Suwal 1001 to 1100 (Masail e Shariat Jild 2)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat Jild 2) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Aqib Raza Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 2)
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Suwal no. 1001

Gusal me kitne farz hai or konse hai

Jawab: 1001 بسم الله الرحمن الرحيم
Gusl me teen farz hai, kulli karna, nak me pani chadana, aur pure badan par pani bahana
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1002

Hazrat namaz me gardan ki haddi dikhne se namaz ho jaegi ki shirt ka uper ka batan band karna hoga ?

Jawab: 1002 بسم الله الرحمن الرحيم
Kurte/shirt ke upar ke batan khule rehne ki chand surate hai, yani, kurte ka pehle gale ka batan khula hai, jisse sirf gala ya hasli ki haddi nazar aa rahi hai jaisa ki suwal me hai, to is surat me namaz ho jayegi, aur agar haddi se niche ke batan khule hain jisse seena nazar aa raha hai, aur usne upar koi kapda bhi nahi pehna jisse seena chhip sake, to is surat me namaz makruh tehrimi hogi,
Waqarul Fatawa Jild:2 Safah:76 par hai
“hasli ki haddi se neeche sina hai aur upar gala hai, gale ke khule rehne me koi harz nahi, lekin gale se neeche ka hissa is tarah khula rakhna ki jo kapda pehna hai uske batan bilkul naa lagaye gaye ya upar ke batan is tarah chhor diye gaye ki jinse hasli ki haddi aur sine ka hissa khula rahe, aur us kurte ke upar doosra kapda pehen liya maslan sherwani wagera to namaz makruh hoti hai, aur agar doosre kapda pehn kar uske batan laga liye gaye to makruh nahi, ya kurta kamees wagera is tarah banai gai aur gala itna gehra kata gaya, jiske batan lagane ke bad bhi hasli ki haddi nazar aati hai to isme bhi karahat nahi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1003

Hazrat Kya sasur apni bhahu se apna haath per dabwa Sakta he ya nahi shariat me is bare me Kya kaha gaya he

Jawab: 1003 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar sasur aisa zaeef ke shehwat ka khauf nahi to paun daba sakti hai, magar kapde ke upar aur ghutno se neeche tak, aur isme bhi koi man’e sharai naa ho, maslan agar aurat ko khud ki shehwat par kabu naa rahega to haram hai, ya shohar is bat ko pasand nahi karta to bhi, aur daur purfitan hai, aise kam se parhez lazim hai, sasur ko chahiye ke ye khidmat apni biwi se le agar wo hayat nahi ya maujood nahi to bete se,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1004

Hazrat kya Anguthi (Ring) pehn sakte hein? Agar han to Anguthi keisi honi chahie (weight, size) etc. Kya Usme Pathhar lagana jaiz hei ?? Rehnumayi farmaye, JazakAllah.

Jawab: 1004 بسم الله الرحمن الرحيم
Mard ko ek chandi ki anguthi wo bhi saare char(4.5) masha se kam aur ek nag ke sath jaiz hai, iske siwa na bager nag ki jaiz aur na ek nag se zyada ki jaiz, aur wazn me chandi ka halqa dekha jayega nag ka wazn shumar nahi hoga, nag koi sa bhi ho aur kitne hi wazn ka ho, jaisa ki

Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami farmate hain,
Mard ko zewar pehenna mutlaqan haram hai, sirf chandi ki ek anguthi jaiz hai, jo wazan me ek mishkal yani sare char (4.5) masha se kam ho, aur sone ki anguthi bhi haram hai, .(age farmate hai) baz ulama ne yashab aur aqeeq ki anguthi jaiz batai, aur baz ne HAR QISM KE PAT’THAR KI ANGUTHI KI IJAZAT DI, aur baz in sab ki mumaniat karte hain, (age farmate hain) anguthi se murad halqa hai, nageena nahi, nageena har qism ke pat’thar ka ho sakta hai,
(agle safah par farmate hai) anguthi ek nageene ki ho aur agar usme kai nageene ho chahe chandi ki ho, mard ke liye najaiz, isi tarah mard ke liye ek se zyada anguthi pehenna ya chhalle pehnne bhi najaiz hai,
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 426-427-428
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1005

Hazrat sona girwi rakhna kaisa hai us paise se log kuchh kar sakta hai ye nahi aap ise batye ?

Jawab: 1005 بسم الله الرحمن الرحيم
suwal wazeh nahi ki sona kiske pas girwi rakha jaa raha hai, kisi kafir ki company me ya kisi musalman ke pas, kya hi behtar ho ki Aap is suwal ki muqammal tafsil likh kar karib ke kisi mufti sahib se fesla le len,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1006

Sab se pehle salam kis ne our kab kiya Hazrat

Jawab: 1006 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehle salam Hazrat adan ne firishto ko kiya,
Sahi bukhari aur muslim ne abu huraira se riwayat kiya, farmaya huzoor (alaihissalam) ne:-
“allah ne Hazrat adam ko unki surat par paida farmaya unka qad 60 hath ka tha, jab paida kiya ye farmaya un firishton ke pas jao, aur salam karo, aur suno ke wo tumhe kya jawab dete hain, jo kuchh bhi wo tumhe tahiyyat kare (jawab den) wahi tumhara aur tumhari aulado ka jawab hoga”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1007

Hazrat koi wazifa bata dijiye karobar se parshan hai, karze me bhi aagaye hain

Jawab: 1007 بسم الله الرحمن الرحيم
Kahi aisi jagah khade ho kar jaha asman aur sar ke bich kuchh chiz naa ho yaha tak ki topi bhi na ho yani khule asman ke niche, Isha ki namaz ke bad, 500 martaba, يَا مُسَبَّبَ الأَسْبَابِ (ya musabib al asbab) awwal akhir durud 11-11 bar,
Aur fajr ki sunnat aur farz ke darmiya 100 bar سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ أستغفر الله (iske liye khula asman shart nahi,) Karobar, karz aur tangdasti ke liye teer e ba-hadaf hai, (magar faraiz aur wajibat ki pabandi shart hai aur haram se bachna lazim)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1008

AssalamuAlaikum, Hazrat kuchh log apne aap ko sunni kehte hein lekin Maslak e AalaHazrat se munh modte hein. unse puchhne par kehte hein Humara maslak imam Abu Hanifa hai jab ki imam Ahmed Raza bhi Abu hanifa ke maslak ko manne wale the Hazrat zara iska khulasa kre JazakALLAH

Jawab:1008 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisa nahi hai ki maslak e alaHazrat koi nya maslak hai, aur YE logo ke ilm ki kami hai, jiske pas shariat ka sahi ilm nahi hota wohi aisi behki bate karte hai, maslak ka mayena RASTA hota hai, to kisi bhi buzurg ka wahi rasta hoga jo imam azam ka hai, ya waha tak le jane wala hai, jab maslak e alaHazrat kaha jata hai to iska matlab ye nahi ki ye 5wa maslak hai balki ye daur e purfitan me haq aur batil ko wajeh karne ki ek nishani hai, kyunki jab maslak e abu hanifa kaha jata hai to deobandi bhi keh dete hai, ki ham bhi hanfi hai, halaki wo to musalman hi nahi isliye aur saf byan karne ke liye IMAM AHMAD RAZA ke maslak ka nara ulama ne ijad kiya taki koi deobandi sunni ko dhoke me naa dal sake, aur ab ye ahle sunnat ke shiar me se hai, lihazaha ab isi par amal kiya jaye, jaisa ki
Fatawa Faqih e Millat Jild:2 Safah:429 par hai,
“mazhab e haq ahle sunnat wa jamat ko zahir karne ke liye, aise lafz ka hona zaruri hai, jo tamam badmazhabo se mumtaz ho, isiliye zarurat ke lihaz se har zamane me, mazhab e haq ko imtiyaz ke liye, alag alag alfaz se yad kiya gaya, jo ahle ilm par poshida nahi, (age farmate hai) jab maslak e alaHazrat kaha jata hai to usse murad wahi maslak hota hai jo auliya e ummat ka maslak hai, (age farmate hai) ISILYE IS ZAMANE ME MASLAK E ALAHAZRAT HI KEHNA ZARURI HOGA, AUR ISSE ROKNE WALA BADMAZHAB HOGA YA HASID,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1009

Jamat-e-Islami ki haqiqat kya hai, Yeh koi Firka hai ya fitna hai, Kuchh logo ka kehna hai yeh bhi ek sunni tanzim hai jo musalmano ke hukook ke liye kaam karti hai aur is jamaat me sabhi padhe likhe afraad hi judte hai?

Jawab: 1009 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye ek firqa hai, aur har firqa e batila ek fitna hi hota hai, ye sunni tanzim nahi balki ise maudoodi jamat bhi kaha jata hai, aur padha likha chahe jaisa bhi ho jab tak aqaid ka sahi sunni nahi hoga, to sahi musalman nahi hoga, Fatawa Shareh Bukhari Jild:3 Safah:21 par hai,
maodoodi (Jamat e islami), tablighi gair muqallid, huzoor e aqdas ki shan me gustakhi karne ki wajah se kafir murtad hain,”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1010

Fajr ki namaz ke liye aankh nahi khulti alaram rakhta hu full speakar fir bhi, koi wazeefa ya fir tareeka batayen taaki Namaz Na chhute ?

Jawab: 1010 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu ke sath soyen aur bistar par let kar, paun samet kar, 3 bar surah zulzila (surah 99) padh kar dil me fajr me uthne ki dua karke so jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1011

Huzoor sallallahu Alaihi wa sallam ki Namaz E Janazah huyi thi Yaa Nahi, Agar huyi to Namaz kisne parhaayi.? Tafseel se jawaab dein. Meharbaani hogi ?

Jawab:1011 بسم الله الرحمن الرحيم
Huzroo ki namaz janaza ke liye log giroh dar giroh, Aate or namaz ada karte magar koi imam naa tha.
Jaise ki Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi (madarijun-nabuwat) me tehreer farmate hai.

Janaza tayyiar hua to log namaz e janaza ke liye tut padhe, Pehle mardo ne fir aurton ne fir bachcho ne namaz e janaza padhi, Janaza e mubarka hujra e aqdas ke andar hi tha, Bari bari se thode thode log andar jaate the aur namaz padh Kar chale aate the, lekin koi imam naa tha.
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1012

Hamare papa pe do makan hai or bechne ka irada nahi hai to qurbani farz hai hamare papa pe ya nahi ?

Jawab: 1012 بسم الله الرحمن الرحيم
G qurbani karna wajib hai, (aur koi man’e shara naa ho)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1013

Hazrat agar bad aqida deobandi ya wahabi ya koi aur bad aqida azan De to us azan se sunni namaz pad sakta he, ya azan dena padega ?

Jawab: 1013 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ke liye us namaz ka waqt hona zaruri hai, namaz padh sakte hai, tanha namazi ko azan dene ki zarurat nahi,,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1014

Baal jo aajkal ke ladke katwate hai angrezi style ke aur ek ye bhi qaim hai jisme kisi tarah ki mang nahi nikalti yani saare bal gel laga kar upper hote hai, shariat me kya ye jaiz hai,

Jawab:1014 بسم الله الرحمن الرحيم
Baalo ka bina mang ke sawarna makruh wa khilaf e sunnat hai, aur sunnat ye hai ki baalo me mang nikali jaye, be-mang, na rakhe jaye, aur isi tarah angrezi style ke baal ya kisi kafir ki mushabihat par baal rakhna bhi mana hai, isi tarah Fatawa Razawiya Jild:23 Safah:100 par hai
“angrezi baal rakhna makruh wa khilaf e sunnat wa wa’ze fussak wa mamnu hai,”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1015

Assalamu alykum. Janab mera sawal agar kisi masjid me imam na ho karib 2mahina ho gaya bagair jamat se namaz padhte he hum is ke liye kya hukm he jawab inayat farmaye ?
 
Jawab: 1015 بسم الله الرحمن الرحيم
Do mahine se masjid me imam nahi hai, to fir is masjid ki zimmedar commetti kahan hai ? wo kya hath par hath rakh kar so rahi hai ya fir intizar kar rahi hai ki masjid me deobandi ka qabza ho jaye, agar memberan ki janib se kami hai to aise sust member jo musalmano ki ibadat par tawajju naa de hata dena chahiye aur nai members ki nai commetti tayyar karke, jald az jald kisi imam ka intizam kare, taki waha namaz e panjagana aur juma ada ho sake aur agar ilaqe ke log bhi is mamle me susti kar rahe hai to yaqeenan allah ke ghar ko weeran aur mehrum kar rahe hai, aur masjid ka haq usme jamat se namaz padhna hai, aur hadis me hai, “jo bhalai ka hukm na de wo ham me se nahi aur jo burai se mana na kare wo hamme se nahi”
lihaza ilaqe ke logo ko chahiye ki susti kare bina members se bat kare imam ka intizam kare, warna qiyamat me unhe bhi iska jawab dena hoga jinhe khabar mili or qudrat rakhne ke bawajood wo bhi chup bethe rahe, rahi ab tak ki jamat se namaz ki bat to jamat kuchh logo me bhi qayam ki jaa sakti hai, jo imamat ke qabil ho imam ban jaye baki uske muqtadi, aur imamat wahi kare jo unpe behtar paki aur qirat janta ho, aur aqaid or namaz ke deegar zaruri masail maslan, mufsidat e namaz, wajibat e namaz janta ho
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1016

Hazrat koonde ki fatiha kis tarikh me dilaye

Jawab: 1016 بسم الله الرحمن الرحيم
Niyaz naam hai isal e sawab ka jis din aur jis mah me kari jayegi sawab chala jayega, isi tarah, rajab me jab bhi koonde karenge to koi harz nahi, magar behtar hai ki jis buzurg ki niyaz hai wo unki wisal ki tarikh par honi chahiye, aur imam jafar ki wisal ki tarikh me ikhtilaf hai, aur baz akabir ne 15 rajab kaha, isilye behtar ye hai ki koondo ki niyaz 15 rajab ko karni chahiye jaisa ki Fatawa Faqih Millat Jild:2 Safah: 265 par hai
“22 rajab ke bajaye imam jafar ki niyaz 15 rajab ko karen”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1017

Hazrat kya tota ya laal muniya chiriya paalna jayez he ya kisi bhi tarah ka parinda palna jayez he ya nahi?

