Suwal 1201 to 1300 (Masail e Shariat Jild 2)

Ye Sabhi Suwal Arab o Hind Se online aur Whatsapp Ke Ek Group AHLE SUNNAT Par Kiye Jaate Hain,
Jiko Jama karke 700 Suwalat ki Ek Jild (Masail e Sharaiat Jild 2) ke Naam se Internet Par Shaya ki gai hai,
Is kitab ki taqreez aur nazr e sani Hazrat Allamah Maulana Mufti Aqib Raza Al-Madani sahib qibla
ke Ne ki hai. (ye unka ahsan e azeem raha)
Ahle Ilm Se Guzarish Hai Ki Kahi Khata Payen To Zarur Agah Kare: Sayyid Muhammad Sikander Warsi
Aur is muqammal book ko download karne ke liye visit karen. www.SayyidZada.com.co.in par or
Click Here to Download, Click Here to Rad Online (Masail e Shariat Jild 2)
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Suwal no. 1201

Main yeh arz karna chahta hu ki mere dost he jo mzak me bhi gaali bakte he jo gunah he aur whatsapp par bhi gali likh kar bhejte he mzak me to me unko smjhta hu ki mat baka karo gali gunah he to sab haste he mujh par to mujhe bataye plz ke gaali bakne ka kitna gunah he taki me unko bata saku aur unki samajh aa jaye aur likh kar gali bakna bhi gunah he kya whtsap par? mere dosto ko shayad samajh aa jaye

Jawab:1201 بسم الله الرحمن الرحيم
Qalb e khabees ki har hakim par dawa nahi
Baz gaaliya aisi hen ki kisi surat bhi rawa nahi

Dena gaali ka, bila wajah sharai haram haram sakht haram hai, aur baz gaalia aisi sakht ki agar Islami hukumat ho to aise shakhs ko 80 kodo ki saza di jaye, jaisa ki Bareli ke TAJDAR, SUNNIO KE GHUM GUSAR, AHLE ILM KE MADADGAR, Mujaddid e Azam, Muhaddis e Azam, Mufti e Deen o Millat, yani AlaHazrat Imam Ahle Sunnat, Ashah IMAM AHMAD RAZA KHAN MUHAMMADI SUNNI HANAFI QADRI BARKATI BARELVI apne Fatawa Shareef Al-ataya nabwiya fi Fatawa Razawiya Al-Maroof
Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:538 par farmate hai
“kisi musalman ko bila wajah sharai izaa (taqleef) dena haram hai, aur gali dena sakht HARAM hai, aur baz gaalian to kisi waqt halal nahi ho sakti, aur un ka dene wala sakht fasiq, aur saltanat e islami me 80 kodo (hunter) ka haqdar hota hai, halki gaali bhi bila wajah sharai haram hai,

Hadis e pak me irshad e Mustafa hai
من اذٰی مسلما فقد اذانی ومن اذانی فقد اذی اﷲ
jisne kisi musalman ko bila waja taqlif di, usne mujhe taqlif di, jisne mujhe taqlif di usne allah ko taqlif di

Ye to raha kisi bhi musalman ko taqlif dena, aur gaali bhi sakht taqlif hai, fir chahe gaali kisi jahil musalman ko bhi di jaye tab bhi haram hai jaisa ki, Fatawa Rawaviya Jild:21 Safah:127 par hai
Kisi musalman Jahil ko bhi be wajah sharai GAALI DENA HARAM QATAI he”

Aur hadis me hai (ise bukhari aur muslim ne riwayat kiya)
سباب المسلم فسوق
(musalman ko gaali dena GUNAH E KABIRA hai)

 Aur farmaya (ise imam ahmad ne naql kiya)
سباب المسلم کالمشرف علی الہلکۃ
(musalman ko gaali dene wala us shakhs ki tarah hai, jo jald halakat me padna chahta hai)

Gaali to Gaali, kisi musalman ko uski zaat (cast) ki toheen ki niyat se bulana bhi haram hai, yani kisi ANSARI ko mazak udhane ke liye JULAHA kehna bhi HARAM hai jaisa ki
Fatawa Amjadiya Jild:3 Safah:06 par hai
“agar taan (tana kashi), wa tehqir wa tazlil malhooz ho to (kisi ko jolaha kehna bhi) haram hai”

Lihaza jisne bhi kisi musalman ko gaali ya bohtan laga kar dil dukhaya to us par toba karna laazim hai aur sirf toba nahi balki jiska dil dukhaya ya gaali di, usse bhi mauafi mangna zaruri hai, huqooq ul ibad, faqat toba se muaf nahi hote
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Suwal no. 1202 

Tahajjud, taraweeh ek namaz hai ya, alag alag ?

Jawab:1202 بسم الله الرحمن الرحيم
Dono namaz Alag alag hai, tahajjud isha ki namaz ke bad so kar uthne par padhte hai, jabki tarahwih ramazan me hi padhte hai, tahajjud umar bhar naa padhne wala gunahgar nahi, tarawih ek ramazan bhar bhi chhodne wala gunahgar hai, tahajjud roz padh sakta hai, jabki taravih sal me ek bar..
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:677 par hai
“isha ke bad raat me so kar uthen aur nawafil padhe,(ye tahajjud hai), sone se qabl(pehle) jo kuchh padha wo tahajjud nahi”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1203

Agar Taraaweeh Ki Namaz Chhut Gai To Uski Bhar Paai Kaise Ki Jaye ?

Jawab:1203 بسم الله الرحمن الرحيم
Sachi tauba se, ainda naa chhorne ke waade se, Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:463 par hai
“Taravih agar naga ho to unki qaza nahi”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1204

Pehle Islamic calendar Aaya Yaa English calendar ? Islamic Ke Hisaab se 15vi Sadi Chal Rahi Hai Aur English Ke Hisaab Se 21vi Aisa kyun ? Baraye Meherbani Renumai farmadijiye

Jawab:1204 بسم الله الرحمن الرحيم
Zahir yahi ki jiski 21vi sadi chal rahi hai to wo calendar pehle wajood me aya, ap ye sochte hai ki Islamic calendar islam ane se shuru hua to itna pichhe kaise hai, jabki aisa nahi hai, Islamic hijri jab se shuru hui, jab se huzoor ne macca se madina hijrat ki, tab se hijri san shuru hua, warna islam pehle bhi tha, aur eng. Tarikh ka mamla Hazrat eesa ke waqt se kiya jata hai, ise yun samajhe ki, apki umar 15 sal hai apke bhai ki 10 sal, agar apka dakhila school me 25 saal me karwaya jaye aur apke bhai ka 10 sal me hi to ane wale dus saal bad aap (25 sal ke bhi) pehle class me rahoge jabki wo (20 sal ka ho kar) 10th me hoga, ab iska matlab ye to nahi ki jo 10th me hai wo pehle paida hua, aur jo 1st me hai wo bad me
 وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1205

Auwliya Ke Wafat Se Pahle Ka Wasila Aur Auwliya Ke Wafat Ke Baad ka Wasila Quran o Hadees Se Bataye, Aur ek baat zahen me rakhen Sahaba Aur Nabi Ke Wasila nahi Balki Awliya ke wasile ke, Baraye karam Jawab ka Muntazir Hun

Jawab:1205 بسم الله الرحمن الرحيم
Ham unki bazm me daman sambhal kar bethe
Kisi khabar hai koi kya suwal kar bethe,

Apne jo mujhe tanbih ki, ki auliya ki madad ki dalil du, naa ki nabi aur sahaba ki, is baat se ye to zahir hai ki, aap nabi aur sahaba ki madad ke zarur qail honge, to fir ye bhi sabit hai, ki jab nabi sahaba madad kar sakte hai aur ye bhi gair e khuda hain, jab inki madad ka yaqeen ho to wali ki madad manne me kaisa harz, ki hain to saare hi makhlooq aur gair e khuda, khair e khuda aur ye bhi mumkin ho ki, ye jawab apse kisi ne daryaft kiya ho, khair,
Fatawa Al-Rami fi furu al-Fiqh Shafai me hai
انّ الاستغاثۃ بالانبیاء والمرسلین والاولیاء والعلماء الصّالحین جائزۃ وللانبیا ء و للرسل والاولیاء والصالحین اِغاثۃ بعد موتھم
“beshak ambiya o mursaleen AULIYA wa ulama se madad mangni jaiz hai, aur weh baad INTIQAL BHI MADAD farmate hain:

Fatawa Jamal bin Abdullah me hai
الاستغاثۃ بالاولیاء ونداؤھم والتوسل بھم امر مشروع وشیئ مرغوب لاینکرہ الامکابر اومعاند وقد حرم برکۃ الاولیاء الکرام
(AULIYA se MADAD mangna aur unhe pukarna, aur unke sath tawasul karna, shara me jaiz hai, aur pasandida cheez hai, jiska inkar naa karega, magar hat-dharm, ya sahib e inad, aur weh AULIYA kiram ki BARKAT SE MEHRUM HAI”

Sayyidid Musa Abu Imran (alaihirrehma) ke bare me hai
کان اذا ناداہُ مریدہ ، اجابہ من مسیرۃِ سنۃٍ اواکثر
(jab unka mureed jaha kahi se unhe nida karta hai, JAWAB DETE HAI, chahe sal bhar ki doori par hota ya usse bhi zyada,

Fatawa Razawiyya Jild: 29 Safah: 554 par hai
beshak ambiya, mursaleen, auliya ulama se madad mangna jaiz hai, aur weh bad intiqal bhi madad farmate hai

Fatawa Faizur Rasool Jild:2 Safah:483 par hai- Imam Ghazali farmate hai:
jisse uski zindagi me madad mangi jaa sakti hai usse uske wisal ke bad bhi madad mangi jaa sakti hai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1206

Agar koi sayyed ki beti se nikkah kare Or Karne wale sayyed na ho to, To sayyed ki beti nikkah me ane ke bad sayyed hi rehgi ? Baraye karam jawab irshad farmaye

Jawab:1206 بسم الله الرحمن الرحيم
Sayyid ki beti paida hone se lekar….…. jannat me jaane tak sayyidah hi rahegi, (agar iman pe mari) aur nikah se kisi ka nasab nahi badalta balki apne nasab ko badlne walo ke liye, (yani khan se sayyid, ansari se khan hone walo ke liye) Hadis me Farmaya:
 من ادعی الی غیرابیہ فعلیہ لعنۃ اﷲ والملٰئکۃ والناس اجمعین لایقبل اﷲ منہ یوم القیٰمۃ صرفا ولاعدلا
jo apne bap ke siwa doosre ki taraf apne aap ko nisbat kare, is par khud ALLAH aur sab FIRISHTE aur ADAMIO ki lanat, Allah tala kal qiyamat ke din iska naa farz qubool kare naa nafil,
Fatawa Razawiyya Jild:13 Safah: 361
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1207

mard ko half paint jo bahuat chhoti hoti he pahnana kaisa he aaj Muslim ladko ka fashion ho gya he jawab Ata farmaye ?

Jawab:1207 بسم الله الرحمن الرحيم
Half pant jo itni chhoti ho ki kuchh hissa gutno ka bhi zahir ho to aisi pent pehenna HARAM hai, chahe ghar walo ke samne ghar me pehne ya bahar, aur jis jis ki nazar is par padegi to unki bepardagi ka gunah bhi iske sar hoga, aur ye libas e fussaq hai, aur Farmaya PAYARE MUSTAFA ne :- مَنْ تَشَبَّہَ بِقَوْمِ فَھُوَمِنْھُمْ
(jo shakhs jis qaum se mushabihat kare wo unhi me se hai,)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1208 

Asslamo alaikum, Ye salam sirf unke ke liye hai jo jawab dete hai, Hazrat kuchh logon ne milkar group banaya hai maslan 8-10 Log aur woh sabhi log mahine me 500 rupya jama karte hain aur unka maqsad ye hai ke us rupye ko agar kisi gharib ko zarurat pade ya aur bhi kisi ko jaise shadi wagaira me zarurat hogi use diya jayega lekin is shart par ke jab woh is laiq ho jaye ke rupye lauta sake to lauta den, agar chahe to khushi se badha ke bhi de ya na bhi de ye uski marzi aur agar deta bhi hai to ye rupye usi fund me jama ho jayega aur ye log us rupye ko apne kamo me nahi istemal karenge aur is group ke sare member kafir hain sirf ek hi muslim hai to kya ayesa kar sakte hain ya nahi, Mohammed kaleem razwi

Jawab:1208 بسم الله الرحمن الرحيم
aisa kar sakte hai ya nahi” ye to adhuri baat hai, suwal me kai saari surate hai, ap inme kya puchhna chahte ho, yani, ese group member ban sakte hai ya nahi, zyada raqam le sakte hai ya nahi, kafir ke paise se madad kar sakte hai ya nahi, wagera wagera, jo isme puchhna ho wo arz karna aur ye bhi batana ye kis tanzim kis mulk me kam karti hai, yani waha ke kafir harab hai ya nahi
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1209

Mera suwal ye hai ki, collage me ek professor hain, jo he to musalman aur deen ka ilm bhi rakhte hai, magar aqaid ke deobandi maloom hote hai, aur baz log unse masala bhi poochhte rehte hai, jiska jawab wo dete hai, magar hame samajh nahi aata, kyunki baz jawabat apke jawab ke khilaf hote hain, jo hamne apse sikha wo kuchh or hai, jo wo bataye wo kuchh aur, wo kehte hai, deen me naya kam bidat hai, ye milad aur niyaz wagera, aur ye 11 bhi nai shuru hui hai, pehle nahi thi, bas allah se mango, apse hame puchhna ye hai ki, kya inse koi deeni masala maloom kar sakte hain ya nahi, Rabiya Khatoon, from mumbai

Jawab:1209 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to kam professor ka collage me apni dunyawi kutub ka dars dena hota hai, ye professorlog collage me fatwe kab se dene lage, ? inko tankha dunyawi ilm dene ki milti hai, us waqt me ye dunyawi ilm naa de kar deen ke fatwe dete hai, to sahi ye bhi nahi aur har bade se bada professor deeni etbar se alim nahi hota, magar log inhe qabil samajhte hai, aur baz ahkam e shara me nire jahil hote hai, to jab ye professor apni dunyawi padhai chhor kar class me deeni masale me byan-bazi shuru kare, to aap class ko chhor kar bahar aa jaye, (aur collage me class me ane jane par pabandi nahi hoti) aur agar ye munkin naa ho to uski bato par dhayn naa den, aur aise jahil ka byan sunna haram hai, aur Jiske aqeede deoband ke aqaid se mushabihat rakhte ho to usse Masala puchhna, hukm e sharai maloom karna ya fatwa lena Haram hai
Fatawa Razawiya Jild:23 Safah:711 par hai
“Deobandi, wahabi ki khabees shakhs hai, unka waaz sunna haram hai, us se fatwa lena haram

Aur jahil par bhi sakht haram hai ki bagair ilm ahkam e shariat byan kare, aur hadis me aise shakhs ke liye aya ki . jo bagair ilm ke fatwa de, us par asman wa zameen ke firishte lanat karte hain (Kanzul Ummal)

Ab raha ye ki jo kam nahi hote the ab kiye jaye to kya haram ho jayenge, iske liye me apko ek qaida byan kar du ki, “kisi kaam ka hona jaiz hone ki dalil hai, magar kisi kaam kaa na hona najaiz hone ki dalil nahi”
Jaisa apke dopahar ka khana khana 2 baje ke kareeb jaiz hone ki nishani hai, magar dopahar ka khana 11 baje naa khana, najaiz hone ki dalil nahi, lihaza ye zaruri nahi ki jo kam nahi hota wo najaiz hai, ya bad me shuru hua to najaiz hoga, ye to jahalat ki baate hai,
Lihaza aise naib e iblees se naa masala puchha jaye na uska byan e deenia suna jaye,”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1210

Dulhan Waale Sunni Aur Dulha Waale Wahabi To Dulhan Ki Taraf Se Daawat Me jana kaisa ?

