Suwal 601 to 700 (Masail e Shariat Jild 1)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Abu Rayyan Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 1) 
--------------------------------------------------------------------------------------------
Suwal no. 601
Bhai yeh btaye ki kahte ki mehman ko ruksat karte waqt ghar ke gate ke pas chhodhna chahiye par mitti ke gharme kyu mana karte he ki koi darwaze tak chhodhne mat jana ?

Jawab: 601 بسم الله الرحمن الرحيم
Mehman ki rukhsati ke waqt darwaze tak sath aana SUNNAT se sabit hai aisa zarur karna chahiye, aur chahe ghar mitti ka ho ya sone chandi ka sabka yahi hukm hai, mana kisi surat nahi, ye kam ilmi aur jahalat hai,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 604 (Note: Suwal 602 & 603 page no. 302 par hai)
kya sahib naam rakh sakte hai

Jawab: 604  بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz Hai, magar ye lafz SAHAB nahi balki SAHIB hota hai, (swad ke kasre ke sath) yani swad ke niche zer hai naaki upar zabar iska khyal rakhe, pichli bar apne Sahab likha tha isliye wazahat ki..

Quran me huzoor ko bhi sahib kaha gaya. Allah ta’al irshad fermata hai (Surah najm ayat 02) men,
“tumhare sahib na behke na be-rah chale”
Or fermata hai allah (surah takwir ayat:22)
“aur tumhare sahib majnu nahi”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 605
kuch log puchne per apne bhatije ko apna beta kahte kya ye sahi hai ?

Jawab: 605 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye sahi nahi hai, gair ke bete ko apna beta nahi keh sakte aur god lene ke bad bhi jo bhatije ko apna beta batate hain gunahgar hai, aur ye unki zuban ka kehna hai jabki khuda ne use unka beta nahi banaya,

Quran e pak me Allah ka irshad hai: Sureh Ahzab Ayat 4-5
“aur naa tumhare le-palako ko tumhara beta banaya, ye tumhare apne munh ka kehna hai, aur allah haq farmata hai aur wahi raah dikhata hai, uhne unke bap hi ka keh kar pukaro, ye allah ke nazdeek zyada thik hai, fir agar tumhe unke bap maloom naa ho to deen me tumhare bhai hain,

Hadis me Farmaya: من ادعی الی غیرابیہ فعلیہ لعنۃ اﷲ والملٰئکۃ والناس اجمعین لایقبل اﷲ منہ یوم القیٰمۃ صرفا ولاعدلا
jo apne bap ke siwa doosre ki taraf apne aap ko nisbat kare, is par khud ALLAH aur sab FIRISHTE aur ADAMIO ki lanat, Allah tala kal qiyamat ke din iska naa farz qubool kare naa nafil,
Fatawa Razavia Jild:13 Safah: 361
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 606
Yahudi ya deobndi ko chanda dena chahiye ya nahi

Jawab: 606 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar kisi ilaqe me koi musibat aai ho, maslan, zalzala ya barish se tabahi aur waha ke gair muslim kafir pareshan hai, bachcho ko khane ke liye bhi khana nahi aur na aise me koi unka pursan e haal to is garj se wo musalman ke pas chanda jama karne aaye ki kuch unke bachcho ko khana wagera ho jaye to yahudi ki is qism ki madad bhi jaiz hai aur kafir ki bhi, insaniyat ki madad karna islam ka tariqa e qar hai, aur agar gair muslim ya deobandi chanda apni ibadatgah ya batil deen ki tabligh ke liye mange to dena haram aur kabhi kufr bhi hoga, to nahi dena chahiye
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 607
Janab kon konse risto me shadi jayez he ?

Jawab: 607
Iski fehrist to taweel hai, apko jis rishte me puchna hai wo arz kare, to jawab me asani hogi,
Warna kabhi aisa bhi hota hai jisse shadi haram ho bad me surat badal jati hai halal ho jati hai,
Isi tarah kabhi kisi se halal hone ke bad bhi age chal kar haram ho jati hai,
Chacha, mama, khala, wagera ke bachcho me apas me shadi jaiz hai, har gair mehram se shadi jaiz hai, jabki aur koi man’e shara naa ho, (maslan doodh ka rishta bachpan me qayam naa kar liya ho)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 608
janab kiya blood donate kar sakte hai ?

Jawab: 608 بسم الله الرحمن الرحيم
Daur e hazir me apne khoon kisi zarurat mand ko dena jaiz hai, aur jo pehle iski mumaniat thi, uski kai wajeh thi, maslan pehle daur aisa purfitan naa tha, naa aisi beemariya,  aur ek ye bhi har khoon doosre ke jism me nahi chadaya jaa sakta tha, kyunki (blood group match naa hone ki wajeh se) beemari aur bad jaati hai aur jaan ko khatra tha, aur bhi deegar sharai wajeh thin,
magar aaj islam ke naam par daur kharab hai aur mahool bigarne ki koshish ki jaa rahi hai, aur ek nai fiqr duniya ko di jaa rahi hai ki musalman kisi ki madad nahi karta, islam tang mazhab hai wagera wagera,  aur accident wagera ki bhi kasrat hai, aur aaj science ne bhi taraqqi kar li jisse blood group ka pata chal jata hai, aur match kar ke sahi khoon sahi jism me chadaya jaa sakta hai, ab un logo ka haal jo kehte hai ki blood ka lena dena haram hai
main aise logo se DASBASTA arz karunga ki agar maan liye jye ki apke ghar me kisi ki aisi haalat ho ki khoon ki zarurat ho, aur qaum us fatwe par amal kare (jisme khoon ka dena jaiz nahi tha) to aap kya karenge, to aisi surat me ye shaks ye kahega ki MERA KHOON LE LO, to me kehta hua (tofiq e khuda se) ki agar khoon kisi ka bhi nahi liya jaa sakta to fir ISKA KAISE LIYA JAYEGA, HARAM HAR SURAT ME HARAM hoga,
magar ispar ek bar fir nazar ho ki, ISLAM TANG MAZHAB NAHI HAI, isi wajid mazhab me padosio tak ke huqooq shamil hai, chahe kafir hon,  isme har tarah ki asanya hai, aur fiqh ka ek qaidah ye bhi hai
zamane ki tabdili ke sabab ahkam ki tabdili ka inkar nahi kiya jaa sakta”, warna aise kai fatwe hain jo dor ke mutabiq badale hain aur aage bhi badalte rahenge, aur iska andaza is baat se lagaya jaa sakta hai, ki SUAR KHANA HARAM HAI, magar halat e naza me ulama ne SUAR KHANA FARZ QARAR DIYA
Jab zaid ne kaha, me beemar hu, shariat ne kaha beth kar hi namaz padh le
Zaid ne kaha, me beth nahi sakta, shariat ne kaha let kar hi namaz padh le
Zaid bola, me hath per nahi hila sakta shariat ne kaha ishare se padh le,
Zaid bola me pani par qadir nahi shariat boli, tayammum se padh le,
Zaid ne kaha, me pyas se mar raha hu, pani nahi hai, magar sharab he, shariat ne kaha zarurat ke mutabiq pee le aur jan bacha le
(kehna ye chahta hu, sharaiat asani chahti hai tangi nahi,
lihaza khulasa e kalam ye hai ki, blood lena-dena jaiz hai, aur ye kaam majboori me hi kiya jaata hai,

(mere kalam ko nahi jhutlayega, magar wo jo shariat se nira jahil hoga)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal No. 609
Janab Riya kise kehte hain ? Or iske dunyawi or akhrat ke nuksanaat kya hain?

Jawab: 609
Riya ke lughwi mayne DIKHAWE ke hai, aur iski tareef ye hai ki “allah ki riza ke alawa kisi aur irade se ibadat karna riyakari kehlata hai, goya ibadat se ye gharj ho ki log uski ibadat se agah ho jayen, taki wo unse mal batole, ya log uski tareef karen ya use nek adami samjhe, ya use izzat wagera den,”
Alagarz jab ibadat se maqsood riza e ilahi naa ho balki wah wah ho to riyakari hai,
Riyakari ka duniyawi to koi nuqsan mujhe yaad nahi, balki duniyawi nuqsan hota to log riya na karte riya me duniyawi fayeda hota hai tabhi log riyakari karte hai, yani shoharat ka fayeda, aur akhirat ka zarur niksan hai,
Quran E Pak Me Sureh Baqra Ayat: 264 par irashad e malike qaynat hai:
“aye iman walo apne sadqe batil naa kar do,”

Is tarha ki tafseer me Khaizul Irfan me hai:
“Jis tarah munafiq ko riza e ilahi maqsood nahi hoti weh apna maal riyakari ke liye kharch karke zaya kar deta hai”
Hadis Sunnat Ahmad me hai:
“mujhe tum par sab se zyada shirk e asgar ya dikhawe me mubtila hone ka khauf hai,  allah qiyamat ke din kuch logo ko unke amal ki jaza dete waqt irshad farmayega, ki un logo ke pas jao, jinke liye dunya me tum dikhawa karte the, aur dekho ki kya tum unke pas koi jaza pate ho”

Miraat Sharah Mishkat Jild:7 Safah: 127 par Mufti Ahmad Yaar khan naeemi (alahirrehma) farmate hain,
“riya ke bahut darje hai, har darje ka hukm alg hai, haz riya shirk e asgar hai, baz haram baz makruh, baz  sawab, magar jab riya mutlaqan boli jaati hai to usse mamnua riya murad hoti hai,
أعلمُ بالـصـواب  وﷲ سبحانه و تعالى

Suwal no. 610
Wo kaun se allah ke wali the jinhone huzur gaus-e-paak rahmatullah alaih ke ane ki bisharat di thi unka naam bata dijiye wo apne waqt ke mujaddid bhi the ? Imran raaz Jazakallah

Jawab: 610 بسم الله الرحمن الرحيم
Aameen,
Mazrat ke sath, Ye group QUIZ COMPETITION ka nahi hai, aur ye suwal gair zaruri hai, naa iska AQEEDE se koi lena dena na AMAL se na IBADAT se, aise kai wali guzre hai, maslan Junaid Baghdagi aur inke siwa bhi jinhone ane ki bisharate di hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal No 611
Hazrat bataye jinnat ( achewale) kaise hote hain hote hai ya nahi agar han to kaise kahan rahte hai aur khate peete kya hai plz batawo.

Jawab: 611 بسم الله الرحمن الرحيم
“qaume jinnat par mukhtasar kalam”

G, Han jinnat hote hain inki asl hai aur iska inkar nahi kiya ja sakta, Quran e Pak me surah Jinn is par shahid aur bahut ayate qurania maujood hai, jisme jinnat ka zikr hai, aur hadiso me bhi, jisse pata chalta hai ki jinnat jaisi makhlooq bhi duniya me maujood hain, aur apna wajood rakhti hain, aur iska inkar karne wala kafir hai,
Bahar E Shariat Jild : Safah: 50 par hai,
“jinnat ke wajood ka inkar, ya fir, badi ya quwwat ka naam jinna ya shaitan rakhna kufr hai”
Yani jo kahe jinn shetan kuch nahi hota, bure kam ka naam hi shaitan hai to kafir hai,

Quran e Malike Akbar ka farman he, Surah Azzariyat Ayat 56
“aur mene jinn aur adami itne hi liye banaye ki meri bandagi karen”

Hadis Shuab Ul Iman Me Farman E Mustafa hai:
“mujhe jinno aur insano ki taraf bheja gaya

Umdatul Qari Sharah Sahi Al-Bukhari Jild:10 Safah: 644 par hai,
“lughat me “jinn” sitr aur khifa ko kehte hai, jin ko isilye jinnat kehte hai ki wo aam logo ki nigah se poshida hota hai,”

Jinnat Aag se paida hai, jaisa ki Quran Surah Rehman Ayat: 10 me hai
“jinn ko paida farmaya aag ki lapat se”

*Allah ne firishto ko Budh ke din, Jinnat ko Jumrat ke din aur Hazrat Adam ko juma ke din paida farmaya

Imam Jalaluddin Shuyuti Shafai Farmate hain,:
*“Shayateen jinnat hi ki naafarman qism ka naam hai, jo iblees ki aulad se hai”

Khazain ul irfan me hai:
*shaitan do qism ke hote hain, ek jinnat me se ek insan me se,”

*Iblees Tamam jinnaton ka bap hai

*jinnat ki tadad insan se 9-guna zyada hai, yani jab ek insan paida hota hai to 9 jinn paida hote hain,

*Jinnat “haddi” aur leed (gobar)” khate hai ye unka khana hai, isilye haddi se istanja karna mana hai”

*Tamam musalmano ke gharon ki chhaton par musalman jinnat rehte hain,jab ghar me dastarkhan lagaya jaata hai, ghar ke log khana khate hain, to jinn bhi chhaton se utar kar aa jate hain aur khana shuru kar dete hain, inke zariye se allah bure jinn ko bhaga deta hai,

*aksar aur beshtar jinnat najasat ki jagao par rehte hai, (ghuslkhane, toilet, kudaghar, etc.)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal 612
Kya farmate hain ulama e kiram, wa muftiyan e azzam darje zel sher ke mutabiq jo kulliyat e iqbal main, Allamah Iqbal ka sher hai kya yeh sher durust hain
“junun e ishq se to khuda bhi naa bach saka iqbal
Tareef e husn e yaar me sara quran likh diya,

Jawab: 612 بسم الله الرحمن الرحيم
Sher, jiske mutalliq sail ne suwal pucha kufriya hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 613
kya byan karte he muftiyan e shara is masale me ki. jab ham log ghar me quran khwani karwate hen to sabhi padhne wale bachche buland awaz se quran padhte he jisse kisi ka quran samjh nahi aata. kya aisa karna jaiz hai. padh sakte he ya nahi..quran o hadis ki roshni me jawab den. allah kaseer khair de.


Jawab: 613 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab kuch log mil kar quran padhe aur buland aawaz se padhe to is tarah padhna HARAM hai, isi tarah ye jo surat suwal me darj hai, ki quran khwani me bachche zor zor se padhte hai ye bhi HARAM hai, un bachcho ko shayad masala pata nahi hota magar, ye sunniyat ki badnaseebi hai ki unke sath aane wale madrse ke bade bachche wa huffaz bhi unhe khabar nahi karte, aur naa zaruri masale batate, aur jab kuch log mil kar jama ho kar quran padhe to ahista padhna chahiye is tarah ki apas me awaz naa takraye, (allah amal ka jazba ata kare)
Fatawa Faiz ur Rasool Jild:1 Safah: 248 par hai,
“Quran khwani me sab logo ka buland awaz se quran shareef padhna “najaiz wa Haram hai”

Aur yahi Durr e Mukhtar wa Bahar e Shariat me hai,

Aur is mamle me aurat bhi kuch kam nahi hai, ek tarf ye qari jo chilla chilla kar padhte hai, to dusri taraf aurate bhi ghar me is tarah padhti hai unki halaq se awaz nahi aati, chahe gali bazar me jitna shor karwa lo magar quran padhne me awaz bahar nahi aati, is tarah bhi padhne se padhne ka swab nahi milta, kam se kam inti awaz chahiye ki khud ke kan sune,
أعلمُ بالـصـواب  وﷲ سبحانه و تعالى

Suwal no. 614
Mera suwal hai hum khwab me paani sanp machhli wager dekhte hain to wo kaisa hai.kuch log acha batate hai to kuch bura.

