Suwal 1101 to 1200 (Masail e Shariat Jild 2)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat Jild 2) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Aqib Raza Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 2)
-------------------------------------------------------------------------------------------------



Suwal no. 1101

Mard ko mehndi raan par lagana kisi beemari ya khujli ke liye jaiz hai ya nahi

Jawab:1101 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai, jabki aur dawa nafabakhsh sabit naa hui ho to warna pehle doosra ilaj mumkin ho to kare
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1102

Baz log imame husen or imame hasan ke nam ke pichhe Alehissalam lagate he kya ye in buzurgo ke nam ke sath alehissalam lagana sahi he, rehnumai farma dijiye Aabid Raza Mandsor M.P se

Jawab:1102 بسم الله الرحمن الرحيم
Lafz عليه السلام nabi, rasool aur firishte ke liye khaas hai, inke gair ko naa kaha jaye naa likha jaye, imam hasan, hussain aur deegar sahaba ko “radi allah anhu” hi kehna chahiye, عليه السلام nahi kehna chahiye
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1103

Kya tahajud ki namaz ek nind lene ke bad mani jaati he agar hum jagte rahe or 12 baje ke bad padhle to kya namaz mani jaygi ?

Jawab:1103 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye awam me mash’hoor hai ki tahajjud ka waqt rat 12 baje ke bad hota hai, ye ghalat hai iski kuchh asl nahi, tahajjud ki namaz, isha ki namaz padhne ke bad kuchh der so kar uthne par ada ki jaa sakti hai, fir chahe ye sona 1 mnt. Ke liye hi kyun naa ho, maslan, kisi ne 9 baje isha padhi aur so gaya fir 9.05 pm par utha to uske haq me tahajjud padhna durust ho gaya, 12 baje ya uske baad ka kuchh etbar nahi.

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:677 par hai
“isha ke bad raat me so kar uthen aur nawafil padhe, (ye tahajjud hai), sone se qabl (pehle) jo kuchh padha wo tahajjud nahi”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1104

Hazrat farz ki namaz me khali rakat aur bhari rakat ka kya matlab hai ?

Jawab:1104 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye awami istilahi jumla hai, yani jis namaz me fatiha ke bad surat padhna zaruri hai use “bhari” keh diya jata hai aur jisme, surat milana zaruri nahi use”khali” keh diya jata hai, maslan- farz ki shuru ki do rakat bhari (kyunki isme fatiha ke bad surat bhi padhi gai) aur farz ki akhri do rakat khali (kyunki isme surat na milai gai), aur sunnat ki charo bhari
Magar ye yad rakhna chahiye ki tanha namazi farz ki charo rakat bhari padh sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1105

Hazrat mujhe geebat(chugli) ka sahi matlab janna chahta hu. Matlab geebat kab mani jayegi kisi ki baat karna uske na hone par ya usme agar wo burai sach me he ya nahi he or uski us burai ki baat kisi doosre se kare to kya ye geebat hogi. Geebat kab sabit hogi iske baare me bataye Hazrat. kyunki iska gunaah bahut bada he or ise janna chahta hu.

Jawab: 1105 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal me ye arz kar du apne jo suwal me geebat (chugli) likha hai, ye apne zara si bhool kar di, kyunki gheebat aur chughli alag alag cheeze hain inki tareef bhi alag hain, shayad ap inhe ek samajhte hai, isilye apne gheebat ko explain karne ke liye brecket me (chugli) likh diya, jabki gheebat alag hai chugli alag,
Kisi ke pichhe uske baat karna har bar gheebat nahi hoti, balki gheebat ki tariff ye hai ki, “kisi musalman ka tazkirah uske pichhe is tarah (andaz) me karna ki agar wo baat use pata chal jaye ya wo sun leta to use bura lagta ye gheebat hai, jaisa ki Ihya ul uloom Jild:3 Safah:435 par hai
apne musalman bhai ka tazkirah is tarah karna, ki agar us tak wo bat pahuche to weh use napasand kare,”

Aur fasik ke wo aib logo ko batana jo usme waqai hain, ye bhi gheebat nahi, magar kisi fasik ke aib bhi us surat me byan kiye jayenge jaha shariat ne ijazat di hogi, bila wajah uske aib bhi nahi byan kar sakta aur wo surat ye ho sakti hai, ki ek shakhs dhokebaz hai, aur musalmano se raqm udhar le kar deta nahi, fir wo apke dost ke pas aya aur udhar raqm mangi aur apko khabar hui to aap apne dost ko usse agah kar sakte hai ki fula shakhs doke-baz hai, raqam nahi dega aap ehtiyat karo, to is surat me fasik se musalman ko nuqsan pahuchane se bachana gheebat nahi, thik aise hi, koi dukan dar asli ke nam par naqli saman bech kar musalman ko dhoka deta hai to usse musalmano ko agah karke unhe nuqsan se bachana gheebat nahi, wagera wagera, magar aisi surat me wahi aib byan kiye jaye jiski zarurat hai, aisa nahi ki char baat (jo usme sach me ho) wo bhi byan kare, iski bhi ijazat nahi,
Aur jo apne suwal me kaha ki “wo burai usme ho to bhi gheebat hai” G han, gheebat usi surat me hoti hai jab wo burai usme ho, yani “gheebat hoti sach hai, magar hai haram”, agar wo burai usme hai hi nahi aur apne byan kar di to gheebat nahi “bohtaan” hai aur ye bhi haram hai,
Thik waise hi - Gheebat karna haram or jahannam me le jane wala Kaam hai, or gheebat sunne wala bhi karne wale Ki tarah gunahgar hota hai, Gheebat aur iski mazammat par behes taweel hai Magar yaha mukhtasar byan kiya jaata hai, Allah ta’ala qubool kare or hume is Mohlikaat e khabeesa se bachne ki tofiq de, Quran pak surah hujurat ayat 12 me Allah ka irshad e pak hai,
“Aur ek doosre ki gheebat naa karo kya tum me Koi pasand rakhega ki apne mare bhai ka gosht Khaye, to ye tumhe gawara naa hoga,”
Gheebat izzat ko khatam kar deti hai isilye ise Maal or khoon ke sath zikr kiya gaya

Muslim Shareef ki hadis me hai,
Ek doosre se hasad naa karo, bugz wa adawat naa rakho, Nafrat dilane wale kaam naa karo, naa apas me berukhi ikhtiyarKarte huye qat’a talluq karo, naa ek doosre ki gheebat karo Aur aye allah ke bando bhai bhai ban jao,
Or farmate hai madine ke tajdaar, - Gheebat se bacho beshak gheebat zina se bhi sakht-tar hai

“Main shab e meraj aise logo ke pas se guzra jo apne chehro ko Apne nakhuno se noch rahe the, ye log gheebat karte Aur unki abrurezi karte the,”

Allah ta’ala ne Hazrat e moosa (alaihissalam) ki janib wahi farmai,
“Jo gheebat se tauba karke mara wo akhri shakhs hoga jo jannat me Jayega or jo gheebat par qayam rehte huye mara wo pehla shakhs Hoga jo jahannam me dakhil hoga,

Or ye bhi yaad rakhna chahiye gheebat, faqat zuban hi se nahi balki Aankh se, hath se, isharo se likh kar phone par, msg par, whatsapp par bhi ho sakti hai
Gheebat sunne se kis tarah bache iski rehnumai karte huye Mere aqa HUJJAT UL ISLAM IMAM GHAZALI apni Maqbool e do jahan tasneef Ihya Ul Uloom Jild: 3 Safah: 443 Par farmate hai:
Agar waha se uth kar ja sakta he ya guftgu ka rukh badal sakta hai To AISA HI KARE warna gunahgar hoga
وﷲ سبحٰنہ وتعالٰی اعلم

Suwal no. 1106

Mene ek lakh rupey jama kie par istamal karne se pehle kisi zarurat mand ko udhar de diye. Ab surat e hal ye he ki mujhe nahi lagta ki wapis milenge ya nahi. Do saal ho gaye rupey diye huye. To kya udhar di gayi raqam par zakat deni hogi. Aur kya jo do saal gujar gaye unki bhi deni hogi. Aur kitne salo tak deni hogi,

Jawab: 1106 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaha tak mujhe yaad hai, sail ki taraf se ye suwal pichle saal bhi (suwal no 35 par) aya tha, jo ki MASAIL E SHARIAT JILD 1 page no. 25 par darj hai aur uska jawab diya gaya tha,
“G, Han deni Hogi”

Magar is saal fir se suwal dohraya gaya hai, jisse pata chalta hai, sail ka dil is masale ko lekar zarur kuchh bechen hai, jise sail tasalli bakhsh jawab se door karna chahta hai, or hona bhi yahi chahiye ki shariat ke masala jab tak poori tarah samajh naa aye to bar bar puchhne me koi harz nahi hota, (aur mumkin ho ki wo sail koi or ho or ye meri aql ki bhool ho)

Puchhi gai, surat me jo maal kisi ko qarze par diya gaya hai, to qarazdar mal ka malik nahi ho jata, kyunki asl malik wo hai jisne qarz diya hai, to zakat sahib e nisab par farz hoti hai, aur jo mal qarze par diya jaye sharait paye jane par us par zakat hogi, jaisa ki
Fatawa Khania ke hawale se Bahar e Shariat Jild:1 Safah:877 par hai,
“agar den(qarz) aise par hai jo iska iqrar karta hai, magar ada me der karta hai, … ya we inkar karta hai aur iske(dene wale ke pas) gawah hain, to jab milega, guzre saal ki bhi zakat, wajib hogi,

Ab raha ye ki sail is zakat ko ada kaise karega, to isme hota ye hai ki, zakat to wajib ho jaati hai, magar har sal zakat dena wajib nahi hota, yani jab tak mal naa mile, jab zakat nahi dega, magar jab milega to sare saal ki zakat dega, aur isme zakat ki bhari raqam dene se bachne ki ek surat shariat me ye hai ki, jaise hi, qarazdar mal ka 5 va hissa de de to sail us 5ve hisse ka 40 va hissa zakat de, fir jab baki raqm jitney salo bad mile un sabhi salo ki zakat de, jaisa ki
Fatawa Faizur Rasool Jild:1 Safah:480 par hai
“jo maal udhar diya jaata hai saal e tamam par us par bhi zakat wajib hoti hai, magar adaigi wajib nahi hoti (balki) jab nisab ka panchwa (5th) hissa yani 10.5 tole chandi ki qeemat wusool ho jaye, to usme se 40 wa hissa zakat ada kare, aur jab kai sal ke bad raqm(Puri) wusool ho jaye, to us surat me guzre huye saalo ki zakat ada kare, aur jo raqam wusool naa ho uski zakat ada karna wajib nahi”

Man lo Rs. 1000 udhar diye, ek sal bad, qarz wale ne, 5 va hissa tak yani Rs.200 de diye to ye is 5ve hisse ka 40 va hissa zakat ada kare yani 200/40 = Rs.5, fir jab qarz wala agle sal fir Rs.200 de to ab ye isme do saal ki zakat ada karega, kyunki ye raqm do sal bad mili hai, maslan- 200/40 = Rs.5x2 = Rs..10 fir agar age saal sare rupye mil jaye to us raqm par 3 saal ki zakat ada kar de,
Aur sail ko ye ummid hai ki wo paisa wapis nahi dega magar dene ka jhutha wada karta rahega, to ye chahe to muaf bhi kar sakta hai aur iske liye use khabar karna zaruri hai ki mene apna qrza muaf kiya fir agar qarzdar ko kai saal bad gairat aa gai, aur kuchh raqm khud apni khushi se muaf karne ke bad bhi dena chahe to sail rakh le ki ye uske haq me tohfa hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1107

Hazrat kya napaki ki halat me durood shareef pad sakte he or niyaz de sakte he ya nahi..

Jawab:1107 بسم الله الرحمن الرحيم
Durood Padh Sakte hain, magar niyaz dene me kuchh tafsil hai, aur mukhtasar ye hai ki, qurani ayat ko junoob (jis par gusl farz hai) nahi padh sakta lihaza fatiha dene me qurani ayato ko padhna hoga jo uske haq mejaiz nahi, lihaza dua ki niyat se jitne baar chahe sirf surah fatiha padhe aur isal kar de, is tarah napak admi ya aurat niyaz de sakte hain,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1108

Azan ke dauran jab muazzin “haiya alas sala” aur “haiya alal falah” kahta hai to uspr “lahaul wala quwat kyun kaha jata he aur agar kahte bhi he to kis tarh se kahenge bataiye.

Jawab:1108 بسم الله الرحمن الرحيم
Azan ke jawab dene ke mutalliq do hadis hain hai,
Ek me azan ka jawab hu ba hu dohrane ki taqid hai aur doosri hadis me haiia alas salah aur حي على الفلاح ” par lahol padhne ki taqid hai, lihaza jab azan ho to dono baato par amal kar liya jaye yani “حي على الصلاة” aur حي على الفلاح ”keh kar lahol padh liya jaye, aur aisa islye hai ki jab muazzin kehta hai “aao namaz ki taraf” “aao qamyabi ki taraf” to shetan waswase dal kar rokta hai, to shetan se bachne ke liye lahol sharif padhi jaati hai, taki wo azan ke bad namaz ki hazri se naa roke jaisa ki
Mishat ul Manajih Sharah Mishkat ul Masabih Jild:1 Safah:403 par hai
yani aur (haiiya alal falahbhi padhe, aur lahol bhi padhe, taki is hadis par bhi amal ho jaye, aur us par bhi, is waqt lahol padhne isliye hai ki SHAITAN DOOR RAHE AUR NAMAZ KI HAZRI ASAN HO”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1109

Fish Palna kaisa (aquarium me) ?

Jawab: 1109 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai, jabki waqt par aquarium ka pani badla, jaye aur daana daala jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1110

t-shirt pehenna kaisa, or t-shirt pehen kar namaz hoti ya ki nahi

Jawab: 1110 بسم الله الرحمن الرحيم
T-shirt pehna makruh hai ki libas e fussak hai, aur ise pehn kar namaz bhi makru(tanzihi). Magar Aadhi asteen ki t-shirt or shirt me namaz ho jaygi. Or agar doosre kapde mojood hain to aadhi aastin me namaz makruh e tanzihi hai, magar namaz fir bhi ho jaygi dohrane ki zarurat nahi naa kuchh gunah, Or agar doosra kapda mojood nahi hai to namaz makruh bhi nahi, Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 193 par hai
Jiske pas kapde mojood hon, aur sirf aadhi aastin ya banyan pehen kar namaz padhe to karahat tanzihi hai, (yani namaz ho jayegi). Aur (doosre) kapde mojood nahi to karahat (tanzihi ki) bhi nahi,

Waqarul Fatawa Jild: 2 Safah: 245 par hai
Aadhi aastin wala kurta, qameez ya shirt kam-kaj karne wale libas me shamil hain is liye jo aadhi aastin wala kurta pehen kar doosre logon ke samne jana ghawara nahi karte unki namaz makruh tanzihi hai aur jo log aisa libas pehen kar sab ke samne jane me koi burai nahi mehsus karte to unki namaz makruh bhi nahi.

Makruh e Tanzihi ki tareef: -
Weh amal jise shariat naa pasand kare, par ispar kuchh azab nahi (gunah nahi)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1111

Ye irshad farmaye ki jis ladki se rishta pakka ho jaye or us ladki ki photo ladke ke pas ho to wo ladka us ladki ki photo dekh sakta hai ya nahi abid raza mandsor m.p se

Jawab:1111 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to photo ka khichna khichwana hi haram hai, doosri bat ki ladki ka photo ladke ke paas aya kis tarah, teesri baat ye ki jab aya to kya abhi tak ladke ne use dekha naa hoga,? chothi baat ye ki photo burqe me to nahi hoga, zarur usme bal, gala, chehra zahir hoga to jab tak uska nikah naa ho jaye to ladki uske haq me gair mehram hai, uski beparda taswir rakhna jaiz nahi, doosri bat, ladke ko ek jhalak dekhne ki jo ijazat shariat ne di hai to uska matlab ye nahi ki uska photo rakh kar bar bar dekha jaye, aur ulama farmate hai, ki ghar ki aurato ko dekhne bheje aur ladki ka naqsha, rang, height wagera ladke ko byan kar de, lihaza photo rakh kar bar bar use dekh kar bad-nigahi karna haram hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1112

Jis ki dadhi na ho ya shariat ke mutabiq na ho to us se azan or iqamat kahlana kaisa he ? hawale ke sath jawab deejiye ho sake to us (hawale) ki photo hi bhej deejiye please

Jawab: 1112 بسم الله الرحمن الرحيم
Daari ka ek musht se kam rakhne wala, fasiq e moallin hai, aur ulama e ahle sunnat ka is par ittifaq hai ki azan fasiq ko dena makruh , ise roka jaye, azan islam ka shiar hai, to (namaz ke waqt) ke dakhil hone ki ittila qual ki maqbooliyat ke liye zaruri hai ki, qail (kehne wala, yani azan kehne wala) musalman aqil, baligh aur aadil ho, aur fasik ki khabar deen dari me etbar ke qabil nahi, jaisa ki
Durr e Mukhtar Jild:1 Safah: 46 par hai ویعاداذان کافر وفاسق
(yani, kafir fasiq ki azan dohrai jaye)

Fatawa Razawiyya Jild:5 Safah: 377 par hai
“agar fasiq ne azan di to qana’at na karen, balki dobarah musalman muttaqi fir azan de”

Bahar e Shariat Jild: 1 Safah: 466 par hai
“Fasiq chahe aalim ho uski azan kehna makruh hai”

Ab raha ye ki fasiq ne azan de di to lotana wajib (zaruri) hai ya nahi, to baz ulama ne farmaya ki inki azan dohrana wajib hai magar SAHI YAHI HAI KI INKI AZAN KA LOTANA WAJIB NAHI MUSTAHAB HAI, aur yahi durr e mukhtar me hai, magar yaad rahe jab fasiq azan de, to fir doosra koi azan de, aur agar fir azan dene se fasad ka andesha hai to dosri azan bina mic ke di jaye, (aur yahi behtar hai)

Jaisa ki Fatawa Faizur Rasool Jild:1 Safah: 184 par, Fatawa Mustafawiya ke hawale se hai
“fasiq ki azan makruh hai, magar de to azan ho jayegi,”

“Aur ye jo upar jawab guzra ki dohrai jaye, iska matlab hai, dohrana mustahab hai (YANI BEHTAR HAI KI DOHRA DI JAYE, AUR USI AZAN SE NAMAZ PADHI TO NAMAZ HO JAYEGI”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1113

Humara koi non muslim dost ho aur hume poora ilm ho jaye ki yeh biyaaz leta hai to uske ghar ka paani peena aur uski kisi cheez se faiz uthana kaisa. ?

Jawab:1113 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo khana ya paani apke samne pesh kiya jaye agar apko yaqeen ho ki wo khana byaj hi ke paise se ho to khana jaiz nahi, aur agar yaqeen nahi to shak shubah se koi cheez najaiz nahi hoti, aur faiz uthana baz surato me jaiz ho sakta hai baz se najaiz, aur behrhal har surat aise shakhs ke ghar ke khane peene se bachna chahiye, aur har kafir ki dosti zehr e qatil hoti hai, jab admi kisi se dosti kare to dekh le ki kisse dosti kar raha hai, kyunki kafir, se doosti ke mutaliq quran e pak me hai
Farmata hai ALLAH KAREEM apne QURAN E AZEEM me (Surah maida, Ayat 51)
“Aye iman walo yahood o nasara ko dost naa banao, .. aur tum me se jo koi un se dosti rakhega, to woh unhi me se hai, “

Rasool e azam ne irshad farmaya - الرجل علی دین خلیلہ فلینظر احدکم من یخالل
“admi apne dost ke deen par hota hai, to gaur kar le, ki kisse dosti karta hai”

Aur farmate hain- من کثر سواد قوم فہو منہم (jisne jis qum ki tadad badai woh unhi me se hai)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1114

Islam me kisi bhi trah ka music jayez hai ya nahi ?

Jawab:1114 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatawa Razawiyya Jild: 24 Safah: 80 par hai,
Mazameer(music) bilashuba haram hai, ... inke sunne sunane ke gunah hone me shak nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1115

السلام عليكم   Hazrat kiya pent ki mohri mor kar namaz pad le to kiya namaz nahi hogi or kiyo nahi hogi

Jawab:1115 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz me mori ko modne se namaz makruh tehrimi hogi, yani aisi namaz fir se dohrana wajib hai, agar naa dohrai to gunah gar hoga, aur payche morne par bhi gunahgar hua, aur iske khilaf agar mori naa modi to namaz makruh tanzihi hai, is surat me namaz ho jayegi aur kuchh gunah bhi nahi, aur aisa islye hai ki hadis sharif me hai
امرت ان اسجد علی سبعۃ اعضاء وان لااکف شعرا ولا ثوبارواہ الستۃ عن ابن عباس رضی اﷲ تعالٰی عنھما
(yani: mujhe sat(7) aza par sajde ka hukm diya gaya, aur is bat ka ki namaz me naa bal sametu na kapde ise ibne abbas se riwayat kiya)

Aur mori modna har surat makruh tehrimi hai, bahar ho ya andar, isi tarah sajde me jaate waqt ghutno se pent payjama upar kheench kar sajde me jate hai ye bhi makruh hai, isi tarah koi astin adhi kalai se zyada modi to bhi namaz dohrani hogi, ye sab surat namaz me kapde ke modne ke hukm me hai, jaisa ki

Durr e Mukhtar me hai کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1116

السلام عليكمHazrat kiya jumme ki namaz deobandi ki masjid me padh ne se ho jayegi agar nahi hogi to kiya namaz nahi padni cahiye kiyo ki deobandi ki hi masjid he or sunniyo ki masjid nahi he to kiya karna cahiye

Jawab:1116 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz juma ki ho ya eid ki ya panjgana, kisi bhi badmazhab ke pichhe jaiz nahi, chahe deobandi ho ya wahabi, aur agar koi jagah aisi hai ki waha sunni masjid nahi ya imam nahi to aisi surat me zohar ki apni tanha namaz padhe, AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hain,
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
 
FATAWA RAZAWIYYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai, 
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”

Fatawa Razawiyya Jild:6 Safah: 621 par Likhte hai.
Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumua wa Eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe namaz batil mehez hai.
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1117

Hazrat hamare suwal ye hi ki kiya siya ko musalman nahi mana jata ?