Jawab:1210 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar dulhan ki taraf se walime me sath chalne ki dawat hai aur ye jana walime me wahabi ke ghar hai to na jaye, aur khas barat ke din dulhan ke ghar ki taraf se dawat hai, to khane me harz nahi, aur wahabio ke khane peene se parhez chahiye, 
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1211

Qasam tutne ka kaffra kaya he?

Jawab:1211 بسم الله الرحمن الرحيم
Bahar e Shariat Jild:2 Safah:306 par hai
“qasm ka kaffara ghulam azad karna, ya 10 miskeeno ko khana khilana, ya unko kapde pehnana,
Age Safah:308 par hai
“agar ghulam azad karne ya 10 miskeeno ko khana khilane par qadir naa ho to pey dar pey (continues) 3 roze rakhe,”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1212

ASSALAMUALAIKUM, Hazrat ek sawal he kuchh log kehte he ke nadi me terna sunnat e rasool he Hazrat wazahat farmaye kya esa khena sahi he

Jawab:1212 بسم الله الرحمن الرحيم
Terna jaiz hai, magar sunnat hone ka mujhe ilm nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1213

Assalam u alekum, mera ye masala aap Hazrat ke samne hai ise hal farmaiye, Zaid ne madarse main 15 para hifz kiya kuchh arso ke bad apne mohalle ke bachcho ko quran e pak ki talim dene laga uske awaz main kuchh hadyatan paisa milne lage to kya wo paisa lena haram hai, kya Alahazrat ne iske bare main apni kisi kitab me likha hai, Baraye meharbani is masle ka jawab den. Mera naam Muhammad Sohail Ansari Main Mumbai mein rehta hoon, Khuda Hafiz

Jawab: 1213 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal to ye ki Suwal me jo surat batai gai ki, logo se use “hadyatan” paise milte hai, aur jo log apni khushi se hadya (tohfa) den to uske lene me harz kia ho sakta hai, ab raha hai ye ki, quran e kareem padhaane par tankha lena kaisa ? to iska jawab bas itna hai ki ZAID KO QURAN PADHANE PAR TANKHA LENA JAIZ HALAL AUR TAIYYAB HAI, IS PAR KUCHH GUNAH NAHI, na ALAHAZRAT NE ISE HARAM KAHA, mgar ye daur aisa nahi ki sirf halal keh dene se log man jayenge mujhe maloom hai sail ko hawalo ki sakht zarurat hogi, asl me qaida to ye hai ki
ومن لایعلم فحسبہ جواب من یعلم
(jo nahi jaanta, use janne wale ka jawab kaafi hai)
Magar kyunki log aaj chand par jaa chuke hai to aqal kuchh zyada hi unchaio par hai, to har chiz aqal se tolne ki koshish me hai, khair ..

Agar zaid taleem e quran par tankha leta bhi hai to bhi GUNAH nahi kyunki talim e quran o hadis, aur deen ki tarbiyat me tankha lena SHARIAT ME JAIZ OR QURAN O HADIS SE SABIT HAI, aur jo halal ko haram kahe uske bare me khud, quran kehta hai Surah Nahl Ayat 116 me
“Aur naa kaho use jo tumhari zubane jhuth byan karti hain, ye halal hai aur ye haram hai, ki allah par jhunth bandho,”

Aur hadis SAHIH BUKHARI Jild:02 Safah:854 par farmane e Mustafa hai
ان احق مااخذ تم علیہ اجرا کتاب اﷲ
(quran e majeed sab cheezo se zyada is laiq hai, ki tum is par ujrat lo)

Sharah Jam’e us Sageer me Imam Mannawi is hadis ke tehet farmate hain,
فاخذ الاجرۃ علی تعلیمہ جائز
(yani is hadis se sabit hua ki quran padhaane par ujrat lena jaiz hai)
فی حاشیۃ البحرالرائق للعلامہ خیرالدین الرملی فی کتاب الوقف المفتی بہ جوا زالاخذ استحسانا علی تعلیم القراٰن
(behraiq par khairuddin ramai ke hashiye me kitab ul waqf ki behes me ki “taleem e quran par ujrat (tankha) lena, mufti ba qaul par jaiz hai”

Ab raha ye ki alaHazrat ne apni kitab me quran ki ujrat par kya hukm e shara likha hai, un dalail par bhi ek nazr kar li jaye taki logo ka shak door ho ki imam ne bhi UJRAT KO JAIZ KAHA HAI” jaisa ki.

Fatawa Razawiya Jild:19 Safah:486 par hai (KHULASA)
“asl ye hai ki ta’at wa ibadat par ujrat lena dena mutlaqan haram hai, (siwaye taleem e quran e azeem wa uloom e deen, azan wa imamat wagera chand cheezon ke,) ki jin par ijara karna mutakhreen ne bina e jaari o majburi ba-nazar e haal e zamana jaiz rakha,)

Fatawa Razawiya Jild:19 Safah:495 par hai
فی الواقع اخذ اجرت بر تعلیم قرآن عظیم ودیگر علوم واذان وامامت جائز ست
(quran ki taleem aur doosre deeni ilm, azaan aur imamat par UJRAT LENA JAIZ HAI”

Fatawa Razawiya Jild:19 Safah:503
(Imamat wa taleem par) jo tankhwa lete hai, unse nafrat karna beja (bekaar) hai, ki ab in kamo par UJRAT LENA RAWA (JAIZ) hai,

Fatawa Razawiya Jild:19 Safah:521 par hai
“(taleem e QURAN or Taleem e Fiqh aur Hadis ki ujrat lena) JAIZ HAI, aur inke liye akhirat me in par sawab kuchh nahi,

Kya hi rehmat e khuda hai, AlaHazrat to kahe tankha HALAL, magar kuchh log ise haram karne ki koshish me, magar suwal ye hai ki, logo ke zehen me ye kaise aya ki AlaHazrat ne ise haram kaha hai, mene baz logo se bhi aisa suna hai, to uski wajah ye hai ki alaHazrat ne quran padhne par ujrat ko haram kaha hai, naaki Taleem e Quran ko” aur ek baat samajh lena chahiye ki TILAWAT E QURAN, alag chiz hai, TALEEM e quran alag cheez hai, yani koi hafiz apke ghar ya dukan me quran padhe, ya koi surat aur wo us padhne ke paise tey kare, to haram hai ki ye hai tilawat e quran, aur agar koi aapko quran o hadis ka ilm de aur us par tankha le to ye hai taleem e quran aur ye jaiz hai, jis tarah alim or jahil barabar nahi waise hi, tilawat e quran aur taleem e quran barabar nahi, aur imam ka fatwa tilawat e quran par hai, naaki taleem e quran par jaisa ki,

Fatawa Razawiyya Jild:19 Safah:501
“Tilawat e quran, tasbih o tehlil, par ujrat lena dena dono najaiz o haram hai”

Fatawa Razawiya Jild:23 Safah:745 par hai
“tilawat e quran e majeed par ujrat lena haram hai”

Fatawa Razawiya Jild:06 Safah:485 par hai
Tilawat e quran e azeem par ujrat lena NAJAIZ HAI”

Ab agar har shakhs fiqh ki kitab khud samajh le to fir aisa lagta hai ki 72 nahi 672 firqe honge, isilye quran me ye ayat nahi he ki, “aye logo, khud padh kar aqal se faisla kar lo, aur haram ko halal kar do” balki quran to kehta hai ki “aye logo ilm walo se poonche agar tumhe ilm nahi” magar aaj ka hal ye hai ki har gali choraye par mufti maujood hai, (allah iman ki hifazat farmaye),

Magar ghaur karne ka masala ye hai ki akhir kyun ulama wa imam ko in nek kaamo par ujrat lene ki zarurat pesh aai, to iski wajah ye hai ki aksar logo ka dhyan unke ghar ki taraf hota hi nahi, awam ye samajhti hai ki masjid ka imam, hawa, paani par jeeta hai, iske bachche to bimar hote hi nahi, iske ghar to khushi, tiohaar hoti hi nahi, wagera wagera, balki aaj kal to ye bhi dekha gaya ki nikah padhane wale ko paise dene me naak munh banate hai, jabki usi shadi me D.J, DHOL, NACH, GANA jaise haram kamo par HAZAARO rupey kharach kar dete hai, magar kabhi imam se uske ghar ka hal nahi puchhte, kabhi apni masjido me ghar se ek pyala salan nahi bhijwate, (or ye kalam sabke liye nahi balki jo aisa karte hai, or imam ki tankha par ungli uthate hai unke liye hai)
isilye hamare ulama ne saaf kar diya ki “imam, ulama mashaikh, peer, aalim wagera ki, khidmat kiya karo, yani zaruratan moka ba-moka unke liye bhi raqam se, tohfo se, kapde wagera se inki madad kiya karo, kyunki inke kaandho par deen ki zimmedari hai, jab ye log deen ki khidmat karenge to inki zarurat poori kon karega,? aur agar tum aisa naa karoge to ye gairat me tumhare aage kuchh na kahenge magar fir ye taleem chhor kar duniya kamane me lag jayenge, (kyunki inki bhi zarurat hai) to apke deen ka nuqsan hoga, isilye inhe majboor na kiya jaye ki ye duniya ki taraf nazar karen, isilye to zamane ko dekhte huye kafi pehle, ulama ne kuchh kamo par ujrat jaiz kar di, kyunki aage ka zamana to chheen kar khane ka hai, to denge kiya ? (mere is jawab me kuchh karwahat zarur hai magar dawa karwi hi ilaj achha karti hai)
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Suwal no. 1214

Suwal no. 1162 men apne farmaya ke "Shohar apni biwi ke har hisse se lutf andoz Ho sakta he"
To kya halate haiz ya zamanaye haml men apni biwi ke peechhe ke maqaam men wati karna bhi durust he?

Jawab: 1214 بسم الله الرحمن الرحيم
Halat e hamal me apni biwi ke sath hambistari karna jaiz hai, aur peechhe ke muqam me wati karna haram khwa halat e hamal me ho ya haiz he, aur jo line jawab me mazkoor thi iska matlab jaiz tariqe se maza hasil karna tha haram tariqa to har surat haram hi hota hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1215

Asslamu alaikum wa rahmatullahe wa barkatu, Kaya farmate he ulamay e kiram va muftiyane shari matin is masale me ki hamare yaha masjid me pehle kisi ne pani ka freez diya tha ab wo purana ho gaya he ab ek dusre bhai ne naya pani ka freez diya he to ab wo purane freez ki zarurat nahi, to kya yeh purana freez school ya collage me free me de sakte he ya nahi, Maqsood Alam Azhari, Panthoda Gujrat

Jawab: 1215 بسم الله الرحمن الرحيم
nahi de sakte, aur istimal me laya jaye, har nai cheez masjid me laane ke bad purani ki zarurat khatam nahi hoti, ye fizul ki baat hai ki, “ab purane ki zarurat nahi” agar kharab bhi ho gaya ho to repear karaya jaye. Magar wo imam ya commette ki milkiyat nahi hai ki wo school collage me masjid ki cheeze daan me de, school collage ke samaan ki zimmadari BHARAT SARKAR ki hai, masjid walo ki nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1216

Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarkathu. Hazrat Kya masjid me pahli saf me ek hi jagah lagatar har namaz me baithna sahi he. Agar masjid Khali ho sirf ek ya do shakhs ho,

Jawab:1216 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi harz nahi, aur saf khali ho to saf e awwal me naib imam ke dayene bethna chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1217

Tahajjud Ki namaz ke liye kya alarm laga kar bhi uth sakte hai

Jawab:1217 بسم الله الرحمن الرحيم
JAIZ HAI
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1218

Hazrat kya mard artifishal anghuthi yani masale ki anghuthi ya tambe ki anghuthi ko pehenkar namaz ho jayegi

Jawab: 1218 بسم الله الرحمن الرحيم
Mard ko chandi ki ek anguthi wo bhi wazn me 405 masha se kam ke siway har dhatu ka zewar haram hai,
Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 426 me farmate hain,
(sone chandi ke alawa) doosre dhaat ki anguthi pehenna Haram hai maslan, loha petal, tamba jasta wagera, In dhaaton ki anghuthiya mard wa aurat dono ke liye Najaiz Hai

Fatawa Razawiya Jild:22 Safah:130 par hai
Tanba, peetal, kansa, loha to aurat ko bhi pehenna mamnu hai,aur isse namaz unki bhi makruh hai.... aur makruh cheeze pehn kar namaz bhi makruh hai,

Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 375 par hai.
Tamba petal aur lohe ke zewraat pehn kar padhne se namaz Makruh tehrimi hogi

Durr e Mukhtar me hai کل صلٰوۃ ادیت مع کراھۃ التحریم وجب اعادتھا
Yaani, Har wo namaz jo karaht e tehrimi ke sath Ada ki gai ho uska lotana wajib hota hai,

Lihaza mard ko chandi ke siwaa koi bhi zewar pehenna gunah hai, aur use pehn kar padhi gai namaz wajib ul iada hogi,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1219

Kya us naybe (main imam ni Hota tab isse bolte he ke namaz pada dena wo mukarrar ni nayab imam he) imam ke pichhe namaz padni chahiye Jo khud musalsal ba-zamat namaz nahi pad pata hain ?

Jawab:1219 بسم الله الرحمن الرحيم
Nai padh pata majburi ko zahir kar raha hai, aur mumkin ho ki wo musafir ho ya us par jamat sharai tor par wajib hi naa ho to aisi surat me uske pichhe namaz jaiz hai, aur agar jamat us naib par wajib hai, fir bhi jan-kar jamat tark karta hai, logo ko iski khabar nahi to namaz iske pichhe jaiz hai, aur agar jamat ke waqt logo ke samne ghoomta hai, aur logo ke samne jamat tark karta hai, jabki koi sharai dikkat nahi to ye fasiq e moallin hai, namaz iske pichhe durust nahi, aur ise imam banana jaiz nahi

Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:583 par hai
“aur fasiq e moallin ke pichhe namaz makruh e tehrimi ise imam banana halal nahi, aur iske pichhe namaz padhni gunah aur padhi to ferna(lotana) wajib”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1220

Kya kisi bhai ko aulad nahi hai to kya wo apne ristedar se ya aur kisi se bacche ko goud le sakta hai, Tafseer se javab den JazakAllah, Nahi de sakta kya ?

