Suwal 401 to 500 (Masail e Shariat Jild 1)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Abu Rayyan Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 1) 
--------------------------------------------------------------------------------------------
Suwal no.401
Hazrat agar ham namaz pad rahe hain aur ammi ya abbu hame kisi kaam se bula rahe he kya salam ferne ke baad wo kaam kar sakte hain ya nahi

Jawab: 401 بسم الله الرحمن الرحيم
G, kar sakte hai, or dua bad me bhi mangi jaa sakti hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 402
Aurte bhi ijtamay ka kam karti hai aur taqrir bhi karti hai aur  taqrir ke baad salam bhi padti hai mic me yeh sab karna thik hai ?

Jawab:  402
Is suwal me 3 alg alg suwal darj hai,
1.- aurate ijtime ke kam karti hai- agar ye aurate deen e mateen ki tabligh ke liye ghar se jati hai or pardey ki sharait par kisi ke ghar jaa kar aurate jama hoti hai, fir kuch naat, quran namaz wagera seekhti hai, or inke jaane ki ijazat ghar me shohar ya gair shadi shuda ko walid ki taraf se hai to harj nahi, balki swab ka kaam hai, ki aaj kal jahalat aurato me zyada pai jaati hai, to agar koi qabil aurat ye zimma uthaye ki hafte me ek ya do din, ghar ke aspas hi ya apne ghar jahan sharai tor par parda ho or gair mard ka dakhal naa ho or ilm e deen sikhe sikhaye to acha hai, or ilm sikhna khas kar apni zarurat ke masail to har musalman mard aurat par farz hai, magar aurat 92 km se zyada tanha safar nahi kar sakti, or ilaqe me bhi aspas ho or maghrib se pehle apne ghar aa jaye,  agar yahi mamla hai to ilaqe wale sunni musalmano ko chahiye ki wo bhi apne ghar se bachio ko waha bheje taki wo bhi kuch farz adab parda namaz wagera, seekh sake, warna ghar me siwaye TV, film Serial ke kuch hota dekha nahi jaata, aur aurat ko gair mard se padhne se behtar hai ki isi tarah aurato ke ijtime me bheja jaye taki kuch hasil ho,  hadis me aya ki “agar tere zariye se allah kisi ek shaks ko bhi islah farma de to ye tere liye har us chiz se behtar hai jis par suraj chamakta hai,”  jabki ye aurate sunni ho naa ki deobandi, warna deobandio ki talim me ghar se aurato ko bhejna ya jana haram hai,
2.- aurate taqrir karti hai- agar aurat kitab dekh kar taqrir karti hai or acha padhna janti hai or apni taraf se kuch ghalat byani nahi karti to sirf urdu ya hindi padhne wali aurat ko is tarah dekh kar byan karna jaiz hai, fir chahe wo alima naa ho, or agar wo (masha allah) alima hai to alima ko bagair dekhe taqrir jaiz hai, or alim nahi to gair alim ya alima ko be dekhe waaz(byan) haram hai or uska sunna bhi haram,
3.- aurate mic par salam bhi padhti hai- aurato ka bad ijtima salam padhna jaiz hai, jabki awaz gair tak naa jaye or agar awaz jaane ka khatra ho to bagair mic ke hi padhe, or mic ka hukm upar ke sabhi suwal me lagaya jayega, ki aurat byan, salam me mic jab hi istimal kare jab awaz bahar naa jaye, maslan, kisi top floor par ijtima ya salam ho raha hai or mic ki awaz us flat se bahar nahi aati ya us kamre se bahar nahi aati to mic me padhne me harj nahi warna mic se parhez karna chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 403
kya aalim hone ke liye kisi deeni idare ki saned lena zaroori hai

Jawab: 403
Zaruri nahi ki alim hone ke liye deeni idare se sanad zaruri ho, aalim hone ke liye ilm hona chahiye sanad nahi, or bahut sanad wale aise hain jinke pas sanad to hai magar ilm nahi.
Alah Hazrat Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi farmate hain:
“Aalim ki tareef ye hai ki aqaid me poore tor se agah ho, aur apni zaruriyat ke masail ko kitab se nikal sakte bina kisi ki madad se ilm kitabo ke mutalle se or ulama se sun sun kar bhi hasil hota hai,”
Ahkam E Shariat Hissa:2 Safa: 231,

isse maloom hua ki alim hone ke liye arabi farsi zubaan ka ana zaruri nahi, balki jo ba-shara, kitabo ke mutalle se ilm e deen sikha or ya kisi alim ke pas jaa kar sikha ho ya ulama se pooch pooch kar ilm hasil kiya ho to wo bhi alim hai, sanad zaruri nahi, alaHazrat imam e ahle sunnat ek aur mukam par is kitab Fatawa Razaviya Jild: 23 Safa: 683 par farmate hain
“sanad koi cheez nahi, bahut sanad wale ilm se khaali hote hai, or jinhone sanad naa li, unki shagirdi ki liyaqat bhi un sanad walo me nahi hoti, ilm hona chahiye”

Or zahir hai ki koi apne zimme se farz utarne ke liye kisi alim ke pas jaa kar roza namaz ke khas masail sikh sakta hai warna koi kitab alim se puch puch kar padh kar bhi ilm hasil kiya jaa sakta hai,
KHABARDAR KHABAR KHABARDAR
Magar chand kitabo ke mutalle karne ke bad kisi ko ye jaiz nahi ki wo logo ke har masale ka jawab de, upar byan karta alim se murad hai ki wo kam se kam apni zarurat ke mutabik ilm rakhta ho, taki apne farz ko anjam de sakte iska ye matlab nahi ki wo logo ko fatwa de, isi tarah dekha jaata hai ki log 2-4 kitab padh kar road par logo ko masail batana shuru kar dete hai, or masail apne aql se batate hain, is tarah kisi ko masaile batana jaiz nahi jab tak ki masale ki 100% sahi maloomat naa ho warna atkal se batana bhi gunah hai fir chahe masala sahi ho, yani yun samjhe kisi ne apni aql se kisi ayat ki tafsir ki ya hadees ka khulasa (sharah) ki or ye ittifaq se 100% sahi nikala to bhi isne haram kam kiya or ye gunahgar hai, kyunki har alim mufassir nahi, or agar kisi sunni tafsir ko byan kiya to thik, or ye bhi yad rakhna chahiye ki har masjid ka imam alim nahi hota, or log bas libas or jhubba daari dekh kar alim sahib samajh lete hai, or samne wala bhi apni shan bachane ke liye jhutha masala byan kar deta hai, khud mera kai bar ka tajurba hai ki mene kai imamo se masle ghalat byan karte suna or to or kai bar muftio se bhi mene khud apne kaan se ghalat masale sune or yad rakhna chahiye jaan kar mufti ghalat masala bataye to ye bhi haram hai magar wo apne ilm ke mutabik sahi batata hai or wo ittifaq se ghalat ho gaya to uspar gunah nahi hai,  
Fatawa Razavia Jild:23 Safah:712 par hai
“han, agar aalim se ittifaqan bhool waqey hui ho, aur usne apni taraf se be-ehtiyati naa ki ho, aur ghalat jawab sadir hua to muakhza nahi, magar farz hai ki mutalla hote hi foran apni khata zahir kare,”

isi tarah kabhi kabhi shan ki khatir shaitan ke jaal me fasa deta hai,
or taqreero ka haal hi kya ki waha to hafiz utha or laga byan karne fir chahe wo alim ho ya naa ho, Alahazrat Imam Ahle Sunnat farmate hai
Jahil khud waaz (be-dekhe byan) karne bethe to uska waaz kehna haram or uska waaz sunna bhi haram”
Aur musalmano par haq hai ki use mimber se niche utar den, Fatawa Razaviya Jild:23 Safah: 409
Khulasa e kalam ye hai ki alim hone ke liye sanad zaruri nahi ilm hona chahiye magar masale ki yakini maloomat hone ke bad hi byan karna chahiye aqal se nahi, apne dekha hoga ki apke kai suwal der se ate hai or kai jaldi uski yahi wajah hoti hai, jawab pata hota hai magar jab tak fir se naa dekh liya jaye ya dil me itminan naa ho me jawab post nahi karta,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.404
Hazrat, kiya islam main paint shirt pahna mana hai agar hai to kiun ?

Jawab: 404 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat me pent shirt pehnna mana THA par ab nahi or jab mana tha us waqt pent shirt me namaz padhna bhi jaiz nahi tha, jaisa ke alahazrat imam ahle sunnat Fatawa Razaviya Jild: 7 Safah: 302 par likhte hain, “patloon pehnna makruh hai aur makruh kapde se namaz bhi makruh”

Or iske mana hone ki wajah ye thi ki gair qaum ka libas tha or ye libas fasik o fajir ka tha or chunki pehle pent shirt angrezi pehnawe ki nishani thi, musalman ise istimal nahi karte the isilye ise pehen kar namaz makruh thi, iske najaiz hone ki wajah byan karte hue, alahzrat ek or mukam par Fatawara Razavia Jild:7 Safa:309 par hai,
“Angrezi wazeh ke kapde pehnne haram shakht haram ashad haram, or ise pehn kar namaz makruh tehrimi kareeb ba-haram wajib ul iada”
Note:
Yaad rakna chahiye AlaHazrat ke ye fatwa us waqt hai ki jab angrezi hukumat thi magar ab daur badal gaya lihaza ye fatwa us waqt ke mutabik sahi tha or ab is par amal nahi (yani ab pehn shirt pehnna haram nahi) kyunki ab pehnna pent shirt ka khas kisi qom ka libas nahi, (magar ye aaj bhi fasik ka libas hai isse bezarurat pehnne se parhez hi karna chahiye,) lihaza ise maujooda hal me ise pehn kar ab namaz padhna jaiz hai,
Fiqah ka ek qaida hai “zamane ki tabdili ke sabad ahkam ki tabdili ka inkar nahi kiya jaa sakta”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no . 405
Wahabi kahta he mazar banana jaiz kaise hua Or Wahabi kahta he, Allah Ke Nabi ki hadees he ki jis kabar Ke nishan MIT Jaate he uski magfirat ho jaati he to mazaar banana to kaise jaiz huwa or ye fazilat kaise mil sakti hai, Plz mujhe javab do abhi wahabi ko javab dena he.

Jawab: 405 بسم الله الرحمن الرحيم
Gair e alim jo munazre ke fan se waqif naa ho or naa bahut ilm me maharat rakhta ho to use munazra behes me padhna gunah hai, or sail par ye wajib nahi ki wo har wahabi ke suwal ka jawab zarur de or naa mujh par wajib ki me is jawab ko bahut jald du, mere par masroofiyat kafi hoti hai, or group ke alawa bhi personal par suwal hota hai, or me us suwal ko pehle ahmiyat deta hu jo zyada zaruri hai, or gair zaruri suwal karne se bachna chahiye, agar aap sunni hai to ap mazar ko maano or wahabi naa mane to use uske hal par chor do, or ane wale nahi, jab ye khabees “ALAHAZRAT” ki baat nahi mante to aap or mujh jaise chote “Hazrat” ki baat kaise man jayenge.

Mazar urf e aam me nek shaks ya wali ki us qabar ko kaha jata hai jis par gumbad hoti hai, or ye jaiz hai, Bahar E Shariat me Durre Mukhtar ke hawale se farmaya ulama aur aale rasool ka qabar par kubba (gumbad) banana jaiz hai, bas ye kafi hai, or dalil naqliya ka waqt nahi apke shok ke khatir dalil e aqliya de raha hu, jo apke aqeede or iman ki hifazat ke liye kafi hai, or wo ye hain,
Zamana kon sa behtar or acha tha ye wala jisme aap hai ya wo jo apke buzurgo ne kata, nek log samjhdar or deen shariat ke paband log ab zyada hai ya pehle ya ane wale waqt me honge ? zarur iska jawab hai ki jo log chale gaye wo behtar the wo isilye ki zamana nabi ke daur se jitna door hoga utne fitne zyada hoge or jo log  Huzoor (عليه السلام) ke waqt ki jitne kareeb the wo hadis quran zyada ache se jante the or hadis me farmaya- (khulasa) har guzra hua din maujuda din se behtar hai aur har maujda din behtar hai (kal) ane wale se,
Ab wahabi se ye pucha jaye ki gaus e azam ki mazar kab thi or kin logo ne banai, or ghareeb namaz ki kab se hai, kya ye mazar banane bareili se koi ahmad raza gaya ? agar nahi to kya sahaba taba’i ke dor me log alim nahi the unhe maloom nahi tha ki kya jaiz nahi ya  fir ab ke wahabi zyada janta hai or ek baat, wahabi jis bukhari ki hadis par chilata firta hai use shayad maloom bhi nahi imam bukhari ki bhi mazar hai, ab ye kisne banai, kiya imam ke shagird nahi jante the ki mazar jaiz nahi, or imam e azam ki mazar par imam shafai jate the, or gaus e azam imam hambal ke mazar par jaate or imam abu hanifa  Huzoor (عليه السلام) ke mazar par, zahir hai, mazar koi nai chiiz nahi, naa gunah na bid’at, naa naya kaam
Balki mazar ko banane ka khas maqsad ye hota hai ki logo ko pata chale ki ye aam qabr nahi wali ki qabar hai or log uski tazim kare or barkate le, or duaye kare, or sahaba ke waqt me jab sukha padha to log Hazrat ayesha (radiallah anha) ke pas gaye apne farmaya  Huzoor (عليه السلام) ki qabar ki chhat se khirki nikal do aisa karte hi barish ho gai, (or khirki jab hi mumkin hai jab chhat ya gumbad ho or chhat ya gumbad bhi jab hi mumkin hai jab charo deewar ho, (bas charo deewar or gumbad kaa nam ho to mazar hai). jo sahaba ke waqt me  Huzoor (عليه السلام) ka bhi tha, or ahle bait ka bhi, magar nazadi hukumat ne kafi mazar tor diye, apne batil aqeede ko sacha sabit karne ke liye or aap bajaye apni islah or apne sunni bhaio ki islah ke inki islah me lag gaye, jabki inke liye hidayat ki dua bhi fizul hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.406
Hazrat, girls ka eye brows (threading) karwana gunah hai ya nahi ,,,WO agar parde me rahti hai to  threading kara sakti hai?

Jawab: 406  بسم الله الرحمن الرحيم
Bukhari ki Hadis e pak me aisi aurato par lanat farmai or ise qiyamat ki nishani me shumar farmaya ki akhri zamane me aurate apni bhawen ke baal nochengi,  
Farmaya: (khulasa e ahadees e mubarka) jo aurat haseen banne  ke liye bhaweno ke baal noche us par allah ki lanat hai, aur godne wali aur gudwane walio par bhi .. isi tarah mardo ki wazeh banane walio par bhi... mu ke bal nochne walio par (allah ki banawat me tabdeeli karti hai)  
Undatul Qari Sharah Bukhari me is hadis e pak ki sharah is tarah byan ki (khulasa)
hadis me haseen banne ke liye lanat aai lihaza is qaid ka lihaz rakha jayega, yani koi khubsurat hai or mazeed khubsurat banne ke liye bhawen banwaye to is hadis ki zad me hai, lanat ke tehet hai.

or agar kisi aurat ke bhawe is qadr hai ki jisse chehra badnuma lagta hai jisse rishte me rukawat ya farq aata ho ya rishta tutne ka khatra ho to is  bad numai se bachne ke liye zaruratan aisa kare to harj nahi.. magar niyat yahi ho ki badnumai se bachne ke liye naaki khubsurat dikhne ke liye.. or agar aisi koi bat  nahi mehez shohar ke liye aisa karegi to bhi gunahgar hogi, allah aur uske rasool ki hukm me kisi ki ita’at jaiz nahi. Or farmata hai tumhara rab apne kalam me ki: Rasool jo den lelo, jisse mana Karen, baaz raho.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no 407
kya kalam ki telawat karte time koi shaks aa jaye aur salam kare to uska jawab dena chahiye ya aane wale ko salam karna chahiye.

Jawab: 407  بسم الله الرحمن الرحيم
Ibadat yani (tilawat e quran, durud, zikr, tasbih, byan,..) me mashgool shakhs ko aane wala salam naa kare, or agar kara to inhe jawab dena wajib nahi, marzi hai den, ya nahi,  jaisa ki Mufti Amjad Ali Azami apni tafneef  yani Bahar E Shariat Jild:3 Safah: 462 par likhte hai,
“jo shaks masjid me aya aur hazireen e masjid tilawat e quran wa tasbih wa durood me mashgool(busy) hai ya intizar e namaz main to salam NAA KARE, ki ye salam ka waqt nahi, isi waste fuquha yeh farmate hain ki inko ikhtiyar hai jawab den ya naa den,
Fir age farmaya
“koi shakhs tilawat me mashgool hai ya dars ya ilmi guftugu ya sabaq ki taqrar me hai to use salam naa kare”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 408
Aleena aur Alveena nam islam mazhab me kaisa

Jawab: 408 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz Hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.409
Janab Kya do janu baith kar hi duaa mangni chaiye ? 4 janu kyun nahi ?

