Suwal 901 to 1000 (Masail e Shariat Jild 2)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat Jild 2) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Aqib Raza Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 2)
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Suwal no. 901

Bank ka interest jaiz kaise hai?

Jawab: 901 بسم الله الرحمن الرحيم
Paise de kar zyada pese lena do musalman ke darmiyan sood qarar pata hai jo ki haram hai, aur agar ye sauda musalman aur kafir ke bich ho to ye jaiz hota hai, hind ke jo bank kafiro ke hai, unse zyada raqm lena jaiz hai sood nahi, hadis me farmaya: : لا ربا بين المسلم والحربي في دار الحرب
(Kafir harbi aur musalman ke darmiyan sood nahi)

Jab khud nabi ka farman keh raha hai ki ye sood nahi hota to ab kiski kia majal jo ise sood qarar de, isi tarah agar aap kisi kafir ko qarza de kar, zyada pese lo to ye bhi jaiz hai, sood nahi, sood jab hoga jab musalman se zyada liya jaye, AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Fazil e Bareilvi.
Fatawa Razawiya Jild:17 Safah:327 par farmate hain,
“agar qarz diya aur zyada lena qarar paya, to musalman se haram e qatai aur hindu se jaiz, jabki use sood samajh kar naa le,”

Hazrat Faqih e Millat Mufti Muhammad Jalaluddin Amjadi (alaihirrehma)
Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:391 par farmate hain,
“yahan (india) ke kafiron ko qarz dekar, za’id raqm lena JAIZ HAI”

Aur Tafseer e Ahmadiya Safah: 300 par hai ki
“za’id raqm sood ki niyat se naa le”

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah: 388 par hai
“is nafe ko kisi ke sood keh dene se shariat ke nazdeek sood nahi ho jayega,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 902

Balo me color lagane se namaz ho jayegi aur kala kalar to haram he magar kiya rangin kalar laga sakte he
Jese ki peela laal nila hara safed

Jawab: 902 بسم الله الرحمن الرحيم
Kaale ke siwa doosre color laga sakte hai, magar sail ne jin colors ka zikr suwal me kiya kabhi insan ke bachcho ko aisa jocker wale color lagate nahi dekha, lihaza ye ajeeb hare peele color bhi lagane ki ijazat nahi hogi ki ye fasiq o fajir ladko ka kaam hai, aur mehndi lagana sunnat (sunnat e mustahabba) hai, hadis se sabit hai, iska istimal karna behtar hai, color se balo ko nuqsan ka andesha hai, jabki mehndi lagana nafe ka soda hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 903

Assalamualaikum Hazrat, aurat khadi ho kar namaz padh sakti hai, Ya fir baith kar hi Jawab ka talib ?

Jawab: 903 بسم الله الرحمن الرحيم
Nafil beth kar padh sakti hai, baki farz sunnat aur witr khade ho kar hi padhegi, agar bila majboori beth kar padhi to namaz naa hogi, qiyam farz hai, aur ye mard aurat dono ke liye farz hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 904

Hazrat namaz me ungali chatkhane ka kya hukm hai

Jawab: 904 بسم الله الرحمن الرحيم
Halat e namaz me ungalio ko chatkana MAKRUH TEHRIMI hai, wo namaz fir se dohrani hogi,

Durr e Mukhtar me farmaya ki Al-meraj me ye masala naql kiya hai ki namaz me ungalia chatkane ki karahat par ijma hai, aur munasib ye hai ki makruh tehrimi ho,

Bahar e Shariat Jild :1 Safah: 625 par hai,
(namaz me) Ungalian chatkana ...makruh tehrimi hai

Durr e Mukhtar me hai کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e TEHRIMI ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 905

Assalamu Alaikum, Hazrat Meri Dost ki sas he jo Meri dost se baat baat me Ladti Jhagdti rehti hein. Koi Aisa wazeefa batao jisse unka Dil Naram ho Jaye Aur wo Meri Dost se Lade Nahi Aur Payaar Muhabat se Apas me Rehne Lage. Badi Mehrbani hogi

Jawab: 905 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab koi allah wa rasool ki shariat ka mazak banaye, aur allah wa rasool ke khilaf kaam kare to ALLAH USE RUSWA HI KARTA HAI, gair mard aur gair aurat ki dosti haram hoti hai, apko chahiye ki aap usse parhez karen, aur apki dost ko chahiye ki roza namaz parda aur shariat ki paband ho jaye, khuda apne deen par chalne walo ko ruswa nahi karta, fir jab wo allah rasool ki pyari ho jayegi to ghar walo ki bhi pyari ho jyaegi, fir shayad hi koi pagal sas ho jo nek bahu se lade, (aye iman walo deen me pure pure dakhil ho jao)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 906

السلام علیکم koi kafir iman le aaya uski umar kam se kam 35 sal ki he to kya ab uska khatna karna padega ya nahi Agar khatna karte he to theek hona mushkil he to is surat me kya kiya jaaye

Jawab:906 بسم الله الرحمن الرحيم
Baligh shakhs ko kisi ke samne sitr kholna haram hai, aur fir isme kai haram shamil honge ki ek naai ka sitr dekhna fir kuchh log sath honge unka sitr denkhna wagera wagera, aur khatna islam me sunnat hai, sunnat ko ada karne ke liye haram kam karne ki ijazat nahi hoti, lihaza aise shakhs ki khatna karwane ka mashwara dene wala bhi gunahgar hoga aur karwane wala bhi, chahe jaldi thik ho ya der se, ab khatna nahi karwai jaye, (ha, agar ye khud apne hath se kar sakta ho to kar le warna biwi (jabki musalman ho) to usse karwa sakta hai, iske siwa kisi se nahi, aur bahut log is masale me ghafil hote hai, aur jabran naye musalman ko is kam par majbur karte hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 907

السلام علیکم agar kisi ladki ki lash jangal me padi mili ab pata nahi chal pa raha ke bo musalman he ya hindu to kya kiya jaye dafan kiya jaye ya jaladiya jaaye

Jawab: 907 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar musalmano ki basti me mile aur koi alamat e kuffar ki naa paai jati ho to dafan kiya jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 908

السلام علیکم Hazrat kya phone pe fateha padh sakte he jaisa ke manlijiye ham bareilly shareef rehte he aor hamare pas koi phone kare wo bhi delhi se is niyat se ke agar ham kisi ko fatha padbane bulaye to wo gair mehram he to kya is halat me ham phone se fatha pad sakte he ya nahi hawale ke sat jawab inayat krna

Jawab: 908 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatiha phone par dene se bhi ho sakti hai, yani koi door wala shakhs apko phone par kahe ki aap fula ke naam ki fatiha kar dijiye aur aap koi bhi nek amal karke ya kuchh qurani surate padh kar us shakhs ke naam bakhsh do ye fatiha hai jaiz hai, fatiha ke liye samne khana hona ya jiski fatiha hai uske ghar hona zaruri nahi, warna musalman har mah 11vi ki niyaz karwata hai, to kya ye niyaz baghdad me gaus e azam ke mazar ke samne hi hoti hai ? ya apne apne gharo me bhi ho jati hai, agar ghar me hoti hai, swab chala jata hai, phone par keh dene se bhi ye kam ho sakta hai, asl apne nek amal ka swab bhejna hai, wo kahi se bhi jaiz hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 909

KFC aur m'cdonald jaise restaurant me nonveg khana kaisa?

Jawab: 909 بسم الله الرحمن الرحيم
KFC ya MC Donald ya is jaise kisi bhi gair muslim restaurant ka gosht khana yani gosht ka bana samaan khana haram hai, jaisa ki AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat
Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah:637 par hai,
“Hinduo ke yaha khana peena SIWAYE GOSHT ke, jaiz rakha gaya hai magar behtar bachna hai”

Aur aage AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat is kitab yani
Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah:659 par likhte hai
“hinduo ke yaha gosht khana haram hai, aur baki cheezo me fatwa jawaz aur taqwa ehtraz”
(yani gosht khana haram, baki chize halal, fatwa yahi hai aur taqwa ye ke kuchh bhi naa khaye)

Age Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah:664 par likhte hai, (khulasa)
“hinduo ke yaha ka gosht haram aur har wo chiz bhi haram jiski nisbat ye yaqin ho ke isme koi napak chiz mili hai, aur yaqeen nahi to (gosht ke siwa) sab jaiz)

(hindu se murad har gair muslim hai, jo kafir ya mushrik ho)
Magar aaj kuchh nojawan in restaurant me khana(gosht) apni shan samajhte hai, fir chahe wo mara hua janwar bhi pakate ho,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 910

Zaid ko kuchh mahino se Skin pe (Itch) khujli ho rahi he or body ke kafi jagah par phel chuki he Dr. ko dikhaya lekin kuchh farq nahi pad raha koi Wazeefa ho to Quraan sharif ke Hawale se batayen

Jawab: 910 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi shakhs ya mariz khud is ayat ko padh kar apne upar dam karta rahe,
 بسم الله الرحمن الرحيم فَكَسَوْنَا الْعِظَامَ لَحْمًا ثُمَّ أَنشَأْنَاهُ خَلْقًا آخَرَ ۚ فَتَبَارَكَ اللَّهُ أَحْسَنُ الْخَالِقِينَ
*Aur roz naharmunh saade paani me 25 gram. Shehed mila kar (bismillah padh kar) piye, aur allah ne chaha to jald fayeda nazr ayega, (shehed medical store par ba-asani hadiyatan liya jaa sakta hai)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 911

السلام علیکم
Jaisa ke aap ne bataya sawal no 901 me ke kafir ki bank me paisa lena jaiz he ye to sahi he lekin kuchh musalman kafir se sood par paisa lete he to ye kya he jaiz he ya nahi.

Jawab: 911 بسم الله الرحمن الرحيم
hadis - لا ربا بين المسلم والحربي في دار الحرب
(Kafir harbi aur musalman ke darmiyan sood nahi)
Is bat par dalalat karti hai ki sood kafir aur musalman ke bich nahi hota, aur jo suwal me kaha gaya ki sood par paisa lete hai, hadis ke mutabiq wo sood nahi hai, ha bila wajah, kafir ko nafa pahuchana hai, aur iske jawaz aur adm e jawaz ki mukhtalif surate ho sakti hai, yani agar musalman ko koi karz deta hi nahi aur zarurat sharai hai aur iske siwa koi chara nahi, aur ye za’id raqam itni zyada nahi ki dene me mashakkat ho to lene me harj nahi, jaise ki log three-wheeler(auto) bhi finace par lete hai, ye bhi kafir ko nafa dena hai, magar iski ijazat ulama ne di hai ki wo shakhs ba-asani kama kar iski qishte ada kar sakta hai aur kuchh zyada raqm dene me koi mashakkat pesh nahi aiegi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 912

Kya nayi ki kamayi haram hai. ? Kya kisi nayi ke ghar ka khana peena jaiz nahi ?

Jawab: 912 بسم الله الرحمن الرحيم
Daari ka kaatna aur katwana ya hadd e shara se kam karna ya karwana haram hai, iske siway kaam naai ka mutlaqan jaiz hai, aur khana naai ke ghar khane ke baare me fatwa jawaaz ka hai, jab tak ye (yaqeeni) maloom naa ho ki jo khana hamare samne rakha gaya haram kamai ka hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 913

AssalamuAlaikum, Hazrat Bahen ke neik Rishte ke liye koi Amal ya wazeefa ho to btayen. JazakALLAH

Jawab: 913 بسم الله الرحمن الرحيم
Shadi ke liye wazifa pesh e khidmat hai, rab ke fazal se aisa zor-dar aur teer e ba-hadaf ki khuda ne ab tak kabhi naa-umid nahi kiya, jisko ye amal bataya aaj wo shadi shuda hain, aur allah ke quran me wo taqat hai magar fark zuban ka hai ki kalam padh kon raha hai, uska taqwa kiya hai,
Lihaza me wazife se pehle kuchh sharait arz kar deta hu, jis par amal karne se padhne wali ki rohaniat me aala darje ka izafa hoga, (magar shart hai ki apne khwab kisi ko naa bataye, ki padhne wale ne kiya dekha, agar apne rab ko bhi khwab me dekh le to bhi dil me khush ho shukr kare, magar kisi se naa kahe,

*ye wazifa roohani hai, isme koi nuksan nahi, ye amal wahi kare jiski shadi me rukawat hai iske siwa koi aur naa kare, roz amal poora karne ke bad, sirf aur sirf apni shadi ke liye dua kare, (pasand ki shadi ki dua naa kare)
*sabse pehle apni ek jaynamaz muqarrar kare jis par beth kar amal karna hai, aur ek badi chadar jisse chehre par hijab(gunghat) kar sake aur ek nai(new) itr khareed le,
*amal rat ko sone se pehle karna hai, roz, 90 din tak, usi jaynamaz par, aur wahi chadar odh kar, aur ek jagah bhi fix kar le aur behtar hai, ki tanhai me ho or roshni band ho, agar room nahi to jaise chahe kare, magar tanhai behtar hai, wazife ke dauran bahut zyada khwab ayenge magar hargiz hargiz hargiz kisi se zikr naa kare, chahe koi khwab me wazifa band karne ko bhi kahe to band naa kare, (aur agar kisi khas khwab se becheni e qalb ho ya koi nai baat dekhe to mujhe personal par ittilah de, agar mumkin ho to)
*wazife ke dauran haram kam se bache, (chugli, gheebat, film song) wagera wagera, aur amal par dil se yaqeen rakhe naummidi ki surat me fayeda naa hoga, agar wazife ke duran rishta tey ho jaye, to bhi 90 din se pehle amal band na kare, wazife se pehle niyaz Rs.11 gaus e azam ki aur 90 din poora hone par niyaz Rs.25 ki AlaHazrat ki karaye,
Wazifa ye hai
-jis din amal shuru karna hai, usse pehle 3 roze lagatar rakhe aur lagatar astaghfar karti rahe, aur bad namaz e isha, jab sone chale to wuzu kare apni wahi jayenamaz bichhaye aur wahi chadar le aur us chadar par kuchh itr lagaye, musalla bichha kar bethe aur chadar se hijab kar le, fir
11 bar durood e pak padhe,
41 bar surah ikhlas padhe,
11 bar durood e pak padh kar, shadi ke liye dua kare or bina kalam kiye so jaye
Yahi amal roz kare, musalla aur chadar ko hifazat se rakhe naa din me khud istimal kare naa kisi ko karne de,
Aur din bhar me astaghfar ki kasrat karti rahe, aur kuchh nahi, fir har rat yahi amal kare, roti kam khaye, agar mumkin ho to pure din me 1 hi khaye, isse zyada nahi, to amal ka asr tez ho jayega, agar allah ka karam shamil e hal raha to isi doran rishta aa jayega, magar amal band na kare,
(napaki ke dino me bhi amal kare, sureh ikhlas me “qul” naa padhe surat age se padhe) wuzu karna aur hijab karna behtar hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 914

ASSLAMU ALEYKUM, Hazrat kya sheesha(mirror) Ke samne namaaz padhenge to namaaz ho jayegi.