Jawab:1220 بسم الله الرحمن الرحيم
God le sakta hai, magar bachche ke bap ka naam asli hi likhwaye aur yahi bataye, chahe school me ho ya shadi ke card par, aur behtar hai ki agar bachcha agar dudh peene wala god liya hai to apni biwi se dudh pilwaa le, isse age chal kar, apki betio ka nikah sharai haram aur parda khatam ho jayega, aur agar apki biwi ke dudh nahi aata bachcha to god le sakte hai, magar baligh hone par us ladke ka parda apki betio se wajib hoga, aur apki biwi se bhi, iska khayal rakhe, aur naa iski zaat badle, yani agar ke wo ansari ho aur aap khan to god lene ke bad uski cast ansari hi rahegi use khan na likha jaye na kaha jaye, aur is masale ki zyada tafsil maine MASAIL E SHARIAT JILD:1 Safah:167 ke Suwal no. 469 aur Safah:215 ke Suwal no. 594 par aur Safah:223 ke suwal no. 615 par byan kar di hai, aap waha se is masale par dalail bhi padh sakte hai, ,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1221

Imam ki khasiyat bayan farmaye kaisa Aadmi imamati kar sakta hai, ?

Jawab:1221 بسم الله الرحمن الرحيم
baligh ho, fasiq naa ho, sunni ho, taharat (paki-napaki) ka ilm rakhta ho, aur itni qirat janta ho ki namaz fasid naa kar de, aur sath me alim ho, (yani apni zarurat ka ilm rakhta ho,) namaz ke muqammal masail maslan, wajibat e namaz, namaz ke makruh tehrimi, namaz kab tutegi, namaz me be-wuzu hone ka ilm, aur namaz kis cheezo se fasid hogi wagera wagera ka ilm rakhta ho, aur namaz ke masail me ye auro se zyada maharath rakhta ho, jaisa ki
Durr e Mukhtar Jild:1 Safah:82 par hai
الاحق بالامامۃ الاعلم باحکام الصلٰوۃ فقط صحۃ وفسادا بشرط اجتنابہ للفواحش الظاہرۃ
“imamat e namaz ke zyada laiq wo shakhs hai, jo faqat ahkam e namaz maslan, seht o fasad e namaz, se mutalliq masail se zyada agah ho, ba-sharte wo zahiri gunaho se bachne wala ho (yani fasik na ho)”

Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:381 par hai
“har jamat me sabse zyada mustahaq e imamat wahi hai, jo un sabse zyada masail e namaz o taharat janta ho, chahe or masail me doosre ki nisbat ilm kam ho, (magar namaz or taharat ka ilm zyada ho)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1222

AssalamuAlaikum Hazrat, Biwi Sunni Sahi ul Aqeeda ho, Aur Shohar BadAqeeda ho To kya Biwi ko Shouhar ki har baat Manni chahie Rehnumayi farmayen,

Jawab:1222 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar shohar aisa badaqeedah hai ki aqeede batila aur kufriya rakhta hai, jaisa ki is daur ke qadiyani, wahabi, rafazi wagera to ye nikah hua hi nahi, Aurat par farz hai uske ghar se foran apne mayeke jaye, baat manna to door, aise badaqeeda se nikah bhi haram hai, aur jisne kiya nira jahil aur iblees ka perukar.
Fatawa Razawiya Jild:11 Safah:418 par hai
“jo shakhs apni beti aise shakhs ke nikah me de, weh yaqeenan daiyyus hai, weh apni behen beti ko saf zina ke liye dene wala hai,

Fatawa Razawiya Jild:21 Safah:281 par hai
“jis musalman aurat ka ghalati ya jahalat se aise ke sath nikah bandha gaya, us par farz farz farz hai ki foran foran foran usse juda ho jaye ki zina se bache, aur talaq ki kuchh zarurat nahi, balki talaq ka koi mahl hi nahi, talaq to jab ho ki jab nikah hua ho, nikah hi sire se naa hua”

Aur agar shohar sirf fasik ya gumrah hai, aur qadiyani, ya murtad nahi to uski jaiz bat ki perwi karni hogi,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1223

Hazrat Kiya wife apne husband ke naf ke niche ke baal Kat sakti he

Jawab:1223 بسم الله الرحمن الرحيم
Kaat sakti hai kuchh gunah nahi, magar khilaf e haya hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1224

Agar kaam karte waqt ya phir tanhai me beth kar dil me durood o salaam Ya phir zikr e khuda kare to is ki Kiya fazilat hai or zaban se padna jaisa hi hai ya Phir Kuchh or fazilat hai ? Bara e karam jawab irshad farmaye

Jawab:1224 بسم الله الرحمن الرحيم
Zikr e qalbi bhi jaiz hai, aur jo kalima padha jaa raha hai, uski wahi fazilat milegi jo us zikr or durood ke bare me hogi, (agar allah ne chaha to)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1225

Hazrat namaz me aksar idhar udhar ke khayal aa jate hai. Inse kaise bacha jaye jisse namaz durust ho,

Jawab:1225 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ko jaate waqt ye khyal kar le ki ye zindagi ki akhri namaz hai, salam ferte hi mar jauga aur log meri namaz padhenge to is akhri namaz ko jitna achha karke padh sakta hun padh lun,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1226 

Hazrat agar 1.2 year ka baccha agar kisi ke uper peshab bhir de wo na paak ho jata he ?

Jawab:1226 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek din ke bachche ka paisab bhi aisa hi napak aur najasat e ghaliza hai jaise 100 saal ke admi ka paishab, chahe bachcha dudh peeta ho ya abhi paida hi hua hu,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1227

Chamde Ki Belt Pahen Kar Namaz Hogi Yaa Nahi ? Masjid Me Jaa Sakte Hai yaa Nahi ? Note:- Sardi Me Mausam Me Jo Log Leather Waale Mauje (Socks) pehen kar Namaz Padhte Hai Unki Bhi Wajaahat Farmaa De

Jawab:1227 بسم الله الرحمن الرحيم
Zarur hogi, zarur jaa sakte hain, unka bhi yahi hukm hai, yahi fatwa jawaz (jaiz hone) par hai, hadis me faramaya ki, (mafhoom) Jab chamra ubaal liya jaye to paak hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1228

Kya Taziya Daari Karna Jaiz Hai ? Aur Taziya Dekhna Kaisa Hai ? Agar Jaiz Hai To Uske Liye Kya Kya Sharte'n Honi Chahiye ? Wajaahat Farmaa den

Jawab:1228 بسم الله الرحمن الرحيم
1. Shariat me taziye ki kuchh asl nahi aur jo kuchh bid’at iske sath kiye jaate hai sab najaiz hai,
2. Hindustan me jis tarah taziadari raaij hai naajaiz haram wa bid’at hai,
3. tazia banana, dekhne ke liye ghar se nikalne, tazie ki tazeem karna wagera sab najaiz
4.Tazia-dari karne wala fasiq hai, jo ise zaruri qarar de, gumrah bhi hai,
5. tazie par mannat mangna mehndi chadana, chadawa chadana wagera sab najaiz
6. sarkaar imam hussain ki shahadat par, dhol tashe khurafat yazidiyo hi ki yaadgar hai,
7. tazie par dhol, tashe, matam, khail kood wagera, (sab najaiz)
8. tazie me chanda dena ya kisi bhi tariqe se unki madad karna,(ye bhi najaiz)
9. bachcho ko faqeer banana or ghar ghar bheek mangwana (ye sab najaiz kam hai)

Fatawa Razawiyya Jild: 21 & 24, Safah: 246 & 488-510,
Fatawa Behrul uloom Jild: 05 Safah: 238,
Fatawa Faizur Rasool: 2 Safah: 508
Al malfooz Safah: 93
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1229 

Assalamualaikum, 4 maslak "hanfi, shafai, hambli, maaliki" ka wajood kaise hua ? From Zartab Khan Qadri Razwi

Jawab:1229 بسم الله الرحمن الرحيم
Almukhtasar-
Koi hadis kisi imam tak pahuchi to sahi thi, to kisi ki sanad hasan tak hi pahuchi, kisi ki kisi hadis me tehqiq ghareeb tak rahi, to kisi ke nazdeek zaeef tak, is etbar se baz furu me ahadees ki roshni me inke masail bhi juda ho gaye, kisi ne pure sar ke maseh ko farz kaha kisi ne sunnat, kisi ne apni wuzu se pehle bismillah ko sunnat kaha kisi ki tehqiq farz ko pahuchi, kisi ne rafayaden ka mokif ikhtiyar kiya to kisi ke pas uske mansukh ki dalil thi, kisi ki tehqiq me yazid kafir tha to kisi ki tehqiq uske kufr tak naa ho sakti to ehtiyatan kafir naa kaha, is tarah mujtahideen ke bade chaar maslak bane, jo ki charo haq par hai, aqeedo me sab ek hi hai, furu me baz masail alag alag, aur ye bhi nabi ka faizan hai ki unki har ada par amal ho raha hai, aur inme se ek ko ikhtiyar karna wajib jo charo me se kisi ko follow na kare gumrah
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1230

Sureh ikhlas me ager badi ha ki jagah koi chhoti ha pade to uske kya mayna he, auraten aksar chhoti ha hi padti he

Jawab:1230 بسم الله الرحمن الرحيم
Pata nahi, aur jo chhoti ‘ha’ padhti hai, use badi ‘ha’ padhne ki mashq karwai jaye, warna surah fatiha ke pehel lafz ko chhoti ‘ha’ padhne se namaz me fasad paida kar degi, aur agar uska mayena samajh kar padha to kafira bhi ho jayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1231

Kisi ki maut ki dua mangna kaisa he, Matlab kis condition me kisi ki maut ki badd-dua ki ja sakti hai

Jawab:1231 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi ke marne ki dua naa mange ki hadis me isse mumaniat aai hai, farmaya
“jab tum kisi mard ko suno ki kehta hai log halak ho, to weh sabse zyada halak hone wala hai han, agar kisi kafir ka iman naa lane par poora yaqeen ho aur uske zinda rehne se deen ka nuqsan to uske marne ki dua jaiz, aur isi tarah, kisi zalim se tauba aur zulm chhorne ki ummid hi naa ho, aur musalman ko usse sakht iza ho aur uska marna musalmano ke haq me fayeda ho to aise zalim ke MARNE KI BAD_DUA KARNA JAIZ HAI, jis tarah Hazrat e nooh ne apni qaum ke liye ki.. jaisa ki,
Fatawa Razawiya Jild:23 Safah:183 par hai
“agar zalim hai aur musalman ko usse taqleef hai to bad-dua me harz nahi”

Aur agar musalman kisi par zulm nahi karta to bad-dua na chahiye dua e hidayat kare, ki gunah chhor de,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1232

Hazrat ye bataye ki Kya deobandi alim ke pichhe taraveeh padh sakte he kyunki jahan main rahta hu wahan deobandi hi alim he, to Kya karna chahiye sahi mashwara den jawab ka Jald hi talabgaar hu kyunki Kal pehli taraveeh hogi INSHA ALLAH ?

Jawab:1232 بسم الله الرحمن الرحيم
Waise to Jahan aap rehte hai waha iblees bhi hoga hi, to agar kal iblees jamat qayam karega to aap kya karoge, ? uske pichhe padhoge ya nahi,? jo apka jawab hai wahi is suwal ka jawab hai…
Sahi ye hai ki kisi bhi badaqeeda ke pichhe koi bhi namaz (eid, juma taravih) padhna Gunah e Kabeera hai, ais namaz dohrana wajib hai, ap apne ghar me 20 rakat tanha padhe, aur jo surate yad ho unse padhe, magar taravih tark karna gunah hai, aur ise jamat se padhna wajib nahi, lihaza aap apni tanha padhen.
Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:573 par hai.
“deobandi aqeede walo ke pichhe namaz batil mehez hai, hogi hi nahi, farz sar par (baki) rahega, aur unke pichhe padhne ka shaded e azeeeeeeeem gunah. (age farmate hai) chahe JUMA ya eid ya janaza ya TARAWIH, koi namaz unke pichhe hogi hi nahi,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1233

Hazrat roze me iftar pahle kare dua baad me pade, ya pahle dua padhe fir iftar kare, jawab inayat farmaye

Jawab: 1233 بسم الله الرحمن الرحيم
Awam me ye ghalat riwaz mashhoor hai ki iftar ki dua kuchh khane se pehle padhte hai, jabki sahi ye hai ki
iftar ki dua iftar ke baad padhen, yani khane ke bad, or khana tasmia se shuru kare, iftar karke dua padhe, aur yahi mane ke etbar se bhi durust hai,  Fatawa Razawiya Jild:10 Safah:628 par hai
“filwaqey iska mahl baad iftaar hai”

Fatawa Faqih Millat Jild:1 Safah:344 par hai
“iftar ke waqt ki dua iftaar karne ke bad padhe, naki iftar se pehle”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1234

Saudi Arab me ramzan. Aaj se start ho gaye honge,Or India me kal se hone he To ab jese koi umrah karne jata he 15 din ke leye To waha 15 roze rakhega or bake bache 15, Ab jab wo India aeyga tab use 16 roze rakh ne honge to us person ke 31 ramzan roze ho haenge To kya use wo 31 roza rakh na hoga ?

Jawab:1234 بسم الله الرحمن الرحيم
Jis mulk me hoga aur waha roza hoga to roza rakhe eid ho to roza na rakhe,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1235

Assalam u alaikum warahmatullahih wabarkatuhu Hazrat Roza kholne ki dua aur sunnat tareeka bata dijiye ?

