Suwal 501 to 600 (Masail e Shariat Jild 1)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Abu Rayyan Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 1) 
--------------------------------------------------------------------------------------------
Suwal no. 501
Hazrat Kya Safai, Hambali aur Maliki hazrat, maslake alahazrat me sumar hote hai.

Jawab: 501 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han, charo maslak ke log Maslak e alahazrat wale hain, kyunki wo aqaid me sunni hi hai, unhe bhi sunni musalman hi shumar kiya jata hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no . 502
Hazrat is sawal ka jawab dijiye  plz Aap ki maharbani hogi jazakallah khairah,
4 rakat farz namaz me dusri rakat me ATTAHIYYAT ke bad durood parne se sajda sahew wajib ho jata hai kya ?

Jawab: 502 بسم الله الرحمن الرحيم
Farz, witr, sunnat e moakkadah wagera, namaz me agar qada u’la me tashahud ke bad agar jaan kar durood e pak padha to namaz hi nahi hogi, balki namaz dohrani hogi, aur agar bhool se padha to sajda sehev karna hoga,
Chahe durood ki ek hi line padhi ho, ya fir durood naa bhi padhe or 3 bar سبحان اللهkehne ke waqt tak agar betha bhi raha, ya soch me padh gaya khwa kisi bhi tarah takhir ki to bhi sajda sehev hoga, kyunki tashahud ke bad foran teesri rakat ke liye khade hona wajib hai or durood ke padhne se bhi wajib tark he
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 503
Hazrat kuchh katoriya aati hain jis me puri puri aayat likhi rehti he kehte hue suna he ki is katory main dhul kar peene se mareez ko sifa hoti he, hazrat hadees main is ki asl he ?

Jawab: 503 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han sahi hai, aur alg alg maraz ke liye ye amal sabit hai hadiso me iski asl maujood hai, aisa karna duroost hai, isse mareez ko shifa hoti hai, or sadi awwal se ye fel kiya jaata hai jo aaj tak jaari hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 504
Hazrat meri ammi  hain Jo hamesha bimar rahti hain, is time unko gale me bahot dard rahta he, khane peene me koi pareshani Nahi he is dard se, or har waqt dard hota h, bahot janch hui kuchh Nahi nikla jisse dard ki wajah maloom ho, unko aesa dard 2 sal pahle hua Jo dawa se thik hua , is bar koi dawa asar Nahi kar rahi, aap koi dua bata dijiye, apki bahot maharbani hogi,

Jawab: 504
Apke ilaqe me jaha bhi dawateislami ka haftawar ijtima hota ho, waha rabita kare bad ijtima waha har marz ke liye free taweez diye jaate hai, aap waha se inka mukammal ilaj karwaye, ho sakta ho wo log inhe peene ke liye bhi taweez den, jo ki mere lie bhejna mushkil hai,
Iske siway ghar me koi, warna mareeza khud

*Fajr ki namaz ke sunnat padh kar or farz se pehle (yani sunnat farz ke bich) 41 bar sureh fatiha padh kar gale ke dard par dam karen,
*Or din me kisi bhi waqt 100 bar bismillah shareef padh kar mareeza par dam kiya jaye, (awwal akhir durud)
*or agar walida sureh ikhlas padh sakti ho to din me latadad padha kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 505
Kya hazrat  suna he ke juma ke din kapray dhonay say rozi may barkat nahi rehti kia ye durust he ?

Jawab: 505 بسم الله الرحمن الرحيم
Maine aisa na padha na suna, or sharann har din kapde dhona jaiz he kuch harz nahi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no 506 
Kya hazrat Napaki ki halat me wuzu karna kaisa he jesa ke gusal ke waqt, agar napak ho tab wuzu karna chahye ya nahi ?

Jawab: 506 بسم الله الرحمن الرحيم
Napak shaks agar ghusl kare to pehle wuzu karle ye behtar hai, magar zaruri nahi or paun naa dhoye, aur agar koi aisa naa kare, sirf ghusl kar le to bhi harz nahi, pak ho jayega or wuzu bhi mana jayega
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 507
Kya Ghusl Ke Dauran Kiya Gaya Wazu Namaz Ke Liye Kafi Hai ? Or Ghusl Ke Adab Kya Hain.

Jawab: 507 بسم الله الرحمن الرحيم
Ghusl ka wuzu namaz or har us chiz, jiske liye wuzu farz ya wajib hai ke liye kaafi hai,
ghusl ki sunnat e aadab:- Ghusl ki niyat karna, fir dono hath gatto tak dhona, fir istanje ki jagah dona, jism par jaha najasat ho use dhona, namaz ka sa wuzu karen (magar paun naa dhoye), 3 bar dayen taraf pani bahayen, 3 bar bayen taraf, fir sar par aur tamam badan par 3 bar, (iske bad sabun shempoo jo chahe istimal kare), or akhir me paun dhoye, isme gusul wuzu dono ho gaye, Bahar E Shariat Jild:1 Safah:319,
Ghusl ke dauran qible ki taraf naa muhn kare ka peeth, or na kalam kare na salam, naa jawab.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 508
hazrat kiya koi likh kar salam karta hai to uska jawab bhi hame likh kar den zaruri hai

Jawab: 508 بسم الله الرحمن الرحيم
Likhe hue (written) salam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi forn Jawab Munh se de de, der ki to gunahgar hoga,  Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki
Log is (masale) se ghafil hain, 
Tabhi Alahazrat jab khat padha karte to khat Me jo salam likha hota hai uska Jawab zuban se (foran)
Dekar, bad me aage khat padhte
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 509
Hazrat ye bataye ki istenja(toilet) karne ke baad agar peshaab tapak Jane ka shubah hua ho ya aisa sach me hua ho ke peshaab tapak gaya ho to kya wo napaak ho jayega ? Agar napak ho jayega to din me kai bar istenja jana padta he to har bar nahana mumkin nahi to iske  liye  koi tareeka ho to hazrat bataye ?

Jawab: 509 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye baat zeh-nasheen kar leni chahiye ki agar koi shaks jaanbujh kar bhi astinja ka paani naa le aur aise hi paishab kar le, to uspe ghusl farz nahi hota, aur ghusl kab farz hota hai use ulama e shariat ne apni kitabo me byan kar diya hai, logo ki ye ghalatfehmi hai ki paishab ka paani naa liya to nahana zaruri hai, ye bekar aur kam ilmi ki baat hai,
Puchi gai surat me nahana kuch zaruri nahi, balki paishab najasat e galizah ke hukm me hai, jaha lagega bas utna hissa dhona zaruri hai chahe kapda ho ya badan,
*Agar paishab kapde par ek dirham(kareeb ek rupeh ka sikka) se zyada hai to us jaga ko pak karna farz hai aisi surat me namaz nahi hogi, (mgar nahana farz nahi)
*Aur agar paishab ki bundh ek dirham ke barabar hai, to us jagah ko pak karna wajib hai, isi haal me namaz fir dohrana hogi (magar nahana farz nahi)
*Aur agar paishab ki bundh ek dirham se kam hai to pak karna sunnat hai, aur isi hal me namaz padhi to namaz ho jayegi, khair,
Agar me ye kahu ki logo ko sunnat ke tariqe se istinja nahi aata to shayad mubalgha naa hoga, ye haqeeqat hai hame filmi hero ke sare kaam ate hai magar sunnat e rasool jaisa pak muqaddas amal hame maloom nahi, agar sunnat ke tariqe se istanja kiya jeye to qatre jaise bahut bimari se 2-4 hone se bacha jaa sakta hai, sail ko chahiye ki ulte per par zor de kar betha kare, aur bad peshab apne peshab-gah (penis) ko  age ki janib khinch kar jhaar liya kare, or bad istanja pani ki chhinte meyani par mar liya kare, isse insha allah qatre ki pareshani se nijat payega,

Fatawa Razavia Jild:4 Safah: 603 par hai
“peshab ke bad azu(penis|) ko jharna (sirf) sunnat hai”

Agar langoot bandne se se qatra naa ata ho to langoot bandhna wajib hai jaisa ki Al Behr Al Khalaiq me hai متی قدر علی ردالسیلان برباط اوحشو وجب ردہ
“Jab (kapda) wagera bandhne ya za’id cheez rakhne se qatra rokne par qadir ho to rakhna wajib hai,”

Lihaza aap langoot bandhe, agar ye mumkin nahi to saf kapda rakhe or jab kapda napak ho jaye to hata den, warna andar ka kapda badal kar, namaz padh len nahana zaruri nahi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 510
Hazrat jo  image hote jis me ALLAH MOHAMMAD ya YA ALI madine ki image hoti aise log apne profile pe lgate hain us ke bare me bataye

Jawab: 510 بسم الله الرحمن الرحيم
Laga sakte hai kuch harz nahi
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 511. 
Asslamu Alaikum Hazrat.
Mera sawal ye hai Ki ghar me barkat kaise aaye aur Jo ghar me berojgar hai unhe kaise rozgar mile ?

Jawab: 511 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام 
Namazo ki pabandi aur sunnat ke perwi karo, ghar me us kam se parhez karo jo rizq ki barkat khatam karte hai, jaise, namaz naa padhna, rat me jhadu dena, funk se chirag bujhana, khade ho kar pani peena wagera wagera, Us kaamo ko chalu karo jisse tangdastu door hoti hai jaise, khane se pehle aur bad me 3-3 bar hath dhona, ghar me ate waqt salam or sham ko wapas aa kar ghar me bismillah ek bar durud or ek bar sureh ikhlas padhe fir durud,  iske siwa. Har jumerat ko nakhoon katna bhi ghareebi door karta hai,
*Har Roz 30 bar sureh ikhlas padh liya karo, ghar me barkat ke lie kafi hai (jabki sahi padhi jaye)
Berozgar ke liye,
*7 din 786 bar bismillah shareef padh kar dua kare, warna
*Jab subha fajr ki namaz ke bad masjid me betha rahe or jab suraj tulu hone lage to suraj ki taraf munh karke 25 bar sureh nasr padhe or kaam milne ke liye dua kare,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 512
as salamo alaikum
Kya Safai, Hambali aur Maliki hazrat maslake alahazrat me sumar hote hai.

Jawab: 512 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام 
G, Han charo maslak sunniyat me shumar hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 513
kuran sarif ki ayat hindi ya english main likh na  kaisa ?

Jawab: 513 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz ‘Qur’an’ roman English me is tarah likha jaata hai, jaise hamne jawab me likha hai, naa ki us tarah jaise apne suwal me (kuran) likha hai, ainda khyal rakhen,
Quran ki ayaton ka tarjuma kisi bhi zuban me karna jaiz hai magar qurani arabi ibarat ko gair arabi me karna najaiz o gunah, or baz ulama ne Haram kaha.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 514
Agar namaz ki halat me mobile call aa jaye to kia kare ?

Jawab: 514 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ek hath se (amal e qalil ke sath) band karna mumkin ho to band kare aur ye kisi surat mumkin naa ho aur awaz aista ho ki namaz me khalal naa karti ho to rehne de, aur agar awaz tez ho to apni namaz tor kar phone band kare, fir se namaz shuru kare.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 515
dewbandi kab Hindustan me aaye

Jawab: 515 بسم الله الرحمن الرحيم
Angrezo ke waqt me aye, wahabiat se nikli ek shakh deobandiat hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 516
namaz me kisi ka reeh kharij ho jaye to kia Kare ya agar imam namaz padha raha hai to usko reeh kharij hui to uske liye kia hukum hai

Jawab: 516  بسم الله الرحمن الرحيم
Reeh kharij hone ya fir kisi bhi doosre fel se agar namazi ka wuzu tut jaye to namaz tor kar saf se bahar aye, aur fir wuzu kare, or namaz ada kare,

Bahar E Shariat Jild:1 Safah: 595 par hai
“Naamz me jiska wuzu jaata rahe chahe qada akhirah me salam se pehle, to wuzu karke jaha se baqi hai waha se padh sakta hai... magar afzal yeh hai ki sire se padhe.”
(kyuni wahi se shuru karne me aur bhi sharait hai, jaise, koi fel manafi namaz jiski ijazat naa thi naa kiya ho)

Imam ko namaz me hadas hua to doosre ko khalifa kar sakta hai chahe namaze janaza ho
Magar baz surate me khalifa nahi banya jaa sakta or baz me banaya ja sakta hai,
Jiski tafseel Bahar E Shariat Jild:1 me dekhen

Fatawa Alamgiri jild:1 Safah: 90 par hai
“jab imam ko hadas hua to naak par hath rakh kar peeth jhuka kar, peeche hate, aur ishare se kisi ko khalifa banaye, khalifa banane me bat naa kare,”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 517
hazrat jab charo maslak ke alahazrat sunniyat main shumar hai to kiya in ke peche hamari namaz ho gi thoda tafsir main jawab de ?

Jawab: 517  بسم الله الرحمن الرحيم
Charo haq mazhab haq hai, or iske haq hona inke sunni aqaid hain, hanafi ki namaz kisi mazhab ke piche nahi hoti, ? ye baat apne kaha padhi ya kis aalim se suni mujhe iski tafseel bhejen ?

Awwal to hind me siwaye hanafi ke doosre mazhab ke log naa ke barabar hai kuch shafai zarur hai, jo sunni shafai hai, hanafi imam ke hote hoye sunni hanafi ko kya zarurat ki wo dusre mazhab par namaz padhe ye aur agar aisi jagah jahan hanafi imam naa ho aur jamat ka waqt ho or imam shafai ho to sunni hanafi ki namaz shafai ke piche ho jaati hai MAGAR jabki wo hamare mazhab hanafi ki riya’at kare, yani,
Hamare nazdeek ¼  sar ka masah farz hai, isse kam hamare mazhab hanafiyat me wuzu nahi ho sakta, or shafai me chand baal par bhi masah ho jata hai, to agar wo shafai imam aisa amal kare ki dono ka mamla hal ho jaye to behtar yani wo ¼ ka masha kare, aur agar wo isse kam sar ka masah kare to aise shafai ke piche hamari namaz nahi hogi kyunki hamare nazdeek unka wuzu nahi paya gaya, isi tarah mazhab e shafai me jab asr ka waqt hota hai to hamara zohar hi hota hai, agar shafai imam asr kuch der se padhaye ki hamara bhi asr ka waqt lag jaye to thik warna uske piche shafai ke manne walo ki namaz ho jayegi magar is surat me hamari nahi,

Khulasa e kalam ye hai ki-
Hanafi imam naa hone ki surat me agar koi shafai mazhab par namaz padhe to bhi jaiz hai, jabki wo imam hamare farz wajib wagera ka khyal rakhe, jiska zikr hamne upar kiya, warna nahi, or ek baat arz karta chalu, shafai mazhab me rafayden jaiz to hai magar wahabi shafai nahi hai, kyunki wo gair muqallid hai kisi imam ko nahi manta, magar log uske rafayaden se dhoka khaa jate hai, Shafai alag mazhab he or haq hai, Wahabi alag mazhab hai or BATIL hai jiske piche namaz nahi, aur jo hamare ulama namza gair ke piche padhne ko mana karte hai, wo wahabi ke piche mana karte hai shafai ke piche nahi,

Jaisa ki Alahazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razavia Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai 
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
 
Fir isi FATAWA RAZAVIA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke piche namaz beshak najaiz mehez baatil hai”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 518
hazrat mera sawal ye hai ki fatiha karana jayaz hai ya na-jayaz aur kis kis pe fatiha ki ja sakti hai plz kisi hawale se bata den

Jawab: 518 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatiha naam hai “isal e sawab” ka, yani musalman apne kisi bhi nek amal ka sawab kisi doosre zinda ya murda musalman ko isaal (transfer) kar sakta hai, jise urf e aam me fatiha kaha jata hai,  fatiha har jaiz or halal cheez par ho sakti hai chahe machli ho ya urad ki daal. Ya pani ya halwa, ya sharbat wagera ...
Hadis me kisi aur ki taraf se haj karne ka saboot bhi maujood hai isi tarah kisi aur ki taraf se namaz padhne ka saboot bhi, yani agar koi musalman koi nek kam kare, (maslan, namaz, sadqa, ya khana bana kar musalman ko khilyae, ya quran padh kar bakhshe.) ise hi fatiha kaha jata hai.. jo sharan bilkul jaiz balke mustahab hai,
Fatiha se doosro logo ko nafa pahuchta hai iski asl bhi ahadeese tai’iba me maujood hai,

*Hadis shuabul iman : jab tum me se koi kuch khairat kare, to chahiye use ki (kuch) apne maa bap ki taraf se kare, iska sawab unhe milega aur iske sawab me bhi koi kami naa hogi,
*Hadis shuabul iman: murde ka hal qabr me doobte huye insan ki tarah hai, wo shiddat se intizar karta hai ki koi bap ya maa ya bhai ya dost ki dua usko pahuche, aur jab use dua pahuchti hai to wo uske liye duniya aur usme jo kuch hai isse behtar hota hai,
*Ezan safah: 308 par hai: Jab koi shaks mayyit ko isal e sawab karta hai to jibrail alaihissalam use, noorani tabaq me rakh kar qabr ke kinare khade ho jate hai, or kehte hai, “aye qabr wale, ye tohfa tere ghar walo ne bheja hai qubool kar, aur ye sun kar wo khush hota hai aur uske padosi apni mehrumi par ghamgeen,
*Kashf ul khifa me ek hadis naql hai: jo qabaristan me 11 bar sureh ikhlas padh kar murdo ko iska sawab pahuche to murdo ke sawab ke barabar bhejne wale ko bhi sawab milega,
*Sunnan abu Dawood me hai: hazrat sa’ad bin ubada (radialla anhu) ne arz ki ya rasool allah meri maa ka intiqal ho gaya, kon sa sadqa afzal hai, farmaya PAANI unhone ek kunwa khudwaya aur  kaha ye umm e sa’ad ke liye hai,

Thik waise hi khane ko aage rakh kar rasool pak ka quran padhna bhi BUKHARI, G han BUKHARI shareef se sabit hai,

Mashwara:- ahle sunnat ke sare mamoolat or dalil ke liye kitab “ ja-al haq” ka padhna fayedemand hai
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 519
Hazrat namaz main kitne wazibate hai ?

