, qunoot naa padhe balki 1 ya 3 bar رب اغفر لی    keh le

3 waqto me namaz e qaza ada nahi kar sakte, 1-zawal ke waqt, 2 tulu e aftab ke waqt, 3 magrib se 20 mint. Pehle tak, asr bad qaza padh sakte hai, or jab magrib me 20-25 mnt. Reh jaye to na padhe,

Qaza namaz chupchap ada karni chahiye, naa kisi ko bataye naa kisi ke samne ada kare naa iska zikr kare, or namaz padhta rahe copy me note rakhe ki kitne din ki fajr padh li,
Ummid haiye NAFA BAKHSH KALAM SABIT HUA HOGA,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 343.
Bank me rakhe huye paiso par ya share bazaar ke investment par Jo interest milta hai wo paisa halal hai ya nahi.

Jawab: 343 بسم الله الرحمن الرحيم
Hindustan ke bank me jo raqm rakhne par bank se us raqm par jo zaaid raqm milti hai sood nahi hoti, uska lena jaiz or us paise ko jaiz kaam me bhi laga sakte hai, maslan masjid madrsa, haj wagera,

Fatawa Behr ul uloom Jild: 03 Safah: 45 par hai,
Hindustan ke gair muslim agar apni marzi se koi raqm Musalmano ko den aur is ke liye me koi ujr izzat ko khatra Wagera naa ho to is ka laina JAIZ hai isko jis masraf me Kharch karega jaiz hoga (maslan deeni kaam me bhi)
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 344
Hazrat kya kisi bachche ka naam Mohammad Raza rakh sakte hai aur Hazrat is naam ka matlab bhi bata den

Jawab: 344 بسم الله الرحمن الرحيم
Rakh sakte hai, jaiz hai,
Mohammad= Bahot Tareef Kiya gaya, saraha hua
Raza=  Khush hona, razi hona
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 345
Ya Husain kahna sahi he ya ghalat plz hadish ke .hwale se btaye ?

Jawab : 345 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz “YA” ke sath kisi nabi wali ko bad unke wisal ke bhi ya fir door se bhi pukarna jaiz hai, YA Husain (radi allah anhu) kehna bhi durust hai,

Hadis Bukhari me hai
Hazrat abdullah bin umar (radi allah anhu) ka paun so gaya, kisi ne kaha unhe yaad keejiye jo apko sabse zyada mehboob hai, Hazrat ne buland awaz se kaha YA MUHAMMAD foran paun khul gaya,

Is hadis se pata chala ki door se bhi apne mehboob shaks ko “ya” ke sath pukar sakte hain,

Fatawa Razaviya Jild: 29 Safah: 554 par hai
Aam log jo sakhtiyo ke waqt nabio walio nek bando se faryad karte hain, “ya shaikh....fula (ya rasool allah ya ali ya shaikh abdul qadir ) or inki misl kehte hai jaiz hai ya nahi, aur wali bad intiqal ke bhi madad karte hai ya nahi, Jawab diya :- beshak ambiya, mursaleen, auliya ulama se madad mangna jaiz hai, aur weh bad intiqal bhi madad farmate hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. :346
Waseelah mangna kaisa hai ?

Jawab: 346 بسم الله الرحمن الرحيم
Shayad ye suwal tha ki waseele se mangna kaise hai, to mohtram kisi nabi wali wagera ko allah ki bargah me waseelah banana jaiz or quran hadis se sabit hai, zyada tafseel ke liye “ja-al haq” ka mutala mufeed hai
Quran me Tumhara RAB farmata hai :Sureh maida ayat 35
"Aye Imaan waalo, Allah se Daro aur uski taraf WaseeLa Dhundo"

Or farmata hai Allah Surah Baqrah, Aayat:89
"Aur jab unke paas ALLAH ki woh kitaab (Quran) Aayi jo unke Saath waali kitaab (Tauret) ki tasdik farmaati hai, Aur is se pehle woh usi NABI ke WASEELE se Kafiron par fatah maangte the, to jab tashrif Laaye paas woh jaana pehchaana us se munkir ho baithe, to ALLAH ki La'anat munkiro par

"Hazrath usman bin Hanif ko Huzoor (عليه السلام)Ne ye Dua Maangne ka hukum diya: "Aye Allah Mai tere Nabi ke WASEELA Jaleela se teri taraf tawajja karta hun, Ya RasoolAllah mai Aapke WASEELE se Apne Rab ki taraf apni Hajaat ke barey me muwajja hu, takay woh poori hojaye.
Tirmizi Shareef

Hazrath Ali (RaziAllahu anhu) farmate: hain: "Maine Nabi (Sallallahu Alaihi wasallam) se suna: Abdaal, Shaam me hote hai, ye 40 mard hain, inme se jab koyi ek marta hai to khuda uski jagha dusra Muqarrar kar deta hai, Inke WASEELE se barish hoti hai, inke WASEELE se jang me fateh milti hai, aur inke WASEELE se Shaam waalo par Aazab dafa kiya jata hai.
Mishkaat, jild:1, Baab-Yaman-o-Sh aam

Sayyiduna Ibne umar (RaziAllahu anhu) se Riwayat hai k Rasoolullah (Sallallahu Alaihi
wasallam) ne farmaya:
"Jab Mo'azin Aazan deta hai to Aazan ka jawaab do, phir Mujhpar Durood padho,aur phir Mere WASEELE Se ALLAH Se Dua karo"
Muslim, kitaab us Salaat,  baab-isteh baabul faul, page 738, Hadees 749

Imam of islam IMAAM SHAFAYI (Rehmatullah Alaih) farmate hain:"Mujhe jab koi Hajat pesh Aati hai, mai 2 Rakat Namaz Ada karke IMAM E AAZAM ABU HANIFA Key Mazaar e pur Anwar per jakar unke WASEELE se Dua maangta hun, ALLAH MERI HAJAT POORI KAR DETA HAI.
khairat-ul-hissan
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 347
mobile me naat ya qurani ayat wagera ki ring tone lagana kaisa hai...

