Naat Lyric - Jab Madine Ki Faza Me Be Qarar Aa Jayega: By Sayyid Sikander Warsi

यह नात हिंदी में पढ़िए - Click Here

Jab Madine Ki Faza Men Be Qaraar Aa Jayega
Tab Naseem-e-Faiz Se Dil Ko Qaraar Aa Jayega

Jab Nigahon Ke Kareeb Unka Mazar Aa Jayega
Jurm Ki Bakhshish Ka Dil Me Aitbaar Aa Jayega

Ghamzada Aa Jayega Lekar Gamon Ki Dastaa(n)
Gamzadon Ke Waste Fir Gam Gusaar Aa Jayega

Wo Na Daman Ko Hawa Dega Kisi Dehleez Par
Jo Dar-e-Daulat Pe Un ke Ek Baar Aa Jayega

Sab Humare Sir Se Lenge Daman-e-Bakhshish Samet
Fir Tere Daman Pe Sab Dar-o-Madaar Aa Jayega

Aur Kise Apni Pukaron Se Gharaz Hogi Waha(n)
Ik Wahi To Hai Jo Ho Ke Be Qaraar Aa Jayega

Hashr Men Chhath Jayenge Us Waqt Badal Khauf Ke
Jis Ghadi Maida(n) Men Madani Taajdar Aa Jayega

Apne Sajdo(n) Ki Khatayen bakhsh Di Jayegi Sab
Halat-e-Sajda Men Jab Wo Ashqbaar Aa Jayega

Sab Ke Sir Koh-e-Mihan Honge Nazar Tujh Par Shaha
Ek Jaan-e-Be Khata Pe Kitna Baar Aa Jayega

Kiska Muh Dekhega Najdi Sochiye Fir Hashr Me
Jab Unhi Ke Hath Me Sab Ikhtiyaar Aa Jayega

Hum Agar Jo Naam Le Ahmad Raza Ka Aaj Bhi
Najd Ki Dunyan Me Tufaa(n) Zordaar Aa Jayega

Ya Ilaahi Bakhsh De “Sayyid” Ko Roz-e-Hashr Tu
Kab Ise Apni Khatao(n) Ka Shumaar Aa Jayega


No comments:

Post a Comment