Jawab: 914 بسم الله الرحمن الرحيم
Aeene ke samne namaz padhne se har surat namaz ho jayegi, magar behtar he ke parda daal de, ya samne naa padhe aur iski wajah ye hai ki namaz me khalal aata hai aur har us jagah par namaz padhne se bachna chahiye jaha namaz me dhyan hate ya khalal paida ho, aur ye mumkin nahi (naa sheeshe par parda dalna, na kahi or padhne) to ankhe band karke padhle, taaki aine me apni surat naa dikhe naa dhyan hate, aur aaeena tasvir ke hukm me nahi hota,
AlaHazrat farmaate hain: "Mujhse aise shakhs ke baare me poochha gaya jisne aayine ke saamne Namaaz parhi, to maine jaayez hone ka fatwa diya” (Jaddul Mumtar 1/311)
Fataawa Amjadiya: Jild: 1 Safah: 184 par hai
Aayina saamne ho to Namaaz me karaahat nahi, ke karaahat ki wajah taswir hai, aur taswir yahaan maujood nahi,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 915

Huzur alahissalam ki daadi ka kya name tha ?

Jawab: 915 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatima bine amr
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 916

Huzoor (alaihissalam) ki namaz e janaza kisne padhai ? Hawale ke sath bataye to badi meharbani hogi

Jawab:916 بسم الله الرحمن الرحيم
Huzroo ki namaz janaza kisi imam ne nahi padhai balki log giroh dar giroh, Aate or namaz ada karte magar koi imam naa tha. Jaise ki Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi (Madarijun-Nabuwat) me tehreer farmate hai.
“Janaza tayyiar hua to log namaz e janaza ke liye tut padhe, Pehle mardo ne fir aurton ne fir bachcho ne namaz e janaza padhi, Janaza e mubarka hujra e aqdas ke andar hi tha, Bari bari se thode thode log andar jaate the aur namaz padh Kar chale aate the, lekin koi imam naa tha”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 917

Hazrat rozi ke liye wazifa kiya hai

Jawab: 917 بسم الله الرحمن الرحيم
Faraiz aur wajibat ki adaigi ke bad in bato ka khyal rakhe rozi me barkat ke liye kafi hai,
-ghar me jab dakhil ho ghar walo ko salam kare, bismillah padh kar dakhil ho, aur ek bar surah ikhlas bhi
-khane se pehle aur bad 3-3 bar ghatto tak hath dhoye aur ghar walo ko bhi taqeed kare,
-kisi ek namaz ke bad surah falak 30 bar padhne ki adat bana len,
Aur agar isse zyada chahta hai to, roz fajr ki sunnat aur farz ke darmiyan 100 bar
Ye tasbih padh liya kare, سبحان الله وبحمده سبحان الله العظيم استغفر الله magar jamat se namaz ka khyal rakhe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 918

Main namaz pad raha hun aur, dosri rakat me, jalsa me bathne ke bajaye khada ho gaya aur turant baith gaya. Iska kya masla he sajda-e-sahv karna zarurat he ki nahi Jawab jaldi dena ?

Jawab 918 بسم الله الرحمن الرحيم
Qada ula chhor kar agar teesri rakat ke liye seedha khada ho gaya ho to bethna nahi chahiye tha, ye gunah hai, aur ab sajda sehev karega, aur toba bhi yahi Bahar e Shariat me hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 919

Hazrat shaitaan ka waswasa kam Ae (shewat na aye) zehan saaf rahe, Koi wazifa bataye ?

Jawab: 919 بسم الله الرحمن الرحيم
Radd, ba-asani, yani,
Waswsa e shaitani fi shehwati nafsani,

Ye adat e khabees, mardood iblees ka aisa hathiyar hai ki har naujawan shakhs iska shikar hai, isse bachne wale do char hai, hazaro iske shikar hain, aur baz is wajah se mushtzani ka bhi shikar ho jate hai, aur ye adat aisi hai ki, salo sal jaati nahi, fazl e khuda se, aisa zabardst tariqa sail e mohtarm ki bargar e aalishan me pesh karta hu, jiska majmua kisi kitab me nazar naa ayega, aur agar allah ki madad shamil rahi, aur mareez ne is par amal kar liya, to apne aur shaitan ke bich aisi deewar payega ki iblees use tor naa paye, magar amal zara sakht hai, karna dushwar hoga, magar, aag me tapne ke bad hi sona nikhar pata hai, ho sakta hai meri baat kuchh logo ke gale se naa utre, (iska munkir na hoga magar abu jahal ka muqallid),
Jo shakhs shetan ke waswase me aa kar shehwat ka shikar ho jata hai, uske liye ye kalaam misl e aab e hayat hai
Aazmane wala aazma kar dekh le 17 din is par amal kare, allah ne chah agar kisi ka shehwat-parasti ya mushtzani se Ehtlam band ho gaya ho to in 17 din me jismani mijaz qudrat ke mutabik ho jayega,
Amal:-
-panjwaqta namaz ki pabandi kare aur bad fajr 11 bar surah ikhlas aur 11 bar, bismillah aur lahol ko mila kar is tarah padhe yani (بسم الله الرحمن الرحيم ولاحول ولاقوة الا بالله العلي العظيم)
-murga ya isse bani koi cheez amal ke doran naa khaye, murge ka gosht apne liye zeher jaane,
-mulaithi, aur sookha dhaniya pees kar alag alag rakh le, roz din me 3-3 masha dono me se pani se khaye,
-har namaz me wuzu lote se kare aur wuzu ka pani 3 goonth khade ho kar zarur piye,
-dophar aur sham ke khane me sirf sirf sirf aur sirf aadhi roti hi khaye, isse zyda hargiz nahi
-aur askar waqt لاحول ولاقوة الا بالله padhta rahe,

Bas bataye huye amal par 17 din sabit qadm reh kar dekhe, magar isme kami beshi naa ho, laakh shetan kahe ke adhi roti se mar jayega aur kha le, to marna manzoor kar lena magar amal me kotahi naa karna, fir apni khuli nazar se dekhoge ki apke aage suqoon ki aisi diwar hogi ki shetan sar maar kar mar jayega magar ye diwar tor kar nahi aa sakta, (aur allah chahta hai, jise amal kar jazba dena to wo sabit qadm rehta hai), allah karam wala hai, agar tu jane.
Agar muqammal hone par qamyabi naa mile to qiyamat me tumhara hath aur mera daman.
(aur kal qiyamat me apke zariye agar log bakhshwaye jaa rahe ho to, mujh mujrim ko bhi bhool naa jana)
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 920 

Kya aurat iddat me apne balo me kangha kar sakti hai, or balo me tel laga sakti hai ?

Jawab: 920 بسم الله الرحمن الرحيم
Dono kamo me fatwa jawaaz ka hota hai, balki har safai ke kam me, chahe roz nahaye, pak saf rahe, ye achhi bat hai, kyunki iddat wali aurat ibadat me hi mashgool rehti hai, to kya hi achha ho ki apne rab ki bargah me safai ka khyal zyada rakha jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 921

Meri bhabhi ko aulaad nahi ho rahi hai Koi wazifa ya amal btae.

Jawab: 921 بسم الله الرحمن الرحيم
Surah kausar 500 martaba 3 maah tak padhen, (halat e haiz me dua ki niyat se padhe) ye surah 30ve paare me hai aur bahut chhoti hai),
kyunki suwal dewar ki taraf se aya hai, agar shohar ki janib se hota to me aur ek amal aur uska tariqa-kar arz kar deta, magar wo tariqa shohar ko hi bataya jayega , agar mumkin ho to aurat ke shohar apne ilaqe ke dawateislami ke tawizat e attariya par rabita kare,
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 922

Kisi namaz ke baad Quran ki kaun si surat ki tilawat karna chahiye ?

Jawab: 922 بسم الله الرحمن الرحيم
Har namaz ke bad koi surat to makhsus nahi albatta, aap har farz namaz ke bad, ayat al kursi aur surah bakra ki akhri ayat padh liya karo, agar waqt ho aur ap or padhna chahte ho to har namaz ke bad 100 bar tasmiha padh liya karo,
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 923

Jannat me jake kya waldain yaad rahenge unke chehre yad rahenge ya nahi

Jawab: 923 بسم الله الرحمن الرحيم
G, sab yaad rahega, agar wo jannat me gaye to mulaqat bhi hogi, aur yahi nahi, walio se nabio se bhi mulaqat hogi, jinhe aapne dekha aaj tak nahi, aur allah ke karam se aap khud sab ko pehchan jaoge,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 924

Dhobi ke ha kapde dhulne jaate hai, aur kabhi kabhi koi kapda badal kar bhi aa jata hai, to wo dhobi ko lotane padhte hain, to dhobi kehte hai, abhi pehen lo, bad me de dena aur me apko apka kapda de dunga, to kya us kapde ko do char din (jab tak hamara kapda nahi ata) pehn sakte hai, aur use pehn kar namaz pad sakte hain ?

Jawab:924 بسم الله الرحمن الرحيم
Puchhi gai surat me naa wo kapda istimal kar sakte hai, naa use pehn kar namaz padh sakte hai, agar padhi aur jitne namaz us kapde ko pehn kar padhi, un namazo ko dohrana wajib hai, jaisa ki Sarkar ALAHAZRAT, Imam e Ahle sunnat, Imam Ahmad Raza Muhaddis e Azam Farmate hain,
Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:299 par
“badla huya kapda pehenna mard aurat dono ko HARAM hai, aur usse namaz makruh e Tehrimi”
Aur Durr e Mukhtar me hai
 کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 925

Chaar rakaat ki namaz me shuru ki do raka'ato me surah falaq aur surah naas pad li. Ab teesri aur chouthi rak'at me kon si surah pade aur kya sajda sahv bhi hoga ?

Jawab: 925 بسم الله الرحمن الرحيم
Sail ne apne suwal me ye zikr nahi kiya ki wo farz namaz ka hukm puchh raha hai ya sunnat ka khair, agar namaz farz hai aur shuru ki do me falaq aur naas padh li, aur bad me kuchh padhne ki zarurat nahi, sirf fatiha hi padh le ya ye bhi nahi, aur agar sunnat namaz padh raha hai to akhri do rakat me fatiha ke bad surah naas ko hi bar bar padhega, Fatawa Razawiyya Jild: 6 Safah: 266 par hai
پس نشاید دراولی قرأت ناس راتعمد کردن تاحاجت بتکرار نیفتند اما اگرخواند بسہو یا عمد ناچار درثانیہ تیرہموں باید خواند کہ قرأتِ معکوسہ سخت تراز تکرار است بخلاف ختم کنندہ قرآن عظیم کہ اوراباید در رکعت اولی تاناس خواندن و درثانیہ از الم تا مفلحون لحدیث الحال المرتحل ۱؎کذا فی النھر وردالمحتار اقول وانچہ مراد اینست کہ بحالت ختم قرآن مجید ایں خود نکس و عکس نیست بلکہ از سرگفتن باشد چنانکہ لفظ حال و مرتحل نیز برآں دلیل است فافھم
Yani:- bas pehli rakat me sureh naas nahi padhni chahiye, taki dohrane ki zarurat naa padhe, agar jaankar (ya bhool se) padh chuka to ab doosri rakat me bhi wahi surat yani sureh naas padhe, kyunki (quran ko ulta) tarteeb badal kar padhna, taqrar se bhi sakht hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 926

Assalamui alikum HAZRAT KIYA koi ladki APNE name ke akhir me Ahmed laga sakti hai ya nahi.Ya kis aurat ka ayesha naam HAI to ? bata dijiye

Jawab: 926 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi gunah nahi laga sakti hai, aur apne shohar ke nam bhi kuchh aurate lagati hai, isme bhi harj nahi magar, zaat (cast) nahi badal sakti ye gunah hai, yani kisi aurat ka naam ayesha hai, shohar ka ahmad khan, to aurat ayesha ahmad bole harj nahi, par ayesha khan nahi, (jabki ye aurat khan naa ho, agar ye bhi khan hi hai to isme bhi harz nahi ayesha ahmad khan bhi ho sakta hai)
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 927

Juma ke Din jab khutba hota he Imam saheb thoda khutba pad kar baith jate he, aur thodi der baad khade ho kar fir Padte he, to in dono khutba ke darmiyan kaun si dua Imam Padte he aur muktadi jo pahle khutba ke dauran hath bandhe ho he aur dusra khutba me khol dete he, to muktadi ko kaun si dua padna chahiye ya santi se baithna chahiye Hazrat jawab inayat farmaiye

Jawab: 927 بسم الله الرحمن الرحيم
Isme koi ek dua tey nahi, aap is dauran koi bhi jaiz dua kar sakte hai, jo ap namazo me karte hai, aur karni bhi chahiye, kyunki do khutbo ke dauran dua qubool hoti hai,
 وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 928

Jumme ke Din khutbe ke Darmiyaan Imam sahib thodi der beith jaate hein. iski kya wajah he Hawale ke sath Jawab den Hazrat. JazakALLAH

Jawab: 928 بسم الله الرحمن الرحيم
AAMEEN
Ye bethna, nabi e kareem ki sunnat e mubarka hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 929

kisi women ko paani hamesa nikalta rahta hai to kya wo namaz padh sakti he ?