Jawab: 614 بسم الله الرحمن الرحيم
Khwab me tafseel darkar hoti hai, maslan, sanp dekha to kaisa yani hamla karte huye ya khud se bhagte huye isi tarah pani dekha to kaisa, yani gehra, tufan ke sath ya normal, nadi ya peete huye wagera wagera, isi tarah machhli badi dekhi ya choti ek dekhi ya bahut....
To isi liye jab tak puri tafseel nahi hoti khwab ki tabeer nahi ki jaati aur ek khas baat, aap tafseel mujhe naa bheje sirf zarurat ke masail ka hal is group me bataya jata hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 615.
Ek shaks ki koi aulad nahi hai usne apne bhai ki aulad ko god liya hai. Is condition me wo apni biwi se dodh bhi nahi pilwa sakta to kya uski biwi se us god liye  bachche ka parda hoga.

Jawab: 615 بسم الله الرحمن الرحيم
Haqiqat me wo aurat is bachche ki chachi hongi, aur shariat me chachi se parda wajib hai to puchi gai surat me agar kisi ne apne bhai ke bache (boy) ko god liya to khud maa keh laane wali aurat se uska parda hoga, ye hukm e shariat hai, aur jo kahe ki god lene ke bad ham maa ban gaye to usse doodh ka rishta qiyam karwana hoga, aur ye maa kehna khud ke munh se hai, jabki allah ne use uski maa nahi banaya  Quran e pak me Allah ka irshad hai: Sureh Ahzab Ayat 4-5
“aur naa tumhare le-palako ko tumhara beta banaya, ye tumhare apne munh ka kehna hai, aur allah haq farmata hai aur wahi raah dikhata hai, uhne unke bap hi ka keh kar pukaro, ye allah ke nazdeek zyada thik hai, fir agar tumhe unke bap maloom naa ho to deen me tumhare bhai hain,

Lihaza agar is aurat ke doodh nahi utarta to ye aurat apni behen se ise doodh pilwa de, taki is aurat se is bachche ka baligh hone par parda khatam ho jaye kyunki ab wo aurat iski khala hongi aur khala se nikah haram yani parda wajib nahi, aur magar yaad rakhe is surat me bhi sirf is aurat ko ria’yat hai, magar abhi bhi in god lene wale ki betion ka parda iss (munh bole bhai) se farz hoga, balki ye agar is god liye jaane wale (monh bole baap) ki betio se shadi karna chahe to kar sakte hai, aur gar betiya nahi to thik,

Bacha god lene ke masail bahut pechida hai, aur aksar musalman isse waqif nahi, aur isse bachne ki ek hi surat hai ki god lene wala khud apni biwi se doodh pilwaye, taki aurat aur uski ladkion dono ke parde me riayat mile, warna kahi khud aurat ka masala aage aa jayega to kahi uski betion ka,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 616
Hazrat kya pair pakad ke salam karna jayez hai, agar hai to kisko kisko zara tafsir se batayen

Jawab: 616 بسم الله الرحمن الرحيم
Musalmano me ye buri bid’at kisi surat raij nahi,
salam me ruku tak bhi jhukna kisi ke age jaiz nahi

Peron me jhuk kar salam karna ya is tarah tazeem ke liye pero tak jhuk jana HARAM hai aur ye fel kisi ko bhi jaiz nahi naa waliden ko naa murshid ko, balki salam karte waqt ruku tak jhuk jana bhi haram hai, aur isse niche jhukna bhi haram

Sharah Hidaya me hai:
ومایفعلہ بعضالجھال من الصوفیۃ بین یدی شیخھم فحرم محض اقبح البدع فینھون عن ذالک لامحالۃ
Yani: sajda jo baz jahil sufi apne peero ke age karte hain, nira Haram hai, aur sabse badtar bid’at hai, weh jabrann isse baz rakhe jayen,

Durr E Mukhtar Jild:5 Safah: 378 par hai  الانخناء فی السلام الی قریب الرکوع کالسجود
Yani: Salam me ruku ke kareeb tak jhukna bhi misl e sajda hai

Ihyaul Uloom Jild:2 Safa: 124  (الانحناء عند السلام منھی عنہ) وھو عن فعل الاعاجم
Yani: salam ke waqt jhukna mana farmaya gaya aur ye majoosi (aag poojne wale) ka kam hai

Sharah (Mullah) Ali Qari Jild: 1 Safah; 274 par hai :
(لاینحنی) لان الانحناء یکرہ للسلاطین وغیرھم ولانہ صنیع اھل الکتاب
Yani: salam me naa jhuke, badshah ho ya koi, kisi ke liye jhukne ki ijazat nahi, aur wajah mumaniyat ke ye hai ki ye nasara majoosio ka fel hai

Fatawa Alamgeeri Jild:5 Safah: 369 par hai:  یکرہ الانحناء عندالتحیۃ وبہ ورد النھی
Yani: salam karte huye jhuka mana hai, hadis me isse mana kiya gaya

Bahar E Shariat Jild:3 Safah: 464 par hai
“kuch log salam karte waqt jhuk bhi jaate hain, ye jhuka agar ruku ki had tak ho to haram aur isse kam ho to makruh

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safa: 491 Aur 502 par hai
“maloom hua ki salam ki niyat se bhi sajda karna jaiz nahi”
“sajda to sajda ruku tak jhukna bhi jaiz nahi”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no.617
hazrat humne suna  he ki 40 din gosht na khane se deen me khami aa jati he ye bat sahi he ya ghalat zara bataye,

Jawab: 617 بسم الله الرحمن الرحيم
Bat ghalat hai, aisa kuch nahi koi umar bhar gosht naa khayega to bhi iman par koi fark nahi, ye wo log bate banate hai, jinhe bas khana chahiye, aur namaz ek waqt nahi padhte, namaz qaza karne se iman par farq aayega, ye haqiqat hai,
Aur ye bhi yad rakho, ki gosht ki tareef huzoor ne farmai hai, aur ise tamam khane ka sardar bataya, isme koi inkar nahi, magar gosht ki tareef kar dene se ye matlab nahi ki khana zaruri nahi, warna tareef to huzoor ne NAMAZ ki bhi bahut ki hai iska kya ?

aur koi aisa bhi naa kare ki lagatar roz hi gosht khaye aur koi aisa bhi naa kare ki bilkul hi tark kar den, yani kabhi khaye bhi magar pabandi naa kare,

Ihyaul Uloom Jild:3 Safah:292 par hai
Hazrat Ali ne Farmaya:
“jo shaks 40 din tak gosht khana chhor de, uski tabiyat aur mijaz me kharabi wa bigar paida ho jata hai,
Aur jo 40 din lagatar gosht khata rahe, uska dil sakht ho jata hai”

Age Imam Ghazali Likhte hain:
“insan ke fizul kharach hone ke liye itna hi kafi hai, ki jis cheez ki use khwaish ho, use kha le aur har weh kam kar le, jise karne ki use hajat ho, MUNASIB YEH HAI KI GOSHT KHANE PAR HAMESHGI NAA IKHTIYAR KARE”
Age isi safah par hai:
“manqool hai: “hamesha gosht khana sharab ki chuski ki tarah ek chuski hai (yani latt hai)

Dil ka sakht ho jaane ka nuqsan ye hai ki “uske dil par nasihat asr nahi karti, gunah bhi halka lagta hai,”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no.  618
hazrat kya pairon me kala (black) rang ka joota/chapple pahan sakte hain ?

Jawab: 618 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal bada ajeebtar hai har tarah ka joota chappal pairon me hi pehna jata hai, aur kale rang ke joote pehnne jaiz hain, magar isse fiqr badti hai, aur peele rang ke joote chappal bhi jaiz hai, aur isse fiqr kam hoti hai, to jisse mumkin ho wo peele joote chappal pehena kare, Allah ne chaha to khushhal rahega,


Tafseer E Ruhool Byan (sureh baqra ki ayat 69 ki tafseer me) me hai ki
Hazrat Ali ne farmaya:
Jo peele rang ka joota pehnega hamesha khush rahega.
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 619
hazrat kya balon main hair dye(kala rang)laga kar namaz padh sakte hain ?

Jawab: 619 بسم الله الرحمن الرحيم
Balon me kala rang lagana to HARAM hai, aur lagane wala fasiq
magar wo apni namaz padhe to uski namaz ho jayegi yani wajibul iyada naa hogi, magar imamat aise shaks ki durust naa hogi, (bagair toba kiye, aur khizab naa chutaye,)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no 620
Hazrat haraam aur najayez me fark kya hai  barai karam tafseel se batyen

Jawab: 620 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz najaiz ka itlaq bahut mamnuat e shara par kar diya jaata hai, aur haram ke liye bhi kabhi kara jata hai, aur,
Haram- wo jiski mumaniat dalil e qatai se (laziman) sabit ho, ye farz ka muqabil hota hai,
Jis tarah farz ka karna zaruri hai, haram se bachna zaruri hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 621
bhai 11 tarik ke kya maene hai.mera matlab 11 v shareef Se hai.?

Jawab: 621 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek mehfil, chand ki 11 tarikh ko huzoor gaus e azam ko isal e sawab ke liye munaqid ki jati hai, jise sunni awam 11vi shareef ke naam se janti hai, 11vi shareef asl me isal e sawab hai, jo ki shariat me jaiz aur mustahab hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 622
hzrat sajda sahv namaz main kis halat main wajib hai ?

Jawab: 622 بسم الله الرحمن الرحيم
Wajibat e namaz se kuch sehwann tark hua to sajda sehev karna wajib hai, yani
Namaz me jo cheeze wajib hain, unme se agar koi cheez BHOOL se chhoot jaye to sajda sehv karna wajib hai, maslan, sureh fatiha ke bad surat ka padhna wajib hai, agar koi bhool gaya to akhir me sajda sehev kare, isi tarah aur wajib ka hukm hai, aur namaz me bahut wajib hain, magar sail ki mohabbat me kuch arz karta hun, taaki allah inhe zyada se zyada ilm e deen sikhne ka jazba de aur inki namaz durust ho jaye
kuch wajibat arz kiye jaate hai,-
*takbir e tehrima me lafz allahu akbar hona
*sureh fatiha ki saato ayato ka padhna
*koi ek surat milana
*sureh fatiha aur surat ke bich siwaye “bismillah” ke kuch naa padhna
*sureh fatiha ke foran bad surat milana
*sureh fatiha ke bad surat milana farz ki pehli do rakat me nafil witr ke har rakat me wajib hai
*sureh fatiha ka surat se pehle padhna wajib hai
*sureh fatiha ka ek hi bar padhna wajib hai
*sureh fatiha aur surat me bich waqfa naa karna (siwaye aameen aur tasmia)
*qirat ke foran bad ruku karna
*qauma (ruku se puri tarah kamar sidhi karke ek tasbih ki misl ruka)
*ek sajde ke bad doosra sajda hona
*sajde me (mard ko) paun ki teen ungliyo ka pet zameen par lagana
*jalsa wajib hai (do sajdo ke bich bethna, ek tasbih ki mikdar kamar sidhi karna)
*q’ada ula,
*tashahud
*foran teesri rakat ke liye khade hona
*witr me takir e qunoot aur dua (qunoot ya koi bhi)
*salam me lafz “assalamu” ka hona wajib “alaykum” sunnat hai
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 623
hazrat kiya har kaam se pehle bismillah padh sakte he. warna kaha kaha padh sakte he aur kaha nahi. tafseel ke sath jawab ata farmaye.

Jawab: 623 بسم الله الرحمن الرحيم
... بسم الله Padhne par Tafseeli Kalam
Kahi bhi ... بسم الله padhne ki 7 suraten ho sakti hai, jinka hukm alag alag hai maslan:-

1... بسم الله padhna FARZ hai:- Janwar zibah karte waqt,
2... بسم الله Padhna SUNNAT hai:- beroon e namaz kisi surat ke shuru tilawat ki ibtida ke waqt, Wuzu ke shuru men, Namaz ke har rakat ke awwal me, aur har ahm kam yani Khane peene, Hambistari wagera ke shuru me,
3... بسم الله Padhna MUSTAHAB hai:- namaz ke bahar darmiyani surat se tilwat shuru karte waqt, aur sureh tauba me bhi yahi hukm hai,
4... بسم الله padhna JAIZ Wa MUSTHASAN:- Namaz me Sureh Fatiha aur Surat ke darmiyan aur Uthte Bethte Waqt,
5... بسم الله Padhna KUFR hai:- Haram Qat’ai Kam karte waqt ... بسم الله ko Halal wa jaiz Samajh Kar padhna,
6... بسم الله Padhna HARAM hai:- Gunah ke kam ke waqt maslan Sharab Peete Waqt, chori karte waqt, ya haiz ki halat me bivi se hambistari karte waqt, aur napak shaks ko tilawat ki niyat se bhi padhna HARAM hai,
7... بسم الله Padhna MAKRUH hai:- Sureh Bar’at ke shuru me, hukka, biri, sigret peete waqt, lehsun pyaz jaisi cheeze khane ke waqt, najasat ki jagahaon par, aur isi tarah sharam gah kholte waqt,
Fatawa Faizur Rasool jild:2 safah:505-506
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 624
Hazrat Quran ko choone ke or padhne ke aadab bata den mehrbari hogi Jazakallah.

Jawab: 624 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran ko wuzu hi ki halat me chhu sakte hain, bila wuzu quran e pak ko chhoona haram hai,
Bahar e shariat Jild:1 Safah: 301 par hai,
“Agar wuzu naa ho to, namaz aur sajda e tilawat aur namaz e janaza aur quran chhone ke lye wuzu karna FARZ hai”
Isi tarah, qibla ru ho kar padha jaye, ta’awuz, tasmiah se shuru kare, aur itni awaz se ki khud ke kan sun sake, aur jab tak padha jaye jab jab dil gawara kare, aur makruh waqt me padhne se bachna chahiye, aur mumkin ho to tarjuma e kanzul iman ke sath padhe, aur kam az kam 3 ayat ki tafseer bhi padh liya kare, to iski barkate bhi shamil hongi,  ان شاء الله
Bahar e Shariat Jil:1 Safah: 550 par hai
“quran dekh kar padhna zubani padhne se afzal hai ki ye dekhna bhi hai padhna bhi aur chhuna bhi, aur ye sab ibadat hai”
“mustahab yeh hai ki bawuzu qibla ru beth kar ache kapde pehn kar tilawat kare, aur shuru tilawat me ta’awuz mustahab hai”
Safah 551 par hai:- let kar quran padhne me harj nahi, jabki paun samete ho, aur munh khula ho,

Bahar e Shariat Jild:3 Safah: 496 par hai
“quran e majeed ko nihayat achi awaz se padhna chahiye” isi me aage hai
“agar uth kar kahi jaate hain to (quran ko) band karte hai khula nahi chhorte, ye adab ki bat hai”
“quran e majeed ke adab me ye bhi hai ki, iski taraf peeth naa ki jaye, naa paun phelaye jayen,naa paun ko usse uncha kare, naa khud quran se unchi jagah par ho,


وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 625
Imam ke piche qirat mana he to kya imam ko dohrana bhi isi hukm ke matehat he ?