Jawab: 1017 بسم الله الرحمن الرحيم
Palna jaiz hai, magar unke daane paani ka aur sardi garmi dhoop wagera mosam ka khas khyal rakha jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1018

اسلام عليكم
Hazrat mujhe Ye Jannaa he ke Namaz ke Faraiz, Sharaet Or Wajbat Kitnay Kitnay hain ? Or kon kon se Hain.? Rehnumayi Farmaye. جزاك كم الله خيرا

Jawab: 1018 بسم الله الرحمن الرحيم
Faraiz e salat
1-takbir e tehrima, 2-qiyam, 3-qirat, 4-ruku, 5-sujood, 6-qada akhira, 7-khuruj e bisunuiyi
Sharait e salat
1-Taharat, 2-sitre aurat, 3-istiqbal e qibla, 4-Waqt, 5-Niyat, 6-Takbir e tehrima
Wajibat e Salat
Namaz ke wajibat kafi hai, kisi kitab se tafseelan padhe jaye, kuchh arz kiye jaate hai,
*takbir e tehrima me lafz allahu akbar hona
*sureh fatiha ki saato ayato ka padhna
*koi ek surat milana
*sureh fatiha aur surat ke bich siwaye “bismillah” ke kuchh naa padhna
*sureh fatiha ke foran bad surat milana
*sureh fatiha ke bad surat milana farz ki pehli do rakat me nafil witr ke har rakat me wajib hai
*sureh fatiha ka surat se pehle padhna wajib hai
*sureh fatiha ka ek hi bar padhna wajib hai
*sureh fatiha aur surat me bich waqfa naa karna (siwaye aameen aur tasmia)
*qirat ke foran bad ruku karna
*qauma (ruku se poori tarah kamar sidhi karke ek tasbih ki misl ruka)
*ek sajde ke bad doosra sajda hona
*sajde me (mard ko) paun ki teen aungliyo ka pet zameen par lagana
*jalsa wajib hai (do sajdo ke bich bethna, ek tasbih ki mikdar kamar seedhi karna)
*q’ada ula,
*tashahud
*foran teesri rakat ke liye khade hona
*witr me takir e qunoot aur dua (qunoot ya koi bhi)
*salam me lafz “assalamu” ka hona wajib “alaykum” sunnat hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1019

Zohar ki namaz ka akhiri waqt kab tak rehta he.

Jawab: 1019 بسم الله الرحمن الرحيم
Zohar ki namaz ka akhri waqt, asr ki namaz ka waqt hone tak rehta hai, maslan aaj asr ka waqt 5:15 par lagega to zohar 5.14 tak hogi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1020

kya farmate hen Ulmay deen is masle ke bare me ki hamare bhai ger muslimo par lakho rupay (udhar ke) mangte he par wo dene me aana kani karte he, to kya is surat me ger muslimo se byaj lena jaiz hoga ya nahi ? Aabid raza m.p se

Jawab: 1020 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo log apko asl raqm hi nahi de rahe wo extra kaise de denge ? balki unko time aage badane ka moka mil jayega, rahi bat zaid raqm ki to, agar apke bhai kisi kafir se apna qarz mange or wo kahe mujhe ap kuchh waqt de do me apko asl se kuchh zyada raqm de dunga to ye zyada raqm lena jaiz hai, aur apne jo suwal me “byaj” likha hai wo byaj nahi hota naa use byaj kaha jayega, aur raha byaj, to byaj har surat haram hai, jabki byaj ho, magar har zaid raqm ka naam byaj nahi, byaj musalman musalman ke bich hota hai, hindustan ke kafir se zyada raqm byaj qarar nahi pata,
Hadis me farmaya : لا ربا بين المسلم والحربي في دار الحرب
Kafir harbi aur musalman ke darmiyan sood nahi.

Fatawa Razawiya Jild:17 Safah:327 par farmate hain,
“agar qarz diya aur zyada lena qarar paya, to musalman se haram e qatai aur hindu se jaiz, jabki use sood samajh kar naa le,”

Hazrat Faqih e Millat Mufti Muhammad Jalaluddin Amjadi (alaihirrehma)
Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:391 par farmate hain,
“yahan (india) ke kafiron ko qarz dekar, za’id raqm lena JAIZ HAI”

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah: 388 par hai
“is nafe ko kisi ke sood keh dene se shariat ke nazdeek sood nahi ho jayega,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safa: 343 par hai
“ahkam e shariat ko quran o hadees se maloom kiya jata hai aqal se nahi jana jaa sakta”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1021

kya farmate he ulmay din is masle ke bare me ke agar kisi mard ke sine par bal bade ho ya zyada ho to un ko kat sakte he ya nahi ? Aabid raza, mandsor M.P

Jawab: 1021 بسم الله الرحمن الرحيم
Seene hath per par agar baal ho to unhe tarash lena mustahab hai, aur jitne zyada ho to tarashna utna hi afzal, kyunki jisam par zyada gair zaruri baal hone se paani bhi zyada kharch hota hai to aur bal agar zyada aur bade honge aur jald bazi me kuchh bal sukhe reh gaye ya nok tak paani naa beh saka to masail paida ho sakte hai, lihaza is niyat se ki gusal me pani kam kharach hoga aur paki me bhi koi shak shubha naa hoga, baal tarashne par kuchh muzaiqa nahi balki allah ki rehmat se sawab hi payega, aur wo bada bakhshne wala mehrban hai.

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:303 par hai
Hath, paun, SEENA, pusht (pith) par baal ho to, saf kar dale ya to tarashwa le nahi to paani zyada kharach hoga,”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1022

Hazrat agar farz namaz me imam na ho or sab ko tanha namaz padhni ho to kiya iqamat kahi jayegi ?

Jawab: 1022 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab koi tanha apni namaz ada kare to use apni namaz ke liye azan ya iqamat kehne ki zarurat nahi, waqt ka hona kafi hai ya ilaqe ki koi bhi azan hi kafi hai, jaisa ki Waqarul Fatawa Jild:2 Safah:40 par hai
“aisi jaga jahan qarib me masjid hai, aur usme azan wa iqamat hoti hai, to waha makan ya dukan wagera me (tanha) namaz padhne walo ke liye, WAHI AZAN WA IQAAMAT KAFI HAI”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1023

Hazrat fajr ki namaz agar ghar padh le to agar subha kam par jaldi jana ho jamat se pehle ?

Jawab: 1023 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz e fajr ada ho jayegi, yani farz zimme se saqit ho jayega, aur ek bar aisa karne se kuchh gunah bhi nahi, aur agar aisa karne ki adat bana li to zarur gunahgar hoga, ki taarik e wajib, fasiq hota hai, lihaza, koshish karni chahiye ki jab jamat wajib hone ki shart pai jaye to bila wajah jamat tark nahi karni chahiye, allah se dua hai ki wo musalmano ke haal par rehmat ki nazar kare
 وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1024

Agar hum safar me he or hamari niyat 20 din ki he to kis tarha hume namaz ada karni he jamat ke sath, Niyat agar das din ki he to kis tarha se karni he jamat ke sath ya apni padhe to kis tarha ?

Jawab: 1024 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar apne asli sheher (watan e asli) se 92 KM bahar jaane ka irada ho or wo bhi, 15 din se kam din ke liye to musafir kehlayega aur musafir ko har 4 rakat wali farz 2 hi padhi jayengi, jabki magrib, vitr, sunnaten poori poori,
Aur magar mard ko sunni jamat mile to jamat se poori namaz padh sakta hai, koi harz nahi, aur jamat naa mile tanha padhe to adhi padhe yani qasr kare, ya aurat hai, to tanha padhegi to adhi namaz padhegi, agar poori padhi to gunahgar hogi, aur isse zyada din ki doori teh kare, to shariat me musafir nahi, har namaz poori ada kare,
Lihaza aagar aap 20 din ke liye 92 k/m se bahar jaoge to musafir nahi yani namaz poori padhni hogi chahe jamat se ho ya tanha, aur 10 din ke liye jaoge to tanha 4 farz ke do padhne honge aur jamat se poori padh sakte ho,  Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 743 par hai,
“musafir par wajib hai ki namaz me qasar kare, yani 4 rakat wale farz ko 2 padhe iske haq me do hi rakaten poori namaz hai, agar jaankar 4 padhe, aur qada ula kiya, to farz ada ho gaye, aur baki do rakate nafil hui, magar (4 padhne ki wajah se) gunahgar aur azab ka haqdar hua,”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1025

Jab namaz tanha pad rahe ho to kya farz namaz ke pehle takbeer kehna zaruri he ?

Jawab: 1025 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi tanha namazi ko azan aur takbir ki hajat nahi, isi tarah Waqarul Fatawa Jild:2 Safah:40 par hai
“aisi jaga jahan qarib me masjid hai, aur usme azan wa iqamat hoti hai, to waha makan ya dukan wagera me (tanha) namaz padhne walo ke liye, WAHI AZAN WA IQAAMAT (TAKBIR) KAFI HAI”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1026

Allah عزوجل ko Khuda (jo ki farsi lafz he) or Eeshvar (jo ki hindi lafz he) kehna kaisa?

Jawab: 1026 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah ko Allah keh kar pukarna zyada behtar hai, ye jamae naam hai, jisne allah ko allah keh kar pukara to goya usne use sabhi namo se yaad kiya, aur kehna khuda, allah ko jaiz hai, aur eshwar kehna najaiz o gunah, or haram he, ki kafir ka apne mabood ko pukarne ka tariqa hai,
Aur Farmaya qaum ko raah e jannat me le jaane wale hadi o maula ne
:- مَنْ تَشَبَّہَ بِقَوْمِ فَھُوَمِنْھُمْ
(jo shakhs jis qaum se mushabihat kare wo unhi me se hai,)

Fatawa Shareh Bukhari Jild:1 Safah: 246 par hai,
“allah ko bhagwan kehna kufr hai kehne wale par tajdid e iman aur nikah lazim hai, ishwar kehna bhi jaiz nahi, hinduo ne bahut se alfaz khas kiye hai, unme se kuchh kufr hai, HARAM SABHI HAIN,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1027

Zaid apne ghar se 200 k/m door 1 saal ke liye kahi appoint hua lekin wo hafte do hafte me apne ghar wapas hota rehta he, Is surat kya wo musafir hua ?

Jawab: 1027 بسم الله الرحمن الرحيم
Zaid jahan 15 din se zyada ki niyat se kam kaj ke silsile me reh raha hai, wo jagah uske haq me WATAN e IQAMAT hui, aur waqt e iqamat me namaz qasar nahi hoti, poori padhni hogi, aur jo uska apna ghar hai, jaha pariwar hai, wo uske haq me WATAN e ASLI hai, aur jab koi watan e iqamat ikhtiyar kar le to namaz qasar nahi balki zaid ko wahan (deuty par) poori namaz padhni hogi, isi tarah jab zaid, apne ghar ayega to waha ate hi, poori namaz padhega, kyunki watan e asli me ate hi musafir ka safar khatam ho jayega, han itna zarur hai ki dono raasto ke safar par jo namaz e ayengi wo qasr hongi, aur pahuch jane par poori chahe ghar se deuty par jaye ya deuty se ghar aye, (raste me qasar, baki dono jagah pahuch kar puri)

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:744 par hai
“musafir us waqt tak musafir hai, jab tak apni basti me pahuch naa jaye, ya abadi me pure 15 din theher ne ki niyat na kar le,”
(lihaza raste me qasar kare)

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:751 par hai
“musafir jab watan e asli me pahuch gaya safar khatam ho gaya
(ghar ate hi zaid musafir na raha lihaza poori padhe)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1028

Agar namaz padhate hue imam ki zabaan qirat main ladkhada jaye aur is se pahele ki wo durust ho, peechhe se muktadi qirat ko aage badhaye to kya aise main sajda-e-sahaw zaroori ho jayega ? (jabki imam aayat ko bhool gaya tha bus Yani usne koyi doosri ayat nahin padhi hai)

Jawab: 1028 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam ayat bhool gaya aur taqrar naa kari, ya foran dosri surat ki taraf muntaqil nahi hua aur ye suqoot 3 tasbih ka tha to, sajda sehev wajib hai, warna nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1029

Hazrat kiya chhipkali agar badan par gir jaye to napak ho jate he or gusal farz ho jata he.

Jawab: 1029 بسم الله الرحمن الرحيم
(mubalga)
Askar log mujhe isi tarah ke suwal karte he ki chhipkali badan par gir jaye to kya hame nahana zaruri hai, magar koi ye nahi puchhta ki agar insan chhipkali par gir jaye to chhipkali ka kafan aur namaz e janaza hogi ya nahi,

Chhipkali ke girne se napak nahi hota aur naa wuzu tutega, aur ye sona pani me dal kar nahane wali bat fizul hai, isse islam o shariat ka koi talluq nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1030

Zaid ne Mazak me jhooth is tarah kaha ki "sunne ya padhne waale ko maalum hai ki yeh jhooth hai "
Zaid par kya hukme sharai hoga?