Jawab: بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ke wajibat kafi hai, kisi kitab se tafseelan padhe jaye, kuch arz kiye jaate hai,
*takbir e tehrima me lafz allahu akbar hona
*sureh fatiha ki saato ayato ka padhna
*koi ek surat milana
*sureh fatiha aur surat ke bich siwaye “bismillah” ke kuch naa padhna
*sureh fatiha ke foran bad surat milana
*sureh fatiha ke bad surat milana farz ki pehli do rakat me nafil witr ke har rakat me wajib hai
*sureh fatiha ka surat se pehle padhna wajib hai
*sureh fatiha ka ek hi bar padhna wajib hai
*sureh fatiha aur surat me bich waqfa naa karna (siwaye aameen aur tasmia)
*qirat ke foran bad ruku karna
*qauma (ruku se puri tarah kamar sidhi karke ek tasbih ki misl ruka)
*ek sajde ke bad doosra sajda hona
*sajde me (mard ko) paun ki teen aungliyo ka pet zameen par lagana
*jalsa wajib hai (do sajdo ke bich bethna, ek tasbih ki mikdar kamar seedhi karna)
*q’ada ula,
*tashahud
*foran teesri rakat ke liye khade hona
*witr me takir e qunoot aur dua (qunoot ya koi bhi)
*salam me lafz “assalamu” ka hona wajib “alaykum” sunnat hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no . 520
Hazrat ye shafayi aur hanfi etc. Kya hote hain, Hamne to sirf ek hi cheez samjhi ke ham musalman hai cost pathan hai aur ham ahle sunnat wal jamaat main yakeen rakhte hain

Jawab: 520 بسم الله الرحمن الرحيم
Ap jitna jante ho wo apke iman o aqeede ki hifazat ke liye kafi hai, isse zyada janna kuch zaruri nahi, aap sunni hanafi (ahle sunnat wa jamat) ke aqaid rakhte ho kafi hai,

Jis tarah aap hanafi ho usi tarah or 3 maslak hai, jinke manne wale bhi duniya me maujood hain, wo bhi sunni hi kehlaye jate hai, jo imam shafai ki fiqh par amal karte hai, wo shafai hote hai, jo imam hambal ki fiqh par amal karte hai wo hambali kehte hai, magar sabke aqeede ek hi hai, masail me kuch farq hai, aur hame use janne zaruri nahi, bas charo ko haq janna kafi hai, (charo imam ke aqeede sunniyat ke hi hai, bas unke kuch masale masail me farq hai, jaise hamare nazdeek wuzu se pehle bismillah padhna sunnat hai, agar naa padhi to wuzu ho jayega isi tarah doosre maslak me ye farz hai naa kia to wuzu nahi hoga)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 521
hazrat sunnah aur hadish mein kya farq hai

Jawab: 521 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunnat- huzoor (alaihissalam) ke qaul, fel, ko kehte hai, ya wo kam jise sahaba ne kiya ho aur huzoor ne mana naa kiya sunnat hai, or baz ne kaha ki sahaba ke qaul, fel ko bhi sunnat kehte hai tabai ke bhi,

Hadees- huzoor ki taqreer ko hadis kehte hai,

Waise to dono ek hi chiz hai, magar aksar huzoor ki fel ka itlaq sunnat ke liye, aur qaul ka itlaq hadis ke liye kar dete hai, agarche, hai dono ek hi,
Koi kahe beth kar paani peena sunnat se sabit hai ya
Koi kahe beth kar paani peena hadis se sabit hai,
Dono ek hi bat hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 522
786 ka kya mayna hai aur iski kaise pahchan hui hai.

Jawab: 522 بسم الله الرحمن الرحيم
786 bismillah shareef ke adad hain.
Yahi huroof e mufridat ke alg alg huruf se nikale gaye hai, aur unhe jora gaya hai maslan
Baa-ke 2, seen ke-60, meem ke-40 wagera wagera..
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.523
Hazrat Jo Farz namaz k bad tasbeeh(subhanallah, alhamdulillah, allahuakbar) padhte hain, kya ye padhna zaruri hai, isko padhkar hi dua karni chahiye, or agar hum kabhi jaldi me ho ye tasbeeh na padh saken to is me koi Harz to nahi hai?

Jawab: 523 بسم الله الرحمن الرحيم
Waqt ho to padh leni chahiye, iski fazilat kafi hai, warna kuch zaruri nahi bad salam foran dua bhi kar sakte hai, ise naa padhna ya chor dena, naa gunah hai naa isse namaz me koi farq.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 524
log gharo me fish rakhte hai qaid kar ke aur parrot cage (pinjare) me is ka shariyat me kiya hukum hai aur junaid bagdadi raziallahutala anho is ko qaid karke rakhne ke khilaf the, wazahat karde hazrat

Jawab: 524 بسم الله الرحمن الرحيم
Machhli parinde ya janwar ko palne sharan koi harz nahi, jabki palne wale ho,(yani jinhe pala jata ho)  aur unse jua naa khaila jaye, maslan murge islye pale ki ladai ka khail kare, ya kabootar islye pale ki kabutarbazi kare, to jaiz nahi ki ye kam khud haram hai, isi tarah mehez shauq ke pale aur unhe khana peena deta hai, to tota ya machhli me bhi harz nahi,
Ab raha ye ki tote ko pinjare me rakha jata hai to jis parinde ko palna jaiz hai use uski fitrat par hi rakha jayega, jaise murge ko bhi darbe me rakhte hai, aur fir chahe kabootar hi kyun naa ho, aur jab shara me kabootar palna jaiz hai or iska matlab yehi ye ki use pinjare me rakhna bhi jaiz hai, pala tabhi jayega or har bar rakhna qaid nahi balki kabhi khud us parinde ki hifazat ke liye hota hai,

Fatawa Razavia Jild:24, safa: 656 par hai
“Kabootar palna jabki khali dil behlane ke liye ho,(kisi najaiz kam ke liye nahi) to jaiz hai,”

Isi tarah kabootar ya murga ya koi bhi parinda ladane ke liye pala to bhi haram hai, ya unhe taklif de, ye bhi haram  (jabki shokiya palne me koi harj nahi)

Fatawa Razavia Jild: 24 Safah: 660 par hai
Kabootar palna jaiz hai jabki doosre ke kabootar naa pakde, aur kabootar udhana ki ghanto unhe utarne hi nahi dete ye haram hai, murga bater ka ladana haram hai,

Shaikh junaid bagdadi ki aisi koi qaul to mujhe yaad nahi, agar he to wo bator e ehtiyat hogi bator e hujjat nahi, aise kai kam buzurg mana karte the, jo unke mana karne se najaiz nahi, yani wo unka taqwa tha, ya wo khud pasand nahi karte the, jaise baz burugo ka mamool tha ki wo asr aur magrib ke bich kuch nahi khate the, magar iska ye matlab nahi ki khana jaiz nahi, thik waise hi, hazrat ka kya qaul tha, wo aap bhej do agar mumkin ho to, me padh kar hi batata hu, shaikh ki kiya raye thi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 525
Hazrat kya hum khade hokar waju kar sakte hain, or girls agar wuzu ke time sir pe dupatta lekar wazu naa Karen to koi mushkil to Nahi he ?

Jawab: 525
Khade ho kar wuzu karne se wuzu ho jayega, kuch gunah nahi, magar beth kar karna aur unchi jagah bethna wuzu me mustahab hai,
Jaha aurat wuzu kar rahi hai waha koi gair mard nahi to sar kholne me harj nahi warna unke samne bal dikhana HARAAM hai, agar is surat me wuzu kiya jab bhi wuzu ho jayega, aur is HARAM kam ka gunah zarur rahega, aur agar ghar me gair mard nahi bachche ya shohar hai to ab wo gunah bhi nahi or wuzu to har hal me sahi hai, chahe dupatta sar par ho ya nahi, aur wuzu ke liye pura dupatta hata dena (agar ghuslkhane me ho to harj nahi) aur kisi ke aane ka khauf ho to aisi bewaqufi nahi karni chahiye balki sar par dupatta rakhe sirf sar ke maseh ke waqt hata kar foran dhak le,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 526
Hazrat agar chota bachcha goad me pesab kar de to kya ghusl karna padega ?

Jawab: 526 بسم الله الرحمن الرحيم
Ghusl kisi par wajib nahi naa us par jisne paishab kara, naa us par jis par kara gaya, kapde badal kar(jis par paishab laga  hai) fir us jism ki  jaga ko dho le jaha paishab laga hai kafi hai, nahana zaruri nahi, aur paishab ek din ke bache ka bhi napak karne wala hai, chahe wo roti khata ho ya nahi.
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 528  (Note: Suwal No. 526 Page 302 par hai)
Asslamwalekum, bhai jan me ek defence personal hu hame har saal bonas milta ha to ye paisa haram me ata ha ya halal ki kmai me ata ha agar ye haram ki he to hame isko kya karna chahiye kiyuki ye paisa ham government ko wapis nahi kar sakte,

Jawab: 528 بسم الله الرحمن الرحيم
Lena jaiz aur Halal Hai
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 529
Hazrat kya Khana khate Waqt Salam karna chahiye ya nahi  Or koi Salam karde Khana khate Waqt kya uska jawab dena chahiye ya nahi.?

Jawab: 529 بسم الله الرحمن الرحيم
Khana khate waqt agar koi aa jaye to khane wale ko, us ane wale ko salam nahi karna chaiye,  jaisa ki Mere AAQA, Wali e kamil, Ashiq e Ahle Bait, Imam e Ahle Sunnat Muhaddis e Azam Imam Ahmad Raza Muhammadi Sunni Hanafi Qadri Fazil e Bareilvi
Fatawa Razavia Jild: 22 Safah: 378 par likhte hai
“jo khana kha raha ho use salam naa karen”

Aur agar ye aane wala salam kare to is khane wale ko jawab dena bhi wajib nahi, yani jawab nahi diya to gunahgar naa hoga, jaisa ki
Fatawa Khaniya Jild:2, Fasl Fi Tasbih O Tasleem Safah: 377 par hai,
“log khana kha rahe hon, us waqt koi aya, to SALAM NAA KARE”

Aur agar khane betha hi tha abhi shuru naa kia ya kha chuka hai aur muhn me luqma nahi chaba raha to Salam kar sakta hai jaisa Sadr Us Sharia Hazrat Allamah Mufti Muhammad Amjad Ali Azami,
Bahar e Shariat Jild:3 1Safah: 461 par likhte hain,
“yeh us waqt hai ki khane wale ke muhn me luqma hai, aur weh chaba raha hai, kyunki is waqt yeh jawab dene se ajiz hai, aur abhi khane ke liye betha hi hai, ya kha chuka hai to salam kar sakta hai ki ab weh ajiz nahi”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 530
hazrat agar safer main he phir namaz kaise ada kare jAb ki na rukh E qaba pata ho na sazda karne ki jagah ho na wazu ho us halt main hame kya karna chahiye.


Jawab: 530 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat me safar 92 KM se bahar (15 din se kam) ko kehte hai, safar me bhi namaze ada ki jayegi, magar itni riyayat hogi ki har farz 4 wali 2 rakat padhi jayegi yani kewal farz adhe ise qasar kehte hain, baki sunnat wagera puri, aur ek bat safar me qasar wajib hai, yani agar koi jan kar pure farz padhega to gunahgar hoga,
Wuzu ki koi dikkat nahi, har station par pani wagera aasani se mil jata hai, or koshish karni chahiye ki jahan gari ruke wuzu karle kya jane age pani ho ya naa ho, aur agar namaz ka waqt aya aur pani nahi or naa door door tak pani ki ummid to wuzu ke badle tayammum kiya jata hai, fir namaz padhi jati hai, agar qabe ka rukh nahi maloom to kisi se pata kiya jaye aur agar koi batane wala naa ho to dil me jaha kaba jame waha namaz padh le uske haq me wahi kaba hai ise taharri kehte hai, har zameen to sookhi hai paki ke hukm me hai, uspe namaz padhi jaa sakti hai warna apne sath ek kapda rakhna jaye,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 531
Roze mahshar ke din konse 3 sawal puchhe jayenge,  plz muje malum nahi isliye sawal kya. hu. koi galti ho to mafi chahta hu plz batayyega zarur

Jawab: 531 بسم الله الرحمن الرحيم
Maidan e mehshar me 3 suwal nahi kiye jayenge. Balki waha to puri zindagi ke gunah ke bare me hisab hona hai, or jo 3 suwal wali bat hai wo qabar me puche jayenge..
Tera rab kon he, tera deen kiya hai, aur is zaat (huzoor) ke bare me duniya me kya kaha karta tha,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal 532
Hazrat agar hamain safar main bhi poori namaz ada karne ka wakht ho to kya karen

Jawab: 532 بسم الله الرحمن الرحيم
To bhi farz adhe padhe, chahe waqt kitna hi ho, aur puri padhi to gunahgar hoga, aur jo namaz safar me qaza hui ho to unki qaza bhi qasar hi karni hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 533
Safar me agar namaZ kaza ho gayi ho to kaza namaz puri pdhe ya wo bhi aadhi padhi jayegi (safar me hi kaja ada karne ka moka mil jaye or ghar pahunchne ke baad dono surto me)

Jawab: 533
Safar me agar namaz qaza ho gai ho to jab bhi zindagi me qaza e umri puri karega to safar ki namaz qasar hi karega yani har 4 wale farz 2, chahe ghar me padhe ya kahi bhi, iska matlab ye nahi ki safar ki namaz safar par hi qaza ki jayegi,
Agar waqt pura mile to bhi safar par adhi namaz hi padhni chahiye jaisa ki pichle suwal 532 me pucha gaya tha, agar kisi ne safar par hote huye bhi pure 4 farz jan kar padhe to 2 farz hongi baki 2 nafil aur ye gunahgar bhi hoga tauba karna lazim hogi,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 734 par hai,
“musafir par wajib hai ki namaz me qasar kare, yani 4 rakat wale farz ko 2 padhe iske haq me do hi rakaten puri namaz hai, agar jaankar 4 padhe, aur qada ula kiya, to farz ada ho gaye, aur baki do rakate nafil hui, magar (4 padhne ki wajah se) gunahgar aur azab ka haqdar hua,”

Safar me jo namaz qaza hui unhe qasar hi padhega yani jab qaza umri puri kare to ye andaza lagaye ki mah ya sal me kitne din safar par tha fir usi hisab se utne dino ki namaz qasar, qaza kare,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 534
Bivi agar haiz (periods) se he to us se door rehna chahiye. Periods ka max. Time 7 din hota he lekin alag alag aurton ke liye alag alag hota he to kya pure 7 din door rehna chahiye ya 3 ya 4 din me agar pak ho jati he to humbiatari ki ja sakti hai?