Jawab: 625 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye Dala’ile Al-QARIAH, is baat ki nishani hai,
Jama’t me qirat karna bechen dilon ki pareshani hai

Mujhe suwal se itna samajh aaya ki shayad sail ye puchna chahta hai ki imam koi surat padhe aur muqtadi koi or ye to mana hai, to kya ek jaise surat bhi dohrana mana hai, yani imam falak padhe aur muqtadi ko yaad ho to apni yad-dasht par use dohra sakta hai ya nahi (aur allah behtar janne wala hai)

G, nahi Imam ke piche Qirat karna Hanafi Mazhab me Jaiz nahi, fir chahe imam se judagana surat padhi jaye ya ek jaisi, dono surat me qirat karne wala paya gaya, aur baz log is waswase me mubtila hai wo samjhte hai ki, ye dekhne ke liye ki hame surat sahi yad hai ya nahi, to is niyat se padh sakte hai, jabki tilawat maqsood naa ho, magar ye qaul batil mehez hai,
(Me kehta hu, aur allah hi ki tofiq se) ki halat namaz me, har shaks par namaz ke tamam faraiz o wajibat ki ittibah lazim hai, aur har muqallid par apne mujtahid ki perwi farz, aur iske khilaf kuch nahi, fir jab imam ke piche chup rehna wajib hua to zarur surat ka padhna qasdan tark e wajib paya gaya, aur tark e wajib haram ke kareeb hota hai, yani aisa karne wala sakht gunahgar aur is fel se baz rehna aur tauba karna bhi lazim,
Tumhe Zuban Dene wala Rab Farmata Hai. (sureh:7 Ayat:204)
“aur jab quran padha jaye to use kan laga kar SUNO, aur KHAMOSH raho ki tum par rehm ho”

Is Ayat ki Tafseer me Khazinul Irfan me hai
“Is ayat se sabit hua ki jis waqt quran padha jaye, chahe namaz me ya namaz ke bahar, us waqt sunna aur khamosh rehna wajib hai,”

Tafseer Durr e Mansoor Jild:3 Safah: 496 par hai:
“hazrat ibn e Abbas ne farmaya ye ayat farz namazo ke bare me hai, (yani jab farz namaz ke dauran quran padha jaye, to use kan laga kar suno aur khamosh raho”

Tafseer e Qurtabi Jild:4 Safah: 410 par hai
“ahle tafseer ne is par ijma kiya hai ki, isme sunne se murad namaz me quran ka sunna hai,

Tafseer e Tibyanul Quran Jild:4 Safah:515 par hai
“Hazrat ibne mas’ood ne namaz padhai, unhone logon ko imam ke sath namaz me quran padhte huye suna, jab weh namaz se farig huye to unhone kaha, abhi tak tumhari samjhdari ka waqt nahi aya ? kya abhi tak tumhe aqal nahi aai ?  jab quran padha jaye to use ghaur se suno aur khamosh raho, jis tafah tumhe allah ne hukm diya, yeh hadis fuquha e ahanaf ki dalil hai, ki namaz me imam ke piche qirat nahi karni chahiye,”

Tafseer Siratul Jinan Jild:3 Safah: 512 par hai
“is ayat se imam ke piche quran padhne ki mumaniat sabit hoti hai, aur kaseer ahadees me bhi yahi hukm farmaya gaya, ki imam ke piche qirat naa ki jaye”

Hadis:-1 Sahi Muslim- اذ صلّیتم فاقیمواصفوفکم ثم لیؤمکم احدکم فاذاکبر فکبر واواذاقرأفانصتو
Yani: jab tum namaz me apni safe seedhi karo, fir tum me koi imamat kare, aur weh takbir kahe tum bhi takbir kaho, aur jab weh qirat kare tum chup raho,”

Hadis:-2 Tirmizi- من صلی رکعۃ لم یقرء فیھا بام القراٰن فلم یصل الا ان یکون وراء الامام
Yani: jab koi rakat bagair sureh fatiha padhi, uski namaz naa hui, magar jab imam ke piche ho (to ho gai)”

Fatawa Razavia Jild:6 Safa:240 par hai
“hamare ulama e mujtahideen bil-ittifaq adam e jawaz ke qail hain, aur yahi mazhab e jamhoor sahaba o tabai’in ka hai, yaha tak ki Sahib e Hidaya ne dawa e ijma e sahab kiya hai,”

Allah Ta’ala Is mas’ale par Qaum e Sunniyat ko Qaum e Wahabiya se Aman Bakhshe
اٰمین ھذاوالعلم عند واھب العلوم العالم بکل سرمکتوم

Suwal no. 626
Bhai me jaha par iss time rah raha hu waha par pas me koi masjid nahi he aur jo he wo deobandi he mere room-mate bhi sab deobandi hen, pas me ek masjid he jo ki wo bhi deobandi ki he me namaz ko us masjid me jata hu to apni namaz alag padhta ho par mere room -mate mere pas comments karte he batye ki mujhe jamat ke sath namaz padh kar apni khud ki namaz padhni chahiye kya karna chahiye

Jawab: 626 بسم الله الرحمن الرحيم
Puchi gai surat me apko apni namaz padhna hi farz hai, ki wabahi ke piche padhi gai namaz, namaz nahi hoti, Jaisa ki Alahazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razavia Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai 
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
 
Fir isi FATAWA RAZAVIA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke piche namaz beshak najaiz mehez baatil hai”

Or aage isi FATAWA RAZAVIA Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai 
“Wahabi ke piche namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai”

aur apko allah ke liye farz namaz ada karni chahiye, aur yeh nahi dekhna chahiye ki log kya kehte hai, munafiq sadi e awwal se iman walon ko tana kaste aye hai, bas kafir aur munafiqeen ke dil par pahad dhane ke liye allah ka zikr kasrat se karna chaiye ki to bhi kahe ki tum dikhawa karte ho, ap apni namazo ki kasrat rakhe, aur apne nabi ke is farman ko bhi yad rakhen, hadis e pak me hai:
 اکثروا ذکراﷲ حتی یقولو انہ مجنون  yani:“khuda ka zikr itni kasrat se karo ki log tumhe kahe ki ye majnu hai”
 (yani yeh parwa naa karo ki munafiq tumhe kya kehta hai)
ummid hai ye kalam apke haq me nafa bakhsh hua hoga,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 627
Asslamu alaikum
Hazrat me ye puchhna chahta hu ke har namaz ki farz namaz  padhne ke bad jagah badalna zaruri he ?
Mene suna he ke Jaha farz namaz ada ki wo jagah or jaha sunnat ada ki wo jagah qiyamat ke din gawah ban ke rahegi, Kya hazrat ye such he, zara tafsir se samjayye Talib e jawab

Jawab: 627 بسم الله الرحمن الرحيم
و عليكم السلام والرحمة الله
Namaz farz ada karne ke bad, jagah badalna kuch zaruri to nahi, magar badalne me harz nahi, aur iska hukm imam aur muqtadi ko islye hai ki, agar imam namaz padh kar usi jaga apni sunnat e ada kare aur muqtadi bhi wahi maujood rahe to bad me aane wale namazi ko ye dhoka ho sakta hai ki shayad jamat qayam hai, islye kaha gaya ki kuch jagah tabdil karni chahiye taki aane wala samajh jaye ki jamat khatam aur log apni sunnan wa nawafil ada kar rahe hain,

Aur ye jo suwal me doosra pehlu hai, ye bat bhi quran o hadis me maujood hai, balki me kehta hun ki har shaks ko sunnat padhne aur jagah tabdeel karne se pehle ye niyat bhi kar leni chahiye ki kal qiyamat me ye zameen(jahan farz padhe) aur wo zameen (jahan sunnat padhunga) bhi mere nek amal ki gawah bane, to zarur is niyat par bhi sawab payega, aur zameen bhi gawahi degi... ki jis zameen par koi gunah ya nek kam kiya jayega wo to gawah banegi,

Tumahare liye Zameen ko Bichhona Banane wala Allah Farmata hai:
Quran surah Zilzala ayat:4 me -- “us din weh(zameen) apni khabar batayegi,”
Aur iski tafseer me Khazin ul irfan me hai ki,
“aur jo neki badi is par ki gai sab byan karegi,”

Aur Tirmizi ki hadis me hai ki farmaya huzoor ne
“har mard aurat ne jo kuch is(zameen) par kiya, uski gawahi degi, fula din ye kiya fula din ye”

Bas ye sabit hua ki jis zameen par koi bhi nek ya bad alam kiya jaye to zameen kal gawahi degi,  fir chahe namaz ho tasbih ho ya kuch aur, (aur namaz kya hi acha amal e saleh hai)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no.628
halal janwal me dil, kalegi orjhri khane ka kya hukm he ?

Jawab: 628
Khana DIL aur KALEGI ka jaiz hai, aur OJHRI khana Makruh tehrimi, yani Gunah hai,

Fatawa Faizur Rasool Jild: 2 Safah: 432 Par Hai
Halal janwar ki ojhri khana makruh tehrimi kareeb haram key hai,
Age hai
“ojhri aur aaton ko tab’ai yani mubah kehne wala jahil hai”

Is kitab ke Safah: 433 par hai
Ojhri khana makruh tehrimi hai aur makruh tehrimi ka gunah haram ke missal hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 629
Botle wagerah ke muh laga kar pani pia kaisa ? Meharbani krke hadees me se hawala de kisi ne suwal pucha he or hadees se hawala manga hai.

Jawab: 629 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to ye ki daur e rasool me ye bottle jo hazir hain, thi hi nahi, to hadis me botle se munh laga kar paani peene ki mumaniat bil alfaz kaise aa sakti hai, khair,
Ham is suwal ke dalail me kuch hadis e rasool pesh karkenge jisse ye sabit hoga ki bottle se munh laga kar paani peene ki mumaniat hadis me maujood hai,

Hadis-1- Ise Bukhari aur Muslim ne Ibne Abbas se riwayat kiya:- Ki huzoor ne mashk ke dahan(munh) se paani peene ko mana farmaya
Bukhari Jild-3 Safa:592,

Hadis-2- ise bhi Bukhari Muslim aur Tirmizi ne Abu sa’eed Khudri se Riwayat kiya:- huzoor ne mashk ke dahane ko mor kar usse paani peene ko mana farmaya;

Hadis-3- ise Ibne Maja ne Ibne Abbas se riwayat kiya:- huzoor ke mana farmane ke bad ek shaks raat me utha aur mashk ke dahane(muhn) ko paani peene ke liye mora, usme se sanp nikla.
Sahi Ibne Maja Jild:4Safah:78

Men kehta hua (allah hi ki tofiq se) ki in ahadis ko bottle toti, lote, pipe-numa jaisi cheez ke liye mumaniat par daal lana bilkul sahi hai, aur ye naa khilaf e ilm e ahadees he na mazhab e ahanaf ke khilaf,
Kyunki inme mumaniat ki jo wajeh byan ki gai, usse saf hai ki, aisi har chiz se peene se mana kiya jayega, aur jo hadis me “mashkeeza” ke lafz aye wo is qaid ke sath khas bilkul nahi hai, balki us daur me kyunki mashkeeze the to isi lye, bas isse mana kiya, zahir yahi hota hai ki, ab bottle ya is jaise cheez se munh laga kar peene ki mumaniat, khilaf e hadis naa hoga balki ain hadis ke mutabik hi hoga, aur maqsood e rasool bhi zarar e jismani se bachana tha, to kya bas mashkeeze se hi sanp ya keede ka khatra hai, lote ke munh se kyun nahi ?, aur aisi hazaro ahadise hai, jisme kai cheezo ki qaid hai, magar wo daur e hazir me bhi dalail ke tor pe pesh ki jaati hai, Ulama farmate hai ki, “mufti agar daur e hazir se waqif naa ho jahil hai”

Iski sharah me Miraat Sharah Mishkat Jild:6 Safah:67 par.
“mashkeeze se munh laga kar paani naa peene ki bahut hikmaten hai, mumkin hai ki, koi zehreela keeda ho jo is tarah peene se muhn ke zariye pet me chala jaye, “

Lihaza ise har munh wali cheez maslan lote or bottle par qiyas kiya jayega, aur yahi haq hai, ki kabhi bhi achanak aisi cheez se seedhe munh laga kar paani peene se bachna chahiye, magar me is jawab ki aur sharah kar dun, ki wo bottel, jiska rang safed hota hai, ya uska munh zyada bada nahi hota ye mumaniat us bottle par lana khilaf e aql hai, kyunki jis bottel me paani saf dekha jaa sakta hai to use keeda bhi dikhai de sakta hai, is lote se peene ki mumaniat bhi usi soorat me hogi, jab lota pani ke liye istimal ho, aur jo hadis me aya ki wuzu ka paani khade ho kar pio, wo lote se munh laga kar hi piya jayega, aur isme harj nahi,
Me kehta hua (allah ki di hui tofiq se) ki jab koi shaksh wuzu karega to lote ki toti ke zariye kafi paani beh chuka hoga, aur agar koi keera ho bhi to bahar aa chuka hoga, isi lye ye fel bad wuzu farmaya gaya, naki qabl wuzu, (aur ye hikmat e hadis kisi kitab me naa hogi, )

Bahar e Shariat Jild:3 Safah: 387 par hai
“mashk ke dahane se munh laga kar paani peena makruh hai kya maloom koi nuqsan dene wali cheez halaq me chali jaye, isi tarah loote ki toti se paani peena, jabki lote ko dekh liya gaya ho ki usme koi cheez nahi hai (to fir makruh bhi nahi)

Sub’han allah, sahib e bahar e shariat ne, mere maufooq ko saf kar diya ki, dekhne ke bad peene me harj nahi. To wuzu ke bad bhi peene me harj nahi, ki is toti me agar keeda hua to wo wuzu me nikal chuka hoga, (kya hi achi misa)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 630
Chane or gud ka fatiaha rakhte he wo kiske naam pe rakhte he zara jaldi batayye hazrat  aaj rakhna he ?