Jawab:1235 بسم الله الرحمن الرحيم
Bismillah se shuru kare, pani, khajoor wagera se iftar kare, aur bad iftar roza khone ki dua padhe,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1236

Hazrat kisi ko sehery ki niyat na aati ho to uska roza hoga jawab zarur dijiega Hazrat,

Jawab:1236 بسم الله الرحمن الرحيم
Jisko sehri ki niyat nahi aati to use sehri khana to aati hi hogi, agar sehri khana aati hai to roza rakhne ki niyat se sehri kha le, yahi uske haq me niyat hai or roza bhi ho jayega,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1237

Mera sawal ye hai ki roza rakhne ki jo dua hoti hai "Bissaumi ghadin nabaitu min shari ramadhan" 
Is ka tarjuma kya ye hota hai 'maine kal ke roze ki niyat ki' Agar haan, to ye dua to mauke ke hisab se ghalat hui na, kyunki jis din dua pad kar roza rakhte hain wo 'wo aaj' ka din hota hai na kal (tommarrow) ka ? Ab sirf ye bataye ki kya ye dua padni chahiye ya nahi

Jawab:1237 بسم الله الرحمن الرحيم
Dua padhni chahiye, aur jab ap ye dua karte ho wo rat hoti hai, aur subha sadiq, ke liye kaha jata hai, yani sehri raat me hoti hai, aur subha roza shuru, isilye kaha gaya mene kal (murad jo subha ane wali hai) ke liye roza ki niyat ki, to ye dua ka mahl sahi hai, aur ye ghalat jab hoti ki dua bad fjr subha hoti
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1238

Assalamu alaikum, Mera sawal hai ki main professionally civil engineer Hu aur jo contractors hai wo gair Muslims hai kya unse paisa liya jaa sakta aur or paisa halal hoga ya phir haram

Jawab:1238 بسم الله الرحمن الرحيم
Kafir ke han kam karke unse tankha lena jaiz hai aur wo halal hai, aur kafir hind ke jo raqm apni khushi se de, yani musalmano ko kafir se jo raqm bina unhe dhoka diye hasil ho wo jaiz o halal hai,
 وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1239

Musalmano ko ALLAH taala ka deedar naseeb hoga ya nahi, Jiska ye etikad ho us ko kya kahenge, Baraye karam jawab Inayt farmaye

Jawab:1239 بسم الله الرحمن الرحيم
Musalman ko jannat me allah ka deedar nasib hoga, aur aisa saaf hoga, jaise aftab aur chodhwi raat ke chand ko, har ek apni apni jagah se dekh sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1240

kya Kalam e Pak ki taleem Dene Ke Liye sand ki zarurat hai

Jawab:1240 بسم الله الرحمن الرحيم
Quran ki talim se kya muraad hai, kyunki quran ki tafseer byan karna bhi quran ki talim dena hai, ayato ka mafhoom byan karna tarjuma karna bhi taleem e quran hai, agar yahi murad hai to gair e alim ko ye haram hai, aur iske liye is fan ke muqammal uloom hasil hone chahiye, aur agar murad bachcho ko nazra quran padhana hai to iske liye sanad wagera ki hajat nahi naa muqammal alim hone ki magar itne makharij zarur janta ho ki khud sahi ada kar sake, aur iske liye sanad ki kya hajat, balki iske liye hafiz hone ki bhi zarurat nahi, balki jitna ilm ho use aage bada dena chahiye, age badane ya doosre ko sikhane ke liye sanad ki hajat nahi jabki or koi man’e sharai naa ho, aur hadis me hai “pahucha do meri taraf se chahe ek hi ayat ho” (yani agar ek ayat bhi sikho to dusre musalman bhai ko sikha do)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1241

Haram me witr ki akhri rakaat me imaam dua qirat me karta hai, Jabki yahan khamosh ho jata he dua e qunood pardhne ko, Aisa kyun ?

Jawab:1241 بسم الله الرحمن الرحيم
Ham hanafi hai, aur apne maslak ke mutabik amal karna ham par wajib hai, duniya chahe jo kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1242

Bahut logo ko dekha hai ki wuzu me sir ka masaah karte waqt hatho me pani le kar pahle chhomte hain . Kya ye sahi hai, Jbki meri masjid ke sunni aalim ne ise galat kaha tha. Aur jab main is kaam ko kisi ko mana karta hun to uska bhi yahi sawal hota hai ki 'shariyat me kahan mana likha hai ' to is liye jab mana nahi likha to jayez hua, Ab aap rahnumayi farmaye ki wuju me pani chhoomna sahi ya nahi

Jawab:1242 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye baat etraz karne wale ne kahi ki jo mana nahi, wo jaiz hai, aap use kahe ki har jaiz kaam karna zaruri nahi, warna 12 mahine chatni se roti kha aur apne mehmano ke age bhi wahi rakh, jaiz to chatni se khana bhi hai, aur zindagi bhar mana to ye bhi nahi, aur doosri baat ye jumla us jagah istimal hota hai jaha uske bare me shariat ka koi hukm maujood na ho, yani shariat ne us mamle me khamoshi ikhtiyar ki ho, lekin shariat me wuzu ka poora tariqa hadis me maujood hai, to jab huzoor ne hame hath done se paun dhone tak ka poora tariqa bata diya to ab uske khilaf karna sunnat e rasool ke khilaf hai, agar mana nahi to wuzu ke dauran kisi hadis me shamil bhi to nahi, to jab shariat ka poora wuzu ka tariqa maujood hai to usme ghatana badana na chahiye, aur masah ke waqt hath ka chumna fizul or bekar ki baat hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1243

roze main thuk andar, chala Jaiy to roza tut jayga, jawab zarur dena Hazrat

Jawab:1243 بسم الله الرحمن الرحيم
Apna thok bar bar munh me lene se roza nahi jaata Jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:983 par hai
“baat karne me thook se hont tar ho gaye, aur use pee gaya, ya raal tapki magar raal ka taar tuta naa tha, aur use (raal ko) chhada kar pee gaya, …. (in chizo se) Roza naa jayega, magar in bato se ehtiyat chahiye”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1244

Hazrat, Mera sawal ye hai ki gumbad-e-khizra ka saya he ya nahi ?

Jawab:1244 بسم الله الرحمن الرحيم
Mene dekha nahi, aur gumbad ke saye par ahle sunnat ki koi behes bhi nahi, hamari behes nabi ka saya naa hone par hai, gumbad ka koi aqeedah hamari kitabo me ulama ne nahi likha, ye sahi mauju se hata kar sunni musalmano ko behkane wali baat hai, wahabi madine ki video lata hai, aur hame dikha kar kehta hai ki dekho “tum kehte ho gumbad ka saya nahi, saya to hai” jabki ham gumbad par nahi nabi ke saya naa hone ki baat kehte hai, aur wo baat ghumata hai, lihaza ap bhi aisi bato me na padhe, ye yaad rakhe ki saya nabi ka nahi tha, aur is par ahle sunnat me dalail maujood hai, koi bat kare to is par bat kare isse hat kar koi gumrah karne ki koshish kare to behkawe me ane ki zarurat nahi, hamne gumbad ke saya hone na hone par koi baat nahi ki, ab iska saya ho ya naa ho, asl maujo saya e nabi hai,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1245

Hazrat, Sarkar ke zamane me aurat aur mard sath me namaz padha tha ? Ab kyu nahi ?

Jawab:1245 بسم الله الرحمن الرحيم
Sarkar ke waqt me jaya karti thin, magar bad me fitne ke khauf se daur e farooqi me mana kar diya, aur Hazrat ayesha ne farmay.
لوا ن رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم رأی من النساء مارأینا لمنعھن من المسٰجد کما منعت بنواسرائیل نسائھا ۱؎ رواہ احمد وبخاری ومسلم
(huzoor hamare zamane ki aurato ko mulahza farmate to unhe masajid jaane se mana karte, jaise bani israil ne apni aurato ko mana kar diya tha,)

Fatahul Qadeer me hai
عمم المتاخرون المنع العجائز والشواب فی الصلوات کلھا لغلبۃ الفساد فی سائر الاوقات
(fasad ke ghalabe ki wajah se, tamam waqto ki namazo me, umuman boodi aur jawan aurato ka nikalna mutakharin ulama ne mana farmayahai

Fatawa Razawiya Jild:14 Safah:551 par hai
“jab aur fasad faila to ulama ne jawan wa gair jawan (budi) kisi ke liye (hazri e masjid ki) ijazat na rakhi”


Ab is baat se aap khud andaza laga sakte ho ki jab sahaba ke waqt me fasad ka khauf hua or unhone majdis ki hazri aurat ke liye mana kar di, to aaj ka waqt kaisa he, ye mujhe apko batane ki zaruat nahi, aap khud gaur kare ki agar masjid me aurate ladkiya namaz ko jayegi to haal kya hoga, mardo ka jamghat masjid ke bahar hoga, imam se jawan ladke zyada mel jol rakhne lagenge, din bhar masjid me rahenge, baki aap khud samajhdar ho, ye daur dur e rasool se behtar nahi, bure se bura tar hai,
Aur hadis me hai
“guzra hua kal, aaj se behtar tha, aur aaj ka din ane wale kal se behtar hai, ta-qayamat isi tarah hoga”
Ab is hadis se or saf ho gaya ki, pehle ka guzra hua din achha or ane wala or kharab hoga lihaza sahaba ne jo kya achha kya aur use ulama ne baki rakha to aur achha kiya,

hadis me hai ki huzoor ne farmaya انہ سیحدث بعدی اشیاء وان من احبھا الی لما احدث عمر
mere bad bahut si cheeze nai ijaad hongi unme se mujhe wo sabse zyada pasand hai jo UMAR ijaad karenge
 وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Suwal no. 1246

Kya Safar me Roza Rakhna Jaiz he ?

Jawab:1246 بسم الله الرحمن الرحيم
Jaiz hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1247

Hafiz e quran ka namaz e taravih me dhalte (jhumte) huye tilawat karna kaisa, is tarah jhoomna ki, jab sidhi taraf hojaye to baya paun uthane lage, aur jab bai janib ho jaye to dahina paun zameen se uthane lage, yunhi age pichhe hilne dulne wale ki iqtidah ka kya masala hai, baraye karam jald jawab inayat farmaye, secro muqtadio ki namaz ka muamla hai

Jawab:1247 بسم الله الرحمن الرحيم
Bila wajah namaz me hilna makruh hai, magar taravih kyunki isme qiyam zyada waqt ka hota hai to isme paun badalna magar is tarah ki zyada zahir na ho harz nahi, ki hafiz bhi insan hi hai, aur zahir hai taravih me iski hajat hoti hogi, to agar apko lagta hai ki wo imam zyada hi hilte hai, ya paun badalte rehte hain to bad taravih masjid ka zimmedar unhe is bat ki khabar de de, kabhi kabhi admi ko apni harkat ka ehsas nahi hota, magar koi bata de to shayad samajh jayen aur hilna kuchh kam kar den, mgar namaz aise imam ke pichhe jaiz hai.,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1248

Hazrat agar ramzan ke witr me imam sahab teesri rakat me zor se qirat karna bhul gaye aur poori al-hamdo padh li fir yad aaya to fir zor se padhi to namaz hui ya nahi ?

Jawab:1248 بسم الله الرحمن الرحيم
Puchhi gai surat me imam ne do bar surah fatiha padhi, yani pehle ahista aur fir zor se to imam ka is masale me Do wajib ka tark hai, awwal buland awaz se padhna wajib tha,(jabki imam ne ahista padh kar pehla wajib tark kiya) aur surah fatiha ka ek bar hi padhna wajib tha, (jabki imam ne do bar padhi or is muqam par dusra wajib tark kiya) jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:544 par hai
“fajr, maghrib, wa isha do pehli (rakat) me aur juma wa eiden, aur taravih aur WITR RAMAZAN in sab (namaz) me imam par jahar wajib hai (yani buland awaz se qirat karna)”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:517 par hai
“Har rakat me surat se pehle EK HI BAAR surah fatiha padhna (WAJIB HAI)

Lihaza imam ne witr me do wajibat ka tark kiya is witr me sajda sehv karna wajib tha, agar kiya to namaz e witr ho gaye, witr ko dohrana wajib hai,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1249

1 - halate haiz me darood pak or digar tasbih ka wird kar sakte he ya koi deeni kitab ka mutaala ya quran ki ayat padhna wagaira
2 -or tel lagane se nakhun katne se roza tut jayga baaz log kehte he esa

Jawab:1249 بسم الله الرحمن الرحيم
1- halat e haiz me durood e pak padh sakti hai, aur tasbih bhi, aur aisi aurat apne wazife bhi isi hal me padh sakti hai, magar quran ki niyat se koi quran ki ayat padh nahi sakti magar dua ki niyat se padh sakti hai jaise, khane waqt bismillah wagera, wese bismillah bhi quran hai magar, ise dua ke tor par padha jaa sakta hai isi tarah shajra ke wazife bhi padhe ja sakte hai, magar quran ka chhoona aur quran ki niyat se quran ya koi surat, ayat padhna haram hai, jaise ki Bahar E Shariat Jild1 Safah:326 se hai
Jis ko nahane ki zarurat ho (napak) usko masjid me jana, tawaf karna, quran ko chhuna, ya be chhuye dekh kar zubani padhna, ya kisi ayat ka likhna, ya ayat ka taweez likhna, ya aise taweez chhuna haram hai,

Iske siway hadees ya deeni masalo ki kitab padh sakte hai, Haram nahi, na gunah, magar makruh hai, or us kitab me ayat e qurani ka wahi hukm hoga jo byan hua yani unka chhuna haram hoga, Jaisa ki
Bahar E Shariat Jild1 Safah:327 par hai:
In sab (napak, bewuzu) ko Fiqh, Tafseer aur Hadees ki kitabo ka chhuna makruh hai, aur agar unko kapde se chhua to harj nahi. Isi tarah inko azan ka jawab dena jaiz hai.

2- tel lagane se nakhun katne se, tel laga kar sone se, surma lagane se roza nahi jaata.
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:982 par hai
“tel ya surma lagaya to roza naa gya”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1250

Tahajjud ki niyat kaise hogi ? isme 8 rakat pdhna hota he to 4 rakat me salam ke bad dobara niyat karnge. Ya 4-4 rakat ki alag alag ? baraye karm wazahat farmayen

Jawab:1250 بسم الله الرحمن الرحيم
Tahajjud me bhi aam nafil namaz ki si niyat bandhi jayegi, ye sunnat e mustahab namaz hai,
isme Kam se kam 2 rakat hai or Huzoor se 8 tak sabit hain
agar apne do rakat bhi padh li to tahajjud ho gai, aur har namaz me jab salam fer liya jaye to fir se namaz padhne ke liye niyat bandhi jaati hai, Bahar e Shariat Jild:1 Safah:677-678 par hai
“tahajjud nafil ka naam hai”
“Kam se kam tahajjud ki do rakate aur huzoor se 8 tak sabit hain”

Lihaza 2 rakat ek salam se bhi padhi jaa sakti hai, 4 rakat ek salam se bhi padhi jaa sakti hai, aur 8 padhna chaho to 4-4 karke do salam se padho ya fir poori 8 rakat ek hi salam se padh lo ye bhi jaiz hai, magar har 2 rakat me qa’da karna hoga,
 وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1251

Assalamualaikum, Tarawih ki niyat kis tarh ki jaye kya 20 rakat ki ek sath niyat kardi jaye ya alag alag
Jazakallah

Jawab:1251 بسم الله الرحمن الرحيم
Dono surate jaiz hai, aap har do do rakat me nai niyat bhi kar sakte ho aur ek sath 20 rakat ki niyat bandhi to bhi jaiz yani, niyat ki maine 20 rakat taravih sunnat .  ..jaisa ki Bahar e Shariat Jild:1 Safah:689 par hai
“ehtiyat ye hai ki jab do do rakat par salam phere, to har do rakat par alag alag niyat kare, aur agar EK SATH BEESON rakat ki niyat kar li to bhi jaiz hai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1252

जुमे का दिन था इमाम साहब ब्यान दे रहे थे, ब्यान देते हुए जलाल मे जाते है और गुस्से मे हरामी और हरामी के औलाद बोल जाते है क्या ये जायज है ? क्या उनकी वजू कायम रहेगी?