Jawab: 1030 بسم الله الرحمن الرحيم
Zaid par koi hukm nahi, jab tak wo jumla ya poori bat mujhe wajeh naa ho, kyunki isme do surate ho sakti hai, maslan zaid ne kisi ka saman chhipa diya, aur kuchh dost (jo is harkat me shamil hain) unhe khabar hai, ab wo saman wala puchhta hai ki saman kaha hai,or zaid kehta hai mujhe nahi pata to zarur zaid jhutha hai, chahe uske sathi ye jante ho ki zaid ne hi chhipaya hai, to is surat me bhi sunne wale dosto ko pata hai ye jhooth bol raha hai, yani zaid ka is tarah koi baat kehna ki samne wale use sach samajh le (ki zaid ne nahi chhipaya hoga) to jhooth hai, aur agar ye mamla nahi balki zaid ne koi aisa jumla bola jo muhavre me bola jata hai aur uska batin mayena kuchh aur hota hai to fir jhooth bhi nahi aur gunah bhi nahi, maslan- bhook lagne par zaid ne kaha mere pet me chuhe kood rahe hai, yani iska matlab tez bhook murad hai, sabhi ko pata hai ki zaid ke pet me chuhe nahi, to is tarah ka mamla jhoth me nahi aata, kyunki sabko pata hai zaid ne chuho ka tazkirah to kiya, magar log isse dhoka nahi khaate, kyunki har koi is tarah ki baato muhavro ka asli matlab janta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1031

Kuchh Log kehte hei ALLAH or Ishwr ek he, Aise Logon ke liye shriat me kya Hukm he ? Rehnumayi farmayen

Jawab: 1031 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisa kehne wala gunah gar to kam az kam hai aur ise toba bhi karni chahiye, aur isse puchha jayega ki eshwar se kya murad hai, agar wo ye aqeeda rakhta hai, kafiro ke mabood ya bhagwan ya raam aur allah ye sab ek hi hai to zarur kafir hai, aur agar allah ko hi mabood mane aur sabko batil, magar kafir wale naamo se pukare to fasiq hai gunah gar, Fatawa Shareh Bukhari Jild:1 Safah: 246 par hai,
“allah ko bhagwan kehna kufr hai kehne wale par tajdid e iman aur nikah lazim hai, ishwar kehna bhi jaiz nahi, hinduo ne bahut se alfaz khas kiye hai, unme se kuchh kufr hai, HARAM SABHI HAIN,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1032

Hazrat kiya tetoo hath par banane se namaz nahi hogi tetoo Jandar cheez ka ho ya naam ka ya phool Patti ka ho to kiya namaz nahi hogi or tetoo banana gunha he, quran or hadis ke sat bataye?

Jawab: 1032 بسم الله الرحمن الرحيم
Tetoo banana, banwana, jandar ya gair jandar ka sab haram hai, ab agar kisi ne banwaya aur bad me maloom chala ki ye kam jaiz nahi tha to ab wo sache dil se toba kare aur ainda aisa karne se door rahe, aur is kam ko bura hi jane, aur namaz ho jayegi, aur jandar ka ho to use chhipa le,

Tetoo banwane se mutaliq Hadis me farmaya
لعن اﷲ الواشمات والمستوشمات و المتنمصات والمتفلجات للحسن المغیرات لخلق اﷲ
(tarjuma: allah ki lanat badan godne walo aur gudwane walo aur munh ke baal nochne walon aur khoobsurati ke liye daanton me khidkiya banane walo, allah ki banai cheez bigarne walo par.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1033

Mere ek sunni dost ne bataya hai ki ghar ya karkhane me kathal ka ped nahi lagaya jata, Kya ye sahi.?

Jawab: 1033 بسم الله الرحمن الرحيم
Mujhe iska ilm nahi na kahi aisa mene suna na kabhi nazar se guzra, aap usi dost se iski sharai kharabi maloom kare, ki jo daawa karta hai dalil dena uske zimme hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1034

Hazrat mera suwal ye hai ki mera business gold jents ring manufacture ka hai mere yaha mard wali sone ki anguthi(ring) banti h..or mujhe pata hai ki mard ko sona(gold) pahan na haram hai, magar mai Jo anguthi banata hu wo sirf dukandaar k liye banata hu na k kisi perticular apne customer(musalman) k liye or dukandaar aksar gair Muslim hi hota hai... To ab to ye baat dukandaar pr hi depend hoti hai k wo us anguthi ko musalman ko beche ya gair muslim ko...mujhe dukandaar ne sirf order diya hai or mai us order ko poora kr ke us ko de deta hu, Poori surate haal yahi hai, To ab bataiye ke mera ye jents gold ring manufacturing ka business jaiz hoga ya na'jaiz hoga Rahnumai farmaye

Jawab:1034 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran pak me allah fermata hai,
Surah maida ayat 02 me
Or gunah or zyadati par ek doosre ki madad naa karo

Fatawa Hindiyya Jild: 3 Safah: 451 par hai
Gunah ke kaamo me kisi ki madad karna Kabeera Gunaho me shamil hai,

Bahar e Shariat Jild:3 Safah:474 par hai
“jin cheezo ki anguthiya mard aurat dono ko najaiz hai, unka banana aur bechna bhi mana hua, ki ye najaiz kam par ianat hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1035

Main ek adopted hun mere huqooq kya hone chahiye mere walidain par main jinke pass rehta hun unka aur jinho ne mujhe paida kiya unka, quran hadis ki roshni me jawab farmayae,

Jawab:1035 بسم الله الرحمن الرحيم
Aap par walidain (jisne paida kiya) ke haq hi hai, aur wo sare haq apko ada karne honge, unke muqable me kisi ka koi haq nahi, or jinhone god liya to zarur apke sath bhalai ki, khilaya pilaya aur izzat di to ba-takaza e bashariyat unka ehsan bhi nahi bhoolna chahiye aur unka shukr bhi har waqt ada karna chahiye, ki jo “bando ka shukr ada nahi karta wo khuda ka bhi nashukra hota hai” aur jab kabhi unhe apki madad ki zarurat ho to kam ana chahiye, aur waqtan fa waqtan unki khairiyat bhi talab karte rehna chahiye aur maali etbar se bhi madad karte rehna chahiye, maslan tiohar bimari wagera me, magar yaha ek bat ghaur karne ki ye hai ki agar apko god, bachpan me hi liya gaya tha aur doodh pilane ke zamane me hi god lene wali aurat ne apna doodh bhi pilaya tha to behtar, WARNA apka us aurat se parda farz hoga jise aap apni maa samajh rahe ho lihaza usse be-parda aur tanhai me milne ki ijazat nahi hogi, (jabki bahut hi budhi ho to harz nahi) chahe apke dil me koi aisi bat ho ya na ho, thik wese hi agar unke ghar me unki baligha beti hai to usse bhi apka parda hoga, chahe wo apko bhai kahe ya ap use behen, ye ise be-ehtiyat hai ki jo logo ko jahannam ki taraf le jati hai aur log shetani waswaso me aa kar kehte hai, hamara dil to saf hai, parda nazar ka hai, (maz allah) shariat me dil dimag nahi dekha jata, warna aaj koi Hazrat farooq e azam se pak saf nahi jo Hazrat ayesha ne unse parda kiya, jabki nabi ki biwiya bhi ummat ki maa hain, is lihaz se Hazrat ayesha Hazrat umar ki maa thi, fir bhi unse parda farz tha,
Ab raha (peda karne wale) walidain ke kiya haq hai to wo aap kisi kitab se padh sakte hai, itna zarur hai ki unke har jaiz kam ka hukm manna lazim hai, agar wo apko apne pas bulaye to jana padhega aur unhe RAZI RAKHNA WAJIB hai, aur ek hadis ka khulasa hai ki- “agar tu apne maa ko sar par betha kar garm pat’thar se nange paun guzar de to bhi us ek jhatke ka haq ada nahi kar sakta jo teri maa ne tujhe peda karte waqt saha tha.”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1036

Hazrat ek shakhs ne uske maqami sheher se bahar doosre sheher me tijarat maa ki ijazat se shuru ki thi, lekin ab uski tijarat me nuqsan ho gaya, aur qarz bhi ho gaya ab us shakhs ki maa kehti hai ki beta, wapas aa jaa aur zaifi me meri khidmat kare, lekin beta is surat me kiya kare, jabki uske pas us tijarat ke siwa doosra koi hal nahi hai qarz ada karne ke liye, kafir ka qarz dubo kar maa ki khidmat kare, ya maa ko chhor kar qarz ada kare ?

Jawab: 1036 بسم الله الرحمن الرحيم
Aye ‘raza’ har kaam ka ek waqt hai
Dil ko bhi aram ho hi jayega
Naa ye jaiz hai ki qarz daro ko dhoka de kar apne sheher aye, aur naa ye jaiz hai ki maa ko chhor kar doosre sheher kam kare(jabki unhe apki zarurat ho), awwal to ye samajh lena chahiye ki ye jo apke dimag me hai ki apko us kam me loss ho gaya to kya kare,? to apko kam badal lena chahiye, ye zaruri nahi ki ek hi kam ke pichhe padh jao chahe usme nuqsan ho, aur kamane ke liye sheher se bahar walidain ko chhor kar (jabki unhe apki zarurat hai) jana to waise bhi nuqsan ka bais nazar aa raha hai, lihaza ap apne shehr me maa ke pas aa kar koi or kam shuru kar sakte hai, na ek kam ko shariat ne wajib kiya hai na shehr se door jane ko, balki maa ki khidmat wajib hai, ap uske pas rehkar hi kaam karo aur qarza bhi ada karo aur maa ki zaifi me khidmat bhi, aur ye dono kam ibadat hai, aur dono mumkin hai, Mufti Faiz Ahmad Owaisi farmate hain, “berozgari ka ye bhi ek sabab hai ki log ek hi kam ke pichhe padh jate hai chahe nuqsan ho ya nafa, kam badalne ki nahi sochte” is tarah qarzdar ho jate hai aur deegar ibadaat se bhi mehroom,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1037

Hazrat Ye Dua/wazeefa/sher Hei??
Iska Mana(Mtlb)Batayen..
Shah-e-Mardan Sher-e-Yazdan Quwat-e-Parwardigar
La fata Ila Ali, La Saif Ila Zulfiqar

Jawab: 1037 بسم الله الرحمن الرحيم
Pehla misra Hazrat ali ke alqabat ka khulasa hai, (sher jaise bahadur, sher e khuda wagera,wagera)
Aur ek martaba ek jang ke dauran ap kafiro ko kaat rahe the tab gaib se ye awaz ai, jo suwal me dosra misra hai,  لا سيف إلا ذو الفقار ولا فتى إلا علي
(ali jaisa koi bahadur nahi, zulfiqar jaisi koi talwar nahi)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1038

Juma ki kitni raqat namaz hoti hai or kaun kaun si ? 2 farz ke alawa baki ki namaz sunnat hai ya sunnate muakkadah hai ya nafil he ?

Jawab: 1038 بسم الله الرحمن الرحيم
4 Sunnat e moakkada,  2 Farz, 4 Sunnat e moakkada, 2 Sunnat e moakkada, 2 nafil
وﷲ تعالٰی اعلم

सवाल नंबर 1039

क्या माइक में नमाज़ पढ़ाना जायज़ है ? कुछ सुन्नी मस्जिदों में पढ़ाते है और कुछ मस्जिदों में नहीं। ऐसा क्यों है?

Jawab:1039 بسم الله الرحمن الرحيم
Mic par namaz ko lekar ulama e ahle sunnat me ikhtilaf hai, baz iske jawaz ke qail hai aur baz adm e jawaz ke, aur hamari ray is masale par ye hai ki NAMAZ MIC PAR PADHNA JAIZ HAI JUMA HO ya PANJGANA, aur baz ne kaha ki mic ki apni awaz hoti hai, imam ki nahi, or baz ne kaha imam ki hi hoti hai buland ho kar nikalti hai, Fatawa Europe Page:201 par hai
“huzoor mufti e azam e hind ke tarbiyat yafta Hazrat allama mufti sayyid afzal hussain sahib, sabiqa sadar darul uloom Razawiyya manzar e islam bareili shareef, LAODSPEAKER PAR NAMAZ KE JAIZ HONE AUR SEHET PAR FATWA DETE RAHE,”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1040

Hazrat Juma ke Din jab khutba hota he to bich khutba me imam baithte he aur ham log hanth bandhe rehte he to khol dete he to dono khutba ke darmiyan kaun si dua padna chahiye ya shanti se baithna chahiye, Ye sawal pahle bhi kar chuka hu, but jawab nahi mila, is liye dobara kahna pada,

Jawab:1040 بسم الله الرحمن الرحيم
Do khutbo ke dauran dua qubool hoti hai, us waqt zarur dua karni chahiye, jo dua aap chaho karo aur jis zuban me, aur hath uthane ki bhi zarurat nahi, dua dil me bhi ki jaa sakti hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1041

Salam, janab gusul karne ka tareqa bata dein

Jawab: 1041 بسم الله الرحمن الرحيم
Bismillah padh kar guslkhane me dakhil ho, gatto tak hath dhoyen, fir adha jism dho len,, aur najasat lagi ho to use saf karo, fir namaz ka sa wuzu karo,(magar per naa dho) fir seedhe kandhe par pani bahao, fir ulte par, fir se sar se pure jism par pani baha lo, gusl me 3 farz hai jab wo ada ho jayenge to gusl ho jayega kulli karna, nak me pani bahana, pure jism par paani bahana, fir akhir me paun dho lo, aur apka wuzu aur gusl poora ho gaya aur gusl ke bad wuzu naa karo ki hadis me gusl ke bad wuzu karne se mana farmaya hai, aur baz log gusl ke bad bhi wuzu karte hai wo ghalati par hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1042

Sawal hai ki [kiya Nabi Karim Sallallahu Alayhi Wasallam ne kabhi kisi ko apne Hath ya Qadam ka Bosaa Diya kisi bhi Muslim ko Apni Fani Zindagi me] is sawal ka jawab kisi bhi Hadees se den

Jawab: 1042 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to ye qaida hi batil hai ki har cheez wahi jaiz samajhi jaye jo huzoor ne ki aur har wo cheez najaiz jo nabi ne nahi ki, ye etraz, JAHILANA, FASIKANA, BEWAKOOFANA, aur GAIR-ZIMMEDARANA hai, aur aisi mangharad qaide banane wala SHAGIRD E IBLEES, Yani Ahle Khabees hi ka kam hai, ASL QAIDA ISLAM ME YE HAI KI, har wo cheez jise shariat ne mana nahi kiya wo jaiz hai, (chahe nabi ne kiya ya nahi, sahaba ne kia ya nahi) or jis cheez ke karne ka hukm ALLAH RASOOL NE NAHI DIYA WO BHI JAIZ HOTA HAI, fir agar aap dekho ki qadam bosi agar nabi ki, sahab ne nahi ki to shariat ne isse mana bhi nahi kiya, WARNA ME DAAWE KE SATH KEHTA HU, SAHABA NE NAA BUKHARI PADHI, NA MUSLIM, FIR IN KITABO KI PERWI PAR DALIL KYUN PAKDI JAATI HAI, JAB KARNA WAHI HAI JO SAHABA NE KIYA TO BUKHARI NA SAHABA NE PADHI NA NABI NE TO ISKA DARS KAISE JAIZ HUA,”
MAGAR sahi farmaya Imam e ahle sunnat ne ki, “padi hai andhe ko aadat ki shorbe hi se khaye...”

