Jawab:1301
بسم الله الرحمن
الرحيم
Apne pas ki masjid me mard ko jamat se namaz
padhna wajib hai, bila ujr tark nahi kar sakta, aur agar kisi wajah se jamat
nikal jaye to ghar par jamat bana sakta hai, jabki imam banne wale me imamat ke
sharait paaye jaye, aur isi tarah ghar me biwi ke sath bhi ba-jamat
namaz padh sakta hai,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1302
Janab kya hum devbandi ke pichhe namaaz padh sakte
he nahi to kyu nahi jawab dijiye Hazrat
Jawab1302 بسم الله الرحمن الرحيم
Nahi padh
sakte, hadis me kisi bhi badmazhab ke pichhe namaz mana hai
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1303
Assalamualekum, Hazrat
ager kisi ki tabiyat roze me ziyada hi kharab ho jaye to Kya roza kaza kerna
sahi hai ya nahi ?
Jawab:1303 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar halat e roze me tabyat aisi kharab ho jaye
ki bina roze tore ya dawa khaye jaan ko khatra ho ya aql jaane ka andesha ho ya
kisi uzw ke jaane ka yaqeen ghalib ho to roza khol le, agarche ye khud ka
tajirba ho ya halat zahir ho rahe ho ya gair e fasiq tabib ka qaul ho, ki roza
na khola gaya to aisa hi hoga to ijazat hai
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1304
wo mard nikah Kar sakta he Jo apni
biwi ke huqooq pure Na Kar sake ?
Jawab:1304
بسم الله الرحمن
الرحيم
Aisa andesha he ki haq ada naa kar sakega ya zimme dari
uthane se katrata ho, ya lagatar kam na karta ho, ya kamai ho magar kam ho ya
ghareeb ho, to kar sakta hai, aur yaqeeni maloomat hai ki haq ada na kar
sakega, maslan naa mard hai, aur ye marz
hamesha ke liye hai, aur ilaj se bhi sahi nahi ho sakta, ya aisi shadeed
bimari hai ki jisse bachne ki ummid ba-zahir kam hi hai, to nahi kar sakta, aur
agar kuchh haq pure kar dega kuchh nahi to bhi kar le, jaise, khana kapda de
dega, magar eid ya biah shadi me naya kapda nahi pehna sakta, isi tarah deegar
hajat se zaid zarurat ko poora naa kar sake jise log zarurat samajhte hai to
bhi kar lena chahiye, ki biwi ke har bat manna uske haq me shamil nahi, aur na
hajat se zaaid haq dena wajib,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1305
Ye irshad
farmaiye ki nikah kon se din karna behtar he Or
wo kon se din he jis me nikah karne se bachna chahiye, Rehnumai farma dijiye,
Aabid raza Mandsor m.p
Jawab:1305 بسم الله الرحمن الرحيم
Nikah har din jaiz aur juma ke din behtar, aur har tarikh me jaiz magar 3, 13, 23, 8, 18, 28
me nikah karne se bachna chahiye, ki ye tarikh nikah ke liye behtar nahi,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1306
Hazrat jo
qurane paak me jo 14 sajde hai wo kyun kiye jaate hai ? Aur Surah TAUBAH
BISMILLAH IRRAHAMA NIRRAHIM se Kyu Nahi Shuru Kiya Jata ? Rehnumaai Farmaye
Jawab:1306
بسم
الله الرحمن الرحيم
(1) Jahan
quran me sajde aye hain, waha sajda isilye kiya jata hai, ki taki musalman aur
shaitan me farq ho sake, ki shaitan ko hukm hua usne naa kara, musalman ko hukm
hua usne sajda kar liya,
Sahi Muslim me hai,
“jab ibne
adam ayat e sajda padh kar sajda karta hai shaitan hat jata hai aur kehta hai,
hay barbaadi meri, ibn e adam ko sajde ka hukm hua usne sajda kiya uske liye
jannat hai, aur mujhe hukm hua mene inkar kiya, mere liye dozakh hai”
(2) Agar
aap pehle se tilawat me mashgul hain aur beech me surah tauba aa gai to bismillah
padhne ki zarurat nahi, ki apne quran shuru karte waqt hi padh li hogi, aur
apne jab quran surah tauba se hi shuru kiya to surah tauba se pehle bismillah
padhni chahiye jaise aam surato me padhte hain, aur waha bismillah ko durust na
janna jahalat hai, Bahar e
Shariat Jild:1 Safah:551 par hai
“surah
tauba se tilawat kare to tawuz aur bismillah keh le, aur jo usse pehle se
tilawat shuru ki, aur surah tauba aa gai, to bismillah padhne ki hajat nahi, ….
ye jo mashhoor hai ki surah tauba ibtida’ann bhi padhen, jab bhi bismillah na
padhe YE MEHEZ GHALAT Hai,
Sirat ul
Jinaan Fi Tafsirul Quran Jild:4 Safah:57 par hai
“surah
tauba ke shuru me bismillah nahi likhi gai, iski asl wajah ye hai ki, jibrail
is surat ke
sath bismillah le kar nazil hi nahi huye the, aur huzoor ne bismillah likhne ka
hukm nahi farmaya”
وﷲ
سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Suwal no. 1307
Ek Hafiz ka ye
kahna kaisa aur is par shariyat ka kya huqm Hai "Padhe likhe Kuchh nahi Naam Rakkhe Muhammad Fazil"
Jawab:1307
بسم
الله الرحمن الرحيم
Fizul ki
baate hain, jahil ko bhi fazil naam rakhne me harz nahi, aur us hafiz sahib se
poochha jaye ki kya koi bachcha khud paida ho kar apna naam rakhta hai,? Agar
nahi to bachche ka kya qusoor ki uske bap ne naam rakha hai, fazil rakhe ya alim, jab naam rakha
jata hai to bachche ko khud hosh nahi hota, aur ab koi age padh likh nahi paya
to naam rakhne ka kya dosh kyunki naam rakhte waqt bhi ye nahi maloom tha ki ye
padh nahi payega, ye bat bhi bad me roshan hui hogi
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1308
Hazrat kal
humare yaha taraveeh ki namaz me 15vi rakat padhne ke baad imam sahab qaide me
beth gaye aur 16vi rakaat nahi padhi, Aur poori taraveeh me kul 19 rakaat hi
hui, Jab humne imam sahab ko iske baare me bataya to imam sahab ne kaha hume 18
rakaat ka sawab milega aur, Aaj ki taraveeh me wo 20 ki jagah 22 rakaat namaz
padhayenge jo kal chhoot gayi thi, Hazrat kya 22 rakat namaz padha sakte he
jabki kal 1rakat chhoott gayi thi, Hazrat rehnumayi farmaye, Hazrat iska jawab
jald se jald ata kare kyuki aaj ki taraveeh namaz me pata chal sake ki 20 rakat
namaz padhe ya fir 22 rakat namaz padhe?
Jawba:1308
بسم
الله الرحمن الرحيم
Imam ko
chahiye ki Aaj ki tarawih wahi mamool ke mutabik 20 rakat hi padhaye, 22 naa
padhaye, aur kal ki do rakat chhuti hui ki jamat se taravih padhna makruh hai,
han, apko itna zarur karna chahiye tha ki kal hi foran musalle par hi imam
sahib ko agah karna chahiye tha, taki 2 rakat jamat se usi din padhe jaa sakte
the, kyunki har din 20 rakat taravih sunnat hai, aur jab 2 rakat ka waqt nikal
gaya to uski qaza nahi ho sakti ki ye tarawih nahi nafil hogi aur nafil ki
jamat makruh bhi hai,
Bahar e
Shariat Jild:1 Safah:694 par hai
“aaj yaad
aya ki kal do rakat (taravih) reh gai thi to jamat se padhna makruh hai”
Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:463 par hai
“Taravih agar naga ho to unki qaza nahi”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1309
Agar ham namaz
padh rahe hain, aur koi kafir hamse kahe ki mujhe musalman kar lu, to namazi ko
kya karna chahiye, namaz poori karke musalman kare ya namaz tod de pehle
musalman kare,
Jawab:1309 بسم الله الرحمن الرحيم
Koi kafir
agar musalman hone ko kahe aur jisse kehta hai wo namaz ki halat me hai to
namazi ko NAMAZ TOD DENA WAJIB hai, aur namaz tod kar pehle use musalman kare,
aur aisa hi
Fatawa
Razawiya Jild:21 Safah:199 par hai
“agar kuchh
kafiro ne waha, se use likha ki ham tumhare hi hath par musalman honge, aa kar
hame musalman kar lo, to lazim hai ki jaye, aur us (shakhs) ke liye farz namaz
ki niyat tor dena wajib hota hai
(age hai)
“agar kisi
zimmi kafir ne musalman se kaha mujhe musalman kijiye, to weh farz namaz ki
niyat tod de”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1310
Roza ki halat me gul karna kaisa ? (Gul ko sunghani
bhi kahte hai to kuchh logo ko nasha hota hai )
Jawab:1310 بسم الله الرحمن الرحيم
Makruh hai, aur uska juzz
halak me jane ka andesha ho to haram hai,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1311
Main ye janna
chahta hu ki kya beech ke roze se ehtiqaf me baith sakte hain jaise ham 18
ramzan ko baithe aur 28 ramzan ko wapis aa jaye. Kyunki agar eid ke ek do din
pahle wapis na aaya to mujhse jude jitne log hain unke kaam ruk jayege ? ya fir
main 10 din se kam ke liye etiqaf me baith sakta hu ?
Jawab: 1311 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek din ke
liye bhi beth sakte ho, magar sunnat naa hoga, aur raha ghar ke kam ka to wo
pehle se nipta lo, aur agar socho aap kal hi ramazan ki mubarak raaton me
intiqal kar gaye to apke ghar walo ki zindagi chalti rahegi ya ruk jayegi, ?
fir apse jude kam kya hoge nahi ? pyare azeez ghar chhor kar etikaf me aap jaa
rahe ho, apke ghar walo ka khuda kahi naa jaa raha, (yani khane wala ja raha
hai khilane wala nahi) qurbani to deni hi hoti hai, magfirat karwa lo ya marketing
kar lo, aur fir ye moka 1 sal me 1 bar aata hai kam, naye kapde kharidari 11
mahine ki hoti hai, is bar allah ke liye dunya tark kar do aur kya, magar 10
din etikaf se chand se pehle nahi aa sakte, warna fir ye soch lo ki ye koi farz
wajib nahi, nahi bhi bethoge to kya hoga, bas allah ki khas rehmat se mehrum
rahoge aur kya gunah to kuchh nahi hai na
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1312
Hazrat Kya
Khwaab Sach Bhi Hote Hai ? Wazahat Farmaa Den
Jawab:1312
بسم
الله الرحمن الرحيم
Khwab 3 tarah ke hote hai
*khwab e Rehmani- jo allah ki taraf se dikhaye jaate hai ache khwab
hote hai, ise dekh kar shukr ada karna chahiye
*Khwab e Shaitani- ye shaitan ki taraf se hote hai, aankh khule to lahaul padhna chahiye,
*Khwab e Nafsani- jiske bare me ham din bhar sochte hai ya jo dimag
me pure din fiqr rehti hai
khawab haq
hai, iski tabeer haq hai, is par bharosa haq hai, quran se sabit hai,
Quran me Surah Tauba Ayat 46 me allah azzawajal ka farman hai:
Iman walo ke
liye basharaten hai dunya aur akhirat me,
Or is ayat ki tafsir me Tafseer E Mazhari me hai ki
Huzoor (عليه السلام) ne
farmaya yahan basharat se murad ache
khwab hain, Jo insan khud dekhe ya uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye,
Bukhari,
Muslim, Mishkat me Farmaya: “khwab naboowat ka 46 wa hissa hai”
Or
Mishkat Shareef ki hadis me Huzoor (عليه
السلام) ne farmaya,
Nabuwat
ke faiz se bas basharate baqi hai, yani ab koi nabi nahi
hoga magar Basharate hoti rahengi. Sahaba ne arz ki
Huzoor basharate matlab, farmaya basharat se murad ache khwab hain, Jo insan khud dekhe ya
uske mutalliq doosre ko dikhaya jaye
Sahih Bukhari ki hadis me hai, Tum me se jab koi aisa
khwab dekhe jo use pyara maloom ho to allah ki hamd kare, Aur logo ke samne
byan kare,
Tirmizi ne Abu
Saeed (radiallah anhu) se riwayat kiya
farmaya huzoor ne: “sachi khwaben subhe(sehri) ki
hoti hai,”
Is hadis ki sharah me Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi
Miraatul
Manajeeh Sharah Mishkatul Masabih Jild 6 Safah: 256 Hadis no. 4626 me farmate hain:
“yani subha
sehri ke waqt ki khwaben aksar sachi hoti hai, kyunki is waqt aksar dil mutmain
hota hai... firishton ka nuzool hota hai jo namaz e fajr me shirkat karte
hain,”
Khwab ka zindagi se bilkul
talluq hai, balki jo khwab ki pehli tabir ki jaati hai aksar wahi sach hoti
hai, isilye Hadis e pak me farmaya gaya, khwab
parinde ke paun par hota hai, jab tak iski khabar naa di jaye, jab woh byan kar di jaye to waq’e hoti hai, yani
khwab ki jab tak tabeer na ki jaye wo aksar sach nahi hota or jo khwab ki pehle
tabir kar de to wahi sach hota hai, isilye farmaya dushman se khwab ki tabir naa pucho, (kyunki kahi dushman ghalat
tabeer hi karega aur wo sach naa ho jaye)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1313
Aurat Agar
Baalo Ka Jooda Banaa Kar wuzu Kare To Wuzu Hoga Ki Nahi ?