Jawab: 409 بسم الله الرحمن الرحيم
Do janu beth kar, sar niche or dono hath khub khol kar unche utha kar aur hathelio ka rukh asman ki taraf karke dua manga dua ke sunnat aur adab me se hai naaki farz wajib se,
or 4 janu beth kar bhi mang sakte hain aur dua ke liye hath bhi uthana zaruri nahi, chalte chalte, uthte bethte, lette waqt aur har andaz me dua mangna jaiz hai, isme kuch harj nahi ki or naa sirf hath utha kar ke dua mangne ka naam dua hai, dil dil me apna kam karte waqt pure din bhi dua ki jaa sakti hai,

Aur agar koi 4 janu beth kar dua ko mana karta hai to ghalati par hai uski kam ilmi hai shariat se iska koi talluq nahi
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 410
Wazu ke liye dadhi ka mukamal tareeke se bhigna zaruri hai ?

Jawab: 410
Iska jawab dete huye 
Sadr-us-sharia,
Badru-tariqa,
Qazi e Islam,
Faqh-e-Hind,
Hazrat e Allama, Maulana,
Al-Haji, Al-Qari, Al-Mufti,
Muhammad AMJAD ALI AZAMI
(Alaihirrehma) Apni Shohra e afaaq Tasneef  Bahar e shariat  Jild:1 Page: 289 Par Farmate hain
“dari ke baal agar ghane naa ho to jild ka dhona farz hai aur agar ghane ho to (dari) gale ki taraf dabane se jitni chehre ke gird aye unka dhona farz hai aur jar ka dhona farz nahi or jo (bal) halqe se neeche hun unka dhona zaruri nahi ”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 411
ek waqt me kitne time ki kaja namaze padh ya ada kar sakte hai

Jawab: 411 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek waqt me jitni allah tofiq aur taqat de aur zehen hazir rahe yani bor naa ho to jitni chahe qaza namaze ada kar sakte hai, siwaye makruh waqt ke aur wo makruh waqt ye hain,
1-zawal ke waqt, 2 tulu e aftab ke waqt, 3 magrib se 20 mint. Pehle tak,
asr bad qaza padh sakte hai, or jab magrib me 20-25 mnt. Reh jaye to na padhe,
                                           
Qaza namaz chupchap ada karni chahiye, naa kisi ko bataye naa kisi ke samne ada kare naa iska zikr kare, or namaz padhta rahe copy me note rakhe ki kitne din ki fajr padh li,
Or qaza namaze jald ada karne ka ek behtareen tariqa Imam E Ahle Sunnat ne farmaya hai. (jiska khulasa is tarah hai)
Sabse asan or behtar tariqa hai ki pehle ek hi waqt ki namaz ada karne yani pehle sabhi fajr padh le fir is tarah puri hone par agli padhe, jab ke qaza namaz padhe to pehle fajr hi padhe jab tak puri naa ho jaye,
Niyat- iske do tariqe hai ( jis tarah chahe padhe,
1- niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse pehle qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
2. niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse akhri qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
(jis waqt ki padhe wahi naam le, zohar, asr wagera) Niyat bandhte hi
Pehle sureh fatiha shuru kar de, fir surat milaye (yani sana wagera naa padhe)
Fir ruku me jaa kar 1 baar tasbih padhe, or sajde me jaa kar bhi ek bar hi tasbih padhe, isi tarah 2 takat padhe or jab salam pherne bethe to attahiyyat puri padh kar, اللھم صلی علی محمد والہ  or salam pher de yani bad wali dua bhi naa padhe, is tarah, farz ada karta jaye,   (4 rakat wali me akhri ki do rakat me sureh fatiha naa padhe balki 3 bar سبحان الله‎ kahe, or vitr me, teesri me fatiha or surat zarur padhe or tabkir keh kar, qunoot naa padhe balki 1 ya 3 bar رب اغفر لی    keh le
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم

Suwal no. 412
Hazrat fasik kise kehte hain

Jawab: 412 بسم الله الرحمن الرحيم
Firoz ul lughat safah: 922 par hai
Fasiq- (فاسق) - Gunahgar, badkar, jahannami, jhotha,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 413
janab kiya imam bhukhari (r.a) muklid the

Jawab: 413 بسم الله الرحمن الرحيم
Buzurgane deen ke naam ke baad bhi pura (rahimullah) likhna chahiye,
G. hain Imam bukhari, Imam shafai ke muqallid the
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 414
Allah ke rasul salallahu alaihiwssalam duniya se wafat ke baad sahaba unke mazar pe ja ker dua farmate the kiya ?

Jawab: 414
Kyun Nahi, bad wafat bhi sahaba  Huzoor (عليه السلام) ke roze par dua karte the, balki ye silsila to aaj tak chalu hai, sahaba ta’ba or ab tak buzrgo ka ye mamool hai ki or musalmano ka bhi haj ke waqt me or gair haj me waqt me bhi yahi mamool hai ki madina shareef hazir ho kar dua karte hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 415
Agar kisi ko sirf 6 surah yad ho to kya. namaz me wahi surah repeat kar sakte hain. ya or surah yad karna zaruri hai?

Jawab: 415 بسم الله الرحمن الرحيم
G, ha dohra sakte hai, or yaad  karna behtar hai magar zaruri nahi, yad rahe farz namaz me kuch surato ko har namaz me dohrana makruh tanzihi hai, or agar koi or surate yaad naa ho to kuch karahat nahi, or nafil me bar bar kuch surato ko dohrana jaan kar bhi makruh nahi, maslan kisi ko kewal do hi surate yaad hai or wo har farz me use hi padhta hai to or yad karna chahiye or jab tak unhe hi padhta rahe, or kisi ko do se zyada yaad hai fir bhi wo kewal unhe hi bar bar har namaz farz me padhe to ye makruh, magar namaz behrhaal har surat me ho jayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 416
Hazrat, log bolte hain ki agar kisi ki qaza namaz baqi hai, to uski nafil namaz nahi Mani jayegi kya ye bat sahi hai, or kya qaza namaz padhna zaruri hai ?

Jawab:416 بسم الله الرحمن الرحيم
Jiske zimme par koi farz baqi rahe uski nafili ibadat qubool nahi, iska ye matlab hai ki nafil ibadat karne se uska jawab nahi payega or jab wo farz ada kar dega to us nafil ka sawab uske nama e amal me jor diya jayega, warna jab tak sawab se mehrum rahega,
G, han, qaza namaz jald se jald ada karna wajib hai, apni zaruriyat ke kaam se farig ho kar jald se apni qaza namaz ada karni chahiye, balki 5 namaz me jo nafil namaze hoti hai unhe chor kar unke badle bhi qaza hi puri karni chahiye, jo 3 waqt makruh hai unke alawa har waqt me qaza namaz padhi jaa sakti hai, or jald ada karne ka tariqa hamne byan kar diya hai, jo bahut asan hai,
Bahar E Shariat Jild:1 Safah: 706 par hai,
“jis ke zimme qaza namaze ho agarche unka padhna jald se jald wajib hai, magar bal bachcho ki parwarish aur apni zaruriyat ki wajeh se takhir jaiz hai, to karobar bhi kare aur jo waqt fursat ka mile usme qaza bhi padhta rahe yaha tak ki puri ho jayen”

Fatawa Alamgiri Jild: 1 Safah:52 Par Hai
“qaza ke liye koi waqt tey nahi umar me jab bhi padhega bari-uz zimmah jo jayega, magar tulu, gurub wa zawal ke waqt, (naa padhe) ki in waqton me namaz jaiz nahi”

Durr E Mukhtar Jild:2 Safah: 646 par hai,
“qaza namaze nafil se ahm hai, yani jis waqt nafil padhta hai, unhe chor kar unke badle, qazaye padhe,”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 417
Hazrat kiya ek hi masjid me jumma ki namaz do bar ada kar sakte he .jaiase pahle imam saheb ne padahi phir moajzin Saheb padhaye .kiya aisa karna jaiz he.?

Jawab: 417 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar jumme ki namaz chhoot gayi ho ya jis par juma wajib naa ho to (fir se) jamat qayim nahi ki jaa sakti, tanha tanha apni zohar padhni hogi,

Durr e Mukhtar Jild: 3 Safah: 36 par hai
Jis par juma farz nahi un logo ko bhi juma ke din shehar me jamat ke liye zohar padhna MAKRUH E TEHRIMI hai, chahe namaz e jume hone se pehle jamat kare ya bad me, Yunhi jinhe juma naa mila wo bhi bagair azan wa bagair iqamat zohar ki namaz tanha tanha padhen, jamat in ke liye bhi mana hai,
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no . 418
Agar gussa me koi qasam kha le or baad me afhsos ho tu wo kaise khatam hoga.

Jawab: 418 بسم الله الرحمن الرحيم
Qasam kis chiz ke liye khai or kin alfaz se khai, use likh kar diya jaye,

Qasm khane se Qasam ho jayegi, jabki allah or quran ki hi qasm khai ho iske siwa kisi or ki qasam qasam nahi hoti, jab qasam nahi to torne par koi kaffana nahi, or agar allah ya quran ki qasam khai to qasam qayam ho gai, ab ye dekha jayega ki kis chiz ki aur kyun qasam khai, agar kisi farz ko ada naa karne ki qasam khai to qasam torna wajib hai, pura karna gunah jaise kisi ne qasam khai ki me aaj zohar nahi padhunga to qasam torna zaruri hai or zohar padhna bhi, or agar qasam tor kar karne wala kam qasam se behtar hai to qasam tor de aur kaffara de, jaise qasam khai ki apne padosi ke ghar naa jayega or ab wo bimar hai or padosi ko iski zarurat hai to qasam tor de uske ghar jaye or kaffara de,  ab qasam par ade rehna ghalat hai aur padosi ki madad karna zaruri,
or kaffara ye hai,  ghulam azad karna. Ya fir 10 misqeeno ko khana khilaye, Ya unko kapde pehnana. or Agar aisa karne ki qudrat nahi  rakhta to. 3 roze lagatar rakhe.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 419
Kya haiz wali aurat niyaz ka khana paka sakti hai, log kehte hai napak aurat niyaz ke liye khana nahi paka sakti aur kya hadis, panjsurah ya koi deeni kitab utha ya padh sakti hai, agar wo hindi me ho ya arabi me jawab inayat farmayen

Jawab: 419 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisi aurat khana paka sakti hai fir chahe khane ke liye ho ya niyaz ke liye, agar khana napak ho jayega to niyaz to door khaya bhi nahi jaa sakta, ye mehez shariat se bekhabari hai, or aur aisi aurat apne wazife bhi isi hal me padh sakti hai, magar quran ki niyat se koi quran ki ayat padh bhi nahi sakti magar dua ki niyat se padh sakti hai jaise, khane waqt bismillah wagera wese bismillah bhi quran hai magar, ise dua ke tor par padha jaa sakta hai isi tarah shajra ke wazife bhi padhe ja sakte hai, magar quran ka chuna aur quran ki niyat se quran ya koi surat, ayat padhna haram hai, jaise ki
Bahar E Shariat Jild1 Safah:326.. se hai
Jis ko nahane ki zarurat ho(napak) usko masjid me jana, tawaf karna, quran ko chhuna, ya be chhuye dekh kar zubani padhna, ya kisi ayat ka likhna, ya ayat ka taweez likhna, ya aise taweez chhuna haram hai,

Iske siway hadees ya deeni masalo ki kitab padh sakte hai, Haram nahi na gunah, magar makru hai, or us kitab me ayat e qurani ka wahi hukm hoga jo byan hua yani usnka chhuna haram hoga,
Jaisa ki : Bahar E Shariat Jild1 Safah:327 par hai:
In sab (napak, bewuzu) ko Fiqh, Tafseer aur Hadees ki kitabo ka chhuna makruh hai, aur agar unko kapde se chhua to harj nahi. Isi tarah inko azan ka jawab dena jaiz hai.

Makruh - yani jise shariat pasand naa kare, magar kuch gunah nahi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 420
gusul karte waqt agar kapde nahi pehne hai to kya ghalat hai ?

Jawab: 420
Hindustan me to log kapde utar kar hi nahate hai, baki kabhi suna nahi ki koi kapde pehn kar nahaye
ghusl khana jahan kisi ki nazar naa padhe to bagair Kapdo ke barhana ho kar naha sakta hai or
Aisa jaha jaha logo ki nazar padhe mard ko ghutne kholna jaiz nahi Yani ghutne sitr me dakhil hai, agar koi aisa underwear pehn Kar nahata hai jisme ghutne khule ho to gunahgar hai, Tehband ka istimal kare, warna payjama hi pehn kar nahaye, or ghusl khane me jaise nahaye kuch harj nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 421
Hazrat kya ham makrooh wakht ko chor kar kisi bhi waqt me  qaza namaz ada'a kar sakte hain, or Hazrat, kya ham nafil namaz ko na padhkar us wakht qaza ada kiya karen ya apni namazhi ada'a karen,

Jawab: 421 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Makruh waqt chor kar kisi bhi waqt me namaz ada kar sakte hai, jaise ki
Fatawa Alamgiri Jild: 1 Safah:52 Par Hai
“qaza ke liye koi waqt tey nahi umar me jab bhi padhega bari-uz zimmah jo jayega, magar tulu, gurub wa zawal ke waqt, (naa padhe) ki in waqton me namaz jaiz nahi”

Or apni farz sunnat witr wagera zarur padhe bas nafil ko chor kar unke badle qaza e umari puri karta rahe, jaisa ki
Durr E Mukhtar Jild:2 Safah: 646 par hai,
“qaza namaze nafil se ahm hai, yani jis waqt nafil padhta hai, unhe chor kar unke badle, qazaye padhe,”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.422
Hazrat agarkisi aurt ka samband soher ko chhod kar kisi or se ho jaye to kya nikah tut jata he ?

Jawab: 422 بسم الله الرحمن الرحيم
“Kisi or” se kon muraad hai kyunki kuch logo se najaiz talluqat hone se aurat apne shohar ke liye haram ho jayegi jaise bahu ka sasur se ho to aurat apne shohar ke liye haram hai,  warna gair bahar wale mard se hone se nikah nahi jaata magar sakht gunahgar, fasikah fajirah or azab e jahannam ki haqdar hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 423
nikah ke waqt kin kin chizo ka hona zaruri he Hazrat ?

Jawab: 423 بسم الله الرحمن الرحيم
nikah naam hai ijab o qubool ka yani agar koi baligh mard aurat, do gawah (mard, ya 1 mard do aurat)  ki mujoodgi me sharai meher ke sath khud nikah karna chahe to bhi nikah sahi ho jayega, iske alawa zewar wagera koi chize sone ya chandi ke naa hone se yaa naye kapde ke naa hone se nikah par kuch farq nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 424
agarkuran shareef galti se gir jayen to kya Hazrat hame us ka kffara ada krna pdta he aur agar kaffara hota he to kya cheez?

Jawab: 424  بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz ‘Qur’an’ roman English me is tarah likha jaata hai, jaise hamne jawab me likha hai or ye baat sail se pehle bhi arz ki gai thi, magar mehsus hota hai ki pichle suwalo ko padh kar sail ne apni ghalati nahi sudhari, allah se dua hai ki AMAL ja jazba bhi ata farmaye.

Quran agar dhoke se hath se gir gaya, to kaffara kuch nahi magar quran e azeem ko uthate waqt dhiyan hazir rakha jaye, aisa naa ho ki dhiyan kahi or kaam koi or, fir anjam kuch or, natija fir yahi hota hai,  toba lazim to nahi magar lamha lamha toba kar lene me bhi harj nahi, or mash’hoor yahi hai ki aisa hadsa hote hai log fornn tuba karte hai, or sail ne bhi kar hi li hogi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 425
Hazrat aurat apne sir ke bal kata sakti hai, ya esa karna gunah hai ?