Jawab:1252 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam ne jo jumla kaha usse wuzu nahi tutega, aur raha jaiz or najaiz hona to, koi imam befizul me ye alfaz istimal nahi karega, zarur is maujo par koi taqrir chal rahi hogi, aur agar in alfaz ki zarurt thi to masjid me bolna bhi jaiz hai, lihaza is tarah adhi adhuri line imam ki pesh karke hukm maloom nahi karna chahiye, aur wuzu kab tutega kab nahi, imam ko is bare me awam se zyada pata hota hai, har imam alim nahi to har imam itna jahil bhi nahi, (ki wuzu ke masale bhi naa janta ho)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1253

Hazrat Magrib ki aazan se pahle alaram bolta he to us per ifftar kar lena chahiye ya nahi

Jawab:1253 بسم الله الرحمن الرحيم
Aksar jagah yahi tarike-kar hota hai ki waqt hone par koi alaram baja diya jata hai, taki roza khola jaye aur fir azan di jaati hai ye JAIZ HAI, IS AWAZ PAR ROZA KHOLNA BHI JAIZ, aur roza ka talluq waqt se hai, waqt ho jane par roza khol lena chahiye chahe azan bad me ho, aur ek bat or bhi logo me dekhi gai ki, kehte hai, jab tak apni masjid ki azan na hogi roza nahi kholte ye bhi ghalat hai, azan kisi bhi masjid ki ho, ye waqt hone par dalalat hai, roza khola jaa sakta hai, chahe apne ilaqe ki masjid me azan der se ho,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1254

Janaza me qabr me beri ki lakdi kyu rakhi jati hai aur lakdi kaha par rakhe, qabr ke andar ya bahar ya na rakhe aur agar rakhenge to tafseer se jawab inayat farmayen

Jawab:1254 بسم الله الرحمن الرحيم
Hadis se rakhna sabit hai isilye rakhi jaati hai, aur qabr me na rakhe, takhto ke upar rakhe, aur rakhni chahiye, aur iski tafseer ka waqt nahi, moka ramazan ka hai, logo ke suwalat roza, namaz taravih se mutaliq zyada hai, aur unke jawab pehle dena zaruri hai, apke liye itni tafsil jaan lena kafi hai ki
ومن لایعلم فحسبہ جواب من یعلم
(jo nahi jaanta, use janne wale ka jawab kaafi hai)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1255

Agar koi shakhs itna modren ho ki use deen ka koi ilm nahi ayimmaye mujtahidin ki koi khabar nahi manne na manne ki bat door ki he. or gunah karta he or sabko bole ki jahannam me to jana hi he, usko maslake ala Hazrat par kaise layein? ki wo hidayat paa jaye. halanki usko ye wahabi deobndi ke aqide ka bhi pata nahi. to wo gumrah hi hua, allah se dua to karte he ki unhe hidayat ho lekin ham bhi agar kuchh kar paye to aap baraye karam kuchh batyein

Jawab:1255 بسم الله الرحمن الرحيم
Dawateislami ke sunnat bhare ijtime me shirkat ko kaha jaye, mumkin ho to har mah 3 din madani qafile me safar karwaya jaye, “sohbat asar laati hai” deendar logo ke sath rahega to deendari se agah ho jayega, aur aap par agar unhe samjhana wajib hai to narmi se samjhaye warna waqt ke hisab se bataya kare, kabhi kabhi aisa hota hai ki samjhane wala khud samjhdar nahi hota, aur sakhti karta hai, isse samne wala aur chirchira ho jata hai aur dekha gaya hai kabhi kufr bhi bol deta hai, jaise is suwal me hai “jahannam me to jana hi hai” yani allah ki zaat se na ummidi bhi haram aur kabhi kufr bhi ho sakti hai, islye aise shakhs se aisi behes na ki jaye ki wo aise jumle bole, na usse lara jaye, jaha tak mumkin ho mohabbat se kam len, fazilat e ilm e deen dil me dale, aur dua e hidayat kare, dua momin ka hathyar hai
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1256

Jis Imam ki Niyat tourist Na Ho To Kya Uske imam ke Pichhe Namaz par sakte hain

Jawab:1256 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal poora nahi hai, lihaza sahi se samajh nahi aya, aur musafir agar imamat kare to uske pichhe namaz padh sakte hai, isi tarah musafir bhi imam ke sath ba-jamat namaz padh sakta hai
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1257

Assalamoalaykum Sayyid Muhammad Sikander Warsi sahab
Agar tarawih ki namaz shuru ho gayi ho aur kuchh rakaat chhut jaye (masalan aadhi tarawi ho gayi ho) to ab kya hukam hai? Yani ki ham jamaat me samil ho jaye, aur jo bachhi hai use mukammal karde, ya jamaat mukammal karke jo chhut gayi he wo bhi padhe ? Kuchhh wajahat farma dijiye, JazakAllah hu khairah. Aur isme witr bhi jod dijiye ki wiitr imam ke sath pad le ya nhi)

Jawab:1257 بسم الله الرحمن الرحيم
Apke suwal se ye zahir hota hai ki jab aap masjid me aye to isha ki jamat bhi khatam ho chuki thi, yani tarawih shuru thi, ab ap puchhna ye chah rahe hain ki, ap taravi me shamil ho ya pehle isha padhe, aur doosri bat ye ki jo taravih pehle chhut chuki hai, unhe bad me poora Karen ya nahi, to janab apke liye hukm ye hai ki, pehle aap isha ki farz ada kare, kyunki isha se pehle taravih nahi, taravi ka waqt isha ke farz ke bad hai, aur fir aap taravih me shamil ho jaye, jab imam ke sath taravh poori ho jaye, to ab apke samne do baate hai, ek witr padhna aur ek bachi hui taravih poori karna, to ab apko ikhtiyar hai ki pehle witr padh len bad me taravih poori Karen, warna taravih pehle poori karle aur bad me witr padhe, magar yad rakhe jab apne isha ki namaz tanha padhi hai to ab witr imam ke sath naa padhe balki jab imam taravih ke bad witr padhe to aap apni tanha witr padhe jamat se naa padhe, aur uske bad taravih bachi hui poori kar len jaisa ki, Bahar e Shariat Jild: 1 Safah: 689 par hai
Taravih ka waqt farz isha ke bad se tulu e fajr tak hai, witr se pehle bhi ho sakti hai aur bad bhi, to agar kuchh rakate taravih ki baki reh gain, (aur) imam witr ko khada ho gaya, to imam ke sath witr padh le, fir (bad me) baki (taravih) ada kare, jabki farz jamat se padhe ho, (to hi witr me shamil ho warna apne witr padhe, fir bachi hui taravih)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1258

Assalamoalaikum mera sawal hai jab 4 imam barhaq hain to charo ke maanne wale charo firqe bhi jannati huye par nabi ki hadees hai k 1 firqa jannat me jayega to wo charo firqo me se kaunsa hoga. Jawab bukhari, muslim, abu daud kisi bhi hadees ki roshni me den

Jawab:1258 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye chaar, maslak hai, firqe nahi hai, inme se jinke logo ke aqeede sunniyat ke honge wo charo me se ek grow sunni ho kar jannat me jayenge aur inme se kisi ke manne wala badmazhab ya gumrah firqo me ho gaya to jahannam me jayega, or baki firqe inme maslak me se hi banenge, magar ye firqe nahi, charo mazhab sunni hi hain, iski tafsil aap apne ilaqe ke kisi alim se samajhe ya masjid ke imam se,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1259

Namaz ke dauran mendak (frog) aage uchalte rahte hain. Halanki wo sokhe hote hai to kya isse hamare kapde aur masjd ki mat na-pak to nahi ho jati. Aur ek bade sahab ka kahna hai ki mendak ka peshab tak pak hai, Kya ye sahi hai ki mendak ka peshab pak hai ?

Jawab:1259 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar wo sukhe hain aur apne sath ba-zahir koi napaki laga kar nahi laa rahe to, chatai aur kapde napak nahi karenge, Wo parinde jo halal unche udhte hain, (kabutar wagera) unki beet pak hai, chamgadar ki beet aur peshab dono pak hai, resham ke keere ki beet aur uska pani pak hai,
Mendak ka gosht haram hai, aur dariya me rehne wale deegar janwar ka khoon bhi najasat e ghaliza hai, aur mene ye kahi padha nahi ki mendak ka paishab pak hai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1260

Roze Ki halat me eye drop dalne se roza tutta ha ya nahi .hadees Ki rosni me jawab Ata farmaye

Jawab:1260 بسم الله الرحمن الرحيم
Jadeed tehqiq yahi hai ki ankh me dawa dalne se roza tut jayega, aur kaan me dalne se nahi tutega, lihaza roze me isse ehtiyat chahiye, dawa sehri me dali jaye warna iftar bad.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1261

Karobaar me khair o barkat aur kamyabi hasil karne ke kuchh khas Wazifa , Amal aur nuskhe arz kardijiye. Aur Koi Baat jaldi bhool jaata ho iske Liye bhi Kuchhh Wazifa Bataaye

Jawab: 1261 بسم الله الرحمن الرحيم
Rizq me barkat karne ke liye, aur wo chiz jisse barkat khatam hoti hai, ki tafseel to bahut hai, main chand mukhtasar AMAL pesh karta hun, aap inki pabandi karen, aur ghar me aap jispar bhi qudrat rakhte hai, unse bhi iski pabandi karwaye, isi tarah jinka bachne ka hukm ho unse bache aur ghar walo ko bhi bachne ka hukm den,
-Rizq me barkat ke liye-
* kisi bhi ek namaz ke bad 30 bar SUREH FALAK apne wird me hamesha rakhe, (biwi ya samajhdar bachche ho to unse bhi ispe amal ko kahen)
* khana khane se pehle aur bad me 3-3 bar gatto tak hath dhoyen, aur 3-3 bar kulli kare, yeh amal biwi bachcho se bhi sakhti se karwaye, (pehle aur bad me dono bar 3-3)
* Jum’rat ke din nakhoon kata kare, (aur ghar me bhi sab ko yahi hukm den,)
* jab ghar me har waqt aye to bismillah padh kar dakhil hon, aur 1-1 bar durood aur 3 bar Sureh ikhlas padh liye kare, aur ghar walo ko salam karen,
* agar hath me anguthi nahi hai to koi bat nahi, aur pehenna chahe to sharai chandi ki miqdar ki ek anguthi AQEEQ nag ki ulte hath me pehn len,
* jab kisi se raqm len to “بسم الله” padh kar len, aur kisi ko paise den to “ إِنَّا للهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ “ padh liya karen

Aur kuchh chize barkat ko kam karti hai, unse bhi bachna zaruri hai jaise
* namaz ki pabandi zaruri hai (qaza karne se umar or rizq me barkat chali jati hai)
* khade ko kar paani peene se ghareebi aati hai isse bache aur bachcho ko bhi hidayat den,
* maghrib bad ghar me jhadu naa lagwaye,
* chirag ya mombatti ko funk se naa bujhayen,
* garm khana naa khaye, naa plet ke bich se khaye,

Namaz e panjgana ke bad sar pe hath rakh kar 11 bar “ya qawiyyu padhne se Dimag tez hoga , yani bhoolne ki bimari jaati rahegi,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1262

Hazrat mere Mas’ala ye he ki me gusal kar raha tha be dhiyani me colgate kar liya jab yad aya ke mera roza he tu foran kulli kardi tu kiya mera roza tut gaya ya nahi, Muhammad sami raza khan qadir Delhi se

Jawab:1262 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab ye poora yaqeen ho ki manjan karne se unka koi zarra bhi halq me nahi jayega to manjan roze me karna jaiz zarur hai magar makruh hai, aur aaj kal ke colgate jiski thandak halak me mehsus hoti hai, aur iske kuchh zarre bhi halaq me jaate hain iske karne ki ijazat nahi, jabki aisa hi ho, aur halat e roza me bhool kar manjan kar lene se roza nahi jayega jab ki manjan karne ke dauran rozadar hona yad naa ho,
Fatawa Razawiya Jild:10 Safah:551 par hai
“(roze me) manjan najaiz o haram NAHI, balki itminan kafi ho ki iska koi juzz halaq me na jayega, magar bezarurat e sahiha karahat zarur hai.

Durr e Mukhtar me hai
کرہ لہ ذوق شئی
(rozadar ko (kisi) cheez ka chakhna makruh hai)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1263

Agar koi aurat ye kahe ki mere upar kisi buzrug ki sawari aati hai kya koi wali kisi aurat par aa sakte hai ?

Jawab:1263 بسم الله الرحمن الرحيم
Aisi aurat makkar aur jhuthi hai, warna jahil to zarur hai, kisi bhi wali ya insan ki sawari kisi doosre insan par nahi aati, han, kuchh logo par jinnat zarur aate hai, jo apne aap ko wali kehte hai aur jis par aate hai use iski khabar nahi hoti, fir log wahi samajh lete hai, jo wo jinn kehta hai maslan kisi par jinnat aya or kaha me GAUS E AZAM hu, ab log use samajhte hai ki gaus ki sawari aati hai, aur ye sab drama jinn tafrih karne ke liye karte hai, aur ye bhi yaad rakhe ki jinn bhi kisi kisi par aate hai, har kisi par nahi kuchh logo ka to khud ka drama hota hai,

Waqarul Fatawa Jild: 01 Safah:177 par hai
Kisi mard ya aurat par kisi buzurg ki sawari nahi aati, Sirf jinnat ka asr hota hai wo bhi kisi kisi par, magar is jinnat se Suwal karna ya ainda ka haal maloom karna najaiz hai”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1264

Hazrat kya nabeena ke pichhe traveeh ya namaz ho jayegi kyuki m ek nabeena ke pichhe hi padh raha hun or wo bhi sambhal ki shahi jama masjid me wo nabeena kai saal se jama masjid me hi suna rahe he ager namaz nahi hoti to itne sal se kisi ki namaz nahi ho rahi wo bhi kai so admiyon ki ek sath.
Hazrat jald wazahat farmaye.