Jawab: 1313 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat ne baalo ka juda
bandhe bandhe wuzu kiya to wuzu ho jayega isme kisi tarah ka koi harz nahi, aur
agar gusl kiya to gusl bhi ho jayega, chahe jude ke baal pure geele ho ya naa
ho, fir bhi gusl ho jayega, (bas sar yani balo ki jar me paani jaana chahiye,)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ
بالـصـواب
Suwal no. 1314
Agar main paise chori kar ke gharibo main baat dun toh uska kya hukm hai
rehmunaai farmaaye
Jawab:1314 بسم الله الرحمن الرحيم
Ye kam haram hai, aur is par sawab koi nahi, aur jo paise churaye
gaye hai, use uske malik ko pahucha dena wajib hai, aur usse muafi bhi mange, us
raqm ko naa gharib ko de sakte hai, na faqeer ko, chori karke logo ki madad
karne ko nek aur sawab ka kam samajhne wala sakht ghalti par hai,
Fatawa Alamgiri me hai
تصدق
علی الفقیر شیئا من المال الحرام
ویرجو الثواب کفر ولو علم بہ الفقیر ودعالہ وامن
المعطی کفرا؎
Yani-
Kisi ne haram maal se faqeer ko sadqa kiya or sawab
Ki ummid karta hai, to kafir ho gaya, or agar faqeer ko Maloom ho ki ye maal
haram hai, or uske bawajood usne Dene wale ko dua di or dene wale ne is par
ameen kaha To dono kafir ho gaye,
Fatawa Zahiriyya me hai
رجل
دفع الی فقیر من المال الحرام شیئا یرجوا بہ الثواب یکفر
Ek shakhs ne faqeer ko maal e haram diya aur us par Usne sawab ki
ummid rakhi to kafir ho jayega,
AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Ahmad Raza Barelvi Fatawa Razawiyya Jild: 23 Safah: 582 par likhte hai,
Haram rupya kisi kam me lagana aslann jaiz nahi Nek kaam ho ya
aur, siwa iske ki jis se liya usko wapas de Ya faqeer ko sadqa kare, or farmate
hai sawab ki Ummid sakht haram hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Suwal no. 1315
Agar kisi ke pas mera paisa ho aur usne bina hamse
bataye kharch kar lia ho ye soch kar ke bad me de denge to iska kya masala he,
kya wo shakhs gunahgar hoga, aur paise rakhne wale ne agar paise kharch karne
se mana kiya ho tab bhi paise kharach kare to kya hukm hai, ?
Jawab: 1315 بسم الله الرحمن الرحيم
Beshak amaanat me khyanat karne wala shakhs ka
ye kam najaiz gunah or jahannam me le jane wala hai, ki usne kisi ki rakhi hui
amanat me bila uski ijazat tasarraf kiya aur jabki use kharch karne ke liye
mana kiya gaya tha, aur momin to momin kafir ke saman me bhi bina ijazat
tasarraf jaiz nahi, aur aisa karne wale ki ye adat, hadis me munafiq ki aadat
me byan ki gai jaisa ki
Sahih Bukhari me hai
اٰیۃ
المنافق ثلث اذا احدث کذب واذا وعد اخلف واذا أتمن خان۳؎، اوکما قال صلی اﷲ تعالٰی
علیہ وسلم فان الاحادیث فی المعنی کثیرۃ
(munafiq ki 3 nishaniya hain, 1-jab baat kare to
jhooth bole, 2-jab wada kare to uske khilaf kare 3-aur jab uske paas amanat
rakhi jaye to usme khayanat kare,
Hadis Musnad Ahmad me hai
“momin me tamam khaslate ho sakti hai, magar KHAYANAT aur jhooth nahi”
Fatawa Razawiya
Jild:29 Safah:91 par hai
“amanat me khyanat jaiz nahi (amanat) chahe
hunud ki ho”
Lihaza aise shakhs ko chahiye ki amanat rakhne wale aur allah
se sache dil se muafi mange aur wo raqm jo kharch kar di use wapas kare,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1316
Agar main computer ke zariye paise chura kar garibo
ki madad main de dun aur mujhe govt. faasi de toh kya hukm hoga shahid martaba
milega ?
Jawab: 1316 بسم الله الرحمن الرحيم
Kisi bhi gadgets ke sath
hacking karke, kisi ke paise churana ya kisi bhi tarah ke dastawez, (documents)
mails, msg wagera me tasarraf karna Ahadees se gunah e kabira hai, yani ye kaam
haram hai, ki bina ijazat computer ke zariye paise churaye jayen ya uski
jaankari padhi jaye, ya saajhaa ki jaye jaisa ki
Hadis me
farmaya: من نظر فی کتاب اخیہ بغیر اذنہ فانما ینظر فی
النار۔
(jo apne bhai ka khat be uski ijazat ke dekhe, weh bila shubah aag dekh
raha hai,)
Fatawa
Razawiyya Jild:24 Safah:712 par hai:
Be uski ijazat ke lifafa chak karna (khat kholna) gair ki milk me
tasarruf hai, najaiz hua ki sharan haram hai
Ab ye to saaf ho gaya ki
hacking haram aur jahannam me le jaane wala kam hai to fir iske zariye paise
churakar logo ki madad kaise rawa ho sakti hai, aur fir ye apne mulk ke qanoon
ke khilaf kaam hai,
aur kisi bhi mulk ka wo
qanoon jo shariat ke khilaf naa ho to us par musalman ko amal karna wajib hai,
aur jo us qanoon ke khilaf kaam kare, yani khud ko zillat par pesh kare to bhi
gunahgar hai,
Fatawa Razawiya
Jild:29 Safah:94 par hai
Kisi jurm qanooni ka
irtikab karke apne aap ko zillat par paish karna bhi mana hai”
Aur hadis me farmaya
من اعطی الذلۃ من نفسہ طائعا غیر مکرہ فلیس منّا
(jo shakhs
bagair kisi majboori ke apne aap ko zillat par pesh kare wo ham me se nahi”
magar yaad rakhna chahiye
ki Hindustan me hacking ek jurm hai, aur kam ye jaiz nahi, magar is jurm ke
liye Hindustan ke qanoon me saza e maut
nahi hai, balki sec-65 ke mutabik 3
se 5 sal ki saza aur 2 lakh ka jurmana, aur sec-66B ke mutabik 3 sal ki saza aur 1 lakh ka jurmara warna dono,
aur isi tarah age hacking ke mutaliq alag alag DHARAYE maujood hai, magar kisi
bhi hacking (chahye paise churane ho ya jankari) ke liye Indian laws me maut ki saza nahi hai, to fir agar aise shakhs ko is
kam ke liye maut ki saza di gai (jabki iske liye mot ki saza nahi thi) to
yaqinan ye us musalman par zulm hai, aur jo musalman kafir ke hatho zulm me
mara gaya SHAHID KEH LAYEGA, lihaza
hacking ki wajah se kisi ko maut ki saza di gai to shaheed hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1317
Jaise jamaat ke saath namaz padh rahe hai aur niche
ki saf khali hai fir bhi 2 ya 3 manzil par namaz padhe to kiya namaz hogi
Jawab:1317
بسم الله الرحمن
الرحيم
Safo me jagah chhorna gunah hai, namaz ho jayegi
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1318
Kya taraweeh me jaldi jaldi qirat karne yani maddat
ko ada karne Ki Surat me namaz hogi ya nahi or aise hafeez ke pichhe namaz hogi
Ki nahi jiski dadhi dekhne me kati hui dikhai de or Hafiz saheb kai kai
din fajr nahi padte he or taraweeh padane aate he to ain isha Ki azan ke waqt
Quran padte rahte he iska kya huqm hai, or Hafiz saheb kapde bhi redimade rang
birange faincy pahnte he to kya in sab surto me namaz hogi ya nhi to ek hafize
Quran ke andar kya khubiya hona chahiye ya kaisa hona chahiye jawab irshad
farma den jazak Allah vkhaira
Jawab:1318 بسم الله الرحمن الرحيم
*Tarawih me itni jaldi jo urfan padha hi jata
hai ki, quran sunne wala samajh leta hai ki kya aur kaha padha jaa raha hai, ye
jaiz hai, awam ka samajhna zaruri nahi, aur agar aam namazo ki tarah quran
padha jaye to 10 ramazan ke mahino me ek quran hoga,
*agar sach me daadi 1 musht se kam karwai gai
hai, to aise ko imam banana halal nahi, uske pichhe namaz padhna gunah aur jo
namaz padhi dohrana wajib,
*agar sail ne apni akhno se dekha ya fir gawah
maujood hain ki imam sahib aksar fajr ki namaz nahi padhte to wahi hukm hai, jo
upar guzra
*azan ke waqt quran ki qirat ko mauqoof kar
dena chahiye, magar namaz aise imam ke pichhe durust hai
*kapde agar mardana hai, to readymade me harz
nahi, jabki us rang ki shariat me mumaniat naa ho, na us kapde ki, maslan
resham naa ho, wagera
*hafiz ho ya gair hafiz har musalman mukallaf
ko muttaqi parhezgar banna wajib hai, aur jab ye hukm aam musalman ka hai to
hafiz ki parhezgari kaisi honi chahiye iska andaza aap laga len, ki qaum inhe
rehnuma ki nazar se dekhti hai,
KHULASA E KALAM- ye hai ki agar daari wali baat aur
namaz e fajr qaza karne wali baat kisi shakhs me maujood hai to aise ke pichhe
koi namaz durust nahi, naa taravih
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1319
Agar koi
masjid bari ho, usme koi shakhs aakhri saf me namaz pad raha he, to 1, 2, ya 3
saf me namaz parne wale ke aage se guzar jaye ? iske liye kya hukm hai ? or agar
guzar sakte he to kitni saf ke Aage se guzar sakte hai ?
Jawab:1319
بسم
الله الرحمن الرحيم
Askar
ilaqo me jo masjid hoti hai, wo chhoti masjid ke hukm me hoti hai, chahe dikhne
me badi ho, to aisi masjid me saamne ki deewar tak kahi se bhi NAHI GUZAR
SAKTE, chahe namazi akhri saf me ho, aur jo masjid badi masjid hai, jaise
masjid e khwarzam to usme namazi ke samne
se guzarne ka hukm ye hai ki, jaha namazi ke sajde ki jagah ho us had ke andar
nahi guzar sakte, usse bahar guzar sakte hai, aur yahi hukm bade maidan ya
sehra me namaz padhne wale ka hai, aur aisa hi
Fatawa
Razawiya Jild:8 Safah:84 par hai
“Guzarna
Masjid me deewar e Qibla tak mutlaqan mana hai aur bahut badi jama masjid ho, ya
sehra to fir, khushu ke ke sath namaz padhne wale namazi ki nazar ke phelaow
tak aage se guzarna mana hai,”
Fatawa
Razawiya Jild:7 Safah:255 par is tarah hai,
“namaz
agar makan ya chhoti masjid me padhta ho, to deewar e qibla tak nikalna jaiz
nahi, jab tak beech me aad naa ho, aur sehra ya badi masjid me padhta ho to
sirf mozu e sujood tak nikalne ki ijazat nahi, isse bahar nikal sakte hen,”
Fatawa
Razawiya Jild:8 Safah:78 par hai
“masjid e
kabeer se ek hi murad hai, yani nihayat darja e azeem wa was’I masjid jaise
jama e khwarzam ki 16 hazar sutoono par thi, ya jam’e aqdas sharif ki 3 masjido
ka majmua hai, baki aam masajid ki jis tarah amma e balad me hoti hain, sab in
dono hukm se juda hai, chahe tool o uruz me 100 gaz ho”
Bahar e
Shariat Jild:1 Safah:615 par hai
“makan ya chhoti
masjid me qadm se deewar e qibla tak kahi se bhi guzarna jaiz nahi, agar suthra
naa ho”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1320
Agar namazi farz namaz me yani imam ke peechhe qada
e akheera me attahiyaat ki jagah alhamdo pad de to kya hukm hai jawab inayat
farmaye, Jalis Ragib Bareilly
Jawab:1320 بسم الله الرحمن الرحيم
Jab yaad aye, foran ruk jaye or tashahud padhe
aur salam phere, sajda sehv nahi,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:715 par hai
“agar muqtadi se ba-halat e iqtidah sahv wa’qe
huya to sajda sehv wajib nahi”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1321
Agar Tarawih ki namaz me, witir me Imam jo Duaay
qunut padhte hai or agar kisi ne na padhi to kya uski namaz poori mani jayegi ?