Jawab: 425 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat ko mardana bal karwana haram hai aur hadis me aisi aurato par lanat ki gai, aur is tarah katwana bhi mana ki jisme aage kuch bal mathe par gire rehte hai jinhe aam zuban me “lat” kehte hai or wo gair mard ki nazar me ate hai,
Iske siwa agar baalo ki nok katwai jaye jisse balo ka lamba hona ruk jata hai ya do mu baal ho jate hai fir age nahi badte to aise surat me nok katwa kar do mu bal katwaye jaa sakte hai, magar khud kate ya kisi aurat se katwaye or ye bhi yaad rakhna chahiye ki, wo kate huiye bal par bhi gair mard ki nazar padhna gunah hai, agar bal aisi jagah daale jaha gair mard ki nazar padhe to aurat gunahgar hogi, lihaza is bat ka bhi ahtiyat rakha jaye, or ye ehtiyat kanghi karte waqt bhi rakhi jaye jaisa ki
Bahar E Shariat Jild: 3 Hissa 16 Safa: 91-92 par hai
Jis uzw(part) ki taraf nazar karna najaiz hai, agar wo badan se juda bhi ho jaye to ab bhi uski taraf nazar karna najaiz rahege.

Aur agar suwal me ye pucha gaya ki sar ke sare bal katwa to
Fatawa Razaviya Jild:22 Safah:664 par hai
Aurat ka sar mundwana HARAM hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 426
hzrat aurt ko masjid jana mana he agarmana he to kyun,

Jawab: 426 بسم الله الرحمن الرحيم
G, ha namaz ya jamat ke liye aurat ko masjid ki hazri jaiz nahi, aur aisa fitne ke sabab hai, aur hadis se iski mumaniat mojood hai, yaha tak ki eed ki namaz ke liye bhi aurat masjid ya eedgah nahi jaa sakti,
Jaisa ki Fatawa Faizur Rasool Jild: 1, Safah:425 par hai   “Aurato ko eedgah ki hazri jaiz nahi.”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 427
ASSALAM ALAIKUM
Hazrat ye bataye ki jo mazaar shareef per dhol, taashe or music wali cheezen bajai jati he, Kya ye jaiz he kisi tarah se,  Agar he to kyu or kaise ?

Jawab: 427 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام والرحمة الله
Qawwali, dhol tashe ya deegar musicial stument ke sath Haram haram sakht haram ashad haram hai, or qawwali jo music ke sath hoti hai ye bhi haram hai or kisi buzurg se sabit nahi, balki auliya allah sirf kalam sunte the usme music nahi hota the.

Fatawa Razaviya Jild: 24 Safah: 80 par hai,
Mazameer bilashuba haram hai, ... inke sunne sunane ke gunah hone me shak nahi,... aur chishti silsile ki taraf iski nisbat karna mehez batil hai,

Kashul Fana An Usool Al-Sama me hain
Logo ne apne ghalba e haal wa shoq me mazameer ke sath qawwali suni, aur hamare peeran e tariqat ka sunna is tohmat se pak hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 428
Hazrat gair muakada sunnat 4 rakat wali namaz ka tarika bata dein ?

Jawab: 428
Sunnat e gair moakadah jisko sunnat e zawaid bhi kehte hai yani (asr aur isha ke farz se pehle ki 4 rakat sunnat) uske padhne ka tariqa ye hai ki,
Pehli rakat me ثناء fir عوذ باللہ aur بسم الله padh kar sureh fatiha padhe aur koi surat milaye is tarah ek rakat puri kare
Doosri rakat me sureh fatiha ke bad surat milaye or ruku sajdo ke bad qada me تشهد (attahiyyat) padhe fir iske bad Durood aur dua bhi padhe, is tarah do rakat puri karke jab teesri ke liye khada ho to fir se wahi pehle rakat ki sari chize yani ثناء fir عوذ باللہ aur بسم الله padh kar sureh fatiha padhe aur koi surat milaye is tarah teesri rakat puri kare aur chothi me surah fatike ke sath surat milye aur akhir me attahiyyat durood dua ke sath namaz puri kare,
Yani isme doosri me qada me beth kar dorood bhi padh sakte hai aur teesri me sana bhi, jabki sunnat e moakadah me tashahhud me durood padha to sajda sehev wajib hoga.
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 429
wahabi firka ka sargana Abdul wahab tha ya uska beta MD wahab tha

Jawab: 429 بسم الله الرحمن الرحيم
Bahar E Shariat Jild:1 Safah: 214 par hai,
“Wahabia yeh ek naya firqa hai, jo 1209 (hijri) me paida hua, is mazhab ka baani mumahhad bin abdul wahab najdi tha.”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 430
Hazrat ek ladki jiski sadi wahabi gharane me ho gai wo chhip kar fatiha karti hai. kya usse rishtedari ya salam kalam rakh sakte hain ?

Jawab: 430 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ye ladki apki mehram hai to ap or is ladki par lazim hai ki us wahabi se apna picha churaye, or iske ghar walo ko bhi, jabki ye sahi me sunni ho aur shohar wahabi, kyunki wahabi ke sath nikah nikah nahi mazallah ZINA hai, aur agar ye apki mehram rishtedar nahi to apko aise kisi bhi gair ladki se rishta rakhna salam kalam zaruri nahi, aur agarye sunni hone ke bad bhi us wahabi ke sath rehna chahe to khud haram kaam me mubtila hone ka zimma iske sar hai, iski niyaz fatiha isko kuch nafa naa degi, aise aurat se naa salam kalam naa, koi rishtedari, balki isko har jaiz surat samjhaya jaye or naa maane to byecott kara jaye.

Wahabi ese bahut se kufriya aqeedeh rakhte hai, or badmazhab ki nisbat hadis me farmaya
ولاتؤاکلوھم ولاتشاربوھم ولاتناکحوھم
Tarjuma: unke sath khana naa khao aur paani na pio, aur shadi naa karo,

Aur Shah Abdul Azeez Tafseer E Azizia me farmate hain,
ہر کہ با بدعتیان انس ودوستی پیدا کند نورایمان و حلاوت آں ازوے برگیرند
Tarjuma: jo shaks badaqeeda logo se dosti aur pyar rakhta hai uska noor e iman salb ho jata hai,

Imam Sayyid Tehtawi Hashiya Durre Mukhtar me naql karte hai,
من کان خارجا من ھذہ المذاھب الاربعۃ فی ذٰلک الزمان فھو من اھل البدعۃ والنار
Tarjuma: jo is zamane me charo mazhab se kharij hua woh bidati aur dozakhi hai,

Aur agar shohar aisa pakka wahabi nahi to aap uske shohar ko samjha kar sunni kar sakte hai, magar aurat se mulaqat ki ijazat nahi jabki gair ho,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 431
kya nikah ke liye qazi ka hona zaruri hai ?

Jawab: 431 بسم الله الرحمن الرحيم
Nikah ke sahi hone ke liye naa qazi ka hona zaruri hai na imam ka na hafiz ka na alim ka,
Do mard sunni musalman ki mojoodgi me baligh ladka ladki nikah karegI to nikah ho jayega,
Maslan koi ek nikah ka paigam de aur dusra qubool kar le, aur iske us majlis me do mard gawah (ya 1 mard do aurat) ho to ye nikah ho gaya, nikah ka khutba naa padhne se nikah par kuch farq nahi aata.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 432
tabligi jamat ki shuruwat kab se huwi hai aur is jamat ka maksad keya hai ?

Jawab: 432
Sunni alimo ne tabligi jamat par kai kitab aur risale likh kar quam ko in khabeeso ke fareb se bachaya hai aur inki asliyat sabke samne kar di, allah se dua hai ki wo is ulama ki is khas mehnat ko qubool kare, bid’at ko khatam karne sunnat ko zinda karna beshak khud me ek karamat hai,
Bas sail ko chahiye ki wo isi tarah ki koi kitab bazar se la kar ya risale se is jamat e khabeesa ki puri histroy jaan sakta hai, aur allah tofiq de to kuch risale isaal e sawab bhi kare, jo shak badmazhab ke radd me likhe risale sunnio tak pahuche taki sunni musalman ka aqeeda pukhta ho jaye to beshak ye sawab e azeem hoga,
Is jamat ka maqsad, sunniyat se sare mustahab kaam khatam karna, naat e mustafa, aur meelad e mustafa mohabbat e mustafa dil se nikal kar, badmazhab kar dena hai, ye yakinan apne buzurgo ka rasta chor chuke hai or bhatag gaye shetan ki raah par,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 433
kya imam Abu hanifa rahmatullah alay mukalid hai ?

Jawab: 433 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi Imam sahib muqallid nahi the, kyunki aap khud Mujtahid the or mujtahid ko kisi ki taqleed karna haram hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 434
school me hindu preyer or gair islamic kaam shikhne pr musalman bachcho ko us school me padna kaisa he

Jawab: 434 بسم الله الرحمن الرحيم
Haram hai, aur wo “gair islamic kam” kya hai uski tafseel chahiye, agarwo kam kufriya ya shirkiya ho or bacha baligh samjhdar hai aur us kaam se razi aur khush hai to kafir.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 435
kya gutne khule hone ki halat. Me wazu ho sakta Hai.

Jawab: 435
Wuzu ho jayega, mgar ghutne mard ke sitr me dakhil hai inka chupana farz aur logo ke samne ghutne kholna haram, iska gunah zarur rahega, magar wuzu ho jayega
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 436
koi agar salam kare massege par to kya usko jawab likh kar hi dena zaruri hai ya bina likhe bhi salam ka jawab diya ja sakta hai

Jawab: 436 بسم الله الرحمن الرحيم
Likhe hue (written) salam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi forn Jawab Mun se de de, der ki to gunahgar hoga,  Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki
Log is (masale) se ghafil hain, 
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 437
Hazrat bidate hasna aur bidate shina kya hai ?

Jawab: 437
Wo etiqad ya amal jo  Huzoor (عليه السلام) ke zahiri zamane me naa ho, bid’at kehte hai,
Iski bahut se qism hoti hai, magar sirf do ka zikr kiya jaata hai jo sail ne talab ki.

Bid’at E Hasna- deen me shuru kiye gaye naye magar jaiz kam ko kehte hai jisse musalman ka nafa ho
Jaise- masjid par meenar banwana – isse musalman ko fayeda hai or ye kam mana bhi nahi

Bid’at E Sa’ia- deen me shuru kiye gaye naye magar najaiz kam jo shariat ke khilaf ya sunnat ko khatam karne wala ho. Khutba arabi ki jagah urdu me padhna.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.438
Hazrat meri muwani he jo ki lag bhag teen saal se bimar he haath pair dimag kuchh bhi kaam nahi karta he do ladke bhi he jo ki abhi ziyada bade nahi he mamu bahut paresan rehte he bahut doctero ko dikha chuke he lekin shifa nahi hui hath pair to bilkul kaam hi nahi karte he kursi pe bithi rehti he din bher, Hazrat koi tarika he jo theek ho sakti he allah ke kalam main to bahut asr hota he

Jawab: 438  بسم الله الرحمن الرحيم
Sureh kafiroon har bar bismillah ke sath 1001 par padh kar sarso ke tel par dam kar ke rakh lo, fir usi tel se hath pero ke jodo ki malish karo, or rat ko ek-ek bond roz sote waqt mariza ke kano me daalo,

(har bar sureh kafiroon bismillah ke sath padhni hai, ise padhne me 4 ghante ka waqt lagega, isi liye aise waqt me kara jaye ki namaz ya jamat qaza naa ho, or ghar me koi khud naa kar sake to kisi madrse ya sahi padhne wale se bat karke padhwa le, ek bar padha kar us tel ko hifazat se rakhe)

Iske alawa,
Roz 100 bar bismillah padh kar kisi bhi waqt, unpe dam kara jaye,
Or asr magrib ke bich 111 bar “ya salamu” padh kar dum kara jaye
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 439
Imam abu hanifa, imam malik, imam safai aur imam hambal rehmatulha allahey yeh saare haq pe hai yeh nahi, agar haq pe hai to inke Peechhe namaz kyu nahi hoti ?

Jawab: 439 بسم الله الرحمن الرحيم
Charo haq mazhab haq hai, or iske haq hona inke sunni aqaid hain, hanafi ki namaz kisi mazhab ke Peechhe nahi hoti, ? ye baat apne kaha padhi ya kis aalim se suni mujhe wo hawala likh bhejen ?

Awwal to hind me siwaye hanafi ke doosre mazhab ke log naa ke barabar hai kuch shafai zarur hai, jo sunni shafai hai, hanafi imam ke hote hoye sunni hanafi ko kya zarurat ki wo dusre mazhab par namaz padhe ye aur agar aisa jagah jahan hanafi imam naa ho aur jamat ka waqt ho or imam shafai ho to sunni hanafi ki namaz shafai ke Peechhe ho jaati hai MAGAR jabki wo hamare mazhab hanafi ki riya’at kare, yani,
Hamare nazdeek ¼  sar ka masah farz hai, isse kam hamare mazhab me wuzu nahi ho sakta, or shafai me chand baal par bhi masah ho jata hai, to agar wo imam aisa kare ki dono ka mamla hal ho jaye to behtar yani wo ¼ ka masha kare, aur agar wo isse kam sar ka masah kare to aise shafai ke Peechhe hamari namaz nahi hogi kyunki hamare nazdeek unka wuzu nahi paya gaya, isi tarah mazhab e shafai me jab asr ka waqt hota hai to hamara zohar hi hota hai, agar shafai imam asr kuch der se padhaye ki hamara bhi asr ka waqt lag jaye to thik warna uske Peechhe shafai ke manne walo ki namaz ho jayegi magar is surat me hamari nahi,

Khulasa e kalam ye hai ki-
Hanafi imam naa hone ki surat me agar koi shafai mazhab par namaz padhe to bhi jaiz hai, jabki wo imam hamare farz wajib wagera ka khyal rakhe, jiska zikr hamne upar kiya, warna nahi, or ek baat arz karta chalu, shafai mazhab me rafayden jaiz to hai magar wahabi shafai nahi hai, kyunki wo gair muqallid hai kisi imam ko nahi manta, magar log uske rafayaden se dhoka khaa jate hai, Shafai agl mazhab he or haq hai, Wahabi alag mazhab hai or BATIL hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 440
firke ki asl kya he aur firka ki suruwat kahan se huvi kya ye hamare pyare nabi kareem sallahutala alaihislam ke time se he ya baad me hui he ?

Jawab: 440
Firqo ki shuruat  Huzoor (عليه السلام) ke waqt se thi magar is qadr khul kar zahir ho kar nahi aye the, us waqt bhi munafiq mujood the, jo musalmano ki saf me rehkar namaz bhi padhte the or dikhne me musalman bhi the, magar dil me aqeedah islam ka nahi tha jinhe  Huzoor (عليه السلام) ne juma ke roz masjid se bahar nikala,
Firqo ki khabar  Huzoor (عليه السلام) ne farmai hai ki kuch or bhi log islam ka chola pehen kar ayenge unse bach ke rehna or wo isilye hai ki taki musalman unke behkawe naa aye or apna iman naa kho de,
Jinko Hazrat Ali ne qatal  kia, logo ne kaha hamd hai allah ki jisne najasaton se zameen ko pak kiya, Hazrat Ali ne farmaya ye khatam nahi huye, abhi inme ke maa ke peto me hain baapo ki peetho me hain,
(isse zahir hai ki us waqt me bhi badmazhab log mojood the, or madmazhab ke liye hadees me farmaya, gaya hai-
تحقرون صلٰوتکم مع صلوتہم وصیامکم مع صیامھم وعملکم مع عملھم
Tarjuma: tum apni namaz ko unki namaz ke age hakir janoge, aur apne rozo ko unke rozo ke age,  aur apne amal ko unke amal ke age,   

یقرؤن القرآن ولا یجاوزتراقھیم
Tarjuma: quran padhenge magar uske gale se neeche naa utrega,

یقرؤن القرآن ولا یجاوزتراقھیم
Tarjuma: baaten zahiri achi karenge,
من قول خیر البریۃ یمرقون من الدین کما یمرق السھم من الرمیۃ
Tarjuma: hadis hadis pukarenge (aur) hal ye hoga, nikal jayenge deen se aise jaise teer nikal jata hai nishane se,

ثم لا یعودون فیہ
Tarjuma: laut kar deen me naa ayenge,

سیما ھم التحلیق
Tarjuma: inki alamat sar mundwana hai

مشمر الازار
Tarjuma: tehband(payejama) takhno se unche (pehnege)

Isse pata chala ki firqaparasti koi nai chiz nahi or naa ye fizol hai, to jo log kehte hai ki, deobandi barelvi bekar ki chiz hai wo gumrah jahil hai, warna hadis me inki nishaniya naa farmai jaati,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم                                     

Suwal no. 441 
Hazrat maafi chahte hain hum, par  jawab 428 (sunnat e gair moakkada padhne ka tariqa) ke bare me mujhse sawal kiya gaya, Wo bol rahe hain ki esa pahle na suna hai na padha he, to agar apko sahi lage iska jawab hawale ke sath bata dijiyega, Kyunki Mujhe aap per pura trust (bharosa) he, Apko agar meri bat buri lagi ho to nadan samajh kar maaf kar dena.