Jawab: 347 بسم الله الرحمن الرحيم
Har tariqe ki musical tune ko ringtone ke tor par lagana haram hai, fir chahe wo gana ho ya music ke saman ke sath qawwali ho jab ye tone bajegi or ghar ya bahar jitne log us gane ko sunenge, or lutf hasil karenge to unka gunah bhi is mobile wale par, aur khuda naa kare, ghar me khawateen namaz padh rahi ho or ye phone charnging me bajne lage or ghar me koi naa ho to ALLAH KI QASAM namaz me kaisa fasad hoga is ka gunah bhi ring tone lagane wale ke sar, or agar ye jamat me shamil hua or is haal me ring tone baje to kaisa azab e ilahia or lanat e malaika is khabees par hogi ki jise allah or uske rasool ne haram kiya use allah ke pak ghar me bajata hai, or agar ring tone se imam ki namaz pe fasad hua ya kisi namazi ki namaz kharab hui to ye gunah ka bojh bhi isi ring tone wale ke sar,,,

Behtar yahi hai ki phone ko askar vibrate mode par rakha jaye, or jaha sakht zarurat ho to phone hi koi simple ya saadi ki tone volume kam karke lagai jaye,
Naat ki tune lagana bhi KHILAF E ADAB hai isse bhi bachna chahiye isi tarah qurani ayat ki tune lagana bhi adab ke khilaf hai ise bhi phone me nahi lagani chahiye, kyunki quran is liye nahi aaya ki tumhare phone ane par tumhe khabar kare, or apne phone ane ki khabar ke liye nabi ki naat ya zikr lagana kisi surat sunni ko rawa nahi honi chahiye, ye pak zikr sunne ke liye hai, naa ki apko phone aane ki khabar dene ke liye.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 348
farz Namaz me jamaat se 1 rakat apni chhut gayi ho or akhir me khade hone ki bajay galti se ek salam pher LIA imam sahab k sath fir khade hue to sajda e sahu karna hoga ???

Jawab: 348 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar dhoke se salam fer diya to foran khada ho jaye namaz puri kare, sajda sehev nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 349
Orat ki peshani par koi mard  بسم الله likh sakta hai kya ya kafan par.

Jawab: 349 بسم الله الرحمن الرحيم
Zinda ya murda aurat ki peshani par mehram rishtedar likh sakte hai, jaise bhai, bap beta wagera, aur zinda aurat ki peshani par shohar bhi or bad wafat shohar nahi, or magar kafan pehnane se pehle koi bhi kafan par likh de, warna pehnane ke bad koi aurat hi likhe, ki kafan ka kapda mota nahi hota, to koi aurat peshani ya seene par likh sakti hai,  jo kisi ne kaha ki kafan ke upar peshani par likh sakte hai, to me kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki kya ajab wo aurat apni zindagi me pardanashin ho to mard ke likhne se wo sakht haya or taqleef mehsus kare, to behtar hai ki parde me rehkar aurat hi likhe chahhe kafan ke upar ho ya peshani par ya seene par. Warna kafan pehnane se pehle koi mard us kafan par likh de. Pehnane ke bad mere nazdeek ijazat nahi.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 350
Kisi ko yah kehna ke me ahle sunnat wal jamat se hu sunni hu mera koi firqa nahi he. Yah kehna kaisa he.

Jawab: 350 بسم الله الرحمن الرحيم
Firqa parasti haq hai, ise jhuthlaya nahi jaa sakta aur har kalima padhne wala musalman nahi hota iska saboot quran me mojud hai,

Tumahara Rab farmata hai, Surah baqra ayat 8 aur 9 men,
“ aur kuch log kehte hai ki ham allah aur pichle dino par iman laye, AUR WEH IMAN WALE NANI,
Fareb diya chahte hai allah aur iman walo ko”

Isse maloom chala ki har ye kehne wala ki “men iman wala hu” se iman wala naa hoga jab tak aqeede wo naa honge jo ahle sunnat ke hai,

Jisne ye kaha ki me ahle sunnat wal jamat se hu mera koi firqa nahi hai, to wo bewaquf hai, ki khud qabul raha hai ki ahle sunnat ke firqe se hai or khud hi mana kar raha hai, ahle sunnat wal jamaat bhi ek firqa hi hai magar ye haq par hai 72 se juda, or ek baat “ahle sunnat wal jamat” nahi hota balki lafz “ahle sunnat wa jamat hota hai (WAL ke badle WA)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no 351
kya qadam bosi jayez hai or ye kaha se sabit hai ???

Jawab: 351 بسم الله الرحمن الرحيم
Gair mehram aur parde ka lihaz rakh kar, Qadam bosi jaiz hai,

Or ye hamare jawab se sabit hai, ye jawab Imam E Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Barelvi ke

Fatawa Razaviya Jild: 23 Safa: 745 se sabit hai farmate hai,
Qadam bosi.. peer wa alim e deen, sadat(ahlebait), wa sultan e aadil, aur waliden ki jaiz hai,

Or imam ka ye jawab, imam muslim se sabit hai ki imam muslim imam bukhari se farmtae hai (aye ustado ke ustad) main apke qadam chumna chahta hu, imam muslim ka ye amal
sahaba ka Huzoor (عليه السلام) ke qadam chumne wali hadis se sabit hai or wo hadis bukhari babal-adab-al mufrad aur bayeki se sabit hai, hadis shariat se sabit hai, shariat Rasool se sabit hai, sahaba or rasool ka koi fel QURAN se sabit hai,
Tumhe paida karne wala or rizq dene wala Allah farmata hai, Quran: 53/3-4  me
ye (nabi) koi bat apni khwaish se nahi karte, … magar wahi jo unhe ki jaati hai”
Or farmata hai Quran 59/7  “ jo kuch rasool tumhe den wo lo, jisse roke usse bacho”
Or farmata hai Quran: 4/80  “Jisne rasool ki ita’at ki usne allah ki ita’at ki

Qadam e durwais, radd e bala.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 352
Gas stove/ Induction heater par kuchh rakha hai aur jalne ki bu aa rahi hai. Zaid haalat e namaz me hai.
Zaid ko sharai taur par kya karna chahiye?

Jawab: 352 بسم الله الرحمن الرحيم
Iska jawab dete huye, Sadr Us Sharia Hazrat Allamah Mufti Muhammad Amjad Ali Azami,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 637 par likhte hain,
“apne ya paraye ek dirham ke nuqsaan ka khauf ho, maslan- doodh ubal jayega ya gosht ya tarkari roti wagaira jal jaane ka khauf ho ya ek dirham ki koi cheez chor le bhaga, in surato me namaz tor dene ki ijazat hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal 353
Moharram ul haram kis ko kehte hai,

Jawab: 353 بسم الله الرحمن الرحيم
Moharram naam hai islamic awwal mahine ka, or lafz HARAM ke do mayene hai, ek jise shariat me najaiz ke liye istimal karte hai or iska ek mayena hota hai, “izzat wala azmat wala” isilye, moharram ul haram kehte hai, yaha doosra mayena murad hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 354
Aaryan nam rakhna kaisa? Islamic naam he ya nahi...or agar nahi he to gair islamic naam rakhna kaisa ?

