Suwal 801 to 900 (Masail e Shariat Jild 2)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat Jild 2) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Aqib Raza Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 2)
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Suwal no. 801

Hazrat masjid me pyaz khaa ke ja sakte he,Talib e jawab

Jawab: 801 بسم الله الرحمن الرحيم
Pyaz kha kar masjid me jaa sakte hai, koi harz nahi, magar pyaz kha kar munh achhi tarah saaf kiya gaya ho, aur pyaz ki badbu naa ho warna jana mana hoga, aur aise har shakhs ko masjid me ane se roka jayega jo kacha pyaz ya lahsun ya kuchh bhi badbu wala khaa, pee kar aata ho, kyunki isse firishton (malaika) ko taqleef hoti hai

Hadis Sahi’ain me hai من اکل من ھذہ الشجرۃ الخبیثۃ فلایقربن مصلانا؎
(jisne is (kachcha piyaz ya lehsun) me se khaye wo hamari masjid ke pas naa aye)

Radd al Mukhtar me hai واکل نحوثوم ویمنع منہ وکذاکل موذولو بلسانہ
(masjid me dakhil hone se pehle badbudar cheezon maslan kachcha pyaz ya lehsun khane wale ko mana kiya jaye)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 802

Hazrat Umrah karne wale ko Haji kehna jaiz hai ?

Jawab: 802 بسم الله الرحمن الرحيم
Bila haj karne wale ko haji kehna aisa hai, jaise
Be-namazi, ko namazi kehna
Jahil sufi, ko wali kehna
Fasik ko, alim kehna,
Agar ye khud is kehlwane par raazi hai aur logo ko mana nahi karta to fir ye (be-haj kiya) haji gunahgar hai, aur ye mana karta hai, magar isse mohabbat karne wale ya dost yaar nahi mante to unhe sahi masala bataye ki ye kehna jaiz nahi, fir bhi kehne wale naa mane to is par koi jurm nahi, jab bhi kahe mana karta rahe, Jab bhi koi bole “haji sahib...” foran bat kat kar ye bol de “me haji nahi.... ab arz karo” is tarah dhire dhire adat logo ki nikal jayegi, magar ye kud mana nahi karta to gunahgar
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 803

Rawi or Marawi kise kehate he ? Zarur Jawab de

Jawab: 803 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo kisi bat ko sun kar ya dekh kar aage byan kare, use raawi kehte hai, aur is batane ko, riwayat karna kehte hai, marwi bhi isi tarah istimal hota hai, jaise Hazrat ali se marwi hai, ya fir Hazrat ali ne riwayat ki
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 804

Koi shakhs Alime deen na ho Usse bait hona kaisa hain ?

Jawab: 804 بسم الله الرحمن الرحيم
Jisse mureed bana jaye usme ek shart peer ka aalim hona bhi hai, yani mureed alim se huya jayega naa ki jahil se jo khud shariat nahi janta to mureed ko haq ki rah kaise dikhayega, aur ye hukm aam sufi jahilo ka hai, aur agar sail ka matlab hai ki, jisse mureed hona hai, unke pas aalim hone ki digree nahi to, digree hona zaruri nahi agar sach me wo ilm e fiqh me itna ilm rakhte hai ki khud ki zarurat ke masail jante hai, aur jo masala pesh aye to bagair kisi aalim ki madad liye kitab me se khud nikal sake to unse mureed hona jaiz hai, magar peer ko zyada ilm chahiye ki mureed uske tab’e hain, aur peer ka mukammal aalim, muttaqi hona zaruri hai,
IMAM e ahle sunnat ne Apne fatawa me naql kia jisme ye shart pai jaye usse bayt jaiz, warna najaiz.
1. Aqeede ka sunni ho, 2. Ilm e fiqh itna janta ho ki zarurat ke masail kitab se nikal sake, 3. Koi gunah ailaniya naa karta ho 4. Silsila Huzoor (عليه السلام) tak pahuchta ho,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 805

masjid me namazi ke age se niklne ka kya hukm hai

Jawab:805 بسم الله الرحمن الرحيم
Masjid me se namazi ke age se nikalna gunah hai, jabki wo tanha namaz padh raha ho. aur agar fir bhi koi tanha namaz padhne wale ke samne se guzra to gunah guzarne wale par hai, namazi ki namaz me koi farq nahi ayega, jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Farmate hai, Fatawa Razawiyya: Jild:7 Page: 255 par
Namaz me koi khalal nahi aata nikalne wala Gunahgar hota hai,

Aur ye hukm tanha namaz padhne wale ke liye hai, aur agar namaz ba-jamat ho to imam ka suthra qaum ke liye kaafi hai.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 806

Namaz padte huye agar dosri rakat ki jagah teesri rakat me beth gaye aur salaam fer liya Galti se bhule aur baad me yaad aa gaya To shariat me kya hukm hai ? Jawab ka talabgaar hun Hazrat

Jawab: 806 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat me ye hukm hai ki, sajda sehev kar le, jabki 4 padhni thi, aur salam ferne ke bad, koi kam naa kiya gaya ho, yani naa bate, naa uth kar chal padha ho, aur naa wuzu tuta ho, or char poori karke akhir me sajda sehev kare, jaisa ki Sadr us Sharia Mufti Amjad Ali Azami Farmate hain.
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:717 par
“jis par sajda sahv wajib hai, agar sehv hona yaad naa tha aur naa niyat e qat’e salam pher diya to abhi namaz se bahar naa hua basharte ke sajda sahv kar le, lihaza jab tak kalam ya hadas ya masjid se kharij ya aur koi kam manafi e namaz naa kya ho use hukm hai ki sajda kar le”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 807

Ek sawaal ek wahabi ne kiya hai ke agar nabi hayaat hain to fir imam ko namaz padhane ki kya zarurat hai plz mera jawab daina.

Jawab: 807 بسم الله الرحمن الرحيم
Nabi jannati hota hai, aur unhone chaha ki, mere ummati bhi jannati ho jaye isliye ye moka diya gaya ki, taki unke ummati bhi imamat ke mansab par fa’iz ho kar buland rutba payen, aur wahabi jahil hi rahega, agar koi bada kisi kam ko karne ko kahe to ye uske marne ki dalil nahi, kabhi kabhi samne wale ko moka dene aur sikhane ke liye bhi hota hai, jaise school me, teacher kehta hai, ki 2 aur 2 kitne hote hai, to iska matlab wahabi sochega ki agar is school ke teacher ko aata to bachcho se poochhta hi kyun? Jabki teacher ko pata he, balki wo to dekhna chahta hai ki, kal ye bachche bade ban kar naam kamaye, isilye nabi hayat hai, ham kon jo unhe hukm den ki aap padhay, unki marzi hai, unka faiz aalimo tak hai, aur sail se arz hai ki wahabi ke aise suwal sunte hi kyun ho, unse wasta naa rakha karo iska kaam bas fizul me waqt kharab karna hota hai, aap ko chahiye ki IMAM E AHLHE SUNNAT ke maslak par poori tarah aa jao aur wo maslak ye hai ki “unhe mana, unhe jana naa rakha gair se kam...”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 808

Wahabi hamme se Kyun nahi hain akhir wo kon sa amal karten hain jo ham unhe atankwadi jante hai or muslim nahi manten ?

Jawab: 808 بسم الله الرحمن الرحيم
Unke aatankhwadi hone ki wajah aap khud ISIS ke bare me padh le, ya laden ke bare me ye sab wahabi hi hai, aur musalman naa hone ki wajah janne ke liye kitab “tarikh e najd o hijaz” padh lijiye,
Al-Mukhtasar
Wahabi, nabi ko murda aur apne jaisa insan manta hai, aur nabi ko roze (mazar) ko torne ki bat karta hai, he, jaiz or mustahab kam ko haram shirk batata hai, kisi imam ki perwi nahi karta, quran o hadis ke khilaf amal karta hai, wagaira wagaira.. aur hadis me unki kuchh nishaniya batai hai, jaise kaha gaya
تحقرون صلٰوتکم مع صلوتہم وصیامکم مع صیامھم وعملکم مع عملھم
tum apni namaz ko unki namaz ke aage hakir janoge, aur apne rozo ko unke rozo ke age, aur apne amal ko unke amal ke age,

یقرؤن القرآن ولا یجاوزتراقھیم
quran padhenge magar uske gale se neeche naa utrega,

یقرؤن القرآن ولا یجاوزتراقھیم
baaten zahiri achhi karenge,
من قول خیر البریۃ یمرقون من الدین کما یمرق السھم من الرمیۃ
hadis hadis pukarenge (aur) hal ye hoga, nikal jayenge deen se aise jaise teer nikal jata hai nishane se,

ثم لا یعودون فیہ
laut kar deen me naa ayenge,

سیما ھم التحلیق
inki alamat sar mundwana hai

مشمر الازار
Tehband (payejama) takhno se unche (pehnege)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 809

Ek Musht Se Kam Dadhi Rakhne Wala Shakhs Agar Azaan Wa Takbeer Kahe To Uska Kiya Hukm Hai Kiya Uski Azaan Wa Takbeer Maani Jayegi

Jawab: 809 بسم الله الرحمن الرحيم
Daari ka ek musht se kam rakhne wala, fasiq e moallin hai, aur ulama e ahle sunnat ka is par ittifaq hai ki azan fasiq ko dena makruh , ise roka jaye, azan islam ka shiar hai, to (namaz ke waqt) ke dakhil hone ki ittila e qual ki maqbooliyat ke liye zaruri hai ki, qail (kehne wala, murad azan kehne wala) musalman, aqil, baligh aur aadil ho, aur fasik ki khabar deen dari me etbar ke qabil nahi, jaisa ki
Durr e Mukhtar Jild:1 Safah: 46 par hai ویعاداذان کافر وفاسق
(yani, kafir, fasiq ki azan dohrai jaye)

Fatawa Razawiyya Jild:5 Safah: 377 par hai
“agar fasiq ne azan di to qana’at na karen, balki dobarah musalman muttaqi fir azan de”

Bahar e Shariat Jild: 1 Safah: 466 par hai
“Fasiq chahe aalim ho uski azan kehna makruh hai”

Ab raha ye ki fasiq ne azan de di to lotana wajib hai ya nahi, to baz ulama ne farmaya ki inki azan dohrana wajib hai magar sahi yahi hai ki inki azan ka lotana wajib nahi mustahab hai, aur yahi durr e mukhtar me hai, magar yaad rahe jab fasiq azan de, to fir doosra koi azan de, ye mustahab hai, wajib nahi, aur agar fir azan dene se fasad ka andesha hai to dosri azan bina mic ke di jaye, (aur yahi behtar hai)

Jaisa ki Fatawa Faizur Rasool Jild:1 Safah: 184 par, Fatawa Mustafawiya ke hawale se hai
“fasiq ki azan makruh hai, magar de to azan ho jayegi,”

“Aur ye jo upar jawab guzra ki dohrai jaye, iska matlab, dohrana mustahab hai”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 810

Meri walida ke dada takriban 120 sal pehle khud zinda dafan ho gaye the unko kor (bars) ki bimari thi gaon ke log the malumat nahi thi deen ki, to ye bataye ki unhone ye galat kiya ya sahi or kya unka nam leke fatiha bhej sakte he

Jawab: 810 بسم الله الرحمن الرحيم
Khud-kushi karna haram hai, balki doosre ko qatl karna namaz chhod ne se bada gunah aur, khud ko qatl karna isse bhi bada gunah, jisne aisa kiye gunah e kabeera kiya, aur ye kam jin be-waqoofo ke samne huya unhe inki jaan ka bachana farz tha jis tarah ho sakta jaan bachai jaati, aur agar koi is kam me khabar hone ke bad bhi naa aya ya zinda dafan hone me madad ki to ye sab bhi gunahgar hai, aur in par bhi tauba wajib hai, aur agar ye kam inhone chupchap kiya kisi ko khabar nahi thi, to gunah bas marne wale par hai,

Allah apne Zindagi Bakhshne wale Kalaam me keh raha hai (Surah nisa ayat 29)
“aur apni jaane qatl naa karo beshak allah tum par mehrban hai”

Hadis e pak me hai
“ jo shakhs jis cheez ke sath khud-kushi karega, use jahannam ki aag me isi cheez ke sath azab diya jayega,”

Aap inke liye isal e sawab, niyaz fatiha quran padh kar, ya koi bhi nek kam kar ke sawab bhej sakte ho, ye apki khush nasibi hogi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 811

Agar baccha opretion se huwa aur ghusl karke hath me aya to kia usko lene par hume ghusl wazib he?

Jawab: 811 بسم الله الرحمن الرحيم
Bachche ko lene wale par kisi surat ghusl wajib nahi chahe bachche ko nehla kar god liya gaya ho ya khoon me sana hua, khoon agarche napak hai, magar utne hisse ko napak karega, jis par lage, naa ki usse koi shakhs junubi ho jayega, magar khoon me sana naa liya jaye kyunki hath pak hai, aur pak cheez ko bila wajah napak karna bhi gunah hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 812

main koi kaam shikhne ke irade se gaya hun to koi aisa wazifa he shariat me jisse main apne kaam me safal ho jaun ? Namaz to he hi zaruri uske alawa koi aur cheez he use kamyab karne ke liye shariat me ? Jawab ka talabgar hun. Sayyed sahab 

Jawab: 812 بسم الله الرحمن الرحيم
Mujhe is bare me khas koi dua yaad nahi ki kaam sikhne me kamyabi ho aur dua har waqt kare, aur sail ne kam ki tafseel bhi nahi batai ki kya sikhne jaa raha hu, is tarah adhure suwal par jawab nahi diya jaata, ye keh dena ki “koi kam” kafi nahi kyunki kuchh kam shariat me haram hai, kuchh najaiz hai, or log unke bare me jante nahi, agarche mera husn e zan hai ki sail jaiz kam hi sikhne jaa raha hoga, agar shariat ke jawab me ehtiyat zaruri hai, kahi aisa na ho me dua batau kamyab hone ki (jaiz kam me) magar sail koi aisa kam karne jaa raha ho jo shariat mana karti ho
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 813 

Aadhi aasten me namaz ho sakti hai ya nahi

Jawab: 813 بسم الله الرحمن الرحيم
Aadhi asteen ki t-shirt or shirt me namaz ho jaygi. Or agar doosre kapde mojood hain to aadhi aastin me namaz makruh e tanzihi hai, magar namaz fir bhi ho jaygi dohrane ki zarurat nahi naa kuchh gunah, Or agar doosra kapda mojood nahi hai to namaz makruh bhi nahi,

Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 193 par hai
Jiske pas kapde mojood hon, aur sirf aadhi aastin ya banyan pehen kar namaz padhe to karahat tanzihi hai, (yani namaz ho jayegi). Aur (doosre) kapde mojood nahi to karahat (tanzihi ki) bhi nahi,

Waqarul Fatawa Jild: 2 Safah: 245 par hai
Aadhi aastin wala kurta, qameez ya shirt, kam-kaj karne wale libas me shamil hain is liye jo aadhi aastin wala kurta pehen kar doosre logon ke samne jana gawara nahi karte unki namaz makruh tanzihi hai aur jo log aisa libas pehen kar sab ke samne jane me koi burai nahi mehsus karte to unki namaz makruh bhi nahi.