Jawab: 441 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunnat e gair e moakada ke padhne ka sahi tariqa wahi he jo jawab no. 428 me byan kiya gaya, agar kisi ne ye pehle kabhi suna nahi to shayd unhone kabhi kisi aalim se is bare me pucha bhi nahi hoga, aur agar unhone ye pehle kahi padha nahi to fir unhone deen me zaruri masail ya namaz ki koi kitab nahi padhi hogi, Har chiz jo dekhi suni naa ho zaruri nahi ke uska wajood hi naa ho, warna allah ko bhi dekha nahi ?

Sunnat e gair moakada ke teesri doosri rakat me attahiyyat ke bad duroor dua, aur teesri me sana padh sakte hai jaisa kai,
Mere AAQA AlaHazrat Imam ahle sunnat,
Azeem ul barkat
Azeem ul martabat
Mujaddid e deen o millat
Parwana e shama e risalat
Imam e ishq o muhabbat
Wali e neymat
Peer e tariqat
Aalim e shariat
Haamiyae sunnat
Maahiye bid’at
Qa’taye Najdiyat,
Bais e khair o barkat
Al-Haaj, Al-Hafiz, Al-Mufti, Al mufassir
Asshah IMAM AHMAD RAZA KHAN FAZIL E BARELVI (alaihirrehma) Apni  Maqbool e do jahan, Kitab Yani Al-Ataya Nabawiya fi Fatawa Razaviya, Al-Maroof  Fatawa Razaviya Jild:7, Safah:444 par Durr e Mukhtar ke hawale se farmate hain:
“(sunnat e moakada ke alawa) baqi char rakat wali sunnaton ( gair-moakada) aur nafilon men, (qada ula me) durood shareef padhajaye, teesri rakat me sana aur  ta’awuz bhi padha jayega”

Faqih e islam, qazi e millat, Sadr Us Sharia Bad Ut-Tariqa, Hazrat Allahma Maulana Mufti  Al-Haj, Al Hafiz Mumahhad Amjad Ali Azami (alaihirrehma) Bahar E Shariat Jild: 1 Safa: 667 likhte hain:
“jo sunnat moakada char rakat hai uske qada ula me sirf attahiyyat padhe, agar bhool kar durood padh liya to sajda sehev kare,... inke alawa (sunnat e gair moakada) aur char rakat wali nawafil ke qada ula me bhi DUROOD PADHE aur Teesri rakat me SANA, A’auzubillah bhi padhe”

Mashwara: ab bhi agar sail se aitraz karne walo ko mas’ale ya jawab me koi shak ho to un logo ko chahiye ki apne qadam e mubarak ko kisi Alim e deen ki bargah e Aaliya me le jayen, Insh allah, Koi bhi alim is masale ki tasdeek kar dega,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 442
Hazrat kiya gair mukalid jaise wahabi deobandi ahlehadis wagera ke sath namaz aur salam kar sakte hai ?

Jawab: 442
Nahi kar sakte, jabki sahi me deobandi wahabi ho naaki sirf aawzun naas-
Hadis me dono chize ke liye mana kiya gaya ki, naa uske sath salam kalam karo naa unke Peechhe namaz padho naa unke janaze par hazir ho,
Badmazhab ke Peechhe namaz padhne ke bare me
AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai  
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
 
Or isi FATAWA RAZAVIYA me aage Jild: 6, safah: 621 par  Likhte hai.  
“Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma wa eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe namaz batil mehez hai”
 
Or aage isi FATAWA RAZAVIYA Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai 
“Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai”
 
Fir isi FATAWA RAZAVIYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”
 
Or aage badte hue imam, ummat ki rehnumai karte hai or Isi FATAWA RAZAVIYA JILD: 24, SAFAH: 501 par likhte hai
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai, “
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.  443
Aaj kal Jo naat me sound ya music type hota h Jo ki halak she nikala jaata he to kya esi naate sunna ya padna sahi he. aur naat kaise sunna or padna chahiye.

Jawab: 443 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar naat me music ka koi bhi saman istimal kiya gaya hai to uska sunna bila shuba haram hai, magar aisa hota hai, naat me aksar zikr hota rehta hai,
Agar zikr aisa he ki saaf samajh me aaye ki Allah Allah hi awaz hai to thik aur agar sunne me ye lage jaise koi music aur zikr saaf samajh naa aye to mana
Zikr wali naat khwani jaiz or najaiz hone me ulama e ahle sunnat ka ikhtilaf hai or jab kisi kam me ikhtilaf ho to bachna behtar hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 444
Hazrat ham ne suna he ki koi bhi napak cheez ho agar wo sukha he to paak he jaise ki agar sukha hua kutta, kapde main lag jaye to hamara kapda napak nahi hua

Jawab: 444 بسم الله الرحمن الرحيم
Har chiz sookhne se pak nahi hoti balki kuch chize be-dhoye paak hi nahi hongi, or wo hukm jo suwal me darj hai shayad zameen ke liye suna gaya hoga, ki agar zameen napak hai or khud sookh gai, yahan tak ki naa us par napaki ka nishan hai naa bu to wo paak ho gai, jaisa ki,
Fatawa Alamgiri Jild:1 Safah: 44 par hai,
“Napak zameen agar khushk ho jaye, aur najasat ka asar (rang, bu) jaata rahe to pak ho gai, chahe weh hawa se sookhi ho ya dhoop se ya aag se”

Sookha ya geela kutta badan ya kapde par lag jaye to kapda napak nahi hota, jabki geela kutta saf pani se geela ho, agar wo kisi gandagi se geela hai to wo gandagi zarur napak karegi, aur kutte ka thook napak bhi hai,
Bahar E Shariat Jild: 1 Safah: 395 par hai
“kutta badan ya kapde se chhu jaye, to chahe uska jism tar ho, badan aur kapda pak hai, han agar uske badan par najasat lagi hai to aur bat hai,”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 445
Ya ali al-madad, Ya gous al-madad, Ya peer al-madad,
yeh sab  kahna kaisa ?allah ke siva kisi aur se madad mangna shirk hai kya ?

Jawab:445 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye sab kehna jaiz hai, aur allah ke alawa gair se madad mangna shirk nahi jabki koi ye aqeeda naa rakhe ki khuda madad nahi karta ya nahi kar sakta tabhi gair se madad mangta hu warna shirk hoga, aur musalmano ka hargiz ye aqeeda nahi hota balke unka aqeeda ye hota hai ki ye allah walo ko allah ne taqat aur madad par qudrat bakhshi hai or ye allah ke diye se madad karte hai,
Jo quran o hadis se sabit hai,

Quran me tumhara Rab irshad farmata hai (Quran 2/153)
“madad talab karo sabar wa namaz se”

Jabki namaz bhi khuda nahi gair khuda hai or naa sabr khuda hai,

Or farmata hai tumhara rab (Quran 5/2)
“apas me ek doosre ki madad karo, bhalai aur parhezgari par”

Imam bukhari ne Hazrat abu hurairah se riwayat kiya farmaya:  Huzoor (عليه السلام) ne- subha aur sham aur rat ke kuch hisso me ibadat se madad talab karo.
Ek aur hadis me farmaya “jab hajat talab karo khobsurat chehre walo se talabkaro

Aur farmaya almuazzam ulkabeer me
“jab tum me se kisi ki koi chiz gum ho jaye, ya raah bhool jaye, aur madad chahe, aur aisi jagah ho jaha koi hamdam nahi, to use chahiye yun pukare ‘aye allah ke bando meri madad karo. Aye allah ke bando meri madad karo’  aye allah ke bando meri madad karo’ ki allah ke kuch bande hain jinhe ye nahi dekhta weh uski madad karenge,” (is hadis ko tabarani ne bhi naql kiya)

Aur Imam Ghazali farmate hai: “jisse uski zindagi me madad mangi jaa sakti hai usse uske wisal ke bad bhi madad mangi jaa sakti hai”

Or mazeed dalil ke liye Fatawa Razaviya Jild:21 Safah: 310 se padhna mufeed hoga,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no.446
Assalam ALAIKUM
Hazrat ye bataye ki namaz me kya-kya wajib hai aur agar 1 bhi wajib chhoot jaye to uska kya masla he ya kya karna chahiye ?

Jawab:446  بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام والرحمة الله
Allah apki magfirat kare aur apke sadqe me meri bhi aur door kare apke sar se tamam pareshani, aur apke ghar ke mareez ko jald se jald seht de, aur apko nekiyo me izafa karne ki tofiq den, aur har gunah se bachne ki tofiq de,

Namaz me kya wajib hai iski fehrist to taveel hai, jiski tafseel likhna is waqt munasib nahi to behtar hai aap namaz ki kisi kitab ka mutala kare, jaise “namaz key ahkam” ya fir “qanoon e shariat” fir agar isme koi baat samajh naa aye to zarur mujh gunahgar ko fir se yaad farma lijiye,
apki khushi ki khatir me yaha kuch wajibat arz kar deta hu- ye chize namaz me wajib hai,

Pehli takbir me lafz “allahu akbar”  ka hona, sureh fatiha ki 7to ayat padhna, (farz namaz me pehli do rakat me) foran surat milana, sureh fatiha ka ek hi bar padhna, sureh fatiha ka surat se pehle hi padhna,
Qirat ke bad ruku karna, ek sajde ke bad forn dosra sajda karna, “ruku sujood koma jalse” me ek bar subhan allah ki mikdar thehrna, farz aur sunan moakkada me do rakat par bethna aur puri tashahud padhna aur tashahud ke bad durood NAA padhna, teesri rakat ke liye forn khade hona, witr me dua e qunoot padhna, aur takbir e qunoot kehna, har wajib aur farz ka uski jagah par hona, wagera wagera,

Agar kisi ka ek balki 10 wajib bhi bhool se namaz me reh jaye to use namaz dohrane ki hajat nahi balki sajda sehev kar sakta hai, aur jaan kar ek bhi wajib chhoota to sajda sehev kafi nahi namaz dohrani hogi,
Aur sajda sehev ka tariqa ye hai ki, jab akhri rakat me bethe to tashahud padhe aur ek taraf salam phere fir aur do sajde kare fir tashahud padhe aur durood aur dua ke bad namaz khatam kare,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 447
Hazrat fatiha ka saboot hadis se dein barai karam

Jawab: 447 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatiha ka saboot hadis me maujood hai, fatiha haqiqat me ek isal e sawab hai, yani koi bhi musalman apne kisi bhi nek amal ka swab kisi bhi doosre zinda ya murda musalman ko bhej sakta hai, aur ye sawab pahuchta hai, ise hi urf me musalman fatiha ya niyaz kehte hain, aur iska saboot hadees se sabit hai balki deobandio ki kitab se bhi sabit hai, jiske hawale aur dalail aap suwal jawab no. 462 me dekhe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 448
Hazrat feshiyal jo aurte ladkiyan karwati hain khubsurti ke liye bahut ladkyon ka rang sawla rehta he jis se shadi nahi lagti hai us ke liye karwati he.

Jawab: 448 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai, Jabki gair mard ko dikhane ke liye naa ho,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 449
Hazrat aurto  ka mackup karna kaisa h, lipstick wagairah wo istimal kar sakti hain ya nahi

Jawab: 449  بسم الله الرحمن الرحيم
Apne shohar ke liye jaiz hai, or gair ke liye haram, gair shadi shuda ladki ko bhi fi-nafsihi jaiz hai,
lipstick me agar koi najaiz chemical (cemical) hai to najaiz warna jaiz, magar uski itni moti parat lagana ki wuzu me ka pani hont tak naa pahuche to wuzu nahi hoga warna ho jayega, lipstick me hamari raay to hoti hai ki isse parhez hi karna chahiye, kyunki is zeenat ka gair mard par izhar zarur ho jaata hai, maslan, ghar me dewar jeth se, or ye nahi to ghar aye mehman se, haa agar ghar me siwaye shohar ya aulad ya aurato ke koi nahi to harj nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 450
Hazrat ye bataye ki mere hostel me saare log deobandi he sare dost aur wo bhi ALLAH aur Uske pyare RASOOL per iman rakhte he. Aur unme se namaz padhate he kya un deobandi Hazrat ke peeche namaz padh sakte he aur unke saath dosti kar sakte he ? Aur ye batayiye ki deobandi aur wahabi kon hote he wo bhi ALLAH aur uske pyare RASOOL per iman rakhte he Bas ALA HAZRAT FAZILE BARELVI ko nahi mante. To deobandi aur wahabi ki definition  bateye Hazrat bahut mahrbani hogi ?

Jawab: 450
Chahe deobandi ho ya fir wahabi algharaz koi bhi badmazhab firqa yani, siwaye ahle sunnat ke koi bhi imam ho uske Peechhe namaz padhna gunah or baz martaba kufr hai, fir jaisa ki
AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai  
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
Or isi FATAWA RAZAVIYA me aage Jild: 6, safah: 621 par  Likhte hai.  
“Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma wa eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe namaz batil mehez hai”
Or aage isi FATAWA RAZAVIYA Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai 
“Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai”
Fir isi FATAWA RAZAVIYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”
Or aage badte hue imam, ummat ki rehnumai karte hai or Isi FATAWA RAZAVIYA JILD: 24, SAFAH: 501 par likhte hai
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai, “

Ab raha ki wo allah rasool ki baat karte hai, mere pyare azeez dost allah tumhe jannat naseeb kare, ek baat batao, gumrah ya kafir hone ke liye pura quran jhuthlana zaruri nahi, jo ek bhi surat ko jhuthla de kafir hai, fir chahe pure quran par iman laye isi tarah ye zaruri nahi ki koi saari zaruriyat e deen ki baato ka inkar kare to kafir ya gumrah hoga, nahi nahi hargiz nahi, jo zaruriyat e deen se kisi bhi ek baat ka inkar kare gumrah or baz ka inkar kufr hai, fir chahe wo namaz padhe sare islam ke arkan ada kare, isi tarah ye kehna ki deobandi allah rasool ki baat karte hai, iman rakhte hai quran par wagera wagera, ye logo ki naasamjhi hai, wo har kaam karte hai, magar kuch bato ka inkar karne ke sabab bedeen huye, jaise jo rasool ki gustakhi kare, wo kafir hai, magar jo use ab bhi musalman jaane wo bhi kafir hai, zahir hai ki ashraf ali aur deegar ulama e deoband aur wahabi ne  Huzoor (عليه السلام) ki shan me gustakhi ki jiski wajah se arab o ajam me 200 se zyada muftio ne inhe kafir kaha aur ye bhi kaha ki jo un maulvio ko nabi ki gustakhi janne ke bad bhi musalman jane wo khud kafir hai, magar deobandi Hazrat aaj tak ashraf ali ko apna imam mante hai, jabki ashraf ali kafir ho gaya tha, ab ye zaruri nahi ki jo apne hostal me namaz padhaye wo khul ke kufr kare, balki wo zarur un kafiro ko apna imam batata hoga, or alahazrat jaise wali e kamil ko naa manna hi is baat ko zahir karta hai ki wo gumrah hai,

Unse kalam salam ki manahi hai, aur unke Peechhe namaz padhne ke liye bhi hadis me mumaniat hai, or ye sare 72 firqe deen hi ke libas me honge or islam hi ki bate karenge, magar  Huzoor (عليه السلام) ne farmaya unki namaze qubool nahi, islye kisi ke ibas se dhoka nahi khana chahiye, or aise to har firqa balki shia bhi kehta hai ki ham musalman hai.
Tumhara Allah farmata hai Quran Surah Baqra Ayat:08 main:
“Aur kuch log kehte hai ki ham allah aur uske pichle din par iman laye, aur woh iman wale nahi “

Is ayat se zahir hai ki log dawa to iman walo ka karenge magar sab iman wale nahi honge.