Jawab:1264 بسم الله الرحمن الرحيم
Nabina ki imamat jaiz hai, balki agar uske misl waha koi alim nahi, jo namaz taharat ka usse zyada ilm rakhta ho to nabina hi ki imamat AFAZAL QARAR payegi, ki namaz ka dar o madar ilm par hai akho par nahi, aur agar koi uske misl alim maujood hai ya usse zyada janne wala hai, to agar nabina bhi imamat ke kabil hai to aise hal me imamat nabina ki makruh tanzihi, magar namaz fir bhi nabina imam ke pichhe jaiz hai, nabina ho ya ankh wala imamat ke ahl ho,
Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:381 par hai
“har jamat me sabse zyada mustahaq e imamat wahi hai, jo un sabse zyada masail e namaz o taharat janta ho, chahe or masail me doosre ki nisbat ilm kam ho, magar shart ye hai ki hurf itne sahi ada kare, ki namaz me fasad naa ane paye, aur fasiq aur badmazhab naa ho, to jo shakhs IN SIFAT KA JA’ME ho uski imamat afzal CHAHE ANDHA HO,

Fatawa Alamgiri me hai
“nabina, gulam ki imamat jaiz hai albatta makruh hai”
(aur makruh bhi jab hai jab usse behtar imam ya uski misl maujood ho warna makruh bhi nahi, isi ki afzal)
Jaisa ki Durr e Mukhtar Jild:1 Safah:43 par hai
وفی الدر یکرہ امامۃ الاعمی الا ان یکون اعلم القوم فھو اولٰی
(aur durr e mukhtar me hai, NABINA shakhs ki imamat makruh hai, siwaye is surat me ki wo qaum me sabse syada ilm wala ho, to is surat me wahi (nabina) IMAMAT KE ZYADA LAIQ WA AFZAL hai”
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1265

Meri sadi ko 8 sal hue mere husband bahot izzat karte the mujh per bahot yaqeen karte the meri, par ab gar me meri SAS ki wajah se hum dono me bilkul nahi banti wo har bat pe juth bolti hai aur mere husband her bar unpe hi yaqeen karte hai aur muje juth se nafrat hai, me kitna bhi sach kahu mere Husband ko yaqeen nahi aata aur meri SAS, uske bete ke samne aisa dikhava karte hai ki wo mujhe beti ki tarah rakhti hai aur uske pichhe mujhe tane Marti hai mere husband ko roz kahti hu mujh pe yaqeen karo to kahta hai ki tumhara to roz ka Natak hai, me kya karun ek to hamare gar ka mahol aisa, mere mama gar pe bahot waqt se he, yaha meri zindgi jel Jesi ho gai hai aap aisa kuchh padne ko do taki me apne husband ka dil jeet saku aur wo muje mere bachcho ko leke kahi aur rehne chala jaye, nahi guzrti aise jindgi gut gut ke roz jite hai please

Jawab:1265 بسم الله الرحمن الرحيم
Har hafte 786 bar paani par bismillah sharif padh kar damm kare aur paani ko sab ghar wale piye, yani peene ke paani me mila de har hafte aisa hi kar liya kare, aur khali din bhar me ASTAGHFAR ki kasrat kare, har preshani se nijat paa jayengi, aur aisa koi wazifa me nahi deta jisse beta apni maa se alag ho jaye, aur apne shohar ki nazr me waqar o izzat pane ke liye har namaz ke bad, 564 par YA AZEEZU 40 din tak ya 90 din tak padhti rahe, agar ye mumkin naa ho to farj ki sunnat aur farz ke bich 41 bar YA AZEEZU padh liya kare, chahe to dono kare, aur namaz aur har farazi o wajibat ki pabandi shart hai, aur har haram kam se bachna zaruri hai, aur gheebat, chugli, hasad, aurato ke pasandida haram kam hai, jo inme kasrat se paye jaate hai, iske liye roz Astagfar ki kasrat kare,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1266

Aurat ka tarawi padne ka tareeka kya he

Jawab:1266 بسم الله الرحمن الرحيم
Iske liye koi alag tariqa nahi, Wahi aam do rakat padhne ka tariqa hai, yani do rakat sunnat tarawih ki niyat kar ke 20 rakat poori kare, aur jo surat yaad ho usse 20 rakat padh len,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1267

Hazrat nikah me sharayi mehar kitni hoti hai or zyada se zyada kitni mehar hona chahiye. Salam

Jawab:1267 بسم الله الرحمن الرحيم
Shariat me kam se kam meher, 2 tola 7.50 masha chandi ya iski raqm honi chahiye isse kam meher nahi ho sakta, aisa hi Bahar E Shariat me hai, aur zyada se zyada ki koi had nahi, jis par dono gharane khushi se raazi ho jaye, (yani apni maali lihaz ke mutabik)
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1268

Hamare Masjid Ke Imam Sahab Ne Jumuah Ki Namaz Me Takreer Ki Hai "Ke Hazrat Ali Aur Sayyada Fatima Radi Alahu Anha" Fazilat Ke Sayyad Hai Nasab Se Sayyad Nahin Hai" Is Baat Par Poora Jumuah Baad Imam Sahab Ke Khilaf Ahtijaj Hua Unka Putla Bhi Jalaya Gaya, Us Imam Par Kya Sharyi Hukm Lagega Is Ke Peechhe Namaz Padhna Kaisa ? Barae Karam Rehnumai Farmaye SALAM

Jawab: 1268 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar imam ne sirf Hazrat ali ke bare me ye kaha ki wo ya unki aulad nasbi sayyid nahi, to sahi kaha hai, kyunki Hazrat ali ya unki aulad ko sayyid nahi kehte balki ye nisbat Hazrat e fatimah ki bina par unki aulado ko khas hai, yani Hazrat ali ki doosri biwi se jo aulad hain unhe sayyid nahi kehte, kyunki sayyid hone ka sharf Fatima zehra ki nisbat se hai, Hazrat ali ki nisbat se nahi, is lihaz se sirf Hazrat ali ke bare me farman e imam durust hai, aur ye bhi sahi hai ki wo fazilat ke sayyid hai, aur is tarah fazilat me har sahabi poori dunya ke musalmano ke liye sayyid hain, magar imam ne Hazrat e Fatima ke bare me jo kaha ki wo bhi nasbi sayyidah nahi to ye ghalat hai, is bare me ahadis maujood hain, magar imam ko samjhana chahiye tha, waha ke kisi dusre alim ke pas le jaa kar islah karwani chahiye thi, is tarah fasad ki ijazat shariat nahi deti, ye putle jalana, raste jamm kar dena ye bhi shariat ke khilaf hai, aur imam ki poori taqrir aur uska is bare me aqeeda mere peshe nazar nahi, bagair ise jaane imam ke pichhe namaz ka meri taraf se koi hukm nahi diya jaa raha, kyunki mujhe na taqrir ki poori baat pata na ye ki imam ne sirf Hazrat ali ko kaha ya Fatima ko bhi, aur naa mujhe ye pata ki imam ne la-ilmi me keh gaya ya yahi aqeeda rakhta hai, lihaza ilaqe me pas hi ke kisi mufti sahib se rabita karke, masale ka hal nikala jaye, mgar poori baat jane bagair is tarah ki harkat awam ko ulama ke khilaf durust nahi hai, pehle unse poori dalil leni chahiye thi fir fatwa talab karte, aur jo hukm fatwe me aata awam ko us par amal lazim tha naa ki khud , sarko par utar kar fesla kare, agar imam ne sirf hazrat ali ko kaha hoga aur fatwa uske haq me aya to ye awam kal unke samne munh dikhane ke qabil hogi, narmi aur aqalmandi se kam lena chahiye tha,
Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe
Ham kabhi jab dost ban jaye to sharminda na ho
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1269

Jab Huzoor Muhammad Sallallaho Alaih Wasallam Sidra Par Pahunche To Wahan Aaqa Sallallaho Alaih Wasallam ko Gause Aazam Radiallaho Anho mile aur Huzoor Ne Aapke kandhe par pair Rakha tha
Kya baat Sahi hai ?

Jawab:1269 بسم الله الرحمن الرحيم
Isme koi bat aqlan aur sharan ghalat nahi, aur meraj me aur rooh ka bhi mulaqat sabit hai, yahi imam ghazali wagera, to gaus e azam ki rooh ka hazir ho kar huzoor ka qadm garden par rakhna kuchh ajb nahi,
Fatawa Razawiya Jild:28 Safah:411 par hai
“jab meraj me itne logo ki arwaah ka hazir hona, ahadis wa aqwal e ulama o auliya, se sabit hai to rooh e aqdas sayyidul auliya gaus ul asfiya (gaus e azam) ki hazri kya jaa-e- ajab o inkar hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1270

अस्सलामू अलैकुम, हजरत अगर कोई शख्स सलाम गलत करता है तो क्या तब भी हमे जवाब देना फज्र बनता है
जैसे इस तरह सलाम करते है लोग, अस्साम लेकुम, सलाम अलैकुम, सलाम वालेकुम, और भी कई तरह से लोग गलत सलाम करते है, हजरत रहनुमाई फरमाऐ कि इन गलत सलाम का जवाब किस तरह से दे

Jawab:1270 بسم الله الرحمن الرحيم
Jis ke mayne salam ke naa ho uska jawab dena wajib nahi, aur isi tarah sirf ungali se salam kare to uska jawab bhi dena wajib nahi, magar SALAAM, KEHNE SE SALAM HO JATA HAI, ISITARAH SALAMU ALAIKUM se bhi salam ho jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1271

Hazrat kiya kan me tel dal kar tili karne se roza tut jata he Muhammad sami raza khan qadir Delhi se

Jawab:1271 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi tut ta, magar jiske kan ka parda sahi nahi use na chahiye ki tel dale, aur mutlaqan ehtiyat ye hai ki roze me kaan me tel nahi dalna chahiye, sehri ya iftar me dale,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1272

Hazrat kiya WhatsApp or Facebook par apni pic (photo ) dalna, najaiz he muhammad sami raza khan qadir Delhi

Jawab:1272 بسم الله الرحمن الرحيم
Screen se bani pic me ikhtilaf hai, to jab tak digital gadgets se kheech kar us gadgets me hi rahe to baz ke nazdik jaiz kyunk uske kholne me koi taswir hasil nahi hoti na screen par hamesha bani hoti hai, balki wo pixel se bani hoti or light ke sahare dikhti hai, aur agar uska print out nikala jaye to haram, aur bachna surat e awwal me mustahab aur surat e dom me farz.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1273

Sikandar warsi sahab एक मसला है जो इस दौर का सबसे बडा मसला उसकी वजाहत फरमाएंगे क्या wo photography ka hai ?

Jawab:1273 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye koi bada masala nahi hai, photography haram hai, aur taswir ask e sakit ko kehte hai, aur videography, photography nahi hoti, aur video me ikhtilaf hain, yani jaiz cheez ki video jaiz, najaiz ki najaiz,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1274

Hazrat kal hamare yaha iftar ka waqt 19:19 ka tha mujhe kal ilm na hone Ki wajah se 19:13 par iftar kar liya tha, kyuki pahle roze ke iftar ka waqt 19:13 tha. Is Surat me kal ke roze ka kya hukm hai.

Jawab:1274 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye ghuman kara ki iftar ka waqt ho gaya aur roza khol liya, jabki waqt nahi hua tha to roza jaata raha,
(Eid bad) is ek roze ki qaza kare, yahi Bahar e Shariat Jild:1 Safah:989 par hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1275

Assalamualaikum, Mein kal asr ki namaz pad raha tha akhri rakat mein Salam se pehle mujhe pair mein dard hua achanak Hazrat siddiq e akbar raziallahahotalaanhu ka khayal aagya aur mein ne be sakhta "ya siddiq e akbar almadad" keh diya, kya namaz mein khaami toh nahi hui baaz log kehte hai kuchh naya namaz mein nahi karna chahiye meri namaz makroh ho gai ya wajibul aeada hui, Allah tala apko jaza e khair ata farmaye

Jawab:1275 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz me kalam karna namaz ko fasid kar deta hai, chahe qasdan ho ya sehwan, is surat me namaz fir se padhna farz hai, jabki bolne me itni awaz thi ki khud ke kano se suna ho,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:604 par hai
“Kalam mufsid e namaz hai, khata’an ho ya sehwan, sote me ho ya bedari me, apni khushi se kalam kiya ya kisi ne kalam karne par majbur kiya”

Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:271-272 par hai
“asl ye hai ki, namazi jis lafz se kisi aise mayne ka izada kare, jo amal e namaz se nahi, to weh kalam ho jata hai, aur mufsid e namaz qarar pata hai (yani namaz torne wala) chahe zikr e ilahi ya quran hi ho, chahe apne mahl me hi ho, maslan- kisi musa naam ke shakhs se namazi ne kaha
 ماتلک بیمینک یاموسٰی
(aye moosa tere hath me kya hai), naamz jaati rahi chahe ye alfaz ayat e karima hain)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1276

Hazrat agar do din me Quran padh kar poora kar liya Jaye toh kya mukamml padha hua mana jayega

Jawab:1276 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar mukammal padha hai, aur itni awaz se padha hai ki khud ke kan sun sake to padha hua mana jayega, aur agar dil dil me padha hai, ya sirf padhte waqt hont hilaye awaz nahi aati thi, aur is tarah quran poora kare to padha hua nahi mana jayega, aur agar aisa nahi hai balki awaz ke sath padha hai to jitne padhe aur sahi padhe to utni hi mane jayenge chahe 2 din me 1 quran ho ya 1 ghante me 1 quran
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1277

Ek shakhs jiska kam sood hai, magar ghar me or log halal tariqe se kamate hai, ab aise shakhs ke ghar ka khana kaisa, jabke hame maloom nahi ki wo khana kis ki kamai ka hai, yani bap ki sood ki kamai ka ya beto ki halal kamai ka,

Jawab:1277 بسم الله الرحمن الرحيم
jab tak ye yaqeen naa ho ki jo khana apke samne hai wo sood hi ki raqm hai tab tak uska khana jaiz hai. Yani Aise shakhs ke ghar ka khana jaiz aur bachna behtar, Fatawa Razawiya Jild:24 Safah:500 par hai
“jiske waha halal o haram dono tarah ki aamdani hai, uska khana haram nahi hota, jab tak maloom na ho ye khas khana haram maal se hai”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1278

Kaabe ki taraf per karke sona kaisa, aur per phela kar kabe ki taraf bethna kaisa,

Jawab:1278 بسم الله الرحمن الرحيم
Fatawa Razawya Jild:23 Safah:386 par hai
“kaabe ki taraf paun karke sona, balki us taraf paun phelana, sone me ho ya jagne me lete me ho chahe bethe me, har tarah mana wa be-adabi hai”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1279

Kya mobile ya internet ke zariye talaq di jaa skti he ?