Jawab: 534 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat jab pak ho jaye to shohar usse haq e zaujiyat ada kar sakta hai, aur alag alag aurato ka adat ke mutabik alag alag waqt hota hai, koi 4 din pak to koi 8 din me,

Apne suwal me periods ka maximame time 7 din byan kiya ? ye apne kaha padha ya suna ??

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 372 par hai,
“haiz ki muddat kam se kam 3 din (72 ghante) aur isse ek bhi minute kam ho to haiz nahi, aur zyada se zyada “10” din hai
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 535
hazrat agar ek magrib ki aur isha ki namz chhoot gai he phir ham dusre din magrib hi ke namaz se pehle kaza namaz pad sakte he mtlab magrib ki mgrib main aur isha ki isha main

Jawab: 535
Jo namaz jab chahe padh sakta hai aisa kuch zaruri nahi, or ye bhi kar sakta hai ki pehle fajr puri karle fir zohar isi tarah aage ki
Ek waqt me jitni allah tofiq aur taqat de aur zehen hazir rahe yani bor naa ho to jinti chahe qaza namaze ada kar sakte hai, siwaye makruh waqt ke aur wo makruh waqt ye hain,
1-zawal ke waqt, 2 tulu e aftab ke waqt, 3 magrib se 20 mint. Pehle tak,
asr bad qaza padh sakte hai, or jab magrib me 20-25 mnt. Reh jaye to na padhe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 536
Islam me sapno ki kitni ahmiyat he agar ham koi khwab dekhte he to kya hakiki jindagi me uska koi asar hota he

Jawab: 536 بسم الله الرحمن الرحيم
Khwab 3 tarah ke hote hai
*khwab e Rehmani- jo allah ki taraf se dikhaye jaate hai ache khwab hote hai, ise dekh kar shukr ada karna chahiye
*Khwab e Shaitani- ye shaitan ki taraf se hote hai, aankh khule to lahaul padhna chahiye,
*Khwab e Nafsani- jiske bare me ham din bhar sochte hai ya jo dimag me pure din fiqr rehti hai

Khawab ki haqiqat hai, Quran me Surah Tauba Ayat 46 me allah azawajal ka farman hai:
Iman walo ke liye basharaten hai duniya aur akhirat me,

Or is ayat ki tafsir me Tafseer E Mazhari me hai ki
Huzoor ne farmaya yahan basharat se murad “ache khwab” hain, Jo insan khud dekhe ya uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye,

Bukhari, Muslim, Mishkat me Farmaya: “khwab naboowat ka 46 wa hissa hai”

Or Mishkat Shareef ki hadis me huzoor ne farmaya,
Nabuwat ke faiz se bas basharate baqi hai, yani ab koi nabi nahi hoga magar Basharate hoti rahenge. Sahaba ne arz ki huzoor basharate matlab farmaya  basharat se murad ache khwab hain, Jo insan khud dekhe ya uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye Sahih Bukhari ki hadis me hai, Tum me se jab koi aisa khwab dekhe jo use pyara maloom ho to allah ki hamd kare, Aur logo ke samne byan kare,

Yani ab koi nabi nahi hoga jo wahi aye magar sache khwab jaari rahenge, fir chahe allah unhe sote huye ya jagti ankho se dikhaye,
Agar koi nek acha khwab dekhe to allah ka shukr kare,agar koi bura nafkani khwab Dekhe to tauba kare, sadqa kare, ki acha khwab allah ki taraf se hai aur bura shaitan ki taraf se, Or kabhi aisa bhi hota hai ki jo din bhar insan ke dimag me chalta hai ya insan jis chiz ke bare me sochta hai wahi khwab me ata hai, or har khwab ki tabir juda hoti hai, or aksar subha ka waqt ke khwab ache hote hai magar aisa nahi har bar wo sache honge..

Tirmizi ne Abu Saeed (radiallah anhu) se riwayat kiya farmaya huzoor ne: “sachi khwaben subhe(sehri) ki hoti hai,”
Is hadis ki sharah me Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi
Miraatul Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih Jild 6 Safah: 256 Hadis no. 4626 me farmate hain:
“yani subha sehri ke waqt ki khwaben aksar sachi hoti hai, kyunki is waqt aksar dil mutmain hota hai... firishton ka nuzool hota hai jo namaz e fajr me shirkat karte hain,”

Isi tarah khwab me rasool ki ziyarat ka hona bhi haq hai, farmaya “jisne khwab me mujhe dekha usne mujhe hi dekha kyunki shaitan meri shakl nahi bana sakta”

Khwab ka zindagi se bilkul talluq hai, balki jo khwab ki pehli tabir ki jaati hai aksar wahi sach hoti hai, isilye Hadis e pak me farmaya gaya, khwab parinde ke paun par hota hai, jab tak iski khabar naa di jaye, jab woh byan kar di jaye to waq’e hoti hai, yani khwab ki jab tak tabeer na ki jaye wo aksar sach nahi hota or jo khwab ki pehle tabir kar de to wahi sach hota hai, isilye farmaya dushman se khwab ki tabir naa pucho, (kyunki kahi dushman ghalat tabeer hi karega aur wo sach naa ho jaye)

HIQAYAT
Ek aurat ka shohar kam ki talash me bahar gaya us aurat ne khwab me dekha ki unke shohar ke muhn se kawwe nikal kar udh rahe hai, usne parosan ko bataya to parosan ne kaha tera shohar mar gaya hoga, fir wo kisi aalim e deen ke pas gai, unhone bataya tera shohar top khane ka malik kar diya gaya hai,
Magar kuch din bad maut ki khabar aai, fir weh us aalim ke pas gai, sab mamla byan kiya, alim ne farmaya khwab ki pehli tabeer hi hoti hai, tune us nadan aurat se apna khwab keh kar tabeer kharab kar li,” Ise miraat ne naql kiya (ghaliban miqaat ke hawale se)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 537
Hazrat jo log kehte h aqsr ki kach tutna achchha nahi hota dudh ka ublna achchha nahi hota aur dahini aankh ka frkna achchha nahi hota kya hazrat is ki hadees main koi haqikat he ya bas aise hi logo ne wahm bana rakha he

Jawab: 537  بسم الله الرحمن الرحيم
Jo log bura samjhte hai wo bahini(left) ankh ke farakne ko samjhte hai dahini ka kabhi suna nahi jo apne suwal me likha hai khair, aur baki chize ko suwal me darj hai mene kabhi padhi nahi.
Ulti aankh ke fadakne ko bad-shuguni manna sahi nahi hai, bahut hadis me badshuguni ki mazammat ki gai,  jis ka khulasa hai ki,..
Badshuguni lena, mushrikeen ka tarika hai
Badshuguni lena haram hai achi fal lena mustahab,
Badshudhuni lena buto(but parasto) ka tariqa hai

Badshuguni ko shirk (khafi) bhi kaha gaya
Jo badshuguni ki wajah se kisi chiz se ruk jaye wo shirk me aluda ho gaya.
Aur achi fal lena mustahab hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 538
Zaid ne petrol pump me petrol bhara Rs. 100/- ka. Usko ispar ek lottery ticket mili jiski koi keemat nahi chukayi gayi.Us ticket me kuchh inaam(prize) nikla. Kya yeh inaam(prize) halaal hua?

Jawab: 538 بسم الله الرحمن الرحيم
G, lena jaiz hai, hind ke kafir jo nafa musalman ko apni khushi se den wo maal e mubah ke hukm me hai,
Jiska lena jaiz hai, jabki koi bat khilaf e shara naa ho, aur ye inam agar jaiz chiz ka hai to rakhe aur istimal kare aur najaiz kaa hai to fad de naa khud rakhe naa kisi ko de, kyunki is tarah aksar film tickets bhi milte hai, to inam ke ticket se film dekhne ki ijazat naa hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 539
Zaid ke ristdaar wahabi hai Zaid unke ghar mein khata peeta hai wahabi uske ghar mein khate hen, lekin Zaid fatiha bhi karta hai huzoor sallaho alai wasalam ko durud bhi bhejta hai Zaid ka baap wahabi hai lekin use kuch maloom nahi apne aap ko sunni kehte hai aise sakhs ke baare mein kya kahe barai karam batai.

Jawab: 539
Agar rishtedaar aise pakke wahabi hai jo batil aqeede rakhte hai zan ghalib hai ki wo fir laut kar naa ayenge, to zaid ka unke sath khana peena uthna bethna gunah hai, use isse baz rehna chahiye balki wo agar mar bhi jaye to unke janaze ki namaz me shirkat naa kare, zaid ke bap jiske bare me bataya gaya ki wo “wahabi hai use kuch maloom nahi he” aur wo sunni kehte hain, to use wahabi naa kahenge, balki baz log awamunnas jo ki wahabi aqeede se waqif nahi hote, sabke piche namaz padhte hai, gumrah hote hain. balki zaid ko chahiye bap ke aqeede ki durustgi ki koi surat banaye, isse pehle ki wahabi rishtedar zaid ke bap ko bad aqeedah naa kar den,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 541  (Note: Suwal 540 page no. 302 par hai)
Meri mobile ki shop hai us me download shooru karna chahta hun to us se ane wale paise ki kamai khana Jaiz hai ya nahi

Jawab: 541 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar Downloading Film, Gaane Baje, Behuda Tasveeron ki, ki jayegi to zarur aisa karna haram hai, aur agar downloading naat, sunni ulama ki taqareer, byan, bejaan ki tasveer(kaba, madina) wagaira ki, ki jaye to jaiz
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 542
hazrat ye batae ek hotal hai jis me Hindu bhi Muslim bhi nashta karne ate hain  aur ek hi Gilas me har tarah me log ko chahe peete hain us me sharabi bhi ate hai to kia us hotal me chaye pee sakte hai

Jawab: 542 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye to har hotel ka hisab hota hai ki usme kafir, musalman sab hi khate peete hai, magar aisa kahi dekha suna nahi gaya ki bina bartan dhoye doosre customer ko khana diya gaya, aur agar har baar chaye ke gilas wagera dho liye jaate hai (aur aisa hi yaqeen ke sath hota bhi hai) to bas us hotel ka kya puchna sabme yahi system hota hai, jab bartan dhul gaya to khana peena jaiz hai fir chahe usse pehle kafir ne khaya ho ya sharabi ne, khane peene me harj nahi agar bartan me bu ya bedhula mehsus ho to hotel me iski shikayat karke, dusre bartan me khana manga liya kare, harj nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 543
Agar mai insurance karata hu wo time pura ho jata he ya  bank me usse milne wala interest jaiz he yaa nahi.

Jawab: 543 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han,  LIC karwa sakte hai isme koi harj nahi.. Jabki company kafir ki ho, or musalman LIC karwane
Wale ka nafa ho or nuksan naa ho, aur isse milne wala nafa bhi jaiz hai, Jaisa ki Sarkar e Alahazrat

Fatawa Razavia Jild: 23 Safah: 602 par
Jeewan Beema Ke bare me kiye gaye ek Suwal  Ke Jawab me Alahazrat Imam Ahle Sunnat Farmate Hain
“Jabki ye Beema Govt.(kafir) Karte hai aur in me apne nuqsan ki Koi surat nahi to Jaiz hai Harz nahi,”

Or Masala ye hai ki India Ke Kafir Agar Zyada maal Musalman Ko den to harj nahi Lena Jaiz Hai,
Or yahi ulama ke Fatawa me maujood hai jaisa ki

Aur bank se milne wale zyada raqm bhi lena jaiz hai ye sood nahi hota,

Fatawa Behr ul uloom Jild: 03 Safah: 45 par hai,
“Hindustan ke gair muslim agar apni marzi se koi raqm Musalmano ko den aur is ke liye me koi ujr izzat ko khatra Wagera naa ho to is ka laina JAIZ hai isko jis masraf me Kharch karega jaiz hoga (maslan deeni kaam me bhi)”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 544
Hazrat agar rehal na ho or QURAN sareef padna he to takiya ya hath me lekr padna jaiz hai ya nahi

Jawab: 544 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo suwal me byan ki gai, un dono surato me  quran ka padhna jaiz hai, magar ehtiyat dono me lazim hai
Takiye par kisi tafah ki najasat naa ho na sar me lage tel wagera ki badbu agar aisa hai to takiye par ek aur saf kapda dal liya jaye,
Hath me lekar padhne me ye ehtiyat chahiye ki agar safah palat’ta hai to quran gir jane ka andesha naa ho kyunki ek hath se safah palatne par ek hath me quran hoga, bas in dono chizo ka khyal rakhe.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 545
hazrat kya malikul maut alaihissalam sirf insano ki rooh qabz karte hain ya duniya me jitni bhi makhlook hai sabki rooh kabz karte hain ?

Jawab: 545 بسم الله الرحمن الرحيم
Tamam Zee Rooh (rooh walo) ki rooh, Hazrat Izrail (alaihissalam) qabz farmate hai, fir chahe bakri ho chinti ya fir machhar bhi,

Quran E Pak Surah: Sajda, Para 21, Ayat 11 me irshad e bari ta’ala hai
“tum farmao tumhe wafat deta hai maut ka firishta jo tum par muqarar hai”

Imam Jalaluddin Suyuti Shafai, Tafseer Durr e Mansoor Jild: 5 Safah: 499 par Hazrat e Ibn e Abbas (radiallahu anhu) se riwayat niql karte hai :
Malakul maut wo hai jo, tamam roohon ko qabz karta hai, tamam zameen me jo kuch hai”

Age Safah: 500  par likhte hai (maut ke firishte ne farmaya)
“agar main machhli ki rooh qabz karne ka irada karun, main us waqt tak is par qadir nahi hun, yahan tak ki allah ta’la iski rooh qabz karne ka hukm de,

Tafseer E Qurtabi Jild: 07 Safah: 476 par hai,
“malakul maut allah ke siwa tamam chopaye(janwar) ki roohon ko qabze me lega, goya unki zindagi ko khatam karega,
Main kehta hu: iske baraks bhi marwi hai malakul maut tamam makhooqat ki roohon ko qabz karega yahan tak ki pissu aur machhar ki roohon ko bhi qabz karega,”
,
Ek shaks ne Hazrat Malik bin Anas (radiallahu anhu) ki bargah me arz ki, kya pissu ki rooh ko malakul maut qabaz karta hai ?,
Imam malik ne kafi sar jhukaye rakha fir pucha, kya pissu me rooh hoti hai ? usne arz ki G han, Farmaya malakul maut unki roohon ko qabz karta hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 546
hazrat Hindu log Jo parsad (khane ka saman) de te hain kya use kha sakte hain ?

Jawab: 546
Agar mithai pooja me shamil hai to khana haram hai, agar bator e tohfa dibba pack di gai jo jaiz, jiski tasfeel ye hai...
Is tarah kafir ke tehwar ki mithai me ek baat ka hamesha khayal rakhna chahiye ki, Deewali wagera ya is tarah tohfe ki jo mithai di jaati hai wo malik halwai ki dukan se pack karwa kar apne sare workers ko dete hai, iska lena or khana haram nahi ki, naa ye pooja ki hoti hai naa parsad ka hukm ispe diya jayega, ye bator e tohfa hota hai, or ye 1-1 kilo ke dibbe me peck hoti hai jo halwai ki dukan se seedhe worker tak aati hai bich me pooja ka koi shumar nahi hota, or pooja me jo miththai shamil ki jaati hai wo bahut thodi hoti hai, is tarah sabhi dibbe pooja me nahi rakhe jaate,
jis tarah sunni musalman 11vi ki niyaz me agar biryani ki deg banwata hai to aisa nahi ki puri deg par fatiha di jaati ho, balki kuch biryani alag nikal di jaati hai or baki deg baant di jati hai, Mene bahut tajurba kiya ki deewali ya is tarah ki mithai pooja me shamil nahi hoti, kyunki  pooja me aksar dibbe nahi rakhe jaate,  Or iske bar-aks, agar parsad ke tor par kuch mithai pooja me shamil ki gai ho to uska khana HARAM hai, yani agar wo gairullah ke naam ki ho,  or jo ulama ne kaha ki deewali ki mitha naa khao to usse murad wahi parsad me chadai gai miththai hai, warna halwai se aai, jo pooja me shamil bhi nahi hoti uska khana jaiz hai, or jinhone ise bhi mana kara  wo taqwe ke tor ke liye ki le kar faqeer ko bat de, magar phenk dena mana hai, warna baaz ne farmaya-
MAAL E MUZI NASEEB e GHAZI ki niyat se khaye.. or mere nazdeek bhi yahi zyada sahi hai, ki phenki naa jaye or faqeer ko dede, warna jo khud iska zyada ahl ya talib ho to rakhe harj nahi, Hamne Suwal me dono pehlu ka zikr tafseel se kar diya.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 547
hazrat kya kafiron se interest le sakte hain ?