Aur farmata hai tumhara rab Quran surah baqra ayat:11-12 par
Aur jo unse kaha jaye zameen me fasad naa karo, to kehte hain ham to sawarne wale hain, sunta he wahi fasadi hain, magar unhe khabar nahi”
Deobandi aur wahabi ke gumrah aur jahannami hone me koi farq nahi,
Wahabi abdul wahab ko apna peshwa manta hai
Deobandi ashraf ali, Rashid ahmad wagera ko

Wahabi charo me se kisi imam ka mukallid nahi
Deobandi furui masail me imame azam ka mukallid hai

Wahabi quran hadis ke alawa ijma qiyas nahi manta
Deobandi ijma or qiyas ko mante to hai magar amal me nahi late
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 451
Hazrat hum ne suna he room main insano ke poster lagane ya janwaro ke ya putla wagehra gudiya palstik ki rakhne se rehmt ke fariste nahi aate he kya ye sahi he Hazrat

Jawab: 451 بسم الله الرحمن الرحيم
Sahi suna hai, Hadis me yahi hukm aya hai, jis ghar me jandar ki tasweer aur kutta ho us ghar me rehmat ke firishte nahi aate, or fuqha ne farmaya ki agar namazi ke age bhi jaandar ki tasweer hogi ya neeche sajde ki jagah to wo namaz bhi fir se dohrani wajib hai,
Magar bache ko gudiya wagera se khelna jaiz hai to zahir hai uska ghar lana bhi jaiz hoga tabhi bachiyan khel payengi, isme harj nahi or ek bat ye cheeze tazeem ke sath ghar me nahi latkai jati balki bache khelte hai aur fir almari wagera me rakh di jaati hai, is tarah agar tasweer par bhi parda dal kar dhak diya jaye to namaz me harj nahi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no 452
Hazrat Churidar pajama hota he Jo aurto ka wo pahan sakti hain ladies ya nahi, kya uspe namaz ho jati hai.

Jawab: 452
Aisa libas pehnne ko ulama ne najaiz likha jisse jism ki banawat (mazallah) zahir ho. Aajkal jo churidar payjama ladkio me pehna jata hai, jise slecs kehte hai, iska pehnna haram aur gunah,
AlaHazrat Imam Ahmad Raza Barelvi  
Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: 172 par likhte hain, “chooridar payjama pehnna mana hai ki wazeh fussaq ki hai, Shaikh Abdul Haq Muhaddis E Dehelvi kitab adab al libas me farmate hain:
سراویل کہ در عجم متعارف است کہ اگر زیر شتالنگ باشد یا دوسہ چین واقع شود بدعت وگناہ است
Tarjuma: shalwar jo ajami ilaqo me mash’hoor wa maroof hai agar takhno se neeche ho ya do teen inch (shikan/choori/bal) neeche ho to bid’at aur GUNAH hai,

Or koi bhi gairat wali aurat ye gawara nahi karengi ki wo aisa chust libas pehn kar logo me aye, aur agar wo parda dar hai tab bhi ghar me walid bhai ke samne aane me zarur begairti hai, jo haya wali to hargiz gawara nahi karegi, aur jiski haya gairt mar chuki hai or bap bhai ki sharam baki nahi to uske liye sab jaiz hai,

Han, agar ghar me sirf shohar aur bache ho ya aurate to pehnna thik jabki dewar, jethe wagera bhi naa ho warna is libas se bachna chahiye jise agar achanak kisi ke samne ana padhe to khud bhi aur samne wala bhi gunah me shamil ho
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 453
4 Rakat Namaz Sunnat ki niyat kaise ki Jati hai. Hazrat Is post jawab jaldi den. shudia se kisi ne pucha hai.

Jawab: 453  بسم الله الرحمن الرحيم
Niyat dil ke irade ka naam hai, dil me ye irada karna ki me sunnat padh raha hu aur jis waqt ki padh raha ho us waqt ka bhi khyal rakhe ye kafi hai, namaz ho jayegi,

Waise musalman is tarah niyat karte hai,
Niyat ki maine 4 rakat sunnat rasool allah ki waste allah ke mu mera kaba shareef ki taraf waqt zohar hai “allahu akbar”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 
Suwal no. 454
Rooh Qabz Karne Ke Liye ? Malakul Maut ? Kitne Farishton Ko Apne Saath Le Kar Aate Hain ?

Jawab: 454 بسم الله الرحمن الرحيم
Iski sahi tadad to mere ilm me nahi magar jaise banda hota hai uski rooh unhi firishto ko di jaati hai maslan rehmat or azab dono firishte malakul maut ke sath hote hai, agar gunahgar hai to ruh azab ke firishto ke supurd kar di jaati hai warna rehmat ke firishto ke.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 455
Rat ko jhadu marna kaisa ?

Jawab: 445
Kabhi majburan lagane me harj nahi, aur adat bana lena ki  aksar raat hi ko jhadu lagai jaye to isse ghar me tangdasti aati hai, isse bachna chahiye magrib se pehle safai karne ki adat banaye,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 456
kya gair mukallidin se deeni bahas kar sakte hain ?

Jawab: 456 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar aap munazre ke fan se waqif hai, aur isme mahir bhi hai, aur zuban arabi farsi wagera me mahir aur sunniyat ke ek bade aur zabardast allama hai, or is fan me ilm bhi rakhte hai, or apne aqaid se waqif aur dalil ke sath sabit karna jante hai, to kar sakte hai, agar aisa kuch nahi gair aalim ko badmazhab se bila zarurat behes karna najaiz,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 457
vitr ki namaz me jo teesri rakat mein niyat bandhte hai kya woh hadees se sabit hai ?

Jawab: 457
Hanafi shaks ko is baat ka zarur iman rakhna chahiye ki sunniyat me aur hanafi mazhab me koi chiz quran hadis ke khilaf nahi, fir chahe uski dalil use mile ya naa mile magar imam e azam ke bataye raste ko mazboti se thamna chahiye, chahe wahabi imam ke qaul aur fel ke khilaf bhi agar koi hadis pesh kar den tab bhi, imam ke maslak par koi shak nahi karna chahiye.

Vitr ki teesri rakat me takbir kehna wajib aur koi dua padhna wajib hai MAGAR hath kan tak uthana wajib nahi sunnat hai, aur koi fir se hath naa uthaye or sirf takbir keh le tab bhi vitr ho jayenge magar khilaf e sunnat honge, aur fuqha ne farmaya jab logo ke samne qaza vitr padhe to hath naa uthaye,
Jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 654 par hai
Vitr ki teeno rakat me qirat farz hai aur har ek rakat me bad fatiha surat milana wajib.. teesri rakat me qirat se farig ho kar ruku se pehle “kano tak hath uthaey allahu akbar kahe jaise takbir e tehrima me karte hai” aur dua e qunoot padhe”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 458
Jab Allha tala ne Hazrat Adam  alehissalam ke jism me ruh dala to sab se pahle Adam alaihissalam ke munh se kaun sa word nikla tha ?

Jawab: 458 بسم الله الرحمن الرحيم
الحَمْد لله
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 459
kya kisi hindu ki company me job kar sakte he. agar ha to boss ke sath dua salam kare ya nahi. aur agar wo kare to kya karna chahiye.

Jawab: 459
Job kar sakte hain, jabki kaam jaiz ho aur zillat wala naa ho, khud salam ki pehel naa kare, aur wo kare to sirf وعليكم keh de, warna “good moring” jaise lafz ka istimal kare,

FATAWA RAZAVIYA Jild: 22 Safah: :378 par likhte hai,
Kafir ko salam haram hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 460
Hazrat kya artificial ke zewar aurten pahen kar namaz padh sakti hain. isme namaz hoti ya nahi hoti hai,

Jawab:460
Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami farmate hain,
(sone chandi ke alawa) doosre dhaat ki anguthi pehnna Haram hai maslan, loha petal, tamba jasta wagera, In dhaaton ki anghuthiya MARD wa AURAT dono ke liye  Najaz  Hai
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 426

Fatawa Bareily shareef me hai,
Loha wa tamba petal wa gilt ki anghuthi MARD AURAT dono ke liye Aur sone ki mardo ke liye najaiz wa HARAM Baz fuquah ne makruh likha hai lekin sahi yahi hai ki haram hai Inhe pehnkar namaz makruh tehrimi wajib ul iyada hogi, (yani ise pehn kar padhi gai namaze dohrani hongi)

Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 375 par hai.
Tamba pital aur lohe ke zewraat pehn kar padhne se namaz Makruh tehrimi hogi

Durr e Mukhtar me hai
کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani,  Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
Khulasa e kalam ye hai ki,
Sona chandi ke alawa kisi or dhaat ka zewar  aurat ko Pehnna jaiz nahi hai, Or agar use pehn kar namaz padhi jayegi  to wo namaze Fir se padhni hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 461
Hazrat, humko ye janna hai ki “kun fayakoon” namaz padhne ka tareeqa kya hai, or ye namaz  kisliye padhi jati hai ?

Jawab: 461 بسم الله الرحمن الرحيم
Mene is namaz ke bare me ek kitab me padha to tha magar ab kafi talash kiya magar mil nahi saki, agar jald mili or ap tak pahuchana mumkin raha or yaad bhi raha to me bad me arj kar dunga, (insha allah)
Ye namaz apni hajat ko pura karnke ke liye hoti hai, yani agar kisi ka koi kaam anjam naa pata ho ya koi hajat(wish) ho to ye namaz use pura karne ke lye kam aati hai, magar iske siwa bhi hadis me kafi aur namaze hain jo hajat ko pura karti hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 462
Hazrat, Fatiha karana kiya hadees se sabit hai, or koi Fatiha padne pe iman nahi rakhta ho to kya wo ghalat hai ?

Jawab: 462 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han fatiha karna hadis se sabit hai, or musalmano ko janna chahiye ki akhir fatiha kis chiz ka naam hai bahut wahabi fatiha ke naam par sunni musalmano ko gumrah karne ki koshish karte hai,
Haqeeqat me fatiha naam hai “isal e sawab” ka, yani musalman apne kisi bhi nek amal ka sawab kisi doosre zinda ya murda musalman ko isaal (transfer) kar sakta hai, jise urf e aam me fatiha kaha jata hai, 
Hadis me kisi aur ki taraf se haj karne ka saboot bhi maujood hai isi tarah kisi aur ki taraf se namaz padhne ka saboot bhi, yani agar koi musalman koi nek kam kare, (maslan, namaz, sadqa, ya khana bana kar musalman ko khilyae, ya quran padh kar bakhshe.) ise hi fatiha kaha jata hai, or jo deobandi kehte hai ki isal e sawab to jaiz hai magar khana age rakhna jaiz nahi, to unse kaha jaye ki thik hai aap khana age naa rakho magar fatiha to karo ? ab swab doosre ko pahuchta hai is byan me:
*Hadis shuabul iman : jab tum me se koi kuch khairat kare, to chahiye use ki (kuch) apne maa bap ki taraf se kare, iska sawab unhe milega aur iske sawab me bhi koi kami naa hogi,
*Hadis shuabul iman: murde ka hal qabr me doobte huye insan ki tarah hai, wo shiddat se intizar karta hai ki koi bap ya maa ya bhai ya dost ki dua usko pahuche, aur jab use dua pahuchti hai to wo uske liye duniya aur usme jo kuch hai isse behtar hoti hai,
*Ezan safah: 308 par hai: Jab koi shaks mayyit ko isal e sawab karta hai to jibrail alaihissalam use, noorani tabaq me rakh kar qabr ke kinare khade ho jate hai, or kehte hai, “aye qabr wale, ye tohfa tere ghar walo ne bheja hai qubool kar, aur ye sun kar wo khush hota hai aur uske padosi apni mehrumi par ghamgeen,
*Kashf ul khifa me ek hadis naql hai: jo qabaristan me 11 bar sureh ikhlas padh kar murdo ko iska sawab pahuche to murdo ke sawab ke barabar bhejne wale ko bhi sawab milega,
*Sunnan abu dawood me hai: Hazrat sa’ad bin ubada (radialla anhu) ne arz ki ya rasool allah meri maa ka intiqal ho gaya, kon sa sadqa afzal hai, farmaya PAANI unhone ek kunwa khudwaya aur  kaha ye umm e sa’ad ke liye hai,

Is hadis se bhi saf hai ki bad wafat kisi ki janib se nek amal kiya ja sakta hai, isliye musalman har juma ko meetha bana kar quran padhte hai aur us sab ka sawab apne marhoom ko bhejte hai, isi ka naam fatiha hai or to aur  Huzoor (عليه السلام) ne khane ko samne rakh kar bhi quran padha hai aur usme barkat hui ye hadis bhi bukhari me maujood hai, ahle sunnat ke sare mamle or dalil ke liye kitab “ ja-al haq” ka padhna fayedemand hai
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 463
Hazrat maine chattisgarh takiya paara durg ki masjid main dekha hai aur aqaid ahle sunnat aur anware shareeyat main padha bhi hai ki Siwaye magrib har azan aur jamaat ke darmiyaan salat *(assalato wassalam alaika ya rasool allah*) ya is tarah ke doosre kalimaat buland awaz main padhne chahiye
Lekin Hazrat maine us masjid ko chor kar aisa kahin nahin dekha na suna aisa kyon

Jawab: 463 بسم الله الرحمن الرحيم
Azan ya takbeer se pehle –(durood salam padhna jaiz hai), jiske jaiz hone me aajka nahi balki sadion purane ulama ka bhi fatwa maujood hai, or jo log ise najaiz kehte hai jahil hai, or ise “tasveeb” kaha jata hai, or tasveeb shariat me jaiz hai, or jo magrib me nahi padhi jaati wo islye ki magbir me azan ke bad takhir karna makruh hai isilyie foran waqt hote hai jamat qayam ki jaati hai,
Quran me allah ka irsha hai
“Allah aur uske firishte dorood bhejte hai us ghaib batane wale (nabi) par aye iman walo tum bhi un par durood bhejo aur salam KASRAT SE”

Is ayat se maloom hua salam padhne ki koi qaid nahi kasrat se padhna chahiye jab chahe to ye azan se pehle ho ya iqamat se pehle ya kisi bhi jaiz kam se pehle harj nahi,

Fatawa Amjadia Jild:1 Safa:56 par hai
Tasveeb ke mayene ye hai ki azan ke bad aur iqamat se pehle dobara namaz ka ailan kiya jaye taki jo log azan sun kar namaz ke liye nahi ayen unhe yaad aa jaye, or iske liye koi khas lafz nahi balki wahan ke logo ne jo lafz iske liye muqarrar kar liye wo jaiz hai,
(aur ahle sunnat me durood o salam hi mash’hoor hai)

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa:119 par hai
“salat o salam har waqt padhna jaiz hai lihaza har namaz ke bad, aur subha ki namaz ke bad bhi padh sakte hai”

Fatawa Faiz Ur Rasool Jild:1 Safah: 180 par hai
Azan wa iqamat se pehle durood padhna jaiz hai

Agar apne aisa kahi dekha suna nahi to bhi harj nahi aise kai masail hai jo apne nahi sune honge or kai chez hai jo apne nahi dekhi hogi, or mumkin hai ki apka wasta aksar deobandi masajid se padh jata hoga, warna aksar sunni masjid me allah ke karam se aaj tak durood o salam chalu hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 464
Bahut logo ko dekha jata hai raat me kachra phenkte hai ziyada tar, jab ke subha bhi fek sakte hai magar aisa nahi karte isme shariat ka kiya hukum hai, ?

Jawab 464 بسم الله الرحمن الرحيم
Rat me jhadu naa lagane ke bare me to padha hai magar kachra bhi rat ko fekna chahiye is bare me koi ibarat meri nazar nahi guzri, magar isme koi harj nahi nazar aata or ho sakta ho ki musalman ke is amal me koi hikmat zarur ho,  or wese bhi kachre ko zyada der rakhna bahut bimari hi karega, jaise kachra agar subha tak rakha jaega to shayad badbu de, or kabhi dekha bhi jata hai ki kachre me keere lag jate hai, aur aisa bhi hota hoga ki agar kachre ki balti bhari hogi to zarur billi, chuha use gira kar apne liye khana talash kare, jisse ghar me kachra phelne ka dar hota hai, kabhi aisa bhi dekha jata hai ki rat ko gosht khaya aur haddiya kachre ki balti me rakh di subha dekhta to balti ulti aur haddiya bahar milti hai, isse pata chalta hai ki ghar ke janwar use gira kar ganda kar dete hai, kyuni ye janwar rat ko hi nikalte hai aur ghar wale soye hote hai, isi dar se shayd log rat ko kachra nahi rakhte honge fek dete honge, or is fekne me hi bazahir fayeda nazar aa raha hai, or to ye meri naqis aqal ki soch hai ki shayad aisa hi hota ho, or ho sakta or haqiqt isse pare ho,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 465
Hazrat kiya hum gane ko gungana sakte he kuch mohabbat ke ashar bina dhol wagerah ke

Jawab: 465 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi, aur gana dil me nifaq paida karta hai, iman wale ko munafiqat ki janib le jata he, or bila wajah gair zaruri bat se bhi zuban ko band rakhna chahiye, log qiyamat me apni zuban ki waja se zyada nuqsan uthayenge, naat gunguna sakte ho, ayat wagera, or har wo lafz jo apke munh se niklega  wo firishton ke zariye se likh liya jayega, aur qiyamat me uska hisab dena hoga fir logo ke samne jab allah puchega ye mohabbat ke sher kyun aur kis liye gungunaye the to kya jawab hoga, ? aur kaisi ruswai.