Jawab no. 1117 بسم الله الرحمن الرحيم
Shia apne aqaid e batila, aur fasidah ki wajah se kafir hain,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1118

Assalamualikum, Kya huzur sallal laho alaihe wassalam ke ishq me yeh jumla kehna sahi hai k "ramzan ka mahina yome wiladate huzur sallahoalhewassalam ke muqabil kam fazeelat wala hai" Jazakallah

Jawab:1118 بسم الله الرحمن الرحيم
Ramazan ka mahina bhi kuchh kam fazilat ka nahi hai, dono ki fazilat apni jaga hai, magar yom e wiladat sabse zyada fazilat wala hai, yaha tak shab e qadr se bhi zyada fazilat wala hai, Isme koi shak nahi ki jisko jo fazilat mili to sab huzoor ke sadqe me mili, to agar huzoor hi duniya me tashrif naa late to naa quran hota, na ramazan, to ye kehna ki huzoor ki paidaish ka din sabse zyada fazilat wala hai, durust hai, AlaHazrat Imam e Ahle sunnat farmate hai,
“wo jo naa the to kuchh naa tha, wo jo naa ho to kuchh naa ho
Jaan hain wo jahan ki, jaan hai to jahan hai,
Or farmate hai,
Hote kaha khali o bina kaba o mina
Lolaq wale sahibi sab tere ghar ki hai
Aur ramazan apne me khud ek fazilat wala mahina hai, jisme aqil baligh musalman par roze farz kiye gaye, na is mah ki fazilat ka inkar na rozo ki farziyat ka.. yani is tarah na kahen ki ramazan kam fazilat wala hai, balke yun kahe ki yom e wiladat sabse zyada fazilat wala hai,

Taiyba naa sahi afzal makka hi bada zaahid
Ham ishq ke bande hai kyun baat badai hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1119

Hazrat sabebrat ki fatiha kiske naam se hota he,

Jawab: 1119 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatiha kisi ke naam ki bhi ki jaa sakti hai aur kisi bhi din ki jaa sakti hai zinda ki, ya dunya se guzre ki, lihaza is din bhi, huzoor se le kar sare musalman mard aurato ko isal e swab kar dena chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1120

Assalamo alikum, Hazrat kya kise aam admi ke liye ye lafz kahna chahie Ki (aap ka karam he aap ki badi rahmat he) agar kah sakte he to hawale ke sat jawab inayat farmayen ?

Jawab:1120 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah tala ne admi ko mutlaqan mohtaj nahi banaya balki baz mamlo me use khud par ikhtiyar hai ki wo kisi ko saza de ya bakhsh de, gusse ka badla lele ya rehm kar de, ya naram dil se pesh aye, aur isme kehne wale ki niyat allah ki zat me shirkat ki nahi hoti, lihaza kisi ke liye ye kehna ki “ap ka karam hai, dua hain, wagera wagera isme koi harz nahi, aur ye buzorgo aur bado ke liye tazimi jumle hote hai, aur banda bhi karam kar sakta hai rehm kar sakta hai, jis tarah huzoor ko allah ne sare jahan ke liye rehmat bana kar bheja, (halaki nabi bhi khuda nahi) Surah Ambiya Ayat 107 me hai
“aur hamne tumhe naa bheja magar rehmat sare jahan ke liye”

Is ayat se sabit hai ki gair e khuda bhi makhlooq e khuda ke liye rehem wali, karam wali ho sakti hai, farq ye hai ki inki atai hai, rab ki zaati
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1121

Hazrat ye bataye ke koi imam masjid me namaz padata he aur us imam ke liye basti se hi khana aata he lekin basti me kuchh ghar aise bhi he jo log sood lete he to kya imam uske ghar ka khana khaye ya nahi aur majboori ye he ke agar imam nahi khata he to wo etraz karte he aur basti wale bhi kiyuke wo maldar he uski hi chalti he imam agar nahi khata he to imam ko masjid se nikal dete he is surat me kya hukm he hawale ke sat jawab inayat farmayen karna karam nawazish hogi

Jawab:1121 بسم الله الرحمن الرحيم
(Note:-group me imamat ke masail is tarah nahi bataye jaate, agar ye masala sahi me pesh aya ho to aapko chahiye ki darulifta me jaye or jawab hasil kare, aur ye jo jawab diya jaa raha hai, ye bas ilm me izafe ke liye diya jaa raha hai, mere is jawab ki buniyad par kisi sunni imam ko masjid se nahi nikala jaye.
Al-Jawab
Agar us ghar me sood ke siwa koi zariya e muash nahi, aur jo khana imam ko pesh kiya jata hai, use yaqeen ho ki wo sood ki raqm ka hi hai, to khana jaiz nahi or yaqeen nahi ki sood ki raqm ka hai, ya kisi or bete ki kamai ka to khana jaiz, parhez behtar, ab raha ye ki maldaro ke samne imam majboor hai to ise allah ka khof karna chahiye ki, jo ameer ki tazeem uski amiri ki bina par kare, usne apne deen ko dhane me madad ki, aur imam ka qudrat rakhne ke bad bhi haram kam par chup rehna gunah hai, agar direct kehne me fasad ka andesha hai to juma eid me moke par sood ki taqrir kare, jalso me sood par byan kare, uski mazammat byan kare, magar imamat ke mansab par hote huye haq se khamoosh rehna gunah hai,
Aur ye fel “mudahanat” kehlata hai-
MUDAHANAT ki tarif ye hai ki “najaiz or gunah wale kaam mulahza karne ke bad, (roke par qudrat rakhne ke bawajood), use naa rokna, aur deeni muamle ki madad aur nusrat me kamzori wa kami,
Ya - kisi bhi duniyawi fayede ki khatir, deeni mamle me narmi ya khamooshi ikhtiyar karna MUDAHANAT keh lata hai, MUDAHANAT haram aur jahannam me le jane wala kam hai,

Quran e Pak Surah maida Ayat 79 par ishad e bari tala hai
“jo buri baat karte apas me ek doosre ko naa rokte, zarur bahut hi bure kam karte the,”

Tafsir khazain ul irfa me hai
“burai se logo ko rokna wajib hai”

imam ko chahiye ki is haraam kam par na razi rahe, na chup rahe, balki unke ghar ke khane se parhez kare, aur jab koi wajah puchhe to saf byan kare ki “me imam hu, mere pichhe log namaz padhte hai, lihaza mujhe allah ka khuf hai ki me shak shubeh ka khana nahi khaunga” warna aap chaho to kisi or imam ko rakh lo jo haram halal me farq naa karta ho,
aur imam ka ye khyal ki masjid se nikal diya jayega to kya hoga, masjid walo ko bhi wahi rab khana deta hai jo imam ko deta hai, aaj sood wale ke ghar khane par majboor hai, kal wo sharab pesh karega to kaise mana kar payega,

“HAR, AHLE ILM, AHLE TARIQAT, SAHIB E TAQWA, IMAM AUR DEEN KE REHBARO KO BUZURGO SE YAHI NASIHAT KI HAI KI, AMEERO KI DAWAT SE DOOR RAHA KAREN, NA UNKE DAR PE JAO NA UNSE ZYADA MEL JOL RAKHO, jab ek baar admi kisi ka khana kha leta hai to uske samne haq byan nahi kar pata,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1122

Hazrat kiya namaz me chamade ya rekseen ki belt bandne se namaz nahi hogi ?

Jawab:1122 بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis me hai ki “jab chamra dho kar sukha liya jata hai to pak ho jata hai
To pak chamre se bani belt ho ya jecket, namaz me karahat nahi laati, agar chamra pehn kar namaz nahi hoti to chamre ke mozo par masah kaise hota ?
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1123

Hazrat kiya Kadwi roti pet bar kar khani cahiye or janaze ke sat jate kiya padna cahiye ?

Jawab 1123 بسم الله الرحمن الرحيم
Roti karwi ho ya mithi, khushi ki ho ya gham ki, PET BHAR KAR KABHI NAHI KHANI CHAHIYE, aur mayyat ke ghar me jo khana iske sawab ke liye hota hai, usme maldaro ko khane se parhez karna chahiye, us ghar me door se aye mehman khaye, ya gharib, ha agar kisi ne mehmano ke liye alag se khana kara hai, to use dawat ki tarah nahi karna chahiye aur khana, us khane ka sab ko jaiz, amir ho ya gharib, aur mayyat ke sath chalte waqt koi bhi wird kar sakta hai, chahe kalima ya durood, fir us ka swab mayyat ko hi isal kar de, aur aj kal ko karwi roti ya teeje ke naam par dawat numa mehfil sajai jaati hai, aur log baqaida shadi ki tarah tayyar ho ho kar ate hai ye baat zarur buri hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1124

Ishrak, chasht, awabeen ki namaz ki fazilat Kya he, rahnumai kare ?

Jawab:1124 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz e ishraq o chasht ki FAZILAT aur Raka’at
Jo namaz e fajr baa-jamat ada kar ke zikrullah karta rahe yahan tak ki aftab buland ho gaya fir 2 rakat padhi to use pure HAJ wa UMRE ka sawab milega
(Sunan Tirmizi)

Jo shakhs namaz e fajr ke fariq hone ke baad apne musalle me betha raha yaha tak ki ishraq ke nafil padh ke sirf khair hi bole to use ke gunah bakhsh diye jayenge agarche samundar ke jhag se bhi zyada hon,
(Sunan Abu Dawood)

Jo chasht ki do rakat pabandi se ada karta raha uske gunah muaf kar diye jaate hai chahe samundar ke jhag ke barabar ho,
(sunan Ibn e Maja)

Awwabeen-
“jo maghrib ke bad 6 rakate is tarah ada kare, ki unke darmiyan koi buri bat na kahe, to ye 6 rakate 12 saal ki ibadat ke barabar hongi”
(Sunan Ibn e Majah)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1125

Jab ghusl karte he to kaha jata he ki ek bal bhi sukha nahi rah jana chahiye agar ham naapak ho gaye ya kisi wajah se halat aise ho jaye ki ghusl karna zaruri ho gaya to ham agar apne sar( head)ko na dhoye to kya hamara ghusl man liya jayega ya nahi bataye ?

Jawab: 1125 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar koi sharai ujar nahi to, sar ka dhona farz hai, naa dhone ki surat me gusl e junoob ada naa hoga, aur agar sar dhona bhool gaya aur bad me yad aya to fir se GUSL KARNE KI ZARURAT NAHI, sirf sar dho le, aur jitni der bad dhoyega PAK ho jayega,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1126

Hazrat kisi ki namaz agar safar me qaza ho to wo ghar akar kasar pdhega ya poori ?

Jawab: 1126 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo namaz jaise qaza hui use waise hi qaza padhni hogi, qasr ki qaza qasr ki tarah hi karni hogi, yani jo namaze safar me qaza hui, to ghar aa kar ya jab bhi jaha padhe, unhe qasr me hi qaza karega yani 4 wali do hi padhega, jaisa ki Fatawa Alamgiri Jild:1 Safah:121, aur Bahar e Shariat Jild:1 Safah:703 par hai
“jo namaze jaise faut(qaza) hui uski qaza waise hi padhi jayegi, maslan, safar me namaz qaza hui to char rakat wali do hi padhi jayegi,”

Aur ye zaruri nahi ki qasr ki qaza ke liye ghar ana zaruri hai, yani safar par qaza hui namaz safar par hi qaza kar sakta hai, ghar ane ke intizar me naa rahe, kya ajab ki ghar aa sake ya nahi, isilye namaz e qaza karne se toba karke unhe jald hi safar par ada kar lena chahiye, maut ka bharosa nahi, aur qaza namaz e jald az jald ada karna wajib hai jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:702 par hai
“qaza ke liye koi waqt muaiin(tey) nahi, umar me jab bhi padhega bari uz zimma ho jayega, magar, TULU, GHUROOB aur ZAWAL ke waqt, (naa padhe) ki in waqto me namaz jaiz nahi.”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1127

Kuchh log kahte he ki agar apke koi shakhs halat puchhe to yeh kahna chahiye ki allah ka karam he aur kahte he ki rasool ka karam nahi kahna chahiye to mujhe bataye plz kya rasool ka karam ya chhote sarkar aur bade sarkar ka karam aur khwaja ghreeb nawaz ka karam kah sakte he ya nahi ya sirf yeh kah sakte he ki allah ka kram he

Jawab:1127 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo jo apne suwal me darj kiya sab keh sakte hai- jab allah ne apne mehboobo ko karim bana kar bheja hai to wo bhi karam kar sakte hai, Surah Ambiya Ayat 107 me hai
“aur hamne tumhe naa bheja magar rehmat sare jahan ke liye”

Aur farmate hai IMAM AHMAD RAZA
kareem aisa mila ki jiske khule hain hath aur bhare khazane
Batao aye mufliso ki fir kyun tumhara dil ijtirab me hai”

Aur farmate hai MUFTI E AZAM E HIND
Jo Chahenge Jise Chahenge Ye Use Denge
Kareem Hai Ye Khazane Lutane Aaye Hai

Sunoge "La" Na Zabaan E Kareem Se Noori
Ye Faiz O Jood Ke Dariya Bahane Aaye Hai

To jab hamare ulama ne quran o hadis ki roshni me nabi wali ko kareem mana hai unke karam ko mana hai to hame ghairo ki sunne ki zarurat hi kya, agar gairo ki baato par tawwajo doge to iblis bhi kehta hai “namaz na padho ?”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1128

Hazrat kya qabristan me agar koi shakhs salam kare to kya murde uska salam sunte he or jawab dete he 
Quran'o hadees ki roshni me wazahat farmaye ?

Jawab:1128 بسم الله الرحمن الرحيم
(KHUTBA)
Tamam ibadaat aur tarif usi sami’i o baseer azmat wale, izzat wale, ilm wale, hilm wale, allah azzawajal ke liye, jiski di hui taqat se sunti hain cheentiyan bhi Hazrat sulaiman ke lashkar ki awaz, aur durood o salam ho, ghamzada ki sunne wale, aqa, o maula par jinke liye Imam ne kaha “door o nazdik ke sunne wale wo kaan” aur unki aal o as’hab aur tamam musalman par, yaa is tarh arz karun ki “ek mera hi rehmat me dawa nahi shah ki sari ummat pe laakho salam”

Al-Jawab:
Apne rab se ummid karta hu ki sail mujh par itna to yaqeen karta hi hoga ki agar me is suwal ke jawab me bas ye arz kar du ki “G, han murde sunte hai, aur jawab bhi dete hai,” to sail ko BAS (kafi) hoga, magar aksar dekha jata hai ki hamari sunni awam ke zehen me ye suwal khud nahi aate balki iblees ke sage rishtedo (wahabi, deobandio) ke zariye unke dilo me daale jaate hai, taki gumrah kare, jannati musalmano ko, isilye is suwal ka jawab tafsil se arz kiya jaa raha hai, taki ainda koi bhi wahabi dil e momin me waswasa daale to ye tehrir uske iman ki hifazat me madadgar ho, kyunki “ye RAZA ke neze ki maar he….

MURDO KE SUNNE PAR DALAIL E QAHIRAH
Murdo ko zinda aur zindo ko marne aur, murdo ko mar kar fir se zinda karne wala RAB farmata hai apne pakiza Quran Surah Fatir Ayat:22 me
ان ﷲ یسمع من یشاء
(Beshak, Allah sunaata hai jise chahe)

Waise to baat isi ek WAAR par khatam ho gai, ki Jab allah har mumkin par qadir hai aur wo kehta hai, ki me sunaata hu jise chahu, to ab gair ki bato par nazar ki zarurat hi kya, wo allah sunaata hai, murda khud nahi sunta, to ab kaun hai jo allah ki qudrat aur taqat par bandish lagaye aur kahe ki allah ispar qadir nahi, warna bas isi ek ayat ke radd me koi dalil le ao jisse ye sabit ho jaye ki allah bhi nahi suna sakta murdo ko ? magar fazl e khuda se ye Ahle Sunnat ka khasa hai ki gumrah ko uske asli ghar (jahannam) tak hi pahucha kar chen lete hai, ab is par ek etraz ye kiya jata hai ki murda kaise sunta hai, wo to mar gaya,
Main kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki ahle sunnat ke ye aqeedah hargiz nahi ki koi apni taqat se sunta hai, ya dekhta hai, balki hamara nazriya to SURAJ KI TARAH CHAMAKDAR hai ki, jo bhi sunta hai allah ki di hui taqat se sunta hai, ab ye allah jane ki kisi ko door se suna de ya karib se, hame kia gharaz ki allah ki taqat qudrat par etraz kare, aur agar koi ye iman rakhe ki nabi ya wali ya mazar wala ya koi bhi murda apni taqat se (bina rab ke diye) sunta hai, to wo sunni hi nahi balki KAFIR hai, magar Ahle sunnat ke moqif ko ghalat tariqe se awam me pesh kiya jata hai, ham ye nahi kehte ki koi khud sun sakta hai balki fir yahi quran ki dalil ki
ان ﷲ یسمع من یشاء
 (Beshak, Allah sunaata hai jise chahe).

Sahi Bukhari aur Muslim me Abu sa’id khurdi se marwi hai, Farmaya Door o nazdik ki sunne wale aaqa ne
اذا وصف الجنازہ واحتملھا الرجال علٰی اعناقھم، فان کانت صالحۃ قالت قد مونی وانکانت غیر صالحۃ قالت لاھلہا یا ویلھا ان تذھبو بھا بسمع صوتھا کل شیئ الا الانسان ولو سمع الانسان لصعق
(jab janaza rakha jaata hai, aur mard use apni gardano par uthate hain, agar nek hota hai kehta hai, mujhe aage badao, aur agar bad hota hai kehta hai, hay kharabi uski kaha liye jaate ho, har shey uski awaz sunti hai, magar aadmi ke.)

Imam Musnad Ahmad aur Tabrani ne Is hadis ko naql kiya
ان المیّت یعرف من یغسلہ ویحملہ ومن یکفنہ ومن یدلیہ فی حفرتہ
(beshak murda pehchanta hai usko, jo gusl de aur uthaye, aur jo kafan pehnaye, aur jo qabr me utare”

Imam Jalaluddin Syuti Shafai ne Sharh Sudoor me ise farooq e azam se riwayat kiya,
مامن میّت یوضع عیل سریرہ فیخطی بہ ثلٰچ خطوات الاتکلم بکلام یسمع من شاء اﷲ الاّ الثقلین الجن والانس
(jab murde ko janaze par rakh kar teen qadam, le chalte hain, (murda) ek kalam karta hai, jise SAB SUNTE HAI JINHE KHUDA CHAHE, siwaye insano ke aur jinno ke, )

Dekho sunni musalmano tumhara rab kaisi qudrat wala rab hai ki, asl ye hai ki sunne ka kaam kaano ka hota hai, magar is hadis me kaha gaya ki kaan wale (insan or jinn) nahi sunte, wah, matlab kaan sirf zariya hai, sunaata allah hai, dekho uski taqat ki be-jan ko suna raha hai, aur jandar kan wale (insan aur jin nahi sun rahe) hadis me kaha sab sunte hai (insan, jin ke siwa) to janaza jis diwaar ke pas se guzra to deewar sune, jis darakht ke pas se guzra wo darakht sune, jabki inke kaan nahi, to fir, jab allah be-kan wale, be-jaan walo ko suna sakta hai, to qabristan ke murda ko sunaana kya uski taqat se bahar hai, fir wahi ayat ki
ان ﷲ یسمع من یشاء
 (Beshak, Allah sunaata hai jise chahe).

Sahabi e Rasool, Hazrat Salman Farsi ka aqeeda dekho .
قال لقی سلمان الفارسی عبداﷲ بن سلام فقال لہ ان مت قبلی فاخبرنی بما تلقی، وان مت قبلک اخبرتک
(salman farsi ne Abdullah bin salam se farmaya, agar tum mujhse pehle maro to mujhe khabar dena ki waha kya pesh aya, agar me tumse pehle marunga to me tumhe khabar dunga,)

Subhan allah, ye he aqeeda e sahabi jise dekh le har wahabi, ki marne ke bad, khabar bhi di jaa rahi hai, or kaha ja raha hai ki “Main bhi tumhe marne ke bad khabar dunga”, yani sahabi bhi jante hai ki mar kar sunne, bolne, dekhne, samajhne, ki taqat khatam nahi hoti, aur agar ho bhi jaye to allah to hai na taqat wala, jab bejan-be-kaan walo ko suna sakta hai to, murdo ko kyun nahi, fir yahi ayat ki
ان ﷲ یسمع من یشاء
 (Beshak, Allah sunaata hai jise chahe).