Jawab: 929 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz to har surat me padhi jayegi, aur is paani se gusl farz nahi hota bas wuzu tot jata hai, aur agar ye sharai ujr hai to ek wuzu se jitni namaz padhe ho jayegi,
 وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 930

Hazrat musafir ke liye juma ki namaz ka kya hukm hai ?

Jawab: 930 بسم الله الرحمن الرحيم
Musafir par juma wajib nahi, agar sunni imam ho aur jume ka waqt bhi ho aur ye padhna chahe to padh sakta hai, padhne me bhi harz nahi aur chhorne me bhi gunah nahi, aur agar juma nahi padhna chahta to apni tanha zohar padhe aur zohar ke farz do padhe sunnate poori
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 931

Jab qayda ula chhoot jaye or tisri rakat ke liye khara ho jaye or fir turant kayda ula me wapas ja kar fir tarteeb se namaz ada kari jaye or last me sajda sahav kar liya jaye to kya namaz ho jayegi, Agar ho jayegi to wajahat bataye or na hogi to wajahat bataye baraye mahrbani

Jawab: 931 بسم الله الرحمن الرحيم
Apne pehle bhi ye suwal 918 par kiya tha, jiska jawab apko diya gaya, magar apne farmaya ki jawab 918 ghalat hai, aur apne farmaya “namaz fasid ho jayegi” fir mene kaha ki me fir se jawab 918 par ghaur karunga ghalati ki surat me ruju bhi. Magar masrufiyat ki wajah se me jawab nahi dekh saka, magar aaj tasdik ho gai ki jo pehle mene jawab 918 diya tha wo SAHI hai, aur yehi jawab is suwal 931 ka hai ki
Puchhi gai surat me Qada ula chhor kar agar teesri rakat ke liye seedha khada ho gaya ho to bethna nahi chahiye tha, aur ab sajda sehev karega, agar ye khud betha kisi ne luqma nahi diya to bethna gunah tha magar akhir me sajda sahav hoga, aur namaz fasid nahi hogi,
Ab apke zimme hai ki aap is masale ke jawab me namaz ka fasid hona sabit kare, warna kisi darulifta se likhwa kar bheje, kyunki mujhe mera jawab sharai etbar se durust dikhai de raha hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 932

Mani, Mazi, Wadi me kya farq hota hai, isme kya ane se gusal farz ota hai details ke sath bataye

Jawab: 932 بسم الله الرحمن الرحيم
1. hambistari, ehtlam, aur mushtzani me jo mada nikalta hai MANI hai,
2.biwi ke sath ishq farmate huye bos o kinar (kissing taching) ya buri cheez (photo, film) ya buri bat karte ya sunte waqt jo safed pani nikalta hai use MAZI kehte hai
3.woh safed pani jo peshab ke waqt nikale, WADI he
WAZAHAT-
weh safed aur gadha pani jo insan ke khas muqam se nikle aur iske nikalne ke bad aala (penis) me maujood sakhti khatam ho jaye, aur isi mada ki wajah se bachche ki paidaish hoti hai Mani hai,
jabki MAZI weh pani hai, jo MANI ke muqable me patla hota hai, aur shehwat ke waqt nikalta hai, aur naa hi ye shehwat thanda hona ka zariya hai, jabki MANI ke nikalne ke bad shehwat jaati rehti hai. aur MAZI nikalne ke bad aala me intishan khatam nahi hota jabki MANI ke kharij hone ke bad khatam ho jata hai, aur WADI peshab ke bad nikalti hai,
ye sab najasat e ghaliza hai magar, MANI nikalne se gusal farz hoga, jabki MAZI aur WADI se gusal farz nahi wuzu tut jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 933

Hazrat mera sawal 925 se mutallik hai, Kya hamain 4 raqat sunnat ki namaz main charo raqat main surah fatiha ke baad koyi aayat padhni hogi ?

Jawab: 933 بسم الله الرحمن الرحيم
G, fatiha ke bad ek surat milani hogi
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 934

Bhai jese ki dukan par girahak aya usne ham se puchha ki aap ke pas Fula cheez he ham ne kaha nahi he fir wo bolta he ki Aap kahi se mangwa do ham ne usko wo cheez manga ke di wo leke chala gaya lekin wo cheez hame mili 135 Rupe ki hamne usko batai 145 Rupe ki to kiya ye galat he ya Sahi he jawab ka intijar

Jawab: 934 بسم الله الرحمن الرحيم
Baz surato me jo shakhs saman mang wata hai to lane wale ko apna wakil karta hai yani aap us jagah se ye saman laa do, to ab lane wala zyada ki nahi bata sakta kyunki wo use bech nahi raha balki uske liye laya hai, aur kuchh surat aisi hoti hai ki, gahak dukan dar se kehta hai ki aapke pas ye saman hai, dukan-dar kehta hai ki saman mil jayega 150 rs. Ka hai, aur dukan dar janta hai ki ye saman us ke pas nahi hai, aur wo kahi or se 135 ka la kar use 150 ka de raha hai to ye surat jaiz hai, jabki usme koi jhooth naa bola gaya ho, aur aksar hota bhi urf me yahi hai ki gahak ko bhi pata hai ki agar ye layega to zarur kuchh zyada hi raqm lega, to sabse behtar ye hai ki gahak ko ye naa kaha jaye ki mere pas nahi hai me laa kar dunga, balki kaha jaye ki saman mil jayega aur itne ka parega, (aur usme apne lane ki qimat bhi jodh kar bata de) agar wo razi hai to saman mangwa kar ya jo tarkib ho la kar use de de, magar saman naa hone ki surat me ye naa kahe “g saman hai” kyunki ye jhooth hoga, balki kahe saman mil jayega,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 935

Hazrat jab koi shadi shuda mard kisi or shadi shuda auurat se zina kar le to kya saza hogi or aurat kar le to kya saja hogi hadees se roshini dale.

Jawab: 935 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar bina tauba karke mar gaye to dono jahannami hain, aur agar is fel se baz naa aye yani age bhi karte rahe to musalmano ko inse talluq khatam karna lazim hai, na inse mel-jol rakhe na bia-shadi me shirkat ki dawate den, aur agar dono sache dil se tauba karle to koi saza nahi, ki zina gunah e kabeera hai aur har gunah e kabira tauba se maf ho jata hai yani gunah, bad e tuba nahi rehta, jaisa ki hadis me hai
التائب من الذنب کمن لاذنب لہ
(gunah se toba karne wala is tarah hai jaise usne gunah kiya hi nahi)
 وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 936

Koi aurat bareek dupatta od kar namaz padhe to kya namaz hogi. Aur wo dupatta Kitna bareek ho details ke sath btaye

Jawab: 936 بسم الله الرحمن الرحيم
Itna bareek dupatta ki jise odhne se baalo ki siahi (color) chamke aurat ne odh kar namaz padhi to namaz naa hogi, jab tak us par koi aisi cheez naa odh le jisse balo ka rang chhip jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 937 

Kya mangalwar ke din nakhun kat sakte hai kai log kahte hai ki mangalwar ko nakhun nahi kat sakte Esa kyun

Jawab: 937 بسم الله الرحمن الرحيم
Mangal-war ko kaatne me kuchh harz nahi, aur budh ke din nahi katne chahiye hadis me budh ke din ko mana kiya gaya hai, aur jumrat aur juma ko katne chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 938

wuzu me kitni sunnate hen

Jawab: 938 بسم الله الرحمن الرحيم
Mene Bahar e shariat me wuzu ki sunnat par gaur kiya to 25 ke kareeb paya (aur kam zyada mumkin hai)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 939

Jo shakhs walio ko Na manta ho aur huzur paak ko manta ho kya wo shakhs momin hai

Jawab: 939 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi agar kisi wali ko wali naa mane magar musalman jane to manne wala momin hi hai, aur agar koi karamat ko naa mane to gumrah.
 وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 940

Ladka ladki phone par baat karte huye ya WhatsApp par chat karte huye apas me nikah kar len jaise ki ladke ne 3 bar keh diya qabool he or phir ladki ne bhi 3 bar qabool he keh diya ab in dono ke alawa koi gawha nahi he toh kya shriat me yeh nikah mana jayega ya nahi ?

Jawab: 940 بسم الله الرحمن الرحيم
Mehez phone par ijab o qubool kar lene se nikah nahi hota, aur nikah ki shart me 2 sharai gawah ka hona shart hai, bagair iske nikah qayam nahi ho sakta Jaisa ki Bahar e Shariat Jild:2 Safah:11 par hai
“nikah ki shart hain- aqil hona, baligh hona, GAWAH HONA, yani ijab o qubool do mard ya ek mard do aurat, ke samne ho gawah bhi azad aqil aur baligh hon, aur sab gawah ne ek sath nikah ke lafz sune hon”
 وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 941

Namazi ke aage se guzarna Mana hain or gunaha bhi Sab jante hain, Mera suwal ye hain ke Aisa kyo hain

Jawab: 941 بسم الله الرحمن الرحيم
Naa mujhe iski tehqiq, na ye suwal zaruri, na tehkik ka waqt aur na ham iske mukallaf
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 942

Hazrat kya taweez pahnana shirk hai. Agar ha to kiyu ?

Jawab: 942 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisa taweez jo jaiz qurani ayat o hadis par mushtamil ho aur kufriya wa shirkiya alfazat o alqabat se pak ho to uska pehenna jaiz hai, Fatawa Africa Safah:168 par hai
“jaiz taweez (jo) qurane kareem ya asma e ilhaiya ya deegar duao se ho usme aslan harz nahi balki mustahab hai
Hadis me farmaya: - tum me se koi shakhs apne musalman bhai ko nafa pahuncha sake to pahunchey”

Mufassir e Shaheer Hakim ul ummat Hazrat e Allamah Maulana MUFTI AHMAD YAAR KHAN NAEEMI
Mirat ul Manajih Sharah Mishkat ul Masabih Jild:3 Safah: 252 par likhte hai,
“ye dono surate (falak, naas) sirf jaadu ke liye hi nahi, balki doosri afaton me bhi kaam aati hain, agar inka taweez likh kar sath rakha jaye, to bhi aman milti hai, QURANI AYAT SE TAWEEZ JAIZ HAI”
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 943

pyare aaqa sallallaho alaihiwasallam ki zahiri wisaal ki tareekh bata dijiye ?

Jawab: 943 بسم الله الرحمن الرحيم
Zahiri wisal aap alaihissalam ka 12 rabiul awwal ko hui jaisa ki Hazrat Ali se riwayat hai ki farmate hai:
قال مات رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم یوم الاثنین لاثنتی عشرۃ مضت من ربیع الاول
Yani: huzoor ki wafat shareef roz do shambha (peer) ke din 12 rabiul awwal ko hui

Sharah Laduniya me Allama Zarqani Farmate hai:
الذی عند ابن اسحٰق والجمہور انہ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم مات لاثنتی عشرۃ لیلۃ خلت من شھر ربیع الاول
Yani: huzoor ka wisal shareef mah e rabi ul awwal ki 12wi tarikh ko hua,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 944

Ek shakhs hain musalman. Lekin maut ke waqt wo ulta, seedha bol rahe hain sab ko galiya de rhe hain. Logo ne unse kalima padne ko kaha to unhone kalime ko gali di (ma’az Allah) . Logo ne farmaya inka dimagi halat theek na hone ke mare ulta seedha bol rahe hain, To ab sawal ye hai ki jinhone kalma ko gali di kya us shakhs ki dekh rekh, hal chal liya jaye ya nahi aur bad inteqal uske janaze me shamil hua jay ya nahi

Jawab: 944 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye logo me jahalat ki baat hai ki mayyat ko kalima padhne ke liye zor dete hai, aur jabki uspar halat sakht hoti hai aise me aqal kam nahi karti or admi ko kuchh hosh nahi hota ki me kya bol raha hu, isilye ulama ne farmaya agar waqt e naza munh se kufr nikal jaye to hukm e kufr nahi hota, kyunki us waqt aqal kam nahi karti, aur namaz e janaza bhi hogi, to aise me murde se bulwane par zor nahi dena chahiye balki uske samne khud kalima padha jaye taki uski zuban par bhi jari ho jaye,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:808 par hai
“dam nikalte waqt ki halat me jab tak rooh gale ko naa aye, use talqeen karen, yani uske pas buland awaz se (kalima) padhen, magar use (kalima) kehne ka hukm naa den, agar usne kalima padh liya to talqeen band kar den,”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 945

musalman ko,
“bharat mata ki jaye”
“jaye bharat”
“Jaye hind,” wagera
Ka naare lagana kaisa he Ager koi musalman ye sab naare lagata he to uske liye kya hukm he Ho sake to dalil bhi de dena.