Quran e Pak me tumhara RAB farmata hai, Surah 97 Ayat 08
“Aur jo ek zarra bhar burai karega use dekhega.”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 466
Hazrat islam me (92)or(786) no. ka kya matlab hota he

Jawab 466. بسم الله الرحمن الرحيم
786 bismillah shareef ke adad hain.  92  Huzoor (عليه السلام) ke naam e pak Muhammad (alyhisalam) ke adad hain.
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 467
Hazrat farz ki 4 rakaton me agar teesri rakat me galti se sureh fateha ke bad koi surah padhle to kya hukm hai ? sajda sahw ya namaz ko dohrana padega ?

Jawab: 467
Naa sajda sehab naa namaz ko dohrana padhega, balki namaz sahi hui koi harj nahi, aur agar farz ki chothi me bhi sureh fatiha ke bad surat milaye (jabki tanha ho) to mustahab hai,

Ala Hazrat Imam E Ahle Sunnat se isi ke mutaliq Suwal hua
Ki ek shaks farz namaz ki akhri do rakat me bhi sureh fatiha padhta hai aur surat milata hai, to uski namaz farz hui ya sunnat,
Iske jawab me AlaHazrat Muhaddis E Barelvi farmate hai,
“farz hui, aur namaz me kuch khalal naa aya, naa is par sajda sehev tha, Balki agar jaankar bhi farz ki akhri do rakato me surat milai to kuch harz nahi, sirf khilaf e aula hai, magar baaz aaimma ne ise mutahab hone ki tashri farmai,
(Fatawa Razaviya Jild: 08 Safah: 192

Mufti Waqaruddin Sahib Waqarul Fatawa Jild: 2 Safah: 69 par likhte hai,
“Farz ki teesri aur chothi rakat me sureh fatiha ka padhna mustahab hai”,

Yaad rahe ye hukm tanha namaz padhne wale ke liye hai, imam ko akhri do me qirat makruh he.

Khulasa e kalam ye hai ki agar koi tanha namaz padhe to charo rakat me tilawat kar sakta hai, or imam agar akhri do me qirat kare or muqtadi par giryan guzre to jaiz nahi..
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 468
kya imam aazam abu hanifa radiallaho anhu ne yazid ko kafir  kaha hai ?

Jawab: 468 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam e azam ne yazeed ko kafir Nahi kaha, aur sahih yehi hai ki yazeed musalman tha, magar fasik fajir badkar.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 469
Hazrat aurto ke parde ke bare me bataiye, ajkal mahol aisa he ki  wo apne cousin's se parda nahi kar pati he jabki wo log ek dusre ko Bhai, bahen hi samajhte ho, fir bhi kya cousins, bahnoi, devar se parda karna zaruri he, or agar aisa mahol ho ki usme itna parda possible na ho fir ?

Jawab: 469  بسم الله الرحمن الرحيم
Aurto ko har gair mard se parda farz hai, jisse bhi nikah jaiz hai usse parda farz hai, fir chahe wo apas me ek dusre ko behn bhai mane, or raha cousin se parda naa karna to ye ladki ki khud ki ghalti hai, sara mahol apne hath me hota hai, jab koi kutte ka gosht kana nahi chahta to dosra use khilane par majbur nahi kar sakta isi tarah agar koi ladki khud parda karne ki thhan le to sara mahol ban jata hai, ye ghar aur duniya ki pareshani garmi kuch nahi, har waqt qabr me utarne ko yad rakhna chahiye,
Agar ghar aisa hai ki parda mumkin nahi ho dupatta ko sara din namaz ka sa bandhe rakhe, aur aastin puri kalai tak, or is daur me chehre ke chhupane ko bhi ulama ne wajib kar diya to ab jawan aurat ko gair mard se chehra bhi chipana wajib hai, ye jo chacha wagera ke bache aate hai, to ladki ko chahiye ki khud waha se hat jaye magar dekha jata hai ki ladki khud bado ke bich me besharm ban ke bethi hi rehti hain jabki unka waha kuch kam nahi hota to rasoi me ja kar nashta ya dosre kamre me aurato ke sath beth sakti hai dua salam ke bad zarurat hi kya hai, cousin ki maujudgi me bethne ki, aur bekar hasi mazak aur bate milaane ki
Bahar E Shariat Jild: 1 Safah:479 par hai.
“sitr e aurat HAR HAAL ME wajib hai, chahe namaz me ho ya nahi, tanha ho ya kisi ke samne,”

Theek usi tarah ladki ye naa samjhe ki gair mard hame naa dekhe, ham to use dekh sakte hai, balki aurat bhi shehwat ke sath mard ki taraf nazar nahi kar sakti,
Mufti Amjad Ali Azami Bahar E Shariat Hissa 16 Safah: 86 par  farmate hai:
Aurat ka ajnabi mard ki taraf nazar karne ka wahi hukm hai, jo mard ka mard ki taraf namaz karne ka hai, “Naaf ke niche se gutno tak nahi dekh sakti”

Balki daur e purfitan me chahiye ki aurat ko dewar aur jeth aur sasur se bhi GOONGHAT rakhe, aur bezarurat unke samne bhi na aye jaye,
 Ek hadis me dewar jeth se parda karne ke bare me  Huzoor (عليه السلام) ne farmaya
“dewar jeth to maut hai”
Fatawa Razaviya Jild: 22 Safah: 217

God liye bache ko agar god lene wali aurat ne apna dudh naa pilaya ho to us aurat ke sage bache se bhi us god wale ka parda hoga, chahe ye use bhai behen samjhte ho,
Khulasa e kalam ye hai ki duniya zalim aur jahil se bhari hui hai, kal qiyamat me koi saga kaam na ayega, khud apni qbr ki tayyari me lage rehna chahiye, allah ki nafarmani me kisi ka hukm manna jaiz nahi,
Ab logo ki sharm se parda chor dene wali aurat ko khud soch lena chahiye ki jis kam ko allah wa rasool ne haram kiya use kisi ke liye bhi nahi kiya jayega, or kal qiyamat me kiya munh lekar apne rab ke samne jayegi, or kiya jawab degi, Rab hi razi nahi to duniye ki khushi or razamandi hasil karke bhi qiyamat me fayeda nahi hoga,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 470
Hazrat insan ko jo milta he duniya se kya vo usi ki kismat main hota he ya us ke amaal main ager jo kismat main likha hota he phir kaise insan gunhegaar hota he in baton ko samajh nahi pa rahe Hazrat

Jawab: 470 بسم الله الرحمن الرحيم
Bande ko allah ne majbur nahi banaya balki kuch ikhtiyar bhi diye hai, sahi ghalat bhi bataya hai, or khud fesla karne par chora, magar iska matlab ye nahi ki banda qismat ke hatho majbur hai kuch nahi kar sakta, qismat bhi haq hai, magar iska matlab hai ki  allah ko pehle hi sab kuch maloom tha ki kon kya karne wala hai fir wo uski qismat me likha , aisa nahi hai ki likhne se banda majbur hua ho. Balki wo jo karne wala tha allah ne jan liya or likha,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 471
Hazrat ek  shaks ne suwal puncha he or suwal ye h ki Quran azeem me aaya h ki shaheed zinda hain,  unko murda guman bhi na karo To unko Fatiha kyun karaya jata hai, iski kya haqeeqat hai Hazrat jisne ye suwal kiya h WO aalaHazrat k manne walo me se hain, sunni hain wo bol rahe hain unke man me ye sawal hai ,to apse punchne ko bole hain

Jawab: 471 بسم الله الرحمن الرحيم
Unke khyal me ye ghalat fehmi hai ki fatiha sirf duniy se jane walo ki hoti hai, balki haqiqat ye hai ki fatiha ek isal e sawab hai, yani ye zinda ko bhi ho sakta hai, aur murda ko bhi, yani agar me 4 qul padh kar apke nama e amal me bhej du to ye bhi ek fatiha ki qism hai, aur apke naam ki fatiha kehlai jayegi, to ab agar shahid zinda hai to bhi harj kya hai, apna sawab duniya se gaye aur maujood or ane wale sab ko bheja jaa sakta hai, (fatiha sirf murdo ki hi hoti hai, ye unki ghalatfehmi hai)
Quran me jo shaheed ko zinda kaha magar age ye bhi farmaya diya ki unhe rizk bhi diya jata hai “tumko khabar nahi” yani wo kis tarah zinda hai allah jane wohi unhe khilata pilata he, tum unki zindagi ko apni tarah naa jano balki unhe rizk bhi diya jata hai tumhe khabar tak nahi, aur bad wafat ki zindagi ka andaza is tarah ki hayat se nahi lagaya jata, kyunki duniya me ham apne rizq ko kisi ko bhi de sakte hai, aur kisi ka rizq bhi le sakte hai, ab quran kehta hai ki shahid ko bhi rizq milta hai to kya koi uska rizq bant sakta hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 472
Zaid ne kaha "customer to bhagwaan ka roop hai" Zaid pe kya hukm e sharai lagega?

Jawab: 472  بسم الله الرحمن الرحيم
Customer ko bhagwaan ka roop kehna kafiro ka jumla hai, agarche ye koi unka mazhabi shiar nahi, or musalnan ke liye inme kai pehlu nikal sakte hai, sirf gunah ke bhi, mubah ka bhi, or kufr ke bhi,
To behtar hai, zaid ne puri baat kya kahi tafseelan arz kari jaye, yani is jumme se pehle or bad ki kya baat hai, warna, zaid pas ke kisi aalim e deen ke pas rujku karke, apne upar hukm e shara puch le, behrhal aitiyatann tauba me harj nahi aur ainda baz rehne se,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 473
Hazrat ye jo ajkal aurate, ladkiya bazar me burqe to pehnti hai magr chehra khula rakhti hai, kya ye sahi he. gair mard ke samne chehra khol sakte hen. aur agar kisi se kaho ki chehra na kholo to kehti hen shariat ne chehre kholne ki ijazat di he. aap bataye kia sahi he.

Jawab:473 بسم الله الرحمن الرحيم
Pardadar chehre ko chamkata hua, jhuthe pardo par qeher barsata hua.
(Radd ul hijaab bil batil Niqab)

“Sabhi mali faili ibadat usi azmat wale shohrat wale izzat wale zameen aur asman ke noor (allah) ke liye, jo chamkayega, qiyamat me chehra apne karam se is tehrir ke likhne wale ka, aur padhne walo aur khas kar amal karne walo ka, unke sath jinke sath wada kiya gaya ki kuch chehre hashr ke maidan me chamakate honge, aur durood o salam ho beshumar beshumar us noorani chehre wale ke liye, jinki aulad dar aulad ko imam e ahle sunnat ne “noor” farmaya, aur tamam sahaba aur ahle bait par jinhone gawahi di ki  Huzoor (عليه السلام) ka chehra 14 ke chand se zyada chamakdar tha,”

G, han, Purfitan daur ko dekhte huye ulama ne chehre ko chhipane ko wajib likha hai, Main kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki sara kamal aur wabal chehra ka hi hai, chehra hi bhata hai, aur chehra hi doobata hai, aur kal dozakh me bhi kuch aurate apne chehre nochti hogi, magar kuch ke chehre to noorani honge, to fir meri is baat me kuch mubalghna nahi. Agar me kahu ki. “Husn ka dar o madar chehre par hai, jo gair mard se husn ko chupana chahe use chahiye ki chehre ko chipa le”

Fatawa Razaviya Jild: 14 Safah: 552 par hai,
“(ulama ne) chehra chhipana sadi awwal me wajib naa tha, wajib kar diya”.

Hidaya me hain: سدل الشیئ علی وجھھا واجب علیھا yani: Chehre par parda latkana aurat par wajib hai”
Sharah libas me hain: دلت المسئلۃ علی ان المرأۃ منھیۃ عن اظھار وجھھا للاجانب بلاضرورۃ
yani:ye masala is bat par dalalat karta hai ki aurat ko bila zarurat ajnabi logo par apna chehra kholna mana he”

Durr E Mukhtar Sharah Tanweer Ul Bashar: تمنع من کشف الوجہ بین رجال لخوف الفتنۃ
yani: “fitne ke khauf se auraton ko mardo me chehra kholne se roka jaye.

Is qism ke secro masail hai jise ulama ne waqt ki nazakat ke teht badal diye, aur jo kahe ki ye  Huzoor (عليه السلام) ke waqt me nahi tha ya shariat me pehle nahi tha ab kyun to wo jahil hai kyunki is tarah ke hukm shara ke khilaf nahi balki ain shariat hi ke mutabiq aur  Huzoor (عليه السلام) ke farman hi ke mutabik hoga,
Aur agar koi ahmak aurat jo ahkam e sharia se bekhabar ho aur yu kahe ki jab daur rasool me chehra chipana wajib nahi to ab kyun? To iska jawab ye hai ki daur e rasool me to aurate masjid me bhi namaz padhti thi, balki  Huzoor (عليه السلام) ne farmaya: اذا استأذنت احدکم امرأتہ الی المسجد فلا یمنعہا
Yani: “jab tum me se kisi ki aurat masjid jaane ki ijazat mange to use mana naa karo,”
(is hadis ko Bukhari Aur Muslim ne bhi riwayat kiya)
Aur Fatmaya Hadis e pak me: لاتمنعوا اماء اﷲ مساجد اﷲ yani: “allah ki kanizo ko allah ki masjidon se naa roko” (is hadis ko bhi Muslim Aur Abu Dawood ne sunan me naql kiya)

Magar aaj koi aurat nahi kehti ki masjid me jamat se namaz padhna chahti hu, kyunki wo to pehle hi ghar me bhi namaz padhna nahi chahti or namaz me kasrat hai wuzu aur hath per hilane ki, or chehra dikhane me husn ka dikhawa zinat ka izhar he koi kasrat mashakkat nahi balki dil ko bhata hai ki gair hamara husn dekhe. To khud gaur karle ki nafs ki ghalbe ki khatir chehra kholna chahti hai ya shariat ke khatir, isilye tarah tarah ke heele karti hai or nafs par foran shariat aur rasool ka daur yaad aa jata hai,  jamat se namaz par kabhi naa aya, pehli sadi me auraten masjid jati magar bad me waqt ki nazakat ke tehet daur e farooq e azam me ise bhi band karna padha, us waqt kya Hazrat umar aur Hazrat ayesha ko ye nahi maloom tha ki wo aise kam par pabandi laga rahe hai jis par habeeb e khuda ne pabandi naa lagai, nahi nahi hargiz nahi,
Balki Hazrat ayesha ne farmaya:
لوا ن رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم رأی من النساء مارأینا لمنعھن من المسٰجد کما منعت بنواسرائیل نسائھا
“ Huzoor (عليه السلام) hamare zamane ki aurato ko dekhte to unhe masajid jane se mana karte, jaise bani israil ne apni aurato ko mana kar diya,”

“Is farman se ye sabit hai  Huzoor(عليه السلام) bhi hote to us daur ko dekhte huye zarur yahi hukm dete jo hamne diya”

Is hadis e pak se chamakte chehre ki tarah saaf ho gaya ki ulama ka koi farman khilaf e rasool nahi hota balki ain hukm e rasool par hota hai, uske bad aaj tak ulama ne aurato ko masajid ki hazri se baz rakha, kyunki ab to daur usse bhi zyada aag barsane wala hai,

Fatehul Qadeer me hai: عمم المتاخرون المنع العجائز والشواب فی الصلوات کلھا لغلبۃ الفساد فی سائر الاوقات
Yani: “fasad ke ghalabe ki wajeh se tamam waqton ki namazo me jawan budi aurato ka nikalna mutakhrin ne mana farmaya hai”
Fiqh ka ek qaida bhi hai ki: “zamane ki tabdili ke sabab ehkam ki tabdili ka inkar nahi kiya jaa sakta
Khulasa e kalam aur meri raye bhi yahi hai ki, har mard par lazim hai ki wo gair ke samne parde ke sath sath apni aurat ko chehra chipane ka bhi hukm de, aur jo ye kuch niqab hote hai jisme ankhe khuli hoti hai, mere nazdeek iska pehnna bhi napasndida hai, balki ankho sahit pura chehra dhaka hona chahiye, iski ek khas wajeh hai ki chehra chipane ka hukm islye hai ki “naa rang dikhe na umar” magar niqab me akhe khule rehne se aurat ki umar aur rang ka andaza ho jata hai or ye bhi ki jawan hai ya budhi “BAS YE DIL ME FASAD PAIDA KARNE KE LIYE KAFI HAI” to chahiye musalman izzat wale mardo aur aurato ko ki bazaro aur gair mard ke samne mukammal parda kare yani chehra bhi chhipaye aur ankhe bhi dhak kar rakhe, aur ghar me rehte huye ghunghat kara jaa sakta hai isme dushwari nahi hai, agar koi karna chahe, or mujhe hairat hai daur rasool me to sahabiya raat raat bhar namaz padhti thi, roze rakhti thi, is kam ko lekar wo daur yaad kyun nahi aata ki ham bhi rato ko aram naa karke namaze padhe ?, daur yaad aya to chehre ke kholne par?