Imam Ahmad Farmate hain
ان المیّت اذا وضع عی سریرہ فانہ ینادی یااھلاہ ویاجیراناہ ویا حملۃ سریراہ لاتغرنکم الدنیا کما غرتنی
(beshaq murda jab charpai par rakha jata hai, pukarta hai aye ghar walo, aye ham-saaon, aye janaza uthane walo, dekho duniya tumhe dhoka naa de, jaise mujhe diya)

YE LO, kar lo baat, kehne ko to murda he, par fir bhi bol raha hai,!!!! kya hi qudrat he allah ki, to jab murda bolta nahi MAGAR bol raha hai, to murda jo (khud se) sunta hai, magar qabirstan ka bhi sun raha hai, aur tumhare salam ka jwab bhi de raha hai, to fir MAZAR WALO KA TO KEHNA HI KIYA,

Lo ab me maqsad ki baat aur dalail pesh kar dun ki qabr wala jawab deta hai ya nahi,
Ise Sharah Sudoor me Abdullah bin Abbas (radiallah anhu) se riwayat kiya.
مامن احدیمر بقبرا خیہ المؤمن کان یعرفہ فی الدنیا فیسلم علیہ الاعرفہ ورد علیہ السلام
(jo shakhs apne musalman bhai ki qabar par guzarta hai, aur use salam karta hai, agar wo use dunya me pehchanta tha to ab bhi pehchanta aur JAWAB DETA HAI)
(ise kehte hai RAZA ke neze ki maar…)

Imam Jalaluddin Syuti Farmate hai.
“murda aisa jawab nahi deta jo zinda sunle warna wo aise jawab to dete he jo hamare sunne me nahi ate”

Tabrani ne Abdullah bin Umar Farooq e Azam se riwayat kiya, huzoor (kuchh sahabio ki) qabar par ruke aur FARMAYA-
والذی نفسی بیدہ لایسلم علیہم احد الا ردوا الٰی یوم القیمۃ
(qasm uski jiske hath me meri jaan hai, qiyamat tak jo un par salam karega JAWAB DENGE)

Ab ek hadis Bukhari ki bhi ho jaye taki kuchh logo ka bukhar bhi utar jaye
Bukhari, Muslim, Abu Dawood, Tirmizi, Musnad Ahmad me, ANAS BIN MALIK se riwayat kiya,
واللفظ لمسلم ان المیّت اذا وضع فی قبرہ انہ یسمع خفق نعالھم اذا انصرفوا
(sahi muslim ke alfaz ye hai- murda jab qabar me rakha jata hai, aur log dafan karke palat te hain, BESHAK WEH UNKE JOOTO KI AWAZ SUNTA HAI)

Aur aisi kai hadise hain jisme yahi sabit hai ki murda halchal sunta hai, jooto ki awaz sunta hai, jane wale ki aahat sunta hai,
To aye (etraz karne wale) zara dil se bata, awaz jooto ki tez hai ya salam ki, agar jooto ki halki awaz murda sun sakta hai, nahi nahi, allah suna de to, fir hamare salam ki awaz, ko qabar wale, mazar wale, aur madine wale ko allah kyun nahi suna sakta hai, kiya tera is ayat par IMAN nahi, ki
ان ﷲ یسمع من یشاء
(Beshak, Allah sunaata hai jise chahe).

Aur weh to murda hai, warna quran o tafseero se to ye baat bhi sabit hai, ki chintio ne Hazrat sulaiman alaihissalam ke lashkar ki awaz kaafi door se sun li, (jaisa ki hamne khutbe me byan kiya)
To bas sabit hua ki MURDE KA SUNNA, DEKHNA, PEHCHANNA, BOLNA, OR JAANE KIYA KIYA, OR MUFTI E AZAM E HIND TO KEHTE HAI
WO KEHTE NA KEHTE KUCHH, WO KARTE NAA KARTE KUCHH
AYE KASH WO SUN LETE MUJHSE MERA AFSANA,

AUR IMAM E AHLE SUNNAT FARMATE HAI, (AYE WAHABIO TUM NABI PAR SALAM, NAHI PADHTE JABKI UNHE TO HAJAR( STONE/PATHHAR) TAK SALAM KARTE HAI, AUR HAMARA AQEEDA TO YE HAI KI,

UN PAR DURuD JIN KO HAJAR TAK KAREN SALAM
UN PAR SALAAM JIN KO TAHAIIAT SHAJAR KI HAI

Ye abru raza tere daaman e tar ki hai,
(Allah se dua hai ki ise tehrir karne wale, padhne wale, aur age badane walo ki behisab maghfirat kare, aur shaitani waswaso se iman walo ko hifazat kare, aur hame bhi sunaye madine ki hazri ka bulawa, beshaq tu sab sunane par qadir hai,)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1129

Maghrib ki namaz ka waqt kab tak rehta he.

Jawab: 1129 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab tak isha ka waqt nahi shuru hota tab tak maghrib ka waqt hi rehta hai, maslan aaj delhi me 8.30 pm isha hai, aur maghrib 7.10 par shuru hai to, 7.10 se 8.29 tak waqt e maghrib hi hoga, fir 8.30 se saari raat khatam sehri tak isha ka waqt.
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1130

Namaz e tahajjut ada karne ka trika bataye, Aur shab e barat me ibadat kaise kare bataye plz

Jawab:1130 بسم الله الرحمن الرحيم           
Isha padh kar so jaye aur jab bhi ankh khule do rakat tahajjud ki niyat se padh le jis tarah aam nafil padhte hai, tahajjud ada ho jayegi isme koi waqt ki qaid ya khas surate padhne ki qaid nahi hai,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:677 par hai
“salatul lail (raat ki namaz) ki ek qism TAHAJJUD hai, isha (ki namaz) ke bad rat ke (kisi bhi waqt) so kar uthe, aur nafil padhe, (isi ka naam tahajud hai) Tahajjud nafil (namaz) ka naam hai,”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:678 par hai
“kam se kam tahajjud ki do rakaten aur huzoor (alaihissalam) se 8 tak sabit hain,”

Shab e Barat me maghrib ke farz aur nafil ada karne ke bad 6 rakat nafil is tarah padhen,
“pehli do rakat me ye niyat kijiye ya allah in rakato ki barkat se mujhe umr e daraz bil khair ata farmaye, fir salam pher kar 21 bar surah ikhlas padhe
Doosri do rakat shuru karne se pehle ye niyat kijiye, ya allah in do rakat ki barkat se balao se meri hifazat farma fir namaz poori karke salam pher kar 21 bar surah ikhlas padhe
Teesri do rakat shuru karne se pehle ye niyat kijiye, ya allah in do rakat ki barkat se mujhe sirf apna mohtaj rakh gairo ki mohtaji se bacha. Fir salam pher kar 21 bar surah ikhlas padhe
Uske baad dua e shaban bhi padh le (jo apko kisi bhi namaz ki kitab warna panjsurah me mil sakti hai)

Yaad rakhna chahiye ki, is raat log poori rat nafil namaz me masroof rehte hai, isse behtar hai ki aap apni pichhe qaza namao ko ada kijiye,
Qaza namaz chupchap ada karni chahiye, naa kisi ko bataye naa kisi ke samne ada kare naa iska zikr kare, or namaz padhta rahe copy me note rakhe ki kitne din ki fajr padh li,
Or qaza namaze e jald ada karne ka ek behtareen tariqa Imam E Ahle Sunnat ne farmaya hai. (jiska khulasa is tarah hai)
Sabse asan or behtar tariqa hai ki pehle ek hi waqt ki namaz ada kare yani pehle sabhi fajr padh le fir is tarah poori hone par agli padhe, jab ki qaza namaz padhe to pehle fajr hi padhe jab tak poori naa ho jaye,
Niyat- iske do tariqe hai ( jis tarah chahe padhe,
1- niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse pehle qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
2. niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse akhri qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
(jis waqt ki padhe wahi naam le, zohar, asr wagera) Niyat bandhte hi
Pehle sureh fatiha shuru kar de, fir surat milaye (yani sana wagera naa padhe)
Fir ruku me jaa kar 1 baar tasbih padhe, or sajde me jaa kar bhi ek bar hi tasbih padhe, isi tarah 2 rakat padhe or jab salam pherne bethe to attahiyyat poori padh kar, اللھم صلی علی محمد والہ or salam pher de yani bad wali dua bhi naa padhe, is tarah, farj ada karta jaye, (4 rakat wali me akhri ki do rakat me sureh fatiha naa padhe balki 3 bar سبحان الله‎ kahe, or vitr me, teesri me fatiha or surat zarur padhe or tabkir keh kar, qunoot naa padhe balki 1 ya 3 bar رب اغفر لی keh le
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم

Suwal no. 1131

Kya qabr me murda ke ander rooh dali jati he

Jawab:1131 بسم الله الرحمن الرحيم
G han, qabr me murde ko rooh dali jaati hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1132

Agar jume ki namaz ke liye masjid me gaya or achanak pishab (yani istinja) ki hajat hui lekin agar istinja kar ne jate he to namaz jane ka ya khutba shuru hone ka andesha tha to istenja kiye bager hi namaz ada kar li ab us namaz ke bare me kya hukm he?? Irshad farmadijiye Aabid Raza Mandsor M.P se

Jawab: 1132 بسم الله الرحمن الرحيم
Peshab aane ki do surate ho sakti hai, awwal(1) ye ki peshab to aa raha hai, magar itni shiddat nahi hai ki namaz me khalal ho aur ye juma ada kar sakta hai, to namaz padh le, surat e dom(2) ye ho sakti hai, ki aisi shiddat ke sath peshab aa raha hai ki padhna namaz ka dushwar ho jayega to fir aisi surat me namaz shuru karna gunah hai, agar shuru kar di to namaz tor dena wajib hai, jaisa ki,
Bahar e shariat Jild: 1 Safah: 625 par hai,
Shiddat ka pakhana peshab maloom hote waqt ya Reeh Ka ghalbe ke waqt Namaz padhna MAKRUH TEHRIMI hai Hadis me hai, Jab jamat qayam ki jaye aur kisi ko baytul khala jaana ho to Pehle baytul khala ko jaye. (Age farmate hai,)
Namaz shuru karne se pehle agar in cheezo ka ghalba ho to waqt Me wus’at hote huye (namaz) shuru karna hi mana wa gunah hai, (Or age likhte hai) Chahe jamat jaati rehne ka andesha ho aur agar dekhta hai ki qaza e hajat Aur wuzu ke bad waqt jata jahega to waqt ki riyaat muqaddam hai, Namaz padh le, aur agar namaz ke dauran me ye halat peda ho jaye aur Waqt me gunjaish ho to namaz tor dena WAJIB hai or isi tarah padhli To gunah gar hoga.

Ye byan guzra ki halat e shiddat me jamat me shamil hona gunah hai, to ab agar koi juma padhne aya to peshab ka ghalba hai to peshab se farigh ho, magar aisi surat me logo ko ye masala yaad hona chahiye ki, agar peshab karne se khutba nahi milega magar namaz mil jayegi to peshab se farig ho jaye, aur aisa nahi ki koi itni der peshab kare ki poori jume ki namaz hi nikal jaye, agar shiddat hai to peshab kar le, aur qaida akhir me (yani salam se pehle) bhi jamat me jaa mile to jamat e JUMA ki shirkat maani jayegi, AB RAHA WUZU KARNE KA MASALA- ki agar wuzu karega to jamat e jume jaane ka khauf hai, yani agar istinja aur wuzu dono karega to jamat khatam ho jayegi, to is surat me ye karna chahiye ki, jaldi jaldi wuzu ke sirf farz ada karle, warna har uzw(part) ko (3-3 bar naa dho kar) sirf ek ek bar dhoye or is trah waqt bacha kar jamat me shirkat kare, yani qaida akhirah tak wuzu short me poora kar le, aur ye mumkin hai, jamat mil sakti hai, ab jo shaitan ye waswasa dilo me dalta hai ki, “EID YA JUMA KI JAMAT JAATI HO TO TAYAMMUM KAR LO” ye mehez GHALAT, BATIL HAI, aur sahih wahi hai jo hamne (fazl e khuda) se apni tehrir me byan kiya ki (wuzu ke ek ek bar dhoye ya kewal farz ada kar le,) aur wo (tayammum ka) hukm kewal eid ki jamat ka hai, JUME KA NAHI, or jisne is tayyamum ki tehkik eid or jume ke bare me ki USKI TEHQIQ ME KHATA HUI, kyunki tayammum bas eid ki jamat jane ke khauf par jaiz hai, JUME KE LIYE WUZU HI LAZIM hai jaisa ke
BARELI KE TAJDAR
Mere AAQA AlaHazrat Imam ahle sunnat,
Azeem ul barkat
Azeem ul martabat
Mujaddid e deen o millat
Parwana e shama e risalat
Imam e ishq o muhabbat
Wali e neymat
Peer e tariqat
Aalim e shariat
Haamiyae sunnat
Maahiye bid’at
Qa’taye Najdiyat,
Bais e khair o barkat
Al-Haaj, Al-Hafiz, Al-Mufti, Al mufassir Asshah IMAM AHMAD RAZA KHAN FAZIL E BARELVI (alaihirrehma) Apni Maqbool e do jahan, Kitab Yani Al-Ataya Nabawiya fi Fatawa Razawiyya, Al-Maroof Fatawa Razawiyya Jild:3, Safah:297 par farmate hain.
“juma aur panjgana ke liye wuzu karna lazim hai, chahe juma wa jamat fot ho jaye”

Aur Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami Bahar e Shariat Jild:1 Safah:350 par likhte hain,
“ye guman ki wuzu ya gusl me eiden ki jamat jaati rahegi, chahe imam padh kar farig ho jayega, ya zawal ka waqt aa jayega, dono surato me taraymmum jaiz hai” (yani jume me ye hukm nahi)

Ab ek surat or bhi pesh aa sakti hai jise main byan bhi kar deta hun, taki sail ki dil ki kheti ane wali sukhe ki pareshni se pehle hi nijat paye, aur jab shetan dil me waswasa laye to zehen me ye jawab bhi aa jaye.
Wo surat ye ho sakti hai ki agar koi aise waqt me aya ki jamat pehle se shuru hai, ab agar peshab kare ya wuzu short me bhi kare to bhi jamat chali jayegi, to kya kare ?, aisi surat me wahi bat arz hai ki agar ghalba nahi aur namaz padh sakta hai to jamat me shamil ho, aur agar ghalaba hai, to jamat me shamil hona gunah hai, fir farig ho aur wuzu kare, aur jume ki jamat jaane de, or apni tanha zohar ada kare, warna doosri sunni masjid me juma ho to waha padh le.

(allah se dua hai ki MERI maghfirat kare, aur mere liye asaniya karen, ilm e ladunni ata kare, aur yahi sab padhne wale aur sikhne wale aur age badane walo ke liye bhi)
آمین بجاہ النبی الامین صلی اللہ علیہ والہ وسلم
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1133

Hazrat kya ladki sceereen tach phone chala sakti he ya nahi Hazrat agar hawala mil jayega to badi meher bani hogi

Jawab:1133 بسم الله الرحمن الرحيم
Mujhe esa ehsaas hota hai ki suwal puchhne wala shayad ki aadiwasi ilaqe se ho, jise dunya ki koi khabar nahi, MERE AZEEZ aap abhi tak ladki ke mobile chalane par atke ho tumhe pata hona chahiye, ladkiya desh chala rahi hain, hawai jahaz chala rahi hai, aur pata nahi kis kis ko chala rahi hain, kisi bhi ladki ke mobile chalana gunah ya najaiz nahi, jab tak us chiz se ghalat kaam na kiya jaye, agar apko apne ghar ki aurato ya ladkio par shak hai ki wo fitne me padh sakti hai, to zarur unse phone door rakha jaye, aur agar apko zarurat mehsus hoti hai to unhe simple phone de diya jaye, (jo androit naa ho) ye har shakhs ke apne ghar ke mahol ka mamla hai, jis tarah chaku se aurat sabzi kaate, ya qatl kar de, to iska matlab ye nahi ki chaku ghar me naa rakha jaye, matlab ye hai ki ghar ki aurato ko aisi talim di jaye ki unhe pata ho sahi kiya hai ghalat kiya hai, aur aajkal jo mobile se fitna hai wo kisi se poshida nahi, magar aisa nahi ki sari ladkia ghalat istimal karti hai, hadis me aya انما الاعمال بالنیات (aamal ka daro-madar niyato par hai), fi nafsihi mobile jaiz hai, jab tak iska ghalat use naa ho, magar bezarurat ladkio ko mobile dilane se raqm, aur khel ke liye raqm jo bila wajah kharach hogi, wo fizul kharchi me ayegi, jiska gunah aur hisab qiyamat me zarur hoga, or aap to bila wajah ladkio ke pichhe padh gaye, screen touch phone to mard ko chalana bhi wajib nahi, aur wo bhi to simple chala sakte hai, jab hamse apni nafs maari nahi jaati to dusre se kya shikwa, hisab ke din ka mamla khas aurat ke liye nahi mard ke liye bhi hai, kyunki phone ka chalana har mard par bhi wajib nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1134

Agar koi shakhs kisi gair mehram ladki ko apni behen banata he to kya ye shariat me jaiz he kiyu ke kuchh riste aese hote he ke khoon se bhi zyada kareebi ban jate he to behen bana ne ke baad usse baat kar sakta he ya nahi ?

Jawab:1134 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar iske jawaz par (yani jaiz hone par) fatwa jari kar diya jaye to EK AZEEM FITNE KA DARWAZA KHOLNA HAI, fir to har ladka jis ladki se shadi karna chahta hai to uski chhoti behen ya uske ghar me rehne wali kisi bhi ladki ko apni munh boli behen bana lega aur ana jana shuru aur maqsad bhi hal , WAH KIA HI KADWA SACH, fir aksar dekha bhi yahi jata hai, ki jise kahi shadi karni ho to pehle us ghar me kisi kaam ke bahane ane jane ki rasta kholta hai, us ghar ke bachcho ko chiz dila kar, wagera wagera, Mein ye nahi kehta ki sail ka maqsad ghalat ho, magar shariat ke har pehlu se har nazar se dekh lene ke bad hi koi jawab tehrir kiya jaata hai, hame sari surate byan karni padti hai, sahi lage ya ghalat,
Shariat ne jise behen qarar diya aur usse nikah haram kiya wahi sharai etbar se behen hai, iske siwa to sari musalman (Hazrat adam ki aulad hone ki bina par) behen bhai hi hai, fir alag se rishta qayam karne ki hajat hi kya, gair mehram se behen bana kar rishta rakhna, milne ya bila wajah sharai baat karne ki ijazat nahi, aur jo dil se behen mane ya muhn se ye apke apne munh ka kehna hai, allah ne jisse apas me parda farz kiya hai, usse parda hai, warna apne chacha ki ladkia bhi to chachazad behen hai, fir shariat me jab inse parda qarar diya to bahar ki banai Ready-Mate behen se kaise milne, bolne ki ijazat hogi.. is tarah apne munh se rishta badal kar, rishta bana lene walo ke bare me allah ka farman hai
Quran e pak me Sureh Ahzab Ayat 4-5
“ye tumhare apne munh ka kehna hai, aur allah haq farmata hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1135

Hazrat 14 shaban ko baad namaze asar beri ke patton se jo nahaya jata hai us ki asl kiya hai jawab inayet farmaye karam nawazish hogi

Jawab:1135 بسم الله الرحمن الرحيم
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi (alaihirrehma) ne apni Kitab Islami Zindagi me iske bare me farmaya hai ki “7 beri ke patte pani me ubal kar us pani se nahaye, isse saara saal nahane wala jaadu ke asr se mehfooz rahega”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1136

Hazrat sabe barat ki fatiha kiske naam ka hota he,

Jawab: 1136 بسم الله الرحمن الرحيم
Aap mere naam ki bhi kar sakte ho, mehrbaani hogi, wese lazim kisi ke nam ki nahi hoti
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1137

Hazrat kya farishte bhi namaz padhte he

Jawab:1137 بسم الله الرحمن الرحيم
Firishto ka hamari tarah 5 waqt namaz padhne ka mujhe ilm nahi, itna zarur hai ki wo har waqt allah ki ibadat (ruku, sujood, tasbih) aur deegar ibadaat zarur karte hai, maslan, koi tasbih kar raha hai, koi sajde me hai, koi kalima, to koi hamd, yani jise allah ne jis kam ka hukm diya wo us me mashgul hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1138 

Hazrat agar Maine koi naat shareef ya koi doosri isi tarah se hamd kagaz par utari aur baad me dekha ki iski zaroorat khatm ho chuki hai to kya ham aise panne ko jalaya ja sakta hai taaki idhar udhar udh kar uski be adabi na ho ?