Jawab: 547
G, han Le sakte hai, ye sood nahi hota.
Hindustan ke kafir harbi hai, islye agar koi yahan ke kafir ko qarz de kar zyada raqm li jaye yani, ek kafir ne zaid se kaha, ki tum mujhe 5000 Rs. Do, me apko wapas karte waqt 6000 Rs. Dunga to zaid ke haq me ye zaaid 1000 sood nahi. Aur ise sood samjhna logo ki ghalat fehmi hai.

Hazrat Faqh e Millat Mufti Muhammad Jalaluddin Amjadi (alaihirrehma)
Fatawa Faiz ur Rasool Jild:2 Safah:391 par farmate hain,
“yahan ke kafiron ko qarz dekar, za’id raqm lena JAIZ HAI”

Aur Tafseer e Ahmadiya Safah: 300 par hai ki
“za’id raqm sood ki niyat se naa le”

Hadis me farmaya : لا ربا بين المسلم والحربي في دار الحرب
Kafir harbi aur musalman ke darmiyan sood nahi.

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah: 388 par hai
“is nafe ko kisi ke sood keh dene se shariat ke nazdeek sood nahi ho jayega,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 


Suwal no. 548
Hazrat  kya juma ke din ghusl karna zaruri he matlab nahana zaruri he plz bataye hazrat is ka jawab

Jawab: 548 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar naapak hai to ghusl wajib hai, agar napak nahi to gusal karna zaruri nahi wuzu karke bhi jumua padh sakta hai, or ghusl is din sunnat e mustahbba hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 549
hazrat tasawuf kya hai ?

Jawab: 549 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat ke samunder se nikli tariqat ki ek neher
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 550
hazrat agar mera ek dost he jiska naam ram he batour qarz mujhse paise mangta he aur uske ewaj m 10% extra dena chahta he jo ki ek waqt ke baad aur badhta jayega (compound interest) ye jaiz he ya najaiz.?

Jawab: 550
Bilkul jaiz hai jo raqm kafir apni khushi se de, yani unse chheeni naa gai ho naa dhoka diya gaya ho to hindustan ke kafir se extra milne wali raqm lena jaiz hai, aap use qarz de kar usse extra 10% ya 99% jo wo de le sakte hai aur ise sood ke niyat se naa le, aur wese bhi ye sood nahi , aur kisi ke kehne se ye sood nahi ho jayega,
Fatawa Faiz ur Rasool Jild:2 Safah:391 par farmate hain,
“yahan (hindustan) ke kafiron ko qarz dekar, za’id raqm lena JAIZ HAI”

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah: 388 par hai
“is nafe ko kisi ke sood keh dene se shariat ke nazdeek sood nahi ho jayega,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 551
Zaid k shadi hai. Aur shadi me bahen bahnoi ko kapde bator tohfe diye jate hai. To masla ye hai ki  zaid apne rishtedaro ko  kapdo k liye raqm zakat me de de to kya zaid ki zakaat adaa ho jaygi. Dhyan rhe rishtedar zakaat k mustahiq hain

Jawab: 551 بسم الله الرحمن الرحيم
Zakat ki raqam ka kisi sharai faqeer ko malik kar dene se zakat ada ho jayegi aur use ye batana kuch zaruri nahi ki ye zakat hai, bator e tohfa bhi de to bhi zakat ada hogi, dene wala zakat ki niyat karle, warna bagair zakat ki niyat se lakho rs. Bhi kisi ko diye to wo zakat nahi.

Bahar e Shariat Jild: 1 Safah: 933 par hai
“zakat wagera sadqaat main afzal yeh hai ki awwal apne bhaion behnon ko de, fir unki aulad ko ...”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 552
bhai mujhe alhamdo sharif surah fatiha ka tarjuma pata karna he aap kanjul iman se hawala de.

Jawab: 552  بسم الله الرحمن الرحيم
Sureh fatiha ka tarjuma is tarah hai,

*Allah ke naam se shuru jo bahut mehrban rehmat wala
*Sab khubiya allah ko jo malik sare jahan walon ka
*Bahut mehrban rehmat wala,
*Roze jaza ka malik
*Ham tujhi ko pooje aur tujhi se madad chahen,
*Ham ko seedha rasta chala
*Rasta unka jinpar tune ahsaan kiya, naa unka jin par ghazab hua or naa behke huo ka,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 553
Kisi ko tohfe me zakaat ki raqm bina bataye de saktw hain. ?

Jawab: 553 بسم الله الرحمن الرحيم
G, de sakte hain.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 554
Hazrat agar kisi namaz me farz se pehle ki sunnat nahi mil payen or hum farz namaz ke liye khade ho jaye to baad men chhuti hui sunnat padne ka kya tareeqa hai or iski neeyat kaise hogi ?

Jawab: 554 بسم الله الرحمن الرحيم
Jis tarah pehle padhi jaati usi tarah bad me padhi jayegi bad me unka koi tariqa nahi badlega, or ye bhi ikhtiyar hai ki bad wali sunnat ke bad padhe ya farz ke bad pehle chhuti hui padhe aur bad me bad wali sunnat, or behtar yeh hai ki farz padh kar pehle farzo ke bad wali sunnat padhe aur jo chhuti hai wo akhir me padhe, albatta fajr ki sunnat chhut gai ho to tulu aftab ke 20 mnt. Bad padhe foran farz ke bad naa padhe naa makruh waqt me padhe aur bad me padhna mustahab hai, naa padhe to bhi harj nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 555
Hazrat agar koi bhai, apni behen ya bivi ya maa ke paas main namaz padh sakte ya aurat ke said main namaz nahi padh sakte hain,

Jawab: 555 بسم الله الرحمن الرحيم
Ilaqe ki masjid me farz namaz jamat se padhna mard par wajib hai, aur kisi sharai ujr ke sath agar jamat tarak ho gai to ghar par farz namaz padh sakta hai, aur mehram ke sath padhne me harj nahi, jabki ye apni apni alg alg namaz ada kar rahe ho,
aur agar ye mard ghar me in aurato ke sath jamat se namaz padhna chahe to ye mehram aurato(behen, maa) bivi ka imam bhi ban sakta hai aur ye aurate iski muqtadi, jabki imam banne wala imamat ka ahl ho aur aurate piche khadi ho,

Fatawa Razavia Jild:7 Safah:208 Par hai,
“jamat me jitni auraten uski mehram ya bivi ..... ke siwa nahi to (jamat se namaz padhna) bila karahat jaiz”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.556
hazrat kide makodo ko marna chahiye ya nahi is ke bare main hadees main kya aaya he ?

Jawab: 556  بسم الله الرحمن الرحيم
Jo janwar moozi hai unhe marna jaiz hai or taklif dene se pehle bhi maar sakte hai, Balki baz to marne par swab hai Jaise chipkali or girgit ke bare me  Hadis me farmaya jo Chipkali or girgit ko pehli zarb me marega Uske liye 100 nekiya, 

Fatawa Razavia Jild: 10 Safah: 742 par hai,
Cheel, kawwa, chooha, chipkali, sanp, bichhu, Khatmal, machhar, pissu … wagaira Khabees aur muzi janwaro ka qatl harm shareef me bhi Jaiz hai aur ahraam me bhi,

Bahar E Shariat Jild: 3 Safah: 655 par hai
Khatmal ko marna jaiz hai ki ye taklif deh janwar hai cheenti ko marna makruh hai jab tak taklif naa den jaise ki Fatawa Alamgiri me hai
Cheenti ne izaa pahuchai aur maar dala to harj  nahi warna makruh hai

Ju ko mar sakte hai (chahe) usne kata naa ho ,
Tiddi halal janwar hai use khaane ke liye maar sakte hai Or zarar se bachne ke liye bhi maar sakte hain,
(Bahar E Shariat Jild: 3, Safah: 655)
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 557
hazrat chit fund(B.C) khilana jaiz hai ya nahi ? Is me jo comition milta hai wo halal hai ya haram ?

Jawab: 557 بسم الله الرحمن الرحيم
Mazrat ke sath,  mujhe is chit fund ke bare me koi tafseele malumat nahi hai, iski kya asl hai aur unke kya rules hai aur ye kis tarah kam karti hai, wagera wagera, behtar hoga aap apne shehr ke kisi bhi sunni darul ifta se iska sharai hukm maloom karen,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 558
hazrat zaid bhi musalman hai aur bakar bhi musalman hai. zaid ko paise ki zarurat padi usne bakar se udhar liya. lautate waqt jayad lautaya. kya bakar ke liye extra paisa halal hai ?

Jawab: 558 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar zaid aur baqr me sirf udhar paise dene ka muamla hua aur ye tey nahi hua ki wapsi me zayada raqm deni padi, aur naa baqr ne zyada lene ke irade se diya, bas sirf udhar ke bator diye ab agar zaid ka kaam un paiso se nikal gaya, aur zaid khud apni khushi se bator e tohfa baqr ko kuch raqm udhar se alag deta hai to jaiz mubah hai, aur sood nahi, aur sood is soorat me hoga jabki udhar ke waqt tey hua ho ya zaid janta ho ki baqr sood par hi paise deta hai, magar yaha zaid apni marzi aur khushi me deta hai, to jaiz he
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 559
hazrat kya risala darul islaam aala hazrat rahmatullah alai ki kitaab hai ?

Jawab: 559 بسم الله الرحمن الرحيم
agar ye risala hai to kitab nahi aur kitab he to aap risala kyun likh rahe ho, kitab aur risala me farq hota hai,
khair, G, Han, is mozu par Imam E Ahle Sunnat ka ek risala hai, magar shayad apne jo naam likha wo adhura hai, wo risala Fatawa Razavia Jild: 14 Safah: 106 me hai jiska pura naam hai shayad is tarah hai
اعلام الاعلام بان ہندوستان دارالاسلام
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 560
“tarikat ke samander se nikli hui naher tasawwuf hai” samajh nahi aaya barai karam samjha de to behtar hota

Jawab: 560 بسم الله الرحمن الرحيم
Aam zuban me ise sufio ki raah ya tariqa ya sufio ke aqeede se tasbih di jaati hai, or baz aam zuban me ise faqeeri line keh diya jaata hai, yani ahle marifat, dil se khwaisho ko door karke khuda ki taraf tawajjo karna, aur sufi wahi jo shariat ke khilaf kaam naa kare, balki ye apne taqwe ki wajah se hi jaane jaate hai, magar kuch logo ne aaj tasawwuf ko naya rang de diya jo shariat ke khilaf hota hai, isilye ye kaha gaya ki asl tariqat wahi hai jo shariat ke samandar se nikle, iske khilaf naa sufi hain na tariqat na tasawwuf
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 561
Masjid se namaz padh kar nikalte waqt agar Kisi ka chappal ya juta chori ho jaye to kya karna chahiye ?

Jawab: 561 بسم الله الرحمن الرحيم
Nange Paun ghar ana chahiye, warna ghar par kisi bache wagera ko bhej kar doosre joote chappal ka intizam karwaye, warna kisi se uski ijazat lekar uske joote chappal pehen kar ghar aye, fir apne pehn kar use wapas kare,
Masjid se bagair ijazat kisi ke joote, chappal pehn kar kuch der ke liye bhi ghar nahi aa sakta, naa masjid me padhi bekar chappal khud le sakta, naa shak ki bina par kisi ke joote chappal utha sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 562
Nikah ke bad ki pahli raat me shohar aur biwi ke beech me shariyat me kya hukm hai yani 2 raqat namaz kis tareeke se padi jaygi puri tafseel se samjhaiyye ? Aur kya kya karna chahiye aur kin bato se bachna chahiye ?

Jawab: 562 بسم الله الرحمن الرحيم
(ye sab quran o hadis or aqwal e aimma or buzurgan e deen se sabit hai baz sunnat hai baz mustahab or kuch adab)
Sabse pehle jab nai dulhan ghar aye to uske per dho kar us paani ko ghar ke charo kono me dalna chahiye Alahazrat Imam E Ahle Sunnat fartame hai ye mustahab hai or isse ghar me barkat hoti hai,
Shadi ki raat namaz e shukrana padh sakte hai, aur iski tarkib aam namazon ki si  Hoti hai mard aage hoga aur bivi peeche is namaz ka fayeda insha allah ye hoga ki Aurat mard ki farma bardar rahegi,
Hadis e pak me hai ki musalman ki niyat uske amal se behtar hai, or bagair achi niyat ke koi nek kaam ka sawab nahi milta, or agar har kam me achi niyat shamil ho jaye to wo ibadat ban jata hai, chahiye ki is kaam se pehle bhi kuch niyat kar li jaye.
Maslan: allah or uski riza pane ke liye niyat karta hu swab ko badane ke liye. Sunnat ki adaygi karunga. Sunnat or adab wagera ka khyal rakhunga jis kaam se bachne ka hukm diya is dauran us kam se bachunga, badnigahi se bachne ke liye jima (hambistari) karunga, zina se bachne ke liye bhi, isi tarah ibadat me dil lagne ke liye bhi,(jima kar lena dil ki rahat hai jab ibadat, namaz wagera dil ki rahat hi ke sath ki jaa sakti hai becheni ke sath nahi.) Or chahiye ki dono pehle namaz ada kare. Hambistari karne se pehle koshish kare ki khushbu lagaye, (chahe to kamare me agrbatti wagera) achi baate kare mohabbat ka izhar kare. Shehwat ke sath bos o kinar (kissing) kare. Chahat wa dilchaspi ka izhar kare. Fir dono ko chahiye ki ek chadar ya bade kapde me shamil ho jaye fir bismillah padhe or jima (hambistari) kare.In bato ka khas khyal rakha jaye ki buzurgo ne farmaya,
Barhana jima karne se aulad be-haya peda hoti hai isi liye chahiye ki koi kapda zarur odh le is dauran baate bilkul naa kare ki aulad ke goonge paida hone ka khatra rehta hai. jis tarah chahe aurat se or  aurat mard se lutf hasil kar sakti hai magar mard ko chahiye ki aurat ke agle muqam par hi jima kare aurat ke piche jima karne wale par hadis me lanat aai or use iblees kaha gaya, Yani aurat ke sath jis tarah chahe jima kare, magar sirf aage ke mukam par, isi tarah mu se jima karna haram hai yani mard apne sharm gah ko aurat ke munh me de ya aurat ki sharm gah ko zuban se chate ye haram hai sakht haram, sharm gah ko chhor kar mard aurat chahe ek dosre ke kahi bhi choom sakte hai isi tarah mard aurt ke pistan par bhi Jima me jald bazi naa kare. Balki mard agar farig ho jaye to ek dam foran door naa ho balki aurat ka bhi suqoon e rooh ko hasil karne de fir jab dono farigh ho  jaye to kuch der bad astinja wagera kare, warna ghusl, or agar usi rat fir se jima karne ka irada ho to ghusl naa kare magar har bar wuzu kar le. Fir isi tarah raat me jitni baar jima kare yahi kaam kare yani kuch der theherne ke bad astinja or wuzu kare. Or namaz e fajr se pehle dono ghusl kare,

Buzurgo ne farmaya ki hamesha  apni taqat ko aurat par barbad mat karo isse bahut kamzori paida hoti hai. or kamzori se or bhi nuksan hai.. Zyada jima karne walo ko is hiqayat par bhi nazar karni chahiye.
Ek buzurg se unke shagird ne pucha ki aurat se jima kitni bar karna chahiye, farmaya Zindagi me ek bar, kaha ye to mumkin nahi fir farmaya sal me ek bar, kaha ye bhi mumkin nahi, farmaya mahine me ek bar, kaha itna rukna bhi mushkil he, farmaya to hafte me ek bar, kaha ye bhi naa ho sake to ?
Farmaya SAR PE KAFAN BANDH LO OR ROZ KARO.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 563
kya kisi ger muslim ke ghar se gosht khana jayez He,

Jawab: 563 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo musalman gosht khayega agar usne khud kisi musalman ki dukan se gosht lakar us kafir ke ghar diya ki pakaye, aur uske samne paka fir khaya to harz nahi, (yani khana halal magar is surat me bhi nahi chahiye ki bezarurat kafir se mel jol hadis me mana hai) aur agar kafir khud laya aur paka kar musalman ko khane ko de to jaiz nahi, chahe wo kahe ki me musalman ki dukan se laya hu, fir bhi uska aitbar nahi kiya jayega,

Fatawa Razavia Jild:21 Safah:637 par hai,
“Hinduo ke yaha khana peena SIWAYE GOSHT ke jaiz rakha gaya hai magar behtar bachna hai”

Aur aage Alahazrat Imam e Ahle Sunnat is kitab yani
Fatawa Razavia Jild:21 Safah:659 par likhte hai
“hinduo ke yaha gosht khana haram hai, aur baki cheezo me fatwa jawaz aur taqwa ehtraz”
(yani gosht khana haram, baki chize halal, fatwa yahi hai aur taqwa ye ke kuch bhi naa khaye)

Age Fatawa Razavia Jild:21 Safah:664 par likhte hai, (khulasa)
“hinduo ke yaha ka gosht haram aur har wo chiz bhi haram jiski nisbat ye yaqin ho ke isme koi napak chiz mili hai, aur yaqeen nahi to (gosht ke siwa) sab jaiz)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 564
namaz main jo sunnat gair muoakkada hoti he kya kehna zaruri hai agar gair moakkada sunnat na kahe tab bhi kya namaz ho jayegi ?