Jawab: 354 بسم الله الرحمن الرحيم
Aryan ka koi mayena mujhe kitab me nahi mila, bas itna mil sakta ki ek qaum ko hind pak aur turk me abad hai wo “arya” keh laai jaati thi, or “arya” qaum ki bolne wali zuban ko “aryan” kaha jata hai,
Mene bhi kabhi kisi musalman ka naam ye nahi suna naa apne buzurgo me naa kitabo me.
Gair islamic naam baz jaiz hote hai baz najaiz, or baz haram.
Magar naam ka asar bache ki zindagi me padhta hai, to zarur acho ke naam par naam rakhna chahiye, or paidaishi naam MUAMMAD ya AHMAD rakhna chahiye, ahadees me iske beshumar fawaid hain,
 وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 355
'Fisabilillah ' ka kya matlab hota hai

Jawab: 355 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz  في سبيل الله ka Tarjuma AlaHazrat Imam E Ahle Sunnat ne Kanzul Iman Shareef Surah Tauba Ayat 60 me is tarah farmaya – “Allah ki Raah men”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 356
Taziye ka chanda dena kaisa hai

Jawab: 356 بسم الله الرحمن الرحيم
Point no. 8
MUHARRAM ME HONE WANE NAJAIZ OR HARAM KAAM Jaise…
1. Shariat me taziye ki kuch asl nahi aur jo kuch bid’at iske sath kiye jaate hai sab najaiz hai,
2. Hindustan me jis tarah taziadari raaij hai naajaiz haram wa bid’at hai,
3. tazia banana, dekhne ke liye ghar se nikalne, tazie ki tazeem karna wagera
4.Tazia-dari karne wala fasiq hai, jo ise zaruri qarar de, gumrah bhi hai,
5. tazie par mannat mangna mehndi chadana, chadawa chadana wagera
6.sarkaar imam hussain ki shahadat par, dhol tashe khurafat yazidiyo hi ki yaad gar hai,
7. tazie par dhol, tashe, matam, khail kood wagera,
8. tazie me chanda dena ya kisi bhi tariqe se unki madad karna,
9. bachcho ko faqeer banana or ghar ghar bheek mangwana (ye sab najaiz kam hai)

Fatawa Razaviya Jild: 21 & 24, Safah: 246 & 488-510,
Fatawa Behrul uloom Jild: 05 Safah: 238,
Fatawa Faizur Rasool: 2 Safah: 508
Al malfooz Safah: 93
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 357
Jumma ki namaz wajib hai ya farz

Jawab 357 بسم الله الرحمن الرحيم
Bahar e Shariat Jild:1 Safa:762 par hai
"Jumu'a farz e ain hai"

farz e ain wajib ko kaha jaata hai,
yaad rakhna chahiye ki kabhi lafz farz wajib ki jagah bhi bol diya jata hai or wajib farz ki jagah bhi, jaise kaha gaya "namaz wajib hai" jabki namaz farz hai, or kaha jata hai "zakat farz hai" jabki zakat wajib hai, thik wese hi kaha jaata hai jumua farz hai haqiqat me juma wajib hai, jume ke wajib hone ki ek aqali dalil ye bhi hai, islam me jo cheez farz hai wo mard aurat dono par hai, jaise namaz,  agar juma bhi farz hota to aurat bhi juma padhti magar aurat zohar padhti hai thik eid ki namaz ki tarah ki ye namaz aurat par wajib nahi, jabki islam ke sare farz mard aurat dono ke liye hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal:358
Moharram ke roza ki sehri or iftari ki niyyat kaise karen,

Jawab: 358 بسم الله الرحمن الرحيم
Sehri or iftar ki wahi dua hai jo ramazan me padhi jaati hai, or niyat dil ke irade ka naam hai, dil me ye irada ho ki aap moharram ka nafali roza rakh rahe hai, kafi hai, dua naa bhi padhi to roza ho jayega, or iftar ki dua iftar ke baad padhen, yani khane ke bad, or khana tasmia se shuru kare,

Madani Mashwara:
Yaad rakhna chahiye ki jiske zimme koi farz ibadat baqi hoti hai, uske nama e amaal me nafil mustahab ka swab nahi likha jaata, to jiske zimme kisi ramazan ka farz roza baki ho to behtar hai ki wo pehle farz ki qaza kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 359
Bacha hone ke baad japa karte he usme orat kitne din tak namaz nahi padh sakti ?

Jawab: 359 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal me “japa karte he” ka kya matlab hai samjah nahi aya, magar suwal ke mafhoom se ye mehsus kiya ki sail nifas se mutalliq puchna chahta hai,
Bache ki wilad ke bad jo aurat ko khoon jaari rehta hai use nifas kehte hai, kam se kam iski koi muddat nahi, ek din me bhi band ho sakta hai or ek ghante me bhi, or jab band hoga to namaz farz ho jaygi, or iski zyada se zyada muddat 40 din hai, or jo logo me mash’hoor he ki har aurat ko 40 din napak samjha jata hai, or wo namaz nahi padhti sakht gunahgar hai, 40 din maximame time period hai, magar paki 10-15 din me bhi ho sakti hai, isilye hadis e pak me farmaya “ilm e deen ka hasil karna har musalman (mard/aurat) par farz hai,”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 360
Gusal dete wakt gusal ka ek farz chut gaya or yaad bhi na ho fir matti dene ke bad yaad aaya to ab kya karna hai Or wo farz konsa tha ye  pata chal gaya

Jawab: 360 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar mayyat ke sare jism par pani baha diya tha to kafi hai, ghusl ho gaya,
وﷲ تعالٰی اعلم


Suwal no.361
kya hum hamare pyare nabi kareem sallahutala alaihiwaslam ko aaqa keh sakte hain

Jawab: 361 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han Keh sakte hai, kehna bhi chahiye, or yahi haq bhi hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal  no. 362
Shia kon hai.  ye kaise wajood me aaye . Inka aqeeda kya hai.

Jawab: 362 بسم الله الرحمن الرحيم
Is mazhab ki haqeeqat dekhne ke liye kitab “tohfa-e-isna ashriyaShah Abdul Azeez Muhaddis Dehelvi ki mutala karen, or inme bhi baz firq alg alg hai, jiske aqeede ek doosre se juda hai,
Iske chand aqeedeh ye hain,
Baz Hazrat ali ko khuda mante hai, to baz Hazrat ali ko abu baqr se afzal mante hai, to baz kehte hai jibrail se wahi laane me bhool huye wahi Hazrat ali par aani thi, wagera wagera, inme baz sahaba ko kafir or gumrah kehte hai, or khulafa e salasa ki khilafat e rashida ko khilafat e ghasiba kehte hain, or Hazrat ali ne unki khilafat tasleem ki fazail byan kiye to ye Hazrat ali ki buzdili batate hain, inka aqeeda hai ki jo kam bande ke haq me naf’e ho to allah par wajib hai ki wahi kare, ye bhi aqeedah hai ki quran majeeb mehfuz nahi (yani muqammal nahi) balki usme se kuch pare, surat, ayat wagera Hazrat usman e ghani ya deegar sahaba ne nikal diye,,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 363
Kiya aurte  paraye mard ko salam kar sakte hai ?