Jawab:1279 بسم الله الرحمن الرحيم
G, Han, phone par di gai talaq se Talaq Ho jayegi , aur isi tarah mail ya msg. par bhi tehriri talaq dene se,
talaq ho jayegi, kyunki talaq likh kar dene se bhi talaq ho jati hai,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1280 

Kya nabi e paak muhammed sallallahu alaihi wali wassalam ka saaya zameen par padta tha ? 
Hamaari yaani Ahle sunnat wal jamat ka aqaid hai ke nabi e kareem sallallahu alaihi wassalam ka saaya nahi tha, To kuchh wahaabi jaahil log mujhse is baat pe ye chand quran ki aayath ka zikr karte hain Wo ye hai “Aur Jitni Makhlooqat Aasmano aur zameeno me hai khushi aur na khushi se allah taala ke aage sajda karte hain aur in ke saaye bhi subha wo shaam sajda karte hain (sureh ra’ad : 15) Kiya inho ne allah ki maqlooqat mese kisi ko nahi dekha ke saaye dayen aur bayen se lot the hain yaani allah ke aage sajda karte hain ( nahl :28)
Aur ye do ahadees pesh karte hai
1) Musnad Ahmed Kee do hadeesen jo Saheeh hain jo mainay pahlay bhi apko bataya tha ke:
Hazrat Zainab say kisi wajah say Allah kay Rasool naraaz ho kar 3-4 mahino tak unkay ghar nahee gaye to ummulmu’mineen nay samajha ke aap wapas nahee aayengay aur wapas janay ka irada kar liya tha, farmati hain ke ek din dopahar kay waqt mai apnay ghar may baithi thee ke mainay dekh ke Nabi sallalallahu alaihiwasallam ka saaya meri taraf badh raha hai. (Hadees-e Saheeh, Musnad Ahmad)
2. Musnad Ahmed hee kee doosri hadees jo Saheeh hai, Allah kay Rasool Fajr kee namaz padha rahay thay ke apna haath aagay phaila rahay thay, aur phir namaz padhatay hue hee peechhay hatay. Sahaba nay namaz say farigh hokar haal daryaft kiya to Allah kay Rasool nay farmaya ke Jannat meray samnay karr dee gayi aur mai uskay phal lenay apnay haath phailaya. Aur yeh bhi farmaya ke agar mai wo lay leta to wo phal tum bhi khatay. Phir apnay farmaya ke jahannam bhi mera samnay kee gayi. yahan tak ke mainay apna saaya aur tumhara saaya dekha). (Bahawala-e Musnad Ahmed, Hadees Saheeh).
in se mere dil me waswase paida hote hai .. Mera dil mutmaeen to nahi hota lekin waswase ate rehte hai ke haq jamat sunnat jamat hi hai ... Me alim, mufti sahab se guzarish karunga ke Nabi ka saaya na hone ki chand dalail pesh kare ? Jazakallahu khairan ! Taake me unko mu tod jawaab dun ? Ummid hai jawaab jald hi ayega

Jawab 1280: بسم الله الرحمن الرحيم
Isilye hadis me mana unse mel jol na rakho. Na salam kalam kahi wo tumhe fitne me naa dal de, ye jo apke dil me waswasa aya ye isilye tha ki apne unse behes karna munasib samajha jabki apke sunni ulama hazaro saal se isi baat par awam ko samjhate hai, aap unse behes naa kro kya jaane kon si baat apke dil me ghar kar jaye aur iman chala jaye, magar awam to awam hai, aur bina behes ke chara nahi, jab bhi koi wahabi apse kuchh puchhe to aap unhe sunni masjid ke imam ya alim ka pata de kar apni jaan chhuraya karo badmazhab se munazra karna awam ka kam nahi naa ye har ilm wale ki bas ki baat, jab apko pata hai, huzoor ka saya nahi hai, fir wahabi jo bhi dalil de apko use sunne ki hajat nahi, apko utna kafi hai jo sunni ulama ne apni kitabo me likh diya, aur aj bhi aap jawab sirf islye mang rahe ho ki unhe muhn tor jawab de saku, halaki apko use samjhana ya behes karna wajib nahi balki waqt ko zaya karna hai, (aur bad-mazhab se behes naa karna hi awam ke haq me behtar hai agar tum jaano)

Al-Jawab
Beshak huzoor e do ALAM KA SAYA NAHI tha aur ye bat hadis e tayyiba aur aqwal e aaimma se sabit hai,

Khasais e Kurba me hai
فقد اخرج الحکیم الترمذی عن ذکوان ان رسول اللہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم لم یکن یرٰی لہ ظل فی شمس ولا قمر
(hakim tirmizi ne riwayat kiya, huzoor ka saya nazar naa ata tha, naa dhop me naa chhau me)

Aur isi khasais e kubra me Imam Jalaluddin Syuti Shafai ne farmaya
خصائصہ صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم ان ظلہ کان لایقع علی الارض وانہ کان نورا فکان اذا مشٰی فی الشمس اوالقمر لاینظر لہ ظل قال بعضھم ویشھد لہ حدیث قول صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم فی دعائہ واجعلنی نورا
(ibn e sab’a ne kaha, huzoor ki khususiyat me se hai ki, aapka saya zameen par na padhta, aur aap mehez noor the, to jab dhoop ya chandni me chalte, aap ka saya nazar naa ata, baz ulama ne farmaya ki iski shahid weh hadis hai ki huzoor ne apni dua me kaha, ki mujhe noor kar de,)

قال عثمان رضی اللہ تعالٰی عنہ ان اللہ مااوقع ظلک علی الارض لئلایضع انسان قدمہ علی ذٰلک الظل
(usman e ghani ne huzoor se arz ki beshaq allah ne huzoor ka saya zameen par naa daala, ki koi shakhs us par paun naa rakh de)

Madarijun Nabuwa me Shekh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Farmate hain:
ونبودمرآنحضرت را صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم سایہ نہ در آفتاب ونہ در قمر
(sarkar e do alam ka saya suraj aur chand ki roshni me naa tha)

Shah Abdul Azeez Sahib Apni Tafsir me farmate hai:
سایہ ایشاں برزمیں نمی افتاد۱
(aapka saya zameen par naa padha)

Ab itne bade bade, muhaddis aur aimma hadis ko zyada behtar samajhte hai, jinhone apni poori zindagi hadis ki khidmat me laga di, ya fir aaj ka wahabi hadis zyada samajhta hai..

Iski zyada tafseelat ke liye Fatawa Rawawiyia Jild 30 ka mutala mufeed hai
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1281

Hazrat aap se mera sawal hai ki ghost ko kaisa pehchana jaye ki halal hai ya phir haram jawab ka talabgar

Jawab:1281 بسم الله الرحمن الرحيم
Wali apne kashf se jaan lega, aur awam ka pata nahi kaise pehchanegi, magar jab musalman se kharide to husne zann rakhe ki halal hai, jab tak apni ankho se na dekh le ki haram tariqe se kaata gaya, aur kafir se le to haram hai, chahe kafir kahe ki mene musalman se zibah karwaya hai, uske kehne ka etbar nahi uska khana haram hoga, aur yahi Fatawa Razawiya me hai
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

Suwal no. 1282

Hazrat Taraweeh me Quran shareef (1-27 shab) padhne ka Maamul kab se hai, aur 27 shab ke baad kyu sirf chhoti surat hi padhi jati hai, kya Taraweeh me Poora Quran shareef padhna shart hai, kya masjid me Ba-Jamat Imam Sahab ke pichhe sirf Chhoti Surat ya chuninda surato se taraweeh ka ahtemam kiya jaa sakta hai ? Jawab inayat farmaye

Jawab:1282 بسم الله الرحمن الرحيم
Tarawih me ek bar mukammal quran ka khatam SUNNAT E MOAKKADA hai, aur 27 vi shab me poora karna behtar aur afzal hai, aur uske bad, awam me dilchaspi kuchh kam ho jaati hai, aur din bhi kam reh jaate hai, lihaza baki din chhoti surato se taravih karwai jaati hai, warna do quran karna bhi afzal hai,
Taravih ba-jamat padhna afzal hai, magar aur koi ghar me padhna chahe to chhoti chhoti surato se bhi 20 rakat padh sakta hai, kuchh gunah nahi, magar masjid ke sawab se reh jayega, magar masjid me aisa nahi karna chahiye ki, ki awam ki susti ki wajah se mukammal quran band na kare, ha jise masjid me itni der tak padhna munasib naa ho to wo ghar me tanha padh len, kuchh gunah nahi, aur agar imamat ke qabil hai, aur biwi wala hai to ghar me apni biwi ke sath taravih jamat se padh le, ye bhi mumkin hai, warna mehram ke sath bhi jamat ki jaa sakti hai,  
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:689 par hai
“taravih me ek bar quran khatam karna sunnat e moakkada hai,”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:690 par hai
“agar ek quran khatam karna ho to behtar ye hai ki 27vi shab ko khatam kare”

Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:462 par hai
“agar ahle mahalla apni apni masajid men, iqamat jamat Karen, aur unme baz gharo me taravih tanha ya jamat se padhe to harz nahi”

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:691 par hai
“taravih masjid me ba-jamat padhna afzal hai, agar ghar me jamat se padhi to (masjid ki) jamat ke tark ka gunah naa hoga, mgar weh sawab na milega jo masjid me padhne ka tha”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1283

Hazrat kya munh se lagataar 3 baar talaak kehne par talaak ho jata he aur kya halala karna jayaz he shariat talaak ke bare me kya kehti he, Zara tafseer me bata de Badi meharbani hogi..

Jawab:1283 بسم الله الرحمن الرحيم
Teen bar talaq dene se 3 talaq ho jayegi ye aurat us mard ke liye haram ho jayegi, ab agar fir isi mard se nikah karna chahe to pehle bad e iddat, doosre se nikah karna hoga jise halala kaha jata hai, fir nikah aur hambistari ke bad wo shohar apni marzi se talaq dega to fir ye shohar e awwal se nikah kar sakti hai, aur bagair halala pehle shohar se nikah karna jaiz nahi
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1284

Hazrat agar main gusl ke 3 farz ada karta hun to kya us ke sath mera wuzu bhi ho jayega ya phir alag se karna padega, Agar main Charo taraf se band jagah ek dum beparda ho kar gusl karta hun to kya mera wuzu bhi ho jayega, ya phir kapde pehan kar mujhe wuzu karna hoga?

Jawab:1284 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu, gusl me shamil hai, jisne gusl kiya uska wuzu bhi ho gaya, lihaza apko gusl ke bad wuzu karne ki zarurat nahi, aur hadis me bhi isse mana farmaya hai, farmaya “jo gusl ke bad wuzu kare wo ham me se nahi” aur ye bhi awam me ghalat mash’hoor ki nanga badan dekhne se wuzu tut jata hai, aisa kuchh nahi hai, apna ya paraya badan dekhne se wuzu nahi tut ta, lihaza apka gusl karna, ya gusl wala wuzu har namaz ke liye kafi hai, kapde pehnne ke bad fir wuzu naa kiya jaye,
 وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1285

Hazrat roza kitne sal ke ladke or ladki par farz he muhammad sami raza khan qadir Delhi se

Jawab:1285 بسم الله الرحمن الرحيم
Ladke par jab 12 se 15 ke bich jab ehtlam ho jaye farz hai, warna 15 sal me farz qarar diya jayega
Ladki par jab 9 se 12 ke bich jab haiz aa jaye farz hai, warna 12 sal me farz qarar diya jayega
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1286

Hazrat eid ki namaz ka tariqa bataye kese niyat karni he or kiya padhna he kitni bar takbir bolni he poori tarikh tafseer se byan kardo Hazrat, muhammad sami raza khan qadir Delhi se

Jawab:1286 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz e eid ka tariqa ye hai ki,
Niyat ki mene Do rakat wajib eid ul fitr may zaid 6 takbiro ke, waste allah ke munh mera kabe sharif ki taraf pichhe imam ke fir…
kano tak hath uthaye, aur ALLAHU AKBAR keh kar hath bandh le, fir SANA PADHE, fir kano tak hath uthaye, ALLAHU AKBAR kehta hua HATH CHHOR DE, fir hath uthaye aur ALLAHU AKBAR kehta hua hath chhor de, fir hath uthaye aur ALLAHU AKBAR kehta hua HATH BANDH LE, yani pehle takbir me hath bande aur 2 takBiro me hath latkaye, fir chothi takbir me hath bandh le, fir imam qirat kare muqtadi sune, is tarah ek rakat poori kare, dosri rakat me khade ho kar hath bandh le, aur imam ki qirat sune, fir 3 bar kan tak hath utha kar ALLAHU AKBAR kahe aur hath NA BANDHE, aur chothi baar bagair hath uthaye ALLAHU AKBAR kehta hua RUKE ME JAYE,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:781-782
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1287

Hazrat kiya qabr main bhi bhuk payas lagti he Hazrat rahenumai farmaye

Jawab:1287 بسم الله الرحمن الرحيم
maloom nahi, agar garmi ya azab ke tor par qabr me bhook pyas ka ehsas karaya jaye to ajb nahi
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1288

1)-Hajr e Ashwat Kya Hai?
2)- Ye Duniya Me Kab Aur Kaha Se Aai ??
3)-Aur Kis Nabi Ke Daur Me Aai ?? 
4)-Ye Pehle Se Hi Kaala Hai Yaa Baad Me Huwi Hai ?
NOTE:- Kal Jume Ke Baad Hamaare NEPAL ke Ek Masjid Me Ulmaa e Kiraam Ke Bich Behes Hogai Ke Kisi Ka Kehna Hai Ke Hajr e Ashwat Pehle Safed Tha Baad Me Kaala Huwa Hai Aur Kisi Ka Kehna Hai Shuru Se Hi Kaala Hai ,Kisi Ka ADAM Alaihissalam Ke Zamaane Me Duniyaa Aaya Aur Kisi Ka Kehne Ke Huzoor ke Zamaane me, Hazrat Mujhe Bataae Ki Sahi Kaun Sa Hai Kyu Ke Ye Mas'ala Mujhe Diya Gaya Hai Aur Kaha Gaya Hai NET se SEARCH kar ke SOLVE Karo, Hazrat Is Ka HAWAALA Zarur Dijyega Kyu Ke Ulmaa e Kiraam Ko HAWAALA Chahiye ye Baat To Aap Hamse Behtar Jaante Hai, Hazrat Iska Jawab JUMERAAT tak chahiye Kyu Ke Aane waale Jum'aa Ko Dena hai mujhe, JAZAKALLAH

Jawab:1288 بسم الله الرحمن الرحيم
AAMEEN
Jab apse ye masala internet se hal karne ko kaha gaya tha to apko chahiye tha ki kisi darulifta me mail karte, or apko to maloom hi hai ki mere zariye ilm e fiqh par zyada kalam kiya jata hai, me aksar tarikh aur waqiyat ke jawabat nahi deta, khair ainda iska khyal rakhe, apni naqis tehqiq ke mutabiq arz karta hu,
1 - jannat se utara gaya ek pathar hai (aur arabi me hajr ke mayene bhi pathar ke hain)
2 - jannat se aya, kaabe ki tameer ke waqt,
3 – jab Hazrat e ibraheem aur unke bete Hazrat e ismail kaabe ki tamir kar rahe the, tab Hazrat jibrail ne ye pathar jannat se la kar diya, aur Hazrat ibraheem ne apne hatho se ise kabe me lagaya
 Aur hadis e tirmizi me hai (804)
“bila shubha hajr e aswad aur muqam e ibraheem, jannat ke yaqooto me se yaqoot hain, allah ne inke noor aur roshni ko khatam kar diya, agar wo roshni khatam na ki jati to mashriq o maghrib ke darmiyani hissa roshan ho jata,
Aur sahih hadis se yahi sabit hai (jaisa ki tirmizi me hai)
“hajr e aswad allah ne zameen par jannat se utara hai”

Tirmizi hadis 877, musnad ahmad hadis 2792 aur ibne khuzaima ne sahi ibn e khuzema me ise sahi qarar diya, ki farmaya huzoor ne ki
“hajr e aswad jannat se aya to dhodh se bhi zyada safed tha, aur use bani adam ke gunaho ne sia kar diya”
fatahul baari sharah sahi bukhari ne bhi is hadis ki taqwiyat byan ki he, aur Miraqat sharah mishkat me hai
“bani aadam ke chhune ki wajah se, gunaho ke sabab se sia ho gaya, aur zahir to yahi hota hai, ki is hadis ko haqiqat par mahmool kiya jaye, jabki isme naa to aql aur na to naql mane he,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1289

Kya faramatey hai ulama ikram is masale me, ki Haj ka qutba Wahabi dete hain, To kya hajj mukammal ho jayega ? Agar nahi to kya kiya jaayeg ?