Jawab:1321 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar jaan kar qunoot ya
koi bhi dua naa padhi, aur chup raha to witr ko dohraye, aur agar dua e qunoot
jo mashhoor hai wo nahi aati to, Rabbana
Atina (puri) padh le, aur ye bhi naa aati ho to, 3 bar YA RABBI, YA RABBI, YA RABBI keh le namaz ho jayegi, aur
agar koi imam ke pichhe dua e qunoot padhna bhool gaya aur jab yaad aya to
padhne ka waqt nahi hai, aur imam ruku me jaa chuka hai to, agar muqtadi qunoot
padh kar ruku me mil sakta hai to padh le, aur agar qunoot padhega to ruku
jaane ka khauf hai (yani imam uth jayega) to fir wahi 3 bar yaa rabbi keh le
aur ruku me jaa mile,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1322
Hazrat agar koi shakhs taravi ghar pe hi padta ho
aur masjid me nahi jata ho masjid me taravi quraan se hoti he lekin wo apne hi
ghar “alam tara”
se padta he akela to kya uski taravi ho jaayegi ya nahi
Jawab:1322 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar ilaqe me masjid me jamat se taravih hoti
hai, (yani masjid me jamat se bhi ho rahi hai) fir koi jamat se naa padh kar ghar
par padhe to gunah nahi, chahe alam
tara se padhe ya chand surato se, taravi ho jayegi, magar quran aur masjid ki
hazri ke sawab se mehrum zarur rahega, magar taravih ghar par padhne wala
gunahgar naa hoga, ki taravih ki jamat wajib nahi, aur isi tarah
Fatawa Razawiya Jild:7 Safah:462 par hai
“agar ahle mahalla apni apni masajid men, iqamat jamat Karen, aur unme
baz gharo me taravih tanha ya jamat se padhe to harz nahi”
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:691 par hai
“taravih masjid me ba-jamat padhna afzal hai, agar ghar me jamat se
padhi to (masjid ki) jamat ke tark ka gunah naa hoga, mgar weh sawab na milega
jo masjid me padhne ka tha”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1323
Hazrat kuchh jamat wale bolte hai ke AlaHazrat sayyed
kaise hai iska jawab hawale ke saath den to behtar hoga
Jawab:1323 بسم الله الرحمن الرحيم
AlaHazrat, zat ke Sayyid
NAHI the, apka ism AHMAD RAZA KHAN hai, Yani aap pathan hai, Lafz sayyid ke mayene SARDAR/SARPARAST wagera ke hote
hai, is liye AlaHazrat ko Sayyidi AlaHazrat kaha jata hai. kyunki aap
apne daur ke mujaddid e azam hai, or
sare aalimo or sunniat ke imam, rehnuma, SARDAR/SARPARAST hai, Or apke liye ye
lafz zat ke liye nahi balki buzurgi ke liye lagaya jata hai, azmat ke liye
lagaya jata hai.. Hadis me hai: Abu baqr hamare SARDAR hai aur, aur
unhone hamare SARDAR Bilal ko azad kiya, Yahan bhi Hazrat abu baqr ko sayyid kehne ke matlab sardar hai, aur
yahi Fatawa Shareh Bukhari me hai
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1324
Agar jamat ke
sath namaz padhne me koi galti ho jaye to use durust kaise karege ? Namaz to
imam ke sath padhi jaa rahi hai ?
Jawab:1324 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam ke pichhe kya ghalati
hai, wo saf tehrir farmaye, kyunki sab ghalati ka hukm ek nahi hai, kya pata
imam ke pichhe wuzu tut gaya ho to ?
ya fir sana na padhi ho ? aur dono
ke ahkam me fark hai ?
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1325
Hazrat Tehejud ki naamaz me niyat kaise ki jaati he
or kitni rakate padhni hoti he tafseel me bataiye
Jawab:1325 بسم الله الرحمن الرحيم
Tahajjud
me bhi aam nafil namaz ki si niyat bandhi jayegi, ye sunnat e mustahab namaz
hai,
isme Kam se kam 2 rakat
hai or Huzoor se 8 tak sabit hain
Lihaza agar apne do rakat bhi padh li to tahajjud ho gai, isi tarah
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:677-678 par hai
“tahajjud nafil ka naam hai”
“Kam se kam tahajjud ki do rakate aur huzoor se 8 tak sabit hain”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ
بالـصـواب
Suwal no. 1326
Agar kisi ko roze me ulti ho jaye toh uska roza toot
jayega kya ?
Jawab:1326
بسم الله الرحمن
الرحيم
Agar khud ba khud ho jaye to nahi tutega, aur jaan kar munh
bhar kar ulti kari aur rozadar hona bhi yaad hai to tut jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1327
Kya farmate hain Hazrat is masale me ke, Zaid ne
kaha ke Wahabi deobandi wagaira ki kitab padna haram he In logon ne Jo ruhani
Ilaj ki kitab likhi hain Un me Jo Quran ki soorten aayaten aur koi wazifa
wagaira likha he To sunniyon ko un ki ruhani Ilaj kitab padna aur un par amal
karna bhi haram aur gunah he Soorten padna aur wo mariz ko shifa na dengi, Agar
un ki kitabon me Quran hadees ke alawa kuchh aur de rakha ho (shifa) ke liye to
us ka kya hukm he, Hazrat se guzarish he ke iski wazahat kar ke rahnumaye
farmye Ain nawazish hogi ?
Jawab:1327
بسم الله الرحمن
الرحيم
Bila zarurat badmazhab ki kitabe dekhna alim ko bhi jaiz
nahi, aur jo mukammal alim nahi usko to kisi surat rawa nahi, aur ye amliyat ki
kitab jo badmazhab ki hoti hai, dar asl isme inke likhe koi amal nahi hote aur
askar sunni walio aur hamare hi buzurgo ke amal tawiz hote hai, aur ayat e
qurani ka padhna ya kisi ism e ilahi ka wazifa karna jaiz hai, chahe kisi bhi
kitab se ho, aur ye unka zaati nahi, balki hamare hi buzurgo ke bataye hai, aur
ham hi iske asli ahl hai, kyunki har cheez iman ke sath nafa deti hai, aur raha
shifa dena to ye allah ke zimma e karam par hai, magar qurani ayat, ya wazifa badmazhab ki kitab se padhna haram
nahi, aur kitabo ki jo mumaniat hai jiske aqeedo ki kharabi maujood hai,
aur yaad rakhna chahiye aur behtar bhi yahi hai ki badmazhab ki kitab se kisi
tarah ka nafa na uthaya jaye, aur amaliyat
aur wazife ki hamare buzurgo ne
beshumar kutub likhi hai, jiske baad kisi gair ki taraf nazar karne ki hajat
nahi rehti, aur agar gair ki kitab me bhi jo hai, hai to wo hamara hi,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1328
Namaze ikamat me pahle khada hona kaisa ?
Jawab:1328
بسم الله الرحمن
الرحيم
Makruh hai
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1329
Agar Taraveeh
Me Sajda Ho, Aur Sajda Karna Bhool Jaye To Kya Kare ?
Jawab:1329
بسم
الله الرحمن الرحيم
Agar ayat
e sajda tilawat ki aur sajda karna bhool gaya
to akhir me sajda kare aur sajda e sahv bhi kare, Bahar e
Shariat Jild:1 Safah: 711 par hai
“ayat e
sajda padhi aur sajda karna bhool gaya
to sajda e tilawat ada kare, aur sajda e sahv kare”
Aur agar ayat e sajda
padhi aur foran uske bad ruku karke namaz ka sajda kar liya to bhi sajda e
tilawat ada ho gaya,
jabki sajde ki ayat ke bad 3 ayat se zyada qirat naa ki ho, isi tarah
Bahar e
Shariat jild:12 Safah:733 me hai,
“agar ayat
e sajda padhne ke bad foran namaz ka sajda kar liya, yani ayat e sajda ke bad 3
ayat se zyada naa padha, aur ruku karke sajda kar liya chahe sajda e tilawat ki
niyat naa ki ho, (to bhi sajda e tilawat) ada ho jayega”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1330
Ahle bait
kisko kahete hai, Kiya Duniya ke Tamam Sayyed, Sadat ko, ya Sirf Karbala ke
Shahido ke qafale ko kahete hai ?
Jawab:1330
بسم
الله الرحمن الرحيم
G, han
Duniya ke Tamam Sunni Barelvi Maslak o aqeeda rakhne wale Sayyid hazraat ko hi
sadaat aur Ahle Baiyet kehte hain, aur lafz ahle baiyet me huzoor ki azwaaj bhi
shamil hai, aur sunni maslak ke alwa shia ya koi badmazhab khud ko ahlebait
kahe to uski bat ka yaqeen nahi, nasal iman se hai, iman nahi to nasab nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1331
kya masjid me loudspeaker pe naat bajana jaiz hai?
Jawab:1331
بسم الله الرحمن
الرحيم
Jabki us waqt masjid me namazi namaz ya tilawat me mashgool
naa to jaiz hai, warna namazi ki namaz me khalal waqe ho to mana hai,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1332
Hazrat ye batayn kisi ka roza he aur woh bhule se
khuch kha raha he hame malum hai ki uska roza he to kya ham us ko bata den kisi
ka kehna he ki usko mat batao, Hazrat islah Karen
Jawab:1332
بسم الله الرحمن
الرحيم
Jab kisi roza dar ko bhool kar khate peete
dekhe to use agah karna wajib hai, agar naa bataya to gunahgar hoga, aur ye jo
mana kiya jata hai ki naa bataye ye is surat me hota hai, koi beemar ya itna
kamzor chhup kar khaye, ki agar naa khayega to roza poora naa kar sakega to use
khane de, naa bataye, magar iska matlab ye nahi ki har shakhs ko naa bataye,
aur aisa hi
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:981 par hai
“kisi roza dar ko in kamo me dekhe (jinse roza
tut jata ho) to yaad dilana wajib hai, yaad na dilayega to gunahgar hoga, magar
jabki wo rozadar bahut kamzor ho aur yaad dilayega to khana chhor dega, aur
kamzori itni bad jayegi ki roza rakhna dushwar hoga, aur kha lega to roza achhi
tarah poora kar lega, aur doosri ibadat bhi bakhubi ada kar lega, to is surat
me yaad naa dilana behtar hai’
وﷲ تعالیٰ أعلمُ
بالـصـواب
Suwal no. 1333
Ham log tabligi imam (deobandi) ke pichhe jamat se
namaz Ada kyu
nahi karte he aur kyu nahi Kar sakte hen Jawab Ata farmaye
Jawab:1333
بسم الله الرحمن
الرحيم
Sunni musalman ki namaz
kisi bhi firqa e batila imam ke pichhe jaiz nahi chahe deobandi ho ya wahabi,
aur har badmazhab ke pichhe namaz padhne ko hadis me mana farmaya gaya,
Hadis me farmaya, Kanzul Ummal me
فلا تواکلو ھم ولاتشاربو ھم ولاتصلواعلیہم ولاتصلوامعھم
(naa unke
sath khana khao, naa paani pio, naa unke janaze ki namaz padho, naa unke sath
naamz padho,”
Aur ek riwayat me alfaz is
tarah hai
لاتجالسوھم
ولاتؤاکلوھم ولاتشاربوھم واذامرضوالاتعودوھم واذاماتوافلاتشھدوھم ولاتصلواعلیہم
ولاتصلوا معھم
(naa unke pas
betho, naa unke sath khana khao, naa unke sath pio, bimar padhe to unki iyadat
naa kro, mar jaye to unke janaze naa padho, naa un par namaz padho naa unke
sath namaz padho,
Lihaza jab unke pichhe
namaz mana hai to unhe imam banane se unki tazeem lazim aati hai, aur kisi bhi
badmazhab ki tazeem karna bhi haram hai,
Hadis Shuabul
Iman me hai Farmaya huzoor ne
من وقر صاحب بدعۃ فقد اعان علی ھدم الاسلام
(jisne kisi
badmazhab ki toqir ki, usne islam ko dhaane me madad ki)
AlaHazrat Imam Ahle Sunnat
Fatawa Razawiya
Jild:6 Safah:399 par farmate hain,
Badmazhab ki
sharann toheen wajib, aur imam karne me azeem tazeem to usse ehtram lazim,
Fatawa Razawiyya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hain,
“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”
FATAWA RAZAWIYYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai,
“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”
Fatawa
Razawiya Jild:6 Safah:573 par hai.