Jawab:1138 بسم الله الرحمن الرحيم
Jala dena gunah nahi, magar jalana nahi chahiye ki warq e ayat e qurani, naam e pak e allah wa rasool ko bhi jalana be-adabi hai, to behtar ye hai ki aise pages ko jama kare jab kafi ho jaye to kisi din (6mahine sal bhar me) ek panni me rakh kar usme ek wazndar eent rakh kar kisi nadi wagera me daal de, aur sal bhar tak jama karta rahe, aur ek jab zyda ho jaye to aisa hi kare, isse roz ki dikkat bhi khatam or be-adabi ka khauf bhi, aur agar kabhi zarurat padh jaye to sal bhar tak page apne pas honge hi,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1139

Assalaamu alekum Kya raste me durood sharif padhne ke bad raste me chalte hue Allah se dua kar sakte

Jawab:1139 بسم الله الرحمن الرحيم
Dua ke liye qibla ru hona, hath ka asman ki tarah uncha utha hona, dono hath khole hona nazar neechi hona, YE SAB DUA KE ADAB ME SE, DUA KE WAJIB YA FARZ SE NAHI, iska matlab ye hai ki agar koi aisa naa bhi kar sake to bhi dua kar sakta hai, to jo surat apne suwal me byan farmai ki jaiz or durust hai, balki karna bhi chahiye, mera bhi isi par zamana e daraz se amal hai, ki uthte, bethte, chalte, firte, sote jagte, kam karte, jawab tehrir ke bad, khane ke awwal akhir, khali waqt me, safar me wagera wagera, hamesha allah ka (mujh par nazil hui nemato ka) shukr aur dua karta rehta hai, isme koi harz nahi, balki allah dua na karne walo ko napasand karta hai, lihaza har surat apne liye ghar walo ke liye, rishte daro ke liye musalman mardo aurato ke liye, dua karte rehna chahiye, jis zuban aur jis andaz me bhi ho, hadis me hai “DUA MOMIN KA HATHYAR HAI” to jeet maidan me usi ki hoti hai jiske pas hathiyat ho, warna shetan maidan me amal me qamyab nahi hone dega, aur dua bande ki mushkil bhi taal deti hai, aur ye nahi ki sirf maghfirat ki dua ki jaye, balki apne nek banne, ki bhi dua ki jaa sakti hai, me kuchh apne andaz e dua ke chand jumle apko sikha deta hu, taaki aap mere liye bhi dua kare, me aksar is tarah dua karta rehta hu.
“Allah meri maghrifat kar, meri namaz ki hifazat farma, mere sar pe ani wali pareshani door farma, mujhe mere ghar walo ko shariat ki perwi ki tofiq de, iman par khatima farma, aur jis jisne dua ko kaha unki tamam jaiz murade poori farmna, bimaro ko shifa farma, tamam sunni musalmano ki maghrifat farma, meri dua musalman ke haq me qubool farman, unke jaiz duae mere haq me qubool farma, mere haal par rehmat ki nazr farma, mujhe be-gharaz teri makhlooq ko nafa pahuchane wala bana, apne sabr se sabr, noor se noor, ilm se ilm ata farma…. wagera wagera, aur fir meri nazar ghar me ya bahar jis bhi musalman par padhti hai uske liye bhi maghfirat ki dua karta hu jaise “allah iski maghfirat farmaye” isi tarah dastarkhwan par khate waqt jo mere (ghar walo me) sath hota hai, dil hi dil uske liye bhi dua karta hu aur apne liye bhi, ARZ E BYAN YE HAI KI DUA BHI IBADAT HAI, AUR DUA KISI BHI WAQT QUBOOL HO SAKTI HAI, TO MUSALMAN KO APNE RAB KI IBADAT SE KABHI GHAFIL NAHI HONA CHAHIYE, aur kuchh waqt me to zarur dua karni chahiye kyunki us waqt dua qubool hoti hai jaise, farz namaz ke bad, azan ke bad, jume ke do khutbo ke bad, maghrib se kuchh waqt pehle, adhi rat ko, wagera wagera…
“to bas duao ka har waqt karte rehna jaiz hai, safar me ho ya hajar me”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1140

Assalamualaikum, Ahle sunnat ke nazdeek qabr unchi banana jaiz hai lekin kitni unchi honi chahiye aam logo ki kitni unchi hona chahiye aulia allah ki kitni unchi honi chahiye kuchh jagah dekhne me aaya hai ke aulia allah ki bahot unchi mazar sharif hoti hai mazar ki unchai ki had kitni honi chahiye Jazakallah

Jawab:1140 بسم الله الرحمن الرحيم
Qabr ko uncha karna, chahe aulia allah ki ho ya awam ki khilaf e sunnat hai, qabr ki unchai zameen se ek balish kafi hai, magar yaad rakhna chahiye ki, jo mazar jis par chadar chadai jaati hai wo asli qabr nahi hoti, qabr uske kafi niche zameen me sunnat ke mutabik hi hoti hai, aur qabr ke charo taraf ek sefty box hota hai, magar kuchh log us box ko qabar samajh lete hai, to kuchh bad-mazhab sunnio ke dil me waswase dalte hai ki dekho kitni unchi qabr hai, jabki mazar upar hota hai, qabr uske kafi neeche, aur box aur mazar ko qabar nahi kehte, or yaad rakhna chahiye, ki aap jis mazar ko dekho ki uski unchai apne gutno tak hai(aur aksar hoti bhi aisi hi hai) to ye naa samajho ke yahi qabr hai, balki asli qabr ke charo taraf char diwari karke, use uper se paat diya jata hai fir upar se band kar diya jaata hai, bilkul sandook ki tarah, to sandook uncha hota hai, qabr wahi zamin par niche, kisi mazar ki qabar unchi nahi hoti,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1141

Koi wazifa bataye jisse meri naukri lag jaye me bahut parehshan hu par kahi bhi naukri nahi milti hai, delhi bahut baar try kara par har baar nahi milti hai, aur sath ke ladke jo he unke mil jati hai mujhe nahi milti

Jawab: 1141 بسم الله الرحمن الرحيم
Allah ta’ala apke liye rizq ki asaniya farmaye aur apke haal par rehmat ki nazar kare, aur apke liya halal rizq ata farmaye,
Do asani aur chhote wazife apko de deta hu, agar 21 din me naukri lag jaye to behtar warna fir se rabita kar lena,
Bab namaz e fajr masjid me hi bethe raho, aur jab suraj nikalne ka waqt shuru ho to masjid me hi, kaabe ki taraf peeth karke (yani surat ki taraf munh karke) 25 baar surah nasr padho yani (إِذَا جَاء نَصْرُ اللَّهِ وَالْفَتْحُ)
awwal akhir durud, fir dua karke ghar aa jao, ye kam har roz karna hai, iske alawa, sara din chalte firte uthte bethte, pak napak, (astagfirullah, astagfirullah) padhte raho, dil hi dil, bas 25 bar suraj tulu ke waqt surah nasr aur sara din astaghfar, aur naukri ki talash karte raho, allah karim hai, poori ummid rakhna
Note- kisi bhi wazife ko padhne se pehle namaz ki pabandi shart hai, aur apne makhariz kisi sunni alim ko suna ke chek karwa len, ki sahi lafz ada ho rahe hai ya nahi, warna wazifa fayeda naa dega,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1142

Hazrat jaynamaz par kaba bana hota hai or us par beth bhi jate hain to kya ye sahi hai ya nahi ?

Jawab: 1142 بسم الله الرحمن الرحيم
Sahi to nahi hai, kyunki ba-adab banaseeb aur be-adab benasib hota hai, lihaza aisi jayenamaz jis par koi cheez chhapi ho, ya koi huruf (arabi, urdu, eng, etc) ka bana ho use istimal se bachna chahiye, magar uspar bethna gunah nahi, ke wo banawati aks hai, asl nahi, aur kisi musalman ki niyat uski tohin ki nahi hoti, aur “amal ka dar o madar niyato par hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1143

ALLAH PAK FARMATE HEN, kiya ye bolna bahot bada gunah hai, Hazrat rehnumai farmaye ain karam hoga

Jawab: 1143 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisa bolna gunah nahi hai, ye koi zillat ka jumla nahi aur amal ka dar o madar niyat par hai, to jo shakhs ye jumla bolta hai to dil me allah ka adab ka hi khyal rakhta hai, magar ye jumla jama ka sega hai, aur allah ki zaat ke liye jama (bahu-wachan) ke sega se bachna chahiye, aur ye daur e hazir ki mushabehat az badmazhab he lihaza bachna chahiye, magar koi bol betha to gunah nahi,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1144

Nabalig bachhe ke pichhe namaz Adaa hogi ya nahi, nabalig bachha imamat kar sakta hai ya nahi ?

Jawab:1144 بسم الله الرحمن الرحيم
Nabaligh, balig ki imamat nahi kar sakta, kyunki imam ke sharait me se baligh hona bhi ek shart hai, jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:561 par hai
“(imamat ki sharto me se ye bhi hai), BALIGH, AQIL, MARD….. hona

Fatawa Razawiyya Jild:6 Safah:625 par hai
“Na-baligh hamare aimmah ke nazdik baligh ki imamat nahi kar sakta”

Ha, agar nabaligh, samajh wala hai, aur taharat, qirat janta hai to apni tarah nabaligh ki imamat kar sakta hai, jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:561 par hai
“na-baligh ke imam ke liye baligh hona shart nahi, balki nabaligh bhi nabaligho ki imamat kar sakta hai agar samajh wala ho”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1145

Hazrat koi bhi namaz me chein wali ghadi pahan kar namaz padh sakte he, talib hu is jawab ka

Jawab: 1145 بسم الله الرحمن الرحيم
Chain wali ghadi pehnne me ulama ke do groh hai, baz iske jawaz ke qail hai baz adame jawaz ke, lihaza jinke nazdeek chain wali ghadi pehenna haram hai unki namaz bhi makruh tehrimi hai, aur jo iske jawaz ke qail hen unka pehenna aur pehn kar namaz padhna jaiz hai, aur jab ulama ke kisi masale me ikhtilaf ho jaye to qaum jis fatwe par amal kare amal ho jayega, magar aise masail se bachna behtar hai taki dono par amal ho jaye lihaza chain wali ghadi pehnne se bachna chahiye aur namaz me utar lena chahiye, magar jo iske jaiz hone wale groh ki taraf hai, unki namaz ho jayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1146 

Taaq raaton mein nafil namazein adaa karna kaisa hai jiski faraz namazein poori adaa nahi huwi yaani qaza hai to kya aisi surat mein hamari nafil namazein adaa hongi

Jawab:1146 بسم الله الرحمن الرحيم
Jiske zimme farz namaze qaza ho, to use taaq raaton me to kya, din ke namazo ke nawafil bhi padhne se behtar qazayen padhni chahiye, aur un nafil ke badle qaza namaz poori karni chahiye yahan tak ke poori ho jayen, aur agar koi nafil padhega to nafil namaz ada ho jayegi, magar uska sawab nahi milega, (yahi nama e amal me likha nahi jayega, magar agar nafil qubool hui to swab alag rahega), fir jab ye apni zimme ki qaza ada kar lega to wo sawab isme darj kar diya jayega (jo iski nawafil ka hoga)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1147

Mera sawal ye he ki aaj ki raat (15 shaban) me rooh ghar pe aate he to agar aaj ki raat kahi milaad ho to hame nahi jana chahye hame ghar pe rahna chahye kyunki rooh ghar pe ayege ?

Jawab:1147 بسم الله الرحمن الرحيم
Is tarah to rooh har jumrat ko bhi ghar par aati hai, or kahi se apki dawat jumrat ki aa gai to aap dawat me jaoge ya nahi ? agar jayoge to fir isi tarah har nek majalis aur jaiz jagah 15 shaban ko jana jaiz hai, or rooh ke ane ka maqsad apne liye isal e swal ka mutalba hota hai, naaki apke ghar se naya suit lene aati hain, or isal e sawab aap kahi se kar sakte ho, balki milad ki mehfil me shirkat karke us sawab ko bhi aap apne marhoomo ki arwaah ko isal kar sakte ho, unhe unka maqsad aur nafa mil jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1148

Aaj shabe barat he to jo shakhs apne ghar ke chat par namaz pade chahe padne wala aadmi ho ya aurat to inki namaz hogi ya nahi agar nahi to is me kya hikmat ?

Jawab: 1148 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi hikmat nahi hai, kyunki namaz naa hone ka koi fatwa hai hi nahi, ye to log khud mufti ban jaate hai, aur apni aqal se fatwe jaari karte hai, yani chat par namaz ho jaati hai, jabki aurat ke liye aur koi man’e sharah naa ho, fir bhi aurat ko naa chahiye ki chhat par padhe,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1149

Hazrat wajib witr ki Niyat Ka Tariqa bata dijie ?

Jawab:1149 بسم الله الرحمن الرحيم
niyat dil ke irade ka naam hai, koi dil me ye pakka irada kar le ki me, aaj ke witar padh raha hu, aur niyat bandh le tab bhi witr ada jo jayenge, jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:492 par hai,
“niyat dil ke pakke irade ko kehte hain”

Aur munh se niyat karna afzal hai, aur wo is tarah bhi ki jaa sakti hai
“niyat ki mene 3 rakat namaz witr ki, waste allah ke, munh mera kaabe sharif ki taraf allahuakbar..
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1150

Haiz aane ke 7 din ke baad agar fir bhi kisi aurat ka pani aana band nahi hota to kya namaz padh sakti he, pani 3 ya 4 din tak aata he jawab inayat karna hawale ke sath.

Jawab: 1150 بسم الله الرحمن الرحيم
haiz ki aadat 7 din thi bad haiz gusl ada kar liye, uske bad 3 din pani (ratubat) aye to wo pani haiz nahi, aur namaz padhi jaa sakti hai jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:373 par hai
“SAFED RANG KI RATUBAT HAIZ NAHI”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:304
“aurat ke age se jo khali ratubat be-amezish khoon (bagair khoon mile) nikle, wuzu torne wali nahi, agar kapde par lag jaye to kapda (bhi) pak hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1151

Azan padte waqt kano me shahadat ki ungali kiyun dalate hen, iska ka kya bayan he aur agar koi kano me ungali nahi dale to kya azan nahi mani jaayegi ?

Jawab: 1151 بسم الله الرحمن الرحيم
Kano me ungali dal kar ya kano par hath rakh kar, bhi azan keh sakte hai, aur hath khol kar bhi,
Azan ke waqt kano me ungali dalna mustahab hai, aur is liye tha ki pehle ke daur me mice system nahi tha to apni awaz ko buland karne ke liye kano me ungali dal kar azan di jaati thi taki awaz tez ho aur door door tak jaye, is sunnat e mustahabba ko zinda rakhne me koi harz nahi, bilfarz agar koi ye fel naa kare aur azan de de to bhi aza ho jayegi, yani kewal mustahab ka tark hai, naki kisi farz ya wajib ka
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:470 par hai
“azan kehte waqt kano ke surakh me ungali dale rehna mustahab hai, aur agar dono hath kano par rakh liye to bhi achha hai, ... “kan jab band hote hai to admi samajhta hai ki abhi poori awaz nahi hui to buland karta hai”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 


Suwal no. 1152

Hazrat kiya mard balo or dadhi per mehndi laga sakte hai ? dalil se batay pls

Jawab:1152 بسم الله الرحمن الرحيم
Mardo ko baalo me mehndi lagana jaiz he, aur daari me bhi, aur ye mustahab hai,
Hadis e pak me farmaya: -الصفرۃ خضاب المؤمن والحمرۃ خضاب المسلم والسواد خضاب الکافر
(zard khizab iman walo ka hai, surkh islam walo ka sia khizab kafiro ka hai”

Ash’a tul lam’at Sharah Mishkat Jild:3 Safah:569 par he
خضاب بسواد حرام ست وصحابہ وغیرہم خضاب سرخ می کردند گاہے زردنیز اھ ملخصا
Sia khizab lagana haram hai, sahaba aur buzurgo se surkh khizab ka istimal mankul hai, kabhi zard rang ka bhi”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1153

Agar koi ladki pregnant ho to kya usko agar uska shohar talaq dede to kya talaq ho jati he ya nahi hoti

Jawab:1153 بسم الله الرحمن الرحيم
Prengnancy (hamal) me di gai talaq ho jaati hai, ye logo ki jahalat hai ki kehte hai ki hamal me talaq nahi hoti, hamal talaq me ma’ne nahi hota, jaisa ki. Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:111 par hai
“halat e HAMAL aur ghusse me talaq ho jayegi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1154

kisi shakhs ki apni shop (dukan) he aur uske sath uske papa aur bade bhai bhi baithte ho aur uske bade bhai aur papa use kharcha poora karne ke liye paise na dete ho to kya wo shakhs apni dukan se paise le sakta he bade bhai aur apne papa ko bina bataye kya yeh thik he kyunki use bade bhai aur papa bilkul paise hi na dete ho is haalat m wo kya kre ?

Jawab:1154 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ye dukan ka malik hai to ise apni kamai me se lene me kuchh harz nahi, magar suwal se lagta hai ki ye ghar me chhota hai aur dukan par bethta zarur hai magar malik nahi hai, to is surat me nikale gaye paise iske haq me jaiz nahi, aur wo raqm jo is tarah ab tak churai hai, use wapas rakhna wajib hoga aur allah se sache dil se muafi bhi mangni hogi, aur raqm wapas rakhne ke liye nahi hai to ghar walo se muaf karwana zaruri hai, doosri baat mujhe ghar ki poori tafsil maloom nahi he, naa mujhe janna he, kyunki jab tak dono taraf ki baat nahi suni jaati faisla kar dena jahalat hai, me ye nahi kehta ki kharcha naa dena ghalat nahi, magar abhi ye nahi pata ki ladke kis tarah ki kharche ki baat kar raha hai, kya pata dukan me itni hi kamai ho ki ghar chalana mushkil ho, to zarur pehle ghar ki zimmedariya dekhi jayengi, ghar par khana mil raha hai, yahi bahut hai, isi me allah ka shukr kare, apne faltu kharche khatam kar de, aur agar dukan achhi chalti hai, ghar me koi dikkat nahi to aisi surat me koi maa bap kharcha nahi rokte zarur is ladke me koi aib hoga, ki ye paisa najaiz gunah me sarf karega to ho sakta he islye kharcha roka ho, aur ye bhi ho sakta hai ki kabhi kabhi kuchh logo ko ghar beth kar free ki khane ki aadat ho jaati hai, to ghar wale uska kharcha band kar dete hai, bas roti dete hai, taki wo ghar ki zimme dariya samajhe aur kamaye, aur ye bhi ho sakta hai ki ghar me jawan behene ho jiski shadi karni ho aur bap ko yahi fiqr ho, to esi surat me faltu kharche band karne me koi harz nahi har bap ko apne beti ki shadi ki fiqr hoti hai, magar kuchh logo ko apne kharche ki fiqr hoti hai, fir bhi bil farz maan liya jaye jo surate mene byan ki usme se koi bat nahi, ghar me sab thik hai, ladka gunah me paise kharach nahi karta to bhi wo kharcha nahi dete, To ladke ko chahiye ki walida se baat kare, ki use bhi kuchh paise diye jaye, mashware me khair hai, chori me nahi, agar wo paise hath me nahi dete to uski jo jaiz zarurat hai wo ghar walo se bole wo paisa na denge to zarurat ka intizam karenge,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1155 

Salaam Jin bachchon ke walid ka intiqaal Ho gaya Ho ya bachcha kahin pada huwa Mila or uske walid ka koi pata nahi ab Un bachchon ko jo paal raha he kya government & other forms men wo apna naam likh sakta he?بینّوا توجروا (byan farmaye ajr diye jayoge)

Jawab: 1155 بسم الله الرحمن الرحيم
Jin bachcho ke walid intiqal kar jaye to koi god le le aur parwarish kare to uske walid ke naam ke sath hi us bachche ko mansub kiya jayega, chahe kafir ka bachcha hi kyun na ho, aur agar bachcha pada mila aur walid ka naam maloom nahi to palne wala sarparst (guardian) me apna naam likhwa sakta hai, walid ke colum me fir bhi nahi, aur jo log bachche god le kar apna naam use dete hai, yani khud use apna bap batate hai, aur uske documents me likhwate hai, ye sharan najaiz aur gunah e kabirah hai, kagzo me likhwa dene se kisi ka beta kisi or ka khoon nahi ho jayega.. aur wo sab janta hai jisne paida kiya.
Quran e pak me Allah ka irshad hai: Sureh Ahzab Ayat 4-5
“aur naa tumhare le-palako ko tumhara beta banaya, ye tumhare apne munh ka kehna hai, aur allah haq farmata hai aur wahi raah dikhata hai, unhe unke bap hi ka keh kar pukaro, ye allah ke nazdeek zyada thik hai, fir agar tumhe unke bap maloom naa ho to deen me tumhare bhai hain,

AlaHazrat Imam e Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild:13 Safah: 361 par likhte hain,
Hadis me Farmaya: من ادعی الی غیرابیہ فعلیہ لعنۃ اﷲ والملٰئکۃ والناس اجمعین لایقبل اﷲ منہ یوم القیٰمۃ صرفا ولاعدلا
jo apne bap ke siwa doosre ki taraf apne aap ko nisbat kare, is par khud ALLAH aur sab FIRISHTE aur ADAMIO ki lanat, Allah tala kal qiyamat ke din iska naa farz qubool kare naa nafil,

Albatta Sarparast ki jagah god lene wala apna naam likhwa sakta hai par baap ki JAGAH NAHI.