Makruh e Tanzihi ki tareef: -
Weh amal jise shariat naa pasand kare, par ispar kuchh azab nahi (gunah nahi)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 814

namaz ba-jamat ho to namazio ke ya saf ke aage se nikalna kaisa he, Hazrat meri iltja he aap se iska jawab hawale ke sath den. Yani jawab 805 ka khulasa batayen

Jawab: 814 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo mene pichhle jawab 805 me kaha ki ba-jamat namaz ho rahi ho to namaz ki saf ke age se nikalna gunah nahi, aur jo hadis me namazi ke samne se guzarne ko mana kiya gaya wo tanha namazi ke samne se hai aur uske aage koi sutra naa ho, ye jawab fiqh hanafi ki ru se sahi hai,

Is masale ki asl ye hai ki, jab ba-jamat namaz ho rahi ho to log apne imam ki perwi me hote hai, to imam ke samne koi sutra deewar wagaira qom ke liye kafi hai, yani ab koi imam ko chhor kar agar namazi ke samne se guzar jaye to gunah nahi, jis tarah surah fatiha namaz me padhna wajib hai jiske bagair namaz nahi hoti magar ba-jamat me muqtadi ko chup rehna hai kyunki imam ki fatiha sabhi ke liye kafi hai, inhe khud ki fatiha ki hajat nahi waise hi imam ke samne koi cheez ka hona poori jamat ke liye kafi hai, sabke samne suthra rakhne ki koi zarurat nahi (kya hi achhi misal) aur yahi ahadees e taiiba se sabit hai, magar masala jan lene ke bad, jan kar bila zarurat aisi harkat karni nahi chahiye kyunki qom masala nahi janti aur jab tak janegi to nikalne wale ke paun tor chuki hogi, aur ye bhi hadis me mana hai ki “nafrat naa dilao” (yani aisi harkat se bacho jo logon ko nafrat dila den, ab raha ye samne se nikalna gunah nahi to magar ulama ne nikalne se mana kiya iski kya wajah, to iska jawab ye hai ki, ye manai fasad ki wajah se hai, or gunah nahi hai iska fayeda ye hai ki, agar kisi namazi ka wuzu namaz me tut jaye to use nikalne ka hukm hai, ab socho agar nikalna gunah hota to hukm kyun hota, ye dono masale apas me ek doosre ke khilaf ho jate ki, ek tarah shariat me kahe wuzu tutne par jamat se namazio ke age se nikal jao, aur ek tarah kahe ki nikalna gunah hai, logon me is masale ki sahi jankari nahi hoti isilye dhoka khate hai, aur doosra iska bada fayeda ye hai ki jab eid wagera me namazi masjid ke bahar tak hote hai to unke aage kuchh rakhne ki hajat nahi koi niklega to gunahgar nahi hoga, magar fir bhi log road ki saf ke samne suthra laga dete hai, ye unki ehtiyat hogi,

Ummid karunga ye hawale sail ke qalb ki weeran khaiti ko serab kar denge, aur ye kalam e mukhtasar, sail e motbar ke haq me kafi ba-asr hoga,

Fatawa Razawiya Jild:22 Safah: 479 par hai
“Imam ka sutra poori jamat ko kafi hai,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 616 par hai
“Imam ka sutra muqtadi ke liye bhi sutra hai, isko mazeed sutre ki zarurat nahi, to agar chhoti masjid me bhi, MUQTADI KE AAGE SE GUZAR JAYE,.. HARZ NAHI”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 815

Night pant pahan kar kiya namaz ho jayegi.?

Jawab: 815 بسم الله الرحمن الرحيم
Night pent ki koi tasfeel nahi di gai, har sheher me log alag alag libas ko alag alag naam dete hai, kahi raat ke kapde kafi chust hote hain to kahi, bahut dheele, ab aap kis tarah ki pent ka hukm maloom kar rahe ho, ? wese agar pent sitr ko dhakti hai, to namaz ke ho jaane me koi harz nahi, namaz ho jayegi aisa nahi he ki jis kapde ko rat me pehn kar soya jaye usme namaz nahi hoti, bas kapda paak ho, aur koi doosri cheez kapde me man’e shara naa ho.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 816

Janab Mazaaraat ki zayarat ka durust tareeka kya he ? Or aam qabristan me jaane ke kya aadab hain? جزاک اللہ خیرہ۔

Jawab: 816 بسم الله الرحمن الرحيم
Qadmo ki taraf se dakhil ho, aur perion ki taraf muhn kar ke khada ho, qabar se char hath door rahe, aur fatiha padhe, naa sirhane khada ho, naa mazar ko bosa de, naa tawaf kare, qabristan ke liye bhi yahi adab rakhe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 817

agar kisi ko apni beti ya bahen ko dekh ke kabhi sexual khayalat aye to uska kya ?

Jawab: 817 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye khayal e khabees hai, aur jis dil me aye wo qalb e iblees hai, magar aisi surat jis ghar me pesh aati hai, ummid karta hun us ghar me parda nahi hota hoga, tabhi aurate, ye soch kar ki ghar wale hai, bina dupatte ke rehti hongi aur agar dupatta dhakti bhi hongi, to bas dikhane ke liye, aise ghar ki aurato ko parde ki sakhti karwai jaye, ki jis tarah namaz me dupatta bandha jata hai waise hi bandhe rahe, kyunki ghar me ghair log, aur mehman bhi ate jate rehte hai, to ehtiyat isme hi hai ki aksar namaz ka sa dupatta bandhe rahe, ye wo darwaze the jo iblees ne khole the, jise mene band karne ka tariqa bata diya, ab us shakhs ki taraf ruju karta hu, jo is se dakhil ho jata hai, jis shakhs ka suwal me zikr hua, agar aisa shakhs meri in bato par amal kare to, allah ke karam se is chaal e shaitan ke jaal e nafsani se ba-asani rihai payega, karna ye hai ki
Awwal to namaz nahi padhta to sakhti se pabandi kare, aur subha fajr ki namaz ke bad, 21 bar poori “auzubillah” padh kar pani par dam kare aur piye aur isi tarah bad namaz asr kar liya kare, aur MURGHE ka gosht hargiz naa khaye, aur deegar gosht 10 din ke farq se khaa sakta hai, aur dopher me 1 roti aur rat me bhi 1 roti hi khaye aur agar bhook me mot ka khatra ho to bhi isse zyada naa khaye chahe shaitan kitni hi achhi dawat pesh kare magar hargiz hargiz isse zyada naa khaye, (aur mot ka khatra ek mubalgha hai) aur sara din, dil dil me astaghfar padhta rahe, aur is amal ko 41 din kare, (41 din 1 roti par hi guzara kare, aur murghe ka gosht hargiz naa khaye ) Fir gaur kare, 41 din bad ki dil ki kaifiyat kya hai, (meri bat ko bewazan nahi jaanega, magar, kam aqal)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 818

Assalamualaikum, Qurbaani aur akika ka masala ek hi hai suwal ye he ki kya hum qurbaani ya akika ka khana gair muslim ko khila sakte he kya hawale se jawab dijiyega ? Inshaallah

Jawab: 818 بسم الله الرحمن الرحيم
Bila wajah khilane se parhez karna chahiye, behtar ye hai ki, rishtedar, sunni musalman, faqeero ko khilaye, aur IJAZAT ye HE ki agar koi kafir bhookha hai, or khane ki mang karta hai to use bhi zarur khilaye taki usk dil me islam ya musalman ke liye bugz naa ho, aur use khilate waqt bhi uske sath achha bartaw kare, taki uske dil me musalman aur islam ki mohabbat ghalib ho. Aur bhi hamare buzurgo se sabit hai, ki kafir se bhi narmi ki aur wo musalman ho gaye, balki hadis se bhi sabit hai, aur agar ilaqe me sahi khaate peete, paise wale kafir hai, fir ye shakhs, apni dosti ki khatir unki dolat ya izzt ke khatir, ghareeb musalman ko chhor kar un kafiro ki dawat karta hai to ghalat karta hai, Aur kafir ko qurbani aur aqeeqa dono ka gosht nahi de sakte, Jaisa ki dono gosht ke bare me Alahazrat Imam E Ahle Sunnat ne

Fatawa Razawiya Jild:20 Safah:457 par farmaya
“Yaha ke kafiro ko gosht dena jaiz nahi ye sirf khalis musalmano ka haq hai”

Fatawa Razawiyya Jild: 14 Safah:709 par hai
“Bhangi wagera kisi kafir ko qurbani ya aur koi sadqa dena jaiz nahi hargiz naa den”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 819

Hazrat kya 1 lakh 5 hazar baar kalam-e-tayyiba padh kar bakhashne par murde Ki magfirat hoti hai kya ye sahi hai.

Jawab: 819 بسم الله الرحمن الرحيم
Maghfirat allah ki rehmat par hai, aur musalman ki niyat uske amal se behtar hai, allah chahe to ek bar ke padhne se bhi maghfirat kar de, aur chahe ko zindagi bhar se bhi na kare, magar allah se achcha husn e zan rakhte huye padhne par ummid hai ki maghfirat kar diya jaye, magar aisa sahih hadiso me ghaliban nahi, aur jin hadis me iski misl hai wo sahih ke darje ko nahi pahuchi, magar ye zarur hai ki mayyat ki taraf se kiya gaya har amal ka sawab zarur milega, is kalime ka bhi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 820

AssalamuAlaikum, Zaid ko Ghussa bahot Aata he Hazrat koi Wazeefa bataye Gusse ko khatam karne ka Jazak Allah

Jawab: 820 بسم الله الرحمن الرحيم
Sail e motaram, janab e man apka ehsan o karam jo apne group ahle sunnat me yaad farmaya, awwal to ye group fiqh masail par mabani hai, magar kabhi kabhi mosam khush-gwar ho to awam ke weeran qalb ki khaiti par wazaif o amal ki barish bhi barsa di jati hai, is suwal ke jawab me, main apko wazifa nahi bataunga kyunki wazife me kabhi ye shart bhi hoti hai ki agar samne wala parhezgar nahi to wazifa asr nahi lata, me apko ek asan aur teer e ba-hadaf tariqa batata hu, jise karne ke liye parhezgari zaruri nahi, kyunki ise gunahgar bhi kar le to wo khud parhezgar ban jaye, ye apko lagega ajeeb magar hoga, asrdar, ye koi padhne ki dua nahi, naa koi wazifa magar jab bhi ghusse walo ka ghussa asman ko chhua to Allah ke karam se mere is teer ne kabhi khata nahi ki,
(meri baat ko halke me nahi lega, magar tariqat se jahil)

Zaid agar gusse ka kitna bhi tez hai, chahe asman ko zameen me milane ki taqat rakhta ho ya ghussa me kisi ka qatal bhi kar dene ka aadi ho to aise tez ghusse wale ko karna ye hai, ki
Zaid ko chahiye, ki dopahar ke khane me jab dastarkhwan par bethe to ek roti ke 4 tokde kare, aur dopahar ke khane me sirf 2 hi tukde hi khaye, , aur dastarkhwan se uth jaye, Isi tarah raat ke khane me ek roti ke 4 tukde kare, aur sirf do khaye do rehne de, chaye(tea) agar nahi peeta to subha 1 cup aur sham ko isha se pehle 1 cup piye, agar pehle se peeta tha to, do cup se zyada naa piye, is kaam ko 21 din lagatar kare, agar shaitan iske samne aa kar bhi kahe ke 2 tukdo se ek luqma zyada khaa le to bhi naa mane, agar koi shakhs khwab me aa kar kahe ki poori 1 roti khaa liya kar, to bhi naa mane, aur 21 din isi amal par guzar de jaisa mene tehrir kiya, aur 22ve din zaid se puchha jaye ki ghusse ke kya haal hai, to zaid sajde me jaa kar allah ka shukr karega, aur kahega, mere rab ne mera dil naram kar diya,
Zaid ko Is amal ke or bhi kai (karib70) fayeda apni khuli aakho se nazar aa jayege, magar me sabka zikr nahi kar sakta, ki ye allah ke raazo ko khol dena hoga, aur baz martaba shariat muhn me lagam deti hai, magar kuchh arz karta hu wo ye hain, ki is amal ki barkat se,
Zaid ka ghussa chala jayega,
Ibadat me khushu khuzu aa jayega
Agar kuchh der tanhai me beth jaye to allah ki yad me rona shuru naseeb hoga,
Har waqt ibadat karne ka dil karega, zikr se zuban tar rahegi, wagaira wagaira...

Agar iska asr aur tez dekhna chahta hai to 21 din ki jagah 41 din ye amal kare, magar shaitan 10 din bhi karne de to ghanimat, aur khuda karam kare aur 41 din ispe amal karke dekhe fir MUJHE KHABAR ZARUR KARE KI DIL KE KIA HAL HE,

Mumkin hai kuchh logo ko ye jawab ajeeb lagega, isilye mene upar byan kiya ki meri baat ko halke me nahi lega magar tariqat se jahil
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 821

السلام وعلیکم
Kisi ghair alim ko Mulla ji keh na Gunha he ya nahi Jazak allah

Jawab: 821 بسم الله الرحمن الرحيم
Hamare urf me “Mulla G” kehne ki bunyad ilm nahi balki chehre par daari hai, jaha tak mera khayal hai ki log daari walo ko is laqab se pukarte hai,, ilm walo ko nahi, aur isme koi gunah nahi, aur agar koi ye samajhta hai ki jis par ilm nahi use daari nahi rakhni chahiye taki log use “mulla G” kehen to ye uski ghalat fehmi hai, har musalman mard ko daari ka ek musht rakhna wajib hai, chahe aalim ho ya nira jaahil
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 822

Hazrat, patanjali product istimal karna kaisa, jabki usse mareez ke fayeda ho raha ho jabki Patanjali ke pruducts par fatawa bhi lag chuka ho aya ke fatwa ye nahi pata ke ahle sunnat ki taraf se laga he ya kisi or firke se to meherbani karke rehnumai farmaye,

Jawab: 822 بسم الله الرحمن الرحيم
Meri is masale me tehqeeq ye hai ki, patanjali me kareeb 700 product hai jo ki alag alag marz ke liye hain, usme se 5 product aise hai jisme (comapany ke mutabik) cow urin (gaye ka peshab) istimal kiya jata hai, isilye Tamilnadu se is par fatwa maujood hai, magar aisa nahi ki baki dawa jisme koi najaiz cheez nahi hai, istimal karna bhi mana hai, balki jis dawa me yaqeeni maloomat ho ki isme peshab milaya gaya hai to iske istimal ki mumaniyat hogi, magar ye nahi ki poori company ki koi dawa nahi le sakte, ise is tarah samajhe ki, ek company sharab banati hai aur uski doosri branch shehed banati hai to fatwa sharab ke istimal par hoga, us company ki doosri branch ka shehed khana jaiz hoga, aisa nahi ki iski jaiz cheez bhi haram ho jayegi, lihaza patanjali ke wo 5 product jisme peshab ki amezish batai jaati hai wo ye hai jiske istimal par fatwa hai,
'Kayakalp Taila',
'Panchgavya' soap,
'Shudhi' phenyl,
'Gowdhan Ark'
'Sanjivni vati'.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 823

Agar maa bap ko fatiha bhejna he to ek sath bhej sakte he naam ke sath ya alag alag bhejna hoga.

Jawab: 823 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek sath ek hi niyaz me dono ko isal e sawab kar sakte hai, alag alag fatiha ka intizam ki hajat nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 824

AssalamuAlaikum, kaise kya halath se namaz padna chahiye? Dil Ke wasvase ko door karne ka wazifa bataieye?