“deobandi
aqeede walo ke pichhe namaz batil mehez hai, hogi hi nahi, farz sar par (baki)
rahega, aur unke pichhe padhne ka shaded e azeeeeeeeem gunah. (age farmate hai)
chahe JUMA ya eid ya janaza ya tarawih, koi namaz unke pichhe hogi hi nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1334
ye bataye ki namaz se pahle takbeer Jo hoti he usme
takbeer se pahle khada hona chahiye ya beech me khade hona chahiye (jaisa ahle
sunnat jamat me khade hote he) Maine suna he ki HUZOOR PAAK takbeer se pahle hi
khade hote the or ek do baar bimari ki wajah se takbeer ke bich me khade huye
he to kon sa tariqa sahi he or kya takbeer se pahle khade hone se namaz ho
jayegi agar ho sake to hawala or hadees ki roushni me jawab farmaye
Jawab 1334 بسم الله الرحمن الرحيم
Tariqa sahi ye hai jo sadio se ulama ki mutabar
kutub se sabit hai, ki Jab mukabbir “حی علی الفلاح” kahe to imam aur muqtadi dono ko khade hona chahiye, aur
mutqadio ko pehle khade rehna makruh
hai, magar namaz ho jayegi
Fatawa Hindiyya Jild:1 Safah:75 par hai
اذادخل الرجل عندالاقامۃ یکرہ لہ الانتظار قائما
ولکن یقعد ثم یقوم اذابلغ المؤذن قولہ حی علی الفلاح
(agar koi takbeer ke waqt aya to weh beth jaye,
kyunki khade ho kar takbir sunna makruh hai, fir jab muezzin حی علی الفلاح” kahe to uthe,
Fatawa Razawiya Jild:5 Safah:420 par hai
Takbir khade ho kar
sunna makruh hai, yaha tak ki ulama ne farmaya hai ki agar takbir ho rahi hai
aur masjid me aya to (foran) beth jaye, aur jab mukabbir “حی علی الفلاح” par pahuche us waqt sab khade ho jayen,
Fatawa Razawiya Jild:5 Safah:422 par hai
“imam ke liye isme
koi khas hukm nahi, muqtadio ko hukm hai ki takbir beth kar sune, حی علی الفلاح” par khade hon, khade khade takbir sunna makruh
hai,”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1335
kya khade ho kar wuzu kar sakte he yani Jo log
wash-basin me wuzu kar lete he khade ho kar kya wuzu ho jayega ?
Jawab:1335 بسم الله الرحمن الرحيم
Khade ho kar wuzu karne se wuzu ho jayega
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1336
Hazrat sajda sahv kab lazim hota he aur iski kya
faraiz he tafser se bayan farmaye
Jawab:1336 بسم الله الرحمن الرحيم
Namaz ke kisi wajib me se
agar koi wajib bhool kar reh gaya to sajda sahv wajib hota hai, aur namaz ke kuchh
wajibaat ye hain
*takbir e tehrima me lafz
allahu akbar hona
*sureh fatiha ki saato
ayato ka padhna
*koi ek surat milana
*sureh fatiha aur surat ke bich siwaye
“bismillah” ke kuchh naa padhna
*sureh fatiha ke foran bad
surat milana
*sureh fatiha ke bad surat milana farz ki pehli
do rakat me nafil witr ke har rakat me wajib hai
*sureh fatiha ka surat se pehle padhna
wajib hai
*sureh fatiha ka ek hi bar
padhna wajib hai
*sureh fatiha aur surat me bich waqfa naa
karna (siwaye aameen aur tasmia)
*qirat ke foran bad ruku
karna
*qauma (ruku se poori tarah
kamar sidhi karke ek tasbih ki misl ruka)
*ek sajde ke bad doosra
sajda hona
*sajde me (mard ko) paun
ki teen aungliyo ka pet zameen par lagana
*jalsa wajib hai (do sajdo
ke bich bethna, ek tasbih ki mikdar kamar seedhi karna)
*q’ada ula,
*tashahud
*foran teesri rakat ke liye
khade hona
*witr me takir e qunoot
aur dua (qunoot ya koi bhi)
*salam me lafz “assalamu”
ka hona wajib “alaykum” sunnat hai
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1337
Zaid Ne
Khawaab Me Dekha Ke Wo Apni Sagi Behen Ke Saath Shohbat Kar Raha Hai, Taabir
Inaayat Farmaye
Jawab:1337 بسم الله الرحمن الرحيم
Zaruri masail ke liye
rabita kiya kare, tabir ke liye nahi
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1338
Kal Hamaare
Ilaaqe Me Hafiz Sahab Taraaveeh Padhaa Rahe The Aur Aayat E Sajdaa Aagaya
Aur Phir 2 Aayat Ke Baad Ruku bhi Karni Thi To Hafiz Sahab Ne Aayat E Sajda Par
Sajda Na Karke Ek Hi Baar 2 Aayat Ke Baad Namaz Ke Hi 2 Sajdaa Kar liye Aur
Kaha Ke Yahi Sajdaa Me Aayat E Sajdaa bhi Hogaya, Hafiz Sahab Poore Yaqeen Ke
Saath Keh Rahe Ke Mujhe Mas'ala Maalum hai Aur Ye Sahi Hai, Hazrat Rehnumaai Farmaae
Jawab:1338 بسم الله الرحمن الرحيم
Imam sahib ne durust kaha,
aur wahi sajda kafi hai jo namaz ka hai, yani jab ayat e sajda padhi aur uske
baad 3 ayat tak aur age naa padhi ho or foran namaz ka ruku sujood kar liya ho
to ayat e sajda bhi ada ho gaya aur isi tarah Mufti Amjad Ali Azami Sahib ne Bahar e Shariat jild:12
Safah:733 me likha hai,
“agar ayat
e sajda padhne ke bad foran namaz ka sajda kar liya, yani ayat e sajda ke bad 3
ayat se zyada naa padha, aur ruku karke sajda kar liya chahe sajda e tilawat ki
niyat naa ki ho, (to bhi sajda e tilawat) ada ho jayega”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1339
Roze Ki halat me haiz Ki halat pesh ho jaye to kiya
roza tut jayega ya roze per koi fark padega rehnumaai farmaye
Jawab:1339 بسم الله الرحمن الرحيم
Roza tut jayega, aur jitne
roze reh jayen, eid bad in roze ko qaza kare,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1340
Kisi ke walid ke pas 5 bigha zameen hain, Or jab ke wo do bhai
hain, Sharan batwara kaise Kiya jaye?
Jawab:1340 بسم الله الرحمن الرحيم
Bap ki milk ka batwara uski maut ke bad quran
ke mutabik hota hai, hayat me beta haq nahi mang sakta, aur hayat me walid khud
ba-tor e tohfa kisi ko dena chahe to uski marzi hai, ki kisko kitna de, aur
raha wafat ka to, wafat se pehle ye andaza nahi lagaya jaa sakta ki, wafat tak
zameen 5 biga hi hogi ya kam zyada ho sakti hai, aur qarz, roza, namaz haj
zakat, ka fidiya, nikal kar, jo mal hota hai use taqsim kiya jayega, aur ye
hayat me mumkin nahi, kyunki kya pata kal amir rahega ya gharib ho jaye, aur
sirf zameen hi nahi, bad wafat baki maal bhi milkiyat me shamil kiya jayega,
aur baki rishte dar kon kon hai iski bhi detail chahiye, aur agar ye mana jaye
to 5 biga do bhai me baat di, to kya iski biwi he ya nahi, aur koi doosra waris
hai ya nahi, wagera wagera, lihaza iski tafsil ke liye darulifta ahle sunnat se
rabita Karen
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1341
Hazrat wuzu karte waqt danto se khun aa jata he jab
thukte hen to poora thook laal hota he khoon ki wajah se aise halaat me wuzu ko
dobara se banana padega ya nahi
Jawab:1341 بسم الله الرحمن الرحيم
Behta hua khoon wuzu ko tor deta hai, agar
khoon is qadr aa gaya
ki agar naa pocha jaata to behne ki salahiyat rakhta to bhi wuzu jata rahega,
aur agar khoon thook par ghalib hai to bhi fir se wuzu kare
Bahar e Shariat Jild:1 Safah:304 par hai
“munh se khoon nikla, agar thook par ghalib hai
to wuzu tod dega, warna nahi”
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1342
1- agar koi zamin pe namaz pad rahe ho bed ke aage
to kya bed pe unke letne bethne me koi gunah hoga
2- jaye namaz fold karne ka tariqa bataiye ?
Jawab:1342
بسم الله الرحمن
الرحيم
1- Bad par bethne ki mumaniat nahi, jabki bethne wale ka
chehra namazi ke chehre ke samne naa ho,
2- sar, per mila kar fold kara jaye, isse jahalat ka radd
hoga,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1343
Ham alcoholic perfume laga kar namaz ada kyu nahi kar sakte ?
Wajahat farmaiye Hazrat Shukria
Jawab:1343 بسم الله الرحمن الرحيم
Alcohol
sharab hoti hai, isilye
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1344
Hazrat ye bataye ki Jo salatu assalam (mustafa Jane
rahmat) padhte he isme ham sabhi par durood wa salam bhejte he yani HUZOOR PAAK
par bhi or tamam waliyon par to kya ye thik he sabhi par salam bhejna Or agar
thik he to is salam me ham log sahaba karaam yani 4 khaleefa par kyun nahi
bhejte ? Jawab ki darkhwast he ? Or ek baat ke log mujhse bolte he ke laakho
kardon durood salam bolne se un par pahuchta to nahi jab tak padha na jaye ? to
iska kya jawab diya jaye unko ?
Jawab:1344
بسم الله الرحمن
الرحيم
Awwal to ye ki walio par bhi salam bhejna durust hai, doosri
baat ye ki apne kaha, ham sahaba aur khulafa par kyun nahi salam bhejte, ye
baat to imam ahmad raza khan fazile barelvi ko bhi maloom hogi ki kal koi
kahega ki is par kyun nahi bheja to koi kahege ki us wali na naam kyun nahi
liya to kahega ki mere peer par nahi bheja isilye sari fasad ko khatam karte
huye alahzarat farmate hai,
“ek mera hi rehmat me dawa nahi
Shah ki saari ummat pe laakho salam”
Ab aap mujhe bataye, sahba ummat me shamil hai ya nahi, ? jab sari ummat par salam
bhej diya to kisi ko zuban kholne ki zarurat hi nahi rahi (har hidayat allah ki
taraf se jawab ko wazeh kar dene ki)
Magar apka khyal fir bhi ghalat hai, sahaba par
unke naam ke sath salam ke sher maujood hai,
Wo daso jinko jannat ka mujda mila
Us mubarak jamat pe lakho salam
(isme charo khalifa ka zikr maujood ho gaya)
Unke maula ke un par caroro durud
Unke ashab o itrat pe lakho salam
(isme sahaba aur ahle bait ka zikr hai)
Aur bhi kafi ashar sahaba par maujood hai,
balki khulafa par bhi hai,
Saya e Mustafa maya e istafa
Izz o naaz e khilafat pe lakho salam
Yani us afzalul khalaq bad ur rusool
Sani as nain hijrat pe lakho salam
Wo umar jiske ada pe sheda shaqar
Us khuda dost Hazrat pe lakho salam
Ab raha ye etraz ki jab ham kehte hai ki “lakho salam” to nabi par lakho salam
nahi jaate ek jaata hai, agar ye bhi
mana jaye ki ek salam hi jayega to aap etraz karne wale se puchhna, jab ye fajr
me duniya bhar me padha jata hai, to sabka ek ek hi man lo aur lakho musalman
padhenge to sabka milkar to lakho ho hi jata hai na fir fasad kyun, gaya to
lakho hi naa
Aur isi tarah agar ek admi ka ek salam mana
jaye to jume me cororo admio ke croro ho gaye, to pahuche naa nabi par lakho
salam aur cororo durud,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ
بالـصـواب
Suwal no. 1345
Assalamualaikum,
Kya kisi kafir ki request par aabe zamzam de sakte hai, Jazakalallah
Jawab:1345
بسم الله الرحمن
الرحيم
Agar aap iske malik hai, to de sakte hai, yani agar use pyas
ki shiddat hai, aur paani maujood nahi aur wo apse pani mange aur apke pas sirf
zam zam sharif hai, to bhi de sakte hai, aur agar kafir zam zam ki tazim ko dil
me rakhte huye khud ki ya apne ahle khana ki bimari me shifa ki ummid se zamzam
mang raha hai to bhi de dena chahiye, yani musalmano se sun kar ki is pani me
shifa hai or wo bhi isi yaqeen aur tazim ke sath mange to dene me harz nahi,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1346
Hazrat me ye janna chahta hu ke roze ki niyat kis
waqt se karne ki izajat hai matlab kya me sone se pahle agar ye niyat karke so
jaun ke kal mera roza hai to kya mera roza hoga, Hazrat Rehnumaai Farmaye
Jawab:1346
بسم الله الرحمن
الرحيم
Roza ho jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1347
Debandio ke yaha ka zabiha khana haram hai, to kya
jo non muslim hai unki shop se saman lena kaisa koi bhi saman fruits, ya
medician,
Jawab:1347
بسم الله الرحمن
الرحيم
Gair muslim ki dukan se, gosht
ke siwa baki zarurat ka saman kharidna jaiz hai, jaisa ki
Fatawa Razawiyya Jild: 21 Safah:665 par
hai
Gehun, chawal, dudh, dahi to mushrik ke yahan
ka bhi halal hai, jabki najis na ho
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1348
Hazrat koi
aisa dua ya amal bataye ki jisse padne se insan ka qalb saaf ho jaye burayi se
dil hat jaye. Aur zehan sahi rahe, bad nigahiyo se bache.