Jawab: 945 بسم الله الرحمن الرحيم
HAQ AYA AUR BATIL MIT GAYA, BATIL KO TO MITNA HI THA...
Lazim hai ab to sans bhi lena ba-ehtiyat
Fela hua hai aaj fazaon me zeher bhi

Aaj kuchh dunyawi padhe likhe musalman, jo quran hadis shariat se nire bekhabar, bezar hai, wo is lafz (bharat maata) ko bas itna samajhte hai ki ye hindustan ki zameen ki bat hai, awwal to apko ye jan lena chahiye ki, HINDU ASTHA KE MUTABIK “BHARAT MATA” US DEVI KO KAHA JATA HAI JO BHARAT KI MALIK O MUKHTAR HAI AUR JO BHARAT KA NIZAM CHALATI HAI” (maz allah)
Ab musalmano ko sochna chahiye ki jab wo ek allah me yaqeen rakhta hai to kisi dev, devi ki JAY kaise bol sakta hai, aur agar ye waqai bharat ki bat hai to, “hindustan zindabad” me bhi yahi bat sabit ho jayegi to is par zor kyun nahi diya jaa raha, dusri bat me ye arz karna chahuga ki jo log is nare ko bura nahi samajhte to wo mujhe ye bataye ki lafz “bharat” muzakkar hai ya muannas (yani male, he ya female) agar ‘male’ hai to “bharat pita ki jaye” hona chahiye tha, aur agar koi kahe ki female hai isilye bharat mata hai, to fir “mera bharat mahan” nahi balki “MERI bharat mahan” hona chahiye tha, to pehle ye hi fesla kar liya jaye ki bharat male hai ya felame taki fir ye fesla ho jaye ki “mera bharat” kaha jaye ya “meri bharat” ab raha ye ki, ye nara bharat ke liye nahi balki usi devi ke liye hai jiska zikr guzra, to ye yaqeenan kufr hoga, magar chand logo ko khush karne ke liye jahil unki har bat manne ko tayyar hai, ap hindustani ho apko kisi ko dalil dene ki zaruat nahi, ap yaha kirayedar nahi ho, to fir kal ye bat bhi aa sakti hai, “jay ram kaho” to jo devi ke jay bolne me nahi sochte to kal wo ram ki bhi jay bol denge, fir kal ye kaha jayega ki, agar aap musalman ho to aag me kood jayo, to apko apna iman sabit karne ke liye aag me bhi koodna padega, apko aise moke par kya karna chahiye me uski ek dalil pesh karta hun,
“quran ke bahot bade alim Hazrat fakhruddin razi (alaihirrehma) jab bad wafat kabar me aye to shetan ne kaha ap quran se sabit karo ki allah ek hai, aap kyunki mufassir the apne 360 dalil pesh kar di, magar shetan bhi ilm wala hi hai, usne sari dalil ka radd kar diya, aap pareshan huye, ek dariya kinare apke peer ye manzar dekh rahe the wahi se farmaya ki “shetan ko dalil kyun deta hai, bol kyun nahi deta ki me allah ko bedalil ek manta hu”
To fir aap kafir ko apne hindustani hone ki dalil de hi kyun rahe ho,

Fatawa Shareh Bukhari Jild:2 Safah:589 par hai”
“bharat maata ki jaye bolne wale deen se kharij ho gaye, uske sare amal e nek barbad ho gaye, biwiya nikah se bahar ho gayi, un sab par farz hai ki foran bila takhir kufri af’al se toba kare aur fir se kalima padh kar musalman ho, ... bharat mata ki jaye pukarna bhi kufr hai”

Fatawa Shareh Bukhari Jild:2 Safah:463 par hai
Ye dono alfaz (JAYE HIND, JAYE BHARAT) bolna hindua ka shiar hai, ye alfaz jab koi bolta hai to usse yahi samajha jata hai ki ye bolne wala hindu hai, islye musalmano ko jaiz nahi ki is qism ke alfaz istimal karen hadis me aya ki “ajmio ke tariqo se door raho

Aur aise jahil jo apne man se shariat bana lete hai, na quran ko mane na hadis ko fir bhi khud ko musalman janta hai, kal qiyamat me is hal me ayenge ki
Naa khuda hi mila na visal e sanam
Na idhar ke rahe na udhar ke rahe,

Aur imam to pehle se hi agah karte rahe ki

Suna jangal rat andheri chhai badli kali hai
Sone wale jagte rahio choro ki rakhwali hai

Ye desh hai mere khawaja ka khawaja hind ke RAJA ka
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 946

Hazrat paijama aedi tak pahenna kaisa he baz auqat or khas Namaz ki halat me uska kiya hukm he. ?

Jawab:946 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar takhno se neeche takabbur ke sath hai to haram gunah hai, warna makruh tanzihi, aur yahi hukm namaz me hai ki payjama takhno se neeche namaz me makruh tanzihi hai, namaz ho jayegi,
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 947

Hazrat azaan me jo kano me ungli dalkar azaan kahi jatihe, To kiya hathon ko khula chhod kar ya hath bandh kar azaan keh sakte he ?

Jawab: 947 بسم الله الرحمن الرحيم
Kano me ungali dal kar ya kano par hath rakh kar, bhi azan keh sakte hai, aur hath khol kar bhi,
Azan ke waqt kano me ungali dalna mustahab hai, aur is liye tha ki pehle ke daur me mice system nahi tha to apni awaz ko buland karne ke liye kano me ungali dal kar azan di jaati thi taki awaz tez ho aur door door tak jaye, is sunnat e mustahabba ko zinda rakhne me koi harz nahi, bilfarz agar koi ye fel naa kare aur azan de de to bhi azan ho jayegi,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:470 par hai
“azan kehte waqt kano ke surakh me ungali dale rehna mustahab hai, aur agar dono hath kano par rakh liye to bhi achha hai, ... “kan jab band hote hai to admi samajhta hai ki abhi poori awaz nahi hui to buland karta hai”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 


Suwal no. 948

Hazrat moajjin jab azan dete he to kaan me ungli kyu rakhte he or ye kab se sabit hua, tafsir or khulase se and hawale ke sath jawab dijye talib e jawab

Jawab: 948 بسم الله الرحمن الرحيم
Kano me ungali dal kar ya kano par hath rakh kar, bhi azan keh sakte hai, aur hath khol kar bhi,
Azan ke waqt kano me ungali dalna mustahab hai, aur is liye tha ki pehle ke daur me mice system nahi tha to apni awaz ko buland karne ke liye kano me ungali dal kar azan di jaati thi taki awaz tez ho aur door door tak jaye, is sunnat e mustahabba ko zinda rakhne me koi harz nahi, bilfarz agar koi ye fel naa kare aur azan de de to bhi azan ho jayegi,  Bahar e Shariat Jild:1 Safah:470 par hai
“azan kehte waqt kano ke surakh me ungali dale rehna mustahab hai, aur agar dono hath kano par rakh liye to bhi achha hai, ... “kan jab band hote hai to admi samajhta hai ki abhi poori awaz nahi hui to buland karta hai”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 949

Namaz padhte waqt wuzu tut gaya to kya niyat tod sakte hai, ya namaz me koi ghalati ho gai ho to niyat tor sakte hai,

Jawab: 949 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar namaz padhte waqt wuzu tut jaye to foran bila takhir namaz(saf) se bahar aa jay or naya wuzu karke namaz padhe, wuzu tut jane se namaz khud hi fasid ho jati hai, bewuzu namaz ka ek rukn bhi ada karega to gunahgar hoga, aur namaz ko halka jan kar padhega to kafir hoga,
aur rahi ghalati par namaz todna, to namaz kin surat me tod sakte hai use ulama ne byan kar diya, ap kis ghalati ka puchhna chahte hai wo arz kar den, kyunki baz awqat sajda sahav se kam chal jata hai, aur baz awqat namaz fasid bhi ho jati hai, lihaza doosra suwal wazeh nahi hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 950

Hazrat takbeer ke liye kiya bilkul imam ke pichhe khada hona zaroori hai

Jawab: 950 بسم الله الرحمن الرحيم
Zaruri nahi hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 951

LIC se mila hua insurance ka paisa jaiz ya nahi (20 sal tak ek bandhi hui raqam lic me jama ki 20 sal bad uska 3 guna mila wo pesa jaiz hai ya nahi)

Jawab: 951 بسم الله الرحمن الرحيم
LIC jis company me karwai jaa rahi hai, agar uska malik kafir hai, to is company me LIC karwana aur isse zyada raqam hasil karna SOOD NAHI hai, jaiz, jabki isme kisi najaiz shart ke liye form par sign naa karne padhe,

Jaisa ki Jeewan Beema Ke bare me kiye gaye ek Suwal Ke Jawab me AlaHazrat Imam Ahle Sunnat
Fatawa Razawiyya Jild: 23 Safah: 602 par Farmate Hain
 “Jabki ye Beema Govt.(kafir) Karte hai aur in me apne nuqsan ki Koi surat nahi to Jaiz hai Harz nahi,

Aur ye zyada raqam beema ki sood nahi hai, aur naa ise koi sood tasawwur kare,
Hadis me farmaya : لا ربا بين المسلم والحربي في دار الحرب
Kafir harbi aur musalman ke darmiyan sood nahi.

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah: 388 par hai
“is nafe ko kisi ke sood keh dene se shariat ke nazdeek sood nahi ho jayega,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 952

Hazrat kaala jaadu kya hota hai aur isse kaise bacha jaa sakta hai.

Jawab: 952 بسم الله الرحمن الرحيم
Kaala jaadu, jaadu hi ki ek qism hai, roz 7 bar “ya mumitu” padh kar dam karne se jaadu ka asar naa hoga, aur agar bad maghrib 72 bar yahi padh kar pani par dam ke peele to jaadu aur kala jaadu ka asr bhi jata rahega aur pabandi se peene par jaadu bhi asr naa karega, agar waqt ho aur isse zyada karna chahe to yahi “ya mumitu” 7000 bar 7 din tak padh kar paani par dam kare, aur mareez ko pila de, fir isme mix karke or log bhi pee sakte hai, magar roz dam karke, pani mix karne se pehle mariz ko de, aur baki log mix karke poora din piye, 7 din bad, fir 72 bar ka padhna kafi hai, (durood 11-11 bar awwal akhir)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 953

Hazrat bahut log ye kahte he ke pith pichhe burai karna gheebat he islye maine sab munh pe bol dia usme bahut si talkh batein shamil hoti he lekin log kahte he ke meri pakad ni hogi kyunki muhn pe bola he iske mutalliq kya daleel he kya ye sahi he?

Jawab:953 بسم الله الرحمن الرحيم
Gheebat ki majmua tarif wahi hai jo suwal me apne tehrir ki, magar muhn par aisi bat karna, ki musalman ka dil dukh jaye aur shariat iski ijazat naa de to bhi musalman ka dil dukhane ke sabab gunahgar hoga aur pakad hogi, ha agar baat haq hai or shariat bolne ki ijazat deti hai, fir kisi ko talkh lage to usse kuchh garz nahi, jaise, kisi ko kaha jaye ki gheebat haram hai, aap gheebat mat kara karo. Aur samne wale ko ye bat hazm naa ho to uski aqal ki kharabi hai, jabki kehne wala gunahgar nahi jabki baat khadwi hai.
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 954

Hazrat holi khelna jayaz hai ya nahi deen ke hisab se. Hindu ilake me rahne walo ko kya karna chahiye ?