Jawab:1289 بسم الله الرحمن الرحيم
Haj muqammal ho jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1290

Main ramzan ke dauran ehtiqaf ke bare me janna chahta hu. Maslan kitne din ka ehtiqaf hota hai. Aur kis din se ehtiqaf me baithna chahiye kitne dino tak, aur iski sharte ,wajibat, farz, kya kya hen ?

Jawab:1290 بسم الله الرحمن الرحيم
Waise to aap pure 30 din ka etikaf bhi kar sakte the, magar kyunki aaj 7 ramazan hai, to iska waqt nikal gaya ab aap 10 din yani ramazan ke akhri ashre ka etikaf kijiye.
Yani 20ve roze ko maghrib se pehle masjid me dakhil ho jaye, aur ye niyyat kare ki me sunnat etikaf se hu, aur chahe to asr ke bad hi bethe rahe, fir, aap masjid me hi 10 din chand rat tak rahenge, aur ibadat me mashgul rahenge, magar aap masjid ke bahar nahi aa sakte, logo se andar hi mulaqat kar sakte ho, aur agar toilet wagera bahar hai to zarurat iske istimal ke liye aa bhi sakte ho, jabki us masjid ki chhat tak andar koi toilet naa ho, thik waise hi wuzu ka hukm hai, aur etikaf ek qism ka dharna dena hota hai ki banda allah ke ghar me aya hai, aur apni maghfirat aur nek dua ko poora kara kar hi jayega, aur ye kaam rato ko ibadat karke, aur raat ke akhri ashre me dua karke hoga, aap din me so bhi sakte hai, aur etikaf me mobile rakhna aur zaruratan ghar par baat karne me bhi harz nahi, aur naa roz nahane me, bas yahi ehtiyat kafi hai, aur agar koi masala darpesh ho to likh bheje aur agar dauran e etikaf pesh aye to usi masjid ke imam se rabita kar len, aur ramazan ke etikaf me roza bhi shart hai,
Bahar e Shariat Jild:1 safah:1020 par hai
“masjid me allah ke liye niyat ke sath thehrna etkaf keh lata hai, isme aqil hona aur junubat se pak hona shart hai, aur baligh hona shart nahi,

Bahar e Shariat Jild:1 Safah:1022 par hai
“etikaf e sunnat yani jo ramazan sharif ko pichhe 10 tarikho me jo kiya jata hai, usme roza shart hai,

Etikaf me chup naa bethe balki dua, zikr, durood me mashgul rahe, han din me aram kar sakte hai aur rat ibadat ke liye rakhe, aur khoob ro ro kar dua e maghfirat chahe apne liye, walidain ke liye, aur tamam musalmano ke liye, (allah ta’la qubool farmaye aur asanya farmaye)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal no. 1291

Agar kisi shakhs ne kisi ko qarz de rakha hai. Aur jo qarzdar hai wo qarz adaa nahi kar pa raha (ya nahi karna chahta) to kya wo shakhs (jisne qarza diya hua hai) apni payable amuont of zakaat me se qarzdar ka qarza barabar kar sakta hai, For example- zaid ke upar 2000 shahid ka udhar hai. Ab shahid ki zakaat 10,000 ban rahi hai to kya shahid un 10,000 me se wo 2,000 kam kar de baki 8000 adaa kar sakta hai, Aur qarzdar ko ittla kar de ki "maine tum par 2000 zakaat me maaf kiya ya adaa kiya”

Jawab:1291 بسم الله الرحمن الرحيم
Is tarah nahi kar sakta, aur ye surat mumkin hai ki, agar qarzdar sahib e nisab nahi ghareeb hai to, shahid zakat ke 10,000 zaid ko hi de de, jab zaid is raqm par qabza kar le, yani malik ban jaye, to fir shahid usse apna qarza mang le, to zaid 2,000 shahid ko de dega, is tarah zaid ka qarz bhi ada ho jayega, aur shahid ki zakat bhi aur zaid ka bhala bhi ho jayega, aur jab shahid ko zakat deni hi hai to zaid ko dene me bhi koi harz nahi, (magar zaid zaat ka sayyid naa ho, aur baligh ho) aur chahe to zaid se ye bat pehle bhi tay kar le ki main apko 10,000 dun, to tum mujhe, mera qarza de dena,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1292

Roze Farz Hone Ki Wajah Kya Hai ?

Jawab:1292 بسم الله الرحمن الرحيم
Musalman ko, pak saf karne gunaho se bachane ke liye roze ka ehtimam kiya gaya hai
Surah Baqra Ayat 183 me hai
“aye iman walo tum par roza farz kiya gaya, jaise un par farz huya tha, jo tum se pehle huye, TAKI TUM GUNAHO SE BACHO”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1293

Jawab no. 1261 ke aitbaar se , kya sharai aitbaar se anguthi pahanna bhi rizk aur karobaar ko badhata hai, Aqeeq pathar ko kahte hai kya firoza bhi aqeeq hai, bachche aksar khane peene ki chiz yaha waha gira dete hai jisse chiti hone ka andesha hota hai kya aisi Surat me bhi magrib baad jhadu nahi di ja sakti kuchh log to jaha khana khate hai waha sote bhi hai , aur garm khane se kya murad hai khana to Banta hi garm hai aur insaan to dobara garm karke khane ko pasand Karta hai, Mufti sahab se guzarish hai ke in maslo par Roshni dal dijiye

Jawab: 1293 بسم الله الرحمن الرحيم
Mishkat Sharif ki Hadis me hai “huzoor ne aqeeq nagine ki anghuthi pehni, jiska rang ma’il ba-sia tha,”
Miraat Sharah Mishkat Jild:6 Safah:127 Hadis no. 4388 par hai
“habshi haqeeq ka nageena bahut mubarak hai, hadis sharif me hai, chandi ki anguthi, aqeeq sia ka nageena, BAHUT ALA hai,” baz riwayat me hai ki “aqeeq ki anguthi faqeeri door karti hai,”
*us khane ki cheez ko kisi kapde se utha liya jaye, jaadu ki zarurat nahi, aur zarurat kabhi lagane me harz bhi nahi magar aadat naa chahiye,
*khana banana garm alag cheez hai, aur khana alag , aur gharam khane se murad aisa ki jise foonk marna padhe, kyunki hadis me dono cheezo ko mana kiya gaya, Imam Tabrani ne Ibne abbas se riwayat karte hain ki, “huzoor ne khane me aur pani me foonkne se mana farmaya” lihaza aisa gharm khana naa khaya jaye jisme foonke ki hajat ho, aur Hakim ne Hazrat jabir se riwayat kiya huzoor ne farmaya “khane ko thanda kar liya karu, ki GARM KHANE ME BARKAT NAHI” isse maloom chala ki garam me barkat nahi lihaza khane ko zyada gharm nahi khana chahiye ki sihat ke liye nuqsan dey hai, aur cheeze gharm hi khai jaati hai, agar wo thandi ho gai to fir se garm karne me harz nahi, is hadis me garm karne se mana nahi, magar garm khane se mana hai, aur wo bhi itna ki khaya naa jaye, warna foonkna padhega,
Lihaza ghar me be-barkati ke asbaab ko door karna chahiye, tabhi rizq me barkat dikhai degi, aur darmiyana-rawi apnana chahiye, warna haal ye hoga jaise ki koi balti me roz paani dale aur ghar ka koi shakhs us balti me surakh kar de, is tarah mahine ke akhir me balti khali ki khali, isilye hame ghar me gaur karna chahiye ki hamare kamane ke bad bhi poora kyun nahi hota barkat kyun nahi hoti
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Suwal no. 1294

Agar namaz me bhul se attaiyaato ki jagha Alhamdo sharf padle to kya iska masla hai ?

Jawab:1294 بسم الله الرحمن الرحيم
Poochhi gai surat me Sajda Sahv karna Wajib ho gaya. Kyunki surah fatiha quran hai aur quran ko ruku, sajde, aur qa’da me beth kar padhna mana hai, aur aisa hi, Bahar e Shariat Jild:1 Safah:711 par hai
“ruku, sujood, qada me quran padha to sajda sahv wajib hai”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1295

Aisa shakhs jo ailaniya badnigahi karta ho, aur chugliya, gheebat logo se karta ho, aur musalman aurat ka bura tazkira doosre mardo se karta hu, aur bila dalil e sharai musalman aurato par ilzam lagata ho, aur aksar tark e jamat ka aadi ho, to aise shakhs ki imamat kaisi ?

Jawab:1295 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo baate byan ki gai, agar wo sahi me hain, aur log is par agah bhi hain, to aise shakhs ki imamat durust nahi, Fatawa Razawiya Jild:6 Safah:583 par hai
“aur fasiq e moallin ke pichhe namaz makruh e tehrimi ise imam banana halal nahi, aur iske pichhe namaz padhni gunah aur padhi to ferna(lotana) wajib”
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1296

Shehri ka waqt sehran tak rehta hai ya azaan tak kha pee sakte hai,

Jawab: 1296 بسم الله الرحمن الرحيم
Sehri ka waqt tulu e fajr tak hota hai, agar us waqt par sairan baje to jab tak azan ho to jab tak, aur agar waqt khatam hone par sairan baje to azan tak nahi pee sakte, aur agar waqt khatam hone ka ailan ho to bhi, azan tak nahi pee sakte, jisne azan ke dauran khaya piya roza naa hoa,
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1297

Agar Koi Insaan Ye Kahe Ke ALLAH Ki Laathi Me Aawaaz Nahi Hoti To Kya Aisa Kehna Durust Hai ?
Aur Aisa Kehne Waalo Par Kya Huqm Hai ?

Jawab:1297 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye jumla kufr nahi, ki ye ek muhawra hai, aur muhawre ke murad wo nahi hoti jo ba-zahir nazar aati ho, aur samjhane wala bhi iska doosra mana hi murad leta hai, jaisa bhook lagne par kaha jata hai ki, “pet me choohe kood rahe hai” jabki sunne wala bhi janta hai ki iska matlab tez bhook hai, aur kaha jata hai mushkil kaam ke liye ki “lohe ke chane chabana” isse murad mushkil kam hota hai, thik waise hi, suwal me mazkur jumla bhi ek muhawra hai, aur iski taweel mumkin hai, aur sunne wala bhi isse zahiri mayne murad nahi lega, jaise kaha jata hai ki allah ke ghar der hai andher nahi, aur murad ye ki allah ki zaat se naummid mat ho,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Suwal no. 1298

Dua Maangne Ka Behtar Tariqa Kya Hai ? Aur Ye Bhi Batayen Ke Dua Mangte Waqt Haath Juda Hone Chahiye Yaa Jude Hue ?

Jawab:1298 بسم الله الرحمن الرحيم
Awwal akhir durood padhe, aur pehle allah ki hamd byan kare, uski tarif kare, aur usne jo apko nemat di uska shukr ada kare, fir apne liye, walidain ki liye, aur tamam musalmano ke liye dua e maghfirat kare, fir apni hajat ki dua kare, aur rehm o karam ki bheek mange, nemato ke izafe ki dua kare, wagera wagera aur is duran hatho ko khula rakhe, aur uncha asman ki taraf utha kar rakhe ki yahi sunnat e rasool hai, aur nazr niche rakhe, yahi hadis me hukm hai,
*un waqt ko chune jisme dua qubool hoti hai, maslan azan ke foran baad, adhi rat ko, do khutbo ke dauran, safar par, barish me, farz namaz ke bad,
Hadis me hai:- “azan aur iqamat ke dauran dua radd nahi hoti”
Hazrat mujahid (alaihirrehma) farmate hain: (farz) namazo ke bad dua mangna khud par lazim karo
*dua me rukh ko kaabe ki taraf rakhe, dua me awaz halki rakhe,
*aur dua ke bad dono hatho ko chehre par fere ki ye bhi sunnat se sabit hai, ki jab huzoor dua ke liye hath uthate to unhe chehre mubarak par ferne se pehle niche naa late.
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1299

Ham masjid me letkar aram kar sakte he aur so bhi sakte he kya ya nahi bataye ?

Jawab:1299 بسم الله الرحمن الرحيم
Ektikaf ki niyat ke sath
وﷲ تعالٰی اعلم

Suwal no. 1300 

Sageera gunah kise kahte hain, Aur kon kon se hain, Rahnumai farmaye

Jawab:1300 بسم الله الرحمن الرحيم
Gunah e sageera ki tafsil likhna asan nahi, mgar iska qaida ye hai ki, wajib ka ek-ad bar tark gunah e sageera hai, aur adat bana lena gunah kabira, aur isi tarah makruh tehrimi gunah e sageera hai magar ailan ke sath ya adat bana lena gunah e kabira hai, thik waise hi, koi gunah e sageera ye soch kar kara ki sageera hi to hai wo bhi gunah e kabirah ho jata hai, yani gunah e sagira ko halka janna kabira gunah hai, (yani har chhota gunah chhota samajh kar karne se bada gunah qarar diya jayega)

Fatawa Razawiya Jild:1 Safah:913 par hai
“Makruh Tehrimi Gunah e Sagirah Hai”

Fatawa Razawiya Jild:22 Safah:627 par hai
Musalmano ! makruh e tehrimi gunah e sageera sahi magar israr, kabirah aur halka jante hi foran ashd kabira (ho jata hai)
Aur hadis me hai
لاصغیرۃ مع الاصرار
(israr se gunah chhota nahi hota, (balki bada ho jata hai)

Fatawa Razawiya Jild:22 Safah:678 par hai
“40 roz se zyada nakhoon ya muh e baghal ya muh e naf rakhne ki ijazat nahi, bad 40 roz ke gunah hoga, ek ad bar me gunah e sageera hoga, aur adat dalne se gunah e kabira ho jayega”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔


No comments:

Post a Comment