Jawab: 564 بسم الله الرحمن الرحيم
Keh lene me bhi harj nahi aur naa kaha to bhi sunnat ada ho jayegi jab ki dil me pakka irada ho kiya padh raha hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 565,
Hazrat Meri mobile ki Dukan he or me download bhi karta hun kuch log gane or gande mnazir(blue film)
Bhi dalwate he to kiya Hazrat jabtak woh ye sab dekhega unka gunah mere sar bhi aayega Talib e jawab

Jawab: 565 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han, zarur downloding me gane baje gande manazir kisi ke phone me dalne bhi haram hai aur is kam me aap bhi gunahgar hai aur jo ise sunenge aur dekhenge wo bhi gunahgar hai, aur un sabka gunah bhi apke sar hoga aur unke gunah me kuch kami naa ayegi, iske liye me ek apko bahut khoob qurani dalil paish karta hun, (allah kare apke samajh aa jaye,) quran ka ek mash’hoor waqya hai habil qabil ka, ye dono hazrat aadam (alaihissalam) ke bete the, aur qabil ne apne bhai habil ko qatal kar diya, is waqye ki tafseer me Tafseer Roohul Byan Sureh Maida Aayat 27-30 me hai ki “Hadis shareef me hai ki ” zameen par qiyamat tak jo bhi nahak qatal hoga, qabil us qatal ka bhi hisse dar hoga, kyunki usi ne sabse pehle qatal ka dastoor nikala”

Ise pata chala ki qabil ne qatal karke apne sar to gunah liya aur sath hi ab uski dekh dekh jo bhi kisi ka qatal karega uska gunah bhi isi qabil ke sar hoga aur logo ke gunah me kami nahi hogi  (kya hi achi misaal)

Ek aur hadis mash’hoorah hai jo shayad apne suni hogi ki sood ki gawahi dena bhi haram aur sood khana bhi, ab aap soche kya gawahi dene wale ne sood khaya NAHI hargiz nahi to fir ispe gunah, kyunki isne sood jese haram kaam me logo ki madad ki, bas isilye, to gane baje sunne filme drame phone me dalne par logo ki madad karna kaise jaiz hoga? jabki

Quran pak me allah fermata hai, Surah maida ayat 02 me
“Or gunah or zyadati par ek doosre ki madad naa karo”

Fatawa Hindiyya Jild: 3 Safah: 451 par hai
“Gunah ke kaamo me kisi ki madad karna Kabeera Gunaho me shamil hai”,

Jis tarike se sood ke khane wala gunahgar hai usi tarah Sood me har tarike se madad karne wala yaha tak ki Gawah bhi gunah gar hai,

Bas is jamae kalam aur dalail e sharia se sabit hai ki mobile me gane bharna bhi haram aur logo ko gane sunana bhi haram,
Allah ta’ala logo ko jaiz or halal kamane ki tofiq de aur usme barkat de, wahi barkat wala hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 566
juma ke time  ek shaks sunnat ada karne ki tyari kar raha tha ki azaan shuru ho gayi lekin us shaks ne fir bhi niyat bandli or sunnat ada ki kya ye sahi tha ? Juma ki namaz me jo dusri bar azaan hoti he tab niyat bandi thi us shaks ne to kya ye sahi tha ?

Jawab: 566 بسم الله الرحمن الرحيم
Kyunki azan shuru hote hi foran khutba shuru ho jata hai aur uske foran bad namaz to is shaks ko sunnat nahi padhni chahiye thi aur bad juma in sunnat ko padh sakta tha,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 664 par hai
“zohar ya juma ki pehle ki 4 sunnaten fot ho gai, aur farz padh liye to agar waqt baqi hai, ya bad farz ke padhe, “
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 567
hazrat iblees jin hai ya insaan! kya allah ko malum tha iblees nafarmaan hoga aur zamin mein pheka jayega

Jawab: 567 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran e Pak sureh Kehf Ayat 50 me Duniya ko paida karne wala Allah farmata hai:
“aur yaad karo jab hamne firishton se farmaya ki aadam ko sajda karo, to sab ne sajda kiya siwaye iblees ke, ki QAUM E JINN se tha, apne rab ke hukm se nikala gaya,”

Bilkul maloom tha, allah sab kuch janne wala hai jo ho gaya jo hone wala hai, sab kuch, jo is aqeede par iman naa rakhe ki (allah sab janta hai) to wo musalman nahi,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 568
Hazrat kya paltu janwer ka fitra sadqa ya jakaat nikala jata hai agar nikali jati hai to tarika kya hai jaise bakri murge wagera ?

Jawab: 568 بسم الله الرحمن الرحيم
Paltu janwar ki zakat nikali jaati hai, magar uski kuch soorate hain aur wo surate shehro me kam paai jati hai, kyunki yaha 2-4 janwar hi pale jaate hai, aur unhe bhi chara khareed kar khilana padta hai jabki zakat ke liye janwar ki jo tadad shariat ne muqarrar ki hai usse kam janwar ho to zakat nahi, aur shehro me itne nahi hote jo zakat ko pahuche aur janwar ki zakat ki tafseel is tarah hai,

Durr E Mukhtar Sharah Tanweer Ul absar Jild: 3 Safah: 232 par hai
“sa’yma wo janwar hai jo saal ke aksar hisse me chara kha kar guzara karta ho, aur usse maqsood sirf dudh aur bache lena ya farba karna hai, (isi tarah) agar ghar me ghaas laa kar khilate hon, ya maqsood bojh ladna, ya hal wagera kisi kam me lana, ya sawari lena hai, to agarche char kar guzara karta ho, weh sa’yma nahi aur uski ZAKAT WAJIB NAHI”


Aur agar apne pas is qism ke janwar hai jo sa’yma ke hukm me hai to unki zakat is tarah nikalti hai:

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 893 par hai,
Oonth ki zakar- 5 oonth se kam me zakat wajib nahi, aur jab 5 ya 5 se zyada ho to magar 25 se kam ho to har 5 oonth par ek bakri wajib hai, yani 5 oonth ho to ek bakri 10 ho to 2
Oonth ki zakat ka nisab: is tarah hoga.
5 se 9 oonth tak= 1 bakri
10 se 14 oonth tak = 2 bakri
15 se 19 oonth tak = 3 bakri
Wagera wagera,,,

Gaye ki zakat- 30 se kam gaye ho to zakat wajib nahi, aur jab 30 puri ho to unki zakat sal bhar ka bachhra aur 40 ho to 2 saal ka bachhra 59 tak yahi hukm hai, (bhens ka bhi yahi hisab hai ki wo bhi gaye ki hukm me hai)

Gaye ki zakat ka nisab: is tarah hoga
30 se 39 gaye tak= 1 sal ka bachhra (gaye ka)
40 se 59 gaye tak =  pure 2 sal ka bachhra
60 se 69 gaye tak = 1-1 sal ke do bachhre

Bakri ki zakat- 40 se kam bakriya ho to zakat wajib nahi, aur 40 ho to unki zakat 1 bakri, yahi 120 tak he,

Bakri ki zakat ka nisab: is tarah hoga
40 se 120 bakri tak = 1 bakri
121 se 200 bakri tak = 2 bakri
201 se 399 bakri tak = 3 bakri
400 se 499 bakri tak=  4 bakri
Fir har 100 par ek bakri ka izafa

Zakat 3 qism ke janwar par hai, jo upar byan huey uske alawa murge par zakat nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 569
Hazrat safar ka mahina kiya hai aur kiya is mahine may naya kam yani business sadi waghra nahin karni chaheye?

Jawab: 569 بسم الله الرحمن الرحيم
Safar ka mahina kuch nahi log ise manhoos samjhte hai ye unki jahalat hai, or baz to use gham ka mahina kehte hai, aur naa shadi ko jaiz mante hai naa khushi ko ye unki kam ilmi hai, is maah me shadi wagera koi bhi nek kam karna jaiz hai,

Bahar e Sahriat Jild:3 Safah: 659-660 par hai
Maah e safar ko log manhoos jante hai is mahine me shadi biah nahi karte, ladko ko khushbu nahi lagate, aur bhi is qism ke kaam karne se parhez karte hain, khas kar safar 13 tarikh bahut manhoos mani jati hain aur inko TERAH TEJI kehte hain, ye sab JAHALAT ki baate hai, Hadis e Pak me farmaya “safar kuch nahi”
Yani logo ka ise manhoos samajhna ghalat hai,
Age likhte hai:
Mahe safar ka akhri BUDH hindustan me manaya jaata hai log apne karobar band kar dete hain sair o  tafreeh, shikar ko jaate hain,.... (ye bhi khilaf e waqeh hai) balki hadis ka irshad “safar koi chiz nahi”
sari khurafato ko radd kar diya
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب








































Suwal no 571
Hazrat koi insan so raha ho din ho ya rat,  Agar dusre insan ko usi jagah namaz padhni he namaz ka time ho gaya ho to kya namaz padh sakte he  kya hukm he jawab ka talib hu ?

Jawab: 571 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ye namaz padhne wala janta hai ki sone wala bhi namaz padhega aur waqt guzar raha ho to ise us sone wale ko uthana bhi namaz ke liye wajib hai, aur agar ye sone wala namaz nahi padhega to fir ise sone de, kahi doosri jagah namaz padh le, agar jagah nahi to use side me sone ke liye keh de, aur suwal me hai ki “namaz ka time ho gaya” isse pata chala ki namaz ka time hote hi foran waqt qaza nahi hota,
Mard ko masjid me jamat se namaz padhna wajib hai, bila ujr ghar me namaz padhne aur jamat tark karne ka aadi banega to gunahgar hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 572
Hazrat kya Jo namaz jahannam se bachne ke dar se, jannat ko pane ke lalach se, or khauf e khuda se padhi jaye wo namaz sahi nahi mani jayegi ? Log bolte hain, Jo namaz Allah pak ki mohabbat me padhi jaye sahi
Hai, kya ye bat sahi he ?

Jawab: 572 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ke faraiz aur sharait wajibaat ki adaigi agar koi sahi sahi kare to namaz ada ho jayegi, aur in sab suraton me namaz padhna jaiz hai, yani jannat pane ki niyat se bhi, allah ke khauf se bhi, aur jahannam se bachne ke liye bhi, balki namaz ya har ibadat me yahi maqsad hota hai, or raha allah ki mohabbat me namaz padhna to shayad mene kabhi nahi dekha ki koi allah ki dushmani me namaz padhe ?, kisi ka namaz ada karna hi ye dalil hai ki wo allah ke farman par amal kar raha hai aur kisi ke farman par amal karna usse mohabbat hi ki dalil hoti hai, logo ka kehna ghalat hai, balki namaz padhna allah rasool ki mohabbat hi paida karta hai, aur ye heele bahane wo log karte hai jinhe khud namaz padhne ki tofiq nahi hoti,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 573
Assalam alaikum
Hazrat ye bataye ke namaz padhte Time agar Rona aa jaye ya sajde me koi ro ro kar ALLAH se kuch talab kare ya Rone ki wajah se sajda lamba ho jaye. To wo namaz kaisi he Mani jayegi ya nahi ?

Jawab: 573 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام
Suwal se yahi zahir ho raha hai ki namaz nafil hai kyunki jamat se namaz me muqtadi sajda lamba nahi kar sakta kyunki imam ke sar uthane par use bhi sar uthana padhega,
Is tarah namaz padhne me harj nahi, or sajde me 7 tasbih padhi jaye, aur rone se namaz ho jati hai, jabki rone me sirf aansu ho aur awaz  ya huzoof paida naa ho,
Jaisal ki  (Fatawa Alamgiri)  me hai
Namaz me rona, Dard ya musibat ki wajah se ye alfaz, AAH, UH, UFF, TUF, nikal gaya ya awaz se rone me ye huruf  Paida ho gaye to NAMAZ FASID ho gai, yani tut gai Or rone me sirf aansu nikle awaz ya hurf nahi nikle to harj nahi,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no 574
madar shah ke bare me tafsil se bataye Hazrat kiyunki kuch log unhe taba’i kahte he aur kuch wali kahete hen, ?

Jawab: 574   بسم الله الرحمن الرحيم
G, madar sahib allah ke wali hai aur unka taba’i hona mujhe yaad nahi,
Awam ko is umoor par behes karna sakht mana hai Khuda naa kare kisi taraf gustakhi ho jaye to Barbadi balki iski shamat se zawal e iman ka andesha hai Shah madar Sahab zarur akabir e auliya se hai, Magar is me shak nahi ki huzoor gaus e azam ka martaba Bahut aala wa afzal hai , Gaus apne daur me tamam auliya e alam ka sardar hota hai
Huzoor sayyidina gaus ul azam Walion ke sardar hai,  Hazrat shah badiuddin madar sahab ko
Unse afzal kehna jahalat, iftra wa bohtan hai
Fatawa Razavia Jild: 26 Page: 559
Fatawa Razavia Jild: 26 Page:566
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 575
Kya hazrat bade program (majlis) me jab koi bhi  bade allama ko bulate he takrir  karne ke liye
Tab unke swuagat(webcome) ke liye Patakhe ya vagera vagera fod sakte  he, Aysa karna kaisa he

Jawab: 575 بسم الله الرحمن الرحيم
Apke liye Ye is group ahle sunnat ki barkat hai jo apne is masale ko amal me laane se pehle puch liya agar aap aisa kar bethte to wo aalim pehle aapki behuda harkat par hi takrir kar dete, kyunki iski ijazat nahi ye najaiz hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 576
Agar koi namaz pad raha he kya us ke samne se nikal sakte hain or agar nikal sakte he to kitni door se phir bhi agar thodi hi si jigah he or rasta wahi he to kaise nikle ?

Jawab:576 بسم الله الرحمن الرحيم
Namazi ke samne koi aisi cheez rakhi jaye jo khud apne wujood se khadi ho sake, jise suthra kehte hain,  fir guzarna jaiz hai, aur puchi gai surat me kitni bhi doori tak nahi guzar sakta, agar samne koi cheez naa rakhe, aur agar fir bhi koi guzra to gunah guzarne wale par hai, namazi ki namaz me koi farq nahi ayega,
Alahazrat Imam Ahle Sunnat Farmate hai,
Namaz me koi khalal nahi aata nikalne wala Gunahgar hota hai,
Fatawa Razavia: Jild:7 Page: 255
                            
aur ye tanha namaz padhne wale ka hukm hai,  jabki namaz jamat se hoti hai to namazion ke aage se guzarne me gunah nahi hota, wo jo hadis me aya ki namazi ke age se naa guzro wo tanha namaz padhne wale ka hukm hai wo bhi jiske samne koi suthra naa ho, aur imam ka suthra muqtadion ke liye kafi hota hai
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 577
Kya hazrat  agar insan napak ho tab wo pak kapde ya rumal ya sabun chhu sakta he kya hukm he

Jawab no 577 بسم الله الرحمن الرحيم
Han, chhu sakta he koi harz nahi na kapda napak hoga na sabun
(Jawab: Mufti Sagir Ahmad Badauni)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 578
hazrat janaze ko dafn karne ke baad jo azan di jati hai, wo farz hai ya wajib hai ya sunnat hai yeh azan kab se shuru hui ?