Jawab: 1348 بسم الله الرحمن الرحيم
Ek aisa teer ba-hadaf
amal batata hu, magar shaitan is par amal karne nahi dega aur allah ki madad
shamil rahi, aur aap qamyab rahe to khuda ki rehmat apni khuli ankho se
dekhoge, karna kuchh nahi,
Aksar waqt me astaghfar ki kasrat karte rahe, iske siwa kuchh naa padhe, har dam chalte
firte, aur sehri me 1 1/5 roti, aur bad iftar 1 roti khaye, fir eid bad 21 din
tak dophar me sirf 1/5 roti aur raat me 1/5 roti khaye, isse badkar ek luqma
nahi, jo pareshani suwal me darj hai wo to door hogi hai, sath me is jaisie 70
pareshani aur door hongi, ibadat me dil lagega nek kam achha lagega, dil me
rehm rahega, akhlaq ache honge, aur naa jaane kya kya raaz ki baate samne
ayengi, magar astaghfar ki kasrat
tark na kare
(meri baato ko halka na
janega, magar aqal ka kam)
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1349
Hazrat Hadees
Sharif ka mafhun hai ke Ek momin ko sote waqt sabhi musalmano ko Maaf karke
sona chahiye, ab hum Kisi par paisa mangte Ho to wo maaf kar sakte, Kisi ne
zameen ka haq daba rakha Ho, Kisi Ki hamari ghibat Kari Ho, Kisi ne gali di,
Kisi ne Mara Ho, Kisi ne chugli Kari Ho, ab ye sab maaf karne ke mamle hai, Kai
sare musalman bhai to aise bhi hote hai jo hame jante bhi nahi aur dur se hi
Kisi masle me hamari ghibat ya burai karke gunahgar ho jate hai, ab mera sawal
ye hai ke agar Me khud un sabhi musalman bhai ya baheno ko Maaf karu to Meri
niyat aur zuban se adayegi ke alfaz kya hona chahiye ?
Jawab:1349
بسم الله الرحمن
الرحيم
Ab tak kisi bhi zariye se jisne meri dil azari ki meri
chugli, gheebat, ki ya mera haq mara, ya haq me kotahi ki haq zaya kiya, ya jis
bhi tariqe se mera dil dukhaya ya taqlif di to me allah wa rasool ki khatir
sabko muaf karta hu, aur kal qiyamat me main apni zat ki khatir inse koi badla
naa lunga
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1350
fitrah kis ko
de sakte he aur ek fitrah me se kai logo ko de sakte he ya sirf ek fitrah ek
hi insan ko de sakte he, agar misal ke taur par ek fitrah 45 rupe ka he to
kya 45 ki jagah 50 rupe de sakte he aur aisa kya to fitrah ada huwa ya nahi
Jawab:1350
بسم
الله الرحمن الرحيم
Jinhe
zakat de sakte hai unhe fitra de sakte hai, jinhe zakat nahi de sakte unhe
fitra nahi de sakte, yani jo sahib e nisab ho use nahi de sakte, isi tarha
sayyid ho to use nahi de sakte, aur ye zaruri nahi ek fitra ek miskeen ko de,
balki kai miskeen me taqsim kar dega to bhi ada ho jayega, aur zakat ya fitra
jitna wajib ho usse zyada dene me koi harz nahi hota maslan 45 rs. Huya to 45
se upar jo de behtar hai,
Bahar e
shariat Jild:1 Safah:940 par hai
“ek shakhs
ka fitra ek miskeen ko dena behtar hai, aur chand masakeen ko de diya tab bi
jaiz hai”
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1351
Hazrat jab
badmazhabo (wahabi aur deobandi) ke pichhe Namaz jayez nahi to jab hamlog hajj
par jate hai to waha hajj ki namaz imame haram padhte hai to mere haj qubul
kaise hoga aur inki pichhe namaz kyu nahi padhna chahiye, quran aur hadees ki
roshani me rehnumaye farmaye
Jawab:1351
بسم
الله الرحمن الرحيم
Aap wahan
sunni aqeeda logo ke sath jamat qayam karke namaz padh sakte ho, aur haj ka
qubool karna allah ke zimme hai,
Hadis me farmaya, Kanzul Ummal me
فلا تواکلو ھم ولاتشاربو ھم ولاتصلواعلیہم ولاتصلوامعھم
(naa unke
sath khana khao, naa paani pio, naa unke janaze ki namaz padho, naa unke sath
naamz padho,”
Aur ek riwayat me alfaz is
tarah hai
لاتجالسوھم
ولاتؤاکلوھم ولاتشاربوھم واذامرضوالاتعودوھم واذاماتوافلاتشھدوھم ولاتصلواعلیہم
ولاتصلوا معھم
(naa unke pas
betho, naa unke sath khana khao, naa unke sath pio, bimar padhe to unki iyadat
naa kro, mar jaye to unke janaze naa padho, naa un par namaz padho naa unke
sath namaz padho,
Fatahul Qadir
Jild:1 Safah:304 par hai
الصلوٰۃ خلف اھل الھواء لاتجوز
(ahle bidat
ke pichhe namaz jaiz nahi)
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1352
Tarawih me 3ri
ya 4thi saf me imam sahab quran sharif ki tilavat karte hai to aawaz nahi aati
fan or exos fan ki wajah se to kya hame quran sharif sunne ka sawab milega ya
nahi
Jawab:1352 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar quran sunne ki niyat
se masjid me aya, lekin aage saf me jagah naa mil saki, jiski wajah se pichhe
khada hona padha, to aisi surat
me allah ne chaha to niyat ke mutabik sawab milega,
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1353
Agar dua tv me chal rahi ho aur me apne ghar par
rahu to kya me bhi dua me shamil ho jaugna
Jawab:1353
بسم الله الرحمن
الرحيم
Agar ye dua ya program live hai, aur aap bhi dua ke waqt us
dua me shamil ho to aap dua me sharik mane jaoge, yani agar wo dua qubol hui
aur us waqt dua kar rahe logo ki dua qubool hui aur maghrifat hui to ap bhi un
maghfiratyafta me shamil ho jayoge (allah bade karam wala hai)
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1354
Kya police ke mukhbir bhi chugli me shamil hota he kya
mukhbir ki bhi bakhshish nahi
Jawab:1354 بسم الله الرحمن الرحيم
Chugli chugli hai, agrche
police ke liye ho, aur be-ijazat e shara haram hai, aur uske liye wahi wa’eed
hain jo hadis me hai, jabki be-toba kare mara, aur agar tauba kar li to bakhshish
ki ummid hai (jabki aur koi man’e sharai na ho)
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1355
Wahabiyo se dosti rakhna kaisa ? Mere dost wahabi
hai Wo mujhse achhi tareeqe se pesh aate hai Hum bachpan se friends hai?
Jawab:
1355 بسم الله الرحمن
الرحيم
Wahabi ya kisi bhi badmazhab se dosti rakhna
yani uski tazeem karna hi hai, aur inse mel jol tazeem sakht haram, yani agar
koi apke walid ko gali de to aap use umar bhar naa bolo, aur jo gustakh e
rasool ho, imam e azam ko galia den, sahaba ko gaali de, aur khud naa de to
dene walo ki jamat se to hai hi, wo bachpan ka dost ??????????? (mazallah)
Yaad rakhna chahiye ki aadmi ko dosti or
dushmani allah ke liye karni chahiye, allah ka dost hamara dost, allah ka dushman
hamara dushman, fir chahe, shariat o sunnat ka gustakh agar apna baap bhi ho to
use apni zindagi se aise nikal do jaise doodh se makkhi,
Hadis Al-Musnad me hai
“sabse zyada
allah ko pyara amal, ALLAH KE LIYE DOSTI, ALLAH KE LIYE BUGHZ RAKHNA HAI”
Al-Muazzam ul
kabir me hai
“jo kisi se
allah ke liye mohabbat rakhe, allah ke liye dushmani rakhe allah ke liye de,
allah ke liye mana kare, usne apna iman kamil kar liya,”
Aur ek hadis e pak me farmaya
- الرجل علی دین خلیلہ فلینظر احدکم من یخالل
“admi
apne dost ke deen par hota hai, to gaur kar le, ki kisse dosti karta hai”
Aur wahabi
se mel jol rakhne se uski tazeem lazim aati hai, aur shariat me unki tazeem
haram aur tohin wajib hai, Hadis Shuabul Iman me hai
Farmaya huzoor ne
من وقر صاحب بدعۃ فقد اعان علی ھدم الاسلام
(jisne kisi
badmazhab ki toqir (tazeem) ki, usne islam ko dhaane me madad ki)
Fatawa Razawiya Jild:22 safah:423 par hai
Rafazi, Wahabi, Qadiyani, in ki tazeem haram
hai”
Fatawa Razawiya
Jild:6 Safah:399 par farmate hain,
Badmazhab ki
sharan toheen wajib
Bahar e Shariat
Jild:3 Safah:576 par hai
“hadis me hai
“aadmi uske sath hai, jisse use mohabbat hai”
Is hadis se
maloom hota hai ki acho se mohabbat achha bana deti hai, uska hashr acho ke
sath hoga, aur BADO KI MOHABBAT BURA BANA DETI HAI, aur iska hashr buro ke sath
hoga”
Hazrat Ali ka qaul hai: -
الاعداء ثلثۃ عدوک وعدو صدیقک وصدیق عدوک
(dushman teen hain)
1-khud tera dushman
2-tere dost ka dushman (ye bhi tera dushman)
3- tere dushman ka dosht (ye bhi tera hi
dushman)
Ab aap gaur karle, ki agar nabi, wali, sahaba, imam e azam, gaus
e azam, gharib naawaz, alaHazrat wagera wagera, apke dost hai, to inke dushman
apka dushman hona chahiye ya dost ?
(aqalmand ke liye ye tehrir roshan hai, aur allah jiske iman
ki chahe hifazt kare, us par kuchh wajib nahi)
وﷲ سبحانه
وتعالى أعلمُ بالـصـواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Suwal no. 1356
Hazrat kya mard ko bathroom me sirf khade ho kar
nahana chahye ya baith kar bhi naha sakta he
Jawab:1356
بسم الله الرحمن
الرحيم
Khade ho kar, beth kar, let kar, jaise chahe nahaye, sab
surate jaiz hai, bas ye khyal rakhe ki jab jism par kapde naa ho to kaabe ki
taraf naa munh kare, naa peethh, aur ye hukm mard aurat dono ke liye hai
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1357
Hazrat zakat ka nisab sade bawan tola chaandi or
sade saat tola sona hai, to ek tola kitne gram ko kehte hen isi tarah anguthi
ke masle me ek masha kitne gram ko kehte hen rehnumai farmaye nawazish o karam
hoga
Jawab:1357 بسم الله الرحمن الرحيم
Ghalibann, Hindustan me 1 tola 12 masha ya,
11.66 gram, aur 1 masha 0.97 gram hota hai,
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1358
kya farmate he ulamaye kiram is masale me ki hamare
yaha madrse ke liye zakat fitra sadkat liya jata he to mal kis tarike se madrase
me kharch kiya jayega kyuki madrse me maldar, garib dono bachche padhte he
Jawab:1358 بسم الله الرحمن الرحيم
Is raqm ka heela sharai karne ke bad, madrse ke
jumla akhrajat me sarf karne ki ijazat hai, aur Jisne zakat deni hai, use
chahiye ki zakat dete waqt madarse ke member ko agah kar de ki ye maal e zakat
hai, taaki wo use aur maal me naa mila de,
Bahar e Shariat Jild:1 Safah: 926 par hai
“bahut se log zakat ka mal Islamic madaris me
bhej dete hain, unko chahiye ki mutawalli e madrse ko ittilah den, ki ye maal e
zakat hai, taaki mutawalli us maal ko juda rakhe aur maal me naa milaye, aur
gharib talaba par sarf kare, kisi kaam ki ujrat me naa de, warna zakat ada naa
hogi”
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1359
Kya Daadhi
Bigair Padhi Gai Namaaz Waajib ul Iyaada Hai ?