Jawab: 630 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar apko yaad ho ki kis buzurg ko ye pasand tha to unke naam ki fatiha dila do, aur yad nahi hai, aur zyada hi jaldi hai to, mere naam ki dila do, to bhi fatiha ho jayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.631
hazrat net pack dalwana Facebook, whatsapp, IMO, wagehra ladkiyon ko chalana kaisa he kya ye sab chalna gunah he

Jawab: 631 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han,  agar iska ya kisi bhi social media ka istimal ghalat kam ya waqt ke israf ke liye hoga to zarur gunah hai, fir ye qaid ladki ke liye hi nahi, isme sab shamil hai, aur har israf bhi gunah hota hai, aur agar iska istilam kisi nek maqasid ke liye hai to zarur sawab payega, maslan, ilm e deen sikhne ke liye,
hadis me farmaya: نیۃ المومن خیر من عملہ (musalman ki niyat uske amal se behtar hai)
aur
Quran e Pak me tumhara RAB farmata hai, Surah 97 Ayat 07- 08
“to jo ek zarra bhar bhalai kare use dekhega”  “Aur jo ek zarra bhar burai karega use dekhega.”
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 632 
kya farmate hain ulama e deen wa muftiyan e shara mateen is masalah me ke SADAL KYA HOTA HAI OR SADAL JO NAMAZ ME MAKRUH HAI. TO KYA YE HUKM NAMAZ E JANAZA ME BHI HAI ?
Bil hawala irshad farmaye

Jawab: 632 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatawa Razavia Jild:7 Safah: 386 par hai,
Asl yeh hai ki SADAL yani pehnne ke kapde ko be-pehne latkana MAKRUH TEHRIMI hai, aur isse namaz wajibul iadah,

Durr e Mukhtar Jild:1 safah: 91 par hai  کرہ سدل ثوبہ وکرہ کفہ ای رفعہ ولولتراب کمشمرکم اوذیل
Yani: kapde ka latkana isi tarah kapde ka uthana bhi makruh hai, chahe keechar ki wajeh se ho, jaise koi aadmi astin aur daman utha le,

Radd ul Mohtar 1/473 par hai- حررالخیر الرملی مایفید ان الکراھۃ فیہ تحریمیۃ
Yani: Shaikh khairuddin Rumli ki ibarat is bat ki mufid hai ki, isme karahat Tehrimi hai,

Ye to sabit hua ki SADAL Mutlaqan Makruh Tehrimi hai, ab is taraf bhi ek nazr ki ye Namaz e Janaz me bhi Makru hai ya nahi,
Me Kehta hun (aqal dene wale rab HI ki tofiq se) ki gaur karne ka mukam hai ki asl me fuquha ne sadal ko makruh tehrimi islye qarar diya ki ye pehnna kapde ka khilaf e mo’tad hai, sabhi par roshan hai, jab char diwari me padhi gai, namaz makruh tehrimi ho jati hai to uska dohrana bhi wajib qarar pata hai, aur ye bhi roshan ki namaz e janaza masjid me jaiz nahi to bich sadak par imam ka khilaf e mo’tad kapde ka istimal kyunkar makruh naa hoga, maslan imam ka logo ke samne is tarah kurta daal lena, ki usme aastin naa pehne to ye namaz (janaza ho ya ruku sujood wali) wajib ul iada hoti hai, balki Imam e Ahle Sunnat ne Fatawa Razavia me Farmaya “isme neeche qameez aur adm e qameez ka koi dakhal nahi, sadal sadal hi hota  hai agarche qameez par ho,”  aur Imam ka ye qaul “pehnne ke kapde ko be-pehne latkana MAKRUH TEHRIMI he” saf bila qaid ke sath hai, warna jab kisi ruku sujood wali namaz ka alg hukm hota hai to use wajeh kiya jata hai, maslan kaha gaya, “namaz me wuzu ka tut jana namaz ko tor dega” ab isme har namaz dakhil ho gai, chahe farz ho, nafil ya janaza, aur ulama e ahanaf kapde aur balo ko morne, gurasne, lapetne, latkane, par jo hadis dal daate hai,  yani
امرت ان اسجد علی سبعۃ اعضاء وان لااکف شعرا ولا ثوبارواہ الستۃ عن ابن عباس رضی اﷲ تعالٰی عنھما
Yani: mujhe 7 aza par sajda karne ka hukm diya gaya hai, aur is baat ka hukm hai ki baal sametu naa kapda uthaun, is riwayat ko siha sitta ne hazrat abdullah bin abbas se riwayat kiya”

To mutlaqan ise dalil banate hai, naa ki namaz e janaza ko isse kharij karte hain, fir sahibe durr e mukhtar ne Durr e Mukhtar me farmaya hai 
 کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani,  Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
Inka “har wo namaz” likhna hi is bat par daal hai ki isme ruku sujood wa gair e ruku sujood sab shamil hai, warna is fiqh ka qaida is tarah hoga,
Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai , magar namaz e  janaza, me kyunki jamat wajib nahi, aur isi taqrar(ek se zyada bar padhna) NAJAIZ hai lihaza agar ye surat is namaz me pesh aye, to ek ke padhne se bhi namaz ho gai, chahe, 10 logo ne sadal kiya ho, sadal to sadal agar tamam muqtadi bhi halat e namaz e janaza me be-wuzu ho jayen, to bhi imam ki namaz kafi hai, is tarah agar aurat ki imamat me namaz jaiz nahi magar, namaz e janaza ki imamat  aurat ne ki to bhi namaz e janaza ho gai, dohrane ki hajat nahi,

Fatawa Alamgiri me hai
Iske liye jamat shart nahi, ek ne bhi padh le farz ada ho jayega”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:826 par hai
Imam tahir naa tha to namaz fir padhen, agarche muqtadi tahir hon, kyunki JAB IMAM KI NAMAZ NAA HUI TO KISI KI NAA HUI, aur agar imam tahir tha aur muqtadi bila taharat, to namaz dohrai jaye, ..
Agar aurat ne namaz e janaza padhai aur mardon ne iski iqtida ki to namaz lotai naa jaye, agarche mardo ki iqtida aurat ke piche sahi nahi, magar aurat ki namaz to hui yehi kafi hai, aur janaze ki namaz ki TAQRAR JAIZ NAHI”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 633
kia far mate hai ualama ojhri khana kaisa he

Jawab: 633 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatawa Faizur Rasool Jild: 2 Safah: 432 Par Hai
Halal janwar ki ojhri khana makruh tehrimi kareeb haram key hai,
Age hai
“ojhri aur aaton ko tab’ai yani mubah kehne wala jahil hai”

Isi kitab ke Safah: 433 par hai
Ojhri khana makruh tehrimi hai aur makruh tehrimi ka gunah haram ke missal hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 634
bidati ka maana kya hai

Jawab: 634 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisa shaks jo deen me koi aisi nai (new) baat nikale, jo quran o hadis ke khilaf ho ya kisi sunnat ko mitane wali ho, aise shakhs ko Bid’ati kaha jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.  635
Hazrat kya koi chehra saaf karne ki dua hai jisse chehre pe noor aaye ?

Jawab: 635  بسم الله الرحمن الرحيم
Sureh noor ki ayat 35 ka ibtidai hissa yani الله نور السموات والارض  tahajjud ki namaz ke bad 500 bar padh liya karo, kafi hoga.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 636
hazrat Eid miladun-nabi ke mauke se mujhe hujur s.a.w ke bare me taqreer deni he jaha pe sabhi kaum( Hindu and christian) ke log hoge ek aise taqreer bataye jisse ham apne deen or apne Prophet ke bare me aaj ke halat se jodkar zyada tafsil se bayan kar saken. unhe bata sakun.

Jawab: 636 بسم الله الرحمن الرحيم
Jawab dene se pehle me ye zaruri samajhta hu ki sail ko uski ek badi khata se agah kiya jaye aur wo ye ki Suwal me durud ko short me (s.a.w) )likha gaya hai is tarah likhna najaiz hai, baz log sirf (swad) likh dete hai, ye bhi naa chahiye, Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi FATAWA RAZAVI Jild: 23 Safah: 386 par likhte hai
Huruf (ص) likhna jaiz nahi, balki صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم likha jaye, 
to roman English me aap (alaihissalam)… likha kare. (allah amal ki tofiq de)..

ye fiqhi suwalat jawab ka group hai, aap iska jawab internet (youtube) par talash len, bahut sunni olama ki taqreer maujood hain,  warna kisi bhi seerat ki kitab se seerat e mustafa byan kar den,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 637
hazrat kya apne buzurgon ko baith kar paon chu kar salam kar sakte hain ?

Jawab: 637 بسم الله الرحمن الرحيم
Buzurgo ke paun choona kafir ki mushabihat ki bina par najaiz hai, aur salam karne ke liye ruku tak jhuk jana bhi haram aur isse zyada bhi haram, aur salam ki niyat se jhukna bhi haram,
Durr E Mukhtar Jild:5 Safah: 378 par hai  الانخناء فی السلام الی قریب الرکوع کالسجود
Yani: Salam me ruku ke kareeb tak jhukna bhi misl e sajda hai

Ihyaul Uloom Jild:2 Safa: 124  (الانحناء عند السلام منھی عنہ) وھو عن فعل الاعاجم
Yani: salam ke waqt jhukna mana farmaya gaya aur ye majoosi (aag poojne wale) ka kam hai

Bahar E Shariat Jild:3 Safah: 464 par hai
“kuch log salam karte waqt jhuk bhi jaate hain, ye jhuka agar ruku ki had tak ho to haram aur isse kam ho to makruh

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safa: 491 Aur 502 par hai
“maloom hua ki salam ki niyat se bhi sajda karna jaiz nahi”
“sajda to sajda ruku tak jhukna bhi jaiz nahi”

Aur maa ke qadmo ko bosa dena jaiz hai, aur ye fel mushbihat paida nahi karta ki kafir chumta nahi chhoota hai, aur choomna buzurgo ke qadamo ka bhi sunnat e sahaba se sabit hai,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 638
hazrat kya balon me burgundy colours lagana jaiz hai ?ise laga kar namaz hogi ?

Jawab: 638 بسم الله الرحمن الرحيم
Kaala ke alawa doosra laga sakte hai, aur kisi bhi company ka laga sakta hai,  jabki koi or man’e shara naa ho (maslan usme koi haram cheez ki amezish hone ka yaqeen ho), aur ise laga kar namaz ho jayegi,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 639
Hazrat jo kafir salam karte hain kya hum uska juwab de sakte hain ?

Jawab: 639 بسم الله الرحمن الرحيم
Bahar e Shariat Jild:3 Safah:461 par hai
Kuffar ko salam naa kare, AGAR wo kare to jawab de sakta hai
MAGAR jawab me SIRF  .. و عليكم keh den..

FATAWA RAZAVIA Jild: 22 Safah: :378 par likhte hai,
Kafir ko salam haram hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 640
kya Namaz me qirat ke alfaz sahi makhraz se ada na hue to kya namaz na hui? Wajahat farmaye

Jawab: 640 بسم الله الرحمن الرحيم
Qirat ghalat hone ki kai surate hai, kuch me namaz tut jayegi, jabki mayene fasid hoye aur baz suraton me namaz ho jati hai, jaisa khata fil erab (erab ki ghalati) isse namaz ho jati hai isi par fatwa hai. warna kis surat me kya ghalati hui wo byan ki jaye,

Fatawa Razavia Jild:6 Safah:248 par hai,
Erab me ghalati (yani: harkat, sakoon, tashdeed, takhfeef, qasra madh) ki ghalati me ulama e mutakhireen ka fatwa to ye hai ki, alal-ittilaq isse namaz nahi jaati,
فی الدرالمختار وزلۃ القاری لو فی اعراب لا تفسد وان غیر المعنی بہ یفتی
Yani: durre mukhtar me hai, qirat karne wale ki ghalati agar erab me ho to namaz fasid nahi hogi, agarche uske mayene badal jayen, is par fatwa hai”

Fatawa Alamgiri me hai
“wakf wa wasl ki ghalati koi cheez nahi, yahan tak ki agar waqf lazim par naa thehra, bura kiya magar NAMAZ NAA GAI”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:554 par hai
“erabi gharatian agar aisi hen jisse ma’ne na bigarte ho to mufsid nahi”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 641.
Hazrat humne suna h ki jume ke din 100 bar darood sharif padne se 80 saal ke gunah mauf ho jate he .
Agar ye sahi he to kisi shaqs ne padha or dusre ke liye iske sabab ki dua ki to usko sabab milega ya nahi zara samjhayen.

Jawab: 641 بسم الله الرحمن الرحيم
Apne kisi bhi zikr dua amal e khair ke ka sawab kisi bhi doosre ko pahuchaya jaa sakta hai, aur ye pahuchta bhi hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 642
hazrat Quraan shareef ki tilawat karte time bahut log hil hil kar tilawat karte hain kya sahi he,

Jawab: 642 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz he, sharann is par koi kalam nahi, aur usool e tibb ke khilaf hai,
Lihaza dekhte dekhte hil hil kar quran nahi padhna chahiye, isse aankho par farq padhta hai, jab koi shaks kisi tehrir ko hilte huye dekhta hai, to isse akhon par bhi zor padhta hai, lihaza hil kar dekhte huye naa padhe, aur is tarah padh sakte hain, ki pehle koi line pehle yad kar li, ab bina dekhe hil kar hifz kar rahe he to nazar par bhi kuch farq nahi, kyunki ye dimag se padhna hua nazar par zor naa hua, isi tarah koi kitab chalte huye, safar me, lete huye bhi padhne se bachna chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.643
hazrat kutte ke bare main hadees main kya aaya he bahut log kutta palte hain bahut log kehte hai ki kutta ghar me aajaye to 40 din fariste nahi aate

Jawab: 643 بسم الله الرحمن الرحيم
Kutta palna jaiz nahi, aur Ye hadis sahi hai, ki, jis ghar me kutta aur jandar ki tasweer hoti hai, usme rehmat ke firishte nahi, aate, aur ye 40 din ki qaid ke sath nahi, warna to log sochenge ki 40 din bad to firishte ayenge hi, balki jab tak ye cheeze maujood ho, jab tak nahi aate, chahe 40 sal tak rakhe,
Kutta palna us surat me jaiz he, jabki shariat ne ijazat di ho, (yani rakhwali ke liye, aur koi hifazat ki doosri surat nahi, aur wo bhi bahar ki janib)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no.644
hazart mere Bhai ko problem he wo raat me lat’te hain  to Kabhi kabhi un ki anaae fulne lagti he aisa lagta he sote time sanse ruk jayengi phir wo uth kar room Se baher ajate hain pehle aisa kuchh nahi tha  6 -7 mahine huye he unhe light lag gai thi kafi halt kharab thi tabhi se aisa ho gaya he hazrat kuchh bata dijiye jis se Bhai theek ho jayen.