Jawab: 363 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab (gair mehram) mard aurat mile to behtar ye hai ki pehle mard salam kare, aur agar aurat salam kar bhi de to mard ko uska jawab zor se dena wajib nahi balki dil me de sakta hai, aurat ki awaz aurat hai chahiye ki gair mard ko bila wajah apni awaz naa sunye or wajah ye ho sakti hai ki khas kareeb gair mehram rishte dar ho, or mehman ban kar ghar aaye or salam naa karne se aurat ko bura bhala ya ghamandi karar den to ya dusre rishte daro me gheebat kare ki fula ki bivi ya bahu salam nahi karti to is fitne ko dafa karne ke liye pardey me reh kar salam kiya jaa sakta hai,

Bahar E Shariat Jild:3 Safah: 461 par hai,
Mard aurat ki mulaqat ho to mard, aurat ko salam kare, aur agar aurat ajnabia ne mard ko salam kar diya aur budi(aged) ho to is tarah jawab de ki wo bhi sun le, aur jawan ho to is tarah jawab de ki wo naa sune.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 364
Muharam me taziye ki shuruwat kab se huwi aur kiyo ki gayi aur deene islam me keya jayaz bhi hai

Jawab: 364 بسم الله الرحمن الرحيم
Point no. 01.
MUHARRAM ME HONE WANE NAJAIZ OR HARAM KAAM Jaise…
1. Shariat me taziye ki kuch asl nahi aur jo kuch bid’at iske sath kiye jaate hai sab najaiz hai,
2. Hindustan me jis tarah taziadari raaij hai naajaiz haram wa bid’at hai,
3. tazia banana, dekhne ke liye ghar se nikalne, tazie ki tazeem karna wagera
4.Tazia-dari karne wala fasiq hai, jo ise zaruri qarar de, gumrah bhi hai,
5. tazie par mannat mangna mehndi chadana, chadawa chadana wagera
6.sarkaar imam hussain ki shahadat par, dhol tashe khurafat yazidiyo hi ki yaad gar hai,
7. tazie par dhol, tashe, matam, khail kood wagera,
8. tazie me chanda dena ya kisi bhi tariqe se unki madad karna,
9. bachcho ko faqeer banana or ghar ghar bheek mangwana (ye sab najaiz kam hai)

Fatawa Razaviya Jild: 21 & 24, Safah: 246 & 488-510,
Fatawa Behrul uloom Jild: 05 Safah: 238,
Fatawa Faizur Rasool: 2 Safah: 508
Al malfooz Safah: 93

MUHARRAM ME HONE WALE JAIZ KAAM
1. Imam hussai aur deegar buzurgo ki fatiha karna
2. logo ko sharbat paani khana wagera taqseem karna
3. is maah me roze rakhna aur yateemo ke sath shafqat karna
4. muharram ki 10 tarikh ko ache se ache khana banana aur ghusl karna
5. muharrma ki 10 tarikh ko tawa chadana jhadu lagana safai karna wagera,
(is maah me ye sab kaam jaiz hai, Fatawa Razaviya Jild: 24, Safah: 488)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.365
kya taziya ya dhol tamsha dekhne se ham najayaz kam men barabar ke haqdaar honge, Hazrat

Jawab: 365 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Ha Tazia ya dhol tashe me shamil hone wala bhi gunahgar hoga,
Hadis e pak me farmaya gaya, : jo jis qaum ki tadad badaye wo unhime se hai, chahiye ki in khurafato se door raha jaye, or ghar walo ko bhi mana kiya jaaye naa window se dekha jaye naa chhat wagera par khwateen ko chadne diya jaye, or bachcho par sakhti se rok lagai jaye or naa is kaam me chanda de kar madad ki jaye.
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 366
Hazrat fashik kise kehte hain hame samajh nahi aaya

Jawab: 366 بسم الله الرحمن الرحيم
Firoz ul lughat safah: 922 par hai
Fasiq- (فاسق) - Gunahgar, badkar, jahannami, jhotha,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 367 
Shia matam kiyo karte hai aur gham kiyo manate hai inka kiya role hai kufa me ya dusri jagah..

Jawab 367 بسم الله الرحمن الرحيم
Mujhe inki itni tehqeeq nahi, or me zyada waqt ko apni qaum sunniat ki islah ki sarf karta hu, gair log kya karte hai aur kyun, iski tehqiq ka waqt nahi milta aaj sunniyat ki halat bahut nazuk hai, or shayad iski wajah bhi yahi hai ki hamne apne amal or aqeede ki islah par tawwaju nahi di, itna janna zaruri hai ki siwaye maslak e alaHazrat ke koi firqa haq par nahi ab jo kuch bhi kare, rahega jahannami or gumrah,
Chahe shia ho wahabi ya deobandi, rahi ilm me izafe ki baat, to pehle farz uloom seekhne chahiye taki kal qiyamat me azab se bache jab wo puri tarah sikh jaye to nafil or mustahab ilm ki janib aana chahiye

Shia matam imam hussain ki shahadat par karte hai, or afsos karte hai ki shayad ham hote to ham bhi jung me hissa lete, or hamare mazhab o maslak me 3 din se zyada matam or gham jaiz nahi, siwaye aurat ko (siwaye iddat ka waqt).
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 368
Janab billi palna kesa hai iske baare me bataye.

Jawab: 368 بسم الله الرحمن الرحيم
Billi palna sharann Jaiz hai balki hadees me iska sabut hai or khud Huzoor (عليه السلام) ke hujre e mubarak me bhi billa aa jaya karti thi ek martaba huzur wuzu farma rahe the ki ek billi aai apne wuzu ka paani uske samne kar diya or billi ne piya fir apne usi paani se wuzu kiya, or sahabi jinhe billi panle ki hi wajah se “abu huraira” kaha jata hai,
Jo janwar insano se manoos ho une pala jaa sakta hai harj nahi, wo aise naa ho jo naapaki aur gandagi ka lihaz naa kare,  aur shariat ne unhe palne se mana naa kiya ho, or janwar ka khane ka lihaz rakha jaye ki waqt waqt par unhe khana paani dikhaya jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal.no.369
Tajizadaree kaha se aayi

Jawab: 369 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat me tazie ki kich asal nahi hai, or jo kuch iske sath kiye jaate hai sab najaiz, hai, or kisi mazar shareef ki naql bana kar ghar me rakhna jaiz hai jaise ki madine ya kaba ki magar wo dekhne me asl hi lage yani agar koi kaba gol banayega to sahi nahi ki asl kaba gol nahi thik isi tarah imam ki mazar bana kar rakhna jaiz magar mazar waise hi ho jaise haqiqat me hai, magar jo logo ne ye taziye ki shakl di bilkul jaiz nahi awwal to ye ki mazar ya roze is tarah building numa hai bhi nahi to ye farzi mazar hui jiski shariat me ijazat nahi, ab raha dhol bajana to ye kaam yazidio ne kiya tha ki wo imam ko qatl karke dhol tashe lekar galio me ghoomte the, ye uski asl hai, in dhol bajane walo se agar pucha jaye ki apne buzurgo ki barsi par dhol kyun nahi bajate sirf niyaz kyun karte ho to shayad awam naa aye, magar imam ke urs par dhol apne buzurgo ke urs ya barsi par bhi bajaye to kya ye zaiba dega,