Jawab: 578 بسم الله الرحمن الرحيم
Ahle Sunnat Hi Me Ye Sunnat Aaj Bhi Ra’ij Hai
Azan Ghair e Namaz Bhi ja-ba-ja Jaiz Hai

Fatawa Razavia Jild:5 Safa:658 par hai,
“baz ulama e deen ne mayyat ko qabr me utarte waqt azan kehne ko SUNNAT farmaya hai”

Haq ye hai ki qabar par azan naa dene yani azan mana hone ki shariat me koi dalil nahi, aur jis kam se shariat mana naa farmaye, wo kam mamnu nahi ho sakta, kisi bhi kam ke jaiz hone ke liye itna kafi hai ki shariat me mana nahi, aur jo ise mana kare, use chahiye ki wo APNA DAWA SHARIAT SE SABIT KAR DE,

QABR PAR AZAN KE FAYEDE:-
Quran o hadis me jitne bhi azan ke fayede hai, wo qabar par dene se bhi hasil hote hai, to ab shariat azan ka kia hukm byan karti hai is taraf ek nazar, aur azan akhir he kia ispar bhi ek nazar,
Is Hadis ko IMAM TIRMIZI ne riwayat kiya:
اذا سئل المیت من ربک تراأی لہ الشیطان فی صورت فیشیر الی نفسہ ای اناربک ۱؎ فلھذا ورد سوال التثبیت لہ حین یسئل
Yani: jab murde se suwal hota hai ki tera rab kaun hai, shaitan us par zahir hota hai aur apni taraf ishara karta hai, islye hukm aya ki mayyat ke liye jawab me sabit qadm rehne ki dua karo,
Aur sahih hadiso se sabit hai ki azan ke waqt shetan bhag jata hai,
Muslim shareef  اذااذن المؤذن ادبر الشیطان ولہ حصاص
Yani: jab moazzin azan kehta hai, to shaitan peeth pher kar bhag jata hai

Dalil-1 – jab hadis se ye sabit hai ki shaitan qabr me ata hai, aur ye bhi sabit hai ki azan se shaitan bhag jata hai, to qabr par azan dene se zarur shaitan murde ko naa behka sakega,

Hadis Musnad Ahmad Bin Hambal
قال لمادفن سعد بن معاذ (زاد فی روایۃ) وسوی علیہ سبح النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم وسبح الناس معہ طویلا ثم کبر وکبرالناس ثم قالوا یارسول اللّٰہ لم سبحت (زاد فی روایۃ) ثم کبرت قال لقد تضایق علی ھذا الرجل الصالح قبرہ حتی فرج اللّٰہ تعالٰی عنہ
Yani: jab sa’ad bin moaz radi allah anhu, dafan ho chuke aur qabar durust kar di gai, to Huzoor der tak “subhan allah” farmate rahe, sahaba bhi huzoor ke sath kehte rahe,
Fir huzoor “allahu akbar” farmate rahe aur sahaba bhi unke sath kehte rahe, sahaba ne arz ki Huzoor Awwal Tasbih aur bad me Takbir kyun? Farmate rahe, irshad farmaya is nek mard par iski qabr tang hui thi, yahan tak ki allah ne ye taqleef isse door ki aur qabar kushada farmai,

Dalil-2- is hadis se sabit hua ki huzoor ne mayyat par asani ke liye, bad dafan Allahu Akbar farmaya aur yahi kalime azan me bhi 6 bar hai to ain sunnat hua,, 
Azan me aur kalime zyada hai, aur kalime zyada hone se sunnat ki nafi nahi hoti, balki aur kalime par bhi allah ki rehmat hi hogi, jab Allahu Akbar se hi qabr kushada ho gai to puri AZAN KA KYA KEHNA,

Hadiso se ye bat bhi sabit hai ki naza ke waqt murdo ko kalima sikhau,
 jaisa ki Sihah Sitta me hai  لقنوا موتاکم لاالٰہ الاللّٰہ  yani apne murdo ko لاالٰہ الاللّٰہ  sikhao,

Dalil-3- jo naza’a me hai wo ekdam murda hai aur khud huzoor ne use kalima yad karwne ka hukm diya to qabar me jab yani suwal pucha jayega to azan se use jawab yaad ayega, iski asl bhi hadis se sabit ho gai,

Ek hadis e pak me huzoor ne farmaya: اطفؤا الحریق بالتکبیر  (aag ko takbir se bujhao), aur farmaya
اذا رأیتم الحریق فکبروا فانہ یطفیئ النار (yani: aag dekho to Allahu akbar ki takrar se use bujhao)
Mullah Ali Al-Qari Miqat Sharah Mishkat me us hadis ke tehet (huzoor der tak takbir kehte rahe) farmate hain:  التکبیر علی ھذا لاطفاء الغضب الالٰھی ولھذا اورد استحباب التکبیر عندرؤیۃ الحریق
Yani: ab ye ‘allahu akbar’ kehna ghazab e ilahi ke bujhane ko hai, lihaza aag lagi dekho to der tak takbir mustahab thehri,

Dalil-4- qabr par azan dene ki hikmat ye bhi hai ki hadis me aya ki aag lagi dekho to takbir kaho, yahan se ye bhi sabit hai ki qabr e muslim par takbir kehna SUNNAT hai lihaza azan bhi sunnat hui,

Hadis Sunan Abu Dawood, Bahaiqi Aur Hakim ne Hazrat Usman(radiallah anu) se riwayat kiya:
کان النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم اذافرغ من دفن المیت وقف علیہ قال استغفروا لاخیکم وسلوا لہ بالتثبت فانہ الان یسأل
Yani: huzoor jab dafan e mayyat se farigh hote, qabr par farmaya karte, apne bhai ke liye istagfar karo, aur uske liye jawab e nakirain me sabit qadm rehne ki dua mango, ki ab isse suwal hoga,

Mulla Ali Al-Qari Miqat Sharah Mishkat me farmate hai 
کل دعا ذکر وکل ذکر دعا  (sab dua zikr hai aur sabhi zikr dua hai)

Dalil-5- bad dafan qabr e muslim ke pas dua karna sunnat se sabit hai aur azan khud DUA hai, balki behtreen dua hai, balki zikr e ilahi hai, balki har zikr DUA hai,

Ye to sabit ho gaya ki qabar par dua karna sunnat se sabit hai, aur ye bhi hadis me hai ki har dua se pehle kuch nek amal (tasbih wagera) kar liya jaye (isse qubooliyat ki ummid bad jaati hai),

Muslim Abu Dawood Tirmizi ne ek hadis naql ki  اٰداب الدعاء منھا تقدیم عمل صالح وذکرہ عند الشدۃ
Yani: adab e dua me se hai ki isse pehle amal e saleh ho, aur zikr e ilahi mushkil waqt me zarur karna chahiye, (aur azan bhi ek zikr balki zikr e saleh hai, jaisa ki upar guzra)
Aur ek hadis me farmaya  اذا نادی المنادی فتحت ابواب السماء واستجیب الدعا
Yani: jab azan dene wala azan deta hai to asman ke darwaze khol diye jate hai, aur DUA qubool hoti hai

Dalil-6- bas ye bhi sabit hai ki huzoor ne dafan bad dua ki, aur hadis khabar de rahin hai ki azan ke bad dua qubool hoti hai, aur dua se pehle kuch nek amal karna chahiye kuch zikr, to zahir hai, dafan bad, azan dene se dua karne wale ke liye qubooliyat ke darwaze khol diye jaate hai, aur ye ki azan bhi zikr hai, aur dua se pehle azan dena yani zikr e ilahi hua aur ye bhi qubooliyat ke adab me se guzra, to jo log, bad dafan qabr par azan dete hai, fir dua karte hai to goya kitni hadiso par amal karte hai, aur dua ki qubuliyat ki ummid bhi qawi ho jaati hai, jaisa ki guzra

Azan zikr e ilahi hai aur zikr e ilahi azab ko dafa karta hai,
Hadis Musnad Ahmad, Bahaiqi ne naql kiya farmaya: huzoor ne :  مامن شیئ انجی من عذاب اللّٰہ من ذکر اللّٰہ
Yani: koi cheez zikr e ilahi se zyada azab e ilahi se najat bakhshne wali nahi
Aur khushi ki khabar ye ki khud azan ke liye khas hadis me farmaya gaya اذا اذن فی قریۃ امنھا اللّٰہ من عذابہ فی ذلک الیوم  yani: jab kisi basti me azan di jati hai to allah us din use azab se aman de deta hai

Dalil-7- to beshak apne musalman bhai ke pas azan dekar uski qabar balki qabaristan se azab e ilahi ko door karna kaisa swab wa mayyat ke liye nafabakhsh kaam hai,

Azan zikr e mustafa hai aur zikr e mustafa bhi rehmat nazil hone ka zariya hai, Naseem Ur Riyaz me hai
جعلتک ذکراً من ذکری فمن ذکرک فقدذکرنی  yani: mene tumhe apni yad me se ek yad kiya, jo tumhara zikr kare wo mera zikr karta hai, aur zikr karne wale ke liye to huzoor ne farmaya : حفتھم الملٰئکۃ وغشیتھم الرحمۃ ونزلت علیھم السکینۃ
Yani: unhe malaiqa ghair lete hain aur rehmat e ilahi dhaap leti hai, un par sakina aur chen utarta hai,

Ye bhi hadis se sabit hai murdo ki qabar tang karti hai, aur naye ghar me uska dil ghabrata hai, aur sakht wehshat aur ghabrahat hoti hai, aur azan wehshat ko door karti hai ghabrahat ko door karti hai, aur kyunki azan zikr hai aur quran me farmaya الابذکر اللّٰہ تطمئن القلوب  tarjuma: sun lo khuda ke zikr se chain pate hai dil,
Aur Hiliyatu Auliya me ek hadis naql hai, farmaya :  نزل ادم بالھند فاستوحش فنزل جبرئیل علیہ الصلاۃ والسلام فنادی بالاذان
Yani: jab Adam(alaihissalam) ko jannat se hindustan me utara to unhe ghabrahat hui, to jibrail alaihissalam ne utar kar AZAN di,

Dalil-8- bas ye bhi sabit hai ki zikr se dil chen pate hain, aur azan behtreen zikr hai, aur azan se ghabrahat door hoti hai, aur wehshat khatam hoti hai,  to kon aqal wala nahi chahega ki wo naye ghar me apne azeez ki ghabrahat ko door kare, aur kon nahi chahega, ki azan de kar, musalman ki wehshat ko door kare, magar wo nahi chahega, jisse shaitan allah ke zikr(azan) se roke,   (kya hi achi misal)

Jo musalman apne ya kisi bhai momin bhai ki qabar par azan deta hai, aur uske azab dafa karne me madad karta hai, aur use qabar me fayeda pahuchta hai TO SUN LO uske liye hadisen kya kehti hai:
Sahih Muslim me hai اللّٰہ فی عون العبد ماکان العبد فی عون اخیہ  yani: allah bande ki madad me hai, jab tak banda apne bhai musalmanon ki madad me hai , (subhan allah, kya hi ACHI MADAD madad e ilahi hai)

Aur is hadis ko Bukhari ne naql kiya farmate hai MADANI TAJDAR:
من کان فی حاجۃ اخیہ کان اللّٰہ فی حاجتہ ومن فرج عن مسلم کربۃ فرج اللّٰہ عنہ بھاکربۃ من کرب یوم القیٰمۃ
Yani: jo apne bhai musalman ke kam me ho, allah uski hajat rawai farmata hai, aur jo kisi musalman ki taqleef door kare, allah uske badle qiyamat ki musibaton se ek musibat us par se door farmayega,

Jab Hazrat Ali ko huzoor ne ghamzada dekha to farmaya:
قال راٰنی النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم حزینا فقال یاابن ابی طالب انی اراک حزینا فمربعض اھلک یؤذن فی اذنک فانہ درء الھمّ
Yani: mujhe huzoor ne ghamgeen dekha to farmaya, aye ALI me tujhe ghamgeen pata hun, apne kisi ghar wale se keh ki, tere kan me azan kahe,  AZAN GHAM AUR PARESHANI KO DAFA KARTI HAI,

Imam Tabarani ne ek hadis naql ki farmaya huzoor ne: ان احب الاعمال الی اللّٰہ تعالٰی بعد الفرائض ادخال السرور علی المسلم
Yani: beshak allah ke nazdeek farzon ke bad sab amaal se behtar, musalman bhai ko khush karna hai,

Dalil-9- “lo wo aya mera hami mera ghamkhware umam” to dekh lo aye sunni musalmano, tumhare liye kaisa haseen moka hai, ki qabar par azan dekar apne musalman bhai ko fayeda pahuchao, aur jo aisa kare, allah uski hajat puri karta hai, aur ye bhi sabit hua ki musalman bhai ko jis tarah ho sake fayeda pahuchana chahiye, magar socho kya tumhara murda marne ke bad musalman nahi, agar hai to azan de kar fayeda pahuchao, aur kyunki wahabi duniya me bhi kafir hai, lihaza uska murda bhi kafir aur murda kafir ko fayeda pahuchane ki  hadis hamne nahi padhi, balki iske liye dua magfirat bhi kufr hai, to bas aye musalmano, jiske ghar se koi musalman fot ho to use qabr par azan de kar, fayeda pahuchae,

Qabar par azan dene ki jo dalil upar guzri unka khulasa ye hai ki
AZAN DENE KE FAYEDE
* shaitan ke shar se panah
* azan takbir hai aur takbir aag se aman
* jawab e qabr me asani
* zikr e azan se azab e qabar ka door hona
* azan zikr hai, aur zikr har waqt jaiz hai
* qabr par zikr karna sunnat matlab azan bhi sunnat
* azan zikr hai aur zikr se dil chen pate hain,
* azan me zikr e mustafa yani rehmat utarne ka zariye
* azan se wehshat ko door karna
* azan ke zariye ranj o gham ko door karna
* qabr par dua sunnat aur azan zikr hai har zikr dua yani azan sunnat
* qabr ke pas takbir kehna sunnat azan me takbir hai azan sunnat
* mayyat se shaitan ko door bhagana ittiba e sunnat
* azan se momin ko fayeda pahuchna hadis par amal

Ab jo itne fayede hath aane ki niyat se apne momin bhai ki qabar par azan de to kaise sawab ke khazane hath ayenge, hadis me farmaya: نیۃ المومن خیر من عملہ (musalman ki niyat uske amal se behtar hai)
Aur jo Ilm e niyat janta hai, yani har kam me achi achi niyat karna janta hai to wo har har kam me bahut sawab kama sakta hai, to qabar par azan bhi achi niyat ke sath di jaye jo upar guzri hadiso par bhi amal hoga aur jab tak azan dega khud azan dene wale par aur qabar par bhi rehmat e ilahi nazil hoti rahegi, zarur dene wale ki bhi maghfirat ho jaye, (allah hi deta hai aql, kalam ilm o hikmat ke karne ki)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 579
Hazrat maiyat ko dafn karne k baad kya paon dho kar ghar me aana zaruri hai ?

Jawab: 579 بسم الله الرحمن الرحيم
Fitrat e insani to yahi kehti hai ki jabki hath paun gande ho to dho kar hi ghar me aye, chahe mitti qabristan ki ho ya kahi aur ki, aur agar mitti nahi lagi to kuch dhona zaruri nahi, naa hath naa paun,
Mufti Amjad Ali Azami Farmate hai:
“Hath me jo mitti lagi hai, use jhar den, Ya dho daalen Ikhtiyaar hai,”
Bahar e shariat Jild:1 Page:845
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 580
hazrat jo pehle time main kuwa hote the to bahut log use patwa dete the kya use patwana nahi chahiye kuweyen ko band karwana chahiye kya padwane se kuwe ko koi nuksan bhi ho sakta he

Jawab: 580 بسم الله الرحمن الرحيم
Apne zaati kue ko patwa kar zameen kar dene me harz nahi, jabki koi aur koi man’e sharai naa ho maslan yaha sirf ek yahi kua hai jisse sare log paani bharte hon, ya kisi doosre ki milkiyat par qabza karke naa patwaya gaya ho, wagera wagera,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 581
mujadeed kaise bante hai mujadeed kon banaata hai​.