Aur ek khas bat is masale me ye bhi hai ki, agar kisi ne bahar (ghair rishtedar) se koi ladka god liya aur use apni biwi se doodh nahi pilwaya to baligh hone par khud iski biwi yani munh boli maa aur iski betion se bhi iska parda wajib hoga, isi tarah ladki god lene par khud iska yani muhn bole bap aur iske beto se parda, agar bhai ke bete ko god liya aur doodh naa pilwaya to bhi yahi hukm hai, aur agar iski biwi ke ab doodh nahi aata to iske behen se pilwaye, yani Sali se warna apni behen se, magar in surato me in dono ke pardo me to riyat hogi magar iski aulad ke liye ab bhi wahi hukm hoga ki parda wajib hoga, aur sabse behtar ye hai, ki apni hi biwi se doodh pilwaye taki, inke bachcho se bhi parde me ri’ayat mile, warna is tarah muhn bole rishto me ye shakhs hamesha gunahgar hota rahega,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1156

qaza e umari ki namaz ka tariqa bataye aur niyyat kis tarah ki jaye (yani niyyat karte wakt jo pehle chhuti hai woh pehle adaygi Karen, ya jo aakhir me chhuti ho uski niyyat kare ). JazakAllah hu khaira.

Jawab:1156 بسم الله الرحمن الرحيم
Aameen
Niyat me dono ka ikhtiyar hai, idhar se padhega to akhri se kam hoti rahengi aur udhar se padega to pehli se kam hoti rahengi,
Sabse asan or behtar tariqa hai ki pehle ek hi waqt ki namaz ada kare yani pehle sabhi fajr padh le fir is tarah poori hone par agli padhe, jab ke qaza namaz padhe to pehle fajr hi padhe jab tak poori naa ho jaye,
Niyat- iske do tariqe hai ( jis tarah chahe padhe,
1- niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse pehle qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
2. niyat ki maine 2 rakat namaz fajr qaza jo mujhse sabse akhri qaza hui waste allah ke......... allahu akbar
(jis waqt ki padhe wahi naam le, zohar, asr wagera) Niyat bandhte hi
Pehle sureh fatiha shuru kar de, fir surat milaye (yani sana wagera naa padhe)
Fir ruku me jaa kar 1 baar tasbih padhe, or sajde me jaa kar bhi ek bar hi tasbih padhe, isi tarah 2 takat padhe or jab salam pherne bethe to attahiyyat poori padh kar, اللھم صلی علی محمد والہ or salam pher de yani bad wali dua bhi naa padhe, is tarah, farz ada karta jaye, (4 rakat wali me akhri ki do rakat me sureh fatiha naa padhe balki 3 bar سبحان الله‎ kahe, or vitr me, teesri me fatiha or surat zarur padhe or tabkir keh kar, qunoot naa padhe balki 1 ya 3 bar رب اغفر لی keh le
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم

Suwal no. 1157

Hazrat ham jab roza rakhte he hame bar bar thook aata he matlab fauran thuka aur phir aa gya bat Karo to aur to ham nigal lete he to kya isse mera roza tut jayga ?

Jawab:1157 بسم الله الرحمن الرحيم
Apna thook bar bar munh me lene se roza nahi jaata Jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:983 par hai
“baat karne me thook se hont tar ho gaye, aur use pee gaya, ya raal tapki magar raal ka taar tuta naa tha, aur use (raal ko) chhada kar pee gaya, .. (in chizo se) Roza naa jayega, magar in bato se ehtiyat chahiye”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1158

Mere ek cousin he unka jaha office he waha door door tak koi barelvi masjid nahi he, Jume ki namaz wo 24 no.(deobandi) ki masjid me padhte he, kehte he ki koi masjid he ni aur jume ki namaz kaha padhe
to kya namaz hoti he unki ?

Jawab: 1158 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz chahe juma ho eid ya panch waqt ki, kisi bhi badmazhab ahle bidat ke pichhe jaiz nahi, jaisa ki,
Fatahul Qadir Jild:1 Safah:304 par hai
الصلوٰۃ خلف اھل الھواء لاتجوز
(ahle bidat ke pichhe namaz jaiz nahi)

Jab koi shakhs koi kaam bina sikhe karta hai, to zarur nuqsan hi uthata hai, maslan, agar koi mobile ki shop khol kar beth jaye or mobile repear karna sikha naa ho or ye baat logo ko khabar ho jaye ki iski bas dukan mobile ki hai magar ise kaam ata nahi, thik waise hi, jab apka cousin namaz padhne jume ki gaya to itna janna zaruri hai, ki namaz kiske pichhe padhni hai kiske nahi, aur kehna ki koi sunni masjid nahi, to juma kaise padhe to is shakhs par ye ilm rakhna wajib hai ki “kisi par juma kab wajib hota hai” jab iska ilm hi nahi ki mujh par juma wajib hai bhi ya nahi to bina sikhe padhne se kiya fayeda, aisi surat me ki sunni masjid naa ho or din jumme ka ho to aise shakhs par juma padhna wajib nahi hota balki us din apni zohar padhna farz hai, agar juma badmazhab ke pichhe padha to namaz makruh e tehrimi, aur makruh e tehrimi ka karne wala gunahgar, lihaza apka cousin apki jahalat ki wajah se unke pichhe juma to padh raha hai magar padhne ke baad bhi, gunahgar ho raha hai, jab deobandi ke pichhe koi namaz jaiz hi nahi to juma kya aur eid kya AlaHazrat Imam e Ahle sunnat Farmate hain.

Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:573 par hai.
“deobandi aqeede walo ke pichhe namaz batil mehez hai, hogi hi nahi, farz sar par (baki) rahega, aur unke pichhe padhne ka shaded e azeeeeeeeem gunah. (age farmate hai) chahe JUMA ya eid ya janaza ya tarawih, koi namaz unke pichhe hogi hi nahi,

Lihaza apke cousin ko chahiye ki apni aql ke ghode naa doraye, aur namaz ke bare me ilm hasil karna farz hai use hasil kare, Quran ke is hukm ki perwi kare ki “to aye logo ilm walo se poonchho agar tumhe ilm nahi” naa ki khud faisla kare, aur unke pichhe namaz padh kar gunah sar naa le, aur apni tanha zohar padhe,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1159

Assalamualaikum, Gusl mein halq (gale) ko andruni taur par dhona zaruri hai, gharghare bhi karna zaruri hai lekin roze mein yeh sab amal kar skate hai kya ramzan me rozo ki wajah se Gusl kese karen ? Jazakallah

Jawab:1159 بسم الله الرحمن الرحيم
Gusl me andar tak gala dhona aur gharare ko zaruri samajhna APKI KHATA hai, wuzu gusl me garara karna sunnat hai, aur halat e roza me gargara karna mana hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1160

Hazrat me janna chahta ho ki maine gair muslim ladki se shadi ki, jama masjid ke imam sahab ne ladki ko dakhle islam kiya, 6 logo ki maojodgi me kyuki imam sahab qazi nahi hai to kya imam sahab ke nikah padhane se mera nikah jaiz hai aur Hazrat ladki meri mohabbat me islam me ayi hai na ke islam ki khubiya dekh kar to kya mere nikah me kami rahi ? aur aaj ladki islam ki khubiyo ko manti hai aur iman rakhti he Hazrat zawab inayat farmaye

Jawab:1160 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat ke jawab tehrir karne se pehle apke suwal me do ghalatiya nazar aa rahi hai, ek badi hai ek chhoti pehle unse arz kar du, taki aap ainda in baton ka khyal rakhe, chhoti ghalati ye hai ki apne suwal me kaha
mene ek gair muslim se ladki se shadi ki” ye jumla kehna ghalat hai, kyunki gair muslim ki shadi musalman se nahi ho sakti, aap ko kehna ye chahiye tha ki mene ek “new muslim” se shadi ki, kyunki jab apki shadi usse hui hogi to wo musalman ho chuki thi, fir apka use “gair muslim” kehna zara apne alfazo par pakad ki kamzori hai, iska ainda kisi se bhi kehte waqt khyal rakhe,
Dosri ek badi khata mujhe apke suwal se ye zahir ho rahi hai, ki apke mutabiq imam sahib ne ladki ko dakhil e islam kiya, to iska matlab ye hai ki imam sahib tak pahuchne se pehle apke zariye wo ladki islam laai thi ya nahi, or apne use kalima padhaya tha ya nahi, kyunki agar usne islam lane ki baat kahi or apse shadi karne ke liye islam lane par razi thi, fir apne use kalima naa padha kar imam sahib pe le aye to is surat me “ap par bhi hukm e kufr hai” apko bhi naye sire se islam lana hoga, kyunki jab koi kafir kisi iman wale se islam lane ki baat kahe, to foran kalima padhana farz hai, agar wo kehta hai
thik he me imam ke pas le chalta huChalo fir imam sahib tumne musalman karenge”
To sab surato me wo bhi kafir ho jayega kyunki imam sahib tak le jaane me jo waqt uska kufr par guzra uska zimmedar wahi hoga, thik waise hi koi kafir imam sahib ke pas aya or bola ki mujhe kalima padhna hai aur imam sahib ne kaha bethe me gusl kar loon to imam bhi kafir ho jayega, aur agar wo kafir mar gaya to kufr par uski maut ka kaun zimmedar hoga, lihaza jab koi kafir hamse kalima padhne ki baat kahe to sare kam chhor kar khud pehle kalima padhana chahiye, kisi ke pas le jaane ki zarurat nahi, ye to tha mera andaza jo apke suwal se zahir hua, aur ho sakta ho ki apne pehle hi use kai bar kalima padha rakha ho, aur nikah se pehle tasalli ke liye gawaho ki maujudgi me imam ne fir padha diya to koi bat nahi,
Ab apke jawab ki taraf
Nikah ke liye qazi ka hona shart nahi, naa khutbe ka hona, balki agar khud dulah dulhan do mard gawaho ke samne ye keh den “mene (sharai meher) ke sath tujhe apne nikah me liya, aur ladki kahe mene qubul kiya” to dono ka nikah sahi ho jayega, jabki ye baate ek hi majlis me hui ho, chahe inme imam tha ya nahi, khutba padha ya nahi, to jab nikah imam sahib ne padhaya to isme koi harz nahi hota, qazi ka hona sharto me nahi,
Ladki apki khubiya dekh kar islam me aai ho ya islam ki, behrhal jisne kufr se tauba karke, kalima padh liya ham use musalman hi jante hai, aur aise to kai waqye hai ki log nabi ki sirat dekh kar islam me aye naa ki islam ki mohabbat me, aur kitne yahoodi hamare buzurgo ki karamat dekh kar islam me aye, kitne log hamare walio ka sabar dekh kar aye, balki khud Hazrat umar nabi ki surat dekhte hi islam me aa gaye jabki isse pehle unke dil me islam ke liye nafrat thi, to aisa hamesha nahi hota ki log islam ki khubiya dekh kar hi aate ho, balki aksar dekha padha to wahi gaya ki, koi na koi zariya hota hai, aur islam se nafrat karne wala, allah walo ki sirat, surat, andaz dekh kar dakhil e islam ho jata hai, aur isse kya fark padta hai ki kon kis wajah se iman laya zariya kuchh bhi ho asli hidayat to allah ki janib se hai, to isme koi harz nahi, naa apke nikah par isse koi fark.

Allah allah kiye jaane se allah nahi milta
Allah wale hain jo allah se mila dete hain
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1161

Mayyat ko dafan karne ke bad azan kyun di jaati he bataye zara

Jawab: 1161 بسم الله الرحمن الرحيم
Ahle Sunnat Hi Me Ye Sunnat Aaj Bhi Ra’ij Hai
Azan Ghair e Namaz Bhi ja-ba-ja Jaiz Hai

(KHUTBA)
Qalb o zuban se iqrar hai ki, tamam tarif aur ibadat allah ta’ala ke liye, aur wahi ibadat ke laiq, jisne buland kiya apne naam ke sath, apne habib ke naam ko har azan me, taki farz(namaz) se pehle uske habib ko yaad kiya jaye, aur namaz ko haqiqi zindagi mile, jise imam e ahle sunnat ne ye farmaya ki,
PEHLE HO UNKI YAAD, KI PAAYE JILA NAMAZ
KEHTE HAI YE AZAN JO PICHHLE PEHER KI HAI”
Aur beshumar durood o salam ho, qabr par zikr karke zikr ko qabar par jawaz karne wale aaqa par aur unke aal o ashab par

Fatawa Razawiyya Jild:5 Safa:658 par hai,
“baz ulama e deen ne mayyat ko qabr me utarte waqt azan kehne ko SUNNAT farmaya hai”

Haq ye hai ki qabar par azan naa dene yani azan mana hone ki shariat me koi dalil nahi, aur jis kam se shariat mana naa farmaye, wo kam mamnu nahi ho sakta, kisi bhi kam ke jaiz hone ke liye itna kafi hai ki shariat me mana nahi, aur jo ise mana kare, use chahiye ki wo APNA DAWA SHARIAT SE SABIT KARE,

QABR PAR AZAN KE FAYEDE:-
Quran o hadis me jitne bhi azan ke fayede hai, wo qabar par dene se bhi hasil hote hai, to ab shariat azan ka kia hukm byan karti hai is taraf ek nazar, aur azan akhir he kia ispar bhi ek nazar,
Is Hadis ko IMAM TIRMIZI ne riwayat kiya:
اذا سئل المیت من ربک تراأی لہ الشیطان فی صورت فیشیر الی نفسہ ای اناربک ۱؎ فلھذا ورد سوال التثبیت لہ حین یسئل
Yani: jab murde se suwal hota hai ki tera rab kaun hai, shaitan us par zahir hota hai aur apni taraf ishara karta hai, islye hukm aya ki mayyat ke liye jawab me sabit qadm rehne ki dua karo,
Aur sahih hadiso se sabit hai ki azan ke waqt shetan bhag jata hai,
Muslim shareef اذااذن المؤذن ادبر الشیطان ولہ حصاص
Yani: jab moazzin azan kehta hai, to shaitan peeth pher kar bhag jata hai

Dalil-1 – jab hadis se ye sabit hai ki shaitan qabr me ata hai, aur ye bhi sabit hai ki azan se shaitan bhag jata hai, to qabr par azan dene se zarur shaitan murde ko naa behka sakega,

Hadis Musnad Ahmad Bin Hambal
قال لمادفن سعد بن معاذ (زاد فی روایۃ) وسوی علیہ سبح النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم وسبح الناس معہ طویلا ثم کبر وکبرالناس ثم قالوا یارسول اللّٰہ لم سبحت (زاد فی روایۃ) ثم کبرت قال لقد تضایق علی ھذا الرجل الصالح قبرہ حتی فرج اللّٰہ تعالٰی عنہ
Yani: jab sa’ad bin moaz radi allah anhu, dafan ho chuke aur qabar durust kar di gai, to Huzoor der tak “subhan allah” farmate rahe, sahaba bhi huzoor ke sath kehte rahe,
Fir huzoor “allahu akbar” farmate rahe aur sahaba bhi unke sath kehte rahe, sahaba ne arz ki Huzoor Awwal Tasbih aur bad me Takbir kyun? Farmate rahe, irshad farmaya is nek mard par iski qabr tang hui thi, yahan tak ki allah ne ye taqleef isse door ki aur qabar kushada farmai,

Dalil-2- is hadis se sabit hua ki huzoor ne mayyat par asani ke liye, bad dafan Allahu Akbar farmaya aur yahi kalime azan me bhi 6 bar hai to ain sunnat hua,,
Azan me aur kalime zyada hai, aur kalime zyada hone se sunnat ki nafi nahi hoti, balki aur kalime par bhi allah ki rehmat hi hogi, jab Allahu Akbar se hi qabr kushada ho gai to poori AZAN KA KYA KEHNA,

Hadiso se ye bat bhi sabit hai ki naza ke waqt murdo ko kalima sikhau,
jaisa ki Sihah Sitta me hai لقنوا موتاکم لاالٰہ الاللّٰہ yani apne murdo ko لاالٰہ الاللّٰہ sikhao,

Dalil-3- jo naza’a me hai wo ekdam murda hai aur khud huzoor ne use kalima yad karwne ka hukm diya to qabar me jab yani suwal puchha jayega to azan se use jawab yaad ayega, iski asl bhi hadis se sabit ho gai,

Ek hadis e pak me huzoor ne farmaya: اطفؤا الحریق بالتکبیر (aag ko takbir se bujhao), aur farmaya
اذا رأیتم الحریق فکبروا فانہ یطفیئ النار (yani: aag dekho to Allahu akbar ki takrar se use bujhao)
Mullah Ali Al-Qari Miqat Sharah Mishkat me us hadis ke tehet (huzoor der tak takbir kehte rahe) farmate hain: التکبیر علی ھذا لاطفاء الغضب الالٰھی ولھذا اورد استحباب التکبیر عندرؤیۃ الحریق
Yani: ab ye ‘allahu akbar’ kehna ghazab e ilahi ke bujhane ko hai, lihaza aag lagi dekho to der tak takbir mustahab thehri,

Dalil-4- qabr par azan dene ki hikmat ye bhi hai ki hadis me aya ki aag lagi dekho to takbir kaho, yahan se ye bhi sabit hai ki qabr e muslim par takbir kehna SUNNAT hai lihaza azan bhi sunnat hui,

Hadis Sunan Abu Dawood, Bahaiqi Aur Hakim ne Hazrat Usman (radiallah anu) se riwayat kiya:
کان النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم اذافرغ من دفن المیت وقف علیہ قال استغفروا لاخیکم وسلوا لہ بالتثبت فانہ الان یسأل
Yani: huzoor jab dafan e mayyat se farigh hote, qabr par farmaya karte, apne bhai ke liye istagfar karo, aur uske liye jawab e nakirain me sabit qadm rehne ki dua mango, ki ab isse suwal hoga,

Mulla Ali Al-Qari Miqat Sharah Mishkat me farmate hai
کل دعا ذکر وکل ذکر دعا (sab dua zikr hai aur sabhi zikr dua hai)

Dalil-5- bad dafan qabr e muslim ke pas dua karna sunnat se sabit hai aur azan khud DUA hai, balki behtreen dua hai, balki zikr e ilahi hai, balki har zikr DUA hai,

Ye to sabit ho gaya ki qabar par dua karna sunnat se sabit hai, aur ye bhi hadis me hai ki har dua se pehle kuchh nek amal (tasbih wagera) kar liya jaye (isse qubooliyat ki ummid bad jaati hai),

Muslim Abu Dawood Tirmizi ne ek hadis naql ki اٰداب الدعاء منھا تقدیم عمل صالح وذکرہ عند الشدۃ
Yani: adab e dua me se hai ki isse pehle amal e saleh ho, aur zikr e ilahi mushkil waqt me zarur karna chahiye, (aur azan bhi ek zikr balki zikr e saleh hai, jaisa ki upar guzra)
Aur ek hadis me farmaya اذا نادی المنادی فتحت ابواب السماء واستجیب الدعا
Yani: jab azan dene wala azan deta hai to asman ke darwaze khol diye jate hai, aur DUA qubool hoti hai

Dalil-6- bas ye bhi sabit hai ki huzoor ne dafan bad dua ki, aur hadis khabar de rahin hai ki azan ke bad dua qubool hoti hai, aur dua se pehle kuchh nek amal karna chahiye kuchh zikr, to zahir hai, dafan bad, azan dene se dua karne wale ke liye qubooliyat ke darwaze khol diye jaate hai, aur ye ki azan bhi zikr hai, aur dua se pehle azan dena yani zikr e ilahi hua aur ye bhi qubooliyat ke adab me se guzra, to jo log, bad dafan qabr par azan dete hai, fir dua karte hai to goya kitni hadiso par amal karte hai, aur dua ki qubuliyat ki ummid bhi qawi ho jaati hai,

Azan zikr e ilahi hai aur zikr e ilahi azab ko dafa karta hai,
Hadis Musnad Ahmad, Bahaiqi ne naql kiya farmaya: huzoor ne : مامن شیئ انجی من عذاب اللّٰہ من ذکر اللّٰہ
Yani: koi cheez zikr e ilahi se zyada azab e ilahi se najat bakhshne wali nahi
Aur khushi ki khabar ye ki khud azan ke liye khas hadis me farmaya gaya اذا اذن فی قریۃ امنھا اللّٰہ من عذابہ فی ذلک الیوم yani: jab kisi basti me azan di jati hai to allah us din use azab se aman de deta hai

Dalil-7- to beshak apne musalman bhai ke pas azan dekar uski qabar balki qabaristan se azab e ilahi ko door karna kaisa swab wa mayyat ke liye nafabakhsh kaam hai,

Azan zikr e mustafa hai aur zikr e mustafa bhi rehmat nazil hone ka zariya hai,
Naseem Ur Riyaz me hai جعلتک ذکراً من ذکری فمن ذکرک فقدذکرنی
yani: mene tumhe apni yad me se ek yad kiya, jo tumhara zikr kare wo mera zikr karta hai,
aur zikr karne wale ke liye to huzoor ne farmaya : حفتھم الملٰئکۃ وغشیتھم الرحمۃ ونزلت علیھم السکینۃ
Yani: unhe malaiqa ghair lete hain aur rehmat e ilahi dhaap leti hai, un par sakina aur chen utarta hai,