MUHARRAM ME HONE WANE NAJAIZ OR HARAM KAAM Jaise…
1. Shariat me taziye ki kuch asl nahi aur jo kuch bid’at iske sath kiye jaate hai sab najaiz hai,
2. Hindustan me jis tarah taziadari raaij hai naajaiz haram wa bid’at hai,
3. tazia banana, dekhne ke liye ghar se nikalne, tazie ki tazeem karna wagera
4.Tazia-dari karne wala fasiq hai, jo ise zaruri qarar de, gumrah bhi hai,
5. tazie par mannat mangna mehndi chadana, chadawa chadana wagera
6.sarkaar imam hussain ki shahadat par, dhol tashe khurafat yazidiyo hi ki yaad gar hai,
7. tazie par dhol, tashe, matam, khail kood wagera,
8. tazie me chanda dena ya kisi bhi tariqe se unki madad karna,
9. bachcho ko faqeer banana or ghar ghar bheek mangwana (ye sab najaiz kam hai)

Fatawa Razaviya Jild: 21 & 24, Safah: 246 & 488-510,
Fatawa Behrul uloom Jild: 05 Safah: 238,
Fatawa Faizur Rasool: 2 Safah: 508
Al malfooz Safah: 93

MUHARRAM ME HONE WALE JAIZ KAAM
1. Imam hussai aur deegar buzurgo ki fatiha karna
2. logo ko sharbat paani khana wagera taqseem karna
3. is maah me roze rakhna aur yateemo ke sath shafqat karna
4. muharram ki 10 tarikh ko ache se ache khana banana aur ghusl karna
5. muharrma ki 10 tarikh ko tawa chadana jhadu lagana safai karna wagera,
(is maah me ye sab kaam jaiz hai, Fatawa Razaviya Jild: 24, Safah: 488)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.370
Hazrat kya aurte masjid ja sakti hain ya nahi agar nahi ja sakti he to wajah kya he

Jawab: 370 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat masjid ibadat ke liye nahi jaa sakti, kisi zaruri kaam wagera se jaa sakti hai, or namaz ke liye islye nahi jaa sakti ki daur purfitan hai ulama ne iski ijazat nahi di, fir chahe Huzoor (عليه السلام) ke waqt me jaati ho magar ab nahi ki wo waqt pak tha ab daur fitne ka hai, fiqh ka qaida hai ki “zamane ki tabdili ke sabab ahkam ki tabdili ka inkar nahi kiya jaa sakta”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 371
qabristan me jakar dua mangne ka sahi tarika keya hai aur keya padhna hai ?

Jawab: 371 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehle qabristan me jaate hi salam kiya jaye, “assalmu alaikum ya ahl al-qubur” fir qabr se 4 hath ki doori par paaun ke pas khada ho kar, jo surate yaad ho padh kar isal kar sakta hai, warna charo qul padh kar bhi warna sureh fatiha padh kar bhi, or ho sakte ho qabr ke pas beth kar yaseen ya quran ki tilawat kar sakta hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 372
Eid ki namaz padna aurto ke liye kaisa? Kya padna farz ya wajib he ? Eidgah me padna zaruri  he ya ghar par ? Ba-jamat ya akele?
Barae mehrabani hawale se batae agar hadis me aaya he to

Jawab: 372 بسم الله الرحمن الرحيم
Eed ki namaz aurato ke liye nahi hai, jis tarah juma nahi to naa akele padhe naa eed gah jaye naa ghar me naa jamat se, iske alawa aur namazo ki bhi jamat ki ijazat aurat ke liye nahi hai, aurato ko jamat se namaz padhna makruh hai, isi tarah aurat ko imam banna bhi makru
Fatawa Faizur Rasool Jild: 1, Safah:425 par hai   “Aurato ko eedgah ki hazri jaiz nahi.”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 373
zuhar/asar ki namaz me imam kirat-aahista kyon padhte hai aur baki namaz me buland.??
Plzzzz jawab do Hazrat

Jawab: 373 بسم الله الرحمن الرحيم
In namazo me imam ko qirat ahista karna wajib hai islye ahista ki jaati hai or baki namaz me jab suraj chipa hua hota hai (un namaz me) qirat tez karna ki pehli saf sun sake ye wajib hai,  agar bhool ke iske khilaf kiya to sajda sehev hoga jaan kar kya to namaz naa hogi.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.374
Hazrat aurte kya salam pad sakti hain

Jawab: 374 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat ki awaz bhi aurat hai yani gair mard ko bila wajab suna nahi sakti, to agar aurate ek ghar me jama hai aur is tarah mic par salam padhe ki unki awaz gair mard sune to salam ki ijazat nahi aur agar is tarah padhe ki awaz kisi mard tak naa jaye to jaiz hai chahe mic se padhe ya bila mic asl masala wahi hai jo guzra ki awaz mard tak naa jaye or agar mic se awaz bahar jaye or bina mic naa jaye to bina mic padh sakti hai salam padhna aurato ko bhi jaiz hai.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.375
Agarjanamaz kam he namazi ziyada us waqt main kya ham koi saf ruptta ya sirf takhat ya farsh pe namaz pad sakte hain

Jawab: 375 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han, pak saf kisi bhi kapde par namaz padi jaa sakti hai, or agar sajda zameen par karen to mustahab hai, yani is fail ka zyada sawab payega, or koshish bhi yahi karni chahiye ki sajda zameen par kiya jaye. Isme swab zyada hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 376
Hazrat agar9 ko roza koi na rakhe to kya 10 roza nahi rakha ja sakta he

Jawab: 376 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar koi 9 moharram ka roza naa rakh sake to 10 or 11 ka rakh le warna 10 ka bhi kafi hai, or behtar ye hai ki 9 ya 11 ka bhi koi ek 10 ke sath mila le,
Hadis me aya ki  moharram ki 10 ka roza pichle 1 sal ke gunah ko mitata hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no 377
chishti ka asal mana kya he

Jawab: 377 بسم الله الرحمن الرحيم
Afghan (chisht) ke logo ka ek naam hai, chisht ke badshah ko bhi chishti kehte hai or sufio ke ek silsile ka naam, jo khwaja ghareeb nawaz se chala.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 378
Janab hadees kiyun zaruri hai to kis ko mane sahi ya zaef

Jawab: 378 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah or rasool ke deen yani islam par puri tarah qayam rehne ke liye sahi tariqe se musalman banne ke liye hadis ko manna or uspar amal zaruri hai,
Hadis ki kai qismen hai, or muhaddiseen ne iske kai darje kiye hai, or har darje se alg alg ahkam nikale jate hai, zaeef hadis ka matlab jhuthi hadis nahi hota ye bhi hadis hi hai. or hadis nabi ka farman hota hai isme sahi or zaeef kuch nahi, zaeef to rawi hota hai, hadis nahi, magar urf me zaeef hadis keh diya jata hai,
Zaeef hadis se haram halal ke masale nahi nikale jaate magar fazilat ke tor par zaeef hadis par amal karna mustahab hai, or ek ahm baat zaeef hadis qaum ke kasrat se aml me laane ke sabab hasan ban jaati hai,
Jaise anguthe chumne wali hadis zaeef hai magar ye haram halal ka masala nahi to isi liye fazeelat ke tor par amal me laai jaa sakti hai, jaise budh ko nakhun naa katna ki isse safed dag ki bimari hoti hai, ek buzurg ne ye socha ki hadis zaeef hai or budh ko nakhoon kate or unhe bars(safed dag) ka marz ho gaya, rat ko soye to Huzoor (عليه السلام) ki ziyarat hui farmaya mene socha hadis zaeef hai, to Huzoor (عليه السلام) ne kuch yu farmaya, tumhare liye itna kafi tha ki wo hamara farman tha,,
Islye har hadis par amal nabi se muhabbat ki nishani hai, siwyae mozu ke kyunki mozu hadis nahi hoti balki jhuthi bat nabi ki taraf mansoob ki gai hoti hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 379
hazart janaza  ki namaz ki niyat keya hai aur tarika bhi bata den.