Jawab: 644 بسم الله الرحمن الرحيم
Sheher ki kisi bade dr. se chek karwaye, aur report normal hone ke halat me, apne ilaqe me hone wale dawateislami ke haftawar ijtime me mareez shirkat kare aur bad ijtimah taweez le,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 645
Salam, Janab Namaz me pent fold karna or aasteen chadhane Kaisa he? Jazakallah

Jawab: 645 بسم الله الرحمن الرحيم
Pent ke payenche modne se namaz makruh tehrimi hogi aur uska fir dohrana wajib hai, magar aastin (adhi kalai se kam) morne par namaz ho jayegi ise dohrane ki hajat nahi, aur jinhone aastin ko payeche par qiyas karke ye fatwa diya ki aastin ka mutlaqan morna makruh tehrimi hai, kyunki ye bhi kaf-e-sow hai, wo ghalati par hain, aur har tarah kapka morne se namaz makruh tehrimi NAHI HOTI, balki jab kapda khilaf e urf moda jaye tabhi ye hukm hoga, aur aastin ka aadhi kalai tak (yani kaff mor lena) se namaz ho jayegi, aur isse zyada (adhi astin se zyada) chadai to makruh e tehrimi aur YAHI HAQ HAI,
Is masale par ek MUFTI Sahib ko mubalgha hua, mere pas unka  ek suwal-jawab aya, aur wo jawab hindustan ke bahut bade mash’hoor mufti sahib ka tha
Suwal tha- swater (jarsi) ko sardi me pehnte he wo neeche se mor lete hain, kya namaz hogi,
Jawab farmaya- Nahi hogi,
Me kehta hu (tofiq e khuda se), swetter, jo hind me pehne jaate hai, jise niche se mor liya jata hai, aur uska morna hi urf par mab-ni hai, usme namaz BILKUL DURUST HAI, warna hazaro imam bhi sardi me swetter pehnkar namaz padta hai, balki juma bhi aur eed bhi, to kya unhe namaz ka i’ada wajib hua? Hargiz nahi,  kyunki is sweter ka morna khilaf e adat nahi, balkai ain e urf par mab-ni hai,
Magar kuch ko ye mubalgha hua ki, har tarah kapda morna, morne ke hukm me hai, mgar  ye ghalat hai, agar maan liya jaye ki har morna, morna hai to, wo qamees (qameez) jinke coller more hote hain, wo bhi is hukm me dakhil ho jayenge, or  isse qaum e muslim ko fitne me dalne se kam naa ho ga,
Magar masale me HAQ YAHI HE KI, aastin agar adhi kalai se kam ho maslan ek bal mura hua ho to zarur namaz ho jaati hai, isse kuch farq nahi aata,  aur isse zyada me nahi, or pyeche ka ek bal bhi khilaf e muash hai, lihaza ise morne se namaz wajibul i’ada hogi,
Mgar me ye nahi kehta ki, un mufti sahib ne jankar ghalat fatwa diya, balki unse sehvan khata hui hogi, aur jiss alime e deen ne apni raay par quran o hadis se sahi fatwa diya magar ittifaq se wo ghalat nikla to us alim par gunah nahi, jaisa ki, Fatawa Razavia Jild:23 Safah:712 par hai
“han, agar aalim se ittifaqan bhool waqey hui ho, aur usne apni taraf se be-ehtiyati naa ki ho, aur ghalat jawab sadir hua to muakhza nahi, magar farz hai ki mutalla hote hi foran apni khata zahir kare,”

Ab is byan me ki aastin AADHI KALAI SE ZYADA ME MAKRUH TEHRIMI HOTI HAI>

Fatawa Razavia Jild:7 Safah: 297 par hai
(hatho ki kohni khol kar aastin upar chada kar namaz) MAKRUH TEHRIMI wajibul i’ada hogi, agar fir naa padhega to gunahgar hoga,

Imam ke is fatwe se saaf hai ki ye hukm jab hai jab kohni khuli ho aur ye jab hi mumkin hoga, jab aastin adhi kalai se zyada chadai jaye,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 624 par hai
“koi aastin ADHI KALAI SE ZYADA CHADI HO (to namaz makruh tehrimi hai, warna makruh tanzihi)

Khulasa e kalam is tarah hai:
*astin ka ek bal morne se namaz ho jayegi,
*payeche ka ek bal morne se bhi namaz nahi hogi,
*sweter ko neeche se morne se namaz ho jayegi,
*har wo kapda jo jis tarah mura hua hota hai, jaise coler to isse namaz ho jaati hai
(aur allah behtar janne wala hai, kya haq hai)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal 646
Ye or wazahat farmaye ke ek jaisi awaz wale alfaaz me ghalati karne se ma'na bigadta he to kya is se namaz jaegi Or in alfaz ko durust karne ke liye kuch taqeed karen. Jazakallah

Jawab: 646
(Ameen)
Agar aisi khata ki, ki jisse man’e badal jaye, to zarur namaz fasid ho jayegi, aur baz suraton me jabki ma’na janta hai, aur fir bhi badal diya to kafir bhi hoga,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:554 par hai,
“Agar aisi ghalati hui jisse ma’ne bigar gaye to namaz fasid hogi”

Aur lafzo ko badal dene ka ye matlab hota hai ki, agar koi lafz kisi aur lafz se badl diya, or mayene fasid naa ho to namaz ho jayegi, warna nahi, aur karibus-saut alfaz(ek jaisi awaz wale) huroofon ka bhi sahi tor par imtiyaz rakhe warna mana fasid hone ki surat me namaz jaati raheg,
(ت- ط-, س- ث- ص, ه- ح-,... wagera huroof me imtiyaz chahiye,)

Durr e Mukhtar Jild:1 Safah:431 par hai
من لا یقدر علی التلفظ بحرف من الحروف کالرھمٰن الرھیم والشیتان الرجیم والاٰلمین وایاک نابد و ایاک نستئین السرات،انأمت فکل ذلک حکمہ مامر من بذل الجھد دائما والا فلاتصح الصلٰوۃ بہ
Yani: jo shakhs huroof e tehejji me se kisi huroof ke sahi talaffuz par qadir naa ho, maslan.. الرحمن الرحیم ki jagah.. الرھمٰن الرھیم... الشیطان ki jagah .. الشیتان.. العالمین ki jagah.. الآلمین.. aur ایاک نعبد.. ki jagah.. ایاک نابد... نستعین ki jagah. نستئین.. الصراط ki jagah السرات.. انعمت ki jagah.. انأمت padhta hai to in TAMAM SURATO ME agar koi hamesha durust adaigi ki koshish ke bawajood aisa karta hai to namaz durust hogi, warna namaz durust na hogi,

Aur seekhne par jaan lara kar koshish naa ki iski khud ki namaz nahi hogi,
Fatawa Razavia Jild:6 Safah:262 par hai,
“ahm cheezo me se tajweed e quran seekhna bhi hai... qurra qirat ka silsila bhi huzoor tak pahuchta hai, aur ulama ne tajweed ke bagair quran padhne ko ghalat padhna qarar diya,
Fatawa Bazzariya main hei, ان اللحن حرام بلاخلاف   (ghalat padhna bila-ijma haram hai)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 647
kabro per phool chadana kaisa ? kya sahaba ne aisa kiya hai barai karam daleel ke saath de kisi ko dena hai

Jawab: 647 بسم الله الرحمن الرحيم
Qabro par phool dalna jaiz hai, aur wo kaam jo sahaba ya rasool ne nahi kiya haram nahi ho jata, kisi bhi kam ke jaiz hone ke liye itna kafi hai wo shariat me mana naa ho, fir chahe use sahaba ne kia ho ya nahi, aur deobandio ki ye chal ki qabar par kya phool sahaba ne daale hai to batil hai, khud fiqh hanafi ki wo kitab jo ye bhi padhte hai, unse phool dalne ke jawaz ke fatwe maujood hai,  warna sahaba ne to shadi card bhi nahi chhapwaye magar aaj jab deobandi shadi karta hai to wo kyunki chhapwata hai, aur aise hazaro kaam jo is daur me aise hai jo sahaba ne nahi kiye magar wahabi karta hai, jaise hindi bolte hain, kisi sahaba ne hindi nahi boli hogi, aur jo ye quran wahabi padhta hai, ye bhi sahaba ne nahi padhia ye kitabi printing shakl bhi us waqt nahi thi, musalman ke liye itna kaafi hai, ki jo SUNNI ULAMA NE BYAN KIYA USE HAQ JANE, aur usi par amal kare, shariat me aalim se bad-kar apni aqal naa lagaye, Allah Farmata hai “to aye logo ilm walo se pucho agar tumhe ilm nahi” kisi bhi ayat me ye nahi farmaya ki “aye logo khud alq laga liya karo,  aur naa ye farmaya ki, bas wahi jaiz hai jo sahaba ne kiya baki sab haram” (allah iblees aur uski aulad (deobandi, wahabi, shia, etc..) se sunni bareilvio ko AMAAN ME RAKHE

Fatawa Alamgiri Jild:5 Safah:351 par hai  وضع الورد والریاحین علی القبورحسن
(Qabro par Gulab aur phoolo ka rakhna acha hai )

Radd-al Mohtar me hai انہ مادام رطبایسبح فیؤنس المیت وتنزل بذکرہ الرحمۃ
(phool jab tak tar rahe tasbeeh karta rehta hai, jisse mayyit ko uns hasil hota hai, aur uske zikr se rehmat nazil hoti hai)

Fatawa Razavia Jild:9 Safah:106 par hai
Phoolon ki chadar bala e kafan dalne me aslann sharann koi HARJ NAHI, balki niyat e hasan se hasan hai, jaise qabro par phool dalna, ki weh jab tak tar hai tasbih karte rehte hain, unse mayyat ka dil behelta hai aur rehmat utarti hai.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 648
Hazrat kiya raste par paise ya koi qeemti chiz mile to uska kiya hukm he.

Jawab:648 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo saman ya paisa kisi ko padha mile use LUQTAH kehte hai, aur iska ab hukm yeh hota hai ki, jisko koi saman ya paisa mile use utha le aur, waha aspas walo dukan walo ko ailan kar de ki “mujhe kuch saman ya raqm mili hai, agar koi talash karta aye to mere pas bhej dena” fir ye use rakhe rahe aur malik aaye to de de,, aur agar kafi arse tak koi naa aye, aur ye ummid ho ki iska malik ab ise nahi dhondhega, aur ye faqeer hai to apne istimal me laaye, agar faqeer nahi to kisi faqeer ko sadqa kar de,

Fatawa Amjadiya Jild:2 Safah:314 par hai
“luqta ka hukm amanat men hai, is par lazim hai ki keh de jo koi gumi cheez dhunghta ho, use mere pas bhej dene aur iski tareef kare, yani jahan weh cheez pai, waha aur bazaron me majmue me ailaan kare, agar malik mil jaye use de de, warna itna zamana guzarne par ki ab zan ghalib ho jaye ki ab iska malik talash naa karega, ya weh cheez khane ya phal ki qism hai jo ghuman hone par ki ab agar rakhi rahegi to kharab ho jayegi, (aur) ye shaks khud apne sarf me laa sakta hai, agar faqeer hai, aur ghani ho to sadqa kare, kisi faqeer ko de, ... aur ghani maal e luqta ko masjid ME NAHI sarf kar sakte”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no.649
Hazrat jo ladkiyan aurte sir khol kar gle me dupatta dalti he chahe ghar me ho ya baher un ke liye hadees main kya aaya he

Jawab:649 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo gair mard ke samne baal ya kan wagera khol ke rakhe aur sir naa dhake to hadis me aisi aurat ke liye jahannam me jaane ki khushkhabari di gai hai, aur ghar me shohar ya bachche hai to harj nahi, magar namaz ka sa dupatta bandhe rahe to thik kya ajab ghar me kab mehman aa jaye, aur jo parda naa kare, aur uska wali uski bepardagi par raazi ho to hadis me use “dai’ius” (bharwa) kaha gaya hai, aur wo bhi jannat ki khushbu naa sunghega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 650
hazrat kya buzurgon ke samne betht kar unka pair chuyen, phir unke hanthon ko chum kar munh se salam karna jaiz hai ?

Jawab: 650 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehla fel najaiz, aur baki dono jaiz aur sunnat se sabit hain, (paun chhuna najaiz, dastbosi, salam jaiz)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 651
hazrat namaz me jo bahari khyal aa jate hain wo na aayen iske sabab kuch Inayat farmayen ?

Jawab: 651 بسم الله الرحمن الرحيم
*is tarah namaz padho ki tum khuda ke samne ho aur khuda tumhe dekh raha hai
*warana is tarah padho ki khuda tum ko dekh raha hai
*warna is tarah padho ki ye tumhari akhir namaz hai, salam ferne ke bad maut hai, aur ise jitni achchi karke padh sakte ho to padh lo.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 652
Hazrat kya ham kisi jaandar ki IMAGE kisi band jagah jaise, almaari, baksa attachi etc. Par main bhi nahi rakh sakte.

Jawab: 652 بسم الله الرحمن الرحيم
Jandar ki tasweer agar chipi hai to harj nahi, aur aise ghar me namaz bhi durust, magar iska fayeda kya ?
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no.653
“mazkura bala kalma” hazrat ye kya he or ye kalma kahan padha jata he or pura kalma bata dijiye.

Jawab:653 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye koi kalima nahi, balki jaha ye line likhi thi, wahi wo kalima bhi likha hoga jiske bare me ye jumla hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no 654
paras patthar kiya haqiqat me hota hai quran hadis me is ka kahi zikr hai ya dosri jagah

Jawab:654
Ye group ahle sunnat AQAID aur AMAL ki islah ke ke liye banaya gaya hai, gair zaruri suwalat ke jawabat nahi diye jaate, fir fiqhi suwal kare, jiska talluq, apki ibadat se ho, (maslan, namaz, taharat wagera).

Ek hadis ka khulasa hai:- ham us ilm se panah mangte hai, jo nafa bakhsh naa ho
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no 655
kiya Qaza namaz ek waqt me dusre waqt ki namaz parh sakte hai jaise Asr me magrib ya fir dosri namaz.

Jawab:655 بسم الله الرحمن الرحيم
Padh sakte hai, magar makruh waqt me nahi padh sakte, makruh waqt ke aur wo makruh waqt ye hain,
1-zawal ke waqt, 2 tulu e aftab ke waqt, 3 magrib se 20 mint. Pehle tak,
asr bad qaza padh sakte hai, or jab magrib me 20-25 mnt. Reh jaye to na padhe,
                                           
Qaza namaz chupchap ada karni chahiye, naa kisi ko bataye naa kisi ke samne ada kare naa iska zikr kare, or namaz padhta rahe copy me note rakhe ki kitne din ki fajr padh li,
Or qaza namaze e jald ada karne ka ek behtareen tariqa Imam E Ahle Sunnat ne farmaya hai. (jiska khulasa is tarah hai)
Sabse asan or behtar tariqa hai ki pehle ek hi waqt ki namaz ada kare yani pehle sabhi fajr padh le fir is tarah puri hone par agli padhe, jab ki qaza namaz padhe to pehle fajr hi padhe jab tak puri naa ho jaye,
Niyat- iske do tariqe hai ( jis tarah chahe padhe,
1- niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse pehle qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
2. niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse akhri qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
(jis waqt ki padhe wahi naam le, zohar, asr wagera) Niyat bandhte hi
Pehle sureh fatiha shuru kar de, fir surat milaye (yani sana wagera naa padhe)
Fir ruku me jaa kar 1 baar tasbih padhe, or sajde me jaa kar bhi ek bar hi tasbih padhe, isi tarah 2 takat padhe or jab salam pherne bethe to attahiyyat puri padh kar, اللھم صلی علی محمد والہ  or salam pher de yani bad wali dua bhi naa padhe, is tarah, farj ada karta jaye,   (4 rakat wali me akhri ki do rakat me sureh fatiha naa padhe balki 3 bar سبحان الله‎ kahe, or vitr me, teesri me fatiha or surat zarur padhe or tabkir keh kar, qunoot naa padhe balki 1 ya 3 bar رب اغفر لی    keh le
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم

Suwal no. 656
Kya janab  girgit marna kaisa he ? or kya hukm aaya he hadis me tafsir se samjaye?