Jawab: 581 بسم الله الرحمن الرحيم
Mujaddid allah ka karam aur uske banaye se banta hai koi kuch nahi ban sakta, jisme mujaddid hone ki sharait paye jayngi wahi banega, maslan, sadi ka akhir aur nai sadi ka awwal zamana paya ho, aur ilm me uski shohrat duniyat bhar me honi chahiye, mitai gai sunnat aur mustahab ko fir se zinda karta hai, maujooda daur ke aalimo ka sardar kehlaya jata hai, haq aur batil me farq karne wala hota hai, deen ko nikhar kar usme aai khurafat aur bidat ko dafa karta hai, sunnaten zinda karta hai, maujooda daur me masail ki buniyad rakhta hai, wagaira wagaira,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 582
Kya farmate hen muftiyane kiram darje zel mas’ala ke bare me. Ki kya koi shauhar aur biwi ek jama’at ke saath apne ghar me namaz padh sakte hain ? Baiyenu w tujeru (بیّنوا توجروا) (byan farmaye ajr diye jayoge)

Jawab: 582  بسم الله الرحمن الرحيم
Har zee-aql aurat ko ye mera roshan byan hai,
Ta-umr uske haq me uska shohar hi to imam hai
Har zee-aql mard par ye dalil meri qawi hai,
Har aurat uske haq me ta-umar muqtadi hai

‘Hamesha se sabhi tareef usi azmat wale ALLAH ki jisne mard ko apni biwi ke haq me imam kiya sardar banaya aur aurat ko usi ki perwi ka hukm diya aur shohar ke liye  RAHAT e ROOH o QALAB o JIGAR, yani taa umar iski HAMSAFAR, se alam e shohar ko zeenat bakhshi, aur har lamha durood us habib par jisne 11 ko apna khas muqtadi kiya aur hashr me to wahi sabka imam hoga, aur salam ahl e bait e pak aur shaheed e karbala aur zakhmi e karbala par.‘

Mard ko Ilaqe ki masjid me farz namaz jamat se padhna wajib hai, aur kisi sharai ujr ke sath agar jamat tarak ho gai to ghar par farz namaz padh sakta hai, aur mehram aur biwi ke sath jamat bhi qa’im karke padhne me bhi HARJ NAHI, aur imam banne wale men imamat ki sharait paai jaati ho, maslan kam az kam itni qirat janta ho ki namaz fasid naa kar de, aur khud ailaniya fasik naa ho, aur taharat aur namaz ke masail se bhi waqif ho to jamat se bivi ke sath balki har mehram yani behen, maa wagaira ke sath bhi namaz,  ko ghar me ba-jamat ada kar sakta hai, jaisa ki
Alahazrat Imam ahle sunnat
Azeem ul barkat
Azeem ul martabat
Mujaddid e deen o millat
Parwana e shama e risalat
Imam e ishq o muhabbat
Wali e neymat
Peer e tariqat
Aalim e shariat
Haamiyae sunnat
Maahiye bid’at
Qa’taye Najdiyat,
Bais e khair o barkat
Al-Haaj, Al-Hafiz, Al-Mufti
Asshah IMAM AHMAD RAZA (alaihirrehma) Apni Maqbool e do jahan, Tasneef
Al-ataya nabawiya fi Fatawa Razaviya, Al-Maroof
Fatawa Razavia Jild:6 Safah:492 par Irshad Farmate hain
“aur agar jamat me jitni auraten uski mehram ya bivi ya hadd e shehwat tak naa pahunchi ladkio ke siwa (koi) nahi to (jamat se namaz padhna) bila karahat JAIZ HAI, aur na-mehram (shehwat ko pahuchi hui) ho to makruh behrhaal”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 584 par hai
“jis ghar me auraten hi auraten ho us ghar me mard ko unki imamat NAJAIZ, Han, agar un auraton men, uski nasabi maharim ho, ya BIWI...(TO JAMAT SE NAMAZ JAIZ HAI)

Magar is surat me jab ki imam mard ho aur aurat muqtadi to aurat yani (biwi..) mard ke piche khadi hogi naa ki barabar me, ki aurat ka mard key barabar khade hone se namaz makruh hogi aur is tarah khade hona najaiz hoga,

Fatawa Qazi-Khan Jild:1 Safah:48 par hai,
المرأۃ اذاصلت مع زوجھا فی البیت ان کان قدماھا بحذاء قدم الزوج لاتجوز صلاتھما بالجماعۃ وان کان قدماھاخلف قدم الزوج الا انھا طویلۃ تقع رأس المرأۃ فی السجود قبل رأس الزوج جازت صلاتھما لان العبرۃ للقدم
Yani:-kisi aurat ne jab apne shohar ke sath ghar me namaz ada ki ho, agar uske qadam shohar ke qadam ke muqabil hon, to dono ki jamat ba-jamat jaiz naa hogi, aur agar us(biwi) ka qadam shohar ke qadam ke pichhe, hai (ya aurat ka qadam lamba hone ki wajeh se aurat ka sar halat e sajda me shohar ke sar se age hota ho) fir bhi dono ki namaz durust hogi, kyunki aitbar qadam ka hai,”

Fatawa Alamgir Jild:1 Safah:88 par hai,
“agar akeli aurat muqtadi hai to piche khadi ho, aur zyada auraten ho jab bhi yahi hukm hai”

Fatawa Razavia Jild:6 Safah: 492
“agar aurat is qadar piche khadi hai ki uska qadam mard ke qadam ya kisi uzw ke muhazi nahi to (biwi ki apne shohar ke piche namaz me) iqtidah SAHI hai, aur dono ki namaz ho jayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 


Sawal no.583
Aurat agar haiz ya nifaas se pak ho jaye fir Use wazu ya ghusl karne ke liye paani muyassar na ho to Kya wo namaz padh sakti hai, Jawab inayat farmayen meharbani hoagi Md. Akmal ata Qadri, kashmir

Jawab: 583
Agar tayammum ki sharait paai jaye to, paani naa hone par haiz wali aurat namaz ke liye tayammum kare,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:352 par hai
“aurat haiz nifas se pak hui aur paani par qadir nahi to tayammum kare,”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 584
Hazrat ( hazrat ali or hazrat imame paak ke aage alaihissalam kyu likhte he)

Jawab: 584 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz  عليه السلام  nabi, rasool aur firishte ke liye khaas hai, inke gair ko naa kaha jaye naa likha jaye, Hazrat Ali   imam hussain aur deegar sahab ko “radi allah anhu” hi kehna chahiye, عليه السلام nahi kehna chahiye
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 585 
hazrat maine khud Qaleem ullah hashmi ki taqreer main suna hai ki aap chahe IMAM HASAIN RADIALLAHU TA'ALA ANHOO KAHEN ALAIHISSALM kahe chahe sahabiye iqram kahe koi harz nahi ?

Jawab: 585 بسم الله الرحمن الرحيم
Maine apne jawab me wahi naql kiya jo yaqeeni malumaat thi aur ulama e ahle sunnat ki motabar kutub me bhi yahi darj hai, ki “Lafz  عليه السلام  nabi, rasool aur firishte ke liye khaas hai, inke gair ko naa kaha jaye naa likha jaye,” aur mene apne jawab me kehne wale par gunah ka koi hukm bhi nahi diya, ab raha ki bahut ulama e ahle sunnat apni taqrir me byan kerte hai to unka kya ? iska sabse behtar jawab yeh ki aap is suwal ka jawab kisi darulifata se likha lo, ki waha ka kya fatwa aata hai, agar unka jawab mere jawab ke khilaf aye to zarur pesh kare, me “shukriya ke sath tauba aur ruju karunga, 

shaitani waswase ki KAAT:-
jin ulama e ahle sunnat ne kaha ki sunni imam hussain ko “alaihissalam” bhi keh sakte hai to uska matlab yeh aisi jagah par jahag shia naa ho, aur aisi mehfil me jaha shia naa ho, aur jo mene jawab me likha ki nahi kehna chahiye wo bator e ehtiyat hai ki ye jumla shia ka hai, aur jis majlis me shia ho to waha ise bolne ki ijazat naa hogi, magar har wo chiz jisse ulama parzeh karne ko bole to uska matlab ye nahi hota ki wo haram ho gai, jaise, kaha gaya moharram me kale, hare kapde naa pehno,
ye hukm bhi shia ki mushabihat se kaha gaya, ki log tumhe bhi shia naa samjhe magar ye manahi haram par dalalat nahi karti,
main kehta hu (allah hi ki tofiq se) se agar koi aisa ilaqa hai jaha door door tak koi shia hai hi nahi, or sab sunni hai to moharamm me bhi kale hare kapde pehne jaa sakte hai, kuch muzaiqa nahi, chunki ab man’e wajah khatam ho gai,
isilye gair nabi aur firishte ko “alaihissalam” kehne se bachna chahiye, kyunki alaihissalam kehne se log nabi samajh bethte hai, bas is uljhan se bachane ke liye kaha gaya,
khud mera tajurba hai ki ek bar mene ek majlis me kisi gair nabi ko “alaihissalam” keh diya forann mere ek sathi ne arz ki “janab kya ye bhi nabi hain” fir mene wajahat ki,
raha ye ki apne taqrir me suna to bade bade ALLAMAH bhi kabhi kabhi khata kar jaate hai, magar ye khata bhi nahi,
aur ek khas bat is group me kai mufti aur alim sahib mojood hai, agar jawab ghalat hota hai to wo mujhe personal par khabar kar dete hai,
aur mene ye jawab kaii bar pehle bhi diya aur muftiyan e kiram ki nazar se bhi guzra aur unki khamoshi ne iske sahi hone par dalalat kar di, 
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 586
hazrat ham QAFIR kis kis ko kah sakte hai Ba-taure khas kya ham hindoo ko qafir kah sakte hai ?

Jawab: بسم الله الرحمن الرحيم
Islam ke siwa har mazhab batil hai, hinduo kafir hi hai aur kafir ko kafir hi kaha jayega, aur ye suwal ki kafir kis kis ko keh sakte hai, iski bahut tafseel ho sakti hai balki, iske jawab me 50 jildo ki kitab likhi jaa sakti hai, aap wo surat byan kar de jiske bare me janna chahte hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 587
iman namaz hai ya namaz iman he hazrat samajh nahi aa raha he bahut logon ke munh se suna he ki namaz padoge tabhi iman mukammal rahega kya namaz insan pade usi se pata chalega ki iman mukammal he

Jawab:587 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal se maloom chalta hai ki sail kafi bechen pareshan hai aur shaitan ki fizol baton me uljha rehta hai,

Sari bate sahi hai, iman namaz hai, namaz iman se hai, namaz padhoge tab hi iman mukammal hoga, aur har baat ke zahiri maine murad nahi hote, kabhi tanz ke liye bhi kaha jata hai, aur sahih hadiso me ye baat shahid hai ki namaz islam ka sutoon hai, aur jisne bila ujr namaz chori kafir ho gaya, deen e islam ko dhaah diya, uska sab kuch lut gaya, wagera wagera, (agarche tariq e salat ko ham kafir nahi kehte magar ise farz jane)
Aur namaz chorne wala fasiq gunahgar, hai, iske dil me iman ka noor nahi, magar benamazi bhi musalman hota hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم


Suwal no. 588
farz namaz mein pahli rakat mein jo sura pade dusri rakat mein wohi surah janker ya galti se pade to kya namaz hogi

Jawab: 588 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz sahi ho jane me kuch kalam nahi, aur bhool se padhne me bhi harz nahi, aur jankar farz namaz me ek hi surat ki taqrar karna makruh (tanzihi) hai, aur agar iske siwaa koi surat yaad nahi to ise hi padhe fir karahat tanzihi ki bhi nahi,
Aur nafil me ek hi surat ko dohrana yani har rakat me taqrar karna bila karahat jaiz aur makruh tanzihi bhi nahi, islye farz namaz ki pehli rakat me sureh naas padhne ki adat nahi dalni chahiye, agar kisi ne pehli rakat me sureh naas padhi to doosri me bhi sureh naas hi padhe koi aur naa padhe kyunki ulta quran padhna makruh e tehrimi najaiz o gunah hai, lihaza taqrar se sakht hai, isilye halat e majburi me isi sureh naas ko agli rakat me bhi dohra le magar ulta quran naa padhe,

Fatawa Razavia Jild: 6 Safah: 266 par hai
بے ضرورت در فرائض مکروہ تنزیہی است
Yahi:- bezarurat farz me (ek surat ko dohrana) makruh TANZIHI hai,

Age farmate hai,
پس نشاید دراولی  قرأت ناس راتعمد کردن تاحاجت بتکرار نیفتند اما اگرخواند بسہو یا عمد ناچار درثانیہ تیرہموں باید خواند کہ قرأتِ معکوسہ سخت تراز تکرار است بخلاف ختم کنندہ قرآن عظیم کہ اوراباید در رکعت اولی تاناس خواندن و درثانیہ از الم تا مفلحون لحدیث الحال المرتحل ۱؎کذا فی النھر وردالمحتار اقول وانچہ مراد اینست کہ بحالت ختم قرآن مجید ایں خود نکس و عکس نیست بلکہ از سرگفتن باشد چنانکہ لفظ حال و مرتحل نیز برآں دلیل است فافھم
Yani:- bas pehli rakat me sureh naas nahi padhni chahiye, taki dohrane ki zarurat naa padhe, agar jaankar (ya bhool se) padh chuka to ab doosri rakat me bhi wahi surat yani sureh naas padhe, kyunki (quran ko ulta) tarteeb badal kar padhna, taqrar se bhi sakht hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 589
Agar koi paisa jo ki kisi ke sath fareb kar ke hasil kiya gaya ho. Kya wo haram hoga. agar us paise ko hum kisi dusre aadmi ke business me lagana chate hai to kis tarah laga sakte he ki wo paisa halal ho jaye

Jawab: 589
Jo raqm kisi ko dhoka de kar hasil ki gai ya churai gai, to use uske malik ko wapas karna wajib hai aur tauba karna farz hai, aur us raqm ko faqeer ko bhi NAHI de sakta, agar wo shaks mar gya to uske waris ko dede,
Fiqh ka ek mash’hoor qaida hai : ما حصل بسبب خبیث فالسبیل رده
Yani:- jo gair e sharai zariye se hasil hua, use wapas kiye bagair chara nahi,

aur agar uska wo shaks bhi nahi aur uska koi WARIS bhi nahi to faqeer ko raqm wapas kare magar sawab ki ummid naa kare,

aur haram zariye se hasil-shuda apne ya kisi aur ke karobar ya kam me lagana yaa apne sarf (kharch) ya kisi ko sarf ke liye dena ya bhi haram hai, balke aisi raqam ko nek aur sawab ke kam me bhi nahi laga sakta, haram raqm ko masjid ya faqeer ko de kar sawab ki niyat karna ILM E PARWATON ne kufr likha hai,

Fatawa Alamgiri me hai
تصدق علی الفقیر شیئا من المال الحرام
 ویرجو الثواب کفر ولو علم بہ الفقیر ودعالہ وامن المعطی کفرا؎
Yani- Kisi ne haram maal se faqeer ko saqda kiya  or sawab Ki ummid karta hai, to kafir ho gaye, or agar faqeer ko Maloom ho ki ye maal haram hai, or uske bawajood usne Dene wale ko dua di or dene wale ne is par ameen kaha To dono kafir ho gaye,

Fatawa Zahiriyya me hai
رجل دفع الی فقیر من المال الحرام شیئا یرجوا بہ الثواب یکفر
Yani- Ek shaks ne faqeer ko maal e haram diya aur us par Usne sawab ki ummid rakhi to kafir ho jayega,

balki jo maal najaiz tarike se hasil kiya jaye use wapas karna wajib hai, or jis surat me faqeer ko
dene ka hukm hai to wahan sawab ki ummid naa ki jaye,
Alahazrat Imam Ahle Sunnat Shah Ahmad Raza Barelvi Fatawa Razavia Jild: 23 Safah: 582 par likhte hai,
Haram rupya kisi kam me lagana aslann jaiz nahi Nek kaam ho ya aur, siwa iske ki jis se liya usko wapas de Ya faqeer ko sadqa kare, or farmate hai sawab ki Ummid (nahi karni chahiye ye) sakht haram hai.

Bas is kafi o shafi kalam se yahi zahir hai ki paise wapas karna zaruri hai, aur istimal karna haram chahe apne kam me ho ya kisi ke kam me, aur suwal me ye kehna ki wo paisa halal ho jaye” sail ki aisi sakht nadani hai jaise koi kahe, ki “suar ka gosht kis tarah dhoya jaye ki halal ho jaye” jabki ye mumkin nahi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 590
what do ulama e ahle sunnat say about zaid, if zaid says and believe on this
"God could not be everywhere, so he made mothers. in world."