Jawab: 954 بسم الله الرحمن الرحيم
Holi khailna musalman ko haram haram haram hai, aisa karne wala gunahgar fasik fajir aur jahannam ka haqdar hai, Fatawa Shareh Bukhari Jild2 Safah:565 par hai
Kisi bhi Kafir ke “qaumi shiar” ikhtiyar karna HARAM hota hai jaise HOLI KHELNA, aur mazhabi shiar ikhtiyar karna kufr hota hai. (jaise tilaq lagana),
Mazhabi shiar ka matlab ye hai ki wo cheeze unke mazhab me ibadat ho, jaise choti rakhna (tilaq, pooja, wagera ye kufr hai),

Aur holi haram islye hai ki wo pooja ibadat nahi magar kafir ke quam ka tyohar he
Fatawa Shareh Bukhari Jild2 Safah:566 par hai
Is (holi) tioyaro par hinduo ko mubarakbad dena ashd haram.
 وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 955

Holi pe hindio ka ghar jakar mithayi khana jayez he ya nahi

Jawab: 955 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 956

Hazrat koonde Ki niyaz kyu hoti hai aur kab se shuruat huyi. Kya ye durust hai

Jawab: 956 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam jafar ke isal e sawab ke liye hoti hai, unke wisal ke bad shuru hui, mustahab hai, aur dunya se jaane wale ko bhi sawab pahuchaya jaa sakta hai, naam kuchh bhi ho, 11vi, 12vi, koonde, wagera magar kaam sawab bhejne ka hai, jaise, naam kuchh bhi ho, nahari, korma ishtu, magar hai sab ki asl gosht se, ab jo jis andaz me banatye, lihaza gosht jaiz ho usse bani har cheez jaiz aur isal e sawab jaiz to koondey jaiz
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 


Suwal no. 957

ek suwal, zarur islah farmaye hazrat ek aurat shadi shuda he aur apne bachpan se ek kafir ko apna bhai se zyada manti he aur holi ki badhai ke liye call karti he par wo call nahi uthata to us aurat ke liye kya huqm he islah kare

Jawab: 957 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye aurat, fasika fajira, zalima, hai, agar be-toba isihal par mari to jahannam me jaane me koi shaq nahi, aur agar iski is harkat ki khabar iske shohar ko bhi hai aur wo is par razi hai yani ghussa nahi karta or rokta nahi, wo khud daiiyus aur fasik, zalim fajir, hai aur jannat ki khushbu tak nahi soongh payega jabki jannat ki khushbu 500 sal ki rah se aati hai, ab raha ye ki aurat ki nazar me usne use bhai banaya hai, to ye qaul is jahil aurat ke munh ki baat hai, kafir kabhi momina ka bhai nahi, aur islam ne to ise musalman gair mard se parde ka hukm diya magar ye kafir se mel jol rakhti hai, sharab ko aab e zam zam keh dene se wo pak nahi ho jayegi, isi tarah kafir ko bhai keh dene se usse parda khatam nahi ho jayega, aur ye bhai kehna iske munh ki baat hai, allah ka hukm nahi
Quran e pak me Allah ka irshad hai: Sureh Ahzab Ayat 4-5
ye tumhare apne munh ka kehna hai,”

lihaza is aurat ko chahiye ki apni is harkat e na-zeba se baz aye aur shohar ko chahiye ki ise sakhti se roke
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 958

Hazrat mera ek Sawal he agar kisi shakhs se zina ho gaya or agar wo tauba karna chahe to kya karna hoga

Jawab: 958 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah se sachi toba kare, do rakat namaz e toba ki niyat se ajizi ke sath padhe, haisiyat ke mutabik kuchh sadqa kare, aur ainda is kam ki taraf naa jane ka allah se ahd kare,
 وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب


Suwal no. 959

Hazrat koi sunni sahi ul Aqeeda Insaan ko koi Badbakht zabrjasti apni Masjid me Badbakht Imam ke peechhe Namaz padhwaye to iske liye shariat me kya Hukm hai.

Jawab: 959 بسم الله الرحمن الرحيم
Tauba karke apni namaz fir dohra le,
 وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 960

Hazrat Kuchh Log La Ilmi Me Ye Jumla Badi Tezi Se Istimaal Karte Hain ki “Aaj Kal Deen Aur Dunya Kharab Hai” Iska Kehna Kaisa ? Wazahat Farmaden.

Jawab: 960 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye Bator e tanz kaha jata hai ki aaj kal logo ke dil me deen aur dunya dono kharab hai, jis tarah kaha jata hai ki, apke dil me to iman hai hi nahi, ya be-iman keh diya jata hai, ya fir is tarah bhi keh dete hai ki, tune apna iman bech diya, in saare jumle me islam ya deen par hamla nahi kiya jata balki samne wale ko tanz kiya jata hai, aisa kehne wala kafir nahi hota, ye jumle mohawre ke tor par hote hai, jhoth bolne wale ko bhi kaha jata hai ki logo me ab iman baki nahi raha, aur murad ye hoti hai ki sachchai khatam ho gai, to suwal me bhi is jumle ki ye tawil nazar aati hai ki kehne wale ne kaha ki “ajkal deen aur dunya dono kharab hai” murad ye hai ki logo ne deen ko dunya par tarzih de kar deen kharab kar liya aur dunya bazahir achhi kar li magar baz ne deen or dunya dono kharab kar li, jis tarah kaha jata hai, tu naa deen ka he na dunya ka, aur ye bhi ho sakta hai ab deen, pehle jaise logo ke dilo me tha, waisa nahi raha, yani hamare buzurgo ke daur jaisa,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 961

Hazrat kisi ke upar kufr ka fatwa lagne se kya wo kafir kehlayga ? qurano hadees ki roshni me wazahat farmaye

Jawab:961 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatwa laga dene se kafir nahi ho jayega, kufr sabit hona chahiye, jab tak taweel mumkin ho to taweel ki jayegi,
Magar Aaj kal log kufr ke fatwe is tarah shaya kar dete hai, jaise Rs.50 ke 250 grm. Jisko chaho kafir kar do jis ko chaho, momin, agar kisi se kufr sarzad ho jaye, to awwal use apni khata par ittilah di jaye, aur tauba ki takid ki jaye, mumkin ho ki shayd be-khyali me kufr huya ho, aur wo bagair fatwe ke hi tauba kar le, ha agar sarih kufr sabit ho jaye aur samne wala ruju naa kare to hukm kufr to hoga hi magar ab use kafir kaha bhi jayega, jab tak tauba na kare, aur kalima na padhe, magar mufti ko fatwa e kufr se pehle kufr ki tehqiq chahiye, baz awqat log apne bughz keena ki bina par apni taraf se imam wagera ya kisi zaat ke khilaf kufr ka fatwa le aate hai, bad ko maloom hota hai ki samne wale ne aisa kuchh kaha hi nahi hota,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 962

Hazrat jaise ki chhink aane par ham alhamdulillah bolte hai to reeh kharij hone par bhi kuchh bolna chahiye ya nahi,

Jawab:962 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye bol sakte hai, الْحَمْدُ لِلَّهِ عَلَى كُلِّ حَال
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 963

Assalamualaikum, Suwal ye hai ki kisi ne Azaan di or usme ghalati hui jese ki beech mai kuchh padne se reh gaya or Azaan poori de di fir bad me yaad aya tab kya karna chahiye,

Jawab: 963 بسم الله الرحمن الرحيم
Kis waqt ki azan hai, aur azan me kya alfaz padhne se reh gaya ye bataye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 964

हज़रत अगर किसी पर 99 कुफ़्र के फतवे हो और एक नही हो यानि 99 लोग ये कहे की इसने कुफ़्र किया हे और एक ये कहे की मेने नही देखा की इसने ये कुफ़्र किया हे तू क्या उसे काफिर कहा जायेगा।

Jawab:964 بسم الله الرحمن الرحيم
Logo ke kehne se kuchh nahi hota, agar ulama e ahle sunnat ki janib se bad tehqiq fatwa e kufr jaari hai, aur aisa kufr, jisme koi shaq na ho to ek fatwa kafi hai, jab tak tauba na kar le, aur bad toba kafir na kaha jayega, aur aise suwal is tarah nahi kiye jaate, jab tak poora mamla naa samne aa jaye, kabhi kabhi bade bade mufti bhi khata kar jaate hai, to kabhi, suwal wala jhootha bhi tehrir karwa leta hai, sail ko chahiye ki agar koi mamala darpesh ho to darulifta jaye aur jawab talab kare,
 وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 965

-حضرت اھل سنت ولجماعت میں جن کے آپس میں اختلافات ہے ایسےچند (زیادہ نہیں) سلسلوں کے نام اور اس سلسلے کے مخصوص اہم ذمےدار نگراں عالم(جو مجدد کا دعوی دار ہے ) کا نام بتایئے
جیسے:-اختر خان رضا

Jawab:965 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye Suwal kisi bhi amal, aqaid, wagera zaruriyat se nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 966

Hazrat mardo ko golden color ki watch ya chain wali watch pahenna jayez hai ya nahi ?

Jawab: 966 بسم الله الرحمن الرحيم
Chain wali ghadi pehnne me ulama ke do groh hai, baz iske jawaz ke qail hai baz adame jawaz ke, lihaza jinke nazdeek chain wali ghadi pehenna haram hai unki namaz bhi makruh tehrimi hai, aur jo iske jawaz ke qail hen unka pehenna aur pehn kar namaz padhna jaiz hai, aur jab ulama ke kisi masale me ikhtilaf ho jaye to qaum jis fatwe par amal kare amal ho jayega, magar aise masail se bachna behtar hai taki dono par amal ho jaye lihaza chain wali ghadi pehnne se bachna chahiye aur namaz me utar lena chahiye, magar jo iske jaiz hone wale groh ki taraf hai, unki namaz ho jayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 967 

Assalam aliakum, Hazrat ye bataye ke namaz padhne ke waqt pant ki mohri (bottom) ko bahar ki taraf mod sakte he ya waise namaz nahi hogi. ? Ya mujhe sunne me aaya he ke andar ki taraf modna chahiye, Agar ho sake to reason ke saath uska jawab dene ki zahmat kare meharbani hogi ?

Jawab: 967 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz me mori ko modne se namaz makruh tehrimi hogi, yani aisi namaz fir se dohrana wajib hai, agar naa dohrai to gunah gar hoga, aur payche morne par bhi gunahgar hua, aur iske khilaf agar mori naa modi to namaz makruh tanzihi hai, is surat me namaz ho jayegi aur kuchh gunah bhi nahi, aur aisa islye hai ki hadis sharif me hai
امرت ان اسجد علی سبعۃ اعضاء وان لااکف شعرا ولا ثوبارواہ الستۃ عن ابن عباس رضی اﷲ تعالٰی عنھما
(yani: mujhe sat(7) aza par sajde ka hukm diya gaya, aur is bat ka ki namaz me naa bal sametu na kapde ise ibne abbas se riwayat kiya)

Aur mori modna har surat makruh tehrimi hai, bahar ho ya andar, isi tarah sajde me jaate waqt ghutno se pent payjama upar kheench kar sajde me jate hai ye bhi makruh hai, isi tarah koi astin adhi kalai se zyada modi to bhi namaz dohrani hogi, ye sab surat namaz me kapde ke modne ke hukm me hai, jaisa ki
Fatawa Razawiyya Jild:7 Safah: 297 par hai
(hatho ki kohni khol kar aastin upar chada kar namaz) MAKRUH TEHRIMI wajibul i’ada hogi, agar fir naa padhega to gunahgar hoga,”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 624 par hai
“koi aastin ADHI KALAI SE ZYADA CHADI HO (to namaz makruh tehrimi hai, warna makruh tanzihi)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 968 

السلام و علیکم Hazrat kiya naf ke neeche Ke pure hisse me kale (black ) Kapde ya moze jute nahi penna chahiye or nahi pehenna chahiye to kyun

Jawab: 968 بسم الله الرحمن الرحيم
Kaali pent payjama wagera pehenna shariat me jaiz hai, kuchh gunah nahi, agar koi ise mana kare, ya pehnne wale ko gunah gar kahe, to isme mana hone ki dalil dena uske zimme par hai, ki wo shariat me gunah sabit kare, agar wo ise sabit nahi kar pata to shariat ke qaide ke mutabik ye pehenna khud jaiz ho jayega, kyunki shariat me jiski najaiz hone ki dalil naa ho to wo kam jaiz hota hai, lihaza kehne wala ya to najaiz hone ki dalil de warna jaiz mane,
ab raha ye ki kuchh log kehte hai ki, kyunki kaabe shariaf ka ghilaf kala hai isilye ham tazim karte hai, aur ye kehne walo me mard aur aurat dono hai, ham ek ek karke ek ek ki tafsil byan karenge,
agar mard aisa kehta hai ki ham kaale ki tazim karte hai, to fir kya wo sadak par nahi chalta ya hawa me rehta hai, kyunki jis zameen par qadam rakha jata hai, wo bhi kali hai, aur jis bike car me safar kiya jata hai uske tyre bhi kale hai, aur to aur ye tazim ka jhutha bahana banane walo se kaha jaye ki agar allah wa rasool ki itni tazeem karne wale bante ho to daariya katwa kar, jo daari ke bal naalio me bahate ho to jab allah rasool ki tazim kaha jati hai,
ab rahi aurato ki bat to isme kalam hi fizul hai, kyunki qudrati inme aqal kam hoti hai, warna jo sar ke kaale bal allah rasool ne chadar me dakne ka hukm diya to be-parda bahar aa jati hai, jab kale bal jo chhipana farz the gair ke samne kholna haram jab kaha jati hai, TAZEEM
khair, pehnne me kuchh harj nahi, aur hadis me hai
انما الاعمال بالنیات (aamal ka daro-madar niyato par hai)

Joote bhi kale pehn sakte hai, magar isse bachna chahiye aur peele joote pehenna chahiye,
Tafseer E Ruhool Byan (sureh baqra ki ayat 69 ki tafseer me) me hai ki
Hazrat Ali ne farmaya:
Jo peele rang ka joota pehnega hamesha khush rahega.