Jawab: 656 بسم الله الرحمن الرحيم
Har taqleef dene wala janwar marna jaiz hai, aur baz ko marne ka hadis me hukm hai jaise ki girgit ko marne ke bar me, Abu Dawood me hai:  اقتلوا الوزغ ولوفی جوف الکعبۃ  (girgit ko qatl karo chahe kabe me ho)
Aur Musnad Ahmad ki hadis me hai: من قتل حیۃ فلہ سبع حسنات ومن قتل وزغۃ فلہ حسنۃ
(jisne sanp ko mara usne 7 nekiya pai, jisne girgit ko halaq kiya uske liye ek neki hai,)
Sahi Muslim me Abu hurerah se riwayat hai ki: jo chhipkali ya girgit ko pehle zarb(hit) me maare, uske liye 100 nekiya hain, aur jo doosri zarb(hit) me mare to uske liye usse kam, aur jo teesri zarb me mare uske liye usse bhi kam)

Is ahadees e mubarka se ye pata chala ki sanp, gigit chipkali jaise muzi janwar ko kasrat ke sath marne ka hukm diya gaya hai, aur marne par sawab bhi hai, lihaza inhe jahan dekho qatl kar do.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 657
hazrat paon ko bosha dena jaiz hai ya na jaiz ?aur agar jaiz hai to  kin kin k paon ko bosha se sakte hain ?

Jawab: 657 بسم الله الرحمن الرحيم
Amal ka daro madar niyaton par hai, jiski aap izzat karte hai, aur wo shaks qabil e ehtram hai, (yani fasiq na ho, shariat ka zabardast paband ho), aur waliden ke, aur ustad ke, aur peer ke, aur aalim ke, aur ahle bait ke, aur buzurgo ke hath paun ko bosa diya jaa sakta hai, bhai bhai ke bhi aur, biwi shohar ke bhi hath paun tazeeman choom sakti hai, (ye wo manqoolat hain jo meri nazar se guzre)
Aur paun ka bosa bhi sunnat se sabit hai, sahaba ka kaam hai)
Ise Fatawa Faizur Rasool me Shaikh Abdul Haq Muhaddis E Dehelvi ke hawale se naql kiya gaya,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 658
ramzan me zakat puri ada kar di gayi hai agar koi shaks fir zakat dena chaye ramzan ke baad  to de sakta hai fir ramzan Aane se us me jitna paisa gair e ramzan me diya hai wo nikal le.. kiya hukum hai...

Jawab: 658 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar zakat farz ada kar di gai, to uske bad jo raqm nikali gai wo nafil hogi, aur agle sal jo zakat wajib hogi wo bache maal par hogi, jiska wo malik hai, aur isme se nafil sadqa nahi hata sakta, jaise ki ulama ne farmaya. Sal bhar saqda kiya aur zakat ki niyat naa ki to is tarah chahe lakho rs. De chuka ho, zakat me shamil nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 659
hazrat hadish me najd kis jagah ko kaha gaya hai ?jara tafsir me bataye ?

Jawab: 659 بسم الله الرحمن الرحيم
Najd ke mutalliq ahadees me kuch is tarah ka alfaz ki taqrar hai,
*weh zalzalon aur fitno ki jagah hai, wahan se shaitan ki seeng niklegi,
*fitne ki jagah yeh hai wahan se shaitan ki seeng niklegi
*fitne yahan se uthega yahan se shaitan ki seeng niklegi,
*yaha kufr ka markaz hai yahan se shaitan ki seeng niklegi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 660
kya farmate hain ulama e deen wa muftiyan e shara mateen masalah zel me ke, kya qur an ki ayaat ko ya uske tarjame ko bewuzu likh sakte hain biddalail irshad farmayen ? Allah apke ilm ne barakat de

Jawab: 660 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran e pak ko ya kisi bhi ayat bina wuzu chhuna HARAM hai aur iske chhune ke liye wuzu karna farz jaisa ki Bahar e shariat Jild:1 Safah: 301 par hai,
“Agar wuzu naa ho to, namaz aur sajda e tilawat aur namaz e janaza aur quran chhune ke lye wuzu karna FARZ hai”

Bas agar koi shakhs kisi ayat ko bator e taweez bhi kisi kagaz par likhega to zarur us kaghaz ko chhuna hoga, jiski mumaniat upar ki gai, (yani qurani ayat ko bhi nahi chhu sakta), isilye ulama ne bewuzu ka ayat ko likhne ke liye sakht parhez karwaya
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 661
Abu-jahel ka khatma kaise hua puri tafseel se samjhaiye?

Jawab: 661 بسم الله الرحمن الرحيم
Hazrat e sayyiduna Abdurrehman bin auf (radiallah anhu) farmate hain: ghazwa e badr ke din jab me mujahideen ki saf me khada tha, maine apne dayen bayen do kamsin ladke dekhe, itne me ek ne ahista se mujhse pucha “chacha jaan aap abu jahal ko pehchante hain” maine jawab diya HAN, magar tumhe usse kya kaam, usne jawab diya ki “mujhe maloom chala hai ki wo gustakh e rasool hai, Allah ki Qasm me use dekh lun to us par tut padhu, yaa to usko maar dalu ya khud mar jaunga,
Abdurrehman bin auf (radiallah anhu) Farmate hain: achanak mene dekha ki abu jahal apne sipahiyon ke beech khada hai, mene un ladko ko abu jahal ki taraf ishara karke bataya (ki wo abu jahal he), wo dono kamsin bachche talware lekar us par tut pade, aur lagatar war karke use pachhad diya, fir dono huzoor ki bargah me aye aur kaha YA RASOOL ALLAH, HAMNE ABU JAHAL KO THIKANE LAGA DIYA
Huzoor ne farmaya tum me se kisne use qatl kiya dono ne farmaya mene,

Hame in bachcho ke waqye se ye ibrat leni chahiye ki gustakhane rasool se kisi surat dua salam narmi izzat halal nahi ho sakti, balki jis tarah allah ke wali se dosti rakhna wajib hai, usi tarah munafiq aur dushman e deen se dil me hasad rakhna wajib hai aur is hasad par sawab hoga,
Ye dono kamsin bachche do bhai the, HAZRAT e (Mu’az aur Muaw’wiz)

Hazrat e Abdullah bin masood ne jaa kar lasho me dekha to abu jahal dam tor raha tha, farmate hain, mene usi ki gardam par usi ki talwar se zordar war kiya, uski gardan kat kar samne jaa giri, mene sar utha kar (bargah e risalat me leja kar) arz ki YA RASOOL ALLAH ye dushman e khuda abu jahal ka sar, huzoor ne farmaya, Allah ka shukr jisne islam aur ahle islam ko izzat bakhshi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 662
hazrat kya bosha dene k liye sar ko jhukana nahi padega ?

Jawab: 662 بسم الله الرحمن الرحيم
Isme harz nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal  no. 663
Ek molana masjid ke imam jo nasihat karte hain sabko ke dahez lena gunah hai. jab ki wo molana ne khud dahej liye hain . or apne ristedaron ke liye bhi kisi or se dehaz ka demand bhi kiya hain .taajub ki baat ye hai ki wo sunni hai kya inke piche namaz jayaz hai ? kya inke piche namaze janaza jayaz hai?
kya inka fatiha karna jayaz hai.?

Jawab: 663 بسم الله الرحمن الرحيم
Dahez ka lena dena gunah nahi hota, balki dahez ka dena sunnat hai, magar samne wale ka dahez ki demand karna haram hai, aur agar koi khud de (or aksar hota bhi yahi hai) ki shadi matlab ek nai zindagi ki shuruat, hoti hai, to naye ghar ke liye ghar ka sara saman diya jaata hai, ise lene me koi harz nahi (jabki khud naa manga gaya ho) islye agar imam ne dahez liya to kuch gunah nahi kiya, iske piche kisi bhi namaz me koi harz nahi (jabki aur koi man’e shara naa ho) thik wese hi, apne rishtedar ke liye dehez ki demand karne me kai surat ho sakti hai, jiske liye imam ki khud gawahi darkar hai, iske bagair koi hukm e shara nahi diya jaa sakta. Kyunki ye bhi ho sakta hai, ghareeb rishtedar ki shadi ke liye imam ne kisi doosre se madad ko kaha ho, to isme bhi harz nahi hota, wagaira wagaira
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 664
huzoor Ghouse aazam ne kitni shadiyan kee aur unki biwiyon ke name kya hain ? jawab inayat farmayen
ajr diye jayenge ?

Jawab: 664 بسم الله الرحمن الرحيم
Shaikh Sahabuddin Suharwardi “awariful Ma’arif” me likhte hain,
“ek shakhs ne gaus e azam se pucha ya sayyidi apne nikah kyun kiya, ? Apne farmaya beshak main nikah nahi karna chahta tha, ki isse mere doosre kaamo me khalal paida ho jayega, magar huzoor (alaihissalam) ne mujhe hukm farmaya “abdul qadir tum nikah kar lo, allah ke waha har kam ka ek waqt muqarrar hai, fir jab ye waqt aya to allah ne MUJHE 4 BIVIAYA ATA KI, jinme se har ek mujse kamil mohabbat rakhti hai,
(azwaj e huzoor  gaus e azam)
* Sayyida Bibi Madina
* Sayyida Bibi Sadiqa
* Sayyida Bibi Mu'minah
* Sayyida Bibi Mahboobah
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no 665
hazrat Nazd kis jagah ko kahte hain ? Kufa ko ya Riyadh ko ?

Jawab: 665 بسم الله الرحمن الرحيم
Saudi arab me najd ko 3 jagah banta gaya hai
*haa’il, * al-qassim,* Riyadh
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no 666
hazrat buzurgon k mazar ko bosha dena kaisa hai ?

Jawab: 666 بسم الله الرحمن الرحيم
Be-adabi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 667
kya dadhi ya chhati ka baal agar toot jaye to us baal ko daant se katna zaroori hai ? kya is ka koi sharai saboot hai.

Jawab: 667 بسم الله الرحمن الرحيم
Iska kuch Sharai Saboot Mere Ilm me nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 668
hazrat buzurgo ka jo urs hota hai wiladat ya wisaal se hota hai ?

Jawab: 668 بسم الله الرحمن الرحيم
Wisal ki tarikh se
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 669
Namaz me bismilah 1 bar padhi jati he ya ziyada

Jawab: 669
Ek waqt me ek bar hi padhi jaati hai, aur sureh fatiha se pehle aur kisi surat ko milane se pehle bhi padh sakte hai, Namaz ke har rakat ke awwal me bhi padh sakte hai, isi tarah. بسم الله padhna JAIZ Wa MUST’HAASAN hai Namaz me Sureh Fatiha aur Surat ke darmiyan aur Uthte Bethte Waqt,
Fatawa Faizur Rasool jild:2 safah:505-506

Suwal no. 670
hazrat taswer kaisi jayez  hai ya najayez

Jawab: 670 بسم الله الرحمن الرحيم
Har gair jandar ki tasweer rakhna banwana banana sab JAIZ hai , aur har jaandar ki haram, aur jandar ki is surat me jaiz hogi, jabki itni choti ho ki zameen par rakh kar dekhne se aza ki tafseel samajh naa ati ho, ya payedan jaisi behurmati ki jagah par mojaud ho, ya fir tasweer ki shakal mita di gai ho,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 671
aajkal jo tv mein  deen ke baare mein channel hai unhe dekhna jaiz hai ya nahi agar jaiz hai to kaise aur najaiz hai to kaise barai karam rahnumai karen.

Jawab: 671 بسم الله الرحمن الرحيم
Tv par maujooda deeni chennal dekhne ki ijazat nahi hai, isme bahut kuch khilaf e shara dikhaya jaata hai,. SIWAYE MADANI CHANNEL KE, ki ye 100% sharai progrem par ma-bni hai,
tv par aane wale program, Video ke jaiz or najaiz hone me hamare ulama ka ikhtilaf hai Or jinhone tv ko najaiz kaha unke nazdeek har qism ka  Program najazi hai fir chahye deeni ho ya duniyawi Or jinhone video ko jaiz kaha to “usi surat me jaiz kaha Jab ki uspe kuch khilaf e shara cheez naa diykhai jaati ho” Yani agar mard byan kare, naa ads ho naa aurat naa aurat ki Awaz naa bepardagi, to is “qaid ke sath wo program dekhne ki Ijazat di gai”, maslan, Koi mufti sahab byan kare, yaa naat padhi jaye or aurat Koi music naa ho,
Or “mutlaqan video ke jaiz hone me kisi mufti ka fatwa nahi Ye ilzam jhutha hai”, or jinhone jaiz kaha unhone sharto ke sath Jaiz kaha hai, aisa nahi ki puri tarah or har program jaiz kar diya Allah hifazat kare dilo me waswase daalne wale iblees se,  (or hamare nazdeek, jaiz video jaiz hai, or unhi sharto ke sath Jo ulama ne byan ki deeni proram dekhna  or Madani channel bhi dekhna jaiz)  Baki aapka taqwa hai, agar aap bilkul hi tv ghar pe rakhna Nahi chahte to bahut hi acha hai, or agar aap ghar se Tv nikal nahi sakte to, zarur wo behayai hi dikhayega, To isse behtar hai, deeni program dekh liye jaye  isse Ghar ke bachche aurate behayahi, naach gano se to bachenge
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no.672
Hazrat tahajjud ki niyat kaise ki jati he or is ke padne ka sahi tarika kya he or kya ye aam namaz ki trah padhi jati

Jawab: 672  بسم الله الرحمن الرحيم
Tahajjud me bhi aam nafil namaz ki si niyat bandhi jayegi, ye sunnat e mustahab namaz hai,
Tahajjud ki rakat,- Kam se kam tahajjud ki 2 rakat hai or Huzoor se 8 tak sabit hain (bahare-shariat)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 673
Namaz Salatustasbi padne ka tarika kya he, kaise padi jati he hazrat bata dijiye ?