Jawab: 824 بسم الله الرحمن الرحيم
Is hal me padhe ki ye allah ko dekh raha hai, warna aise padhe ki allah ise dekh raha hai, aur meri maane to aise padhe ki ye iski zindagi ki akhri namaz hai aur salam ferte hi mar jayega, to is akhri namaz ko achche se achcha karke padh le, aur har namaz me yahi khyal rakhe ki shayad ye akhri namaz ho, aur waswaso ke liye chahiye ki Bad namaz e fajr aur bad namaz e asr pani par 21 bar أعوذ بالله من الشيطان الرجيم padh kar dum karke peena shuru kar de, aur apne dono waqt ke khane se 1 -1 roti kam kar de, ye kam 40 din kare, aur 41 we din khud dil se puchhe ki waswasa kaha hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 825

Agar koi Aurat kisi wajah se apne shohar se talaq chahti he or wo Dena nahi chahta, Aurat apna ghar chhod kar chali jati he to use kitne waqt bad apne shohar ke nikah se bahar ho jati he pls jawab jaldi den

Jawab: 825 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal me ye likhna ki “kisi wajah se talaq chahti hai” ye adhuri baat hai, awwal to ye bataye ki wo wajah kya hai, kyunki baz surato me talaq mangna jaiz hai aur baz me gunah, kya pata shohar namaz ko kehta ho aur ye isi bat par talaq mange to zarur be-aql hai aur gunahgar hogi, to behtar hai ki aap apne suwal ki sahi saaf muqammal surat likh kar, kareeb ke darul ifta me jaye, kyunki baz talaq ke masale me face to face gawahi ki zarurat hoti hai, ab raha ye ki aurat mayeke chali gayi to kitne din bad nikah se bahar hogi, to iska jawab ye hai ki, isse aurat gunahgar to hai magar nikah se bahar nahi hogi, chahe qiyamat tak bethi rahi, jab tak shohar talaq na de, nikah se bahar nahi ho sakti,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 826

Hazrat Assalamu Alaikum, Ye Jo shadiyo me 51; 101; ya 501 rupaye diye jate matlab 1 rupya jodkar inka matlab kya hai aur kyu diye jate hai.

Jawab: 826 بسم الله الرحمن الرحيم
Asl ye hai ki mujhe iska ilm nahi aur naa mene janne ki koshish ki naa itna waqt ki koshish karun, han me zarur iski tehqiq karta agar aise suwal kabr me kaam aate ya hashr me firishta puchhta ki bataa padosi ki shadi me 101 rs. Diye the to 1 Rs. Kyun rakha, apko is bare me kuchh maloom ho to mujhe khabar kare, zarurat ka koi masala pesh aye to fir se yaad farma len,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 827

Hazrat Musalmano me Jo alag -2 koum bana rakhi hai jaise Ki Ahle Sunnat, Bareilwi, qadiyani, deobandi, wahabi, hanifi, aur bhi hai ye sab kaha se shuruat hui. Goya inme se aala kya hai. Jabki hamare awwal kalme me hai ke Allah hi sab kuchh hai aur Mohammad Sallalahu Alaihiwassalam unke rasul hai. Tafsir se rahnumayi kare.

Jawab: 827 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal me jo naam sail ne darj kiye wo koum nahi firqe hain, firqo ka banna hadis se sabit hai, ek ka haq par hona aur baki gumrah hona bhi hadis me hai, ab agar koi shaitan se bhi ala darje ka jahil ye kahe ki firqo me naa baton ek ho jao to wo khud gumrah hai ki pyare mustafa ki baat ke khilaf kehta hai, halaki qiyamat tak gumrah aur musalman ek nahi ho sakte wajood me wahi ayega, jo zuban e mustafa se guzra, ab ye kehna ki allah ek rasool ek to aise logo ko chahiye ki jab poori duniya Hazrat e adam ki aulad hai to wo apni betio ki shadi yahoodi se kyun nahi kar deta ? wo bhi to allah ka hi banda hai aur adam ki aulad, fir ye kahega ki nahi nahi huzoor ne mana kya
To me kahunga ki huzoor ne to ye bhi mana kiya ki badmazhab ke pichhe namaz naa padho. Naa unke sath salam kalam naa unke janaze ki namaz padho, fir wo kahega ki allah ka naam aur kalima padhne wala musalman hai ham kaise use bura keh sakte hai, to me kahunga ki poora quran ek bar tarjume ke sath padh liya jaye to dekho kitni jagah allah ne kalime padhne wale, qiyamat ke din par iman lane walo ko bhi munafiq kaha hai, aur kaha ki wo iman wale nahi aur ye baat pehle paare ke shuru ke 5 page ke andar hi mil jayegi,
Lihaza sabko ek karna shaitan aur jahil ka kaam, aur sirf sunni hanafi bareilvi ke koi firqa haq par nahi
Aur jo kisi ko barelvi banne se rokta hai to samajho musalman banne se rokta hai, aur koi kehta hai ek ki ho jao unhe thik se quran padhna bhi nahi aata, aise logo se jab quran me lafz “allah” hi hijje karne ko kaho to kahenge “alif lam zabar laa.... jabki arabi (quran) me alif se allah nahi hota hamza se allah hota hai, aur jo quran me allah me shuru me alif likha hota hai wo alif nahi hota hamza hota hai,
Isilye school collage ki kuchh kitabe padh kar, shariat par kalam nahi karna chahiye, quran me allah kehta hai “aye logo ilm walo se poonchho agar tumhe ilm naa ho” aur kehta hai “alim aur jahil barabar nahi
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 828

Hazrat mera ek sawal he kisi ki biwi apne shohar Ke ma bap ki na farmani karti he to kiya use chhor ne ka hukm he

Jawab: 828 بسم الله الرحمن الرحيم
Note:- is group me talaq me masail nahi bataye jate aur jo batye jaate hai, wo bator e ilm me izafe ke liye arz kiye jate hai, apne talaq ke masail ke liye darulifta se rabita kare, kyunki talaq ke baz masail me face to face gawahi ki zarurat hoti hai, (ye jawab kewal ilm e deen sikhne ke lihaz se hai, is par amal naa kiya jaye)

Maa ke kehne par biwi ko talaq dena jaiz hai, to agar ye aurat walidaine e shohar ko sakht eeza deti hai, to shohar ise samjhaye, aur zarurat parne par sakhti kare, aur iska gulam naa bane ki biwi walidain ko gali de aur ye pyar se chup ja chup ja kahe, balki shohar ko quran ne hakim banaya hai, to ise apni taqat ka istimal karna chahiye, magar shohar ko talaq dena wajib nahi, jaisa ki AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat

Fatawa Razawiya Jild:6 Safah: 606 par likhte hain
(zuban-daraz) aurat ko is jurm me talaq dena wajib nahi”

Durr e Mukhtar me hai ki لایجب علی الزوج تطلیق الفاجرۃ
(shohar par fajira aurat ko talaq dena wajib nahi)
Lihaza shohar use samjhata rahe, talaq dena wajib nahi magar jaiz hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 829

Qawwali kisne shuru ki or Shariat me kya he iske bare me ?

Jawab: 829 بسم الله الرحمن الرحيم
Qawwali jo hamare chishtia silsile aur deegar buzurgo se sabit hai, wo aisi nahi thi jaisi aaj hai,
Qawwali, dhol tashe ya deegar musicial instruments ke sath Haram haram sakht haram ashad haram hai, or qawwali jo music ke sath hoti hai ye bhi haram hai or kisi buzurg se sabit nahi, balki auliya allah sirf kalam sunte the usme music nahi hota tha.

Fatawa Razawiyya Jild: 24 Safah: 80 par hai,
Mazameer bilashuba haram hai, ... inke sunne sunane ke gunah hone me shak nahi,... aur chishti silsile ki taraf iski nisbat karna mehez batil hai,

Kashul Fana An Usool Al-Sama me hain
Logo ne apne ghalba e haal wa shoq me mazameer ke sath qawwali suni, aur hamare peeran e tariqat ka sunna is tohmat se pak hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 830 

English me salam likhna kaisa he or jawab dena kaisa he tafsir or hawale ke sath bataye Hazrat ? Talib e jawab

Jawab: 830 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz “salam” is tarah likhna english me jaiz hai, aur salam ke badle bhi salam keh dena bhi jaiz hai, aur poora salam jo arabi me hota hai, use arabi me hi likhna chahiye, aur english me likhna gunah nahi, magar bachna behtar, aur agar kisi ko arabi urdu nahi aati ya phone me font nahi to english me sirf “salam” likh de warna audio me salam kare, Bahar e Shariat Jild:3 Page:465 par hai,
Kuchh (log) kehte hai “SALAAM” isko bhi salaam kaha jaa Sakta hai,
or isi me hai
salaam” ke Jawab me “salaam” keh diya, Ya وعلیکم keh diya. Jab bhi Jawab ho gaya
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Suwal no. 831

Hazrat asr ki namaz magrib ki azan se kitne mnt. pahle tak padh sakte hai

Jawab:831 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar kisi din asr ki namaz nahi padhi to magrib se pehle pehle har surat me padh le qaza naa hone de, aur jo maghrib se 20 mnt. Pehle namaz padhna mana hai wo asr ko chhor kar doosri namaze yani qaza umri nafil wagera hai, asr isse bari hai, magar jaan kar asr me itne der karna ki maghrib ka waqt karib aa jaye ye haram hai aur, hadis me ise munafiq ki namaz qarar diya gaya hai, lihaza har surat, asr ko maghrib se 25-30 mint. Pehle hi ada kar lena chahiye,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 832

Agar kisi imam Ki wife bepardagi karti ho to Kya us imam ke pichhe namaz padna chahiye ???

Jawab: 832 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar kisi shakhs ki biwi be-pardagi se ghoomti hai, aur shakhs ise sakhti se mana naa kare aur iski be-pargadi ki ise khabar hone ke bad bhi naa roke to hadis ke mutabiq ye shakhs daiyus hai, aur aise shakhs ki imamat jaiz nahi, aur jo namaz iske pichhe padhi jayengi unhe fir se dohrana wajib hai,

Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:583 par hai
“daiyus sakht fasiq, aur fasiq e moallin ke pichhe namaz makruh e tehrimi ise imam banana halal nahi, aur iske pichhe namaz padhni gunah aur padhi to fer-na (lotana) wajib”

Durr e Mukhtar me hai کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 833

Assalam o alaikum, Hazrat Aqeeqe ka gosht (meat) bachche ke maa baap ko khana jayez he ya nahi ?
jawab ka talabgaar hoon

Jawab: 833 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar maa bap ka roza nahi ho to khana bilkul jaiz hai, aur roza ho to waqt maghrib bhi khana jaiz hai, Ye logo ki kam ilmi ki baate hain, aur iska shariat me koi saboot nahi, aur ye apni aqlo se banai gain, baten hain,

Bahar e Shariat Jild:3 Safah:357 par hai
“Awaam me ye bahut mash’hoor hai ki aqeeqe ke gosht bachche ke maa bap, dada dadi aur nana nani naa khayen, ye mehez ghalat hai aur iska koi saboot nahi

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 834

Bhai kisi shakhs ka dant toot gya ho ya bachpan se hi na nikla ho to kya wo shakhs daant (haddi-metel) ka lagwa sakta hai.? Aur agar haan, to kya dant lagwate waqt paak hona aur ba-wuju hona zaroori hai. Kyunki mere khyal se agar napaki me dant lagwaya, to wuzu karte waqt us hisse me pani nahi pahuchega.. Baraye karam iska jawab dijiye

Jawab: 834 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han daant lagwa sakta hai magar admi ka daant nahi lagwa sakta pat’thar wagera ka lagwa sakta hai, aur ise wuzu ki zarurat nahi naa pak hone ki, aur ek baat apke gaur karne ki hai jo apke khyal me thi magar is waqt yaad nahi aai hogi, wo ye hai ki wuzu me kulli karna farz nahi sunnat hai, koi jaan kar bhi kulli naa kare to bhi wuzu ho jayega, aur pani upar bahane ka hukm hai, warna apke daant ke andar bhi paani aaj tak nahi gaya to kya apka wuzu nahi hua? Agar aisa hukm hota to sabko baligh hone ke bad, sare daant turwane padte fir daar me pani bahana padhta fir daant lagwane padhte, magar allah ka karam hai shariat ne zahiri aza par paani bahane ka hukm diya androoni hisse me nahi, isilye dant lagwate waqt agar wuzu kar bhi liya to aisa nahi ki wuzu tutne par wo hissa hamesha wuzu wala mana jaye, balki agar kisi ne aadha wuzu kiya aur reeh kharij ho gai, wo jo hisse dho chuka tha wo fir se be-dhole ho gaye, balki agar hath me pani liye hue tha to wo bhi bekar (mushtamil) ho gaya, maslan koi wuzu kar raha tha, 2 kullia kari aur teesri ke liye leep (chullu) me pani liya aur reeh kharij ho gai, to sara wuzu jo kiya tha khatam or ye leep ka pani bhi ab istimal nahi kar sakta, to daant lagwane par wuzu agar kar bhi liya to wo hamesha nahi chalega, jab wuzu tutega to sare aza (part) bewuzu ho jayenge,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 835 

السلام و علیکم 
Koi saksh agar tawiz ganday karta he to us sakhs ki bakhshish nahi hoti he kiya, Sahi ke liye kare ya bure ke liye

Jawab: 835 بسم الله الرحمن الرحيم
Taweez dua dam jaiz maqasid ke liye jaiz aur sawab hai, hadis me hai, jo apne momin bhai ko jis tarah nafa pahucha sakta ho pahuchaye, aur taweez jo dushmani ya doosre ghalat maqasid ke liye karte hai, haram aur kabhi kufr hote hai, aisa karne wala sakht gunahgar, hai, ab raha maghfirat to aisi hadiso me jo ye baat aati hai ki “uski maghfirat nahi” iska matlab ye hota hai, jab tak wo tauba naa kar le, aur agar koi apne bure fel se tauba kar le to zarur maghfirat hai, aur har musalman jannat me jayega chahe kitna hi bada gunah karta ho, itna zarur hai ki apne amal ki saza paa kar jayega,

Fatawa Razawiya jild:24 Safah: 208 par hai
“taweezat beshaq ahadees aur aimma e kadeem aur hadis se sabit hai”

Fatawa Razawiya Jild:24 Safah:197 par hai
“amaliyat wa taweez asma e ilahi wa kalam e ilahi se zarur jaiz hain. Jabki unme koi tariqa khilaf e shara naa ho”

Jaise aurat apne shohar ko apne qabu me karne ke liye taweez karwati hai, aise taweez karna bhi shariat ke khilaf hain quran ne mard ko hakim banaya hai aurat ko nahi, isi tarah do musalmano ke bich doshmani karwane ke liye, ya biwi shohar me fasad karwane ke liye to dono gunah gar hai, karne wala bhi aur karwane wala bhi, hadis me farmaya: لیس منّا من خبب امرأۃ علٰی زوجھا
(jo kisi aurat ko apne shohar se bigare wo hamme se nahi)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 836

As salam mualikum, janab kya darhi par jell laga sakte hai jisse ke darhi mure nahi jawab ka muntazir jazak allah

Jawab: 836 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi harz Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم


Suwal no. 837

As salaam mualikum, Tahajjud ki namaz ka waqt 12 baje ke bad shuru ho jata he ya nahi, To kis waqt ham tahajjud padh sakte hen,

Jawab: 837 بسم الله الرحمن الرحيم
Bad namaz e isha kuchh der so kar jab bhi uthega wahi tahajjud ka waqt hai, chahe 1 mint. Hi soya ho,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 838

جناب زید ایک ایسے علاکہ میں رہتا ہے جہاں بدمزحبو کی جیادتی ہے سنی و بدمزحب میں فرق کرنا مشکل ہو جاتا ہے۔ ایسے علاکہ میں مسلم ہوٹل پر گوست کھانا کیسا جبکہ اسکے جبیہا کا کچھ پتا نہی۔        
Janab zaid ek aise ilaqe me rehta hai jahan bad-mazhabo ki zyadati hai, sunni wa badmazhab me farq karna mushkil ho jata hai, aise ilaqe men muslim hotel par gosht khana kaisa jabki uske zabiha ka kuchh pata nahi.