Ye bhi hadis se sabit hai murdo ki qabar tang karti hai, aur naye ghar me uska dil ghabrata hai, aur sakht wehshat aur ghabrahat hoti hai, aur azan wehshat ko door karti hai ghabrahat ko door karti hai, aur kyunki azan zikr hai aur quran me farmaya الابذکر اللّٰہ تطمئن القلوب tarjuma: sun lo khuda ke zikr se chain pate hai dil,
Aur Hiliyatu Auliy me ek hadis naql hai, farmaya : نزل ادم بالھند فاستوحش فنزل جبرئیل علیہ الصلاۃ والسلام فنادی بالاذان
Yani: jab Adam(alaihissalam) ko jannat se hindustan me utara to unhe ghabrahat hui, to jibrail alaihissalam ne utar kar AZAN di,

Dalil-8- bas ye bhi sabit hai ki zikr se dil chen pate hain, aur azan behtreen zikr hai, aur azan se ghabrahat door hoti hai, aur wehshat khatam hoti hai, to kon aqal wala nahi chahega ki wo naye ghar me apne azeez ki ghabrahat ko door kare, aur kon nahi chahega, ki azan de kar, musalman ki wehshat ko door kare, magar wo nahi chahega, jise shaitan allah ke zikr (azan) se roke, (kya hi achhi misal)

Jo musalman apne ya kisi bhai momin bhai ki qabar par azan deta hai, aur uske azab dafa karne me madad karta hai, aur use qabar me fayeda pahuchta hai TO SUN LO uske liye hadisen kya kehti hai:
Sahih Muslim me hai اللّٰہ فی عون العبد ماکان العبد فی عون اخیہ
yani: allah bande ki madad me hai, jab tak banda apne bhai musalmanon ki madad me hai ,
(subhan allah, kya hi ACHHI MADAD madad e ilahi hai)

Aur is hadis ko Bukhari ne naql kiya farmate hai MADANI TAJDAR:
من کان فی حاجۃ اخیہ کان اللّٰہ فی حاجتہ ومن فرج عن مسلم کربۃ فرج اللّٰہ عنہ بھاکربۃ من کرب یوم القیٰمۃ
Yani: jo apne bhai musalman ke kam me ho, allah uski hajat rawai farmata hai, aur jo kisi musalman ki taqleef door kare, allah uske badle qiyamat ki musibaton se ek musibat us par se door farmayega,

Jab Hazrat Ali ko huzoor ne ghamzada dekha to farmaya:
قال راٰنی النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم حزینا فقال یاابن ابی طالب انی اراک حزینا فمربعض اھلک یؤذن فی اذنک فانہ درء الھمّ
Yani: mujhe huzoor ne ghamgeen dekha to farmaya, aye ALI me tujhe ghamgeen pata hun, apne kisi ghar wale se keh ki, tere kan me azan kahe, AZAN GHAM AUR PARESHANI KO DAFA KARTI HAI,

Imam Tabarani ne ek hadis naql ki farmaya huzoor ne: ان احب الاعمال الی اللّٰہ تعالٰی بعد الفرائض ادخال السرور علی المسلم
Yani: beshak allah ke nazdeek farzon ke bad sab amaal se behtar, musalman bhai ko khush karna hai,

Dalil-9- “lo wo aya mera hami mera ghamkhware umam” to dekh lo aye sunni musalmano, tumhare liye kaisa haseen moka hai, ki qabar par azan dekar apne musalman bhai ko fayeda pahuchao, aur jo aisa kare, allah uski hajat poori karta hai, aur ye bhi sabit hua ki musalman bhai ko jis tarah ho sake fayeda pahuchana chahiye, magar socho kya tumhara murda marne ke bad musalman nahi, agar hai to azan de kar fayeda pahuchao, aur kyunki wahabi duniya me bhi kafir hai, lihaza uska murda bhi kafir aur murda kafir ko fayeda pahuchane ki hadis hamne nahi padhi, balki iske liye dua magfirat bhi kufr hai, to bas aye musalmano, jiske ghar se koi musalman fot ho to use qabr par azan de kar, fayeda pahuchae,

Qabar par azan dene ki jo dalil upar guzri unka khulasa ye hai ki
AZAN DENE KE FAYEDE
* shaitan ke shar se panah
* azan takbir hai aur takbir aag se aman
* jawab e qabr me asani
* zikr e azan se azab e qabar ka door hona
* azan zikr hai, aur zikr har waqt jaiz hai
* qabr par zikr karna sunnat matlab azan bhi sunnat
* azan zikr hai aur zikr se dil chen pate hain,
* azan me zikr e mustafa yani rehmat utarne ka zariya
* azan se wehshat ko door karna
* azan ke zariye ranj o gham ko door karna
* qabr par dua sunnat aur azan zikr hai har zikr dua yani azan sunnat
* qabr ke pas takbir kehna sunnat azan me takbir hai azan sunnat
* mayyat se shaitan ko door bhagana ittiba e sunnat
* azan se momin ko fayeda pahuchna hadis par amal

Ab jo itne fayede hath aane ki niyat se apne momin bhai ki qabar par azan de to kaise sawab ke khazane hath ayenge, hadis me farmaya: نیۃ المومن خیر من عملہ (musalman ki niyat uske amal se behtar hai)
Aur jo Ilm e niyat janta hai, yani har kam me achhi achhi niyat karna janta hai to wo har har kam me bahut sawab kama sakta hai, to qabar par azan bhi achhi niyat ke sath di jaye jo upar guzri hadiso par bhi amal hoga aur jab tak azan dega khud azan dene wale par aur qabar par bhi rehmat e ilahi nazil hoti rahegi, zarur dene wale ki bhi maghfirat ho jaye, (allah hi deta hai aql, kalam ilm o hikmat ke karne ki)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1162

1 shakhs he jo musht zani kiya karta tha par 1 din us ne qasam khali ki allah ki qasam aaj ke bad musht zani nahi karunga, Par 1 din us par shehwat ka galba hua to us ne apni sharm ghah ko hath lagay bina hi kuchh is tarha harkat ki ke us par gusl farz ho gaya, To kya qasam ka kaffara aayga ya nahi, kynki qasam to musht zani ke liye khai thi par hath nahi lagaya, Rehnumai farma dijiye, Aabid Raza M.P Mandsor se

Jawab:1162 بسم الله الرحمن الرحيم
“MUSHTZANI SE KAFFARE PAR TEHQIQ E KHAFIFA”
Mushatzani naa karne ki qasm khai, fir koi fel aisa ki jo urf me mushtzani nahi kehlata kar betha to meri naqis tehqiq yahi hai ki naa uski qasm tuti naa kaffara lazim, kyunk qasm ka tutna urf e aam par bhi hota hai, aur mushtzani naam hai, “apne hath se apni mani ko kharij kar lene ka” naa ki kisi bhi tarah mani ko kharij hona, ab agar mushtzani karne wale ne koi bura khyal jamaya yaha tak ki inzal ho gaya to isse mushtzani ki tarif sadiq nahi aati, Main kehta hun (aur usi rab ki tofiq se) Machhli jise quran me gosht farmaya, magar hamare zamane me use kharidte, khate, pakate waqt ghosht nahi kaha jata balki machhli hi kaha jata hai, aur ham gosht se murad bhens, murga, bakre ka gosht lete hai, ab raha ye ki agar koi shakhs gosht naa khane ki qasam khaaye aur wo machhli khaa le to uski qasm NAA TUTI, naa kaffara kyunki (upar guzra ki) qasm urf par mabani hoti hai, aur urf me machhli gosht nahi, jaisa ki Imam e Ahle sunnat Imam Ahmad Raza Bareilvi ne apne Fatawa Razawiya Shareef, Jild:13 Safah:496 par farmaya:
“qasm khane wala ki, gosht naa khayega, to machhli khane se qasam torne wala NAA HOGA,

Jabki quran machhli ko saf gosht farmata hai aur kehta hai- “tum darya se taza gosht khaao
Ab raha ye ki agar machhli bhi dar haqiqat gosht hi hai, magar yaha urf nahi hai, thik waise hi Ulama e Ahanaaf ne farmaya aur ise Mufti Amjad Ali Sahib ne Apne Maroof Tasneef Bahar e Shariat me bhi naql kiya ki,”agar kisi ne roti naa khane ki qasm khai, aur chawal ki roti khaai to Qasm naa tutegi” aur iski asal bhi wahi qaida jo Ash’ia tul Lam’at Sharah Mishkat me Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi Sahib ne Farmaya ki
مبنائے ایمان برعرف وعادت است نہ برحقیقت
(yani qasm ki bunyad urf aadat par hai, haqiqat par nahi)

Hamare zamane me jab koi roti bolta hai to usse murad “gehu ki roti hoti hai” to ab chawal ki roti asl me roti hai, magar qasam wale ki qasm urf par li jayegi, isilye agar chawal ki roti khai to qasm naa tutegi, han, itna zarur hai jis jagah roti bol kar chawal ki roti murad li jaati hai waha zarur qasm tutegi,
To ham keh skate hai, ki mushtzani kewal mani ka nikalna hi nahi, balki apne hath se mani ka “nikaalna” hai, aur iske siwa (zina, ehtlam, ghalba e shehwat) kisi aur tariqe se mani kharij ho to use mushtzani kyunkar keh sakte hai, ab dekhe huqooq e shohar me Muftiya e kiram se puchha gaya ki agar “biwi haiz se hai aur biwi apne shohar ko hath se fariq kar de, to kya ye ghalat hai” farmate hai, NAHI, ab dekhe yaha fel mushtzani ka hi hai magar gair ke hath se, aur wo gair hamare haq me halal, na ki haram Main kehta hu (fazl e khuda se) ki akhir mushtzani haram hone ki wajah kya hai, kyunki quran me is jismani khwaish ko poora karne ke liye biwi ka intikhab kiya gaya, aur kaha gaya ki, ye tumhari kheti hai, to apni khetiyo me aao chahe jaise, aur jo iske siwa koi aur rasta (mushtzani, zina wagera) talashe to wo had se badhne walo me se hai” (kya hi quran ki roshan dalil) isse pata chala ki ye kam haram islye hai ki, allah ne ek nemat (aurat) ata ki jo iske haq me halal hai to ab agar wo apne hath se halat e haiz me ise farig bhi kar de to harz nahi, kyun “shohar apni biwi ke har hisse se lutfandoz ho sakta hai” kyunki ye had se badne walo me se nahi, or ho bhi kyun, wo akhir halal biwi hai, isme had se kya bada, warna jima bhi kam bura hai, magar biwi se halal gair se haram, ab raha ki is kam (mushtzani) se sihat ka nuqsan hai to Main Kehta Hun (tofiq e maula se) ki seht ka zimma shariat par nahi, jis tarah agar kisi ko zukham ki bimari hai, aur wo barish me nahaye to kya us par zukham ki bina par barish haram hogi? Hargiz nahi, magar nahayega to apni zukham ka khud zimme dar hoga, aur biwi se bhi to roz jima sihat ko nuqsan hai, magar karega to kya gunahgar hoga nahi balki apni sihat ka khud zimme dar hoga, magar nahana, aur jima iske haq me halal, thik waise hai, agar biwi ne mushtzani mard ke kari to gunah nahi magar muzir e sihat zarur hai, aur “har cheez ki zyadati buri”

TO BAS YAHI TEHQIQ E NAQISA KAFI HAI IS BYAN ME KI MUSHTZANI APNE HATH SE MADA KHARIJ KARNE KA NAAM HAI, KISI OR TARIQE SE (ZINA, BURE KHYAL) SE HO TO MUSHTZANI NAHI, AUR IS PAR KAFFARA NAHI, (AUR ALLAH HI ILM KI KHATAO SE PAAK HAI, AUR INSAN JAHIL PAIDA KIYA GAYA,)
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1163

Mushtzani se bachne ka koi wazifa bataiye to badi meherbani hogi,

Jawab:1163 بسم الله الرحمن الرحيم
Mushtzani haram aur jahannam me le jaane wala kam hai, aisa karne wale par nikah karna wajib hai (jabki qudrat rakhta ho) nikah me takhir karega to gunahgar hoga, Or mushtzani karne wale ke bare me hadis me aya ki “ispar allah ki lanat hai,” Fatawa Razawiyya Jild: 22 Safah: 244
“hashr me aiso ki hatheli Gabin(pregnant) uthengi,”

Jo shakhs shetan ke waswase me aa kar shehwat ka shikar ho jata hai, uske liye ye kalaam misl e aab e hayat hai
Aazmane wala aazma kar dekh le 21 din is par amal kare, allah ne chaha agar kisi ka shehwat-parasti ya mushtzani se Ehtlam band ho gaya ho to in 21 din me jismani mijaz qudrat ke mutabik ho jayega,
Amal:-
-panjwaqta namaz ki pabandi kare aur bad fajr 11 bar surah ikhlas aur 11 bar, bismillah aur lahol ko mila kar is tarah padhe yani (بسم الله الرحمن الرحيم ولاحول ولاقوة الا بالله العلي العظيم)
-murga ya isse bani koi cheez amal ke doran naa khaye, murge ka gosht apne liye zeher jaane,
-mulaithi, aur sookha dhaniya pees kar alag alag rakh le, roz din me 3-3 masha dono me se pani se khaye,
-har namaz me wuzu lote se kare aur wuzu ka pani 3 goonth khade ho kar zarur piye,
-dophar aur sham ke khane me sirf sirf sirf aur sirf aadhi roti hi khaye, isse zyda hargiz nahi
-aur askar waqt لاحول ولاقوة الا بالله padhta rahe,

Bas bataye huye amal par 21 din sabit qadm reh kar dekhe, magar isme kami beshi naa ho, laakh shetan kahe ke adhi roti se mar jayega aur kha le, to marna manzoor kar lena magar amal me kotahi naa karna, fir apni khuli nazar se dekhoge ki apke aage suqoon ki aisi diwar hogi ki shetan sar maar kar mar jayega magar ye diwar tor kar nahi aa sakta, (aur allah chahta hai, jise amal ka jazba dena to wo sabit qadm rehta hai), allah karam wala hai, agar tu jane.
(aur kal qiyamat me apke zariye agar log bakhshwaye jaa rahe ho to, mujh mujrim ko bhi bhool naa jana)
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1164

Condition no 1:- Maine kisi ko 2 lakh diye usne mujhe 5 saal k baad 1 lakh wapis kiye. To zakat kitni nikalu.
Condition no 2 :- Maine kisi ko 2 lakh diye usne 5 saal baad pore 2 lakh wapis kiye ab zakaat kitni banegi

Jawab:1164 بسم الله الرحمن الرحيم
Condition 1- 1 lakh ki zakat ko 5 se guna karke ada kare,
Condition 2- 2 lakh ki zakat ko 5 se guna karke ada kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1165

Hazrat namaz me payjama ya koi paint takhno se niche he to kya usko under ki taraf mod sakte he ya waise hi rehne den

Jawab:1165 بسم الله الرحمن الرحيم
Payche ko morna chahe bahar ki janib ho ya andar ki kisi surat rawa nahi, aur is tarah padhi gai namaz makruh e tehrimi ke hukm me hai, yani us namaz ko fir padhna hoga, aur jo gunah kiya uski toba
hadis sharif me hai
امرت ان اسجد علی سبعۃ اعضاء وان لااکف شعرا ولا ثوبارواہ الستۃ عن ابن عباس رضی اﷲ تعالٰی عنھما
(yani: mujhe sat(7) aza par sajde ka hukm diya gaya, aur is bat ka ki namaz me naa bal sametu na kapde ise ibne abbas se riwayat kiya)

Durr e Mukhtar me hai کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1166

witr ki namaz ghaire ramzan me jamat ke sath padna kaisa ? jab ke log khaskar shabe barat me padte hai quran o hadis ki roshni me jawab den, hawala ke sath

Jawab:1166 بسم الله الرحمن الرحيم
Baha e Shariat Jild:1 Safah:658 par hai
“ramazan sharif ke alawa, aur dino me witr jamat se naa padhe”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1167

Assalamoalaykum, janab ye msg ke bare me rehnumai farmaye, "Wo kon sa kaam Hai jo ALLAH ko Bahut pasand Tha Lekin Nabi(S.A.W.W) Ne kabhi Nahi kiya." ANSWER- “AZAAN”, Hazoor Paak (S.A.W.W.) Ne kabhi ''AAZAN'' Nahi Dee Thi, (Reason): Q k Agar AAP (S.A.W.W) AAZAN Detey Tou Kainat ki Her Cheez Masjid Me aa jati aur Nizam-e-Kainat Ruk jata.

Jawab:1167 بسم الله الرحمن الرحيم
Jahilo ka chalaya gaya bakwas msg hain, jinhe aur kuchh kam dhandha nahi, fizul watsap par time ko barbad karte hai apna aur doosro ka, na aise logo ko haram halal ki tamiz hoti hai, na deen ki samajh, aur aisi jhuthe msg aage bhej kar sawab e azeem samajhte hai, aur smjhte hai ki jaise ham namaz se bhi zyada azeem ibadat aur sawab ke haqdar ho jayege, khair, huzoor se safar me azan dena sabit hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1168

Mere naam shameem Ahmed he, Karnataka India Se, mera Sawal hai ki mere bada bhai se mein 3 saal se bat nahi karta kyunki wo gana sunta hai gandi gandi maa ko gaali deta hai maa ko bahut satata hai namaz nahi padta ? 

Jawab:1168 بسم الله الرحمن الرحيم
Gane sunne haram, aur namaz ko qaza kar dena bhi haram hai, or jo teesri bat yani gaali dena musalman ko haram aur walida ko to aur sakht haram dar haram, aise fasiq aur jahil se door rehne me hi bhalai hai, jab tak ye apni harkat e khabeesa (maa ko gaali dena or taqleef dene) se baaz naa aa jaye, balki ise sakhti se roka jaye. Aur isse dua salam bhi tark kare, aur iske sath khana bhi, Hadis me irshad e Mustafa hai
من اذٰی مسلما فقد اذانی ومن اذانی فقد اذی اﷲ
jisne kisi musalman ko taqleef di, usne mujhe taqlif di, jisne mujhe taqlif di usne allah ko taqlif di,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1169

Un shadiyo me Khana, pina, Jana kaisa he jin me aurte dance karti he or mard sharab ke nashe me un ke upar paise lutate he ?

Jawab: 1169 بسم الله الرحمن الرحيم
dawat agar shariat ke mutabik ho to jana sunnat hai, aur agar usme khurafat hain, to jana sunnat nahi,
jaisa ki Bahar e Shariat Jild: 3 Safah:392 par hai,
“dawat me jaana us waqt sunnat hai, jab maloom ho ki wahan, GANA, BAJANA, LAHW o LA’AB nahi, aur agar maloom ho ki ye khurafat waha hain, to naa jaye”

Ab isme kuchh khawas ki tafsil alag hai, maslan ye, alim e deen he ya peer sahib ya imam ya koi bhi muqtada hai aur janta hai ki meri izzat unke liye bahut hai, agar naa jaunga to wo zarur bura manege aur meri dawat ki khatir khurafat band kar denge to ye mana kar de,(yani jab tak wo khurafat khatam na kare naa jaye, yani gunah e kabirah se unhe bachaye) jaisa ki, Imam e Ahle Sunnat AlaHazrat
Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah:609 likhte hain
“agar ye shakhs janta hai ki meri khatirdari un logo ko aisi azeez hai ki, ba-halat e munkirat e sharaiyya, me shirkat se inkar karunga (yani agar khurafat ki wajah se me dawat me naa jaun) to weh majburan mamnuat(khurafat) se baaz rahenge, aur mera sharik na hona gawara naa karenge, to is par wajib hai ki be-tark e munkirat, shirkat se inkar kare, (yani jab tak wo khurafat se baz na aye sharik na ho)

Aur age ise pata ho ki meri izzat ya muqam unki nigah me aisa hai ki, agar me dawat me rahunga to meri sharm se wo naach gane baje se parhez kar lenge to is par dawat me jana wajib hai jaisa ki
Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah:610 par hai
“aur agar janta hai ki meri azmat izzat unki nigah me aisi hai, ki me sath rahunga to wo munkriat e sharaiyya na kar sakenge, to is par wajib hai ki (baniyat e swab e azeem) sharik ho,

Radd ul Mohtar Jild:5 Safah:222 par hai
اذ ا علم انہم یترکون ذٰلک احتراما لہ فعلیہ ان یذھب اتقانی
(aur jab weh janta hai ki uske ehtram ki wajah se, wo gunah wale kam chhor denge, to ispar zaruri hai ki waha jaye aur shirkat kare)

Jo hukm upar guzra wo aksar khawaas (ulama, peer, imam) wagera ke liye hi dekha gaya hai, aur ye awam me se hai to Al-Hidaya Jild:4 safah:453 par hai
لو علم قبل الحضور لایحضرلانہ لم یلزمہ حق الدعوۃ
(agar jaane se pehle hi use munkirat e sharaiyya ka ilm ho jaye, wo wahan naa jaye, kyunki us par dawat ka haq lazim nahi.