Jawab: 673  بسم الله الرحمن الرحيم
Salatut-tasbih ki namaz me 300 martaba teesre Kalima ka hissa padha jata hai, jo aapko kisi bhi namaz ki
Kitab me mil sakta hai, baki namaz, namaz e nafil hi Ki tarah hogi.  Padhne ka tariqa ye hai. Namaz ki niyat kare fir sana padhe uske bad
15 baar tasbih (wahi teesre kalime wali)
Fir ta’wuzz tasmia (auzbillah, bismilla)
Sureh fatiha, or surat or
10 bar tasbih
Fir ruku or 3 bar ruku ki tasbih padhe uske bad fir
10 bar tasbih
Fir ruku se sar udha kar qoma ki 1 tasbih or
Fir 10 bar wahi tasbih
Fir sajda or 3 bar sajde ki tasbih or fir
10 bar wahi teesre kalime ki tasbih
Fir sajde se sar utha kar jalse me beth kar
10 bar tasbih
Fir doosrey sajde me jaye or 3 bar sajde ki tasbih or
10 bar fir tasbih

Bas ye yaad rakhe ki qiyam ki halat me surah fatiha se Pehle bhi 15 bar tasbih hai or bad me 10, or jagah 10-10 Is  tarah ek rakat me 75 tasbih hogi or 4 me 300
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 674
Kiya har farz  namaz ke bad ayat ul kursi pad kar dua mangna zaroori he

Jawab: 674 بسم الله الرحمن الرحيم
Har namaz ke bad dua karna zaruri nahi magar farz namaz ke bad dua qubool hoti hai islye tark nahi karni chahiye, aur jo dua nahi karta usse allah naraz hota hai, aur har bar dua se pehle ayat al kursi ka padhna zaruri nahi, magar awwal akhir durood zarur padhe, warna hadis e pak me hai ki (bagair durood ke) dua zameen o aasman me latki rehti hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 675
hazrat T.V dekhna jaiz ya na jaiz ?

Jawab: 675 بسم الله الرحمن الرحيم
Amal ka daro-madar Niyat par hai, TV. Aur movie ke jaiz or najaiz hone me ye dekha jayega ki TV me dekha kya jaa raha hai, Agar kisi sunni alim ki taqreer, Waaz, Naat ho aur kuch khilaf e shara naa ho to iske jawaz (jaiz hone) ki ijazat ulama ne byan farmai, iske alawa har program dekhna najaiz, yani jaiz chiz ki video jaiz aur najazi ki najaiz,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 676
hazrat rizk me barkat ke liye koi wazifa batayen ?

Jawab: 676 بسم الله الرحمن الرحيم
Rizq me barkat karne ke liye, aur wo chiz jisse barkat khatam hoti hai, ki tafseel to bahut hai, main chand mukhtasar AMAL pesh karta hun, aap inki pabandi karen, aur ghar me aap jispar bhi qudrat rakhte hai, unse bhi iski pabandi karwaye, isi tarah jinka bachne ka hukm ho unse bache aur ghar walo ko bhi bachne ka hukm den,
-Rizq me barkat ke liye-
* kisi bhi ek namaz ke bad 30 bar SUREH FALAK apne wird me hamesha rakhe, (bivi ya samjhdar bache ho to unse bhi ispe amal ko kahen)
* khana khane se pehle aur bad me 3-3 bar gatto tak hath dhoyen, aur 3-3 bar kulli kare, yeh amal bivi bachcho se bhi sakhti se karwaye, (pehle aur bad me dono bar 3-3)
* Jum’rat de din nakhoon kata kare, (aur ghar me bhi sab ko yahi hukm den,)
* jab ghar me har waqt aye to bismillah padh kar dakhil hon, aur 1-1 bar durood aur 3 bar Sureh ikhlas padh liye kare, aur ghar walo ko salam karen,
* agar hath me anguthi nahi hai to koi bat nahi, aur pehnna chahe to sharai chandi ki miqdar ki ek anguthi AQEEQ nag ki ulte hath me pehn len,
* jab kisi se raqm len to “بسم الله” padh kar len, aur kisi ko paise den to “ إِنَّا للهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ “ padh liya karen

Insha allah inpar amal agar mazbooti se kiya jaye to kabhi kisi ke samne hath daraz naa karna padhega,
Aur kuch chize barkat ko kam karti hai, unse bhi bachna zaruri hai jaise
* namaz ki pabandi zaruri hai (qaza karne se umar or rizq me barkat chali jati hai)
* khade ko kar paani peene se ghareebi aati hai isse bache aur bachho ko bhi hidayat den,
* maghrib bad ghar me jhadu naa lagwaye,
* chirag ya mombatti ko funk se naa bujhayen,
* garm khana naa khaye, naa plet ke bich se khaye,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 677
Aap Jo duaayen suwal ke jawab me batate hen kya use koi padh sakta he agar wo preshani uski bhi ho ?

Jawab: 677 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Padh sakta hai kuch harz nahi, jabki padhne wala aqeede ka sahi sunni ho, aur namaz ki pabandi ho, haram se bachta ho, aur shariat ka paband ho, (bagair namaz kisi ka koi amal(wazifa) qubool nahi. Balki Alahazrat Imam e Ahle Sunnat Ne Farmaya:-(khulasa)
Benamazi ka Tasbih padhna uske munh par mar diya jayega (yani farz chhor kar mustahab par amal se nafa nahi)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 678
Janab India jaise mulk me jab koi suar, Huzoor ki shaan me gushtakhi ya kuch or fitne wali baat kare to aam aadmi ko kya karna chahiye?

Jawab:678 بسم الله الرحمن الرحيم
F.I.R, karen, warna qanoon ke dayere me rehkar koi qadam utha sakta hai, aur hukumat islamic badshah ki ho (aur gushtakh e rasool kafir ho) to hakim par farz hai ki use qatl kar de, aur (gushtakh e rasool musalman tha) to ulama ki ek jamat ke zariye use tauba karwaye fir qatl kar de, or dafan ka hukm de, agar tauba par razi naa ho to, qatal fir bhi kare magar ab kafan dafan nahi, iske siwa, koi aam aadmin  apne zaati tor se, ye kar sakta hai ki, allah se uski bure khatime ki kasrat se ro ro kar dua kare, taaki auro ko isse nasihat mile, aur jab aise khabees ki maut ho jaye ya ye jab bhi mare, to khushi ka izhar kare, magar khushi apne dil me rakhe, zahir naa kare, uske marne ki khushi me musalman ko mithai bate, khana khilaye, mithai baate, wagera wagera, aur jab tak wo zinda ho to apni har dua me uski halakat ki dua karta rahe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 679
agar ham apni city se bahar hen to hum namaz puri ada karenge ya nahi.

Jawab: 679 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar apne asli sheher (watan e asli) se 92 KM bahar jaane ka irada ho or wo bhi, 15 din se kam din ke liye to musafir kehlayega aur musafir ko har 4 rakat wali farz 2 hi padhi jayengi, jabki magrib, vitr, sunnaten puri puri, Aur magar mard ko sunni jamat mile to jamat se puri namaz padh sakta hai koi harz nahi, aur jamat naa mile tanha padhe to adhi padhe yani qasr kare, yaa aurat hai to tanha adhi namaz padhegi, aur musafir ne puri padhi to gunahgar, aur isse (92 K/M se) kam doori teh kare, to shariat me musafir nahi, har namaz puri ada kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 680
Hazrat kya sunnat e muaqqada or gair muaqqada namaz me kuch farq he Ek village ke imam sahab ye batate hain ke sunnat e gair muakada ke qa'ada e oola me bhi tashahdud ke baad durood e ibraheem padna chahiye or sunnat e muaqqada me nahi padna chahiye Kya ye qaul sahi he?

Jawab: 680 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam sahib ka qaul, BILKUL SAHI HE,
Agar sunnt e moakaddah me tashahood ke bad jan kar durood padha to namaz nahi hogi, agar bhool se padh li to sajda sehev karna hoga, thik iske bar-aks(opposite) agar gair e moakkada me tashahood ke bad durood padhna behtar hai (magar zaruri nahi) naa bhi padhi to namaz ho jayegi aur padhnii bhi chahiye, isitarah is namaz me teesri me sana bhi padhni chahiye, (yahi sahi tariqa hai, sunnat e gair e moakadah ka) 
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 681
Janab Allah ki makhlooq ke kitne qism hai(n)? Kya dev or jinn alag alag makhlooq hain ? or kya Hazrat Ali(karramAllah wajahul kareem) ka koi beta Muhammad Haneef naam ka bhi he jo insaan nahi ha, ye mehaj jahalat he ? Jawab inayat farmaye, Jazakallahu ahsanal jaza,

Jawab: 681 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah ke siwaye tama cheeze makhlooq, insan, nabi, wali, dariya, asman, zameen wagera wagera, iski ginti Allah aur uska Rasool jane,
*Shaitan jinnat ki nasl se hai, ye bat sahi hai, (yani shaitan jinn hi hai alg nahi)
*Hazrat Ali ke bete ko insan naa batana jahalat hai, inhe Abul Qasim naam se bhi jana jata hai.
Or sahi naam “Muhammad ibn al-Hanafiyyah” he
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 682
kisi kapdhe par peshab lag jaye fir us ko Sabun se dhokar fir NAL ya tanki se pani Baha de to kya kapdha pak ho jayega ya nahi Hawala bhi inayat farmaye.

Jawab: 682 بسم الله الرحمن الرحيم
Paishab lage kapde ko tanki me khoob ache se dhoya to paak ho jayega, isme tanki me 3 baar dhone ki zarurat nahi, balki behte pani ke hukm me hai, jab zan ghalib ho ki kapde par lagi najasat chali gai to aisi surat me wo PAK hai,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 398 par hai
“agar najasat raqeeq,(patli behne wali, jaise sharab paishab) ho to,3 bar dhone aur 3 bar taqat se nichorne se pak ho jayega”

Yaad rahe:- ye 3-3 bar ka hukm nadi wagaira me dhona ka us waqt ka tha, tanki se dhone me 3 bar ki zarurat nahi, achi tarah dho liya kafi hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 683
Hazrat me ye puchh na chahta hun ki Jab insan kuraan sharif Jab Padhta he to hilta kiyun he or  dusra puchhna ye chahta hu ki ye kaha se sabit hua or jab padhe tab hilna zaruri he Plz
Talb e jawab hazrat

Jawab: 683 بسم الله الرحمن الرحيم
Is suwal se do din pehle kuch sahi ghalat alfaz ki spelling batai gai thi ki, lafz “hazrat” is tarah likhte hai (jaise mene likha) naaki us tarah jaise suwal me likha hai, (aur ise likhne ki zarurat nahi, sidhe suwal kar liya karo,) doosri baat ye bat kai baar batai gai, ki lafz “quran” is tarah likhte hain, jaise mene likha, or jo suwal me likha, bahut ghalat hai, isse pata chalta hai ki sail bas apne puche gaye suwal padhta hoga, baki nazarandaz karta hoga, tabhi aisi khata ko dohraya jaata hai, jise 1000 bar bata diya gaya ho, (Aagar sunni musalman me amal ka jazba aa jaye to qaum sudhar jayegi, magar badnaseebi ki sikhna to chahte hai, use amal me nahi laana chahte)

Quran ko jab dekh kar padha jaye to hilna zaruri nahi, aur hilna nahi chahiye, isse akhon par zor padhta hai, ankho ka nuqsan hai, jab quran me nazar kare to bina hile padhe, aur jab koi hifz surat ya ayat padhe jise dekh kar naa padhta ho to hil kar padh sakta hai, koi harj nahi, aur sharann dono me harz nahi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 684
hazrat ham koi cheez yad karte hen jaise, surat ya koi dua to yad nahi hoti, bhool jate he, koi wazifa dimag ko tez karne ka bataiye, jisse dima ki quwwat bad jaye, magr chota or asan sa, koi amal,

Jawab: 684 بسم الله الرحمن الرحيم
Dimag ko tez karne ke kuch asan amal pesh karta hun, jo ban padhe amal me layen,
*7 kishmish ke daane le kar, roz subha 7-7 bar sureh fatiha (awwal akhir durood) padh kar uspe dam kare, aur bismillah padh kar kha len, dimag tez hoga, hafiza qawi hoga,
* yaa alimu- subha nayar munh 21 padh kar paani par dam kare pee len
*har farz namaz ke bad, sar par hath rakh kar 21 bar yaa Qawiyyu padhen,
Iske siwa
*miswak karna aqal ko barata hai,
*kam ki baat ke siway, fizol bato se parhez, (hamesha) chup rehna Aqal ko badata hai,
* nek logo ke sath uthna bethna aqal ko badhata hai
* sunni aalimo ke sath mel jol (dua salam, mulaqat) aqal ko badha hai
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 685
kya Qaeda aakhira me doorude ibraheem ka kuch Juz padgna wajib he
hawala inayat farmaye

Jawab: 685 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz me koi bhi durood padhna wajib nahi, naa pura naa adha, balki sunnat hai, aur koi bhi durood padha jaye to sunnat ada ho jayegi, aur namaz bhi sahi, aur padhna durood e ibraheem ka namaz me afzal hai, wajib nahi,

Bahar e Shariat Jild:1 Safa:531 par hai
Tashahud ke bad durood padhna (sunnat hai) afazal (durood e ibrahim padhna hai)

Fatawa Razaviya Jild:6 Safah:183 par hai
Sab duroodon se afzal durood wo hai jo namaz me muqarrar kiya gaya (durood e ibrahim)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 686
Hazrat abul qasim ya Muhammad ibn al hanifiyya radi Allah anh ke mukhtasar halaat bayan kijiye.
Jazakallah

Jawab: 686 بسم الله الرحمن الرحيم
Aameen,
Mere zariye is group me (apki zarurat ke masail ke mutabiq) faqat “ilm e fiqh” par kalam kiya jata hai, deen e islam ki Tarikh, ya kisi buzurg, sahabi ki, Seerat ke liye aap kisi kitab ka mutalla karen,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 687
Allah ne dunya kis liye banai he,

Jawab: 687 بسم الله الرحمن الرحيم
Dunya banane ki kai wajeh hain, ise akhir ki khaiti qarar diya gaya, taki log dunya me reh kar akhirat ke liye kuch sawab jama kare, azamane ke liye dunya aur isme nemat rakhi gai ki taki pata chale ki kaun dunya me allah or rasool ke raste ko bhool gaya, aur pata chale ki kaun, dunya me reh kar raah haq par raha, isi tarah, dunya allah ko napasandidah hai, dunya momin ke lye qaidkhana hai,
Dunya ki mazammat karte huye allah azza wajal quran me irshad farmata hai:

Sureh Fatir Ayat:05
“to aye logo beshak allah ka wada sach he, to hargiz tumhe dhoka naa de dunya ki mohabbat”

Sureh nisa ayat: 77
“tum farma do dunya ka baratna thora hai, aur dar walo ke liye akhirat achhi”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 688
Zahid ke upar uske bhaiyo ka kafi karz hai. Aarif ne apni zakaat ki raqm zahid ko ye kah kar di ki 'isse apne bhayio ko lauta kar karza nipta lo'  Kya aarif ki zaqa’at ada ho gayi.