Jawab: 838 بسم الله الرحمن الرحيم
Behtar yahi hai ki aisi shak shubhah wali cheez se parhez kare, yahi hadis me farmaya gaya aur yehi taqwa hai, Aur shak karne se koi halal, haram nahi hoti jab tak uske haram hone ka yaqeen naa ho kha sakta hai ye fatwa hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 839

Agar namaz me chhink aajaye or naak se paani girne lage to kiya namaz ho jayegi

Jawab: 839 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ho jayegi, daman se saf kar le,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 840

Assalamualaikum, kya kisi imam ki wife ne nasbandi karwa li ho to, us imam ke pichhe namaz padh sakte hai ya nahi,

Jawab: 840 بسم الله الرحمن الرحيم
(Note:-group me imamat ke masail is tarah nahi bataye jaate, agar ye masala sahi me pesh aya ho to aapko chahiye ki darulifta me jaye or jawab hasil kare, kyunki is qism ke masail me kabhi face to face dono taraf ki gawahi ki zarurat padhti hai, aur ye jo jawab diya jaa raha hai, ye bas ilm me izafe ke liye diya jaa raha hai, mere is jawab ki buniyad par kisi sunni imam ko masjid se nahi nikala jaye)

Al-Jawab
Nasbandi karwana apni ya kisi or ki haram hai, shariat me iski ijazat nahi, ab imam sahib ki biwi ne jo nasbandi karwai hai, imam ka kusur ho bhi sakta hai aur nahi bhi, yani agar biwi ne chupchap ye kam karwaya maslan mayeke gai or nasbadi karwa aai, aur iski khabar imam sahib ko nahi to in par kuchh gunah nahi, aur namaz is imam ke pichhe durust hogi, aur agar is kam ki imam ko khabar aur usne naa roka, ya fir khud isne apni biwi ki nasbandi karwai to ye gunah gar hai, is par tauba wajib hai, aur tauba ke bad iske pichhe namaz padhna sahi hai, aur agar imam is kam ko sahi jaane aur tauba naa kare, to aise shakhs ko imam banana jaiz nahi.
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 841

 السلام علیکم  cricket khelna kesa he iska jawab qurano hadees ke hawale se dijiye

Jawab: 841 بسم الله الرحمن الرحيم
Cricket ya koi khel (siwaye 3 khelo ke) jaiz nahi, chahe cricket ho ya koi or, aur ise khelne ya dekhne me koi fayeda nahi, balki waqt ki barbadi hai, aur israf waqt ka bhi Gunah hai, aur aisa bhi dekha jaata hai ki log is khel ko dekhne me is qadr magan hote hai, ki namaz qaza kar dete hai, isi tarah khelte waqt bhi namaz qaza kar dete hai, to kabhi isme paisa laga kar ise juye ki surat bana lete hai, ye bhi haram hai, aur jo paisa na milaye magar iske sath khaile to gunah par madad karne wala hai ye bhi haram,

Quran e pak me Allah ka farman e Alishan hai (Surah Luqman ayat 6)
“aur kuchh log khel ki baate khareedte hain, ki allah ki raah se behka den, besamajh aur ise hasi bana len, un ke liye zillat ka azab hai,”

Hadis e pak me hai
Jitni cheezo se aadmi khel karta hai sab BATIL hai, magar (3 khel jaiz hai) teer kaman chalana, ghud-sawari, aur apni biwi ke sath khelna,
(ise tirmizi, abu dawood aur ibn majah ne naql kiya)

Sahi bukhari me hai وکریمہ من الناس من یشتری لھو الحدیث
(aur kuchh log khail ki baate khareedte hain”

Bahar e Shariat Jild:3 Safah: 511 par hai
Khel kood ki jitni qisme hain sab batil hai, siwaye 3 ke jiska zikr hadis me ijazat hai”

Fatawa Razawiya Jild: 23 Safah:297 par hai
“jis khel me bhi aadmi mashgool ho weh najaiz hai, magar 3 khel jaiz hai. (jiska upar zikr hua)

Is quran o hadis ki roshni me har match khelne wala dekh le ki woh kya nek kam kar raha hai, aur ek baat gulam e rasool ko yaad rakhni chahiye ki uske aaqa ne koi kaam aisa nahi kiya jisme sawab naa ho, to aaj musalman kis qadr nafs ke behkawe me wahi kaam me mashgool hai jisme koi sawab nahi, aur jo log shetan ki chal me aa kar ye kahenge ki ham dil ko sukoon dene ke ke liye khelte hai, to me kahunga ki dil ka sukoon to allah ki yaad me hai jaisa ki quran me aya, (surah ra’ad ayat 28)
weh jo iman laaye aur unke dil allah ki yaad se chen paate hain, SUN LO ALLAH KI YAAD HI ME DILO KA SUQOON HAI
(kya hi achhi yaad, achhe suqoon wali)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 842

 السلام علیکم 
“Ye raza ke neze ki mar he” Ka kiya matlab hota he

Jawab: 842 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye AlaHazrat ka ek sher ke pehle misre ka hissa e awwal hai poora misra is tarah hai
“ye raza ke neze ki maar hai, ki adu ke seene me ghaar hai,

(yani islam o sunnat ki hifazat ke liye jo raza ne likha aaj tak wahabi uska jawab naa laye na use ghalat sabit kar sake naa kar sakte hai, AlaHazrat ki tehrir or taqrir wahabi ke liye neze ka kaam karti hai, raza ka kalam khanjar ka kam karta hai jisse wahabi ke seene me aisa waar hua ki aaj tak or subha qiyamat tak uska zakhm kisi hakeem se na bhare, Khud imam apne kalam ke baare me bhi ek sher farmate hai,

Kilk e raza hai khanjar e kho khar bark baar
Ada se keh do khair manaye naa shar kare,

Yani raza ka kalam najdi ke liye kho khar hai is najdi dushman se keh do apni khairyat kare na ki shararat
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 843

agar istinja karne ke baad chand katre (underwear me) gir gaye, iska kya hukm hai, agar kisi ko ye bimari ho ke pishaab ke katre nikal jate hai to uske baare me koi nuskha bataiye. ?

Jawab 843 بسم الله الرحمن الرحيم
Peshab najasat e ghaliza hai, iske chand qatro ka hukm ye hai ki, agar peshab itna kapde par laga ki ek dirham se zyada phel gaya to, is surat me bina wo hissa kapde ka dhoye namaz nahi hogi, aur agar dirham se zyada nahi hai, magar dirham me barabar hai to namaz makruh tehrimi aur uska fir se padhna wajib hoga, aur agar dirham se kam hai to aisi surat me pak karna sunnat hai bagair pak kiye namaz padhi to ho jayegi, aur dirham ka ye matlab hai ki hath seedhi karke aram se usme paani daala jaye jitna pani hath me ruk jaye us golai ko dirham shumar kiya jayega, aur is surat me ye bhi kar sakta hai ki bad astinja aage ke muqam par koi kharab kapda rakh le taki qatre us kapde par gire, aur baki kapde pak rahe,
Agar kisi shakhs ko ye beemari hai to ek waqt me ek wuzu se jitni namaz padhega ho jayegi, dohrane ki zarurat nahi aur iska ilaz karwaye, aur Agar langoot bandne se qatra naa ata ho to langoot bandhna wajib hai jaisa ki Al Behr Al Khalaiq me hai متی قدر علی ردالسیلان برباط اوحشو وجب ردہ
“Jab (kapda) wagera bandhne ya za’id cheez rakhne se qatra rokne par qadir ho to rakhna wajib hai,”

Lihaza aap langoot bandhe, agar ye mumkin nahi to saf kapda rakhe or jab kapda napak ho jaye to hata den, warna andar ka kapda badal kar, namaz padh len.

Qatre ka ilaj-
-khana khane ke foran bad peshab kare, aur toilet me ulte per par zor de kar bethe,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 844

Huzoor (s a w) qayda me tashahud me kya padhte the, Assalamo alaika ya aiyuhannabi ki jagah kya padhte the

Jawab: 844 بسم الله الرحمن الرحيم
Jawab dene se pehle me ye zaruri samajhta hu ki sail ko uski ek badi khata se agah kiya jaye aur wo ye ki Suwal me durud ko short me likha gaya hai is tarah likhna najaiz hai, baz log sirf (swad) likh dete hai, ye bhi naa chahiye, Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi FATAWA RAZAWIYYA Jild: 23 Safah: 386 par likhte hai
Huruf (ص) likhna jaiz nahi, balki صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم likha jaye, to roman English me aap (alaihissalam)… likha kare. (allah amal ki tofiq de).. ab jawab ki taraf

Durr e Mukhtar me hai ki Huzoor alaihissalam انی رسول الله kaha karte the, (me allah ka rasool hun)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 845

Hazrat, namaz padhte waqt dahine pair ke anguthe ko tika kar rakhna kia zaruri hai. Agar Kisi ne nahi tikaya to kya uski namaz nahi hogi. Maslan baye pair ke upar daya pair rakh kar padta ho.

Jawab: 845 بسم الله الرحمن الرحيم
Logo me ye ghalat fehmi hai ki ye samajhte hai ki namaz me agar paun ka angutha apni jaga se hil gaya ya akhir tak namaz me jagah se hat gaya to namaz naa hogi ye fizul batil Mehez hai, isse namaz me koi farq nahi aata, agar aisa hota to namaz me to chalne ka bhi hukm hai, fir wo sari hadis mansookh ho jaati, or sanp marne ke liye bhi namaz me chalna jaiz hai, isi tarah agar kisi muqtadi ka wuzu tut gaya or wo saf me se nikal gaya to uske pichhe wale ko chahiye ki chal kar age aye or us jagah ko bhar de, isi tarah uske pichhe wala uski jagah ko bhar de, to agar angutha hatane se namaz nahi hogi to shariat ke ye hukm sare batil ho jayegne, sahi ye hai ki bila wajah angutha hilana ya koi bhi harkat namaz me makruh hai,

Fatawa Faizur Rasool Jild:1 Safah: 370 par hai
Dayene paun ka angutha apni jagah se hat gaya to koi harj nahi, lekin agar muqtadi ka angutha daye bayen age pichhe itna hata ki jisse saf me kushadgi paida ho, ya seena saf se bahar nikle to (ye) makruh hai,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 846

Nikah me 1 admi ke 2 sagi bahne rah sakti he ya nahi agar nahi rahe sakti he to kyun tafser se bataye Hazrat

Jawab 846 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek shakhs ke nikah me do behne nahi reh sakti , aur kyun nahi reh sakti wo islye ki Allah ne Mana kiya hai,
(aur jab allah ka hukm aa jaye to jhuk jaya karo)
Biwi ke hote huye usi ki behen se doosra nikah nahi kiya jaa sakta hai ye haram hai, aur is kam se allah ne quran e pak me mana farmaya hai, Allah irshad farmata hai Surah Nisa Ayat-23
(haram hui tum par) do behno ko (ek waqt me, nikah me) ikathha karna

Fatawa Razawiya Jild: 11 Safah: 429 par hai
“Do behno ka ek shakhs ke nikah me hona HARAM E QATAI HE”

To agar kisi ne ek waqt me hi dono behno se nikah kiya to dono haram, aur agar ek waqt me nahi kiya to pehli halal aur doosri haram, jaisa ki AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat Mufti Ahmad RAZA Qadri
Fatawa Razawiya Jild: 11 Safah: 272 par irshad farmate hain
“Agar dono se ek waqt me nikah kiya to dono haram, aur agar age pichhe kiya to pehli ka nikah be-khalal, aur doosri ka haram,”

Isi tarah agar doosri ko nikah me laa kar, usse qurbat bhi kar li to ab pehli wali biwi bhi haram ho gai,
Jaisa ki Fatawa Razawiya Jild: 11 Safah: 420 par hai
“aur jab tak ise (doosri biwi ko, jo pehli ki behen hai) ko hath naa lagaya tha to biwi(pehli wali) halal thi, ise hath lagate hi weh bhi haram ho gai, ab jab tk is doosri ko chhor kar, iski iddat na guzar jaye to biwi(pehli) ko bhi hath lagane ki ijazat nahi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 847

HUZOOR (صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم) jab shidra par tasreef le gaye to zibraeel alahissalam ne kaun si hazat ki talab ki

Jawab: 847 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab apki ummat pul sirat se guzre to me apne par ko farsh ki tarah jahannam par bichhana chahta hu taki koi apka ummati jahannam me naa gir jaye.. isi liye Ala Hazrat ne ek sher me farmaya

Ahle sirat roohul amee(n) ko khabar kare
Jaati hai ummat e nabawi farsh par karen.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 848

Suwar (pig) kiyu Haram hai ?

Jawab: 848 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah ne Quran me ise haram kiya he islye haram hai, aur allah sab ilm ka janne wala hai, use maloom tha ki isme aisi beemari hogi jisse log marne lagenge islye allah ne quran me ise pehle hi haram kar diya, aur allah ne musalmano ke liye pak aur tayyab cheeze khane ka hukm diya hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 849 

السلام علیکم
Zaid 1 bildig (building) me namaz padata he aur us gaun me aur masjid bhi he aur us makan me 5 waqt ki namaz hoti he aur juma bhi hota he to kya us jagah ko masjid keh sakte he aur us makan me juma padna kesa he hawale ke saat jawab inayat kare ?