Is kalam ko padhne ke bad kahenge kuch bebaaq log ki “parda ankho ka hai” fir me kahunga ki agar is daur me logo me haya zyada aa gai kya us pehli sadi me haya wale nahi the, or mumkin he fir koi bebaq bol bethe ki “dil saf hona chahiye” to mera jawab yahi hoga ki jab Hazrat ayesha  Huzoor (عليه السلام) ke mazar par hazir hoti to (parde ka khas khyal naa rakhti) farmati ye mere shohar hai, fir jab Hazrat abu baqr  Huzoor(عليه السلام) ke qadmo me dafan huye to bhi yahi hal tha kyunki ab ek shohar ek walid the, MAGAR jab Hazrat umar ka mazar bhi wahi bana to khud dhak chip kar ane lage, KYUNKI HAZRAT UMAR GAIR MARD the, fir wahi baat, kya Hazrat e umar se ziyada izzat wale is zamane me aa gaye ya Hazrat ayesha ki zyada haya wali aa gai, jo tumhare sirf dil ka parda kafi hai, kahi iska matlab ye to nahi hai, ki aap sabit karna chahte ho ki aap un Hazrat se zyada nek ho ?

Allah ta’ala se dua hai ki wo is kalam me chhipe asli maqsad me qamyabi de, aur musalman aurato ko ise samjhne aur dil se qubool karne aur amal karne ka jazba de, taki kal chehra khuda ke samne dikhaya ja sake, aur ghar me dewar, jeth cousin se bhi goonghat karne ki tofiq bakshe, or agar koi aisa kare to beshak zyada sawab ki haq dar hogi,

Tumhara Rab farmata hai Quran Surah: 99 Ayat: 7 me
“to jo ek zarra bhar bhalai kare use dekhega”

Aur farmata hai Surah: 94 Ayat: 5-6 me
“to beshak dushwari ke sath asani hai, beshak dushwari ke sath asani hai”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 474
Kuchh ghalat likha ho to mafi chahta hu, me ye jaanna chahta hu  Hazrat, Pehli Ratt koi bhi Mard apni Bivi ko Quran-e-Pak as a Gift (tohfe ke tor par) de sakta he ?

Jawab: 474 بسم الله الرحمن الرحيم
G, de sakta hai, harj nahi, balki me to ye kahunga ki quran ke sath, kuch kitab jaise “JANNAT ZEWAR” “QANOON E SHARIAT” “PARDE KE BARE ME SUWAL JAWAB” bhi de to or behtar hai
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no .475
mujhe Hazrat ye poochna hai ke Jumme ki Nmaz ke liye do Azaanen kiun hoti hain ? Or kya hukm aaya he

Jawab: 475 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi bhi masale me “aisa kyun he” ka jawab bahoot mushkil hota hai, or ye suwal gair zaruri tha, do azan e hona hadis se or  Huzoor (عليه السلام) ke daur se sabit hai, bas ispar amal karne se sawab mil jayega wajah janne ke liye darul ifta se rabita kare, or azan bhi masjid ke bahar hoti thi, andar nahi, or apke suwal gair zaruri zyada paye jate hai, is bat ka khyal rakhen,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 476
Hazrat Sanad kise kahte hain ?

Jawab: 476 بسم الله الرحمن الرحيم
Ilm e hadees ki istilah me sanad hadis riwayat karne wale rawio ki fehrist ko kehte hai, yani jahan se arabi hadis (farman e mustafa) shuru hota hai use “matan” kehte hai usse pehle “sanad”
(jaise-mene fula se suna, usne fula se byan kia usne fula se riwayat kiya usne fula se...ye sanad he)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 477
Kya ham sirf azan ya takbeer ke dauraan hi “ashuhadoanllailaha illallah” kahene par hi kalime ki ungli uthye Aur aisa ham kyon karte hai ?

Jawab: 477 بسم الله الرحمن الرحيم
Azan ya takbir me ye ikhtiyar hai uthana zaruri nahi, aur namaz ke qada me tashahud me sunnat hai, iske siwa bhi uthane me harj nahi, or ye hath ke ishare se gawahi dena kehta hai ki “koi mabood nahi ‘magar (ek) allah ke’, Azan aur takbir ke alawa bhi is fel me harj nahi, maslan namaz me qiyama ki halat me sana padhte waqt  sana me jo kalima لا اله غيرك aye to namaz me halat e qiyam me bhi ungli utha sakte hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 478
hum azan ke darmiyan ya kahin  bhi jab Huzoor-e-aqram sarkar-e-do aalam sallallaho alaihewasllam ka naam aata hai to apne hanth ki ungliyon ko bosha kyon dete hai ?

Jawab: 478 بسم الله الرحمن الرحيم
 Huzoor (عليه السلام) ke naam e pak par angutho ke nakhun ko bosa de kar ankho se lagana bilkul jaiz hai, aur iske jaiz hone ke liye itna kafi hai ki shariat me ye mana nahi, aur jo kam shariat me najaiz nahi hota wo fi nafisi jaiz hota hai,
Ye fel hadees zaeef se sabit hai aur ummat ka is par amal hai, zaeef hadis amal me laai jaa sakti hai, aur ummat ke kaseer amal se wo hasan bhi ho jati hai,
Hadis: siddiqu e akbar ne mazzin ko اشھد انّ محمداً رسول اللّٰہ kehte suna (dua padhi) aur dono kalime kie pore choom kar aankho se lagaye, is par  Huzoor (عليه السلام) ne farmaya, jo aisa kare jaisa mere pyare ne kiya, uske liye meri shafa’at halal ho jayegi

Fatawa Razaviya Jild:05 safah: 433 par hai
Mulla Ali Al-Qari ne Farmaya:
قلت واذاثبت رفعہ الی الصدیق رضی اللّٰہ تعالٰی عنہ فیکفی للعمل بہ لقولہ علیہ الصلاۃ والسلام علیکم بسنتی وسنۃ الخلفاء الراشدین
Siddiqu e akbar se is fel ka saboot amal ke liye kafi hai,  Huzoor (عليه السلام) ne farmaya, main tum par lazim karta hu apni sunnat aur apne khulafa e rashideen ki sunnat”

To siddiq e akbar se kisi chiz ka saboot  Huzoor (عليه السلام) se saboot hai,
Imam asqalai ne farmaya: لایلزم من کون الحدیث لم یصح ان یکون موضوعا
Hadis ke sahih na hone se mozu hona lazim nahi ata

Or muhaddiseen ne farmaya ki ye hadis sahi nahi to, hadis ka sahi naa hona uske jhuthe hone par dalalat nahi karta, sahi nahi maslan, hasan bhi ho sakti hai, or ghareeb bhi or zaeef bhi,
Jis tarah kaha jaye ki ye mithai bahut behtar nahi”, to iska matlab ye nahi ki wo mithai kharab hai, matlab ye ki zyada lazeez nahi magar mithai sahi hai or khai jaa sakti hai

Thik usi tarah ye anghuthe chumne ki hadis zaeef hai magar, is par amal mustahab hai, balki siddiq e akbar ki sunnat hai. aur musalman ispar amal sawab aur mustahab ki niyat se karta hai

FIQH KA QAID hai:
“musalman jis kam ko acha samajh kar kare wo allah ke nazdeek bhi pasandida hai”

Bas kon musalman is fel ko tazeeman nahi karta ? har koi ye fel sawab aur mustahab ki niyat se hi karta hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 479
Hazrat agar kisi ka talaq hota he jab koi aur ladka jab ladki ko talaq deta he agar wo muh se na kahe aur  talaq papar pe signetur kar de to talaq hoga ya nahi ?

Jawab: 479 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han, puchi gai surat me shohar agar likh kar bivi ko talaq bhijwaye to bhi talaq ho jayega, aur likh kar bhejna bhi zaruri nahi naa bhej paye tab bhi ho jayegi, ya kisi se kaha ki meri bivi ko talaq likh de aur usne naa likha tab bhi talaq ho gai, kyunki ye likhwane ka izhar talaq dene par dalalat hai,

Durr E Mukhtar, Fatawa Alamgiri Wa Bahar E Shariat Jild:2 Safah:113-114 par hai
(talaq) kagaz ya takhti wagera par aur talaq ki niyat se likhe to (talaq) ho jayegi, aur agar likh kar bheja jab bhi ho jayegi, aur agar naa bhi bheje jab bhi is surat me (talaq) ho jayegi,

Isi me age hai
“doosre se talaq likhwa kar bheji to talaq ho jaygi, likhne wale se kaha meri aurat ko talaq likh de to ye talaq ka iqrar hai, yani talaq ho jayegi chahe naa likhe”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 480
Hazrat. Agar kisi ko koi Hajat (murad) ho, uske liye koi amal, dua bata dijiye ?

Jawab: 480 بسم الله الرحمن الرحيم
Hajat ke liye do amal apki bargah me arz hai, jo munasib ho kare, (warna dono alg alg waqto me kare yani ek ka waqt subha tey kar le ek ka sham ko)
Amal no.1
Din me kisi bhi waqt or behtar hai ki, rat ko sone se pehle, 874 bar - الله ربي لا شريك له(allahu rabbi la
shareeka lahu) awwal akhir durood bad wazifa apne maqsad ki dua kare, or so jaye or isi kalime ko pure din uthte bethe chalte firte dil hi dil padhte raho,
(note: islami behne is amal ko haiz ke dino me bhi wazife(dua) ki niyat se padh sakti hai, band naa kare)

amal no. 2 sureh falaq 30 bar din me kisi bhi waqt roz ki pabandi kar liya kare, (ye wazifa rizq me barkat ke liye bhi padha jaa sakta hai wahi 30 bar, din me kisi bhi waqt)
(note: is amal ko halat e haiz me aurat naa kare, agar kare to pehla lafz “qul” na padhe age se padhe”

Note:
(jo bhi wazifa kare uske bad apne jaiz maqsad ke liye dua kare, padhne se pehle kisi sahi quran padhne wale ko suna de, warna lafzo ki ghalat adaigi se nuksan ka khatra paida ho sakta hai, har wazifa shuru karne se pehle namaz ki pabandi shart hai, or har tariqe ke gunah se bachna bhi lazim, maslan gane, tv, gheebat, wagera, aur aurate sharai parda kare, warna wazifa asar naa layega,)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 481
Hazrat jo aurte apne parivar ko chhod kar mazar pe mujouri karne lagti hen, ya kuchh aurte shadi nahi karti wo bhi muzauri karti he Hazrat kya wo sahi kar rahi hain.

Jawab: 481 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal se mujhe ye samajh aya ki mazar par bethne ka kam karti hai yani faqeeri rasta apna leti hai,
Agar me sahi samjha to ye aurat ko is tarah faqir banna jaise ki ajkal aam hai haram hai, aur isme kai kam gunah ke shamil hai maslan, beijazat ghar se nikalna, mazar par hazri, mardo ke bich bethna, fir chahe waliden ki ijazat ke sath ho ya unke khilaf, isi tarah aurat ka peeri muridi karna bhi batil hai, aur shadi naa karna gunah nahi, magar baz surato me shadi karna wajib ho ja ta hai or baz me farz to agar, shadi karna aisi aurat par wajib ya farz hai to zarur, naa karne ki bina par gunahgar hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 482
Hazrat munkir ka kiya matlab hai ?

Jawab: 482 بسم الله الرحمن الرحيم
Inkaar karne wala
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 483
Hazrat jamaat ke waqt jo safe lagai jati hai masjid khali hone ke bawjood (2)piller ke bich safe lagana kaisa hai ?

Jawab: 483 بسم الله الرحمن الرحيم
Jahan tak mumkin ho to saf ko tarteeb ke mutabik hi pura kiya jaye maslan pehle saf awwal ko fir ane wala saf awwal mukammal hone ke bad hi doosri saf banaye, or agar masjid me piller is tarah hai ki namazi sahi se ruku sujood nahi kar sakta to waha jagah khali rakhne me harj nahi, warna koi samjhdar bachche jo waha asani se namaz padh sake to khada kar sakte hai, behrhal agar koi agli saf chor kar bhi Peechhe khada ho gaya namaz ho jayegi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 484
janab ye Hisaar ye qadri kya hai aur kis trah hisaar kiya jaye ?

Jawab: 484 بسم الله الرحمن الرحيم
Hisaab bamayene- charo taraf gol ghera banane ke hai, aur aamileen ki istilah me hisar kehte hai,
Kisi amal ya chille ya wazife se pehle dua padh kar apne upar dam karne ko ya charo taraf hisar karne ko jise amal ke dauran kisi bhi shey ya nuksan se bacha jaa sakta hai, hisar kai tariqe se kiya jaata hai, or kai buzurgo ke alg alg mamulat hai,  11 bar ayat ul kursi se bhi hisar ho sakta hai, (suwal me dusri chiz qadri meri samajh me nahi aaya)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 485
Hazrat main ap ko ek copy bhej raha hu rehnumai farmayen badi mehrbani hogi
Sawal: Mufti sahab qibla ham ne ek bana hui ghar kharida .takriban ..3 saal ho gaye, Jis me takriban 2 saal koi problem  nahi thi ..ab ek saal se koi na koi bimar rehta hai ..chhat pe awaaz aati he..darwaja ..peetne ki awaz 2 teen baar aai he ...aur kabhi kabhi meri ammi ko ghar ke kisi afrad ki awaz me awaz se bulata he.  Ammi ko 4 mahine se bukhar nahi ja raha he aur bhi bahot kuchh ghar me kisi na kisi ke sath hota rahta he..Hazrat aisa kiyu he ..aur hame keya karna chahiye  jis me..41 deen surah baqra shrif ki tilawat bhi karwai ghar ki bandish. Bhi karwai ..khatme qadriya bhi karwaya.?
Huzoor koi aisa tarika baatye jis me kamyabi mile.plz ?  bahot bahot paresan hu .. Aap ki bari mehrbani hogi. ?? 
Jawaab (mufti sahib): Namaz o Roze ki Pabandi karen aur Har Namaz ke Baad Hisaar e Qadri parh kar hisaar kar liya karen

Jawab: 485 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo jawab mufti sahib ne diya apni jaga durust hai, agar kamyabi nasib nahi hui to padhne padhane me zarurt khata hai, aksar aisa hi hota hai ki log sahi lafzo ke sath quran padhna nahi jante isilye kisi dua ka asr nahi hota, ye zarur kisi jinn ki shararat maloom hoti hai,

*Ap in kamo ko anjam de pehle to kisi  safed paper par 35 bar bismillah shareef likh kar ghar me latka de, (magar likhte waqt zer zabar lagane ki zarurat nahi, meem ke dayere(gole) khule hone chahiye, wuzu ke sath likhna hai or bismillah padh kar shuru karna he),
*Or sureh jin 40 din tak ghar me padhi jaye (magar padhne wala sahi padhna janta ho)

*Madani panjsura, warna kisi bhi kitab me “shash kufl” naam se 6 dua hoti hai jo sirf 1 -1 line ki hoti hai,
ise har rat sone se pehle us ghar me padha jaye,
aur din me kisi bhi ek waqt yahi padh kar bukhar wali aurat ke kan me dam kar diya jaye, insha allah bukhar bhi jayega aur aseb ki zadd me hogi to wo bhi dafa hoga,

ap apke ghar ke liye ek ek asan amal, (magar shart ye hai ki namaz ki pabandi ho or sahi makharij se padha jaye, warna kisi masjid ke imam se padhwa kar pani pe dam karaya jaye)
ek bar sureh fatiha
ek bar ayat al kursi aur
sureh jinn ki shuru ki 5 ayat, padh kar kisi pani par dam kar den, us pani ko makan ke andar charo taraf chhirak den or bahari diwar par bhi, chhat par bhi insha allah kuch waqt isi amal se zarur fayeda hoga)

(note: pani diwar par dale magr itna zyada nahi jo beh kar naali me jaye isi tarah bahar ki diwar aur chhat par bhi sirf chhirkaw kare taki pani bahana nahi he)
Ap pure etmad ke sath in kamo ko anjam den, allah kamiyab kare.
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 486
Hame Apse ilm e deen aur masail ka bahut fayeda hua. mgr aaj ek masala samajh nahi aya ki. namaz me jab sana padhte he to usme. ASHHADU AN LA ILAHA ILLAL LAHU. par ungli utha sakte hai. ya nahi. 
Hazrat Apne suwal no. 477 me likha he sana me bhi ungli uthana chahiye. magr Hazrat maaf karna. ye aajtak na kisi ko karte dekha naa kisi se suna magr zindagi me pehli baar hi apse suna. hame apke ilm par shak to nahi magr mujhe lagta he apne likhne me ghalati kar di shayd. baraye karam fir se bataye sahi he yani sana padhte waqt ungli utha sakte hai..