Jawab:1359 بسم الله الرحمن الرحيم
Iski imamat jaiz nahi
magar khud ki tanha namaz ho jayegi,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1360
Deaobndi. Wahabi aur ahle hadees in teeno ko ham
kaise pehchnenge ki teeno alag alag firke he
Jawab:1360
بسم الله الرحمن
الرحيم
Wahabi aur ahle hadis ek hi firka e khabeesa ka naam hai, aur
deobandi unki ek shakhs hai, maathe par kisi ke likha nahi aata, aap puchh liya
karo, ki mazarat, niyaz, durood, aur AlaHazrat ko lekar kya nazariya rakhta
hai, maloom chal jayega,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1361
Maine isha ki namaz me imam ke peechhe 4 rakat
namaz farz ke liye khada hua Lekin bhool se taraweeh namaz ki niyat bandh li, fir namaz me mujhe yaad bhi aa gaya or maine
imam ke peechhe namaz adaa bhi kar li toh kya yeh sahi hai ?
Jawab:1361
بسم الله الرحمن
الرحيم
Agar
dil me irada ghar se nikalte waqt isha ada karne ka tha, fir munh se taravih nikal
gayi, fir jab yaad aya to isha ki hi niyat dil me thi, aur apni bhool ka foran
ehsas ho gaya,
to namaz e isha ada hui
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1362
kya non muslim ko aftaar party ki dawat de sakte hai ? ye sawal mujhse
kisi ne kiya hai
Jawab:1362 بسم الله الرحمن
الرحيم
Be-zarurat nahi de
sakte, ki dawat dena unki tazeem hai, aur tazeem e kafir haram hai,
Fatawa
Razawiya Jild:14 Safah:512 par hai
“kafir ki
tazeem haram hai”
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1363
humare yahan masjid me jo kaleen bichhaee gayi hai uspar kafi logon ne
ye kaha he ki is kaleen par shaitan ke chehre nazar aa rahe hain aur kuchh log
ka ye kahna he ki hame us kaleen pe namaz pdhna he na ki shaitan ke chehre ko
dekhna he to aisi halat me kaleen badla jaye ya nahi ?
Jawab:1363
بسم الله الرحمن
الرحيم
Sabhi
Kaleen agar kisi ek shakhs ne apni raqm se di hai, aur use shaitan ka chehra
nazar aa raha hai, aur wo khud apne paise se nai Kaleen aur dena chahta hai to
harz nahi, aur agar wo Kaleen chande ke paise se aai hai, to bila wajah logo ke
paise ko barbad karna haram hai, kya
masjid me chanda isilye liye jata hai ki, zara si baat par masjid ki purani
chizo ko fenk kar naya laye jaye aur jo nayi ayengi wo bhi chande ki hogi, kisi
ke ghar ki nahi, awam ko chahiye ki ye fizul baato se dil hata kar, namaz me
dhyan de, aur achanak logo ka kon sa wilayat ka darja mil gaya ki shaitan nazar
aane bhi laga aur uski pehchan bhi kar li, kal ramazan bad shaitan khud unke
ghar me aa jayega, to ghar bhi badal denge kya ?
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1364
Photographs jo aksar aaj ke dour mein aam ho gaya he toh kya use khichna
jayaz he, Taki ek memory ke liye rakhi jaye
Jawab:1364
بسم الله الرحمن
الرحيم
Kisi
cheez ke aam hone se uska jaiz hona sabit nahi hota, aur waqtan jo jaiz hoti
hai, uski khabar ulama de dete hai, tasvirkashi haram hai, yani photo khichwa
kar uska printout nikalwa liya gaya ho to, aur agar phone ya digital screen
wali kisi cheez me hi hai, yani hardcopy nahi nikalwai to baz muftio ne iski
jawaz ki surat byan ki hai,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1365
ALLAHUMMA INNI
ZALAMTU NAFSI ZULMAN KASIRAU, VA LA YAGHFIRIZ ZUNUBA ILLA ANTA, FAGH FIRLI
MAGHFIRATHAM MIN INDIKA, VARHAMNI INNAKA ANTAL GHAFOORUR RAHEEM.
Is ke jagah ALLAHUMMA INNI ZALAMTU NAFSI ZULMAN KASIRAU, VA LA YAGHFIRIZ ZUNUBA
ILLA ANTA, FAGH FIRLI MAGHFIRAtau INNAKA ANTAL GHAFOORUR RAHEEM padhliya tho
namaz hogayi ? Ye padna wajib hai ya sunnat?
Jawab:1365 بسم الله الرحمن
الرحيم
Arabi ibarato ko gair
arabi rasl-ul-khat me likhna jaiz nahi, ainda iska khyal rakha jaye,
Tashahood ke bad koi bhi
dua padh lene se namaz ho jayegi, aur durood bad salam fer liya yani koi bhi
dua naa padhi, to bhi namaz ho jayegi, ye wajib nahi sunnat hai
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1366
Naat sharif me
echo sound rakhna jaiz hai ya najaiz, or Najaiz or haram me fark kya he dono ka
gunah same he ya alag alag, tafsil se jawaab den.
Jawab:1366 بسم الله الرحمن الرحيم
Echo awaz ko do teen bar
repeat karke nikalti hai, isme koi harz nahi, aur naa ye music se mushabihat
hai, han, agar echo ke sath or koi sound system bhi hai jisse mil kar echo
music ke misl awz paida kar rahi hai ki sunne wale ko music ka dhoka ho to is
tarah ka system chahe echo ho ya kuchh or
jaiz nahi,
Haram or najaiz ka gunah
alag alag hai,
Har haram kaam ko najaiz
keh sakte hai, jabki har najaiz ko haram nahi keh sakte,
Haram ke liye dalil e
qa’tai ka hona zaruri he, jabki najaiz hone ke liye dalil e qa’tai ka hona
zaruri nahi, balki dalil e zanni bhi kafi hai, aur gunah e sageera ko bhi
najaiz keh sakte hai, haram nahi, isi tarah makruh e tehrimi ka karne wale ne najaiz kiya aur haram ke karib ,
magar haram nahi keh sakte,
“har haram
najaiz hai, har najaiz haram nahi”
وﷲ تعالیٰ أعلمُ
بالـصـواب
Suwal no. 1367
Assalamu alaikum, Hazrate Ali radi allahu anhu ko 'karam allahu wajaho'
kyun kahte hai aur iska matlab kya hai ?
Jawab:1367
بسم
الله الرحمن الرحيم
Fatawa Razawiya Jild:28 Safah:436 par hai
Hazrat e maula ne huzoor ke kinar e aqdas me parwarish pai, huzoor ki
god me hosh sambhala, aankh khulte hi huzoor ka jamal jahan aara dekha, huzoor
hi ki baate suni, aadaten sikhi, to jab se in janab e irfan e ma’ab, hosh aya,
mutlaqan yaqinan allah ko ek hi jana, ek hi mana, hargiz hargiz buton ki
najasat se, daman pak kabhi aluda nahi hua, isilye laqab kareem, “کرم
اللہ تعالٰی وجہہ “mila
(ye ki
Allah unhe aur barkate ata farmaye,)
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1368
Namaz e taravih
me imam sahib dusari rakat me baithane ki bajaye poora khade ho gaye aur jab
muktadeeyon ne allahuakber kaha to baith gaye lekin sajdah sahv nahi kiya ? To
namaz me koi kami aai ya nahi, Jawab ka muntazir
Jawab:1368 بسم الله الرحمن
الرحيم
Un do rakat taravih ko
fir se padha jata, (magar usi rat jis rat ye mamla hua, uske bad nahi)
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1369
My question
is, namaz padhte waqt agar demage me bura khayal aaye toh kya karna chahiye
Jawab:1369 بسم الله الرحمن
الرحيم
Aap un khayalat ki taraf
dyan na diya kare, namaz ki taraf tawajju kar liya kare.
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1370
Hazrat mujhe apni sister ko uske ghar pe le kar
jaana he aur 350 kilometer door he me roza tark karna nahi chahta kya me isi
haalat me roza rakh sakta hu ?
Jawab:1370
بسم
الله الرحمن الرحيم
Roza Rakh sakte ho, aur jis din safar ho us me sehri khane ke
bad 500 gram. Daahi pi liya jaye,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1371
Hazrat ye
batanye ki nafil namaz khade ho Kar padne me zyada Sawab ha Ya beth ke padhne
men, Hazrat Jawab Ka intezar rahega
Jawab:
1371 بسم الله الرحمن الرحيم
Nafil
namaz bina majburi bhi beth kar padhna jaiz To hai magar beth kar padhne se,
kadhe ho kar padhne ki nisbat adha sawab milega.. jaisa ki hadis me farmaya:
HADIS: beth kar padhne wale ki Namaz Khade ho kar padhne wale ki aadhi hai, (Muslim Shareef)
Han,
agar kisi majburi me beth kar padega To sawab me kami naa ayegi.. Or ye jo
aajkal nafil bethkar padhne ka riwaz Bana rakha hai or samajhte hai ki nafil
beth kar Hi padhne chahiye ye ghalat hai, khade ho kar Hi padhna afzal hai, (Bahar e Shariat)
والله أعلمُ
بالـصـواب
Suwal no. 1372
kailullah ka sunnat tariqa or ye hota kya kya he? kya isse hafiza tez
hota he,
Jawab:1372 بسم الله الرحمن الرحيم
Dopher ko kuchh waqt aram karna ya sone ko Qaylulah kaha jata hai, jo
huzoor se sabit hai yani sunnat e mustahaba he, aur ghaliban ye un logo ke liye
hoga, jo ki raat ko tahajjud padhte the, ibadat karte hai, zikr karte hai, ya
kitab ka mutala karte hai, taki shab-bedaari me jo thakan ho wo door ho jaye,
Aur isi tarah Bahar e Shariat aur Fatawa Alamgiri me hai, quwwat
e hafiza barne wali baat SAHI HAI
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1373
Jawab no 1336
Me Aapne Kaha Ke Agar Koi Wajib Chhut Jaaye To Sajda Sahv Karni Padhti Hai
Kya Sirf Wajib Chhutne Par Hi Sajda Sahv Hai Yaa Or Bhi Koi Wajah Hai Sajda e
Sahv Ki ? Maine Sunaa Hai Ke Agar kisi Faraiz Ki
Adaaigi Me Takhir Ho Jaye To Bhi Sajda Sahv Karna Padtaa Hai, Rehnumai Farmaye
Jawab:1373
بسم الله الرحمن
الرحيم
Farz ki adaigi me takhir ka matlab ye hota hai ki ek rukn ke bad doosre
ki taraf intiqal karna wajib hota hai, maslan, qirat farz hai, ab kisi ne niyat
ki aur qirat me der ki, ya qirat poori karke, agle farz(ruku) ke taraf foran
jana wajib tha aur der ki ye wajib ka tark hai, ya yun kahe ki farz (ruku) me
der hai, to sajda sahv hai,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1374
Hazrat ye batayn zakat apne BHAI ko de sakte han, jabki uske sath hamare
man bap Bhi rehte ho aur ham alag rehte ho wazahat farmayen
Jawab:1374 بسم الله الرحمن الرحيم
G, han, de sakte hai,
aur dete waqt zakaat ada karne ki aap dil me niyat kare, bhai ko tohfa ya eidi
keh kar bhi de sakte hai, zakat kehna zaruri nahi, apke dil me niyat kafi hai,
magar bhai zaat ka sayyid naa ho
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1375
Hazrat aaqa ki jo Hadees hai ke "Mai
ilm Ka shahar hu or abu bakr R.a. Uski buniyaad hai or Umar r.a. Uski diwaar
hai or usmaan r.a. Uski chhat hai or Ali r.a. Uska darwaza hai" Ab Suwal
ye hai k ye Hadees kis kitab me hai iska hawala bata dijiye or iske raawi
kaon-kaon hai ? Baraye karam rahnumai farmaye ?
Jawab:1375 بسم الله الرحمن الرحيم
Is hadis ko Mulla Ali Al-Qari ne Musnad al firdos ke hawale se
Miraqat Sharah
Mishkat Jild 11 Safah:346 par hai
main ilm ka
shehr hun, abu bakr uski bunyad umar uski diwar, usman uski chhat aur ali uska
darwaza hai,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1376
Janaab hadees me mene parha hai jisne apni sharmgaah ko chhua uske liye
wazu karna zaruri hai Lekin jab hum gusl karte hen sabse pehle wuzu karte
hai tab sharmgah ko bhi saf sutra banate hai ? Fir mene ye bhi pada ke ghusl
karne ke baad wuzu karna zaruri nahi hai hatta ke hum apni sharmgaah ko chhu
rahe hai ghusal ke dauran ? To kya humko baad ghusal wazu karna chahiye ya nahi
? Agar karna chahiye to kitabo me maine
pada ke ghusal karne ke baad wuzu karna zaruri nahi hai ? To iske mutalliq apki
kya ray hai wajahat farmaiye
Jawab:1376
بسم الله الرحمن
الرحيم
Ye jo kaha gaya hoga ki sharmgah ko hath lagane be bad wuzu karo, iska
matlab ye hai ki, aisi jagah hath lagane ke bad wuzu karna MUSTAHAB hai, zaruri nahi, jaise ki Bahar e
Shariat me hai ki, baghal
khujane ke bad (jabki usme badbu ho) oonth ka gosht khane ke bad wuzu karna
mustahab hai, aur aisi hi, zor se
hansne ke bad, gheebat karne ke bad, gaali dene ke bad, bhi wuzu karna mustahab
hai, yani in mamlo ke bad wuzu karna sawab hai, magar inse
pehle ka wuzu tuta nahi, isi wuzu se namaz ada karega to ada ho jayegi, aur jo
apne kaha ki gusl ke bad wuzu naa karo, wo hadis
durust hai, huzoor ne farmaya,
“jo gusl ke bad wuzu kare, wo ham me se nahi” lihaza
gusl karne ke bad fir se wuzu nahi karna chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔
Suwal no. 1377
Kafir ko deen ki or bulaana chahiye Islaam ki dawat dena chahiye agar ye
sahi hai To wahabi ko bhi deen ki traf bulakar haq ahle sunnat wal jamaat ki
dawat dena kaisa ? Matlab jaiz hai ke nahi ? Haq aur baatil ke bare
me unlogo ko samjhana durust rahega ya hame unse wasta hi nahi rakhna chahiye?