Isi tarah moze KAALE hi pehnne chahiye aur safed aur laal se bachna chahiye ki,
Mishkat sharif ki hadis me hai ki “HUZOOR NE KAALE RANG KE MOZE PEHNE HAIN”

Miraat Sharah Mishkat Jild:6 Safah:148 par hai,
“Moze sia(black) rang ke behtar, aur joote peele rang ke afzal”

Fatawa Alamgiri Jild:5 Safah:334 par hai
Surkh (red) moze firon ke the, Safed Haman ke, aur sia (black) moze ulama ke moze hote hain”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 969

AssalamuAlaikum, Hazrat Kya Hindustan ki POLITICAL party Jeise ke BJP, CONGRESS, Naam Nihad Muslim Party Jisko Muslim League kehte hein, AIMIM Jeisi Party Ko VOTE dena keisa ? Aur In sab Party ko Support karna kaisa he ? Rehnumayi farmaiye Jazak ALLAH

Jawab: 969 بسم الله الرحمن الرحيم
Dor e purfitan me to koi party aisi nazar nahi aati jiski karkardagi, shara ke mutabik ho ya shara ke qawaneen ka lihaz rakha gaya ho, BJP ke talluq se,
Ek shakhs ne Janab Shareh Bukhari, Mufti Muhammad Sharif ul haq Amjadi sahib se suwal kiya ki BJP ko vote dena kaisa jabki uske bare me ye baate mashhoor hain, aap BJP aur congress ke bare me farmate hain,
BJP ke bare me jo ye mashhoor hai ki ye hindu riwaj qaim karna chahti hai,
Muslim personal law board me tabdili karke apne mutabik banana chahti hai
Masajid eid-gah ko mandir me tabdil karna chahti hai, Jiski khuli shahadat babri masjid hai, aur RSS ki talimat ko aam karna chahti hai, wagaira wagaira Iske jawab me mufti sahib ne farmaya
“BJP ke bare me apne jo likha hai sahi hai, isliye agar koi musalman BJP ke in dafa’at ko janne ke bad is niyat se BJP ki himayat kare, ya is party me shariq hoya use vote de to yaqeenan wo kafir wa murtad hai,
LEKIN. Magar inka (logon ka) maqsool apna zaati fayeda hasil karna hota hai, yani mulazimat(job), licence.. ya kuchh paise mil jaye, ISLYE BJP KO HAR VOTE DENE WALE KO KAFIR KEHNA SAHI NAHI HAI, ha ye zarur hai ki haram, ashad haram hai,
Agar partyo ka manshoor dekha jaye to az roo e sharai kisi party ko vote dena jaiz naa hoga, CONGRESS KYA KAM HAI, babri masjid ki shahadat ki sari zimmedari congress ke sar hai, musalmano ki dushmani me congress ne koi kami nahi ki, jis waqt congress ko hukumat mili thi us waqt ki ba-nisbat musalman aur pasmanda ho chuke hain, kitne pichhe dhakel diye gaye hai, ye kisi se poshida nahi, aur TAQRIBAN TAMAM PARTY KA YAHI HAL HAI, ki election ke waqt lambe lambe wade karte hain, aur bad me musalmano ki taraf dekhte nahi, koi musalman fariyad le kar jaye to sunte nahi,
Fatawa Shareh Bukhari Jild:2 Safah:365

Aur Hujjat ul Islam Shehzada e AlaHazrat Mufti Hamid Raza Sahib se jab MUSLIM LEAGUE me shamil hone ke talluq se puchha gaya to farmate hain,
“Maine to is balaa e azeem ko dekhte huye chaha tha ki,ulama kiram ek tanzeem ke tehet apni weh awaz e haq buland karen, jo alaHazrat ki awaz thi, (or farmate hain) hamari awaz par ahle sunnat labbayeq kahenge, aur hamari munazzam jamat ki awaz, mulk wa qaum me apne sar ke kano tak hi nahi, dilo ki gehrai me asr karegi, Muslim League wagera ki row me naa bahenge, balki hamare sath ham azam honge, is tarah ham League ke sharik naa samajhe jayenge, balki League hamari awaz uthane wali hogi, (agle safah pe farmate hain) agar ye “Tanzim e Ulama e Ahle Sunnat” ho jaati to hamari awaz naa sirf congress ke liye zalzala hoti, balki jamiatul ulama dehli aur tamam congresi deobandi molvi, sab se musalman juda ho kar, “ahle sunnat” ke sath aur alaHazrat ki awaz e haq buland karte, aur unki sachi gulami ka dam bharte,
Fatawa Hamidiya Safah: 433-434

Aur Mufti E Azam Hind se jab Muslim League aur Congress ke mutalliq puchha gaya to farmate hain
“weh.(Muslim League) ek aisi jamat hai jo gair sunni hi nahi, balki aise logon par mushtamil hai, jo naam e islam hi rakhte hain, to iski shirkat ki sharan ijazat nahi ho sakti” (age farmate hain) congress ki shirkat haram hai congress se bachna musalmano par lazim hai, congress islam aur musalman ki dushman hai, congress se bhi musalmao ko koi fayeda naa hoga,
Fatawa Mustafawiya Safah:500

Note: ye tamam Dalail to takriban 50 se 90 sal purane naqal ki gain hain, aur aaj BJP ki hukumat aate hi, musalman ke halat aur unke sath kya rawiyya ikhtiyar kiya jaa raha hai ye kisi se poshida nahi, kahi, hami se hindustani hone ki sanad ke tor par “bharat mata ki jaye” kehne ko kaha jata hai to kahi, Gaye ke gosht ke shak me musalman ko qatal kiya jata hai to kahi, “saman adhikar saman qanoon” par zor de kar kufr thopne ki baat kahi jati hai,
Aur raha AIMIMI jamat ke talluq se to iski mujhe koi tehqiq nahi, naa koi tehrir kisi ulama ki is jamat ke mutabik mil saki, aur naa me inke aqaid wa nazariyat se waqif, aur na me rajniti walo se koi khas wasta rakhta ki unse maloom kar saku, kyunki “har ek apne bade ki badai karta hai” han, itna zarur hai ki agar Hujjat ul islam MUFTI HAMID RAZA KHAN (rehmatullah alaiy) ki tamanna poori karte huye koi sunni tanzim Qaim kare to MARHABA.
“KHUDA KHAIR SE LAAYE WO DIN BHI NOORI”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 970

Assalam Alaikum Hazrat, ye bataye namaz padhte waqt agar Rona aa jaye ya Poori namaz rote huye padhe to kya namaz hogi?

Jawab: 970 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz me rona Dard ya musibat ki wajah se ye alfaz, AAH, UH, UFF, TUF, nikal gaya ya awaz se rone me ye huruf Paida ho gaye to NAMAZ FASID ho gai, yani tut gai Or rone me sirf aansu nikle awaz ya hurf nahi nikle to harj nahi, (Fatawa Alamgiri)
والله أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 971

Hazrat kafir ko paisa dekar usse bayaj le sakte hai or us paise se apne ghar ka kharcha chala sakte hain hawale ke sath btae ?

Jawab:971 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han kafir ko paise de kar usse us paise par zyada raqm le sakte hai, aur wo sood nahi apne jo use suwal me byaj likha hai wo ghalat hai, har zyada raqm ka naam byaj nahi hota sood wo hai jise shariat ne sood kaha, aur jise sood nahi kaha to use ham apni aqal se sood qarar naa den,
Hindustan ke kafir harbi hai, islye agar koi yahan ke kafir ko qarz de kar zyada raqm li jaye yani, ek kafir ne zaid se kaha, ki tum mujhe Rs .5000/- Do, me apko wapas karte waqt Rs. 6000/- Dunga to zaid ke haq me ye za’aid 1000 sood nahi. Aur ise sood samajhna logo ki ghalat fehmi hai. Hadis me farmaya
 : لا ربا بين المسلم والحربي في دار الحرب
Kafir harbi aur musalman ke darmiyan sood nahi.

Hazrat Faqih e Millat Mufti Muhammad Jalaluddin Amjadi (alaihirrehma)
Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:391 par farmate hain,
“yahan ke kafiron ko qarz dekar, za’id raqm lena JAIZ HAI”

Aur Tafseer e Ahmadiya Safah: 300 par hai ki
“za’id raqm sood ki niyat se naa le”

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah: 388 par hai
“is nafe ko kisi ke sood keh dene se shariat ke nazdeek sood nahi ho jayega,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 972

Hazrat aj main kahi kaam se gya tha to, Jab waha se wapas aya to jis cab se aya usko kiraya dena Bhul gya, Mujhe room pe ane ke baad yaad aya. Aur Iska hukm kya he, aur Ab mujhe kya karna chahiye ?

Jawab: 972 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar wo cab sarkari thi to us jaisi kisi bhi sarkari cab ko paise de do, taki wo sarkar ke khate me pahuch jaye, agar wo cab kisi pvt. Company ki thi, aur uski aur bhi cab chalti hain to bhi, kisi bhi cab wale ko paise de do, jab ki apni taraf se, us company me raqm chali jaye, aur agar, wo personal thi to, aap us raqm ko sadqa to kar do, magar zindagi me jab wo mile to fir dene honge warna maf karwane honge, kyunki apki niyat paise marne ki nahi thi, aur allah qiyamat me apka hisab behtar karega, aur allah bakhshne wala mehrban hai, aur dilo ki janne wala
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 973

Jab dargah par aurato ka jana mana he to aurate haj par kyun jati he or haj kyun kara jata he or haj kiyo farz he.

Jawab: 973 بسم الله الرحمن الرحيم
Siwaya roza e rasool ke har qabar par hazri aurat ki najaiz o gunah hai, aur haj kisi mazar par nahi hota, aur kaaba mazar nahi hai, aur har aurat par haj farz nahi, naa aurat akele jaa sakti hai, ye maldar par zindagi me ek bar farz hai, aur jo ibadat farz hai, usme mard aurat ek hi hukm me hai, chahe namaz, roza ho ya haj, haj karne ka zikr quran me aya hai, allah ne iska hukm diya hai, islye farz hai, hadiso me iski tafsil darj hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 974

Hazrat ham ye janna chahete hai ki kiya hara rang masjid ki diwal ya kisi aur diwal ke neeche bodar par lagana mana hai jahan se chappal jute pahen kar guzarna ho ?

Jawab:974 بسم الله الرحمن الرحيم
Mana nahi hai, naa gunah, laga sakte hai, aur masjid me laga diya to ab fir se badal bhi nahi sakte kyunki masjid me logon ke chande ki raqm aati hai, aur is tarah zaya nahi kar sakte, masjid ke member uske malik nahi, jo bar bar rang badale, agar hara kar diya to harz nahi, nahi kara to, naa karne ka mashwara de do, aur bad mashwara bhi kar den to bhi koi bat nahi, “ba-adab, banaseeb, be-adab benasib”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 975

Hazrat Koi kapda dhobi ko dhulne ke liye dia kya wo kapda pak honga use pehen kar namaz padh sakte hain aur wo dhobi kafir ho aur hame ye bhi nahi pata hota hai ki wo kapda kaise pani se dhota hai details ke sath btaye ?

Jawab: 975 بسم الله الرحمن الرحيم
Dhobi ke han, se jo kapde dhul kar aate hain, wo pak hote hai, jab tak unme koi zahiri najasat, (nishan, badbu) naa ho, fiqh ka ek qaida hai ki, “yaqeen, shak se zail nahi hota”
Yani kewal shak karne se ye pak hai ya nahi, pak pani se dhula hai ya nahi, kapda napak sabit nahi kiya jaa sakta, Aur ek kam aur bhi ho sakta hai ki jab dhobi ko kapda den, to napaki ki jagah ko pehle khud dho kar pak kar len, fir de,
Fatawa Amjadiya Jild:1 Safah:31 par hai
“behtar to yahi hai ki pak karke dhobi ko kapde diye jayen, aur napak kapda (bhi) diya to dhul kar pak ho jayega” 
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 976

AssalamuAlaikum, Hazrat Aprilefool manana kaisa hei? Aur Jo Aprilefool Manaye uske liye Shariat me kya Hukm hei ? Rehnumayi farmaye. JazakALLAH

Jawab: 976 بسم الله الرحمن الرحيم
APRILFOOL QURAN E SUNNAT KI ROSHNI ME,
Apki janib se group AHLE SUNNAT me mujhe ye suwal 31 March 2016, ko mila, aur aap agle din yani 1 April ke baare me hi shariat ka hukm puchhna chahte hai, Awwal me dast-basta apki khidmat me, ye arz karunga ki, is tarah ke suwal jisme ek din bhi waqt naa diya gaya ho kuchh din pehle puchha kare, me agar is jawab ko dene me 1 din bhi der karun to jawab ki value nahi hogi, (kyunki 1 april jaa chuka hoga) isilye, saare kam chhor kar, (jo is jawab se bhi zruri the) ise apki khidmat e alishan me rawana kar raha hu, taki, Aapne jis niyyat se ye suwal kara hai ki musalman is fitna e azeem se bach sake to allah apko aur mujhe iska zarur sila de, (AMEEN, AMEEN), aur ye shikwa nahi mashwara hai, (allah qubool karne ki tofiq de)

EK FITNA E AZEEM, Aprilfool, yani ek aisa din jisme logon ko (chahe, muslim ho ya gair muslim) janbujh kar jhuth bol kar dhoka diya jaata hai, aur khushi manai jaati hai, ye HARAM HARAM ASHAD HARAM He,
Mufti Amjad Ali Azami farmate hain
“jhooth aisi buri cheez hai, ki har mazhab wale iski burai karte hain, tamam deeno me ye haram hai, Islam ne isse bachne ki bahut takid ki,