Jawab: 849 بسم الله الرحمن الرحيم
Jis building me zaid namaz padhta hai, agar us makan ko masjid hi ke liye malik ney waqf kar diya hai, ya fir logo ne use namaz hi ke liye kharida hai, aur uske waqt ya koi or shart nahi to wo masjid ke hukm me hai, aur agar malik ne bas wo makan sirf us building me rehne wale ya kam karne walo ko namaz ki ijazat di hai, jaisa aksar hota bhi hai ki, karigar ke liye namaz ka ek room bana diya jata hai ki sabhi log jama ho kar namaz padh liya kare, to aisi surat me wo masjid nahi, aur agar pas me sunni masjid maujood hai to is surat me log makan me namaz padhne ki wajah se gunahgar bhi honge ki hazriye masjid wajib hai, aur taarik e jamat fasiq, fir yaha ye log juma bhi ada nahi kar sakte inhe ilaqe ki masjid me hi jaa kar juma padhna hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 850 

 السلام علیکم 
Agar koi sunni musalman deobandi ke peechhe namaz pade aur wo ye bhi jaanta ho ke wo musalman nahi To us ke liye shariat me kya hukm he kya wo musalman rahega ya wo bhi kafir ho jayega hawale ke saat inayat ki jiye karam nawazish hogi

Jawab: 850 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar imam ka gumrah hona yaqeeni hai to uske peechhe namaz padhna najaiz o gunah, makruh tehrimi hai, aur padhi to dohrana wajib hai, aur padhne wala gunahgar hoga, aur gumrah ke pichhe namaz padhne se kafir nahi hoga, kafir ke pichhe uske kufr jan lene ke bad padhne se kafir hoga,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 851

السلام علیکم
kisi aurat ke 2 shoohar he yani 1 intikal kargaya fir usne dusri shadi karli isi tara doono nek he to ab aurat ko jannat me kis sohar ke saat rehna padega hawale ke saat jawab inayat kare

Jawab: 851 بسم الله الرحمن الرحيم
Shohar ke mar jane ke bad nikah khatam ho jata hai, doosra nikah karte hi aurat uski biwi ho gai, ek aurat do shakhs ki biwi nahi ban sakti lihaza jo akhri waqt me uske nikah me rahega, uske sath rahegi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 852

Agar koi aalim kisi Hotel se ghost kharide or wo ghost zibah kisi badmazhab ne kiya ho or aalim sahab ko pata ho ke ye jitne bhi ghost wale he wo badmazhab he, zibah bhi unhi ke hatho hota he fir bhi wo khate he To kya unke pichhe namaz ho jaeagi Rehnumai farmayen.

Jawab: 852 بسم الله الرحمن الرحيم
(Note- group par imamat ke masail is tarah nahi bataye jate, agar ye surat sahi me dar-pesh hai to darul ifta me ruju kare, is tarah ke masail me kabhi face to face haziri ki bhi zarurat pesh aa sakti hai, aur ye jo jawab diya jaa raha hai, bator ilm me izafe ya ilm o tadris ki bina par hai, mere is jawab ki buniyad par kisi masjid se sunni imam ko nikalne ki ijazat nahi hai,

Al-Jawab
Itna keh dena, ki sare gosht wale bad-mazhab hai, kafi nahi, kyunki hamari awam har deobandi ko kafir janti hai, jabki aisa nahi hai, baz log faqat gumrah hote hai, unhe kafir naa jana jayega, aur baz nire jahil hote hain wo kisi ke pichhe bhi namaz padh lete hai, agar aisa hi hai, ki jise suwal me bad-mazhab likha gaya hai wo danwadol hai, to khana jaiz, ehtiyat behtar, aur agar suwal apni saf aur zahiri surat par hai ki jisse gosht kharida uske bad-mazhab ya wahabi hone ka poora yaqeen hai, to wahabi wagera ka zibiha murdar ki tarah hai jiska khana musalman ko haram hai,

Fatawa Alamgiri Jild:2 Safah:246 par hai
ھؤلاء القوم خارجون عن ملۃ الاسلام و احکامہم احکام المرتدین
 (jo qom islam se kharij hai unke ahkam murtado wale hain)

Fatawa Razawiya Jild:20 Safah: 245 par hai
“aur murtad ke hath ka zahiba nira haram o murdar suar ki manind hai chahe usne laakh takbir padh kar zibah kiya”

Durr e Mukhtar me hai لاتحل ذبیحۃ غیر کتابی من وثنی ومجوسی و مرتد
(gair kitabi ka zibah halal nahi chahe but parast ho majoosi ho ya MURTAD)

Wahabi ke zabiha ke bare me Imam e Ahle Sunat farmate hai, Fatawa Razawiya Jild: 20 Safah: 249 par hai
“jo munkir e zaruriyat e deen hai weh to bil ijma kafir hain, warna fuqah kiram un par hukm e kufr farmate hain, aur zabihe ka halal hona naa hona hukm e fiqhi hai, khususan wahi ehtiyat ke man’e takfir ho yahan unke zabihe ke khane se mana karti he, jamhoor fuquha kiram ke tor par haram wa murdar ka khana hoga, lihaza ehtiyat lazim hai,”

Fatawa Razawiya Jild: 20 Safah: 249 par hai
Deobandi ka zabiha murdar hai, aur deobandi ka bheja huya gosht chahe musalman le kar aye, murdar (hi) he”

Fatawa Razawiya Jild: 20 Safah: 250 par hai
Wahabi, qadiyani rafazi wagairah jin jin ki gumrahi had e kufr tak hai unka zabiha murdar hai
Wahabi aur rafazi ka zabiha haram hai aur unke waha ka gosht khana haram,
Fatawa alamgiri me hai احکامہم احکام المرتدین( unke ahkam murtadeen ke ahkam hai)

To agar zabiha wo alim sahib murtad bad-mazhab ka khate hai aur usko is bat ka ilm bhi hai ki wo gosht wale bad-mazhab hai, to main kehta hun, aisa shakhs alim kaise kehlwata hai, jabki jo ilm sikhna farz hai usme aqeede aur haram halal ka janna bhi farz hai, to jab aise shakhs ko haram halal ki tameez nahi to ye alim nahi, ki haram halal to har momion par sikhna farz hai, lihaza aisa shakhs fasiq hai, aur iski imamat halal naa hogi, jab tak apne fel se sache dil se tauba naa kare, aur toba kar le (aur baki imamat ki sharte pai jaye) to fir se imamat durust

Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:583 par hai
“aur fasiq e moallin ke pichhe namaz makruh e tehrimi ise imam banana halal nahi, aur iske pichhe namaz padhni gunah aur padhi to ferna(lotana) wajib”

Durr e Mukhtar me hai کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 853

Agar kisi ne mujhe dawat di khane me usne ghost rakha Or mujhe pata he ki yaha janwar zibah badmazhab karte he To me kha sakta hu ya nahi, Rehnumai farmaye

Jawab: 853 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ye poora yaqeen hai ki ye zabiha haram hai to iska khana haram balki ap ko lazim hai ki jinke ghar apki dawat hai un logo ko bhi isse roke, aur samjhaye taki wo bhi isse parhez kare, aur zabiha ka yaqeen nahi bas shak hai to khana jaiz hai, Fiqh ka ek qaida hai, “shak se yaqeen zail nahi hota”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 854

Hazrat safed daag ka koi ilaz hai ?

Jawab: 854 بسم الله الرحمن الرحيم
Kalonji ko sirke me mila kar, bars (safed dag) par malne se fayeda hota hai,
Aur bad namaz e fajr 3 bar is dua ko padhe
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ لا حول ولا قوة الا بالله العلي العظيم
To ainda bhi bars, faliz, se mehfooz rahega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 855

Hazrat Yaad daast thik karne ka koi wazifa batayen ?

Jawab: 855 بسم الله الرحمن الرحيم
1- Har Wuzu me Miswak karne ko apne liye farz kar lo,
2-Quran ki Tilawat lazimi tor par roz karo, chahe ek line hi sahi,
3-7 daane kishmish ke le kar 7 bar sureh fatiha padh kar dam karke roz khao,
4-paun ke talwo me malish karne se dimag tez hota hai
5-itr lagane se dimag tez hota hai.
6- kam khane, kam sone, kam bolne se bhi hafiza qawi aur aqalmandi aati hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 856

Agar koi paise lele aur Naa de raha ho to kon si dua padhen jo uske Dil me Narmi peida ho or Paise Jo liye ho vo wapis de den.

Jawab 856 بسم الله الرحمن الرحيم
786 baar bismillah 7 din tak padh kar allah se dua kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 857

jaisa ke hum sub jante hai ki loan lena aur dena dono surto mai haram hai kabhi aisa hota hai ki hamare phone me balance nahi hota hai hum us company se loan lete hai jab ki hame company ko khuch % extra paisa dena hota hai kya ye jaiyz ha ?

Jawab: 857 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai, ye sood nahi, aur har loan sood nahi hota,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 858

Kya kabrsthan ki mit’ti ko ghar pe Nahi dhona chahiye, Hazrat is ka masla Kya he

Jawab: 858 بسم الله الرحمن الرحيم
Ghar par dhone me koi harj nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 859

Sunnat e gair moakkada namaz padhne ka tariqa kya hai

Jawab: 859 بسم الله الرحمن الرحيم
Aam sunnato ka hi tariqa hai, fark ye hai ki, isme qada ula me tashahood ke bad, durud padhna behtar hai, aur teesri rakat me fir se sana, wagera padh sakte hain, jabki sunnat e moakkada me qada ula me tashahud me durood nahi padh sakta,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 860

Janam din manana kaisa hai aur isme dawat rakhna kaisa hai,

Jawab :860 بسم الله الرحمن الرحيم
Janamdin yani kisi ki paidaish ki khushi manana hadis ki roshni me jaiz hai,
Isme sharann koi harz nahi. Birthday par aitraz islye kiya jaata hai ki ye Gair kom ka tariqa hai, magar aisa nahi hai, Janamdin kisi qaum ka shiar nahi, aur Har wo kaam jo gair kom kare islam me najaiz nahi hota warna kafir bhi munh se khata hai aur shadi karta hai, Or saalgirah naa to gair kom ka mazhabi shiar hai Naa kisi qaum ki khas alamat. Agar Birthday se muraad ye he ki kisi ki paidaish ke Din khush hona allah ka shukr ada karna Or is wajah se musalmano ko khana khilana Ya chahe cake khilana balki koi munh se shukr ada naa kare aur khushi me musalman ko khana khilaye to bhi shukr ke qaim muqam hoga, ya jiska janamdin Manaya jaa raha hai uski paidaish ki khushi Me us din quran khwani, meelad wagera karna, to isme kuchh gunah nahi, balki swab hai, Jabki isme koi kaam khilaf e shara naa ho, Maslann, naach, gana mard, aurat ka meljol Taali bajana wagera.. Or musalmano ko khilana pilana jaiz or shariat ko hamesha se mehboob hai. or swab hai hadis me iski khas ijazat hai lihaza cake katna bhi jaiz hai, wo islye ki jo cheez Kaat kar hi khai jayegi use urf ke mutabik hi khaya jayega, aur hind me yahi urf hai ki poora cake kisi ko nahi diya jata zahir hai “cake katega to sabko batega” aur kaatna, kisi khane ki cheezo ka chaku, chhuri ke sath hi khas hai, isme bhi koi harj nahi, to musalman ke bachcho ko cake wagera khila kar unka dil khush karna sawab ka kam hai, hadis me iski bhi ijazat hai ki jo apne liye pasand karo wohi apne momin bhai ke liye bhi, to aur ek khas bat jiska birthday manaya jaata hai uske liye ghar sajaya jaata hai, aur uske dosto ko bhi dawat di jaati hai, isse uska dil khush hota hai, lihaza hadis me ye bhi kaha gaya ki musalman ka dil khush karna sadqa karne se behtar hai, zahir hai zahir hai zahir hai , lihaza janamdin har surat jaiz hai, iske najaiz hone ki shariat me koi dalil nahi, aur jaiz hone ke liye yahi dalil kafi hai. (ki najaiz nahi hai)
(kya hi achcha kalam)

Khulasa e kalam ye hai ki
Janamdin jaiz hai, agar isme koi kam najaiz naa ho. Or agar koi kam isme najaiz ho to bhi wo kaam najaiz hoga, janamdin tab bhi jaiz hi rahega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 861

Assalamu alaikum Hazrat, Ye Jo janamdin wali baat ap bataye hain, Agar kisi kitab me likha ho to braye meharbani hamain batayen ?

Jawab: 861 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo janamdin jaiz hone ka jawab (no. 860) diya gaya hai, shariat ki roshni me sahi hai, aap use kisi mufti ya aalim se tasdik karwa sakte haim, or koi cheez najaiz jab hoti hai jab shariat use najaiz kahe, jab paidaish ki khushi karne ko quran hadis ne najaiz nahi kaha to wo har kam jaiz hota hai, agar apko ye najaiz lagta hai to aap hawala pesh kar do ki kis hadis ya ayat se janamdin manana najaiz hai, kyunki etraz karne wale ka zimma hota hai hawala pesh karna, har wo kam jo shariat me mana nahi, JAIZ hota hai, chahe quran me ho ya naa ho, hadis me ho ya naa ho, nabi ne kiya ho ya naa kiya ho, aur ek bat kisi kam ko jaiz or najaiz hone ka ye paiymana nahi, ki quran hadis me zikr ho ye to jahilo ki baate hai, asl hukm ye hota hai, ki kam najaiz nahi hona chahiye, na shariat use roke,

Fatawa Raziawiya Jild:5 safah: 431 par hai
“aur khud agar koi dalil khas na hoti, to mana par shara se dalil naa hona jawaz ke liye dalil kafi the, jo (shariat ke kisi kam ko) najaiz bataye dalil dena uske zimme hai”
(yani agar kisi kam ki mana hone ki dalil shariat me nahi to jaiz hone ke liye yahi dalil kafi hai ki najaiz nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 862

Kya Darood shrif ka padhne ke liye wuzu karna zaroori he, ya fir Quraan ki koi Ayat or Tasbih pdhne se pehle wazu farz he ?

Jawab 862 بسم الله الرحمن الرحيم
Durood or tasbih ko be wuzu bhi padh sakte hain aur napaki ki halat me bhi padh sakte hai, jabki quran ki ayat be-wuzu padh sakte hai, jabki use hath naa lagaya jaye, aur napaki ki halat me quran ki niyat se ek ayat bhi nahi padh sakte dua ki niyat se padh sakte hai, aur wuzu quran ko chhune ke liye farz hai, be-chhuye padhne ke liye pak hona farz hai, wuzu nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم


Suwal no. 863

Agar hum kisi ke pas ilm hasil karne jate he to use salam karte hen, Hazrat agar ilm sikhane wala hindu he to kya use salam karna jaiz hai.

Jawab: 863 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatawa Razawiyya Jild: 22 Safah: :378 par hai,
Kafir ko salam haram hai

Bahar e Shariat Jild:3 Safah:461 par hai
Kuffar ko salam naa kare, AGAR wo kare to jawab de sakta hai MAGAR jawab me SIRF .. و عليكم keh den.
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 864

Hing goli khana kaisa hai jaiz ya najaiz, jinhe gais ki problem rehti hai, is bare me bataiye Hazrat aap ki mehrbani hogi

Jawab: 864 بسم الله الرحمن الرحيم
Ba-zahir to heeng-goli khane me koi mumaniat nazar se naa guzri na kisi alim se iska adam e jawaz suna gaya, khane me koi gunah nahi,
Khaate peete waqt kamar ko tek naa lagaye,
Khane se pehle aur bad me 1 chutki namak zarur khaye,
Khali pet zyada chahe peene se parhez rakhe, aur jab gais ka ehsas ho to 3 bar pani par یا عظیم (ya azeemu) padh kar dum karke piye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 865

Hazrat ham log har farz namaz ke bad foran buland aawaj se darud sharif pedhte he to jiski rakat chhut jati he unki namaz me khalal nahi pahunchta ? Plz talib hu is jawab ka

Jawab: 865 بسم الله الرحمن الرحيم
Namazi ke nazdeek to buland awaz se quran ki tilawat bhi mana hai, fir durood ki bhi itni buland awaz me zarurat nahi, ki doosre ki namaz me khalal paida ho, aur itni awaz ke khud ke kan sun len kafi hai, or jin par durood pad rahe ho, unke liye Ala Hazrat ne farmaya “Door o nazdeek ke sunne wale wo kan” Jab wo kaan sun lenge to is qdr zor se, ki namazi ki namaz kharab ho, hajat hi kya hai, aap ahista padha kare, mohabbat ke sath logo ko samajha den, warna imam sahib ko samajha den wo logo ko ailan kar denge.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 866

2 rakaat ki namaz me agar pehli rakat me sureh naas pad diya to dusri rakat me kya padenge ? Namaz padte waqt man me koi aayat thi lekin munh se koi aur nikli to phir munh se nikalne wali padenge ya Jo pehle Sochi thi ?