Jawab 379 بسم الله الرحمن الرحيم
Niyat is tarah kiya kare, namaz allah ke liye or dua is janaze ke liye,
Pehli takbir me sana padhi jaati hai
Doosri takbir me dua (agar yaad naa ho to fatiha bhi ba-tor dua ki niyat se padhi jaa sakti hai)
Teesri takbir me durood e pak, or chothi takbir kehte hi dono haath khol dene chahiye or salam ferna chahiye yehi sahi tariqa hai, or jo kuch log ek taraf salam ferke ek hath kholte hai dosri taraf fer ke dosra hath ye tariqa kahi likha nahi hai, or kuch logo salam fer-ne ke bad hath kholte hai ye bhi durust nahi, sahi wahi hai, jo upar byan hua ki chothi takbir par dono hath kholne chahiye or fir salam
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 380
manoos ke kya mayne hai

Jawab: 380 بسم الله الرحمن الرحيم
Weh janwar jo insano ke sath ghul mil kar rehte hain unka palna jaiz hai, jangali palna jaiz nahi ki inse nuksan ka andesha hai , bas jise hadis me mana na kiya gaya ho, jaise kutta manoos hai magar palna jaiz nahi, or billi pal sakte hai, 
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 381
Agar koi gair muslim shaks humhe salam karta hei toh kya uska salam lena jayaiz hei ya nahi

Jawab: 381 بسم الله الرحمن الرحيم
AlaHazrat Imam Ahle Sunnat FATAWA RAZAVIYA Jild: 22 Safah: :378 par likhte hai,
Kafir ko salam haram hai
Or age likhte hai, 
Kafir ya fasik ko salam karne ki sahi zarurat pesha aye to Lafz salam naa kahe naa koi aisa lafz jo tazimi naa ho.. Majboor ho to adab kahe (yani aa mere paun daab)
  

isi tarah agar kafir salam kare to badle me sirf “wa alaikum” kahe.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Suwal no. 382
Hazrat asure ki namaz kaise padi jati he aur is me kaun si bate aham he aur kaun sa time mukarrar hai

Jawab: 382 بسم الله الرحمن الرحيم
Makruh waqt ke siwa har waqt us din me padh sakte hai, niyyat nafil namaz ki hogi,
Char rakat is tarah padhe ki har rakat me ayat al kursi ek bar or ikhlas 3 bar, bad namaz 100 bar sureh ikhlas, to gunah se pak hoga aur jannat me beintiha nemate milengi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 383
Magreeb ke waqt maa ka bachhe ko dudh pilana mana he kya ? Dudh pilane se murad bahar ka dudh nahi ma ka dudh he, Kuch log kehte he magreeb ke waqt dudh pilana acha nahi hadith me iska koi byan he kya? Mehrbani karke is masle par roshni dale.

Jawab: 383 بسم الله الرحمن الرحيم
Magrib ke waqt maa ka bache ko dudh pilana jaiz hai, isme koi harj nahi or na meri nazar se koi aisi ibarat guzri jisme mana kiya gaya ho, balki bacha agar bhook se ro raha hai to beshak bezuban ko taklif dena jaiz nahi, or roman english me hadees is tarah likhte hai “HADEES” naaki “hadith”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 384
Jitne bhi kaam haramkaari me aate hain,  Kya unki koi list hai ?

Jawab: 384 بسم الله الرحمن الرحيم
Mere pas nahi, or ulama ki kitabo me ho sakti hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 385
islam mazhab me aqeeda keya hai, aur aqaid aur fihrka kab se shuruwat huwi aur kinyo huwi

Jawab: 385 بسم الله الرحمن الرحيم
Aqeedah islam ki wo buniyad hai ki baz aqeedo par iman farz hai jaise allah ek hai, agar kii ye aqeeda nahi rakhta to momin nahi, thik isi tarah har nabi zinda hota hai, wagera wagera
Aqeedo ko iman laa kar hi musalman bana jata hai or ye Huzoor (عليه السلام) or unse pehle nabio me bhi raij tha, Firqo ki shuruat Huzoor (عليه السلام) ke waqt se thi magar is qadr khul kar zahir ho kar nahi aye the, us waqt bhi munafiq mujood the, jo musalmano ki saf me rehkar namaz bhi padhte the or dikhne me musalman bhi the, magar dil me aqeedah islam ka nahi tha jinhe  Huzoor (عليه السلام) ne juma ke roz masjid se bahar nikala,
Firqo ki khabar  Huzoor (عليه السلام) ne farmai hai ki kuch or bhi log islam ka chola pehen kar ayenge unse bach ke rehna or wo isilye hai ki taki musalman unke behkawe naa aye or apna iman naa kho de,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 386
Fasik o fazir se kya muraad hai?

Jawab: 386 بسم الله الرحمن الرحيم
Fasiq- (فاسق) - Gunahgar, badkar, jahannami, jhotha,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 387
Kisi ko dekh kar fasik hone ki khabar kaise hogi ? Aur kya fasik ko bhi salaam karna haraam hai?

Jawab: 387 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatwa zahir par hota hai batin par nahi, jo khul ke ailaniya gunah kare us fasiq ko fasiq e moallan kehte hain, or jo fasiq ke ehkam hai wo is par hai, maslan gali dene wala bhi fasiq hai magar wo ghar me gali deta hai or bahar nahi to ham uski nisbat fasiq ka guman nahi karenge, magar jiska fasiq hona khule tor par ho jaise dari naa rakhna ya 4 angusht se kam karne wala fasiq hai or ye ailan ke sath gunah hai, ya baal kandho se zyada bade rakhna ya gaane sunna ya namaz na padhna ye sab fasiq hai, or hadis me fasik ko salam ki mumaniat aai hai, fasiq ko salam karna mana hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 388
taqleed kiya hai ur yeh kiun jaroori hai.