Al-Kifaya Jild:8 Safah:450 par hai
لان اجابۃ الدعوۃ انما تلزم اذا کانت الدعوۃ علی وجہ السنۃ
(Isliye ki dawat qubool karna us waqt lazim hota hai, jabki dawat sunnat ke mutabik ho)

Aur agar dawat is khana jis jagah hai, waha khurafat nahi, yani do jagah ka intizam hai, ek jagah nach gana hai aur dusri jagah khana hai, to bhi jaane ki ijazat hai, yani khane ki jagah jaye, khurafat ki jagah naa jaye,

Jaisa ki Bahar e Shariat Jild:3 Safah:392 par hai,
“agar (khurafat, nach) makan ke doosre hisse me hai, aur jaha khana khilaya jata hai waha nahi to waha beth sakta hai aur kha sakta hai, aur agar logo ko (khurafat se) rok sakta hai to rok de, warna sabr kare”

Aur iske bawajood ALIM agar janta hai ki, mere us dawat me jaane par aawam mujhe par tanazan hogi to fir har aisi dawat se bachna chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1170

मसअला यह कहना दाढ़ी मुंडाने वाला दाढ़ी रखने वाले से बेहतर है कलमए  कुफ़्र है (फतावा रज़विया 23/736)
ek warsi he wo bolte he ke waris paak ne apne ek mureed jo dadhi mundha tha ko apne farmaya ke dadhi wale se mera dadhi mundhe wala behtar he,

Jawab 1170 بسم الله الرحمن الرحيم
Mazkoor jumla jo fatawa razawiya ke hawale se likha gaya hai, durust hai, aur hawala bhi durust hai, magar kuchh kami beshi ki gai hai, poori ibarat is tarah haik ki.
“(ye jumla) saaf sunnat e mutawatirah ki toheen aur kaliaa e kufr hai”
Aur jo qaul “SARKAR E WARIS E PAK, ALAM PANAH, Al Hafiz Al Haji Sayyid Shah Waris Ali (alaihirrehma) par bohtan hai, ki har “Har Wali Alim Ast” aur alim se aise qual mumkin nahi, aur jisne ye kaha wo zarur be-ilm hoga, aur awam ki qaul ka etbar nahi, Fatawa Razawiya Jild:4 Safah:481 par hai ki,
hadis me aya ki - “shaitan aadmi ki shakl bana kar logo me jhoothi baat mashhoor kar deta hai, sunne wala auro se byan karta hai, aur kehta hai mujhse ek shakhs ne zikr kiya,”

aur ek hadis me hai ki “kisi ke jhootha hone ke liye itna kaafi hai ki suni sunai baat age bada de”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1171

Aadmi agar qarz me hai, aisi halat me kisi se udhaar le kar Zakaat, fitra dena kaha tak sahi ?

Jawab: 1171 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar us par zakat wajib nahi, aur Jab aadmi pehle se hi qarz me hai to aur qaraz le kar zakat dene ki hajat hi kya hai.
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:878 par hai
“nisab ka malik hai, magar us par den(qarz) hai, ki ada karne ke bad, nisab nahi rehti, to zakat wajib nahi”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1172

Ek Qabristan me Dargah hai Jahan maannewale hazri dete hai Baaz log apne marhum ke liye aate hai ya koi apna salaam pesh karne dargah me, Hazrat ke urs ke dawraan humare bhaion ne Bayan aur Qawalli ka program rakha Laangare niyaz ke saath, Is dawraan me bahut zor se qawwali bazi hoti hai,
a) Qabristan me zor se Qawalli Bazana
b) Langar/Niyaz Qabristan me idhar udhar baith ke khana aur waste phek dena wahi
c) Aazaan ka khayal na rakhna
d) Marhum Jo aaram farma rahe hai unka kya ?
e) Aisi halat me sahibe Mazar ka URS kaha tak thik ?
 
Jawab:1172 بسم الله الرحمن الرحيم
a) qawwali zor se ho aram se, qabristan me ho ya bahar, agar mazameer(music) ke sath hai to haram hai, aur is progam ka karwane wala fasiq aur gunahgar aur isme shirkat karne wale bhi gunah gar aur un sabka gunah bhi qawwali karwane wale par isi tarah qawwali par bhi,
b) langar/niyaz ya aam khane ka adab har jagah lazim hai, ghar ho ya qabristan
c) aazan ka khyal bhi har jagah rasta ho ya ghar ya qabristan, jo azan ke waqt bato me mashgul raha uska khatima bure par hone ka khof hai,
d) Khurafat ke shor sharabe se sahibe mazar par kuchh fark nahi, ha unki narazgi ka sabab zarur hai,
e) urs har surat sahi hai, in khurafato ko door kara jaye, warna urs ke din ghar se fatiha kar di jaye, aur hazri urs ke dino se pehle ya bad me dete rahe,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1173

Huzur alaihissalam ne irshad farmaya bani israil ke 73 firqe huye aur meri ummat me 72 honge
To alim log hamesha taqreer kar ke kyun firke ko rokane ki koshish karte hai jab ki huzur ne farmadiya hai ki meri ummat me 72 firqe honge to zaroor honge, Kiya huzur ne kahi Asia bhi farmaya hai ki firqe ko rooko, masalan:- zaid wahabi banne wala tha magar usne ulama e ahlesunnat ka bayan suna wo sunni ban gaya wahabiyat se ruk gaya to ulama ne usko firke me jane se roka kyun roka jab ki huzur ne farma diya firke honge to hone dete kyun roka kiya ye khilafe hadis nahi hai, Ya huzur ne kahi ye farmaya ho ki firka parasti ko rooko ? Hazrat Rahenumaee farmaye, Assalamalaikum

Jawab:1173 بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis e pak me hai ki pehle SALAM bad me KALAM, apne pehle poora kalam kar liya aur akhir me salam, khair, aisa sunni alim nahi ho sakta jo firqa parasti khatam karwane me laga ho naa aj tak dekha gaya, aur firqe jo huzoor ne farmaye zarur honge, ab raha ye ki zaid ko kyun roka to kisi ko badmazhab banne se rokna sawab ka kam hai, baqi hidayat allah ki janib se hai, kisi ke kehne se koi sunni nahi banta naa koi wahabi, log ek zariya hai, baki allah sab janta hai ki kon gumrah hai, ya ho jayega aur, ye bhi janta hai ki, kon kuchh waqt gumrah rahega fir hidayat pa jayega, aur is sare muamle me admi ek doosre ka zariya bante hai, magar haqiqi hidayat allah ki taraf se hai, jo log firqa parasti me yaqeen nahi rakhte wo khud un jahannami firqo me hai, aur gumrah hai, magar ye baat yad rakhna chahiye ki firqo ki baat ya radd har ek musalman par farz nahi, baz log samajhte hai ki jaha bat ho firqo par ho, jo taqrir ho firqo par ho, ye bhi thik nahi, sunni log apni jahalat se wahabi bane hai, agar unhe ilm diya jaata to wahabi ke radd ki aisi hajat naa aati, naa sunni, deobandi banta, jab unhe namaz roze ka kuchh sikhaya gaya nahi, fir jab wo wahabi ke pichhe namaz padhte hai to stage par chillaya jaata hai ki unke pichhe namaz nahi hogi, ab jise kuchh agla pichhla pata hi nahi to wo yahi kahega ki wo bhi to kalima padhta hai thik waise hi, har insan ye samajhne laga hai ki me radd e wahabi karu, ye bhi ghalat hai, bad-mazhab ka radd alim ke zimme hai awam ke nahi, aur wo bhi makhsus alim e deen hote hai, jo is fan me mahir hota hai, aisa nahi ki har masjid ka imam radd ya gali mohalle ka pan wala, chaye wala radd par aa jaye, ya bus me hi radd shuru kar do, awam par kuchh or chize sikhna bhi farz hai jaise namaz roza, taharat, in par dhyan kyun nahi diya jata, lihaza agar kisi alim ne is etbar se kisi ko samajha diya ki bhai ilm sikho ab in bato me itna naa padho to kuchh ghalat nahi kiya, har chiz waqt par achhi lagti hai, jab ap aqeedo se waqif ho gaye, sunniyat ko jaan gaye, pakke sunni ho gaye, ab 24 ghante deobndi barelvi karne ki zarurat kya hogi, ghar walo ko samajhao ka ye maana nahi magar samajhne ka sahi tariqa bhi hota hai, har jagah sakhti nahi chalti aur awam par samajhana farz bhi nahi. Aur FARMATE HAI IMAM E AHMAD RAZA ki
“aye “raza” har kaam ka ek waqt hai
Dil ko bhi aram ho hi jayega”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1174

Kya ham safar ke dauran Quran mazeed ko apni peeth par tange huye bag me rakh kar safar kar sakte hain, Agar yes! to ehtiyaat batayen, Agar no! To kaafi hoga, KHAN

Jawab:1174 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1175

Agar washing mashneen me napak kapde dhoye gaye fir ek ganta bad us ka pani wagaira hawa ya kisi aur tarah se sookh gaya fir us me pak kapde dhoye to kya ye kapde napak honge ya nahi, kya washing masheen sirf hawa se sookh kar pak ho jayegi ya nahi, ya us ko pani se dhoona zaroori he rahnumai farmaye safa no. ata farmaye khuda hafiz

Jawab:1175 بسم الله الرحمن الرحيم
Napak kapde dho kar nikal liye gaye aur washing machine ka paani bhi nikal liya gyaa, aur jab doosre kapde done ko dale to naya paani fir bhara gaya (aur aksar hota bhi yahi hai) to is surat me jo pak kapde dhulenge to pak hi rahenge, chahe machin ki side sukhne se pehle hi naya pani bhara gaya ho, ha agar andar ki janib machine me ba-zahir najasat lagi hai to alag masala hai, magar aisa hota nahi hai, purana pani nikalne aur naya pani daalne me machine saf ho jaati hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1176

Agar koi ladki ramzan ka roza rakh rahi ha magar namaz nahi padhti bas roza rakh ke soo jaye, to kya us ka roza hoga ya nahi

Jawab:1176 بسم الله الرحمن الرحيم
Waise ye kaam ladkia kam aur ladke zyada karte hai, din bhar gali napte hai, na masjid jaa kar namaz padhte hai, na ghar ka kam, aur waqt katne ke liye road par ghoomna, tv dekhna wagera wagera, aur ye khaslat e ladkio me kam pai jati hai, ghar me kam karte waqt wo namaz padh hi leti hai,
poochhi gai surat me ROZA HO JAYEGA, roza naam hai, sehri se iftar tak, khane, peene, jima se rukne ka, aur namaz apni jagah farz hai, roze ki farziyat me namaz ka dakhal nahi, aur is hukm me ladka ladki sab dakhil hain, HAN, aisi ladki fasika zarur hai, iske ghar walo ko chahiye ki ise sakhti se namaz ka hukm de, aur agar shohar wali hai to shohar ko chahiye ki namaz padhwaye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1177

sayyed log jo hote hain, unko aag nahi jalati, kya ye bat sahi hai, aur aisa kyun hai, kya ye bat hadis me likhi hai ki, sayyad log jahannam me nahi jayenge, ?

Jawab: 1177بسم الله الرحمن الرحيم
Duniyawi aag insani jism ko jalane par qadir hai, aur ye fitrat e insani bhi hai ki, duniya ki taqleef har jism ko mehsus hoti hai, aur jo sayyido ke bare me zikr hai ki unhe aag nahi jalayegi, wo is duniyawi aag ka zikr nahi, balki dozakh ki aag ka zikr hai, han, agar duniya me koi sayyid ba-karam wali ho to beshak yahan bhi aag naa jala sakegi, naa unhe, naa unke kapdo ko, rahi jahannam ki aag to AlaHazrat Imam Ahmad Raza khan Farmate hain Fatawa Razawiyya Jild:29 Safah:936 par
“sayyid jo waqa’i ilm e ilahi me sayyid (sadat) hon, unke baare me RAB se ummid e wasiq yahi hain ki, akhirat me unko KISI GUNAH PAR AZAB NAHI DIYA JAYEGA,”

Imam ki is tehrir se zahir hai ki azab hi ke liye jahannam me bheja jata hai, lihaza, wo is jahannam ki aag se door rahenge balki deegar (hashr, qabr wagera) ke azab se bhi allah chahe to mehfuz rahenge, aur “azab naa diya jayega” is baat se dozakh ki aag se bachna sabit hai, naa ki duniyawi se kyunki hisab aur azab e jahannam duniya me nahi

Hadis e Pak me hai: انما سیت فاطمۃ لان اﷲ تعالٰی حرمھا وذریتہا علی النار
 “inka fatima naam islye hua ki allah ne inko, aur inki tamam aulado ko aag par haram farma diya”.

Ek aur Hadis e Pak me hai: ان اﷲ غیر معذبک ولا ولدک اوکما قال صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم
(yani: aye fatima Allah na tujhe azab karega, naa teri aulad me se kisi ko.)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1178

Rasoolullah sallallaho alehe wasallam ne farmaya, "jo koi Qasam khana chahy to Allah ki qasam khaye ya khamosh rahe" (Bukhari, kitabush shahadaat, hadis# 2501)
Iska kya matlab hai yeh kya sahi likha hai kasam khane ko to sab mana karte hai yahan pehli baar suna, please iska answer zarur bata dijiye

Jawab:1178 بسم الله الرحمن الرحيم
hadis jo suwal me byan ki gai, sahi hai, iska matlab ye hai ki qasam sirf allah ke naam aur sifat ya quran ki khani chahiye iske siway koi qasam, qasam nahi, fizul hai, jaisa ki Bahar e shariat Jild:2 Page:298 par hai
khuda ke alawa kisi ki qasm khana makruh he or ye qasm hoti bhi nahi. Yani ise torne se kaffara lazim nahi
ab raha ye ki apne nahi suna, to janab kisi hadis ke sahi hone ke liye islam me ye shart hai kiya, ki aap zarur sune ? warna ummat me qubool nahi ? aisi lakho hadis aur masale he jo apne nahi sune honge, aur agar me bata dun to yaqeen nahi ayega, aur bazahir apko wo ghalat hi nazar ayenge, jaise, “khade ko kar paani peena gunah nahi” jabki log khade ko kar paani peene ko gunah aur haram samajhte hain”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1179

Mic me namaz padhana jaiz hai ya nahi ?

Jawab:1179 بسم الله الرحمن الرحيم
Mic par namaz ko lekar ulama e ahle sunnat me ikhtilaf hai, baz iske jawaz ke qail hai aur baz adm e jawaz ke, aur hamari ray is masale par ye hai ki NAMAZ MIC PAR PADHNA JAIZ HAI JUMA HO ya PANJGANA, aur baz ne kaha ki mic ki apni awaz hoti hai, imam ki nahi, or baz ne kaha imam ki hi hoti hai buland ho kar nikalti hai,  Fatawa Europe Page:201 par hai
“huzoor mufti e azam e hind ke tarbiyat yafta Hazrat allama mufti sayyid afzal hussain sahib, sabiqa sadar darul uloom Razawiyya manzar e islam bareili shareef, LAODSPEAKER PAR NAMAZ KE JAIZ HONE AUR SEHET PAR FATWA DETE RAHE,”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1180

Ramzan Ke Ilawa Witr Ki Namaz Jama'at Se Padhna Kaisa Hai ? Hawala Bahut Zaruri Hai kisi Ko Chahiye

Jawab 1180 بسم الله الرحمن الرحيم
Makruh hai,
Baha e Shariat Jild:1 Safah:658 par hai
“ramazan sharif ke alawa, aur dino me witr jamat se naa pade”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1181

Kya koi shakhs kuchh maal store kar sakta hai is niyat se ki jab daam badenge to bech dunga. Kya is tarah ka kaam jayez hai. Jawab jaldi de dijiyega kyunki mujhe invest karna he

Jawab 1181 بسم الله الرحمن الرحيم
Yani is tarah ke koi saman abhi sasta hai aur zyada khareed liya, ki kuchh mahine baad jab dam badenge to usi dam me bechunga, abhi zyada sasta ho gaya hai to zyada stock kar lu, sharan ye jaiz hai isme koi harz nahi, aur apne saman ko koi kisi qeemat par beche koi gunah nahi, magar urf e aam ki qeemat ka khayal rakhe, aisa naa ho ki, jo saman bazaar me 10 ka hai, aur ye 50 ka de, isse logo ki badgumani hogi, log gheebat aur bura bhala kahenge, jisse bachne ko hadis me hukm hai, farmaya gaya “jo khud ko zillat par pesh kare wo ham me se nahi” aur dam me kuchh kami beshi hai magar iska saman quality me behtar hai to rate zyada wasoolne me harz nahi, aur isme ek baat ka aur khyal rakhe ki jo saman uske pas hai, or customer kahega ki wo saman hai aur ye kahega ki nahi hai, to jhooth hoga, jhooth gunah e kabira hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1182

kya farmate he ulamaye deen va muftiyane shara matin is masale me ki masjid ke andar juwari or sood khane wale ka rupiya le sakte he or agar woh koi chiz jaise freez wagera de to kya iska istmal kar sakte he, Maqsood Alam Azhari

Jawab:1182 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab tak ye yaqeen naa ho ki jo raqm wo de raha hai sood hi ki hai tab tak lena jaiz hai, aur kewal shak karne se ki sood leta hai to ye raqm bhi sood hi ki hogi “jaiz cheez najaiz nahi ho jati” isi tarah freez bhi, aur ye bhi ho sakta hai ki, sood ek side bussness ho, aur doosra jaiz kam bhi karta ho, aur raqm mix ho jaati ho to bhi lena jaiz hai, aur ho sakta hai, ki masjid ke liye alag se qarz udhar liya ho, to bhi lena jaiz hai, aur mana us surat me hoga, jab jo paise diye gaye wo sood hai iska yaqeen ho, ya wo khud bataye ki sood hai, isi tarah Fatawa Razawiya Jild:23 Safah:516 par hai
“agar ye (raqm ke bare me yaqeeni tor par) kuchh nahi keh sakta, naa use kuchh khabar ki khalis maal jo use diya jata hai, ya is qism ka hai, to is surat me fatwa jawaz hai (yani jaiz hone par hai)
“asl hillat hai, jab tak khalis uske mal ki hurmat naa zahir ho”

Fatawa Alamgiri me (badshah se inam lene ke bare me hai)
“Lena jaiz hai jab tak ye maloom naa ho ki ye maal e haram se deta hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1183

Jab ahle sunnat huzur muhammad ka name sunte he to agute kyun chumte he

Jawab:1183 بسم الله الرحمن الرحيم
Huzoor e purnoor janab e risalat, ka name pak azan me sun kar anguthe chum kar ankho se lagana Jaiz aur mustahab hai, jiske jaiz hone ki dalil shariat me kaseer hai, aur agar koi dalil iske jaiz hone par naa hoti to bhi shariat me iska mana naa hona hi khud jaiz hone ki dalil hai, ki fiqh ka ek qaida hai “jise shariat mana na kare ya jis par shariat khamoshi ikhtiyar kare wo kam mubah hai” aur jo kisi jaiz kam ko najaiz kahe hawala dena uske zimme hai, to awam ko bas itna kafi hai ki agar koi kahe ye kaam kaha jaiz hai, yaa kaha likha hai, to aap usse kaho ki “MANA KAHA LIKHA HAI” jab mana nahi to ye bhi jaiz ki qaida yahi ki jo mana nahi jaiz hai, aur ek baat “kisi bhi chiz ke “MANA HONE KE LIYE DALIL KI ZIMME DARI HOTI HAI” jaiz hone ke liye dalil zauri nahi, kyunki jaiz hone ke liye to itni dalil shariat ki kafi hai ki kahi mananahi, warna najaiz kehne wala ise najaiz hone ki dalil de,
HADIS PAK ME HAI,
ابی بکر الصدیق رضی اللّٰہ تعالٰی عنہ انہ لماسمع قول المؤذن اشھد ان محمدا رسول اللّٰہ قال ھذا وقیل باطن الانملتین السبابتین ومسح عینیہ فقال صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم مَنْ فَعَلَ مِثْلَ مَا فَعَلَ خَلِیْلِیْ فَقَدْ حَلَّتْ عَلَیہِ شَفَاعَتِیْ وَلَایصِحَّ
(hadis abu baqr se riwayat ki, jab abu baqr ne azan kehne wale ko azan me اشھد ان محمدا رسول اللّٰہ
Suna ye dua padhi, aur dono kalime ki ungalio ke pore, nakhun ki janib se chum kar akho se lagaye, is par huzoor ne farmaya, jo aisa kare jaisa mere pyare ne kiya, uske liye meri shafat halal ho jayegi,”

MULLA ALI QARI farmate hai:
Abu baqr se hi is kam ka suboot amal me lane ko kafi hai, kyunki hadis me hai
علیکم بسنتی وسنۃ الخلفاء الراشدین
(farmaya, tum par lazim karta hu apni sunnat ko aur apne khulafa e rashideen ki sunnat ko”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1184

TV Dekhne Waalo'n Ko Faasiq Keh Sakte Hai ? Sabko Maalum Hai Ke ye Ghar Me TV dekhta Hai, (News, Cricket, Islamic Channel etc)

Jawab:1184 بسم الله الرحمن الرحيم
Mutlaqan tv dekhne wale ko fasiq nahi keh sakte, jab tak ye yaqeen ke sath na pata ho ki tv me kya dekha jaa raha hai, agar, tv par mobile se connect karke audio ki naat bhi sun raha hai to bhi tv ka dekhna paya jata hai to isko kaise fasik keh sakte hai ?, aur ain mumkin ho ki kisi mufti alim ka byan sun raha ho, aur agar koi aisa 100% Islamic channel hai, jisme naa advertisement ho na aurat naa aurat ki awaz, aur byan karne wale bhi sunni sahi ul aqeedah alim ho to dekhne me gunah nahi na dekhne wala fasiq, ki ab jaiz chiz ki video, par jaiz ke fatwe maujood hai, aur jab ulama kisi masale me ikhtilaf kare, to kis fatwe par amal karna hai ye awam ki marzi hai, aur ham jaiz video. Ke jaiz hone ke qail hai.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1185