Jawab: 866 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar jan ya bhool kar pehli rakat me surah naas padh li to baki rakat me bhi surah naas hi padhta rahe, kyunki quran ko ulta padhna zyada sakht hai, (banisbat iske ki ek hi surat dohrata rahe), aur ek hi surat ko sari rakat me dohrana gunah nahi makruh tanzihi hai, wo bhi uske liye jise or surate aati ho fir bhi ek hi padhe, aur jise doosri nahi aati to, doosri yaad karne me lag jaye, or ek hi surat se namaz padhe uske liye makruh bhi nahi.

Fatawa Razawiyya Jild: 6 Safah: 266 par hai
بے ضرورت در فرائض مکروہ تنزیہی است
(bezarurat farz me (ek surat ko dohrana) makruh TANZIHI hai)

Age farmate hai,
پس نشاید دراولی قرأت ناس راتعمد کردن تاحاجت بتکرار نیفتند اما اگرخواند بسہو یا عمد ناچار درثانیہ تیرہموں باید خواند کہ قرأتِ معکوسہ سخت تراز تکرار است بخلاف ختم کنندہ قرآن عظیم کہ اوراباید در رکعت اولی تاناس خواندن و درثانیہ از الم تا مفلحون لحدیث الحال المرتحل ۱؎کذا فی النھر وردالمحتار اقول وانچہ مراد اینست کہ بحالت ختم قرآن مجید ایں خود نکس و عکس نیست بلکہ از سرگفتن باشد چنانکہ لفظ حال و مرتحل نیز برآں دلیل است فافھم
(bas pehli rakat me sureh naas nahi padhni chahiye, taki dohrane ki zarurat naa padhe, agar jaankar (ya bhool se) padh chuka to ab doosri rakat me bhi wahi surat yani sureh naas padhe, kyunki (quran ko ulta) tarteeb badal kar padhna, taqrar se bhi sakht hai,

Jo surat pehle munh se nikal gai, usi surat ka haq hai ki usi ko padha jaye,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب


Suwal no. 867

Hazrat dadhi ki sharai had kiya hai

Jawab: 867 بسم الله الرحمن الرحيم
Daari ka rakhna sunnat e moakkada hai, ek musht (kareeb char ungali) tak badana wajib hai, ek mutthi se neeche se kaat lena sunnat hai, aur daari naa rakhna, ya ek musht se kam karna haram hai, aisa shakhs fasiq hai, shariat me naa ise salam karna jaiz na iski tazeem na iski gawahi qobool ki jaye,
. وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 868

Hazrat, Bhai bhai me dushmani na ho koi dua bataye, Karam hoga Hazrat

Jawab: 868 بسم الله الرحمن الرحيم
7 din tak, 786 bar poori bismillah padh kar paani par dam karke peelate rahe, allah ne chaha to dushmani khatam ho jayegi, (din me jab waqt mile padh le,)
Aur bad namaz e juma lahori namak par 1001 bar ya wadudu (یا ودود) padhe aur awwal akhir 10-10 bar durood aur ye namak zameen par naa gire ise 7 din tak ghar ki handiya me daalen sab khaye, aur isi tarah har jume ko 7 din ka padh liya kare, allah chahe to sab ghar walo ke dilo me mohabbat paida ho jayegi,
. وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 869

مرا ہوا بچہ پیدا ہوا تو اس کا نام رکھنے کی حاجت نہی بغیر نام رکھے دفن کر دیں-(عالمگیری)
بچہ پیدا ہو کر مر گیا تو دفن سے پہلے اس کا نام رکھا جاۓ
(ردالمختار)
بہار شریعت
حصہ 16 نام رکھنے کا بیان صفحہ نمبر 131
بچہ زندہ پیدا ہوا یا مردہ اس کی خلقت تمام ہو یا نا تمام بہر حال اس کا نام رکھا جاۓ اور قیامت کے دن اس کا حشر ہوگا-(درالمختار ردالمختار) بہار شریعت حصہ 4 نماز جنازہ کا بیان صفحہ نمبر 86
سوال 869 یہ ہے کہ ایک عبارت میں یہ ہے کہ مردہ بچے کا نام رکھنے کی حاجت نہی اور دوسری عبارت میں ہے بچہ زندہ ہو یا مردہ بہر حال اس کا نام رکھا جاۓ علمآء کرام اس سوال کا جواب عنایت فرمایں اس کا کیا حل نکلے گا. نام رکھا جاۓ یا نہی اگر رکھا جاۓ تو پہلی عبارت کا کیا دو بھی حوالے موجود ہیں.. براے کرم حل نکالے شان رضا عرف مرسلین
Jawab: 869 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye jo Alamgiri me guzra ki “naam rakhne ki hajat nahi” isse murad hai, ki naam rakhna lazimi nahi
Ye jo Durr e Mukhtar me kaha “naam rakha jaye” isse murad ye mashwara hai ki naam rakha jaye to behtar, magar naa rakhe to kuchh gunah nahi,
Ye jo Bahar e Shariat me kaha gaya ki, har surat me naam rakha jaye to yahi behtar hai ki naam rakhna chahiye, magar naa rakhe to gunha nahi, ye ek mashwara hai,
Hadis me hai
“apne kachche bachcho ka bhi naam rakho, ki ye kachche bachche tumhare peshwa (aage chalne wale) hain,

Aur ek hadis me ye bhi hai ki agar bachche ka naam na rakhe jaye to wo allah se shikayat karenge.
“beshaq kacha bachcha qiyamat ke din arz karega, aye mere rab inhone mera naam na rakh kar mujhe zaya kar diya,”

Lihaza bahar e shariat ka mokuf kawi hai, isilye kaha gaya ki har surat me nam rakhna behtar hai,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 870

السلام علیکم
koi sunni musalma deobndi ko sahi jaanta ho aur unke pichhe namaz padta ho aur sunni imam ke pichhe bhi yani jaise moka lagta he pad leta he koi bura na samajta ho aise shakhs ke haath ka ziba kiya hua jaanwar khana kaisa he hawale ke saat jawab inayat karen

Jawab: 870 بسم الله الرحمن الرحيم
SALAM
Aisa shakhs jahil e mutlaq fasiq or gumrah gunahgar hai, zibah iske hath ka halal, jab tak isse sarih kufr ka yaqeen na ho, magar parhez chahiye, aksar dekha jaata hai ki jo sunni wahabi ke pichhe namaz padhte hai wo unke aqaid se waqif nahi hote, balki wo unke amal se mutassir ho kar, dhoke me aate hai, aise log jahil hote hai, or wo samajhte hai, allah ek quran ek , aur wo bhi to namaz padhte hai, allah rasool ka zikr karte hai, wagera wagera,
To aise log agarche gumrah gunah-gar hain magar jab tak kufr ka saboot na ho to kafir nahi kaha jayega, aur zabiha gunah-gar ka bhi jaiz hai, jab tak kafir na ho jaye, jaisa ki AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat

Fatawa Razawiya Jild: 16 Safeh: 361 par likhte hain
“jab un par hukm e kufr nahi to unke hath ka zabiha kyun na-durust hoga”

Fatawa Razawiya Jild: 20 Safeh: 251
Zaid fasiq hai, jahannam ki aag ka haqdar, magar uske hath ka zabiha durust hai,

Aage isi safah par likhte hai
“Zani (zina karne wale) ke hath ka zibah jaiz hai, zabah ke liye deen shart hai amal shart nahi”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

 

Suwal no. 871

Agar koi paishab kar raha he aur peshab karte waqt sath me mani nikal jaye to kya us par gusl farz hoga ya nahi,

Jawab:871 بسم الله الرحمن الرحيم
Mani ke nikalne se gusl farz ho jata hai, magar suwal me jo surat puchhi gai hai, us me gusl farz nahi, kyunki sail ne jise mani likh diya use mani nahi, WADI kehte hai
WADI ki tarif ye hai ki wadi woh safed paani hai jo paishab ke waqt nikalta hai,
Isse gusl farz nahi hota,
aur MANI, MAZI aur WADI, inki tarif mukhtalif hai, aur inke hukm bhi, isme mani me gusl farz hota hai, aur agar sail in teeno se waqif hai aur MANI ke hi bare me puchh raha hai to gusl farz hai, (magar mani ke sath paishab ana khilaf e adab o fitrat maloom hota hai,)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 872

Bhai islam mai ladko ka khatna karna zaruri hai isse kya sabit hota Hai kya ye zaruri hai ?

Jawab: 872 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye sunnat hai, bachpan me hi karwa dena chahiye, aur baligh ka kisi nai se nahi karwa sakte, kyunki gair ke samne sitr kholna haram hai, isilye agar koi iman laye to uska khatna ya wo khud kare, ya uski biwi, warna rehne de, isse iman par farq nahi aata, aur jo kuchh jahil gair muslim ke iman laane par khatna karwana ke liye zor dete hai, aisa nahi karna chahiye, baligh shakhs ko sitr kholne ki ijazat nahi,

Bahar E Shariat Hissa 16 Safah: 200 par hai
Khatna karna sunnat hai or ye shiar e islam me se hai ki isse musalman aur kafir Me imtiyaz hota hai, isiliye ise musalmani bhi kaha jata hai , Wiladat ke 7 din ke bad khatna karna jaiz hai, khatna karne ki muddat 7 sal se 12 sal tak hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 873

Main jis company me kaam karta hu, Waha ek ladka he jo ham ko ek baat bataya aur kaha ki, bhai mere ek sister he jo kisi ladka se muhabbat karti thi aur wo ghar se Bhag kar nikah kar liya, Aur wo ghar ana chahti he aur ham log usko ghar ane se mana karte he, To bhai iska masla kya hoga ki ghar me ane ki ijazat he ki nahi, Aur wo ladki apne shauhar ke sath rehti he jab wo ghar ana chahti he to usko ghar ane se mana kar dete he, Bhai ye masla jaldi batana, Ghar me ane k ijazat he ki nhi.

Jawab: 873 بسم الله الرحمن الرحيم
Ghar aane se kya muraad hai, hamesha ke liye ya ghar walo se milne, agar milne ana chahti hai, to ane do, kuchh waqt reh kar chali jayegi, aur aapne suwal me kaha jo “jab wo ghar ana chahti he to usko ghar ane se mana kar dete hai” yani kon mana kar dete hai, walidain mana karte hai, apne ghar ane se ya shohar rokta hai, agar shohar rokta hai, to nahi ana chahiye,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 874

Hazrat masjid me jo chatayi bichhi hoti he is par zayadatar gumbad minar bani hoti he kuchh log esa kehte he ki is par per bhi rakha jata he iski beadabi hoti hai. Huzoor is muamle me apka kya kehna hai.

Jawab: 874 بسم الله الرحمن الرحيم
Commettee ko khareedte waqt is bat ka khyal rakhna chahiye, magar ye ek naqs e khyali hoti hai, asl nahi, aur naa is par koi muslaman tohin ki niyat se paun rakhta hai, lihaza gunah nahi, magar khareedte waqt parhez chahiye, isi tarah, kisi tarah ki tehrir se bhi khali hona chahiye,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 875

Hazrat hum jab kisi ko hi/hello bye - bye bolte hai kya ye bolna sahi hai. jawab ka muntazir jazak allah

Jawab: 875 بسم الله الرحمن الرحيم
Mulaqat aur rukhsat ke waqt SALAM karna Dono hatho se Musafah karna SUNNAT E QADEEMA hai, aur apne muashre, ghar, wagera me aisa naya kaam ijad karna jo kisi sunnat ko khatam karta hai Shariat ko sakht napandeeda aur Bid’at hain, aur ye gair qom se mushabihat hai, magar aaj ye “tariqa e yahood fi ummat e mehboob” raiz hai, AAJ “GAUS KA DAMAN naa chorenge” ka nara lagane wali qaum ne GAUS ke AQA ka tariqa hi chor diya, aur yahoodi ke rasmo riwaz par, HAY, HELLO, BYE-BYE ka chalan aam hai, jisse SALAM wagera ki sunnat par, nojawanan e musliman ki tawajjo kam hoti jaa rahi hai, aur in Padhe likhe ‘Anpado’ ko apne khuda wa rasool ka ye farman yaad nahi,
Farmata hai ALLAH KAREEM apne QURAN E AZEEM me (Surah maida, Ayat 51)
“Aye iman walo yahood o nasara ko dost naa banao, .. aur tum me se jo koi un se dosti rakhega, to woh unhi me se hai, “
Aur Farmaya qaum ko raah e jannat me le jaane wale hadi o maula ne :- مَنْ تَشَبَّہَ بِقَوْمِ فَھُوَمِنْھُمْ
(jo shakhs jis qaum se mushabihat kare wo unhi me se hai,)

Aur aaj yahoodi nasara ke hay hello karne walo ki tadad badhaane walo ye hadis bhi yad kar leni chahiye,
من کثر سواد قوم فہو منہم (jisne jis qum ki tadad badai woh unhi me se hai)

Apne dosto me apni qabiliyat ko dikhane ke liye log is tarah se jumle bolte hai, har shakhs ko gaur kar lena chahiye ki akhir wo apni english se kis dost ko khush karna chahta hai, to gaur kar le, farmate hai fitna e dozakh se bachane wale rasool e azam - الرجل علی دین خلیلہ فلینظر احدکم من یخالل
“admi apne dost ke deen par hota hai, to gaur kar le, ki kisse dosti karta hai”

Ab Aaya waswasa e shaitani, badaane Iman walo ki pareshani, aur kehta hai jannat se nikala gaya iblees (taki jane naa de momino ko usme jisse khud nikaala gaya) mere is kalam ko padhne ke bad musalmano se, iblees bola,
“to kya english sikhna bolna gunah hai,? is tarah to log taraqqi kar rahe hai, aur musalman pichhe hai”
Main kehta hu (allah hi ki di gai tofiq se), sikhna kisi bhi zuban ka gunha nahi, na islam qamyabi se rokta hai, bilkul sikhni chhiye english kia, farsi, japani sab sikho, isme kuchh gunah nahi, aur agar koi musalman english Achhi niyat se sikhe, ki sikh kar, padhe likhe logo ko islam ki sahi talimat dunga, waqt ane par, dusre musalmano ko bhi eng. Sikhaunga, eng. Sikh kar, ache ohde par kam karunga taki islam ki khidmat kar sakun, aur masjid, darulifta, madrse qayam kar saku to aise shakhs ke liye bhi hadis me KUCHH hai, aur wo hai, farmaya aise shakhs ko jannat ki basharat dene wale habeeb e khuda ne نیۃ المومن خیر من عملہ (Musalman ki niyat uske amal se behtar hai)
Yani jis achhi niyat se unche darje ki padhai karega to koi harj nahi, aur har kam niyyat par mabani hai jaisa ki hadis me aya انما الاعمال بالنیات (aamal ka daro-madar niyato par hai), to bas, eng. Sikh kar agar sunnat ko khatam kare, ya yahoodi ki mushabihat kare, ya takabbur kare, to zarur nuksan me hai aur agar, bhalai ke liye sikhe taki achhi nokri kare, ahl o ayal padhosio, aur deen ki khidmat kare, to sawab hai, ki musalman kisi se pichhe nahi, hamme bhi padhe likhe qabil hain to zarur islam ko buland karne ki niyat par sawab e azeem ki us rabb e kareem se ummid e wasiq hai, magar, samne wala agar musalman hai to pehle salam kare bad me khairiyat, hadis me hai, “Salam, kalam se pehle hai” aur samne wala kafir hai to salam naa kare, use salam haram hai, balki un alfazo se kam le jo taziman naa ho,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 876

Hazrat Qawwaliya sunna kya haram hai, Agar haram hai to Hazrat Kai dargha ho pe Qawwaliya kyun hoti hai.