Mishkat Shareef Me hai
Hazrat e Zara’a (radiallah anhu) farmate hain ki, jab ham madina me aye to jald apni sawariyo se utar pade, hamne huzoor alahissalam ke hath aur paun ka bosa liya

Is hadis ki sharah
Ash’atul Lam’at me Shaikh Abdul Haq Muhaddis E Dehelvi Farmate hain:
“is hadis se paun choomne ka JAIZ hona sabit hua,

Imam E Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Barelvi Fatawa Razawiyya Jild: 23 Safa: 745 par farmate hai,
Qadam bosi.. peer wa alim e deen, sadat (ahle bait), wa sultan e aadil, aur walidain ki jaiz hai,

imam muslim imam bukhari se farmtae hai (aye ustado ke ustad) main apke qadam chumna chahta hu,
imam muslim ka ye amal sahaba ka Huzoor (عليه السلام) ke qadam chumne wali hadis se sabit hai or wo hadis bukhari bab-al-adab-al mufrad aur bayeki se sabit hai, hadis shariat se sabit hai, shariat Rasool se sabit hai, sahaba or rasool ka fel QURAN se sabit hai, kyunki Tumhe rizq dene wala Allah farmata hai, Quran: 53/3-4 me
ye (nabi) koi bat apni khwaish se nahi karte, …”
Or farmata hai Quran 59/7 jo kuchh rasool tumhe den wo lo, jisse roke usse bacho”
Or farmata hai Quran: 4/80 “Jisne rasool ki ita’at ki usne allah ki ita’at ki
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1043

Tashahud me ungli uthana aap (ahanaaf) ke nazdeek kiya man’e rakhta hai

Jawab:1043 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunnat
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1044

Hazrat mera sawal ye hai ke main saharan pur main kaam ke silsile me aaya hua Hu yaha charo taraf wahabi hai mera manna hai ke meri namaaz unke pichhe nahi hogi our main jamaat se namaz nahi padta apni padta Hu kya main sahi Karta Hu ya nahi agar sahi Karta Hu to theek hai, warna main kis tarhan namaz aada karun plz islah farmaye Mohd Ameen khan yusufi, jazaqallahul khera

Jawab: 1044 بسم الله الرحمن الرحيم
(AAMEEN)
Jo apka manna hai wahi haq hai, aur jo jamat se namaz padhne ka hukm hai, wo sunni musalman imam ke pichhe he, har imam ke nahi warna karbala me IMAM HUSSAIN bhi yazidio ke pichhe namaz padh sakte the, aur aaj to shia bhi imam hai qadiyani bhi imam hai or agar koi inke sheher me gaya to kya inke pichhe bhi namaz padhega ? hargiz nahi, lihaza jab aspas sunni imam naa ho to ap par jamat wajib nahi, ap apni tanha padhe warna kuchh sunni hazraat mil kar bhi jamat qayam kar sakte hain, aur bad-mazhab ke pichhe namaz batil hai, AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
 
Or aage isi FATAWA RAZAWIYYA Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai 
“Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai”
 
Fir isi FATAWA RAZAWIYYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”
 
Or aage badte hue Imam, ummat ki rehnumai karte hai or Isi FATAWA RAZAWIYYA JILD: 24, SAFAH: 501 par likhte hai
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai, “

Lihaza aisi surat me apni tanha namaz ada ki jayegi, or kal qiyamat me is muamle ka koi gunah naa hoga(in sha allah), kyunki ye hukm allah hi ne diya hai ki “aye logo ilm walo se poonchho agar tumhe ilm nahi” isse pata chala ki apni aqal chala kar sabke pichhe namaz jaiz nahi karni chahiye, balki MASLAK E ALAHAZRAT par amal karna chahiye
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1045

Agar koi apne ghar me makhi ya machar wagera ko marne ki mashin lagate he tu wo jaiz he ya nahi is ka jawab khulase ke sath do,

Jawab: 1045 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai,  Fatawa Razawiyya Jild: 10 Safah: 742 par hai,
Cheel, kawwa, chooha, chhipkali, sanp, bichhu, Khatmal, machhar, pissu … wagaira Khabees aur muzi janwaro ka qatl harm shareef me bhi Jaiz hai aur ahraam me bhi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1046

"Marhaba" ka kya matlab hota hai?? Jo ki nare me lagaya jata hai ki "sarkar ki aamad marhaba" to marhaba means kya ?

Jawab: 1046 بسم الله الرحمن الرحيم
wah wah - سبحان الله
وﷲ تعالٰی اعلم

सवाल नम्बर 1047

क्या गैर मुस्लिम के भण्डारे का "खाना या प्रसाद" खाना जायज़ है ?

Jawab: 1047 بسم الله الرحمن الرحيم
Khana bhandare aur parshad ka JAIZ aur HALAL HAI, magar bachna behtar hai,
Kafiro apni khushi me jo khana khilate hain uske mutalliq Shaikh e Muhaqqiq Majma ul Barkaat Me farmate hain;
مایاتی المجوس فی نیروز ھم من الاطعمۃ یحل اخذ ذلک ولا حتراز عنہ اسلم کذا فی مطالب المومنین ناقلا عن الذخیرۃ
(yani:atish parst apni khushi me jo khana wagera laate hai, unka lena HALAL hai, albatta bachna salamti ki rah)
Aur PARSHAD khane ke mutaliq AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat Mufti Ahmad Raza Muhaddis e Azam
Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah:607 par likhte hain,
(Parshad khana) HALAL HAI, (Hurmat ki dalil na hone ki wajah se,) magar musalman ko ehtraaz chahiye (nafs ki khabasar ki wajah se)

Aur iska jaiz hona (hurmat ki bina par hai,), warna kafir ke age hath fela kar kuchh lena nahi chahiye ki hadis me neeche (lene wale) hath ko bura kaha aur upar wale (dene wale) hath ko achha bataya, aur lena parshad ya bhandare me apne hath ko neehce karna hai, (yani bila wajah hath felana hai,) aur zarurat e shadid us khane ki ho to ye harz bhi nahi, magar bator e tafrih ya zaiqe ke liye unke aage hath nahi felana chahiye, isi me TAQWA zyada hai,

Hadis Bukhari me Farmaya:
الیدالعلیا خیر من الید السفلی والید العلیا ھی المنفقۃ والید السفلی ھی السائلۃ اخرجۃ الشیخان
(uncha hath, neeche ke hath se behtar hai, aur dene wala hath uncha hai aur mangne wala neecha)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1048

Hazrat agar rukhsar (gaal) par kale baal na ho or sirf dadhi tak hi baal ho to kiya gaal par ustara fira sakte he

Jawab: 1048 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar gaal par ustra lagwane se koi ek baal bhi nahi kat’ta yani gal par baal hai hi nahi to ustra lagwane se koi gunah bazahir nazar nahi ata,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1049

Baz log apne bachcho ke nam SAMEER rakhte he or mene suna he ki SAMEER hawa ke jhoke ko kehte he kya ye sahi he? Or baz log SAMEER naam ke shakhs ko MUHAMMAD SAMEER BHI KEHTE HE, rehnumai farma dijiye ki sahi kya he Aabid raza Mandsor M.P se

Jawab:1049 بسم الله الرحمن الرحيم
Naam sameer rakhna jaiz hai, magar ulama ne isse bachne ka hukm diya hai kyunki ma’ne ke etbar se ye achha nahi, aur apne jo suwal me sameer ka ma’na bataya wo sanskrit me he, aur arabi me kaali andhi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1050

Assalam walaikum Hazrat, ye bata dijiye ki body ke kisi bhi hisse par tetoo banwana jaiz hai ya nahi aur nahi to kyun ?

Jawab: 1050 بسم الله الرحمن الرحيم
Jism ke kisi bhi hisse par Tetoo godna gudwana, jandar ki ho ya gair jandar ka sab haram hai, aur mana isliye hai ki allah ne aisa karne walo par lanat ki hai,
Hadis me farmaya
لعن اﷲ الواشمات والمستوشمات و المتنمصات والمتفلجات للحسن المغیرات لخلق اﷲ
(tarjuma: allah ki lanat badan godne walo aur gudwane walo aur munh ke baal nochne walon aur khoobsurati ke liye daanton me khidkiya banane walo, allah ki banai cheez bigarne walo par.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1051 

Agar kisi ka electronic ka business he or us me T.V. Bechi jati hai. To kya T.V. Ko bechna ye jaiz kamai hogi ya najaiz ?

Jawab:1051 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisa nahi hai ki ab agar koi tv khareede to ye hi samajha jaye ki wo ispar film dekhega, kyunki tv ke shara me jaiz istimal bhi maujood hai, maslan, koi tv ko cd. Se connect karke mp3 ki naat, byan bhi sun sakta hai, tv me mp3 sunne ka matlab ye ki naat ka naam memory aur card reader me show nahi hota tv me likha ayega jisse wo age pichhe kar sakta hai, aur ye bhi mumkin ho ki wo us par madani chennel dekhe, aur aaj kal bazar me ulama e ahle sunnat ki kaseer tadad me byanat maujood hai, jise mp3 mp4 me tv ke zariye dekha suna jaa sakta hai, to isme koi harz nahi, lihaza jab tak yaqeen naa ho ki khareedne wala isse gunah hi karega to bechne me harz nahi, aur yaqeen hai ki isse film hi dekhega to bechna gunah, ye kamai bhi najaiz, magar jab baki kamai me mix ho jaye aur ghalib halal ho to iska khana bhi shara ki roo se mubah
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1052

Kya advance me isale sawab kiya ja sakta hai ? Example: agar kisi ne is tarah niyat ki ke "mai apni aainda ki aane wali sari zindagi me Jo bhi nek kaam karunga us per milne wala sawab main isaal karta hu ke ye sawab mere huzoor Ko or huzoor ke wasile se mere Peero murshid, waledain, bhai-bahan, islami bhai etc. ko pahuchta rahe (continue)" To kya is tarah niyat karne se isale sawab hota rahega ?

Jawab: 1052 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye man lo ki aap kahi nokri karte ho, jaha apko roz 1 rupya milta hai, apne socha ki me is tarah 30 rupay har mahine kama lunga, aur 5 rupye har mahine masjid me dunga, taki sawab mile, fir yahi sochte sochte apne andaza lagaya ki agar me har maah masjid me 5 rupay du to sal bhar me 60 rupey de dunga, fir aap logo se bahar byan karo ki me har sal masjid me 60 rupey deta hu, TO KYA YE SAHI HOGA, kyunki aap un paise ko hi to de sakte ho jo apke pas mojood ho jab abhi sal guzra nahi apne paise diya nahi to ailan kaisa aur sawab kaisa ?
Isi tarah ahle sunnat ka ye aqeeda hai ki har shakhs apna sawab kisi doosre ko bhej sakta hai, magar bhejne ke liye swab ho tab, naa ki wo sawab bheje jo abhi mila hi nahi, aur kya ajab, kab tak zinda rahega, aur neki karega bhi ya nahi, to jab kisi ke nama e amal me abhi neki hai hi nahi to isal e swab kiska karega, sawab unka bheja jayega jo apne pas ho, na ki wo jo aya hi nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1053

Huzur, mit’ti ke bartan me khane pine or ghar me rakhne ki koi fazilat ho to irshad farma dijiye agar hawala bhi ho to bahut behtar. Aabid Raza Mandsor M.P se.

Jawab:1053 بسم الله الرحمن الرحيم
Beshaq khana peena bartan me mitti ke badi sa’adat mandi hai, aur ise ghar me rakhne ki bhi fazilat hadis me maujood hai, mitti ke bartan me khana peena afzal hai, aur baz ne khana mustahab kaha aur peena sunnat aur sahi bhi yahi hai ki mitti ke bartan me peena sunnat hai aur khane ka sunnat hona mere dayra e tehqiq me naa aa saka, magar buzurgo ka tariqa zarur raha hai
Hadis Abu Naeem me hai
(huzoor ko) mitti ke bartan se paani pite huye bhi dekha

Fatawa Razawiya Jild:22 Safah:129 par hai
(huzoor ke pas) mitti ke bartan the

Radd al Mohtar Jild:5 Safah:218 par hai
من الخزف افضل اذلا سرف فیہ ولا مخیلۃ وفی الحدیث من اتخذ اوانی بیتہ خزفا زارتہ الملٰئکۃ ویجوز اتخاذھا من نحاس او رصاص
(khane peene ke bartan mitti ke hona afzal hai, usme naa israf hai naa itrana, hadis me hai, jo apne ghar ke bartan mitti ke rakhe, firishte uski ziyarat karen, aur tanbe aur rang ke bhi jaiz hai)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1054

Hazrat jume ki namaz ka poora tariqa kya hai,

Jawab: 1054 بسم الله الرحمن الرحيم
4 Sunnat e moakkada
2 Farz
4 Sunnat e moakkada
2 Sunnat e moakkada
2 nafil
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1055

Sunnat namaz ke niyat ka tariqa kiya hai

Jawab: 1055 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunnat namaz ki niyat me “sunnat rasoolullah ki” kehna jaiz hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1056

हज़रत शादी मे हल्दी कि रसम केसी ?