Jawab:1377
بسم الله الرحمن
الرحيم
aur Agar wahabi apne aqaid par pakka hai to use samjhana
fizul aur waqt ko zaya karna hai, allah ne inke dilo par mohr kar di, ye
hidayat pane wale nahi, jiski ummid ho to use zarur zarur samjhana chahiye
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1378
Assalamu
Alaikum, Kia kabristaan ke ander chappal pehankr jaana sahi hai?
Jawab:1378
بسم الله الرحمن
الرحيم
Sahi nahi hai, magar gunah bhi nahi
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1379
Hazrat ye bataye ke Jo log har namaz ki nafil Jo
jaan boojh kar chhor dete he jabki unke paas time ho padhne ka or is cheez ki
adat bana le ke nafil kabhi padhe hi na kisi namaz me to unke liye kya huqm he
? or jab unse kaho ke nafil kyun nahi padhte to kahte he nafil padhna zaroori
nahi or na hi chhod dene se gunah padta he or ye bhi baaz log kah dete he ke
agar namaz qaza he purani to nafil nahi qubool hogi ? Jawab ka talabgaar hu??
Jawab:1379 بسم الله الرحمن الرحيم
Suwal me saari baate
sahi hai, jo log kehte hai, nafil chhorna gunah nahi, jiske zimme farz ibadat
baki ho uski nafil ibadat par sawab nahi ye bat hadis se sabit hai, aur nafil
ki jagah pichli qaza namaz hi padhni chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1380
Mera sawal ye
hai hazart, ki kiya jo sehri ki dua hai kya wo quraan hadees me kahi likhi hai
hazart agar hawala mil jayega bahut meherbni hogi kyun ki ye baat ek wahabi ne
puchha hai ?
Jawab:1380 بسم الله الرحمن الرحيم
Wabahi ko manwane ki
apko zarurat nahi, aur is group me behes karne ke liye sawal ke jawab nahi diye
jaate balki apni islah ke liye kiya jate hai, aur apki islah ke liye itna kaafi
hai ki dua hadis me maujood hai
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1381
Koi shakhs retire hota hai usko retirement ke baad
10 lack rupiye milte hai aur wo bank me jamaa kar deta hai, 3 maah bad ramzan
aa chuka ho to kya ramzan me us shakhs ko is 10 lakh ki bhi zakat nikalni
padegi ?
Jawab:1381
بسم الله الرحمن
الرحيم
G, han un 10 lakh ki bhi kul mal me milakar
zakat deni hogi. Jabki pehle bhi unke pas itne paise maujood ho ki wo sahib e
nisab ho to
Jab koi shakhs pehle se sahib e nisab ho yani
us par zakat wajib ho aur bich me or raqm bar jaye to kul maal ki zakat deni
hogi, yani ye nahi ki jo raqm abhi aai uspar ek sal guzrne ka intizar kare,
maslan agar kisi shakhs par Rs. 100 hai, aur is par 11 mahine guzar gaye, aur 1
mahine bad Rs.100 ki zakat deni hai, tabi Rs.500 or iske pas aa gaye, ab 1
mahine bad pure Rs.600 ki zakat dega, aisa nahi ki bad ke 500 par ek sal
guzarne ka intizar kare, Bahar E Shariat Jild:1 Safah:884 par hai
“jo shakhs malik e nisab hai agar darmiyan e
saal me kuchh aur maal isi jeens ka hasil kiya gaya,
to us naye maal ka juda saal nahi, Balke pehle maal ka khatam saal uske liye
bhi sal e tamam hai, chahe saal e tamam se ek hi minut pehle hasil kiya gaya ho,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1382
Ek ladki hai jiski shadi wahabi se ho gai, Pehle to
wo kehte the ke wo log jamaat wagera ko nahi mante lekin shadi ke bad pata
chala ke wo wahabi hai, Aur to aur shadi ke 3 din bad uska shauhar kehta hai doosri
shadi karunga, .. Pata chala ladka ek dusri ladki ko pasand karta hai jo use
facebook me mili thi ladki ko taane dete hai ke apke ghar wale aise hai waise
hai shirk, biddath karte hain, Har din ladki ko daraya jaa raha ho, Ladki ki
nanand chugli gheebat karti ho, To kya us shakhs ke sath ladki ko zindagi
guzarni chahiye ya nahi ? ab Surat ye hai ki ladki abhi maike me hai 2 mahine
se, Maike walo ke samjhane par bhi ladki keh rahi hai ke wo sasural nai jayegi,
Aur ladki keh rahi hai ke use wo pati nahi chahiye Ladki abhi 6 months ki
pregnant hai, Jaha tak meri soch hai to ladki ladke ko khula to nahi de sakti
is halath me, To kya kara jaye? Warsi sahab is masail ke bare me aap kya
kahogye ? Ab hame aage kya karna chahiye? Wajahath farmaiyye Aur me aapko ye
bhi bata du ke Ladka range hatho pakda gaya (fb par doosri ladki se chet karte
huye) Ladka saudi me rehta hai, Pichle 2 mahinese wo ladki ko call bhi nahi kar
raha aur nahi uske ghar wale kar rahe hain, S.M.S Warsi Sahab iske mutalluq aap
kya kehte hain, Detail me wajahath farmaiye
Jawab:1382
بسم
الله الرحمن الرحيم
(Note:- is
tarah ke masail ka jawabat whatsap par nahi diye jaate, surat e hal likh kar
sunni darulifta me jaya jaye, kyunki is tarah ke masail me kabhi face to face
gawahi/puchhtach ki zarurat hoti hai, aur ye jo jawab diya jaa raha hai, ye
mehez ilm me izafe ke liye diya jaa raha hai, taki oro ko nasihat ho sikhne ko
mile, aur isse zayda kuchh nahi, magar mere is jawab ko is ladki ke haq me
akhri fesla naa samajha jaye, (agrche hukm yahi ho to bhi)
Al-Jawab - (wahabi wo
hote hai, jo aqeede kufriya rakhte hai, agar suwal me usi ka zikr hai to ye
jawab hai) Jab is ladki ki shadi hui to zewar kisi sunhaar ki dukan se aye
honge, to jab iske sarparast ne dukan par kaha hoga sone ke zewar chahiye to jo
dukan wale ne dikhaye hain, wahi foran le liye honge ya achhi tarah tehqiq ki
hogi ki sona hai bhi ya nahi, fir
jab or saman e jahez (dahez) kharida gaya hoga to thok baja kar tehqiq ki gai
hogi ya yun hi jo dukan wale ne kaha man liya gaya hoga, fir agar tehqiq karke saman
chek karke liya gaya, to ladki ke sarparasto khususan bap ne aisi KHATA E AZEEM KAISE KAR DI ki ladka
sunni hai ya nahi iski tehqiq naa kar sake, agar mehez puchhna hi tehqiq hai to
Qadiyani bhi kahega me musalman hu,
to kya use musalman mana jayega, fir’on ne kaha me khuda hu to kya use khuda
maan liya jaye, to fir ladke ne kaha me sunni hu to bas itna keh dena kaise
kafi samajh liya, shadi se pehle ilaqe, pados, ghar, khandan me khoob achhi
tarah tehqiq kyun nahi ki, taki ladki ki zindagi bach sake, kya ladki ki auqat
uske ghar walo me dahez ke saman se kam thi ki uske tehqiq ki, isme naa ki, APNE MASLAK O AQEEDE PAR HAMESHA KHUL KAR
BAAT KARNI CHAHIYE, jaha rishta karna ho to gol gol bate nahi karte ki ham
sunni hain, balki yun kehna chahiye ki “HAM
PAKKE BARELVI HAI, AUR DEOBANDI KO KAFIR JANTE HAIN” aur jiske waha rishte
tey karo, waha deobandi, wahabi ki burai karke dekho, agar apko roke aur kahe
ki bura naa kaho sab ek hai, to hargiz rishta nahi karna chahiye, aur agar uska
nazariya apke mutabik hai to koi harz nahi, aur waise bhi deobandi wahabi laiq e tohin hai, jab moka mile inki tohin wajib hai,
isilye nai rishtedari karne se pehle is tarah parakh lena chahiye, taki ainda
kisi ladki ki is tarah zindagi barbad naa ho, aur is kaam me jo kam ilm aage
tha ya baap ne tehqiq me susti barti to AISE
JAHIL E MUTLAQ, BEWAQOOF, BAD-DIMAG, KAM AQAL, NALAYAIQ, DA’IIUS ko allah
ki bargah me tauba karni chahiye, aur ye ALQABAT
E KHABEESA islye ki wahabi jan lene ke bad bhi ladki ko ZINA KE LIYE USKE PAS BHEJA JAA RAHA HAI,
(MAZALLAH), aur aisa nahi ho sakta ki agar aadmi tehqiq sahi se kare to haq
samne naa aa sake, magar aisa jab hi hota hai, jab susti ki jaati hai, ya
gumrah ke ghar shadi kar di jaati hai ki jo sabko ek jane,
Ab ye hukm
ki ladki ko kya karna chihiye…
Ab Agar
shohar aisa bad-aqeedah hai ki aqeede batila aur kufriya rakhta hai ya nikah ke
waqt rakhta tha, jaisa ki is daur ke qadiyani, wahabi, rafazi wagera to ye
nikah hua hi nahi, Aurat par farz hai uske ghar se foran apne mayeke jaye, aise
bad-aqeeda se nikah bhi haram hai, aur jis bap ne kiya nira jahil aur iblees ka
perukar. Fatawa Razawiya Jild:21 Safah:281 par hai
“jis
musalman aurat ka ghalati ya jahalat se aise ke sath nikah bandha gaya, us par farz farz
farz hai ki foran foran foran usse juda ho jaye ki zina se bache, aur talaq ki kuchh
zarurat nahi, balki talaq ka koi mahl hi nahi, talaq to jab ho ki jab nikah hua
ho, nikah hi sire se naa hua”
Fatawa
Razawiya Jild:11 Safah:418 par hai
“jo shakhs
apni beti aise shakhs ke nikah me de, weh yaqeenan daiyyus hai, weh apni behen,
beti ko saaf zina ke liye dene wala hai”
Lihaza jis tarah mumkin
ho, ladki ko waha jane se roka jaye, agar wo pakka wahabi pehle se tha to nikah
hua hi nahi,or talaq ki zarurat nahi,
وﷲ
سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Suwal no. 1383
Ansar aur
muhajir isse murad kya hai ?
Jawab:1383
بسم
الله الرحمن الرحيم
Ansar – nasir
ki jama, yani, MADADGAR, weh log
jinhone huzoor ki madad ki thi,
Muhajir – apne
watan ko chhorne wala, hijrat karne wala,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1384
Khalifa iska
matlab kya
Jawab:1384
بسم الله الرحمن
الرحيم
Naib
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1385
Bhai kya roze me hoto par vesline ya koi oili cheez
laga sake hain,
Jawab:1385
بسم
الله الرحمن الرحيم
Agar honto ke bahari hisse par lagaya jaye aur bahar hi rahe
to harz nahi, jabki thook se halaq me naa jaye
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1386
Juma ke khutba
ke waqfe me kuchh logo ko dekha hath utha ke dua mangte Hen, ye sahi he ?