Jawab: 688 بسم الله الرحمن الرحيم
Aarif ka zahid ko raqam de dene se aarif ki zakat ada ho jayegi, chahe wo zahid ko ye naa kahe, ki ye zakat hai, magar aarif ko chahiye ki wo zahid ko maal qabze me de de, aur ye shart naa rakhe ki tum isse qarz do utaro, (yani maal ka malik kar den, us maal se kya karna hai ye uski marzi hai, use qaid naa lagey ki isse qaraz hi de,) ye ho sakta hai ki bator e mashwara use zarur samjha de ki ye raqm tum rakh lo apne kam me lao, chaho to qarz ada kardo tumhari marzi he,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 689
Hazrat, Kya English me Aasalam Alaiyekum, Subhan Allah, Masha Allah, Likh satkte hai, Ya nahi,

Jawab: 689
Arabi qurani alfazo ko roman english aur hindi rasmul khat me likhne se parhez karna chahiye, yani esa nahi likhna chahiye isse bachna chahiye, agar urdu ya arabi me nahi likh sakta to sirf “salam” hi likh de,
“salam” keh dene se bhi salam ho jaayega, baki alfaz ko uski asli zubar (arabi) me hi likhe jayen,
Maslan,  ان شاء اللهسبحان الله‎,  ما شاء الله, Wagairah...
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 690
Hazrat mere zehen me ek sawal aaya he ke, sab nabi ? hazrat? or ye (Ahmad raza) aala hazrat kiyun ?
hazrat iski tafssir bataye badi meharbani hogi, Me sunni hun kisi ne mujh se sawal kiya he, hazrat

Jawab: 690  بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to ye ki sail ne kaha (zehen/dimag) me ek suwal aya hai.. or zahir me likha ki kisi ne mujhse puchha hai, ye dono baate alg alg hain, isme kya sach aur kya jhunth hai, khuda jaane, kyunki agar suwal khud zehen me aya to (kisi ne puchha nahi) agar kisi ne puchha hai (to apne zehen me nahi aya balki uske aya jisne puchha).. khair,

Ham unki bazm me daaman sambhaal kar bethe
Kise khabar hai koi kya Suwal kar bethe,

Ahmad Raza khana sahib ko A?la hazrat kehne ka ye matlab nahi, ki wo duniya ke saare hazaat yani wali nabi se afzal ho gaye, aisa aqeeda kufr hai, aisa zehen rakhne wala momin nahi, balki iska matlab ye hota hai ki, Ahmad Raza Muhaddis e Azam apne daur e hazir ke Saare Ulama ke sardar, or mujaddid hain, apne unke dor me bahut se hazrat the, to aap Ilm ke mamle me sabhi hazrat se afzal o ala the, isilye Ala hazrat ka laqab se ulama ne nawaza, doosri baat, kisi ka koi laqab ye sabit nahi karta ki usse nabi ki shaan ghat ti ho,
Ye khabees logo ki nazar ka farq aur dil ka hasad hai, jisne ye puchha usse aap ye puchhe ki,
*jab hamare nabi ne sare nabio ki imamat kari, aur beshak hamare nabi hi sare nabio ke imam hain, to abu hanifa ko ?imam e azam? kyun kehte ho, nabi ko sirf ?imam? abu hanifa ko ?imam e azam? halaki sabse bade imam to hamare nabi hai, unhe dunya imam e azam kyun nahi kehti,

Doosri baat ye ki, laqab kisi khas wajah se diye jaate hai, ye naam nahi hote, aur naa pukarne walo ki niyat kisi ki shan kam karna hoti hai, warna Allah ghareebo ko nawazta hai, magar moinuddin chishti ko ghareeb nawaz kaha jata hai ? to kya koi musalman ye samjhta hai, ki wo allah se zyada dete hain, nahi balki shaitan dilon me fitna paida karta hai, musalmano ko behkata hai,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 691
sood lena or dena kis halat me jaiz he or kis halat me haram he

Jawab: 691 بسم الله الرحمن الرحيم
Sood lena dene mutlaqan haram hai, aur agar kisi ko aisi sakht zarurat pesh aye ki, kahi se paise ka intizam naa ho, aur naa karz mile naa udhar, na koi rishtedar madad kare naa dost, aur koi zariya nazar naa aye to, aur bas ek rah sood par raqam lena ho to, iske haq me zaruratan lena jaiz hoga, magar dene wala gunahgar hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 692
Hazrat khana khane ka sahi tarika kya he or roti ke kitne tukde kar ke khane chahiye.

Jawab: 692 بسم الله الرحمن الرحيم
Is suwal me mujhe aisa mehsus hua ki kisi ne puch liya ho “hazrat zeher kha kar kaise zinda raha jaye”
Khana khane ka sahi tariqa ye hai, ki khana khaya hi naa jaye, balki dekh kar rakh diya jaye, khaana khane ke bahut nuqsan hai, agar koi aisa nahi kar sakta to, rat me bas ek ek roti khaa liya kare, warna adhi roti dophar or adhi sham ko khaye bas yahi sahi tariqa hai, or zyada khana chahta hai to “kafan sath rakhe or pet bhar ke khaye”

Khane me sunnat or adab
* khana bismillah se shuru kare,
* khane se pehle 3-3 bar kalai tak hath dhoye or kulli kare
* laal dastarkhwan par khaye ye sunnat ha
* khane se pehle namak ek chutki khaye,
* aur paani peiye fir khaye, bad me paani NAA PIYE
* 3 ungali se khaye ye sunnat, 4 ya 5 ungali se naa khaye ise jahil ka tariqa kaha gaya aur lalchio ka
* roti ko salan ki plate ke upar tore, (taki use zarre plet me gire)
* roti dono hath se tore, apne aage se khaye, aur plet ko puri saf kare,
* khane ke bad bhi ek chutki namak khaye, plet ko saf kare, chate , usme pani dal kar piye ye sunnate hain
* khane se pehle jo hath dhoye USE NAA PUCHHNA SUNNAT HAI
* khana kha kar hath dho kar POCHH lena sunnat fir chehre pe ferna sunnat hai
* kha kar, pehle dasrtarkhwan uthne de sunnat yahi hai, bad me khud uthe, (magar aajkal log kha kha kar uth jaate hai aur dastrkhwan bad me uthaya jaata hai ye sunnat ke khilaf hai)
* khana kha kar 3 ungalia ko 3-3 bar chate, sunnat hai , aur pehle bich ki fir shahadat ki fir angutha ye tarkib bhi sunnat he,
* kha kar allah ki hamd kare shukr kare,

(magar ye yaad rahe khana khane ke bahut nuqsaan hain, aur naa khane ya bhooke rehne ke bahut fayede, isilye pet bhar kar naa khaye, balki zaruratan adhi ya 1 roti khaa len kafi hai,)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 693
Hazrat, Hamare Aaqa rahmatul aalami ki paidaish aur wafat ki tarikh batayen ? plz tafsil se ?

Jawab: 693 بسم الله الرحمن الرحيم
PAIDAISH-
Huzoor ki Paidaish 12 rabi ul awwal, peer shareef ke din hui,
Alahazrat Imam e Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Jild:26 Safah:408 par tehrir farmate hai
Rajab, safar, rabul ul awwal muharram, ramazan, sab kuch kaha gaya, aur SAHI wa mash’hoor qaul Rabi ul awwal hai,

Madarijun naboowat Jild:2 Safah: 14 par hai مشہورآنست کہ درربیع الاول بود
Yani: “Mash’hoor yeh hai ki wiladat wa sa’adat maah e rabi ul awwal shareef me hui

Al mawahibul laduniya me hai: وھوقول جمہورالعلماء؎ (aur weh jamhoor ulama ka qaul he)
 فی شھرربیع الاول علٰی الصحیح (sahi qaul ke mutabiq rabiul awwal me hai)

Allama Ibn e Zauji ne Nasimul Riyaz Me naql kiya  اتفقوا علٰی انہ ولد یوم الاثنین فی شھر ربیع الاول
Yani:- is par ulama mutaffiq hain ki aap mah e rabi ul awwal peer ke din paida huye

WAFAT-
Hazrat Ali se riwayat hai ki farmate hai:
قال مات رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم یوم الاثنین لاثنتی عشرۃ مضت من ربیع الاول
Yani: huzoor ki wafat shareef roz do shambha  (peer) ke din 12 rabiul awwal ko hui

Sharah Laduniya me Allama Zarqani Farmate hai:
الذی عند ابن اسحٰق والجمہور انہ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم مات لاثنتی عشرۃ لیلۃ خلت من شھر ربیع الاول
Yani: huzoor ka wisal shareef mah e rabi ul awwal ki 12wi tarikh ko hua,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 694
hazrat kya deobandi bhi Imame aazam ke muqallid hain ?

Jawab: 694 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han Deobandi hazraat bhi Imam aazam ke Muqallid hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 695
Hazrat  koi naya kaam chalu karne se pahle konsi duaa padhe  ya konsi surat padhe take mera kaam aasani se aasan  ho jaye  or koi taklif na ho  plz hazrat ? Talb e jawab

Jawab: 695 بسم الله الرحمن الرحيم
Farman e Mustafa, صلی اللہ تعالی علیہ وسلم (Tafseer Durr e Mansoor me hai)
“jo bhi aham kaam بسم الله الرحمن الرحيم ke sath shuru nahi kiya jaata wo adhura reh jata hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 696
Hazrat juma ke din 2 rakat  wajib padhne ke bad bahut se log sunnat nahi padhte kya un logo ki namaz ho jayegi or jo sunnat nahi padhta un logo ke liye kya hukm aaya he hadis me Talib e jawab

Jawab: 696 بسم الله الرحمن الرحيم
Juma padh lene se juma ada ho jayega, magar sunnat e moakkada ko tark karne wala gunah gar hai, jabki bila ujr e sharai ho, fir chahe jume ki sunnat ho ya zohar ya maghrib, jo sunnat e moakkadah hai, unke tark ki aadat banane wala, FASIK, JAHANNAM KA HAQDAR, SAKHT GUNAHGAR, OR ISKI GAWAHI QUBOOL NAHI, aur Huzoor ki SHAFAT SE BHI MEHRUM RAHEGA,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 662 par hai
Sunnate kuch moakkada hai, ki shariat me is par takeed aai , bina wajeh ek baar bhi tark kare to malamat hai aur tark ki aadat kare to FASIK mardood asshahadat(iski gawahi qubool nahi) jahannam ka haq dar,
Aur baaz aimma ne kaha ki woh gumrah thehraya jayega, chahe iska gunah wajib ke tark se kam hai, mazallah shafat se mehroom ho jayega,
Hadis me hai: jo meri sunnat ko tark karega, use meri shafaat naa milegi,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب   

Suwal no. 697
Hazrat Shariat aur hadees me kya fark hai ?

Jawab: 697 بسم الله الرحمن الرحيم
Kuch fark nahi dono ek hi cheez ko keh sakte hai,
Shariat-islam ke qanoon ko kehte hai,
Hadis-nabi ke qaul fel taqreer ko kehte hai, aur nabi ka farman hi shariat hota hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 698
Hazrat Kitab “Bahare shariat” aur “kanoone shariat” me kya fark hai ?

Jawab: 698 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunni hanafi mazhab ki motabar kitab BAHAR E SHARIAT hai, jo hazaro safahat ke sath 20 vol par mushtamil hai,
(mera tajriba hai ki) Qanoon e shariat, ek choti kitab hai, jo qareeb 500 pages ki hai, ye bahar e shariat se khas khas masail naqal kar ke banai gai hai, aur awam ke liye fayede mand hai, kyunki har shaks BAHAR E SHARIAT NAHI PADH SAKTA, magar kuch had tak qanoon e shariat ka mutala kare to zarurat ke masail jaan sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 699         
Hazrat Tarakki aur khushali ke liye kaun si anguthi kaun si ungali me pahan sakte hai Anguthi pahanane se pahle kya kuch padh kar pahan sakte hai ya aise hi

Jawab: 699 بسم الله الرحمن الرحيم
Mard ko Sharai chandi ke wazn wali ek, anghuthi, pehnne ki ijazat hai, aur aurat ko sona chandi dono ki,
Aap “aqeeq” nag ki anghuthi pehn len, suwal me jo masail hai hal ho jayenge, aur ise ulte hath me pehne, chhoti ungali ki barabar wali me, (aur beech wali aur shahadat ki ungali me anguthi pehnne se hadis me mana kiya gaya hai),
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 700
agar koi insaan kutte ka baccha huzur ki shaan me kuch mazallah ghalat kahe to kya karna  chahiye ?

Jawab: 700 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar wo sach me insan hai to kutte ka bacha nahi aur kutta hai to insan nahi ye dono makhlooq alag alag hai, nabi ki shan me ghustakhi karne wala, kutte se badtar hai, use kutta naa kaha jaye kyunki kutta aur koi aur janwar har nabi ki tazeem karta hai, fir aise kafir ko kutta kehkar kutte ko taqleef naa di jaye,
Qanun ke dayere me reh kar qadam uthane ki ziddo zehed karni chahiye, yaha tak ki use fasi kar di jaye, agar ye mumkin naa ho to, qaid karwaya jaye, aur har namaz me aise kafir ki maut ki kasrat se dua kare, aur jab uski maut ki khabar aye ya qaid karne ki khabar aaye to khush ho, meethai bante, musalman ko uski maut ki khushi me khana khilaye, aur apni mohabbat ka izhar kare, ki (ya rasool allah, ham apke gustakh se naakhush aur aise khabees ki maut se bahut khush hai) taki huzoor is mohabbat par apko nawaze, aur yahi amal e buzurgane deen tha,
Main kehta hu ki agar aisa khabees faasi paa jaye to musalman par lazim hai ki pure mulk me khushi ka izhar kare taaki doosre khabeeso ko ibrat ho ki musalman apni nabi ki khatir jeeta aur marta hai, aur ye bhi nabi ki iazzat se zyada musalman ko kuch pyara nahi, aur ye kafir aage isse baz aye,
وﷲ تعالٰی اعلم


Allah Ke Fazl Se
Pehli Jild Muqammal Hui
ماشاء الله لاقوة الا بالله
Dua e Khair me Yaad Rakhen-
Suwalat 701 se, Aage ke Suwal Jawab,
Masail e Shariat Jild 2, me ainda mulahaza farmaye,
(agar allah ne zindagi bakhshi)



Sabhi Se Talib e Dua e MAGHFIRAT
Sayyid Muhammad Sikander Warsi

 (+91 - 981118-45-18)

2 comments:

  1. Kannooe-e-shariyat hindi me chahiye. plz link provide krein agar ho to/

    ReplyDelete
  2. Great work Allah T'aala aap sabko iska azr e azeem ata farmaye

    ReplyDelete