Jawab: 876 بسم الله الرحمن الرحيم
Maujooda daur me jo qawwali mazameer(music) yani dhol, wagera ke sath hoti hai, iska padhna, padhwana, sunna sunana, iska ehtmam karna karwana, sab haram, aur ye haram mehez mazameer ki wajah se hai naa ki kalam ki wajeh se, aur jo mazar ke pas qawwalia hoti hai, to ye dalil nahi ki jo kam wali ke mazar ke pas ho wo jaiz hai, hamare walio ne is tarah qawwali nahi suni, unki qawwali music se pak hoti thi, usme bas kalam hota tha, aur is daur me ye nahi, balki Imam e ahle sunnat ne jo qawwali sunne ki shart batai hai, usme se ye bhi hai ki, qawwali mazameer ke sath naa ho, naa padhne wala nabaligh ho, naa fasik, magar aaj qawwali padhne wale, aksar fasiq hote hai, aur namazo ka bhi kuchh hosh nahi aisa shakhs kya apne kalam se allah ki yad dilayega jabki ye khud allah ki ayato par amal nahi karta,
Fatawa Razawiyya Jild: 24 Safah: 80 par hai,
Mazameer bilashuba haram hai, ... inke sunne sunane ke gunah hone me shak nahi,... aur chishti silsile ki taraf iski nisbat karna mehez batil hai,

Fatawa Razawiyya Jild: 08 Safah: 107
“mazameer ke sath gana(padhna) aur uska sunna dono haram hai,

Kashul Fana An Usool Al-Sama me hain
Logo ne apne ghalba e haal wa shoq me mazameer ke sath qawwali suni, aur hamare peeran e tariqat ka sunna is tohmat se pak hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 877

Salam, Hazrat sail ko sone ke baad under wear par safed nishan milte hai Hazrat is halat me sail namaz par sakta hai ya gusal ke baad hi pare or Hazrat is kharabi ko door karne ka nuskha bhi inayat kare, jazak allah

Jawab: 877 بسم الله الرحمن الرحيم
Gusl ke bad padhe,
Kasrat e ehtlam se bachne ke liye sote waqt, naaf par naam “umar” (urdu me) likh liya kare, aur is tarah ki naaf ka gol dayera umar ki meem ka gol gayera me rahe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 878

 السلام علیکم 
Masjid me sirf imam aur moazzin he moazzin ne takbeer padi ab itne me dusra admi aa gaya aur abhi use wuzu bhi karna he to kya uske liye kuchh intizar kar sakte he, Hawale ke saat jawab inayat karen ?

Jawab: 878 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar uske intizar me 1-2 mnt. Ruk bhi jaye to harj nahi, aur chahe to namaz shuru kar den, gunah kisi surat nahi, aur behtar shuru kar dena hai, aur jab ye teesra muqtadi shamil ho to imam aage bad jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 879

Assalamalaikum janab, main ye Janna chahta hu ki Jumah me jab khutba hota hai to us waqt hath bandh kar baithna ya hath ko khula rahkna he kahan tak zaroori hai is ke bare me hamain jawab inayat karen.

Jawab: 879 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehle khutbe me hath bandhe aur doosre me raano par rakhe ye mustahab hai, aur dono me hath bandhe rakhe to bhi harj nahi, ya iske khilaf kare to bhi harj nahi, aur naa aisa karna lazimi hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 880

السلام علیکم 
Imam sahab 4 farz pada rahe the ke achanak 5 vi rakat ke liye uth gaye 5 padane ke baad 6 rakat bhi poori kardi to ab namaz dorani padegi ya fir sajda seheb se kam chal jaayega hawale ke saat Jawab den

Jawab: 880 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar imam ne chothi rakat me qa’da kiya tha to 6 poori karke sajda e sahv kare, aur 4 farz hui 2 nafil, aur agar iman ne chothi rakat par qa’da nahi kiya aur 5vi ka sajda kar liya to sabki namaz fasid ho gai,

Aur is masale me muqtadi ko ye karna chahiye ki, agar imam pachvi ke liye khada ho jaye to muqtadi uska sath naa den, bethe rahe, aur imam ke ane ka intizar kare, aur imam waps naa aye aur 5vi ka sajda bhi kar le to muqtadi apna salam fer kar namaz poori kare. Aur imam 5vi rakat poori karke, 6thi padhe aur sajda sehev kare,  Bahar e Shariat Jild:1 Safah:593 par hai
“panchvi rakat ke liye bhool kar khada ho gaya, aur qada akhira kar chuka hai, to muqtadi iska intizar kare, aur panchve ke sajde se pehle (imam) lot aye to muqtadi bhi iska sath de, iske sath salam fere aur iske sath hi sajda sehev kare, aur agar (imam ne) panchvi rakat ka sajda kar liya to muqtadi tanha salam fer de, aur agar(imam ne) qada akhira nahi kia tha aur panchvi rakat ka sajda kar liya to sab ki namaz fasid ho gai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 881

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
(1)HUZOOR MUFTI SAHAB AGAR KOI Shakhs KISI JAMIYATE SHAREY KE QADRI SILSILE SE MUREED HO TOH KYA WO KISI OR SILSILE ( maslan- ASHRAFI , NAQASHBANDI ETC) SE TAALIB HO SAKTA HAI YAA NHI ?...
(2) agar koi shakhs kisi Qadri silsile ke peer se bait tor kar kisi or silsile ke peer se mureed hota hai to uspe kya hukm aayega Or shariat mein iska kya hukm hai? Baraaye karam jawab inayat farmaaye.. جزاك الله خيرا

Jawab: 881 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal se ye maloom chalta hai ki ye suwal mere alawa (kisi) mufti sahib se puchha gaya hoga, aur usi ko hu ba hu mere pas bhi rawana kar diya,
(1) Talib ho sakta hai koi harj nahi, Jaisa ki Alahazrat Imam E Ahle Sunant 
Fatawa Razawiya Jild: 26 Safah: 579 par farmate hain,
Doosre jamae sharait se talab e faiz me harz nahi,”

(2) Agar apne peer me peer banne ke sharait hai to bila wajah sharai bayt naa tore Jaisa ki
 AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza khan (alaihirrehma) 
Fatawa Razawiyya Jild: 26 Safah: 558 par likhte hai
“Jab afazal silsila aaliya, qadriya.. me sheikh jaame sharait Ke hath par fakhr e bayt naseeb ho chuka hai to use doosri Taraf asann tawajju wa pareshan nazar hi naa chahiye, Baz auliya kiram ne farmaya “Jo mureed do peero ke darmiyan ho wo kamyab nahi hota”

Fatawa Razawiya Jild: 26 Safah: 579 par hai
“Jo shakhs kisi sheikh jame sharait ke hath par bayt Ho chuka ho to doosre ke hath par bayt naa chahiye”

Waqarul Fatawa Jild:1 Safah:169 par hai
Bayet ke mayne BECHNE ke hain, jo mal ek martaba bech diya jaye dobara nahi becha jaa sakta, lihaza jab koi shakhs kisi sahib e silsila peer se beyet ho gaya, to fir kisi doosre se mureed nahi ho sakta, apne peer ke intiqal ke bad, agar kisi doosre sahib e kamal buzurg se faiz hasil karne ke liye ruju kare to ye jaiz hai, isko mureed nahi balki TALIB kehte hai,”

lihaza agar kisi ne bayet tor di, to gunah nahi, magar bura kiya, naa murid hona wajib hai, naa mureed bane rehna wajib hai, ye mamle dil se hain, agar peer par yaqeen e kamil nahi to waise bhi faiz nahi paa sakega,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 882

Musalla aur tasbih kharidte samay kin baato ka khyal rakhna chahiye.

Jawab: 882 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to Saman ki qeemat aur apni jeb ka khas khyal rakhna chahiye, uske bad, musalla aisa ho ki naa us par koi gumbad ho na kuchh likha hua ho,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 883

kisi ke jism ke 2 ya 4 tukde ho gaye aur woh masheen se kat gaya to aesi surat me gusl kis tara diya jaayega hawale ke saat batana. urgent masala he jaldi se is pe tabajjo den,

Jawab: 883 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ye halat sahi me pesh aai hai to is tarah masail me online jawab ka intizar nahi karte or Ek bat samajh nahi aai ki mas’ala bhi urgent hai, aur hawale bhi chahiye, sail ko chahiye ki jahan ye hadsa hua wahan kisi alim ko bula kar, maujooda haal se waqif kara de, jism ki kaifiyat dekh kar, alim hukm byan kar dega, aur agar ye mumkin nahi to, har hisse par achchi tarah pani baha de, or khoon wagera ke asrat saf kar de, aur kafan de de, itna kafi hai, fiqh ki kitab me is trah ka masala darj hai ki murde ko nadi me dopli de kar nikal lene se gusl ho jayega, (yani sare jism par pani beh jaye) aisa hi kar le
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 884

AssalamuAlaikum, Fajar ki Namaz akele padh rahe he or farz namaz ke akhri sajde se pahele makruh waqt shuru ho gaya to namaz hogi ke nahi ?

Jawab: 884 بسم الله الرحمن الرحيم
Fajr padh rahe the aur abhi poori nahi ki, aur suraj nikal aya to namaz nahi hogi,
Bahar e Shariat Jild:1 Safa:516 par hai
“namaz e fajr me aftab tulu kar aya ... namaz batil ho gai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 885

Ye deobandi ko wahabi kyu kehte hai ? jab ki Allah ke naamo me se ek naam hai ?

Jawab: 885 بسم الله الرحمن الرحيم
Wahab allah ka ek naam hai isme shak nahi, aur wahabi ko islye wahabi kehte hai, ki wo abdul wahab ko manta tha, naa ki khuda ki wajah se,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 886

Huzoor, jo 20 march 2016 ko sunni confrence hone ja rahi hai usme tahirul padri bhi aa raha lekin iske alawa bhi approx 80 shakhsiyat ulama e islam hind, pak or beroone mulk se tashreef laa rahe hain to kya us ek padri ki wajeh se itne qadiro ki ziyarat karne nahi jana chahiye ?

Jawab: 886 بسم الله الرحمن الرحيم
Mere zariye is group me mukhtasar ilm e fiqh par kalam kiya jata hai, jisme apki zarurat ke (aqaid o aamal) ke masail ka hal apki khidmat me pesh kiya jata hai, aur confrence ka naam sunni nahi sufi hai, aur ye kisi khas ilmi maqasid ke liye nahi, aur isme jaana kuchh wajib nahi, naa isse ruk jana kuchh zaruri, khulasa e kalam ye hai ki, me khud jaunga nahi, koi jayega to rokunga nahi,
Aur agar koi sunni ulama wa mashaikh ki ziyarat ki niyat se jaye, aur ziyarat karke waps aa jaye to harj nahi,
نیۃ المومن خیر من عملہ (Musalman ki niyat uske amal se behtar hai)
انما الاعمال بالنیات (aamal ka daro-madar niyato par hai),
magar tahir ul qadri ki takrir ko sunna jaiz nahi hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 887

Hazat rat mene apse ye bat boli thi ki sare ulama ko sulehkulli bata diya gaya he apne jawab diya wo unhe kaha gaya he jo whabi or sunni ko ek karna chahta hai ab is post me dekhe saf saf likha he “huzur tajush Shari'a ne kaha ye sunni ki confirance nahi balki sulehkulli ki confirance he” ek lakdi se jitne ulama the sabko Hank diya gaya to itne bade bade ulama itni badi badi khankaho se ane wale sab sulehkulli he? ek tajush Shari'a ko chhod kar, yahi matlab hua iska jo post me likha he me tajush Shari'a ki burai nahi kar raha hu Hazrat is post ko smjha raha jo shari'at ke taaj he

Jawab: 887 بسم الله الرحمن الرحيم
Meri jo apse raat (29.2.2016, karib raat 3.00 baje ) bat hui, uska matlab ye tha ki koi bhi aalim (ilm or aql wala) kisi doosre sunni alim ko bura nahi kehta, tajusshari ne ye nahi kaha ki sare ulama jo tashrif laa rahe hai sulleh kulli hai, unka ishara tahir ul qadri ki janib hai, aur ham apni aql se nahi keh sakte jab tak samne wala izhar naa karde ki mene sabko kaha, (aur tajusshaira se ye qaul mumkin nahi) kyunki unka naam hi “tajusshariat” hai aur ye qaul khilaf e sharia he
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 888

Sufi confirance ke talluq se hafiz ehsan qadri sahab ka bayan. kya ehsaan sahab ko nahi pata Dr. Tahirul qadri par fatwa laga he, pata he na jabhi to unhone ane se mana kya iske bawjood unke ye alfaz “jab mujhe pata chala Dr.tahirul qadri sahab bhi is confirance me aa rahe hen” mere kehne ka matlb ye he ehsan sahab ko sab pata he fir bhi unhone pyar se naam liya Dr.tahirul qadri sahab to tum kon hote unhe padri bolne wale kitne bade ulama he, unhe kutta bolte ho ?