Jawab: 388 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi ki qol ko bedalil man lene ka naam taqleed hai, ye islye zaruri hai ki har aam shaks quran hadis ka matlab nahi samjha payega or hoga ye ki har jahil apni aqal se quran ki tafseer or hadees ki sharah karega, or is tarah jahannam me jayega lihaza, kisi aisi ki taqleed jiska ilm ijtihad ko pahucha ho or allah ne use apne karam se mujtahid banaya ho to uski taqdeel ki jaye, or ulama ne taqleed karne ko wajib likha hai or naa karne ko haram, or jo taqleed nahi karta shaitan ke raste par hai, or har admi khud quran hadis nahi samjh sakta. Or surah fatiha me allah se har musalman ye dua kart hai, “hame seedha rasta chala rasta unka jin par tune ehsan kiya” ye ayat taqleed ko kafi hai ki charo imam par allah ne ahsan e azeem kiya to ham inhe ke raste par chalne ki dua karte hai.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 389
Hazrat haram najaiz main fark kya he ?

Jawab: 389 بسم الله الرحمن الرحيم
Haram ki or bhi qism hai, or jaise jiski mumaniat dalil e qata’i se sabit ho ye farz ka muqabil hota hai yani jis tarah farz par amal zaruri usi tarah haram se bachna zaruri (yahi farz ka karna or haram ka naa karna)
lafz najaiz ek aam lafz hai jo kabhi haram ke liye bola jaata hai kabhi makruh tehrimi ke liye bhi bola jata hai,
har haram najaiz hai, magar har najaiz haram nahi hota.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 390
kya hamen kuran ke sajde turant karne chahiye aur iski niyat kaise mukammal hogi

Jawab: 390 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han Qurani ayat ke sajde forann karna wajib hai or logo me dekha jata hai ki, aksar ramazan me quran padh kar pura karke akhir me 14 sajde karte hai ye najaiz or gunah hai, isi tarah us ayat ko padhne wale ke sath sath sunne wale par bhi sajda karna wajib hota hai, or ye bhi dekha jata hai ki quran koi padhta hai or sajde kisi or se karwata hai ye bhi ghalat hai,

Bahar E Shariat Jild: 1 Safa: 728 par hai,
Ayat sajda padhne ya sunne se sajda wajib hota hai, or padhne se murad itni awaz me ho ki koi shor naa ho to khud sun sakte,
                  
Or ye zaruri nahi ki ayat ko arabi me hi padha jaye balki uska tarjuma bhi padha ya suna to bhi sajda wajib hota jaisa ki Bahar E Shariat Jild: 1 Safa:730 par hai
“Farsi ya kisi or zuban me ayat ka tarjuma padha to padhne wale or sunne wale par sajda wajib ho gaya, chahe sunne wale ne ye samjha ho ya naa samjha ho ki ye ayat e sajda ka tarjuma hai. albatta ye zaruri hai ki use naamaloom ho or bata diya gaya ho ki ye ayat e sajda ka tarjuma hai,”

Sajde ki niyat ye karna zaruri nahi ki fula ayat ka sajda kar raha hu, bas dil me sajde ki niyat kafi hai,
Durr E Mukhtar Jild:2 Safa: 499 par hai,
“Iski niyat me ye sharat nahi ki fula ayat ka sajda kar raha hu, balki mutlaqann sajda e tilawat ki niyat kafi hai,

Iska tariqa ye hai ki jab sajde ki ayat padhe to foran quran side me rakh kar sajde kar le, yani bethe bethe bhi ho sakta hai, sirf sajda karna kafi hai sajde ki tasbih naa bhi padhi to bhi harj nahi. Or behtar ye hai ki khade ho kar, allahu akbar kehte huye sajde me jaye or 3 bar sajde ki tasbih padhe, fir khada ho ye sunnat hai jaisa ki
Fatawa Alamgiri Jild: 1 Safa: 130 par hai,
“sajde ka sunnat tariqa yeh hai ki khade ho kar “allahu akbar” kehta huye sajde me jaye or kam se kam 3 bar (sajde ki tasbih kahe) fir allahu akbar kehte huye khada ho jaye, awwal akhir allahu akbar kehna sunnat hai or khade ho kar sajde me jana or fir khade hona mustahab hai”

Tanweerul Absar Jild: 2 Safa: 700 par hai,
sajda e tilawat ke liye allahu akbar kehte waqt naa hath uthana hai naa usme tashahud hai naa salam,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 391
kya maaruful Quran (Molana mufti Mohammed safi) kitaab  hamari hai.

Jawab: 391 بسم الله الرحمن الرحيم
Mariful quran koi kitab nahi balki quran ki tafseer hai, or ye tafseer deoband ke alim ne likhi hai jiska naam apne suwal me likh diya, or is tafseer ka padhna jaiz nahi, or naa ghar me rakhna ki kya ajab apke bad koi padhe or aqeede ke khilaf baat paye or amal kare, agar apke pas ho to unki masjid me rakhwa diya jaye, or  behtar hai ki, sunni tarjuma or tafseer padhni chahiye, jaise kanzul iman may khzain ul irfan
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 392
kya deobandi wahabi aur badakeedo ko kafir Kah sakte hai agarnahi to kyun nahi.

Jawab: 392 بسم الله الرحمن الرحيم
Wahabio ke aqeede kufriya hote hai unke kufr me shak nahi inhe kafir keh sakte hai, or deobandio me har ek kafir nahi, magar wo zarur kafir hai jo ye jante huye bhi ki ashraf ali nabi ki gustakhi ke sabab kafir huya or ye use fir bhi musalman balki apna imam jaane to kafir hai, baki jo awam hai to unhe kafir nahi kahenge, jab tak unke aqeede kufriya naa ho ya zaruriyat e deen se inkar naa kare magar gumrah zarur hai, to jo ashraf ali wagera deoband ke alimo ki khuli ghustakhi jaan lene ke bad bhi inhe musalman jaane khud kafir hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 393
Hazrat musannaf ibne sheyba kya hamari kitab he

Jawab: 393 بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis ki saari kitabe hamari hi kitab hai, unka padhna jaiz ho hoga, magar ye dekha jayega ki iska tarjuma kisne kiya, Jis tarah quran bhi musalman ke liye hi hai, magar kuch jahilo ne uski kuch ayat ka tarjuma bir-ray kar diya, us tarjume ka padhna thik nahi magar quran padha jayega, is tarah bukhari ka bhi tarjuma ahle khabsee aur deegar badmahzab ne kiya to unke tarjume wali bukhari naa padhi jaye sunni mustanad alim e deen ke tarjume wali koi bhi hadis aur sharah padhi jaa sakti hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 394
Ek buzurg hai jinki bargah mein unke murid ek isai ko lai Jo tilawate Quran karta tha lekin unhone sunne se inkar ker diya.
barai karam batai woh buzurg Kon the waqya kya tha (kyun ke yahan kuch log hai Jo bad akeedon ke kitabon se hawala dete hai aur kahte hai ki hamara imaan kamjor thode naa hai gumrah ho jayenge barai karam kuch inayat kare