Jawab: 1056 بسم الله الرحمن الرحيم
Rasm shadi me haldi ki jise urf e aam me “UBTAN” kaha jata hai, JAIZ HAI, aur ye qaida yaad rakhna chahiye ki shariat me kisi kaam ke jaiz hone ki liye ye zaruri nahi ki quran hadis me uska milna lazim ho ya nabi ne kiya ho, balki JAIZ HONE KE LIYE ITNA KAAFI HAI KI WO KAM SHARIAT ME MANA NAA HO” shadi se kuchh din pehle dulha ya dulhan ko ubtan lagai jaati hai, isme harz nahi magar is rasm me jo khurafat hoti hai aur haram kaam hote hain usse bachna farz hai, maslan, dulah ko uske ghar ki ya khandan ki gair mehram ladkiya ubtan naa lagaye, isi tarah naa bhabhi naa chaachian hatta ki har wo aurat jisse parda farz hai usse dulah ko ubtan lagwana ya badan chuana haram hai, aur is rasam ke naam par rat me dhol baje gane wagera karna bhi haram, isi tarah agar dulah ko 3 din ubtan me bithaya aur ghar se bahar naa jane diya aur masjid ki jamat se namaz ada naa ki to bhi gunahgar ki jamat se namaz wajib hai, aur dulah ke hath me mehndi lagana bhi haram, aur hath me aaj kal ek chaku ya kangna bandhte hain wo bhi gunah hai, ki mard ko kalai me koi zewar halal nahi, isme karna ye chahiye ki dulhan ko ladkiya ubtan lagaye aur wo parde me rahe, kyunki use ghar me hi namaz padhni hai, aur dulah bad isha khud laga kar so jaye aur subha naha kar fajr padh le aur ye kam wo khud bhi shadi se kai din pehle kar sakta hai, isse namaz bhi baki rahegi aur ubtan bhi lag jayegi, MAGAR KISI JAIZ RASM ME NAJAIZ KAM SHAMIL HONE SE WO RASAM NAJAIZ NAHI HOTI, BAS US NAJAIZ KAM KO DOOR KARNA CHAHIYE, NAA KI RASM KO BURA YA GHALAT SAMAJHNA CHAHIYE”

Fatawa Razawiya Jild:22 Safah:245 par hai
“ubtan malna jaiz hai....baligh ke badan me na-mehram auraton ka malna NAJAIZ HAI, aur badan ko hath to maa bhi nahi laga sakti ye haram aur ashad haram hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1057

Mujhe ye maloom karna tha ke Agar doodh me makdi ka bachha gir ke mar jaye to us doodh ka kya karenge ? Istemal kar saktey hen?

Jawab: 1057 بسم الله الرحمن الرحيم
Aksar dekha gaya hai ki makdi ke zariye, jism par katne se ek khatarnak marz hota hai, jisse pata chalta hai ki makdi me khatarnak rasayan maujood hota hai, ab agar garm doodh me makdi gir kar ubal gai aur mar gai to bazahir doodh ko bhi fat jana chahiye, aur aisa doodh istimal me lana (jisme jaan lewa ya koi beemar kar dene wali koi cheez mix ho jaye) najaiz o gunah hai, ki hifz e jaan farz e ala hai, aur agar doodh thande me makdi giri aur mar gai, aur bazahir abhi doodh fata nahi to bhi ise istimal karne ki ijazat nazar nahi aa rahi, ki awwal to ise peene ka dil gawara nahi karega, aur hadis me bhi isse mana farmaya gaya ki “shak shubah wali cheezo se bacho” aur khud ko kisi khatre ya azmaish me dalne se bhi huzoor ne mana farmaya, lihaza ehtiyat ise naa peene me hai, aur iski dalil ye hai ki, Bahar e Shariat me Durr e Mukhtar ke hawale se hai ki, (khatre ki jagah) chadar is tarah lapetna ki dono hath chadar ke andar aa jaye ye mamnu aur baz awqat gunah bhi hai, aur iski wajah hai ki, agar zeene par ya unchi jagah agar is tarah kapda pehna jaye ki dono hath bandhe ho aur agar gire to khud ko sambhal naa sake aur to zarur jaan par ban ayegi, aur isi tarah ulama ne mitti khana makruh kaha aur kaha ki agar nuqsan dene laiq khaye to haram hai, bas isi buniyad par kaha jaa sakta hai, ki wo doodh jisme makdi gir kar mar gai ho to peena naa chahiye ki isme bhi jaan ka khatra hai, aur agar doodh ke zehrila hone ka yaqeen ho to peena haram aur gunah e kabeera hoga, aur agar giri or foran zinda bahar nikal gai to doodh istimal ke qabil hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1058

Hazrat zohar ki namaz ke irade se khade hue or niyat munh se asar nikal jaye or namaz mukammal hogai to kiya karen ?

Jawab: 1058 بسم الله الرحمن الرحيم
Isme do surat hain, ek ye ki dil me pakka irada zohar ka hai bas munh se asr nikal gaya to namaz zohar ho gai, dosri surat, yani agar kisi ne puchha kon si namaz padhi to foran bataye ki zohar, aur agar sochne me lag gaya ki zohar padhi ya asr to namaz naa hui,
Dil me zohar ke padhne ka hi pakka irada tha aur niyat karte waqt munh se naam asr nikal gaya, to zohar ki namaz ada ho jayegi, kyunki niyat dil ke irade ko kehte hain, Jaisa ki

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:492 par hai,
“niyat dil ke pakke irade ko kehte hain”

Durr e Mukhtar Jild:2 Safah:112 par hai
“niyat me zuban ka etbar nahi, yani agar dil me zohar ka irada kiya aur zuban se lafz asr nikla (to) zohar ki namaz ho gai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1059

Mard ko hath me chain wali ghadi(watch) pahanna kaisa he ? Or kya is haal me namaz hogi ? or gale me sone chandi ke alawa kisi or dhatu ki chain pahanna kaisa he ?

Jawab:1059 بسم الله الرحمن الرحيم
Chain wali ghadi pehnne me ulama ke do groh hai, baz iske jawaz ke qail hai baz adame jawaz ke, lihaza jinke nazdeek chain wali ghadi pehenna haram hai unki namaz bhi makruh tehrimi hai, aur jo iske jawaz ke qail hen unka pehenna aur pehn kar namaz padhna jaiz hai, aur jab ulama ke kisi masale me ikhtilaf ho jaye to qaum jis fatwe par amal kare amal ho jayega, magar aise masail se bachna behtar hai taki dono par amal ho jaye lihaza chain wali ghadi pehnne se bachna chahiye,

Gale me sone chandi ke alawa kisi bhi dhaato ki chain mard aurat dono ko haram hai, aur ise pehn kar namaz makruh tehrimi hai, aur aurat ko sone chandi ki jaiz, mard ko ye bhi haram
Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami farmate hain,
(sone chandi ke alawa) doosre dhaat ki anguthi pehenna Haram hai maslan, loha petal, tamba jasta wagera, In dhaaton ki anghuthiya mard wa aurat dono ke liye Najaiz Hai
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 426

Fatawa Razawiya Jild:22 Safah:130 par hai
Tanba, peetal, kansa, loha to aurat ko bhi pehenna mamnu hai,aur isse namaz unki bhi makruh hai.... aur makruh cheeze pehn kar namaz bhi makruh hai,

Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 375 par hai.
Tamba petal aur lohe ke zewraat pehn kar padhne se namaz Makruh tehrimi hogi

Durr e Mukhtar me hai کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1060

huzur kya ye farman sahi he ki .. मोला अली फरमाते है "जितनी भी बड़ी मुश्किल हो जितना भी बड़ा इम्तिहान हो घर से निकलते वक्त एक रोटी के निवाले मैं थोडा सा नमक डाल कर खा लो, ऐसा मुमकिन ही नही की घर मायूस हो कर लोटो।

Jawab 1060 بسم الله الرحمن الرحيم
Mujhe is qaul ki tasdik nahi ho saki, naa aisi koi riwayat mene kahin padi, suni, lihaza aapne kaha padha ya kisne apko batai, aap unse iska hawala talab Karen, ya aap kitab ka naam arz Karen to behtar,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1061

Hazrat koondo ki haqiqat kya he (matlab) kab manana chahiye hawale ke sath bataye to badi meharbani hogi,

Jawab: 1061 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam jafar ke isal e sawab ke liye hoti hai, unke wisal ke bad shuru hui, mustahab hai, aur dunya se jaane wale ko bhi sawab pahuchaya jaa sakta hai, naam kuchh bhi ho, 11vi, 12vi, koonde, wagera magar kaam sawab bhejne ka hai, jaise, naam kuchh bhi ho, nahari, korma ishtu, magar hai sab ki asl gosht se, ab jo jis andaz me banaaye, lihaza gosht jaiz ho usse bani har cheez jaiz aur isal e sawab jaiz to koondey jaiz

magar behtar hai ki jis buzurg ki niyaz hai wo unki wisal ki tarikh par honi chahiye, aur imam jafar ki wisal ki tarikh me ikhtilaf hai, aur baz akabir ne 15 rajab kaha, isilye behtar ye hai ki koondo ki niyaz 15 rajab ko karni chahiye, magar koi kabhi bhi kare gunah nahi naa koi harz, na karahat, kyunki Fiqh ka ek qaida hai ki jis kam ko musalman achha samajh kar kare wo allah ke nazdik bhi pasandidah hota hai, aur kyunki ab musalman aksar 22 rajab ko koonde karte hai to isme bhi harz nahi, aur aisa karne walo par sakhti na ki jaye, balki yahi urf e aam nazar aata hai, aur urf par bhi amal karna behtar hai, balki 22 ko koonde karne par kisi ko koi shia nahi samajhta balki koondo ka naam sunte hi sunni barelvi hi jana jata hai, aur koi 15 ko kare to aur behtar isme bhi harz nahi. Fatawa Faqih Millat Jild:2 Safah: 265 par hai
“22 rajab ke bajaye imam jafar ki niyaz 15 rajab ko karen”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1062

Mazarat par dua mangne ka tariqa bataiye ?

Jawab: 1062 بسم الله الرحمن الرحيم
Qadmo ki taraf se dakhil ho, char hath ki doori par rahe aur qadam ke pas hi rahe sirahane naa jaye, aur fatiha padhe aur dua mange, aur fatiha aur dua ka tariqa Imam e Ahle sunnat ne is tarah byan farmaya jaisa ki Fatawa Razawiyya Jild:9 Safah:523 par hai
“mazar sharif par hazir hone me paun ki taraf se jaye, aur kam se kam char hath ke fasle par khada ho, ahista awaz ba-adab arz kare, السّلام علیک یا سیدی ورحمۃ اﷲ وبرکاتہ fir durood e gausiya 3 bar, surah fatiha 1 bar, ayatul kursi 1 bar, surah ikhlas 7 bar, aur waqt fursat de to surah yaseen, surah mulk bhi padh kar allah se dua kare, ki “ilahi is qirat par mujhe itna swaab de jo tere karam ke qabil hai, naa itna jo mere amal ke qabil hai, aur ise (swab ko) meri taraf se banda e maqbool ko nazr pahucha,” fir apna jo matlab jaiz sharai ho, uske liye dua kare, aur sahib e mazar ki rooh ko allah ki bargah me apna wasilah qarar de, fir isi tarah salam karke waps aye, mazar ko naa hath lagaye, naa bosa de,”
Magar apko jo surate aati ho wo bhi padh sakte hai, inhe hi padhna zaruri nahi
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1063

Hazrat mazar shareef ki qadambosi karna jaiz he ?

Jawab 1063 بسم الله الرحمن الرحيم
Maujooda dor me meri naqis tehqiq ke mutabik iski do surate ho sakti hai, aise mazar par chadar choomna jaha deobandi wahabi maujood ho aur wo logo ke is fel par sajda bata kar gumrah kare to aise mazar par is fel se zarur zarur baz rehna chahiye, taki gair firqe walo ko kehne ka moka naa diya jaye, aur hadis bhi isi par shahid hai ki, (mafhoom) “aise kam se bacho jisse ungali apki janib uthe” aur aisa mazar jahan wahabi deobandi naa ho to chadar chomna barkat ke liye jaiz hai, maslan Bareli ke imam Ahmad Raza ki mazar par.
Baz ulama iski (qadambosi ki) ijazat dete hai, aur jamhoor ulama makruh jante hai, to isse bachna hi chahiye fir ye kam kisi ne kia to ye kam Jaiz hai, aur aisa karna KUCHH GUNAH NAHI, magar aisa karna be-adabi hai, isse bachna behtar hai, “ba-adab banaseeb, be-adab benaseeb”
Jaisa ki Ash’atul Lam’at Sharah Mishka Jild:1 Safah:716 par Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi Farmate hain - مسح نہ کند قبررا بدست وبوسہ نہ دہدآں را
(qabar ko hath naa lagaye naa hi bosa de)

Madarijun Nabuwat Jild:2 Safah:424 par hai
دربوسہ دادن قبر والدین روایت بیہقی می کنند وصحیح آنست کہ لا یجوز است
(walidain ki qabar ko bosa dene ke bare me, ek riwayat bayeki zikr karte hain magar sahi ye hai najaiz hai)

Fatawa Razawiyya Jild:9 Safah:523 par hai
mazar ko naa hath lagaye, naa bosa de,”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1064

Salat ul tasbeeh kya hai? Aur Iska tareeka kya hai? Jawab Zaror den.