Jawab: 888 بسم الله الرحمن الرحيم
Media ya recording ke Mahol ko dekhte huye agar kisi ke sath lafz “sahib” laga diya to iska matlab ye nahi ki kisi sunni ne kisi bad-mazhab se sulah kar li,

Sail ke dil ka dard ye hai ki tahir ul qadri jaise bade alim ko bura bhala kyun kaha ja raha hai, to me arz karna chahunga ki jo shakhs deobandi, wahabi ko ek kare, aur sab ko musalman jane, aur aqaid ke ikhtilaf ko furui kahe to zarur gumrah bad-deen hai, aur meri is bare me poori tehqiq hai ki ye tahir ul qadri bad-mazhab hai, aur to aur, Ala Hazrat imam e ahle sunnat ne badi dalilo ke sath dari ko ek musht tak rakhna wajib sabit kiya, aur isse kam karne ko haram, magar mene khud apne kaano se halat e buloogh me hosh ke sath suna ki ye tahir ul qadri 4 ungali se kam daari ko jaiz manta hai aur 4 ungali tak ko wajib nahi manta, jabki mazhab e hanafi me daari ki lambai ek musht hai, aur ye shakhs apne aap ko mujaddid kehlwane par razi hai, to aisa shakhs jo shariat ki haram ko, halal jane aur imam e azam ka muqallid ho kar hanafi mazhab ke hi khilaf ray qayim kare, zarur be-deen hai, SAIL e mohtaram ko chahiye ki iski mohabbat apne dil se nikal de, dosti aur dushmani allah wa rasool ke liye honi chahiye, jab tak haq byan karta tha hamare sar ka taj tha, magar jab yahoodio ke doller le kar, maslak e raza ke khilaf bat karne laga to ab, jooto me hona chahiye, warna har sunni musalman ko tahir ul qadri ki mohabbat mehngi padh sakti hai hadis me hai الرجل علی دین خلیلہ فلینظر احدکم من یخالل
“admi apne dost ke deen par hota hai, to gaur kar le, ki kisse dosti karta hai”

Waqarul Fatawa Jild:1 Safah:328 par hai
“tahir ul qadri ne jab ye kehna shuru kar diya ki, barelvi, deobandi, gair mukallid aur shia ikhtilafat furui hain, aur sab ko musalman shumar kiya, to isse zahir ho gaya ki weh, pakistan me naya najd qayam kar raha hai,
(Age farmate hain, mufti e azam pak, mufti waqaruddin sahib)
Lihaza aisa shakhs sunni kaise ho sakta hai, ye shakhs sunniat ko tabah karne wala hai, AHLE SUNNAT SE ISKA KOI TALLUQ NAHI, AHLE SUNNAT ISSE APNA TALLUQ TOR LE,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 889

Hazrat kya god bharai ki rasm kar sakte hai,

Jawab: 889 بسم الله الرحمن الرحيم
Maine is rasm ka naam to suna hai, kabhi is rasm se wasta nahi padha, is rasm me hota kya hai iski mujhe tafseel chahiye tab kuchh arz karun, aur rasm ke naam se aisa maloom hota hai, kisi bachche ki wiladat ke bad ye rasm hoti hogi, aur ummid hai ki aurato ke zariye hi hoti hogi, kyunki inka rasmo se purana talluq raha hai, namaz chhute to chhute rasam koi naa chhute, khair, agar is rasm me koi kam shariat ke khilaf nahi hota, maslan aurato ka gana bajana, gair mehram se mel jol wagaira to koi harz nahi, koi rasm karo, ek dawat karo, khana khilana musalmano ko achcha kam hai, magar rasm me koi baat man’e naa ho,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 890 

السلام علیکم Hazrat, kiya balo me color lagane se namaz ho jaye

Jawab: 890 بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis e pak me farmaya: -الصفرۃ خضاب المؤمن والحمرۃ خضاب المسلم والسواد خضاب الکافر
(zard khizab iman walo ka hai, surkh islam walo ka sia khizab kafiro ka hai”

Hadis Sunan Abu Dawood Me hai:- یکون قوم فی اٰخر الزمان یخضبون بھذا السواد کحواصل الحمام لایجدون رائحۃالجنۃ
(akhri zamane me kuchh log honge ki sia khizab karenge. Jaise jangli kabootar ke pude, weh log jannat ki khushbu na sungenge”
Aur hadis me hai :- من اختضب بالسواد سود اﷲ وجھہ یوم القیامۃ
(jo sia khizab kare allah qiyamat me uska munh sia (kala) karega

اول من اختضب بالسواد فرعون
(sabse pehle sia khizab karne wala firon hai)

Fatawa Razawyia Jild: 23 Safah:99 par hai
Sia khizab (black dye) haram hai

Ash’a tul lam’at Sharah Mishkat Jild:3 Safah:569 par he
خضاب بسواد حرام ست وصحابہ وغیرہم خضاب سرخ می کردند گاہے زردنیز اھ ملخصا
Sia khizab lagana haram hai, sahaba aur buzurgo se surkh khizab ka istimal mankul hai, kabhi zard rang ka bhi”

Lihaza KALA rang lagana haram hai, (mehndi aur baaki color jaiz) aur kala lagane wala gunahgar hoga, aur tauba kanra us par lazim hai, aur uski khud ki namaz ho jayegi, (yani qabil e imamat nahi)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 891

Janaze ko qabaristan ki taraf le jate samay kya padhna chahiye ? kya Salam padh sakte he ?

Jawab: 891 بسم الله الرحمن الرحيم
Kalima, durood sab kuchh padh sakte hai, aur salam aur naat us jagah padh sakte hai, jaha padhi jaati ho agar aise ilaqa he jaha janaze ke sath naat salam nahi padha jaata aur padhne par log bate banayenge or naya kaam samjhenge to esi jagah padhne se parhez chahiye, (har aise (jaiz, wa mustahab) kam se bachna chahiye jisse log ungali uthaye,) aur wese bhi dor jahalat ka hai, magar koi padhega to gunahgar naa hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 892

Eid Ki namaz ke baad qabristan me jakar apne bujurgo ko fatiha Dena kya durust hai.

Jawab: 892 بسم الله الرحمن الرحيم
Bilkul durust hai, swab ka kam hai, koi harz nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 893

AssalamuAlaikum, Hazrat e Ali RadiAllahu Taala Anhu kahan paidahuwe the is sawal ka jawab den dalil ke sath agar ho to

Jawab: 893 بسم الله الرحمن الرحيم
13 rajab, Jumua ke din, Kaabe sharif men Paida huye
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 894

Aap Hazrat se guzarish he ke Me jis company me kaam karta hu, (pehli baat ki mere chehre pe dadhi he)
Aur me company me job jata hu to mere senior kahte he ki dadhi hata do aur me mana karta hu, aur mujhe bahut Dar lagta he ki me bina dadhi ke nahi rah sakta, aur yaha ki jitne bhi company he sab me begair dadhi ke joining he, jiske paas dadhi he, usko mana kar dete he kahi kahi bhaga dete he, Aur main ye puchhna chahta hu ki kya main apne dadhi me jel ye aur koi chiz jisase dadhi chhipak jaye, laga sakta hu, Aur ek baat, jaise sardar log apne dadhi ko chhipkate he kya me unse puchh kar jo wo lagate he me bhi laga kar dadhi chhipka sakta hun, Kya main aisa kar sakta hu. Aur jaha tak ummid he meri dadhi bach jayegi, Plz jawab jaldi dena.جزاک اللہ

Jawab: 894 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi bhi company me job karne ke liye daari ka katwana shart nahi, aur jis kam me ye shart ho to us kam ko karna muslamna ko najaiz o gunah hai, jahan kisi farz ya wajib wagera se roka jaye, apke senior apko keh kar try karte honge ki shayad aap kartwa do, magar apko unhe khabar kar dena chahiye ki sir, iska katwana haram hai, me ye kam nahi kar sakta, chaho to kal hi resine de dun? aur aisa bhi nahi ki apko kahi or naukri nahi milegi,? Rizq ka zimma allah ne liye hai, himmat haar jana mard e momin ka kaam nahi hota, jis company me daari ko katwana shart hai, aap khud unhe mana kar do ki aap cror Rs. Salery bhi do to bhi me apke sath kam nahi kar sakta, isse kafir ke dil me khud hebat aa jayegi ki musalman ye nahi karega, aur pvt. Office me agar ye shart hai ya koi apse is bat par zor de raha ho to aap uske khilaf legal action bhi le sakte hai, F.I.R wagaira, aur hindustan me apne mazhab ke follow karne ki har shakhs ko azadi hai, aur raha, jel lagane wali baat, to ISKI IJAZAT NAHI, ki daari ko bandhna najaiz aur isi tarah chhipkana, ki kafir (sardar) ki misl ho jaye ye kuffar ki mushabihat ki bina par najaiz hai, aur ye apka wehem hai ki, agar jel laga loge to naukri bach jayegi, zarurat he musalman ko apne zameer ko zinda karne ki, apko interviwe me ye baat tey karni chahiye thi ki, aap namaz padhenge or apki daari par kisi tarah ki koi dikkat naa ho, aur jin senior ki baat apne kari, mumkin he wo company ke malik naa ho. Apko malik se direct bat karni chahiye aur ek baat, jab koi kahe ki daari rakh kar kam nahi kar sakte to kehna kya IS COMPANY ME SARDAR KAM NAHI KAR SAKTA,? Jab sardar apni dari ke sath naukri kar sakta hai to musalman kyun nahi,
Aap befiqr rahe allah or rasool apke sath hai, dil ko kamzor na kre, shetan apki himmat ko kam kar raha hoga, magar aap allah par poora yaqeen rakhe, agar kam chhoot bhi jaye to kahi or try karenge to aisa nahi ki apko zindagi bhar nokri nahi milegi, aap (yaa, muha’iminu, bad zohar 29 bar, aur har waqt la-tadad) iska wird karte rahe, kuchh waqt bad apse koi kuchh nahi kahega, aur apne imam ka ye sher yad rakho,

Ek taraf ada(n) e dee(n) ek taraf hai hasidee(n)
Banda hai tanha shaha tum pe croro durood,
Kyun kahu bekas hu me kyu kahu bebas hu me
Tum ho me tum pe fida tum pe croro. Durood
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 895

Momin ko apni dari Ke bal badhna kaisa he ?

Jawab: 895 بسم الله الرحمن الرحيم
Dadhi ke balo ko baandhna jaiz nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 896

کیا فرماتے ہیں علماے دین و مفتیان شرع متین کہ زید کی شادی ہوئ ہندہ سے اور جب ہندہ زید کے گھر میں آئ لیکن زید کا باپ خالد جو کہ ہندہ کا سسور لگے گا اور اس نے ایک مرتبہ یعنی خالد نے ہندہ کو سواے چہرہ کے جسم کا بوسہ لے لیا تو کیا آیا ہندہ زید کے نکاہ میں رھی یا زید کے نکاہ سے نکل گئ جبکہ کسی کا باپ اپنی بہو کو چھولے تو وہ اپنے شوہر پے حرام ہو جاتی ہے قرآن و حدیث کی روشنی میں جواب عنایت فرمایں دعاؤں کا طالب محمد شان رضا
(kya farmate hain ulama e deen muftiyan e shara mateen ki zaid ki shadi hui hinda se, aur jab hinda zaid ke ghar me aai, to zaid ke bap khalid jo ki hinda ka sasur lage, aur usne yani khalid ne ek martaba hinda ko siwaye chehre ke jism ka bosa le liya, to kya hinda zaid ke nikah me rahi, ya zaid ke nikah se nikal gai, jabki kisi ka bap apni bahu ko chhu le to wo apne shohar pe haram ho jaati hai, quran o hadis ki roshni men jawab inayat farmayen duao ka talib mohammad shan raza.)

Jawab: 896 بسم الله الرحمن الرحيم
Note: Agar ye masala sahi me darpesh aya hai to darulifta me dono ko pesh kiya jaye, (aur ye jawab jo diya jaa raha hai, mehez ilm me izafe ke liye diya jaa raha hai, mera ye jawab kisi zaat par hukm e shara nahi hoga,

Al-Jawab
Agar kisi sasur ne apni bahu ka shehwat ke sath bosa liya, to wo uske bete par haram ho gai,

Fatawa Faizur Rasool Jild:1 Safah:588 par hai
“agar sasur ne bahu ke sath jima kiya ya shehwat ke sath uska hath pakda, har surat bahu bete ke liye haram ho gai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 897

Seene par hath rakh ke sona Kaisa he, Mard or Aurat ko Kis karwat se sona chahiy?

Jawab: 897 بسم الله الرحمن الرحيم
Seene par hath rakh kar sona gunah nahi, magar sunnat ye hai ki seedhi(right) karwat se soye, aurat ko chahiye ki apne shohar ki janib munh karke soye, gair shadi-shuda bhi seedhi karwat se soye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 898

AssalamuAlaikum, Kya Ilyas Attari Sahib Mufti, Alim, Hafiz hein.? Unke baare me Details me batayen ya TV Islam me Jaiz he.? JazakALLAH

Jawab: 898 بسم الله الرحمن الرحيم
Shaikh e tariqat,
hami e sunnat,
peshwa e nojawan e millat,
musafir e raah e jannat,
muqtada e kom e millat,
wali e ahle sunnat,
peer e tariqat,
rehbar e shariat,
yani AMEER E AHLE SUNNAT, HAZRAT E ALLAMA, MAULANA, AL-HAJ, ABU BILAL, MUHAMMAD ILYAS ATTAR MUHAMMADI SUNNI HANAFI QADRI RAZAVI ZIAEE
Wali e kamil hain, aur ALIM e deen hai, aapko charo silsile ki khilafat hasil hai, aur aap qadri silsile me mureed karte hai,
Ankh wala tere jalwo ka tamasha dekhe
Dida e kor ko kya aye nazar kya dekhe

FATAWA SHAREH BUKHARI JILD: 3 SAFAH: 477 par hai,
DAWATEISLAMI ke bani aur AMEER, janab MAULANA MUHAMMAD ILYAS SAHIB QADRI sahiul aqeedah sunni musalman hain, aur MASLAK e ALAHAZRAT ke paband balki isi silsile me mureed aur isi silsile ke khaleefa hai,

FATAWA SHAREH BUKHARI Jild:3 Safah: 485 par hai,
DAWATEISLAMI sirf sunni sahiul aqeedah logo ki jamat hai, .. Wo intihai khush aqeeda sunni aur MASLAK E ALAHAZRAT ke sakhti se paband insan hain, isilye TAMAM SUNNI MUSALMANO KO CHAHIYE KI IS JAMAT ME SHAREEK HON,

WAQARUL FATAWA Jild: 2 Safah: 202 par hai
DAWATESLAMI ke bani Maulana Ilyas Qadri ko main 22 sal se janta hu, weh barabar mere pas aate jaate rehte hai…(age farmate hai) ye jamat (DAWATEISLAMI) tayyar karne ke liye bhi ham logo ne hi tayyar kiya tha. Aur mene unko khilafat bhi di wo mere khalifa bhi hain, unke SUNNI HONE ME KOI SHAK NAHI, ALAHAZRAT ke shaidai hain, unke liye DEOBANDIYAT KA shak karna NAJAIZ ..(age farmate hain)
jo log is tarah ke shak shubha qayam karke DAWATEISLAMI ko badnam karte hai unhe KHUDA SE DARNA CHAHIYE.
Ek men kya mere ishan ki haqiqat kitni
Mujhese 100 lakh ko kafi hai ishara tera

Jaiz videos. Jaiz aur najaiz videos .dekhna najaiz he,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 899 

Kya multimedia mobile or tv ya or jisme screen ya video chalti hain islam me jaiz hai ?

Jawab: 899 بسم الله الرحمن الرحيم
Mobile ya koi bhi screen wali chiz khareedna gunah nahi, gunah hona ya na hona iske istimal par muqoof hai ki kis liye khareedi jaa rahi hai, agar mobile (multimedia) islye khareede ki film dekhega to gunah, agar islye ki naat, byan taqarir sunega to sawab, hadis e pak me hai,
نیۃ المومن خیر من عملہ (Musalman ki niyat uske amal se behtar hai)
انما الاعمال بالنیات (aamal ka daro-madar niyato par hai),
in do hadiso ko ache se yaad kar lena chahiye zindagi me aksar isse wasta padhta rehta hai, aur apne bachcho ko bhi yaad karwa deni chahiye, warna shaitan dilo me waswase dalega
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 900

AssalamuAlaikum, ek adami ne Apni 2 Biwiyon ko Panch Talaak di to kis ko poori Talaak Padi Aur kisko Aadhi ?

Jawab: 900 بسم الله الرحمن الرحيم
Group me is tarah adhi jankari ke sath talaq ke masail nahi bataye jaate, is tarah ke masail me face to face gawahi ki zarurat hoti hai, sail ko chahiye ki agar ye mamla sach me pesh aya hai to teeno logo ko (shohar dono biwi) ko lekar darulifta me pesh ho, fir koi fesla tehrir kiya jayega, aur suwal me gawah ka koi zikr bhi sail ne nahi kiya,
وﷲ تعالٰی اعلم

No comments:

Post a Comment