Farmata hai, tumhe Sach bolne wali zuban dene wala TUMHARA ALLAH Quran me
Surah Aal e Imran Ayat 61
“jhooto par allah ki lanat daalen”
Aur farmata hai
Surah Baqra Ayat :10
“aur unke liye dardnak AZAB hain badla unke JHOOT ka
Or Ummat e Haadi Rasool e Azam Ke Farmane IBRAT NISHAN hain,
Sahi Bukhari aur Muslim me hai,
“jhooth se bacho, jhooth fujoor ki taraf le jata hai aur fujoor jahannam ka rasta dikhata hai, aur adami barabar jhooth bolta rehta hai, aur jhooth bolne ki koshish karta hai, yahan tak ki allah ke nazdik jhootha likh diya jata hai”

Hadis Tirmizi me hai
Jab banda jhooth bolta hai, uski badbu se firishta ek meel (mile) door ho jata hai,

Hadis Abu Dawood me hai,
Badi khyanat ki baat ye hai ki tu apne bhai se koi aisi bat kahe aur wo tujhe us baat me sacha jaan raha hai, aur tu usse jhooth bol raha hai
(yani aise andaz se jhooth bolna ki samne wala apko sacha samajh bethe aur use pata bhi nahi ki aap use dhoka de rahe ho, ye bhi khayanat hai)

Ab raha ye kuchh school collage ke, padhe likhe kehte hai, ki hamare dil me to bas mazak karne ki niyat hai, ham sach me use dhoka nahi de rahe, to unhe jaan lena chahiye ki kya MAZAK me is tarah jhooth bolna ki samne wala sach samajh jaye ye HARAM, to use in hadis par gaur kar lena chahiye,

Hadis Musnad Ahmad me hai
“momin me tamam khaslate ho sakti hai, magar khyanat aur JHOOTH nahi”
(yani, sacha momin kabhi (mazak me bhi) jhooth nahi bolta)

Imam Malik ne ye hadis Al Mut’a me naql ki jiska mafhoom hai,
“momin buzdil ho sakta hai, momin kanjoos ho sakta hai, momin JHOTHA NAHI ho sakta,
(yani sacha musalman kabhi jhooth bolne wala nahi ho sakta,)

Ab koi kahe ki ye to mehez ek khail hai to uske liye bhi me ek farmane e mustafa pesh kar deta hu, (QUBOOL KARE YA NAA KARE)

Tirmizi, Abu dawood ibn majah,me hai
Jitni cheezo se adami khail karta hai, sab batil hain (magar 3 ke)

Musnad Ahmad Me hai
Banda us waqt tak sacha momin nahi ho sakta jab tak mazak me bhi jhooth bolna chhod naa de,

Ab agar ye mana jaye ki ye khail hi hai, to kya ye khel shariat ka khel hai, kya iski ijad yahoodi nasara ne nahi ki, aur in yahoodio nasara ke bare me Farmata hai ALLAH KAREEM apne QURAN E AZEEM me
(Surah maida, Ayat 51)
“Aye iman walo yahood o nasara ko dost naa banao, .. aur tum me se jo koi un se dosti rakhega, to woh unhi me se hai, “
Aur Farmaya qaum ko raah e jannat me le jaane wale hadi o maula ne :- مَنْ تَشَبَّہَ بِقَوْمِ فَھُوَمِنْھُمْ
(jo shakhs jis qaum se mushabihat kare wo unhi me se hai,)

Aur aaj yahoodi nasara ke aprilfool manane walo tadad badane walo KO ye hadis bhi yad kar leni chahiye,
من کثر سواد قوم فہو منہم (jisne jis qum ki tadad badai woh unhi me se hai)

Aur tum jiski dosti me aa kar jhooth bolte ho, to ye hadis bhi yad kar lo.
الرجل علی دین خلیلہ فلینظر احدکم من یخالل
“admi apne dost ke deen par hota hai, to gaur kar le, ki kisse dosti karta hai”

Allah se dua hai ki wo musalmano ko is fitna e kazzab, se mehfooz rehne ki tofiq de, aur toba karne walo ki toba ko qubool kare, aur mere liye aur sail ke liye aur ise padhne wale ke liye aur khas kar amal karne aur doosro ko amal karwane ki targib dilane walo KE DILO PAR DAIMI MOHR E HIDAYAT FARMAYE, (BESHAK TU HI HAR MUMKIN PAR QUDRAT RAKHNE WALA HAI,
آمین بجاہ النبی الامین صلی اللہ علیہ والہ وسلم
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 977

AssalamuAlaikum, Zaid ko uske Dost se 50 lakh ka Home Kharidna hai, Agar wo Home cash me kharidata hai to usko income tax wale pareshan karenge to Usko Bank se Home Loan Leni padegi Majburi me, To kya Bank se Home Loan le sakte hei ? Aur Agar Bank se Loan lia to uska interest bhi dena padega to kya is surat me Loan lena jaiz he ? Rehnumayi farmaiye

Jawab:977 بسم الله الرحمن الرحيم
Hind ke bank se home loan lena jaiz hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 978

Salam, bhai aurto ka mazar dargaah jane par manahi hai aur agar kisi aurat ne irada kiya aur mazar ke liye ghar se nikli to fariste uske har qadam par lanat bhejte hai, ye maine suna hai kya koi sanad mil sakti hai iski?

Jawab:978 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatawa Razawiyya Jild:9 Safah:542 se padh lijiye, is masale par poori tafsil o dalail maujood hain
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 979

Nabiullah naam rakhna jaiz hai ?

Jawab: 979 بسم الله الرحمن الرحيم
Najaiz o Gunah hai, jiska maina hota hai Allah ka NABI, to gair nabi ko nabi kehna hargiz jaiz nahi, jaisa ki

Bahar e Shariat Jild:3 Safah:605 par hai
Muhammad Nabi, Ahmad Nabi, Muhammad Rasool, Ahmad Rasool, Nabiuzzama Naam rakhna NAJAIZ HAI, Balki baz ka naam NABIULLAH bhi suna gaya hai, gair nabi ko nabi kehna hargiz jaiz nahi ho sakta
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 980

Hazrat agar koi kisi ke ghar se pani mangaye or pani lane wale shakhs se raste me hi koi wo pani mang le to kiya wo us shakhs ko pani pila sakta he, ya kiya wo khud bhi wo pani pi sakta he. ya wo pani pahile us tak pahucha na zaroori he jo pahle mangwa ya tha ?

Jawab: 980 بسم الله الرحمن الرحيم
Jisko pehle sakht zarurat ho de diya jaye, warna pehle use de, jisne mangwaya hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 981

Hazrat kisi women ne Gusal (Gusal farz hai) kia aur namaz, quran padhi fir usko pata chala ki uske anguthe(thumb) me nelpolish lagi hai to ab kya karna hoga ?

Jawab:981 بسم الله الرحمن الرحيم
agar nail polish ki parat wuzu me nakhoon par pani behne se rokti hai to wuzu ghusl me ise saf karna farz hoga, warna ye taharat me rukawat hai, is tarah naa wuzu hoga, naa gusl e wajib ada hoga, aur wo namaz jo is wuzu, gusl ke sath ada ki gain, fir se dohrana hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 982

Assalamu Alekum Mohtaram, Mera Sawal Hai Ki Agar Istenje Ke Bad Poori tasalli Hone Ke Bad Aap Khade Hon Or Aisa Mesoos Ho Ki Peshab Ka Qatra Nikal Gaye Ya Kapde Ke Upar Se Dekhne Pe Ye Andaza Ho Ki Qatra Nikal Gaya To Kya Us Halat Me Ham Pak Honge Namaz Padh Sakenge? Or Aisa Bar Bar Hota Hai Is Pure Mamle Pe Roshni Dalen Mehrbani Hogi

Jawab: 982 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat ki istilah me napak hona use kehte hain jabki gusl farz ho jaye, magar awam peshab ke qatre lagne par khud ko napak guman karti hai, jo ki ghalat he, peshab karne se gusal wajib nahi hota albatta wuzu tut jata hai, aur peshab ki qatre, agar kapde par ek dirham ki golai se zyada fele to is surat me bina wo jahga dhoye ya nichla kada badle namaz nahi hogi, aur agar wo qatra ek dirham ki golai ke barabar hai to namaz makruh tehrimi aur dohrana wajib hai, aur agar wo ya chand qatre mil kar bhi ek dirham se kam hai, to pak karna sunnat hai, is akhri surat me namaz ho jayegi, behr hal har tarah saf kar lena hi chahiye, magar aise shakhs ko nahane ki zarurat nahi, aur kisi ko qatre ki bimari hai, yani kisi namaz ka koi waqt poora aisa nahi guzarta ki qatra naa aye, to ye ujr e sharai hai, is surat me ye shakhs, wuzu karke us wuzu se jitni namaze padhega ho jayegi, ab iska wuzu qatra ane se nahi tutega, balki namaz ka waqt khatam hone se wuzu tut jayega,

Fatawa Amjadiya Jild:1 Safah:30 par hai
“agar ye (qatre ka) marz hadd e shara ko pahuch gaya ho, yani ek waqt poora aisa guzar gaya ki, taharat ke sath farz namaz ada na kar saka, to weh mazoor hai, waqt me ek bar wuzu kar le aur jitni chahe us wuzu se namaz padhta rahe, us qatre ke ane se uska wuzu naa jayega, balki uska wuzu khuruj e waqt(waqt jaane) se tutega.
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 983

Agar koi shakhs aisi halat mein he ki us par gusl wajib he aur wo jaan boojhkar usi halat mein namaaz padh leta he to use kya karna chahiye

Jawab: 983 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ko hakir jante huye ya halka samajhte huye ki bas ruku sujood hi to karne hai, aur halat e napaki me namaz padhna kufr hai, uske saare amal e nek zaya ho jayenge, aur agar shadi shuda tha aur mureed tha to ye mamlaat bhi khatam ho jayege, warna haram he
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 984

Assalamuwalekum Hazrat, kya wazu ke liye koi ek bartan fix kar key us se wazu kar saktey hai kya ?

Jawab: 984 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi harz nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 985

Hazrat wuzu sirf bismillah padh ke suru karne se ho jayegi ya nahi ?

Jawab: 985 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu bismillah ke bagair bhi ho jayega, aur wuzu se pehle tasmiha, ahanaf me sunnat hai, aur bagair bismillah wuzu karne se jis hisse par pani bahega bas wo pak ho jayega, aur bismillah pad kar wuzu karne se sar se sara badan paun tak pak ho jayenge, aur agar wuzu se pehle is tarah padh le
بسم الله و الحمد لله to jab tak wuzu rahega firishte nekiyan likhte rahenge,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 986

Kya rasulullah sallallahu alaihi wasallam ka saaya tha daleel ke saath jawaab dein, Hame ummeed hai hame jald hamare sawaalon ke jawaab mil jayenge

Jawab: 986 بسم الله الرحمن الرحيم
(khutba)- tamam tarif us allah ki jo noor hai zamin o asman ka, aur har saye se pak, magar sab uski rehmat ke saye me aur karam ke ummidwar, aur durood o salam ho us muqaddas hasti par, jo aaj bhi apna saya kiye huye hai, khaksaro par, aur unke saye me hi aram payenge, kal tapish e mehshar me, aur aal o ashab par, aur khususi salam BAREILY ke tajdar, jo hame sikhate rahe, ki,
“ham siyakaro pe ya rab tapish e mehshar me,
Saya afgan ho tere pyare ke pyare gaisu”
aur farmate hai, alaHazrat ke, “SAYE ka SAYA na hota hai naa saya noor ka”

Al-Jawab: بسم الله الرحمن الرحيم
Beshaq ap madine ke tajdar ka saaya nahi tha, jaisa ki
فقد اخرج الحکیم الترمذی عن ذکوان ان رسول اللہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم لم یکن یرٰی لہ ظل فی شمس ولا قمر
(hakim tirmizi ne zakwan se riwayat kiya-huzur ka saya nazar na ata tha, naa dhoop me na chandni me)

Imam Jalaluddin siyuti ne Khasais e kubra me naql kiya ki
قال ابن سبع من خصائصہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم ان ظلہ کان لایقع علی الارض وانہ کان نورا فکان اذا مشٰی فی الشمس اوالقمر لاینظر لہ ظل قال بعضھم ویشھد لہ حدیث قول صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم فی دعائہ واجعلنی نورا
(ibn e saba ne kaha, huzur ki khususiyat me se hai ki aap ka saya zameen par naa padhta, aur aap noor mehez the, to jab dhoop ya chandni me chalte, aap ka saya nazar naa ata, baz ulama ne farmaya iski gawah weh hadis hai, ki huzur ne apni dua me kaha, “mujhe noor kar de”

Aur sharah shami ne tirmizi se iski hikmat ye naql ki, ki kahi koi kafir apke saye par per naa rakh de, isme apki tohin hai”

قال عثمان رضی اللہ تعالٰی عنہ ان اللہ مااوقع ظلک علی الارض لئلایضع انسان قدمہ علی ذٰلک الظل
(Hazrat usman ghani ne huzoor se arz ki beshak allah ne huzoor ka saya zameen par naa dala, ki koi shakhs us par paun naa rakh de,

Allama sulaiman jabal Futuhat e Ahmadiya me Farmate hai:
لم یکن لہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم ظل یظھر فی شمس ولا قمر
(huzoor ka saya na dhop me zahir hota naa chandni me)

Sharah Shifa Sharif me hai
من اسمائہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم قیل من خصائصہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم انہ اذا مشٰی فی الشمس والقمر لایظھر لہ ظل
(huzoor ka ek naam NOOR hai, huzoor ke khasais se shumar kiya gaya ki dhoop aur chandni me chalte to saya na paida hota)

Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi Madarijun Nabuwa me farmate hain:
ونبودمرآنحضرت را صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم سایہ نہ در آفتاب ونہ در قمر
(sarkar ka saya suraj aur chand ki roshni me naa tha)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 987

Agar kisi Hafiz se shop me quran padhwaya jaye to ye kaise pata lagaye ke Hafiz sunni hai ya 24 hai, Hazrat zara rosni dalen,

Jawab: 987 بسم الله الرحمن الرحيم
Sahaba apne darmiyan kisi ko parkhna chahte the ki wo musalman hai ya munafiq, to uske samne HAZRAT ALI KA ZIKR shuru kar dete, agar momin hota to chehra khil jata agar munaqif hota to chehra murjha jata, thik waise hai, ab agar aaj Hazrat ali ka zikr kara jaye to 24 no. bhi zikr me shamil ho jayega, or kahega ki ham bhi ali ko mante hai, to zarurat hai, kisi aise mard e momin ka zikr kara jayege jo momin aur munafiq me farq kar de, aur wo hasti hai BAREHLY KE TAJ-DAR, ALAHAZRAT, IMAM AHMAD RAZA, jinke zikr se momin khush aur munafiq, ke chehre par dozakh ka azab saf nazar aata hai, bas aap maloom karlo ki maslak e alaHazrat ko manne wala hai, ya nahi “jo raza ka nahi wo hamara nahi”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 988

Main jab masjid pahucha to zohar ki namaaz ki jamaat khadi huyi thi. Main wuzu kar ke jamaat me shamil ho gya. farz se farig ho kar chhooti huyi sunnate kis darmiyan padoon ? Jaise namaz johar hai 4 farz pad liye, Fir kis ke bad kya aur kitni padu..?