Jawab 1064 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek fazilat wali nafil namaz ka naam hai, jisse mumkin ho roz padhe warna hafte me ek din warna mahine me warna sal me, warna umar me ek bar zarur padhe, aur koi naa bhi padhe to gunah nahi, tariqa ye hai

Salatut-tasbih ki namaz me 300 martaba teesre Kalima ka hissa padha jata hai, jo aapko kisi bhi namaz ki
Kitab me mil sakta hai, baki namaz, namaz e nafil hi Ki tarah hogi. Padhne ka tariqa ye hai. Namaz ki niyat kare fir sana padhe uske bad
15 baar tasbih (wahi teesre kalime wali)
Fir ta’wuzz tasmia (auzbillah, bismilla)
Sureh fatiha, or surat or
10 bar tasbih
Fir ruku or 3 bar ruku ki tasbih padhe uske bad fir
10 bar tasbih
Fir ruku se sar utha kar qoma ki 1 tasbih or
Fir 10 bar wahi tasbih
Fir sajda or 3 bar sajde ki tasbih or fir
10 bar wahi teesre kalime ki tasbih
Fir sajde se sar utha kar jalse me beth kar
10 bar tasbih
Fir doosrey sajde me jaye or 3 bar sajde ki tasbih or
10 bar fir tasbih

Bas ye yaad rakhe ki qiyam ki halat me surah fatiha se Pehle bhi 15 bar tasbih hai or bad me 10, or jagah 10-10 Is tarah ek rakat me 75 tasbih hogi or 4 me 300
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1065

Ye bataye ke namaz ke bad turant astagfar padhna chahiye ya kalma shareef padhna chahiye ? bahut log kalma padhte he aur bahut log astagfar, hawale ke saath jawab dene ki zahmat kren

Jawab: 1065 بسم الله الرحمن الرحيم
Dono padhna durust hai, aur aksar astaghfar hi padhte hai, AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat
Al-Wazifa tul Karima Safah:23 par naqal karte hain
(har namaz ke bad) 3-3 bar
استغفر الله لا اله الا هو الحي القيوم واتوب اليه
Padhne se gunah muaf ho, chahe samunder ke jhag ke barabar ho
وﷲ تعالٰی اعلم

 

Suwal no. 1066

السلام علیکم Hazrat Appy fizz Peena Kaisa He

Jawab:1066 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai, (jab tak usme najaiz ashian ki amezi ka yaqeen naa ho, mehez shak ya suni sunai bat se halal haram nahi hota)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1067

Huzur ye irshad farmay ki shariat me kam se kam meher kitni honi chahiye ? Allah aap ko jaza e kher ata farmay Muhammad Aabid Raza Mandsor M.P.

Jawab: 1067 بسم الله الرحمن الرحيم
AAMEEN
Shariat me kam se kam meher, 2 tola 7.50 masha chandi ya iski raqm honi chahiye isse kam meher nahi ho sakta, yani (30.618 gram) aur zyada se zyada koi had nahi, jis par dono raazi ho jayen, aur meri tehqiq ke mutabiq 02.04.2016 ko Delhi me chandi ke Rs. Ke mutabik Rs.1500/- meher bhi ho sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1068

Logo me kuchh esi baat feli hui he ki khatmal ko dua mili he aap sallal lahu wassalam se, ye baat sahi he kiya ? aur kehte he aap so rahe the aur aap ko khatmal ne kat liya to aap ne kaha ki sahi kara ki tum ne mujje kat liya namaz ka waqt tha ?

Jawab: 1068 بسم الله الرحمن الرحيم
Taqleef dene wale moozi janwar ko marna jaiz hai, aur khatmal ko marna bhi jaiz hai, jaisa ki
Bahar E Shariat Jild: 3 Safah: 655 par hai
KHATMAL ko marna jaiz hai ki ye taklif deh janwar hai cheenti ko marna makruh hai jab tak taklif naa den

Fatawa Razawiyya Jild: 10 Safah: 742 par hai,
Cheel, kawwa, chooha, chhipkali, sanp, bichhu, KHATMAL, machhar, pissu … wagaira Khabees aur muzi janwaro ka qatl harm shareef me bhi Jaiz hai aur ahraam me bhi,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب 

Suwal no. 1069

Hamare yaha chirag roshan hote he Abdul qadir jilane ji Ke name se To usme koi burai to Nahi hai ?

Jawab: 1069 بسم الله الرحمن الرحيم
Chirag Abdul Qadir Jilani Bade Peer ka Naam ke ho ya Ghareeb nawaz ke naam ke, bekar, fizul aur be-zarurat aur israf (fizool kharchi) hai, isse na apke chirag ki roshni baghdad jaati hai, na apke ghar me ise jalane ki koi khas zarurat, kyunki aaj kal light aam hai, lihaza agar ap gaus e azam se mohabbat karte hai to aap chirag me kharach hone wale tel ke paiso ki unke naam niyaz kara diya karo, isse musalman baccho ko khana bhi milega aur swab bhi, chirag jalane me koi sawab nahi naa is paise ke kharach karne par ba-zahir koi fayeda nazar aa raha hai, ye logo ke ilm ki kami hai, isse bachna chahiye, aur halwa bana kar ya mithai khareed kar fatiha kar ke bant deni chahiye,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1070

Jis ne gusal e jumaa ki niyyat na ki to use gusal e jumaa ka sawab milega ya nahi ?

Jawab: 1070 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar koi bekhyali me naha liya aur ye dhiyan hi nahi ki aaj juma ka din hai aur na namaz ke liye nahaya to sawab nahi milega magar gusl ho jayega, aur agar gusl sawab ki niyat se isilye kara ki aaj juma hai, fir chahe munh se kuchh kaha ho ya nahi, to bhi gusl e juma hai, balki ye bekhabar nahi tha aur juma hona yaad tha aur namaz hi ke liye gusl khane me gaya to bhi ye gusl e juma ki niyat me shamil hai, kyunki kisi kam ka pakka irada niyat hi hai, fir chahe munh se kahe naa kahe,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:492 par hai,
“niyat dil ke pakke irade ko kehte hain”

Aur agar bekhyali me ya dhoke me nahaya aur bad me khabar mili ki aaj juma tha aur ye niyat kar le ki mene jo gusl kiya wo jume ka hi man leta hu, to ab bhi swab nahi kyunki niyat fel, se pehle hona zaruri hai, fel ke bad niyat ka etbar nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1071

Hazrat 02 kaafiron ke bich sulah karwane kaisa, rehnumayi farmaiye,

Jawab:1071 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar mazhabi mamla nahi aur dunyawi hai, to kara dene me harz nahi, jabki apse mashwara manga gaya ho warna be-mange ka mashwara nahi dena chahiye, aur agar unki behes kisi apne kufriya mazhab ki baat par hai to bich me ana apne iman ko khatre me dalna hai, kyunki sulah karane wala bhi kisi na kisi taraf razi ho kar doosre ko razi karega jabki kufr par razi hona bhi kufr hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1072

Namaz e janaza kya eidgah me padi jaa sakti hai

Jawab: 1072 بسم الله الرحمن الرحيم
Eidgah ke maidan me namaz e janaza padhne me harz nahi, aur eidgah ki masjid ki jagah me nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1073 

Kisi se bina puchhe apne group me add karna kaisa hai ?

Jawab: 1073 بسم الله الرحمن الرحيم
Aaj kal jo bhi shakhs whatsapp ya social media use kar raha hai wo ya to logo se join hone ya logo ko join karne ke liye hi kar raha hai, aur agar log use whatsapp par chet naa karen ya group wagera me add naa kare to uska bila wajah whatsapp use karna bekar hi hoga, har user ke pas aj kal kuchh na kuchh groups hote hi hai, aur in group me rehne ki koi pabandi ya qaid nahi hoti, yani koi bhi jab chahe kisi bhi group ko left kar sakta hai, lihaza agar kisi ne kisi ka no. bina poochhe group me add kar liya to koi haq nahi mara, na koi gunah kiya, samne wala remover ho jaye, pasand aye to join rahe, magar remove hone ke bad bhi agar koi bar bar join karwa de to musalman ko taqleef dena aur tang karna hai, aur kisi ke group me join ho kar us group member ko personal msg karke pareshan karna ya member ke mana karne ke bad bhi use apne group me join karna durust nahi, aur kisi ne join kar bhi liya to member left ho sakta hai isme naa paise kharach honge na zyada waqt lagta, aur block ka option bhi isilye hai, aur agar koi aisa he ki kisi group me rehna hi nahi chahta to apne status me likh le “kisi group me join na karen,”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1074

Assalamalykum , Koi Hume Ankho ki Roshni Badhane ke Liye ruhani ilaz bataye plz becoz meri eyes power bahut kam hota ja raha he ?

Jawab: 1074 بسم الله الرحمن الرحيم
Aap rat ko surma zarur laga kar soya kare, aur jab bhi bethe kaabe ki taraf hi chehra karke bethe, khate waqt ho ya padhte waqt, kyunki jan poochh kar kaabe ki taraf peeth karke bethne se bhi nazar kamzor hoti hai,
Ihya ul uloom Jild:2 Safah:072 par hai
Imam Shafai Farmate hain:
4 cheeze nazar ko TEZ karti hai, 1-qible rukh karke bethna, 2-raat ko sote waqt surma lagana, 3-sabza (green) ki taraf nazar karna, 4- libas saaf suthra rakhna
In par amal karenge to allah ne chaha nazar tez hone lagegi,
Iske siwa is wazife ko bhi apne ma’mool me rakhe,
Pancho namazo ke bad 11 bar “yaa nooru” padh kar dono hatho ke poro par dam karke ankho par feren
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب 

Suwal no. 1075

 السلام و علیکم 
Hazrat daari katwana gunha he kya ? jis ne daari nahi rakhi uske liye bhi gunha he ya nahi Jazak allah

Jawab: 1075 بسم الله الرحمن الرحيم
G han, dono tariqe se gunah hai, aur daari naa rakhne wala katwata hi to hoga jabhi to nahi rakh raha bat wahi hai ki daari katwana haram hai, aur khat rakhna bhi haram kyunki khat ki koi haisiyat nahi, daari ek musht tak rakhna wajib he isse kam kari to bhi katwane ke hi hukm me hai, yani jisne daari ek musht se choti karwa li, woh bhi isi tarah gunahgar hai jaise naa rakhne wala, aur agar kisi ke abhi daari aai hi nahi to uska naa rakhna gunah nahi kyunki abhi uske baal nahi nikle aur agar nikalte aur katwata hai to gunahgar, fasik, fajir, naar e jahannam ka haqdar hai,

Daari ka ek musht tak rakhna wajib hai or ek musht se kam kar lene ko HARAM fuqah kiram farmate hai.
Shah abdul haq muhaddis e dehelvi گزاشتن آن بقدر قبضہ واجب ست
Yani Daari ko ek musht tak chhor dena wajib hai.
(اشعتہ اللمعات)
Aur Bahar E Shariat me hai. .ek musht se kam karna HARAM hai.
 
Fatawa Razawiyya Jild: 22 Page: 571 par hai
Daari had e shara se kam naa karna wajib aur Hozoor aur ambiya ki sunnat e daimi aur islam ke shiar se hai Aur iske khilaf mamnu aur HARAM aur kuffar ka shiar 
 
Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 114 par hai.
Daari ek musht se kam karna HARAM hai.
 
Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 258 par he.
Daari mundwana HARAM hai.
 
Fatawa Faqih Millat Jild: 1 Safah: 127 par hai.
Daari mundana ya ek musht se kam rakhna HARAM hai.
 
Fatawa Ajmaliya Jild: 1 Safah: 168 par hai.
Lekin kisi janib se ek musht se kam karna HARAM wa najaiz hai.
 
In dalilon se saaf sabit hai, daari ka ek musht tak rakhna wajib, isse kam rakhna ya naa rakhna haram, aur aisa karne wala fasiq hai, aur Allah farmata hai (surah Tauba ayat 80) “Allah Fasiqo ko raah nahi deta”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1076

Assalmualikum, Kya daarhi par zero machine lagana durust hai ?

Jawab:1076 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek musht daari ke neeche se bal ko katna sunnat hai chahe zero machine se hi kyun naa ho, aur mutlaqan daari ko hi kaat dena ya ek musht se kam kar lena haram hai, fir chahe zero machine se ho ya kisi bhi aala se, AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild: 22 Page: 571 par likhte hain
Daari had e shara se kam naa karna wajib aur Hozoor aur ambiya ki sunnat e daimi aur islam ke shiar se hai Aur iske khilaf mamnu aur HARAM aur kuffar ka shiar 
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1077

Hazrat koi qasai murga ya bakra aise zabah karta ho ki ek hi vaar me khade khade uska sar tan se juda kar de ya mashin ke zariye ek sath kai janwar ko qurban kar de aur bismillah allahu akbar bhi na padhe to kiya ese janwar ka gosht khana halal hoga jawab inayet farmayen ?

Jawab:1077 بسم الله الرحمن الرحيم
Zibah ke waqt jan kar tasmia tarq ki, jaisa ki suwal me darj hai to janwar haram khana haram hai, aur machine se kaata jaye janwar ka etbar nahi yani agar allah ka naam le kar botton dabaya aur machine se kat diya to bhi haram ka hi hukm hai, jab tak insan zibah na kare,, aur khade khade taqlif ke sath janwar zibah karne me itna zarur hai ki, agar allah ka nam le kar zibah kiya, fir chahe janwar ko taqlif de kar hi zibah kiya ho to behr hal halal hoga magar aisa karna durust nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1078

Hazrat aj kal kuchh ladakiya choori dar payjama pehnti hai, aur log etraz karte hai, mana karte hai, magar ladke bhi to (khas kar) sare dulah apni shadio me sherwani ke sath choori dar pehnte hai, to aurat ko mana kyun mard ko jaiz kyun, kuchh wazahat farmaye to karam hoga, allah apki umar me barkat de, mazeed ilm se nawaze,

Jawab: 1078 بسم الله الرحمن الرحيم
Is qadr chust aur tang kapda pehenna najaiz or gunah hai jisse jism ki banawat nazar aye isi tarah aisa jisse jism ki rangat nazar aye haram hai, AUR APSE JISNE YE KAHA KI CHOORIDAR AURAT KO GUNAH MARD KO JAIZ YE BAAT BHI GHALAT HAI, CHOORIDAR PAYJAMA MARD KO PEHENNA BHI GUNAH HAI, FIR CHAHE SHERWANI KE SATH HO YA DULAH PEHNE

AlaHazrat Imam Ahmad Raza Khan Mujaddid E Azam Muhaddis E Barelvi
Fatawa Razawiyya Jild: 22 Page: 162 par likhte hai,
“yunhi tang peyjama bhi, naa chooridar ho naa (mard ko) takhno se neeche, Naa chust badan se sile, ki ye wazeh fussaq hai, aur sitr e aurat ka aisa chust hona ki aza ka poora andaz banaye. Ye bhi ek tarah ki be-sitri hai,

Chooridar payjama pehnne ke bare me AlaHazrat Imam Ahmad Raza Barelvi
Fatawa Razawiyya Jild: 22 Safah: 172 par likhte hain, “chooridar payjama pehenna mana hai ki wazeh fussaq ki hai, Shaikh Abdul haq muhaddis e dehelvi kitab adab al libas me farmate hain:
سراویل کہ در عجم متعارف است کہ اگر زیر شتالنگ باشد یا دوسہ چین واقع شود بدعت وگناہ است
(shalwar jo ajami ilaqo me mash’hoor wa maroof hai agar takhno se neeche ho ya do teen inch (shikan/choori/bal) neeche ho to bid’at aur GUNAH hai,

aur aise kapde ke sath padhi gai namaz dohrana hogi, jaisa ki Fatawa Razawiya Jild:23 Safah:102 par hai
“najaiz libas ke sath namaz makruh tehrimi hoti hai, uska iada(lotana) wajib hai”.