Jawab:1386
بسم
الله الرحمن الرحيم
Dua mangne
me harz nahi, do khutbo ke dauran dua qubool hoti hai, magar ye dua dil me
mangni chahiye aur ye masala koi aisa nahi jis par logo ke sath sakhti ki jaye,
agar koi uthaye to mana na kiya jaye, narmi se samajha diya jaye, (kyunki is
masale me ikhtilaf hai, aur imam e azam se is bare me do riwayat hai, lihaza
dil me hi dua mange,) Fatawa Razawiya Jild:8 Safah:300 par hai
“dua agar
sirf dil se kare, zuban se talaffuz aslan naa ho to koi harj nahi”
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1387
Assalamualaikum
janab mera sawal ye he ki ladkio se kaise bacha jaye matlab unhe leke kafi bure
khayalat aa jate hai tamam logo ke ander plz Hazrat rahnumai farmaiye,
Jawab 1387
بسم
الله الرحمن الرحيم
Ye teen
kam par amal kiya jaye,
1-sunnat
tariqe se chala jaye, (yani nazar niche karke)
2-40 din
tak adhi (1/5) dophar aur 1 roti rat me khai jaye
4-murge ka
ghosht khane me kami ki jaye,
5- peer,
aur momkin ho to jumrat ko har hafte roza rakha jaye
6-har waqt
dil hi dil kasrat se astaghfar
padhte raho
(in bato
par agar aap 30 din amal kar le, allah hi ki tofiq se)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1388
Agar koi insan
apne ghar se 150 k.m door majduri karta he aur jahan majduri karta he waha
hotel me rehta he to kya us par roza aur tarawih muaf he ?
Jawab:1388 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar dono shehro ke darmiyan
92 k/m ya isse zyada fasla hai, aur ye shakhs waha musafir hai, to roza bilkul
muaf to nahi magar itni ijazat hai, ki halat e safar me roza naa rakhe aur
safar khatam hone ke bad iski qaza kar le, aur agar musafir hone ke bad bhi
roza rakhne me koi dikkat nahi hogi to rakh sakta hai, aur taravih kisi surat
muaf nahi, padhni hongi
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1389
Me ye arz karna chahta hu ki jab quran ki tilawat
karte he to jo sajda karte he wo fauran kar lena zaruri he ya 14 sajde ikhatte
bhi kar sakte he jab quran poora ho jaye ?
Jawab:
1389 بسم الله الرحمن الرحيم
Behtar ye hai ki foran kar
len, magar baad me bhi kare to gunah nahi, kyunki sajda ki ayat ka sajda namaz
me foran karna wajib hai, namaz ke bahar tilawat karte huye, foran wajib nahi magar behtar hai,
Bahar e Shariat
Jild: 1 Safah: 733 par hai
“ayat e
sajda namaz ke bahar padhi to foran sajda kar lena wajib nahi, han behtar hai,
Or ye zaruri nahi ki ayat
ko arabi me hi padha jaye balki uska tarjuma bhi padha ya suna to bhi sajda
wajib hota jaisa ki isi tarah Bahar E Shariat Jild: 1 Safa:730 par hai
“Farsi ya kisi
or zuban me ayat ka tarjuma padha to padhne wale or sunne wale par sajda wajib
ho gaya, chahe
sunne wale ne ye samajha ho ya naa samajha ho ki ye ayat e sajda ka tarjuma
hai. albatta ye zaruri hai ki use naamaloom ho or bata diya gaya ho ki ye ayat e sajda ka tarjuma hai,”
Sajde ki niyat ye karna
zaruri nahi ki fula ayat ka sajda kar raha hu, bas dil me sajde ki niyat kafi
hai,
Durr E Mukhtar
Jild:2 Safa: 499 par hai,
“Iski niyat me
ye sharat nahi ki fula ayat ka sajda kar raha hu, balki mutlaqann sajda e tilawat
ki niyat kafi hai,”
Iska tariqa ye hai ki jab
sajde ki ayat padhe to foran quran side me rakh kar sajde kar le, yani bethe
bethe bhi ho sakta hai, sirf sajda karna kafi hai sajde ki tasbih naa bhi padhi
to bhi harj nahi. Or behtar ye hai ki khade ho kar, allahu akbar kehte huye
sajde me jaye or 3 bar sajde ki tasbih padhe, fir khada ho ye sunnat hai jaisa
ki Fatawa
Alamgiri Jild: 1 Safa: 130 par hai,
“sajde ka
sunnat tariqa yeh hai ki khade ho kar “allahu akbar” kehta huye sajde me jaye
or kam se kam 3 bar (sajde ki tasbih kahe) fir allahu akbar kehte huye khada ho
jaye, awwal akhir allahu akbar kehna sunnat hai or khade ho kar sajde me jana
or fir khade hona mustahab hai”
Tanweerul Absar
Jild: 2 Safa: 700 par hai,
sajda e
tilawat ke liye allahu akbar kehte waqt naa hath uthana hai naa usme tashahud
hai naa salam,
وهُو تعالیٰ أعلمُ
بالـصـواب
Suwal no. 1390
Roze me sar me
tel, lagane ya nakhoon katne se roza tut jata hai kya ?
Jawab:1390 بسم الله الرحمن الرحيم
NAHI, naa nakhoon katne
se na tel dalne se
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1391
Hazrat Aaj
19vi taraweeh me aaj tak koi bhi sajdah nahi hua hai isliye Imam ke liye aur
muqtadi ke liye kya hukm hai ?
Jawab:1391
بسم
الله الرحمن الرحيم
Ho sakta ho, ki imam ayat e sajda padh kar alag se
sajda naa karte ho balki sajde ki ayat padh kar foran namaz ke ruku sujood kar
lete ho to isi tarah bhi foran namaz ka sajda karne se ayat e sajda bhi ada ho
jata hai, Bahar e Shariat jild:12 Safah:733 me
likha hai,
“agar ayat
e sajda padhne ke bad foran namaz ka sajda kar liya, yani ayat e sajda ke bad 3
ayat se zyada naa padha, aur ruku karke sajda kar liya chahe sajda e tilawat ki
niyat naa ki ho, (to bhi sajda e tilawat) ada ho jayega”
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1392
Kya Roze Ke
halat mei blad (khoon) de sakte hai jawab jaldi bata den
Jawab:1392 بسم الله الرحمن الرحيم
Agar waqai zarurat ho to
khoon de sakte hai, Roze me khoon dene se roza to nahi tutega, magar khoon dene
wale me khoon dene se itni kamzori naa aye ki roza poora nahi kar sakta, aur
aisi kamzori ho jayegi ki roza poora nahi kar sakta to naa de,
وﷲ تعالیٰ أعلمُ
بالـصـواب



Suwal no. 1393
Asslamoalaikum
v rehmatullahi v barkat hu, Jab hum durud sharif padhte he to kya durud sharif
ko huzur sallallahu alahi wasallam ko bakhshwana chahiye ya fir hum koi buddi
durud jaise durude muqaddas padhe to use bakhshwana chahiye ya bakhashna zaruri
he Jabki har durud sharif jo hum dil se padhte he wo Huzur Sallallahu Alahi
Wasallam sunte he to wo seedhe huzur tak pahuch jati he unhe bakhshane ki
zarurat ha ya nahi, Hazrat Rehnumayi Farmaye
Jawab:1393
بسم
الله الرحمن الرحيم
G, sahi
he, durood ko bakhashne ki zarurat nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1394
Kya Zakaat
Apne Khoon Ko De Sakte Hai ? Apne Khoon Me Kin Kin Ko Zakat De Sakte Hai Aur
Kin Kin Ko Zakat Nahi De Sakte ? Tafseelan Jawab Inaayat Farmaae, Aur Majeed Ye
bhi Farmaa Den Ke Apni Bhabhi Jo Ke Widhwaa Hai Unko Zakat De Sakte Hai ?
Jawab:1394
بسم
الله الرحمن الرحيم
Iska jawab dete huye, Faqih e islam, qazi e millat, Mufti e
Ummat, Naib e Malik e Jannat, Sadr Us Sharia Bad Ut-Tariqa, Hazrat Allamah
Maulana Al-Haj, Al Hafiz Al- Mufti Muhammad Amjad Ali Azami (alaihirrehma) Bahar E
Shariat Jild: 1 Safa: 927 likhte hain:
“apni asal
yani, ma bap, dada dadi, nana nani, wagaira jinki aulad me ye hai, aur apni
aulad beta beti, pota poti, nawasa nawasi wagaira, ko ZAKAAT NAHI DE SAKTA”
Bhabhi, Bahu, khala, Damad, Khala WAGERAH ko zakat
de sakte hai, (JABKI INME ZAKAT
LENE KI SHART PAAI JAYE, YANI IN PAR ZAKAT WAJIB NA HO, YE FAQIR HO AUR ZAAT
“SAYYED” BHI NAA HO)
وﷲ سبحانه وتعالى أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1395
Hazrat kya
aurte namaz us waqt adaa kare jab tak masjid me jamat nahi ho jati jamat se
pehle namaz padni chahiye ya nahi aurto ko, is masle ka jawab jaldi hi farmaye
aur hawala mil jaaye to hawala bhi daal den ye masla urgent he
Jawab:1395 بسم الله الرحمن الرحيم
Aurat ko mard ki jamat ke
bad namaz padhna behtar hai, magar zaruri nahi, koi unki namaz shuru hone se
pehle bhi padh le to namaz ho jayegi, namaz apne waqt ke sath khas hai, mard ki
jamat ke sath nahi, magar MUSTAHAB (yani sawab ka kaam) ye hai ki, fajr ki
namaz mardo se pehle aur jaldi padhni chahiye, aur baki namaze mardo ki jamat
ke bad padhegi, to shariat ke mustahab par amal karne ki wajah se swab zyada
payegi, Bahar e Shariat Jild:1 Safah:452 par
hai
“aurat ke
liye hamesha fajr ki namaz awwal (shuru) waqt me padhna mustahab hai, aur baaki
namazo me behtar hai ki, mardo ki jamat ka intizar kare, jab jamat ho chuke, to
padhe”
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1396
Hazrat Daadhi
Rakhne Ka Sahi Tareeka Bataa Dijye
Jawab:1396
بسم
الله الرحمن الرحيم
Ek musht
lambai ho aur usse bad jaye to ek musht ke baad niche se kaat le,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1397
Ek Behan Ka
Sawal He, Azan Hone Per Aurto Ko Sir Per Dupatta Lena Lazami Hai ?.Jabke Woh
Ghar Me Hi Ho Aur Koi Bhi Ghair Mehram Use Dekh Na Raha Ho ?
Jawab:1397
بسم
الله الرحمن الرحيم
NAHI
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal no. 1398
Kya farmate hain, ulamae haq wa muftian e sharah mateen is
masale me ki, ek aurat hamila hai ramazan me roze nahi rakh sakti, aur shawwal
ke bad bachche ki paidaish ho jati hai, 40 din weh bhi gaye, aur 2 saal bachche
ko doodh pilana hai, agar is dauran roze rakhti hai to din ko bachche ko bar
bar doodh bhi pilana hai, jisse aurat ko khane ki talab ho sakti hai, aisi
halat me aurat ko kya karna chahiye, wazahat farmaye,
Jawab:1398 بسم الله الرحمن الرحيم
Jo ramazan ke roze nifas ya sharai ujr ki bina
par chhoote to unhe baki 11 mahino me bich bich me rakh kar pure kar le, aur ye
surat koi aisi kamzori ki nahi hai jo suwal me byan ki gai, ramazan ke bad 365
din honge aur 30 roze rakhna ruk ruk kar yani 1 hafte me ek bhi rakhe to
mushkil nahi, aur ek roze se koi kamzori nahi,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1399
sabse pehla
silsila konsa he ? or kab suru hua ? or kisne suru kiya ?
Jawab:1399 بسم الله الرحمن الرحيم
Aaj sunniyat ki jo halat hai, wo khas isi wajah
se hai, ki qaum ke log us fizool baato me uljhe rahte hai, jiska naa janna
farz, na wajib, naa ye suwal qabr me kam aye na hashr me, naa ye jan kar namaz
thik ho jayegi, magar fir bhi, shaitan ne laga rakha hai, fizul ke swalat ki
tehqiq me taki roza namaz ke ilm se door rahe,
kabhi isse age bad kar farz, wajib sikhne ka waqt nikalo, ilm to sikhne
se ayega, or sikha jab jayega jab in gair zaruri bato se bahar aa kar, kuchh
kitab beeni ki jaye.,
وﷲ تعالٰی اعلم
Suwal no. 1400
Quraan shareef poora padhne ke bad quraan khatm dua
padhni chahiye ya dusra quraan shuru kardena chahiye
Jawab:1400 بسم الله الرحمن الرحيم
Doosra bhi shuru kar sakte hai, padh sakte hain
to padh leni chahiye,
وﷲ تعالٰی اعلم
Allah
Ke Fazl Se
Doosri Jild
Bhi Muqammal Hui
ماشاء
الله لاقوة الا بالله
Dua e Khair me Yaad Rakhen-
Suwalat 1401 se, Aage ke Suwal Jawab,
Masail e Shariat Jild 3, me Mulahaza
farmaye,
Sabhi Se Talib e
Dua e MAGHFIRAT
Sayyid Muhammad Sikander
Warsi
(+91
– 98-1118-45-18)
Ye Aabru “RAZA” Tera Daman e Tar Ki Hai...