HAZRAT kya ham Quran ki aayat ko delete nahin kar sakte

Jawab:1185 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran ko ayat ko phone se delet karna gunah nahi, na ye qiyamat ki koi nishani aur ayat ka mitana arazi(temporary) hota hai, haqiqat me kisi quran se nahi, kyunki jab quran ki zimmedari allah ne leli to ab kon use mita sakta hai ya badal sakta hai, ye awam ki jahalat hai, sochte hai is tarah quran mitaya jaa raha hai, magar qurani ayat bhejne se parhez karna chahiye tarjuma bhejna chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1186

mic me namaz padhana jaiz hai ya nahi jabki azhari miyan ka fatwah hai mic me namaz jayaz nahi hai

Jawab:1186 بسم الله الرحمن الرحيم
Huzoor tajushariya Waris e uloom e AHMAD RAZA, Jan nashin e Mustafa Raza, Al-Mufti Al-Hafiz Al-Haji Al-Muhaddis Al-Mufassir, Janab Sayyidi Akhtar RAZA Sahib QIBLA ka mic par namaz na hone ka jo fatwa hai, wo apni jagah durust hai, aur wo iski dalail bhi rakhte hain, ab raha hai ki jo doosre fatwe mic par jawaz ke hain to unka kya hukm hai, to is tarah jab kisi ek baat par ulama e ahle sunnat mukhtalif ho jaye to wahi qaida apnaya jayaga jo ALAHAZRAT IMAM AHMAD RAZA MUHADDIS E BAREILVY (alaihirrehma) ne MALFUZAAT me byan kiya ki "Qaum jis fatwa par amal kare amal ho jayega, kyunki ulama dono taraf gaye hain” Ab jo Hazrat ka mureed hai or wo namaz ko mic par jaiz nahi manta to uski namaz nahi hogi, thik waise hi koi doosre ulama ki dalil par namaz padhta hai to uski namaz ho jayegi, magar mutlaqan ek mufti ke fatwe ko (wo bhi ikhtilafi masail me) zabardasti logo par thopna aur awam ko fitne me dalna alimo ki mukhalifat par utar jana JAHIL LOGO KA KAAM HAI, aur jo mic par namaz jaiz hone ke qail hen wo tajussharia ke dushman nahi hain, na khilaf, magar jahil awam bekar ke fitne paida karne ki koshish karti hai, alim apni ray qayam karne ka haq rakhta hai to jinhone mic par jaiz kaha wo bhi alim hi hai, aur unke pas apni dalil maujood hain, lihaza ye ulama ka mamla hai, awam ko isme behes karke ek doosre alim ko bura keh ke apni akhriat kharab karne ki zarurat nahi,
Aur aisa ikhtilaf to khud huzoor mufti e azam e hind ke waqt me bhi tha, jab ke unka fatwa adam e jawaz par tha, Fatawa Europe Page:201 par hai
“huzoor mufti e azam e hind ke tarbiyat yafta Hazrat allama mufti sayyid afzal hussain sahib, sabiqa sadar darul uloom Razawiyya manzar e islam bareili shareef, LAODSPEAKER PAR NAMAZ KE JAIZ HONE AUR SEHET PAR FATWA DETE RAHE,”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1187

Ek Aisi Hadees Pesh Karen Hawaale Ke Saath Jisse 20 Rak'at Taraaweeh Sabit Ho ?

Jawab 1187 بسم الله الرحمن الرحيم
Tarawih 20 rakat ka hona sunnat e moakkadah hai jiske dalail or tafsir kitab “ja-al-haq” me dekhi jaye, aur isi par Hazrat Umar Deegar Sahaba ka amal raha, Balki Hazrat Umar ne iske liye ba-qaida jamat ka intizam bhi kiya, aur hadis me hai ki huzoor ne farmaya
انہ سیحدث بعدی اشیاء وان من احبھا الی لما احدث عمر
(mere bad bahut si cheeze nai ijaad hongi unme se mujhe wo sabse zyada pasand hai jo UMAR ijaad karenge” Aur faramaya
علیکم بسنتی وسنۃ الخلفاء الراشدین
(farmaya, tum par lazim karta hu apni sunnat ko aur apne khulafa e rashideen ki sunnat ko”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1188

Hazrat jis kapde par ghusl farz hua kya use dhone se ghusl phir se karna padega

Jawab: 1188 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1189

Rishwat Dekar Nokri Karna Kaisa Hai ? Kya Rishwat Dekar mili hui government job ki salary haram maani jayegi ?

Jawab:1189 بسم الله الرحمن الرحيم
Rishwat lena aur dena dono HARAM hai, aur raha tankha ka to wo hukm kam maloom hone par diya jayega ki akhir job kya hai, agar haram hai to kamai haram, aur agar nokri jaiz kam ki hai to tankhwa halal hai, chahe rishwat de kar job hasil ki gai ho,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1190

Mumaaniyat ; makroo; wajeeb; kaa Hazrat kya meaning (matlab) kya hai.

Jawab:1190 بسم الله الرحمن الرحيم
Mumaanyat- yani manaa
Makruh- wo jo shariat ko pasand naa ho, fir iske do qism hai
Makrh e Tehrimi- wo jo haram ke kareeb ho, jiska karna gunah aur kai bar ka karne wala fasik, aur isse ibadat(nasik) dohrana wajib, aur ye wajib ka muqabil hai, yani jis tarah wajib ka karna zaruri hai usi tarah Makruh e tehrimi se bachna zaruri hai, (uska karna, iska naa karna)
Makruh Tanzihi - wo kam jo shariat ko napasand ho magar is qadar napasand nahi hota ki karne wale ko azab de, jaise bina mang ke bal swarna ya chhote chhote baal karwana,
Wajib – weh ahkam e shara jo dalil e zanni se sabit ho, iska inkar karne wala aur tarik, fasik ya weh kam jiske ek bar chhorna gunah e sageera aur chand bar ya adat bana lena gunah e kabira hai, iska tariq(wajib tark karne wala) jahannam ka haqdar hai, jaise daari ki lambai char ungal tak badana
            وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1191

Ek Kafir Ka Hotel Hai Jisme WIFI bhi laga hai, Zaid Us WIFI ko Bighair Ijazat Use Kar Raha hai, Aur Islamic Books Waghaira bhi Download Kar Raha Hai Kya Zaid Ka Aisa Karna Sahi Hai ? Aur Us Books Se Jo Ilm e Deen Haasil Karenge To Ilm e Deen Sikhne ka Sawab Milega Yaa Nahi ? Sail:- Zakir Raza (Nepal)

Jawab:1191 بسم الله الرحمن الرحيم
Zaid ka ye fel ki, bina kisi ki ijazat uska saman istimal karna najaiz o gunah hai, agarche kafir hi ka kyun na ho, kyunki dhoka dena kafir ko bhi jaiz nahi, lihaza zaid ko chahiye ki us kafir se ja kar bataye ki “mujhe ek ghalati ho gai hai, main uski muafi mangne aya hu aur wo ye hai ki, mene apke wifi se padhne ke liye kuchh book download ki hai, jo ki apki ijazat ke bagair thi, or mere mazhab me jaiz nahi tha, lihaza aap chahe to mujhse uske paise le len, aur chahe to mujhe muaf kar de, main ainda aisa nahi karunga”,
Agar wo muaf kare to behtar (aur ummid hai ki apke is tarah bat karne se kar dega aur islam ki azmat us kafir ke dil me aur zyada ho jayegi) aur zaid ainda is fel se baz rahe, bagair us kafir se muafi talafi kiye, sirf khuda se muafi mangna kafi nahi hoga, aur jo book se zaid ne ilm hasil kiya usse swab ki ummid hai, aur us ilm par amal kare ya logo ko sikhaye to bhi ummid swab se khaali nahi hai,
 وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1192

Hazrat khade ho kar pani peena mana he balki haram hai, aasa abhi tak mujhe bhi pata tha, khade ho kar pani pee sakte hain kiya, plz aap ise hawale ke sath bata dijiye apki maharbani hogi

Jawab:1192 بسم الله الرحمن الرحيم
Sunnat do qism ki hoti hai ek sunnat e Moakkada, aur doosri sunnat e gair e moakkada,
Sunnat e moakkada weh sunnat hai jo ibadat se mutaliq ho aur huzoor ne aksar ispar amal kiya ho, aur is par amal karne ki takeed bhi ki ho, aur iske tark par shariat me gunah hai, aur iske tark ki adat banane wale fasiq hai, jaise AZAN, ZOHAR KI SUNNAT, DAARI KA RAKHNA wagera wagera
Ek sunnat wo hai, jo huzoor ki Adat se mutallik ho yani wo kam jo aapne adat ke tor par kiye aur iske karne ko pasand kiya magar naa karne wale ko sakhti nahi ki, isilye is sunnat ke tark karne me shariat me gunah nahi, jaise, khana, peena, uthne, bethne aur sone, libas wagera ka andaz e rasool, to isko karne wala shariat ko mehboob magar inke tarik par gunah nahi, ki ye aadat mubarka se hai ibadat se nahi, Ab raha khade ho kar paani peene ko haram ya gunah kehna, to ye ilm ki kami se shariat par iftra hai, kyunki kisi bhi cheez ke haram hone ke liye uska haram hona dalil se sabit hona chahiye, aur tark e sunnat e gair e moakkada kisi cheez ke haram hone par dalalat nahi karti, balki ye to gunah hone par bhi dalalat nahi, kyunki uske liye bhi, fel e haram par amal chahiye warna tarke farz o wajib, warna kam az kam tark e sunnat e moakkada ka aadi ho, warna kam az kam makruh e tehrimi ka fa’il ho, (karne wala ho) to agar ye kaha jaye ki khade ko kar paani peena haram hai to Main kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki fir to har sunnat e gair e moakkada ka tarik jahannami ho jayega, yahi fir ye bhi lazim ayega, ki sidhi karwat se naa sone wala bhi jahannami, aur imama na bandhne wala bhi gunahgar jahannami, aur sabse bad kar ye baat ki jab kisi cheez ke karne, na karne par shariat ne gunah nahi kiya, jab sunnat e gair e moakkadah ke tark par huzoor ne sakhti naa farmai to ab kisko majal ki iske tarik ko gunahgar kahe, ya fel ko haram, ab ek waswasa e shaitani, qalb e insani me aa chukka hoga ki, “agar khade ko kar paani peena ya khana gunah nahi to fir aisa karna chahiye” to iska jawab ye hai ki is kalam ka matlab ye nahi ki agar ye gunah nahi to isko kara jaye, balki iska asli maqsad ye hai ki jise shariat gunah naa kahe use gunah naa kaha jaye, balki paani peena beth kar sunnat hai, aur agar koi khade ko kar piye to use samajhana chahiye ki “beth kar piya karo” magar haram ka fatwa nahi dena chahiye, ki halal ko haram kehna bhi gunah hai, aur sunnat ki fazilat batana chahiye, sunnat par amal karne wala mehbub e khuda ka mehboob hota hai, aur har sunnat se munh ferne wala gunahgar to nahi hota, magar mehbub bhi nahi hota, aur Main kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki “HAR ASHIQ PAR LAZIM HAI, APNE MEHBOOB KI HAR EK ADA KO MUKAMMAL ADA KARNA” to jo musalman apne rasool ko mehboob jane to use chahiye ki har sunnat par amal kare, chahe use chhorne par gunah ho ya naa ho, kyunki sunnat ki perwi me dono jahan ki bhalai, aur nabi se mohabbat me izafe ka zariya hai aur qurb e rasool o khuda paane ka bhi asan tariqa,
Ab betth kar paani naa peene walo, aur sunnat par amal naa karne walo ke liye FARMAN E AALISHAAN
Hadis me hai aur ise Bukhari aur Muslim se Abu Huraira se riwayat kiya
من رغب عن سنتی فلیس منی
(jo meri sunnat se munh fere wo mujh se nahi)

Aur is Tirmizi ne riwayat kiya
من احیاسنتی، فقدا حبنی، ومن احبنی کان معی فی الجنۃ
(jis ne meri sunnat zinda ki beshak use mujhse mohabbat hai, aur jise mujh se mohabbat hai, weh jannat me mere sath hoga,

 Sunan Abu Dawood ne naql kiya ki
علیکم بسنتی وسنۃ الخلفاء الراشدین
(farmaya, tum par lazim karta hu apni sunnat ko aur apne khulafa e rashideen ki sunnat ko”)

Aur Ibne Maja ne Hazrat AYESHA se riwayat kiya
من لم یعمل بسنتی فلیس منی
(jo meri sunnat par amal naa kare wo mujh se nahi)

Kanzul Ummal, Ibne Asakir se rawa
من اخذ بسنتی فھو منی ومن رغب عن سنتی فلیس منی
(jo meri sunnat ikhtiyar kare wo mera, aur jo meri sunnat se munh fere wo mera nahi)

Ab socho ki sunnat par amal karne ki kya hi fazilat hai, aur amal na karne wala unka mehboob nahi, to wo kyun na amal karega, jo unke bare me subha sham kehte ho ki…
“suna hai aap har aashiq ke ghar tashrif late ho
Mere ghar me bhi ho jaye charaga ya rasoolallah”
(aur allah hi ki taraf se mujhe tofiq hai, har kalam ko roshan wajeh kar dene ki, wahi ilm o hilm, wala hai)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1193

Hamare nabi ki nani Aur Nana sahab ka name Mubarak kya tha.?

Jawab:1193 بسم الله الرحمن الرحيم
NANA- Wahb ibn Abd Manaf , NANI- Barrah bint Abdul Uzza
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1194

Aurato ko pehenna kanch ki churiyon ka jaiz hai ya nahi,

Jawab:1194 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai,
لعدم المنع الشرعی
(isilye ki shariat me mana nahi)
Aur shohar ki khatir singaar ki niyat se pehne to sawaab
انما الاعمال بالنیات
(amal ka daro madar niyyat par hai)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1195

Kya farmate he ulmayedin v muftiyane sharimatin is masaleme ki hamare yha masjid or madarsa hae jisme masjidme namaz padte hae or madrseme bachchoki padhai hoti hae ab isme ham aek hi mitarse bijli ka istamal masjid or madrse me karte hae to ab jo mitar charj aayega vo kiski rakamse ada kare masjid ki ya madrse ki ya fir dono mese 50/50 lekar ada karenge maqsoodalam azhari gujrat

Jawab:1195 بسم الله الرحمن الرحيم
Aap is masale ko tafseel se likh kar, Apne sheher ke darulifta Ahlse Sunnat Se ruju Karen,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1196

Kya Auraton ko Taraveeh padhana sahi hai ? Akele Yaa Jama'at Se ?

Jawab:1196 بسم الله الرحمن الرحيم
Taravih Sunnat e Moakadah hai, aur ye mard aurat dono ke liye hai, iska tarik (tark karne wala) gunahgar.
Jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:688 par hai
“taravih mard aurat sabke liye bila ijma SUNNAT E MOAKADA hai iska tark jaiz nahi”

Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:462 par hai
“agar koi shakhs mard ya AURAT bila ujr e sharai (taravih) tark kare, mubtala e karahat wa asaat ho”

Ab raha ye ki jamat e taravi kya hai? kya tarawih jamat se hi padhna zaruri hai, to tarawih ki jamat sunnat e kifaya hai, agar mahalle se kisi ne jamat qayam naa ki to sab gunahgar, aur agar kuchh logo ne jamat se padhli aur baki kuchh ne ghar me padhli to kuchh gunah nahi, Durr e Mukhtar Jild:1 Safah:98 par he
والجماعۃ فیھا سنۃ علی الکفایۃ فی الاصح فلوترکھا اھل مسجد اثموا، لالوترک بعضھم
(inme asah(zyada sahi) qaul ke mutabiq sunnat e kifaya hai, agar tamam ahle masjid ne ise tark kiya, to gunahgar honge, aur kuchh ne (taravih ki jamat) tark ki to gunahgar nahi)

Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:462 par hai
“agar ahle mahalla apni apni masajid men, iqamat jamat Karen, aur unme baz gharo me taravih tanha ya jamat se padhe to harz nahi”

Ab raha ye ki ghar me kaise jamat bane agar koi hafiz naa ho to? Iska jwab ye hai ki taravih ka 20 rakat padhna zaruri hai, fir chahe akhri pare ki chhoti chhoti ayato se 20 rakat poori kar li jaye tab bhi gunah nahi, warna to aurato me kon sa hafiz hoti hai ? to wo kaise padhti hain, zahir hai jo surat yad hoti hain unhi se padhti hai, to ghar me aisa shakhs, jo qabil e imamat ho, to jamat qayam ki jaa sakti hai thik waise hai, agar shohar imamat ke qabil hai, to biwi uske sath jamat bana sakti hai, or 20 rakat taravih padh sakte hain, aur agar wil farz kisi din ki taravih reh jaye to uski qaza nahi, aur naa age padhna band kare, shetan ne logo ke dilo me ye waswasa dala hua hai ki agar taravih ek din bhi chhoot jaye to pehle uski qaza karni padhti hai, aur ye bhi ki tarawih chhoote to ab aage nahi padh sakte, kyun fir chhoot jayengi, ye dono baate ghalat hai Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:463 par hai
“Taravih agar naga ho to unki qaza nahi”

Ab raha aurato ki jamat ka masala to aurat ko jamat se namaz padhna gunah hai, chahe koi bhi namaz ho, ek surat jaiz hone ki ye ho sakti hai ki, agar mard imam hai or aurat uski mehram ya biwi hai to ba-jamat namaz padh sakte hain, jaisa Fatawa Razawiyya Jild:7 Safah:208 Par hai,
“jamat me jitni auraten uski mehram ya biwi ...ke siwa nahi to (jamat se namaz padhna) bila karahat jaiz”

Khulasa e kalam ye hai ki
Aurat ko bhi taravih padhna zaruri hain naa padegi to gunahgar hogi,
Aurat ko jamat se taravih jaiz nahi, tanha padhe, magar imam agar uska shohar bane ya koi mehram (bap, beta, bhai) to aurat ko unke pichhe jamat se taravih balki farz namaz bhi ada kar sakti hai, jiska tafsili jawab hamne “Masail e Shariat Jild:1 Safah:209, Suwal no.582 me byan kar diya hai”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1197

Kiya miya biwi ek dusre ke jism ki her ek hisse ko chum (kiss) kar sakte hai

Jawab:1197 بسم الله الرحمن الرحيم
Siwaye sharmgah ke, shohar biwi, ek doosre ke jism ke har ek hisse ko choom, chaat sakte hai, ek doosre ke jism se jese dil chahe, lutfandoz ho sakte hain, jaisa ki Fatawa Rawaziya Jild:12 Safah:267 par hai
“mard ke liye jaiz hai ki apni biwi ke sar se lekar paun tak jaise chahe lutfandoz ho siwaye uske jisse allah ne mana farmaya hai,” (yani pichle hisse me sohbat karna)
Aur aage farmate hai ki
“raha pistaan ko munh me dabana (ya chumna) to iska hukm bhi aise hi hai, ki jab biwi doodh wali naa ho,(to choom aur munh se bhi daba sakte hai) aur agar doodh wali hai to mard is baat ka lihaz rakhe ki doodh ka koi qatra uske halq me dakhil naa hone paye, to bhi (pistan me dabane aur chumne me) harz nahi” aur Quran Para:22, sureh:ahzab, ayat:53 me hai
“Aur Allah Haq farmane me nahi sharmata
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1198

Agar Koi Faasiq Dusre Faasiq Ko Salaam Kare To Kya Uska Jawab Dena Wajib Hai ?
Agar Koi Faasiq Kisi Ghair Faasiq Ko Salam Kare To Uska Jawab Dena Wajib 

Jawab: 1198 بسم الله الرحمن الرحيم
Fasiq se ibtida e salaam na ki jaye, agar ye salaam kare to jawab de sakte hai, magar wajib nahi,
Fatawa Razawiya Jild:24 Safah:660 par hai
“in logo se ibtida basalam na ki jaye, Jawab de sakte hain wajib nahi”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1199

Ziyada Bolna Dil ko Shakht Karta Hai, Iska matlab kya hai

Jawab:1199 بسم الله الرحمن الرحيم
Yani, dil me kasawat paida ho jaati hai, thik isi tarah zyada hasna bhi dil ko sakht karta hai, aur zyada khana bhi, aur 40 din lagatar gosht khana bhi dil ko sakht karta hai, fir is (sakht dil) ka asr ye dekh ne ko milta hai ki is par nasihat asr nahi karti, aur gunah bura nahi lagta, tabhi aap dekhoge ki jab aise harkat me mubtila ko ham neki ki baat kehte hai to unhe achha nahi lagta kyunki dil sakht hai ab nasihat asr nahi kar rahi, Ihyaul Uloom Jild:3 Safah:292 par hai
Hazrat Ali ne Farmaya:
“Aur jo 40 din lagatar gosht khata rahe, uska dil sakht ho jata hai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1200

Umraah Aur Hajj Me Kya Farq Hai ?

Jawab:1200 بسم الله الرحمن الرحيم
Jis me haj ki sharait paai jaye to haj farz ho jata hai aur ye umar me ek bar farz hai jabki umra farz nahi,

وﷲ تعالٰی اعلم


No comments:

Post a Comment