Durr e Mukhtar me hai
 کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1079

Kya farmate hai ulama e ahle sunnat is bare me ki jo kapda pehenna haram hai (maslan mard ko resham wala, aurat ko mardana.. wagera wagera,) use pehn kar namaz padhne se namaz ho jati hai ya nahi, ?

Jawab: 1079 بسم الله الرحمن الرحيم
Aise namaz makruh tehrimi hogi, is tarah namaz padhne se gunah bhi hoga aur toba karna bhi wajib aur namaz ka fir se padhna wajib hai jaisa ki, Fatawa Razawiya Jild:23 Safah:102 par hai
“najaiz libas ke sath namaz makruh tehrimi hoti hai, uska iada(lotana) wajib hai”

Durr e Mukhtar me hai
 کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1080

Asalam o alaykum aaj me maghrib ki namaz akele padh raha tha ki jab tisri yani aakhri rakat me khada hua usme maine alhamdo sharif ke sath dhokhe se qulhowal laho ahad padh li aur Allah hu akbar kah kar hath chhodh diye fir mujhe yad aaya maghrib ki namaz padh raha hu aur fauran ruku me chala gya uske bad sajda e sehev kiya kya meri namaz hui ya nahi hui

Jawab:1080 بسم الله الرحمن الرحيم
Farz ke shuru ki do rakat me qirat karna wajib tha, jo apne kiya, uske siwa baki bachi do rakat aur maghrib ki ek akhir rakat me qirat karna wajib nahi, magar apko mustahab thi, yani apne teesri me bhi qirat ki behtar kiya aur har tanha namazi faraz ki akhri do me bhi qirat kare to sawab hi payega, harz kuchh nahi, jaisa ki

Waqarul Fatawa Jild: 2 Safah: 69 par hai,
Farz ki teesri aur chothi rakat me sureh fatiha ka padhna mustahab hai,

Aur sajda sehev namaz me sirf wajib ke sehwan tark se hota hai, har ghalati par nahi, magar apko apni namaz me kisi wajib ki chhoot jane ka shak tha lihaza apne ehtiyatan sajda sehev kiya lihaza namaz ho gai,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:719 par hai
Shak ki sab surato me sajda sehev wajib hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1081

Namaz padane ke darmiyaan bachche namaaz ke aage aa jaayein ya sajade ki haalat mein upar baith jaaye to kya namaaz ho jaayegi ?

Jawab: 1081 بسم الله الرحمن الرحيم
Halat e namaz me agar kisi namazi ke aage se koi shakhs qasdan guzre to zarur wo gunahgar hoga, jabki (namazi ke samne suthra naa ho) magar namazi ki namaz me isse koi harz waqeh nahi hota, namaz ho jaati hai, aur na-baligh be shaoor bachche ke guzarne se us par gunah bhi nahi,
Jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya: Jild:7 Page: 255 Farmate hai,
“Namaz me koi khalal nahi aata nikalne wala Gunahgar hota hai,”
وﷲ تعالٰی اعلم


Suwal no. 1082

Hazrat bakra eid me qurbani ke liye bhais le to usme 7 patti (hisse) hoti hain, 4patti(hisse) ki qurbani karai baki 3 patti ka hakika kara sakte hai ? aur Hazrat ladke me kitni patti(patte) aur ladki me kitni patti(hisse) hogi zara roshni dale ?

Jawab: 1082 بسم الله الرحمن الرحيم
Jawab tehrir karne se pehle me sail ki “zehni lughat” me ek word darj karna chahta hu ki sail e mohtram ne suwal me jo lafz “hakika” likha hai wo sahi lafz “AQEEQA” hota hai, magar awam use hakika kehti hai, jabki haqiqat isse door hai
(Al-Jawab)
Bade janwar me 7 hisse hote hai, aur usme qurbani ki shirqat ke sath aqeeqe ke hisse wale log shamil ho jaye to qurbani bhi ho jayegi aur aqeeqa bhi, yani isse qurbani par kuchh farq nahi padhega,

Bahar e Shariat Jild:3 Safah:357 par hai
“Gaye(bhens/oonth) ki qurbani hui, usme aqeeqe ki shirkat ho sakti hai”

Aqeeqe me ladke ke liye 2 bakre aur ladki ke liye 2 bakriya honi chahiye, ye mustahab hai, aur ek bakra ek hisse ki barabar hai lihaza bade janwar me ladke ke 2 hisse aur ladki ka 1 hissa hona behtar hai, magar kisi ne iske ulta kiya to bhi harz nahi, aur ek ek hisse kiya tab bhi harz nahi, tark e mustahabbat par fel me karahat nahi aati,

Fatawa Amjadiya Jild:3 Safah:302 par hai.
“Gaye ya oonth ki qurbani me aqeeqe ki shirkat ho sakti hai”

Aur Bahar e Shariat Jild:3 Safah:357 par hai
“ladke ke aqeeqe me 2 bakre aur ladki ke aqeeqe me ek bakri zibah ki jaye, yani ladke me nar(male) janwar aur ladki me mada(female) munasib hai, aur ladke ke aqeeqe me bakri aur ladki me bakra kiya jab bhi harz nahi, aur aqeeqe me gaye(bhens/oonth) zibah kiya to ladke ke do aur ladki ka ek hissa kafi hai, “
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1083

Hazrat hafiz e quraan aakhirat me kitne darze (kutam) jannat me le jayega or hafiz ke faida bayan karo  hawala or tafseer ke sath samjaye Hazrat Talib hu is jawab ka

Jawab:1083 بسم الله الرحمن الرحيم
Hafiz e quran kitne logo ki shafat karega ? iske jawab dete huye Imam ISHQ o MOHABBAT Imam Ahmad Raza Muhaddis e Barelvi Al-Malfoozat Hisse: 01 Safah:92 par Farmate hain:
“Han, (hafiz apne rishtedaro me 10 logo ki shafat karega,)
Hifz ka sabse bar kar yahi fayeda hai ki iske badan ko mitti nahi khayegi aur ye logo ki shafat karega, iske walidain ko aisa taj pehnaya jayega ki logo ki nazr use (chamak ki wajah se) dekh naa sakengi,
Magar yaad rakhna chahiye ye us hafiz ke liye hai, jo quran par amal karne wala ho, naa uske liye ki bas hifz kar liya aur naa namaz na haram halal ki tamiz, ya shariat ki pasdaari, balki aise hafiz to khud pehle jahannam me jayenge aur inhe khud kisi ki shafat ki zarurat padhegi, “faqat hafiz Jahil mehez hota hai”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب 

Suwal no. 1084

Fasiq ko salam karna kaisa ?

Jawab:1084 بسم الله الرحمن الرحيم
Bahar e Shariat Jild:3 Safah:463 par hai
Jo shakhs ailaniya fisq karta ho use salam naa kare,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1085

kiya farmate hen. ulmaye deen is masale me ke agar nabalig Bachcha saf ke darmiyan khada ho to Kiya use saf ke bahar kar dena chahiye ? islah farmayen

Jawab: 1085 بسم الله الرحمن الرحيم
agar nabaligh bachcha jo samajh rakhta ho aur namaz janta ho, to aise bachche ka tanha akele pichhe khade hona makruh hai, use chahiye ki mardo ki saf ke andar hi khada ho, aur log is tarah namaz padhte waqt samajh wale bachche ko pichhe kar dete hain, wo log ZALIM HAIN, aur jahil bhi.

Safon ki tartib ka hukm is tarah hai ki pehle baligh mardo Ki saf ho phir bachchon ki aur uske bad aurato ki saf ho, Jaisa ki Sheikh Ul Islam Burhauddin Abu Hasan (Alaihirrehma) Ne Hidaya me farmayan:
یصف الرجال ثم الصبیان ثم الخناثی ثم النساء
Iski sharah me, fataul qadeer ne abu malik ashari se riwayat karda Ek taveel hadis naql ki .. imam ke kareeb mardo ki saf uske bad Bachcho ki aur iske bad auraton ki
(Fathul Qadeer Jild:1 Kitabus Salah Babul Imamat, Safah: 311)

Maraqiul Falah me farmaya: ان لم یکن جمع من الصبیان یقوم الصبی بین الرجال
Yani:- Agar bachche zyada nahi to ek bachche ko mardo ki, Saf me khada kar liya jaye,
Or nabaligh (samajh wale) bachche ko saf me khade Karne ke mutaliiq ek Suwal ke Jawab me Mere AAQA AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Asshah Imam Ahmad Raza (Alaihirrehma)
Apni Fatawa Razawiyya Jild:7, Safah:209 par Irshad Farmate hain
فان صلاۃ الصبی الممیز الذی یعقل الصلاۃ صحیحۃ
“Kyuni bachcha (jo namaz janta ho) ki namaz qat’an SAHI hai, Or farmate hai agar akela ho to use saf ke ANDAR khada kar liya jaye Baz BE-ILM jo ye zulm karte hai ki ladka pehle se namaz me dakhil hai jab ye Aya to use niyat bandha huya hata kar kinare kar dete aur khud beech me khade Ho jaate hai ye MEHEZ JAHALAT hai, isi tarah ye khyal ke ladka brabar khada ho to Mard ki namaz naa hogi ye bhi GHALAT WA KHATA hai jiski kuchh asl nahi”

Waqarul Fatawa Jild:02 Safah:204 par hai
Lihaza agar bachcha tanha mojood hai to chunki ek bachche ka akela Khade hona MAKRUH hai, is liye wo mardo ki saf me khada HO SAKTA hai Magar jab do bachche ho to un ki saf mardo ke peechhe alehidah karna hogi Agar wo mardo ki saf me khade honge to mardo ki namaz makruh hogi, Lekin namaz FASID KISI TARAH NAHI HOTI. Agar bachcha darmiyan e saf me hain to bad me aane wala un ko AAHISTA se pichli saf me khada kar dega, is tarah nahi hatayega Ki bachche niyat tor den, or naa hi unse bad-akhlaqi se pesh aye
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1086

kya let ke darood sareef nahi padh sakte kya

Jawab: 1086 بسم الله الرحمن الرحيم
Padh sakte hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1087

Kiya ham, Jo zinda insan hen unko bhi kuchh padhkr bakhash sakte hen ke wo unhe Marne ke bad mile ?

Jawab:1087 بسم الله الرحمن الرحيم
Apne kisi bhi nek amal (farz ya nafil) ka swab kisi bhi sunni musalman (murda ya zinda) ko bheja jaa sakta hai, aur ye sawab pahuchta bhi hai, yahi AHLE SUNNAT ka aqeedah hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب 


Suwal no. 1088

Hume ye Janna hai ki hum kisi musalman ko haram ki aulad wagaira alfaz se keh sakte hai kya?

Jawab: 1088 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi bhi musalman ko gali dena haram aur gunah e kabira hai, thik waise hi gali aur zillat ke tor par haram ki aulad kehna bhi haram hai,
Fatawa Razawiya Jild:21 Safah:127 par AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat farmate hain,
“kisi musalman jahil ko bhi be-izn gali dena haram e qatai hai”

Aur Sahih Muslim me hai
“Musalman ko gali dena gunah e kabira hai”

At-Targeeb Wat-tarheeb me hai.
“musalman ko gali dene wala us shakhs ki tarah hai, jo jald hi halakat me padha chahta hai,”

Aur kisi musalman ko ba-tor e gali haram ki aulad keh kar uska dil dukhana use taqleef dena bhi mana hai, jaise ki Fatawa Razawiya Jild:21 Safah:128 par, ek maroof hadis Imam ne Byan ki, farmaya huzoor ne
“jis ne kisi musalman ko taqlif di usne mujhe taqlif di, aur jisne mujhe taqleef di usne allah ko taqleef di”

Haram ki aulad to door ki bat ba-tor e gali kisi musalman ko uski zaat ko haqir samajhte huye use taqleef dena bhi haram hai, maslan kisi ANSARI ko beizzatai aur niche dikhane ki niyat se JULAHA kehna haram hai Jaisa ki Fatawa Amjadiya Jild:3 Safah:06 par hai
“agar taan(tana kashi), wa tehqir wa tazlil malhooz ho to (kisi ko jolaha kehna bhi) haram hai”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1089

Hazrat kya nikah aur walima dono ek hi din rakh sakte hai kya. Matlab nikah ke hi din walima bhi ho sakta he kya. ?