Jawab: 394 بسم الله الرحمن الرحيم
Mene waqiya is tarah padha hai, (shayad Fatawa Razaviya me) ki ek buzorg ke pas kuch log aye or kaha ki fula basti ka ek shaks jo ki hafiz e quran hai apko quran sunana chahta hai, to apne farmaya ki me uska quran nahi sununga kyunki wo badmazhab hai, logo ne arz ki Huzoor bas quran sunna hai or quran allah ka kalam hai, farmaya beshak quran allah ka kalam hai magar iske sath mujhe us badmazhab ki awaz bhi sunni padhegi,
In buzurg ka naam Hazrat abu baqr (rehmatullah ahey) tha,

Logo ko isse sabaq lena chahiye ki badmazhab ki jaiz baat sunna bhi najazi hai, or buzurgo ne farmaya ki jis rah se ise ate dekho to rah badal lo, or jo kehte hai hamara iman kamzor nahi to wo shetan ke dhoke me hai, ye shetan ki chal hai, unhe is waqiye se ibrat leni chahiye ki kal jab dajjal ayega to kuch log use dekhne ke liye jayenge or wo musalman honge, or kahege ki ham to musalman hai ham dajjal par iman nahi layenge bas dekhne jate hai magar wo bhi kafir ho jayenge, is lye badmazhab ka sath hamesha iman ke liye khatra hai, or hadis me aya ki jo jis qaom ki tadad badaye wo unhi me se hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 395
kya dargah sharif pe dargah ko chumna kaisa he

Jawab: 395 بسم الله الرحمن الرحيم
Gunah nahi hai, magar beadabi hai, or isse badmazhab ko kehne ka moka milta hai, or adab ye hai ki char hath door reh kar fatiha padhe,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no 396
kya mazar par sar rakhna sajda karna kaisa He

Jawab: 396 بسم الله الرحمن الرحيم
Sail ke suwal me kuch zyadati kar di, sar rakhne ka naam sajda nahi hota, or koi bhi sunni musalman mazar par sajda nahi karta balki, ya to chadar chumne ke liye sar jhukata hai, warna qdm bosi ki niyat se. magar fir bhi koi tazeem ke liye sajde ki niyat se jhuke to bhi sirf gunah e kabeera hai magar kafir nahi, or koi ibadat ki niyat se sajda kare ki ye mazar wale ko khuda ya khuda ke barabar mane to zarur kafir magar aisa hota nahi, naa kisi musalman ka ye aqeeda hai ki mazar wala khuda hai, or hamare aqeede hamari kitabo se zahir hai, naa ki awam ki jahalat se jise ahle sunnat ke kisi bhi kaam ka saboot chahiye to wo sunni kitabo ka mutala kare khas kar alaHazrat ki, naa ki awam ko dekhe ki kon kya karta hai, 
Amal ka daro madar niyat par hai, jab sajde ki niyat nahi to sajda kaise ? or ek bat sar jhukane ka naam sajda nahi balki qadam chumne ke liye bhi sar jhukaya jaata hai, or ye shariat se sabit hai,
Lihaza mazar par aise fel se bachna chahiye jo awam ki nazar ke bais e fitna bane. Naa sar rakhe na jhuke
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no 397
huzur s.a.w namaz ke dauraan rafayden karte the ya nahi ?

Jawab: 397 بسم الله الرحمن الرحيم
Jawab dene se pehle me ye zaruri samajhta hu ki sail ko uski ek badi khata se agah kiya jaye aur wo ye ki Suwal me durud ko short me likha gaya hai is tarah likhna najaiz hai, baz log sirf (swad) likh dete hai, ye bhi naa chahiye, Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi FATAWA RAZAVIYA Jild: 23 Safah: 386 par likhte hai
Huruf (ص) likhna jaiz nahi, balki صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم likha jaye,  to roman English me aap (alaihissalam)… likha kare. (allah amal ki tofiq de).. ab jawab ki taraf

 Huzoor (عليه السلام) ne rafayaden kiya the, magar bad me wo amal mansookh ho gaya, or fir rafayaden nahi kia, or sahaba ko bhi mana kara or ye hadis imam muslim ne naqal ki, or akhri amal rafayaden naa karna hai,
Is masale ko is misal par samjha jaa sakta hai ki
Anguthi ulte hath me pehnna sunnat hai, magar hadis me  Huzoor (عليه السلام) ne seedhe hath me bhi pehni fir baad me ulte me pehle or akhri waqt tak isi par amal raha yani fir seedhe me naa pehni ulate me hi pehni to ab seedhe hath me pehnne ka amal mansookh ho gaya or ulate me hi pehnna sunnat hai, isi tarah rafayaden, kiya magar bad me nahi kia, or yaad rakhna chahiye ki mazhab e ahanaf ke nazdeek rafayaden jaiz nahi or shafai ke nazdeek jaiz,  magar wahabi gair muqallid hai naa hanafi na shafai, ye rafayaden ki hadis se logo ko dhoka dete hai,  or agar wo sach me rafayaden karte hai to hadis me qa’da me bhi rafayden karna sabit hai, to fir q’ada me beth kar rafayden kyun nahi karte qiyam me hi kyun,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 398
Hazrat, kabhi kabhi ham jaldi main namaz ki neeyat ke darmiyan apne hantho ko pahle bandh lete hain aur takbeer baad main kahete hain to kya hamari neeyat ho jati hai .

Jawab: 398 بسم الله الرحمن الرحيم
G, ha Namaz ho jayegi, magar mard ke liye sunnat ye he ki takbeer kehne se pehle hatho ko kaano tak uthaye fir takbir kahe, aur aurat hath chadar ke bahar naa kare,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 399
Namaz ki halat me agar bhukanp aa jae to kya niyat tod sakte hai ?

Jawab: 399  بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ki halat me agar jhaljhala aaye or jaan mal ka khatra ho chahe apni ya ghar me kisi or ki maslan kisi  kamre me mareez ya bacha hai ya zaeef ki, khud baahar nahi aa sakta, ya khauf se use sakht dehshat hogi or khud chal kar bahar nahi jaa sakta, ya aspas kisi ki jaan khatre me hai or siwaye iske koi dusrna nahi or ye jaan bachane par qadir bhi ho to in surato me zarur namaz tor deni chahiye, or agar aisa nahi to nahi torni chahiye,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 400
bhai aap alhamdo sharif yani surat fatiha ka tarjuma byan farmaye

Jawab: 400 بسم الله الرحمن الرحيم
Sureh fatiha ka tarjuma is tarah hai,
Allah ke naam se shuru jo bahut mehrban rehmat wala
Sab khubiya allah ko jo malik sare jahan walon ka
Bahut mehrban rehmat wala,
Roze jaza ka malik
Ham tujhi ko pooje aur tujhi se madad chahen,
Ham ko seedha rasta chala
Rasta unka jinpar tune ahsaan kiya, naa unka jin par ghazab hua or naa behke huo ka,

وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

No comments:

Post a Comment