Jawab: 590 بسم الله الرحمن الرحيم
This is a “kufriya” belief. If, zaid really knows, what is the meaning of this sentense. then he said and keep belief on it. “God could not be everywhere, so he made mothers” then zaid will be a kafir,
I says:  If, A muslim who will keep/accept this belief, will be a kafir,
(allah knows better)

Suwal no. 591
Hazrat, kya Abu Hanifa rahmatullah Alaih Gair mukallid hain ? tafsir me samjhayen

Jawab: 591 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam e azam Khud MUJTAHID the aur mujatahid kisi ki taqleed nahi karta kyunki wo khud itna bada aalim hota hai ki quran o hadis se masale akhaz kar sake, aur imam e azam ko allah ne wo muqam diya ki unhe kisi ki perwi ki hajat nahi, balki kal qiyamat tak duniya ko unki hi perwi ki hajat, aur or ye jo char imam hai iska matlab ye nahi ki bas yahi maslak hue aur koi is qabil nahi, balki inke waqt me bhi mujtahid maujood the, magar unke manne wale is qadar tarakki naa kar paye jaise ye char maslak ke logo ne ki Imam ojhai ke bare me bhi mash’hoor hai ki wo bhi imam e azam ke waqt ke bade imam aur khud mujtahid the, agar unke shagird tarakki karte to aaj 5va maslak unhi ka hota, kehna ye hai ki wahabi sirf imam e azam ke piche padha rehta hai, jabki in char ke alawa bhi hazaro imam mujtahid guzre hai, magar mash’hoor nahi huye,
Aur jise allah ne itna bada buland muqam baksha ki duniya uski perwi kare to use kisi ki perwi ki kya hajat,
Imam e azam ne ilm e fiqh me lakho masail akhz kiye aur buniyadi usool qayam kiye, jinke bina par aaj tak croro masail hal kiye jaate hai, aur ek khas bat, koi allah ka karamat wala wali aisa nahi milega jo muqallid naa ho, chahe gaus e azam hi kyun naa ho, khud imam bukhari bhi aur ghareeb namaz bhi, itne bade bade waliullah ne bhi imamo ki hi taqleed ki jisse pata chalta hai ki, taqleed hi HAQ hai, aur iske khilaf rasta shaitan ka rasta hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 592
Hazrat kya mard apni biwi ka jhota khana ya pani nahi pee Sakta ?

Jawab: 592 بسم الله الرحمن الرحيم
Mujhe puri ummid hai ki sail iske jawab se pehle hi waqif hai, magar shayad hawale aur dalil hasil karne ke liye, suwal pucha gaya hai, aur kabhi aisa bhi hota hai, apne jawab ko pukhtagi (mazbooti) dene ke liye bhi puch liya jaata hai, baz martaba samne wala jawab ka aitbar nahi karta islye aise masail puche jaate hai, taki kisi ko dalil me pesh kiye jaye,

Shariat me jhootha kafir ka bhi pak hai, jo ki iman me nahi to bivi ka kaise mana hoga jabki wo iman me bhi hai sharik e hayat bhi hai, aur hadis me farmaya- “Momin ke jhoonthe me shifa hai” isse pata chala ki aam musalman ka jhoontha khane peene me bhi harz nahi jabki dil gawahi de, aur mard ko gair aurat ka jhoontha makruh hai, magar bivi ka to makruh bhi nahi, to bila karahat shohar bivi ka jhoontha khaa sakta hai aur yahi hukm aurat ke liye bhi hai ki wo bhi shohar ka jhoontha khaa sakti hai, aur khana chahiye

balki agar shohar peer, mufti, aalim wagera hai aur inki bivi inka jhoontha barkat ke tor par khaye to sawab payegi, main kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki mere nazdeek ye hukm aam mard aurat par bhi hai ki, khas peer e tariqat alim e shariat ki azwaaj ke liye nahi,  agar koi bivi apne shohar e naamdar, ka jhoontha uski tazeem ke liye khaye peeiye to sirf alim o ki bivi ko nahi aam shaks ki bivi ko bhi sawab diya jayega, hadis me hai ki “musalman ki niyat uske amal se behtar hai” aur har aurat par uske AQA (shohar) ki tazim farz aur adab farz, deen adab ka hi naam hai, (kya hi achi misal)
to ye kafi hai ki agar shohar bivi ka jhoontha khaye ya aurat apne shohar ka jhoontha tabarrakan khaye to zarur allah ki rehmat se kal qiyamat me sawab paye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no 593
Kya napaki ki halat me aurte mahandi laga sakti hain ya nahi ?

Jawab: 593
Laga sakti hai kuch harz nahi, mana karna logo ki ilm ki kami ko zahir karta hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 594
Hazrat Jinki koi aulaad na ho to kya  shari'at use baccha god lene ki ijazat deti he ? Agar ha to iske bare me jawab hawale ke sath dene Ki meharbani kare.

Jawab: 594 بسم الله الرحمن الرحيم
Har aulad walid ke haq me ik nayab heera hai,
Bap ka naam badalna hi to gunah e kabeer he

Bacha god lene ki ijazat hai, magar log uske asli baap ki jagah apna naam likhte hai iski ijazat NAHI, maslan, agar apne kisi rishtedar ka bacha god liya to use sabhi documents par yaha tak ki shadi card par bhi, uske hi asli bap ka naam hoga, uska nahi jisne god liye, Hadis me Bap, zaat, khandan biradri badalne wale par lanat aai hai, aur ek shaks ki aulad ko doosre ki taraf mansoob karke pukarne se mana kiya hai, isi tarah doosre ki aurad ko apni taraf mansoob nahi kiya jaa sakta

Quran e pak me Allah ka irshad hai: Sureh Ahzab Ayat 4-5
“aur naa tumhare le-palako ko tumhara beta banaya, ye tumhare apne munh ka kehna hai, aur allah haq farmata hai aur wahi raah dikhata hai, uhne unke bap hi ka keh kar pukaro, ye allah ke nazdeek zyada thik hai, fir agar tumhe unke bap maloom naa ho to deen me tumhare bhai hain,

Alahazrat Imam e Ahle Sunnat Fatawa Razavia Jild:13 Safah: 361 par likhte hain,
Hadis me Farmaya: من ادعی الی غیرابیہ فعلیہ لعنۃ اﷲ والملٰئکۃ والناس اجمعین لایقبل اﷲ منہ یوم القیٰمۃ صرفا ولاعدلا
jo apne bap ke siwa doosre ki taraf apne aap ko nisbat kare, is par khud ALLAH aur sab FIRISHTE aur ADAMIO ki lanat, Allah tala kal qiyamat ke din iska naa farz qubool kare naa nafil,

Albatta Sarparast ki jagah god lene wala apna naam likhwa sakta hai par baap ki JAGAH NAHI.

Aur ek khas bat is masale me ye bhi hai ki, agar kisi ne bahar (ghair rishtedar) se koi ladka god liya aur use apni biwi se doodh nahi pilwaya to baligh hone par khud iski biwi yani munh boli maa aur iski betion se bhi iska parda wajib hoga, isi tarah ladki god lene par khud iska yani bole bap aur iske beto se parda, agar bhai ke bete ko god liya aur doodh naa pilwaya to bhi yahi hukm hai, aur agar iski biwi ke ab doodh nahi aata to iske behen se pilwaye, yani Sali se warna apni behen se, magar in surato me in dono ke pardo me to riyat hogi magar iski aulad ke liye ab bhi wahi hukm hoga ki parda wajib hoga, aur sabse behtar ye hai, ki apni hi biwi se doodh pilwaye taki, inke bachcho se bhi parde me ri’ayat mile, warna is tarah muhn bole rishto me ye shaksh hamesha gunahgar hota rahega,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 595
tarikat aur shariyat mein fark kya hai

Jawab: 595 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat se hat kar tariqat kuch nahi, tariqat shariat ke shajar se nikli ek shakh hai,
Aam zuban me ise sufio ki raah ya tariqa ya sufio ke aqeede se tasbih di jaati hai, or baz aam zuban me ise faqeeri line keh diya jaata hai, yani ahle marifat, dil se khwaisho ko door karke khuda ki taraf tawajjo karna, aur sufi wahi jo shariat ke khilaf kaam naa kare, balki ye apne taqwe ki wajah se hi jaane jaate hai, magar kuch logo ne aaj tasawwuf ko naya rang de diya jo shariat ke khilaf hota hai, isilye ye kaha gaya ki asl tariqat wahi hai jo shariat ke samundar se nikle, iske khilaf naa sufi hain na tariqat na tasawwuf
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 596
aarif kise kahte hai

Jawab: 596 بسم الله الرحمن الرحيم
ARIF- pehchnne wala, allah ki ma’arifaq rakhne wala, allah ka wali, wagaira wagaira
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 597
Hazrat meri, ek mere hi musalmaan bhai se zirah (behes) hui usne kaha ki ham HINDU ko qafir nahi kah sakte ho sakta hai wo marne se pahle eeman le aaye aye aur musalman ho jaye please mujhe hawale ke saath bataye ki KYA HAM HINDUON KO QAFIR KAH SAKTEN

Jawab: 597, بسم الله الرحمن الرحيم
Hindu ko kafir hi kaha jayega aur jo hindu ko kafir naa mane ya unke kafir hone me shak kare, wo khud kafir hai,
Kafir ko kafir or musalman ko musalman keh  Sakte hai balki kafir ko kafir or musalman ko Musalman janna zaruriyat e deen me se hai, Or jo log ye bakwas karte hai ki kafir ko kafir  Naa kaho jaane kab musalman ho jaye, jahalat hai Is tarah to musalman ko bhi musalman naa kaho Jaane kab kafir ho jaye, zinda ko zinda naa kaho Jaane kab mar jaye, Or kuch log kehte hai ki jitna waqt kafir ko kafir kahoge utni der allah allah kar lo,  To uska Jawab ye ki  Ham kab kehte ki kafir kafir ka wazifa kar lo, maqsad ye hai  dil se kafir Ko kafir zarur jaano or waqt  par kafir ko kafir kaha bhi jayega, Balki jo khule kafir ke kufr me shak kare wo bhi kafir, Or ye baat aqeedo me se hai, musalman ko chahiye Ki apne sahih aqeedo ki islah kare,

Allah azzawajal ne quran me bahut jagah kafir ko kafir Or munafiq ko munafiq farmaya, balki surah kafiroon Jo aksar musalman padhte hi hai, Allah ka irshad hai,
Aye mehboob tum farmao in kafiro se .. (Surah Kafiroon Para 30 Ayat 01)

Fatawa Razavia Jild: 14 Safah: 653 par hai,
Kafir ko zarur kafir kaha jayega,

Fatawa Razavia Jild: 15 Safah: :591 par hai
Shifa shareef me hai,
نکفر من لم یکفر من دان بغیر ملۃ المسلمین
 من الملل اووقف فیھم اوشک
(ham har us shaks ko kafir kehte hai jo kafir ko kafir Naa kahe ya uske kufr me shak kare,

Durr E Mukhtar Jild:1  Safah: 386 من شک فی عذابہ وکفرہ فقد کفر
Jisne unke azab aur kufr me shak kiya Wo (khud) bila shubah kafir ho gya

Bahare Shariat Jild: 1 Safah: 185 par hai
Musalman ko musalman, aur kafir ko kafir janna Zaruriyat e deen se hai . qatai kafir ke kufr me shak (karna) bhi aadmi ko  kafir bana deta hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 598
hazrat bi’dat, shirk, haram or najayiz me kya fark hai misal or tafseel se iska jawab farmaye

Jawab: 598 بسم الله الرحمن الرحيم
Wo etiqad ya amal jo huzoor ke zahiri zamane me naa ho, bid’at kehte hai,
Iski bahut se qism hoti hai, magar sirf do ka zikr kiya jaata hai jo aksar mash’hoor hain,

Bid’at E Hasna- deen me shuru kiye gaye naye magar jaiz kam ko kehte hai jisse musalman ka nafa ho
Misal- masjid par meenar banwana – isse musalman ko fayeda hai or ye kam mana bhi nahi

Bid’at E Sa’ia- deen me shuru kiye gaye naye magar najaiz kam jo shariat ke khilaf ya sunnat ko khatam karne wala ho.
Misal- Khutba arabi ki jagah urdu me padhna.

Shirk- Allah ki misl kisi ko bhi samajhna shirk hai, ya uski ibadat wagera me kisi ko shamil kar dena,
Misal- peer ko khuda manna

Haram- iski bhi kai aqsam hai, aur ye farz ka muqabil hota hai, yahi jis tarah farz par amal zaruri hai usi tarah haram se bachna zaruri hai,
Misal- kisi bhi farz ke khilaf karna haram hai, maslan namaz naa padhna, wagera,

Najaiz- iska istimal kai mayene me hota hai, jis kam se shariat ne mana kiya aur karahat tehrimi ki hogi ya gunah ka kaam to use najaiz keh diya jata hai, wajib ka tark bhi najaiz aur farz ka bhi, aur sunnat e moakaddah ki tark ki adat bhi najaiz,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 599
sahib naam ke kya mayne hai

Jawab: 599 بسم الله الرحمن الرحيم
Sahib= YAAR, DOST, AAQA, HAKIM, SHOHAR, SHAREEF.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal: 600
Shariat me qurbani ka kya hukm hai aur kaise karna chahiye,

Jawab: 600
Qurabni Wajib hai har sahib e nisab mard aurat par, aur, qurbani 3 din tak hi ho sakti hai, uske bad nahi,
Agar shohar qarazdar hai aur bivi par sona chandi jo nisab ko pahuche maujood ho to use aur paise naa ho to qarz lekar qurbani karwani hogi isi tarah zebar bechkar bhi,
Aur iske liye shariat ne kuch khas janwar muai’in kiye hai,
Bahar E Shariat Jild: 3 Safah: 339 par hai
Qurbani ke janwar 3 qism ke hai, Oonth, gaye, bakri, Inki sabhi qism in janwar me shumar hai, nar mada
Or bhens gaye me shumar hai, Bher, dumba bakri-bakra me shumar,

Agar yad naa ho to, DUA, Qurbani ki kisi kitab se padh li jaye, warna tasmia,(bismillah) padh kar bhi zibah kiya to zibah sahi ho jayega. Or agar padhna bhool gaya jab bhi qurbani ho jayegi or jaan kar naa padha to janwar haram, or aurat bhi qurbani kar sakti hai. or do log churi pakre to dono ko kalima padhna wajib hai.
Tez dhaar ki churu se janwar ke gale ki kuch rage kaat dene se halal ho jayega  Mustahab ye hai ki janwar ko letane se pehle churi tez kare or letane ke bad tez karna makruh hai. or har woh fel jisse janwar ko taqleef ho uske sath karna makruh hai. Gale ki chand rageh hain, unke kaatne ka naam ZAHAB hai,
(zal- ke fateh ke sath)  Or us jaanwar ko jiski ye rage kaat di jaye ZABIHA aur ZIBAH kehte hai (zal- ke kasre ke sath) Jo rage zibah ke kaati jati hai wo 4 hain,  4 rago me se 3 ka kaata jaana bhi kafi hai. Or ek hi bar me puri gardan alag bhi nahi karni chahiye..

Aur behtar tariqa yahi hai ki, pehle jaanwar ko khana wagera khilaya jaye nehlaya jaye, or chhuri ko tez kar liya jaye (magar uske samne naa kiya jaye) or zameer par aram se litaya jaye, naa ghaseeta jaye, naa mara jaye, naa zameen par zor se patkha jaye. Har jaan jaan hoti hai, ye soche ki agar iski jagah ye hota to logo se kaisi ummid karta ki uspe bhi rehm ho, bas jo allah ki raah me quraban kiya jaa raha hai, uska dard bhi samjhna chahiye, or adab karna chahiye

Zibah ke waqt shor, ya hangama nahi karna chahiye, ki ye gaur karne ka muqam hai, naa ise khail tamasha banana chahiye, or ghar ke bachcho ko (jo zayda chote naa ho, or naa darte ho) to unke samne zibah karna chahiye ki bache khoon dekhe or unka dil mazboot hoga dar jata rahega, (jabki ise dekhne par qadir ho)

Hamare buzurgo ka yahi tariqa tha ki, chote bachcho se kasai ke dukan se gosht managte the puchne par kehte the ki gosht khoon chhuri, dekhega to musalman ka bachacha darpok nahi banega balki dil se dar jaata rahega,  Or hamari bhi yahi ray hai,

Oonth ke zibah me khas khyal rakhna chahiye ki log use bakre ki tarah leta kar zibah karte hai, ye makruh hai unth katne ka sahi tariqa or sunnat tariqa jo hai use nahar kehte hai yani unth ko khada karke uske gale me churi ghopi jaati hai, jise neher kehte hai, use bakre ki tarah zibah karna makruh hai, or awam me jo ye mash’hoor hai ki unth 3 jagah se kata jaata hai ye ghalat hai. magar qurbani har surat me ho jayegi..

وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

No comments:

Post a Comment