Jawab:1089 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunnat Walima shab e zifaf(suhagrat) ke agle do din tak ho sakta hai, aur suwal me mujhe ye samajh aa raha hai ki dulah wale gaye nikah kiya, aur unhone bhi hatho hath usi din dawat (ladki walo aur apno ki) kar di, yani naa dulhan wida hui ya fir wida hui magar abhi shab e zifaf na guzri (aur na khilwat e sahiha) aur dawat kar di gai, to is surat me dawat jaiz magar ise walima nahi kaha ja sakta,

Bahar e Shariat Jild:3 Safah:391 par hai
“walima ye hai ki shab e zifaf ki subah ko apne dost, rishtedar, azeez aur mahalle ke logo ki, hasb e istita’at zyafat kare,”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1090

Huzur ye irshad farmaye ki agar koi likh kar salam kare to kya likhe hue salam ka jawab bhi dena wajib hai, rehnumai farma dijiye Aabid Raza Mandsor M.P se

Jawab: 1090 بسم الله الرحمن الرحيم
Likhe hue (written) salam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi forn Jawab Munh se de de, der ki to gunahgar hoga, or fir likh kar dena mustahab hai jaisa ki
Bahar e Shariat Jild:3 Safah:463 par hai
“khat (letter) me salam likha hota hai uska bhi jawab dena wajib hai, yaha jawab do tarah hota hai, ek ye ki zuban se jawab de, doosri surat ye ki salam ka jawab likh kar bheje, magar kyunki jawab foran dena wajib hai, jaisa ki upar mazkoor hua, to agar foran tehriri jawab naa ho, jaisa ki umooman yahi hota hai, ki khat ka jawab foran hi nahi likha jata, to zuban se jawab foran dede, taki takhir se gunah naa ho”
Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki
Log is (masale) se ghafil hain,
Tabhi alaHazrat jab khat padha karte to khat Me jo salam likha hota hai uska Jawab zuban se (foran) Dekar, bad me aage khat padhte.
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1091

Agar ham farz padhne ke bad aytal kursi padhna bhool Jaye or dusri rakat ki niyat bandh le to gunah hoga

Jawab: 1091 بسم الله الرحمن الرحيم
NAHI
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1092

Assalamualikum, kya wahabi deobandi ko Salam kar sakte hai aur agar wahabi deobandi Salam kare toh unka jawab dena zaroori hai

Jawab: 1092 بسم الله الرحمن الرحيم
Salam karna Tazeem aur dua hai, aur hadis me farmaya jisne kisi BADMAZHAB ki tazeem ki usne deen ko dhaa dene me madad ki, lihaza kisi bhi badmazhab firqe ke logo ko naa salam jaiz hai, naa unka jawab dena wajib
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب 

Suwal no. 1093

Nabi, Pegamber or Rasool me kya fark hai

Jawab: 1093 بسم الله الرحمن الرحيم
Nabi ke liye insan aur mard hona zaruri hai, aur rasool ke liye insan hona zaruri nahi balki firishte me bhi rusool hain, aur nabi rasool bhi hote hai, thik waise hi rasool nabi bhi ho sakte hain, rasool nai kitab aur shariat ke sath aata hai, nabi par wahi nazil hoti hai, chahe firishte ke zariye ho ya bina firishte ke,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:28 par hai
“nabi us bashar (insan) ko kehte hai, jise allah ne hidayat ke liye wahi bheji ho, aur rasool basher hi ke sath khas nahi, balki malaika bhi rusool hain”
“ambiya sab basher the aur mard, na koi jinn nabi hua na aurat”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:29 par hai
“nabi hone ke liye us par wahi hona zaruri hai”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:35 par hai
“wahi e nabuwat nabio ke liye khas hai, jo use kisi gair nabi ke liye mane kafir hai,

Fatawa Shareh Bukhari Jild:1 Safah:379 par hai
rasool to nabi aur paighamber ho sakte hai, nabi bhi rasul ho sakte hai, 313 nabi rasul bhi the aur nabi bhi,

Fatawa Shareh Bukhari Jild:1 Safah:379 par hai
“rasool khas us nabi ko kehte hain, jis par koi sahife nazil ho, aur weh sahib e shariat ho”

(jaise hamare nabi, nabi bhi aur rasool bhi, kyunki ap nai kitab(quran) aur shariat ke sath aye, thik waise hi, Hazrat isa, moosa, dawood, (alaihissalam) nabi bhi hain, aur rasool bhi,

Aur paighamber nabi aur rasool dono ke liye istimal kiya jaa sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1094

Jis tarah mard ko sajde me paun ki teen teen ungalio ka pet zameen par lagana wajib hai, aur koi jan kar naa lagaye to namaz naa hogi, to kya aurat ke liye bhi yahi hukm hai, yani sajde me unhe bhi paun ki ungalio ka pet zameer par lagana wajib hai

Jawab:1094 بسم الله الرحمن الرحيم
Wo hukm kewal mard ke liye hai, aurat ko ulti sureen(kulah) par beth kar dono paun seedhi taraf nikalne ka hukm hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب 

Suwal no. 1095

Hazrat ye bataye ki jo hamse bada hota he usse ham tu ya tum se baat nahi karte hamesha aap se bat karte he to ALLAH PAAK se aise kyun bat karte he ke tu mera sahara, tu hi sab kuchh he etc. aur NABI PAAK se aap se baat karte he Bas iski wajah bataye Hazrat janna chahta hu?

Jawab: 1095 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal me jo apne likha ki bade ko ham “tu” nahi bolte, to allah ko “tu” kar ke kyun arz karte hai, to iska jawab ye hai ki, aisa nahi hai ki har bar lafz “tu” ya “tera” bator e toheen ho. Baz awqaat ye kuchh jagah par urf bhi hota hai jaisa kabhi maa ko bhi kaha jata hai “maa tu khana kab banayegi” ya fir maa tu meri fiqr nahi karti wagera wagera lihaza yaha toheen ki niyat nahi hoti, aur allah ko kisi aise lafz ye yaad karne ko ulama ne mana kiya jisme jama (bahu-wachan) ka sega (lafz) ho, maslan, “tum” “aap” ye alfaz kai logo ko mukhatib karne ke liye istimal hote hain, jabki allah ek hai, lihaza chahiye ki use ese wahid ke sega (alfaz) se yaad kiya jaye,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safah:62 par hai
“allah tabarak wa ta’la ki zaat aisi wahid hai, ki jisme kasrat (plural/bahu-wachan) ka shaeba bhi nahi ho sakta, islye allah ke liye aisa alfaz istimal nahi kiya jaa sakta, jinme kasrat (plural/bahu-wachan) ka shuba ho, har zuban me wahid (singular) aur jama(plural) ke sige(alfaz) alehida alehida hote hain, jama ka siga asl me kasrat(zyadati) ke liye hai, aur kabhi kabhi tazeem ke liye bhi istimal kiya gaya, quran me kisi nabi se koi aisi dua ya jumla manqool nahi hai, jo jama ke sige(alfaz) par mustamil ho,”

Aur agar aap ye sochte hai ki fir quran me allah ne apne ap ko “ham” keh kar kyun kalam farmaya to iska jawab ye hai ki allah ka khud ko “ham” kehna apni badai aur azmat byan karna hai, aur hame ishara hai ki uska huqm mana jaye wo azmat wala bada hai,

Waqarul Fatawa Jild:1 Safah:62 par hai
“mutaqallim(kalam karne wala) jab apne liye khud jama(plural) ka sega(lafz) istimal karta hai to usse maqsood mukhatib par apni azmat zahir karke farmabardari karne par maa’il karna hota hai”

Magar yaad rahe allah ko “aap” kehna jaiz hai, magar kehna nahi chahiye kyunki urf aur ijma se hat kar kam karne se bachna zaruri hai jaisa ki

Fatawa Shareh Bukhari Jild:1 Safah:131 par hai
“Tazeem ki niyat se allah ko “AAP” keh sakte hain”

Aur apne jo suwal ke doosre pehle me ye kaha ki nabi ya rasool se ‘aap’ karke bat karte hai, ye durust hai magar aisa nahi ki nabi ya wali se tu karke baat nahi kar sakte balki ye muamla urf aur niyat par mabni(based) hai, Sarkar e AlaHazrat farmate hai,
“wah kya jood o karam hai shah e batha “tera”,
Nahi sunta hi nahi mangne wala tera
 aur farmate hai
tujhse” chhipau muhn to karu kiske samne
Ham “tu” karim hai teri khu(n) dar guzar ki hai
Aur farmate hai
teri sarkar me lata hai ‘raza’ usko shafi
Jo mera gaus hai aur ladla beta tere
Aur farmate hai,
Tu” hai wo gaus ki har gaus hai sheda tera…. (Ummid hai itna kafi hoga)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1096

Apne bataya tha ke wahabi, deobandi, ahle hadees in sab ke pichhe namaz nahi padhna chahiye to jab ham HAJ karne jaye to waha to raffaiyaden hota he ahle hadees namaz padhata he to unke pichhe namaz na padhe, means khud ki hi namaz padhe ? iske baare me bataye ?

Jawab:1096 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo mene bataya tha ki badmazhab ke pichhe namaz nahi wo durust hai, aur yahi maslak quran o hadis ka maslak hai aur yahi jawab deegar muftian e kiram ke fatawa me darj hain, ab raha ye ki hajj par ham namaz kaise padhenge. To apko arz kar dun haj ke jo arkan hai (maslan tawaf, wagera) wo banda akela kar sakta hai, aur namaz apni tanha padhega, warna waha laakho sunni log hote hai, aur apni apni jamat qayam karke, warna hotel wagera me padh lete hai, aap is baat par gaur kare, ki jab apke ilaqe me 10 hazar ki abadi me hi eid ki ek namaz nahi ho pati, kahi 10 mint. Age to kahi 20 mnt. Age, fir bhi kai logo ki namaz reh jaati hai, to lakho log ek waqt me waha namaz kaise padh sakte hai, zahir hai ki na-samajh log unke pichhe padh lete hai aur sahi ul aqeeda sunni unki namaz ke bad apni apni padhte hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1097

Asslamu alykum, Hazrat namaz ki halat me gale ki haddi dikhne se namaz me koi farq padega ?

Jawab: 1097 بسم الله الرحمن الرحيم
Kurte/shirt ke upar ke batan khule rehne ki chand surate hai, yani, kurta ka pehle gale ka batan khula hai, jisse sirf gala ya hasli ki haddi nazar aa rahi hai jaisa ki suwal me hai, to is surat me namaz ho jayegi, aur agar haddi se niche ke batan khule hain jisse seena nazar aa raha hai, aur usne upar koi kapda bhi nahi pehna jisse seena chhip sake, to is surat me namaz makruh tehrimi hogi,

Waqarul Fatawa Jild:2 Safah:76 par hai
“hasli ki haddi se neeche sina hai aur upar gala hai, gale ke khule rehne me koi harz nahi, lekin gale se neeche ka hissa is tarah khula rakhna ki jo kapda pehna hai uske batan bilkul naa lagaye gaye ya upar ke batan is tarah chhor diye gaye ki jinse hasli k haddi aur sine ka hissa khula rahe, aur us kurte ke upar doosra kapda pehn liya maslan sherwani wagera to namaz makruh hoti hai, aur agar doosre kapda pehn kar uske batan laga liye gaye to makruh nahi, ya kurta kamees wagera is tarah banai gai aur gala itna gehra kata gaya, jiske batan lagane ke bad bhi hasli ki haddi nazar aati hai to isme bhi karahat nahi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1098

Hazrat mene wuzu kiya namaz padne ke liye lekin mene apni biwi ko kiss kiya to Kiya mera wuzu tutega ?

Jawab: 1098 بسم الله الرحمن الرحيم
Kiss, apni biwi ya gair aurat ko, gaal par ya honto par ya jism ke kisi bhi hisse par karne se ya gale lagane se wuzu nahi jata, magar halat e wuzu me apni biwi se wo fel makruh hai, jisse wuzu tutne ka khatra ban jaye, (jabki namaz ya jamat jati ho or ye wuzu namaz ya deegar ibadat ke liye kiya gaya ho, aur agar hambistri ke liye hi wuzu kiya hai to harz nahi,) aur wuzu jab jayega jab apni biwi ko kiss kiya aur kuchh der tak isi “harkat e mohabbat” (kiss) me mashgool raha yaha tak ke “fitrat e insaniyat” ke tehet, “galba e shehwat” ki bina par mazi nikal gai, (jiska ehsas amtor par admi ko nahi hota) to wuzu jata rahega, aur mazi naa nikli to wuzu naa jayega, wuzu tutne ka qaida mene jawab me byan kar diya, ab ap mere jawab padh kar fir se gaur kar le, ki halat e wuzu me dauran e bosa e zoja e mohtarma, apka wuzu gaya ya nahi, aur agar wuzu nahi bhi tuta to bhi fir se wuzu kar lena behtar hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب 

Suwal no. 1099

Jab ham quraan Ki hifz Surat padhte hen sabse pehle bismillah padhte hen, To kiya dusri tesri chothi Surat padhne par bhi hame har Surat me bismillah padhni padegi

Jawab:1099 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab ek baar ayate padhna shuru ki chahe dekh kar ya hifz wali zuban se to awwal me bismillah padhna kafi hai, har bar har surat se pehle zaruri nahi magar mustahab hai, padhi to sawab me izada hi hoga, jaisa ki
Fatawa Faizur Rasool jild:2 safah:505 par hai
“bismillah Padhna MUSTAHAB hai:- namaz ke bahar darmiyani surat se tilwat shuru karte waqt,”

Aur waise bhi bismillah koi 50 kg. ki to hai nahi, jo har bar padhne me bojh lage,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1100

Ishrak ke kitni der bad chasht Ki namaz ka waqt shuru hota he ?

Jawab:1100 بسم الله الرحمن الرحيم
Ishraq ka waqt- Suraj tulu hone se kam se kam 20 mnt. Baad padh sakte hai,
Chasht ka waqt- aftab buland hone se zawal tak, or namaz e ishraq ke bad bhi chasht padhi jaa sakti hai,
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم


No comments:

Post a Comment