Jawab: 988 بسم الله الرحمن الرحيم
4 farz padh liye, ab 2 sunnate padho, fir do nafil, aur akhir me wo chaar sunnat jo chhoot gai thi, padh lijiye, aur iske baraks bhi jaiz hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 989

Agar koi aurat talaq chaha rahi hye magar aadmi nahi de raha hye us surat me keya karna chahiye

Jawab:989 بسم الله الرحمن الرحيم
Bila ijazat e sharai, aurat ka talaq ka mutalba karna gunah hai, aur sharai urj hai aur shohar talaq na de to usse maal ke badle talaq hasil kar le, Maal ke badle nikah khatam karne yani talaq hasil karne ko khula kehte hai, maslan. Mard aurat ko apne sath nahi rakhta yaa ghar nahi aata, naa talaq dene par razi nahi aurat kuchh maal ya meher ke maal ke badle talaq hasil kare ye khula hai,

Khula aur talaq ka haq shohar ko hai, shohar zulm karta ho or naa talaq par razi hai naa khula par to aurat qazi ke pas jaa kar surat e hal byan kare, qazi nikah ko (bad tehqiq) khatam karega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 990

Assalamu Alaikum Hazrat Sawal ye hai Ki Sadqa kab kitna aur kis tarike se Dena chahiye. Apne Jaan aur maal ka ?

Jawab: 990 بسم الله الرحمن الرحيم
Sadqa ya fitra ya zakat jo wajiba me se hai, namaz e eid se pehle de dena chahiye, aur ye har shakhs par uske mal ke hisab se he, jis par 52.5 tola chandi ya itni qeemat ka mal ho, aur ye aaqil, baligh, aur sal guzar chuka ho aur fitra maal par nahi shakhs par wajib hai, iske alawa jo sadqa nafil karna chahe, jaise masjid me chanda aur koi deeni ya zaruri nek kam me sarf to uska koi waqt aur raqm tey nahi, jitne dega utna sawab, aur aisa nahi ki bahar dena hi sadqa hai, balki koi shakhs apne ghar walo par jo mal kharch karta hai wo bhi sadqa hai, yaha tak ki apni biwi ko ek luqma uske munh me de wo bhi sadqa hi hai, apne musalman bhai ka dil khush karna bhi sadqa hai,
 وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 991

Hazrat me ye poochna chahta hoon ke agar koi woman pragnent ho to us doran talaq jayaz hai ya nahi

Jawab: 991 بسم الله الرحمن الرحيم
G, ho jayegi, halat e hamal me talaq di to, sahi ye hai ki talaq waqeh ho jayegi, jaisa ki
Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:111 par hai
“halat e HAMAL aur ghusse me talaq ho jayegi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 992

Namaz ka waqt ho gaya hai ya namaz ka waqt jane wala hai to kya agar waha par masjid na ho aur musalman ka ghar(home) na ho to kya ham gair muslim ke "IBADAT KHANA YA UNKE GHAR ME NAMAZ ADA KAR SAKTE HAI" ? HAZRAT RAHNUMAYI FARMA DE INSHA ALLAH.

Jawab: 992 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehli surat ki “namaz ka waqt ho gaya” to kisi bhi namaz ka waqt shuru hote hi foran khatam nahi ho jata, abhi waqt hua hi hai, kahi jagah talash karega to mil jayegi, aur namaz padhne ke liye masjid ya musalman ka ghar zaruri nahi, road ke side, jaha zameen sukhi ho to namaz padhi jaa sakti hai, aur agar waqt tang hai, ki naa masjid hai, na ghar, to bhi side me khule me park me namaz ada ki jaa sakti hai, aisi surat me masjid talash kar ke waqt nikal dena jaiz nahi, kuffar ke ibadat khane me namaz padhna gunah aur makruh tehrimi hai, Jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:630 par hai
“Kuffar ke ibadat khano me namaz padhna makruh hai, ki weh shaitan ki jagah hai, aur zahir karahat TEHRIMI hai, balki kuffar ke ibadat khano me jana bhi mana hai”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 993

لسَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ..... Mera suwal hai ki kuchh msg Ese ate hai jis me likkha hota hai ki aap 10 logo ko send karo aap ko 1 ghante me khushkhabri milegi jis me allah ke name hote hai kya is msg ko aagye send karna chahiye yan nahi agar nahi kare to is me koi gunah to nahi, Is suwal ka jawab de jiye aap ki maherbani hogi

Jawab: 993 بسم الله الرحمن الرحيم
Apne jo suwal me likha haqiqat bas itni nahi hai, balki isse bhi zyada hai, pehle ye riwaz tha ki juma ke bad masjid me parche baate jaate the, jisme ek khwab likha hota tha ki jo ise chhapwaye to murad poori hogi, aur ek riksha wale ne chhapwaya to use ek cror ki lotry lag gai, or ek shakhs ne jhuth samajh kar fek diya to uska beta mar gaya, wagera wagera,,, ab kyunki naya daur hai, to shaitan bhi naye tariqe lata hai, ab parche khatam to whatsapp par ye kam chalu ho gaya, aur shariat ki roo se ke kam BID’AT hai, aur musalmano ko be-dalil bato se dhoka dena hai, joki msg forward karne wala khud nahi janta ki, kaha se ye bat sabit hai, hadis me hai “kisi shakhs ke jhoota hone ke liye bas itna hi kafi hai ki wo suni sunai bat ko age bada de,” na iski koi asl naa isme sawab na isse murad poori hone ka koi wasta, bhala ek shakhs jo na namaz padhe naa use quran aye aur pure din whatsapp chala kar, bas ye msg kare to uski murad kaise poori ho sakti hai ? ye shaitan ki ek chaal hai, jo nojawano ko haqiqi ibadat se door karke, is fizool bato me laga deta hai, aur kam ilm rakhne wale inme aa bhi jaate hai, aur herani ki baat ye hai ki, mene is tarah ke jitne bhi parche dekhe, sab me lotry riksha wale ki hi lagti hai, aur ameer ka beta hi marta hai, musalmano ko is tarah ke msg aage forwad karne se parhez chahiye, aur be-dalil aur be-tehkik- aur be-hawala msg, to waise bhi nahi karne chahiye, aur whatsapp par waqt zaya karne se behtar hai ki apni qaza e umri namaz poori kar li jaye, Quran e pak me Rab ka irshad hai
“aye iman walo agar tumhare pas koi fasiq khabar laye to uski tehqiq karo”.

magar tehqeeq ka waqt kis par? naa msg bhejne wale ke iman ka pata na uske aqeede ka pata, bas forward kar diya, aur MANNAT AAJ TAK POORI NAA HUI HOGI.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 994

Agar koi shakhs aisi halat mein jaanboojh kar namaaz padhta he ki uski namaaz makroo-e-terimi ho jayegi aur us namaaz ko na dohraane ki niyat kar le aur wo yahi galti bar bar janboojhkar dohraye to kya hoga.

Jawab:994 بسم الله الرحمن الرحيم
Makruh tehrimi fel karne wala chand bar karne ke sabab hi fasiq ho jata hai, aur is par is fel se baz aa kar sachi toba karna lazim ho jaati hai, aur ye wajib ka muqabil hota hai, jis tarah wajib par amal zaruri hai usi tarah makruh tehrimi se bachna zaruri hai, makruh tehrimi haram ke karib hi hota hai, to aisa shakhs fasik hai, aur ise chahiye ki toba kare aur wo namaze jo is haal me padhi hai, unhe fir se dohraye, aur is fel ko karne ki wajah se gunahgar bhi hua,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 995

Hazrat jis naat aur salam me music ka istemal kia gaya ho kya aisi naat sunna jayez he?

Jawab:995 بسم الله الرحمن الرحيم
Mazameer (music) ka sunna haram hai, aisi naat, aur qawwali jisme musical instruments istimal kiye gaye ho uska sunna gunah hai, Fatawa Razawiyya Jild: 24 Safah: 80 par hai,
Mazameer bilashuba haram hai, ... inke sunne sunane ke gunah hone me shak nahi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 996

Assalamu Alaiykum, Kisi ke shohar Ko Dusri Shadi karna ho aur Wo Apni biwi se ijazat le aur biwi nahi de ijazat to Kiya Dusri shahdi kar sakta hai, Barah karam Tafsil main Bataiye

Jawab: 996 بسم الله الرحمن الرحيم
Shadi kar sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 997

Hazrat koi aurat rat me koi halka libas (lower T-shirt, Gaun) paihan kar soye to koi haraz hai ? Rehnumai farmae.

Jawab: 997 بسم الله الرحمن الرحيم
Libas agar aurato wala hai, aur aurat apne shohar ke sath bistar par hai, to halka pehnne me ya koi bhi aurat wala libas pehnne me harz nahi, aur agar ghar me na-baligh, magar samajh rakhne wale bachche maujood hai, aur sab ek kamre me sote hai to is tarah koi aurat pehn kar sona khud pasand nahi karegi, ha agar kamre alag alag hai to bhi harz nahi, aur gair-shadi shuda bhi isi bat ka lihaz rakhe, magar suwal me jo t-shirt ka zikr hua, wo shayad aurat ka libas nahi, balki ye yahoodi qaum ki aurate mardana libas ikhtiyar karti hai, aur hadis me isse mana farmaya hai ki “us aurat par lanat jo mardo se mushabihat kare aur Hadis me hai- :- مَنْ تَشَبَّہَ بِقَوْمِ فَھُوَمِنْھُمْ
 (jo shakhs jis qaum se mushabihat kare wo unhi me se hai,)

Lihaza ap dekh le, halke libas pehn kar sona gunah nahi, magar ghar me kon kon hai bas ye dekha jayega,
Tanha hai to harz nahi, apne shohar ke sath hai to harz nahi, agar kamre me hai ya nasamajh bachche ke sath hai to bhi harz nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 998

Hazrat fasik ka kya matlab hota he

Jawab: 998 بسم الله الرحمن الرحيم
Firoz ul lughat safah: 922 par hai
Fasiq- (فاسق) - Gunahgar, badkar, jahannami, jhotha,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 999

Kya biwi apne sohar ka name le sakti he ya sohar apni Biwi ke name le sakta he sariyat me Kya he

Jawab: 999 بسم الله الرحمن الرحيم
Biwi ko shohar kaa naam le kar pukarna makruh hai, Or hamare nazdeek haya ka takaza yahi hai ki shohar bhi biwi kaa naam naa le, Hadis e pak me hai ki
HAYA IMAN SE HAI, Or naam le bhi le to gunah nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1000

Assalamu alaikum Hazrat, Nikah ke jaiz ahkam kya hai aur deen ke hisab se kya tariqa hai ?

Jawab: 1000 بسم الله الرحمن الرحيم
Nikah ke jaiz ahkam bas itna hai ki, sharai meher ke sath do gawaho ki maujoodgi me ijab o qubool kar liya jaye, isse bhi nikah ho jayega, aur khutba, aur nikah masjid me hona aur ailaniya hona, juma ke din hona mustahab, aur har kam nikah me jaiz hai, jise shariat pasand kare, yani musalmano ko achha khilana wagera, aur har wo kam najaiz hai, jise shariat ne mana kiya ho jaise, dulah ke mehndi lagana, nach gana, mard aurat ka ek sath khana, joote churana, aur fizool kharch wagera wagera, isme baz kam haram hai, aur gunah e kabira hai, jisse bachna chahiye, Aur hadis me “kam bojh wale nikah ko barkat wala nikah qarar diya gaya,

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

No comments:

Post a Comment