Jawab 486 بسم الله الرحمن الرحيم
Mene 477 ke jawab me likha hai ki “ungali utha sakte hai” ye nahi likha ki “uthani chahiye”
“Sakte hain” aur “chahiye” me farq hota hai,
Aur ye baat sahi he, maine jawab me koi khata nahi ki,
Namaz me qiyam ke waqt sana padhte huye  لا اله غيرك par ungali utha sakte he ye behtar hai, (wajib nahi),
Aur Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami (Ahairirehma) ne ise behtar likha hai, aur mera barso se isi par amal bhi hai har namaz me tanha ho ya jamat se farz ho ya nafil
Ye bat bhi durust hai, ki apne ye baat shayad kahi na suni padhi ho, magar kuch masale aise hote hai jinhe awam me byan karne se fitne ka khauf hota hai, agar ye baat bahar aam byan ki jaye to zarur log bate banayenge ki ye nai bat hai, isliye behtar hai, aap kisi kam ilm ko byan naa kare, or dil gawahi de to khud bhi amal kare, jis tarah me karta hu,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.487
kiya is tarah ke sms kisi ko bhejna chahiye
allah ke ye 5 naam 10 musalmano ko bhejo apki koi badi pareshani hal ho jayei,
(1). Ya allah
(2). Ya kareem
(3). Ya awwal
(4). Ya akhir
(5). Ya mujeev
“aazma kar dekh lo”

Jawab: 487 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi jahil ke zariye sunni musalmano ko gumrah karne wali baat hai, shariat me iski asl kisi buzurg se bhi sabit nahi, ise aage bhejna nahi chahiye, or jiske pas aise msg aye wo bhejne wale se is baat ki dalil ya hawala mang le, ye msg bhejne wala MAR TO JAYEGA magar ise haq, kisi buzurg ke qaul se bhi sabit nahi kar payega
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 488
Hazrat kya udhar liye paise raat main nahi diye jate he kya is ke bare main bhi hadees main he?

Jawab: 488 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye sab kam ilmi ki baat hai, mujhe aisi koi hadis yaad nahi, balki hadis me to ye riwayat mojood hai jiska mafhoom hai ki karze ko jaldi ada karo, koi agar shaheed bhi mare or karazdar ho to jannat se bhi rok diya jayea, (jab tak uska qarz ada naa ho ya maaf naa ho)
Is hadis se to karza jald ada karne ki takeed hai, bagair din o rat ki qaid ke,
وﷲ تعالٰی اعلم

ASSALAM ALAIKUM
ALLAH PAAK apane pyare RASOOL(S.W) ke sadqe me apko salamat rakkhe aur bhi zyada ilm ata farmaye..
Sawal no. 489
Kya islam me kisi ladke ko ladki ya ladki ko gair ladke se mohabbat karna mana he ? Ya agar kisi ko mohabbat ho jaye kisi se to kya kare ? Ya Uske liye dua talab kar sakta he ALLAH se ?

Jawab: 489 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام 
أمين
Is suwal ka Jawab likhne se pehle me ye zaruri samajhta hu ki aapko ek badi khata se agah kiya jaye aur wo ye ki Suwal me apne naam e RASOOL ke bad durud ko short me “S.W” likha gaya hai is tarah likhna najaiz hai, baz log sirf (swad) likh dete hai, ye bhi naa chahiye, Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi
FATAWA RAZAVI Jild: 23 Safah: 386 par likhte hai
Huruf (ص) likhna jaiz nahi, balki صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم likha jaye,  to roman English me aap (alaihissalam)… likha kare. (allah amal ki tofiq de).. ab jawab ki taraf

Jawab: 489 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo muhabbat is daur me hai yani ladka ladki ek dosre ko dekhte hai, fir phone, fir ghoomna firna, wagera wagera to ye haram hai iski ijazat nahi, magar islam me mohabbat mutlaqan haram nahi,
Yani kisi par ek nazar padhi or ek hi nazar me mohabbat ho gai to ye jaiz hai, aur fir ghar walo se bat karke shadi ki jaa sakti hai, magar jabki iske baad bat, ya ghoomna, milna na  hua ho, ya is tarah kisi se mohabbat hui ki,  kisi ke taqwe ya parhezgari ibadat ya ilm ya parda ya achi khaslate logo se sun kar uske liye dil me mohabbat paida ho gai to bhi jaiz,  magar usse rabita naa qayam kiya jaye na iski koshish ki jaye, fir ise duniya se chhupa kar bhi rakhe, or shadi karna chahe to ghar walo se bat kare,
Balki hadis me ye aisi mohabbat me marne wale ko shaheed kaha gaya hai, yani kisi ne mohabbat ki aur use logo se chhipaya ho aur mar gaya to shaheed hai, (magar daur e hazir me aisi mohabbat kam hai ki ek doosre ki parhezgari ya ilm ya taqwe ya ibadat ki wajah se bina dekhe mohabbat hui ho, balki aaj dekh kar hi mohabbat hoti hai, ye najaiz hai)

Apne ghar walo se bat karke shadi karne me harj nahi. Aur dua is tarah ki jaa sakti hai, ki ya allah agar tu mere haq me behtar jane to is kam ko khair se anjam tak pahucha” or is tarah allah se dua karna mana hai jis tarah logo se bat karte hai yani “aye allah meri shadi fula ladki/ladke se karwa de” ye beadabi he
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 490
Asslam wale kum
please kiya Quran pak ko mobile me  rakh sakte he ?

Jawab: 490 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام
G, Han Gunah Nahi, rakh sakte hai, or bewuzu chhu kar padh bhi sakte hai ye screen ke sheeshe ko chhuna hoga quran ko nahi, magar adab mobile ke padhne me bhi zaruri hai, maslan per upar karke, let kar, naa padhe ya baitul khala me open karke bhi naa dekhe naa dil me padhe, wagera wagera.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 491
Mohabbat karna fair ladki se jaiz he ki nahi ?

Jawab: 491 بسم الله الرحمن الرحيم
Is suwal ki tafseel jawab no. 489 me dekhen,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.492
Hazrat kya aap ke ilm ke khazane me koi aisa wazifa bhi he jisse chehre ka rang saf ho jaye noorani. jaise masha allah apka chehra hai. apka chehra alaHazrat ke is sher ki tashreeh krta hai. "teri nasale pak me he bacha bacha noor ka tu he aine noor tera sab gharana noor ka" koi wazifa jisse chehra apki tarah ho jaye...

Jawab: 492 بسم الله الرحمن الرحيم
Sureh noor ki ayat 35 ka ibtidai hissa yani الله نور السموات والارض  tahajjud ki namaz ke bad 500 bar padh liya karo, kafi hoga....
“aye RAZA ye ahmad e noori ka faiz e noor hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.493
log kehte he allah or bhagwan ek hi bat he allah kaho ya bhagwan malik to ek hi he. kia Hazrat ye thik he aisa keh sakte hen.

Jawab: 493 بسم الله الرحمن الرحيم

Allah aur bhagwan ek nahi naa allah or ram ek hai, allah ko bhagwan batana kufr hai jo aisa kahe ki allah hi bhagwar ya ram or allah ek hi chiz hai, wo islam se kharig hai, or uske sare nek amal barbad ho gaye shadi wala tha to aurat uske nikah se nikal gai, kufriya aqeede se sachi tauba kare or ainda aisa ghuman bhi naa kare or kalima padh kar musalman bane, agar fir bivi rakhna chahe to nikah kare, aur agar aisa aqeeda rakhne wala baz naa aye or bhagwan ya ram ko allah hi mane or ussi kufr par razi rahe to aise shaks se musalmano ko byecott karna chahiye, naa isse salam kare, naa dawat me bulaye na jaye, aur naa iske sath shadi biah ka mamla rakhe.

Fatawa Shareh Bukhari Jild:1 Safah: 246 par hai,
“allah ko bhagwan kehna kufr hai kehne wale par tajdid e iman aur nikah lazim hai, ishwar kehna bhi jaiz nahi, hinduo ne bahut se alfaz khas kiye hai, unme se kuch kufr hai, HARAM SABHI HAIN,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 494
haztat kuchh aurto ko dekha he jo hinduvana tor rariko pe chalati hain jaise sadi pehnti hain bindiya lagati hain nelpolish lagati hain ye sab karne wale sahi ya nahi ?

Jawab: 494 بسم الله الرحمن الرحيم
Saari pehnna fi nafshi jaiz hai, jabki gair mard ki nazar me naa aana padhe maslan ghar par shohar aur chote bache ya musalman aurate ho to, warna sitr ka khulna haram hoga,

Bindiya lagana urf par mabni(based) hai, agar waha ki aurate lagati ho aur doosri aurate use dekh kar kanafusi naa kare to harj nahi, magar saari ke sath bindiya lagana aur sakht hai,  or bindiya lage huye wuzu nahi hoga,

Nailpolish ke mutalliq ek suwal ke jawab me
Mufti E Azam Hollend Mufti Abdul Wajid Qadri Fatawa Europ Safah: 107 par likhte hai
“lipstick aur nakhoon polish jisme haram aur napak cheez ki milawat ho, unka istimal musalman aurato ke liye haram hai,  aur iske lage rehne ki surat me naa wuzu sahi na ghusl aur naa namaz,
Ha agar iske sath formula bhi maujood ho jisse zann ghalib ho ki isme koi haram chiz ki milawat nahi to iska istimal aurato ke liye jaiz hai, weh saman e zeenat hai aur aurato ko zeenat rawa(jaiz) hai,”

Han, agar lipstick aur nail polish ki parat wuzu me hont aur nakhoon par pani behne se rokti hai to wuzu ghusl me ise saf karna hoga, warna ye taharat me rukawat hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 495
kia ham gande janwar ka naam lenge to kya hamari  zuban napak ho jaye. log kehte he iska nam nahi lena chahiye. zuban bhi napak hoti he..

Jawab: 495 بسم الله الرحمن الرحيم
Sureh Maida Ayat:3 me Irshad Rabb e Qayenat hai:
“tum par haram hai murdar aur khoon aur SUAR ka gosht”

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“suwal me apne jo ye likha hai ki khinjeer ka naam lene se zuban napak ho jaati hai, shariat me iski koi asl nahi lihaza ye ghalat hai, ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 497     (Note: Suwal 496 Page:301 par hai)
Hazrat kya napaki ki halat me hum tasbeeh ko touch kar sakte hain, mera matlab he use hath me lekar Kuchh padhna ho to padh sakte hain ?

Jawab: 497 بسم الله الرحمن الرحيم
G Han, Tasbih hath me lekar tasbih padh sakte hai, harj nahi, aur subha sham ki duaye jo hadis me aai hai wo bhi padh sakte hai, aur quran ki wo surate jo dua ke tor par padhi jati hai unhe bhi bator e dua padh sakte hain,
Napak shaks ko durud e pak ki kasrat bhi jaiz hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

ASSALA ALAIKUM
Suwal no. 498
Hazrat ye bataye jo malikun mout rooh kabz karte he wo sirf insano ki rooh nikalte he ya duniya ki sabhi makhlooq ki ? Agar sabki rooh kabz karte he wahi to kaise ye mujhe Samajh nahi aata ? Guzaarish he ki thoda tafseel se bayan kare, badi meharbani hogi.

Jawab: 498 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام
Quran E Pak Surah: Sajda Para 21, Ayat 11 me irshad e bari ta’ala hai
“tum farmao tumhe wafat deta hai maut ka firishta jo tum par muqarar hai”

Is taya ki tafseer me Tafseer E Qurtabi Jild: 07 Safah: 476 par hai,
“malakul maut allah ke siwa tamam chopaye(janwar) ki roohon ko qabze me lega, goya unki zindagi ko khatam karega,
Main kehta hu: iske baraks bhi marwi hai malakul maut tamam makhooqat ki roohon ko qabz karega yahan tak ki pissu aur machhar ki roohon ko bhi qabz karega,”

Malakul maut ek waqt me hazaro logo ki rooh kaise qabz karta hai ise is tarah samjhe ki pehle to firithsta hai or door pas hamare liye hai, nabi wali firishton ke liye koi doori door nahi, jis tarah khane wale ke samne ek plet hoti hai or khane wala plet me jahan se chahe kha sakta hai, usi tarah duniya malakul maut ke samne hai, jaha se chahe jiski chahe rooh qabz kare uske liye kuch doori nahi.

Tafseer Khazain Ul Irfan Para:21, Surah: Sajda, Safah: 767, Ayat 11 Ki Tafseer me hai.
“malakul maut ke liye duniya kaf e dast (hatheli ki tarah) kar di gai hai,  to weh mashariq wa magarib ki makhlooq ki roohen be-mashakkat utha lete hain aur rehmat wa azab ke bahut firishte unke sath hain”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 499
Hazrat maine ek arabic movie (IMAM ALI) dekhi jis me  Huzoor (عليه السلام) ke chehere ko chor kar unke hanth pair sar etc.  ko dikhaya jata hai to  kya ye log gunaah nahin karte aur kya ham is movie ko na denkhe jab ki is masle ko chor kar is moovie se hamen islam ki bahut si baaton ka pata chalata hai ?

Jawab: 499 بسم الله الرحمن الرحيم
Is film balki is jaisi har film ko dekhna jaiz nahi, banane wale ne beshak gunah kiya ki ye film music ke sath hai, or isme jo adakar hote hai, jo sahabi ki naql karte hai wo fasiq dikhaye jate hai, jabki haqiqat isse pare hai koi sahaba bagair daari ke nahi tha, iska dekhna gunah hai, or waqt ko barbad karna hai, is waqt me apni qaza namaz padhi jaa sakti hai jo ki wajib hai naaki film dekhna wajib hai, or ye kehne ki “deen sikhne ko milta hai” mehez batil hai, deen sikhne ke or bhi zariye hai, jaize kitab khareed kar padhna ya sunni ulama ke byan sunna wagera wagera, warna kisi aalim ya imam se namaz roze wagaira ke masale puchna bhi deen sikhna hai, or dekhne wala ye bhi nahi janta ki jo waqiya film me  dikhaya gaya wo sahi bhi hai ya nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 500
Haalate namaz me topi utar jaane ka khauf hai. Ab kya use wapas dauraane namaz hi haath se setting kar sakte hain ?

Jawab: 500 بسم الله الرحمن الرحيم
Halate namaz me agar topi girne ka kauf ho to ek hath se durust ki jaa sakti hai, jabki ek rukn me do bar se zyada thik naa karni padhe, warna namaz fasid hogi, or na ek hi waqt me do hath se thik karni padhe, or agar bil farz topi sajde me gir bhi jaye or ek hath se utha sakta ho to utha le jabki bar bar girne ka khauf naa ho, or na do hath se bandhni padhe, warna rehne de aise hi namaz padhe,

Durr e Mukhtar Jild:1 safah:91 par hai:  سقط قلنسوتہ فاعادتھا افضل الا اذا احتاجت لتکویر او عمل کثیر
Yani: namazi ki topi gir jaye to uska uthana afzal hai, magar is surat me (naa uthaye) ki bandhne ki hajat ho, ya amal e kaseer lazim aa raha ho,

Fatawa Razaviya Jild:7 safah: 298 par hai :-
(namaz me topi gir jaye to) uthana afzal hai jabki bar bar naa giye,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

No comments:

Post a Comment